janiye yoga asanas for weight loss in hindi aur rahiye fit

10
HRELATE.COM Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi se Apna Vajan Ghataye

Upload: cshradhha20

Post on 30-Dec-2015

91 views

Category:

Documents


6 download

DESCRIPTION

Apne aap ko fit aur aneko rogo se door karne ke liye aaiye aaj ham jante hai Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi. Aur adhik jankari ke liye click kare: http://hrelate.com/yoga-asanas-for-weight-loss-in-hindi/ - PowerPoint PPT Presentation

TRANSCRIPT

HRELATE.COM

Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi se Apna Vajan Ghataye

hrelate.com

• Vyast jivan sheli aur kaam ka pressure hame swasth tarike se jine nahi deta hai. Junk food ka sevan aur tanav bhare mahol ne hamare sharir ko pure tarah aswasth kar diya hai. Iss tarah ki jivan sheli se sabse jyada asar hamare pet aur jhangho par padta hai. Inn hisso par atirikt charbi jama hone lagti hai. Sharir ke inn hisso par charbi jama hona vese to aajkal ek behad hi aam baat hai, lekin agar in chizo par dhyan nahi diya jaye to yeh kai tarah ki bimariyo ko nyota de deti hai.

• Isliye jaruri hai ki ham vyayam aur acche bhojan ko apni dincharya mai shamil kare. Agar ham vyayam ki baat kare to yoga ek bahut hi swasthvardhak aur labhkari vyayam hai. Iss tarah ka vyayam na keval hamare dimag aur mashtik ko takat pahuchata hai, balki hamari aatma ko bhi suddha karte hai. Yoga karne se sharir majbut hota hai, mashpesiya ton hoti hai aur sabse jaruri yeh hai ki isse motapa kam hota hai.

• Yoga na keval Bharat mai hi kiya jata hai balki yeh vidheso mai bhi bahut mashhur ho chukka hai. Aur ise waha tak pahuchane wale insan the hamare swami vivekanand ji. Yadi aap mote hai aur bina jim jaye aasani se ghar par hi vajan ghatana chahte hai. To iske liye yoga karna suru kar de. Niyamit tour se yoga karne par aap apne aap hi shpe mai aa jayenge to aaiye jante hai Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi.

hrelate.com

hrelate.com

Inn Yoga Aasano Ko Karne Se Ghatega Motapa  • Bhujangasana

Iss aasan ke jariye na sirf pet ki charbi kam hoti hai. Balki bajuoo, kamar aur pet ki mashpeshiyo ko majbuti milti hai aur sharir lachila banta hai. Iski vidhi iss prakar hai.

hrelate.com

• Dhanurasana

Iss aasan se aap us jagah ke fat ko bhi burn kar sakte hai. Jaha bahut muskil hoti hai. Iss vyayam se jhang, pedu, chhati aur nitambh par asar padta hai.

• Balasana

Balasana un logo ke liye perfect aasan hai. Jinhone yogasan ki shuruwat ki ho. Isse pet ki charbi bhi kam hoti hai aur mashpeshiya majbut hoti hai.

hrelate.com

• Paschimottanasana

Paschimottanasana kriya mai aapke pet par dabav padhta hai. Jiska sidha prabhav pet ki charbi par padhta hai. Yadi aapka pet aage ki aur kuch jyada hi nikal aaya hai to iss aasan ko niyamit rup se karne se aap kaafi prabhav dekh sakte hai. Isse pith dard bhi sahi hota hai.

• Butterfly

Yeh vyayam pet aur zhang par asar dalta hai. Yadi aapko patle per chahiye to iss aasan ko jarur kare.

hrelate.com

• Vrksasana

Iss aasan se vajan kam hota hai. Iske alawa iss aasan ko karne se man bhi shant hota hai. Ise roj subah khali pet kare.

• Ustrasana

Yadi aapka pet jyada nikala ho to ise roj jarur kare. Iss yog se aapka pet, kamar, chhati aur baho par asar padega.

hrelate.com

• Purvottanasana

Iski suruvat karne mai shayad thodi muskil lage, lekin iska asar aapko khus kar dega. Yeh aapki pith, kandho, hath, kalai aur jang lagi mashpesiyo par kaam karta hai. yeh swasan pranali ko sahi rup se chalane ke liye bahut accha aasan hai. Yahi nahi, yeh sharir ki mukhya takat ko badhane mai bhi madad karta hai. Aapke pero, jhangho ki andruni mashpesiyo aur hips par bhi asar dalta hai.

hrelate.com

• Paripurnanavasana

Yeh aasan mashpesiyo ki shahan shakti badhane, khichav aur lachilapan badhane mai madad karti hai. Inhe ek bar karne se aapko chunotipurn, thakau aur sanvedatmak anubhuti ka ehsas hoga. Ise karne ke liye pith ke bal let jaye aur apne sharir ko ‘V’ aakar, jo ki naav se milta julta ho, aesa banaye. Mudra ko 10 sec tak banaye rakhe. Iss doran aapko lagega ki aapki mashpesiya uchal rahi hai, lekin yakin maano yeh aapke belly fat ko bilkul khatam kar dega.

hrelate.com

• Trikonasana

Trikonasana aasan karne ke liye pero ko faila le. Jisme sidha pair bahar nikal le. Ab apne haatho ko bahar ki aur khol le aur sidhe hath ko dhire dhire niche ki taraf sidhe per ki aur le jaye. Sidhi kamar ke sath niche ki aur dekhe.