janiye foods to avoid for weight loss in morning

11
Vajan Kam Kar Rahe Hai To Subah Na Khaiye Yeh Aahar HRELATE.COM

Upload: cshradhha20

Post on 30-Dec-2015

72 views

Category:

Documents


0 download

DESCRIPTION

Yadi aap apna wajan kam karna chahte hai to janiye in aaharo ke bare me jinhe hame morning ke samay par nahi karna chahiye isse hamara wajan bhi badhta hai. Aur adhik janane ke liye click kare: http://hrelate.com/foods-to-avoid-for-weight-loss-in-morning/ - PowerPoint PPT Presentation

TRANSCRIPT

 

Vajan Kam Kar Rahe Hai To Subah Na Khaiye Yeh Aahar

HRELATE.COM

hrelate.com

• Subah ka nashta aapko dinbhar sakriya rakhta hai saath hi yeh

vajan kam kanr mai bahut mahatvapurna bhumika nibhata hai, isliye nashte mai aise aahar ka sevan karne se bache jisse vajan kam hone ki jagah badhta ho.

• To aaiye jante hai Foods to Avoid for Weight Loss in Morning.

hrelate.com

• Vajan kam karna na to bahut aasan kaam hai aur na hi bahut mushkil. Vajan kam karne mai aahar ki bhumika sabse mahatvapurna hoti hai.

• Isliye agar aap vajan kam karna chahte hai to subah uthne ke baad hi iska dhyan rakhe.

• Breakfast ka asar pure din ki gatividhi par to padta hai saath hi agar aapne adhik fatty aur aswasth aahar ka sevan kar rahe hai to isse vajan kam karne wala lakshya pura karna shayad hi sambhav ho.

hrelate.com

Foods to Avoid for Weight Loss in Morning: Subah ke Samay inse BacheTo aaiye jante hai ki Weight Loss ke liye konse aahar sevan

karne se bachna chahiye aur kese swasth rehna chahiye:

• Dibba Band Fruit Juice

• Pastry aur Cookies

• Pancake aur Muffin

• Egg Sandwich

• Coffee Na Piye

• Smoothie

• Oily Aahar

hrelate.com

Dibba Band Fruit JuicePhal aur phalo ka juice humare sehat ke liye bahut hi faydemand hota hai, iss baat mai kinchit matra bhi shak nahi hai. Lekin dibba band juice humare sehat ke lihaj se nuksandeh hota hai kyuki isme sugar bhi moujud hota hai aur yeh aapke vajan karne ke lakshya mai badhak ban sakta hai. Halaki kuch logo ko lagta hai ki juice pine se vajan kam hota hai, lekin aisa kewal taaze phalo wale juice ke saath hota hai na ki dibba band juice pine se. Isliye subah ke waqt iss tarah ke juice se parhej kare.

hrelate.com

Pastry aur Cookies

Subah ke waqt breakfast mai pastry aur cookies khane se aapka breakfast lajij to ho sakta hai, lekin isme moujud sugar aur fat aapke swasth ke liye nuksandeh hai. Agar aap vajan kam kar rahe hai to pastry aur cookies ka sevan bilkul bhi na kare. Iski jagah sabut anaaj ka sevan kare.

hrelate.com

Pancake Aur Muffin

Weight Loss bahut mushkil ho jata hai jab aap chhoti-chhoti baato par dhyan nahi dete hai aur halke snacks kam calorie wala samajhkar kha lete hai. Bahut se log nashte mai pancake, muffin, wafers aadi khana pasand karte hai, lekin shayad hi aapko pata ho ki inn sabme maida hota hai. Saath hi unme bahut kam fiber aur protein hota hai.

hrelate.com

Egg SandwichSubah ke nashte mai anda khane ki salah sabhi dete hai. Lekin

agar aap egg sandwich khate hai jisme cheese bhi ho, ya phir english muffin, bahut se logo ko pasand hota hai. Iss tarah ke sandwich mai 300-400 calorie hoti hai, lekin char guna jyada tak low calorie carbohydrate bhi hota hai. Isliye koshish kare ki sadharan egg sandwich khaye, wo bhi brown bread ke saath.

hrelate.com

Coffee Na Piye

Subah ki shuruaat coffee se karna sukhad mana jata hai, lekin yeh aapke vajan ghatne wale raste mai ek rodo ki tarah hai. National Coffee Association ke anusar ek tihai se adhik coffee pine wale roz subah special coffee pina pasand karte hai. Lekin isme 300 se adhik calorie hoti hai. Agar isme adhik chini mila ke pi jaye to calorie aur badh jati hai. Agar aap apne din ki shuruaat itni sugar se karte hai to aapki bhukh badhegi, jo kisi bhi halat mai aapke sehat ke liye thik nahi hai.

hrelate.com

SmoothieSubah ke nashte mai smoothie khana sehat ke liye tabhi accha

ho sakta hai jab aap use apne aap ghar par banaye. Warna aapke nashte mai calorie bahut adhik badh sakti hai. Alag-alag brand ke smoothie pack mai ek serving ke douran aap 500 se 900 calorie tak ka sevan kar sakte hai. Aise mai yeh aapka vajan kam karne ki jagah badhane mai madad karega.

hrelate.com

Oily AaharSubah ke nashte ke waqt paratha khana bhale hi aapko pasand

ho lekin isse sharir mai charbi ekatrit hogi, iske alawa agar aap breakfast mai tale huye aahar jese- finger fry, samosa aadi ka sevan karte hai to yeh aapke vajan kam karne ki jagah badhayega. Iske alawa subah ka nashta kabhi na chhode, isse metabolism sust ho jayega aur pachan kriya prabhavit hogi.