noor-e-irfaan volume 8

43

Upload: noor-e-irfaan

Post on 21-Jul-2016

394 views

Category:

Documents


27 download

DESCRIPTION

 

TRANSCRIPT

Page 1: Noor-e-Irfaan Volume 8
Page 2: Noor-e-Irfaan Volume 8

ALL RIGHTS RESERVED - TABLIGH BOARD - DSM

COMPILERS:

AKIL MEGHJI & ALIASGHER MEGHJI

VOLUME 8 - 1436 A.H. (2014)

1000 COPIES

TABLIGH BOARD, KSI JAMAAT

P O BOX 233 | DAR ES SALAAM, TANZANIA

TEL: +255 22 2115119 | FAX: +255 22 2127555

EMAIL: [email protected] | WEBSITE: www.dartabligh.org

Page 3: Noor-e-Irfaan Volume 8

NOOR E IRFAAN - VOL 8.

IN THE NAME OF ALLAH(SWT), THE BENEFICENT,THE MERCIFUL.

Dear Reader,Salamun Alaykum.

Alhamdulillah, with His grace, The Almighty Allah (SWT) & with the wasilah of the 14 Ma’sumin, We, the compilers come up with the Eighth Volume of NOOR E IRFAAN.

We really appreciate the hard work put into this noble cause and we shall fail in our duty if we do not thank ZAKIRA FATIM ZINATALI DEWJI for being the proof-reader of this book authorized by the Tabligh Board of Dar-es-Salaam Jamaat.

We would like to thank all those who have worked behind the curtains into making NOOR E IRFAAN a success. However still, a human beings capacity, any errors in the script or typing can please be referred to the below:

NOOR E IRFAANPO BOX 88,Dar es salaam, TanzaniaCell:0784 786 307 | 0784 233 [email protected] | [email protected]

DUE TO RESPECTABLE TEXT, PLEASE HANDLE THE BOOK WITH CARE.

Page 4: Noor-e-Irfaan Volume 8

MUNAJAAT Page No. 1. AZAA KA FARSH BICHAAWO 1 2. HAATH UTHHATE AY 1 3. KAAM MUSHKILO(N) MEI(N) AAYE 2 4. KYA BATAAU(N) MAKAAME ZAINAB KA 35. MAALIKE MULK KA HAY 36. MAWLA AMEER MERA 47. MAI NAJAF KO CHALA 58. NA PUCHIYE KE KYA HAY MURTAZA 59. NAJAF KE SHAAH KO 610. SALWAATO SALAAM HO ZAINAB PAR 711. SAR APNA JHUKAAYE(N)GE 712. SHAAHE MADINA 813. WAFAA THI UNKE LIYE 914. YA ALI YAA ALI YAA AL 915. YAA BI(N)TE NABI FATEMA 1016. YAA IMAME RAZA 1116. YA RAB BEHAQQE ZAINAB 1217. ALI KA DARVAZA 13

MARSHIYAS

1. BAABA HO KAHAA(N) APNA 152. EHSAAS RULAATA HAY 153. HAAY FARMATE THE SHAAH 164. HUM SE GHAME SHABBIR 175. KEHTI THI ZAINAB 176. MAQTAL SE YEHI AATI 187. MUHAMMAD KA GHARAANA 198. SADAA YEH AATI 199. UJRA HUWA BE-SHIR KA 2010. YAAD AATI HAY WAFA 2011. YU(N) KARBALA MAY 21

Page 5: Noor-e-Irfaan Volume 8

NAWHAS Page No. 1. AY MAA TUM MUJHE 23 2. BHAYYA GHAREEB 233. BOLE PADER SE AKBER 244. DI THI AMMA NE JO POSHAAK 25 5. EK GHARIBUL WATAN QAID 266. HABIB TUMPER SALAAME HUSAIN 267. KOHRAAM MACH GAYA 278. LAASHE PE ZAINAB 299. LEKE ALAM TUM AAWO 3010. MAJBUR HU(N) BEHNA 3111. MERI SAKINA ISS TARHA NAA RONA 3112. SALAAM MAA KE MAZAAR 3213. WAAPAS HUSAIN KARBOBALAA SE 3314. ZAINAB HAY SAFAR MEI(N) 3415. ZAINAB LIPAT KE ROYI 3416. SHAMMA SE SHAMA JALE 35

Page 6: Noor-e-Irfaan Volume 8
Page 7: Noor-e-Irfaan Volume 8

AZAA KA FARSH BICHAAWOAZAA KA FARSH BICHAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATHWAFAA KI SHAM’A JALAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH JO CHAAHATE HO MILE SIRF KHUDA KE DAR SE MURAADDUA KO HAATH UTAAHWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

KHUSHAA NASIB AZAADAAR TUM IMAM KE HO GHAME HUSAYN MANAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

ALI KE LAAL GHARIBUL WATAN KE MAATAM MEI(N)SHARIK HONE KO AAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

KAHAA KARE KOI KUCH BHI HUSAYN KI KHAATIRTUM ASHQE KHUU(N) BAHAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

TUMHE HUSAYN SADAA DE RAHE HAY MAQTAL SEHAMAARI YAAD MANAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

TUMHE YATIM SAKINA KA WAASTA SHIYO(N) AZAA KE GHAR KO SAJAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

TALAASHE HAQME BHATAK NE SE KUCH NAHI(N) HAASIL KARE HUSAYN PE AAHO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

JANABE FATEMA ZAHRA KO MEHMAA(N) KARKE SAF-E AZAA KO BICHAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

JO CHAAHATE HO KE RAAZI IMAAME ASR RAHE(N)TO LAU KHUDA SE LAGAAWO MAGAR NAMAAZ KE SAATH

HAATH UTHAATE HAY(N)

HAATH UTHAATE HAY(N) KHUDAYA HUM DUA KE WAASTEBAKSH DE HUMKO MUHAMMAD MUSTAFA KE WAASTE

BHARDE AY MAWLA MURAADO(N)SE HUMAARI JOLIYA(N)REHMATU LIL AALAMIN SWALLE ALAA KE WAASTE

MUSHKILE(N) TU SABKI AASAA(N) KARDE AY RABBE KARIMFAATEH-E-KHAYBAR ALI SHERE KHUDA KE WAASTE

YU(N) MATAAE DINO IMAA(N) HUM LUTA KE AAYE HAY(N)KUCH NAHI(N) BAAKI BACHA RAWZE JAZAA KE WAASTE

BHEEK DE APNE KARAM KI BHEEK DE DAATA HAY TUSHAAFIYE MEHSHER IMAME A(M)BIYAA KE WAASTE

1

Page 8: Noor-e-Irfaan Volume 8

DARD KE MAARE HUO(N)KO KAR SUKUNE DIL AATAMUNTAZIR BIMAAR HAY(N) LAAKHO(N) SHAFAA KE WAASTE

KAAM MUSHKILO(N) ME AAYE

KAAM MUSHKILO(N) ME AAYE SABKI BIGRI BANAAYEWOHI MAWLA HUMARA ALI ALISAARI DUNIYA BHULAAYE USE KUCH BHI NA BHAAYEUSE KUCH BHI NA BHAAYE SAARI DUNIYA BHULAAYEBANE JINKA SAHAARA ALI ALI

WOH JISKE EK ISHAARE PAR MAGHRIB SE PALAT AAYE SURAJSO JAAN NICHAAWAR CHAA(N)D KARE QADMO(N) ME BITHAA JAAYE SURAJAISA MOJIZA DIKHAAYE KUCH SAMAJ ME NA AAYEWOHI RAB KA DULAARA ALI ALI

MUSHKIL KI GHARI JAB AA(N) PARI ISLAAM PE JAAKE KHAIBAR MEFARRAAR YE LASHKAR DEKH-KE EK HALCHAL THI DIL-E PAYGHAMBAR MESAB THE SAR KO JHUKAAYE TAB HI JIBREEL AAYEAUR GU(N)JA YE NAARA ALI ALI

AAGOSH-E ABUTAALIB KI TARHA KA’ABA BHI TUMHARA TAALIB HAYQISMAT KI BANAAYI HAR SHAY PAR TU PURI TARHAA SE GHAALIB HAYMURDA ZINDA HOKE JAAYE SURAJ BHAAGA BHAAGA AAYEJO HO TERA ISHAARA ALI ALI

IS DEHR ME JINKE SHAAMO SAHAR KAT-TE HAY(N) BUGHZE HAYDAR MEUN CHEHRO(N) PE LAANAT BARSEGI YE HAALAT HOGI MEHSHAR MEKHARE HO(N)GE SAR JUKAAYE AUR KARE(N)GE HAAY HAAYNAHI(N) JI(N)KO GAWAARA ALI ALI

CHAWDA SURAJ KI KIRNOO(N) SE SAU BAAR TERA GHAR AA(N)GAN HAYAAYAT AAYAT NUQTA NUQTA TERE KIRDAAR KA DARPAN HAYTUJHPE JAANO DIL LUTAAYE TERI MANQABAT SUNAAYEQURAAN KA PAARA ALI ALI

HO(N)TO PE ALI NAAM RAHE IS JISM ME JAB TAK JAAN RAHE“NAAYAAB” HAMAARA TAN MAN DHAN SAB MAWLA PAR QURBAAN RAHEMAUT HUMKO NA AAYE JAB TAK NA DHIKAAYERAB RAWZA TUMHAARA ALI ALI

HAY ACCHI TARHA MAALUM USE KISKI CHAWKHAT PAR JAANA HAYDAR ASL SITAARE KA MAQSAD KUCH LOGO(N) KO TARPAANA HAYDILKI DHARKANE BARHAAYE NA JAGAAYE NA SULAAYEKEHTA JAAYE YE SITAARA ALI ALI

2

Page 9: Noor-e-Irfaan Volume 8

KYA BATAAU(N) MAQAAM ZAINAB KA

KYA BATAAU(N) MAQAAM ZAINAB KAISME A’AZAM HAY NAAM ZAINAB KA

TERE DAR PAR BHI AAYEGA JIBRAILTU BHI HOJA GULAM ZAINAB KA

LUTF MAD-HE ALI KA AATA HAYJAB BHI LAATA HU(N) NAAM ZAINAB KA

ALLAH ALLAH AY HUR TERI QISMATTUJ KO AAYA SALAAM ZAINAB KA

SAARE NABIYO(N) SE KEH RAHATHA KHUDADEKHA TUM SABNE KAAM ZAINAB KA

KAL THA MARKAZ ALI KE DUSHMAN KAAAJ HAY MULK-E-SHAAM ZAINAB KA

MUSHKILO(N) ME BAJAAE NAADE ALIMEI(N) TO LETA HU(N) NAAM ZAINAB KA

DEKH-TA HAY HUSAYN KA SAJDAKHUD BHI RUK KAR QAYAAM ZAINAB KA

MERI BEHNO HIJAAB LAAZIM HAIHAY YEH TUMKO PAYAAM ZAINAB KA

TERA HUMSAR NAHI HAY “MEER” KOYIKYU(N) KE TU HAY GULAM ZAINAB KA

MAALIKE MULK KA HAY

MAALIKE MULK KA HAY ANOKHA KARAMAAJ ZAHRA KI BINTUL HUDA AAGAYIGOUD MAY LEKE MAWLA ALI NE KAHAAZINATE MUSTAFA MURTAZA AAGAYI

BAAD SHABBIR DII(N) KO BACHAATI RAHINA(N)GE SAR KHUTBE PARKE SUNAATI RAHITU(N) IMAAMAT KO HAR JAA(N) BACHAATI RAHITERE DUMSE IMAAMAT FATAAH PAAGAYI

TERA NANA RASULO(N) KA SARDAAR HAYTERA BAABA KHUDAI KA MUKHTAAR HAYTERI NAANI HAY ISLAAM KI MOHSINATERI MAA BANKE KHAIRUN NISAA AAGAYI

3

Page 10: Noor-e-Irfaan Volume 8

SHAAMKE QAID ME JAAKE DEKHO ZARAAB BHI AATI HAY HAR SU YEHI EK SADAAHOSHIYAAR HOSHIYAAR AY YAZID HOSHIYAARDEKHLE DUKHTAR-E FATEMA AAGAYI

KAR CHUKI HAY(N) FATAA KUFA O KARBALAHAY YAZIDI HUKUMAT PE AB ZALZALAKAR BUZURGO(N) KI SUNNAT PE TU BHI AMALBHAAG JAA DUKHTARE MURTAZA AAGAYI

JAB HASAN KI ZARURAT THI SHABBAR BANIBA’AD ABBAS KE TU BHI ABBAS BANILEHJA-E MURTAZA AUR KABHI FATEMABANKE ZAINAB RASULE KHUDA AAGAYI

MAWLA AMEER MERA

MAWLA AMIR MERA MAWLA AMIR HAY - MAWLA AMIR HAYSAARA ZAMAANA INKE DARKA FAQIR HAY - MAWLA AMIR HAY

AJDER KHILONA TOU JHULA HAY AA(N)GAN - AYSA HAY BACHPANAYSA HAY BACHPAN KHUD-HI APNA NAZEER HAYMAWLA AMIR MERA MAWLA AMIR HAY

KHUM MAY NABI BOLE SAMJO ALI KO - PEHCHAANO DEKHOPEHCHAANO DEKHO YEHI MERA WAZEER HAYMAWLA AMIR MERA MAWLA AMIR HAY

LAAKH MITAAWO MIT NA SAKEGA - KA’ABE KO DEKHOKA’ABE KO DEKHO USME AB TAK LAQEER HAYMAWLA AMIR MERA MAWLA AMIR HAY

DEKHA HAY YE USKE DAR KA NAZAARA - UTRA SITAARAUTRA SITAARA AISE JAISE ASEER HAYMAWLA AMIR MERA MAWLA AMIR HAY

KHAIBAR KE MAIDAA(N) ME JO BHI NA HARAA - MARHAB KO MAARAMARHAB KO MAARA AISE VEERO(N) KA VEER HAYMAWLA AMIR MERA MAWLA AMIR HAY

4

Page 11: Noor-e-Irfaan Volume 8

MEI(N) NAJAF KO CHALA

MEI(N) NAJAF KO CHALA MEI(N) NAJAF KO CHALADIL KISI KA JALAA MEI(N) NAJAF KO CHALA

KHAAKE RAAHE NAJAF KO JO MEI(N)-NE MALAAISHQ KE NOOR NE AUR PAAYI JILAA

MEI(N) LIKHAATA HU(N) JANNAT KA LIK-KHO PATAAKAAZMAINO NAJAF SAAMARA KARBALA

SAKHT MUSHKIL ME THA AUR NA THA HAL KOYIYA ALI JAB KAHAA TAL GAYI HAR BALAA

US KA KYA WAASTA DEEN-O-IMAAN SEJIS KE DIL ME NAHI HAY ALI KI WILAA

DAAFAYE GHAM HAY YE ISME A’AZAM HAY YEHARSH KO NAARAYE HAIDARI SE HILA

MERE GHANDE QADAM AUR UNKA HARAMLAAJ RAKHNA KHUDA MEI(N) NAJAF KO CHALA

AY MERI MAUT RUK THORI MOHLAT TO DETU BHI CHAL SAATH CHAL MEI(N) NAJAF KO CHALA

THI AQIDAT SAFAR MUJHKO KARNA PARAWARNA DIL SE NAJAF KA NAHI(N) FAASLA

NA PUCHIYE KE KYA HAY(N) MURTAZA

NA PUCHIYE KE KYA HAY(N) MURTAZA KYA HAY MURTAZAKHUDA KE SHER HAY(N) ALI NUSEYRIYO(N) KE HAY(N) KHUDAHAMARA NA KHUDA HAY(N) MURTAZA

WOH KIS KADAR AZIM HAY(N) KE MISLE RAB RAHIM HAY(N)DILO(N) ME YU(N) MUQIIM HAY(N) KE FITRATAN KARIM HAY(N)WOH KHULD KE QASSIM HAY(N) SIRAATE MUSTAQIM HAY(N)BEHISHT KA PATA HAY(N) MURTAZA

HAY(N) ILM KA SHAJAR ALI NABI HAY(N) SHEHRE DAR ALIJIDHER NABI UDHER ALI NABI KA HAMSAFAR ALIDUA ALI ASAR ALI HAY(N) AYSE MO’TABAR ALIKHUDA KA MO’JIZA HAY(N) MURTAZA

5

Page 12: Noor-e-Irfaan Volume 8

KITAABE HAQ KA BAAB HAY(N) WOH BOLTI KITAAB HAY(N)SADAAEE INQELAAB HAY(N) WOHI ABU TURAAB HAY(N)WOH HASHEMI GULAAB HAY(N) KE DIIN KA SHABAAB HAY(N)FANA NAHI(N) BAQA HAY(N) MURTAZA

FIZAA NAHI(N) BAHAAR HAY(N) ATAA EE QIRDIGHAAR HAY(N)KHUDA KA SHAAH KAAR HAY(N) WOH WAQT KI PUKAAR HAY(N)JO ZULM KAA SHIKAAR HAY YE UNKA GHAM GHUSAAR HAY(N)SABHI KA AASRAA HAY(N) MURTAZA

MUSIBATO(N) KO TAAL DE(N) WOH GODIYO(N) ME LAAL DE(N)JO QABL AZ SAWAAL DE(N) JO DE(N) WOH BE MISAAL DE(N)MUJE BHI WOH KAMAAL DE(N) KE LEHJAEE BILAAL DE(N)ATAAONKI GHATAA HAY(N) MURTAZA

MUNAFIKO(N) KI MAUT WOH HAY DIIN KI HAYAAT WOHRASUL KI SIFAAT WOH IBADATO(N) KI RAAT WOHBA WAQTE MUSHKILAAT WOH GHAMOSE DE(N) NIJAAT WOHKARAM KI INTEHA HAY(N) MURTAZA

JO LUTFE KIRDIGAARSE JUNG ME CHALAA WAQAAR SEYEH PUCHO ZULFIQAAR SE BACHAA HAY KOI WAAR SESUNO FARAAZE DAAR SE KAHAA HAY KISNE PYAAR SEHAYAAT KA PATAA HAY(N) MURTAZA

NAJAF KE SHAAH KO

NAJAF KE SHAAH KO DUKHRA SUNAANE JAAU(N)GAALI KHUDA KE WALI KO MANAANE JAAU(N)GA

HAY(N) MUSTAFA KE DAAMAAD RAB KE PYAAREJO WO SAHAARE HAY(N) UNKE ALI SAHAARE HAY(N)UN HI KO GHAM KI KAHAANI SUNAANE JAAU(N)GA

MURAADE MILTI HAY(N) MUSHKIL KUSHAA KI CHOKHAT PARYEH AARZUU HAY ALI MURTAZA KI CHOKHAT PARHASAN HUSAYN KA SADKA MEI(N) PAANE JAAU(N)GA

NAJAF KA SHER YAQINAN DAYAARE REHMAT HAYDARE ALI MERI NAZRO(N) ME RASHQE JANNAT HAYMEI(N) APNE DILPE WO JANNAT BANAANE JAAU(N)GA

GARAZ KISISE NAHI(N) UNSE HAY UMMIDE KARAMYEHI HAY AZM MERA APNI DAASTAANE ALAMMEI(N) APNE DILKI UMMIDE(N) SUNAANE JAAU(N)GA

6

Page 13: Noor-e-Irfaan Volume 8

SALWAATO SALAAM HO ZAINAB PAR

SALWAATO SALAAM HO ZAINAB PARROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

HAYDAR KA CHAMAN ZEHRA KA CHALANSHABBAR KI BAHAN HAY PAIDA HUWITEH NIYYAT DENE KO MIL KARROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

SHABBIR KHUSHI ZEHRA BHI KHUSHIFIZZA BHI HUWI HAY(N) AAJ KHUSHISHAYDA GAR HO JO ZAINAB PARROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

YE SHAMSO QAMAR YE NOORE BASHARCHAADAR HAY MILI INKO AT-HARHOTI HAY FIDA ZEHRA INN PARROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

HAY NOORE ALI SE NOORE ZAINABSAYDAANIYO(N) KI ZINAT ZAINABUMMAT KE LIYE DE DI CHAADARROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

MAA HAI(N) ZEHRA BAABA SHERE KHUDANAANA HAI(N) INKA RASULE KHUDASHABBIR BIRAADAR AUR SHABBARROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

DO SHANO PE JHUK KE BOSA DIYAAUR HAATHO(N) SE DIL KO THAAM LIYAQURBAA(N) HO JAA(N) US DUKHTAR PARROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

YASRAB SE JO KARBAL ME AAYIDUKH DARD MUSIBAT BHI PAAYILILLAAH SAHAA GHAM PAR GHAMROZE PE CHALO SALWAAT PARO SALWAAT

SAR APNA JHUKAAYE(N)GE

SAR APNA JHUKAAYE(N)GE MAWLA TERE RAWZE PARFARIYAAD KARE(N)GE HUM MAWLA TERE RAWZE PAR

RAWZA JO TERA DEKHAA DIL MERA YEH KEHTA HAYMILTA HAY SUKU(N) MUJHKO MAWLA TERE RAWZE PAR

7

Page 14: Noor-e-Irfaan Volume 8

KYA SHAAN NIRAALI HAY TERI MERE MAWLA RAZAMUJH PAR BHI KARAM KARNAA MAWLA TERE RAWZE PAR

ZAWAAR BANAAYA HAY RAWZEPE BULAAYA HAYMUJHKO YEH SHARAF BAKHSHA MAWLA TERE RAWZE PAR

TUM ZAAMINO SAAMIN HO TUM BAABE HAWAAIJ HOHAAJAT MERI KARDO RAWAA MAWLA TERE RAWZE PAR

“JAFFER“ KI DUA MAWLA “AKIL“ KE LIYE YEH HAYAKIL KO BULAAWO TUM MAWLA TERE RAWZE PAR

SHAAHE MADINA

SHAAHE MADINA (X2) YASRAB KE WAALISAARE NABI TERE DAR KE SAWAALI

TERE LIYE HI DUNIYA BANI HAYNILE FALAK KI CHADDAR SAJI HAYTU AGAR NA HOTA(x2), DUNIYA THI KHAALI

JALWE HAY(N) SAARE TERE HII DAMSEAABAAD AALAM HAY TERE KARAMSEBAAQI HAR EK SHAY HAY(x2), NAKSHE KHAYAALI

QADMOME TERE ARSHE BARI(N) HAYTUJSA JAHAA(N) ME KOI NAHI(N) HAYKAANDHEPE PHIR BHI(x2), KAMLI HAY KAALI

TUNE JAHAA(N) KI MEHFIL SAJAAITAARIKIYO(N) ME SHAMA’A JALAAIHAR SIMT CHAAI THI(x2) RAATE(N) KAALI

MAZHAB HAY TERA SABKI BHALAAIMASLAK HAY TERA MUSHKIL KHUSHAIDEKH APNI UMMAT KI(x2), KARTA HAY HAALI

HAY NOOR TERA SHAMSO QAMAR METERE LABO(N)KI HAY LAALI SAHAR MEPHOOLO(N) NE TERI(x2), KHUSHBOO CHURAALI

HAY(N) AAP DUKHIYO(N) KE AAQA HAMAARETAAJE SHAFAA-AT HAY SARPE TUMHAAREHUMKO ATAA HO(x2), ROZE KI JAALI

8

Page 15: Noor-e-Irfaan Volume 8

WAFAA THI UNKE LIYE

WAFAA THI UNKE LIYE AUR YE WAFAA KE LIYEALI NE MAA(N)GA THA GHAAZI KO KARBALAA KE LIYE

HUSAYN JHULA JHULAATE THE INKO YE KEHKERYE KAAM AAYEGA ZAINAB TERI RIDA KE LIYE

NA JAANE KIS LIYE HAIDAR NE INKE BAAZU KEHAZAAR BOSE GALE SE LAGA LAGA KE LIYE

JARI KE PAIRO KO CHUMA HAY ROZE AASHURAYEH KHUSH NASIBI RAHI MOJE ALQAMAA KE LIYE

YEH KHIZR-E RAAH HAY PARCHAM BHI INKA RAAH NUMAASAMMANDARO(N) KE SITAARO(N) KE AUR HAWAA KE LIYE

ALAM KE SAAYE ME AATE HI MILGAYI SEHATTARAS RAHE THE KA-EE DIN SE JO SHIFAA KE LIYE

SAKINA BAABA SE IZNE WIGHAA DILAADO HUME(N)ZARA SA KAAM YEH KARDO FAQAT CHACHA KE LIYE

LABE FURAAT JO BAAZU KALAM HUWE INKEBAHOT BARAA THA YEH GHAM RUUHE SAYYADA KE LIYE

UNHI KE NAAM PE “REYHAAN” HARF MILTE HAY(N)“RAZA” YE NAAM WASILA HAY HAR DUA KE LIYE

YA ALI YA ALI

YA ALI YA ALI YA ALI YA ALIHUMKO JALD BULAAWO NAJAF YA ALI

FAASLO(N) KO TAKALLUF HAY HUMSE AGARHUM BHI BEBAS NAHI(N) BE-SAHAARA NAHI(N)KHUD UNHI KO PUKARE(N)GE HUM DUUR SERAASTE ME AGAR PAAU(N)GI THAK JAAYE(N)GE

JAISE SONEKA GU(M)BAD NAZAR AYEGABANDAGI KA KARINA BADAL JAYEGASAR JHUKAANE KI MOHLAT MILEGI KISEKHUD AA(N)KHOSE AA(N)SU TAPAK JAAYE(N)GE

9

Page 16: Noor-e-Irfaan Volume 8

HUM NAJAF ME TANHA NIKAL JAAYE(N)GEAUR GALYO(N) ME JAA KAR BHATAK JAAYE(N)GEHUM WAHAA(N) JAAKE WAAPAS NAHI(N) AAYE(N)GEDHU(N)TE DHU(N)TE LOUG THAK JAAYE(N)GE

NAAM JAB BHI ALI KA LIYA JAAYEGAZIKR UNKAA JAHAA(N) BHI KIYA JAAYEGANOOR HI NOOR SEENO(N) ME BHAR JAAYEGASAARI MEHFIL ME JALWE LAPAK JAAYE(N)GE

YA BINTE NABI FATEMA

YA BINTE NABI FATEMA TASHRIF LE AAWOBAYTEH(N) HAY AZADAAR AZAA KHAANE ME AAWO

KEHTE HAY(N) AZADAAR YAHAA(N) AAEGI ZAHRAMIMBAR PE KHUTBA HOGA SHAHE DI(N)KA TAZKERAJANNAT YE GHAR HO JAAEGA AUR FARSHE HARIRAAAE(N)GE MALAAIK YAHAA(N) SUNNEKO TAZKERA

HUMNE DHARI SAAMNE SHABBIR KI NAZARHO DEIR NA AANEME PAYE AKBARO ASGHERAUR WO ZARIH SAAMNE FARZA(N)DE PAYAMBARBEHRE HASAN HUSAYN KARO LUTF KI NAZAR

ABBAS KE ALAMSE LIPAT KARKE ROYE(N)GEMILKAR KE YA HUSAYN KI AAWAAZ DEWE(N)GEMAATAM KI SAF BICHA(N)GE AUR KHUB ROYE(N)GEYAADE HUSAYN SE KABHI GHAFIL NA HOE(N)GE

PYAASE THE KARBALA ME JO DO ROUZ TAK IMAMUS YAAD ME SHARBAT KA DHARAA HUMNE HAY YE JAAMDARWAZE PE SABIL KA HAY PURA EHTEMAAMPYAASA NA GUZRE KOI BHI IS DARSE KHAASO AAM

YAA MAADARE SHABBIR NA AB DEIR LAGAAWOBAYTEH(N) HAY(N) INTEZAAR ME TASHRIF LE AAWOHAY TUMKO QASAM QASIMO ABBAS KI AAWOZAINAB KA WAASTA HUME DIDAAR DIKHAAWO

HUM WAASTA DETE HAY(N) SHAHE MASHRE QAIN KAAUR WAASTA HAY FAATEHE BADRO HUNAIN KAKARDO SABAB MUHIBBO(N) KE AARAAMO CHAI(N)KAMIL JAAYE HAMKO SADKA HASAN AUR HUSAYN KA

10

Page 17: Noor-e-Irfaan Volume 8

ZAINAB KA WAASTA HAME KUCH DARD-O-GHAM NAHOJO JO KE HAY(N) BIMAAR UNHE JALD SHIFAA HOLAA WALD KO AWLAAD HO AUR DAF E BALAA HOBAS ULFATE HUSAYN SE DIL SABKA BHARAA HO

MAA(N)GA JO KUCH HUZUR SE MAQBUL HO DUAHUM WAASTA DETE HAY(N) SHAHE KARBOBALA KAJO BAANIYE MAJLIS HAY RAHE SURKH-RU SADASARWAR KE AZAADARO(N) KO BAS DIJIYE DUA

YA FATEMA ZAHRA AB TASHRIF LAAIYELABBAYK KI AWAAZ AY BIBI SUNAIYEMAJLIS QABUL KIJIYE TASHRIF LAAIYELENE KO PURSA KHULD SE TASHRIF LAAIYE

YA IMAME RAZA

YA IMAAME RAZAHAR NAFAS HAR GARI MERE DILSE YEHI AARAHI HAY SADAAYA IMAAME RAZA

TERI AZMAT PE BHALAA KYU(N) NA DALAALAT BANTASHER QAALIIN KA KIS TARHA NA ZINDA HOTAHAY HAQEEQAT YEHI TERI MARZI ME HIIHAY KHUDA KI RIZAA

GHAYR MUMKIN KO YU(N) HOTE HUWE DEKHA MUMKINJAAG TI AA(N)KHO SE JANNAT ME GUZAARE KAI DINUSKO KYA HO YAQEEN JISNE DEKHA NAHI(N) KABHI ROZA TERA

WAQT KAISA YE MERE ZAHN ME AAYA HAY ABHIJAISE GEHWAARENE FITRUS KO SHIFAA BAA(N)TI THIWAISE HI RAUZO SHAAB BAA(N)TA HAY SHIFATERA SEHNE SHIFA

ABKE MASHHAD SE JO PALTA HU(N) TO MERE “MOHSIN”SAA(N)S LENA MUJHE ACHAA NAHI(N) LAGTA LEIKINPHIR BHI HAY YEH SUKUUN MEI(N) KAHI(N) BHI RAHU(N)DIL WAHI(N) HAY MERA

KAISE SAMJEGA ZAMANA TERE NOKAR KI HADEI(N)TERE MAARUF NE BAA(N)DHI HAY SAMANDAR KI HADEI(N)BARTE TUFAA(N) KA RUKH BADALTAA GAYAAUSNE JAB DII SADA

11

Page 18: Noor-e-Irfaan Volume 8

PUCHNE HAAL NAKIRAIN JAB AAYE MERAMAINE DOHRAAYA JAWABAN JO QASIDA TERAWAJD ME AAKE PHIR WO BHI KEHNE LAGEMEI(N) BHI KEHNE LAGA

MERI IS WAQT TERE DAR PE NAZAR HAY MAWLAAUR TUJE MERI MUSIBAT KI KHABAR HAY MAWLADUUR UFTAAD KAR MERI IMDAAD KARTU HAY MUSHKIL KHUSHA

ILTEJA AAPSE KARTA HU(N) IMAME HASHTUMUNKE SADQE ME JINHE KEHTE HAY(N) MAASUMA E QUMJO PARESHAAN HAY JALD KAR DIJIYEUSKI HAAJAT RAWA

JITEJI JAA(N) SE APNI MEI(N) GUZAR JAAU(N)GAJALD MASHHAD NA BULAAOGE TO MAR JAAU(N)GAAY IMAAME GHARIB TUM HO MERE TABEEBJALD KARDO DAWAA

APNE IS “MEER” KO ANMOL BANAADE MAWLAMUJHKO IS DAWR KA BEHLOOL BANAADE MAWLAMEI(N) AZAADAAR HU(N) KAFSH BARDAAR HU(N)TERE KHUDDAM KA

YA RAB BEHAQQE ZAINAB

HUM PAR YEH KARAM KARDOBINTE ALI KA RAWZA YA RAB HUME DIKHAWO

BAND RAASTE KHULE PHIR RAWZEPE JAAYE(N) HUM PHIRAA(N)KHO(N) ME ASHQ BHAR KAR RAWZE KO DEKHE(N) HUM PHIRDIL ME DUA HAY YA RAB MERI DUA YEH SUNLOBINTE ALI KA RAWZA YA RAB HUMEI(N) DIKHAAWO

ABBAS KE WASILE HAT JAAYE(N) SAARE PEHREKARDO KARAM KA SAAYA HUM SHAAM JALD POHNCHE(N)TUM RABBE DO JAHAA(N) HO AB MOJIZA DIKHAAWOBINTE ALI KA RAWZA YA RAB HUMEI(N) DIKHAAWO

ZAINABKE DARPE JAAKE HUM ILTEJA KARENGEDIL ME DUA JO HOGI ZAINAB SE WO KAHENGEKISMAT DIKHAAYE YEH DIN AUR SHARAF BHI ATAA HOBINTE ALI KA RAWZA YA RAB HUMEI(N) DIKHAAWO

12

Page 19: Noor-e-Irfaan Volume 8

MEHFIL ME SAARE MILKER KARTE HAY(N) YEH DUA-ENZAINABKA JASHAN MILKAR HUM SHAAM ME MANAAYE(N)HAAJAT HAY SAB KE LAB PAR HAAJAT RAWAAI KARDOBINTE ALI KA RAWZA YA RAB HUMEI(N) DIKHAAWO

BANKE ZAWAARE ZAINAB JAAYE(N) AKIL-O-JAFFERMILKAR PARE(N) QASIDA YU(N) JAALIYAA(N) PAKAR KARLAB PAR DUA HAY MERI MAQBUL YEH DUA HOBINTE ALI KA RAWZA YAA RAB HUMEI(N) DIKHAAWO

ALI KA DARVAZA

BADAA AZIM HAY KITNA ALI KA DARVAZA (x2)FAZILATO(N) NE BHI DHUNDHA ALI KA DARVAZA

KHARE THE LOG BOHOT INTEZAAR ME LEKIN (x2)SITARA DEKH KE UTRA - ALI KA DARVAZA

NABI KE SHEHR ME TUM KIS TARHA SE JAAOGE (x2)KE RAASTE ME PAREGA - ALI KA DARVAZA

QASSAM HAI KHANAE KA’ABA TERE TABASSUM KI (x2)KHUDA KE GHAR ME BHI DEKHA - ALI KA DARVAZA

HALAAQATO SE BACHAANE KE VAASTE KHUD KO (x2)FALA(N) FALA(N) NE BHI DHUNDHA - ALI KA DARVAZA

MUKHAALIFEEN BHI YE SOCH KAR YAHAA(N) PONHCHE (x2)KABHI NA BAND MILEGA - ALI KA DARVAZA

RASUL JAB SHABE ME’RAJ ARSH PAR PONHCHE (x2)FARAAZE ARSH PE DEKHA - ALI KA DARVAZA JO DUSHMANAANE ALI HAY(N) KAHAA(N) WO JAAENGE (x2)DARE JINA PE HAY LIKHA - ALI KA DARVAZA BILAALO BUZARO SALMAA(N) SABHI KHARE THE WAHAA(N)(x2)JO MAINE GHOR SE DEKHA - ALI KA DARVAZA

13

Page 20: Noor-e-Irfaan Volume 8
Page 21: Noor-e-Irfaan Volume 8

BAABA HO KAHAA(N) APNA

BAABA HO KAHAA(N) APNA PATA KYU(N) NAHI(N) DETEMAQTAL SE SAKINA KO SADAA KYU(N) NAHI(N) DETE

AAJA MERI MAZLUM SAKINA MERI AAJAAPHIR HALQE BURIDAA SE SADAA KYU(N) NAHI(N) DETE

SAB DEKH RAHE HAY(N) MEI(N) JALI JAATI HU(N) BAABADAAMAN ME LAGI AAG BUJAA KYU(N) NAHI(N) DETE

MEI(N) LAASHAE BE SAR SE LIPAT JAAU(N)GI BAABAPEHCHHAAN MUJHE APNI BATAA KYU(N) NAHI(N) DETE

BE GHUSLO KAFAN KHAAK ME SAB DEKH RAHE HAY(N)LAASHO(N) KO TAHE KHAAK CHUPAA KYU(N) NAHI(N) DETE

GANGOR ANDHERO(N) SE MEI(N) DAR JAATI HU(N) BAABAZINDAA(N) ME KOI SHAM’A JALAA KYU(N) NAHI(N) DETE

CHINE HAY LAI(N)N NE MERE KAANOSE YE GAWHARAMMU KO MERE ITNA BATAA KYU(N) NAHI(N) DETE

EHSAAS RULAATA HAY

EHSAAS RULAATA HAY ZAINAB TERI GHURBAT KADAM KHUB BHARA BIBI BHAAYI KI MUHABBAT KA

BETE KO FIDA KARKE SHUKRAANA BAJA LAAYICHALTA HAY PATA ISSE ZAINAB TERI AZMAT KA

PAMAAL HUWA LAASHAA FARZANDE PAYAMBAR KAUMMAT NE DIYA SHAAYAD YE AJR RISAALAT KA

JULESE GIRE ASGHER KOHRAAM HAY KHAYME MEBACHO(N) KO KHAYAAL AYAA BABA KI RIFAAQAT KA

DAFNA CHUKE ASGHER KO AB KOI NAHI(N) BAAQIANDAAZA KARE KOI SHABBIR KI HAALAT KA

JABSE HAY(N) GAYE BAABA WIRAN MADINA HAYBAAQI HAY SAHAARA EK NANA TERI TURBAT KA

BHEJA THA SAKINA NE PANI NA CHACHA LAAYEEHSAAS NAHI(N) BAAQI AB PYAAS KI SHID-DAT KA

15

Page 22: Noor-e-Irfaan Volume 8

HAAY FARMATE THE SHAAH

HAAY FARMATE THE SHAAH RO NA SAKINA PYAARITERE RONESE MUJHE HOTI HAY IZA PYAARI

BAAD MARNEKE MERE TUMKO BAHOT HAY RONALEIKIN AB JITA HU(N) ROKAR NA DUKHA DIL PYAARI

JABKE MEI(N) QATL KIYA JAAU(N) TOH DIL BAR RONAROKNE WAALA TUMHE KOI NA HOGA PYAARI

SONE KO BAAP KE SINE PE BHULA DIJIO TUMKHAAK KO SINA MERA JAAN KE SONA PYAARI

JAB KE MAQTAL ME TUMHE QAYDI BANAKAR LAAWELAASH PAR MERE LIPAT RO RO MACHALNA PYAARI

NILE RUKHSAAR PHATAA KURTA AUR CHIRE HUWE KAANUSKA SHIKWA LIYE LAASHE PE TARAPNA PYAARI

LAASH SE MERE TUMHE JABKE CHURAWE ZAALIMJALDI CHUT JAANA KE DUURE NA LAGAAWE PYAARI

KUFA-O SHAAM-O DAMISHK ME SE JAHAA(N) HOWE GUZARBHUK KE MAARE KAHI(N) SADKA NA KHAANA PYAARI

AUDRNI SARPE TERE AUR NA MAKNA HOGAMUH(N) KO BAALO(N) SE AUR HAATHO(N) SE CHUPAANA PYAARI

ZANE HAAKIM JO TUMHE QAID ME MILNE AAWENAAM BABA KA NA TUM USKO BATAANA PYAARI

CHUTKE JAB QAID SE TUM APNE WATAN KO AANAAMERE SHIYO(N) KO SALAAM MERA POH(N) CHAANA PYAARI

KAHIYO MUSIBAT ME MERI WOH MUJHE ROWE(N) HAR DUMBHUK AUR PYAAS MERI BHUL NA JAAWE PYAARI

QAASIM-O AKBAR-O ABBAS BHI AUN-O ASGHERSAB KI MAZLUMI KA AFSANA SUNANA PYAARI

BAAD JAB FATEMA SUGHRA KO WAHAA(N) JAAKE MILOUSKI BABAA KI MUSIBAT KO SUNANA PYAARI

16

Page 23: Noor-e-Irfaan Volume 8

HUM SE GHAME SHABBIR

HUM SE GHAME SHABBIR BHULAAYA NAHI(N) JAATAYE DAAGH KALEJE KA MITAAYA NAHI(N) JAATA

KEHTE HAY(N) ALAMDAAR KE DE MAUT KHUDAAYAMUH(N) PYAASI SAKINA KO DIKHAAYA NAHI(N) JAATA

SHEH BOLE KAMAR TUUTI SAMBHALO ALIAKBERABBAS SADA DETE HAY(N) JAAYA NAHI(N) JAATA

AKBER TO CHUPAATE HAY(N) KE SHABBIR NA DEKHE(N)HAA(N)THO SE MAGAR ZAKHM CHUPAAYA NAHI(N) JAATA

QASIM KI NA UMMID RAKHO MAADARE QASIMLASHE KI YE HAALAT HAY KE LAAYA NAHI(N) JAATA

YA MAWLA ALI AAWO RASAN BASTA HAY(N) ZAINABBE BAS HAY(N) SAKINA KO CHURAAYA NAHI(N) JAATA

IN BIBIYO ME MAADARE AKBER HAY KE JISKAEK HAATH KALEJE SE HATAAYA NAHI(N) JAATA

AY SHAAMIYO SAJAAD KE NA ZAKHM DUKHAAWOBERI KO HILA KAR TO JAGAAYA NAHI(N) JAATA

UTH-TE HAY(N) KABHI BAYTH-TE HAY(N) MAWLA AKELEKYA LAASHA-E FARZAND UTHAAYA NAHI(N) JAATA

KEHTI THI ZAINAB

KEHTI THI ZAINAB DIL JALI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALIBAAQI NAHI(N) SAATHI KOI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

ACHE MERE BIRAN UTHO JALDI KHABAR ZAINAB KI LOBEKAS HU(N) MEI(N) SADQE GAYI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

BEWE(N) HAY(N) WO NAACHAAR HAY AABID HAY(N) WO BIMAAR HAY(N)TANHA HU(N) MEI(N) MA(N)ZIL QARIB BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

MEI(N) RAAH SE WAAQIF NAHI(N) HAY KONSI YE SARZAMI(N)TANHA NAHI(N) NIKLI KABHI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

BAYTHI RAHU(N) GHAR WO KAHE(N) THERU(N) AGAR AKBER CHALE(N)LAIKIN NA AAYEGA KOI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

MAQTAL ME THERU(N) KIS LIYE AB YAHAA(N) MERA KYA KAAM HAYTURBAT TOU SABKI BAN CHUKI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

17

Page 24: Noor-e-Irfaan Volume 8

ALLAH HAAFIZ BHAAYI JAAN AB TUM KAHAA(N) AUR HUM KAHAA(N)DIDAAR HOWE AAKHERI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

AY MUSTAFA KE JAANO DIL SUGHRA SE HU(N)GI MEI(N) KHAJILACHI NAHI(N) YE BE RUKHI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

SAB SAAZO SAAMA(N) LAAYI THI KU(N)MBE KO LEKAR AAYI THITA(N)HA NA JAAWU(N)GI KABHI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

AKBER BULAALO BAAP KO ABBAS PARDE ROK LOTHAAME MUJHE IBNE ALI BHAAYI UTHO MEI(N) GHAR CHALI

MAQTAL SE YEHI AATI

MAQTAL SE YEHI AATI THI SADA KOI NA RAHAA SANNAATA HAYPARDES ME AAKAR KAWN LUTA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

ALLAH YE KAISA MANZAR HAY JO LAASH PARI WO BE SAR HAYBEHTA HAY YAHAA(N) KHU(N) KA DARIYA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

HAY AAJ FAZAAE(N) BHI GHAMGHIN LAASHO(N) KE SARHAANE KOI NAHI(N)CHAAYI HAY FALAK PE GHAM KI GHATA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

KUCH KHAIME(N) NAZAR AATE HAY(N) JALE AUR SUKHE HUWE TUUTE KUZEYEH QAAFELA THA KYA PYAASO(N) KA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

YEH LAASH KIS SHEHZAADE KI KIS TARHA HUA SINA ZAKHMIQISMAT NE YEH GHAM KIS MAA(N) KO DIYA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

HAY QAD MAY BARAABAR DO LAASHE DUBI HAY(N) LAHU KE DARIYA MEDONO KO AJALNE LUUT LIYA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

YEH MAARA GAYAA HAY KAWN HAZI(N) SEHRA HAY KAHI(N) KA(N)GNAA HAY KAHI(N)KAISA YE SITAM DUNIYA NE KIYA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

EK SHER PARAA HAY SAAHIL PAR HAIBAT KA ABHI TAK HAY YE ASARSEHMI SEHMI CHALTI HAY HAWAA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

TURBAT HAY YAHAA(N) EK NANNI SI NAZDIK PARAA HAY NAAWAK BHIMAASUM KO KISNE QATL KIYA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

HAR SIMT UDAASI CHAAYI HAY TIRO(N) PE KISE NI(N)D AAYI HAYBE GORO KAFAN LAASHA HAY PARAA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

EK SHAKS “MUNAWWAR” HAYRAA(N) THA AAYI YEH KISI BIBI KI SADAAMERA KUNBA BARBAAD HUWA KOI NA RAHAA SANNAATA HAY

18

Page 25: Noor-e-Irfaan Volume 8

MUHAMMAD KA GHARAANA

MUHAMMAD KA GHARAANA KARBALA WAALE BAYAA(N)BAA MEQAYAAMAT KI KHIZAA(N) AAYI HAY ZAHRA KE GULISTAA(N) ME

LAASHA-E AUN-O MUHAMMAD AAQA LAAYE JO RAN SEZAINAB NE UTHAYE HAATHO(N) SHUKRE ILAHI ME

KAHAA HO TUM ALIAKBER ZARAA AAWAAZ TO DENAAKELA REH GAYA HAY ALI KA LAAL MAIDA(N) ME

LAASHE ALIAKBER UTH-TI NAHI(N) AAQAA SEYA ALI ZARAA UTH-KE NAJAF SE AAIYO MAIDA(N) ME

ZAMINE KARBALA USKO ZARA AARAAM SE RAKHNASULAAYA HAY ASGHER KO SHEH NE TERE DAAMA(N) ME

TUM NAADE ALI PAR KE JHALI KHAAK PE SO JAANASAKINA GHABHRAAWO NAHI(N) HUM AAE(N)GE KHWAABO(N) ME

LUTA JO KARBALA ME MUSALMANO NE KYA LUTAAALI KI BETIYO(N) KI CHAADARE AAYI HAY(N) SAAMAA(N) ME

SADAA YEH AATI

SADAA YEH AATI HAY MAQTAL SE MERI JAA(N) ASGHERTUMHAARE HIJR ME BETAAB HAY YE MAA(N) ASGHER

AB AABHI JAAO BARI DER HO GAYI BETAGAYE HO RUTH KE MAADAR SE TUM KAHAA(N) ASGHER

PADAR KE PAAS JO SO-E TO HUMKO BHUL GAYENA YAAD AAYI TUMHE DIL JALI YE MAA(N) ASGHER

WOH EK NANNASAA JULA BHI JAL GAYA BETAATUMHAARE BAAD JO BAAQI THA EK NISHAA(N) ASGHER

RIDAAE(N) CHIN GAYI BE PARDA HUM PHIRAAYE GAYEISSI TARAAH SE NA JAANE KAHAA(N) KAHAA(N) ASGHER

BAHAN TUMHARI SAKINA PE ZULM AUR HUWE HAY USKE KAAN ABHI TAK LAHU LUHAA(N) ASGHER

CHALE BHI AAWO KE TANHAAI KHAAYI JAATI HAYSULAAU(N)GI TUMHE DE DEKE LORIYAA(N) ASGHER

ASAR YE DEKHO MUJAAHID FUGHAANE MAADAR KAKE HAY ZAMAANE MAY HAR SU ZABAA(N) ZABAA(N) ASGHER

19

Page 26: Noor-e-Irfaan Volume 8

UJRA HUWA BE-SHIR KA

UJRA HUWA BE-SHIR KA GEHWARA PARA HAYASGHER KE LIYE MAA(N) KA GIREBAAN PHATA HAY

AY KARBOBALA MERI AMANAT SE KHABARDAARPARDES ME YE PEHL PAHAL MAASE JUDA HAY

GARSE JISE BAAHAR KABHI MAINE NA NIKAALAWOH CHAAND MERA RETH KE MAIDA(N) MAY PARA HAY

AY QABR RAKH AARAAM SE BE-SHIR KO MEREDUKH JAA-E NA ZAKHMI MERE BACHE KA GHALAA HAY

IS SHIKL ME HAY TURBATE BESHIR PE BAANUAA(N)SU(N) HAY(N) RAWAA(N) AUR GHIREBAAN PHATA HAY

AY GAUR MERE BACHE KO AARAAM SE RAKHNAMAA(N) ISSE JUDA HO GAYI YE MAA(N) SE JUDA HAY

AFSOS HAY AB KISKO JULAAU(N)GI MEI(N) JULAGEHWARA MERE LAAL KA WIRAAN PARAA HAY

KYA AYI THI YASRAB SE ISI WAASTE BAANUAY KARBOBALA TUNE MUJHE LUUT LIYA HAY

YAAD AATI HAY WAFA

YAAD AATI HAY WAFA HAYDARE SAANI TERIMASHQ KE SAATH RAHI TISHNA DAHAANI TERI

KIS BURE WAQT ME TUTI TERE BHAAI KI KAMARMIL GAYI KHAAK ME ABBAS JAWAANI TERI

SHAAH KHAYME ME LIYE JAATE HAY(N) KYA MASHQO-ALAMNA SUNI JAYENGI ZAINAB SE KAHAANI TERI

AAJ TAK TERI WAFAO(N) KA ASAR BAAQI HAYSAATH TAABUT KE REHTI HAY NISHAANI TERI

CHID GAYI MASHQE SAKINA TERA DIL TUUT GAYAMAUT AAYI KE BAHAA MASHQ KA PAANI TERI

KHU(N) BHARI MASHQ SE PHU(N)T-TA HAY SAKINA KA JIGARAPNE SINE SE LAGAAYE HAY NISHAANI TERI

TERI BAALI PE AKELE NAHI(N) ROTE HAY(N) HUSAYNSAATH SHABBIR KE ROTI HAY JAWAANI TERI

20

Page 27: Noor-e-Irfaan Volume 8

YU(N) KARBALA MAY

YU(N) KARBALA ME DIN DOBAALA KIYA GAYAKHANJAR TALE BHI SHUKR KA SAJDA KIYA GAYA

RAAHE KHUDA ME DEKE BAHATTAR KI ZINDAGIISLAM KE WIQAAR KO UNCHAA KIYA GAYA

MIT-TI NA THI JAHAAN ME ADAAWAT KI ZINDAGIASGHER KE KHU(N) SE DEEN KO TAAZAA KIYA GAYA

NIKLE TARAP TARAP KE NA KYU(N) NAWJAWAA(N) KA DAMARMAAN KOI DIL KA NA PURAA KIYA GAYA

KHURSHID NE BHI SHARM SE MU(N)H-KO CHUPAA LIYABE PARDA JAB RASUL KA KU(N)MBA KIYA GAYA

SAYDAANIYO(N) KO SAR KHULE DARBAAR LE GAYEAUR HIND SI KANIZO(N) KA PARDAA KIYA GAYA

“TEHZIB” KI BHI AA(N)KHO(N) SE AA(N)SU TAPAK PAREPAAMAAL JAB HUSAIN KA LAASHAA KIYA GAYA

21

Page 28: Noor-e-Irfaan Volume 8
Page 29: Noor-e-Irfaan Volume 8

AY MAA TUM MUJHE

AY MAA TUM MUJHE PAAS BULAALO MUJHE PYAAS SATAATI HAY(TURBAT SE ALI ASGHAR KI)x2, AWAAZ YE AATI HAY YAAD AAYE BAHOT MUJHKO TERA JHULA JHULAANA KABHI SINESE LAGA KE TERA LORI SUNANA(JAB REIT GARAM PYAARI MAA)x2, MERE TAN KO JALAATI HAY HAY PYAAS KI SHIDDAT SE GALA SUKHA PARHA HAYHAY ZAKHMI GALA USME AY MAA DARD BHARA HAY(TURBAT ME AKELA HU(N) MEI(N))x2, TANHAAI DARAATI HAY JHULE ME PARHA ASGHAR DIN RAAT HAY ROYAJAB PYAAS BUJHI ISKI TO PHIR CHAYN SE SOYA(MAQTAL ME SAKINA PHIR KYU(N))x2, ISE DHOOND NE JAATI HAY DARWAAZE PE KHAIMA KE YE EK BIBI KHARI HAYMUR MUR KE JO MAQTAL KI TARAF DEKH RAHI HAY(EK KHOON BHAREY JULEKO)x2, AANKHO(N) SE LAGAATI HAY WO SHAME GHARIBA(N) KO AJAB ZULM HUWA THASAR NANGE THI HAR BIBI HAR EK KHAIMA JALAA THA(ABBAS KA SAANIY-E-ZAHRA)x2, HAY FARZ NIBHAATI HAY “AKHTAR” YE HAWAAO(N) NE JO PAIGHAAM DIYA HAYASGHAR TUJHE SUGHRA NE BAHOT YAAD KIYA HAY(EK BAAR MADINE AAO)x2, BEMAAR BULAATI HAY

BHAYYA GHAREEB

BHAYYA GHAREEB ZAINAB TERA KAFAN NA LAAYILASH-E-HUSAYN PAR HAY ZAINAB KI YE DUHAAYI

MISL-E-BATOOL HAQ SE MEHROOM HU(N) MEI(N) AB TAKSHABBIR TERE GHAM ME MAGHMOOM HU(N) MEI(N) AB TAKTARPA RAHI HAY MUJHKO ABBAS KI JUDAAYI

AFSOS KE SAKINA NAZO(N) SE JO PALI HAIJO TUMKO YAAD KARKE ZINDAA(N) ME CHAL BASI HAYUSKO MILI NA BHAYYA ZINDAAN SE RIHAAYI

HUM PAR SITAM AY BHAYYA DHAATE RAHE SITAMGHARSAYDANIYO(N) KE SAR ME ATI THI KHAAK URHKARBAAZAAR KA WO MANZAR ZAINAB NA BHOOL PAAYI

23

Page 30: Noor-e-Irfaan Volume 8

BAALO(N) SE MU(N)H CHUPA KAR BAAZAAR ME GAYI THINARGHE ME ASHQIYAA KE BEPARDA MEI(N) KHARI THIGUZRI HAY KYA BEHEN PAR KAISE BATAWU(N) BHAAYI

SAJJAD KE YE DIL PAR DUSHWAAR MARHALA THAZANJEER KO SAMBHAALE BEEMAR RO RAHA THAAAL-E-NABI KHULE SAR DARBAR ME JO AYI

SABSE BARI MUSIBAT KYA HAY KISI NE POOCHABEEMAR SAR JHUKA KAR ROTE HUWE YE BOLABEHNO(N) KO SHAAM JANA ZAINAB KI BERIDAAYI

MISL-E-BATOOL HAQSE MEHROOM HU(N) MEI(N) AB TAKSHABBIR TERE GHAM MEI(N) MAGHMOOM HU(N) MEI(N) AB TAKTARPA RAHI HAY MUJHKO ABBAS KI JUDAAYI

IS AIK SAANEHA PAR AKSAR “MUHIB” NE SOCHABARBAAD HO GAYA JAB AAL-E-NABI KA KUMBABAAD-E-HUSAYN KYU(N) KAR BAAQI RAHI KHUDAAYI

BOLE PADER SE AKBER

BOLE PADAR SE AKBER BARCHI NA KHE(N)CHNAHAY JAAN AB LABO(N) PAR BARCHI NA KHE(N)CHNA

BABA NAZAR KO PHER LO DUM TUT NE LAGABARCHI KE PHAL SE KHUN HAY DILKA RUKA HUWAUBLEGA KHU(N) ZAMIN PAR BARCHI NA KHE(N)CH NAA

AMMA KO YEH KHABAR NAHO MERE SINA LAGIGHASH AA GAYAA HAY BAS ZARA SHID-DAT HAY PYAAS KIMEI(N) AA RAHAA HU(N) JAAWO GHAR BARCHI NA KHE(N)CHNA

SAA(N)SE UKHAR RAHI HAY(N) TOU MADHAM HAY NABZ BHIKAR TE HO AAP HUM KO BHI TAAKID SABR KIKEHTE HO THAAM KE JIGAR BARCHI NA KHE(N)CHNA

AKBER PUKAARE BAAP SE DIL KO SAMBHAALIYETUTI SINA KALEJE ME REHNE HI DIJIYENIKLEGA SAATH ME JIGAR BARCHI NA KHE(N)CHNA

MAWLA NE YA ALI KAHAA DIL KO SAMBHAAL KARPHIR KHUD HI LARKHARAA GAYE BARCHI NIKAAL KARKEHTA RAHA JAWAA(N) PISAR BARCHI NA KHE(N)CHNA

24

Page 31: Noor-e-Irfaan Volume 8

MAYNE TUMHE BULAAYA THA TAAKE MEI(N) KEH SAKU(N)BIL KUL NA GHAM KARO MERE DIL KO HAY AB SUKU(N)BAYTHE RAHO YAHAA(N) MAGAR BARCHI NA KHE(N)CHNA

BOLE HUSSAIN BAAP KO BEHLA RAHE(N) HAY(N) AAPMAALUM HAY KE YAHAA(N) SE KAHAA(N) JAA RAHE HAY(N) AAPKEHTE HO MU(N)H KO PHER KAR BARCHI NA KHE (N)CH NAA

“REHAAN “SAATH BARCHI KE DIL BHI NIKAL PARAPARTE RAHE HUSAYN BHI TAA DEIR MARSIYAAHMAA KEHTI AAYI NA(N)GE SAR BARCHI NA KHE(N)CHNA

DI THI AMMA NE JO POSHAAK

DI THI AMMA NE JO POSHAAK WO LAADO ZAINABAPNE HAATHO(N) SE KAFAN MUJHKO PENHAADO ZAINAB

AAJ MAQTAL ME FAQAT BAAT TUMHAARI HOGI(ABHI AMMA SE MULAAQAAT HUMAARI HOGI)x2KOI PAYGHAAM AGAR HAY TO SUNAADO ZAINAB

HAATH PAABANDE RASAN BEHNA TUMAARE HO(N)GE(MUJHKO REH REH KE KHAYAAL ATAA HAY LAASHE SE MERE)x2TIR KISTARHA NIKALOGI BATAADO ZAINAB

MERE LASHE KI RAHEGI TUMHE PEHCHAAN BAHAN(CHAAK KARDO MERE KURTE KA GIREBAAN BAHAN)x2KOI LUTE NA ISE AYSA BANAADO ZAINAB

SAAMNE APNE SAKINA SE UTARWAALO GOHAR(AB BHI KUCH DER ME LUT JAYEGA MAZLUM KA GHAR)x2YE AMAANAT KISI GOSHE MAY CHUPADO ZAINAB

BAAHAR AANE KO NA KHAYME SE MEI(N) KEHTA TUM KO(HOTE ABBAS TO TAKLIF NA DETA TUMKO)x2BANKE ABBAS MUJHE ZI(N) PE BITHAADO ZAINAB

QAIDKHANE KI SAMBHAALO YE AMAANAT BIBI(GAUD ME LO ISE MAZLUM HO RUKHSAT BIBI)x2MERA DAAMAN MERI BACHI SE CHURAADO ZAINAB

JAB SE AKBER GAYE BINAAYI BHI AA(N)KHO(N) SE GAYI(LAAKE DEDO ALIASGHER KI NISHAANI BHI GAYI)x2KURTA BESHIR KA AA(N)KHO(N) SE LAGAADO ZAINAB

25

Page 32: Noor-e-Irfaan Volume 8

GARSE SHABBIR JANAAZE KI TARAAH SE NIKLE(SAB BHI ROTE THE “TAKALLUM” DARE KHAIMA PE KHARE)x2SHEH NE JIS DUM KAHA MARNE KI RIZA DO ZAINAB

EK GHARIBUL WATAN QAID

EK GHARIBUL WATAN QAID MEI(N) MAR GAYAPUL PE BAGHDAAD KE HAY JANAAZA RAKHA

KHUN A(N)KHO(N) SE APNI BAHAATE HUWEHATHKARI BERIYO(N) TAUK PEHNE HUWEQAID SAJAAD KI YAAD KARTA HUWA

JISKE ATHAARAA BETE JAWAA(N) SAAK KEUSKI MAYYAT KO MAZDUUR LEKE CHALEBAIN KARTI CHALI SAATH MEI(N) SAYADAAH

AJNABI SHEHR HAY DUUR EHLE WATANTERE BABA KO DE KOWN GHUSLO KAFANAAWO JALDI WATAN SE IMAME RIZA

SABR KARNA HAY SUGHRA KE JAISA TUJERAASTA DEKHNA BAAP KA CHORDOJAAKE MAASUMA E QUM SE KEHDE HAWA

QAID MEI(N) CHALBASA SHAAHE KAWNO MAKAA(N)AB TO MAZLUM KI KHOLDO BERIYAA(N)TUM NE CHAAHATHA JO LO WOHI HOGAYA

LAASH PER BHI NAHI(N) RONE WAALA KOIWAARISE DIIN KI HAAYE BE WAARISIDHU(N) DHTI HAY KAZAA DAFN KARNE KI JAA

BAIN KARTE “TAKALLUM” SABHI AA GAYEKARBALA SE MADINE SE OR SHAAM SECHOWDA BARSO(N) KA QAIDI RIHAA HOGAYA

HABIB TUMPER SALAAME HUSAIN

CHALE AAWO KARBOBALA AKELA HUWA HAY HUSAYNHABIB TUM PAR SALAAME HUSAYNMERE HABIB AY MERE DOST AY MERE AANKHO(N) KE CHAINHABIB TUM PAR SALAAME HUSAYN

26

Page 33: Noor-e-Irfaan Volume 8

RAJAB SE MADINE SE NIKLAA THA MEIN MUHABBAT THI JISSE WO GHAR CHOR KARMEI(N) SEHTA RAHA SAKHTIYAA(N) AY HABIB RASULE KHUDA KA SHAHER CHOR KAR

BAHOT MUKHTASAR SA HAY LASHKAR MERA MUQABIL KO MERE HAY(N) LAAKHO ADUWAFAADAR BHI HO BAHAADUR BHI HO NAZAR DHU(N)DH TI HAY TUMHE CHAAR SU

MERE KHU(N) KE PYAASE HAY(N) YE EHLE SHAR MERE QATL KI HAY YE TAYAARIYAA(N)LAINO(N) KI TEGHE BHI HAY(N) MU(N)TAZIR TUMAARI ZARURAT HAY MUJHKO YAHAA(N)

ABHI MERA MAQTAL SAJAA BHI NAHI(N) MAGAR MUJHPE ROTI HAY KAR-BOBALAMERI BEKASI KA HAY JO MARSIYA AGAR SUNNA CHAAHO TO HAY HAMNA-WAA

YEH TEHRIR PARTE HI NIKLE HABIB TO RAHWAAR ROKA SARE KARBALA YAHAA(N) AAKE SHEH KO SALAAME WAFAA TO IBNE MADHAHIR SE SHEH NE KAHAAACHAA KIYA AY HABIB TUM YAHAA(N) AAGAYE

YEH DEKHO MASAIB YE DEKHO SITAM KAHAA (N) MERE KHAIME KAHAA(N) ALQAMAJO HUM PAR HAY GUZRI SUNAU(N)GA MEI(N) JO TUM AAGAYE TO DILAASA MILAACHAA KIYA AY HABIB TUM YAHAA(N) AAGAYE

YE MAZHAR YE IRFAAN YE MAATAMI HAY(N) TARTIB ME KAARWAANE AZAAYE SACH HAY HABIBE SHAHE MASHREQAIN SARE HASHR BOLE(N)GE SHAAHE HUDA

KOHRAAM MACH GAYA

KHAIME ME AAKE SHAAH NE JAB ALVIDA KAHA - KOHRAAM MACH GAYA

THA JISKA INTEZAAR WO SAA-AT QAREEB HAYDIN DHAL RAHA HAI SAAMNE MUSIBAT QAREEB HAYKUCH DER KI HAY BAAT QAYAMAT QAREEB HAYZAINAB GAREEB BHAI KI RUKHSAT QAREEB HAYYEH KEHKE MAA(N)GA MAA KA JO KURTA SILA HUA - KOHRAAM MACH GAYA

27

Page 34: Noor-e-Irfaan Volume 8

KUCH DUR HAT KE KHAIME ME BOLE SHAHE ZAMAANZEHMAT NA HO TO BAAZU BADHAO ZARA BAHANMEI(N) BOSE LOON WAHAA(N) KE BANDHEGI JAHAA(N) RASANBAAZU BADHA KE ROTI THI HAMSHIR KHASTATANBHAI BEHEN KE BAAZU KO JAB CHUM NE LAGA - KOHRAAM MACH GAYA

YEH SUN KE BINTE FATEMA ZEHRA TADAP GAYII(N)BOLI GALA BADHAO BAS AB JALD YA AKHIAMMA KI BAAT AAJ MUJHE YAAD AA GAYIMEI(N) BOSE LOO(N) WAHAA(N) KE CHALEGI JAHAA(N) CHURIIZAINAB NE BADH KE CHUMA BIRADAR KA JAB GALA - KOHRAAM MACH GAYA

BETI SE PHIR YE KEHNE LAGA FATEMA KA LAALREHNA PHUPHI KE PAAS RAKHE(N)GI TERA KHAYAALGURBAT HAY TUM PHUPHI SE NA KARNA KOI SAWAALWARNA TERE PIDAR KO BOHOT HOYEGA MALAALPHIR SAR PE HAATH RAKH KE JO DENE LAGE DUA - KOHRAAM MACH GAYA

BETI KO JAB SIPURDE BAHEN KAR CHUKE IMAMROKAR BAHEN SE KEHNE LAGE AASMA MAKAAMJAANA WATAN JO QAID SE CHHUTT KAR AE TISHNAKAAMKEHNA LAHAD PE MAA KI MERA AAKHRI SALAAMAAYA JO LAB PE FATEMA ZEHRA KA TAZKERA - KOHRAAM MACH GAYA

AABID SE PHIR YE KEHNE LAGE SHAAHE KARBALABEWAAO(N) AUR YATIMO(N) KA AB TUM HO AASRAJO IMTEHAAN MERA THA SAB MAINE DE DIYAAAGE TERA CHIRAG HAY BIMAR-E-KARBALABIMAR BETA BAAP SE JIS DUM JUDA HUA - KOHRAAM MACH GAYA

KHAIME SE BAAHAR AAYE JO SULTAN-E-KARBALASAR KO JHUKAYE ROTA THA KHUD ASPE BAAWAFAAB KIS TARAH SAWAAR HO ZEHRA KA LAADLATANHAII KE SIWA KOI YAAWAR NAHI RAHAJAB SUE NEHR DEKH KE GAAZI KO DI SADA - KOHRAAM MACH GAYA

BHAI KO TANHA DEKH KE ZAINAB TADAP GAYII(N)ROTI HUI HUSAIN KE NAZDEEK AA GAYII(N)AUR PHIR RAQAAB THAAM KE BOLI AY SHAAHE DEE(N)MEI(N) HI SAWAAR KARTI HU(N) ABBAS GAR NAHI(N)“WAARIZ” HUA SAWAAR JO ZEHRA KA LAADLA - KOHRAAM MACH GAYA

28

Page 35: Noor-e-Irfaan Volume 8

LAASHE PE ZAINAB

LAASHE PE ZAYNAB ROKE PUKAARI, BHAYYA HUMAARA KOI NAHI(N)KHAIME JHALE AUR SAJJAD QAIDI, KAFNI TUMHARA KOI NAHI(N)

DEKHO AY BHAAYI MEI(N) ZAHRA KI JAAYILAASHE PE AAYI HU(N) BE PARDA HOKARMAARA GAYA HAY ABBAS GHAAZI, QASSIM DULAARA KOI NAHI(N)

BEKAS YATIMO KA KAFELA BHAAYITUHI BATAADE KE KAHAA(N) LEKE JAAWU(N)LAASHE SAMBHAALU(N) YA KUMBE KO DEKHU(N), GHAM KA KINAARA KOI NAHI(N)

WIRAA(N) HAY KHAIME KHAALI HAY JHULATISHNA SAKINA KE QISSE KO DEKHOGIR KAR HUWI CHOR BE AAS BETI, AB TO SAHAARA KOI NAHI(N)

KARIYAL JAWAA(N) KI MAYYAT HAY AAYIKEHTI HAY LAILA AY MERE AKBERKISKI NAZAR TUMKO KHAA GAYI BETA, MERA SAHAARA KOI NAHI(N)

BOLI YU(N) ROKE ZAHRA KI JAAYIKARBOBALAA ME GHAR LUT GAYA HAYMAARA GAYA HAY AB MERA BHAAI, WAARIS HAMARA KOI NAHI(N)

BOLI YE ZAINAB AUNO MUHAMMADUTHO AY PYAARO AAYI HAY MAADARBAATE(N)TO KARLO BOLO AY PYAARO, GHAM KA KINAARA KOI NAHI(N)

TIIR SE MAARA ASGHARE BESHIIRPAANI NA PAAYA HAAY WHO BACHAAAAWO AY BETA KHAALI HAY JHULA, JHULNE WAALA KOI NAHI(N)

GHAM KI KAHAANI KISKO SUNAAWU(N)BHAYYA HAMMARA TUM BHI CHALESAJJAD BIMAAR HUM HAY QAIDI, WAARIS HAMAARA KOI NAHI(N)

KARBOBALA ME HUMKO BULAANAAAKE WAHAA(N) HUM PARLE(N) ZIYAARATMERI TAMANNA AAWU(N)WAHAA(N) MEI(N), ISKE SIWAA KOI AARZOO NAHI(N)

29

Page 36: Noor-e-Irfaan Volume 8

LEKE ALAM TUM AAWO

LEKE ALAM TUM AAWO ALAMDAAR MASHQ BHAR KE TUM LAAWO ALAMDAAR

EK TARAF HAY KHAYME HAY JALTENANNE BACHE HAY(N) RAIT PE SOTEAAWO BACHAAWO HUMKO SITAM SE

PYAASI SAKINA DHU(N)DH RAHI HAY HAAY MACHAL KE KEH YE RAHI HAYMUJHKO MILAADO MERE CHACHAA SE

JALTE HAY(N) KHAIME AAG BHUJAAWOAATE HAY(N) ZAALIM UNSE BACHAAWOWAQTE MADAD HAY AAWO ALAMDAAR

SAAYE ME ALAM KE HUMKO BITHAAWOBIMAAR HAY SAJJAD BISTAR TOU LAAWOHAAY NAJAF SE BAABA KO LAAWO

HAAY BAHAN KO CHAADAR TOU LAADO MU(N)H KO CHUPAAWU(N) SAR KO CHUPAAWU(N)PAAS BULAALO APNI BAHAN KO

KISKO MANAAYE(N) KISKO BEHLAAYE(N)EK JIGAR HAY DAAGH BAHATTARABTO NAHI(N) HAY JEENES E MATLAB

AABID KI PUKAAR SUNLO AY BHAYYATHARTHARAATA HAY BHAI KA LAASHAHOGI QAYAMAT HAAY RE BARPA

BAALI SAKINA MAA(N)GEGI PAANIAAPHI AAKE PAANI PILAANAROEGI BACHI UNKO MANANAA

SUNTI HU(N) BHAYAA HUM SHAAM JAAYE(N)GETAAZIYAANA BHI HAAY KHAAE(N)GEKIJIYO MADAD JANNAT SE AAKAR

MAWLA AZAADAARO(N) KO AB NA RULAAWOKARBALA ME JALD AAP BULAAWONAAM YEH LIKHO ZAWAARE HUSAYNA

30

Page 37: Noor-e-Irfaan Volume 8

MAJBUR HU(N) BEHNA

MAJBUR HU(N) BEHNA TUMHE DAFNA NAHI(N) SAKTAQAIDI HU(N) SAKINA MEI(N) KAFAN LAA NAHI(N) SAKTA

TAABUT UTHAANE KO NA AKBER HAY(N) NA ABBASMEI(N) EHLE WATAN KO YAHAA(N) BULWAA NAHI(N) SAKTA

LAACHAAR HAY(N) SAJJAD SE KYU(N) RUTH GAYI TUMBIMAAR GOHAR AAP KE DILWA NAHI(N) SAKTA

BEHNA INHI KAPRO ME TUMHE DAFN KARU(N)GAMAJBUR HU(N) NANNA SA KAFAN LAA NAHI(N) SAKTA

MEI(N) KAYSE KHABAR DU(N) TERE MARNEKI PIDAR KOWO AA NAHI(N) SAKTE MEI(N) WAHAA(N) JAA NAHI(N) SAKTA

ABBAS CHACHA AAWO SAKINA KO MANAAWOMEI(N) LEKE UNHE AAP KE PAAS AA NAHI(N) SAKTA

LAASHA MEI(N) AKELE HI UTHAAU(N)GA TUMHARAGHAIRO SE TERA LAASHA MEI(N) UTHWAA NAHI(N) SAKTA

TUM QABR ME AARAAM KARO BAALI SAKINAAB SAATH ME GHAR LEKE TUMHE JAA NAHI(N) SAKTA

MERI SAKINA IS TARHA NAA RONA

AAKHRI SALAM

MERI SAKINA IS TARHA NA RONA

TUM JAAWO KAHAA(N) ALLAH JAANE MAQTAL ME RAHE KIS HAAL MEI(N) HUMAB KHWAAB ME BAABA AAYENGECHAAHE SHAAM KA WOH ZINDAAN HOWE

HUM JAATE HAY(N) MILNE BAABA SE AB LOUT KE HUM KO AANAA NAHIKUCH DER LIPAT JAA SINE SE PHIR BAAP KA SINAA MILNAA NAHISO JANAA JAHAA(N) PHUPHIYAA(N) KEH DECHAHE SHAAM KA WOH ZINDAAN HOWE

JAANE DE MUJHE MAIDAA(N) KI TARAF DENAA YEH TUJHE KURBANI HAIRAHWAAR KE MERE PAAWO(N) NA PAR MERI BACHI TU SAYDANI HAIJEENA HAY TUJHE ZEHRA KI TARHACHAHE SHAAM KA WOH ZINDAAN HOWE

31

Page 38: Noor-e-Irfaan Volume 8

AA PO(N)CHLE AA(N)SU AANKHO(N) SE TU DEKHLE CHEHRA BAABA KAKAL HO SAKTAA HAI AA NAA SAKE PEHCHAN LE CHEHRA BAABA KAHUM SAATH TERAA NA CHORENGECHAHE SHAAM KA WOH ZINDAAN HOWE

ABBAS KA DIL AKBER KI BEHAN JIS WAQT BANDHE GARDAN ME RASANTUM BAABA BAABA MAT KEHNAA TARPEGA MERA BE GOR BADANASGHAR KI TARHA SE CHUP REHNACHAHE SHAAM KA WOH ZINDAAN HOWE

DEKHAA HAY “REHAN-O-SARWAR” NE KHUD SHAAM ME JAAKAR YE MANZARSAILAAB HAY PURSADARO(N) KA MASROOF-E-FUGHAAN TAA HADDE NAZARSAARA HAY ILAAQA BIBI KACHAHE SHAAM KA WOH ZINDAAN HOWE

SALAAM MAA KE MAZAAR

SALAAM NANA KE RAWZE SALAM MAA KE MAZAARCHALAA MEI(N) WAADA NIBHAANE - SALAAM MAA KE MAZAAR

MEI(N) TERA DEEN BACHA WOONGA AY MERE NANAMEI(N) APNA KHOON BAHAA WOONGA AY MERE NANAHUSAYN JAATA HAY MARNE SALAAM MAA KE MAZAAR

MERI SHARIKE SAFAR BANKE SAATH CHAL AMAASAFAR PE JAATA HU(N) KAPRE MERE BADAL AMAALIBAASE KHULD SAJAADE BADAN PE PHIR EK BAAR

DUA KARO KOI SAR BE RIDA NA HO AMAANAMAAZ-E-SHOUKE SHAHADAT KAZAA NA HO AMAANA AAYE MERE CHAMAN PE SITAM KI GARDO GUBAAR

DIYE JALAANE KO NANA TUMHARE RAWZE PARZUROOR AYEGI SUGHRA HAR EK SHAM-O-SAHARKHUDA KARE RAHE ROSHAN SADAA TUMHARA MAZAAR

TUMHARE JAYSAA HAY NANA YE MERA LAAL AKBERDUA KARO NA LAGE ISKO ASMAAN KI NAZARLUTE NA DUUR WATAN SE HAMARE DIL KA QARAAR

TAMAM PHOOL SE BACHE HAY(N) AUR GARM HAWAAHAMARE KHOON KI PYAASI HAY FAWJE ZULMO JAFAASAFAR ME KOI SHAJAR BHI NAHI(N) HAY SAAYA ATAA

32

Page 39: Noor-e-Irfaan Volume 8

WAAPAS HUSAYN KARBOBALA SE

WAAPAS HUSAYN KARBOBALA SE NA AA SAKESAR KO KATAAKE DEENE NABI KA BACHAA SAKE

WO JAA(N)KANI WO LAB PE TABASSUM WO TISHNAGIASGHAR KI TARHA KAWN HAY JO TEER KHAA SAKE

WO HURMALA KE TIIR KI TEZI KE AL AMAANASGHAR KI TAABE ZABT KE PHIR MUSKURAA SAKE

AB TO HAYAAT MAWT SE ULJAN NAHI(N) RAHIASGHAR KO SHEH SUKU(N)SE LAHAD ME SULA SAKE

ASGHAR KI MAWT KI NA KHABAR HO RUBAAB KOKUCH DEIR MAA KHAYAAL ME JULA JULAA SAKE

ASGHAR KA HAAL PUCHA JO SHEH SE RUBAAB NETHI DAASTAA(N) TAWIL FAQAT SAR JHUKA SAKE

KARLO YE AAKHRI HAY ZIYARAT RASUL KISHAAYAD PALAT KE PHIR ALIAKBER NA AA SAKE

KAASID NA CHER BAAT BAHAN KE PAYAAM KIAKBER KAHAA(N) KE AB USE SUGHRA BULAA SAKE

AY DARDE DIL SAMBHAL KE JAWAANI KI MAWT HAYAY ZABT BAAP BETEKI MAYYAT UTHAA SAKE

KUCH MASLEHAT ZARUUR THI WARNA KHAYAAM TAKABBAS AUR FURAAT SE PAANI NA LAA SAKE

THI NEHR MAAKE MEHR ME PAR FATEMA KA LAALPYAASE SHAHEED HO GAYE PAANI NA PAA SAKE

TUKRE BIKHAR GAYE THE TANE PAASH PAASH KEQASIM KI LAASH IS LIYE GHAR ME NA LAA SAKE

ZAINAB NA ROI AUNO MUHAMMAD KI LAASH PARAYSI BAHAN KAHAA(N) JO BHARAA GHAR LUTAA SAKE

SAR NA(N)GE SHEHRE SHAAM ME HO SHAAHZAADIYAA(N)BE IZN JINKE GHAR ME FARISHTE NA AASAKE

KOI DAYAARE SHAAM ME DAR AASHNA NAHI(N)RUDAADE KARBALA JISE ABID SUNA SAKE

KUFEKA ZULM BARH GAYA ZINDAANE SHAAM SEITNA TO THA KE BINTE ALI SAR JHUKAA SAKE

33

Page 40: Noor-e-Irfaan Volume 8

AFSOS INQILAABE ZAMAANA KE “MIIRE” SHAAMZAINAB KO BE RIDA SARE MEHFIL BULAA SAKE

SHIMRE LAEE-NE PHERLI GARDAN PE YU(N) CHURISAJDESE SAR HUSAYN NA APNA UTHA SAKE

ZAINAB HAY SAFAR ME

HAAY KHAAK HAY SAR ME ZAINAB HAY SAFAR MEKAB HOGI RIHA QAID SE KAB JAAEGI GAR ME

BIKHRE HUWE BAALO(N) SE MU(N)H DHAAMPLO BIBIMAAHOL SHARAABI HAY TERI RAAH GUZAR ME

BE PARDA PHATE KAPRE AUR KAAN BHI ZAKHMIAABID NE UTAARA JO SAKINA KO QABAR ME

EK WAQT THA SHAHZAADI THI HAAY KUFE KI ZAINABKIS HAAL ME AAYI HAY BABA KE SHEHAR ME

TAARIKH TERI JUNG KO DOHRATI RAHEGIASGHER JO LARI TUNE NANNI SI UMAR ME

JIS PARDEKA ZAAMIN THA ABBAS DILAAWARHAY(N) ZAKHM USI PARDEKE AABID KE JIGAR ME

SHABBIR KE MAATAM SE AY ROKNE WAALOZAINAB KI YE SUNNAT HAY MOMIN KI NAZAR ME

ZAINAB LIPAT KE ROYI

ZAINAB LIPAT KE ROYI ABBAS KE NISHAA(N) SEAYSA GHAYUR BHAYAA LAAU(N)GI PHIR KAHAA(N) SE

EK BAAR TUM CHACHA JAA(N) KHAIMO ME LAUT AAWOSHIKWA NA PHIR SUNOGE PAANI KA IS ZUBAA(N) SE

SHERE ALI KA LAASHA SHABBIR LEKE AAYEDHU(N)DHE(N)GI AB SAKINA BAAZU KAHAA(N) KAHAA(N) SE

BHULA NAHI(N) ZAMAANA TASH-HEERE BINTE ZEHRAGHAIRAT TAPAK RAHI THI ABBAS KI NISHAA(N) SE

QAMARE ALI KA LAASHA USS WAQT TARAP GAYAA THA BAA(N)DHA JO ZAALIMO(N) NE ZAINAB KI RISMAA(N) SE

34

Page 41: Noor-e-Irfaan Volume 8

SHAMMA SE SHAMA JALESHAMMA SE SHAMMA JALE SILSILA JAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N) APNI NASLO(N) KO SIKHAATE RAHO MAATAM KA HUNARSEENA DAR SEENA KARE BAS YEH AZADAARI SAFARJAISE HAALAAT BHI HO YEH AMAL JAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N)

LAAKH BADLE YEH ZAMAANE KI RAVISH AUR MAUSAMEL PAL BHI NA RUKE ASHQ E AZA AUR MATAMMATAM E SHEH KA JUNOO(N) ZAHN PAR TAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N) TUM AGAR ZAAKIR E SHABBIR HO YEH YAAD RAHE(N)CHAHE IS GAM KE LIYE SAR BHI KATE GHAR BHI JALEHURMAT E FARSH E AZA, JAAN SE PYARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N)

YEH SABILE YUHI(N) AABAD RAHE(N) EHLE AZAAUR GHAR GHAR PE NAZAR AAYE ALAM GHAAZI KAYEH ALAM UNCHA RAHE(N) YEH ALAMDAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N) DUNIYA WAALO(N) KI NA PARVAAH NA KUCH BAAT KAROMANNATI BEDIAA(N) SAJJAD KE GAM ME PEHNORAUNAQE FARSH E AZA GIRIA O ZAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N) MAA(N)O BEHNO(N) KO HAI PAIGHAM MERA SIRF YAHIAPNE BACCHO(N) KO JULUSO(N) SE NAHI(N) ROKO KABHIYEH SHAHADAT HAI SHARAF YEH SHARAF JAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N) APNE GHAR ME BHI AZAA KHANA SAJAANA HAI MUJHEAPNE BACCHO(N) KO AZAADAAR BANAANA HAI MUJHETAA KE IS NASL ME BHI, TAAZIA DAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N) MAJLIS E SHAH KI ZINDA(N) ME JO BUNIYAAD RAKHIASL ME BIBI O SAJJAD KI KHWAAHISH THI YAHIYEH AZADAAR RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N)

MAJLIS O MATAM E SHABBIR KI TABLEEGH KAROBAAT YEH “MAZHAR” O “IRFAN” ZAMAANE SE KAHOMUNKIR E BIBI SE HAR HAAL ME BEZAARI RAHE(N)HUM RAHE(N) YA NA RAHE(N) YEH AZADAARI RAHE(N)

35

Page 42: Noor-e-Irfaan Volume 8
Page 43: Noor-e-Irfaan Volume 8