sahih islami aqidah - islamsmessage.com | p a g e sahih islami aqidah right islamic belief...

50
1 | Page SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published by: Islamic Information Centre, Mumbai

Upload: tranbao

Post on 12-Mar-2018

276 views

Category:

Documents


5 download

TRANSCRIPT

Page 1: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

1 | P a g e

SAHIH

ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief

:-Murattib-:

Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi

(Daee Islamic Information Centre, Mumbai)

Published by:

Islamic Information Centre, Mumbai

Page 2: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

2 | P a g e

:- I N D E X -:

1) ARZE MURATTIB 2) AQEEDAH KA MAA’NA WA MAFHOOM 3) IMAN KA MAA’NA WA MAFHOOM 4) ISLAM KA MAA’NA WA MAFHOOM 5) IBADAT KA MAA’NA WA MAFHOOM 6) IBADAT KI BAA’Z QISMEIN 7) TAWHEED AUR USKI QISMEIN 8) SHIRK AUR USKI QISMEIN 9) KUFR AUR USKI QISMEIN 10) NIFAQ KA MAA’NA WA MAFHOOM 11) RUQYA AUR TAWEEZ GANDA KA MAA’NA WA MAFHOOM 12) KAHANAT WA ARAAFAT KA MAA’AN WA MAFHOOM 13) ILM E GAIB KA MAA’NA WA MAFHOOM 14) BIDA’T KA MAA’NA WA MAFHOOM 15) WASEELA KA MAA’NA WA MAFHOOM 16) SHIFA’AT KA MAA’NA WA MAFHOOM 17) TAWAKKUL KA MAA’NA WA MAFHOOM 18) WALAA AUR BARAA KA MAA’NA WA MAFHOOM 19) GHULOO KA MAA’NA WA MAFHOOM 20) ITTEBA-E- KITAB O SUNNAT 21) BAAZ SHIRKIYA A’MAAL

Page 3: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

3 | P a g e

ARZE MURATTIB

Islam me aqidah ki ahmiat wazeh hai. Quran ke mutaley se yahi malum hota hai ke Makki daor me jo aaayaat nazil huin, aksar aqaid se taalluq rakhti hain. Aqidah deen ki bunyad hai. Ye bunyad jitni hi mazbut ho deen utna hi mustahkam aur payedar hoga. Aqidah e tawheed hi najaat ka zariya hai. Allah tamaam gunahon ko muaf kar sakta hai lekin shirk ko nahi muaf karega. Yahi wajah hai ke tamam anbiya aqida tawheed lekar aaye. Khatimun Nabiyeen ne bhi puri zindagi aqida tawheed hi ki dawat di. Islam ka pehla rukn tawheed hai aur dawat ki ibteda bhi tawheed hi se ki jaegi. Is kitab ko sawal o jawab ki shakl me murattab kiya gaya hai, jisme bees asbaaq hain. Har ek sabaq me panch panch sawal o jawab hain. Is kitab ki tayyari me mukhtalif kitabon aur maqalat se istefada kiya gaya hai. Aur koshish ye ki gai hai ke aqidah ki aksar bunyadi batein is me aa jaayen. Maslan aqidah, Islam, tawheed, ibadat, shirk, kufr, nifaq, bidat, al wala wul bara , shifaat, wasila, ilm e gaib, wagaira. Is kitab ko likhne ka maqsad ye hai ke talba aur naojawanon ko aese sahih islami aqide se joda jaye jis me shirk o bid’aat na hon aur unhe shirk o bidat se aagah kia jaye. Talba ko un kharabio ke bare me bataya jaye jo aqidah me khalal dalnewali hain. Is kitab ko makatib, masajid aur mutawassita ke talba ko padhaya jaye, taa ke aqidah ki ibtedai baatein sikh payen.

Page 4: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

4 | P a g e

Aakhir me Allah ka shukrguzar hun jis ki taufeeq aur madad se main ne ye kitab tayyar ki. Sath hi sath main un ulma ka bhi shukrguzar hun jinhon ne hamari rehnumai ke sath sath hamare is kaam me tawun bhi kiya. Allah se dua karta hun ke Allah ham sab ki is koshish ko logon ke liye mufeed banaye aur is amal ko apne liye khalis kare. Ameen.

Asrar Ahmed Abdul Wahab Salfi

(Daee: IIC: Kurla, Mumbai)

Page 5: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

5 | P a g e

AQEEDAH KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Aqeedah ke lughavi wa sharai maa’na kya hain? JAWAB 1: Aqeedah ka lughavi maa’na: Aqeedah darasl lafz “Aqada” se nikla hai, jis ke maa’na hain kisi chiz ko bhandhna. Aqeedah ka sharai maa’na: Tamam deeni umoor ki tasdeeq is tarah karna ke koi shak o shubah na rahe, ise shariyat me aqeeda kehte hain. SAWAL 2: Islami aqeede ki bunyad kitni chizon par hai? JAWAB 2: Islami aqeede ki bunyad teen chizon par hai. 1.Quran 2. Hadeeth 3. Ijma SAWAL 3: Aqeede ki kitni qismein hain? JAWAB 3: Aqeede ki do qismein hain. 1. Sahih aqeedah 2. Galat aqeedah 1. Sahih aqeedah: Wo aqayed jinhein ambiya-e-karam le kar aaye aur us ki taleem di, usko sahih aqeedah kaha jata hai. 2. Galat aqeedah: Har wo aqeedah jo Quran e Kareem aur Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ki saabit shuda ahadees me bataye gae aqidah

se takrata ho usko galat aqidah kaha jata hai.

Page 6: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

6 | P a g e

SAWAL 4: Aqeedah ka taalluq kis se hota hai? JAWAB 4: Aqeede ka taalluq dil se hota hai. Haalaat ke aitebar se insan ke aqidah me tabdili ho sakti hai, isliye ki bairuni chizen jaise tarbiyat, taaleem aur maahaol uspar asar daalte hain. SAWAL 5: Kya aql islami aqeede ki bunyad ho sakti hai? JAWAB 5: Aql islami aqeede ki bunyad nahi ho sakti kyunke Ahle bidat ne apne aqeede wa iman ki bunyad aqal par rakhi aur deen ya sunnat ki payervi ko apni naqis aql ke tabaey kar diya. Aur Ahle Sunnat ne apni aql aur payervi ko deen ke tabaey kar diya. Albatta sahi aql kabhi bhi saabit shuda Islami aqaid ki mukhalif nahi ho sakti. Albatta ye ho sakta hai ki woh unki haqiqat tak na pahonch paye apni kamzori ki wajah se.

Page 7: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

7 | P a g e

IMAN KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Iman ke lughavi wa sharai maa’na kya hain? JAWAB 1: Iman ka lughavi maa’na: Tasdeeq karna. Iman ka sharai maa’na: Zaban se iqrar karna, dil se tasdeeq karna aur us par amal karne ka naam iman hai. SAWAL 2: Arkan e iman kitne hain aur iski daleel kya hai? JAWAB 2: Arkan e iman (6) cheehen hain. 1. Allah par iman 2. Farishton par iman 3. Kitabon par iman 4. Rasoolon par iman 5. Aakhirat par iman 6. Taqdeer par iman Daleel: Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

یرہ {ز خ

دق بال م

ؤت خر، و

وو ال ی

ال زسلہ، و بہ، و

تک تہ، و

ئکمل باہلل، و م

ؤ ت ا

ہ ر ش }و

“Tum iman laao Allah par, uske farishton par, uski kitabon par, uske rasoolon par, aakhirat ke din par aur taqdeer ke bure bhale hone par.” [SAHIH MUSLIM: 8]

SAWAL 3: Momin kise kehte hain? JAWAB 3: Iman wale shakhs ko momin kehte hain. Yani jo Allah par, farishton par, uski kitabon par, uske rasoolon par, aakhirat ke din par aur taqdeer ke achchhe aur bure hone par iman rakhta ho sath hi sath Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ki

sunnaton par amal karne wala ho.

Page 8: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

8 | P a g e

SAWAL 4: Kya iman ghatta badhta hai? JAWAB 4: Ulamaye salaf ka ye maoqif hai ke momin bande ke iman me halaat aur waqiyat ki wajah se kami beshi hoti rahti hai. Allah ka irshad hai: :{ ىفال:

]اال و

ل ك وت هه ي

ب ى زل ع ا و

اى هه إين

تاده زات ييهه ا

ل ع

ليت

ا تإذ ۔[۲و ]

“Jab Allah ki aayat un ke saamne padhi jati hain to un ka iman badh jata hai.” *QURAN: SURAH AL ANFAL: 2]

SAWAL 5: Kya Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ki janib se diye gaye ahkam ki bhi

tasdeeq lazim hai? JAWAB 5: Haan, Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ki janib se diye gaye ahkam ki

bhi tasdeeq lazim hai, Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ki gaib ki baton me

tasdeeq karne me wo tamam ahkam bhi aa jate hain jo Allah ki jaanib se aapko diye gaye, chahe ye ahkam Quran me hon ya sahih ahadees me.

Page 9: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

9 | P a g e

ISLAM KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Islam ke lughavi wa sharai maa’na kya hain? JAWAB 1: Islam ke lughavi maa’na: Tasleem karna aur jhuk jana. Islam ke sharai maa’na: Zindagi guzarne ka jo tareeqa aur rasta Allah ne nabion ke zariye bheja usko tasleem karna, uske aage jhuk jana aur uske mutabik amal karne ko Islam kaha jata hai. Allah ka farman hai:{و

سل

ال

للاد عي ی

الد

“Beshak Allah ke nazdeek deen, Islam hi hai.” [QURAN: SURAH AL IMRAN: 19] SAWAL 2: Arkaane Islam kitne hain aur iski daleel kya hai? JAWAB 2: Arkaane Islam panch hain. 1.Tawheed 2.Namaz 3.Zakat 4.Roza 5.Hajj Daleel: Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

قیه {ت ، و ه

ل س یہ و

ل عی للا

ل للا ص

سول دا ز

ن مح

ا و للا

ہ إال

إل ال

اد ہ

ش تا

تی ؤت ، وۃل الص

بیل یہ س

إلعت

ظ است إ

یت ب

الحخ ت ، و ا

مض صوو ز

ت ، واۃک } الز

“Tum is baat ki gawahi do ke Allah ke siwa koi mabud e barhaq nahi aur Muhammed ملسو هيلع هللا ىلص us ke rasool hain.

Namaz qayem karna, zakat adaa karna, ramzan ke roze rakhna, baitullah ka agar uske raaste ke kharch kitaqat ho to hajj karna.” [SAHIH MUSLIM: 1/37: 8]

Page 10: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

10 | P a g e

SAWAL 3: Islam ka sab se bada rukn kya hai? JAWAB 3: Islam ka sab se bada rukn shahadatayn ka iqrar karna hai. Yani zaban se uloohiat aur risalat ki shahadat dena, jaise

للا"سول دا ز

ن مح

د ا ہش ، ا للا

ہ إال

إل ال

د ا ہ

ش ا

“Main gawahi deta hun ke Allah ke siwa koi saccha mabud nahi aur Muhammed ملسو هيلع هللا ىلص Allah ke bande aur

rasool hain.” SAWAL 4: Shahadatayn ko tasleem karne ke baad aadmi par islam ke kya ahkaam zahir hote hain? JAWAB 4: Shahadateen ka iqrar karne ke baad uska jaan o maal ek musalman ke liye haram ho jata hai. Uske piche namaz padhna, nikah karna aur musalmano ke qabrastaan me dafn karna jayez ho jata hai. SAWAL 5: Muslim ya musalman kis ko kehte hain? JAWAB 5: Deen e Islam ke manne wale ko muslim ya musalman kehte hain. Yani jis ne khud ko is deen ke aage amal ke liye jhuka diya ho. Allah taala farmata hai: “Us Allah ne tumhara naam muslim rakha.” [QURAN: SURAH AL HAJJ: 78]

Page 11: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

11 | P a g e

IBADAT KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Ibadat ki lughavi wa istelahi tareef kya hai? JAWAB 1: Ibadat ki lughavi tareef: Intehai darje ki aajezi. Ibadat ki istelahi tareef: un tamam zaheri wa batni aqwal wa amaal ka naam hai jinhen Allah pasand karta hai aur jin se razi hota hai. SAWAL 2: Ibadat ki qubuliyat ki kitni shartein hain? JAWAB 2: Ibadat ki qubuliyat ki do shartein hain. 1-Ikhlaas: Allah taala ka farman hai:

الص }خ ال ی

الد

ہلل

ال {ا

“Sun lo! Deen Allah hi ke liye khalis hai.” [QURAN: SURAH AZ

ZUMAR: 3] 2-Shariat ke muwafiq ho: Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

[ د ہو ز

ہ فیس مي

ا ل ا م

ذا ہمرى

فی ا

ثدح ا م ]

“Jis ne hamare is deen me nayi baat paida ki jiska usse taalluq nahi hai to wo mardood hai.” [SAHIH MUSLIM: 1718] SAWAL 3: Ibadat ki kitni qismein hain? JAWAB 3: Ibadat ki teen qismein hain. 1-qalbi Ibadat: Jaise tawakkul, muhabbat, khaof, ummid. 2-Zubani Ibadat: Jaise madad talab karna, taoba wa astaghfaar karna, qasam khana wagaira. 3-Maali Ibadat: Jaise zakat, nazr o niyaza, qurbani wagaira.

Page 12: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

12 | P a g e

SAWAL 4: Hamein kis ki ibadat karni chahiye? JAWAB 4: Hamein sirf Allah ki ibadat karni chahiye aur uske saath kisi aur ko shareek nahi karna chahiye. Allah ka farman hai:

ا}یئوا بہ ش

رکش تال و اعبدوا للا {و

“Tum sirf Allah ki ibadat karo aur us ke saath kisi ko shareek na karo.” [QURAN: SURAH AN NISA: 36] SAWAL 5: Hamein Allah ki ibadat kis tarah karni chahiye? JAWAB 5: Hamein Allah ki ibadat us tarah karni chahiye jaise Allah aur uske Rasool ملسو هيلع هللا ىلص ne hukm diya hai.

Page 13: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

13 | P a g e

IBADAT KI BAA’Z QISMEIN SAWAL 1: Duaa’ kise kahte hain? JAWAB 1: Raghbat, khaof, muhabbaat, aajezi aur tazeem ke sath talab karne ko duaa kehte hain aur ye duaa Allah ke alawa kisi aur se jayez nahi hai. Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

{ ۃاد عب

ال اءہو ع

Duaa hi asal ibadat hai.” [SUNAN ABI“ {الد

DAWOOD: SAHIH: 1479] SAWAL 2: Makhluq se faryad karna kitni sharton ke sath jayez hai? JAWAB 2: Makhluq se faryad karna teen sharton ke sath jayez hai. Jisse faryad ki jaye wo zinda ho. Wo hazir ho. Wo qadir ho. SAWAL 3: Isteaanat kise kahte hain? Is ki kitni qismein hain? JAWAB 3: Isteaanat madad talab karne ko kahte hain aur iski teen qismein hain. Allah se madad talab karna. Allah taala farmata hai:

{ عيست ى

اك

إي عبد و ى

اك

{إي

“Ham teri hi ibadat karte hain aur tujh se hi madad talab karte hain.” [QURAN: SURAH AL FATIHA: 6] Makhluq se madad talab karna jis par wo qudrat rakhta ho. Allah farmata hai:

{ اوعدال ه و

ث ى ال

ل وا ع

ى او ع

تال ى و و

ق الت و

بر ى ال

ل وا ع

ى او ع

Page 14: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

14 | P a g e

“Neki aur parhezgari ke kamon me madad karo aur gunah aur zulm me madad na karo.” [QURAN: SURAH AL MAIDAH:2] Murdon se madad talab karna mutlaqan ya zindon se aisi chiz ke hasil karne ke liye jinhe dunyavi asbab ke zariye haasil na kia ja sakta ho. SAWAL 4: Qurbani kis ke liye jayez hai? JAWAB 4: Qurbani sirf Allah ke liye jayez hai. Qurbani ke zariye gairullah ka taqarrub hasil karna jayez nahi hai. Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

{ یر للا لغبح ذ م

للا ع

“Allah ki laanat hai us shaks par jo gairullah ke liye janwar zabah kare”. [SAHIH MUSLIM: 3/1567] SAWAL 5: Madad kis se mangni chahiye? JAWAB 5: Madad sirf Allah se mangni chahiye. Allah ka farman hai:

عی}ست ى

اک

إی عبد و ى

اک

{إی

“Ham teri hi ibadat karte hain aur tujh se hi madad talab karte hain.” [QURAN: SURAH AL FATIHA: 6]

Page 15: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

15 | P a g e

TAWHEED AUR USKI QISMEIN SAWAL 1: Tawheed ke lughavi aur sharai maa’na kya hain?

JAWAB 1: Tawheed ka lughavi maa’na: Lafz tawheed ka

maadda “wa, ha, da,’ hai aur uska laghwi maa’na hai ek maanna, ek tehrana, tanha manna. Tawheed ka sharai maa’na wa mafhoom: Tawheed ye

hai ke Allah ko uski zaat wa sifat aur tamam aosaaf wa kamalaat wa ibadaat me ek jaanna aur us ke sath kisi dusre ko shareek na thehrana. SAWAL 2: Kalma e tawheed kise kahte hain aur usko kitne naamon se jana jata hai? JAWAB 2: Kalma e tawheed “La ilaha illalah Muhammadur Rasul Allah” ko kahte hain. (Allah ke siwa koi maaboode barhaq nahi aur Muhammedملسو هيلع هللا ىلص Allah ke

rasool hain. Kalma e tawheed ko kai naamon se jana jata hai aur wo ye hain. Kalema tul ikhlaas, kalema e tayyeba, qaol e saabit. SAWAL 3: Kalma e tayyeba ke kitne arkan hain aur kon kon? JAWAB 3: Kalema e tayyeba ke do arkan hain. Nafi aur isbaat. Nafi: (La ilaha) Yani tamam maabudon ka inkar karna. isbaat: (Illal Allah) Yani sirf Allah ki ibadat ka iqrar karna.

Page 16: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

16 | P a g e

SAWAL 4: Kalema e tayyeba ki kitni shartein hain aur kaun kon si? JAWAB 4: Kalema e tayyeba ki saat shartein hain. 1.Ilm 2.Yaqeen 3.Tabedari 4.Qubool 5.Ikhlaas 6.Sachchai 7.Muhabbat SAWAL 5:Tawheed ki kitni qismein hain aur kon kon si? JAWAB 5: Tawheed ki teen qismein hain. 1.Tawheed rabubiat 2.Tawheed uluhiat 3.Tawheed asma o sifaat 1. Tawheede Rabubiat: Allah ko us ke afaal maslan paida karne aur tadbeer aur zinda karne aur maarne aur rozi dene wagaira afaal me akela maannaa. Allah ka farman hai.

{ نیال ع الب ز

ند ہلل

ح {ال

“Sari tareefein us Allah ke liye hain jo sare jahanon ka rabb hai.” [QURAN: SURAH AL FATIHA: 2] 2.Tawheede Uluhiat (Tawheed e Ibadat): Tanha Allah ko ibadat ka mustahiq samjha jaye aur sirf uski ibadat ki jaye. Chahe ye ibadat zahiri ho jaise roza namaz, ya dili ibadate ho jaise khaof o mohabbat, ya zabani ibadaten ho jaise zikr or azkaar, ya amali ibaadaten hon jaise hajj wagaira. 3.Tawheede Asma wa sifaat: Quran o Hadeesh me jo Allah ke naam aur sifaat aaye hain unpar iman rakha jaye aur unse wahi maana wa mafhoom samjha jaye jo salaf ne samjha hai. Aur ye aqidah rakha jaye ki Allah taala ke asma o sifaat me uska koi misl nahi hai. Aur na hi hame uski kaifiyat malum hai. Allah ka farman hai:

Page 17: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

17 | P a g e

{ لہ نثیس ک

صیر ل ب

نیع ال

ہو الس یء وش } uske jaisa koi nahi hai. Aur

wo sunne aur dekhne wala hai. [QURAN: ASH SHURA : 11]

Page 18: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

18 | P a g e

SHIRK AUR USKI QISMEIN SAWAL 1: Shirk ke lughavi aur sharai maa’na kya hain? JAWAB 1: Shirk ke lughavi maa’na: Naseeb, hissa. Shirk ki sharai tareef: Allah ki zaat, sifaat, afaal aur uske huquq me kisi ko uske sath shareek karna shirk hai. Masalan... Kisiko Allah ka beta maanna, uski zaat me shirk karna hai. Allah har chiz par qaadir hai. Ye Allah ki ek sifat hai. Allah ke alawa kisi ko har chiz par qaadir maanna uski sifat me shirk karna hai. Ibadat karna Allah ka ek haq hai. Allah ke alawa kisi ko ibadat me shareek karna ye Allah ke huquq me shirk karna hai. SAWAL 2: Shirk ki qismein tareef ke sath bayan kijiye. JAWAB 2: Shirk ki do qismein hain. 1.Shir e akbar 2.Shirk e asghar 1. Shirk e akbar ki tareef: Wo shirk hai jo insan ko millate islamia se kharij kar deta hai aur uska murtakib bagair tawbah ke mar jaye to hamesha hamesh jahannum me rahega. Masalan ibadat me Allah ke sath kisi ko shareek karna, Allah ke alawa dusron ko hajaat puri karne wala aur musibatein dur karne wala maan kar usse maangna, gairullah ke liye qurbani dena aur us ke liye janwar zabah karna wagaira. Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: [

باہلل

اک ر

ائر: الش ب

ر الک ب

ک Sab se“ [ا

bada gunah Allah ke sath shirk karna hai. [SAHIH AL BUKHARI: 4/9: 6771]

Page 19: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

19 | P a g e

2. Shirk e asghar ki tareef: Wo shirk jo insan ko millate islamiya se nikalta to nahi lekin aqida e tawheed me kami paida kar deta hai aur aksar shirk e akbar tak ponhcha deta hai. Masalan gairullah ke naam par qasam khana ya nazar se bachao ke liye dhage wagaira ye soch kar bandhna ke Allah ne un ko bimari door karne ke liye banaya hai, agar barahe rast unhen musibat se bachane me muassir maana jaye to wo phir shirke akbar hai aur millate islamiya se kharij karne wala hai. Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

} سول ر یا ز

صغ

اال

رک

ا الش م وا: و

الر قصغ

اال

رک

ه الش

یکل ع

اف

خ ا ا م

وف

خ ا إ

" :ال؟ ق

یاءللا

}الر

“Beshak mujhe ko tumhare bare me sabse zada shirk asghar ke paye jane khaof hai. Sahaba ne kaha..aye Allah ke rasool shirk e asghar kya hai? Aap ne farmaya...“riya”. [MUSNAD AHMAD: SAHIH: 39: 23630] SAWAL 3: Shirk e akbar aur asghar ke darmiyan ke farq ko wazeh kijiye. JAWAB 3: Shirk e akbar aur aasghar ke darmiyan farq 1. Shirk e akbar millate islamiya se nikal deta hai, jabke shirke asghar millate islamiya se nahi nikalta hai. 2. Shirke akbar ka murtakib agar taoba kiye bagair mar jaye to wo jahannum me rahega, jabke shirke asghar ka murtakib is ki saza mil jane ke baad wo jahannum se najat paa kar jannat me nahi rahega. 3. Shirke akbar deegar tamam amaale saleha ko barbad kar deta hai, jabke shirke asghar deegar amaale saleha ko barbad nahi karta. Shirk asghar iman me kami karta hai.

Page 20: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

20 | P a g e

4. Shirke akbar ke murtakib ki jaan wo maal ki hurmat khatm ho jati hai, jabke shirke asghar ke murtakib ki jaan wa maal ki hurmat khatm nahi hoti. 5. Shirke akbar ko Allah bagair taobah ke muaf nahi karega aur shirke asghar ye Allah ki mashiyat per hota hai, chahe jahannam men dakhil kare aur munasib saza ke baad jannat naseeb ho. 6. Shirke akbar ke murtakib se momino ki dosti jayez nahi aur shirke asghar ke murtakib se momino ki dosti ki mumaniat nahi hai. SAWAL 4: Kya is ummat me bhi shirk waqe ho sakta hai? JAWAB 4: Haan is ummat me bhi shirk waqe ho sakta hai. In me se ek to sadion se maojood hai. Yani saleheen ko allah ka shareek tehrana, un ke liye nazr wa niyaz karna unhen pukarna duaa karna, wagairah is ummat me shirk waqe hone ki wazeh surat buton ki pooja hai.

Nabi:ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

} اوث ی یعبدوا اال

تح ، و رکی

تی بالنش

م ا م

ائل ب

ققحلی ت ت حۃ اع

وو الس ق ت }ال

“Qeyamat qayem nahi hogi yahan takke meri ummat ke kuch qabail mushrekeen se mil jayenge, hatta ke buton ki pooja karenge.[SUNAN AT TIRMIDHI: SAHIH: 4/69: 2219] SAWAL 5: Shirk ke nuqsanat kya hain? JAWAB 5: Shirk ke nuqsanat mandarjazel hain. Shirk tamam amaal ko barbad kar deta hai. Us ki wajah se bidaat wa khurafaat ka zuhoor hota hai. Shirk se muashre me burai aur behayai phelti hai.

Page 21: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

21 | P a g e

KUFR AUR USKI QISMEIN SAWAL 1: Kufr ki lughavi aur sharai tareef kya hai? JAWAB 1: Kufr ka lughavii maana: Dhankne aur chupane ko kehte hain.

Kufr ki sharai tareef: Kufr iman ka zid hai. Yani Nabiملسو هيلع هللا ىلص

ki layi hui baton par imaan na lana kufr hai. Khuwah ye imaan na lana shak ki bunyad par ho ya mahez aeyraaz ho, ya takabbur aur hasad ki bunyad par ho ya khwahishat e nafs ki pairvi me ho.sabhi surton me

nabiملسو هيلع هللا ىلص par iman na lana kufr hai.

SAWAL 2: Kufr ki kitni qismein hain? Har ek ko tareef ke sath wazeh kijiye. JAWAB 2: Kufr ki do qismein hain. 1. Kufr e akbar 2. Kufr e asghar 1. Kufr e akbar: Ye deen se nikal deta hai aur jahannum me hamesha rahne ka sabab hai. 2. Kufr e asghar: Ye deen se nikalta nahi. SAWAl 3: Kufr e akbar ki kitni qismein hain? Her ek ki wazahat kijiye. JAWAB 3: Kufr e akbar ki paanch qismein hain. 1-Kufr takzeeb: Haq ko jhutlana. Ye daawa karna ke rasool haq ke khilaf baat lekar aaye hain. 2-Tasdeeq ke sath kufr: Aadmi is baat ka iqrar kare nabiملسو هيلع هللا ىلص jo le kar aayen hain wo haq hai lekin takabbur

aur ghamand ki bunyad par uska inkar kare.

Page 22: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

22 | P a g e

3-Kufr e shak: Rasoolملسو هيلع هللا ىلص jo le kar aaye hain usme shak

zahir kare, isko kufr e shak kahte hain. 4-Kufr ayeraz: Haq ko chhod dena, use na sikhna aur us

par amal na karna, khwah wo aqwal se ho ya afaal se ho ya ijmalan ya tafseelan ho. 5-Kufr nifaq: Nabiملسو هيلع هللا ىلص ki layi hui baton par zaheri taor par

itteba’ aur dil se inkar karne ko kufr nifaq kehte hain. SAWAL 4: Kufr e akbar aur asghr ke darmiyan farq ko wazeh kijiye. JAWAB 4: Kufr e akbar aur asghar ke darmiyan farq: 1-Kufr e akbar deen se nikal deta hai, kufr e asghar deen se nikalta nahi. 2-Kufr e akbar tamam amaal ko barbad kar deta hai, kufr e asghar tamam amaal ko barbad nahi karta. 3-Kufr e akbar ka murtakib hamesha jahannum me rahega, kufr e asghar ka murtakib hamesha jahannum me nahi rahega. 4-Kufr e akbar ke murtakib ka khun aur maal mubah ho jata hai, kufr e asghar ke murtakib ka khun aur maal mubah nahi hota. SAWAL 5: Kufriya alfaz aur kufriya afaal ki kuch misalein batayien. JAWAB 5: 1-Kufriya alfaz: Allah ko bura bhala kahna, Islam ko bura bhala kahna, farishton ko bura bhala kahna, nabi ko bura bhala kahna, Allah ka mazak udana, ya ye kehna ke Allah tasarruf ka

Page 23: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

23 | P a g e

haq nahi rakhta, ya ye kehna ke zina halal hai, sharab halal hai, wagaira. 2-Kufriya afaal:

Gairullah ko sajda karna, gairullah ke liye janwar zabah karna, quran ki be adbi karna, Allah ke hukm ko chod kar dusron ke hukm ko manna, jadu ka amal aur sikhna sikhana, wagaira.

Page 24: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

24 | P a g e

NIFAQ KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Nifaq ki lughavi wa sharai tareef kya hai? JAWAB 1: Nifaq ka lughavi maa’na: Dil me kuch manna aur zaban se kuch aur zahir karna. Nifaq ka sharai maa’na: Bazahir Islam aur iman ko zahir karna aur dil me kufr ko chupana. SAWAL 2: Nifaq ki kitni qismein hain? Har ek ki wazahat kijiye. JAWAB 2: Nifaq ki do qismein hain. 1. Nifaq e aeteqadi 2. Nifaq e amali 1. Nifaq e aeteqadi: Ye ek aesa nifaq hota hai jisse mutassif shakhs islam ko zahir karta hai lekin dil me nifaq kufr ko chupaye rakhta hai. Aesa aadmi deen se kharij ho jata hai aur jahannum ke nichle gadhe me hoga. Daleel: Allah ka farman hai: از }

الي ل م

سف زك اال

في الد افقي

ني ال Munafiqeen jahannum“ {إ

ke sab se nichle gadhe me honge.” [QURAN: SURAH AN NISA: 145] 2.Nifaq e amli: Dil me iman ho lekin munafiqon ke amaal me se koi aesa amal anjam de jo kufr tak na pohonchta ho. Aesa aadmi deen se kharij nahi hota hai. SAWAL 3: Nifaq e aeteqadi wa nifaq e amali ki shaklon ko bayan kijiye. JAWAB 3: Nifaq e aeteqadi ki shaklein: 1-Dil me Nabiملسو هيلع هللا ىلص ko kulli taor par jhutlana.

Page 25: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

25 | P a g e

2-Ya Nabiملسو هيلع هللا ىلص ki kisi ek baat ko dil me jhutlana aur zahir

me uska izhar na karna. 3-Ya dil me Nabiملسو هيلع هللا ىلصse kulli taor par bughz rakhna.

4-Ya dil me Nabiملسو هيلع هللا ىلص ki baaz taleemat se bughz rakhna.

5-Deen e Islam ke bazahir kahin kamzor padne se khush hona. 6-Deen e Islam ki taraqqi ko napasand karna. Nifaq amali ki shaklein: Jhut bolna, khayanat karna, waada khilafi karna, ladai jhagde ke waqt gali dena, bad aehdi karna, wagaira. SAWAL 4: Nifaq e aeteqadi aur amali ka fard aur muashre par kya asar padta hai? JAWAB 4: Nifaq chahe aeteqadi ho ya amali, iska fard aur muashre par bohot bada asar padta hai. Agar Nifaq e aeteqadi ho to insan ko Islam se kharij kar deta hai aur wo jahannam me dakhil hoga aur Allah ke azaab ka mustahiq hoga. Nifaq e Amali se bughz o adawat paida hoti hai. Nifaq e amali se muashra kamzor ho jata hai. SAWAL 5: Munafiq kis ko kahte hain? JAWAB 5: Jo shakhs zaheri shakl wa surat me musalman aur arkan e Islam ka paband ho, lekin under se dil se kufriya aqaid par qayem ho ya Islami aqaid ke bare me shak wa shubah me mubtala ho to aese shakhs ko shariat ki zaban me munafiq kaha jata hai.

Page 26: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

26 | P a g e

RUQYA AUR TAWEEZ GANDA KA MAA’NA WA MAFHOOM

SAWAL 1: Taweez ke lughavi aur istelahi maa’na kya hain? JAWAB 1: Taweez ka lughavi maa’na: Urdu me mustamal lafz “taweez” ka arabi naam “at tamima” hai. Arabi zaban me “tamima” ke maan’na dhage, taar ya gande ke hain jise gale ya jism ke kisi aur hisse me bandha jaye. Taweez ki istelahi tareef: Isse murad wo dhage, gande aur taar hain jinhein ahle arab jahiliyat me insano, janwaron, ya gharon wagaira par kisi pesh aane wale sharr, maslan marz, nazre bad, bukhar, jadoo, tone aur totke ya deegar aafat wagaira se hifazat ki khatir latkaya karte the. SAWAL 2: Taweez ki kitni qismein hain? JAWAB 2: Taweez ki do qismein hain. Wo taweez jo qurani aayat, adiya e masoora ke alawa se banai jayen. Wo taweez jo qurani aayat, asma wa sifat e ilahi aur adiya e masoora se banai jaye. SAWAL 3: Qurani aayat, adeey e masoora ke alawa se banaye gayi taweez ka kya hukm hai? JAWAB 3: Qurani aayat, adeey e masoora ke alawa se

banaye gayi taweez haram hai. Allah ne farmaya: إ{ يء

ش لى كل هو ع

ير ف

بخ

سك نس ي إ و و

ه ه إال

ل

اشف كل فر بض

اہلل

سك ينس

دير }ق

Page 27: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

27 | P a g e

“Aur agar tumhein allah kayi takleef ponhchaye to uska dur karne wala Allah ke siwa aur koi nahi, aur agar wo tumhein nafa pahunchaye to wo har chiz par puri qudrat rakhne wala hai.”[QURAN: SURAH AL ANAAM: 17] Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

}

ك رش ادق فة نين

تق ل ع }م

“Jis ne taweez latkaya usne shirk kiya.” [MUSNAD AHMED: 17422 : SAHIH]

SAWAL 4: Qurani aayat, asma wa sifat e Iahi aur adeyah e masoora se taweez banane ka kya hukm hai? JAWAB 4: Qurani aayat, asma wa sifat e Ilahi aur adiya e masoora se taweez banane ke bare me ulama ka ikhtelaf raha hai. Kuch logon ka kahna hai ke jayez hai, jaise, Saeed Bin Almusaiyab, Ataa’, Abu Jafar Baqir, Imam Malik, Imam Qurtubi wagaira. Aur kuch logon ka kehna hai ke najayez hai, jaise, Hazrat Ibn Abbas, Ibn Masood, Huzaifah, Uqba Bin Amir Raziallahu anhum. Aur har fareeq ne apne dalayel pesh kiye hain. Lekin rajeh aur sahih baat ye hai ke qurani aayat, asma wa sifate ilahi aur adeyah e masoora se taweez banana sahih nahi hai. Kyunke Nabiملسو هيلع هللا ىلص aur sahaba se koi hadeeth ya asar

manqool nahi hai. Dusra ye hai ke ye shirk tak le jane wala amal hai. Teesra ye quran ki behurmati hai.

Page 28: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

28 | P a g e

SAWAL 5: Ruqya karna kaisa hai aur iski kya shartein hain? JAWAB 5: Mareez ke upar quran padhna ya Allah ke asma wa sifat ke sath dam karna mustahab hai aur Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne

iska hukm bhi diya hai. Ruqya ki shartein: Kitab wa sunnat se ho. Arabi zaban me ho. Is ayeteqad ke sath kiya jaye eke Allah hi muassir hai, bas ye ek sabab hai.

Page 29: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

29 | P a g e

KAHANAT o ARAAFAT KA MAA’AN WA MAFHOOM

SAWAL 1: Kahanat wa araafat ki tareef kya hai? JAWAB 1: Kahanat wa araafat ki tareef: gayeb umoor ke janne ka dawa karne ko araafat aur kahanat kaha jata hai. Jaise ye batana ke kal kya hone wala hai ya kisi gumshudah chiz ke bare me batana ke wo kahan hai wagaira. SAWAL 2: Kahanat aur araafat ka kya hukm hai? JAWAB 2: Kahanat aur araafat ka amal aur kahin o arraaf ke paas jana haram hai aur is ki tasdeeq karna kufr hai. Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

د{ن ى مح

ل ع

زل

ى ا ا ر بن

ف كدق، فول

ق ا ي ه بن

ق د ص

ا، فافر و ع

ا، ااهي

ى كت ا }م

“Jo kisi kaahin ya arraaf ke paas aaye aur uski kahi hui baton ki tasdeeq kare to aese shakhs ne Nabiملسو هيلع هللا ىلص par

nazil kiye hue deen ka inkar kiya.” [MUSNAD AHMED: SAHIH: 9536]

SAWA 3: Muashre par kaahin aur arraaf ke kya khatarnak asrat murattab hote hain? JAWAB 3: Muashre par kaahin aur arraaf ke mundarjahzel khatarnak asrat murattab hote hain. Logon ke aqaid se khilwad karna aur unhein bigadna. Jhut bol kar logon ke paise ayenthna. Shobdabazi (chamatkari) ki isha’at karna. Logon ki izzat se khilwad karna.

Page 30: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

30 | P a g e

SAWAL 4: Kahanat aur araafat ka shirk se kya taalluq hai? JAWAB 4: Kahanat aur araafat haram shaitani umoor me se hain jo aqeede me khalal daalte hain. Isliye ke un ka husool shirkiya umoor se hota hai aur unme gaib daani ka daawa kia jata hai. Ye dawa karna aur use manna dono shirk hai. SAWAL 5: Kya arraaf aur kaahin ilm e gaib jante hian? JAWAB 5: Araaf aur kaahin ilm e gaib nahi jante hain balke ye shaitano ki madad se apna har kaam karte hain jo ke bilkul haraam kaam hai.

Page 31: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

31 | P a g e

ILM E GAIB KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Gaib le lughavi wa istelahi maa’na kya hain? JAWAB 1: Gaib ke lughavi maa’na: Har wo chiz jo insan se gayeb ho aur insane uska ahsas bhi na kar sake. Gaib ki istelahi tareef: Gaib se murad wo cheezen jinka ilm ilm hawaas aur aql se haasil na hon. SAWA 2: ilm Gaib ke dawa karne wale ka kya hukm hai daleel ke sath bataiye. JAWAB 2: Jo shakhs kisi bhi waste se gaib ki baton ka janne ka ka dawa kare, siwaye un rasoolon ke jinko Allah ne alag kiya hai, to wo jhuta aur kafir hai. Kyunke gaib ka ilm sirf Allah ko hai, uske alawa kisi aur ko nahi. Allah ka farman hai: { اہلل

يب إال

غزض ال

اال ات و او ن

في الس ه م يعل

الل Kahiye aasmanon“ {ق

aur zameen me jo log bhi hain koi gaib nahi janta siwaye Allah ke.” [QURAN: SURAH AN NAMAL: 5] SAWAL 3: Ilm e gaib ke bare me hamara kya aqida hai? JAWAB 3: Ilm e gaib ke bare me hamara ye aqida hai ke har tarah ke gaib ka ilm sirf Allah ko hai. Chahe wo kulli ho ya juzvi. Allah ka farman hai,

{ زض اال ات و او ن

يب الس غ ہلل {و

‘Allah hi ke liye hai asmano aur zamino ka gaib.’ [QURAN: HUD: 123] Dusri jagah farmaya, { زض

اال ات و او ن

يب الس ه غ

يعل

اہلل

“Allah jaanta hai aasmano aur zamin ka gaib.” [QURAN: HUJURAT: 18]

Page 32: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

32 | P a g e

SAWAL 4: Ilm e gaib ke dawe ki kitni suratein hain? JAWAB 4: Ilm e gaib ke dawe ki mutaddid suratein hain. Hatheli me dekhna Kahanat Jadu Ilm e nujoom SAWAL 5: Guyub e khamsa kaun kaun hain? Daleel ke sath likho. JAWAB 5: Paanch chizon ka ilm sirf Allah ko hai, uske alawa kisi aur ko nahi. Qayamat ka ilm. Barish kab hogi. Rahem e madar me kya hai. Kal tum kya kamaoge. Tumhari maot kahan hogi. Allah ka farman hai:

س {فزي ى

دا ت م او و

زح ا في اال ه م

يعل و

يث

غ الل زيي ة و اع

ه الس ه عل

د عي اہلل

إ

س كا تاذ بير م

ليه خ ع

اہلل

إنوت

زض ت

اي س با

فزي ى

دا ت م دا و

}ب غ

“Allah hi ko qayamat ka ilm hai, aur wahi barish barsata hai aur wahi haamela ke pet ki chizon ko janta hai ke (nar hai ya maddah). Aur koi shakhs nahi janta ke woh kal kya kaam karega aur koi nafs nahi janta ke kis sarzameen me use maot aayegi. Beshak Allah hi jaanne wala aur khabardaar hai.” [QURAN: SURAH LUQMAN: 34]

Page 33: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

33 | P a g e

BIDA’T KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Bida’t ka lughavii wa istelahi maa’na kya hai? JAWAB 1: Bida’t ka lughavi maa’na: Ijaad o ihdaas ke hain. Yani koi aesi nayi baat paida karna jis ki pehle se koi asal na ho, ye adaat me bhi hota hai aur deen me bhi hota hai. Bida’t ki istelahi tareef: Deen me koi aesi nayi baat paida karna jis ke liye shariat me asal na ho. SAWAL 2: Bida’t ka kya hukm hai? Daleel se wazeh kijiye. JAWAB 2: Deen me bida’t haram hai, kyunke deen me usi tareeqe ki pairvi zaruri hai jo Allah ke Rasoolملسو هيلع هللا ىلص ne jari

kiya hai, iske baad deen me kisi nayi baat ki gunjaish nahi hai. Daleel: Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:

د } هو زه فيس مي

ا ل ا م

ذا همرى

في ا

ثدح ا Jis ne deen me koi aesi“ {م

chiz aejaad ki jo us me nahi hai, to wo mardood hai.” [SAHIH MUSLIM: 3/1343:1718] SAWAL 3: Ibtedaa’ aur eejaad ki kitni qismein hain? Har ek ko wazeh kijiye. JAWAB 3: Ibtedaa’ aur eejaad ki do qismein hain. Aadat me ibtedaa’ aur eejaad: Jaise nayi nayi eejaadaat aur ye jayez hai isliye ke aadat me asal ibahat hai yani har chiz jayez hai, illa ye ke nas use najayez kah de. Deen me nayi nayi chizen eejaad karna: Ye haram hai is liye ke deen ye tawqeefi hai, yani Allah ki janib se hai.

Page 34: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

34 | P a g e

SAWAL 4: Deen me bida’t ki kitni qismein hain? Har ek ki wazahat kijiye. JAWAB 4: Deen me bida’t ki do qismein hain. Aesi bida’t jis ka taalluq qaol o aeteqad se hai jaise jehmiya, mutazila, rafiza aur deegar gumrah firqon ke aqwal o aeteqadat. Ibadaton me bida’t jaise Allah ki parastish gair mashroo’ ibadat se karna. SAWAL 5: Bida’ton ke zuhoor ke asbab kya hain? JAWAB 5: Bida’ton ke zuhoor ke asbab mundarjah zel hain. Deeni ahkaam se la ilmi wa jahalat. Khwahishat ki payrvi. Makhsoos logon ki raaye ke liye taa’ssub baratna. Kuffar ki mushabahat aur unki taqleed.

Page 35: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

35 | P a g e

WASEELA KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Waseela ki lughavi wa sharai tareef kya hai? JAWAB 1: Waseela ka lughavi maa’na: Jis ke zariye kisi ka qurb hasil kiya jaye. Waseela ki sharai tareef: Allah ka taqarrub hasil karna, uski ita’at, ibadat aur uske anbiya o rusool ki itteba’ kar ke aur har us amal ke zariye jis ko Allah pasand kare aur khush ho, usko waseela kaha jata hai. SAWAL 2: Waseelay ki kitni qismein hain? Har ek ki wazahat kijiye. JAWAB 2: Waseelay ki do qismein hain. 1. Sharai waseela 2. Mamnoo’ waseela 1. Sharai waseela: Allah ka taqarrub hasil karne ke liye shariat ke muafiq aamaal e saleha aur ta’aat ko zariya banana jin ko Allah pasand karta hai aur razi hota hai. 2. Mamnoo’ waseela: Banda Allah Rabbul aalameen ka taqarrub aese amal ke zariye hasil karna chahe jo Allah ki kitab aur uske Rasool ,ki sunnat ke khilaf ho. Masalan ملسو هيلع هللا ىلص

farishte, anbiya, saleheen ki zaat ko waseela banana ya unke jaaho maqaam ka waseela lena. SAWAL 3: Jayez waseelay ki kitni qismein hain? Har ek ko misal ke sath wazeh kijiye. JAWAB 3: Jayez waseelay ki teen qismein hain. 1-Allah ke asma w sifat ke zariye: Allah ka farman hai: ا} عوه به

ادى فحسي

اء ال سن

اال

ہلل Allah ke acheeh acheeh naam“ {و

hain, us ke zariye usko pukaro. [QURAN: SURAH AL ARAAF: 180]

Page 36: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

36 | P a g e

2-Amaal e saleha ke zariye: Daleel: Abdullah Bin Abbas tahajjud me is tarah se duaa mangte the, فر لي}

اغر فحا الس

ذه ، و

ک

عتط ايي ف

مرت

ا ، و

ک

بتج ايي ف

وت ع

دهه الل }

“Aye Allah tu ne mujhe bulaya, main ne qabool kiya, tu ne mujhe hukm diya hai, main ne teri ita’at ki aur. Ye subh ka waqt hai, tu mujhe bakhsh de.” [MUKHTASAR QAYAM UL LAIL O QAYAM E RAMADHAN O KITAB UL WITR: pg 96] 3-Nek wa saleh bhai ke zariye: Masalan ek momin bhai dusre momin bhai se kahe ke aap mere liye duaa karein Allah mujhe aafiyat de de. SAWAL 4: Mamnoo’ waseela ki kitni qismein hain? Har ek ko misal ke sath wazeh kijiye. JAWAB 4: Mamnoo’ waseela ki teen qismein hain. 1-Kisi zaat aur shakhs ko waseela banana: masalan koi kahe ke aye Allah main fula shakhs ki zaat ka waseela de kar tujh se duaa karta hun, tu meri zarurat puri kar de. 2-Kisi ke ‘jaah’ ko waseela banana: Maslan koi kahe ke aye Allah fulan shakhs ka jo tere paas maqam wa martaba hai, main us ka waseela bana kar duaa karta hun, tu meri musibat ko dur kar de. 3-Kisi ke waseelay se qasm khana: Masalan koi kahe ke aye Allah main fulan shakhs ke waseelay se qasm khata hun, tu meri zarurat puri kar de. SAWAL 5: Mamnoo’ waseelay ka kya hukm hai? JAWAB 5: Mamnoo’ waseela haram hai. Albatta is ki hurmat waseelay ki naoiyat aur us ke tariqe se samjhi jayega.

Page 37: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

37 | P a g e

SHAFA’AT KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Shaa’at ki lughavi wa sharai tareef kya hai? JAWAB 1: Shafa’at ka lughavi maa’na: Shifa’at do chizon ke aapas me jud jane ko kehte hain. Shafa’at ki sharai tareef: Shafa’at kisi shakhs ko Allah ki taraf se koi bhalai ponhchane me ya usse koi burai dur karne ke liye wasta hone ko kahte hain. SAWAL 2: Shafa’at ki kitni qismein hain aur kon kon si hai? Har ek ki wazahat kijiye. JAWAB 2: Shafa’at ki do qismein hain. 1. Masbat shafa’at 2. Manfi shafa’at 1. Musbat shafa’at: Jo Allah ke nek bandon me se kisi

bande ke liye Allah se talab ki jaye. 2. Manfi shafa’at: Aese shakhs se shafa’at talab karna jo uski taqat na rakhta ho. Jaise wo shakhs jo qabr ke murdon se shafa’at talab karta ho aur ye smajhta ho ke wo use sun rahe hain. SAWAL 3: Shafa’at ke qubool hone ke liye kitni sharton ka hona zaruri hai? JAWAB 3: Shafa’at ke qubool hone ke liye teen sharton ka hona zaruri hai. 1-Shafa’at karne wale ke liye Allah ki ijazat ho: Allah ka farman hai: { ىه

بإذ

ه إال

دع عي

فذي يش

ا ال ذ Kaun hai jo“ {م

us ke paas us ki ijazat ke bagair sifarish kare. [QURAN: SURAH AL BAQARAH: 255] 2-Shafa’at pane ke liye Allah ki ijazat ho:

Page 38: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

38 | P a g e

Allah ka farman hai: { ه ل ذ

ا لن

ه إال

د عية اع

ف ع الش

في تال Allah ke“ {و

paas koi shafa’at fayeda nahi de sakti siwaye us ke jis ko Allah ne shafa’at ki ijazat di ho. [QURAN: SURAH SABA: 23] 3-Shifa’at karne wala muwhhid ho: Allah ka farman hai:

بعد { ربى مولي ق

وا ااىو كل و ركي

نشفروا لل

غست ي

وا اي م ا ذي

ال و

بي للي ا

ا ك م

حيه حاب ال

صح

هه ا

ى هه ا

لي با ت } م

“Nabi aur momino ko is baat ki ijazat nahi ke wo mushrikon ke liye shifa’at karein, chahe wo un ke rishtedar hi kyun na hon jabke un par ye baat wazeh ho chuki hai ke wohh jahannum wale hain. [QURAN: SURAH AT

TAWBAH: 113] SAWAL 4: Murdon se shifa’at talab karna kaisa hai? JAWAB 4: Murdon se shafa’at talab karna is daawe ke sath ke Allah se qareeb kar denge, ye bohot bada fitna hai aur ye usi tarah ka aqida hai jis tarah ka aqida mushrekeen e Makkah rakhte the. Allah ka farman hai:

و { وىه ا

د وا م

ذخ ات ذي

ال الص و

خ ال ي

الد

ہلل

ال ى ا

ا إلبوى

ر ليق

ه إال

عبده

ا ى م

اء لي

ىفل ز }اہلل

“Suno, khalis ita’at Allah hi ke liye hai aur jin logon ne Allah ke siwa dusron ko madadgaar banaya hai wo kehte hain ham in ko islilye pujte hain taa ke wo ham ko Allah se qareeb kar dein.” [QURAN: SURAH AZ ZUMR: 3]

Page 39: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

39 | P a g e

SAWAL 5: Shafa’at se kon log mahroom rahenge? JAWAB 5: Nabi ملسو هيلع هللا ىلص ki shafa’at se mahroom rahne wale

log: Shirkiya aqide par marne wale Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki shifa’at se

mahroom rahenge. Jo shakhs Aap .ki shafa’at ka inkar kare ملسو هيلع هللا ىلص

Bidati log Aap .ki shafa’at se mahroom rahenge ملسو هيلع هللا ىلص

Page 40: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

40 | P a g e

TAWAKKUL KA MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Tawakkul ka lughavi wa istelahi maa’na kya hai? JAWAB 1: Tawakkul ka lughavi maa’na: Bharosa karna. Tawakkul ka istelahi maa’na: Tamam dunyavi wa ukhravi maslihaton ko hasil karne aur nuqsandah chizon ke dur hone me sacche dil se Allah par aetmaad karne aur tamaam maamlaat ko uske hawale kar dene ka naam tawakkul hai. SAWAL 2: Hamein kis par tawakkul karna chahiye? JAWAB 2: Hamein sirf Allah par tawakkul karna chahiye. Allah ka farman hai: { ميي

ه مو تي ك وا إ

ل ك وت ف ى اہلل

ل ع Agar“ {و

tum iman wale ho to Allah par bharosa rakho.” [QURAN: SURAH AL MAIDAH: 23]

Dusri jagah Allah farmata hai: { هو ف ى اہلل

ل ع

ل ك وت ي م سبه و

ح }

“Jo Allah par aetmaad karega, Allah uske liye kafi hai.” [QURAN: SURAH AT TALAQ: 3] SAWAL 3: Gairullah par tawakkul ki kitni qismein hain? JAWAB 3: Gairullah par tawakkul karne ki do qismein hain. Aese maamlat me tawakkul karna jis par Allah ke siwa koi qadir nahi jaise rozi, madad aur shafa’at jaise maamlat me maabudan e baatila par bharosa karna, ye shirk e Akbar hai. Kyunke ye sari chizein sirf Allah ke sath khaas hain.

Page 41: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

41 | P a g e

Zaheri asbab me tawakkul karna jaise kisi makhluq par aesi chiz ke mutaalliq tawakkul karna jis ko Allah ne uske hath me de rakha hai. Rozi dena ya takleefdah chizon ko dur karna wagaira aur ye shirk e asghar hai. Haan jis kaam ki taaqat rakhta ho us me usko sabab bana sakte hain lekin bharosa Allah hi par karein. SAWAL 4: Asbab ikhtiyar karne ke bare me logon ki kitni qismein hain? JAWAB 4: Asbab ikhtiyar karne ke maamle me logon ki teen qismein hain. Kuch log asbab ikhtiyar karne ka inkar karte hain aur kahte hain ke ye tawakkul ke munafi hai. Ye bohot badi jahalat hai. Kuch log asbab ikhtiyar karte hain aur sirf usi par aetmaad karte hain, ye shirk hai. Kuch log asbab ikhtiyar karte hain lekin Allah par tawakkul karte hain, yahi durust hai. SAWAL 5: Tawakkul ke fayede kya hain? JAWAB 5: Tawakkul ke chand fayede hain. 1-Allah par aetemaad aur iman me izafa hota hai. 2-Allah se ek zinda taalluq paida hota hai. 3-Aakhirat me darjaat ki bulandi hoti hai. 4-Tawakkul karne wala sharai hudood me rahta hai aur haram se bach jata hai. 5-Allah aur us ke rasool ki itteba’ sabit hoti hai. 6-Jaldbazi se nijaat pata hai. 7-Shaitani waswason se mahfooz rahta hai.

Page 42: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

42 | P a g e

WALAA AUR BARAA KA MAA’NA WA MAFHOOM

SAWAL 1: Walaa ka lughavi aur istelahi maa’na kya hai? JAWAB 1: Walaa ka lughavi maa’na: Walaa ye baraa ki zid hai jis ke maa’na hote hain dosti aur mohabbat ke aur ye lafz qurabat par bhi bola jata hai. Walaa ka istelahi maa’na: Allah, us ke Rasool, deen e Islam aur us ki itteba’ karne wale musalmano se mohabbat karne aur Allah, us ke rasool, deen e islam aur us ki itteba’ karne wale musalmao ki madad karne ko walaa kahte hain. SAWAL 2: Kya walayat kisi insan ke sath khas hai? JAWAB 2: Walayat kisi insan ke sath khas nahi hai jaisa ke baaz log guman karte hain aur na wali sirf wahi hai jis se baaz karaamaat sadir hon, balki wali har wo shakhs hai jo momin hai, kyunke iman, ye walayat ka mutaradif hai. SAWAL 3: Kya aoliya ko anbiya se uuncha darjah hasil hai? JAWAB 3: Jis ne ye guman kiya ke aoliya ko aesa darjah hasil hai jo anbiya ke darjat se uncha hai to usne Allah par bohtan bandha aur begair ilm ke Allah ke khilaf jhut kaha. Allah ka farman hai:

{ اء د ه

الش و يقي

د الص و ي

بي الي يهه م

ل ع ه اہلل ع

ى ا ذي

ع ال م

ئك

ول اف

الحيالص {و

Page 43: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

43 | P a g e

“Wo log un ke sath honge jin par Allah ne inaam kiya yani anbiya aur siddiqeen ke sath. [QURAN: SURAH AN NISA: 69]

SAWAL 4: Islam ke dushmano se mohabbat rakhna kaisa hai? JAWAB 4: Allah aur uske rasool ke dushmano se mohabbat rakhna mana hai. Allah ka farman hai:

{ اء ولي

ه اكدو ع ي و

دو وا عخذ

ت توا ال

ي م ا ذي

ا ال ه

ي اا {ي

“Aye iman walo! Mere aur apne dushmano ko dost mat banao.” [QURAN: SURAH AL MUMTAHENAH: 1]

SAWAL 5: Islam ke dushmano ke sath dosti karna kaisa hai? JAWAB 5: Islam ke dushmano ke sath dosti karna najayez hai. Allah ne farmaya:

{ هه ه مي

إىه ف

كهه مي

ل وت ي م { و

“Tum me se jo un se dosti karta hai to wo unhi me se hai.” [QURAN: SURAH AL MAIDAH: 51]

Page 44: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

44 | P a g e

GHULOO KA LAGHWI MAA’NA WA MAFHOOM SAWAL 1: Ghuloo ka lughavi wa istelahi maana kya hai? JAWAB 1: Ghuloo la lughavi maa’na: Guloo ka maa’na ha had ko paar karna. Ghuloo ka istelahi maa’na: Allah ne jo mashroo kiya hai us ke hudood ko qaol ya fel ya aeteqad ke zariye paar kar jana. SAWAL 2: Ghuloo ka kya hukm hai? Daleel ke sath wazeh kijiye. JAWAB 2: Ghuloo haraam hai balke ye shirk ke asbab me se ek sabab hai. Allah ne farmaya:

ه }وا في دييك

لغ تاب ال

كت الله اا { ي

“Aye ahle kitab tum apne deen me ghuloo na karo.” [QURAN: SURAH AN NISA: 171] SAWAL 3: Ghuloo ki kitni qismein hain? JAWAB 3: Ghuloo ki teen qismein hain. 1-Deen ya aqidah me ghuloo karna: ye batil aqeede ke zariye hota hai jaisa ke ahle kitab ne Isa Alaihissalam ko Allah ka beta qarar diya. 2-Ibadat me ghuloo: jaise quran ki tilawat me, namaz padhne wagaira me ghuloo karna. Ilm me ghuloo karna yani kalaam me raddobadal kar dena jaisa ke baaz ahle kitab aur jahil log karte hain.

Page 45: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

45 | P a g e

SAWAL 4: Ghuloo ka ek insan ki zindagi par kya asar hota hai? JAWAB 4: Ghuloo ka ek insan ki zindagi par bohot asar padta hai. 1-Allah se dur aur jahannum ka mustahiq ho jata hai. 2-Amal se dur ho jata hai. 3-Insan par shetan ka ghalbah ho jata hai. SAWAL 5: Ghuloo ki kuch misalein batayein. JAWAB 5: Tareef me mubalgha karna jo kabhi kabhar uboodiyat ke darje tak pohonch jata hai, anbiya aoliya ko uluhiyat ke darje par ponhcha dena, takalluf, mubalgha aur nafs par tashaddud ke zariye deen me zyadti karna jis ka Allah ne hukm nahi diya hai. Jaise soofiya ka amal wo logon se dur aur tanhai me zindagi guzarte hain, musalsal roze rakhte hain, beshumar tadaad me gair sabit shudah zikr o azkar karte hain. In ke alawa aur bhi misalein ho sakti hain.

Page 46: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

46 | P a g e

ITTEBA-E- KITAB O SUNNAT

SAWAL 1: Allah ne Quran ko kyu naazil kiya?

JAWAB 1: Allah ne Quran ko is liye naazil kiya taa ke us par amal kiya jaye. Allah ka farman hai, { ه

كب ز ه م

يك إلزل

ى ا ا بعوا م

Tum pairvi‘ {ات

karo us kitab ki jo tumhari taraf tumhare Rab ki janib se utari gai hai.’ *QURAN: AL AARAAF: 3] SAWAL 2: Sahih Hadees par amal karne ka kya hukm hai? JAWAB 2: Sahih Hadees par amal karna waajib hai. Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya,

ا{ وا بهكس ن، ت اشدي

الر ي هدي ن

اء ال

فلخة ال سي تي و

ه بسي

يكل }ع

‘Tum par meri sunnat aur Khulafa-e- Rashideen ki sunnat wajib hai, use mazbooti se thaam lo.’ [SUNAN ABI DAWOOD: sahih 4607] SAWAL 3: Kya Quran hi sirf hamari rahnumai ke liye kaafi hai? JAWAB 3: Hargiz nahi, balke Quran ke saath hamare liye sunnat ki bhi rahnumai zaroori hai. Nabiملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya, :

ه } ه معلمث و

راق الوتيت

ي ا إىال {ا

‘Yaad rakho! Mujhe Quran diya gaya aur usi ke saath usi jaisi Hadees bhi.’ [MUSNAD AHMAD:sahih 17174]

Page 47: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

47 | P a g e

SAWAL 4: Kya Allah aur Rasool ke hukm par kisi ke hukm ko muqaddam kiya ja sakta hai? JAWAB 4: Hargiz nahi, ham Allah aur Rasool ke hukm par kisi ke hum ko muqaddam nahi kar sakte. Allah ka farman hai,

{ سوله ز و ي اہلل

د ي ي موا ب

دق توا ال

ي م ا ذي

ا ال ه

ي اا {ي

‘Aey Iman walo, Allah aur uske Rasool ke aage kisi chiz ko muqaddam na karo.’ [QURAN: SURAH HUJURAT: 1] SAWAL 5: Ikhtilafi masaail me hame kis chiz ki taraf ruju karna chahiye? JAWAB 5: Ikhtilafi masaail me hame kitab o sunnat ki taraf ruju karna chahiye. Allah ka farman hai,

ه في {عتازي ت إ

وو ف ي

ال و

باہلل و

مي و ه تتي ك سول إ

الر و ى اہلل

وه إل

رديء ف

ش

خر }اال

‘Agar tum kisi chiz ke bare me lad pado to use Allah aur Rasool ki jaanib laota do agar tum Allah aur Qiyamat ke din par imaan rakhte ho.’ [QURAN: SURAH NISA: 59]

Page 48: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

48 | P a g e

BAAZ SHIRKIYA A’MAAL SAWAL 1: Tabarruk ka kya ma’ana hai? JAWAB 1: Barkat talab karna, aur barkat kisi chiz me khair ke saabit rahne aur zyada hone ko kahte hai aur ye usi se talab ki ja sakti hai jo us ka maalik ho aur uski kudrat rakhta ho. Aur wo Allah hai. SAWAL 2: Tabarruk ka kya hukm hai? JAWAB 2: Maqamaat, aassar, patthar, darakht aur zindah murda logo se tabarruk haasil karna jaiz nahi. Is liye ke agar aadmi ye aeteqad rakhega ke ye chiz barkat deti hai to ye shirk hoga aur agar ye aeteqad rakheha ke us ki ziyarat aur us ko chhuna aur ragadna Allah ki tarafse husool barkat ka sabab hai to ye shirk ka wasila hai. SAWAL 3: Jadu ka kya hukm hai? JAWAB 3: Jadu kufr aur shirk hai. Jo aqidah ko todne wala hai aur ye halaak kar denewala hai. Jadugar ko qatl karna wajib hai jaisa ke akabir sahaba radhiallahu anhum ki ek

jamat ne jadugar ko qatl kiya hai. Nabiملسو هيلع هللا ىلص ka farman hai,

ات بع النوبق

يبوا الس ت: «اج

ال؟ ق ا ه م و

اہلل

سول ا ز وا: ي

ال، ا»، ق

باہلل

رك

لش

ر و ح الس

‘Saat halaak kar dene wale gunaho se bacho. Sahabah ne pucha aey Allah ke Rasool wo kya hai? Aap ne farmaya, Allah ke saath shirk, jadu...’ [SAHIH BUKHARI: 2766]

Page 49: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

49 | P a g e

SAWAL 4: Qabro ki ziyarat ka kya hukm hai? JAWAB 4: Ibrat aur faot shuda musalmano ke liye dua ki khaatir ziyarat e quboor mustahab hai. Nabi sa ka ferman hai,

} وت ن

ه ال

رك كذا ت ه إىا، فوزوه

زبوز ف

قة ال از زي ه ع

كيت ه

} ى

‘Maine tum ko qabro ki ziyarat se rok dia tha. Suno ab unki ziyarat karo isliye ke ye maot ko yaad dilati hai.’ [SUNAN AN NASAI: sahih 1388] SAWAL 5: Qabro ko pukhta aur buland banane ka kay hukm hai? JAWAB 5: Qabro ko buland karna, unpar imarat taameer karna aur un par likhna wagaira na jaiz hai aur ye yahood o nasara ka amal hai. Nabiملسو هيلع هللا ىلص se manqool hai:

ى { يبي

ا ا و يه

ل ب ع

ت يك

ا بوز و

قص ال

ص ح ت ه ا ل س يه و

ل ع ى اہلل

ل بي ص

ى الي ه

ى

اوط ت ا ا و يه

ل }ع

ke Nabiملسو هيلع هللا ىلص is baat se mana farmaya hai ke qabrein

pukhta ki jayen, unpar likha jaye, un par imarat banai jaye aur unhe ronda jaye. [AT TIRMIDHI: sahih1052]

Page 50: SAHIH ISLAMI AQIDAH - islamsmessage.com | P a g e SAHIH ISLAMI AQIDAH Right Islamic Belief :-Murattib-: Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi (Daee Islamic Information Centre, Mumbai) Published

50 | P a g e

AQEEDAH QUIZ FORM (22nd May 2016)

Form No.:

Name:_________________________________________

Father's Name:__________________________________

Mobile No.:________________ Gender:_______Age:___

Exam Centre:____________________________________

Address:________________________________________

_______________________________________________

Book: Urdu English

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

AQEEDAH QUIZ FORM (22nd May 2016)

Form No.:

Name:_________________________________________

Father's Name:__________________________________

Mobile No.:________________ Gender:_______Age:___

Exam Centre:____________________________________

Address:________________________________________

_______________________________________________

Book: Urdu English