7 best fruits
TRANSCRIPT
-
Kuch khas phal aur unki khas khoobiyan 1. Guava Benefits In Hindi
Jin logon ko garmiyon mein naksir ka arza ho ya woh aurtain jin ko haiz ki
baqaidagi ki shikayat ho in ko chahiye kay woh guava ka istemal zarur kiya karain
kiyunkay in har do amraz mein yeh na sirf lajawab ghiza hai balkay dawaee kay tor
par bhi apnay maqam mein sani nahin rakhta aur shandar fawaid samnay atay hain.
Bawasir khooni mein bhi yeh aksir ka darja rakhta hai is say masson ki jalan bhi
jati rehti hai bawasir mein qabz k odor karna zaroori hota hai aur qabz door karnay
ki salahiyat amrood mein bohot ziyadah paee jati hai.
Aik mashoor aam phal hai jo aksar khaya jata hai do qisam ka hota hai aik ander
say safaid doosra surkh surkh guava ziyadah acha hota hai kachay guava ka salan
banatay hain pakkay amrood ka dahi mein raita laziz hota hai is darakht ki chal
mein 25 fisad tank acid paya jata hai baz musanifin nay amrod ka arabi nam kasari
likha hai halankay kamsari arabi zaban mein nashpati ka nam hai.
Rang kham sabz pukhta zard safaidi mail khushbudar zaiqa kacha phal kasila
magar pukhta shirin o khat mitha o khush zaiqa mizaj sard o tar pehlay darjay mein
mail ba hararatmiqdar khurak baqadare hazam.
Maqame paidaish Hindustan o pakistan ilah bad ka guava mashoor hota hai maslah
sonth mirach siya namak taham afal o istemal mafrah muqawi hai kacha qabiz hai
laikin pukhta phal bad az tam milain hai quwate hazima ko taqwiyat daita hai dil
aur maday ko taqat o farhat bakhshta hai khanaq door karta hai malikholia zukam
bawasir qabz kay marizon ko nafah bhook barhata hai isay bachon kay kharoojjul
maqad mein maqami tor par istemal kartay hain.
Is kay patton ki rakh jali hai is kay phulon ka lap ankh kay waram ko tehlil karta
hai beej pait kay kiron kay qatil hain is kay pattay daston kay liye mufid hain
kasrat istemal say nafah o qaraqar paida karta hai mojudah sciencedanon ki
tehqiqat ki ru say is mein vitamin A aur C kay alawah calcium loha aur phasphoras
mojud hain.
Motadil aur tar isay thora say namak aur kali mirach laga kar khana mufid hai aur
roti khanay say pehlay hi isay khana chahiye kiyunkay roti kay bad khanay say
qabz karta hai amrod kay beej bilkul hazam nahin hotay isi wastay khatay waqt
-
jitney nikal sakan behtar hain yeh mewa farhat bakhsh taqat aur piyar ko
mitanaywala hai dil o dimagh aur maday ko taqat daita hai.
2. Banana
Vitamin kay lehaz say banana mufid tarin phalon mein say aik hai kiyunkay is
mein vitamin A B aur C hotay hain dafah skardi paishab awar muqavi bah aur
milain hota hai ishal aur paichish kay liye pukhta banana imli kay guday aur shaker
kay sath khilaya jata hai kharash halaq, khushk khansi aur kharash masanay kay
liye banana bohot mufid hota hai.
Banana ka ata ishal paichish, badhazmi aur turshi madah diya jata hai.kacha
banana diabetes mein bakasrat istemal hota hai kaylay kay khushk patay lain aur
inhain jalalain in mein zara sa namak shamil karlain do masha ki miqdar mein
subha sham khain balghami khansi ka nishan na rahay ga.
Banana kay phal aur darakht kay tamam hissay insani sahet kay liye mufid hain
leucorrhoea mein kacha banana aur kachi gular may chilka kay safoof banalain is
safoof ko aik tola subha o sham istemal karnay say sailane-reham ko faida hota hai
sirf bananay ki kachi phalli khana bhi mufid hai naksir mein nak say khoon anay
par pakki huee phalli ko shaker milay doodh kay sath khanay say faida hota hai
dard dil mein do adad pakka banana aur aik tola shahad mila kar khana bay had
mufid hai.
Amraze Aant (Intestine) Aant kay amraz maslan dast, paichish singerhani mein sahi kay sath banana mila
kar khanay say faida hota hai dahi kay sath thori zafran bhi shamil karlaini chahiye
dahi thori aur banana ziyadah hona chahiye.
SOZAK: sozak kay liye bananay ka phool bay had mufid hai phool ko sukha kar
safoof banalain aik tola bananay kay phool ka safoof aik tola qalmi shorah aur do
sair pani lay kar sab ko aik koray gharay mein bhardain doosray din subha do sain
doodh bhi mila dain aur aik aik glass mariz ko pilana shurooh karain is roz mariz
koee cheez na khai doosray roz sirf doodh piye zaroor faida hota.
Banjh Pan Banana kay upper ki banjh phaliya jo aksar girjati hain 5-7 adad lay kar sholangi
kay 5-7 sat bijon kay sath haiz kay tisray din banjh aurat ko khilanay asy aik ya do
mahina is ka banjh pan jata raheyga jab tak matlab hal na ho har mahinay mein
char panch toz tak isay khilana chahiye.
Sailanur Reham Khand, gaey ka ghee aur kela tinon aik aik pao lay kar baham hal karain is mein
dar chini, dairh tola lodh aik tola dhak kay phool bari ilaichi, her aik chay masha
-
sonth 8 masha mazophal 3 masha khoob barik pec kar shamil karlain isay do tola
subha aur do tola sham khanay say marz sailane reham ko bohot faida hota hai.
Mun Kay Chalay Zaban mein chalay parjain to pakka banana gaey ka doodh ki dahi kay sath
alasubha khana chahiye bay had mufid hai,
Bar Bar Paishab
Bar bar paishab aanay say
pakka banana aur amla ka araq do guni shaker mila kar khanay say faida hota hai.
Jariyan Jariyan aur sailane reham mein paka huwa aik banana chay masha ghee kay sat ath
roz tak khana chahiye
Qabz Qabz honay par kacha kela ubal kar khaye az had mufid hai.
3. Apples Benefits In Hindi
Phalon mein Apple ko sab say ziyadah sehat o tawanaee bukhsh aur laziz tarin hal
qarar diya gaya hai sab aik khush zaiqa khush rang aur khush shakal phal hai is ki
bay shumar aqsam hain sab mein nisf hissa thos hota hai aur is mein ziyadah
protein aur khand hota hai Apple apni ghizayat kay lehaz say sab say maqbool hai
bachay burhay nojawan bimar aur tandrust sab kay hi raghbat say khatay hain.
Apple masy mein pohonch kar pespain ko tez karta hai jis say hazma mein madad
milti hai bhook khoob lagti hai jigar ka fail bhi tez hojata hai Apple khanay say
jism mein chusti aur salahiyat amal barhti hai sab phasphoras ka qudrati khazana
hai is liye kami khoon kay marizon kay liye to sab say umdah nemat hai.
Tazah Apple mein 84 fisad pani hota hai Apple mein faris salay phalon aur
sabziyon mein say ziyadah hota hai aur chilkon mein hayatin vitamin C bhi bohot
ziyadah paya jata hai is lehaz say Apple ka chilka zaya nahin karna chahiye.
Gurdon ko saf karnay mein bhi Apple kay faiday musallim hain dimaghi kam
karnaywalon kay liye moasar ghizaee tonic h ai kiyunkay is say quwate hafiza
barhti hai is liye tulaba aur dimaghi kam karnewalon kay lajawab tohfa hai.
Apple kay chilkay say nihayat khush zaiqa chair tayar hoti hai jo aam istemal
honewali chair,coffee,qehwa ki terha nuqsan deh nahin bulkay quwat bakhsh hai
agar is mein limon ka ras aur shahad ka izafa karliya jai to is kay fawaid dugnay
hojatay hain.
-
Apple ka qadre tukra lay kar chaqu say cheel kar nakhda karkay dukhti huee ankh
par rakh kar upper say malmal ki saf p atti bandh diya karain aram hoga sar dard
Apple aik ya do adad la kar chaqu say cheel lijiye phir namal laga kar nihar mun
khoob chaba kar khalijey tin char roz kay istemal say shaded dard ko aram
hojaiga.
Safe dimagh aaj kal zafe dimagh kay mariz bohot pai jatay hain bulkay yun kehna
chahiye kay jitna nazla o zukam daimi kay mariz nazar atay hain in mein issi fisad
mariz dar asal zafe dimagh kay mariz hain aisay marizon ko waqay nazla adwiyat
say faida is liye nahin hota kay dar asal in ki bimari zafe dimagh hoti hai aur
tawaqtay kay dimagh ko taqwiyat pohoncha kar mazboot banaya jai inhain shafi
hona mahal hai chunanchay yehan aik aisa ghizaee nuskha paish kiya jata hai jo
kay dimagh ko mazboot bananay kay liye aik musalima amar hai.
Khana khanay say das minute paishtar aik ya do Apple nihayat ala darjay kay lay
kar chilkay baghair nosh farmaliya karian chand roz mein zafe dimagh ki shikayat
door hojaigi.
Aik pukhta Apple koot lijey phir saf rumal say pani nichor lijay qadre misri mila
kar subha sawairay pilaya jai chand roz kay ander khansi bhag jaigi.
Kachay Apple ka pani nichor kar qadre namak mila kar pilain foran qay band hojai
gi pait kay kiron kay liye rat ko sotay waqt aik do Apple khiladiya karain is kay
bad pani hargiz na piya jai sat roz aisa karnay say tamam karam halak ho jaingay
aur pakhana ki rah nikal jaingi.
Apple ka raq baqadare tin tolay aik pao sadah pani mein mila kar pilanay say
ziyadti piyas door hojati hai rozana nihar mun tin char Apple kha kar u pper say
doodh piya jai to who aik mahinon hi mein sehat qabile rashk ban jati hai jild ka
rang nikhar ata hai chehray par surkhi ki lehar ajati hai azai raeesa ki tamam
kamzoriyan door hokar in mein aik nai zindagi ki rooh sarayat karnay lagti hai.
Mukhtasir alfaz mein yun kehna chahiye kay is ghiza say who tamam fawaid hasil
hojatay hain jin ka zikar bari bari qimati dawaon kay ishteharon mein to paya jata
hai magar jo dar asal kisi dawa ay hasil nahin hotay.
Yeh aik asan sa chutkala bah kay tez karnay mein nihayat hi lajawab sabit huwa
hai agar kafi arsay tak is ka istemal jari rakha jai to kamzor kamzor admi ko bhi
pura jawab banadaita hai aik adad pukhta Apple lay kar chaqu say cheel kar shishi
mein rakhdain aur jis qadar bhi hosakay long chabudain haftay bhar bad log
mazkurah nikal kar shishi mein rakh chorain.
Rozana subha kay waqt char say chay log tak nosh farmaya karain phir daikhain
-
kay kis qadar quwat paida hoti hai Apple kay chilkay say nihayat laziz aur
khushbu dar chai qahwa aur kafi ki terha muzrat rasan honay kay bajai hade darja
farhat bakhsh paee gaee hai.
Khususiyat say burhon aur kamzoron kay liye is ka asar bohot qawi taslin kiya
gaya hai is mein agar hasbe zaroorat aur hasbe zaiqa limon ka ras aur shahad
milaya jai to sehat bakhsh asdar mein tin guna izafa hojata hai pas yeh chai
paichish aur bukhar mohriqa ki kamzoriyon ko door karnay kay liye mashoor aam
muqawi mashroob ovaltin ka kam daiti hai.
Muraba Apple motay Apple lay kar in kay ander say beej nikal dain aur chaqu say
cheel kar pani mein halka josh dain nim pukhta honay par chini ki chashti dal kar
thori dair aag par rehnay dain qiwam aknay par utar kar mehfooz karlain aur
bawaqt subha bator nashta Apple waraq naqrah mein lapait kar istemal karna
muqawi qalb aur muqawi dimagh hai.
Apple ka sharbat banana ho to Apple shirin ka pani panch sair aik qalaee dar
daikchi mein dal kar josh dain jab adha reh jai to aik sair misri milain qiwam
paknay par sard karkay mehfooz rakhain do say char tolay tak bad raqa dil o
dimagh aur maday ko quwat bakhashta hai qay aur matli rokta hai safravi daston
ko band karta hai aur piyar ko taskin daita hai tazah Apple kay ras mein qadre
siyah mirach zera aur namak mila kar piyan is say bhook mein izafa hoga ghiza
juzo badan bannay mein madad milay gi. Aur maday taqatwar hoga.
4. Grapes In Hindi
Grapes ki bail hoti hai is ka shumar zayana qadim hi say ghizayat say bhar pur ala
qisam kay phalon mein hota hai.
Grapes ki bail tin char sal bad phal daina shurooh kardaiti hai Grapes jasamat rang
aur mazay kay lehaz say mukhtalif sisam kay hotay hain maslan kala
Grapes,sundar khani Grapes,lamba Grapes,gol Grapes,mota dana dar,algharaz is ki
kaee qismain hain baz Grapes surkh,baz siyah aur safaidi mail hotay hain.
Mashor mewa hai chotay Grapes ko jis mein dana nahin hota Grapes ya badana
kehtay hain yehi jab khushk hojata hai to is ko kishmish kehtay hain.rang zard aur
siyah do qisam ka hota hai
Zaiqa,shirin,chashti dar ,kham tursh,mizaj pukhta garam tar darja 1 kham sard o
khushk darja 1 miqdar khurak baqadare hazam,maqame paidaish ilaqa srhad
baluchistan,Kashmir,qandhar,Afghanistan,maslah tukham karafs,badiyan zood
hazam aur kasirul ghiza hai khoon bakasrat paida karta hai.
Badan ko farba karta hai musafi khoon bhi hai sodadi aur ikhterani mawad ko
-
rafah karta hai pukhta Grapes mein hota hai aur bakasrat khanay say ishal anay
lagtay hain laikin Grapes kham qabiz hota hai aur marz ishal mein mufid hai dara
kusha aasu aur malleham Grapesi is kay mashhor murakabat hain. Kimiyaee
tajziya say is mein carbohydrate 16.7 fisad protein 18 fisad kay alawah vitamin A
80 fisad international unit vitamin C char mili gram fi so gram calcium 19 mili
gram aur iron 3 mili gram fi so gramon mein paey gaey hain.
Garam qabz kusha hai bohot taqat bukhsh hai dil o dimagh ,madah,phaipra aur
antariyon ko taqat daita hai safaid Grapes lal kalay angoot ki nisbat behtar hai.
Dil ko khush karnay wala,khoon bohot paida karnaywala balgham kay sinay kay
jumla amraz,tapediq,zukam,nazla,khansi kay liya bohot mufid hai jaldi hazam
hojata hai jo mariz bohot kamzor hogaya hu usay Grapes ka tazah ras ya josh day
kar garha kia huwa glucose pani doodh mein ghol kar daitay hain.
Yeh taqat bukhsh aur jaldi hazam karnewala hai pani mein gholnay say glucoseah
ki tasir sard hojati hai.
Qudrat nay Grapes mein kaee bimariyon ko door karnay ki ajeeb tasir bhar di hai.
Kan say peep kharij hoti ho to tursh Grapes kay ras ko aag par rakh kar paka lijay
jab qiwam qadray garaha hojai to kisi choray mun ki shishi mein mehfooz rakh
lijay bawaqt zaroorat dugnay shehad mein hal karlain.
Khoon bananay mein Grapes ka muqabila injeer kay siwa koee dawa aur ghiza
nahin karti pakkay huway Grapes jisam ko ghizayat faraham kartay hain jis say
jisam ko taqwiyat hasil hoti hai aur bimari kay khlaf quwate mudafiyat barhti hai
aisay log jin ko gurdon ka arza h o ya pathri ki wajah say paishab ruk ka rata ho
Grapes bator daw istemal karna chahiye kiyunkay yeh paishab awr hai aur gurdon
say rait kay zarray nikal daita hai.
Grapes ka mizaj garam tar hai aur is mein Grapesi shaker calcium hayatin aur
madani namkiyat ki kasir miqdar paee jati hai tazah Grapes kay alawah khushk bhi
bohot faida daita hai manqi jis ko mutadid imraz mein bator dawa istemal kiya jata
hai yah daimi qabz aur joron kay imraz ko faida pohonchata hai.
Bay dana Grapes jab bail par pak kar sookh jata hai to isay kish mish ka nam diya
jata hai bara Grapes jodanadar Grapes bhi kehlata h ai aur bail par hi pak kar
khushk hojata hai isay munaqa ka nam diya jata hai daimi qabz ho to 24 ghantay
pani mein bhigo kar subha nihar mun pani pi liya jai aur munaqqa khaliya jai to
qabz jati rehti hai.
Kish mish sabz 2 tolay aur maghaz badam shirin 12 adad rat pani mein bhigo kar
subha nihar mun badam cheel kar doodh kay sath istemal karnay say na sirf laghari
khatam hoti balkay jisam farba hojaiga husn o tandrusti bahal hoti jism tawana
-
hoga bhook barh jaigi is amal par do tin mah tak musalsal kar band rehan chahiye.
Mirgi kay marizon kay liye Grapes bohot faida mand hai Grapes ka ras nikal kar
aisay marizon ko tin mardaba din mein panch panch tola pilanay say mirgi kay
marz mein aram ata hai aisay doodh pinaywalay bachay jodant nikal rahay ho ya
jin ki maon kay doodh mein kami ho ya har ka doodh istemal karaya jata ho ya
sheer khowargi kay deegar imraz shidate piyas waghairah mein Grapes ka ras
shahad khalis 1/3 chamchi mein mila kar istemal karana chahiye.
Bal jhar bani gang kay liye kish mish umdah aik hiss aur ailwa nisf hissay lay kar
kharak mein dal kar khoob pice lain aur pani mila kar lap taya karain chand roz
yehi lap laganay say gang ki bimari door hokar nihayat umdah bal paida hojain
gay.
Maghaz badam aik tola,safoof halgi aik tola,munaqa jis mein say beej nikal liye
gaey hon aik tola, sab kop ice kar chanay kay barabar goliyan banain aur aik aik
goli mun mein rakh kar chustay rahain khansi ka foran hojaigi do tin din chustay
rahain tursh Grapes ka pani nikal kar dropper waghairah say do do boond khati
huee ankhon mein dalain aram hojaiga.
Ankh mein Grapes ka ras nikal kar is ko nak mein khinchwain to naksir foran badn
hojaigi inehdam nihani say safaid ratubat behti rehti ho hazima bigar gaya ho
chehrah beyronaq ho raha ho pait phool gaya ho qabz aur sar dard ki shikayat rehti
ho to Grapes ka ras aik chamcha subha o sham istemal karnay say faida hota hai
hamla aurat ko agar roz bila nagha diya jai to isay ghashi,chakar dard dant,maror
,sozish aphara aur qabz waghairah ki shikayat na hogi pait ka bacha bhi tandrust
aur mazboot hoga.
Agar kisi mosm mein Grapes na milain to kish mish istemal karsaktay hain kish
mish angor ka sukha huwa phal hai.
Kish mish saf shuda 2 tola,zafran 4 rati rat ko matti kay piyalay mein aik pao pani
mein bhigokar piyalay par aik barik kapra bandh kar shabnam mein rakh diya jai
aur subha uth kar who kishmish kha kar upper say pani pi liya jai to dil ko taqat
hasil hoti hai muqawi dil hai.
Mirgi kay liye safoof aqar qarha bohot marik aik tola ko do tola munaqa mein say
beej nikal diye gaey ho kay sath ragar kar majoon banalijay.
Do masha rozana say shurooh karkay tin char masha rozana tak pohochain phir
qudrat ka ajuba daikhain koriyon kid aw jawahrat ka muqabila karti hai.
Marz khafqan kay liye kish mish sabz umdah adhi chatank lay kar kisi chini ki
plate mein dal kar araqe gulab do chantank mila kar rakh dijiye subha kay waqt
pehlay kish mish khila kar phir araqe gulab mein qadrey misri mila kar pilaye
-
mutawatir 21 roz kay istemal say yeh marz door hojaiga.
Munaqa pandrah dana (jis mein say beej nikal diye gaey hon) sirka Grapesi do tola
mein rat bhar bhigo rakhaiye subha qadre namak o kali mirach laga kar khilaye is
nuskhay kay chand roz istemal say yarqan say chutkara hasil hojaiga.
Mutawatir pandrah din mithi kish mish khanay say baqade chatank roz khatay
rahain kish ne milay to hasbe tabiyat aik ya adhi chantank munaqa beej nikal kar
khaliya karain purani qabz mein bhi faida hoga.
Grapes ki bail kay patty do tola ko pani mein pice kar chan lijay ab is mein lahori
namak mila kar pila dijay dard gurdah ka tarapta huwa mariz chain paiga.
Maghaz bdam char tola kish mish sabz das tola narjil sat tola chuharay bay dagh
ath adad sab ko kut kar mehfooz rakhain haiz kay dinon mein panch tola roz
garam doodh sy khilatay rahain haiz khul kar jari hojaiga.
Bachon Ko Qabz Bachay ko kaisi hi qabz kiyon na ho aik chamcha ras dainay kay bad hi dast ajata
hai dant nikaltay waqt har roz subha o sham ras dainay kay bad bacha na ziyadah
rota h ai aur na usay dant nikalnay mein ziyadah taklif hoti hai is kay alawah
bachay ko sukhay ki bimari bhi nahin honay pati jin nannay bachon ko chakar aur
fit atay hain inhain Grapes ka ras din mein tin bar pilaya jai to yaqinan chand roz
mein fit anay ki bimari door hojati hai aur in ki sehat bohot achi hojati hai.
Madah ka bojhal rehan aphara h pan ya dakarain gases riyah ki taklif mein Grapes
ka ras din do tin bar istemal karna in marzon say nijat dilate hai aurton kay ayam
mein kami ki soorat mein ya khul kar na honay par Grapes ka ras aur sharbat
bazori mila kar dainay say shikayat rafah hojati hai.
5. Oranges Benefits In Hindi
Oranges aik mashoor phal hai is ko sangtarah bhi kehtay hain khandane mughliya
kay badshah nay is ka nam rangtarah rakha tha.
Orange aik ashoor phal hai rang surkh zardi mail zaiqa chashti dar shirin mizaj
sard tar badarja som maqame paidaish nagpur Hindustan junubi cheen waghairah
afal o istemal qateh safra mafrah aur maskan tashnagi hai hararat jismani ko faro
karta hai dil ko taqwiyat bakhashta hai.
Hawa ki sammit ko door karta hai is ka chilka jali honay kay bais ubtanon mein
shamil kartay hain chehraykay dagh o siyahi kodoor karta hai aur rang nikharta hai
safrawi marizon kay mawafiq hai.
Sard tar farhat bakhsh hai dil aur maday ko taqat daita hai garmi ko mitata hai
-
bukhar piyas bay cheni qay matli ko mitata hai sina ko saf karta hai taqat bakhsh
hai khoon kay josh ko thanda karta hai.
Doctari mein sab mewon say afzal mana gaya hai kiyunkay is mein vitamin bohot
ziyadah hai halwah waghairah bhari ghiza kay bad sangtarah istemal hazim hai
Nazul dimaghi agar nak ki rah kharij ho to zukam aur halaq mein giray to nazla
kehlata hai.
Khoob pakay huway sangtrah ka ras aik pao lay kar naram naram anch par rakhain
170 foreign hight tak garam karain ab 4 masha banafsha kay pattay dal kar foran
aag say nichay utarlain aur 5 minute tak bartan ka mun band rakhain phir chan kar
garam garam piladain din bhar mein jab bhi iyas lagay yehi amal dohratay rahain
khana bilkul na khain aik do rosz mein tabiyat sambhal jaigi.
Turshi, khansi kay liye muzir hai laikin sangtarah ki turshi khansi kay liye
bamanzila aksir kay hai.
Umdah aur sab say acha tariqa yeh hai kay khansi kay d oran mein pakay huway
sangtarah kay ras mein misri dal kar piya karain khansi door hojaigi.
Agar aap mehsoos kartay hain kay bhook bohot kam lagti hai khaya piya jaldi
hazam nahin hota khana khanay kay bad fitri lazzat say mehroom rehtay hain to is
chutkala say kam lay kar apni bhook durust karain.
Sangtarah ki qashain lay kar in par sonth ka safoof aur kala namak chirkain aur
khain to is chutkala say kam la kar aap ki bhook pehlay ki nisbat barh jai gi aik
haftay tak khain.
Narangi ki qash ka chilka utar kar saya mein sukhalain isay pice aur chan kar pani
kay hamrah khilain aik do bar kay istemal say dard rehi bhag jai ga.
Typhoid kay mariz kay liye aisi ghiza ki zaroorat hoti hai jis mein protein ki
miqdar barai nam ho kiyunkay mariz ki quwate hazma kamzor hoti hai mariz ko
aisi ghiza milni chahiye jo maday par mutlaq bojh na dalay aur foran na sirf hazam
hojai balkay jazo badan bhi ban jai is shart par sirf sangtarah ka ras hi pura utar
sakta hai.
Rozana pao dairh pao sangtarah ka ras jahan mariz ko ziyadah kamzor nahin honay
daita wahan barhti huee piyas bhi bujhata hai.
Alawah azin jisam say zehrilay mawad ko kharij bhi karta hai agar mariz ko jo ka
daliya daina ho to is mein bhi sangtarah ka ras shamil karlaina chahiye.
Oranges ka ras aik sair misri aik sair araq baid mushk air pao araq kyora aik pao pani mein mila kar istemal karain garmi ki tezi ko door kartaha taskin piyas hai
mafrah aur muqawi dil hai
-
Mafrah nosh aab tazah sangtarah aik adad khand hasbe zaroorat khanewala soda
aik masha.
Tarkeeb: aik glass pani mein hasbe zaroorat mitha ya koee sharbat milalain aur aik
masha soda ba ka rab is mein khoob hal karlain ab aik adad tazah sangtarah ras say
bhara huwa lay kar is ka chilka door kardain is chilkay ko daba kar do char boond
is ka ras sharbat kay glass mein dakhil Karin.
Khayal rakhain kay bohot ziyadah dalnay ki koshish na karain warna bad zaiqa
hojaiga phir qash sangtarah ko saf kapray mein rakh kar daba kar pahi hasil karain
Is pani ko sharbat bala mein dakhil karain foran josh paida hoga josh hotay hi glass
ko mun say laga kar nosh karain nihayat khhush zaiqa sahrbat hai
Fawaid: maday ki sozish aur hiddat ko foran taskin daita hai mosame garma mein
is ka istemal farhat bakhshta hai qabz kusha hai jigar kay suddon ko kholta hai
yarqan kay liye benazir dawa hai.
Garmi mein safar karnay kay bad istemal karnay say tabiyat mein khas qisam ki
farhat paita karta hai quwate hazma ko taqviyat daita hai bhook khoob lagata hai.
Tarkib: do boond subha do boond rat ko sotay waqt ankhon mein dalain.
Fawaid: kharish,shund,kakray door karnay mein lasani.
Ayyame hamal mein sangtaron ka ziyadah istemal khoob soorat aulad paida
karnay ka raz hai jis ka ji chahay azma kar daikhlay
Aam halat mein khasusan kamzor admiyon kay liye sangtray ka ras behtarin latif
ghiza hai hatta kay doodh jaisi latif ghiza kay muqablay mein yeh bohot hi latafat
rakhta hai.
Doodh ko hazam karnay mein madah ko kuch kam karna parta hai santaray ka ras
asani say jazb hokar badan kay takhziya mein sarf hota hai.
6. Olive Oile Benefits In Hindi
Sunnate nabawi mohd Mustafa kay tehat zaitoon ka istemal sehat kay liye bay had
mufid hai zaitoon ka shumar ghair mamooli khawas kay phal kay tor par kiya jai to
ghalat na hoga shayad yehi wajah hai kay baishtar khushk aur maidani ilaqon mein
is ka istemal kisi na kisi andaz mein zaroor kiya jata hai.
Bilkhusus barre saghir pak ho hind mein zaitoon kay istemal ki tarikh sadiyon
purani hai agar aik nazar is mein mojud kususiyat par dali jai to yun mehsoos hota
hai kay Allah tala nay duniya jahan ki tamam jismani bimariyon aur muzir asarat
say bachao ka nuskha aik hi phal mein jama kardiya hai aisay mein deegar nabatat
aur phalon kay fawaid o khususiyat kahin pichay rehtay mehsoos hotay hain
-
sunnate nabawi mohd Mustafa kay tehat zaitoon ka istemal sehat kay liye bayhad
mufid hai.
Tarikh kay oraq palatnay par pata chalta hai kay qadim unan aur misir mein
zaitoon ko araish husn kay liye buniyadi juz kay tor par istemal mein laya jata tha
is sadi mein honewali tehqiq mein is kay mazid khowas ka ilm samnay aya aaj tib
ki duniya mein zaitoon kay hairat angez fawaid manzare aam par arahay hain jis
say is phal ki ahmiyat o zaroort har shay say barhti huee mehsoos hoti hai.
Zaitoon Benefit for Skin and Beauty
Zaitoon ko na sirf sehat kay liye intehae mufid shay qarar diya jata hai balkay jild
aur araishe husn kay liye is ka istemal arsa daraz say mukhtalif ilaqon aur khitton
mein maqbool hai hazaron sal guzarjanay kay bad aaj bhi mukhtalif banul aqwami
adaray jild (skin) ki hifazaat kay liye tibbi nuskhon aur araishe husn ki ashia ki
tayari mein isi ks istemal kar rahe hain.
Asan alfaz mein isay sehat aur zaibaish husn kay liye who moasar phal aur nabatati
nuskha qarar diya jata hai jo saheh memon mein hamaray liye mufid aur sood
mand sabit hota hai is ka istemal khanon (food) mein bator khas kiya jata hai
bilkhusus khushak ilaqon mein bay had marghoob ghiza hai taham har ilaqay
mein zaitoon kay istemalat bhi judagana hain jo aab o hawa aur mahol kay tanasub
say badaltay rehtay hain.
Zaitoon: Sehat Kay Liye Ghair Mamooli Ghiza
Jahan tak taluq sehat kay liye is ki ifadiyat ka hai to bat ab mutafiqa tor par mani
jati hai kay dil kay amraz par qabu panay kay liye is say ziyadah faida mand phao
koee aur nahin hai tahqiq say yeh bat samnay aaee hai kay unan mein dil kay
marizon ki tadad mein hairat angez kami ki wajah yeh zaitoon hi hai.
Jis ka istemal wahan har ghar mein aam hai isi terha koh akat ki qom bhi rozana ki
khurak mein zaiton kay tail ko shamil rakhti thi aik aam andazay kay mutabiq is
qom ka aik aam admi 30 kilo zaiton ka tail aik sam mein istemal karta tha 30 sala
tibi tehqiq kay mutabiq zaitoon apni ghair mamooli khususiyat kay bais who wahid
phal hai. Jo zindagi bachanay kay liye istemal mein laya jata hai.
Zaitoon mein shamil vitamin K aur E na sirf jisam mein madafati madar banatay
hain balkay jigar kay afal ki durustagi mein bhi intehae moawin rehtay hain yeh
maday kay liye bhi bay had mufid hai aur tezabiyat aur ulcer say bachao mein
madad gar sabit hota hai is mein shamil ajza har umar mein faida mand sabit hotay
hain is kay khanay kay liye umar ki qaid nahin bachay say lay kar burhay afrad tak
sab hi isay apni ghiza mein zaitoon ko shamil karsaktay hain hadiyon kay imraz ka
ilaj bhi zaitoon kay zariye mumkin hai sath hi isay jisam kay asab aur dimagh kay
-
liye faida mand qarar diya jata hai is kay alawah jisam ki sujan say bachao kay liye
hifazat bhi karta hai.
Sunnate nabawi mohd Mustafa kay tehat zaitoon ka istemal sehat kay liye bay had
mufid hai zaitoon ka shumar ghair mamooli khawas kay phal kay tor par kiya jai to
ghalat na hoga shayad yehi wajah hai kay baishtar khushk aur maidani ilaqon mein
is ka istemal kisi na kisi andaz mein zaroor kiya jata hai.
Bilkhusus barre saghir pak ho hind mein zaitoon kay istemal ki tarikh sadiyon
purani hai agar aik nazar is mein mojud kususiyat par dali jai to yun mehsoos hota
hai kay Allah tala nay duniya jahan ki tamam jismani bimariyon aur muzir asarat
say bachao ka nuskha aik hi phal mein jama kardiya hai aisay mein deegar nabatat
aur phalon kay fawaid o khususiyat kahin pichay rehtay mehsoos hotay hain
sunnate nabawi mohd Mustafa kay tehat zaitoon ka istemal sehat kay liye bay had
mufid hai.
Tarikh kay oraq palatnay par pata chalta hai kay qadim unan aur misir mein
zaitoon ko araish husn kay liye buniyadi juz kay tor par istemal mein laya jata tha
is sadi mein honewali tehqiq mein is kay mazid khowas ka ilm samnay aya aaj tib
ki duniya mein zaitoon kay hairat angez fawaid manzare aam par arahay hain jis
say is phal ki ahmiyat o zaroort har shay say barhti huee mehsoos hoti hai.
Zaitoon Benefit for Skin and Beauty
Zaitoon ko na sirf sehat kay liye intehae mufid shay qarar diya jata hai balkay jild
aur araishe husn kay liye is ka istemal arsa daraz say mukhtalif ilaqon aur khitton
mein maqbool hai hazaron sal guzarjanay kay bad aaj bhi mukhtalif banul aqwami
adaray jild (skin) ki hifazaat kay liye tibbi nuskhon aur araishe husn ki ashia ki
tayari mein isi ks istemal kar rahe hain.
Asan alfaz mein isay sehat aur zaibaish husn kay liye who moasar phal aur nabatati
nuskha qarar diya jata hai jo saheh memon mein hamaray liye mufid aur sood
mand sabit hota hai is ka istemal khanon (food) mein bator khas kiya jata hai
bilkhusus khushak ilaqon mein bay had marghoob ghiza hai taham har ilaqay
mein zaitoon kay istemalat bhi judagana hain jo aab o hawa aur mahol kay tanasub
say badaltay rehtay hain.
Zaitoon: Sehat Kay Liye Ghair Mamooli Ghiza
Jahan tak taluq sehat kay liye is ki ifadiyat ka hai to bat ab mutafiqa tor par mani
jati hai kay dil kay amraz par qabu panay kay liye is say ziyadah faida mand phao
koee aur nahin hai tahqiq say yeh bat samnay aaee hai kay unan mein dil kay
marizon ki tadad mein hairat angez kami ki wajah yeh zaitoon hi hai.
Jis ka istemal wahan har ghar mein aam hai isi terha koh akat ki qom bhi rozana ki
khurak mein zaiton kay tail ko shamil rakhti thi aik aam andazay kay mutabiq is
-
qom ka aik aam admi 30 kilo zaiton ka tail aik sam mein istemal karta tha 30 sala
tibi tehqiq kay mutabiq zaitoon apni ghair mamooli khususiyat kay bais who wahid
phal hai. Jo zindagi bachanay kay liye istemal mein laya jata hai.
Zaitoon mein shamil vitamin K aur E na sirf jisam mein madafati madar banatay
hain balkay jigar kay afal ki durustagi mein bhi intehae moawin rehtay hain yeh
maday kay liye bhi bay had mufid hai aur tezabiyat aur ulcer say bachao mein
madad gar sabit hota hai is mein shamil ajza har umar mein faida mand sabit hotay
hain is kay khanay kay liye umar ki qaid nahin bachay say lay kar burhay afrad tak
sab hi isay apni ghiza mein zaitoon ko shamil karsaktay hain hadiyon kay imraz ka
ilaj bhi zaitoon kay zariye mumkin hai sath hi isay jisam kay asab aur dimagh kay
liye faida mand qarar diya jata hai is kay alawah jisam ki sujan say bachao kay liye
hifazat bhi karta h ai.
Zaitoon Oil For Skin Care Skin kay masnuat ka aham juz hai jo zaitoon sy hasil shudah hydro carbon ki
madad say tayar kijati hai 50 ki dahaee aaj zaitoon kay zariye hi is ki tayari
mumkin hosaki hai is say pehlai yeh well aur shark machili kay jigar say hasil
shudah ratubat say tayar ki jati thi taham ab zaitoon bhi is ki tayari ka aham aur
buniyadi zariya hai.
Isi wajah say duniya kay taqriban tamam mumalik bilkhusus maghrib mein zaitoon
ka istemal khususi tor par kiya jata hai skalain jil ki qudrati hifazat karnay kay
alawah is mein oxygen ki amad o raft ko mumkin banati hain sath him mukhtalif
beruni asarat say mehfooz rakhnay ka fariza bhi sar anjam daiti hain maslan
cleansing cream cleansin milk base lip stick moisturizer anti rinkal cream aur balon
ki khoobsoorti kay liye khususi masnuat isi skalain say tayar kiya jatay hain aisay
mein zaitoon ki tijarti ahmiyat ka andazah lagana qatan dush war nahin hai.
Qadim zamanay mein zaitoon ko khalis aur ghair khalis donon surton mein istemal
mein laya jata tha isay mukhtalif phalon phulon jari butiyon kay sath mila kar skin
and hair (jild aur balon) kay liye mufid qarar diya jata hai aap ko yeh jan kar
hairat hoti kay warzish karnay walay afrad isay skin par istemal kartay hain.
Takay in kay masamat khul jain yeh sooraj ki shoaon say bachanay kay sath sath
hasas jild kay liye intehaee mufid hai balon, honton, hathon, pairon, nakhunon,
gharz yeh kay jisam ka har hissay kay afal ki durustagi kay liye zaitoon kay tail
say behtar nuskha koee aur nahin.
Isay khoob surti ko ujagar karnay kay liye kis terha istemal mein laya jasakta hai
zail mein is kay liya chand tajawiz hain jo yaqinan aap kay liye kar amad sabit
hongi.
-
Do piyali brown sugar mein aik piyali zaitoon ka tail mila kar aik botal mein rakh
lijay agar nahanay say adhay ghantay pehlay isay jisam par lagaya jai to jild ki
rangat mazid nikhar jati hai
Ungliyon kay poron ko agar zaitoon ke tel mein rozana daboya jai to takhun
tootnay say mehfooz rehta hain. Chai kay 3 chamchay zaitoon ka tail agar nahanay
kay pani mein shamil kardiya jai to skin mazid khoob surat nazar ati hai. Khushki
say khatmay kay liye agar sar par zaitoon kay tail ka masaj kiye jai to yaqini
ifaqa mumkin hai.
Zaitoon Oil For Hair: Balon ko chamakdar bananay aur do mun honey say
bachanay kay liye khushk balon par thora sa zaitoon ka tail laga kar garam toliye
mein lapait dijiye 15 minute bad balon ko shampoo say dho lijiye.
Qadim zamanay mein zaitoon ko khalis aur ghair khalis donon surton mein istemal
mein laya jata tha isay mukhtalif phalon phulon jari butiyon kay sath mila kar skin
and hair (jild aur balon) kay liye mufid qarar diya jata hai aap ko yeh jan kar
hairat hoti kay warzish karnay walay afrad isay skin par istemal kartay hain.
Takay in kay masamat khul jain yeh sooraj ki shoaon say bachanay kay sath sath
hasas jild kay liye intehaee mufid hai balon, honton, hathon, pairon, nakhunon,
gharz yeh kay jisam ka har hissay kay afal ki durustagi kay liye zaitoon kay tail
say behtar nuskha koee aur nahin.
Isay khoob surti ko ujagar karnay kay liye kis terha istemal mein laya jasakta hai
zail mein is kay liya chand tajawiz hain jo yaqinan aap kay liye kar amad sabit
hongi.
Do piyali brown sugar mein aik piyali zaitoon ka tail mila kar aik botal mein rakh
lijay agar nahanay say adhay ghantay pehlay isay jisam par lagaya jai to jild ki
rangat mazid nikhar jati hai
Ungliyon kay poron ko agar zaitoon ke tel mein rozana daboya jai to takhun
tootnay say mehfooz rehta hain. Chai kay 3 chamchay zaitoon ka tail agar nahanay
kay pani mein shamil kardiya jai to skin mazid khoob surat nazar ati hai. Khushki
say khatmay kay liye agar sar par zaitoon kay tail ka masaj kiye jai to yaqini
ifaqa mumkin hai.
Zaitoon Oil For Hair: Balon ko chamakdar bananay aur do mun honey say
bachanay kay liye khushk balon par thora sa zaitoon ka tail laga kar garam toliye
mein lapait dijiye 15 minute bad balon ko shampoo say dho lijiye.
Chikni jild par 50 gram band gobhi kay patton ko zaitoon kay tail mein peec kar
chehray par lagain 15 minute bad nim garam pani say dholain jild ki ronaz bahal
hojaigi.
-
Rozana sonay say pehlay pairon par chai ka aik chamcha zaitoon ka tail chay ya
sat qatray loder kay tail kay sath lagahiye pairon par khushki ka nam o nishan
nahin rahey ga tail laganay kay bad jurabain zaroor pehan lain takay bed sheets
kharab nahon.
Zaitoon Oil For Face: Chahray (Face) ki jhuriyon kay khatmay kay liye choti
gajaron ko peec kar 5 qatray darjan olive oil kay sath ankhon kay kanaray par
lagahiye 15 minite bad thanday pani say dholijiye rozana yeh amal karnay say
jhuriyon ka khatima hojata hai taham chehray par say yeh ameza panch minute bad
hata daina behtar hai.
Dawaton mein janay say pehlay agar chai ka aik chamcha zaitoon oil piliya jai to
khana maday par bojh nahin banta.
Agar chai ka aik chamcha zaitoon ka tail rozana kafi mein mila kar piya jai to dil
sehat mand hota hai.
7. Coconut Benefits In Hindi
Nariyal khana kis ko pasand nahin hai aur is ka pani to pinay kay bad bara sakoon
milta hai nariyal bachon,baron sab mein maqboole aam hai is ka sukha hissa
khopra kehlata hai yeh khanon mein istemal hota hai is ka mitha pasand kiya jata
hai nariyal ki mithaee bachon mein maqbool aam hai yeh haderabadi khanon mein
khususi tor par istemal kiya jata hai aur is say khanay bohot mazedar hotay hain is
ki chatni bhi banti hai mawon kay sath hamaray shadi biyah mein istemal hota hai
laikin is kay alawah is kay bay shumar fawaid hain jo ham yahan bayan kar rahe
hain.
Aik Mufeed Tonic
Thakan aur dabao say bachnay kay liye kachay nariyal ka pani bohot mufid hai is
say jisam ko tawanaee bhi milti hai khoee huee tawanae ko bahal karnay kay liye
khopra aur doodh is istemal karain khali khopra khana bhi aap ki sehat kay liye
bohot acha hai is mein tawanaee ka khazana hota hai.
Mithi Neend Kay Liya
Naram nariyal ka Pani Sonay say pehlay pinay say aap aik pur sakon aur mithi
neend lay sakain gay.
Bachon Kay Pait Ka Kiron Say Bachao Aksar matti waghairah khanay say bachon kay maday mein kiray hojatay hain is
say bahao ka asan tariqa yeh hai ka naram nariyal ka guda is kay pani kay sath lain
-
is mein aik chamcha zaitoon ka tail mila kar dijiye 3 din kay baqaida istemal say
afaqa hoga.
Kharish Say Bachao Khujli ya kharish bohot ziaydah tank kar rahi ho to nariyal kay tail mein limon
kay qatray mila kar masaj karain nariyal kay tail mein kafoor mila kar laganay say
bhi ifaqa hota hai is kay alawah timator kay juice mein coconut oil mila kar
laganay say bhi kharish ya khujli say nijat mil sakti hai.
Jalnay Ki Taklif Aur Nishan Say Bachao Kay Liye Coconut oil mein basil juice mila kar jalay hissay pay maliye aram milay ga
nariyal ka tail laganay say jalnay kay nishan say chutkara mil jai ga.
Danfruff Aur Hair Problem Say Bachao Sar ki khan par baqaidagi say nim garam nariyal ka tail jis mein chota say tukra
kafoor ka mila ho is say masaj khushki say bachao kay liye mufid hai girtay huway
balon ki rok tham kay liya khalis nariyal ka tail mufid rehta hai.
Hamal Kay Doran Kar Amad Nariyal ka guda sugar candy kay sath khana hamal kay doran mein acha hai is say
baby ki growth air delivery mein asani rehti hai.
Qay Kay Liye Azmoodah Naram nariyal ka pani 3 say 4 bar pinay say matli control hojati hai tyfied malaria
aur bukhar mein laikin agar khansi ya istehma ki shikayat ho to nariyal na lain.
Pathri Naram nariyal ka Pani Baqaidagi say pinay ki wajah say pathri toot jati hai aur isay
bahar nikalnay mein madad milti hai.
Jild Kay Liya Madad Gar Is ka pani aur is ki gary hamari skin ko glow karti hai is liya is ka pani chehray par
laganay say faida hota hai aur is ka guda ya sukha nariyal khana bhi acha hai
Jigar Kay Amraz Mein Mufid Agar aap ko jigar ka koee masla hai to is ka pani pina mufid rehta hai.
MD DANISH IQBAL ( )
IT DUNYA