shabnam - merikavita.infomerikavita.info/shabnamhaanmujheyaadhai.pdf · bus ek baar haath thaamna...

71

Upload: phamcong

Post on 06-Feb-2018

296 views

Category:

Documents


32 download

TRANSCRIPT

Page 1: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan
Page 2: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 2

©Arun Bansal

Year 2012

Version 1.0

Arun Bansal,

#3110 GF, LIG Flats Sector 52

Chandigarh 09855443849

www.merikavita.info

[email protected]

Published By

Saahb Informatics

www.saahbinformatics.com

Page 3: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 3

Phulon se chehre per shabnami paseena

Aao tumhe apni palkon se hawa kar dein

Mere haathon mein apna chehre rakh de sanam Mujhe bahut khawahish hai chaand chhoone ki

Sehar ke baad khuli aankh meri, madhosh si

Gayee shab ke kisse, mujhse koee na puchhe

Main woh toota hua sitaara hoon 'saahb'

Jisko dekh kar usne koee dua maangi thi

Meri itni si baat maan lo 'saahb'

Bus ek baar haath thaamna chahta hoon

Suljha do kissa mere ishaq ka kissi tarah Uski nazar woh puchhti hai jo mujhe pata nahin

Hashar ka roz aur saamna unse

Us per sawal khuda ka, sach kaho

Mera tumhaare saath hona, jaise chaand o raat hona

Sab samjhein ki kudart aur sabke saamne mulakaat hona

Page 4: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 4

Beemaar e mohabbat ka haal puchhna chahiye

E fakeer tumhe saans aa rahi hai kya

Rakhti hai nazar mere aane jaane pe 'saahb'

Tujhe na sahi teri nazar ko meri fikar hoti hai

Mere alfaaz mein tera zikar laazmi hai

Aur yeh bhi laazmi teri pechaan na ho

Mohabbat per mitne waale bahut honge magar Ek bewafa per mitne waala, 'saahb' dekh lo

Chiraage e mohabbat jal raha tha ek dasht mein, kal raat Sehar huyee to byaabaan tha 'saahb' shehar kahaan pata nahin

Mujhe aur bhi kaam hein mohabbat ke siwa

Tum apni nazar hata lo mujhe rokti hai

Ghir ke aayee hein ghatayein mere liye hi 'saahb'

Tere jaane ke baad kaynaat teri surat bana rahi hai

Sulagte na chhod masle, bujha de is aag ko Inkaar hi karde agar tujhe ikraar nahin

Page 5: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 5

Pachtaaye bahut 'saahb' hum dil de ke unhein

Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota

Aa gayee mere zehan mein kal yeh baat achanak

Rok bhi sakta tha tumhe, per der ho chuki hai

Bagair tere mera kaun 'saahb'

Tum samjha rahe ho aur milenge

Rahega phir mujhe tera hi khyaal Agar main tujhe bhul bhi jaun to

Aa gaye ho aaj mujhe samjhaane tum 'saahb' Peeri mein kya haan kya naa kya mohabbat

Mere hosh chheen lo mere hawas chheen lo

Ek akela dil tumhe kya kya tassali dega

Saagar e mohabbat mein qadam badhaata ja raha hoon 'saahb'

Paani ab sar se uper behne laga hai, main doob raha hoon

Mujhe kya duniya kare jo marzi uski

Arey mera pajaama chhodo, arey arey

Mera adab yeh kehta hai ki jhuk ke chal zabee

Jo kadwai hai duniya to use meethi nazar dekh

Page 6: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 6

Chalwa do meri qabar per koee road roller

Mere hosh gaye mere hawas gaye tumhe dekhkar Main gustaakh nahin bekhud tha, mujhe maaf karo

Sambhaalo apne dil ko zara 'saahb'

Woh badtameez samjhenge tumhe

Hum talabgaar huye unki, unki gali chal diye

Ek lambi si line thi, ek lamba sa intezaar tha

Hum talabgaar huye unki, unki gali chal diye Ek lambi si kataar thi, ek lamba sa intezaar tha

E mere hone waale mehboob tujhe kya kahoon Tera kya kasoor tujhe kya pata meri mohabbat ka

Shehar e mohabbat mein woh dekha gaya hai awaaragard

Na jaane kiski talaash mein gali gali 'saahb' ghum raha hai

Mere mohabbat se bhare dil ki baat karo

Zamaane ka dar tumhe, mera nahin rehne deta

Adab hai jo woh tu tu kare 'saahb' Main aap kehke raasta chhod doon

Page 7: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 7

Mujhe woh taaqat na de, ki maar daalon

Woh ilm bakhash maula, sar na jhukaana pade

Koee sabar ka imtihaan le to, zabat kar sakoon

Mujhse magar shaan e ikhlaak mein gustaakhi na ho

Main waqt pade to use saza bhi de sakoon Mere khuda mujhe zubaan meethi dena magar

Mere khuda ki marzi hai, mera kuchh nahin Mohabbat mera gunaah nahin ibaadat hai

Mere hokar mujhe apna lo 'saahb' Mera wajood ab tanha nahin reh sakta

Nazar e karam mujh per jo tera ho jaye 'Saahb' kya baat hai mohabbat ka ilm ho jaye

Yeh aashnayee kayam rahegi humesha

Tum mujhe pehchaano na pehchaano

Deedawar honge aur bhi bahut se 'saahb'

Meri nazar magar tum dhundha karoge

Dehka dehka hai khyaal mera Tujhe benaqab 'saahb' ne dekh liya

Page 8: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 8

Yeh baarishon ka mausam nahin hai 'saahb'

Apni aankhon ko itna bhi nahin samjha sakte

Tera khyaal mujhe pareshaan kyon karta hai

Kya tum apni cheezein khud nahin sambhaal sakte

Mere baad tum yeh zor aazmayee karte rehna

Mere paas tumhaare imtihaano ka waqt nahin

Tumhe kya pasan kya napasand

Mujhe sirf tum achhi lagti ho

Sawal khatam nahin hote unke 'saahb'

Main jawab de dekar thak gaya hoon

Mujhe jawab nahin aate aur unhein sawal

Khamosh guftgu ka maza hi kuchh aur hai

Mere shaane per aa jao, takiya chhod do

Yakeen maano, neend, khaab se gehri aayegi

Mujhe pareshaan na karo 'saahb'

Dil e muntzir se pyaar ki baat karo

Barham zulf pareshaan libaas bister pe silwatein

Kya tumhaari bhi kal raat gayee hai karwaton mein

Mere unwaan ka koee mayne nahin

Ter kitaab per naam hi kaafi hai

Page 9: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 9

Sambhal e dil kahaan ja raha hai

Yeh gali tere liye band ho chuki hai

Khumaari ko kaafi hai tera ek nazar dekhna

Mujhe sharaab nahin chahiye 'saahb'

Kad e but mein sangemarmar ke log

Masjid mein kya aur khubi hai?

Meri mohabbat ke saaye, kadawaar bahut hein Teri bewafayee se zyaada meri wafa ka zikar hai

'saahb' dil ka zehan se juda ho jana

Zabee o seene mein alag ho ke so jaana

Yeh shab na jaane kya chahti hai mujhse Agosh e yaar chhod aagosh e khaab kho jaana

Meri hasti ka tujhse kuchh nahin waasta magar

Yeh baatein meri saansein samjh nahin paati

Khilone kissi kaam nahin aate 'saahb'

Jo dil behlata bhi hai to zid ke zor per

Aankhein meri talabgaar kar ke

Aks usne parde mein chhupa liya Hum tarse yun ki aur kya karte

Aakhir humne dil ka gala daba liya

Page 10: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 10

Khuda se maang li tere liye sab duayein

Tujhe garoor hai ki khud se kamyaab hai tu

Rang e mohabbat nikhar kar aaya hai un per

Woh itra rahe hein kabhi yun to kabhi yun

Bachaana daaman is mehtaab se tum

Bigad jaye to daag ban jaati hai mohabbat

Tehreer e aadam hai falsphon se bhari Woh ek hi baat kehte hein 'saahb', mohabbat

Tere wasal mera zehan nahin bhul pata Dil ko hum kabka zehar pila chuke hein

Gore gaalon per surkhiyaan jawani ki

Koee chhed de gar aaj to maaf kar dena

Nahin is biyabaan ka koee bashinda 'saahb'

Is ujde dyaar mein koee jagah khaali bhi nahi

Mere hosh mein maine kabhi nahin dekhi Kya tum bata sakte ho wafa kaisi hoti hai

Page 11: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 11

Rahi hai kashish humesha se sheyaron mein

Kissi ki dilchaspi shayar mein nahin hoti

Shadaab nazar hai aajkal unki

Kya meri tasweer dekhte honge?

Haq e mohabbat mein chheena jhapti nahin

Yeh milti hai ikraar se thoda pyaar se

Saaki se bhi puchh lo kabhi, piyega kya Mehfil mein ek bhi sufi 'saahb' kyon rahe

Khyaal e yaar ki dastaan bana ke mehfil loot li Mera raaz reh gaya, duniya deewani ho ke jhum li

Mausam e bahaar hai 'saahb' aa jao warna

Amaanat aapki humse aur sambhaali na jayegi

Kisko dhundh rahi hai nazar aapki kahiye, Kahin main to nahin

Nahin! Arey mujhko na sahi meri tasweer dekhiye, shayad kahin

Woh sakoon paakar, sakoon se chale gaye Hum jo unhein de diya woh dhundh rahe hein

Page 12: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 12

Aa gayee phir saamne 'saahb' tasweer yaar ki

Sar chakra gaya dil doob gaya, aankh bhar gayee

Mera nahin hai sayaa bhi 'saahb', tanha hoon Tera khyaal sirf khyaal hai, aur kuchh nahin

Mera nahin hai paimaana koee mohabbat ka

Tum apni baat karo kitne dim kar sakte ho

Raha na khyaal e yaar mein khyaal khuchh bhi

Woh bhi keh baithey jo kehna badtameezi tha

Rahe hasrton mein hi mere din raat 'saahb' Tera khyaal kya hai koee khaali baitha hai yahaan

Lakeerein kya de sakti hein tumhe Baajuyon mein jaan honi chahiye

Humein aapse milne ka koee khaas shauk nahin hai

Rakha karo apni ana ke jalwe, 'saahb' aaeeno ke liye

Mohabbat phir ho jayegi tumhe 'saahb' dekh lena

Mujhse thukra ke dil tumhe, chain se rehne nahin dega

Mera tumhaare shaane per neend se gir jaana

Aur tumhaara uth kar bhi lete rehna, mohabbat hai

Mere hosh chheen lo 'saahb' kissi tarah Yeh khyaal o khaab muhje bardashat nahin

Page 13: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 13

Rehmat e mohabbat hai barsi mujh per 'saahb'

E khuda tera har baat ke liye shukriya

Patte gir jaate hein shajar se khizaan mein

Tum keh rahe ho yaaro ka kaafila chalega

Mil jaati agar mujhe tu kahin Main kuchh aur hota zindgi mein

Fakeeron ko kya mohabbat ka waasta 'saahb' Yahi chhod kar to hum aage nikal aayein hein

Rahi chaandni raat phir mere sehan mein Teri khyaalon ke sab jugnu jagmagaane lage

Raahein mohabbat ki juda juda hein magar Manzil e mohabbat ek hai, 'saahb' maikada

Raaste wohi hein, manzilein wohi hein, mukaam wohi hein

Wohi wafa ki dastaane 'saahb' shayron ke kalaam wohi hein

Ramaj e mohabbat ko samjh to sahi 'saahb'

Woh muskura rahe hein, haath pakad lo abhi

Mujhe samjha to do yeh raaz ki baatein Nazar se kya samjha gaye ho tum mujhe

Page 14: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 14

Ishaare se samjhayo mujhe koee baat 'saahb' Tum bolte ho main kho sa jaata hoon,

Samjha nahin paata hoon

Bekraar e mohabbat ko samjhaaya kaise jaye

Har baat pe kehta hai, pehle unhein laayo

Mere hosh mein nahin hua yeh sab 'saahb'

Main pehle nazar ke baad madhosh sa tha

Ravish is dil ki na puchh mujhse 'saahb' Dushmano mein saare yeh dushman bura hai

Waaeez mere sawal se pareshan hai 'saahb' puchhta hoon Kyon main pareshaan hoon, gar wafa badi cheez hoti hai

Raahgeer nahin hoon, jo aage ka ishaara kar diya

Meri talab mohabbat hai, haq e aashiki ada karo

Aansso do gir gaye meri aankh se kal

Mere dost magroor ho gaye, raaste juda

Mere nagmon mein tum aaj bhi ho Tumhaare maazi mein bhi main nahin

Page 15: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 15

Mera hi haal hai tumhaara bhi 'saahb'

Tum hans rahe ho hum hans rahe hein

Mera hone ka aakhir tu kya lega 'saahb'

Mujhe nahin zarurat e humsafar na chahiye kaafila Yeh safar mera hai yeh manzil meri hai yeh raasta mera

Mujhe mere haal per chhod do 'saahb', tum jao

Tumhe kya main bhulun ya yaad karoon, tum jao

Yeh jaate waqt afsos ke jumle, mujhe nahin chahiye

Tum badal gaye tumhe aur bhi kaam hoga, tum jao

Tujhe chhoo ke dekhun zara, kya farak lagta hai Shekh g bata rahe hein khuda hai tu, pather nahin

Mujhse nikal gaya hai shayad kaam unka Puchh rahe hein kaun? tum kahaan rehte ho

Zikar e mohabbat na kar mujhse

Aakhiri dum yeh dillagi achhi nahin

Kalaam e yaar sunta hoon, gairon se

Log mazaar pe aa ke uske geet gaate hein

Mere saamne aa gayee aakhir woh ghadi Faisla karna hai, yeh jahaan ki woh jahaan

Page 16: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 16

Baaton baaton mein aasmaan jhuka dete hein

Jo boond bhi gir pade, sar foot gaya kehte hein

Thokar hi sikhaati hai sambhal ke chalna

Jo girte na to 'saahb' uth te kaise

Chiraag e umeed kuchh jalayo to sahi

Ek baar mere dost muskurayo to sahi

Khud b khud naye rishety o raaste banenge

EK baar phir qadam badhayo to sahi

Kabhi khud se kabhi duniya se kyon Jung hi nahin hai zindgi ka maane

Shayad kissi ne sikha diya hai sakoon e zindgi tumhe 'saahb' Shikwa shikayat dard aansoo gam o tanhayee araam ka samaan hai

Haalat e zindgi per yun tanz achha nahin

Khyaal kar byaan kar ab 'saahb' bacha nahin

Nahin galti yeh 'saahb' ki mohabbat hai tumhe

Yeh achhi baat nahin gair pe haq jata rahe ho

Mujhe apni hi nafrat se mohabbat hai

Na kar mohabbat jo mohabbat nahin

Aur bhi kaam zamaane mein hua karte hein

Page 17: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 17

Tamaam raat yahi soch mein guzar gayee

Main khud na utha to mujhe uthayega kaun

Ek baar koshish to karne do mujhe

Yeh zulf mujhse bhi suljh sakti hai

Jhuka hai sar mera shaan e mohabbat mein

Mera adab yeh kehta hai khamosh guftgu ho

Waqti taur per ho jaate hein kuchh haadse Zindgi un lamhon per phir munasar rehti hai

Zindgi yun hi guzar jaayegi aapki, sawalon mein Kabhi mera jawab bhi suniye, aap bahut zaheen hein

Meri baahein khud b khud simat gayee

Thundi hawa ne mujhko teri tarah chhooa

Baahein khol di maine samander ke liye

Mujhe samet le, meri tanhayee samet le

Woh nazar ki nazaara umar bhar ka ban gayee Usne phir kayee baar dekha mujhe, woh baat nahi

Page 18: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 18

Haath ki jumbishe mujhe bechain karti hein

Tera chhoda hua lamha aaj bhi yahaan rakha hai

Ek lamha ek nazar ek sawal ek dard ek dastaan 'saahb'

Mera haath tere haath se chhoot kar, kaampta sa reh gaya

Reh gaya ek lamha qaid ho ke nazar mein

Yeh waqt mujhe teri tarah azeez rahega

Meri tarah koee tanha nahin shayad, warna Suna hai zindgi apne jaise dhundh leti hai

Mera dard kissi ko raas nahin aata

Shayad isiliye ab koee paas nahin aata Tanhayee ke lamhe kaate nahin jaate ab

Tera kya mujhe khud ka ehsaas nahin aata

Kissi tarah yeh zindgi bigdi huyee ban jaye 'saahb'

Mera ho jaye, kissi tarah unhein itna majboor karde

Tum talaashi le rahe ho nazar se yun

Mere paas mera ab dil bhi nahin baramad hua

Usne talaashi li nazar se yun Mere paas dil bhi baramag nahin hua

Page 19: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 19

Nikal aayee na jaane kahaan se tasweer teri Shaq police ko tha janaaza jhuth hai 'saahb'

(thought>>she has sent police to inquire if i m really dead)

Haadse waqt de mathey madhh ke main

Ek raat phir chain di neend son gaya

Tere aane ko lekar afwaahein uth rahi hein

Dil ghabra rahe hein, istekbaal mein

Main nahin karta yeh badtameezi 'saahb' Tumhe dekhkar aah nikal hi jaati hai

Yakeenan uska hona badi baat hai 'saahb' Kya gazab ki kahin mera ho jaaye woh

Ishaq ki fariyaad aur mohabbat ka waasta

Usne dastaan mein yahi do baatein kahin

Rehbar ne kaafil raaston mein rakha

Manzil tak mujhe awaaragardi le gayee

Shauq e mohbbat hua humein bhi 'Saahb' Chaak girebaan ghar se hi pehan ke nikal pade

Page 20: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 20

Mere dil ke talukaat unse baaki hein

Woh sirf nazron se baahar hua hai 'saahb'

Ishaq meri zubaan hai adab mera kalaam

Mera naam mohabbat hai, tumhe jaanti hoon

Mere yaar kehte hein badal sa gaya hoon main

Mohabbat ke baad ky sach mein aisa hota hai

Meri jaan se kam kuchh nahin chahiye unhein Mohabbat ki baat, bigad gayee hai, zid se

Nahin batana haal kya hai unko 'saahb' Kahin phir na keh de, ki mujhe kya

Mere aane jaane per bhi paabandi 'saahb'

Woh dhamka rahe hein khabardaar, khaab nahin

Mera tanha reh jaana phir, koee nayee baat nahin

Mujh per taras na kar, e musaafir apni manzil kar

Meri baaton ka bura maante ho 'saahb' Deewane ke saath deewane ho rahe ho

Page 21: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 21

Ishaq ka bazaar bhi lagta hai kahin

Paise waale dil khareed ke le jaate hein

Meri mohabbat per aitraaz hai shekh g ko

Charcha mein unke khuda se zyaada dastaan hai

Mujhe aur be-izzat na karo 'saahb' Main phir mohabbat nahin kar sakta

Mujhe koee waasta na daalo

Main bik chuka hoon ek baar, phir nahin Meri keemat ab kuchh nahin, mera maalik hai

Ab kya sunein dastaan teri 'saahb' Wohi dard wohi gam wohi fariyaad hogi

Wasool kar mere dil se jo kharch hua hai tera

Ek nazar waapis maang le, chheen le, ho sake to

Mujhe bad-dua de 'saahb', koee pather maar de

Main majboor hoon 'saahb', bewafa hone per

Apni majbooriyaan na gina mujhe Saaf keh bewafa hona chahta hoon

Page 22: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 22

Shehar mein charcha hai ki, mohabbat ka mausam

Ek tere jawaan hone per kya, duniya badal gayee

Surmayee nazar ko zara ehtiaat se rakha kar

Koee chheen kar le jayega, deewaana hokar

Dil ne koee gali koee dar na chhoda 'saahb'

Mujhe awaaragard ke naam se tera shehar jaanta hai

Shehar mein dekha gaya hai ek fakeer 'saahb' Patherbaazi ke baad deewane ki kismat badal gayee

Mujhe aur bhi aate hein ilm 'saahb' Mohabbat mera hunar hai sabse juda

Mohabbat ek aisa jazba 'saahb'

Jismein shaq hai na shikwa shikayat

Nahin aata mujhe theek se manana magar

Koshish karunga 'saahb' roothne ka mauka na mile

Raha hai nakash tere shaamil hai shai mein Aaeena bhi dekha hai to tujhe dekha hai 'saahb'

Page 23: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 23

Kuchh khyaal duniya ka bhi

Yun sanwarna theek nahin

Mujhe khel ke kaayde samjh nahin aaye

Tum sitam karo main aah nahin, kyon

Vakeel bhi tu musif bhi tu adalat bhi teri

Hum haar jayenge magar, tujhse! kya baat hogi

Mohabbat kissi ko kya deti hai 'saahb' Apna hi dil hai kabhi khud per kabhi khuda per

Mohabbat khuda ka dikhaya woh raasta Jis per chalkar aadam khuda tak jaate hein

Na jaane kis se dil laga baithey ho 'saahb'

Mohabbat mein mod aate hein manzil kahaan

Patte kiss kaam ke yeh gire huye?

Hai na jalayo inko! koee shajar palega

Raaste saaf ho rahe hein dheere dheere yaaron ke Manzilon ki taraf humaare kaafile badh chale hein

Page 24: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 24

Munsif hai bika hua, insaaf kaisa

Unke tarafdaar per mukadama kaisa

Raaste abhi badal lo gar ho sake to 'saahb'

Tum ro rahe ho, tumse yeh manzil nahin hogi

Main kya hoon mujhe khud pata nahin

Woh bata rahe hein, kamaal ho tum

Mera hona hi kaafi nahin e khuda Mujhe woh mukaam de jiska haqdaar hoon

Dil ki baatein samjha rahe hein unko Jinka seene mein dil ki jagah pather

Mukar jaata hai woh 'saahb' baat bana ke baat se

Mujhe samjha raha hai itni mohabbat na kiya karo

Raha karte pareshaan pareshaan sa kabhi

E 'saahb' kahin tum bhi kissi ka dil hote

Pareshaani badh na jaye kahin mohabbat se Aa faisla kar lein zara, ilzaam kaun lega

Page 25: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 25

Saath rehkar shayad, fikar e duniya badh jayegi

Kyon na door hokar, umar bhar ki pyaas ban jayein

Mujhe mohabbat ki rasmein raas nahin aayee

Meri khud ki khata hai ki bawafa nikla hoon

Ek khala sa hai tere mere beech aaj bhi 'saahb'

Shayad apni apni pehli mohabbat bhule nahin hum

Woh ukta gaye hein meri mohabbat se shayad Puchh rahe hein koee aur baat kar sakte ho

Pagdandiyaan raaste ban jayengi, hum aur aage badh jayenge Yeh biyaabaan abaad ho jayegi, yeh jharne sadkein ban jayenge

Kissi ne daulat chuni, kissi ne khuda, kissi ne mehboob

Main samjh hi nahin saka, kya chheenu, main loot kar aa gaya

Waqt ke aage sab jayaz hai 'saahb'

Yeh bada chhota uncha neecha nahin dekhta

Raah wikhaawe satgur saanu, baahn aap fade oh saadi Saada jap ki saada tap ki, saadi hasti wich oh bolda

Page 26: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 26

Umar bhar ka shaur de gaya woh mujhko

Ab nazar har chehre pe nahin rukti

Nahin badla karta kuchh bhi 'saahb' waqt ke siwa

Haan waqt ke saath log halaat nazar badal jaati hai

Menu bukhaar chadhiya ishaq da, 'saahb' meri seeti waj gayee

Main vi ghar nu aa gaya pher, oh thappad maar ke bhaj gayee

Assin bhule nahin bhulaya hai usnu Alga pahaada ishaq da padhna ju hoya

Har shakhas nahin shaamil is bhed chaal mein Adab abhi baaki hai kahin kahin, jaise yahaan

Main itna bhi nahin hoon talabgaar mohabbat ka

Apna adab chhod doon, kissi se fariyaad karoon

Meri hi khata hai 'saahb' meri hi rahi hogi

Tum rutho mat, mahine ke aakhiri din, kya kar sakta hoon

Khata mohabbat ki ho gayee humse, yeh kiske saath Woh puchh rahe hein, koee armaan baaki hai to bata

Page 27: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 27

Khudi kadam badha ko manzil chahiye

Rehnuma hota to kya raaston mein hota

Apni nazaron se kehdo zara had mein rahein

Meri nazaron se yun milna julna inka theek nahin

Mujhe aur to kuchh bhi afsos nahin magar

Yeh gam rahega, mohabbat meri hi pehal thi

Nahin yeh kissi ke bus ki baat 'saahb'

Jab honi hai mohabbat bus ho jaani hai

Shayad nahin tha teri lakeeron se meri lakeeron ka safar

Mil kar bhi na mile 'saahb', hum tumhaare liye ajnabi hi rahe

Mere nahin hai kuchh bhi sar tera hai 'saahb' Yeh gum yeh tanhayee yeh main yeh mera haal

Tujhe aana hi hoga ab to dum e aakhir

Tere khyaal se yeh pyaas badh rahi hai

Pehla waar nazar se kiya usne 'saahb'

Phir dheere se chhoo ke mujhe lut liya

Manzil e mohabbat ki raaste mushkil

Tum chalo to sahi, pahunchege kahin

Nazrein unki hai sakoon bhari mujhe

Ek baar dekh lein agar, khumaar rehta hai

Page 28: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 28

Uski nazar mein woh khumaar ki, madhosh kar de

Woh muskura rahe hein 'saahb' mujhe nasha hota hai

Bachaate kahaan tak dil apna 'saahb'

Woh sanwar ke aaya tha lootne dil

Zulf mere shaane per uski, haath mere haath mein

Mere khyaal mein jo manzar hai, sach main ho jaye kahin

Woh mere pehlu mein baithey, itra ke kabhi Main tareef mein uski kuchh kahoon to muskuraye

Rahega humesh mere dil ko yahi malaal

Tujhko chaand kaha 'saahb', Tere aage kuchh bhi nahin

Mujhe mohabbat ka khyaal aaya jab tumhe dekha

Yun soch raha yeh duniya kissi kaam ki nahin

Tere libaas per yeh kaanch ke tukde 'saahb'

Chaand ko gher liya hai phir sitaaron ne

Tere chehre per woh chamak hai 'saahb' Jo poonam ke roz mehtaab per dekhi gayee

Page 29: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 29

E kaafir mohabbat ko rota hai?

Khuda se bhi gaya sanam se bhi gaya

Raah e mohabbat mein yeh mukaam, ki rona aa gaya

Har baat jazab ho gayee per tera bhi gair ho jaana

Mujhe ek bhi mauka nahin diya mohabbat ne

Zubaan per inkaar aate aate ikraar ho gaya

Reh gayee hai meri nazar taras kar 'saahb' Tere jaane ke baad kya dekhun kya na dekun

Meri apni hi nazar pehle waapis chahiye mujhe Phir puchhenge use, aisa tujh mein kya dekh liya

Mujhe nahin pata kya ho jaata hai mujhe

Tumhe pukaar kar, khamosh kyon ho jaate hein

Nahin main tere kaabil, aage chalo

'Saahb' samhjo, e ishaq Mujhe maaf karo

Utar aayee hai zeene se chandni, chham karke Main rakas dekhta hoon teri zulf ka zabee per

Page 30: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 30

Main khaak ka zarra hoon, tum abar aab se bhara

Main sehra ka hissa hoon, tum meri hasrton mein

Mere halaat pe tujhe sher sughtey honge E zamaane soch ki meri jagah tu gar hota

Mere dil ka yeh faisla ki tera nahin hoga

Teri nazar ki yeh zid, ki aur ka hone nahin degi

Shekh g aa gaye, buton ki baaton mein

Azmayee mohabbat, masjid ka rukh nahin karte

Shaam ka dhal jaana tere shaane per 'saahb' Aur chownka mera, apne hi ank mein simte huye

Aa gayee kya shonk se phir shab e hijraan Mera pata ise shayad tumne bataya hoga

Kissi ki kya mazaal thi jo koee humko khareed sakta

Teri ek nazar ko 'saahb' jaane kaise hum bik gaye

Mere ander hi kahin tera wajood bhi hai shayad

Khud ko tadpa raha hoon 'saahb' bilkul teri tarah

Fursat mein waqt kati ko shaur e mohabbat samjhe Jo rozgaar e jeesat mila, dafter hi masjid ho gaya

Page 31: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 31

Reja reja zindgi tukde tukde halaat

Tinka tinka haunsla Zarra zarra wishwaas

Kaise aur kahaan tak mera janoon e ishaq lafz lafz hai daga pal pal badle ehsaas

Shab e wasal mujhe yeh khyaal aa gaya 'saahb'

Khuda tujhse pehle uthay mujhe hashar ke roz

Bhatake huye kaafile yeh, be-maqsad nahin

Shayad in aansooyon ki koee manzil nahin

Mujhse puchhta hai ki mera haal kya hai Apne dil se puchh ki jawab kaisa chahta hai

Nahin dargaah e kam mujhe kooye yaar Yahaan dafan hein kitni paak hasrtein

Na main chaand na tum suraj 'saahb'

Mitti apni aukaat bhul rahi hai dekho

Haajir e mohabbat ko 'saahb' thukra rahe ho

Woh kaun hai jiska intezaar kiye ja rahe ho

Muskura ke taal de uske sawal 'saahb' Woh intezaar mein khud b khud maara jayega

Page 32: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 32

Main pather hoon 'saahb', mujhe pather hi rehne de

Bikhar jaunga mujhe khuda banane ki koshish na kar

Meri mohabbat ka safar taveel Ibtada hai aagaaz hai anjam nahin

Aadat e mohabbat se baaz nahin aata 'saahb'

Mazaar se khaak uthti hai, butkade ki aur

Mujhe nahin yaad raha ki tujhe bhulna tha

Main woh wada dohraata raha, jo toot chuka tha

Mujhe na jaane kya ho gaya hai 'saahb' Aankh nahin lagti, khaab musalsal hai

Gam e jeesat mujhe is mod per le aaya hai Tere naam se sakoon milta hai, tere khyaal se

Mujhe aur nahin, meri tauba

E ishaq maine tujhe tarak kiya

Ujad gayee bastiyaan yahaan 'saahb'

Tum ek dil ko abhi tak ro rahe ho

Kya saboot kya adaalat kya muqdama Vakeel woh munsif woh insaaf uska

Page 33: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 33

Mujhe bhula daala.. Kya sach mein (smile)

Yeh kaur pe aankh ke!!

Shayad kuchh gir gaya hoga!!!

Nahin???!!!!

Meri gustaakhiyaan gin rahe ho 'saahb'

Apna nahin dekhte, laakh wajah thi mujhko

Rahe na rahe duniya o bashar hashar ke roz, e khuda

Itna yaad rahe, unhein balayein chhoo bhi na sakein

Humne woh mukaam banaya hai ishaq mein Aate jaate sajda karte hein, mazaar per

Masjid mein khuda ke saamne shekh g ne kaha, mohabbat karo E duniya waalo yeh pather, mujhe naseehat mein pade hai

Mera koee nahin 'saahb' sab tere hein yahaan

Main rakeebon se shikayat karoon bhi to kya karoon

Sochtey hi reh gaye 'saahb' ki kya kahein

Woh puchh rahe hein, kuchh aur chahiye tumhe

Samjhaun tumhe ab yeh kis tarah Mere dil ki dhadkanein tere naam hein

Page 34: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 34

Uljha uljha sa hai dil 'saahb'

Teri nazar ke masle gehre hein

Mujhe kissi karwat chain nahin 'saahb'

Silwatein nashtar si hein, shikasta jism ko

Utaar chadaav aate rahenge ishaq mein

Tera kaam mohabbat hai, apna kaam kar

Behal jayega dil shayad tere khyaal se Thoda aur aa, thoda aur aa, mujhe yaad aa

Dastaan phir nayee kahaan se laun Wohi puraana dil hai wohi puraana ishaq

Tera khyaal bhi tujhse kuchh kam nahin

Wohi sitam hai wohi tadap hai wohi naaz

Tamaam dashat tabeeb ke bhes mein aaya hai, yeh sun ki

Ki rog e mohabbat ka mareez 'saahb', mashwara chahta hai

Khud hi khud se sawal kitne 'saahb' Kyon nahin? kyon nahin? kyon nahin?

Page 35: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 35

Khuda ya pather nahin hoon main ko ro na sakoon

Mujhe sangemarmar kehta tha woh jhutha tha

Mera zarf bahut hai magar itna bhi nahin

Mohabbat se badhkar koee imtihaan nahin

Lehrein bhi khamosh hein aaj, na jaane kyon

Tufaan ne shayad samander bhi doobo diya hai

Biyabaan hai yaadon ka jungle bhi ab Mujhe tera yeh sahaara bhi nahin

Kya nahin kar guzarte hum bhi 'saahb' Tera yeh keh dena hum tumhaare nahin ab

Mere hi rafeek they woh 'saahb'

Ab kis kis ka naam loon na loon

Aadam phir aadam hai 'saahb', kya karein

Is jahaan se pehle us jahaan ka fikar hota hai

Khuda ki nazar to theek magar 'Saahb' dair o haram kya hai

Page 36: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 36

Jaate ko rokna, paraye per haq jataana

Afsos hai 'saahb' mohabbat ka saleeka nahin

Maanga bhi to kya maanga 'saahb' ne shab e wasal

Ek aur lamha mohabbat, woh umar ke baad bhi tyaar they

Zindgi! ek bus Yahaan se wahaan tak

Kitne chadhe, kitne utre

Kabhi seat milli, kabhi khade khade Safar jaari hai Zindgi! ek bus

Shajar ne saazishan jinhe jhaad diya tha

Woh patte sookhe jala diye gaye kal shaam

Kya hoga tere jaane ke baad, mujhe kya fikar

Azaab e zindgi hai 'saahb' jab tak zindgi hai

Woh shab o shaam ka waqt, chhat ke chhakkar Yaadein reh gayee hein, guzre huye lamhon ki

Baarishon ke paani mein chheente uda raha hoon

Aaj is umar mein mohalle ka tamasha bana ja raha hoon

Meri mohabbat ko naya aayaam do 'saahb'

Main tumhaari hoon mujhe thaam lo

Page 37: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 37

Woh galiyaan yahaan se nikaale gaye sau baar Lo ek baar phir khade hein, 'saahb' wahin

Agaaz to kar mohabbat ka, anjaam dekha jayega

Yun gumraah karta hai ishaq sabko pehle pehle

Chaand per rakhe hein shayad tumhaare saath bitaye pal

Tabhi to raat gehraati jaati hai, dil ghirta jaata hai

Humaari to nazar tak nahin lauti

Tum dil lautaane ki baat karte ho

Mohabbat ke maare kahaan jayein 'saahb' Dair o haram nahin koee gali kucha nahin

Farebe ishaq ko, kahaan tak haunsla karoon Woh thukra gaye hein mujhe, pather ki tarah

Ujadta hai to ujad jaye sakoon mera

Mujhe iqraar hai ab teri mohabbat se

Mera haal yeh ki haal kuchh nahin 'saahb'

Tumhaara pehla sawal yeh ki haal kya hai

Tyaarai kijiye 'saahb' ab tanhayee ki Mehfilon ke din gaye, mohabbat ho gayee

Page 38: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 38

Haakim se nahin umeed koee, khudi ka haunsla chahiye

Awaaz janta ki uth rahi hai 'saahb' janta ko uthna chahiye

Musalsal aab hai aankh mein 'saahb'

Yeh kaisi mohabbat huyee hai mujhe

Dil kaaboo se baahar hai 'saahb'

Tere saamne kuchh ikhtiyaar nahin

Raah e adab per chalte chalte 'saahb' Maashre mein kamzor samjhe ja rahe hein

Mere saamne do hi baatein hein ab Ya tera inkaar hai ya meri zindgi

Mil jayein kahin shareef log agar Kissi bhi tarah dost bana lena

Zever hein zindgi ka 'saahb' yeh

Haath nahin inse dil mila lena

Rahogi mere saath aur kab tak

Main tumhe thukra raha hoon E yaadon! kuchh sharam karo

Utar jaata hai bukhaar e ishaq 'saahb', aksar

Nikaah ke baad pehli chapaati banaane khaane mein

Kya kahoon ki mohabbat ke geet kyon nahin gaata

Bus 'saahb' dushman ka naam hai zubaan pe nahin aata

Page 39: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 39

Zindgi! Taash ke patte 'saahb'

Kiske haath kya laga

Jab tak pata chala Baazi khatam ho chuki

Pakad ke nabaz baithey hein vaid g, aahat sunte hein

Koee samjhaye ki rog e ishaq yun pakda nahin jaata

Kaise likh doon main woh naam e yaar is per

E munsif bata zyaada se zyaada faansi doge

Tasweer e yaar mujhe haasil kya ho gayee Jo bacha khucha chain tha, woh bhi gaya

Sabar mujhe kissi baat ka nahin 'saahb' Na teri tasweer se na tasavur se na waade se

Woh nazar bhi aa jayein to dil behal jaata hai

Intezaar mein be-aas nazar ki umeed laut aati hai

Nafrat to fitrat e aadam mein hoti hai

Baatein to hein sirf bahaane ke liye

Jo mohabbat se bhara ho dil to aap dikhtein hein Mere doston ko mujhse roz milne ki zarurat nahin

Page 40: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 40

Nazar nazar ki baat hai dil ki nazar se dekhiye to

Jo nahin dikhta zamaane ko mere saaf saaf saamne hai

Utra jaata hai nazar se seedha seedha dil mein

Main dekhta hoon tasweer bhi parda kar ke unki

Fursat zindgi mein nahin fitrat mein hoti hai

'Saahb' busy hote hein kayee log araam se bhi

Falta hai sach ka vriksh aaj bhi kahin Aao hum tum mil kar woh jagah dhundhe

Ujaale bhi honge, sehar bhi hogi, umeed bhi Magar kab lekin kahaan kitnu kaise parantu kyon

Utar ke dekh kabhi mere sehan mein

E chaand tujhe bhi sach ka pata chale

Zamaane ne jab chheda mujhe tera naam le ke

Dil ko jaane kyon, ek ajeeb sa sakoon hasil hua

Faisla kar do zara mere liye 'saahb' Aakhiri waqt hai khdua kahoon ya raaz khol doon

Page 41: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 41

Mujhe nahin kuchh chahiye aur 'saahb' Shauk ka maara hoon bus deedaar unka

Fakeeron se kya puchhtey ho raaz se zindgi

Sab khuli kitaab hai, bus padhna seekh lo

Koee mujhse khareede main abhi bech doon teri yaadein

Muft ke bhaaw bhi de dunga, mera peechha koee chhudwa de

Woh bada magroor hai apne husn per 'saahb'

Shayad kissi ka budhapa usne nahin dekha

Mujhe koee neend ka khaab hi dikha de 'saahb'

Aankhein taras gayee ki kabhi ab aankh lage

Ab mujhse na kar umeed koee, mere dost

Main azma chuka hoon khud ko, zamaane ko

Jawani ki harkton per ab hansi aati hai kabhi kabhi Woh chehre bhi yaad aate hein, jin per hum mar mite they

Khuda kar deta hai ishaq kissi ki nazar mein

Zamaane mein beshak ho deewaana hi kaha jaata hai

Hum to nashukar ho bhi jaate magar

Uski wafa ne mujhe bhi rula diya

Apna hi hai saara jahaan 'saahb' Jabse apne ne gairon sa salook kiya

Page 42: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 42

Mujhe bhi deewaron mein chinwa do 'saahb'

Mujhe bhi ek saleem se ishaq ho gaya hai

Baadshaaon ne ishaq ko kufar samjha hai 'saahb' Aur humesha panaah maangi hai mohabbat ke pehloon mein

Tere apna hunar mera apna fan

Tum bhulayo khub, hum yaad rakhein

Mere liye ab tera rona fizool hai

Tasweer faad de, 'saahb' dil samjha le

Kuchh nahin hona tha is dil se 'saahb' Yahi waade yahi shikayatein yahi intezaar

Kuchh nahin hona aage bhi is dil se 'saahb' Yahi waade yahi shikayatein yahi intezaar

Sawalon ke ghere mein dil mera aaj khada hai

Bina saoche hi teri surat pe yeh mar mita hai

Nahin maangtey shajar saaye ki keematein

E musaafir tera farz hai ek dua hi deta ja

Ishaq, ishaq hai, ishaq per zor e dawa na dua Haadse hote rahenge jab tak yeh dashat rahega

Page 43: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 43

Phir se hoga yakeen rakh ishaq per

Yeh har kissi ko mauka phir se deta hai

Raaz ko raaz hi rakhna hai aagar

Sabse pehle raazdaan ko mita do

Ek meetha sa dard meri neendein bhar gaya

Tera masoom chehra mujhe deewana kar gaya

Teri aankhon main chhupe raaz na jaane kitne

Aisa lagta hai zulphon mein uljhe afsaane kitne Tera aanchal chhoo ke shukraana kar gaya

Saada dam tum kitne koee bhi banawat nahin

Phulon ki hansi bhi teri muskurahat nahin Jis shai ko chhoo liya paimaana kar gaya

Hawayon mein dard ki aahat sunayee de rahi hai

Shayad phir mohabbat ka mausam badal raha hai

Utra hai zeene se baadal dhup ka phir

Tere aamad jaisi hai sardi mein baarish dhup ki

Barbaad hone ki khaahishein, shayron ki zubaan per Log yun hi deewana nahin kehte, in fakeeron ko

Page 44: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 44

Tere sawalon ka jawab mujhe haasil to hai

Tere zehan mein zehar ghul gaya hai, tu chala ja

Udne de khahishein per laga ke 'saahb' Tere kya jaata hai aasmaan tadpega

Mere haath mein nahin kudrat ke khel

Tere milna bichhadna pehle se tai tha

Mila hai koee barson baad mujhe 'saahb' Dil muskura kar duayein maang raha hai

Utra nahin paain abhi tak aankh se meri 'saahb' Tum yeh samjha rahe ho itni bhi buri nahin hai

Kaun jaanta hai ki khaton ka aakhir kya hoga

Neelaam honge yeh ek roz, chanda ugraahi ke liye

Mujhe kis shiddat se pukaara usne

Khuda se behas raha hoon, jaane do

Humaari zabi ki kismat mein thi shikastgi Tera dar na hota to koee aur chaukhat hoti

Page 45: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 45

Abhi tumhe nazar aati hai phulon per titli

Abhi tumne zindgi ke sab rang nahin dekhe

Utar rahi hai dheere dheere kal shab ki mai Subah subah tum puchh rahe ho, wajah kya thi

Garz yeh ki khudgarzi hai mohabbat 'saahb'

Apni khushi ke liye dua hai, aur kya 'saahb'

Garz yeh ki khudgarzi hai mohabbat 'saahb'

Haq ke ilaawa farz bhi kayee hua karte hein

Tu mujhe mat samjha ki achha bura kya hai waeez Khuda ke naam per tum jo kar rahe ho, woh socho

Utar ke dekh to sahi aasmaan se kabhi Mohabbat ke maare kaise jee rahe hein

main qabar e aashik ka shajar 'saahb'

Mere saaye mein mohabbat panaah leti hai

Samjh parindon ki bhasha bhi kabhi kabhi

Woh bhi teri meri tarah baatein karte hein

Ujde huye dyaar ki bulbul hoon Tum mujhe haal puchh rahe ho

Page 46: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 46

Mere shauk ki gawahi dega yeh zamaana kabhi

Abhi mehfil mein log puchhte hein, tum kaun ho

Naseehatein zamaane bhar ki aur faisla kuchh nahin

Bichhad gaye phir milne ka waada karke 'saahb' Jaane waalon ko kya khyaal reh jaane waalon ka

Mujhse na puchh waeez, unke khyaal samjha

Main chain se so bhi sakta hoon, jo na aayein

Utar aayee hai meri hayat mein woh baichaini Toofaan se baad jaise saahil ka nazaara hota hai

Ghar baar ujhad gaya mera, zehan o dil bhi gaye 'saahb' Nazar o saans bachi hai barham si, dekhein kab jaati hai

Aata jo unhi ko nazar to baat kya thi

Woh wajah hein, aur wajah puchhtey hein

Mujrim nahin hoon main, lekin katghare mein hoon

Wakeel puchh rahe hein, marne se pehle tum kahaan they

Woh puchha kiye mujhse ki, aakhir talab kiski hai Main hakla sa gaya, unke saamne unka naam leta hua

Page 47: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 47

Choor choor kar de mujhe, is kadar baras kabhi

Yeh kya hai khaab khaab mein tarasana, tadpana

Nahin umeed e iqraar jahaan, wahaan izhaar kya karna

Koee bekadar mil jaye haseen, to bhi pyaar kya karna

Yeh riwaaz e duniya hai jaane waale lauta nahin karte Jiska koee waada bhi nahin, uska intezaar kya karna

Mere haal per taras aa gaya shayad use

Woh rumaal se chhupa ke chehra uth gaye

E musafir tere chehre per yeh shikan kaisi Manzil ki hawas chhod, raaston se mohabbat kar

Uske waade bade pakke hua karte they Per waqt ki tez barsaat mein sab beh gaya

Tujhe dekha to gunguna uthey lab Aah nikalte nikalte nagma ho gayee

Tum bus yahi baat badi galat karte ho Khaab mein aakar khaab ka waada karte ho

Waqt zaaya hota mere saath unka bhi to

Main bina jawab ka sawal lekar laut aaya

Kya kya sikha diya hai mohabbat ne mujhe

// Salaah le rahe hein mujh per kabhi hansne waale

Rai puchh rahe hein mujh per kabhi hansne waale

Page 48: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 48

Mujhe na jaane kyon phir hansi aa gayee

Tera khyaal mujhe aaj bhi rone nahin de raha

Sochte hi reh gaye mehfil mein woh log

Jinhe haasil se behtar ki talaash thi

Chhod diya jaata hai bekadar humsafar

Manzilon se aage gar nazar mein jahaan ho

Tera mera rishta ek naya mod le raha hai 'saahb' Aaj mera dil nahin ki teri tasweer se baatein karoon

Kuchh to shokhi barkraar hai saadgi mein bhi Sar se paanv parda hai, ek nazar ko chhod kar

Pati patni ka rishta Jaise insaan aur farishta

Bus dekhne ki nazar hai apni apni Zindgi sabke liye sab kuchh laati hai

Mujhe bardashat hai tere jaana bhi

Bus yeh keh ke na ja, ki tere nahin ab

Hum to maare gaye unki tyaari dekh kar hi 'saahb' Woh qatal karte na karte, humne khudkashi kar li

Page 49: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 49

Gaur nahin kiya aapne shaayd

Bheed uske liye nahin thi 'saahb'

Yeh afwaah se kaafila ban gaya Woh bhi janaaze mein shaamil honge

Ujda nahin hai dyaar abhi tak 'saahb'

Bulbulon se keh do abhi yakeen rakhein

Kis tarah kahoon ki dil ko yakeen rahe

Tum sanwar ke nikal pade ho, kya karoon

Rehnuma to rehnuma 'saahb' kahaan le jaye Aaj raaste bhi kaabil e yakeen kahaan rahe

Qadamon se apne shikayat beja hai mere dost Pehle dil mein manzil chahiye phir nazar mein

Naseeb se shikwa karne waalon se kya kahoon

Khud hi khuda paakar khone waale se kya kahoon

Wah wah na kijiye meri dastaan per

Yeh zakham khdua ke waaste na dijiye

Chaandni na jaane kitni chhaton per bikhri hogi

Na jaane kis kis ne ismein apna mehboob dekha hoga Yeh falsafon ki baatein hein, mohabbat se juda 'saahb'

Tum apni aqal ko taak pe rakh do, tasavur se pehle

Page 50: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 50

Kothey te ill baithi Tere khyaalaan wich mahiya/2

Main unglaan chhil baithi

Sabko ek ek tukda baantoo kaise

Hindustan koee cake nahin hai

Ujad gaye dilon ko tasali ka marhum kya

Hum tasavur mein yaar ke, tanhayee chahiye

Sharaab mujhe ab nahin chadhti 'saahb' Teri aankhon ne mujhe sufi kar diya hai

Uataara hai khuda ne zameen per aapko yun Kahin har shakhas kaafir na ho jaye 'saahb'

Rag rag mein meri shaamil hai woh 'saahb'

Mujhe jalana jab thoda tehzeeb pesh aana

Parda e haya karke woh nikla karte hein 'saahb'

Na jaane kaise badtameez dekhne waale ho jaate hein

Door kissi diye ki lau timtima rahi hai Shayad kissi ka 'woh', abhi tak raah mein hai

Page 51: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 51

Meri mohabbat haadsa ban ke reh gayee hai 'saahb'

Tum samjha rahe ho bada shehar hai, koee baat nahin

Humein nahin pata ki ab tu kahaan aur kaise

Itna jaante hein ki hum yahaan aur nahin jaise

Mere ishaq per tumhaara khyaal kya hai shayro

Kya zinda logon per kalam ko maut aa jati hai

Lafz dar lafz ugle jaate hein, sabha mein Inqlaab ke liye phir koee akela jaan maarta hai

Mohabbat ko mere dost yun badnaam na kar Yeh khuda ko azeez hai, nek seerat cheez hai

Kis tarah tumhe samjhayein ab e dost

Parda un per nahin to khud per daalo

Kis tarah 'saahb' tumhe samjhayein ab e dost

Parda unhein manzoor nahin, to tum kiya karo

Mujhe mohabbat ne yun

aasmaan se farsh tak

Meri fitrat mein hai mohabbat bhari Tum apni aadat se baaz nahin, hum apni

Page 52: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 52

Uski muskurahat ne mujhe baichain kar diya

Bus mein hota to kafan se uth ke puchhta, kyon

Mujhe kissi tarah to chain lene de e dil mere

Woh jaata hai jaane de, tujhe itni mohabbat kyon hai

Ek dil hi to nahin hai bus mein mere

Saare jahaan ka shikwa kya karoon tumse

Mujhe kya pata mujhe kya haasil 'saahb' Yahin kahin kuchh pada hoga, tum dhundh lo

Kitaab e zindgi ke kuchh wark hein 'saahb' Log khud ko jaise khuda o khudayee samjhe hein

Bus do boond mohabbat ki

Mera dil pyaasa hai, milegi?

Mujhe barkat de maula, ki mohabbat aur karoon

Unhein bhi barkat de maula, unka zulm badhe

Mera ho to sahi kabhi woh dil se Jism ki baatein roohon ki samjh kahaan

Page 53: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 53

Mera ho to sahi kabhi woh dil se 'saahb'

Shikwa karoon umar kabhi to jism jal jaye

Kisse kya dikhayee diya, kya kahoon Madam ki god mein kutta, ya .... bacha

Na jaane kyon khuda ko woh dikhayee nahin dete

Masjid se jyaada roze, kuchh gareeb log rakhte hein

Mera kya hai 'saahb' do pal do ghadi aur hoon

Tum kya karoge, kaho, tumhein abhi barson jeena hai

Nahin aata zyaada tarak vitarak mujhe 'saahb' Bus yeh samjh lo ki mohabbat dil ka mamla hai

Mere saamne tum ho, tasweer ban ke Main apni kya kahoon, bus tasweer hoon

Woh bereham hai per itna bhi nahin 'saahb'

Waar ke baad marte huye qatal nahin dekhta

Woh chupke se bole, darwaaze ki oat se

Yeh nahin woh kameez aap per achha lagega

Kyon aur kis liye tod doon main riwayat zamaane ki Tum do din ke ishaq ho 'saahb', yeh zindgi ki baat hai

Page 54: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 54

Mera zikar hota hai mohabbat ke har afsaane mein

Ibtada karte hein 'saahb', log mere naam se

Mera hashar jo hoga 'saahb', duniya yaad rakhegi

Mera afsaana samjh lo, pather pather suli suli hoga

Charkh charkh chali hai dastaan meri

Tum abar keh rahe ho mehfil ke saathi hein

Barsega aasmaan bhi meri dastaan per 'saahb' Tum puchhtey reh jayoge, kaun tha, kaun tha

Pehchana jayega 'saahb' ek roz apne zor per Chaand jaise sitaaron ke beech, woh bhi poonam ka

Bus mein hai khudkashi beshaq mere

Lekin tujhe bhulana mere bus main nahin

Main kaise chhod do yeh lutf e intezaar

Khudkashi ke mauke aur bhi aaya karenge

Mera daaman nichod ke dekh, mohabbat barsegi Kuchh tum bhi bheeg jaana, pyaar ki baarish mein

Page 55: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 55

Tareef e husn kya karoon aur main 'saahb'

Khuda ki shaan hai, khudayee ki jaan hai

Na hote yeh haseen chehre to zindgi kya hoti

Kya tum o main, ek duje ko yun dekha karte

Mujhe to ab nazar nahin aata kuchh aur Tumhaari aankhon mein sirf main nahin hoon

Meri nazar se hata le tu nazar apni Mohabbat ka masla hai aankhein na lada

Aankh aankh mein basa hai mohabbat ka katra Kahin chamak ke moti hua, kahin beh ke paani

Baarishein in aankhon se kya kahiye Bus tere baad teri yaadon ne tadpaya mujhe

Aankhon ki baat chali to aankhein chura gaye

Aankhein aankhon se jhuth bolte ladkhada gayee

Kya jawab doon ab in aankhon ko bata

Nazar puchh rahi hai kaho, kahaan dekhoon

Aakhon ko mohabbat ki seedhi bana liya usne Mere dil per pehla waar hua hai, yahin se

Page 56: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 56

Rakhte rakhte aankhein mujh per, kya hua unhein

Shayad mere libaas per 'saahb' unki nazar chali gayee

Aankhein tumhaare liye ab nahin tarsa karti Maine samjha diya hai inhein,

Marne ke baad nahin khula karti

Humne jaise hi rakhi un per aankhein, woh chal diye

Shayad meri nazar mein unko mera haal e dil nazar aa gaya

Aadtan woh aankhein dikhaane lage phir mujhko Mera kasoor humesha ki tarah mohabbat 'saahb'

Aakhon ko shayron ne kya kya bana diya 'saahb' Udaas o khush mohabbat o nafrat ka baees aankhein

Puchh lo in aankhon se inki bhi raza 'saahb'

Tum yun hi farmaye ja rahe ho, yeh chahti hein

Aankhein kya kehti hein tumhe, batayo to sahi

Aaeene mein inhein kabhi, tum bhi dekha karo

Sailaab e ashaq behne do 'saahb' baandh na banayo Jab guzrega sar se paani, gaanv ke gaanv ujaad dega

Page 57: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 57

Utra hai aankhon mein jazba e mohabbat unki

Kal meri taraf bade gusse se dekha hai usne

Aankhon ne yeh kaise manzar dikha diye mujhe

Mohabbat ke naam se ab ji ghabra sa jaata hai

Apni aankhon se keh do ki saleeka seekhein

Apna banayo pehle jo is tarah dekhna hai mujhe

Meri aankhein aapke darwaaze per lagi hein musalsal Gaali dene hi sahi, kabhi to nikloge aap yahaan se

Mujhe meri aankhon ki kasam, jhuth nahin kehta Mohabbat hai mohabbat hai, tumse mujhe mohabbat hai

Raaz kaise rakhoon teri mohabbat 'saahb'

Yeh aankhein meri, ab mere bus mein nahin

Dhundha kiya tujhe din raat tu mila nahin

Aankhin apni kya kahoon, kissi kaam ki nahin

Uski aankhon se behtar aur kya masla hoga Aao mehfil waalon, thodi thodi charcha karein

Page 58: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 58

Aankhein rakh di husn waalo per naujawaano ne

Desh loot kar kha gaye, kuchh kursiyaan waale

Aankhin kissi ke kaam nahin aayee unki 'saahb'

Woh aaeeno se puchhte rahe, kaisi lag rahi hoon

Kajal aankhon ko ab lagaya jaise to kaise

Teri nazar bardashat inhein, ya sirf aansoo

Humne khud ko tamaasha bhi bana daala hai 'saahb' Unki aankhein haya ka parda odh kar phir jhuki jhuki

Aankhon ko ilzaam na do mohabbat ka 'saahb' Yeh to sach dikha rahi thi, dil ne suna nahin

Dil per zor chala na zehan ka 'saahb'

Aankhon ne wargla diya ek masoom farishta

Desh ki sarhad per lagi hein jinki aankhein

Kyon unka parivaar 'saahb' kaum ki aankhon mein nahin

Aankhein dikhaati hein sirf sach Dil jhuth ke siwa kuchh chahta nahin

Page 59: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 59

Aankhon ko mohabbat se door rakhna 'saahb'

Yeh masoom kahin dil ki baaton mein aa na jayein

Aankhein kissi bache ki dekhna kabhi 'saahb'

Haqeeqat zindgi ki yahi hai, mohabbat kijiye

Main dekhta hi reh gaya Un aankhon ki chamak

Mere haath mein thi kulfi

Woh dekh raha tha Nazar se sawad le raha tha Main us bache ka gunahgaar

Use juthi kulfi de na saka

Uske liye ek aur kulfi le na saka Khaayee to saari maine hi

Per uski aankhein Main kulfi ka maza le na saka

Hijar se bhari ek shaam, bojhal aankhein

Tumhaare aane ki raah takti, taras rahi hoon

Aankhon ko zara araam bhi diya kijiye

Duniya aaj hi to nahin saari dekh leni

Rahega daur jawaan aage bhi mohabbat ka 'saahb'

Meri aapki aankhon per yeh dastaan khatam nahin hogi

Mausam e khizaan mein bhi aayee hai khushbu bahaar ki

Dil dhadak utha hai phir se, yeh aahat hai 'saahb' aapki

Page 60: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 60

Na kahoon ki khairiyat hai to kya kahoon

Zakham zakham jism hai, aap haal puchhtey ho

Woh apni zubaan se kab kehta hai 'saahb' kuchh

Bus nazarein jhuka leta hai dil chura leta hai

Mere ehbaad ko fursat mili hai aaj kuchh

Haal puchh rahe hein, phir sawal puchh rahe hein

Mere hone na hone se kya farak is duniya ko Wohi subah shaam wohi din raat wohi chala chali

Mohabbat ki baarish mein bheege ek roz hum Ab geeli lakdi sa sulag rahe hein thoda thoda

Haath se na chhoo mujhe, zubaan se puchh 'saahb'

Zakham dabte hein to chees hai, yun khariyat hai

Baichaini e jeesat mujhe rawaan rakhti hai

Main thehar jaun kahin to dum ghut ta hai

Mohabbat bhari ek nazar paakar 'saahb' Aakhiri dum saare shikwe mit gaye unse

Page 61: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 61

Dil mera samjha hai kuchh kuchh, kuchh kuchh nahin nahin

Tum puchh rahe ho sawal aise aise, haal kya hai nahin nahin

Hum unke liye dua karte hein 'saahb' Jinhein humein bad-dua bhi raas nahin

Dard ka ehsaas kya hota hai, ab nahin yaad mujhe 'saahb'

Haan pather kaise khurta hai dheere dheer bata sakta hoon

Pal pal mein shaamil hai hazaar khushiyaan, dekho to

Rishtey! Majboot hote hein

Sikkon ki khanak Kaagzon ke tukdon se

Yeh kalyug hai 'Saahb'

Yahaan pyaar ki paribhasha mein Paisa shaamil hai

Pukaara mere ehbaab ne yun, chonke jaise khaab se

Aa hi sakte to jaate hi kyon, kya kahein ab aap se

Nain aayaar bade hein, har tarqeeb per pade yeh bhaaru Nain bane hein chaaku chhuriyaan, nain dawa o daaru

Pukaara kiya hai humne unko har tarah se 'saahb'

Yeh hawayein ghatayein baadal barkha meri sadayein hein

Kuchh saal baad tasweerein bhi utar jaati hein

Weham hai kissi ke bina koee mar jaata hai

Page 62: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 62

Na dekho is roshani mein saaye 'saahb' Dil jal raha hai teergi badh rahi hai

Dil doob gaya na jaane kyon 'saahb' yun hi mera

Dekh kar phir kissi ka haath kissi ke hath mein

Har aansoo aag mein ghee samaan 'saahb' Aag dil ki aur badhti hai hijar ki shab

Mere saath chalti hein yaadein ab saaya banke

Main chahoon bhi to tanha nahin reh sakta 'saahb'

Tere milne ke baad meri aankhon ko kuchh ho sa gaya hai

Aaeene bhi dekh loon to, tujhse sarma jaati hai meri nazar

Shehar mein kaun baaki hai dushmani ko ab

Sabhi ne doston ki shakal ikhtiyaar kar li

Raha hai humesha se yahi gunaah e ishaq 'saahb' Manjoor nahin hua hai duniya ko, deewana ho jaana

Sach bola jab aaeene ne, safed baal dikha kar

Woh jhunjhla ke kehne lage, aaeena kharaab hai

Yeh zaruri nahin sohbat mein mohabbat ho 'saahb'

Dooriyaan bhi baaees e deewangi hua karti hein

Page 63: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 63

Mere hosh o hawas mein hota 'saahb' to bata sakta tha

Mujhe nahin maaloom mohabbat ka pehla lamha kaisa tha

Chaand ki tammna mein dil ko jalaana theek nahin

Haath mein kissi ka haath ho to phir tammana nahin

Meri saanson mein mehak si hai 'saahb'

Tera naam lene ke baad zubaan mehki hai

Tera mera asool hai ek sa 'saahb', zid pe kayam dono

Na tum yaad karo mujhko na main bhul sakoon tumhe

Milta hai itihaas mein khudkashi ka zikar bhi

Har kissi se bawafa hokar jiya nahin jaata

Kashish hoti hai chand lamhon ki magar Mohabbat umar bhar ki qaid hoti hai 'saahb'

Yeh le kaasid tujhe paigaam de rahi hoon

Use dena jiska tujhe, mere jaisa haal mile

Hijar kushat jism per marhum bhi namak sa kaam karti hai

Achha hoga 'saahb' mujhe mera haal na poochha karo

Bachpan mein kuchh gunaah nahin samjha jaata Tere liye mohabbat mujh mein, aur daur se hai

Page 64: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 64

Nazar beshak dhundhla gayee hai peeri mein

Tasavur mein aaj bhi 'saahb' wohi shauk hai

Meri hi tabyat ke hein dost mein 'saahb'

Na main baaz aata hoon wafa se na woh dage se

Utra jaata hai nazar mein tera tasavur phir

Duniya dhundhla rahi hai, bekhudi chhaa rahi hai

Mere hosh chheen le 'saahb' mere hawas chheen le Mujhe ruswa karne se pehle mere halaat chheen le

Mujhe teri tasweer ne yun bekhud kiya 'saahb' Khud aa jaate kahin, shayad khudkashi kar leta

Mere hawas gaye tere saath 'saahb'

Nahin gaya shauk e deedar, shekh ki tabyat se Azaan abhi tak apne hi dil tak nahin pahunchi

Khuda ko paana chahtein hein 'saahb'

Kya khuda ki kaynaat ko chhod dein Namaz se namaz tak jayaz hai

Mere dil ki zameen per ghar bana lijiye 'saahb' Is jahaan mein e mohabbat tujhe kahaan chhat milegi

Page 65: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 65

Sehra se samander tak ka safar 'saahb'

Jaise ek ashak dil se aankh tak chala

Kitaab se padh kar aa gaye woh mohabbat

Puchh rahe hein jaan pe khel jaoge kya

Haqeeqat e zindgi kuchh aur hi nikli

Main mohabbat ke gumaan mein reh gaya

Kabhi dil se dil lagaya hota kabhi to samjh aati Surat dekhte rahe 'saahb' seerat kya samjh aati

Khuda ko dil mein basaya hai yun humne Log hairaan hote hein, muskurata dekhkar

Unki yeh shart hai pehli 'saahb' mohabbat mein

Jab chhod kar jayein woh, to royenge nahin hum

Main der tak yun aakhiri dum na le paya ‘saahb’

Khabar aati rahi ki ab ki ab who aaye who aaye

Mujhe yun na le ke gaye mere yaar der tak kaandhe per

Teri kangan ki khan khan thi, log meri dhadkan samjhte rahe

Tere kangan ki khan khan mujhe dhadkan si azij hai

Mere katal ka kabhi iraada bane to kangan utaar dena

Page 66: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 66

Mujhe yun na sataya karo mohabbat ki aad lekar

Tumhe meri jaan chahiye na, dil to sirf bahana hai

Meri jeesat per bhaari hai teri khamoshi kalayee 'saahb'

Meri saanso ko chun kar koee, teri kalayee ka kangan kar de

Utaar do yeh kangan tum aaj aur abhi ke abhi 'saahb'

Mujhse zyaada koee tere aur kareeb mujhe bardashat nahin

Mudda asal mohabbat tha aur behas mazhub tak chali gayee Ab raam kare ya raheem kare, mohabbat to mohabbat hoti hai

Ishaq de waar to bach ke rehna chahida

Sabar naal har dukh santaap sehna chahida

Mehboob de daaman te koee daag na lag jawe Koee haal puchhe taan sab theek kehna chahida

Bhul ke vi shikayat na aa jawe buliyaan te

'Saahb' mohabbat hai taan bus chup rehna chahida

Kuchh to reh gaya haathon mein shukar kijiye Sookhe phul hi sahi, mohabbat ki nishaani hein

Mere saamne aks apna ask badal gaye

Aaeene mein tum, meri jagah aa gaye ho

Duayon mein tujhe kya maang liya humne khuda se

Kasar nahin chhodi bijliyon ne barbaad karne mein

Page 67: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 67

Tijarat nahin hai 'saahb' mohabbat hai yeh

Haasil o nafa nuksaan ismein nahin hota

Wafa aaj bhi wohi hai, mohabbat ka darja bhi

Afwahein hein ki woh log chale gaye 'saahb'

Zehar ko zehar kehte hein to mohabbat ko mohabbat kyon nahin

Tumko waajib gar shikayat hai to haasil per shukriya kyon nahin

Aadtan ab qadam chal pade hein us aur 'saahb' Dil jaanta hai siway ruswaayee ab kuchh nahin

Woh tanz se kehte hein, marne pe bulana Sirf beemar hon to khabar bhi zaruri nahin

Subah chale shaam ko laut aana hai

Yeh safar hai 'saahb' ghar se ghar tak

Raaste o manzil to khudi sehal ban jaate hein 'saahb'

Dariya ufaan pe ho to chhote bade pather nahin dekhta

Mere dil per jo guzrein hein haadse kya kahoon Tum apni kaho vaid g, haal e mohabbat sun bhi sakoge

Page 68: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 68

Mere haal pe na ja mere dil ka haasil dekh

Na koee tadap hai na bezaari fakeer e ishaq ko

Beghar hokar yeh hasrtein jayengi kahaan

Shola hi sahi, mujhse yun nikaali na gayee

Pahaad si baat thi mujhko mohabbat teri

Tumne ek lafz inkaar mein ret kar daali

Tere saamne baithey hein phir shikayat ko Kabhi to tasavur se baahar bhi nikla karo

Apne hi haatho se ji karta hai sula doon isko Apne hi dil ka khoon, kya gunaah e azeem hoga

Haadse yun bhi ho jaya karte hein mohabbat mein

Mile tum juda huye, dastaan bani, charcha hua

Nahin farak padega 'saahb' kuchh chamak o chaundh mein

Chaahe to aasmaan ki bijiyaan tasweer se hata ke dekh lo

Jawani ke din hein aur mohabbat ki raatein Yahi to hai jise jannat ki zindgi kehte hein

Page 69: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 69

Mohabbat to mohabbat hai 'saahb'

Tujhe manzoor ho na ho, hum tumhaare hein

Mujhe manjoor nahin pather sa beh jaun nadi mein

Main baandh sa banuga, jo roshan koee ghar kar sake

Utar rahi hai dhup dheere dheere zeene se

Yaad aa raha hai chilman ki oat se jhankna tera

Nahin kat raha thi shaam tanha 'saahb' Socha mohabbat hi kar ke dekh li jaye

Baaz aa e dil mere, mohabbat se Tu ro lega behal jayega, main kya karunga

Chham chham chham, bina payal ke yeh khanak kaise

Oh tum muskuraye ho, aaeene mein apna hi aks dekhkar

Woh aaj bhi aadtan ruth jaate hein 'saahb'

Ab humare manane mein woh shiddat nahin rahi

Waqt ke saath mohabbat ka asar dhalta gaya Ab na roothne waala roothta hai na manane wala

Page 70: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 70

Nahin chalta karobaar vaid ka unki gali mein 'saahb'

Jo koee beemaar bhi ho, woh nazar se achha kar dete hein

Unse milkar badal jaati hai niyat phir meri

Yun tauba karta hoob roz mohabbat se main

Puchh rahe hein vaid g, tujhe fees maaf saari

Bus itna bata de is tarah se biwi ne peeta kaise

Reh gaya moohn mein kasaila sa sawad ek

Kothey te kach mahiya Kothey te kach mahiya

Tere kolon aina mangde Saade naal aa ke nach mahiya

Addi maar ke dhudaan pat deniyaan

Addi maar ke dhudaan pat deniyaan Gidhe wich jattiyaan ne/2

Ohna jaan di gal kitti Ohna jaan di gal kitti

Saade dil nu haul piya...

Kothey te rodiyaan ne.... Kothey te rodiyaan ne....

Aaja saada ho ja ve

Eh rahhan rab ne jodiyaan ne

Kadmaan nu duck sajnaa .. Kadmaan nu duck sajnaa ..

Mohabbataan waala ..

Parda kujh taan rakh sajnaa

Nahin mohabbat hi sirf shayri ka baees Kaafir dil bhi kuchh gungunaya karte hein

Page 71: SHABNAM - merikavita.infomerikavita.info/ShabnamHaanMujheYaadHai.pdf · Bus ek baar haath thaamna chahta hoon ... Ikhtiyaar agar hota to phir chheen liya hota Aa gayee mere zehan

SHABNAM

‘ S A A H B ’

Page 71

Hargiz khudgarzi ka kaam hai yeh keh dena Teri keemat per bhi hum juda nahin hona chahtey

Thokar kha gaya dil magar, dil ka kasoor kya hai

Mohabbat sabse pehle aankhein hi to band karti hai

Badal jaate hein jazbaat nikaah ke chaar din baad hi 'saahb'

Woh der se ghar aane lagta hai, woh kitty mein jaane lagti hai