tārīḳhīsahāif - urdu geo version...tārīḳhīsahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel...

596
Tārīḳ hī Sahāif Asal Ibrānī aur Arāmī Matan se Naya Urdū Tarjumā Urdu Geo Version

Upload: others

Post on 02-Mar-2021

4 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Tārīkhī Sahāif

Asal Ibrānī aur Arāmī Matan seNaya Urdū Tarjumā

Urdu Geo Version

Page 2: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

The Historical Books. Joshua‐Esther in Modern UrduTranslated from the Original Hebrew and Aramaic

Urdu Geo Version (Roman script)

© 2021 Urdu Geo Versionwww.urdugeoversion.com

This work is licensed under a Creative Commons Attribution‐ NonCommercial ‐ NoDerivatives 4.0 International Public License.

https://creativecommons.org/licenses/by‐nc‐nd/4.0/legalcode

For permissions & requests regarding printing & further formatscontact [email protected].

Page 3: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Tārīkhī Sahāif

Yashua 1

Quzāt 53

Rūt 105

1 Samuel 113

2 Samuel 183

1 Salātīn 244

2 Salātīn 314

1 Tawārīkh 384

2 Tawārīkh 443

Azrā 521

Nahmiyāh 543

Āstar 575

Page 4: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh
Page 5: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Harf‐e‐Āġāz

Azīz qārī! Āp ke hāth meṅ kitāb‐e‐muqaddas kā nayā urdū tarjumā hai.Yih ilāhī kitāb insān ke lie Allāh T’ālā kā kalām hai. Is meṅ insān ke sāthAllāh kī muhabbat aur us ke lie us kī marzī aur manshā kā izhār hai.Kitāb‐e‐muqaddas purāne aur nae ahadnāme kā majmuā hai. Purānā

ahadnāmā Tauret, tārīkhī sahāyf, hikmat aur zabūr ke sahāyf, aur anbiyāke sahāyf par mushtamil hai. Nayā ahadnāmā injīl‐e‐muqaddas kā pākkalām hai.Purāne ahadnāme kī asal zabān Ibrānī aur Arāmī aur nae ahadnāme kī

Yūnānī hai. Zer‐e‐nazar matan in zabānoṅ kā barāh‐e‐rāst tarjumā hai.mutarjim ne har mumkin koshish kī hai ki asal zabānoṅ kā sahīh sahīhmafhūm adā kare.Pāk kalām ke tamām mutarjimīn ko do sawāloṅ kā sāmnā hai: pahlā

yih ki asal matan kā sahīh sahīh tarjumā kiyā jāe. Dūsrā yih ki jis zabānmeṅ tarjumā karnā maqsūd ho us kī khūbsūrtī aur chāshnī bhī barqarārrahe aur pāk matan ke sāth wafādārī bhī muta’assir na ho. Chunāṅcheharmutarjimko faislā karnā hotā hai ki kahāṅ takwuh lafz balafz tarjumākare aur kahāṅ tak urdū zabān kī sihhat, khūbsūrtī aur chāshnī komadd‐e‐nazar rakhte hue qadre āzādānā tarjumā kare. mukhtalif tarjumoṅmeṅjo bāz auqāt thoṛā‐bahut farq nazar ātā hai us kā yihī sabab hai ki ekmutarjim asal alfāz kā ziyādā pāband rahā hai jabki dūsre ne mafhūm koadā karne meṅ urdū zabān kī riāyat karke qadre āzād tarīqe se matlab koadā karne kī koshish kī hai. Is tarjume meṅ jahāṅ tak ho sakā asal zabān

Page 6: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

6 HARF‐E‐ĀĠĀZ

ke qarīb rahne kī koshish kī gaī hai. Yād rahe ki surkhiyāṅ aur unwānātmatan kā hissā nahīṅ haiṅ. Un komahz qārī kī sahūlat kī khātir diyā gayāhai.Chūṅki asal zabānoṅmeṅanbiyā ke lie izzat kewuhalqāb istemāl nahīṅ

kie gae jin kā āj kal riwāj hai, is lie ilhāmī matan ke ehtirām ko malhūz‐e‐khātir rakhte hue tarjume meṅ alqāb kā izāfā karne se gurez kiyā gayāhai.Kitāb‐e‐muqaddas meṅ mazkūr jawāhirāt kā tarjumā jadīd sāinsī

tahqīqāt ke mutābiq kiyā gayā hai.Chūṅki waqt ke sāth sāth nāp‐tol kī miqdāreṅ qadre badal gaīṅ is lie

tarjume meṅ un kī adāegī meṅ khās mushkil pesh āī.Jahāṅ rūh kā lafz sīġā‐e‐muzakkar meṅ adā kiyā gayā hai wahāṅ us

se murād Rūhul‐quds yānī Khudā kā Rūh hai. Jab wuh aur mānoṅ meṅmustāmal hai tab māmūl ke mutābiq sīġā‐e‐muannas istemāl huā hai.Injīl‐e‐muqaddasmeṅbaptismā dene kā luġwīmatlab ġotā denā hai. Jis

shakhs ko baptismā diyā jātā hai use pānī meṅ ġotā diyā jātā hai.Bārī tālā ke fazl se injīl‐e‐muqaddas ke kaī urdū tarjume dastyāb haiṅ.

In sab kāmaqsad yihī hai ki asal zabān kāmafhūmadā kiyā jāe. In kā āpasmeṅ muqābalā nahīṅ hai balki mukhtalif tarjumoṅ kā ek dūsre ke sāthmuwāzanā karne se aslī zabān ke mafhūm kī gahrāī aur wus’at sāmne ātīhai aur yūṅ mukhtlif tarjume mil kar kalām‐e‐muqaddas kī pūrī tafhīmmeṅ muawin sābit hote haiṅ.Allāh kare ki yih tarjumā bhī us ke zindā kalām kā matlab aur maqsad

aur us kī wus’at aur gahrāī ko ziyādā safāī se samajhnemeṅmadad kā bāisbane.

Nāshirīn

Page 7: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua

Rab Yashua ko Rāhnumāī kīZimmedārī Sauṅptā Hai

1 Rab ke khādim Mūsā kī mautke bād RabMūsā kemadadgār

Yashua bin Nūn se hamkalām huā.Us ne kahā, 2“Merā khādim Mūsāfaut ho gayā hai. Ab uṭh, is pūrīqaum ke sāth Dariyā‐e‐Yardan kopār karke us mulk meṅ dākhilho jā jo maiṅ Isrāīliyoṅ ko deneko hūṅ. 3Jis zamīn par bhī tūapnā pāṅw rakhegā use maiṅ Mūsāke sāth kie gae wāde ke mutābiqtujhe dūṅgā. 4Tumhāre mulk kīsarhaddeṅ yih hoṅgī: junūb meṅNajab kā registān, shimāl meṅLubnān, mashriq meṅ Dariyā‐e‐Furāt aur maġhrib meṅ Bahīrā‐e‐Rūm. Hittī qaum kā pūrā ilāqā ismeṅ shāmil hogā. 5Tere jīte‐jī koīterā sāmnā nahīṅ kar sakegā. Jis

tarah maiṅ Mūsā ke sāth thā, usītarah tere sāth bhī hūṅgā. Maiṅtujhe kabhī nahīṅ chhoṛūṅgā, natujhe tark karūṅga.

6Mazbūt aur diler ho, kyoṅki tūhī is qaum komīrās meṅ wuhmulkdegā jis kā maiṅ ne un ke bāpdādāse qasam khā kar wādā kiyā thā.7Lekin khabardār, mazbūt aurbahut diler ho. Ehtiyāt se uspūrī sharīat par amal kar jo merekhādim Mūsā ne tujhe dī hai. Usse na dāīṅ aur na bāīṅ taraf haṭnā.Phir jahāṅ kahīṅ bhī tū jāe kāmyābhogā. 8Jo bāteṅ is Sharīat kī Kitābmeṅ likhī haiṅ wuh tere muṅh sena haṭeṅ. Din rāt un par ġhaurkartā rah tāki tū ehtiyāt se is kīhar bāt par amal kar sake. Phir tūhar kāmmeṅkāmyāb aur khushhālhogā.

Page 8: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Yashua 2:1

9Maiṅ phir kahtā hūṅ ki mazbūtaur diler ho. Na ghabrā aur nahauslā hār, kyoṅki jahāṅ bhī tūjāegā wahāṅ Rab terā Khudā teresāth rahegā.”

Mulkmeṅ Dākhil Honekī Taiyāriyāṅ

10Phir Yashua qaumke nigahbānoṅse mukhātib huā, 11“Khaimāgāhmeṅ har jagah jā kar logoṅ ko ittalādeṅ ki safr ke lie khāne kā band‐o‐bast kar leṅ. Kyoṅki tīn din ke bādāp Dariyā‐e‐Yardan ko pār karke usmulk par qabzā kareṅge jo Rab āpkā Khudā āp ko wirse meṅ de rahāhai.”

12Phir Yashua Rūbin, Jadaur Manassī ke ādhe qabīle semukhātib huā, 13“Yih bāt yādrakheṅ jo Rab ke khādim Mūsāne āp se kahī thī, ‘Rab tumhārāKhudā tum ko Dariyā‐e‐Yardan kemashriqī kināre par kā yih ilāqādetā hai tāki tum yahāṅ amn‐o‐amān ke sāth rah sako.’ 14Ab jabham Dariyā‐e‐Yardan ko pār karrahe haiṅ to āp ke bāl‐bachcheaur maweshī yihīṅ rah sakte haiṅ.Lekin lāzimhai ki āp ke tamām jangkarne ke qābil mard musallah ho

kar apne bhāiyoṅ ke āge āge dariyāko pār kareṅ. Āp ko us waqt takapne bhāiyoṅ kī madad karnā hai15jab tak Rab unheṅ wuh ārām nade jo āp ko hāsil hai aur wuh usmulk par qabzā na kar leṅ jo Rabāp kā Khudā unheṅ de rahā hai. Iske bād hī āp ko apne us ilāqe meṅwāpas jā kar ābād hone kī ijāzathogī jo Rab ke khādim Mūsā neāp ko Dariyā‐e‐Yardan ke mashriqīkināre par diyā thā.”

16Unhoṅne jawābmeṅYashua sekahā, “Jo bhī hukm āp ne hameṅdiyā hai wuh ham māneṅge aurjahāṅ bhī hameṅ bhejeṅge wahāṅjāeṅge. 17Jis tarah hamMūsā kī harbāt mānte the usī tarah āp kī bhīhar bāt māneṅge. Lekin Rab āp kāKhudā usī tarah āp ke sāth ho jistarah wuh Mūsā ke sāth thā. 18Jobhī āpkehukmkī khilāfwarzī karkeāp kī wuh tamām bāteṅ na mānejo āp farmāeṅge use sazā‐e‐maut dījāe. Lekin mazbūt aur diler hoṅ!”

Yarīhū Shahrmeṅ Isrāīlī Jāsūs

2 Phir Yashua ne chupke se dojāsūsoṅko Shittīm sebhej diyā

jahāṅ Isrāīlī khaimāgāh thī. Usne un se kahā, “Jā kar mulk kā

Page 9: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 2:2 3

jāyzā leṅ, khāskar Yarīhū Shahrkā.” Wuh rawānā hue aur chaltechalte ek kasbī ke ghar pahuṅchejis kā nām Rāhab thā. Wahāṅwuh rāt ke lie ṭhahar gae. 2LekinYarīhū ke bādshāh ko ittalā milīki āj shām ko kuchh Isrāīlī mardyahāṅ pahuṅch gae haiṅ jo mulk kījāsūsī karnā chāhte haiṅ. 3Yih sunkar bādshāh ne Rāhab ko khabarbhejī, “Un ādmiyoṅ ko nikāl dojo tumhāre pās ā kar ṭhahre huehaiṅ, kyoṅki yih pūremulk kī jāsūsīkarne ke lie āe haiṅ.”

4Lekin Rāhab ne donoṅ ādmiyoṅko chhupā rakhā thā. Us ne kahā,“Jī, yih ādmī mere pās āe to thelekin mujhe mālūm nahīṅ thā kikahāṅ se āe haiṅ. 5Jab din ḍhalnelagā aur shahr kedarwāzoṅkobandkarne kā waqt ā gayā to wuh chalegae. Mujhe mālūm nahīṅ ki kistaraf gae. Ab jaldī karke un kāpīchhā kareṅ. Ain mumkin hai kiāp unheṅ pakaṛ leṅ.” 6HaqīqatmeṅRāhab ne unheṅ chhat par le jā karwahāṅ par paṛe san ke ḍanṭhloṅke nīche chhupā diyā thā. 7Rāhabkī bāt sun kar bādshāh ke ādmīwahāṅ se chale gae aur shahr senikal kar jāsūsoṅ ke tāqqubmeṅ usrāste par chalne lage jo Dariyā‐e‐

Yardan ke un kam‐gahre maqāmoṅtak le jātā hai jahāṅ use paidal ubūrkiyā jā saktā thā. Aur jyoṅ hī yihādmī nikle, shahr kā darwāzā un kepīchhe band kar diyā gayā.

8Jāsūsoṅ ke so jāne se pahleRāhab ne chhat par ā kar 9un sekahā, “Maiṅ jāntī hūṅ ki Rab neyih mulk āp ko de diyā hai. Āpke bāre meṅ sun kar ham pardahshat chhā gaī hai, aur mulkke tamām bāshinde himmat hārgae haiṅ. 10Kyoṅki hameṅ khabarmilī hai ki āp ke Misr se nikaltewaqt Rab ne Bahr‐e‐Qulzum kāpānī kis tarah āp ke āge khushkkar diyā. Yih bhī hamāre sunanemeṅ āyā hai ki āp ne Dariyā‐e‐Yardan kemashriqmeṅ rahnewāledo bādshāhoṅ Sīhon aur Oj ke sāthkyā kuchh kiyā, ki āp ne unheṅpūrī tarah tabāh kar diyā. 11Yihsun kar hamārī himmat ṭūṭ gaī.Āp ke sāmne ham sab hauslā hārgae haiṅ, kyoṅki Rab āp kā Khudāāsmān‐o‐zamīn kā Khudā hai. 12AbRab kī qasam khā kar mujh sewādā kareṅ ki āp usī tarah merekhāndān par mehrbānī kareṅge jistarah ki maiṅ ne āp par kī hai.Aur zamānat ke taur par mujhekoī nishān deṅ 13ki āp mere māṅ‐

Page 10: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

4 Yashua 2:24

bāp, mere bahan‐bhāiyoṅ aur unke ghar wāloṅ ko zindā chhoṛ karhameṅ maut se bachāe rakheṅge.”

14Ādmiyoṅ ne kahā, “Ham apnījānoṅ ko zamānat ke taur par peshkarte haiṅ ki āp mahfūz raheṅge.Agar āp kisī ko hamāre bāre meṅittalā na deṅ to ham āp se zarūrmehrbānī aur wafādārī se peshāeṅge jab Rab hameṅ yih mulk atāfarmāegā.”

15Tab Rāhab ne shahr se nikalnemeṅ un kī madad kī. Chūṅki us kāghar shahr kī chārdīwārī se mulhiqthā is lie ādmī khiṛkī se nikal karrasse ke zariye bāhar kī zamīn parutar āe. 16Utarne se pahle Rāhabneunheṅ hidāyat kī, “Pahāṛī ilāqe kītaraf chale jāeṅ. Jo āpkā tāqqubkarrahe haiṅ wuh wahāṅ āp ko ḍhūnḍnahīṅ sakeṅge. Tīn din tak yānījab tak wuh wāpas na ā jāeṅ wahāṅchhupe rahnā. Is ke bād jahāṅ jānekā irādā hai chale jānā.”

17Ādmiyoṅ ne us se kahā, “Joqasam āp ne hameṅ khilāī hai hamzarūr us ke pāband raheṅge. Lekinshart yih hai 18ki āp hamāre ismulkmeṅ āte waqt qirmizī rang kā yihrassā us khiṛkī ke sāmne bāndhdeṅ jis meṅ se āp ne hameṅ utarnediyā hai. Yih bhī lāzim hai ki us

waqt āp ke māṅ‐bāp, bhāī‐bahneṅaur tamām ghar wāle āp ke gharmeṅ hoṅ. 19Agar koī āp ke gharmeṅ se nikle aur mār diyā jāe toyih hamārā qusūr nahīṅ hogā, hamzimmedār nahīṅ ṭhahreṅge. Lekinagar kisī ko hāth lagāyā jāe jo āpke ghar ke andar ho to ham hī uskī maut ke zimmedār ṭhahreṅge.20Aur kisī ko hamāre muāmale kebāre meṅ ittalā na denā, warnāham us qasam se āzād haiṅ jo āp nehameṅ khilāī.”

21Rāhabne jawāb diyā, “Ṭhīk hai,aisā hī ho.” Phir us ne unheṅrukhsat kiyā aur wuh rawānā hue.Aur Rāhab ne apnī khiṛkī ke sāthmazkūrā rassā bāndh diyā.

22Jāsūs chalte chalte pahāṛī ilāqemeṅ ā gae. Wahāṅ wuh tīn dinrahe. Itne meṅ un kā tāqqub karnewāle pūre rāste kā khoj lagā karkhālī hāth lauṭe. 23Phir donoṅjāsūsoṅ ne pahāṛī ilāqe se utarkar Dariyā‐e‐Yardan ko pār kiyāaur Yashua bin Nūn ke pās ā karsab kuchh bayān kiyā jo un kesāth huā thā. 24Unhoṅ ne kahā,“Yaqīnan Rab ne hameṅ pūrā mulkde diyā hai. Hamāre bāre meṅ sunkar mulk ke tamām bāshindoṅ pardahshat tārī ho gaī hai.”

Page 11: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 3:1 5

Isrāīlī Dariyā‐e‐Yardan koUbūr Karte Haiṅ

3 Subah‐sawere uṭh kar Yashuaaur tamām Isrāīlī Shittīm se

rawānā hue. Jab wuh Dariyā‐e‐Yardan par pahuṅche to use ubūrna kiyā balki rāt ke lie kināre parruk gae. 2Wuh tīn din wahāṅ rahe.Phir nigahbānoṅ ne khaimāgāhmeṅ se guzar kar 3logoṅ ko hukmdiyā, “Jab āp dekheṅ ki Lāwī keqabīle ke imām Rab āp ke Khudāke ahd kā sandūq uṭhāe hue haiṅto apne apne maqām se rawānā hokar us ke pīchhe ho leṅ. 4Phir āpko patā chalegā ki kahāṅ jānā hai,kyoṅki āppahle kabhīwahāṅnahīṅgae. Lekin sandūq ke taqrīban ekkilomīṭar pīchhe raheṅ aur zyādāqarīb na jāeṅ.”

5Yashua ne logoṅ ko batāyā,“Apne āp ko makhsūs‐o‐muqaddaskareṅ, kyoṅki kal Rab āp kedarmiyānhairatangez kāmkaregā.”

6Agle din Yashua ne imāmoṅ sekahā, “Ahd kā sandūq uṭhā karlogoṅ ke āge āge dariyā ko pārkareṅ.” Chunāṅche imām sandūqko uṭhā kar āge āge chal die.7Aur Rab ne Yashua se farmāyā,“Maiṅ tujhe tamām Isrāīliyoṅ ke

sāmne sarfarāz kar dūṅgā, aur ājhī maiṅ yih kām shurū karūṅgatāki wuh jān leṅ ki jis tarah maiṅMūsā ke sāth thā usī tarah teresāth bhī hūṅ. 8Ahd kā sandūquṭhāne wāle imāmoṅ ko batā denā,‘Jab āp Dariyā‐e‐Yardan ke kinārepahuṅcheṅge to wahāṅ pānī meṅruk jāeṅ.’”

9Yashua ne Isrāīliyoṅ se kahā,“Mere pās āeṅ aur Rab apne Khudāke farmān sun leṅ. 10Āj āp jān leṅgeki zindā Khudā āp ke darmiyān haiaur ki wuh yaqīnan āp ke āge āgejā kar dūsrī qaumoṅ ko nikāl degā,khāh wuh Kanānī, Hittī, Hiwwī,Farizzī, Jirjāsī, Amorī yā Yabūsīhoṅ. 11Yih yoṅ zāhir hogā ki ahdkā yih sandūq jo tamām duniyā kemālik kā hai āp ke āge āge Dariyā‐e‐Yardan meṅ jāegā. 12Ab aisā kareṅki har qabīle meṅ se ek ek ādmī kochun leṅ tāki bārah afrād jamā hojāeṅ. 13Phir imām tamām duniyāke mālik Rab ke ahd kā sandūquṭhā kar dariyā meṅ jāeṅge. Aurjyoṅ hī wuh apne pāṅw pānī meṅrakheṅge to pānī kā bahāw rukjāegā aur āne wālā pānī ḍher bankar khaṛā rahegā.”

14Chunāṅche Isrāīlī apnekhaimoṅ ko sameṭ kar rawānā

Page 12: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

6 Yashua 4:8

hue, aur ahd kā sandūq uṭhānewāle imām un ke āge āge chal die.15Fasal kī kaṭāī kā mausam thā, aurdariyā kā pānī kināroṅ se bāharā gayā thā. Lekin jyoṅ hī sandūqko uṭhāne wāle imāmoṅ ne dariyāke kināre pahuṅch kar pānī meṅqadam rakhā 16to āne wāle pānīkā bahāw ruk gayā. Wuh un sedūr ek shahr ke qarīb ḍher bangayā jis kā nām Ādam thā aur joZartān ke nazdīk hai. Jo pānī dūsrīyānī Bahīrā‐e‐Murdār kī taraf bahrahā thā wuh pūrī tarah utar gayā.Tab Isrāīliyoṅ ne Yarīhū Shahrke muqābil dariyā ko pār kiyā.17Rab kā ahd kā sandūq uṭhānewāle imāmDariyā‐e‐Yardan ke bīchmeṅ khushk zamīn par khaṛe rahejabki bāqī log khushk zamīn parse guzar gae. Imām us waqt takwahāṅ khaṛe rahe jab tak tamāmIsrāīliyoṅ ne khushk zamīn parchal kar dariyā ko pār na kar liyā.

Yādgār Patthar

4 Jab pūrī qaum ne Dariyā‐e‐Yardan ko ubūr kar liyā to Rab

Yashua se hamkalām huā, 2“Harqabīle meṅ se ek ek ādmī ko chunle. 3Phir in bārah ādmiyoṅ ko

hukm de ki jahāṅ imām Dariyā‐e‐Yardan ke darmiyān khaṛe haiṅwahāṅ se bārah patthar uṭhā karunheṅ us jagah rakh do jahāṅ tumāj rāt ṭhahroge.”

4Chunāṅche Yashua ne un bārahādmiyoṅ ko bulāyā jinheṅ us neIsrāīl ke har qabīle se chun liyāthā 5aur un se kahā, “Rab apneKhudā ke sandūq ke āge āge chalkar dariyā ke darmiyān tak jāeṅ.Āp meṅ se har ādmī ek ek pattharuṭhā kar apne kandhe par rakheaur bāhar le jāe. Kul bārah pattharhoṅge, Isrāīl ke har qabīle ke lieek. 6Yih patthar āp ke darmiyānek yādgār nishān raheṅge. Āindājab āp ke bachche āp se pūchheṅgeki in pattharoṅ kā kyā matlab hai7to unheṅ batānā, ‘Yih hameṅ yāddilāte haiṅ ki Dariyā‐e‐Yardan kābahāw ruk gayā jab Rab kā ahdkā sandūq us meṅ se guzarā.’ Yihpatthar abad tak Isrāīl ko yād dilāteraheṅge ki yahāṅ kyā kuchh huāthā.”

8Isrāīliyoṅne aisā hī kiyā. Unhoṅne Dariyā‐e‐Yardan ke bīch meṅ seapne qabīloṅ kī tādād ke mutābiqbārah patthar uṭhāe, bilkul usītarah jis tarah Rab ne Yashua kofarmāyā thā. Phir unhoṅ ne yih

Page 13: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 4:9 7

patthar apne sāth le kar us jagahrakh die jahāṅ unheṅ rāt ke lieṭhaharnā thā. 9Sāth sāth Yashuane us jagah bhī bārah pattharkhaṛe kie jahāṅ ahd kā sandūquṭhānewāle imāmDariyā‐e‐Yardanke darmiyān khaṛe the. Yih pattharāj tak wahāṅ paṛe haiṅ. 10Sandūqko uṭhāne wāle imām dariyā kedarmiyān khaṛe rahe jab tak logoṅne tamām ahkām jo Rab ne Yashuako die the pūre na kar lie. Yoṅ sabkuchh waisā hī huā jaisā Mūsā neYashua ko farmāyā thā.Log jaldī jaldī dariyā meṅ se

guzare. 11Jab sab dūsre kināre parthe to imām bhī Rab kā sandūqle kar kināre par pahuṅche aurdubārā qaum ke āge āge chalnelage. 12Aur jis tarah Mūsā nefarmāyā thā, Rūbin, Jad aurManassī ke ādhe qabīle ke mardmusallah ho kar bāqī Isrāīlī qabīloṅse pahle dariyā ke dūsre kinārepar pahuṅch gae the. 13Taqrīban40,000 musallah mard us waqtRab ke sāmne Yarīhū ke maidānmeṅ pahuṅch gae tāki wahāṅ jangkareṅ. 14Us din Rab ne Yashua kopūrī Isrāīlī qaumke sāmne sarfarāz

kiyā. Us ke jīte‐jī log us kā yoṅkhauf mānte rahe jis tarah pahleMūsā kā.

15Phir Rab ne Yashua se kahā,16“Ahd kā sandūq uṭhāne wāleimāmoṅ ko dariyā meṅ se nikalnekā hukm de.” 17Yashua ne aisā hīkiyā 18to jyoṅ hī imām kināre parpahuṅch gae pānī dubārā bah kardariyā kekināroṅ sebāhar āne lagā.

19Isrāīliyoṅ ne pahle mahīne kedasweṅ dina Dariyā‐e‐Yardan koubūr kiyā. Unhoṅ ne apne khaimeYarīhū ke mashriq meṅ wāqe Jiljālmeṅ khaṛe kie. 20Wahāṅ Yashuane dariyā meṅ se chune hue bārahpattharoṅ ko khaṛā kiyā. 21Usne Isrāīliyoṅ se kahā, “Āindā jabāp ke bachche apne apne bāp sepūchheṅge ki in pattharoṅ kā kyāmatlab hai 22to unheṅ batānā, ‘Yihwuh jagah hai jahāṅ Isrāīlī qaumnekhushk zamīn par Dariyā‐e‐Yardanko pār kiyā.’ 23Kyoṅki Rab āp keKhudā ne us waqt tak āp ke āgeāge dariyā kā pānī khushk kar diyājab tak āp wahāṅ se guzar na gae.Bilkul usī tarah jis tarah Bahr‐e‐Qulzum ke sāth kiyā thā jab hamus meṅ se guzare. 24Us ne yih

aYānī Aprail meṅ.

Page 14: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

8 Yashua 5:10

kām is lie kiyā tāki zamīn kī tamāmqaumeṅ Allāh kī qudrat ko jān leṅaur āphameshāRab apne Khudā kākhauf māneṅ.”

5 Yih khabar Dariyā‐e‐Yardanke maġhrib meṅ ābād tamām

Amorī bādshāhoṅ aur sāhilīilāqe meṅ ābād tamām Kanānībādshāhoṅ tak pahuṅch gaī ki Rabne Isrāīliyoṅ ke sāmne dariyā ko uswaqt tak khushk kar diyā jab taksab ne pār na kar liyā thā. Tabun kī himmat ṭūṭ gaī aur un meṅIsrāīliyoṅ kā sāmnā karne kī jurratna rahī.

Jiljāl meṅ Khatnā2Us waqt Rab ne Yashua se kahā,“Patthar kī chhuriyāṅ banā karpahle kī tarah Isrāīliyoṅ kā khatnākarwā de.” 3Chunāṅche Yashuane patthar kī chhuriyāṅ banākar ek jagah par Isrāīliyoṅ kākhatnā karwāyā jis kā nām bādmeṅ ‘Khatnā Pahāṛ’ rakhā gayā.4Bāt yih thī ki jo mard Misr senikalte waqt jang karne ke qābilthe wuh registān meṅ chalte chaltemar chuke the. 5Misr se rawānāhone wāle in tamām mardoṅ kā

khatnā huā thā, lekin jitne laṛkoṅkī paidāish registān meṅ huī thī unkā khatnā nahīṅ huā thā. 6ChūṅkiIsrāīlī Rab ke tābe nahīṅ rahe theis lie us ne qasam khāī thī ki wuhusmulk ko nahīṅ dekheṅge jismeṅdūdh aur shahd kī kasrat hai aur jiskā wādā us ne qasam khā kar unke bāpdādā se kiyā thā. Natīje meṅIsrāīlī fauran mulk meṅ dākhil naho sake balki unheṅ us waqt takregistān meṅ phirnā paṛā jab takwuh tamām mard mar na gae joMisr se nikalte waqt jang karne keqābil the. 7Un kī jagah Rab ne unke beṭoṅ ko khaṛā kiyā thā. Yashuane unhīṅ kā khatnā karwāyā. Unkā khatnā is lie huā ki registānmeṅsafr ke daurān un kā khatnā nahīṅkiyā gayā thā.

8Pūrī qaum kemardoṅ kā khatnāhone ke bād wuh us waqt takkhaimāgāh meṅ rahe jab tak un kezakhm ṭhīk nahīṅ ho gae the. 9AurRab ne Yashua se kahā, “Āj maiṅne Misr kī ruswāī tum se dūr kar dīhai.”a Is lie us jagah kā nām āj takJiljāl yānī Luṛhkānā rahā hai.

10Jab Isrāīlī Yarīhū ke maidānīilāqe meṅ wāqe Jiljāl meṅ

aLafzī tarjumā: luṛhkā kar dūr kar dī hai.

Page 15: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 5:11 9

khaimāzan the to unhoṅ ne Fasahkī Īd bhī manāī. Mahīne kāchaudhwāṅ din thā, 11aur agle hīdin wuh pahlī dafā us mulk kīpaidāwār meṅ se bekhamīrī roṭīaur anāj ke bhune hue dāne khānelage. 12Us ke bād ke din man kāsilsilā khatm huā aur Isrāīliyoṅ kelie yih sahūlat na rahī. Us sāl sewuh Kanān kī paidāwār se khānelage.

Farishte se Yashua kī Mulāqāt13Ek din Yashua Yarīhū Shahrke qarīb thā. Achānak ek ādmīus ke sāmne khaṛā nazar āyā jiske hāth meṅ nangī talwār thī.Yashua ne us ke pās jā kar pūchhā,“Kyā āp hamāre sāth yā hamāredushmanoṅ ke sāth haiṅ?”

14Ādmī ne kahā, “Nahīṅ, maiṅRab ke lashkar kā sardār hūṅ aurabhī abhī tere pās pahuṅchā hūṅ.”Yih sun kar Yashua ne gir kar

use sijdā kiyā aur pūchhā, “Mereāqā apne khādim ko kyā farmānāchāhte haiṅ?”

15Rab ke lashkar ke sardār nejawāb meṅ kahā, “Apne jūte utārde, kyoṅki jis jagah par tū khaṛā hai

wuhmuqaddashai.” Yashuane aisāhī kiyā.

Yarīhū kī Tabāhī

6 Un dinoṅ meṅ Isrāīliyoṅ kīwajah se Yarīhū ke darwāze

band hī rahe. Na koī bāhar niklā,na koī andar gayā. 2Rab ne Yashuase kahā, “Maiṅ ne Yarīhū ko uske bādshāh aur faujī afsaroṅ samettere hāth meṅ kar diyā hai. 3JoIsrāīlī jang ke lie tere sāth nikleṅgeun ke sāth shahr kī fasīl ke sāthsāth chal kar ek chakkar lagāoaur phir khaimāgāh meṅ wāpas ājāo. Chhih din tak aisā hī karo.4Sāt imām ek ek narsingā uṭhāeahd ke sandūq ke āge āge chaleṅ.Phir sātweṅ din shahr ke gird sātchakkar lagāo. Sāth sāth imāmnarsinge bajāte raheṅ. 5Jab wuhnarsingoṅ ko bajāte bajāte lambī‐sī phūṅk māreṅge to phir tamāmIsrāīlī baṛe zor se jang kā nārālagāeṅ. Is par shahr kī fasīl gir jāegīaur tere log har jagah sīdhe shahrmeṅ dākhil ho sakeṅge.”

6Yashua bin Nūn ne imāmoṅ kobulā kar un se kahā, “Rab ke ahd kāsandūq uṭhā kar mere sāth chaleṅ.Aur sāt imām ek ek narsingā uṭhāe

Page 16: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

10 Yashua 6:19

sandūq ke āge āge chaleṅ.” 7Phirus ne bāqī logoṅ se kahā, “Āeṅ,shahr kī fasīl ke sāth sāth chal karek chakkar lagāeṅ. Musallah ādmīRab ke sandūq ke āge āge chaleṅ.”

8Sab kuchh Yashua kī hidāyāt kemutābiq huā. Sāt imām narsingebajāte hue Rab ke āge āge chalejabki Rab ke ahd kā sandūq unke pīchhe pīchhe thā. 9Musallahādmiyoṅmeṅ se kuchhbajānewāleimāmoṅ ke āge āge aur kuchhsandūq ke pīchhe pīchhe chalnelage. Itne meṅ imām narsingebajāte rahe. 10LekinYashuane bāqīlogoṅ ko hukm diyā thā ki us dinjang kā nārā na lagāeṅ. Us ne kahā,“Jab takmaiṅ hukmna dūṅ us waqttak ek lafz bhī na bolnā. Jab maiṅishārā dūṅgā to phir hī khūb nārālagānā.” 11Isī tarah Rab ke sandūqne shahr kī fasīl ke sāth sāth chalkar chakkar lagāyā. Phir logoṅ nekhaimāgāh meṅ lauṭ kar wahāṅ rātguzārī.

12‐13Agle din Yashua subah‐sawere uṭhā, aur imāmoṅ aurfaujiyoṅ ne dūsrī martabā shahrkā chakkar lagāyā. Un kī wuhītartīb thī. Pahle kuchh musallahādmī, phir sāt narsinge bajānewāleimām, phir Rab ke ahd kā sandūq

uṭhāne wāle imām aur ākhir meṅmazīd kuchh musallah ādmī the.Chakkar lagāne ke daurān imāmnarsinge bajāte rahe. 14Is dūsre dinbhī wuh shahr kā chakkar lagā karkhaimāgāh meṅ lauṭ āe. Unhoṅ nechhih din tak aisā hī kiyā.

15Sātweṅ din unhoṅ ne subah‐sawere uṭh kar shahr kā chakkaryoṅ lagāyā jaise pahle chhih dinoṅmeṅ, lekin is dafā unhoṅ ne kul sātchakkar lagāe. 16Sātweṅ chakkarpar imāmoṅnenarsingoṅ kobajātehue lambī‐sī phūṅk mārī. TabYashua ne logoṅ se kahā, “Jang kānārā lagāeṅ, kyoṅki Rab ne āp koyih shahr de diyā hai. 17Shahrko aur jo kuchh us meṅ hai tabāhkarke Rab ke lie makhsūs karnāhai. Sirf Rāhab kasbī ko un logoṅsamet bachānā hai jo us ke gharmeṅ haiṅ. Kyoṅki us ne hamāre unjāsūsoṅ ko chhupā diyā jin ko hamne yahāṅ bhejā thā. 18Lekin Allāhke lie makhsūs chīzoṅ ko hāth nalagānā, kyoṅki agar āp un meṅ sekuchh le leṅ to apne āp ko tabāhkareṅgebalki Isrāīlī khaimāgāhparbhī tabāhī aur āfat lāeṅge. 19Jokuchh bhī chāṅdī, sone, pītal yālohe se banā hai wuh Rab ke lie

Page 17: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 6:20 11

makhsūs hai. Use Rab ke khazānemeṅ ḍālnā hai.”

20Jab imāmoṅ ne lambī phūṅkmārī to Isrāīliyoṅ ne jang ke zordārnāre lagāe. Achānak Yarīhū kī fasīlgir gaī, aur har shakhs apnī apnījagah par sīdhā shahr meṅ dākhilhuā. Yoṅ shahr Isrāīl ke qabzemeṅā gayā. 21Jo kuchh bhī shahr meṅthā use unhoṅ ne talwār se mārkar Rab ke lie makhsūs kiyā, khāhmard yā aurat, jawān yā buzurg,gāy‐bail, bheṛ‐bakrī yā gadhā thā.

22Jin do ādmiyoṅ ne mulk kījāsūsī kī thī un se Yashua ne kahā,“Ab apnī qasam kā wādā pūrākareṅ. Kasbī ke ghar meṅ jā karuse aur us ke tamām ghar wāloṅ konikāl lāeṅ.” 23Chunāṅche yih jawānādmī gae aur Rāhab, us ke māṅ‐bāp, bhāiyoṅ aur bāqī rishtedāroṅko us kī milkiyat samet nikāl karkhaimāgāh se bāhar kahīṅ basādiyā. 24Phir unhoṅ ne pūre shahrko aur jo kuchh us meṅ thā bhasmkar diyā. Lekin chāṅdī, sone, pītalaur lohe kā tamām māl unhoṅ neRab ke ghar ke khazāne meṅ ḍāldiyā. 25Yashua ne sirf Rāhab kasbīaur us ke ghar wāloṅ ko bachāerakhā, kyoṅki us ne un ādmiyoṅko chhupā diyā thā jinheṅ Yashua

ne Yarīhū bhejā thā. Rāhab āj takIsrāīliyoṅ ke darmiyān rahtī hai.

26Us waqt Yashua ne qasam khāī,“Rab kī lānat us par ho jo Yarīhūkā shahr nae sire se tāmīr karnekī koshish kare. Shahr kī buniyādrakhte waqt wuh apne pahlauṭhese mahrūm ho jāegā, aur us kedarwāzoṅ ko khaṛā karte waqt wuhapne sab se chhoṭe beṭe se hāth dhobaiṭhegā.”

27YoṅRabYashua ke sāth thā, aurus kī shohrat pūre mulk meṅ phailgaī.

Akan kā Gunāh

7 Lekin jahāṅ tak Rab ke liemakhsūs chīzoṅ kā tālluq thā

Isrāīliyoṅ ne bewafāī kī. Yahūdāhke qabīle ke ek ādmī ne un meṅse kuchh apne lie le liyā. Us kānām Akan bin Karmī bin Zabdī binZārah thā. Tab Rab kā ġhazabIsrāīliyoṅ par nāzil huā.

2Yih yoṅ zāhir huā ki Yashuane kuchh ādmiyoṅ ko Yarīhū seAī Shahr ko bhej diyā jo Baitel kemashriq meṅ Bait‐āwan ke qarībhai. Us ne un se kahā, “Us ilāqemeṅ jā kar us kī jāsūsī kareṅ.”Chunāṅchewuh jā kar aisā hī karne

Page 18: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

12 Yashua 7:13

lage. 3Jab wāpas āe to unhoṅne Yashua se kahā, “Is kī zarūratnahīṅ ki tamām log Aī par hamlākareṅ. Use shikast dene ke liedo yā tīn hazār mard kāfī haiṅ.Bāqī logoṅ ko na bhejeṅ warnāwuh khāhmakhāh thak jāeṅge,kyoṅki dushman ke log kam haiṅ.”4Chunāṅche taqrīban tīn hazārādmī Aī se laṛne gae. Lekin wuh Aīke mardoṅ se shikast khā kar farārhue, 5aur un ke 36 afrād shahīdhue. Aī ke ādmiyoṅ ne shahrke darwāze se le kar Shabarīmtak un kā tāqqub karke wahāṅ kīḍhalān par unheṅ mār ḍālā. TabIsrāīlī sakht ghabrā gae. Aur un kīhimmat jawāb de gaī.

6Yashua ne ranjish kā izhār karkeapne kapṛoṅ ko phāṛ diyā aur Rabke sandūq ke sāmne muṅh ke balgir gayā. Wahāṅwuh shām takpaṛārahā. Isrāīl ke buzurgoṅ ne bhīaisā hī kiyā aur apne sar par khākḍāl lī. 7Yashua ne kahā, “Hāy, aiRab Qādir‐e‐mutlaq! Tū ne is qaumkoDariyā‐e‐Yardanmeṅ se guzarnekyoṅ diyā agar terā maqsad sirf yihthā ki hameṅ Amoriyoṅ ke hawālekarke halāk kare? Kāsh ham dariyāke mashriqī kināre par rahne ke lietaiyār hote! 8Ai Rab, ab maiṅ kyā

kahūṅ jab Isrāīl apne dushmanoṅke sāmne se bhāg āyā hai? 9Kanānīaur mulk kī bāqī qaumeṅ yih sunkar hameṅ gher leṅgī aur hamārānām‐o‐nishān miṭā deṅgī. Agaraisā hogā to phir tū khud apnāazīm nām qāym rakhne ke lie kyākaregā?”

10Jawāb meṅ Rab ne Yashua sekahā, “Uṭh kar khaṛā ho jā! Tūkyoṅmuṅh ke bal paṛā hai? 11Isrāīlne gunāh kiyā hai. Unhoṅ nemere ahd kī khilāfwarzī kī hai jomaiṅ ne un ke sāth bāndhā thā.Unhoṅ ne makhsūsshudā chīzoṅmeṅ se kuchh le liyā hai, aur chorīkarke chupke se apne sāmān meṅmilā liyā hai. 12Isī lie Isrāīlī apnedushmanoṅ ke sāmne qāym nahīṅrah sakte balki pīṭh pher kar bhāgrahe haiṅ. Kyoṅki is harkat se Isrāīlne apne āp ko bhī halākat ke liemakhsūs kar liyā hai. Jab tak tumapne darmiyān se wuh kuchh nikālkar tabāh na kar lo jo tabāhī kelie makhsūs hai us waqt tak maiṅtumhāre sāth nahīṅ hūṅgā. 13Abuṭh aur logoṅ komere liemakhsūs‐o‐muqaddas kar. Unheṅ batā denā,‘Apne āp ko kal ke lie makhsūs‐o‐muqaddas karnā, kyoṅki Rab joIsrāīl kā Khudā hai farmātā hai ki ai

Page 19: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 7:14 13

Isrāīl, tere darmiyān aisāmāl hai jomere lie makhsūs hai. Jab tak tumuse apne darmiyān se nikāl na doapne dushmanoṅ ke sāmne qāymnahīṅ rah sakoge.’

14Kal subah ko har ek qabīlā apneāp ko pesh kare. Rab zāhir karegāki qusūrwār shakhs kaun‐se qabīlekā hai. Phir us qabīle ke kunbebārī bārī sāmne āeṅ. Jis kunbeko Rab qusūrwār ṭhahrāegā us kemukhtalif khāndān sāmne āeṅ.Aur jis khāndān ko Rab qusūrwārṭhahrāegā us ke mukhtalif afrādsāmneāeṅ. 15JoRabke liemakhsūsmāl ke sāth pakaṛā jāegā useus kī milkiyat samet jalā denāhai, kyoṅki us ne Rab ke ahdkī khilāfwarzī karke Isrāīl meṅsharmnāk kām kiyā hai.”

16Agle din subah‐sawere Yashuane qabīloṅ ko bārī bārī apne pāsāne diyā. Jab Yahūdāh ke qabīlekī bārī āī to Rab ne use qusūrwārṭhahrāyā. 17Jab us qabīle kemukhtalif kunbe sāmne āe to Rabne Zārah ke kunbe ko qusūrwārṭhahrāyā. Jab Zārah ke mukhtalifkhāndān sāmne āe to Rab ne Zabdīkā khāndān qusūrwār ṭhahrāyā.18Ākhirkār Yashua ne us khāndānko fardan fardan apne pās āne diyā,

aur Akan bin Karmī bin Zabdī binZārah pakaṛā gayā. 19Yashua ne usse kahā, “Beṭā, Rab Isrāīl ke Khudāko jalāl do aur us kī satāish karo.Mujhe batā do ki tum ne kyā kiyā.Koī bhī bātmujh semat chhupānā.”

20Akan ne jawāb diyā, “Wāqaīmaiṅ ne Rab Isrāīl ke Khudā kāgunāh kiyā hai. 21Maiṅ ne lūṭe huemāl meṅ se Bābal kā ek shāndārchoġhā, taqrīban sawā do kilogrāmchāṅdī aur ādhe kilogrām se zāydsone kī īṅṭ le lī thī. Yih chīzeṅdekh kar maiṅ ne un kā lālachkiyā aur unheṅ le liyā. Ab wuhmere khaime kī zamīn meṅ dabīhuī haiṅ. Chāṅdī ko maiṅ ne bāqīchīzoṅ ke nīche chhupā diyā.”

22Yih sun kar Yashua ne apnebandoṅ ko Akan ke khaime kepās bhej diyā. Wuh dauṛ karwahāṅ pahuṅche to dekhā ki yihmāl wāqaī khaime kī zamīn meṅchhupāyā huā hai aur ki chāṅdīdūsrī chīzoṅ ke nīche paṛī hai.23Wuh yih sab kuchh khaimese nikāl kar Yashua aur tamāmIsrāīliyoṅ ke pās le āe aur Rab kesāmne rakh diyā. 24Phir Yashua aurtamām Isrāīlī Akan bin Zārah kopakaṛ kar Wādī‐e‐Akūr meṅ le gae.Unhoṅ ne chāṅdī, libās, sone kī īṅṭ,

Page 20: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

14 Yashua 8:9

Akan ke beṭe‐beṭiyoṅ, gāy‐bailoṅ,gadhoṅ, bheṛ‐bakriyoṅ aur us kekhaime ġharz us kī pūrī milkiyat kous wādī meṅ pahuṅchā diyā.

25Yashua ne kahā, “Tum yih āfatham par kyoṅ lāe ho? Āj Rab tumpar hī āfat lāegā.” Phir pūre Isrāīlne Akan ko us ke ghar wāloṅ sametsangsār karke jalā diyā. 26Akanke ūpar unhoṅ ne pattharoṅ kābaṛā ḍher lagā diyā jo āj tak wahāṅmaujūd hai. Yihī wajah hai ki āj takus kā nāmWādī‐e‐Akūr yānī Āfat kīWādī rahā hai.Is ke bād Rab kā sakht ġhazab

ṭhanḍā ho gayā.

Aī kī Shikast

8 Phir Rab ne Yashua se kahā,“Mat ḍar aur mat ghabrā balki

tamām faujī apne sāth le kar AīShahr par hamlā kar. Kyoṅki maiṅne Aī ke bādshāh, us kī qaum, uske shahr aur mulk ko tere hāthmeṅ kar diyā hai. 2Lāzim hai kitū Aī aur us ke bādshāh ke sāthwuh kuchh kare jo tū ne Yarīhūaur us ke bādshāh ke sāth kiyā thā.Lekin is martabā tum us kāmāl aurmaweshī apne pās rakh sakte ho.

Hamlā karte waqt shahr ke pīchheghāt lagā.”

3ChunāṅcheYashuapūre lashkarke sāth Aī par hamlā karne ke lieniklā. Us ne apne sab se achchhefaujiyoṅ meṅ se 30,000 ko chunliyā aur unheṅ rāt ke waqt Aī kekhilāf bhej kar 4hukm diyā, “Dhyāndeṅ ki āp shahr ke pīchhe ghātlagāeṅ. Sab ke sab shahr ke qarībhī taiyār raheṅ. 5Itne meṅ maiṅbāqī mardoṅ ke sāth shahr ke qarībā jāūṅgā. Aur jab shahr ke logpahle kī tarah hamāre sāth laṛne kelie nikleṅge to ham un ke āge āgebhāg jāeṅge. 6Wuh hamāre pīchhepaṛ jāeṅge aur yoṅ ham unheṅshahr se dūr le jāeṅge, kyoṅki wuhsamjheṅge ki ham is dafā bhī pahlekī tarah un se bhāg rahe haiṅ. 7Phirāp us jagah se nikleṅ jahāṅ āp ghātmeṅ baiṭhe hoṅge aur shahr parqabzā kar leṅ. Rab āp kā Khudāuse āp ke hāth meṅ kar degā. 8Jabshahr āp ke qabze meṅ hogā to usejalā denā. Wuhī kareṅ jo Rab nefarmāyā hai. Merī in hidāyāt pardhyān deṅ.”

9Yih kah kar Yashua ne unheṅAī kī taraf bhej diyā. Wuh rawānāho kar Aī ke maġhrib meṅ ghātmeṅ baiṭh gae. Yih jagah Baitel

Page 21: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 8:10 15

aur Aī ke darmiyān thī. LekinYashua ne yih rāt bāqī logoṅ ke sāthkhaimāgāh meṅ guzārī. 10Agle dinsubah‐sawere Yashua ne ādmiyoṅko jamā karke un kā jāyzā liyā. Phirwuh Isrāīl ke buzurgoṅ ke sāth unke āge āge Aī kī taraf chal diyā.11Jo lashkar us ke sāth thā wuhchalte chalte Aī ke sāmne pahuṅchgayā. Unhoṅ ne shahr ke shimālmeṅ apne khaime lagāe. Un ke aurshahr ke darmiyān wādī thī.

12Jo shahr ke maġhrib meṅ Aīaur Baitel ke darmiyān ghāt lagāebaiṭhe thewuh taqrīban 5,000mardthe. 13Yoṅ shahr ke maġhrib aurshimālmeṅ ādmī laṛne ke lie taiyārhue. Rāt ke waqt Yashua wādī meṅpahuṅch gayā.

14Jab Aī ke bādshāh ne shimālmeṅ Isrāīliyoṅ ko dekhā to us nejaldī jaldī taiyāriyāṅ kīṅ. Agle dinsubah‐sawere wuh apne ādmiyoṅke sāth shahr seniklā tāki Isrāīliyoṅke sāth laṛe. Yih jagah Wādī‐e‐Yardan kī taraf thī. Bādshāh komālūm na huā ki Isrāīlī shahr kepīchhe ghāt meṅ baiṭhe haiṅ. 15JabAī ke mard nikle to Yashua aur uskā lashkar shikast kā izhār karkeregistān kī taraf bhāgne lage.

16Tab Aī ke tamām mardoṅ koIsrāīliyoṅ kā tāqqub karne ke liebulāyā gayā, aur Yashua ke pīchhebhāgte bhāgte wuh shahr se dūrnikal gae. 17Ek mard bhī Aī yāBaitel meṅ na rahā balki sab ke sabIsrāīliyoṅ ke pīchhe paṛ gae. Nasirf yih balki unhoṅ ne shahr kādarwāzā khulā chhoṛ diyā.

18Phir Rab ne Yashua se kahā,“Jo shamshīr tere hāth meṅ haiuse Aī ke khilāf uṭhāe rakh, kyoṅkimaiṅ yih shahr tere hāth meṅ kardūṅgā.” Yashua ne aisā hī kiyā,19aur jyoṅ hī us ne apnī shamshīrse Aī kī taraf ishārā kiyā ghāt meṅbaiṭhe ādmī jaldī se apnī jagah senikal āe aur dauṛ dauṛ kar shahrpar jhapaṭ paṛe. Unhoṅ ne us parqabzā karke jaldī se use jalā diyā.

20Jab Aī ke ādmiyoṅ ne muṛ karnazar ḍālī to dekhā ki shahr sedhueṅ ke bādal uṭh rahe haiṅ.Lekin ab un ke lie bhī bachne kākoī rāstā na rahā, kyoṅki jo Isrāīlīab tak un ke āge āge registān kītaraf bhāg rahe the wuh achānakmuṛ kar tāqqub karne wāloṅ parṭūṭ paṛe. 21Kyoṅki jab Yashua aurus ke sāth ke ādmiyoṅ ne dekhā kighātmeṅbaiṭhe Isrāīliyoṅne shahrpar qabzā kar liyā hai aur ki shahr

Page 22: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

16 Yashua 8:33

se dhuāṅ uṭh rahā hai to unhoṅ nemuṛ kar Aī ke ādmiyoṅ par hamlākar diyā. 22Sāth sāth shahr meṅdākhil hue Isrāīlī shahr se nikalkar pīchhe se un se laṛne lage.Chunāṅche Aī ke ādmī bīch meṅphaṅs gae. Isrāīliyoṅ ne sab ko qatlkar diyā, aur na koī bachā, na koīfarār ho sakā. 23Sirf Aī ke bādshāhko zindā pakaṛā aur Yashua ke pāslāyā gayā.

24Aī ke mardoṅ kā tāqqub kartekarte un sab ko khule maidān aurregistān meṅ talwār se mār deneke bād Isrāīliyoṅ ne Aī Shahr meṅwāpas ā kar tamām bāshindoṅ kohalāk kar diyā. 25Us din Aī ketamāmmard aur aurateṅmāre gae.Kul 12,000 afrād. 26Kyoṅki Yashuane us waqt tak apnī shamshīruṭhāe rakhī jab tak Aī ke tamāmbāshindoṅ ko halāk na kar diyāgayā. 27Sirf shahr ke maweshī aurlūṭā huā māl bach gayā, kyoṅki isdafā Rab ne hidāyat kī thī ki Isrāīlīuse le jā sakte haiṅ.

28Yashua ne Aī ko jalā kar usehameshā ke liemalbe kā ḍher banādiyā. Yih maqām āj tak wīrān hai.29Aī ke bādshāh kī lāsh us ne shāmtak darakht se laṭkāe rakhī. Phir jabsūraj ḍūbne lagā to Yashua ne apne

logoṅ ko hukm diyā ki bādshāh kīlāsh ko darakht se utār deṅ. Tabunhoṅ ne use shahr ke darwāze kepās phaiṅk kar us par patthar kābaṛā ḍher lagā diyā. Yih ḍher āj takmaujūd hai.

Aibāl Pahāṛ par Ahd kī Tajdīd30Us waqt Yashua ne Rab Isrāīl keKhudā kī tāzīm meṅ Aibāl Pahāṛpar qurbāngāhbanāī 31jis tarahRabke khādim Mūsā ne Isrāīliyoṅ kohukm diyā thā. Us ne use Mūsā kīSharīat kī Kitāb meṅ darj hidāyātke mutābiq banāyā. Qurbāngāh kepatthar tarāshe baġhair lagāe gae.Aur un par lohe kā ālā na chalāyāgayā. Us par unhoṅ ne Rab kobhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ pesh kīṅ.

32Wahāṅ Yashua ne Isrāīliyoṅkī maujūdagī meṅ pattharoṅ parMūsā kī sharīat dubārā likh dī.33Phir buzurgoṅ, nigahbānoṅ aurqāziyoṅ ke sāth mil kar tamāmIsrāīlī do gurohoṅmeṅ taqsīm hue.Pardesī bhī un meṅ shāmil the.Ek guroh Garizīm Pahāṛ ke sāmnekhaṛā huā aur dūsrā Aibāl Pahāṛke sāmne. Donoṅ guroh ek dūsreke muqābil khaṛe rahe jabki Lāwī

Page 23: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 8:34 17

ke qabīle ke imām un ke darmiyānkhaṛe hue. UnhoṅneRab ke ahd kāsandūq uṭhā rakhā thā. Sab kuchhun hidāyāt ke ain mutābiq huā joRab ke khādim Mūsā ne Isrāīliyoṅko barkat dene ke lie dī thīṅ.

34Phir Yashua ne sharīat kītamām bātoṅ kī tilāwat kī, us kībarakāt bhī aur us kī lānateṅ bhī.Sab kuchh us ne waisā hī paṛhājaisā ki Sharīat kī Kitāb meṅ darjthā. 35Jo bhī hukm Mūsā ne diyāthā us kā ek bhī lafz na rahā jis kītilāwat Yashua ne tamām Isrāīliyoṅkī pūrī jamāt ke sāmne na kī ho.Aur sab ne yih bāteṅ sunīṅ. Ismeṅ aurateṅ, bachche aur un kedarmiyān rahne wāle pardesī sabshāmil the.

Jibaūnī Yashua ko DhokāDete Haiṅ

9 In bātoṅ kī khabar Dariyā‐e‐Yardan ke maġhrib ke tamām

bādshāhoṅ tak pahuṅchī, khāhwuh pahāṛī ilāqe, maġhrib kenashebī pahāṛī ilāqe yā sāhilī ilāqemeṅ Lubnān tak rahte the. Un kīyih qaumeṅ thīṅ: Hittī, Amorī,Kanānī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī.

2Ab yih Yashua aur Isrāīliyoṅ selaṛne ke lie jamā hue.

3Lekin jab Jibaūn Shahr kebāshindoṅ ko patā chalā ki YashuaneYarīhū aurAī ke sāth kyā kiyāhai4to unhoṅ ne ek chāl chalī. Apnesāth safr ke lie khānā le kar wuhYashua ke pās chal paṛe. Un kegadhoṅ par khastāhāl boriyāṅ aurmai kī aisī purānī aur ghisī‐phaṭīmashkeṅ ladī huī thīṅ jin kī bārbār marammat huī thī. 5Mardoṅne aise purāne jūte pahan rakhethe jin par jagah jagah paiwandlage hue the. Un ke kapṛe bhīghise‐phaṭe the, aur safr ke liejo roṭī un ke pās thī wuh khushkaur ṭukṛe ṭukṛe ho gaī thī. 6Aisīhālat meṅ wuh Yashua ke pāsJiljāl kī khaimāgāh meṅ pahuṅchgae. Unhoṅ ne us se aur bāqīIsrāīlī mardoṅ se kahā, “Ham ekdūr‐darāz mulk se āe haiṅ. Āeṅ,hamāre sāth muāhadā kareṅ.”

7Lekin Isrāīliyoṅ neHiwwiyoṅ sekahā, “Shāyad āp hamāre ilāqe kebīch meṅ kahīṅ baste haiṅ. Agaraisā hai to ham kis tarah āp semuāhadā kar sakte haiṅ?”

8Wuh Yashua se bole, “Ham āp kīkhidmat ke lie hāzir haiṅ.”

Page 24: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

18 Yashua 9:21

Yashua ne pūchhā, “Āp kaunhaiṅ aur kahāṅ se āe haiṅ?”9Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp kekhādim āp ke Khudā ke nām kebāis ek nihāyat dūr‐darāz mulkse āe haiṅ. Kyoṅki us kī khabarham tak pahuṅch gaī hai, aur hamne wuh sab kuchh sun liyā haijo us ne Misr meṅ 10aur Dariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅ rahnewāle do bādshāhoṅ ke sāth kiyāyānī Hasbon ke bādshāh Sīhonaur Basan ke bādshāh Oj ke sāthjo Astārāt meṅ rahtā thā. 11Tabhamāre buzurgoṅ balki hamāremulk ke tamām bāshindoṅ ne hamse kahā, ‘Safr ke lie khānā le karun se milne jāeṅ. Un se bāt kareṅki ham āp kī khidmat ke lie hāzirhaiṅ. Āeṅ, hamāre sāth muāhadākareṅ.’ 12Hamārī yih roṭī abhī garmthī jab ham ise safr ke lie apnesāth le kar āp se milne ke lie apnegharoṅ se rawānā hue. Aur ab āpkhud dekh sakte haiṅ ki yih khushkaur ṭukṛe ṭukṛe ho gaī hai. 13Aurmai kī in mashkoṅ kī ghisī‐phaṭīhālat dekheṅ. Bharte waqt yih naīaur lachakdār thīṅ. Yihī hamārekapṛoṅ aur jūtoṅ kī hālat bhī hai.Safr karte karte yih khatm ho gaehaiṅ.”

14Isrāīliyoṅ ne musāfiroṅ kākuchh khānā liyā. Afsos, unhoṅne Rab se hidāyat na māṅgī.15Phir Yashua ne un ke sāth sulahkā muāhadā kiyā aur jamāt kerāhnumāoṅ ne qasam khā kar uskī tasdīq kī. Muāhade meṅ Isrāīlne wādā kiyā ki Jibaūniyoṅ ko jīnedegā.

16Tīn din guzare to Isrāīliyoṅko patā chalā ki Jibaūnī hamāreqarīb hī aur hamāre ilāqe ke ainbīch meṅ rahte haiṅ. 17Isrāīlīrawānā hue aur tīsre din un keshahroṅ ke pās pahuṅche jin kenām Jibaūn, Kafīrā, Bairot aurQiriyat‐yārīm the. 18Lekin chūṅkijamāt ke rāhnumāoṅ ne Rab Isrāīlke Khudā kī qasam khā kar unse wādā kiyā thā is lie unhoṅ neJibaūniyoṅ ko halāk na kiyā. Pūrījamāt rāhnumāoṅ par buṛbuṛānelagī, 19lekin unhoṅ ne jawāb meṅkahā, “Ham ne Rab Isrāīl ke Khudākī qasam khā kar un se wādākiyā, aur ab ham unheṅ chheṛnahīṅ sakte. 20Chunāṅche hamunheṅ jīne deṅge aur wuh qasamna toṛeṅge jo ham ne un ke sāthkhāī. Aisā na ho ki Allāh kā ġhazabham par nāzil ho jāe. 21Unheṅ jīnedo.” Phir faislā yih huā ki Jibaūnī

Page 25: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 9:22 19

lakaṛhāre aurpānī bharnewālebankar pūrī jamāt kī khidmat kareṅ.Yoṅ Isrāīlī rāhnumāoṅ kā un kesāth wādā qāym rahā.

22Yashua ne Jibaūniyoṅ ko bulākar kahā, “Tum ne hameṅ dhokāde kar kyoṅ kahā ki ham āp senihāyat dūr rahte haiṅ hālāṅki tumhamāre ilāqe ke bīch meṅ hī rahteho? 23Chunāṅche ab tum par lānatho. Tum lakaṛhāre aur pānī bharnewāle ban kar hameshā ke lie mereKhudā ke ghar kī khidmat karoge.”

24Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp kekhādimoṅ ko sāf batāyā gayā thā kiRab āp ke Khudā ne apne khādimMūsā ko kyā hukm diyā thā, kiuse āp ko pūrā mulk denā aur āpke āge āge tamām bāshindoṅ kohalāk karnā hai. Yih sun kar hambahut ḍar gae ki hamārī jān nahīṅbachegī. Isī lie ham ne yih sabkuchh kiyā. 25Ab ham āp ke hāthmeṅhaiṅ. Hamāre sāthwuh kuchhkareṅ jo āp ko achchhā aur ṭhīklagtā hai.”

26Chunāṅche Yashua ne unheṅIsrāīliyoṅ sebachāyā, aur unhoṅneJibaūniyoṅ ko halāk na kiyā. 27Usīdin us ne Jibaūniyoṅ ko lakaṛhāreaur pānī bharnewāle banā diyā tākiwuh jamāt aur Rab kī us qurbāngāh

kī khidmat kareṅ jis kāmaqāmRabko abhī chunanā thā. Aur yih log ājtak yihī kuchh karte haiṅ.

Amoriyoṅ kī Shikast

10 Yarūshalam ke bādshāhAdūnī‐sidq ko khabar milī

ki YashuaneAī par yoṅ qabzā karkeuse mukammal taur par tabāh kardiyā hai jis tarah us ne Yarīhū aurus ke bādshāh ke sāth bhī kiyā thā.Use yih ittalā bhī dī gaī ki Jibaūn kebāshinde Isrāīliyoṅ ke sāth sulahkā muāhadā karke un ke darmiyānrah rahe haiṅ. 2Yih sun kar wuhaur us kī qaum nihāyat ḍar gae.Kyoṅki Jibaūn baṛā shahr thā. Wuhahmiyat ke lihāz se un shahroṅ kebarābar thā jin ke bādshāh the,balki wuh Aī Shahr se bhī baṛā thā,aur us ke tamām mard behtarīnfaujī the.

3Chunāṅche Yarūshalam kebādshāh Adūnī‐sidq ne apneqāsid Habrūn ke bādshāh Hūhām,Yarmūt ke bādshāh Pīrām, Lakīs kebādshāh Yafīa aur Ijlūn ke bādshāhDabīr ke pās bhej die. 4Paiġhāmyih thā, “Āeṅ aur Jibaūn par hamlākarne meṅ merī madad kareṅ,kyoṅki us ne Yashua aur Isrāīliyoṅ

Page 26: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

20 Yashua 10:15

ke sāth sulah kā muāhadā karliyā hai.” 5Yarūshalam, Habrūn,Yarmūt, Lakīs aur Ijlūn ke yihpāṅch Amorī bādshāh muttahidhue. Wuh apne tamām faujiyoṅko le kar chal paṛe aur Jibaūn kāmuhāsarā karke us se jang karnelage.

6Us waqt Yashua ne apne khaimeJiljāl meṅ lagāe the. Jibaūn kelogoṅ ne use paiġhām bhej diyā,“Apne khādimoṅ ko tark na kareṅ.Jaldī se hamāre pās ā kar hameṅbachāeṅ! Hamārī madad kījie,kyoṅki pahāṛī ilāqe ke tamāmAmorī bādshāh hamāre khilāfmuttahid ho gae haiṅ.”

7Yih sun kar Yashua apnī pūrīfauj ke sāth Jiljāl se niklā aurJibaūn ke lie rawānā huā. Us kebehtarīn faujī bhī sab us ke sāththe. 8Rab ne Yashua se kahā, “Unse mat ḍarnā, kyoṅki maiṅ unheṅtere hāth meṅ kar chukā hūṅ.Un meṅ se ek bhī terā muqābalānahīṅ karne pāegā.” 9Aur Yashuane Jiljāl se sārī rāt safr kartekarte achānak dushman par hamlākiyā. 10Us waqt Rab ne Isrāīliyoṅke dekhte dekhte dushman meṅabtarī paidā kar dī, aur unhoṅne Jibaūn ke qarīb dushman ko

zabardast shikast dī. Isrāīlī Bait‐haurūn tak pahuṅchāne wāle rāstepar Amoriyoṅ kā tāqqub kartekarte unheṅ Azīqā aur Maqqedātak maut ke ghāṭ utārte gae. 11Aurjab Amorī is rāste par Azīqā kī tarafbhāg rahe the to Rab ne āsmānse un par baṛe baṛe ole barsāejinhoṅ ne Isrāīliyoṅ kī nisbat zyādādushmanoṅ ko halāk kar diyā.

12Us din jab Rab ne Amoriyoṅko Isrāīl ke hāth meṅ kar diyā toYashua ne Isrāīliyoṅ kī maujūdagīmeṅ Rab se kahā,

“Ai sūraj, Jibaūn ke ūpar ruk jā!Ai chāṅd, Wādī‐e‐Aiyālon par

ṭhahar jā!”13Tab sūraj ruk gayā, aur chāṅd

ne āge harkat na kī. Jab tak kiIsrāīl ne apne dushmanoṅ se pūrābadlā na le liyā us waqt tak wuhruke rahe. Is bāt kā zikr Yāsharkī Kitāb meṅ kiyā gayā hai. Sūrajāsmān ke bīch meṅ ruk gayā aurtaqrīban ek pūre din ke daurānġhurūb na huā. 14Yih din munfaridthā. Rab ne insān kī is tarah kīduā na kabhī is se pahle, na kabhīis ke bād sunī. Kyoṅki Rab khudIsrāīl ke lie laṛ rahā thā. 15Is kebād Yashua pūre Isrāīl samet Jiljālkī khaimāgāh meṅ lauṭ āyā.

Page 27: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 10:16 21

Pāṅch Amorī Bādshāhoṅkī Giriftārī

16Lekin pāṅchoṅ Amorī bādshāhfarār ho kar Maqqedā ke ek ġhārmeṅ chhup gae the. 17Yashuako ittalā dī gaī 18to us ne kahā,“Kuchh baṛe baṛe patthar luṛhkākar ġhār kā muṅh band karnā,aur kuchh ādmī us kī pahrādārīkareṅ. 19Lekin bāqī log na rukeṅbalki dushmanoṅ kā tāqqub karkepīchhe se unheṅ mārte jāeṅ.Unheṅ dubārā apne shahroṅ meṅdākhil hone kā mauqā mat denā,kyoṅki Rab āp ke Khudā ne unheṅāp ke hāth meṅ kar diyā hai.”20Chunāṅche Yashua aur bāqīIsrāīlī unheṅ halāk karte rahe, aurkam hī apne shahroṅ kī fasīl meṅdākhil ho sake. 21Is ke bād pūrīfauj sahīh‐salāmat Yashua ke pāsMaqqedā kī lashkargāh meṅ wāpaspahuṅch gaī.Ab se kisī meṅ bhī Isrāīliyoṅ ko

dhamkī dene kī jurrat na rahī.22Phir Yashua ne kahā, “Ġhār

ke muṅh ko khol kar yih pāṅchbādshāh mere pās nikāl lāeṅ.”23Log ġhār ko khol kar Yarūshalam,Habrūn, Yarmūt, Lakīs aur Ijlūn kebādshāhoṅ ko Yashua ke pās nikāl

lāe. 24Yashua ne Isrāīl ke mardoṅko bulā kar apne sāth khaṛe faujīafsaroṅ se kahā, “Idhar ā kar apnepairoṅ ko bādshāhoṅ kī gardanoṅpar rakh deṅ.” Afsaroṅ ne aisāhī kiyā. 25Phir Yashua ne un sekahā, “Na ḍareṅ aur na hauslāhāreṅ. Mazbūt aur diler hoṅ. Rabyihī kuchh un tamām dushmanoṅke sāth karegā jin se āp laṛeṅge.”26Yih kah kar us ne bādshāhoṅ kohalāk karke un kī lāsheṅ pāṅchdarakhtoṅ se laṭkā dīṅ. Wahāṅwuhshām tak laṭkī rahīṅ. 27Jab sūrajḍūbne lagā to logoṅ ne Yashua kehukm par lāsheṅ utār kar us ġhārmeṅ phaiṅk dīṅ jis meṅ bādshāhchhup gae the. Phir unhoṅ ne ġhārke muṅh ko baṛe baṛe pattharoṅ seband kar diyā. Yih patthar āj takwahāṅ paṛe hue haiṅ.

Mazīd Amorī Shahroṅ par Qabzā28Us din Maqqedā Yashua ke qabzemeṅ ā gayā. Us ne pūre shahr kotalwār se Rab ke lie makhsūs karketabāh kar diyā. Bādshāh sametsab halāk hue aur ek bhī na bachā.Shahr ke bādshāh ke sāth us newuh sulūk kiyā jo us ne Yarīhū kebādshāh ke sāth kiyā thā.

Page 28: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

22 Yashua 10:40

29Phir Yashua ne tamāmIsrāīliyoṅ ke sāth wahāṅ se āgenikal kar Libnā par hamlā kiyā.30Rab ne us shahr aur us kebādshāh ko bhī Isrāīl ke hāth meṅkar diyā. Yashua ne talwār se shahrke tamāmbāshindoṅ ko halāk kiyā,aur ek bhī na bachā. Bādshāh kesāth us ne wuhī sulūk kiyā jo us neYarīhū ke bādshāh ke sāth kiyā thā.

31Is ke bād us ne tamāmIsrāīliyoṅ ke sāth Libnā se āge baṛhkar Lakīs kā muhāsarā kiyā. Jabus ne us par hamlā kiyā 32to Rabne yih shahr us ke bādshāh sametIsrāīl ke hāth meṅ kar diyā. Dūsredin wuh Yashua ke qabze meṅ āgayā. Shahr ke sāre bāshindoṅ kous ne talwār se halāk kiyā, jis tarahki us ne Libnā ke sāth bhī kiyāthā. 33Sāth sāth Yashua ne Jazarke bādshāh Hūram aur us ke logoṅko bhī shikast dī jo Lakīs kī madadkarne ke lie āe the. Un meṅ se ekbhī na bachā.

34Phir Yashua ne tamāmIsrāīliyoṅ ke sāth Lakīs se āge baṛhkar Ijlūn kā muhāsarā kar liyā. Usīdin unhoṅ ne us par hamlā karke35us par qabzā kar liyā. Jis tarahLakīs ke sāth huā usī tarah Ijlūnke sāth bhī kiyā gayā yānī shahr ke

tamām bāshinde talwār se halākhue.

36Is ke bād Yashua ne tamāmIsrāīliyoṅ ke sāth Ijlūn se āgebaṛh kar Habrūn par hamlā kiyā.37Shahr par qabzā karke unhoṅne bādshāh, irdgird kī ābādiyāṅaur bāshinde sab ke sab tah‐e‐teġhkar die. Koī na bachā. Ijlūn kītarah unhoṅ ne use pūre taur partamām bāshindoṅ samet Rab ke liemakhsūs karke tabāh kar diyā.

38Phir Yashua tamām Isrāīliyoṅke sāth muṛ kar Dabīr kī taraf baṛhgayā. Us par hamlā karke 39us neshahr, us ke bādshāh aur irdgird kīābādiyoṅ par qabzā kar liyā. Sab konest kar diyā gayā, ek bhī na bachā.Yoṅ Dabīr ke sāth wuh kuchh huājo pahle Habrūn aur Libnā us kebādshāh samet huā thā.

40Is tarah Yashua ne junūbīKanān ke tamām bādshāhoṅ koshikast de kar un ke pūre mulkpar qabzā kar liyā yānī mulk kepahāṛī ilāqe par, junūb ke Dasht‐e‐Najab par, maġhrib ke nashebīpahāṛī ilāqe par aur Wādī‐e‐Yardanke maġhrib meṅ wāqe pahāṛīḍhalānoṅ par. Us ne kisī ko bhībachne na diyā balki har jāndār koRab ke lie makhsūs karke halāk kar

Page 29: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 10:41 23

diyā. Yih sab kuchh waisā hī huājaisā Rab Isrāīl ke Khudā ne hukmdiyā thā.

41Yashua ne unheṅ Qādis‐barnīase le kar Ġhazzā tak aur Jushanke pūre ilāqe se le kar Jibaūn takshikast dī. 42In tamām bādshāhoṅaur un ke mamālik par Yashua neek hī waqt fatah pāī, kyoṅki Isrāīlkā Khudā Isrāīl ke lie laṛā.

43Is ke bād Yashua tamāmIsrāīliyoṅ ke sāth Jiljāl kīkhaimāgāh meṅ lauṭ āyā.

Shimālī Ittihādiyoṅ par Fatah

11 Jab Hasūr ke bādshāhYābīn ko in wāqiyāt kī

khabar milī to us ne Madūn kebādshāh Yūbāb aur Simron aurAkshāf ke bādshāhoṅ ko paiġhāmbheje. 2Is ke alāwā us ne unbādshāhoṅ ko paiġhām bheje joshimālmeṅ the yānī shimālī pahāṛīilāqe meṅ, Wādī‐e‐Yardan ke ushisse meṅ jo Kinnarat yānī Galīl kejunūbmeṅhai,maġhrib kenashebīpahāṛī ilāqe meṅ, maġhrib meṅwāqe Nāfat‐dor meṅ 3aur Kanān kemashriq aur maġhrib meṅ. Yābīnne Amoriyoṅ, Hittiyoṅ, Farizziyoṅ,pahāṛī ilāqe ke Yabūsiyoṅ aur

Harmūn Pahāṛ ke dāman meṅwāqe Mulk‐e‐Misfāh ke Hiwwiyoṅko bhī paiġhām bheje.

4Chunāṅche yih apnī tamāmfaujoṅ ko le kar jang ke lie nikle.Un ke ādmī samundar ke sāhil kīret kī mānind beshumār the. Unke pās muta’addid ghoṛe aur rathbhī the. 5In tamām bādshāhoṅ neIsrāīl se laṛneke liemuttahidhokarapne khaime Marūm ke Chashmepar lagā die.

6Rab ne Yashua se kahā, “Un semat ḍarnā, kyoṅki kal isī waqt takmaiṅ ne un sab ko halāk karkeIsrāīl ke hawāle kar diyā hogā.Tujhe un ke ghoṛoṅ kī koṅchoṅ kokāṭnā aur un ke rathoṅ ko jalā denāhai.” 7Chunāṅche Yashua apnetamām faujiyoṅ ko le kar Marūmke Chashme par āyā aur achānakdushman par hamlā kiyā. 8AurRab ne dushmanoṅ ko Isrāīliyoṅke hawāle kar diyā. Isrāīliyoṅ neunheṅ shikast dī aur un kā tāqqubkarte karte shimāl meṅ baṛe shahrSaidā aur Misrafāt‐māym tak jāpahuṅche. Isī tarah unhoṅ nemashriq meṅ Wādī‐e‐Misfāh takbhī un kā tāqqub kiyā. Ākhir meṅek bhī na bachā. 9Rab kī hidāyatke mutābiq Yashua ne dushman ke

Page 30: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

24 Yashua 11:21

ghoṛoṅ kī koṅchoṅ ko kaṭwā kar uske rathoṅ ko jalā diyā.

Shimālī Kanān par Qabzā10Phir Yashua wāpas āyā aur Hasūrko apne qabze meṅ le liyā. Hasūrun tamām bādshāhatoṅ kā sadrmaqām thā jinheṅ unhoṅ neshikast dī thī. Isrāīliyoṅ ne shahrke bādshāh komār diyā 11aur shahrke har jāndār ko Allāh ke hawālekarke halāk kar diyā. Ek bhī nabachā. Phir Yashua ne shahr kojalā diyā.

12Isī tarah Yashua ne un bāqībādshāhoṅ ke shahroṅ par bhīqabzā kar liyā jo Isrāīl ke khilāfmuttahid ho gae the. Har shahrko us ne Rab ke khādim Mūsā kehukm ke mutābiq tabāh kar diyā.Bādshāhoṅ samet sab kuchh nestkar diyā gayā. 13Lekin Yashua nesirf Hasūr ko jalāyā. Pahāṛiyoṅpar ke bāqī shahroṅ ko us nerahne diyā. 14Lūṭ kā jo bhī māljānwaroṅ samet un meṅ pāyā gayāuse Isrāīliyoṅne apnepās rakh liyā.Lekin tamām bāshindoṅ ko unhoṅne mār ḍālā aur ek bhī na bachnediyā. 15Kyoṅki Rab ne apne khādimMūsā ko yihī hukm diyā thā, aur

Yashua ne sab kuchh waise hī kiyājaise Rab ne Mūsā ko hukm diyāthā.

16Yoṅ Yashua ne pūre Kanān parqabzā kar liyā. Is meṅ pahāṛīilāqā, pūrā Dasht‐e‐Najab, Jushankā pūrā ilāqā, maġhrib kā nashebīpahāṛī ilāqā, Wādī‐e‐Yardan aurIsrāīl ke pahāṛ un ke dāman kīpahāṛiyoṅ samet shāmil the. 17AbYashua kī pahuṅch junūb meṅSaīr kī taraf baṛhne wāle pahāṛKhalaq se le kar Lubnān kemaidānīilāqe ke shahr Bāl‐jad tak thī joHarmūn Pahāṛ ke dāman meṅ thā.Yashua ne in ilāqoṅ ke tamāmbādshāhoṅ ko pakaṛ kar mār ḍālā.18Lekin in bādshāhoṅ se jang karnemeṅ bahut waqt lagā, 19kyoṅkiJibaūn meṅ rahne wāle Hiwwiyoṅke alāwā kisī bhī shahr ne Isrāīliyoṅse sulah na kī. Is lie Isrāīl ko un sabpar jang karke hī qabzā karnā paṛā.20Rab hī ne unheṅ akaṛne diyā thātāki wuh Isrāīl se jang kareṅ aur unpar rahm na kiyā jāe balki unheṅpūre taur par Rab ke hawāle karkehalāk kiyā jāe. Lāzim thā ki unheṅyoṅ nest‐o‐nābūd kiyā jāe jis tarahRab ne Mūsā ko hukm diyā thā.

21Us waqt Yashua ne un tamāmAnāqiyoṅ ko halāk kar diyā jo

Page 31: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 11:22 25

Habrūn, Dabīr, Anāb aur untamām jaghoṅ meṅ rahte the joYahūdāh aur Isrāīl ke pahāṛī ilāqemeṅ thīṅ. Us ne un sab ko un keshahroṅ samet Allāh ke hawālekarke tabāh kar diyā. 22Isrāīl kepūre ilāqe meṅ Anāqiyoṅ meṅ seek bhī na bachā. Sirf Ġhazzā, Jātaur Ashdūdmeṅ kuchh zindā rahe.

23Ġharz Yashua ne pūremulk paryoṅ qabzā kiyā jis tarah Rab neMūsā ko batāyā thā. Phir us ne useqabīloṅ meṅ taqsīm karke Isrāīl komīrāsmeṅdediyā. Jang khatmhuī,aur mulk meṅ amn‐o‐amān qāymho gayā.

Mūsā kī Futūhāt kā Khulāsā

12 Darj‐e‐zail Dariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅ

un bādshāhoṅ kī fahrist hai jinheṅIsrāīliyoṅ ne shikast dī thī aur jin keilāqe par unhoṅ ne qabzā kiyā thā.Yih ilāqā junūb meṅ Wādī‐e‐Arnonse le kar shimāl meṅ HarmūnPahāṛ tak thā, aur us meṅ Wādī‐e‐Yardan kā pūrā mashriqī hissāshāmil thā.

2Pahle kā nām Sīhon thā. WuhAmoriyoṅ kā bādshāh thā aur uskā dārul‐hukūmat Hasbon thā.

Aroīr Shahr yānī Wādī‐e‐Arnon kedarmiyān se le kar Ammoniyoṅ kīsarhad Dariyā‐e‐Yabboq tak sārāilāqā us kī girift meṅ thā. Is meṅJiliyād kā ādhāhissā bhī shāmil thā.3Is ke alāwā Sīhon kā qabzā Dariyā‐e‐Yardan ke pūre mashriqī kinārepar Kinnarat yānī Galīl kī Jhīl se lekar Bahīrā‐e‐Murdār ke pās shahrBait‐yasīmot tak balki us ke junūbmeṅ pahāṛī silsile Pisgā ke dāmantak thā.

4Dūsrā bādshāh jis ne shikastkhāī thī Basan kā bādshāh Oj thā.Wuh Rafāiyoṅ ke dewqāmat qabīlemeṅ se bāqī rah gayā thā, aurus kī hukūmat ke markaz Astārātaur Idraī the. 5Shimāl meṅ us kīsaltanat kī sarhad Harmūn Pahāṛthī aur mashriq meṅ Salkā Shahr.Basan kā tamām ilāqā Jasūriyoṅaur Mākātiyoṅ kī sarhad tak us kehāth meṅ thā aur isī tarah Jiliyādkā shimālī hissā bādshāh Sīhon kīsarhad tak.

6Isrāīl ne Rab ke khādim Mūsākī rāhnumāī meṅ in do bādshāhoṅpar fatah pāī thī, aur Mūsā ne yihilāqā Rūbin, Jad aur Manassī keādhe qabīle ke sapurd kiyā thā.

Page 32: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

26 Yashua 13:6

Yashua kī Futūhāt kā Khulāsā7Darj‐e‐zail Dariyā‐e‐Yardan kemaġhrib ke un bādshāhoṅ kīfahrist hai jinheṅ Isrāīliyoṅ neYashua kī rāhnumāī meṅ shikastdī thī aur jin kī saltanat Wādī‐e‐Lubnān ke shahr Bāl‐jad se le karSaīr kī taraf baṛhne wāle pahāṛKhalaq tak thī. Bād meṅ Yashuane yih sārā mulk Isrāīl ke qabīloṅmeṅ taqsīm karke unheṅ mīrāsmeṅ de diyā 8yānī pahāṛī ilāqā,maġhrib kā nashebī pahāṛī ilāqā,Yardan kīWādī, us kemaġhribmeṅwāqe pahāṛī ḍhalāneṅ, Yahūdāhkā registān aur Dasht‐e‐Najab.Pahle yih sab kuchh Hittiyoṅ,Amoriyoṅ, Kanāniyoṅ, Farizziyoṅ,Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ ke hāthmeṅ thā. Zail ke har shahr kāapnā bādshāh thā, aur har ek neshikast khāī: 9Yarīhū, Aī nazdBaitel, 10Yarūshalam, Habrūn,11Yarmūt, Lakīs, 12Ijlūn, Jazar,13Dabīr, Jidar, 14Hurmā, Arād,15Libnā, Adullām, 16Maqqedā,Baitel, 17Taffuah, Hifar, 18Afīq,Lashsharūn, 19Madūn, Hasūr,20Simron‐maron, Akshāf, 21Tānak,Majiddo, 22Qādis, Karmil kāYuqniyām, 23Nāfat‐dor meṅ wāqe

Dor, Jiljāl kā Goim 24aur Tirzā.Bādshāhoṅ kī kul tādād 31 thī.

Kanān ke Bāqī Ilāqoṅ parQabzā Karne kā Hukm

13 Jab Yashua būṛhā thā toRab ne us se kahā, “Tū

bahut būṛhā ho chukā hai, lekinabhī kāfī kuchhbāqī rah gayāhai jispar qabzā karne kī zarūrat hai. 2‐3Ismeṅ Filistiyoṅ ke tamām ilāqe unke shāhī shahroṅ Ġhazzā, Ashdūd,Askqalūn, Jāt aur Aqrūn sametshāmil haiṅ aur isī tarah Jasūr kāilāqā jis kī junūbī sarhad Wādī‐e‐Saihūr hai jo Misr ke mashriq meṅhai aur jis kī shimālī sarhad Aqrūnhai. Use bhīMulk‐e‐Kanān kā hissāqarār diyā jātā hai. Awwiyoṅ kāilāqā bhī 4jo junūb meṅ hai ab takIsrāīl ke qabze meṅ nahīṅ āyā. Yihībāt shimāl par bhī sādiq ātī hai.Saidāniyoṅ ke shahr Ma’ārā se lekar Afīq Shahr aur Amoriyoṅ kīsarhad tak sab kuchh ab tak Isrāīlkī hukūmat se bāhar hai. 5Is kealāwā jabliyoṅkāmulk aurmashriqmeṅ pūrā Lubnān Harmūn Pahāṛke dāman meṅ Bāl‐jad se le karLabo‐hamāt tak bāqī rah gayā hai.6Is meṅ un Saidāniyoṅ kā tamām

Page 33: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 13:7 27

ilāqā bhī shāmil hai jo Lubnānke pahāṛoṅ aur Misrafāt‐māym kedarmiyān ke pahāṛī ilāqemeṅ ābādhaiṅ. Isrāīliyoṅ ke baṛhte baṛhtemaiṅ khud hī in logoṅ ko un kesāmne se nikāl dūṅgā. Lekin lāzimhai ki tū qurā ḍāl kar yih pūrāmulkmere hukm ke mutābiq Isrāīliyoṅmeṅ taqsīm kare. 7Use nau bāqīqabīloṅ aurManassī ke ādhe qabīleko wirāsat meṅ de de.”

Yardan keMashriq meṅMulk kī Taqsīm

8Rab kā khādim Mūsā Rūbin, Jadaur Manassī ke bāqī ādhe qabīle koDariyā‐e‐Yardan kā mashriqī ilāqāde chukā thā. 9‐10Yoṅ Hasbon keAmorī bādshāh Sīhon ke tamāmshahr un ke qabze meṅ ā gaethe yānī junūbī Wādī‐e‐Arnon kekināre par shahr Aroīr aur usī wādīke bīch ke shahr se le kar shimālmeṅ Ammoniyoṅ kī sarhad tak.Dībon aur Mīdabā ke darmiyānkā maidān‐e‐murtafā bhī is meṅshāmil thā 11aur isī tarah Jiliyād,Jasūriyoṅ aur Mākātiyoṅ kā ilāqā,Harmūn kā pahāṛī ilāqā aur SalkāShahr tak Basan kā sārā ilāqā bhī.

12Pahle yih sārā ilāqā Basan kebādshāh Oj ke qabze meṅ thā jiskī hukūmat ke markaz Astārāt aurIdraī the. Rafāiyoṅ ke dewqāmatqabīle se sirf Oj bāqī rah gayāthā. Mūsā kī rāhnumāī ke tahtIsrāīliyoṅ ne us ilāqe par fatah pākar tamām bāshindoṅ ko nikāl diyāthā. 13Sirf Jasūrī aur Mākātī bāqīrah gae the, aur yih āj tak Isrāīliyoṅke darmiyān rahte haiṅ.

14Sirf Lāwī ke qabīle ko koī zamīnnamilī, kyoṅki un kāmaurūsī hissājalne wālī wuh qurbāniyāṅ haiṅ joRab Isrāīl ke Khudā ke lie chaṛhāījātī haiṅ. Rab ne yihī kuchh Mūsāko batāyā thā.

Rūbin kā Qabāylī Ilāqā15Mūsā ne Rūbin ke qabīle ko uske kunboṅ ke mutābiq zail kāilāqā diyā. 16Wādī‐e‐Arnon kekināre par shahr Aroīr aur usīwādī ke bīch ke shahr se le karMīdabā 17aur Hasbon tak. Wahāṅke maidān‐e‐murtafā par wāqetamām shahr bhī Rūbin ke sapurdkie gae yānī Dībon, Bāmāt‐bāl,Bait‐bāl‐maūn, 18Yahaz, Qadīmāt,Mifāt, 19Qiriyatāym, Sibmāh, Zirat‐us‐sahar jo Bahīrā‐e‐Murdār ke

Page 34: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

28 Yashua 13:32

mashriq meṅ wāqe pahāṛī ilāqemeṅ hai, 20Bait‐faġhūr, Pisgā kepahāṛī silsile par maujūd ābādiyāṅaur Bait‐yasīmot. 21Maidān‐e‐murtafā ke tamām shahr Rūbin keqabīle ko die gae yānī Amoriyoṅ kebādshāh Sīhon kī pūrī bādshāhī jiskā dārul‐hukūmat Hasbon Shahrthā. Mūsā ne Sīhon ko mār ḍālāthā aur us ke sāth pāṅch Midiyānīra’īsoṅ ko bhī jinheṅ Sīhon ne apnemulk meṅ muqarrar kiyā thā. Inra’īsoṅ ke nām Iwī, Raqam, Sūr,Hūr aur Rabā the. 22Jin logoṅko us waqt mārā gayā un meṅ seBilām bin Baor bhī thā jo ġhaibdānthā. 23Rūbin ke qabīle kī maġhribīsarhad Dariyā‐e‐Yardan thī. Yihīshahr aur ābādiyāṅ Rūbin ke qabīleko us ke kunboṅ ke mutābiq dīgaīṅ, aur wuh us kī mīrās ṭhahrīṅ.

Jad ke Qabīle kā Ilāqā24Mūsā ne Jad ke qabīle ko us kekunboṅ ke mutābiq zail kā ilāqādiyā. 25Yāzer kā ilāqā, Jiliyādke tamām shahr, Ammoniyoṅkā ādhā hissā Rabbā ke qarībshahr Aroīr tak 26‐27aur Hasbonke bādshāh Sīhon kī bādshāhī kābāqī shimālī hissā yānī Hasbon,

Rāmatul‐Misfāh aur Batūnīm kedarmiyān kā ilāqā aur Mahanāymaur Dabīr ke darmiyān kā ilāqā. Iske alāwā Jad ko Wādī‐e‐Yardan kāwuh mashriqī hissā bhī mil gayā joBait‐hāram, Bait‐nimrā, Sukkāt aurSafon par mushtamil thā. Yoṅ us kīshimālī sarhad Kinnarat yānī Galīlkī Jhīl kā junūbī kinārā thā. 28Yihīshahr aur ābādiyāṅ Jad ke qabīle kous ke kunboṅ ke mutābiq dī gaīṅ,aur wuh us kī mīrās ṭhahrīṅ.

Manassī ke Mashriqī Hissekā Ilāqā

29Jo ilāqā Mūsā ne Manassī keādhe hisse ko us ke kunboṅ kemutābiq diyā thā 30wuhMahanāymse le kar shimāl meṅ Oj Bādshāhkī tamām bādshāhī par mushtamilthā. UsmeṅMulk‐e‐Basan aur wuh60 ābādiyāṅ shāmil thīṅ jin par Yāīrne fatah pāī thī. 31Jiliyād kā ādhāhissā Oj kī hukūmat ke do marākizAstārāt aur Idraī samet Makīr binManassī kī aulād ko us ke kunboṅke mutābiq diyā gayā. 32Mūsā nein maurūsī zamīnoṅ kī taqsīm uswaqt kī thī jabwuhDariyā‐e‐Yardanke mashriq meṅ Moāb ke maidānī

Page 35: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 13:33 29

ilāqemeṅ Yarīhū Shahr kemuqābilthā.

33Lekin Lāwī ko Mūsā se koīmaurūsī zamīn nahīṅ milī thī,kyoṅki Rab Isrāīl kā Khudā un kāmaurūsī hissā hai jis tarah us ne unse wādā kiyā thā.

Kanān kī Taqsīm

14 Isrāīl ke bāqī sāṛhe nauqabīloṅ ko Dariyā‐e‐

Yardan kemaġhribmeṅ yānī Mulk‐e‐Kanān meṅ zamīn mil gaī. Iske lie Iliyazar Imām, Yashua binNūn aur qabīloṅ ke ābāī gharānoṅke sarbarāhoṅ ne 2qurā ḍāl karmuqarrar kiyā ki har qabīle kokaun kaun‐sā ilāqā mil jāe. Yoṅwaisā hī huā jis tarah Rab ne Mūsāko hukm diyā thā. 3‐4Mūsā aṛhāīqabīloṅ ko un kī maurūsī zamīnDariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅde chukā thā, kyoṅki Yūsuf kīaulād ke do qabīle Manassī aurIfrāīm wujūd meṅ āe the. LekinLāwiyoṅ ko un ke darmiyān zamīnna milī. Isrāīliyoṅ ne Lāwiyoṅ kozamīnnadī balki unheṅ sirf rihāishke lie shahr aur rewaṛoṅ ke liecharāgāheṅ dīṅ. 5Yoṅ unhoṅ nezamīn ko unhīṅ hidāyāt kemutābiq

taqsīm kiyā jo Rab ne Mūsā ko dīthīṅ.

Kālib Habrūn Pāne kīGuzārish Kartā Hai

6Jiljāl meṅ Yahūdāh ke qabīle kemard Yashua ke pās āe. YafunnāQanizzī kā beṭā Kālib bhī un kesāth thā. Us ne Yashua se kahā,“Āp ko yād hai ki Rab ne mard‐e‐Khudā Mūsā se āp ke aur merebāre meṅ kyā kuchh kahā jab hamQādis‐barnīa meṅ the. 7Maiṅ 40sāl kā thā jab Rab ke khādim Mūsāne mujhe Mulk‐e‐Kanān kā jāyzālene ke lie Qādis‐barnīa se bhejdiyā. Jab wāpas āyā to maiṅ neMūsā ko diyānatdārī se sab kuchhbatāyā jo dekhā thā. 8Afsos ki jobhāī mere sāth gae the unhoṅ nelogoṅ ko ḍarāyā. Lekin maiṅ Rabapne Khudā kā wafādār rahā. 9Usdin Mūsā ne qasam khā kar mujhse wādā kiyā, ‘Jis zamīn par terepāṅw chale haiṅ wuh hameshā takterī aur terī aulād kī wirāsat meṅrahegī. Kyoṅki tū Rab mere Khudākā wafādār rahā hai.’ 10Aur ab aisāhī huā hai jis tarah Rab ne wādākiyā thā. Us ne mujhe ab tak zindārahne diyā hai. Rab ko Mūsā se yih

Page 36: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

30 Yashua 15:7

bāt kie 45 sāl guzar gae haiṅ. Ussāre arse meṅ ham registān meṅghūmte‐phirte rahe haiṅ. Āj maiṅ85 sāl kā hūṅ, 11aur ab tak utnāhī tāqatwar hūṅ jitnā ki us waqtthā jab maiṅ jāsūs thā. Ab takmerī bāhar nikalne aur jang karnekī wuhī quwwat qāym hai. 12Abmujhe wuh pahāṛī ilāqā de deṅ jiskā wādā Rab ne us dinmujh se kiyāthā. Āp ne khud sunā hai ki Anāqīwahāṅ baṛe qilāband shahroṅ meṅbaste haiṅ. Lekin shāyad Rabmeresāth ho aur maiṅ unheṅ nikāl dūṅjis tarah us ne farmāyā hai.”

13Tab Yashua ne Kālib binYafunnā ko barkat de kar usewirāsat meṅ Habrūn de diyā.14‐15Pahle HabrūnQiriyat‐arbā yānīArbā kā Shahr kahlātā thā. ArbāAnāqiyoṅ kā sab se baṛā ādmī thā.Āj tak yih shahr Kālib kī aulād kīmilkiyat rahī hai. Wajah yih haiki Kālib Rab Isrāīl ke Khudā kāwafādār rahā. Phir jang khatm huī,aur mulk meṅ amn‐o‐amān qāymho gayā.

Yahūdāh kī Sarhaddeṅ

15 Jab Isrāīliyoṅ ne qurā ḍālkar mulk ko taqsīm kiyā to

Yahūdāh ke qabīle ko us ke kunboṅke mutābiq Kanān kā junūbī hissāmil gayā. Is ilāqe kī sarhad Mulk‐e‐Adomaur intahāī junūbmeṅ Sīn kāregistān thā.

2Yahūdāh kī junūbī sarhadBahīrā‐e‐Murdār ke junūbī sire seshurū ho kar 3junūb kī taraf chaltīchaltī Darrā‐e‐Aqrabbīm pahuṅchgaī. Wahāṅ se wuh Sīn kī tarafjārī huī aur Qādis‐barnīa ke junūbmeṅ se āge nikal kar Hasron takpahuṅch gaī. Hasron se wuh Addārkī taraf chaṛh gaī aur phir Qarqā kītaraf muṛī. 4Is ke bād wuh Azmūnse ho kar Misr kī sarhad par wāqeWādī‐e‐Misr tak pahuṅch gaī jis kesāth sāth chaltī huī wuh samundarpar khatm huī. Yih Yahūdāh kījunūbī sarhad thī.

5Mashriq meṅ us kī sarhadBahīrā‐e‐Murdār ke sāth sāth chalkar wahāṅ khatm huī jahāṅ Dariyā‐e‐Yardan Bahīrā‐e‐Murdār meṅbahtā hai.Yahūdāh kī shimālī sarhad yihīṅ

se shurū ho kar 6Bait‐hujlāh kītaraf chaṛh gaī, phir Bait‐arābā keshimāl meṅ se guzar kar Rūbin kebeṭe Bohan ke patthar tak pahuṅchgaī. 7Wahāṅ se sarhad Wādī‐e‐Akūr meṅ utar gaī aur phir dubārā

Page 37: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 15:8 31

Dabīr kī taraf chaṛh gaī. Dabīr sewuh shimāl yānī Jiljāl kī taraf joDarrā‐e‐Adummīm ke muqābil haimuṛ gaī. (Yih darrā wādī ke junūbmeṅ hai.) Yoṅ wuh chaltī chaltīshimālī sarhad Ain‐shams aur Ain‐rājil tak pahuṅch gaī. 8Wahāṅse wuh Wādī‐e‐Bin‐hinnūm meṅse guzartī huī Yabūsiyoṅ ke shahrYarūshalam ke junūb meṅ se āgenikal gaī aur phir us pahāṛ parchaṛh gaī jo Wādī‐e‐Bin‐hinnūm kemaġhrib aur Maidān‐e‐Rafāīm keshimālī kināre par hai. 9Wahāṅsarhad muṛ kar chashmā banāmNiftūh kī taraf baṛh gaī aur phirpahāṛī ilāqe Ifron ke shahroṅ kepās se guzar kar Bālā yānī Qiriyat‐yārīm tak pahuṅch gaī. 10Bālā semuṛ kar Yahūdāh kī yih sarhadmaġhrib meṅ Saīr ke pahāṛī ilāqekī taraf baṛh gaī aur Yārīm Pahāṛyānī Kaslūn ke shimālī dāman kesāth sāth chal kar Bait‐shams kītaraf utar kar Timnat pahuṅch gaī.11Wahāṅ se wuh Aqrūn ke shimālmeṅ se guzar gaī aur phir muṛkar sikkarūn aur Bālā Pahāṛ kītaraf baṛh kar Yabniyel pahuṅchgaī. Wahāṅ yih shimālī sarhadsamundar par khatm huī.

12Samundar Mulk‐e‐Yahūdāh kīmaġhribī sarhad thī. Yihīwuh ilāqāthā jo Yahūdāh ke qabīle ko us kekhāndānoṅ ke mutābiq mil gayā.

Habrūn aur Dabīr par Fatah13Rab ke hukm ke mutābiq Yashuane Kālib bin Yafunnā ko us kā hissāYahūdāh meṅ de diyā. Wahāṅ useHabrūn Shahr mil gayā. Us waqtus kā nām Qiriyat‐arbā thā. (ArbāAnāq kā bāp thā.) 14Habrūn meṅtīn Anāqī banām Sīsī, Akhīmān aurTalmī apne gharānoṅ samet rahtethe. Kālib ne tīnoṅ ko Habrūn senikāl diyā. 15Phir wuh āge Dabīrke bāshindoṅ se laṛne chalā gayā.Dabīr kā purānā nām Qiriyat‐sifarthā. 16Kālib ne kahā, “Jo Qiriyat‐sifar par fatah pā kar qabzā karegāus ke sāth maiṅ apnī beṭī Aksā kārishtā bāndhūṅgā.” 17Kālib ke bhāīĠhutniyel bin Qanaz ne shahr parqabzā kar liyā. ChunāṅcheKālib neus ke sāth apnī beṭī Aksā kī shādīkar dī.

18Jab Aksā Ġhutniyel ke hāṅ jārahī thī to us ne use ubhārā ki wuhKālib se koī khet pāne kī darkhāstkare. Achānak wuh gadhe se utargaī. Kālib ne pūchhā, “Kyā bāt hai?”

Page 38: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

32 Yashua 15:47

19Aksā ne jawāb diyā, “Jahez ke liemujhe ek chīz se nawāzeṅ. Āp nemujhe Dasht‐e‐Najab meṅ zamīnde dī hai. Ab mujhe chashmebhī de dījie.” Chunāṅche Kālib neuse apnī milkiyat meṅ se ūpar aurnīche wāle chashme bhī de die.

Yahūdāh ke Qabīle ke Shahr20Jo maurūsī zamīn Yahūdāhke qabīle ko us ke kunboṅ kemutābiq milī 21us meṅ zail keshahr shāmil the. Junūb meṅMulk‐e‐Adom kī sarhad kī tarafyih shahr the: Qabziyel, Idar,Yajūr, 22Qīnā, Dīmūnā, Ad’adā,23Qādis, Hasūr, Itnān, 24Zīf, Talam,Bālot, 25Hasūr‐hadattā, Qariyot‐hasron yānī Hasūr, 26Amām, Samā,Molādā, 27Hasār‐jaddā, Hishmon,Bait‐falat, 28Hasār‐suāl, Bair‐sabā,Bizyotiyāh, 29Bālā, Iyyīm, Azam,30Iltolad, Kasīl, Hurmā, 31Siqlāj,Madmannā, Sansannā, 32Labāot,Silhīm, Ain aur Rimmon. Inshahroṅ kī tādād 29 thī. Har shahrke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ us kesāth ginī jātī thīṅ.

33Maġhrib ke nashebī pahāṛīilāqe meṅ yih shahr the: Istāl,Sur’ā, Asnā, 34Zanūh, Ain‐

jannīm, Taffuah, Ainām, 35Yarmūt,Adullām, Sokā, Azīqā, 36Shāraim,Aditaim aur Jadīrā yānī Jadīrataim.In shahroṅ kī tādād 14 thī. Harshahr ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅus ke sāth ginī jātī thīṅ.

37In ke alāwā yih shahr bhīthe: Zanān, Hadāshā, Mijdal‐jad,38Dil’ān, Misfāh, Yuqtiyel, 39Lakīs,Busqat, Ijlūn, 40Kabbūn, Lahmās,Kitlīs, 41Jadīrot, Bait‐dajūn, Nāmāaur Maqqedā. In shahroṅ kī tādād16 thī. Har shahr ke gird‐o‐nawāhkī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

42Is ilāqe meṅ yih shahr bhīthe: Libnā, Itar, Asan, 43Yiftāh,Asnā, Nasībab, 44Qaīlā, Akzīb aurMaresā. In shahroṅ kī tādād 9thī. Har shahr ke gird‐o‐nawāh kīābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

45In ke alāwā yih shahr bhīthe: Aqrūn us ke gird‐o‐nawāhkī ābādiyoṅ aur dehātoṅ samet,46phir Aqrūn se le kar maġhrib kītaraf Ashdūd tak tamām qasbe aurābādiyāṅ. 47Ashdūd khud bhī uske gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ aurdehātoṅ samet is meṅ shāmil thāaur isī tarah Ġhazzā us ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ aur dehātoṅsamet yānī tamām ābādiyāṅ Misr

Page 39: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 15:48 33

kī sarhad parwāqeWādī‐e‐Misr aursamundar ke sāhil tak.

48Pahāṛī ilāqe ke yih shahrYahūdāh ke qabīle ke the: Samīr,Yattīr, Sokā, 49Dannā, Qiriyat‐sannā yānī Dabīr, 50Anāb, Istamoh,Anīm, 51Jushan, Haulūn aur Jiloh.In shahroṅ kī tādād 11 thī, aur unke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ bhī unke sāth ginī jātī thīṅ.

52In ke alāwā yih shahr bhī the:Arāb, Dūmā, Ish’ān, 53Yanūm, Bait‐taffuah, Afīqā, 54Humtā, Qiriyat‐arbā yānī Habrūn aur Sīūr. Inshahroṅ kī tādād 9 thī. Har shahrke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ usmeṅ ginī jātī thīṅ.

55In ke alāwā yih shahr bhī the:Maūn, Karmil, Zīf, Yūttā, 56Yazrael,Yuqdiyām, Zanūh, 57Qain, Jibiyāaur Timnat. In shahroṅ kī tādād 10thī. Har shahr ke gird‐o‐nawāh kīābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

58In ke alāwā yih shahr bhī the:Halhūl, Bait‐sūr, Jadūr, 59Mārāt,Bait‐anot aur Iltaqon. In shahroṅkī tādād 6 thī. Har shahr ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginījātī thīṅ.

60Phir Qiriyat‐bāl yānī Qiriyat‐yārīm aur Rabbā bhī Yahūdāh kepahāṛī ilāqe meṅ shāmil the. Har

shahr ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅus ke sāth ginī jātī thīṅ.

61Registān meṅ yih shahrYahūdāh ke qabīle ke the: Bait‐arābā, Middīn, Sakākā, 62Nibsān,Namak kā Shahr aur Ain‐jadī. Inshahroṅ kī tādād 6 thī. Har shahrke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ us kesāth ginī jātī thīṅ.

63Lekin Yahūdāh kā qabīlāYabūsiyoṅ ko Yarūshalam senikālne meṅ nākām rahā. Is lie unkī aulād āj tak Yahūdāh ke qabīle kedarmiyān rahtī hai.

Ifrāīm aurManassī kīJunūbī Sarhad

16 Qurā ḍālne se Yūsuf kīaulād kā ilāqā muqarrar

kiyā gayā. Us kī sarhad Yarīhū keqarībDariyā‐e‐Yardan se shurūhuī,shahr ke mashriq meṅ chashmoṅkepās se guzarī aur registānmeṅ sechaltī chaltī Baitel ke pahāṛī ilāqetak pahuṅchī. 2Lūz yānī Baitel seāge nikal kar wuh Arkiyoṅ ke ilāqemeṅ Atārāt pahuṅchī. 3Wahāṅ sewuh maġhrib kī taraf utartī utartīYaflītiyoṅ ke ilāqe meṅ dākhil huījahāṅ wuh Nashebī Bait‐haurūnmeṅ se guzar kar Jazar ke pīchhe

Page 40: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

34 Yashua 17:4

samundar par khatm huī. 4Yih usilāqe kī junūbī sarhad thī jo Yūsufkī aulād Ifrāīm aur Manassī keqabīloṅ ko wirāsat meṅ diyā gayā.

Ifrāīm kā Ilāqā5Ifrāīm ke qabīle ko us ke kunboṅke mutābiq yih ilāqā mil gayā:Us kī junūbī sarhad Atārāt‐addāraur Bālāī Bait‐haurūn se ho kar6‐8samundar par khatm huī. Uskī shimālī sarhad maġhrib meṅsamundar se shurū huī aur QānāNadī ke sāth chaltī chaltī Taffuahtak pahuṅchī. Wahāṅ se wuhshimāl kī taraf muṛī aur Mikmatāhtak pahuṅch kar dubārāmashriq kītaraf chalne lagī. Phir wuh Tānat‐sailā se ho kar Yānūh pahuṅchī.Mashriqī sarhad shimālmeṅYānūhse shurū huī aur Atārāt se hokar Dariyā‐e‐Yardan ke maġhribīkināre tak utrī aur phir kināre kesāth junūb kī taraf chaltī chaltīNārā aur is kebādYarīhūpahuṅchī.Wahāṅ wuh Dariyā‐e‐Yardan parkhatm huī. Yihī Ifrāīm aur us kekunboṅ kī sarhaddeṅ thīṅ.

9Is ke alāwā kuchh shahr aurun ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅIfrāīm ke lie muqarrar kī gaīṅ jo

Manassī ke ilāqemeṅ thīṅ. 10Ifrāīmke mardoṅ ne Jazar meṅ ābādKanāniyoṅ ko na nikālā. Is lie un kīaulād āj takwahāṅ rahtī hai, albattāuse begār meṅ kām karnā paṛtāhai.

Manassī kā Ilāqā

17 Yūsuf ke pahlauṭheManassī kī aulād ko do

ilāqe mil gae. Dariyā‐e‐Yardan kemashriq meṅ Makīr ke gharāne koJiliyād aur Basan die gae. MakīrManassī kā pahlauṭhā aur Jiliyād kābāp thā, aur us kī aulād māhir faujīthī. 2Ab qurā ḍālne se Dariyā‐e‐Yardan ke maġhrib meṅ wuh ilāqāmuqarrar kiyā gayā jahāṅ Manassīke bāqī beṭoṅ kī aulād ko ābādhonāthā. In ke chhih kunbe the jinke nām Abiyazar, Khalaq, Asriyel,Sikam, Hifar aur Samīdā the.

3Silāfihād bin Hifar bin Jiliyādbin Makīr bin Manassī ke beṭenahīṅ the balki sirf beṭiyāṅ. Unke nām Mahlāh, Nūsāh, Hujlāh,Milkāh aur Tirzā the. 4Yihkhawātīn Iliyazar Imām, Yashuabin Nūn aur qaum ke buzurgoṅke pās āīṅ aur kahne lagīṅ, “Rabne Mūsā ko hukm diyā thā ki wuh

Page 41: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 17:5 35

hameṅ bhī qabāylī ilāqe kā koīhissā de.” Yashua ne Rab kā hukmmān kar na sirf Manassī kī narīnāaulād ko zamīn dī balki unheṅ bhī.5Natīje meṅ Manassī ke qabīle koDariyā‐e‐Yardan ke maġhrib meṅzamīn ke das hisse mil gae aurmashriq meṅ Jiliyād aur Basan.6Maġhrib meṅ na sirf Manassīkī narīnā aulād ke khāndānoṅko zamīn milī balki beṭiyoṅ kekhāndānoṅ ko bhī. Is ke baraksmashriq meṅ Jiliyād kī zamīn sirfnarīnā aulād meṅ taqsīm kī gaī.

7Manassī ke qabīle ke ilāqe kīsarhad Āshar se shurū huī aurSikam ke mashriq meṅ wāqeMikmatāh se ho kar junūb kī tarafchaltī huī Ain‐taffuah kī ābādī takpahuṅchī. 8Taffuah ke gird‐o‐nawāh kī zamīn Ifrāīm kī milkiyatthī, lekin Manassī kī sarhad par keyih shahr Manassī kī apnī milkiyatthe. 9Wahāṅ se sarhad Qānā Nadīke junūbī kināre tak utrī. Phir nadīke sāth chaltī chaltī wuh samundarpar khatm huī. Nadī ke junūbīkināre par kuchh shahr Ifrāīm kīmilkiyat the agarche wuh Manassīke ilāqe meṅ the. 10Lekin majmūītaur par Manassī kā qabāylī ilāqāQānā Nadī ke shimāl meṅ thā aur

Ifrāīm kā ilāqā us ke junūb meṅ.Donoṅ qabīloṅ kā ilāqā maġhribmeṅ samundar par khatm huā.Manassī ke ilāqe ke shimāl meṅĀshar kā qabāylī ilāqā thā aurmashriq meṅ Ishkār kā.

11Āshar aur Ishkār ke ilāqoṅke darj‐e‐zail shahr Manassī kīmilkiyat the: Bait‐shān, Ibliyām,Dor yānī Nāfat‐dor, Ain‐dor, Tānakaur Majiddo un ke gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet. 12Lekin Manassīkā qabīlā wahāṅ ke Kanāniyoṅ konikāl na sakā balki wuh wahāṅbaste rahe. 13Bādmeṅ bhī jab Isrāīlkī tāqat baṛh gaī to Kanāniyoṅ konikālā na gayā balki unheṅ begārmeṅ kām karnā paṛā.

Ifrāīm aurManassī Mazīd Zamīnkā Taqāzā Karte Haiṅ

14Yūsuf ke qabīle Ifrāīm aurManassī Dariyā‐e‐Yardan kemaġhrib meṅ zamīn pāne kebād Yashua ke pās āe aur kahnelage, “Āp ne hamāre lie qurā ḍālkar zamīn kā sirf ek hissā kyoṅmuqarrar kiyā? Ham to bahutzyādā log haiṅ, kyoṅki Rab nehameṅ barkat de kar baṛī qaumbanāyā hai.”

Page 42: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

36 Yashua 18:6

15Yashua ne jawāb diyā, “Agarāp itne zyādā haiṅ aur āp ke lieIfrāīm kā pahāṛī ilāqā kāfī nahīṅhai to phir Farizziyoṅ aur Rafāiyoṅke pahāṛī jangloṅ meṅ jāeṅ aurunheṅ kāṭ kar kāsht ke qābil banāleṅ.”

16Yūsuf ke qabīloṅ ne kahā,“Pahāṛī ilāqā hamāre lie kāfī nahīṅhai, aur maidānī ilāqe meṅ ābādKanāniyoṅ ke pās lohe ke rath haiṅ,un ke pās bhī jo Wādī‐e‐Yazraelmeṅ haiṅ aur un ke pās bhī joBait‐shān aur us ke gird‐o‐nawāhkī ābādiyoṅ meṅ rahte haiṅ.”

17Lekin Yashua ne jawāb meṅkahā, “Āp itnī baṛī aur tāqatwarqaum haiṅ ki āp kā ilāqā ek hī hissepar mahdūd nahīṅ rahegā 18balkijangal kā pahāṛī ilāqā bhī āp kīmilkiyat meṅ āegā. Us ke jangloṅko kāṭ kar kāsht ke qābil banā leṅto yih tamām ilāqā āp hī kā hogā.Āp bāqī ilāqe par bhī qabzā karkeKanāniyoṅ ko nikāl deṅge agarchewuh tāqatwar haiṅ aur un ke pāslohe ke rath haiṅ.”

Bāqī Sāt Qabīloṅ ko ZamīnMiltī Hai

18 Kanān par ġhālib āne kebād Isrāīl kī pūrī jamāt

Sailā Shahr meṅ jamā huī. Wahāṅunhoṅnemulāqāt kā khaimākhaṛākiyā.

2Ab tak sāt qabīloṅ ko zamīnnahīṅ milī thī. 3Yashua neIsrāīliyoṅ ko samjhā kar kahā, “Āpkitnī der tak sust raheṅge? Āpkab tak us mulk par qabzā nahīṅkareṅge jo Rab āp ke bāpdādā keKhudā ne āp ko de diyā hai? 4Abhar qabīle ke tīn tīn ādmiyoṅ kochun leṅ. Unheṅ maiṅ mulk kādaurā karne ke lie bhej dūṅgātāki wuh tamām qabāylī ilāqoṅkī fahrist taiyār kareṅ. Is ke bādwuh mere pās wāpas ā kar 5mulkko sāt ilāqoṅ meṅ taqsīm kareṅ.Lekin dhyān rakheṅ ki junūb meṅYahūdāh kā ilāqā aur shimāl meṅIfrāīm aurManassī kā ilāqā hai. Unkī sarhaddeṅ mat chheṛnā! 6Wuhādmī likh leṅ ki sāt nae qabāylīilāqoṅ kī sarhaddeṅ kahāṅ kahāṅtak haiṅ aur phir in kī fahristeṅpesh kareṅ. Phir maiṅ Rab āp keKhudā ke huzūr muqaddas qurāḍāl kar har ek kī zamīn muqarrar

Page 43: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 18:7 37

karūṅga. 7Yād rahe ki Lāwiyoṅ kokoī ilāqā nahīṅ milnā hai. Un kāhissā yih hai ki wuh Rab ke imāmhaiṅ. Aur Jad, Rūbin aur Manassīke ādhe qabīle ko bhī mazīd kuchhnahīṅ milnā hai, kyoṅki unheṅRab ke khādim Mūsā se Dariyā‐e‐Yardan kemashriqmeṅ un kā hissāmil chukā hai.”

8Tab wuh ādmī rawānā hone kelie taiyār hue jinheṅ mulk kā daurākarne ke lie chunā gayā thā. Yashuane unheṅ hukm diyā, “Pūre mulkmeṅ se guzar kar tamām shahroṅkī fahrist banāeṅ. Jab fahristmukammal ho jāe to use mere pāsle āeṅ. Phir maiṅ Sailā meṅ Rabke huzūr āp ke lie qurā ḍāl dūṅgā.”9Ādmī chale gae aur pūre mulkmeṅ se guzar kar tamām shahroṅkī fahrist banā lī. Unhoṅ ne mulkko sāt hissoṅ meṅ taqsīm karketamām tafsīlāt kitāb meṅ darj kīṅaur yih kitāb Sailā kī khaimāgāhmeṅYashua ko de dī. 10Phir Yashuane Rab ke huzūr qurā ḍāl kar yihilāqe bāqī sāt qabīloṅ aur un kekunboṅ meṅ taqsīm kar die.

Binyamīn kā Ilāqā11Jab qurā ḍālā gayā to Binyamīnke qabīle aur us ke kunboṅ kopahlā hissā mil gayā. Us kī zamīnYahūdāh aur Yūsuf ke qabīloṅ kedarmiyān thī. 12Us kī shimālīsarhad Dariyā‐e‐Yardan se shurūhuī aur Yarīhū ke shimāl meṅpahāṛī ḍhalān par chaṛh kar pahāṛīilāqe meṅ se maġhrib kī tarafguzarī. Bait‐āwan ke bayābān kopahuṅchne par 13wuh Lūz yānīBaitel kī taraf baṛh kar shahr kejunūbmeṅpahāṛī ḍhalān par chaltīchaltī āge nikal gaī. Wahāṅ sewuh Atārāt‐addār aur us pahāṛī takpahuṅchī jo Nashebī Bait‐haurūnke junūb meṅ hai. 14Phir wuhjunūb kī taraf muṛ kar maġhribīsarhad ke taur par Qiriyat‐bālyānī Qiriyat‐yārīm ke pās āī joYahūdāh ke qabīle kī milkiyatthī. 15Binyamīn kī junūbī sarhadQiriyat‐yārīm ke maġhribī kinārese shurū ho kar Niftūh chashmātak pahuṅchī. 16Phir wuh us pahāṛke dāman par utar āī jo Wādī‐e‐Bin‐hinnūm ke maġhrib meṅaur Maidān‐e‐Rafāīm ke shimālmeṅ wāqe hai. Is ke bād sarhadYabūsiyoṅ ke shahr ke junūb meṅ

Page 44: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

38 Yashua 19:9

se guzarī aur yoṅ Wādī‐e‐Hinnūmko pār karke Ain‐rājil ke pās āī.17Phir wuh shimāl kī taraf muṛkar Ain‐shams ke pās se guzarīaur Darrā‐e‐Adummīm ke muqābilshahr Jalīlot tak pahuṅch karRūbinke beṭe Bohan ke patthar ke pāsutar āī. 18Wahāṅ se wuh us ḍhalānke shimālī rukh par se guzarī joWādī‐e‐Yardan ke maġhribī kinārepar hai. Phir wuh wādī meṅutar kar 19Bait‐hujlāh kī shimālīpahāṛī ḍhalān se guzarī aur Bahīrā‐e‐Murdār ke shimālī kināre parkhatm huī, wahāṅ jahāṅ Dariyā‐e‐Yardan us meṅ bahtā hai. Yihthī Binyamīn kī junūbī sarhad.20Us kī mashriqī sarhad Dariyā‐e‐Yardan thī. Yihī wuh ilāqā thājo Binyamīn ke qabīle ko us kekunboṅ ke mutābiq diyā gayā.

21Zail ke shahr is ilāqe meṅshāmil the: Yarīhū, Bait‐hujlāh,Imaq‐qasīs, 22Bait‐arābā, Samraim,Baitel, 23Awwīm, Fārā, Ufrā,24Kafarul‐ammonī, Ufnī aur Jibā.Yih kul 12 shahr the. Har shahrke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ uske sāth ginī jātī thīṅ. 25In kealāwā yih shahr bhī the: Jibaūn,Rāmā, Bairot, 26Misfāh, Kafīrā,Mauzā, 27Raqam, Irfael, Tarālā,

28Zilā, Alif, Yabūsiyoṅ kā shahrYarūshalam, Jibiyā aur Qiriyat‐yārīm. In shahroṅ kī tādād 14thī. Har shahr ke gird‐o‐nawāh kīābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.Yih tamām shahr Binyamīn aur uske kunboṅ kī milkiyat the.

Shamāūn kā Ilāqā

19 Jab qurā ḍālā gayā toShamāūn ke qabīle aur us

ke kunboṅ ko dūsrā hissā mil gayā.Us kī zamīn Yahūdāh ke qabīle keilāqe ke darmiyān thī. 2Use yihshahr mil gae: Bair‐sabā (Sabā),Molādā, 3Hasār‐suāl, Bālā, Azam,4Iltolad, Batūl, Hurmā, 5Siqlāj,Bait‐markabot, Hasār‐sūsā, 6Bait‐labāot aur Sārūhan. In shahroṅ kītādād 13 thī. Har shahr ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginījātī thīṅ. 7In ke alāwā yih chārshahr bhī Shamāūn ke the: Ain,Rimmon, Itar aur Asan. Har shahrke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ us kesāth ginī jātī thīṅ. 8In shahroṅ kegird‐o‐nawāh kī tamām ābādiyāṅBālāt‐bair yānī Najab ke Rāmātak un ke sāth ginī jātī thīṅ. Yihthī Shamāūn aur us ke kunboṅkī milkiyat. 9Yih jagheṅ is lie

Page 45: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 19:10‐12 39

Yahūdāh ke qabīle ke ilāqe se līgaīṅ ki Yahūdāh kā ilāqā us ke liebahut zyādā thā. Yihī wajah hai kiShamāūn kā ilāqā Yahūdāh ke bīchmeṅ hai.

Zabūlūn kā Ilāqā10‐12Jab qurā ḍālā gayā to Zabūlūnke qabīle aur us ke kunboṅ ko tīsrāhissā mil gayā. Us kī junūbī sarhadYuqniyām kī nadī se shurū huīaur phir mashriq kī taraf dabāsat,Mar’alā aur Sārīd se ho kar Kislot‐tabūr ke ilāqe tak pahuṅchī. Is kebād wuh muṛ kar mashriqī sarhadke taur par Dābarat ke pās āīaur chaṛhtī chaṛhtī Yafīa pahuṅchī.13Wahāṅ se wuh mazīd mashriq kītaraf baṛhtī huī Jāt‐hifar, Et‐qāzīnaur Rimmon se ho kar Neā kepās āī. 14Zabūlūn kī shimālī aurmaġhribī sarhad Hannāton meṅ seguzartī guzartī Wādī‐e‐Iftāhel parkhatm huī. 15Bārah shahr un kegird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ sametZabūlūn kīmilkiyatmeṅ āe jinmeṅQattāt, Nahlāl, Simron, Idālā aurBait‐laham shāmil the. 16Zabūlūnke qabīle ko yihī kuchh us kekunboṅ ke mutābiq mil gayā.

Ishkār kā Ilāqā17Jab qurā ḍālā gayā to Ishkārke qabīle aur us ke kunboṅ kochauthā hissā mil gayā. 18Us kāilāqā Yazrael se le kar shimāl kītaraf phail gayā. Yih shahr usmeṅ shāmil the: Kasūlot, Shūnīm,19Hafāraim, Shiyūn, Anākharat,20Rabbīt, Qisiyon, Ibaz, 21Raimat,Ain‐jannīm, Ain‐haddā aur Bait‐fassīs. 22Shimāl meṅ yih sarhadTabūr Pahāṛ se shurū huī aurshakhsūmā aur Bait‐shams se hokar Dariyā‐e‐Yardan tak utar āī.16 shahr un ke gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet Ishkār kī milkiyatmeṅ āe. 23Use yih pūrā ilāqā us kekunboṅ ke mutābiq mil gayā.

Āshar kā Ilāqā24Jab qurā ḍālā gayā to Āsharke qabīle aur us ke kunboṅ kopāṅchwāṅ hissā mil gayā. 25Uske ilāqe meṅ yih shahr shāmilthe: Khilqat, Halī, Batan, Akshāf,26Alammalik, Am’ād aur Misāl. Uskī sarhad samundar ke sāth sāthchaltī huī Karmil ke pahāṛī silsileke dāman meṅ se guzarī aur utartīutartī Saihūr‐libnāt tak pahuṅchī.27Wahāṅ wuh mashriq meṅ Bait‐

Page 46: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

40 Yashua 19:46

dajūn kī taraf muṛ kar Zabūlūnke ilāqe tak pahuṅchī aur us kīmaġhribī sarhad ke sāth chaltīchaltī shimāl meṅ Wādī‐e‐Iftāheltak pahuṅchī. Āge baṛhtī huī wuhBait‐imaq aur Na’iyel se ho karshimāl kī taraf muṛī jahāṅ kābūlthā. 28Phir wuh Ibrūn, Rahob,Hammūn aur Qānā se ho kar baṛeshahr Saidā tak pahuṅchī. 29Iske bād Āshar kī sarhad Rāmā kītaraf muṛ kar fasīldār shahr Sūrke pās āī. Wahāṅ wuh Hūsā kītaraf muṛī aur chaltī chaltī Akzībke qarīb samundar par khatm huī.3022 shahr un ke gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet Āshar kī milkiyatmeṅ āe. In meṅ Ummā, Afīq aurRahob shāmil the. 31Āshar ko uske kunboṅ ke mutābiq yihī kuchhmilā.

Naftālī kā Ilāqā32Jab qurā ḍālā gayā to Naftālī keqabīle aur us ke kunboṅ ko chhaṭāhissā mil gayā. 33‐34Junūb meṅus kī sarhad Dariyā‐e‐Yardan parLaqqūm se shurū huī aur maġhribkī taraf chaltī chaltī Yabniyel,

Adāmī‐naqb, Ailon‐zānanīm aurHalaf se ho kar Aznūt‐tabūr takpahuṅchī. Wahāṅ se wuhmaġhribīsarhad kī haisiyat se Huqqoq ke pāsāī. Naftālī kī junūbī sarhad Zabūlūnkī shimālī sarhad aur maġhribmeṅ Āshar kī mashriqī sarhad thī.Dariyā‐e‐Yardan aur Yahūdāha Uskī mashriqī sarhad thī. 35Zail kefasīldār shahr Naftālī kī milkiyatmeṅ āe: Saddīm, Sair, Hammat,Raqqat, Kinnarat, 36Adāmā, Rāmā,Hasūr, 37Qādis, Idraī, Ain‐hasūr,38Irūn, Mijdalel, Hurīm, Bait‐anātaur Bait‐shams. Aise 19 shahrthe. Har shahr ke gird‐o‐nawāhkī ābādiyāṅ bhī us ke sāth ginī jātīthīṅ. 39Naftālī ko yihī kuchh us kekunboṅ ke mutābiq milā.

Dān kā Ilāqā40Jab qurā ḍālā gayā to Dān keqabīle aur us ke kunboṅ ko sātwāṅhissā milā. 41Us ke ilāqe meṅ yihshahr shāmil the: Squrā, Istāl, Īr‐shams, 42Sha’ālabbīn, Aiyālon, Itlā,43Ailon, Timnat, Aqrūn, 44Iltaqih,Jibbatūn, Bālāt, 45Yahūd, Banī‐barq, Jāt‐rimmon, 46Me‐yarqūn

aYahāṅ Yahūdāh kā matlab Mulk‐e‐Basanho saktā hai jo Manassī ke ilāqe meṅ thā

lekin jis parYahūdāhkeqabīle kemardYāīrne fatah pāī thī.

Page 47: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 19:47 41

aur Raqqūn us ilāqe samet jo Yāfāke muqābil hai. 47Afsos, Dān kāqabīlā apne is ilāqe par qabzākarne meṅ kāmyāb na huā, is lieus ke mardoṅ ne Lasham Shahrpar hamlā karke us par fatah pāīaur us ke bāshindoṅ ko talwār semār ḍālā. Phir wuh khud wahāṅābād hue. Us waqt Lasham Shahrkā nām Dān meṅ tabdīl huā. (Dānun ke qabīle kā bāp thā). 48LekinYashua ke zamāne meṅ Dān keqabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiqmazkūrā tamām shahr aur un kegird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ mil gaīṅ.

Yashua ko Bhī ZamīnMiltī Hai49Pūremulkko taqsīmkarnekebādIsrāīliyoṅ ne Yashua bin Nūn kobhī apne darmiyān kuchh maurūsīzamīn de dī. 50Rab ke hukmpar unhoṅ ne use Ifrāīm kā shahrTimnat‐sirah de diyā. Yashua nekhud is kī darkhāst kī thī. Wahāṅjā kar us ne shahr ko az sar‐e‐nautāmīr kiyā aur us meṅ ābād huā.

51Ġharz yih wuh tamām zamīneṅhaiṅ jo Iliyazar Imām, Yashua binNūn aur qabīloṅ ke ābāī gharānoṅke sarbarāhoṅ ne Sailā meṅmulāqāt ke khaime ke darwāze

par qurā ḍāl kar taqsīm kī thīṅ.Yoṅ taqsīm karne kā yih kāmmukammal huā.

Panāh ke Chhih Shahr

20 Rab ne Yashua se kahā,2“Isrāīliyoṅ ko hukm de ki

un hidāyāt ke mutābiq panāh keshahr chun lo jinheṅ maiṅ tumheṅMūsā kī mārifat de chukā hūṅ.3In shahroṅ meṅ wuh log farārho sakte haiṅ jin se koī ittifāqanyānī ġhairirādī taur par halāk huāho. Yih unheṅ mare hue shakhske un rishtedāroṅ se panāh deṅgejo badlā lenā chāheṅge. 4Lāzimhai ki aisā shakhs panāh ke shahrke pās pahuṅchne par shahr kedarwāze ke pās baiṭhe buzurgoṅ koapnā muāmalā pesh kare. Us kībāt sun kar buzurg use apne shahrmeṅ dākhil hone kī ijāzat deṅ auruse apne darmiyān rahne ke liejagah de deṅ. 5Ab agar badlā lenewālā us ke pīchhe paṛ kar wahāṅpahuṅche to buzurg mulzim ko uske hāth meṅ na deṅ, kyoṅki yihmaut ġhairirādī taur par aur nafratrakhe baġhair huī hai. 6Wuh uswaqt tak shahr meṅ rahe jab takmaqāmī adālat muāmale kā faislā

Page 48: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

42 Yashua 21:6

na kar de. Agar adālat use begunāhqarār de to wuh us waqt ke imām‐e‐āzam kī maut tak us shahr meṅrahe. Is ke bād use apne us shahraur ghar ko wāpas jāne kī ijāzat haijis se wuh farār ho kar āyā hai.”

7Isrāīliyoṅ ne panāh ke yihshahr chun lie: Naftālī ke pahāṛīilāqe meṅ Galīl kā Qādis, Ifrāīmke pahāṛī ilāqe meṅ Sikam aurYahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅQiriyat‐arbā yānī Habrūn. 8Dariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅ unhoṅne Basar ko chun liyā jo Yarīhū sekāfī dūrmaidān‐e‐murtafāmeṅhaiaur Rūbin ke qabīle kī milkiyat hai.Mulk‐e‐Jiliyād meṅ Rāmāt jo Jad keqabīle kā hai aur Basanmeṅ Jaulānjo Manassī ke qabīle kā hai chunāgayā.

9Yih shahr tamām Isrāīliyoṅ aurIsrāīl meṅ rahne wāle ajnabiyoṅ kelie muqarrar kie gae. Jis se bhīġhairirādī taur par koī halāk huāuse in meṅ panāh lene kī ijāzat thī.In meṅ wuh us waqt tak badlā lenewāloṅ se mahfūz rahtā thā jab takmaqāmī adālat faislā nahīṅ kar detīthī.

Lāwiyoṅ ke Shahr aurCharāgāheṅ

21 Phir Lāwī ke qabīle keābāī gharānoṅ ke sarbarāh

Iliyazar Imām, Yashua bin Nūnaur Isrāīl ke bāqī qabīloṅ ke ābāīgharānoṅ ke sarbarāhoṅ ke pās āe2jo us waqt Sailā meṅ jamā the.Lāwiyoṅ ne kahā, “Rab ne Mūsā kīmārifat hukm diyā thā ki hameṅbasne ke lie shahr aur rewaṛoṅ kocharāne ke lie charāgāheṅ dī jāeṅ.”3Chunāṅche Isrāīliyoṅ ne Rab kīyih bāt mān kar apne ilāqoṅ meṅse shahr aur charāgāheṅ alag karkeLāwiyoṅ ko de dīṅ.

4Qurā ḍālā gayā to Lāwī kegharāne Qihāt ko us ke kunboṅke mutābiq pahlā hissā mil gayā.Pahle Hārūn ke kunbe ko Yahūdāh,Shamāūn aur Binyamīn ke qabīloṅke 13 shahr die gae. 5BāqīQihātiyoṅ ko Dān, Ifrāīm aurmaġhribī Manassī ke qabīloṅ ke 10shahr mil gae.

6Jairson ke gharāne ko Ishkār,Āshar, Naftālī aur Manassī keqabīloṅ ke 13 shahr die gae. YihManassī kā wuh ilāqā thā jo Dariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅ Mulk‐e‐Basan meṅ thā.

Page 49: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 21:7 43

7Mirārī ke gharāne ko us kekunboṅ ke mutābiq Rūbin, Jad aurZabūlūn ke qabīloṅ ke 12 shahr milgae.

8Yoṅ Isrāīliyoṅ ne qurā ḍāl karLāwiyoṅ ko mazkūrā shahr aur unke gird‐o‐nawāh kī charāgāheṅ dedīṅ. Waisāhī huā jaisāRabneMūsākī mārifat hukm diyā thā.

Qihāt ke Gharāne ke Shahr9‐10Qurāḍāltewaqt Lāwī ke gharāneQihāt meṅ se Hārūn ke kunbeko pahlā hissā mil gayā. UseYahūdāh aur Shamāūn ke qabīloṅke yih shahr die gae: 11Pahlā shahrAnāqiyoṅ ke bāp kā shahr Qiriyat‐arbā thā jo Yahūdāh ke pahāṛī ilāqemeṅ hai aur jis kā maujūdā nāmHabrūn hai. Us kī charāgāheṅ bhīdī gaīṅ, 12lekin Habrūn ke irdgirdkī ābādiyāṅ aur khet Kālib binYafunnā kī milkiyat rahe. 13Hārūnke kunbe kā yih shahr panāh kāshahr bhī thā jis meṅ har wuhshakhs panāh le saktā thā jis se koīġhairirādī taur par halākhuā thā. Iske alāwā Hārūn ke kunbe ko Libnā,14Yattīr, Istimua, 15Haulūn, Dabīr,16Ain, Yūttā aur Bait‐shams keshahr bhīmil gae. Use Yahūdāh aur

Shamāūn ke qabīloṅ ke kul 9 shahrun kī charāgāhoṅ samet mil gae.17‐18In ke alāwā Binyamīn ke qabīleke chār shahr us kī milkiyat meṅāe yānī Jibaūn, Jibā, Anatot aurAlmon. 19Ġharz Hārūn ke kunbeko 13 shahr un kī charāgāhoṅsamet mil gae. 20Lāwī ke qabīle kegharāne Qihāt ke bāqī kunboṅ koqurā ḍālte waqt Ifrāīm ke qabīle keshahr mil gae. 21In meṅ Ifrāīm kepahāṛī ilāqe kā shahr Sikam shāmilthā jis meṅ har wuh shakhs panāhle saktā thā jis se koī ġhairirādītaur par halāk huā thā, phir Jazar,22Qibzaim aur Bait‐haurūn. Inchār shahroṅ kī charāgāheṅ bhīmil gaīṅ. 23‐24Dān ke qabīle ne bhīunheṅchār shahrunkī charāgāhoṅsamet die yānī Iltaqih, Jibbatūn,Aiyālon aur Jāt‐rimmon. 25Manassīke maġhribī hisse se unheṅ doshahr Tānak aur Jāt‐rimmon un kīcharāgāhoṅ sametmil gae. 26ĠharzQihāt ke bāqī kunboṅ ko kul 10shahr un kī charāgāhoṅ sametmile.

Jairson ke Gharāne ke Shahr27Lāwī ke qabīle ke gharāne Jairsonko Manassī ke mashriqī hisse ke

Page 50: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

44 Yashua 21:45

do shahr un kī charāgāhoṅ sametdie gae: Mulk‐e‐Basan meṅ Jaulānjis meṅ har wuh shakhs panāh lesaktā thā jis se koī ġhairirādī taurpar halāk huā thā, aur Ba’istarāh.28‐29Ishkār ke qabīle ne use chārshahr un kī charāgāhoṅ sametdie: Qisiyon, Dābarat, Yarmūtaur Ain‐jannīm. 30‐31Isī tarahuse Āshar ke qabīle ke bhī chārshahr un kī charāgāhoṅ samet diegae: Misāl, Abdon, Khilqat aurRahob. 32Naftālī ke qabīle ne tīnshahr un kī charāgāhoṅ samet die:Galīl kā Qādis jis meṅ har wuhshakhs panāh le saktā thā jis sekoī ġhairirādī taur par halāk huāthā, phir Hammāt‐dor aur Qartān.33Ġharz Jairson ke gharāne ko 13shahr un kī charāgāhoṅ samet milgae.

Mirārī ke Gharāne ke Shahr34‐35Ab rah gayā Lāwī ke qabīlekā gharānā Mirārī. Use Zabūlūnke qabīle ke chār shahr unkī charāgāhoṅ samet mil gae:Yuqniyām, Qartā, Dimnā aurNahlāl. 36‐37Isī tarah use Rūbinke qabīle ke bhī chār shahr un kīcharāgāhoṅ samet mil gae: Basar,

Yahaz, Qadīmāt aur Mifāt. 38‐39Jadke qabīle ne use chār shahr un kīcharāgāhoṅ samet die: Mulk‐e‐Jiliyād kā Rāmāt jis meṅ har wuhshakhs panāh le saktā thā jis sekoī ġhairirādī taur par halāk huāthā, phir Mahanāym, Hasbon aurYāzer. 40Ġharz Mirārī ke gharāneko kul 12 shahr un kī charāgāhoṅsamet mil gae.

41Isrāīl ke mukhtalif ilāqoṅmeṅ jo Lāwiyoṅ ke shahr un kīcharāgāhoṅ samet the un kī kultādād 48 thī. 42Har shahr ke irdgirdcharāgāheṅ thīṅ.

Allāh ne ApnāWādā Pūrā Kiyā43Yoṅ Rab ne Isrāīliyoṅ ko wuhpūrā mulk de diyā jis kā wādā usne un ke bāpdādā se qasam khākar kiyā thā. Wuh us par qabzākarke us meṅ rahne lage. 44AurRab ne chāroṅ taraf amn‐o‐amānmuhaiyā kiyā jis tarah us ne un kebāpdādā se qasam khā kar wādākiyā thā. Usī kī madad se Isrāīlītamām dushmanoṅ par ġhālib āethe. 45Jo achchhe wāde Rab neIsrāīl se kie the un meṅ se ek bhīnāmukammal na rahā balki sab kesab pūre ho gae.

Page 51: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 22:1 45

Mashriqī Qabīloṅ ko GharWāpas Jāne kī Ijāzat

22 Phir Yashua ne Rūbin,Jad aur Manassī ke ādhe

qabīle ke mardoṅ ko apne pās bulākar 2kahā, “Jo bhī hukm Rab kekhādimMūsā ne āp ko diyā thā useāp ne pūrā kiyā. Aur āp nemerī harbāt mānī hai. 3Āp ne kāfī arse seāj tak apne bhāiyoṅ ko tark nahīṅkiyā balki bilkul wuhī kuchh kiyāhai jo Rab kī marzī thī. 4Ab Rabāp ke Khudā ne āp ke bhāiyoṅ komau’ūdā mulk de diyā hai, aur wuhsalāmatī ke sāth us meṅ rah rahehaiṅ. Is lie ab waqt ā gayā hai kiāp apne ghar wāpas chale jāeṅ, usmulk meṅ jo Rab ke khādim Mūsāne āp ko Dariyā‐e‐Yardan ke pārde diyā hai. 5Lekin khabardār,ehtiyāt se un hidāyāt par chalteraheṅ jo Rab ke khādim Mūsā neāp ko de dīṅ. Rab apne Khudā sepyār kareṅ, us kī tamām rāhoṅ parchaleṅ, us ke ahkām māneṅ, uske sāth lipṭe raheṅ, aur pūre dil‐o‐jān se us kī khidmat kareṅ.” 6Yihkah kar Yashua ne unheṅ barkat dekar rukhsat kar diyā, aur wuh apneghar chale gae.

7Manassī ke ādhe qabīle koMūsāse Mulk‐e‐Basan meṅ zamīn milgaī thī. Dūsre hisse ko Yashuase zamīn mil gaī thī, yānī Dariyā‐e‐Yardan ke maġhrib meṅ jahāṅbāqī qabīle ābād hue the. Manassīke mardoṅ ko rukhsat karte waqtYashua ne unheṅ barkat de kar8kahā, “Āp baṛī daulat ke sāthapne ghar lauṭ rahe haiṅ. Āp kobaṛe rewaṛ, sonā, chāṅdī, lohā aurbahut‐se kapṛemil gae haiṅ. Jab āpapne ghar pahuṅcheṅge to māl‐e‐ġhanīmat un ke sāth bāṅṭeṅ jo gharmeṅ rah gae haiṅ.”

9Phir Rūbin, Jad aur Manassī keādhe qabīle kemard bāqī Isrāīliyoṅko Sailā meṅ chhoṛ kar Mulk‐e‐Jiliyād kī taraf rawānā hue joDariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅhai. Wahāṅ un ke apne ilāqe the jinmeṅ un ke qabīle Rab ke us hukmke mutābiq ābād hue the jo us neMūsā kī mārifat diyā thā.

Mashriqī Qabīle Qurbān‐gāh Banā Lete Haiṅ

10Yih mard chalte chalte Dariyā‐e‐Yardan ke maġhrib meṅ ek jagahpahuṅche jis kā nām Galīlot thā.Wahāṅ yānī Mulk‐e‐Kanān meṅ hī

Page 52: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

46 Yashua 22:22

unhoṅ ne ek baṛī aur shāndārqurbāngāh banāī. 11Isrāīliyoṅ kokhabar dī gaī, “Rūbin, Jad aurManassī ke ādhe qabīle ne Kanān kīsarhad par Galīlot meṅ qurbāngāhbanā lī hai. Yih qurbāngāh Dariyā‐e‐Yardan ke maġhrib meṅ yānīhamāre hī ilāqe meṅ hai!”

12Tab Isrāīl kī pūrī jamātmashriqī qabīloṅ se laṛne ke lieSailā meṅ jamā huī. 13Lekin pahleunhoṅ ne Iliyazar Imām ke beṭeFīnhās ko Mulk‐e‐Jiliyād ko bhejājahāṅ Rūbin, Jad aur Manassī kāādhā qabīlā ābād the. 14Us kesāth 10 ādmī yānī har maġhribīqabīle kā ek numāindā thā. Harek apne ābāī gharāne aur kunbekā sarbarāh thā. 15Jiliyād meṅpahuṅch kar unhoṅ ne mashriqīqabīloṅ se bāt kī. 16“Rab kī pūrījamāt āp se pūchhtī hai ki āp Isrāīlke Khudā se bewafā kyoṅ ho gaehaiṅ? Āp ne Rab se apnā muṅhpher kar yih qurbāngāh kyoṅ banāīhai? Is se āp ne Rab se sarkashīkī hai. 17Kyā yih kāfī nahīṅ thāki ham se Faġhūr ke but kī pūjākarne kā gunāh sarzad huā? Hamto āj tak pūre taur par us gunāhse pāk‐sāf nahīṅ hue go us waqtRab kī jamāt ko wabā kī sūrat meṅ

sazā mil gaī thī. 18To phir āp kyākar rahe haiṅ? Āp dubārā Rab seapnā muṅh pher kar dūr ho rahehaiṅ. Dekheṅ, agar āp āj Rab sesarkashī kareṅ to kal wuh Isrāīlkī pūrī jamāt ke sāth nārāz hogā.19Agar āp samajhte haiṅ ki āp kāmulk nāpāk hai aur āp is lie usmeṅRab kī khidmat nahīṅ kar sakteto hamāre pās Rab ke mulk meṅāeṅ jahāṅ Rab kī sukūnatgāh hai,aur hamārī zamīnoṅ meṅ sharīkho jāeṅ. Lekin Rab se yā ham sesarkashī mat karnā. Rab hamāreKhudā kī qurbāngāh ke alāwā apnelie koī aur qurbāngāh na banāeṅ!20Kyā Isrāīl kī pūrī jamāt par Allāhkā ġhazab nāzil na huā jab Akanbin Zārah ne māl‐e‐ġhanīmat meṅse kuchh chorī kiyā jo Rab ke liemakhsūs thā? Us ke gunāh kī sazāsirf us tak hī mahdūd na rahī balkiaur bhī halāk hue.”

21Rūbin, Jad aurManassī ke ādheqabīle kemardoṅ ne Isrāīlī kunboṅke sarbarāhoṅ ko jawāb diyā,22“Rab Qādir‐e‐mutlaq Khudā, hāṅRab Qādir‐e‐mutlaq Khudā haqīqatjāntā hai, aur Isrāīl bhī yih bātjān le! Na ham sarkash hue haiṅ,na Rab se bewafā. Agar hamjhūṭ boleṅ to āj hī hameṅ mār

Page 53: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 22:23 47

ḍāleṅ! 23Ham ne yih qurbāngāhis lie nahīṅ banāī ki Rab se dūr hojāeṅ. Ham us par koī bhī qurbānīchaṛhānā nahīṅ chāhte, na bhasmhone wālī qurbāniyāṅ, na ġhallākī nazareṅ aur na hī salāmatīkī qurbāniyāṅ. Agar ham jhūṭboleṅ to Rab khud hamārī adālatkare. 24Haqīqat meṅ ham ne yihqurbāngāh is lie tāmīr kī ki hamḍarte haiṅ ki mustaqbil meṅ kisīdin āp kī aulād hamārī aulād sekahe, ‘Āp kā Rab Isrāīl ke Khudā kesāth kyā wāstā hai? 25Ākhir Rab nehamāre aur āp ke darmiyān Dariyā‐e‐Yardan kī sarhad muqarrar kīhai. Chunāṅche āp ko Rab kīibādat karne kā koī haq nahīṅ!’Aisā karne se āp kī aulād hamārīaulād ko Rab kī khidmat karne serokegī. 26Yihī wajah hai ki hamne yih qurbāngāh banāī, bhasmhone wālī qurbāniyāṅ yā zabah kīkoī aur qurbānī chaṛhāne ke lienahīṅ 27balki āp ko aur āne wālīnasloṅ ko is bāt kī yād dilāne kelie ki hameṅ bhī Rab ke khaimemeṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ,zabah kī qurbāniyāṅ aur salāmatīkī qurbāniyāṅ chaṛhāne kā haq hai.Yih qurbāngāh hamāre aur āp kedarmiyān gawāh rahegī. Ab āp

kī aulād kabhī bhī hamārī aulādse nahīṅ kah sakegī, ‘Āp ko Rabkī jamāt ke huqūq hāsil nahīṅ.’28Aur agar wuh kisī waqt yih bātkare to hamārī aulād kah sakegī,‘Yih qurbāngāh dekheṅ jo Rab kīqurbāngāh kī hūbahū naql hai.Hamāre bāpdādā ne ise banāyāthā, lekin is lie nahīṅ ki ham ispar bhasm hone wālī qurbāniyāṅaur zabah kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅbalki āp ko aur hameṅ gawāhī deneke lie ki hameṅ mil kar Rab kīibādat karne kā haq hai.’ 29Hālātkabhī bhī yahāṅ tak na pahuṅcheṅki ham Rab se sarkashī karke apnāmuṅh us se pher leṅ. Nahīṅ, hamne yih qurbāngāh bhasm hone wālīqurbāniyāṅ, ġhallā kī nazareṅ aurzabah kī qurbāniyāṅ chaṛhāne kelie nahīṅ banāī. Ham sirf Rab apneKhudā kī sukūnatgāh ke sāmne kīqurbāngāh par hī apnī qurbāniyāṅpesh karnā chāhte haiṅ.”

30Jab Fīnhās aur Isrāīlī jamāt kekunboṅ ke sarbarāhoṅ ne Jiliyādmeṅ Rūbin, Jad aur Manassī keādhe qabīle kī yih bāteṅ sunīṅ towuh mutma’in hue. 31Fīnhās neun se kahā, “Ab ham jānte haiṅki Rab āindā bhī hamāre darmiyānrahegā, kyoṅki āp us se bewafā

Page 54: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

48 Yashua 23:10

nahīṅ hue haiṅ. Āp ne Isrāīliyoṅ koRab kī sazā se bachā liyā hai.”

32Is ke bād Fīnhās aur bāqī Isrāīlīsardār Rūbin, Jad aur Manassīke ādhe qabīle ko Mulk‐e‐Jiliyādmeṅ chhoṛ kar Mulk‐e‐Kanān meṅlauṭ āe. Wahāṅ unhoṅ ne sabkuchh batāyā jo huā thā. 33BāqīIsrāīliyoṅ ko yih bāt pasand āī, aurwuh Allāh kī tamjīd karke Rūbinaur Jad se jang karne aur un kāilāqā tabāh karne ke irāde se bāzāe. 34Rūbin aur Jad ke qabīloṅne naī qurbāngāh kā nām gawāhrakhā, kyoṅki unhoṅ ne kahā,“Yih qurbāngāh hamāre aur dūsreqabīloṅ ke darmiyān gawāh hai kiRab hamārā bhī Khudā hai.”

Yashua kī Ākhirī Nasīhateṅ

23 Ab Isrāīlī kāfī der sesalāmatī se apne mulk

meṅ rahte the, kyoṅki Rab neunheṅ irdgird ke dushmanoṅ kehamloṅ se mahfūz rakhā. JabYashua bahut būṛhā ho gayā thā 2tous ne Isrāīl ke tamām buzurgoṅ,sardāroṅ, qāziyoṅ aur nigahbānoṅko apne pās bulā kar kahā, “Abmaiṅ būṛhā ho gayā hūṅ. 3Āp neapnī āṅkhoṅ se dekhā ki Rab ne

is ilāqe kī tamām qaumoṅ ke sāthkyā kuchh kiyā hai. Rab āp keKhudā hī ne āp ke lie jang kī. 4Yādrakheṅ ki maiṅ ne mashriq meṅDariyā‐e‐Yardan se le kar maġhribmeṅ samundar tak sārā mulk āp keqabīloṅ meṅ taqsīm kar diyā hai.Bahut‐sī qaumoṅ parmaiṅ ne fatahpāī, lekin chand ek ab tak bāqī rahgaī haiṅ. 5Lekin Rab āp kā Khudāāp ke āge āge chalte hue unheṅbhī nikāl kar bhagā degā. Āp unkī zamīnoṅ par qabzā kar leṅge jistarahRab āpke Khudānewādā kiyāhai.

6Ab pūrī himmat se har bāt paramal kareṅ jo Mūsā kī Sharīat kīKitāb meṅ likhī huī hai. Na dāīṅaur na bāīṅ taraf haṭeṅ. 7Un dīgarqaumoṅ se rishtā mat bāndhnā joab tak mulk meṅ bāqī rah gaī haiṅ.Un ke butoṅ ke nām apnī zabān parna lānā, na un ke nām le kar qasamkhānā. Na un kī khidmat karnā,na unheṅ sijdā karnā. 8Rab apneKhudā ke sāth yoṅ lipṭe rahnā jistarah āj tak lipṭe rahe haiṅ.

9Rab ne āp ke āge āge chalkar baṛī baṛī aur tāqatwar qaumeṅnikāl dī haiṅ. Āj tak āp ke sāmnekoī nahīṅ khaṛā rah sakā. 10Āpmeṅse ek shakhs hazār dushmanoṅ

Page 55: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 23:11 49

ko bhagā detā hai, kyoṅki Rabāp kā Khudā khud āp ke lie laṛtāhai jis tarah us ne wādā kiyā thā.11Chunāṅche sanjīdagī se dhyāndeṅ ki āp Rab apne Khudā se pyārkareṅ, kyoṅki āp kī zindagī isī parmunhasir hai. 12Agar āp us sedūr ho kar un dīgar qaumoṅ selipaṭ jāeṅ jo ab tak mulk meṅ bāqīhaiṅ aur un ke sāth rishtā bāndheṅ13to Rab āp kā Khudā yaqīnan inqaumoṅ ko āp ke āge se nahīṅnikālegā. Is ke bajāe yih āp kophaṅsāne ke lie phandā aur jālbaneṅge. Yih yaqīnan āp kī pīṭhoṅke lie koṛe aur āṅkhoṅ ke lie kāṅṭeban jāeṅge. Ākhir meṅ āp usachchhemulkmeṅ semiṭ jāeṅge joRab āp ke Khudā ne āp ko de diyāhai.

14Āj maiṅ wahāṅ jā rahā hūṅjahāṅ kisī na kisī din duniyā ke harshakhs ko jānā hotā hai. Lekin āpne pūre dil‐o‐jān se jān liyā hai ki jobhī wādā Rab āp ke Khudā ne āp kesāth kiyā wuh pūrā huā hai. Ek bhīadhūrā nahīṅ rah gayā. 15Lekin jistarahRabneharwādāpūrā kiyā haibilkul usī tarah wuh tamām āfateṅāp par nāzil karegā jin ke bāre meṅus ne āp ko khabardār kiyā hai agarāp us ke tābe na raheṅ. Phir wuh

āp ko us achchhemulkmeṅ semiṭādegā jo us ne āp ko de diyā hai.16Agar āp us ahd ko toṛeṅ jo us neāp ke sāth bāndhā hai aur dīgarmābūdoṅ kī pūjā karke unheṅ sijdākareṅ to phir Rab kā pūrā ġhazabāp par nāzil hogā aur āp jald hī usachchhemulkmeṅ semiṭ jāeṅge jous ne āp ko de diyā hai.”

Allāh aur Isrāīl ke darmiyānAhd kī Tajdīd

24 Phir Yashua ne Isrāīl ketamām qabīloṅ ko Sikam

Shahr meṅ jamā kiyā. Us ne Isrāīlke buzurgoṅ, sardāroṅ, qāziyoṅ aurnigahbānoṅ ko bulāyā, aurwuhmilkar Allāh ke huzūr hāzir hue. 2PhirYashua Isrāīlī qaum se mukhātibhuā. “Rab Isrāīl kā Khudā farmātāhai, ‘Qadīm zamāne meṅ tumhārebāpdādā Dariyā‐e‐Furāt ke pārbaste aur dīgar mābūdoṅ kī pūjākarte the. Ibrāhīm aur Nahūr kābāp Tārah bhī wahāṅ ābād thā.3Lekin maiṅ tumhāre bāp Ibrāhīmko wahāṅ se le kar yahāṅ lāyā auruse pūre Mulk‐e‐Kanān meṅ seguzarne diyā. Maiṅ ne use bahutaulād dī. Maiṅ ne use Is’hāq diyā4aur Is’hāq ko Yāqūb aur Esau.

Page 56: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

50 Yashua 24:14

Esau ko maiṅ ne pahāṛī ilāqā Saīratā kiyā, lekin Yāqūb apne beṭoṅ kesāth Misr chalā gayā.

5Bād meṅ maiṅ ne Mūsā aurHārūn ko Misr bhej diyā aurmulk par baṛī musībateṅ nāzilkarke tumheṅ wahāṅ se nikāllāyā. 6Chalte chalte tumhārebāpdādā Bahr‐e‐Qulzum pahuṅchgae. Lekin Misrī apne rathoṅaur ghuṛsawāroṅ se un kā tāqqubkarne lage. 7Tumhāre bāpdādāne madad ke lie Rab ko pukārā,aur maiṅ ne un ke aur Misriyoṅke darmiyān andherā paidā kiyā.Maiṅ samundar un par chaṛhālāyā, aur wuh us meṅ ġharq hogae. Tumhāre bāpdādā ne apnīhī āṅkhoṅ se dekhā ki maiṅ neMisriyoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā.Tum baṛe arse tak registān meṅ

ghūmte phire. 8Ākhirkār maiṅ netumheṅ un Amoriyoṅ kemulkmeṅpahuṅchāyā jo Dariyā‐e‐Yardan kemashriq meṅ ābād the. Go unhoṅne tum se jang kī, lekin maiṅ neunheṅ tumhāre hāth meṅ kar diyā.Tumhāre āge āge chal kar maiṅ neunheṅ nest‐o‐nābūd kar diyā, is lietum un kemulk par qabzā kar sake.9Moāb ke bādshāh Balaq bin Saforne bhī Isrāīl ke sāth jang chheṛī.

Is maqsad ke taht us ne Bilām binBaor ko bulāyā tāki wuh tum parlānat bheje. 10Lekin maiṅ Bilām kībāt mānane ke lie taiyār nahīṅ thābalki wuh tumheṅ barkat dene parmajbūr huā. Yoṅ maiṅ ne tumheṅus ke hāth se mahfūz rakhā.

11Phir tum Dariyā‐e‐Yardan kopār karke Yarīhū ke pās pahuṅchgae. Is shahr ke bāshinde aurAmorī, Farizzī, Kanānī, Hittī,Jirjāsī, Hiwwī aur Yabūsī tumhārekhilāf laṛte rahe, lekin maiṅne unheṅ tumhāre qabze meṅkar diyā. 12Maiṅ ne tumhāreāge zambūr bhej die jinhoṅ neAmoriyoṅ ke do bādshāhoṅ komulk se nikāl diyā.Yih sab kuchh tumhārī apnī

talwār aur kamān se nahīṅ huābalki mere hī hāth se. 13Maiṅ netumheṅ bīj bone ke lie zamīn dī jisetaiyār karne ke lie tumheṅ mehnatna karnī paṛī. Maiṅ ne tumheṅshahr die jo tumheṅ tāmīr karnena paṛe. Unmeṅ rah kar tum angūraur zaitūn ke aise bāġhoṅ kā phalkhāte ho jo tum ne nahīṅ lagāethe.’”

14Yashua ne bāt jārī rakhte huekahā, “Chunāṅche Rab kā khaufmāneṅ aur pūrī wafādārī ke sāth

Page 57: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Yashua 24:15 51

us kī khidmat kareṅ. Un butoṅ konikāl phaiṅkeṅ jin kī pūjā āp kebāpdādā Dariyā‐e‐Furāt ke pār aurMisr meṅ karte rahe. Ab Rab hī kīkhidmat kareṅ! 15Lekin agar Rab kīkhidmat karnā āp ko burā lage toāj hī faislā kareṅ ki kis kī khidmatkareṅge, un dewatāoṅ kī jin kī pūjāāp ke bāpdādā ne Dariyā‐e‐Furāt kepār kī yā Amoriyoṅ ke dewatāoṅkī jin ke mulk meṅ āp rah rahehaiṅ. Lekin jahāṅ tak merā aurmere khāndān kā tālluq hai hamRab hī kī khidmat kareṅge.”

16Awām ne jawāb diyā, “Aisākabhī na ho ki ham Rab ko tarkkarke dīgarmābūdoṅkī pūjā kareṅ.17Rab hamārā Khudā hī hamārebāpdādā ko Misr kī ġhulāmī senikāl lāyā aur hamārī āṅkhoṅ kesāmne aise azīm nishān pesh kie.Jab hameṅ bahut qaumoṅ meṅ seguzarnā paṛā to usī ne har waqthamārī hifāzat kī. 18Aur Rab hīne hamāre āge āge chal kar ismulk meṅ ābād Amoriyoṅ aur bāqīqaumoṅ ko nikāl diyā. Ham bhī usīkī khidmat kareṅge, kyoṅki wuhīhamārā Khudā hai!”

19Yih sun kar Yashua ne kahā,“Āp Rab kī khidmat kar hī nahīṅsakte, kyoṅki wuh quddūs aur

ġhayūr Khudā hai. Wuh āp kīsarkashī aur gunāhoṅ ko muāfnahīṅ karegā. 20Beshak wuh āppar mehrbānī kartā rahā hai, lekinagar āp Rab ko tark karke ajnabīmābūdoṅ kī pūjā kareṅ to wuh āpke khilāf ho kar āp par balāeṅ lāegāaur āp ko nest‐o‐nābūd kar degā.”

21Lekin Isrāīliyoṅ ne isrār kiyā,“Jī nahīṅ, ham Rab kī khidmatkareṅge!” 22Phir Yashua ne kahā,“Āp khud is ke gawāh haiṅ ki āpne Rab kī khidmat karne kā faislākar liyā hai.” Unhoṅ ne jawāb diyā,“Jī hāṅ, ham is ke gawāh haiṅ!”23Yashua ne kahā, “To phir apnedarmiyān maujūd butoṅ ko tabāhkar deṅ aur apne diloṅ koRab Isrāīlke Khudā ke tābe rakheṅ.” 24Awāmne Yashua se kahā, “Ham Rab apneKhudā kī khidmat kareṅge aur usīkī suneṅge.”

25Us din Yashua ne Isrāīliyoṅ kelie Rab se ahd bāndhā. WahāṅSikammeṅ us ne unheṅ ahkām aurqawāyd de kar 26Allāh kī Sharīatkī Kitāb meṅ darj kie. Phir usne ek baṛā patthar le kar use usbalūt ke sāy meṅ khaṛā kiyā jo Rabke maqdis ke pās thā. 27Us netamām logoṅ se kahā, “Is pattharko dekheṅ! Yih gawāh hai, kyoṅki

Page 58: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

52 Yashua 24:33

is ne sab kuchh sun liyā hai jo Rabne hameṅ batā diyā hai. Agar āpkabhī Allāh kā inkār kareṅ to yih āpke khilāf gawāhī degā.”

28Phir Yashua ne Isrāīliyoṅ kofāriġh kar diyā, aur har ek apneapne qabāylī ilāqe meṅ chalā gayā.

Yashua aur Iliyazar kā Intaqāl29Kuchh der ke bād Rab kā khādimYashua bin Nūn faut huā. Uskī umr 110 sāl thī. 30Use us kīmaurūsī zamīn meṅ dafnāyā gayā,yānī Timnat‐sirah meṅ jo Ifrāīmke pahāṛī ilāqe meṅ jās pahāṛ keshimāl meṅ hai.

31Jab tak Yashua aur wuh buzurgzindā rahe jinhoṅ ne apnī āṅkhoṅse sab kuchh dekhā thā jo Rab neIsrāīl ke lie kiyā thā us waqt takIsrāīl Rab kā wafādār rahā.

32Misr ko chhoṛte waqt IsrāīlīYūsuf kī haḍḍiyāṅ apne sāth lāe the.Ab unhoṅ ne unheṅ Sikam Shahrkī us zamīn meṅ dafn kar diyā joYāqūb ne Sikam ke bāp Hamor kīaulād se chāṅdī ke sau sikkoṅ kebadle kharīd lī thī. Yih zamīn Yūsufkī aulād kī wirāsat meṅ ā gaī thī.

33Iliyazar bin Hārūn bhī fauthuā. Use Jibiyā meṅ dafnāyā gayā.Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kā yih shahrus ke beṭe Fīnhās ko diyā gayā thā.

Page 59: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt

Junūbī Kanān par MukammalQābū Nahīṅ Pāyā Jātā

1 Yashua kī maut ke bādIsrāīliyoṅ ne Rab se pūchhā,

“Kaun‐sā qabīlā pahle nikal karKanāniyoṅ par hamlā kare?” 2Rabne jawāb diyā, “Yahūdāh kā qabīlāshurū kare. Maiṅ ne mulk ko un keqabze meṅ kar diyā hai.”

3Tab Yahūdāh ke qabīle ne apnebhāiyoṅ Shamāūn ke qabīle sekahā, “Āeṅ, hamāre sāth nikleṅtāki ham mil kar Kanāniyoṅ kous ilāqe se nikāl deṅ jo qurā neYahūdāh ke qabīle ke lie muqarrarkiyā hai. Is ke badle ham bādmeṅ āp kī madad kareṅge jab āpapne ilāqe par qabzā karne ke lienikleṅge.” Chunāṅche Shamāūnke mard Yahūdāh ke sāth nikle.4Jab Yahūdāh ne dushman par

hamlā kiyā to Rab ne Kanāniyoṅaur Farizziyoṅ ko us ke qābū meṅkar diyā. Bazaq ke pās unhoṅ neunheṅ shikast dī, go un ke kul10,000 ādmī the.

5Wahāṅ un kā muqābalā ekbādshāh se huā jis kā nām Adūnī‐bazaq thā. Jab us ne dekhā kiKanānī aur Farizzī hār gae haiṅ6to wuh farār huā. Lekin Isrāīliyoṅne us kā tāqqub karke use pakaṛliyā aur us ke hāthoṅ aur pairoṅ keangūṭhoṅ ko kāṭ liyā. 7Tab Adūnī‐bazaq ne kahā, “Maiṅ ne khudsattar bādshāhoṅ ke hāthoṅ aurpairoṅ ke angūṭhoṅ ko kaṭwāyā,aur unheṅ merī mez ke nīche girehue khāne ke raddī ṭukṛe jamākarne paṛe. Ab Allāh mujhe is kābadlā de rahā hai.” Use Yarūshalamlāyā gayā jahāṅ wuh mar gayā.

Page 60: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

54 Quzāt 1:20

8Yahūdāh ke mardoṅ neYarūshalam par bhī hamlā kiyā.Us par fatah pā kar unhoṅ neus ke bāshindoṅ ko talwār semār ḍālā aur shahr ko jalā diyā.9Is ke bād wuh āge baṛh kar unKanāniyoṅ se laṛne lage jo pahāṛīilāqe, Dasht‐e‐Najab aur maġhribke nashebī pahāṛī ilāqe meṅ rahtethe. 10Unhoṅ ne Habrūn Shahr parhamlā kiyā jo pahle Qiriyat‐arbākahlātā thā. Wahāṅ unhoṅ ne Sīsī,Akhīmān aur Talmī kī faujoṅ koshikast dī. 11Phir wuh āge Dabīrke bāshindoṅ se laṛne chale gae.Dabīr kā purānā nām Qiriyat‐sifarthā.

12Kālib ne kahā, “Jo Qiriyat‐sifarpar fatah pā kar qabzā karegā us kesāth maiṅ apnī beṭī Aksā kā rishtābāndhūṅgā.” 13Kālib ke chhoṭebhāī Ġhutniyel bin Qanaz ne shahrpar qabzā kar liyā. ChunāṅcheKālib ne us ke sāth apnī beṭī Aksā kīshādī kar dī. 14Jab Aksā Ġhutniyelke hāṅ jā rahī thī to us ne useubhārā ki wuh Kālib se koī khetpāne kī darkhāst kare. Achānakwuh gadhe se utar gaī. Kālib nepūchhā, “Kyā bāt hai?” 15Aksā nejawāb diyā, “Jahez ke lie mujhe ekchīz se nawāzeṅ. Āp ne mujhe

Dasht‐e‐Najab meṅ zamīn de dīhai. Ab mujhe chashme bhī dedījie.” Chunāṅche Kālib ne useapnī milkiyat meṅ se ūpar aurnīche wāle chashme bhī de die.

16Jab Yahūdāh kā qabīlāKhajūroṅ ke Shahr se rawānā huāthā to Qīnī bhī un ke sāth Yahūdāhke registān meṅ āe the. (QīnīMūsā ke susar Yitro kī aulād the.)Wahāṅ wuh Dasht‐e‐Najab meṅArād Shahr ke qarīb dūsre logoṅke darmiyān hī ābād hue.

17Yahūdāh kā qabīlā apnebhāiyoṅ Shamāūn ke qabīle ke sāthāge baṛhā. Unhoṅ ne Kanānī shahrSafat par hamlā kiyā aur use Allāhke lie makhsūs karke mukammaltaur par tabāh kar diyā. Is lie uskā nām Hurmā yānī Allāh ke LieTabāhī paṛā. 18Phir Yahūdāh kefaujiyoṅ ne Ġhazzā, Askqalūn aurAqrūn ke shahroṅ par un ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ samet fatahpāī. 19Rab un ke sāth thā, is lie wuhpahāṛī ilāqe par qabzā kar sake.Lekin wuh samundar ke sāth kemaidānī ilāqe meṅ ābād logoṅ konikāl na sake. Wajah yih thī kiin logoṅ ke pās lohe ke rath the.20Mūsā ke wāde ke mutābiq Kālibko Habrūn Shahr mil gayā. Us ne

Page 61: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 1:21 55

us meṅ se Anāq ke tīn beṭoṅ ko unke gharānoṅ samet nikāl diyā.

21Lekin Binyamīn kā qabīlāYarūshalam ke rahne wāleYabūsiyoṅ ko nikāl na sakā. Ājtak Yabūsī wahāṅ Binyamīniyoṅ kesāth ābād haiṅ.

Shimālī Kanān par MukammalQābū Nahīṅ Pāyā Jātā

22‐23Ifrāīm aur Manassī ke qabīleBaitel par qabzā karne ke lie nikle.(Baitel kā purānā nām Lūz thā.)Jab unhoṅ ne apne jāsūsoṅ koshahr kī taftīsh karne ke lie bhejāto Rab un ke sāth thā. 24Un kejāsūsoṅ kī mulāqāt ek ādmī se huījo shahr se nikal rahā thā. Unhoṅne us se kahā, “Hameṅ shahr meṅdākhil hone kā rāstā dikhāeṅ toham āp par rahm kareṅge.” 25Us neunheṅ andar jāne kā rāstā dikhāyā,aur unhoṅ ne us meṅ ghus kartamām bāshindoṅ ko talwār semārḍālā siwāe mazkūrā ādmī aur uske khāndān ke. 26Bād meṅ wuhHittiyoṅkemulkmeṅgayā jahāṅusne ek shahr tāmīr karke us kā nāmLūz rakhā. Yih nām āj tak rāyj hai.

27Lekin Manassī ne har shahrke bāshinde na nikāle. Bait‐shān,

Tānak, Dor, Ibliyām, Majiddo aurun ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyāṅ rahgaīṅ. Kanānī pūre azm ke sāth unmeṅ ṭike rahe. 28Bādmeṅ jab Isrāīlkī tāqat baṛh gaī to in Kanāniyoṅ kobegār meṅ kām karnā paṛā. LekinIsrāīliyoṅ ne us waqt bhī unheṅmulk se na nikālā.

29Isī tarah Ifrāīm ke qabīle ne bhīJazar ke bāshindoṅ ko na nikālā,aur yih Kanānī un ke darmiyānābād rahe.

30Zabūlūn ke qabīle ne bhī Qitronaur Nahlāl ke bāshindoṅ ko nanikālā balki yih un ke darmiyānābād rahe, albattā unheṅ begārmeṅ kām karnā paṛā.

31Āshar ke qabīle ne na akkūke bāshindoṅ ko nikālā, na Saidā,Ahlāb, Akzīb, Hilbā, Afīq yā Rahobke bāshindoṅ ko. 32Is wajah seĀshar ke log Kanānī bāshindoṅ kedarmiyān rahne lage.

33Naftālī ke qabīle ne Bait‐shamsaur Bait‐anāt ke bāshindoṅ ko nanikālā balki wuh bhī Kanāniyoṅ kedarmiyān rahne lage. Lekin Bait‐shams aur Bait‐anāt ke bāshindoṅko begār meṅ kām karnā paṛā.

34Dān ke qabīle ne maidānī ilāqepar qabzā karne kī koshish to kī,lekin Amoriyoṅ ne unheṅ āne na

Page 62: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

56 Quzāt 2:11

diyā balki pahāṛī ilāqe tak mahdūdrakhā. 35Amorī pūre azm ke sāthHaris Pahāṛ, Aiyālon aur Sālbīmmeṅ ṭike rahe. Lekin jab Ifrāīmaur Manassī kī tāqat baṛh gaī toAmoriyoṅ ko begārmeṅ kāmkarnāpaṛā.

36Amoriyoṅ kī sarhad Darrā‐e‐Aqrabbīm se le kar Silā se pare takthī.

Rab kā Farishtā Isrāīl koMalāmat Kartā Hai

2 Rab kā farishtā Jiljāl se chaṛhkar bokīm pahuṅchā. Wahāṅ

us ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Maiṅtumheṅ Misr se nikāl kar us mulkmeṅ lāyā jis kā wādā maiṅ neqasam khā kar tumhāre bāpdādāse kiyā thā. Us waqt maiṅ nekahā ki maiṅ tumhāre sāth apnāahd kabhī nahīṅ toṛūṅgā. 2Aurmaiṅ ne hukm diyā, ‘Is mulk kīqaumoṅ ke sāth ahd mat bāndhnābalki un kī qurbāngāhoṅ ko girādenā.’ Lekin tum ne merī nasunī. Yih tum ne kyā kiyā? 3Islie ab maiṅ tumheṅ batātā hūṅ kimaiṅ unheṅ tumhāre āge se nahīṅnikālūṅgā. Wuh tumhāre pahluoṅmeṅ kāṅṭe baneṅge, aur un ke

dewatā tumhāre lie phandā baneraheṅge.”

4Rab ke farishte kī yih bāt sunkar Isrāīlī khūb roe. 5Yihī wajahhai ki us jagah kā nām bokīm yānīRone Wāle paṛ gayā. Phir unhoṅnewahāṅRab ke huzūr qurbāniyāṅpesh kīṅ.

Isrāīl Bewafā Ho Jātā Hai6Yashua ke qaum ko rukhsat karneke bād har ek qabīlā apne ilāqe parqabzā karne ke lie rawānā huā thā.7Jab tak Yashua aur wuh buzurgzindā rahe jinhoṅnewuhazīmkāmdekhe hue the jo Rab ne Isrāīliyoṅke lie kie the us waqt tak IsrāīlīRab kī wafādārī se khidmat karterahe. 8Phir Rab kā khādim Yashuabin Nūn intaqāl kar gayā. Us kīumr 110 sāl thī. 9Use Timnat‐harismeṅ us kī apnīmaurūsī zamīnmeṅdafnāyā gayā. (Yih shahr Ifrāīmke pahāṛī ilāqe meṅ jās pahāṛ keshimāl meṅ hai).

10Jab hamasar Isrāīlī sab mar karapne bāpdādā se jā mile to naī naslubhar āī jo na to Rab ko jāntī, naun kāmoṅ se wāqif thī jo Rab neIsrāīl ke lie kie the. 11Us waqt wuhaisī harkateṅ karne lage jo Rab ko

Page 63: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 2:12 57

burī lagīṅ. Unhoṅ ne Bāl Dewatāke butoṅ kī pūjā karke 12Rab apnebāpdādā ke Khudā ko tark kar diyājo unheṅ Misr se nikāl lāyā thā.Wuh gird‐o‐nawāh kī qaumoṅ kedīgar mābūdoṅ ke pīchhe lag gaeaur un kī pūjā bhī karne lage. Isse Rab kā ġhazab un par bhaṛkā,13kyoṅki unhoṅ ne us kī khidmatchhoṛ kar Bāl Dewatā aur AstārātDewī kī pūjā kī. 14Rab yih dekh karIsrāīliyoṅ se nārāz huā aur unheṅḍākuoṅ ke hawāle kar diyā jinhoṅne un kā māl lūṭā. Us ne unheṅirdgird ke dushmanoṅ ke hāth bechḍālā, aur wuh un kā muqābalākarne ke qābil na rahe. 15Jab bhīIsrāīlī laṛne ke lie nikle to Rab kāhāth un ke khilāf thā. Natījatanwuh hārte gae jis tarah us ne qasamkhā kar farmāyā thā.Jab wuh is tarah baṛī musībat

meṅ the 16to Rab un ke darmiyānqāzī barpā kartā jo unheṅ lūṭnewāloṅ ke hāth se bachāte. 17Lekinwuh un kī na sunte balki zinā karkedīgar mābūdoṅ ke pīchhe lage aurun kī pūjā karte rahte. Go unke bāpdādā Rab ke ahkām ke tāberahe the, lekin wuh khud baṛī jaldīse us rāh se haṭ jāte jis par un kebāpdādā chale the. 18Lekin jab bhī

wuh dushman ke zulm aur dabāwtale karāhne lagte to Rab ko un partars ā jātā, aur wuh kisī qāzī kobarpā kartā aur us kī madad karkeunheṅ bachātā.Jitne arse tak qāzī zindā rahtā

utnī der tak Isrāīlī dushmanoṅ kehāth semahfūz rahte. 19Lekin us kemarne par wuh dubārā apnī purānīrāhoṅ par chalne lagte, balki jabwuh muṛ kar dīgar mābūdoṅ kīpairawī aur pūjā karne lagte toun kī rawish bāpdādā kī rawish sebhī burī hotī. Wuh apnī sharīrharkatoṅ aur haṭdharm rāhoṅ sebāz āne ke lie taiyār hī na hote.20Is lie Allāh ko Isrāīl par baṛāġhussā āyā. Us ne kahā, “Is qaumne wuh ahd toṛ diyā hai jo maiṅne is ke bāpdādā se bāndhā thā.Yih merī nahīṅ suntī, 21is lie maiṅun qaumoṅ ko nahīṅ nikālūṅgā joYashua kīmaut se le kar āj takmulkmeṅ rah gaī haiṅ. Yih qaumeṅ ismeṅ ābād raheṅgī, 22aur maiṅ unse Isrāīliyoṅ ko āzmā kar dekhūṅgāki āyā wuh apne bāpdādā kī tarahRab kī rāh par chaleṅge yā nahīṅ.”

23Chunāṅche Rab ne in qaumoṅko na Yashua ke hawāle kiyā, nafauran nikālā balki unheṅ mulkmeṅ hī rahne diyā.

Page 64: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

58 Quzāt 3:14

Allāh Isrāīl ko Kanānī Qaumoṅse Āzmātā Hai

3 Rab ne kaī ek qaumoṅ koMulk‐e‐Kanān meṅ rahne

diyā tāki un tamām Isrāīliyoṅ koāzmāe jo khud Kanān kī jangoṅmeṅ sharīk nahīṅ hue the. 2Nīz,wuh naī nasl ko jang karnā sikhānāchāhtā thā, kyoṅki wuh jang karnese nāwāqif thī. Zail kī qaumeṅKanān meṅ rah gaī thīṅ: 3Filistīun ke pāṅch hukmrānoṅ samet,tamāmKanānī, Saidānī aur Lubnānke pahāṛī ilāqe meṅ rahne wāleHiwwī jo Bāl‐harmūn Pahāṛ se lekar Labo‐hamāt tak ābād the. 4Unse Rab Isrāīliyoṅ ko āzmānā chāhtāthā. Wuh dekhnā chāhtā thā ki kyāyih mere un ahkām par amal kartehaiṅ yā nahīṅ jo maiṅ ne Mūsā kīmārifat un ke bāpdādā ko die the.

Ġhutniyel Qāzī5Chunāṅche Isrāīlī Kanāniyoṅ,Hittiyoṅ, Amoriyoṅ, Farizziyoṅ,Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ kedarmiyān hī ābād ho gae. 6Na sirfyih balki wuh in qaumoṅ se apnebeṭe‐beṭiyoṅkā rishtā bāndhkar unke dewatāoṅ kī pūjā bhī karne lage.7Isrāīliyoṅ ne aisī harkateṅ kīṅ jo

Rab kī nazar meṅ burī thīṅ. Rab kobhūl kar unhoṅ ne Bāl Dewatā aurYasīrat Dewī kī khidmat kī.

8Tab Rab kā ġhazab un parnāzil huā, aur us ne unheṅMasoputāmiyā ke bādshāhKūshan‐ris’ataim ke hawāle kar diyā. Isrāīlīāṭh sāl tak Kūshan ke ġhulām rahe.9Lekin jab unhoṅ ne madad kelie Rab ko pukārā to us ne un kelie ek najātdahindā barpā kiyā.Kālib ke chhoṭe bhāī Ġhutniyel binQanaz ne unheṅ dushman ke hāthse bachāyā. 10Us waqt Ġhutniyelpar Rab kā Rūh nāzil huā, aur wuhIsrāīl kā qāzī ban gayā. Jab wuhjang karne ke lie niklā to Rab neMasoputāmiyā ke bādshāhKūshan‐ris’ataim ko us ke hawāle kar diyā,aur wuh us par ġhālib ā gayā.

11Tab mulk meṅ chālīs sāl takamn‐o‐amān qāym rahā. Lekinjab Ġhutniyel bin Qanaz faut huā12to Isrāīlī dubārāwuhkuchhkarnelage jo Rab kī nazar meṅ burā thā.Is lie us ne Moāb ke bādshāh Ijlūnko Isrāīl par ġhālib āne diyā. 13Ijlūnne Ammoniyoṅ aur Amālīqiyoṅ kesāthmil kar Isrāīliyoṅ se jang kī aurunheṅ shikast dī. Us ne Khajūroṅke Shahr par qabzā kiyā, 14aur Isrāīl18 sāl tak us kī ġhulāmī meṅ rahā.

Page 65: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 3:15 59

Ahūd Qāzī kī Chālākī15Isrāīliyoṅ ne dubārā madad ke lieRab ko pukārā, aur dubārā us neunheṅ najātdahindā atā kiyā yānīBinyamīn ke qabīle kā Ahūd binJīrā jo bāeṅ hāth se kām karne kāādī thā. Isī shakhs ko Isrāīliyoṅne Ijlūn Bādshāh ke pās bhej diyātāki wuh use kharāj ke paise adākare. 16Ahūdne apne lie ek dodhārītalwār banā lī jo taqrīban ḍeṛh fuṭlambī thī. Jāte waqt us ne use apnīkamr ke dāīṅ taraf bāndh kar apnelibās meṅ chhupā liyā. 17Jab wuhIjlūn ke darbār meṅ pahuṅch gayāto us neMoāb ke bādshāh ko kharājpesh kiyā. Ijlūn bahut moṭā ādmīthā. 18Phir Ahūd ne un ādmiyoṅko rukhsat kar diyā jinhoṅ ne uske sāth kharāj uṭhā kar use darbārtak pahuṅchāyā thā. 19‐20Ahūd bhīwahāṅ se rawānāhuā, lekin Jiljāl kebutoṅ ke qarīb wuh muṛ kar Ijlūnke pās wāpas gayā.Ijlūn bālākhāne meṅ baiṭhā thā

jo zyādā ṭhanḍā thā aur us kezātī istemāl ke lie makhsūs thā.Ahūd ne andar jā kar bādshāhse kahā, “Merī āp ke lie khufiyākhabar hai.” Bādshāh ne kahā,“Khāmosh!” Bāqī tamām hāzirīn

kamre se chale gae to Ahūd nekahā, “Jo khabar mere pās āp kelie hai wuh Allāh kī taraf se hai!”Yih sun kar Ijlūn khaṛā hone lagā,21lekin Ahūd ne usī lamhe apnebāeṅ hāth se kamr ke dāīṅ tarafbandhī huī talwār ko pakaṛ kar usemiyān se nikālā aur Ijlūn ke peṭmeṅ dhaṅsā diyā. 22Talwār itnīdhaṅs gaī ki us kā dastā bhī charbīmeṅ ġhāyb ho gayā aur us kī nokṭāṅgoṅ meṅ se niklī. Talwār ko usmeṅ chhoṛ kar 23Ahūd ne kamreke darwāzoṅ ko band karke kunḍīlagāī aur sāth wāle kamre meṅ senikal kar chalā gayā.

24Thoṛī der ke bād bādshāhke naukaroṅ ne ā kar dekhā kidarwāzoṅ par kunḍī lagī hai.Unhoṅ ne ek dūsre se kahā, “Wuhhājat rafā kar rahe hoṅge,” 25is liekuchh der ke lie ṭhahre. Lekindarwāzā na khulā. Intazār kartekarte wuh thak gae. Lekin besūd,bādshāh ne darwāzā na kholā.Ākhirkār unhoṅ ne chābī ḍhūnḍkar darwāzoṅ ko khol diyā aurdekhā ki mālik kī lāsh farsh parpaṛī huī hai.

26Naukaroṅ ke jhijakne kī wajahse Ahūd bach niklā aur Jiljāl kebutoṅ se guzar kar saīrā pahuṅch

Page 66: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

60 Quzāt 4:7

gayā jahāṅ wuh mahfūz thā.27Wahāṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqemeṅ us ne narsingā phūṅk diyātāki Isrāīlī laṛne ke lie jamā hojāeṅ. Wuh ikaṭṭhe hue aur uskī rāhnumāī meṅ Wādī‐e‐Yardanmeṅ utar gae. 28Ahūd bolā, “Merepīchhe ho leṅ, kyoṅki Allāh ne āpke dushman Moāb ko āp ke hawālekar diyāhai.” Chunāṅchewuhuskepīchhe pīchhe wādī meṅ utar gae.Pahle unhoṅ ne Dariyā‐e‐Yardanke kam‐gahre maqāmoṅ par qabzākarke kisī ko dariyā pār karne nadiyā. 29Us waqt unhoṅ ne Moāb ke10,000 tāqatwar aur jang karne keqābil ādmiyoṅ ko mār ḍālā. Ek bhīna bachā.

30Us din Isrāīl neMoāb ko zer kardiyā, aur 80 sāl tak mulk meṅ amn‐o‐amān qāym rahā.

Shamjar Qāzī31Ahūd ke daur ke bād Isrāīl kāek aur najātdahindā ubhar āyā,Shamjar bin Anāt. Us ne bail keāṅkus se 600 Filistiyoṅ komār ḍālā.

Daborā Nabiyā aur Lashkarkā Sardār Baraq

4 Jab Ahūd faut huā to Isrāīlīdubārā aisī harkateṅ karne

lage jo Rab ke nazdīk burī thīṅ.2‐3Is lie Rab ne unheṅ Kanān kebādshāh Yābīn ke hawāle kar diyā.Yābīn kā dārul‐hukūmat Hasūr thā,aur us ke pās 900 lohe ke rath the.Us ke lashkar kā sardār Sīsarā thājo Harūsat‐hagoim meṅ rahtā thā.Yābīn ne 20 sāl Isrāīliyoṅ par bahutzulmkiyā, is lie unhoṅnemadad kelie Rab ko pukārā.

4Un dinoṅ meṅ Daborā NabiyāIsrāīl kī qāzī thī. Us kā shauharLafīdot thā, 5aur wuh ‘Daborā keKhajūr’ ke pās rahtī thī jo Ifrāīm kepahāṛī ilāqe meṅ Rāmā aur Baitelke darmiyān thā. Is darakht ke sāymeṅ wuh Isrāīliyoṅ ke muāmalātke faisle kiyā kartī thī. 6Ek dinDaborā ne Baraq bin Abīnūsam kobulāyā. Baraq Naftālī ke qabāylīilāqe ke shahr Qādismeṅ rahtā thā.Daborā ne Baraq se kahā, “RabIsrāīl kā Khudā āp ko hukm detāhai, ‘Naftālī aur Zabūlūn ke qabīloṅmeṅ se 10,000 mardoṅ ko jamākarke un ke sāth Tabūr Pahāṛ parchaṛh jā! 7Maiṅ Yābīn ke lashkar

Page 67: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 4:8 61

ke sardār Sīsarā ko us ke rathoṅ aurfauj samet tere qarīb kīQaisonNadīke pās khīṅch lāūṅgā. Wahāṅmaiṅuse tere hāth meṅ kar dūṅgā.’”

8Baraq ne jawāb diyā, “Maiṅ sirfis sūrat meṅ jāūṅgā ki āp bhī sāthjāeṅ. Āp ke baġhair maiṅ nahīṅjāūṅgā.” 9Daborā ne kahā, “Ṭhīkhai, maiṅ zarūr āp ke sāth jāūṅgī.Lekin is sūrat meṅ āp ko Sīsarāpar ġhālib āne kī izzat hāsil nahīṅhogī balki ek aurat ko. Kyoṅki RabSīsarā ko ek aurat ke hawāle kardegā.”ChunāṅcheDaborā Baraq ke sāth

Qādis gaī. 10Wahāṅ Baraq neZabūlūn aur Naftālī ke qabīloṅ koapne pās bulā liyā. 10,000 ādmī uskī rāhnumāī meṅ Tabūr Pahāṛ parchale gae. Daborā bhī sāth gaī.

11Un dinoṅ meṅ ek Qīnī banāmHibar ne apnā khaimā Qādis keqarīb Ailon‐zānanīm meṅ lagāyāhuā thā. Qīnī Mūsā ke sāle Hobābkī aulād meṅ se thā. Lekin Hibardūsre Qīniyoṅ se alag rahtā thā.

12Ab Sīsarā ko ittalā dī gaī kiBaraq bin Abīnūsam fauj le karpahāṛ Tabūr par chaṛh gayā hai.13Yih sun kar wuh Harūsat‐hagoimse rawānā ho kar apne 900 rathoṅ

aur bāqī lashkar ke sāth QaisonNadī par pahuṅch gayā.

14Tab Daborā ne Baraq se bāt kī,“Hamlā ke lie taiyār ho jāeṅ, kyoṅkiRab ne āj hī Sīsarā ko āp ke qābūmeṅ kar diyā hai. Rab āp ke āge āgechal rahā hai.” Chunāṅche Baraqapne 10,000 ādmiyoṅ ke sāth TabūrPahāṛ se utar āyā. 15Jab unhoṅne dushman par hamlā kiyā to Rabne Kanāniyoṅ ke pūre lashkar meṅrathoṅ samet afrā‐tafrī paidā kardī. Sīsarā apne rath se utar karpaidal hī farār ho gayā.

16Baraq ke ādmiyoṅ ne bhāgnewāle faujiyoṅ aur un ke rathoṅkā tāqqub karke un ko Harūsat‐hagoim tak mārte gae. Ek bhī nabachā.

Sīsarā kā Anjām17Itne meṅ Sīsarā paidal chalkar Qīnī ādmī Hibar kī bīwī Yāelke khaime ke pās bhāg āyā thā.Wajah yih thī ki Hasūr ke bādshāhYābīn ke Hibar ke gharāne kesāth achchhe tālluqāt the. 18Yāelkhaime se nikal kar Sīsarā semilne gaī. Us ne kahā, “Āeṅ mereāqā, andar āeṅ aur na ḍareṅ.”Chunāṅche wuh andar ā kar leṭ

Page 68: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

62 Quzāt 5:6

gayā, aur Yāel ne us par kambalḍāl diyā.

19Sīsarā ne kahā, “Mujhe pyāslagī hai, kuchh pānī pilā do.” Yāelne dūdh kā mashkīzā khol kar usepilā diyā aur use dubārā chhupādiyā. 20Sīsarā ne darkhāst kī,“Darwāze meṅ khaṛī ho jāo! Agarkoī āe aur pūchhe ki kyā khaimemeṅ koī hai to bolo ki nahīṅ, koīnahīṅ hai.”

21Yih kah kar Sīsarā gahrī nīndso gayā, kyoṅki wuh nihāyat thakāhuā thā. Tab Yāel ne mekh aurhathoṛā pakaṛ liyā aur dabe pāṅwSīsarā ke pās jā kar mekh ko itnezor se us kī kanpaṭī meṅ ṭhoṅk diyāki mekh zamīn meṅ dhaṅs gaī aurwuh mar gayā.

22Kuchh der ke bād Baraq Sīsarāke tāqqub meṅ wahāṅ se guzarā.Yāel khaime se nikal kar us semilne āī aur bolī, “Āeṅ, maiṅ āpko wuh ādmī dikhātī hūṅ jise āpḍhūnḍ rahe haiṅ.” Baraq us kesāth khaime meṅ dākhil huā to kyādekhā ki Sīsarā kī lāsh zamīn parpaṛī hai aur mekh us kī kanpaṭīmeṅ se guzar kar zamīnmeṅgaṛ gaīhai.

23Us din Allāh ne Kanānībādshāh Yābīn ko Isrāīliyoṅ ke

sāmne zer kar diyā. 24Is ke bādun kī tāqat baṛhtī gaī jabki Yābīnkamzor hotā gayā aur ākhirkārIsrāīliyoṅ ke hāthoṅ tabāh ho gayā.

Daborā aur Baraq kā Gīt

5 Fatah ke din Daborā ne Baraqbin Abīnūsam ke sāth yih gīt

gāyā,2“Allāh kī satāish ho! Kyoṅki

Isrāīl ke sardāroṅ ne rāhnumāī kī,aur awām nikalne ke lie taiyār hue.

3Ai bādshāho, suno! Aihukmrāno, merī bāt par tawajjuhdo! Maiṅ Rab kī tamjīd meṅ gītgāūṅgī, Rab Isrāīl ke Khudā kīmadahsarāī karūṅgī.

4Ai Rab, jab tū Saīr se nikalāyā aur Adom ke khule maidān serawānā huā to zamīn kāṅp uṭhīaur āsmān se pānī ṭapakne lagā,bādaloṅ se bārish barasne lagī.

5Koh‐e‐Sīnā ke Rab ke huzūrpahāṛ hilne lage, Rab Isrāīl keKhudā ke sāmne wuh kapkapānelage.

6Shamjar bin Anāt aur Yāel kedinoṅ meṅ safr ke pakke aur sīdherāste khālī rahe aur musāfir un se

Page 69: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 5:7 63

haṭ kar bal khāte hue chhoṭe chhoṭerāstoṅ par chal kar apnī manzil takpahuṅchte the.

7Dehāt kī zindagī Sūnī ho gaī.Gāṅw meṅ rahnā mushkil thā jabtak maiṅ, Daborā jo Isrāīl kī māṅhūṅ khaṛī na huī.

8Shahr ke darwāzoṅ par jangchhiṛ gaī jab unhoṅ ne naemābūdoṅ ko chun liyā. Us waqtIsrāīl ke 40,000 mardoṅ ke pās ekbhī ḍhāl yā nezā na thā.

9Merā dil Isrāīl ke sardāroṅ kesāth hai aur un ke sāth jo khushīse jang ke lie nikle. Rab kī satāishkaro!

10Ai tum jo safed gadhoṅ parkapṛe bichhā kar un par sawār ho,Allāh kī tamjīd karo! Ai tum jopaidal chal rahe ho, Allāh kī tārīfkaro!

11Suno! Jahāṅ jānwaroṅ ko pānīpilāyā jātā hai wahāṅ log Rab kenajātbakhsh kāmoṅ kī tārīf karrahe haiṅ, un najātbakhsh kāmoṅkī jo us ne Isrāīl ke dehātiyoṅ kīkhātir kie. Tab Rab ke log shahr kedarwāzoṅ ke pās utar āe.

12Ai Daborā, uṭheṅ, uṭheṅ!Uṭheṅ, hāṅ uṭheṅ aur gīt gāeṅ! AiBaraq, khaṛe ho jāeṅ! Ai Abīnūsam

ke beṭe, apne qaidiyoṅ ko bāndhkar le jāeṅ!

13Phir bache hue faujī pahāṛīilāqe se utar kar qaum ke shurafāke pās āe, Rab kī qaum sūrmāoṅ kesāth mere pās utar āī.

14Ifrāīm se jis kī jaṛeṅ Amālīqmeṅ haiṅ wuh utar āe, aurBinyamīn ke mard un ke pīchhe holie. Makīr se hukmrān aur Zabūlūnse sipahsālār utar āe.

15Ishkār ke ra’īs bhī Daborā kesāth the, aur us ke faujī Baraq kepīchhe ho kar wādī meṅ dauṛ āe.Lekin Rūbin kā qabīlā apne ilāqemeṅ rah kar soch‐bichārmeṅ uljhārahā.

16Tū kyoṅ apne zīn ke do boroṅke darmiyān baiṭhā rahā? Kyāgalloṅ ke darmiyān charwāhoṅ kībāṅsriyoṅ kī āwāzeṅ sunane ke lie?Rūbin kā qabīlā apne ilāqemeṅ rahkar soch‐bichār meṅ uljhā rahā.

17Jiliyād ke gharāne Dariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅ ṭhahrerahe. Aur Dān kā qabīlā, wuh kyoṅbahrī jahāzoṅ ke pās rahā? Āsharkā qabīlā bhī sāhil par baiṭhā rahā,wuh ārām se apnī bandargāhoṅ kepās ṭhahrā rahā,

Page 70: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

64 Quzāt 5:31

18jabki Zabūlūn aur Naftālī apnījānpar khel karmaidān‐e‐jangmeṅā gae.

19Bādshāh āe aur laṛe, Kanān kebādshāh Majiddo Nadī par Tānakkepās Isrāīl se laṛe. Lekinwahāṅ sewuh chāṅdī kā lūṭā huā māl wāpasna lāe.

20Āsmān se sitāroṅ ne Sīsarā parhamlā kiyā, apnī āsmānī rāhoṅ kochhoṛ kar wuh us se aur us kī qaumse laṛne āe.

21Qaison nadī unheṅ uṛā le gaī,wuh nadī jo qadīm zamāne se bahtīhai. Ai merī jān, mazbūtī se āgechaltī jā!

22Us waqt ṭāpoṅ kā baṛā shorsunāī diyā. Dushman ke zabardastghoṛe sarpā dauṛ rahe the.

23Rab ke farishte ne kahā,‘Mīroz Shahr par lānat karo, us kebāshindoṅ par khūb lānat karo!Kyoṅki wuh Rab kī madad karnena āe, wuh sūrmāoṅ ke khilāf Rabkī madad karne na āe.’

24HibarQīnī kī bīwīmubārakhai!Khaimoṅ meṅ rahne wālī auratoṅmeṅ se wuh sab se mubārak hai!

25Jab Sīsarā ne pānī māṅgā toYāel ne use dūdh pilāyā. Shāndārpyāle meṅ lassī ḍāl kar wuh use uske pās lāī.

26Lekin phir us ne apne hāthse mekh aur apne dahne hāth semazdūroṅ kā hathoṛā pakaṛ karSīsarā kā sar phoṛ diyā, us kīkhopaṛī ṭukṛe ṭukṛe karke us kīkanpaṭī ko chhed diyā.

27Us ke pāṅwoṅ meṅ wuh taṛapuṭhā. Wuh gir kar wahīṅ paṛā rahā.Hāṅ, wuh us ke pāṅwoṅ meṅ girkar halāk huā.

28Sīsarā kī māṅ ne khiṛkī meṅ sejhāṅkā aur darīche meṅ se dekhtīdekhtī rotī rahī, ‘Us ke rath kepahuṅchne meṅ itnī der kyoṅ horahī hai? Rathoṅ kī āwāz ab takkyoṅ sunāī nahīṅ de rahī?’

29Uskī dānishmand khawātīnusetasallī detī haiṅ aur wuh khud unkī bāt dohrātī hai, 30‘Wuh lūṭā huāmāl āpas meṅ bāṅṭ rahe hoṅge.Har mard ke lie ek do laṛkiyāṅ aurSīsarā ke lie rangdār libās hogā.Hāṅ, wuh rangdār libās aur merīgardan ko sajāne ke lie do nafīsrangdār kapṛe lā rahe hoṅge.’

31Ai Rab, tere tamām dushmanSīsarā kī tarah halāk ho jāeṅ! Lekin

Page 71: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 6:1 65

jo tujh se pyār karte haiṅ wuhpūre zor se tulū hone wāle sūraj kīmānind hoṅ.”

Baraqkī is fatahkebād Isrāīlmeṅ40 sāl amn‐o‐amān qāym rahā.

Midiyānī Isrāīliyoṅ koDabāte Haiṅ

6 Phir Isrāīlī dubārā wuh kuchhkarne lage jo Rab ko burā

lagā, aur us ne unheṅ sāt sāl takMidiyāniyoṅ ke hawāle kar diyā.2Midiyāniyoṅ kā dabāw itnā zyādābaṛh gayā ki Isrāīliyoṅ ne un sepanāh lene ke lie pahāṛī ilāqe meṅshigāf, ġhār aur gaṛhiyāṅ banālīṅ. 3Kyoṅki jab bhī wuh apnīfasleṅ lagāte to Midiyānī, Amālīqīaur mashriq ke dīgar faujī un parhamlā karke 4mulk ko gher leteaur fasloṅ ko Ġhazzā Shahr taktabāh karte. Wuh khāne wālī koībhī chīz nahīṅ chhoṛte the, na koībheṛ, na koī bail, aur na koī gadhā.5Aur jab wuh apne maweshiyoṅaur khaimoṅ ke sāth pahuṅchte toṭiḍḍiyoṅ ke daloṅ kī mānind the.Itne mard aur ūṅṭ the ki un ko ginānahīṅ jā saktā thā. Yoṅ wuh mulkpar chaṛh āte the tāki use tabāh

kareṅ. 6Isrāīlī Midiyān ke sabab seitne pasthāl hue ki ākhirkār madadke lie Rab ko pukārne lage.

7‐8Tab us ne un meṅ ek nabībhej diyā jis ne kahā, “Rab Isrāīlkā Khudā farmātā hai ki maiṅ hītumheṅ Misr kī ġhulāmī se nikāllāyā. 9Maiṅ ne tumheṅ Misr kehāth se aur un tamām zālimoṅ kehāth se bachā liyā jo tumheṅ dabārahe the. Maiṅ unheṅ tumhāreāge āge nikāltā gayā aur un kīzamīn tumheṅ de dī. 10Us waqtmaiṅ ne tumheṅ batāyā, ‘Maiṅ Rabtumhārā Khudā hūṅ. Jin Amoriyoṅke mulk meṅ tum rah rahe ho unke dewatāoṅ kā khaufmatmānanā.Lekin tum ne merī na sunī.’”

Rab Jidāūn ko Bulātā Hai11Ek din Rab kā farishtā āyā aurUfrā meṅ balūt ke ek darakht kesāy meṅ baiṭh gayā. Yih darakhtAbiyazar ke khāndān ke ek ādmī kāthā jis kā nām Yuās thā. Wahāṅangūr kā ras nikālne kā hauzthā, aur us meṅ Yuās kā beṭāJidāūn chhupkar gandum jhāṛ rahāthā, hauz meṅ is lie ki gandumMidiyāniyoṅ semahfūz rahe. 12Rabkā farishtā Jidāūn par zāhir huā

Page 72: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

66 Quzāt 6:22

aur kahā, “Ai zabardast sūrme, Rabtere sāth hai!”

13Jidāūn ne jawāb diyā, “Nahīṅjanāb, agar Rab hamāre sāth ho toyih sab kuchh hamāre sāth kyoṅho rahā hai? Us ke wuh tamāmmojize āj kahāṅ nazar āte haiṅjin ke bāre meṅ hamāre bāpdādāhameṅ batāte rahe haiṅ? Kyā wuhnahīṅ kahte the ki Rab hameṅMisrse nikāl lāyā? Nahīṅ, janāb. Ab aisānahīṅ hai. Ab Rab ne hameṅ tarkkarke Midiyān ke hawāle kar diyāhai.”

14Rabneus kī tarafmuṛ kar kahā,“Apnī is tāqat meṅ jā aur Isrāīl koMidiyān ke hāth se bachā. Maiṅ hītujhe bhej rahā hūṅ.”

15Lekin Jidāūn ne etarāz kiyā,“Ai Rab, maiṅ Isrāīl ko kis tarahbachāūṅ? Merā khāndān Manassīkeqabīle kā sab sekamzor khāndānhai, aur maiṅ apne bāp ke gharmeṅ sab se chhoṭā hūṅ.”

16Rab ne jawāb diyā, “Maiṅ teresāth hūṅgā, aur tū Midiyāniyoṅ koyoṅ māregā jaise ek hī ādmī ko.”

17Tab Jidāūn ne kahā, “Agarmujhpar tere karm kī nazar ho to mujhekoī ilāhī nishān dikhā tāki sābitho jāe ki wāqaī Rab hī mere sāthbāt kar rahā hai. 18Maiṅ abhī jā

kar qurbānī taiyār kartā hūṅ aurphir wāpas ā kar use tujhe peshkarūṅga. Us waqt tak rawānā na hojānā.”Rab ne kahā, “Ṭhīk hai, maiṅ terī

wāpasī kā intazār karke hī jāūṅgā.”19Jidāūn chalā gayā. Us ne bakrī

kā bachchā zabah karke taiyār kiyāaur pūre 16 kilogrām maide sebekhamīrī roṭī banāī. Phir gosht koṭokrīmeṅ rakh kar aur us kā shorbāalag bartan meṅ ḍāl kar wuh sabkuchh Rab ke farishte ke pās lāyāaur use balūt ke sāymeṅ pesh kiyā.

20Rab ke farishte ne kahā, “Goshtaur bekhamīrī roṭī ko le kar ispatthar par rakh de, phir shorbā uspar unḍel de.” Jidāūn ne aisā hīkiyā. 21Rab ke farishte ke hāthmeṅlāṭhī thī. Ab us ne lāṭhī ke sire segosht aur bekhamīrī roṭī ko chhūdiyā. Achānak patthar se āg bhaṛakuṭhī aur khurāk bhasm ho gaī. Sāthsāth Rab kā farishtā ojhal ho gayā.

22Phir Jidāūn ko yaqīn āyā ki yihwāqaī Rab kā farishtā thā, aur wuhbol uṭhā, “Hāy Rab Qādir‐e‐mutlaq!Mujh par afsos, kyoṅki maiṅ neRab ke farishte ko rūbarū dekhāhai.”

Page 73: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 6:23 67

23Lekin Rab us se hamkalām huāaur kahā, “Terī salāmatī ho. Matḍar, tū nahīṅ maregā.”

24Wahīṅ Jidāūn ne Rab ke liequrbāngāh banāī aur us kā nām‘Rab Salāmat Hai’ rakhā. Yih āj takAbiyazar ke khāndān ke shahr Ufrāmeṅ maujūd hai.

Jidāūn Bāl kī QurbāngāhGirā Detā Hai

25Usī rāt Rab Jidāūn se hamkalāmhuā, “Apne bāp ke bailoṅ meṅse dūsre bail ko jo sāt sāl kāhai chun le. Phir apne bāp kīwuh qurbāngāh girā de jis par BālDewatā ko qurbāniyāṅ chaṛhāī jātīhaiṅ, aur Yasīrat Dewī kā wuhkhambā kāṭ ḍāl jo sāth khaṛā hai.26Is ke bād usī pahāṛī qile kī choṭīpar Rab apne Khudā ke lie sahīhqurbāngāh banā de. Yasīrat kekhambe kī kaṭī huī lakaṛī aur bailko us par rakh kar mujhe bhasmhone wālī qurbānī pesh kar.”

27Chunāṅche Jidāūn ne apne dasnaukaroṅ ko sāth le kar wuh kuchhkiyā jis kā hukm Rab ne use diyāthā. Lekin wuh apne khāndān aurshahr ke logoṅ se ḍartā thā, is lie us

ne yih kām din ke bajāe rāt ke waqtkiyā.

28Subah ke waqt jab shahr ke loguṭhe to dekhā ki Bāl kī qurbāngāhḍhā dī gaī hai aur Yasīrat Dewī kāsāthwālā khambā kāṭ diyā gayā hai.In kī jagah ek naī qurbāngāh banāīgaī hai jis par bail ko chaṛhāyāgayā hai. 29Unhoṅ ne ek dūsre sepūchhā, “Kis ne yih kiyā?” Jab wuhis bāt kī taftīsh karne lage to kisī neunheṅ batāyā ki Jidāūn bin Yuās neyih sab kuchh kiyā hai.

30Tab wuh Yuās ke ghar gae aurtaqāzā kiyā, “Apne beṭe ko ghar senikāl lāeṅ. Lāzim hai ki wuh marjāe, kyoṅki us ne Bāl kī qurbāngāhko girā kar sāth wālā Yasīrat Dewīkā khambā bhī kāṭ ḍālā hai.”

31Lekin Yuās ne un se jo us kesāmne khaṛe the kahā, “Kyā āp Bālke difā meṅ laṛnā chāhte haiṅ? Jobhī Bāl ke lie laṛegā use kal subahtak mār diyā jāegā. Agar Bāl wāqaīKhudā hai to wuh khud apne difāmeṅ laṛe jab koī us kī qurbāngāh koḍhā de.”

32Chūṅki Jidāūn ne Bāl kīqurbāngāh girā dī thī is lie us kānām Yarubbāl yānī ‘Bāl Us se Laṛe’paṛ gayā.

Page 74: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

68 Quzāt 7:3

Jidāūn Allāh se NishānMāṅgtā Hai

33Kuchh der ke bād tamāmMidiyānī, Amālīqī aur dūsrīmashriqī qaumeṅ jamā huīṅ aurDariyā‐e‐Yardan ko pār karke apneḍere Maidān‐e‐Yazrael meṅ lagāe.34Phir Rab kā Rūh Jidāūn par nāzilhuā. Us ne narsingā phūṅk karAbiyazar ke khāndān kemardoṅ koapne pīchhe ho lene ke lie bulāyā.35Sāth sāth us ne apne qāsidoṅko Manassī ke qabīle aur Āshar,Zabūlūn aur Naftālī ke qabīloṅ kepās bhī bhej diyā. Tab wuh bhī āeaur Jidāūn ke mardoṅ ke sāth milkar us ke pīchhe ho lie.

36Jidāūn ne Allāh se duā kī,“Agar tū wāqaī Isrāīl ko apne wādeke mutābiq mere zariye bachānāchāhtā hai 37to mujhe yaqīn dilā.Maiṅ rāt ko tāzā katrī huī ūngandum gāhne ke farsh par rakhdūṅgā. Kal subah agar sirf ūn paros paṛī ho aur irdgird kā sārā farshkhushk ho to maiṅ jān lūṅgā kiwāqaī tū apne wāde ke mutābiqIsrāīl ko mere zariye bachāegā.”

38Wuhī kuchh huā jis kī darkhāstJidāūn ne kī thī. Agle din jab wuhsubah‐sawere uṭhā to ūn os se tar

thī. Jab us ne use nichoṛā to itnāpānī thā ki bartan bhar gayā.

39Phir Jidāūn ne Allāh se kahā,“Mujh se ġhusse na ho jānā agarmaiṅ tujh se ek bār phir darkhāstkarūṅ. Mujhe ek ākhirī dafā ūn kezariye terī marzī jāṅchne kī ijāzatde. Is dafā ūn khushk rahe aurirdgird ke sāre farsh par os paṛī ho.”40Us rāt Allāh ne aisā hī kiyā. Sirfūn khushk rahī jabki irdgird ke sārefarsh par os paṛī thī.

Allāh Jidāūn ke Sāthiyoṅko Chun Letā Hai

7 Subah‐sawere Yarubbāl yānīJidāūn apne tamām logoṅ

ko sāth le kar harod chashme kepās āyā. Wahāṅ unhoṅ ne apneḍere lagāe. Midiyāniyoṅ ne apnīkhaimāgāh un ke shimāl meṅMorih Pahāṛ ke dāman meṅ lagāīhuī thī.

2Rab ne Jidāūn se kahā, “Terepās zyādā log haiṅ! Maiṅ is qismke baṛe lashkar ko Midiyāniyoṅpar fatah nahīṅ dūṅgā, warnāIsrāīlī mere sāmne ḍīṅgeṅ mār karkaheṅge, ‘Ham ne apnī hī tāqatse apne āp ko bachāyā hai!’ 3Islie lashkargāh meṅ elān kar ki jo

Page 75: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 7:4 69

ḍar kemāre pareshān ho wuh apneghar wāpas chalā jāe.” Jidāūn neyoṅ kiyā to 22,000 mard wāpaschale gae jabki 10,000 Jidāūn ke pāsrahe.

4Lekin Rab ne dubārā Jidāūn sebāt kī, “Abhī tak zyādā log haiṅ! Inke sāth utar kar chashme ke pās jā.Wahāṅmaiṅunheṅ jāṅch kar unkomuqarrar karūṅga jinheṅ tere sāthjānā hai.” 5Chunāṅche Jidāūn apneādmiyoṅ ke sāth chashme ke pāsutar āyā. Rab ne use hukm diyā,“Jo bhī apnā hāth pānī se bhar karuse kutte kī tarah chāṭ le use ektaraf khaṛā kar. Dūsrī taraf unheṅkhaṛā kar jo ghuṭne ṭek kar pānīpīte haiṅ.” 6300 ādmiyoṅ ne apnāhāth pānī se bhar kar use chāṭ liyājabki bāqī sab pīne ke lie jhuk gae.

7Phir Rab ne Jidāūn se farmāyā,“Maiṅ in 300 chāṭne wāle ādmiyoṅke zariye Isrāīl ko bachā karMidiyāniyoṅ ko tere hawāle kardūṅgā. Bāqī tamām mardoṅko fāriġh kar. Wuh sab apneapne ghar wāpas chale jāeṅ.”8Chunāṅche Jidāūn ne bāqī tamāmādmiyoṅ ko fāriġh kar diyā. Sirfmuqarrarā 300 mard rah gae. Abyih dūsroṅ kī khurāk aur narsingeapne pās rakh kar jang ke lie taiyār

hue. Us waqt Midiyānī khaimāgāhIsrāīliyoṅ ke nīche wādī meṅ thī.

Midiyāniyoṅ par Jidāūn kī Fatah9Jab rāt huī to Rab Jidāūn sehamkalām huā, “Uṭh, Midiyānīkhaimāgāh ke pās utar kar us parhamlā kar, kyoṅki maiṅ use terehāthmeṅ de dūṅgā. 10Lekin agar tūis se ḍartā hai to pahle apne naukarFūrāh ke sāth utar kar 11wuh bāteṅsun le jo wahāṅ ke log kah rahehaiṅ. Tab un par hamlā karne kījurrat baṛh jāegī.”Jidāūn Fūrāh ke sāth khaimāgāh

ke kināre ke pās utar āyā.12Midiyānī, Amālīqī aurmashriq kedīgar faujī ṭiḍḍiyoṅ ke dal kī tarahwādī meṅ phaile hue the. Un keūṅṭ sāhil kī ret kī tarah beshumārthe. 13Jidāūn dabe pāṅw dushmanke itne qarīb pahuṅch gayā ki unkī bāteṅ sun saktā thā. Ain uswaqt ek faujī dūsre ko apnā khābsunā rahā thā, “Maiṅ ne khāb meṅdekhā ki jau kī baṛī roṭī luṛhaktīluṛhaktī hamārī khaimāgāh meṅutar āī. Yahāṅ wuh itnī shiddat sekhaime se ṭakrā gaī ki khaimā ulaṭkar zamīnbos ho gayā.” 14Dūsre nejawāb diyā, “Is kā sirf yih matlab

Page 76: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

70 Quzāt 7:25

ho saktā hai ki Isrāīlī mard Jidāūnbin Yuās kī talwār ġhālib āegī!Allāh use Midiyāniyoṅ aur pūrīlashkargāh par fatah degā.”

15Khāb aur us kī tābīr sun karJidāūn ne Allāh ko sijdā kiyā. Phirus ne Isrāīlī khaimāgāhmeṅ wāpasā kar elān kiyā, “Uṭheṅ! Rab neMidiyānī lashkargāh ko tumhārehawāle kar diyā hai.” 16Us neapne 300 mardoṅ ko sau sau ke tīngurohoṅ meṅ taqsīm karke har ekko ek narsingā aur ek ghaṛā de diyā.Har ghaṛe meṅ mashāl thī. 17‐18Usne hukm diyā, “Jo kuchh maiṅkarūṅga us par ġhaur karke wuhīkuchh kareṅ. Pūrī khaimāgāh kogher leṅ aur ain wuhī kuchh kareṅjo maiṅ karūṅga. Jab maiṅ apnesau logoṅ ke sāth khaimāgāh kekināre pahuṅchūṅgā to ham apnenarsingoṅ ko bajā deṅge. Yih suntehī āp bhī yihī kuchh kareṅ aur sāthsāth nārā lagāeṅ, ‘Rab ke lie aurJidāūn ke lie.’”

19Taqrīban ādhī rāt ko Jidāūnapne sau mardoṅ ke sāth Midiyānīkhaimāgāh ke kināre pahuṅchgayā. Thoṛī der pahle pahredārbadal gae the. Achānak Isrāīliyoṅne apne narsingoṅ ko bajāyā aurapne ghaṛoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar

diyā. 20Fauran sau sau ke dūsre dogurohoṅ ne bhī aisā hī kiyā. Apnedahne hāth meṅ narsingā aur bāeṅhāth meṅ bhaṛaktī mashāl pakaṛkar wuh nārā lagāte rahe, “Rabke lie aur Jidāūn ke lie!” 21Lekinwuh khaimāgāhmeṅ dākhil na huebalki wahīṅ us ke irdgird khaṛerahe. Dushman meṅ baṛī afrā‐tafrī mach gaī. Chīkhte‐chillāte sabbhāg jāne kī koshish karne lage.22Jidāūn ke 300 ādmī apne narsingebajāte rahe jabkiRabne khaimāgāhmeṅ aisī gaṛbaṛ paidā kī ki log ekdūsre se laṛne lage. Ākhirkār pūrālashkar Bait‐sittā, Sarīrāt aur Abīl‐mahūlā kī sarhad tak farār huā joTabbāt ke qarīb hai.

23Phir Jidāūn ne Naftālī, Āsharaur pūre Manassī ke mardoṅ kobulā liyā, aur unhoṅ ne mil karMidiyāniyoṅ kā tāqqub kiyā. 24Usne apne qāsidoṅ ke zariye Ifrāīmke pūre pahāṛī ilāqe ke bāshindoṅko bhī paiġhām bhej diyā, “Utarāeṅ aur Midiyāniyoṅ ko bhāg jānese rokeṅ! Bait‐bārā tak un tamāmjaghoṅ par qabzā kar leṅ jahāṅdushman Dariyā‐e‐Yardan ko pā‐piyādā pār kar saktā hai.”Ifrāīmī mān gae. 25Aur unhoṅ ne

do Midiyānī sardāroṅ ko pakaṛ kar

Page 77: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 8:1 71

un ke sar qalam kar die. Sardāroṅke nām Oreb aur Zaeb the, aurjahāṅunheṅpakaṛā gayā un jaghoṅke nām ‘Oreb kī Chaṭān’ aur ‘Zaebkā Angūr kā Ras Nikālne WālāHauz’ paṛ gayā. Is ke bād wuhdubārā Midiyāniyoṅ kā tāqqubkarne lage. Dariyā‐e‐Yardan ko pārkarne par un kī mulāqāt Jidāūn sehuī, aur unhoṅ ne donoṅ sardāroṅke sar us ke sapurd kar die.

Ifrāīm Nārāz Ho Jātā Hai

8 Lekin Ifrāīm ke mardoṅ neshikāyat kī, “Āp ne ham se

kaisā sulūk kiyā? Āp ne hameṅkyoṅ nahīṅ bulāyā jab Midiyān selaṛne gae.” Aisī bāteṅ karte karteunhoṅ ne Jidāūn ke sāth sakhtbahs kī. 2Lekin Jidāūn ne jawābdiyā, “Kyā āp mujh se kahīṅ zyādākāmyāb na hue? Aur jo angūrfasal jamā karne ke bād Ifrāīm kebāġhoṅ meṅ rah jāte haiṅ kyā wuhmere chhoṭe khāndān Abiyazar kīpūrī fasal se zyādā nahīṅ hote?3Allāh ne to Midiyān ke sardāroṅOreb aur Zaeb ko āp ke hawālekar diyā. Is kī nisbat mujh se kyākāmyābī hāsil huī hai?” Yih sun kar

Ifrāīm kemardoṅ kā ġhussā ṭhanḍāho gayā.

Sukkāt aur Fanuel Jidāūn kīMadad Nahīṅ Karte

4Jidāūn apne 300 mardoṅ sametDariyā‐e‐Yardan ko pār kar chukāthā. Dushman kā tāqqub kartekarte wuh thak gae the. 5Is lieJidāūn ne qarīb ke shahr Sukkātke bāshindoṅ se guzārish kī,“Mere faujiyoṅ ko kuchh roṭī dedeṅ. Wuh thak gae haiṅ, kyoṅkiham Midiyānī sardār Zibah aurZalmunnā kā tāqqub kar rahehaiṅ.” 6Lekin Sukkāt ke buzurgoṅne jawāb diyā, “Ham āp ke faujiyoṅko roṭī kyoṅ deṅ? Kyā āp Zibahaur Zalmunnā ko pakaṛ chuke haiṅki ham aisā kareṅ?” 7Yih sun karJidāūn ne kahā, “Jyoṅ hī Rab in dosardāroṅ Zibah aur Zalmunnā komere hāth meṅ kar degā maiṅ tumko registānkī kāṅṭedār jhāṛiyoṅaurūṅṭkaṭāroṅ se gāh kar tabāh kardūṅgā.”

8Wuh āge nikal kar Fanuel Shahrpahuṅch gayā. Wahāṅ bhī usne roṭī māṅgī, lekin Fanuel kebāshindoṅ ne Sukkāt kā‐sā jawābdiyā. 9Yih sun kar us ne kahā, “Jab

Page 78: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

72 Quzāt 8:21

maiṅ salāmatī se wāpas āūṅgā totumhārā yih burj girā dūṅgā!”

Midiyāniyoṅ par Pūrī Fatah10Ab Zibah aur Zalmunnā qarqūrpahuṅch gae the. 15,000 afrādun ke sāth rah gae the, kyoṅkimashriqī ittahādiyoṅ ke 1,20,000talwāroṅ se lais faujī halāk ho gaethe. 11Jidāūn ne Midiyāniyoṅ kepīchhe chalte hue khānābadoshoṅkā wuh rāstā istemāl kiyā jo Nūbahaur Yugbahā ke mashriq meṅ hai.Is tarīqe se us ne un kī lashkargāhpar us waqt hamlā kiyā jab wuhapne āp ko mahfūz samajh rahethe. 12Dushman meṅ afrā‐tafrīpaidā huī aur Zibah aur Zalmunnāfarār ho gae. Lekin Jidāūn ne unkā tāqqub karte karte unheṅ pakaṛliyā.

13Is ke bād Jidāūn lauṭā. Wuhabhī Haris ke darrā se utar rahāthā 14ki Sukkāt ke ek jawān ādmīse milā. Jidāūn ne use pakaṛkar majbūr kiyā ki wuh shahr kerāhnumāoṅ aur buzurgoṅ kī fahristlikh kar de. 77 buzurg the. 15Jidāūnun ke pās gayā aur kahā, “Dekho,yih haiṅ Zibah aur Zalmunnā! Tumne inhīṅ kī wajah se merā mazāq

uṛā kar kahā thā ki ham āp kethakehāre faujiyoṅ ko roṭī kyoṅdeṅ? Kyā āp Zibah aur Zalmunnāko pakaṛ chuke haiṅ ki ham aisākareṅ?” 16Phir Jidāūn ne shahr kebuzurgoṅ ko giriftār karke unheṅkāṅṭedār jhāṛiyoṅ aur ūṅṭkaṭāroṅse gāh kar sabaq sikhāyā. 17Phirwuh Fanuel gayā aur wahāṅ kā burjgirā kar shahr ke mardoṅ ko mārḍālā.

18Is ke bād Jidāūn Zibah aurZalmunnā se mukhātib huā. Usne pūchhā, “Un ādmiyoṅ kā hulyākaisā thā jinheṅ tum ne TabūrPahāṛ par qatl kiyā?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh āp

jaise the, har ek shahzādā lag rahāthā.”

19Jidāūn bolā, “Wuh mere sagebhāī the. Rab kī hayāt kī qasam,agar tum un ko zindā chhoṛte tomaiṅ tumheṅ halāk na kartā.”

20Phir wuh apne pahlauṭhe Yatarse mukhātib ho kar bolā, “In komār ḍālo!” Lekin Yatar apnī talwārmiyān se nikālne se jhijkā, kyoṅkiwuh abhī bachchā thā aur ḍartāthā. 21Tab Zibah aur Zalmunnāne kahā, “Āp hī hameṅ mār deṅ!Kyoṅki jaisā ādmīwaisī us kī tāqat!”Jidāūn ne khaṛe ho kar unheṅ

Page 79: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 8:22 73

talwār se mār ḍālā aur un ke ūṅṭoṅkī gardanoṅ par lage tāwīz utār karapne pās rakhe.

Jidāūn ke Sabab se Isrāīl But‐parastī meṅ Ulajh Jātā Hai

22Isrāīliyoṅ ne Jidāūn ke pās ā karkahā, “Āp ne hameṅ Midiyāniyoṅse bachā liyā hai, is lie ham parhukūmat kareṅ, āp, āp ke bād āp kābeṭā aur us ke bād āp kā potā.”

23Lekin Jidāūnne jawābdiyā, “Namaiṅ āp par hukūmat karūṅga, namerā beṭā. Rab hī āp par hukūmatkaregā. 24Merī sirf ek guzārish hai.Har ek mujhe apne lūṭe hue mālmeṅ se ek ek bālī de de.” Bāt yihthī ki dushman ke tamām afrād nesone kī bāliyāṅ pahan rakhī thīṅ,kyoṅki wuh Ismāīlī the.

25Isrāīliyoṅ ne kahā, “Hamkhushī se bālī deṅge.” Ek chādarzamīn par bichhā kar har ek ne ekek bālī us par phaiṅk dī. 26Sonekī in bāliyoṅ kā wazn taqrīban 20kilogrām thā. Is ke alāwā Isrāīliyoṅne mukhtalif tāwīz, kān ke āweze,arġhawānī rang ke shāhī libās aur

ūṅṭoṅ kī gardanoṅ meṅ lagī qīmtīzanjīreṅ bhī de dīṅ.

27Is sone se Jidāūn ne ek afoda

banā kar use apne ābāī shahr Ufrāmeṅkhaṛākiyā jahāṅwuhuske aurtamām khāndān ke lie phandā bangayā. Na sirf yih balki pūrā Isrāīlzinā karke but kī pūjā karne lagā.

28Us waqt Midiyān ne aisī shikastkhāī ki bād meṅ Isrāīl ke lie khatrekā bāis na rahā. Aur jitnī der Jidāūnzindā rahā yānī 40 sāl takmulkmeṅamn‐o‐amān qāym rahā.

29Jang ke bād Jidāūn bin Yuāsdubārā Ufrā meṅ rahne lagā. 30Uskī bahut‐sī bīwiyāṅ aur 70 beṭethe. 31Us kī ek dāshtā bhī thījo Sikam Shahr meṅ rihāishpazīrthī aur jis ke ek beṭā paidā huā.Jidāūn ne beṭe kā nām Abīmalikrakhā. 32Jidāūn umrrasīdā thā jabfaut huā. Use Abīazriyoṅ ke shahrUfrā meṅ us ke bāp Yuās kī qabrmeṅ dafnāyā gayā.

33Jidāūn ke marte hī Isrāīlīdubārā zinā karke Bāl ke butoṅkī pūjā karne lage. Wuh Bāl‐barītko apnā khās dewatā banā kar34Rab apne Khudā ko bhūl gae jis

aĀm taur par Ibrānī meṅ afod kā matlabimām‐e‐āzam kā bālāposh thā (dekhie

Khurūj 28:4), lekin yahāṅ is se murādbutparastī kī koī chīz hai.

Page 80: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

74 Quzāt 9:9

ne unheṅ irdgird ke dushmanoṅse bachā liyā thā. 35Unhoṅ neYarubbāl yānī Jidāūn ke khāndānko bhī us ehsān ke lie koī mehrbānīna dikhāī jo Jidāūn ne un par kiyāthā.

Abīmalik Bādshāh Ban Jātā Hai

9 Ek din Yarubbāl yānī Jidāūnkā beṭā Abīmalik apne

māmuoṅ aur māṅ ke bāqīrishtedāroṅ se milne ke lie Sikamgayā. Us ne un se kahā, 2“SikamShahr ke tamām bāshindoṅ sepūchheṅ, kyā āp apne āp parJidāūn ke 70 beṭoṅ kī hukūmatzyādā pasand kareṅge yā ek hīshakhs kī? Yād rahe ki maiṅ āp kākhūnī rishtedār hūṅ!” 3Abīmalikke māmuoṅ ne Sikam ke tamāmbāshindoṅ ke sāmne yih bāteṅdohrāīṅ. Sikam ke logoṅ ne sochā,“Abīmalik hamārā bhāī hai” is liewuh us ke pīchhe lag gae. 4Unhoṅne use Bāl‐barīt Dewatā ke mandirse chāṅdī ke 70 sikke bhī de die.In paisoṅ se Abīmalik ne

apne irdgird āwārā aur badmāshādmiyoṅ kā guroh jamā kiyā.5Unheṅ apne sāth le kar wuh Ufrāpahuṅchā jahāṅ bāp kā khāndān

rahtā thā. Wahāṅ us ne apnetamām bhāiyoṅ yānī Jidāūn ke 70beṭoṅ ko ek hī patthar par qatl kardiyā. Sirf Yūtām jo Jidāūn kā sabse chhoṭā beṭā thā kahīṅ chhup karbach niklā. 6Is ke bād Sikam aurBait‐millo ke tamām log us balūtke sāy meṅ jamā hue jo Sikam kesatūn ke pās thā. Wahāṅ unhoṅne Abīmalik ko apnā bādshāhmuqarrar kiyā.

Yūtām kī Abīmalik aurSikam par Lānat

7JabYūtāmko is kī ittalāmilī towuhGarizīm Pahāṛ kī choṭī par chaṛhgayā aur ūṅchī āwāz se chillāyā,“Ai Sikam ke bāshindo, suneṅ merībāt! Suneṅ agar āp chāhte haiṅki Allāh āp kī bhī sune. 8Ek dindarakhtoṅ ne faislā kiyā ki ham parkoī bādshāh honā chāhie. Wuhuse chunane aur masah karne kelie nikle. Pahle unhoṅ ne zaitūnke darakht se bāt kī, ‘Hamārebādshāh ban jāeṅ!’ 9Lekin zaitūnke darakht ne jawāb diyā, ‘Kyāmaiṅ apnā tel paidā karne se bāzāūṅ jis kī Allāh aur insān itnīqadar karte haiṅ tāki darakhtoṅ parhukūmat karūṅ? Hargiz nahīṅ!’

Page 81: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 9:10 75

10Is ke bād darakhtoṅ ne anjīr kedarakht se bāt kī, ‘Āeṅ, hamārebādshāh ban jāeṅ!’ 11Lekin anjīrke darakht ne jawāb diyā, ‘Kyāmaiṅ apnā mīṭhā aur achchhā phallāne se bāz āūṅ tāki darakhtoṅ parhukūmat karūṅ? Hargiz nahīṅ!’12Phir darakhtoṅ ne angūr kī belse bāt kī, ‘Āeṅ, hamāre bādshāhban jāeṅ!’ 13Lekin angūr kī belne jawāb diyā, ‘Kyā maiṅ apnāras paidā karne se bāz āūṅ jisse Allāh aur insān khush ho jātehaiṅ tāki darakhtoṅ par hukūmatkarūṅ? Hargiz nahīṅ!’ 14Ākhirkārdarakht kāṅṭedār jhāṛī ke pās āeaur kahā, ‘Āeṅ aur hamāre bādshāhban jāeṅ!’ 15Kāṅṭedār jhāṛī nejawāb diyā, ‘Agar tum wāqaī mujhemasah karke apnā bādshāh banānāchāhte ho to āo aur mere sāy meṅpanāh lo. Agar tum aisā nahīṅkarnā chāhte to jhāṛī se āg nikal karLubnān ke deodār ke darakhtoṅ kobhasm kar de.’”

16Yūtām ne bāt jārī rakh karkahā, “Ab mujhe batāeṅ, kyā āpne wafādārī aur sachchāī kā izhārkiyā jab āp ne Abīmalik ko apnābādshāh banā liyā? Kyā āp neJidāūn aur us ke khāndān ke sāthachchhā sulūk kiyā? Kyā āp ne

us par shukrguzārī kā wuh izhārkiyā jis ke lāyq wuh thā? 17Merebāp ne āp kī khātir jang kī. Āp koMidiyāniyoṅ sebachāneke lie usneapnī jān khatre meṅ ḍāl dī. 18Lekināj āp Jidāūn ke gharāne ke khilāfuṭh khaṛe hue haiṅ. Āp ne us ke70 beṭoṅ ko ek hī patthar par zabahkarke us kī launḍī ke beṭe Abīmalikko Sikam kā bādshāh banā liyā hai,aur yih sirf is lie ki wuh āp kārishtedār hai. 19Ab suneṅ! Agarāp ne Jidāūn aur us ke khāndānke sāth wafādārī aur sachchāī kāizhār kiyā hai to phir Allāh kareki Abīmalik āp ke lie khushī kābāis ho aur āp us ke lie. 20Lekinagar aisā nahīṅ thā to Allāh kareki Abīmalik se āg nikal kar āp sabko bhasm kar de jo Sikam aur Bait‐millo meṅ rahte haiṅ! Aur āg āpse nikal kar Abīmalik ko bhī bhasmkar de!” 21Yih kah kar Yūtām nebhāg kar bair meṅ panāh lī, kyoṅkiwuh apne bhāī Abīmalik se ḍartāthā.

Sikam ke Bāshinde Abīmalik kekhilāf Ho Jāte Haiṅ

22Abīmalik kī Isrāīl par hukūmattīn sāl tak rahī. 23Lekin phir

Page 82: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

76 Quzāt 9:34

Allāh ne ek burī rūh bhej dī jis neAbīmalik aur Sikam ke bāshindoṅmeṅ nā‐ittafāqī paidā kar dī. Natījemeṅ Sikam ke logoṅ ne baġhāwatkī. 24Yoṅ Allāh ne use is kī sazā dīki us ne apne bhāiyoṅ yānī Jidāūnke 70 beṭoṅ ko qatl kiyā thā. Sikamke bāshindoṅ ko bhī sazā milī,kyoṅki unhoṅ ne is meṅ Abīmalikkī madad kī thī.

25Us waqt Sikam ke log irdgird kīchoṭiyoṅ par chaṛh kar Abīmalik kītāk meṅ baiṭh gae. Jo bhī wahāṅ seguzarā use unhoṅ ne lūṭ liyā. Is bātkī khabar Abīmalik tak pahuṅchgaī.

26Un dinoṅ meṅ ek ādmī apnebhāiyoṅ ke sāth Sikam āyā jis kānām Jāl bin Abad thā. Sikamke logoṅ se us kā achchhā‐khāsātālluq ban gayā, aur wuh us paretibār karne lage. 27Angūr kī fasalpak gaī thī. Log shahr se nikleaur apne bāġhoṅ meṅ angūr toṛkar un se ras nikālne lage. Phirunhoṅ ne apne dewatā ke mandirmeṅ jashn manāyā. Jab wuh khūbkhā‐pī rahe the to Abīmalik parlānat karne lage. 28Jāl bin Abad nekahā, “Sikam kā Abīmalik ke sāthkyā wāstā ki ham us ke tābe raheṅ?Wuh to sirf Yarubbāl kā beṭā hai,

jis kā numāindā Zabūl hai. Us kīkhidmat mat karnā balki Sikam kebānī Hamor ke logoṅ kī! HamAbīmalik kī khidmat kyoṅ kareṅ?29Kāsh shahr kā intazāmmere hāthmeṅ hotā! Phir maiṅ Abīmalik kojald hī nikāl detā. Maiṅ use chaileṅjdetā ki āo, apne faujiyoṅ ko jamākarke ham se laṛo!”

Abīmalik Sikam se Laṛtā Hai30Jāl bin Abad kī bāt sun kar Sikamkā sardār Zabūl baṛe ġhusse meṅā gayā. 31Apne qāsidoṅ kī mārifatus ne Abīmalik ko chupke se ittalādī, “Jāl bin Abad apne bhāiyoṅ kesāth Sikam ā gayā hai jahāṅ wuhpūre shahr ko āp ke khilāf khaṛe hojāne ke lie uksā rahā hai. 32Ab aisākareṅ ki rāt ke waqt apne faujiyoṅsamet idhar āeṅ aur khetoṅ meṅtāk meṅ raheṅ. 33Subah‐sawerejab sūraj tulū hogā to shahr parhamlā kareṅ. Jab Jāl apne ādmiyoṅke sāth āp ke khilāf laṛne āegā tous ke sāth wuh kuchh kareṅ joāp munāsib samajhte haiṅ.” 34Yihsun kar Abīmalik rāt ke waqt apnefaujiyoṅ samet rawānā huā. Us neunheṅ chār gurohoṅ meṅ taqsīm

Page 83: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 9:35 77

kiyā jo Sikam ko gher kar tāk meṅbaiṭh gae.

35Subah ke waqt jab Jāl gharse nikal kar shahr ke darwāzemeṅ khaṛā huā to Abīmalik aur uske faujī apnī chhupne kī jaghoṅse nikal āe. 36Unheṅ dekh karJāl ne Zabūl se kahā, “Dekho,log pahāṛoṅ kī choṭiyoṅ se utarrahe haiṅ!” Zabūl ne jawāb diyā,“Nahīṅ, nahīṅ, jo āp ko ādmī lagrahe haiṅ wuh sirf pahāṛoṅ ke sāyhaiṅ.” 37Lekin Jāl ko tasallī na huī.Wuh dubārā bol uṭhā, “Dekho, logduniyā kī nāfa se utar rahe haiṅ.Aur ek aur guroh rammāloṅ kebalūt se ho kar ā rahā hai.” 38PhirZabūl ne us se kahā, “Ab terī baṛībaṛī bāteṅ kahāṅ rahīṅ? Kyā tū nenahīṅ kahā thā, ‘Abīmalik kaun haiki hamus ke tābe raheṅ?’ Ab yih logā gae haiṅ jin kāmazāq tū ne uṛāyā.Jā, shahr se nikal kar un se laṛ!”

39Tab Jāl Sikam ke mardoṅ kesāth shahr se niklā aur Abīmalikse laṛne lagā. 40Lekin wuh hārgayā, aur Abīmalik ne shahr kedarwāze tak us kā tāqqub kiyā.Bhāgte bhāgte Sikam ke bahut‐seafrād rāste meṅ gir kar halāk ho

gae. 41Phir Abīmalik arūmā chalāgayā jabki Zabūl ne pīchhe rah karJāl aur us ke bhāiyoṅ ko shahr senikāl diyā.

42Agle din Sikam ke log shahr senikal kar maidān meṅ ānā chāhtethe. Jab Abīmalik ko yih khabarmilī 43‐44to us ne apnī fauj ko tīngurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. Yihguroh dubārā Sikam ko gher karghāt meṅ baiṭh gae. Jab log shahrse nikle to Abīmalik apne guroh kesāth chhupne kī jagah se nikal āyāaur shahr kedarwāzemeṅkhaṛāhogayā. Bāqī do guroh maidān meṅmaujūd afrād par ṭūṭ paṛe aur sabko halāk kar diyā. 45Phir Abīmalikne shahr par hamlā kiyā. Logpūrā din laṛte rahe, lekin ākhirkārAbīmalik ne shahr par qabzā karketamām bāshindoṅ ko maut ke ghāṭutār diyā. Us ne shahr ko tabāh kiyāaur khanḍarāt par namak bikherkar us kī hatmī tabāhī zāhir kar dī.

46Jab Sikam ke burj ke rahnewāloṅ ko yih ittalā milī to wuhEl‐barīt Dewatā ke mandir ketahkhāne meṅ chhup gae. 47JabAbīmalik ko patā chalā 48to wuhapne faujiyoṅ samet Zalmon Pahāṛ

aMatlab ġhāliban Koh‐e‐Garizīm hai.

Page 84: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

78 Quzāt 10:4

par chaṛh gayā. Wahāṅ us nekulhāṛī se shākh kāṭ kar apnekandhoṅ par rakh lī aur apnefaujiyoṅ ko hukm diyā, “Jaldī karo!Sab aisā hī karo.” 49Faujiyoṅ ne bhīshākheṅ kāṭīṅ aur phir Abīmalik kepīchhe lag karmandir ke pāswāpasāe. Wahāṅ unhoṅ ne tamām lakaṛītahkhāne kī chhat par jamā karkeuse jalā diyā. Yoṅ Sikam ke burjke taqrīban 1,000 mard‐o‐khawātīnsab bhasm ho gae.

Abīmalik kī Maut50Wahāṅ se Abīmalik Taibiz kekhilāf baṛh gayā. Us ne shahr kāmuhāsarā karke us par qabzā karliyā. 51Lekin shahr ke bīch meṅek mazbūt burj thā. Tamām mard‐o‐khawātīn us meṅ farār hue aurburj ke darwāzoṅ par kunḍī lagākar chhat par chaṛh gae.

52Abīmalik laṛte laṛte burj kedarwāze ke qarīb pahuṅch gayā.Wuh use jalāne kī koshish karnelagā 53to ek aurat ne chakkī kā ūparkā pāṭ us ke sar par phaiṅk diyā,aur us kī khopaṛī phaṭ gaī. 54Jaldīse Abīmalik ne apne silāhbardār kobulāyā. Us ne kahā, “Apnī talwārkhīṅch kar mujhe mār do! Warnā

log kaheṅge ki ek aurat ne mujhemār ḍālā.” Chunāṅche naujawānne apnī talwār us ke badan meṅ seguzār dī aur wuh mar gayā. 55Jabfaujiyoṅ ne dekhā ki Abīmalik margayā hai to wuh apne apne gharchale gae.

56Yoṅ Allāh ne Abīmalik ko usbadī kā badlā diyā jo us ne apne70 bhāiyoṅ ko qatl karke apne bāpke khilāf kī thī. 57Aur Allāh neSikam ke bāshindoṅ ko bhī un kīsharīr harkatoṅ kīmunāsib sazā dī.Yūtām bin Yarubbāl kī lānat pūrīhuī.

Tolā aur Yāīr

10 Abīmalik kī maut ke bādTolā bin Fuwwā bin Dodo

Isrāīl ko bachāne ke lie uṭhā. WuhIshkār ke qabīle se thā aur Ifrāīmke pahāṛī ilāqe ke shahr Samīrmeṅrihāishpazīr thā. 2Tolā 23 sāl Isrāīlkā qāzī rahā. Phir wuh faut huā aurSamīr meṅ dafnāyā gayā.

3Us ke bād Jiliyād kā rahne wālāYāīr qāzī ban gayā. Us ne 22 sālIsrāīl kī rāhnumāī kī. 4Yāīr ke30 beṭe the. Har beṭe kā ek ekgadhā aur Jiliyād meṅ ek ek ābādīthī. Āj tak in kā nām ‘Hawwot‐yāīr’

Page 85: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 10:5 79

yānī Yāīr kī Bastiyāṅ hai. 5Jab Yāīrintaqāl kar gayā to use Qāmonmeṅdafnāyā gayā.

Isrāīl Dubārā Rab se DūrHo Jātā Hai

6Yāīr kī maut ke bād Isrāīlī dubārāaisī harkateṅ karne lage jo Rabko burī lagīṅ. Wuh kaī dewatāoṅke pīchhe lag gae jin meṅ BālDewatā, Astārāt Dewī aur Shām,Saidā, Moāb, Ammoniyoṅ aurFilistiyoṅ ke dewatā shāmil the.Yoṅ wuh Rab kī parastish aurkhidmat karne se bāz āe. 7Tabus kāġhazab un par nāzil huā, aur us neunheṅ Filistiyoṅ aur Ammoniyoṅke hawāle kar diyā. 8Usī sāl kedaurān in qaumoṅ ne Jiliyād meṅIsrāīliyoṅ ke us ilāqe par qabzā kiyājis meṅ purāne zamānemeṅ Amorīābād the aur jo Dariyā‐e‐Yardanke mashriq meṅ thā. Filistī aurAmmonī 18 sāl tak Isrāīliyoṅ kokuchalte aur dabāte rahe. 9Na sirfyih balki Ammoniyoṅ ne Dariyā‐e‐Yardan ko pār karke Yahūdāh,Binyamīn aur Ifrāīm ke qabīloṅ parbhī hamlā kiyā.Jab Isrāīlī baṛī musībat meṅ the

10to ākhirkār unhoṅ ne madad ke

lie Rab ko pukārā aur iqrār kiyā,“Ham ne terā gunāh kiyā hai. ApneKhudā ko tark karke ham ne Bālke butoṅ kī pūjā kī hai.” 11Rabne jawāb meṅ kahā, “Jab Misrī,Amorī, Ammonī, Filistī, 12Saidānī,Amālīqī aur Māonī tum par zulmkarte the aur tum madad ke liemujhe pukārne lage to kyā maiṅne tumheṅ na bachāyā? 13Is kebāwujūd tum bār bār mujhe tarkkarke dīgar mābūdoṅ kī pūjā karterahe ho. Is lie ab se maiṅ tumhārīmadad nahīṅ karūṅga. 14Jāo,un dewatāoṅ ke sāmne chīkhte‐chillāte raho jinheṅ tum ne chunliyā hai! Wuhī tumheṅ musībat senikāleṅ.”

15Lekin Isrāīliyoṅ ne Rab sefariyād kī, “Ham se ġhaltī huī hai.Jo kuchh bhī tū munāsib samajhtāhai wuh hamāre sāth kar. Lekin tūhī hameṅ āj bachā.” 16Wuh ajnabīmābūdoṅ ko apne bīch meṅ senikāl kar Rab kī dubārā khidmatkarne lage. Tab wuh Isrāīl kā dukhbardāsht na kar sakā.

Iftāh Qāzī Ban Jātā Hai17Un dinoṅ meṅ Ammonī apnefaujiyoṅ ko jamā karke Jiliyād meṅ

Page 86: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

80 Quzāt 11:13

khaimāzan hue. Jawāb meṅ Isrāīlībhī jamā hue aur Misfāh meṅapne khaime lagāe. 18Jiliyād kerāhnumāoṅ ne elān kiyā, “Hameṅaise ādmī kī zarūrat hai jo hamāreāge chal karAmmoniyoṅparhamlākare. Jo koī aisā kare wuh Jiliyādke tamām bāshindoṅ kā sardārbanegā.”

11 Us waqt Jiliyād meṅ ekzabardast sūrmā banām

Iftāh thā. Bāp kā nām Jiliyād thājabki māṅ kasbī thī. 2Lekin bāp kībīwī ke beṭe bhī the. Jab bāliġh hueto unhoṅ ne Iftāh se kahā, “Hammīrās tere sāth nahīṅ bāṅṭeṅge,kyoṅki tū hamārā sagā bhāī nahīṅhai.” Unhoṅ ne use bhagā diyā,3aur wuh wahāṅ se hijrat karkeMulk‐e‐Tob meṅ jā basā. Wahāṅkuchh āwārā log us ke pīchhe ho liejo us ke sāth idhar‐udhar ghūmte‐phirte rahe.

4Jab kuchh der ke bād Ammonīfauj Isrāīl se laṛne āī 5to Jiliyādke buzurg Iftāh ko wāpas lāne kelie Mulk‐e‐Tob meṅ āe. 6Unhoṅne guzārish kī, “Āeṅ, Ammoniyoṅse laṛne meṅ hamārī rāhnumāīkareṅ.” 7Lekin Iftāh ne etarāz kiyā,“Āp is waqt mere pās kyoṅ āe haiṅjab musībat meṅ haiṅ? Āp hī ne

mujh se nafrat karke mujhe bāp keghar se nikāl diyā thā.”

8Buzurgoṅ ne jawāb diyā, “Hamis lie āp ke pās wāpas āe haiṅ kiāp Ammoniyoṅ ke sāth jang meṅhamārī madad kareṅ. Agar āp aisākareṅ to ham āp ko pūre Jiliyādkā hukmrān banā leṅge.” 9Iftāhne pūchhā, “Agar maiṅ āp ke sāthAmmoniyoṅ ke khilāf laṛūṅ aurRabmujhe unpar fatah de to kyā āpwāqaī mujhe apnā hukmrān banāleṅge?” 10Unhoṅ ne jawāb diyā,“Rab hamārā gawāh hai! Wuhīhameṅ sazā de agar hamapnāwādāpūrā na kareṅ.”

11Yih sun kar Iftāh Jiliyād kebuzurgoṅ ke sāth Misfāh gayā.Wahāṅ logoṅ ne use apnā sardāraur fauj kā kamānḍar banā liyā.Misfāh meṅ us ne Rab ke huzūrwuh tamām bāteṅ dohrāīṅ jin kāfaislā us ne buzurgoṅ ke sāth kiyāthā.

Jang se Gurez Karne kī Koshish12Phir Iftāh ne Ammonī bādshāhke pās apne qāsidoṅ ko bhej karpūchhā, “Hamārā āp se kyā wāstāki āp ham se laṛne āe haiṅ?”13Bādshāh ne jawāb diyā, “Jab

Page 87: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 11:14 81

Isrāīlī Misr se nikle to unhoṅ neArnon, Yabboq aur Yardan kedariyāoṅ ke darmiyān kā ilāqāmujh se chhīn liyā. Ab use jhagaṛākie baġhair mujhe wāpas kar do.”

14Phir Iftāh ne apne qāsidoṅ kodubārā Ammonī bādshāh ke pāsbhej kar 15kahā, “Isrāīl ne na toMoābiyoṅ se aur na Ammoniyoṅ sezamīn chhīnī. 16Haqīqat yih haiki jab hamārī qaum Misr se niklīto wuh registān meṅ se guzar karBahr‐e‐Qulzum aur wahāṅ se hokar Qādis pahuṅch gaī. 17Qādisse unhoṅ ne Adom ke bādshāhke pās qāsid bhej kar guzārish kī,‘Hameṅ apnemulkmeṅ se guzarnedeṅ.’ Lekin us ne inkār kiyā. PhirIsrāīliyoṅ ne Moāb ke bādshāh sedarkhāst kī, lekin us ne bhī apnemulkmeṅ se guzarne kī ijāzat na dī.Is par hamārī qaum kuchh der kelie Qādismeṅ rahī. 18Ākhirkār wuhregistān meṅ wāpas jā kar Adomaur Moāb ke junūb meṅ chaltechalteMoāb kemashriqī kināre parpahuṅchī, wahāṅ jahāṅ Dariyā‐e‐Arnon us kī sarhad hai. Lekinwuh Moāb ke ilāqe meṅ dākhilna hue balki dariyā ke mashriqmeṅ khaimāzan hue. 19Wahāṅ seIsrāīliyoṅ ne Hasbon ke rahne wāle

Amorī bādshāh Sīhon ko paiġhāmbhijwāyā, ‘Hameṅ apne mulk meṅse guzarne deṅ tāki ham apnemulkmeṅ dākhil ho sakeṅ.’ 20LekinSīhonko shakhuā. Use yaqīnnahīṅthā ki wuh mulk meṅ se guzar karāge baṛheṅge. Us ne na sirf inkārkiyā balki apne faujiyoṅ ko jamākarke Yahaz Shahrmeṅ khaimāzanhuā aur Isrāīliyoṅ ke sāth laṛnelagā.

21Lekin Rab Isrāīl ke Khudā neSīhon aur us ke tamām faujiyoṅ koIsrāīl ke hawāle kar diyā. Unhoṅ neunheṅ shikast de kar Amoriyoṅ kepūre mulk par qabzā kar liyā. 22Yihtamām ilāqā junūb meṅ Dariyā‐e‐Arnon se le kar shimāl meṅDariyā‐e‐Yabboq tak aur mashriqke registān se le kar maġhrib meṅDariyā‐e‐Yardan tak hamāre qabzemeṅ ā gayā. 23Dekheṅ, Rab Isrāīlke Khudā ne apnī qaum ke āge āgeAmoriyoṅ ko nikāl diyā hai. To phirāp kā is mulk par qabzā karne kākyā haq hai? 24Āp bhī samajhtehaiṅ ki jise āp ke dewatā Kamosne āp ke āge se nikāl diyā hai uske mulk par qabzā karne kā āp kāhaq hai. Isī tarah jise Rab hamāreKhudānehamāre āge āgenikāl diyāhai us ke mulk par qabzā karne kā

Page 88: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

82 Quzāt 11:36

haq hamārā hai. 25Kyā āp apneāp ko Moābī bādshāh Balaq binSafor se behtar samajhte haiṅ? Usne to Isrāīl se laṛne balki jhagaṛnetak kī himmat na kī. 26Ab Isrāīlī300 sāl se Hasbon aur Aroīr keshahroṅ meṅ un ke gird‐o‐nawāhkī ābādiyoṅ samet ābād haiṅ aurisī tarah Dariyā‐e‐Arnon ke kinārepar ke shahroṅ meṅ. Āp ne isdaurān in jaghoṅ par qabzā kyoṅna kiyā? 27Chunāṅche maiṅ ne āpse ġhalat sulūk nahīṅ kiyā balki āphī mere sāth ġhalat sulūk kar rahehaiṅ. Kyoṅki mujh se jang chheṛnāġhalat hai. Rab jo munsif hai wuhīāj Isrāīl aur Ammon ke jhagaṛe kāfaislā kare!”

28Lekin Ammonī bādshāh neIftāhkepaiġhāmpardhyānnadiyā.

Iftāh kī Fatah29Phir Rab kā Rūh Iftāh par nāzilhuā, aur wuh Jiliyād aur Manassīmeṅ se guzar gayā, phir Jiliyād keMisfāh ke pās wāpas āyā. Wahāṅ sewuh apnī fauj le kar Ammoniyoṅ selaṛne niklā.

30Pahle us ne Rab ke sāmneqasam khāī, “Agar tū mujheAmmoniyoṅ par fatah de 31aur

maiṅ sahīh‐salāmat lauṭūṅ to jokuchh bhī pahle mere ghar kedarwāze se nikal kar mujh se milewuh tere lie makhsūs kiyā jāegā.Maiṅ use bhasm hone wālī qurbānīke taur par pesh karūṅga.”

32Phir Iftāh Ammoniyoṅ se laṛnegayā, aur Rab ne use un par fatahdī. 33Iftāh ne Aroīr meṅ dushmanko shikast dī aur isī tarah Minnītaur Abīl‐karāmīm tak mazīd bīsshahroṅ par qabzā kar liyā. YoṅIsrāīl ne Ammon ko zer kar diyā.

Iftāh kīWāpasī34Is ke bād Iftāh Misfāh wāpaschalā gayā. Wuh abhī ghar ke qarībthā ki us kī iklautī beṭī daf bajātī aurnāchtī huī ghar se nikal āī. Iftāhkā koī aur beṭā yā beṭī nahīṅ thī.35Apnī beṭī ko dekh kar wuh ranjke māre apne kapṛe phāṛ kar chīkhuṭhā, “Hāy merī beṭī! Tū ne mujhekhāk meṅ dabā kar tabāh kar diyāhai, kyoṅki maiṅ ne Rab ke sāmneaisī qasamkhāī hai jo badlī nahīṅ jāsaktī.”

36Beṭī ne kahā, “Abbū, āp neqasam khā kar Rab se wādā kiyāhai, is lie lāzim hai ki mere sāthwuh kuchh kareṅ jis kī qasam

Page 89: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 11:37 83

āp ne khāī hai. Ākhir usī neāp ko dushman se badlā lene kīkāmyābī bakhsh dī hai. 37Lekinmerī ek guzārish hai. Mujhe domāh kī muhlat deṅ tāki maiṅ apnīsaheliyoṅ ke sāth pahāṛoṅ meṅ jākar apnī ġhairshādīshudā hālat parmātam karūṅ.”

38Iftāh ne ijāzat dī. Phir beṭī domāh ke lie apnī saheliyoṅ ke sāthpahāṛoṅ meṅ chalī gaī aur apnīġhairshādīshudā hālat par mātamkiyā. 39Phir wuh apne bāp kepās wāpas āī, aur us ne apnīqasam kā wādā pūrā kiyā. Beṭīġhairshādīshudā thī.Us waqt se Isrāīl meṅ dastūr

rāyj hai 40ki Isrāīl kī jawān aurateṅsālānā chār din ke lie apne gharoṅse nikal kar Iftāh kī beṭī kī yād meṅjashn manātī haiṅ.

Ifrāīm kā Qabīlā Iftāh parHamlā Kartā Hai

12 Ammoniyoṅ par fatah kebād Ifrāīm ke qabīle ke

ādmī jamāhue aurDariyā‐e‐Yardanko pār karke Iftāh ke pās āe joSafon meṅ thā. Unhoṅ ne shikāyatkī, “Āp kyoṅ hameṅ bulāe baġhair

Ammoniyoṅ se laṛne gae. Ab hamāp ko āp ke ghar samet jalā deṅge!”

2Iftāh ne etarāz kiyā, “Jab merīaur merī qaum kā Ammoniyoṅ kesāth sakht jhagaṛā chhiṛ gayā tomaiṅ ne āp ko bulāyā, lekin āp nemujhe un ke hāth se na bachāyā.3Jab maiṅ ne dekhā ki āp madadnahīṅ kareṅge to apnī jān khatremeṅ ḍāl kar āp ke baġhair hīAmmoniyoṅ se laṛne gayā. Aur Rabne mujhe un par fatah bakhshī. Abmujhe batāeṅ ki āp kyoṅ mere pāsā kar mujh par hamlā karnā chāhtehaiṅ?”

4Ifrāīmiyoṅ ne jawāb diyā, “Tumjo Jiliyād meṅ rahte ho bas Ifrāīmaur Manassī ke qabīloṅ se niklehue bhagoṛe ho.” Tab Iftāh neJiliyād ke mardoṅ ko jamā kiyā aurIfrāīmiyoṅ se laṛ kar unheṅ shikastdī.

5Phir Jiliyādiyoṅ ne Dariyā‐e‐Yardan ke kam‐gahre maqāmoṅpar qabzā kar liyā. Jab koī guzarnāchāhtā to wuh pūchhte, “Kyā āpIfrāīmī haiṅ?” Agar wuh inkārkartā 6to Jiliyād ke mard kahte,“To phir lafz ‘shibbolet’a boleṅ.”Agar wuh Ifrāīmī hotā to is ke bajāe

aYānī nadī.

Page 90: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

84 Quzāt 13:6

“sibbolet” kahtā. Phir Jiliyādī usepakaṛ karwahīṅmār ḍālte. Uswaqtkul 42,000 Ifrāīmī halāk hue.

7Iftāh ne chhih sāl Isrāīl kīrāhnumāī kī. Jab faut huā to useJiliyād ke kisī shahr meṅ dafnāyāgayā.

Ibzān, Ailon aur Abdon8Iftāh ke bād Ibzān Isrāīl kā qāzībanā. Wuh Bait‐laham meṅ ābādthā, 9aur us ke 30 beṭe aur 30beṭiyāṅ thīṅ. Us kī tamām beṭiyāṅshādīshudā thīṅ aur is wajah sebāp ke ghar meṅ nahīṅ rahtī thīṅ.Lekin use 30 beṭoṅ ke lie bīwiyāṅmil gaī thīṅ, aur sab us ke gharmeṅ rahte the. Ibzān ne sāt sālke daurān Isrāīl kī rāhnumāī kī.10Phir wuh intaqāl kar gayā aurBait‐lahammeṅ dafnāyā gayā.

11Us ke bādAilon qāzī banā. WuhZabūlūn ke qabīle se thā aur 10 sālke daurān Isrāīl kī rāhnumāī kartārahā. 12Jab wuh kūch kar gayā touse Zabūlūn ke Aiyālon meṅ dafnkiyā gayā.

13Phir Abdon bin Hillel qāzībanā. Wuh shahr Fir’āton kā thā.14Us ke 40 beṭe aur 30 pote the jo70 gadhoṅ par safr kiyā karte the.

Abdon ne āṭh sāl ke daurān Isrāīlkī rāhnumāī kī. 15Phir wuh bhī jāṅbahaq ho gayā, aur use Amālīqiyoṅke pahāṛī ilāqe ke shahr Fir’ātonmeṅ dafnāyā gayā, jo us waqtIfrāīm kā hissā thā.

Samsūn kī Paidāish kī Peshgoī

13 Phir Isrāīlī dubārā aisīharkateṅ karne lage jo Rab

ko burī lagīṅ. Is lie us ne unheṅFilistiyoṅ ke hawāle kar diyā jounheṅ 40 sāl dabāte rahe. 2Us waqtek ādmī Sur’ā Shahr meṅ rahtā thājis kā nām Manohā thā. Dān keqabīle kā yih ādmī beaulād thā,kyoṅki us kī bīwī bāṅjh thī.

3Ek din Rab kā farishtā Manohākī bīwī par zāhir huā aur kahā,“Go tujh se bachche paidā nahīṅho sakte, ab tū hāmilā hogī, aurtere beṭā paidā hogā. 4Mai yā koīaur nashā‐āwar chīz mat pīnā, nakoī nāpāk chīz khānā. 5Kyoṅki jobeṭā paidā hogā wuh paidāish se hīAllāh ke lie makhsūs hogā. Lāzimhai ki us ke bāl kabhī na kāṭe jāeṅ.Yihī bachchā Isrāīl ko Filistiyoṅ sebachāne lagegā.”

6Bīwī apne shauhar Manohā kepās gaī aur use sab kuchh batāyā,

Page 91: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 13:7 85

“Allāh kā ek bandā mere pās āyā.Wuh Allāh kā farishtā lag rahā thā,yahāṅ tak kimaiṅ sakht ghabrā gaī.Maiṅ ne us se na pūchhā ki wuhkahāṅ se hai, aur khud us nemujheapnā nām na batāyā. 7Lekin us nemujhe batāyā, ‘Tū hāmilā hogī, aurtere beṭā paidā hogā. Ab mai yā koīaur nashā‐āwar chīz mat pīnā, nakoī nāpāk chīz khānā. Kyoṅki beṭāpaidāish se hī maut tak Allāh ke liemakhsūs hogā.’”

8Yih sun kar Manohā ne Rabse duā kī, “Ai Rab, barāh‐e‐karmmard‐e‐Khudā ko dubārā hamārepās bhej tāki wuh hameṅ sikhāe kiham us beṭe ke sāth kyā kareṅ jopaidā hone wālā hai.” 9Allāh ne uskī sunī aur apne farishte ko dubārāus kī bīwī ke pās bhej diyā. Uswaqt wuh shauhar ke baġhair khetmeṅ thī. 10Farishte ko dekh karwuh jaldī se Manohā ke pās āī auruse ittalā dī, “Jo ādmīpichhle dinoṅmeṅ mere pās āyā wuh dubārāmujh par zāhir huā hai!”

11Manohā uṭh kar apnī bīwī kepīchhe pīchhe farishte ke pās āyā.Us ne pūchhā, “Kyā āp wuhī ādmīhaiṅ jis ne pichhle dinoṅmeṅmerībīwī se bāt kī thī?” Farishte nejawāb diyā, “Jī, maiṅ hī thā.” 12Phir

Manohā ne sawāl kiyā, “Jab āp kīpeshgoī pūrī ho jāegī to hameṅbeṭeke tarz‐e‐zindagī aur sulūk ke silsilemeṅ kin kin bātoṅ kā khayāl karnāhai?”

13Rab ke farishte ne jawāb diyā,“Lāzim hai ki terī bīwī un tamāmchīzoṅ se parhez kare jin kā zikrmaiṅ ne kiyā. 14Wuh angūr kī koībhī paidāwār na khāe. Na wuhmai, na koī aur nashā‐āwar chīzpie. Nāpāk chīzeṅ khānā bhī manāhai. Wuhmerī harhidāyat par amalkare.”

15Manohā ne Rab ke farishte seguzārish kī, “Mehrbānī karke thoṛīder hamāre pās ṭhahreṅ tāki hambakrī kā bachchā zabah karke āpke lie khānā taiyār kar sakeṅ.”16Ab tak Manohā ne yih bāt nahīṅpahchānī thī ki mehmān asal meṅRab kā farishtā hai. Farishte nejawāb diyā, “Khāh tū mujhe rokebhī maiṅ kuchh nahīṅ khāūṅgā.Lekin agar tū kuchh karnā chāheto bakrī kā bachchā Rab ko bhasmhone wālī qurbānī ke taur par peshkar.”

17Manohā ne us se pūchhā, “Āpkā kyā nām hai? Kyoṅki jab āpkī yih bāteṅ pūrī ho jāeṅgī toham āp kī izzat karnā chāheṅge.”

Page 92: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

86 Quzāt 14:6

18Farishte ne sawāl kiyā, “Tū merānām kyoṅ jānanā chāhtā hai? Wuhto terī samajh se bāhar hai.” 19PhirManohā ne ek baṛe patthar par Rabko bakrī kā bachchā aur ġhallā kīnazar pesh kī. Tab Rab ne Manohāaur us kī bīwī ke dekhte dekhte ekhairatangez kām kiyā. 20Jab āg keshole āsmān kī taraf buland hue toRab kā farishtā shole meṅ se ūparchaṛh kar ojhal ho gayā. Manohāaur us kī bīwī muṅh ke bal gir gae.

21Jab Rab kā farishtā dubārāManohā aur us kī bīwī par zāhirna huā to Manohā ko samajh āīki Rab kā farishtā hī thā. 22Wuhpukār uṭhā, “Hāy, hammar jāeṅge,kyoṅki hamneAllāh ko dekhā hai!”23Lekin us kī bīwī ne etarāz kiyā,“Agar Rab hameṅmār ḍālnā chāhtāto wuh hamārī qurbānī qabūl nakartā. Phir na wuh ham par yih sabkuchh zāhir kartā, na hameṅ aisībāteṅ batātā.”

24Kuchh der ke bād Manohā kehāṅ beṭā paidā huā. Bīwī ne uskā nām Samsūn rakhā. Bachchābaṛā hotā gayā, aur Rab ne usebarkat dī. 25Allāh kā Rūh pahlī bārMahane‐dān meṅ jo Sur’ā aur Istālke darmiyān hai us par nāzil huā.

Samsūn kī Filistī Aurat se Shādī

14 Ek din Samsūn Timnatmeṅ Filistiyoṅ ke pās

ṭhahrā huā thā. Wahāṅ us ne ekFilistī aurat dekhī jo use pasandāī. 2Apne ghar lauṭ kar us ne apnewālidain ko batāyā, “Mujhe Timnatkī ek Filistī aurat pasand āī hai.Us ke sāth merā rishtā bāndhne kīkoshish kareṅ.” 3Us ke wālidain nejawāb diyā, “Kyā āp ke rishtedāroṅaur qaum meṅ koī qābil‐e‐qabūlaurat nahīṅ hai? Āp ko nāmakhtūnaur bedīn Filistiyoṅ ke pās jā karun meṅ se koī aurat ḍhūṅḍne kīkyā zarūrat thī?” Lekin Samsūnbazid rahā, “Usī ke sāth merī shādīkarāeṅ! Wuhī mujhe ṭhīk lagtī hai.”

4Us ke māṅ‐bāp ko mālūm nahīṅthā ki yih sab kuchh Rab kī taraf sehai jo Filistiyoṅ se laṛne kā mauqātalāsh kar rahā thā. Kyoṅki us waqtFilistī Isrāīl par hukūmat kar rahethe.

5Chunāṅche Samsūn apne māṅ‐bāp samet Timnat ke lie rawānāhuā. Jab wuh Timnat ke angūrke bāġhoṅ ke qarīb pahuṅche toSamsūn apne māṅ‐bāp se alag hogayā. Achānak ek jawān sherbabardahāṛtā huā us par ṭūṭ paṛā. 6Tab

Page 93: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 14:7 87

Allāh kāRūh itne zor se Samsūnparnāzil huā ki us ne apne hāthoṅ sesher ko yoṅ phāṛ ḍālā, jis tarah āmādmī bakrī ke chhoṭe bachche kophāṛ ḍāltā hai. Lekin us ne apnewālidain ko is ke bāre meṅ kuchhna batāyā. 7Āge nikal kar wuhTimnat pahuṅch gayā. MazkūrāFilistī aurat se bāt huī aur wuh useṭhīk lagī.

8Kuchh der ke bād wuh shādīkarne ke lie dubārā Timnat gae.Shahr pahuṅchne se pahle Samsūnrāste se haṭ kar sherbabar kī lāshko dekhne gayā. Wahāṅ kyā dekhtāhai ki shahd kī makkhiyoṅ ne sherke pinjar meṅ apnā chhattā banāliyā hai. 9Samsūn ne us meṅ hāthḍāl kar shahd ko nikāl liyā aur usekhāte hue chalā. Jab wuh apnemāṅ‐bāp ke pās pahuṅchā to us neunheṅ bhī kuchh diyā, magar yihna batāyā ki kahāṅ se mil gayā hai.

10Timnat pahuṅch kar Samsūnkā bāp dulhan ke khāndān se milājabki Samsūn ne dūlhe kī haisiyatse aisī ziyāfat kī jis tarah us zamānemeṅ dastūr thā.

Filistī Samsūn ko DhokāDete Haiṅ

11Jab dulhan ke ghar wāloṅ ko patāchalā ki Samsūn Timnat pahuṅchgayā hai to unhoṅ ne us ke pās 30jawān ādmī bhej die ki us ke sāthkhushīmanāeṅ. 12Samsūnne un sekahā, “Maiṅ āp se pahelī pūchhtāhūṅ. Agar āp ziyāfat ke sāt dinoṅ kedaurān is kā hal batā sakeṅ to maiṅāp ko katān ke 30 qīmtī kurte aur 30shāndār sūṭ de dūṅgā. 13Lekin agarāpmujhe is kā sahīhmatlab na batāsakeṅ to āp komujhe 30 qīmtī kurteaur 30 shāndār sūṭ dene paṛeṅge.”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Apnī pahelīsunāeṅ.”

14Samsūn ne kahā, “Khāne wālemeṅ se khānā niklā aur zorāwarmeṅ se miṭhās.”Tīn din guzar gae. Jawān pahelī

kā matlab na batā sake. 15Chauthedin unhoṅ ne dulhan ke pās jā karuse dhamkī dī, “Apne shauhar kohameṅ pahelī kā matlab batānepar uksāo, warnā ham tumheṅtumhāre khāndān samet jalādeṅge. Kyā tum logoṅ ne hameṅsirf is lie dāwat dī ki hameṅ lūṭ lo?”

16Dulhan Samsūn ke pās gaī aurāṅsū bahā bahā kar kahne lagī, “Tū

Page 94: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

88 Quzāt 15:5

mujhe pyār nahīṅ kartā! Haqīqatmeṅ tūmujh se nafrat kartā hai. Tūne merī qaum ke logoṅ se pahelīpūchhī hai lekinmujhe is kāmatlabnahīṅ batāyā.” Samsūn ne jawābdiyā, “Maiṅ ne apne māṅ‐bāp kobhī is kā matlab nahīṅ batāyā totujhe kyoṅ batāūṅ?” 17Ziyāfat kepūre hafte ke daurān dulhan us kesāmne rotī rahī.Sātweṅ din Samsūn dulhan kī

iltijāoṅ se itnā tang ā gayā ki usne use pahelī kā hal batā diyā.Tab dulhan ne phurtī se sab kuchhFilistiyoṅ ko sunā diyā. 18Sūraj keġhurūb hone se pahle pahle shahrke mardoṅ ne Samsūn ko pahelī kāmatlab batāyā, “Kyā koī chīz shahdse zyādā mīṭhī aur sherbabar sezyādā zorāwar hotī hai?” Samsūnne yih sun kar kahā, “Āp ne merījawān gāy le kar hal chalāyā hai,warnā āp kabhī bhī pahelī kā halna nikāl sakte.” 19Phir Rab kā Rūhus par nāzil huā. Us ne AskqalūnShahr meṅ jā kar 30 Filistiyoṅ komār ḍālā aur un ke libās le kar unādmiyoṅ ko de die jinhoṅ ne usepahelī kā matlab batā diyā thā.Is ke bād wuh baṛe ġhusse meṅ

apne māṅ‐bāp ke ghar chalā gayā.20Lekin us kī bīwī kī shādī Samsūn

ke shahbāle se karāī gaī jo 30 jawānFilistiyoṅ meṅ se ek thā.

Samsūn Filistiyoṅ seBadlā Letā Hai

15 Kuchh din guzar gae. Jabgandum kī kaṭāī hone lagī

to Samsūn bakrī kā bachchā apnesāth le kar apnī bīwī se milne gayā.Susar ke ghar pahuṅch kar us nebīwī ke kamremeṅ jāne kī darkhāstkī. Lekin bāp ne inkār kiyā. 2Us nekahā, “Yih nahīṅ ho saktā! Maiṅ nebeṭī kī shādī āp ke shahbāle se karādī hai. Asal meṅ mujhe yaqīn hogayā thā ki ab āp us se sakht nafratkarte haiṅ. Lekin koī bāt nahīṅ. Uskī chhoṭī bahan se shādī kar leṅ.Wuh zyādā khūbsūrat hai.”

3Samsūn bolā, “Is dafā maiṅFilistiyoṅ se khūb badlā lūṅgā, aurkoī nahīṅ kah sakegā ki maiṅ haqpar nahīṅ hūṅ.” 4Wahāṅ se nikalkar us ne 300 lomṛiyoṅ ko pakaṛliyā. Do do kī dumoṅ ko bāndh karus ne har joṛe kī dumoṅ ke sāthmashāl lagā dī 5aur phir mashāloṅko jalā kar lomṛiyoṅ ko Filistiyoṅke anāj ke khetoṅ meṅ bhagā diyā.Khetoṅ meṅ paṛe pūle us anājsamet bhasm hue jo ab tak kāṭā

Page 95: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 15:6 89

nahīṅ gayā thā. Angūr aur zaitūnke bāġh bhī tabāh ho gae.

6Filistiyoṅ ne dariyāft kiyā ki yihkis kā kām hai. Patā chalā kiSamsūn ne yih sab kuchh kiyā hai,aur ki wajah yih hai ki Timnat meṅus ke susar ne us kī bīwī ko us sechhīn kar us ke shahbāle ko de diyāhai. Yih sun kar Filistī Timnat gaeaur Samsūn ke susar ko us kī beṭīsamet pakaṛ kar jalā diyā. 7TabSamsūn ne un se kahā, “Yih tum nekyā kiyā hai! Jab tak maiṅ ne pūrābadlā na liyā maiṅ nahīṅ rukūṅgā.”8Wuh itne zor se un par ṭūṭ paṛā kibeshumār Filistī halāk hue. Phirwuh us jagah se utar kar Aitām kīchaṭān ke ġhār meṅ rahne lagā.

Lahī meṅ Samsūn Filistiyoṅse Laṛtā Hai

9Jawāb meṅ Filistī fauj Yahūdāhke qabāylī ilāqe meṅ dākhil huī.Wahāṅ wuh Lahī Shahr ke pāskhaimāzan hue. 10Yahūdāh kebāshindoṅ ne pūchhā, “Kyā wajahhai ki āp ham se laṛne āe haiṅ?”Filistiyoṅ ne jawāb diyā, “HamSamsūn ko pakaṛne āe haiṅ tāki uske sāth wuh kuchh kareṅ jo us nehamāre sāth kiyā hai.”

11Tab Yahūdāh ke 3,000 mardAitām Pahāṛ ke ġhār ke pās āeaur Samsūn se kahā, “Yih āp nehamāre sāth kyā kiyā? Āp ko topatā hai ki Filistī ham par hukūmatkarte haiṅ.” Samsūn ne jawāb diyā,“Maiṅ ne un ke sāth sirf wuh kuchhkiyā jo unhoṅ ne mere sāth kiyāthā.”

12Yahūdāh ke mard bole, “Hamāp ko bāndh kar Filistiyoṅ kehawāle karne āe haiṅ.” Samsūnne kahā, “Ṭhīk hai, lekin qasamkhāeṅ ki āp khud mujhe qatl nahīṅkareṅge.”

13Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham āpko hargiz qatl nahīṅ kareṅge balkiāp ko sirf bāndh kar un ke hawālekar deṅge.” Chunāṅche wuh usedo tāzā tāzā rassoṅ se bāndh karFilistiyoṅ ke pās le gae.

14Samsūn abhī Lahī se dūr thā kiFilistī nāre lagāte hue us kī tarafdauṛe āe. Tab Rab kā Rūh baṛezor se us par nāzil huā. Us kebāzuoṅ se bandhe hue rasse san kejale hue dhāge jaise kamzor ho gae.Aur wuh pighal kar hāthoṅ se girgae. 15Kahīṅ se gadhe kā tāzā jabṛāpakaṛ kar us ne us ke zariye hazārafrād ko mār ḍālā.

Page 96: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

90 Quzāt 16:5

16Us waqt us ne nārā lagāyā,“Gadhe ke jabṛe se maiṅ ne un keḍher lagāe haiṅ! Gadhe ke jabṛe semaiṅ ne hazār mardoṅ komār ḍālāhai!” 17Is ke bād us ne gadhe kāyih jabṛā phaiṅk diyā. Us jagah kānām Rāmat‐lahī yānī Jabṛā Pahāṛīpaṛ gayā.

18Samsūn ko wahāṅ baṛī pyāslagī. Us ne Rab ko pukār kar kahā,“Tū hī ne apne khādim ke hāth seIsrāīl ko yih baṛī najāt dilāī hai.Lekin ab maiṅ pyās se mar karnāmakhtūn dushman ke hāth meṅā jāūṅgā.” 19Tab Allāh ne Lahī meṅzamīn ko chhedā, aur gaṛhe se pānīphūṭ niklā. Samsūn us kā pānī pīkar dubārā tāzādam ho gayā. Yoṅus chashme kā nām Ain‐haqqoreyānī PukārneWāle kā chashmā paṛgayā. Āj bhī wuh Lahī meṅ maujūdhai.

20Filistiyoṅ ke daur meṅ Samsūn20 sāl tak Isrāīl kā qāzī rahā.

Samsūn Ġhazzā kā DarwāzāUṭhā Le Jātā Hai

16 Ek din Samsūn Filistīshahr Ġhazzā meṅ āyā.

Wahāṅ wuh ek kasbī ko dekh karus ke ghar meṅ dākhil huā. 2Jab

shahr ke bāshindoṅ ko ittalā milī kiSamsūn shahrmeṅhai to unhoṅ nekasbī ke ghar ko gher liyā. Sāth sāthwuh rāt ke waqt shahr ke darwāzepar tāk meṅ rahe. Faislā yih huā,“Rāt ke waqt ham kuchh nahīṅkareṅge, jab pau phaṭegī tab usemār ḍāleṅge.”

3Samsūn ab tak kasbī ke gharmeṅ so rahā thā. Lekin ādhī rātko wuh uṭh kar shahr ke darwāzeke pās gayā aur donoṅ kiwāṛoṅko kunḍe aur darwāze ke donoṅbāzuoṅ samet ukhāṛ kar apnekandhoṅ par rakh liyā. Yoṅ chaltechalte wuh sab kuchh us pahāṛīkī choṭī par le gayā jo Habrūn kemuqābil hai.

Samsūn aur Dalīlā4Kuchh der ke bād Samsūn ek auratkīmuhabbatmeṅ giriftār ho gayā joWādī‐e‐Sūriq meṅ rahtī thī. Us kānām Dalīlā thā. 5Yih sun kar Filistīsardār us ke pās āe aur kahne lage,“Samsūn ko uksāeṅ ki wuh āp koapnī baṛī tāqat kā bhed batāe. Hamjānanā chāhte haiṅ ki hamkis tarahus par ġhālib ā kar use yoṅ bāndhsakeṅ ki wuh hamāre qabze meṅrahe. Agar āp yih mālūm kar sakeṅ

Page 97: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 16:6 91

to hammeṅ se har ek āp ko chāṅdīke 1,100 sikke degā.”

6Chunāṅche Dalīlā ne Samsūn sesawāl kiyā, “Mujhe apnī baṛī tāqatkā bhed batāeṅ. Kyā āp ko kisīaisī chīz se bāndhā jā saktā hai jiseāp toṛ nahīṅ sakte?” 7Samsūn nejawāb diyā, “Agar mujhe jānwaroṅkī sāt tāzā nasoṅ se bāndhā jāe tophirmaiṅ āmādmī jaisā kamzor hojāūṅgā.” 8Filistī sardāroṅ ne Dalīlāko sāt tāzā naseṅ muhaiyā kar dīṅ,aur us ne Samsūn ko un se bāndhliyā. 9Kuchh Filistī ādmī sāth wālekamre meṅ chhup gae. Phir Dalīlāchillā uṭhī, “Samsūn, Filistī āp kopakaṛne āe haiṅ!” Yih sun karSamsūn ne nasoṅ ko yoṅ toṛ diyā jistarah ḍorī ṭūṭ jātī hai jab āg meṅ seguzartī hai. Chunāṅche us kī tāqatkā pol na khulā.

10Dalīlā kā muṅh laṭak gayā. “Āpne jhūṭ bol kar mujhe bewuqūfbanāyā hai. Ab āeṅ, mehrbānīkarke mujhe batāeṅ ki āp kokis tarah bāndhā jā saktā hai.”11Samsūn ne jawāb diyā, “Agarmujhe ġhairistemālshudā rassoṅ sebāndhā jāe to phir hīmaiṅ āmādmījaisā kamzor ho jāūṅgā.” 12Dalīlāne nae rasse le kar use un se bāndhliyā. Ismartabā bhī Filistī sāthwāle

kamre meṅ chhup gae the. PhirDalīlā chillā uṭhī, “Samsūn, Filistīāp ko pakaṛne āe haiṅ!” Lekin isbār bhī Samsūn ne rassoṅ ko yoṅtoṛ liyā jis tarah ām ādmī ḍorī kotoṛ letā hai.

13Dalīlā ne shikāyat kī, “Āp bārbār jhūṭ bol kar merā mazāq uṛārahe haiṅ. Ab mujhe batāeṅ ki āpko kis tarah bāndhā jā saktā hai.”Samsūn ne jawāb diyā, “Lāzim haiki āp merī sāt zulfoṅ ko khaḍḍīke tāne ke sāth buneṅ. Phir hīām ādmī jaisā kamzor ho jāūṅgā.”14Jab Samsūn so rahā thā to Dalīlāne aisā hī kiyā. Us kī sāt zulfoṅko tāne ke sāth bun kar us neuse shaṭal ke zariye khaḍḍī kesāth lagāyā. Phir wuh chillā uṭhī,“Samsūn, Filistī āp ko pakaṛne āehaiṅ!” Samsūn jāg uṭhā aur apnebāloṅ ko shaṭal samet khaḍḍī senikāl liyā.

15Yih dekh kar Dalīlā ne muṅhphulā kar malāmat kī, “Āp kis tarahdāwā kar sakte haiṅ ki mujh semuhabbat rakhte haiṅ? Ab āpne tīn martabā merā mazāq uṛākar mujhe apnī baṛī tāqat kā bhednahīṅ batāyā.” 16Roz baroz wuhapnī bātoṅ se us kī nāk meṅ damkartī rahī. Ākhirkār Samsūn itnā

Page 98: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

92 Quzāt 16:26

tang ā gayā ki us kā jīnā dūbhar hogayā. 17Phir us ne use khul kar bātbatāī, “Maiṅ paidāish hī se Allāh kelie makhsūs hūṅ, is lie mere bāloṅko kabhī nahīṅ kāṭā gayā. Agarsar ko munḍwāyā jāe to merī tāqatjātī rahegī aurmaiṅ har dūsre ādmījaisā kamzor ho jāūṅgā.”

18Dalīlā ne jān liyā ki ab Samsūnne mujhe pūrī haqīqat batāī hai.Us ne Filistī sardāroṅ ko ittalā dī,“Āo, kyoṅki is martabā us nemujheapne dil kī har bāt batāī hai.” Yihsun kar wuh muqarrarā chāṅdīapne sāth le kar Dalīlā ke pās āe.

19Dalīlā ne Samsūn kā sar apnīgod meṅ rakh kar use sulā diyā.Phir us ne ek ādmī ko bulā karSamsūnkī sāt zulfoṅkomunḍwāyā.Yoṅ wuh use past karne lagī, aurus kī tāqat jātī rahī. 20Phir wuhchillā uṭhī, “Samsūn, Filistī āp kopakaṛne āe haiṅ!” Samsūn jāg uṭhāaur sochā, “Maiṅ pahle kī tarah abbhī apne āp ko bachā kar bandhanko toṛ dūṅgā.” Afsos, use mālūmnahīṅ thā ki Rab ne use chhoṛ diyāhai. 21Filistiyoṅ ne use pakaṛ karus kī āṅkheṅ nikāl dīṅ. Phir wuhuse Ġhazzā le gae jahāṅ use pītalkī zanjīroṅ se bāndhā gayā. Wahāṅ

wuh qaidkhāne kī chakkī pīsā kartāthā.

22Lekin hote hote us ke bāldubārā baṛhne lage.

Samsūn kā Ākhirī Intaqām23Ek din Filistī sardār baṛā jashnmanāne ke lie jamā hue. Unhoṅne apne dewatā Dajūn ko jānwaroṅkī bahut‐sī qurbāniyāṅ pesh karkeapnī fatah kī khushī manāī. Wuhbole, “Hamāre dewatā ne hamāredushman Samsūn ko hamārehawāle kar diyā hai.” 24Samsūn kodekh kar awām ne Dajūn kī tamjīdkarke kahā, “Hamāre dewatāne hamāre dushman ko hamārehawāle kar diyā hai! Jis ne hamāremulk ko tabāh kiyā aur ham meṅse itne logoṅ ko mār ḍālā wuh abhamāre qābū meṅ ā gayā hai!” 25Isqism kī bāteṅ karte karte un kīkhushī kī intahā na rahī. Tab wuhchillāne lage, “Samsūn ko bulāotāki wuh hamāre diloṅ ko bahlāe.”Chunāṅche use un kī tafrīh ke

lie jel se lāyā gayā aur do satūnoṅke darmiyān khaṛā kar diyā gayā.26Samsūn us laṛke se mukhātibhuā jo us kā hāth pakaṛ kar uskī rāhnumāī kar rahā thā, “Mujhe

Page 99: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 16:27 93

chhat ko uṭhāne wāle satūnoṅ kepās le jāo tāki maiṅ un kā sahārālūṅ.” 27Imārat mardoṅ aur auratoṅse bharī thī. Filistī sardār bhī sabāe hue the. Sirf chhat par Samsūnkā tamāshā dekhne wāle taqrīban3,000 afrād the.

28Phir Samsūn ne duā kī, “AiRab Qādir‐e‐mutlaq, mujhe yādkar. Bas ek dafā aur mujhe pahlekī tarah quwwat atā farmā tākimaiṅ ek hī wār se Filistiyoṅ seapnī āṅkhoṅ kā badlā le sakūṅ.”29Yih kah kar Samsūn ne un domarkazī satūnoṅ ko pakaṛ liyājin par chhat kā pūrā wazn thā.Un ke darmiyān khaṛe ho kar usne pūrī tāqat se zor lagāyā 30aurduā kī, “Mujhe Filistiyoṅ ke sāthmarne de!” Achānak satūn hil gaeaur chhat dhaṛām se Filistiyoṅ ketamām sardāroṅ aur bāqī logoṅ pargir gaī. Is tarah Samsūn ne pahlekī nisbat marte waqt kahīṅ zyādāFilistiyoṅ ko mār ḍālā.

31Samsūn ke bhāī aur bāqī gharwāle āe aur us kī lāsh ko uṭhā karus ke bāp Manohā kī qabr ke pāsle gae. Wahāṅ yānī Sur’ā aur Istāl

ke darmiyānunhoṅneuse dafnāyā.Samsūn 20 sāl Isrāīl kā qāzī rahā.

Mīkāh kā But

17 Ifrāīm ke pahāṛī ilāqemeṅek ādmī rahtā thā jis kā

nāmMīkāh thā. 2Ek din us ne apnīmāṅ se bāt kī, “Āp ke chāṅdī ke1,100 sikke chorī ho gae the, nā?Us waqt āp ne mere sāmne hī chorpar lānat bhejī thī. Ab dekheṅ, wuhpaise mere pās haiṅ. Maiṅ hī chorhūṅ.” Yih sun kar māṅ ne jawābdiyā, “Mere beṭe, Rab tujhe barkatde!” 3Mīkāh ne use tamām paisewāpas kar die, aur māṅ ne elānkiyā, “Ab se yih chāṅdī Rab ke liemakhsūs ho! Maiṅ āp ke lie tarāshāaurḍhālāhuābut banwākar chāṅdīāp ko wāpas kar detī hūṅ.”

4Chunāṅche jab beṭe ne paisewāpas kar die to māṅ ne us ke 200sikke sunār ke pās le jā kar lakaṛī kātarāshā aur ḍhālā huā but banwāyā.Mīkāh ne yih but apne ghar meṅkhaṛā kiyā, 5kyoṅki us kā apnāmaqdis thā. Us ne mazīd but aurek afoda bhī banwāyā aur phir ekbeṭe ko apnā imām banā liyā. 6Us

aĀm taur par Ibrānī meṅ afod kā matlabimām‐e‐āzam kā bālāposh thā (dekhie

Khurūj 28:4), lekin yahāṅ is se murādbutparastī kī koī chīz hai.

Page 100: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

94 Quzāt 18:6

zamāne meṅ Isrāīl kā koī bādshāhnahīṅ thā balki har koī wuhī kuchhkartā jo use durust lagtā thā.

7Un dinoṅmeṅ Lāwī ke qabīle kāek jawān ādmī Yahūdāh ke qabīleke shahr Bait‐lahammeṅ ābād thā.8Abwuh shahr ko chhoṛ kar rihāishkī koī aur jagah talāsh karne lagā.Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ se safrkarte karte wuh Mīkāh ke gharpahuṅch gayā. 9Mīkāh ne pūchhā,“Āp kahāṅ se āe haiṅ?” Jawān nejawāb diyā, “Maiṅ Lāwī hūṅ. MaiṅYahūdāh ke shahr Bait‐laham kārahne wālā hūṅ lekin rihāish kī kisīaur jagah kī talāsh meṅ hūṅ.”

10Mīkāh bolā, “Yahāṅ mere pāsapnā ghar banā kar mere bāp aurimām baneṅ. Tab āp ko sāl meṅchāṅdī ke das sikke aur zarūrat kemutābiq kapṛe aur khurāk milegī.”

11Lāwīmuttafiqhuā. Wuhwahāṅābād huā, aur Mīkāh ne us ke sāthbeṭoṅ kā‐sā sulūk kiyā. 12Us ne useimāmmuqarrar karke sochā, 13“AbRab mujh par mehrbānī karegā,kyoṅki Lāwī merā imām ban gayāhai.”

Dān kā Qabīlā Zamīn kīTalāsh Kartā Hai

18 Un dinoṅ meṅ Isrāīl kābādshāh nahīṅ thā. Aur

ab tak Dān ke qabīle ko apnā koīqabāylī ilāqā nahīṅ milā thā, islie us ke log kahīṅ ābād hone kītalāsh meṅ rahe. 2Unhoṅ ne apnekhāndānoṅ meṅ se Sur’ā aur Istālke pāṅch tajrabākār faujiyoṅ kochun kar unheṅ mulk kī taftīshkarne ke lie bhej diyā. Yih mardIfrāīm ke pahāṛī ilāqemeṅ se guzarkar Mīkāh ke ghar ke pās pahuṅchgae. Jab wuh wahāṅ rāt ke lieṭhahre hue the 3to unhoṅ ne dekhāki jawān Lāwī Bait‐laham kī bolīboltā hai. Us ke pās jā kar unhoṅne pūchhā, “Kaun āp ko yahāṅ lāyāhai? Āp yahāṅ kyā karte haiṅ? Aurāp kā is ghar meṅ rahne kā kyāmaqsad hai?” 4Lāwī ne unheṅ apnīkahānī sunāī, “Mīkāh ne mujhenaukarī de kar apnā imāmbanā liyāhai.” 5Phir unhoṅ ne us se guzārishkī, “Allāh se dariyāft kareṅ ki kyāhamāre safr kā maqsad pūrā hojāegā yā nahīṅ?” 6Lāwī ne unheṅtasallī dī, “Salāmatī se āge baṛheṅ.Āp ke safr kā maqsad Rab ko qabūlhai, aur wuh āp ke sāth hai.”

Page 101: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 18:7 95

7Tab yih pāṅch ādmī āge nikleaur safr karte karte Lais pahuṅchgae. Unhoṅ ne dekhā ki wahāṅ kelog Saidāniyoṅ kī tarah pursukūnaur befikr zindagī guzār rahe haiṅ.Koī nahīṅ thā jo unheṅ dabātā yāun par zulm kartā. Yih bhī mālūmhuā ki agar un par hamlā kiyā jāeto un kā ittahādī shahr Saidā un seitnī dūr hai ki un kī madad nahīṅkar sakegā, aur qarīb koī ittahādīnahīṅ hai jo un kā sāth de. 8Wuhpāṅch jāsūs Sur’ā aur Istāl wāpaschale gae. Jab wahāṅ pahuṅcheto dūsroṅ ne pūchhā, “Safr kaisārahā?” 9Jāsūsoṅ ne jawāb meṅkahā, “Āeṅ, ham jang ke lie nikleṅ!Hameṅ ek behtarīn ilāqā mil gayāhai. Āp kyoṅ jhijak rahe haiṅ? Jaldīkareṅ, ham nikleṅ aur us mulk parqabzā kar leṅ! 10Wahāṅ ke logbefikr haiṅ aur hamle kī tawaqqohī nahīṅ karte. Aur zamīn wasī aurzarkhez hai, us meṅ kisī bhī chīz kīkamī nahīṅ hai. Allāh āp ko wuhmulk dene kā irādā rakhtā hai.”

Dān keMardMīkāh kā But ImāmSamet Chhīn Lete Haiṅ

11Dān ke qabīle ke 600 musallahādmī Sur’ā aur Istāl se rawānā

hue. 12Rāste meṅ unhoṅ ne apnīlashkargāh Yahūdāh ke shahrQiriyat‐yārīm ke qarīb lagāī. Islie yih jagah āj tak Mahane‐dānyānī Dān kī Khaimāgāh kahlātī hai.13Wahāṅ se wuh Ifrāīm ke pahāṛīilāqe meṅ dākhil hue aur chaltechalte Mīkāh ke ghar pahuṅch gae.

14Jin pāṅch mardoṅ ne Laiskī taftīsh kī thī unhoṅ ne apnesāthiyoṅ se kahā, “Kyā āpkomālūmhai ki in gharoṅ meṅ ek afod, ektarāshā aur ḍhālā huā but aur dīgarkaī but haiṅ? Ab soch leṅ ki kyākiyā jāe.”

15PāṅchoṅneMīkāhke gharmeṅdākhil ho kar jawān Lāwī ko salāmkiyā 16jabki bāqī 600musallahmardgeṭ par khaṛe rahe. 17Jab Lāwībāhar khaṛe mardoṅ ke pās gayāto in pāṅchoṅ ne andar ghus kartarāshā aur ḍhālā huā but, afod aurbāqī but chhīn lie. 18Yih dekh karLāwī chīkhne lagā, “Kyā kar raheho!”

19Unhoṅ ne kahā, “Chup! Koībāt na karo balki hamāre sāth jākar hamāre bāp aur imām bano.Hamāre sāth jāoge to pūre qabīleke imām banoge. Kyā yih ek hīkhāndān kī khidmat karne se kahīṅbehtar nahīṅ hogā?” 20Yih sun

Page 102: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

96 Quzāt 18:30

kar imām khush huā. Wuh afod,tarāshāhuābut aur bāqī butoṅko lekar musāfiroṅ meṅ sharīk ho gayā.21Phir Dān ke mard rawānā hue.Un ke bāl‐bachche, maweshī aurqīmtīmāl‐o‐matā un ke āge āge thā.

22Jab Mīkāh ko bāt kā patā chalāto wuh apne paṛosiyoṅ ko jamākarke un ke pīchhe dauṛā. Itnemeṅ Dān ke log ghar se dūr nikalchuke the. 23Jab wuh sāmne nazarāe to Mīkāh aur us ke sāthiyoṅne chīkhte‐chillāte unheṅ rukne kokahā. Dān ke mardoṅ ne pīchhedekh kar Mīkāh se kahā, “Kyā bāthai? Apne in logoṅ ko bulā karkyoṅ le āe ho?” 24Mīkāh ne jawābdiyā, “Tum logoṅ nemere butoṅ kochhīn liyā go maiṅ ne unheṅ khudbanwāyā hai. Mere imām ko bhīsāth le gae ho. Mere pās kuchhnahīṅ rahā to ab tum pūchhte ho kikyā bāt hai?”

25Dān ke afrād bole, “Khāmosh!Khabardār, hamāre kuchh logtezmizāj haiṅ. Aisā na ho ki wuhġhusse meṅ ā kar tum ko tumhārekhāndān samet mār ḍāleṅ.” 26Yihkah kar unhoṅ ne apnā safr jārīrakhā. Mīkāh ne jān liyā ki maiṅapne thoṛe ādmiyoṅ ke sāth un kāmuqābalā nahīṅ kar sakūṅgā, is

lie wuh muṛ kar apne ghar wāpaschalā gayā. 27Us ke but Dān keqabze meṅ rahe, aur imām bhī unmeṅ ṭik gayā.

Lais par Qabzā aur Dānkī Butparastī

Phir wuh Lais ke ilāqe meṅ dākhilhue jis ke bāshinde pursukūn aurbefikr zindagī guzār rahe the. Dānke faujī un par ṭūṭ paṛe aur sab kotalwār se qatl karke shahr kobhasmkar diyā. 28Kisī ne bhī un kī madadna kī, kyoṅki Saidā bahut dūr thā,aur qarīb koī ittahādī nahīṅ thā joun kā sāth detā. Yih shahr Bait‐rahob kī Wādī meṅ thā. Dān keafrād shahr ko az sar‐e‐nau tāmīrkarke us meṅ ābād hue. 29Aurunhoṅ ne us kā nām apne qabīle kebānī ke nām par Dān rakhā. (DānIsrāīl kā beṭā thā.)

30Wahāṅ unhoṅ ne tarāshā huābut rakh kar pūjā ke intazām parYūnatan muqarrar kiyā jo Mūsāke beṭe Jairsom kī aulād meṅ sethā. Jab Yūnatan faut huā to us kīaulād qaumkī jilāwatanī tak Dān keqabīle meṅ yihī khidmat kartī rahī.

Page 103: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 18:31 97

31Mīkāh kā banwāyā huā but tabtak Dān meṅ rahā jab tak Allāh kāghar Sailā meṅ thā.

Ek Lāwī kī Apnī Dāshtāke sāth Sulah

19 Us zamāne meṅ jab Isrāīlkā koī bādshāh nahīṅ thā

ek Lāwī ne apne ghar meṅ dāshtārakhī jo Yahūdāh ke shahr Bait‐laham kī rahne wālī thī. ĀdmīIfrāīm ke pahāṛī ilāqe ke kisī dūr‐darāz kone meṅ ābād thā. 2Lekinek din aurat mard se nārāz huī aurmaike wāpas chalī gaī. Chār māhke bād 3Lāwī do gadhe aur apnenaukar ko le kar Bait‐laham ke lierawānā huā tāki dāshtā kā ġhussāṭhanḍā karke use wāpas āne parāmādā kare.Jab us kī mulāqāt dāshtā se huī to

wuh use apne bāp ke ghar meṅ legaī. Use dekh kar susar itnā khushhuā 4ki us ne use jāne na diyā.Dāmād ko tīn din wahāṅ ṭhaharnāpaṛā jis daurān susar ne us kī khūbmehmān‐nawāzī kī. 5Chauthe dinLāwī subah‐sawere uṭh kar apnīdāshtā ke sāth rawānā hone kītaiyāriyāṅ karne lagā. Lekin susaruse rok kar bolā, “Pahle thoṛā‐

bahut khā kar tāzādam ho jāeṅ,phir chale jānā.” 6Donoṅ dubārākhāne‐pīne ke lie baiṭh gae.Susar ne kahā, “Barāh‐e‐karm

ek aur rāt yahāṅ ṭhahar kar apnādil bahlāeṅ.” 7Mehmān jāne kītaiyāriyāṅ karne to lagā, lekin susarne use ek aur rāt ṭhaharne parmajbūr kiyā. Chunāṅche wuh hārmān kar ruk gayā.

8Pāṅchweṅ din ādmī subah‐sawere uṭhā aur jāne ke lie taiyārhuā. Susar ne zor diyā, “Pahlekuchh khānā khā kar tāzādam hojāeṅ. Āp dopahar ke waqt bhī jāsakte haiṅ.” Chunāṅche donoṅkhāne ke lie baiṭh gae.

9Dopahar ke waqt Lāwī apnī bīwīaur naukar ke sāth jāne ke lieuṭhā. Susar etarāz karne lagā,“Ab dekheṅ, din ḍhalne wālā hai.Rāt ṭhahar kar apnā dil bahlāeṅ.Behtar hai ki āp kal subah‐sawerehī uṭh kar ghar ke lie rawānā hojāeṅ.” 10‐11Lekin ab Lāwī kisī bhīsūrat meṅ ek aur rāt ṭhaharnānahīṅ chāhtā thā. Wuh apnegadhoṅ par zīn kas kar apnī bīwīaur naukar ke sāth rawānā huā.Chalte chalte din ḍhalne lagā.

Wuh Yabūs yānī Yarūshalam keqarīb pahuṅch gae the. Shahr

Page 104: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

98 Quzāt 19:22

ko dekh kar naukar ne mālik sekahā, “Āeṅ, ham Yabūsiyoṅ keis shahr meṅ jā kar wahāṅ rātguzāreṅ.” 12Lekin Lāwī ne etarāzkiyā, “Nahīṅ, yih ajnabiyoṅ kāshahr hai. Hameṅ aisī jagah rātnahīṅ guzārnā chāhie jo Isrāīlīnahīṅ hai. Behtar hai ki ham āgejā kar Jibiyā kī taraf baṛheṅ. 13Agarham jaldī kareṅ to ho saktā haiki Jibiyā yā us se āge Rāmā takpahuṅch sakeṅ. Wahāṅ ārām se rātguzār sakeṅge.”

14Chunāṅche wuh āge nikle. Jabsūraj ġhurūb hone lagā to wuhBinyamīn ke qabīle ke shahr Jibiyāke qarīb pahuṅch gae 15aur rāstese haṭ kar shahr meṅ dākhil hue.Lekin koī un kī mehmān‐nawāzīnahīṅ karnā chāhtā thā, is lie wuhshahr ke chauk meṅ ruk gae.

16Phir andhere meṅ ek būṛhāādmī wahāṅ se guzarā. Asal meṅwuh Ifrāīmkepahāṛī ilāqe kā rahnewālā thā aur Jibiyā meṅ ajnabī thā,kyoṅki bāqī bāshinde Binyamīnīthe. Ab wuh khet meṅ apne kāmse fāriġh ho kar shahr meṅ wāpasāyā thā. 17Musāfiroṅ ko chaukmeṅ dekh kar us ne pūchhā, “Āpkahāṅ se āe aur kahāṅ jā rahehaiṅ?” 18Lāwī ne jawāb diyā, “Ham

Yahūdāh ke Bait‐laham se āe haiṅaur Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke ekdūr‐darāz kone tak safr kar rahehaiṅ. Wahāṅ merā ghar hai aurwahīṅ se maiṅ rawānā ho kar Bait‐laham chalā gayā thā. Is waqtmaiṅ Rab ke ghar jā rahā hūṅ.Lekin yahāṅ Jibiyā meṅ koī nahīṅjo hamārī mehmān‐nawāzī karneke lie taiyār ho, 19hālāṅki hamārepās khāne kī tamāmchīzeṅmaujūdhaiṅ. Gadhoṅ ke lie bhūsā aurchārā hai, aur hamāre lie bhī kāfīroṭī aur mai hai. Hameṅ kisī bhīchīz kī zarūrat nahīṅ hai.”

20Būṛhe ne kahā, “Phir maiṅ āpko apne ghar meṅ khushāmdīdkahtā hūṅ. Agar āp ko koī chīzdarkār ho to maiṅ use muhaiyākarūṅga. Har sūrat meṅ chaukmeṅ rāt mat guzārnā.” 21Wuhmusāfiroṅ ko apne ghar le gayāaur gadhoṅ ko chārā khilāyā.Mehmānoṅ ne apne pāṅw dho karkhānā khāyā aur mai pī.

Jibiyā ke Logoṅ kā Jurm22Wuh yoṅ khāne kī rifāqat selutfandoz ho rahe the ki Jibiyā kekuchh sharīr mard ghar ko gherkar darwāze ko zor se khaṭkhaṭāne

Page 105: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 19:23 99

lage. Wuh chillāe, “Us ādmī kobāhar lā jo tere ghar meṅ ṭhahrāhuā hai tāki ham us se ziyādatīkareṅ!” 23Būṛhā ādmī bāhargayā tāki unheṅ samjhāe, “Nahīṅ,bhāiyo, aisā shaitānī amal matkarnā. Yih ajnabī merā mehmānhai. Aisī sharmnāk harkat matkarnā! 24Is se pahle maiṅ apnīkuṅwārī beṭī aurmehmānkī dāshtāko bāhar le ātā hūṅ. Unhīṅ seziyādatī kareṅ. Jo jī chāhe un kesāth kareṅ, lekin ādmī ke sāth aisīsharmnāk harkat na kareṅ.”

25Lekin bāhar ke mardoṅ ne uskī na sunī. Tab Lāwī apnī dāshtāko pakaṛ kar bāhar le gayā aurus ke pīchhe darwāzā band kardiyā. Shahr ke ādmī pūrī rāt uskī behurmatī karte rahe. Jab pauphaṭne lagī to unhoṅ ne use fāriġhkar diyā. 26Sūraj ke tulū hone sepahle aurat us ghar ke pās wāpasāī jis meṅ shauhar ṭhahrā huā thā.Darwāze tak to wuh pahuṅch gaīlekin phir gir kar wahīṅ kī wahīṅpaṛī rahī.Jab din chaṛh gayā 27to Lāwī jāg

uṭhā aur safr karne kī taiyāriyāṅkarne lagā. Jab darwāzā kholā tokyā dekhtā hai ki dāshtā sāmnezamīn par paṛī hai aur hāth dahlīz

par rakhe haiṅ. 28Wuh bolā, “Uṭho,ham chalte haiṅ.” Lekin dāshtā nejawāb na diyā. Yih dekh kar ādmīne use gadhe par lād liyā aur apneghar chalā gayā.

29Jab pahuṅchā to us ne chhurīle kar aurat kī lāsh ko 12 ṭukṛoṅmeṅ kāṭ liyā, phir unheṅ Isrāīl kīhar jagah bhej diyā. 30Jis ne bhīyih dekhā us ne ghabrā kar kahā,“Aisā jurm hamāre darmiyān kabhīnahīṅ huā. Jab se ham Misr senikal kar āe haiṅ aisī harkat dekhnemeṅ nahīṅ āī. Ab lāzim hai kiham ġhaur se socheṅ aur ek dūsrese mashwarā karke agle qadam kebāre meṅ faislā kareṅ.”

Jibiyā ko Sazā Dene kā Faislā

20 Tamām Isrāīlī ek dil hokar Misfāh meṅ Rab ke

huzūr jamā hue. Shimāl ke Dānse le kar junūb ke Bair‐sabā taksab āe. Dariyā‐e‐Yardan ke pārJiliyād se bhī log āe. 2Isrāīlī qabīloṅke sardār bhī āe. Unhoṅ ne milkar ek baṛī fauj taiyār kī, talwāroṅse lais 4,00,000 mard jamā hue.3Binyamīniyoṅ ko is jamāt ke bāremeṅ ittalā milī.

Page 106: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

100 Quzāt 20:18

Isrāīliyoṅ ne pūchhā, “Hameṅbatāeṅ ki yih haibatnāk jurm kistarah sarzad huā?” 4Maqtūlā keshauhar ne unheṅ apnī kahānīsunāī, “Maiṅ apnī dāshtā kesāth Jibiyā meṅ ā ṭhahrā joBinyamīniyoṅ ke ilāqe meṅ hai.Hamwahāṅ rāt guzārnā chāhte the.5Yih dekh kar shahr ke mardoṅne mere mezbān ke ghar ko gherliyā tāki mujhe qatl kareṅ. Maiṅ tobach gayā, lekin merī dāshtā se itnīziyādatī huī ki wuh mar gaī. 6Yihdekhkarmaiṅneus kī lāshko ṭukṛeṭukṛe karke yih ṭukṛe Isrāīl kī mīrāskī har jagah bhej die tāki har ek komālūm ho jāe ki hamāre mulk meṅkitnā ghinaunā jurm sarzad huāhai. 7Is par āp sab yahāṅ jamā huehaiṅ. Isrāīl ke mardo, ab lāzim haiki āp ek dūsre se mashwarā karkefaislā kareṅ ki kyā karnā chāhie.”

8Tamāmmard ekdil ho kar khaṛehue. Sab kā faislā thā, “Ham meṅse koī bhī apne ghar wāpas nahīṅjāegā 9jab tak Jibiyā ko munāsibsazā na dī jāe. Lāzim hai kiham fauran shahr par hamlā kareṅaur is ke lie qurā ḍāl kar Rab sehidāyat leṅ. 10Ham yih faislā bhīkareṅ ki kaun kaun hamārī faujke lie khāne‐pīne kā band‐o‐bast

karāegā. Is kām ke lie ham meṅ sehar daswāṅ ādmī kāfī hai. Bāqī sablog sīdhe Jibiyā se laṛne jāeṅ tāki ussharmnāk jurm kā munāsib badlāleṅ jo Isrāīl meṅ huā hai.”

11Yoṅ tamām Isrāīlī muttahid hokar Jibiyā se laṛne ke lie gae.12Rāstemeṅ unhoṅ ne Binyamīn kehar kunbe ko paiġhām bhijwāyā,“Āp ke darmiyān ghinaunā jurmhuā hai. 13Ab Jibiyā ke in sharīrādmiyoṅ ko hamāre hawāle kareṅtāki ham unheṅ sazā‐e‐maut de karIsrāīl meṅ se burāī miṭā deṅ.”Lekin Binyamīnī is ke lie taiyār

na hue. 14Wuh pūre qabāylī ilāqese ā kar Jibiyā meṅ jamā hue tākiIsrāīliyoṅ se laṛeṅ. 15Usī din unhoṅne apnī fauj kā band‐o‐bast kiyā.Jibiyā ke 700 tajrabākār faujiyoṅke alāwā talwāroṅ se lais 26,000afrād the. 16In faujiyoṅ meṅ se700 aise mard bhī the jo apne bāeṅhāth se falākhan chalāne kī itnīmahārat rakhte the ki patthar bāljaise chhoṭe nishānepar bhī lag jātāthā. 17Dūsrī taraf Isrāīl ke 4,00,000faujī khaṛe hue, aur har ek ke pāstalwār thī.

18Pahle Isrāīlī Baitel chale gae.Wahāṅ unhoṅ ne Allāh se dariyāftkiyā, “Kaun‐sā qabīlā hamāre āge

Page 107: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 20:19 101

āge chale jab ham Binyamīniyoṅpar hamlā kareṅ?” Rab ne jawābdiyā, “Yahūdāh sab se āge chale.”

Binyamīn ke khilāf Jang19Agle din Isrāīlī rawānā hue aurJibiyā ke qarīb pahuṅch kar apnīlashkargāh lagāī. 20Phirwuhhamlāke lie nikle aur tartīb se laṛne kelie khaṛe ho gae. 21Yih dekh karBinyamīnī shahr senikle aurunparṭūṭ paṛe. Natīje meṅ 22,000 Isrāīlīshahīd ho gae.

22‐23Isrāīlī Baitel chale gae aurshām tak Rab ke huzūr rote rahe.UnhoṅneRab se pūchhā, “Kyāhamdubārā apne Binyamīnī bhāiyoṅ selaṛne jāeṅ?” Rab ne jawāb diyā,“Hāṅ, un par hamlā karo!” Yihsun kar Isrāīliyoṅ kā hauslā baṛhgayā aur wuh agle din wahīṅ khaṛeho gae jahāṅ pahle din khaṛe huethe. 24Lekin jabwuh shahr ke qarībpahuṅche 25to Binyamīnī pahle kītarah shahr se nikal kar un par ṭūṭpaṛe. Us din talwār se lais 18,000Isrāīlī shahīd ho gae.

26Phir Isrāīl kā pūrā lashkarBaitel chalā gayā. Wahāṅ wuhshām tak Rab ke huzūr rote aurrozā rakhte rahe. Unhoṅ ne Rab

ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅaur salāmatī kī qurbāniyāṅ peshkarke 27us se dariyāft kiyā ki hamkyā kareṅ. (Us waqt Allāh ke ahdkā sandūq Baitel meṅ thā 28jahāṅFīnhās bin Iliyazar bin Hārūnimām thā.) Isrāīliyoṅ ne pūchhā,“Kyā ham ek aur martabā apneBinyamīnī bhāiyoṅ se laṛne jāeṅ yāis se bāz āeṅ?” Rab ne jawāb diyā,“Un par hamlā karo, kyoṅki kal hīmaiṅ unheṅ tumhāre hawāle kardūṅgā.”

Binyamīn kā Satyānās29Is dafā kuchh Isrāīlī Jibiyā keirdgird ghāt meṅ baiṭh gae. 30Bāqīafrād pahle do dinoṅ kī‐sī tartīb kemutābiq laṛne ke lie khaṛe ho gae.31Binyamīnī dubārā shahr se nikalkar un par ṭūṭ paṛe. Jo rāste Baitelaur Jibiyā kī taraf le jāte haiṅ un paraur khule maidān meṅ unhoṅ netaqrīban 30 Isrāīliyoṅ ko mār ḍālā.Yoṅ laṛte laṛte wuh shahr se dūrhote gae. 32Wuh pukāre, “Ab hamunheṅ pahlī do martabā kī tarahshikast deṅge!”Lekin Isrāīliyoṅ ne mansūbā

bāndh liyā thā, “Ham un ke āgeāge bhāgte hue unheṅ shahr se dūr

Page 108: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

102 Quzāt 20:46

rāstoṅ par khīṅch leṅge.” 33Yoṅwuh bhāgne lage aur Binyamīnīun ke pīchhe paṛ gae. Lekin Bāl‐tamr ke qarīb Isrāīlī ruk kar muṛgae aur un kā sāmnā karne lage.Ab bāqī Isrāīlī jo Jibā ke irdgirdaur khule maidān meṅ ghāt meṅbaiṭhe the apnī chhupne kī jaghoṅse nikal āe. 34Achānak Jibiyā keBinyamīniyoṅ ko 10,000 behtarīnfaujiyoṅ kā sāmnā karnā paṛā, unmardoṅ kā jo pūre Isrāīl se chunegae the. Binyamīnī un se khūblaṛne lage, lekin un kī āṅkheṅabhī is bāt ke lie band thīṅ ki unkā anjām qarīb ā gayā hai. 35Usdin Isrāīliyoṅ ne Rab kī madad sefatah pā kar talwār se lais 25,100Binyamīnī faujiyoṅ komaut ke ghāṭutār diyā. 36Tab Binyamīniyoṅ nejān liyā ki dushman ham par ġhālibā gae haiṅ. Kyoṅki Isrāīlī fauj neapne bhāg jāne se unheṅ Jibiyā sedūr khīṅch liyā thā tāki shahr keirdgird ghāt meṅ baiṭhe mardoṅ koshahr par hamlā karne kā mauqāmuhaiyā kareṅ. 37Tab yih mardnikal kar shahr par ṭūṭ paṛe aurtalwār se tamām bāshindoṅ komār ḍālā, 38‐39phir mansūbe kemutābiq āg lagā kar dhueṅ kābaṛā bādal paidā kiyā tāki bhāgne

wāle Isrāīliyoṅ ko ishārā mil jāeki wuh muṛ kar Binyamīniyoṅ kāmuqābalā kareṅ.Us waqt tak Binyamīniyoṅ ne

taqrīban 30 Isrāīliyoṅ ko mār ḍālāthā, aur un kā khayāl thā ki hamunheṅ pahle kī tarah shikast derahe haiṅ. 40Achānak un ke pīchhedhueṅ kā bādal āsmān kī tarafuṭhne lagā. Jab Binyamīniyoṅ nemuṛ kar dekhā ki shahr ke konekone se dhuāṅ nikal rahā hai 41toIsrāīl ke mard ruk gae aur palaṭ karun kā sāmnā karne lage.Binyamīnī sakht ghabrā gae.

Kyoṅki unhoṅ ne jān liyā ki hamtabāh ho gae haiṅ. 42‐43Tab unhoṅne mashriq ke registān kī taraffarār hone kī koshish kī. Lekinab wuh mard bhī un kā tāqqubkarne lage jinhoṅ ne ghāt meṅbaiṭh kar Jibiyā par hamlā kiyā thā.Yoṅ Isrāīliyoṅ nemafrūroṅ ko gherkar mār ḍālā. 44Us waqt Binyamīnke 18,000 tajrabākār faujī halākhue. 45Jo bach gae wuh registān kīchaṭān Rimmon kī taraf bhāg nikle.Lekin Isrāīliyoṅ ne rāstemeṅ un ke5,000 afrād ko maut ke ghāṭ utārdiyā. Is ke bād unhoṅ ne jid’omtak un kā tāqqub kiyā. Mazīd 2,000Binyamīnī halāk hue. 46Is tarah

Page 109: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Quzāt 20:47 103

Binyamīn ke kul 25,000 talwār selais aur tajrabākār faujī māre gae.

47Sirf 600mardbachkarRimmonkī chaṭān tak pahuṅch gae. Wahāṅwuh chār mahīne tak ṭike rahe.48Tab Isrāīlī tāqqub karne se bāz ākar Binyamīn ke qabāylī ilāqe meṅwāpas āe. Wahāṅ unhoṅ ne jagahbajagah jā kar sab kuchh maut keghāṭ utār diyā. Jo bhī unheṅ milāwuh talwār kī zadmeṅ ā gayā, khāhinsān thā yā haiwān. Sāth sāthunhoṅ ne tamām shahroṅ ko āglagā dī.

Binyamīniyoṅ ko AurateṅMiltī Haiṅ

21 Jab Isrāīlī Misfāh meṅjamā hue the to sab ne

qasam khā kar kahā thā, “Hamkabhī bhī apnī beṭiyoṅ kā kisīBinyamīnī mard ke sāth rishtānahīṅ bāndheṅge.” 2Ab wuh Baitelchale gae aur shām tak Allāh kehuzūr baiṭhe rahe. Ro ro kar unhoṅne duā kī, 3“Ai Rab, Isrāīl ke Khudā,hamārī qaum kā ek pūrā qabīlā miṭgayā hai! Yih musībat Isrāīl parkyoṅ āī?”

4Agle dinwuh subah‐sawereuṭheaur qurbāngāh banā kar us par

bhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. 5Phir wuhek dūsre se pūchhne lage, “Jabham Misfāh meṅ Rab ke huzūrjamā hue to hamārī qaum meṅse kaun kaun ijtimā meṅ sharīkna huā?” Kyoṅki us waqt unhoṅne qasam khā kar elān kiyā thā,“Jis ne yahāṅ Rab ke huzūr ānese inkār kiyā use zarūr sazā‐e‐maut dī jāegī.” 6Ab Isrāīliyoṅko Binyamīniyoṅ par afsos huā.Unhoṅ ne kahā, “Ek pūrā qabīlāmiṭ gayā hai. 7Ab ham un thoṛebache‐khuche ādmiyoṅ ko bīwiyāṅkis tarah muhaiyā kar sakte haiṅ?Hamne toRabkehuzūr qasamkhāīhai ki apnī beṭiyoṅ kā un ke sāthrishtā nahīṅ bāndheṅge. 8Lekin hosaktā hai koī khāndān Misfāh keijtimāmeṅ na āyā ho. Āo, hampatākareṅ.” Mālūm huā ki Yabīs‐jiliyādke bāshinde nahīṅ āe the. 9Yih bātfaujiyoṅ ko ginane se patā chalī,kyoṅki ginte waqt Yabīs‐jiliyād kākoī bhī shakhs fauj meṅ nahīṅ thā.

10Tab unhoṅ ne 12,000 faujiyoṅko chun kar unheṅ hukm diyā,“Yabīs‐jiliyād par hamlā karketamāmbāshindoṅkobāl‐bachchoṅsamet mār ḍālo. 11Sirf kuṅwāriyoṅko zindā rahne do.”

Page 110: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

104 Quzāt 21:25

12Faujiyoṅ ne Yabīs meṅ 400kuṅwāriyāṅ pāīṅ. Wuh unheṅSailā le āe jahāṅ Isrāīliyoṅ kālashkar ṭhahrā huā thā. 13Wahāṅse unhoṅ ne apne qāsidoṅ koRimmon kī chaṭān ke pās bhej karBinyamīniyoṅ ke sāth sulah karlī. 14Phir Binyamīn ke 600 mardregistān sewāpas āe, aur un ke sāthYabīs‐jiliyād kī kuṅwāriyoṅ kī shādīhuī. Lekin yih sab ke lie kāfī nahīṅthīṅ.

15Isrāīliyoṅ ko Binyamīn parafsos huā, kyoṅki Rab ne Isrāīl keqabīloṅ meṅ khalā ḍāl diyā thā.16Jamāt ke buzurgoṅ ne dubārāpūchhā, “Hameṅ Binyamīn ke bāqīmardoṅ ke lie kahāṅ se bīwiyāṅmileṅgī? Un kī tamām aurateṅ tohalāk ho gaī haiṅ. 17Lāzim hai kiunheṅ un kā maurūsī ilāqā wāpasmil jāe. Aisā na ho ki wuh bilkulmiṭ jāeṅ. 18Lekin ham apnī beṭiyoṅkī un ke sāth shādī nahīṅ karāsakte, kyoṅki ham ne qasam khākar elān kiyā hai, ‘Jo apnī beṭī kārishtā Binyamīn ke kisī mard sebāndhegā us par Allāh kī lānat ho.’”

19Yoṅ sochte sochte unheṅākhirkār yih tarkīb sūjhī, “Kuchhder ke bād yahāṅ Sailā meṅ Rab kīsālānā īd manāī jāegī. Sailā Baitelke shimāl meṅ, Labūnā ke junūb

meṅ aur us rāste ke mashriq meṅhai jo Baitel se Sikam tak le jātāhai. 20Ab Binyamīnī mardoṅ kelie hamārā mashwarā hai ki īd kedinoṅ meṅ angūr ke bāġhoṅ meṅchhup kar ghāt meṅ baiṭh jāeṅ.21Jab laṛkiyāṅ loknāch ke lie Sailāse nikleṅgī to phir bāġhoṅ se nikalkar un par jhapaṭ paṛnā. Har ādmīek laṛkī ko pakaṛ kar use apne gharle jāe. 22Jab un ke bāp aur bhāīhamāre pās ā kar āp kī shikāyatkareṅge to ham un se kaheṅge,‘Binyamīniyoṅ par tars khāeṅ,kyoṅki jab ham ne Yabīs par fatahpāī to ham un ke lie kāfī aurateṅhāsil na kar sake. Āp bequsūrhaiṅ, kyoṅki āp ne unheṅ apnībeṭiyoṅ ko irādatan to nahīṅ diyā.’”23Binyamīniyoṅ ne buzurgoṅ kī ishidāyat par amal kiyā. Īd ke dinoṅmeṅ jab laṛkiyāṅ nāch rahī thīṅ toBinyamīniyoṅ ne utnī pakaṛ līṅ kiun kī kamī pūrī ho gaī. Phir wuhunheṅ apne qabāylī ilāqe meṅ legae aur shahroṅ ko dubārā tāmīrkarke un meṅ basne lage. 24BāqīIsrāīlī bhī wahāṅ se chale gae. Harek apne qabāylī ilāqe meṅ wāpaschalā gayā. 25Us zamānemeṅ Isrāīlmeṅ koī bādshāh nahīṅ thā. Har ekwuhī kuchh kartā jo use munāsiblagtā thā.

Page 111: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Rūt

Ilīmalik Moāb Chalā Jātā Hai

1 1‐2Un dinoṅ jab qāzī qaumkī rāhnumāī kiyā karte the

to Isrāīl meṅ kāl paṛā. Yahūdāhke shahr Bait‐laham meṅ ek Ifrātīādmī rahtā thā jis kā nām Ilīmalikthā. Kāl kī wajah se wuh apnī bīwīNaomī aur apne do beṭoṅ Mahlonaur Kilyon ko le kar Mulk‐e‐Moābmeṅ jā basā.

3Lekin kuchh der ke bād Ilīmalikfaut ho gayā, aur Naomī apnedo beṭoṅ ke sāth akelī rah gaī.4Mahlon aur Kilyon ne Moāb kī doauratoṅ se shādī kar lī. Ek kā nāmUrfā thā aur dūsrī kā Rūt. Lekintaqrīban das sāl ke bād 5donoṅ beṭebhī jāṅ bahaq ho gae. Ab Naomī kāna shauhar aur na beṭe hī rahe the.

Naomī Rūt ke sāthWāpasChalī Jātī Hai

6‐7Ek din Naomī ko Mulk‐e‐Moābmeṅ khabar milī ki Rab apnī qaumpar rahmkarke use dubārā achchhīfasleṅ de rahā hai. Tab wuh apnewatan Yahūdāh ke lie rawānā huī.Urfā aur Rūt bhī sāth chalīṅ.Jab wuh us rāste par ā gaīṅ jo

Yahūdāh tak pahuṅchātā hai 8toNaomī ne apnī bahuoṅ se kahā,“Ab apne māṅ‐bāp ke ghar wāpaschalī jāeṅ. Rab āp par utnā rahmkare jitnā āp ne marhūmoṅ aurmujh par kiyā hai. 9Wuh āp konae ghar aur nae shauhar muhaiyākarke sukūn de.”Yih kah kar us ne unheṅ bosā

diyā. Donoṅ ro paṛīṅ 10aur etarāzkiyā, “Hargiz nahīṅ, ham āp ke sāthāp kī qaum ke pās jāeṅgī.” 11Lekin

Page 112: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

106 Rūt 1:22

Naomī ne isrār kiyā, “Beṭiyo, baskareṅ aur apne apne ghar wāpaschalī jāeṅ. Ab mere sāth jāne kākyā fāydā? Mujh se to mazīd koībeṭā paidā nahīṅ hogā jo āp kāshauhar ban sake. 12Nahīṅ beṭiyo,wāpas chalī jāeṅ. Maiṅ to itnī būṛhīho chukī hūṅ ki dubārā shādī nahīṅkar saktī. Aur agar is kī ummīdbhī hotī balki merī shādī āj rāt kohotī aur mere hāṅ beṭe paidā hote13to kyā āp un ke bāliġh ho jāne takintazār kar saktīṅ? Kyā āp us waqttak kisī aur se shādī karne se inkārkartīṅ? Nahīṅ, beṭiyo. Rab ne apnāhāth mere khilāf uṭhāyā hai, to āpis lānat kī zad meṅ kyoṅ āeṅ?”

14Tab Urfā aur Rūt dubārā ropaṛīṅ. Urfā ne apnī sās ko chūmkar alwidā kahā, lekin Rūt Naomīke sāth lipṭī rahī. 15Naomī ne usesamjhāne kī koshish kī, “Dekheṅ,Urfā apnī qaum aur apne dewatāoṅke pās wāpas chalī gaī hai. Ab āpbhī aisā hī kareṅ.”

16Lekin Rūt ne jawāb diyā,“Mujhe āp ko chhoṛ kar wāpasjāne par majbūr na kījie. Jahāṅāp jāeṅgī maiṅ jāūṅgī. Jahāṅ āpraheṅgī wahāṅ maiṅ bhī rahūṅgī.

Āp kī qaum merī qaum aur āp kāKhudā merā Khudā hai. 17Jahāṅ āpmareṅgī wahīṅ maiṅ marūṅgī aurwahīṅ dafn ho jāūṅgī. Sirf maut hīmujhe āp se alag kar saktī hai. Agarmerā yih wādā pūrā na ho to Allāhmujhe sakht sazā de!”

18Naomī ne jān liyā ki Rūt kā sāthjāne kā pakkā irādā hai, is lie wuhkhāmosh ho gaī aur use samjhānese bāz āī. 19Wuh chal paṛīṅ aurchalte chalte Bait‐laham pahuṅchgaīṅ. Jab dākhil huīṅ to pūre shahrmeṅ halchal mach gaī. Aurateṅkahne lagīṅ, “Kyā yih Naomī nahīṅhai?”

20Naomī ne jawāb diyā, “Abmujhe Naomīa mat kahnā balkiMārā,b kyoṅki Qādir‐e‐mutlaq nemujhe sakht musībat meṅ ḍāl diyāhai. 21Yahāṅ se jāte waqt merehāth bhare hue the, lekin ab Rabmujhe khālī hāth wāpas le āyāhai. Chunāṅche mujhe Naomī matkahnā. Rab ne khud mere khilāfgawāhī dī hai, Qādir‐e‐mutlaq nemujhe is musībat meṅ ḍālā hai.”

22Jab Naomī apnī Moābī bahū kesāth Bait‐laham pahuṅchī to jau kīfasal kī kaṭāī shurū ho chukī thī.

aKhushgawār, Khushī wālī. bKaṛwī.

Page 113: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Rūt 2:1 107

Rūt kī Boaz se Mulāqāt

2 Bait‐laham meṅ Naomī kemarhūm shauhar kā rishtedār

rahtā thā jis kā nām Boaz thā. Wuhasar‐o‐rasūkh rakhtā thā, aur us kīzamīneṅ thīṅ.

2Ek din Rūt ne apnī sās se kahā,“Maiṅ khetoṅ meṅ jā kar fasal kīkaṭāī se bachī huī bāleṅ chun lūṅ.Koī na koī to mujhe is kī ijāzatdegā.” Naomī ne jawāb diyā, “Ṭhīkhai beṭī, jāeṅ.” 3Rūt kisī khet meṅgaī aurmazdūroṅ ke pīchhe pīchhechaltī huī bachī huī bāleṅ chunanelagī. Use mālūm na thā ki khet kāmālik susar kā rishtedār Boaz hai.

4Itne meṅ Boaz Bait‐laham sepahuṅchā. Us ne apne mazdūroṅse kahā, “Rab āp ke sāth ho.”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Aur Rab āpko bhī barkat de!” 5Phir Boaz nemazdūroṅ ke inchārj se pūchhā,“Us jawānaurat kāmālik kaunhai?”6Ādmī ne jawāb diyā, “Yih Moābīaurat Naomī ke sāth Mulk‐e‐Moābse āī hai. 7Is ne mujh se mazdūroṅke pīchhe chal kar bachī huī bāleṅchunane kī ijāzat lī. Yih thoṛī derjhoṅpṛī ke sāy meṅ ārām karne kesiwā subah se le kar ab tak kāmmeṅ lagī rahī hai.”

8Yih sun kar Boaz ne Rūt se bātkī, “Beṭī, merī bāt suneṅ! Kisīaur khet meṅ bachī huī bāleṅchunane ke lie na jāeṅ balki yihīṅmerī naukarāniyoṅ ke sāth raheṅ.9Khet ke us hisse par dhyān deṅjahāṅ fasal kī kaṭāī ho rahī haiaurnaukarāniyoṅkepīchhepīchhechaltī raheṅ. Maiṅ ne ādmiyoṅ koāpkochheṛne semanākiyāhai. Jabbhī āp ko pyās lage to un bartanoṅse pānī pīnā jo ādmiyoṅ ne kueṅ sebhar rakhe haiṅ.”

10Rūt muṅh ke bal jhuk gaī aurbolī, “Maiṅ is lāyq nahīṅ ki āpmujhpar itnī mehrbānī kareṅ. Maiṅ topardesī hūṅ. Āp kyoṅ merī qadarkarte haiṅ?” 11Boaz ne jawāb diyā,“Mujhe wuh kuchh batāyā gayā haijo āp ne apne shauhar kī wafāt sele kar āj tak apnī sās ke lie kiyāhai. Āp apne māṅ‐bāp aur apnewatan ko chhoṛ kar ek qaum meṅbasne āī haiṅ jise pahle se nahīṅjāntī thīṅ. 12Āp Rab Isrāīl ke Khudāke paroṅ tale panāh lene āī haiṅ.Ab wuh āp ko āp kī nekī kā pūrāajr de.” 13Rūt ne kahā, “Mere āqā,Allāh kare ki maiṅ āindā bhī āp kīmanzūr‐e‐nazar rahūṅ. Go maiṅāp kī naukarāniyoṅ kī haisiyat bhīnahīṅ rakhtī to bhī āp ne mujh se

Page 114: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

108 Rūt 2:23

shafqat bharī bāteṅ karke mujhetasallī dī hai.”

14Khāne ke waqt Boaz ne Rūt kobulā kar kahā, “Idhar ā kar roṭīkhāeṅ aur apnā nawālā sirke meṅḍubo deṅ.” Rūt us ke mazdūroṅke sāth baiṭh gaī, aur Boaz ne usejau ke bhune hue dāne de die.Rūt ne jī bhar kar khānā khāyā.Phir bhī kuchh bach gayā. 15Jabwuh kām jārī rakhne ke lie uṭhīto Boaz ne hukm diyā, “Use pūloṅke darmiyān bhī bāleṅ jamā karnedo, aur agar wuh aisā kare to us kībe’izzatī mat karnā. 16Na sirf yihbalki kām karte waqt idhar‐udharpūloṅ kī kuchh bāleṅ zamīn pargirne do. Jab wuh unheṅ jamākarne āe to use mat jhiṛaknā!”

17Rūt ne khet meṅ shām tak kāmjārī rakhā. Jab us ne bāloṅ kokūṭ liyā to dānoṅ ke taqrīban 13kilogrām nikle. 18Phir wuh sabkuchh uṭhā kar apne ghar wāpas leāī aur sās ko dikhāyā. Sāth sāth usne use wuh bhune hue dāne bhī diejo dopahar ke khāne se bach gaethe. 19Naomī ne pūchhā, “Āp neyih sab kuchh kahāṅ se jamā kiyā?Batāeṅ, āp kahāṅ thīṅ? Allāh usebarkat de jis ne āp kī itnī qadar kīhai!”

Rūt ne kahā, “Jis ādmī ke khetmeṅ maiṅ ne āj kām kiyā us kānām Boaz hai.” 20Naomī pukāruṭhī, “Rab use barkat de! Wuh tohamārā qarībī rishtedār hai, aursharīat ke mutābiq us kā haq hai kiwuhhamārīmadad kare. Abmujhemālūm huā hai ki Allāh ham paraur hamāre marhūm shauharoṅpar rahm karne se bāz nahīṅ āyā!”

21Rūt bolī, “Us ne mujh se yihbhī kahā ki kahīṅ aur na jānābalki kaṭāī ke ikhtitām tak meremazdūroṅ ke pīchhe pīchhe bāleṅjamā karnā.”

22Naomī ne jawāb meṅ kahā,“Bahut achchhā. Beṭī, aisā hīkareṅ. Us kī naukarāniyoṅ ke sāthrahne kā yih fāydā hai ki āpmahfūzraheṅgī. Kisī aur ke khet meṅ jāeṅto ho saktā hai ki koī āp ko tangkare.”

23Chunāṅche Rūt jau aurgandum kī kaṭāī ke pūre mausammeṅ Boaz kī naukarāniyoṅ ke pāsjātī aur bachī huī bāleṅ chuntī.Shām ko wuh apnī sās ke gharwāpas chalī jātī thī.

Page 115: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Rūt 3:1 109

Rūt kī Shādī kī Koshisheṅ

3 Ek dinNaomīRūt semukhātibhuī, “Beṭī, maiṅ āp ke lie ghar

kā band‐o‐bast karnā chāhtī hūṅ,aisī jagah jahāṅ āp kī zarūriyātāindā bhī pūrī hotī raheṅgī. 2Abdekheṅ, jis ādmī kī naukarāniyoṅke sāth āp ne bāleṅ chunī haiṅ wuhhamārā qarībī rishtedār hai. Ājshām ko Boaz gāhne kī jagah parjau phaṭkegā. 3To sun leṅ, achchhītarah nahā kar khushbūdār tel lagāleṅ aur apnā sab se khūbsūrat libāspahan leṅ. Phir gāhne kī jagahjāeṅ. Lekin use patā na chale kiāp āī haiṅ. Jab wuh khāne‐pīnese fāriġh ho jāeṅ 4to dekh leṅ kiBoaz sone ke lie kahāṅ leṭ jātā hai.Phir jabwuh so jāegā towahāṅ jāeṅaur kambal ko us ke pairoṅ se utārkar un ke pās leṭ jāeṅ. Bāqī jokuchh karnā haiwuh āp kousīwaqtbatāegā.”

5Rūt ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai.Jo kuchh bhī āp ne kahā haimaiṅ karūṅgī.” 6Wuh apnī sās kīhidāyat ke mutābiq taiyār huī aurshām ke waqt gāhne kī jagah parpahuṅchī. 7Wahāṅ Boaz khāne‐pīne aur khushī manāne ke bād jauke ḍher ke pās leṭ kar so gayā. Phir

Rūt chupke se us ke pās āī. Us kepairoṅ se kambal haṭā kar wuh unke pās leṭ gaī.

8Ādhī rāt ko Boaz ghabrā gayā.Ṭaṭol ṭaṭol kar use patā chalā kipairoṅ ke pās aurat paṛī hai. 9Usne pūchhā, “Kaun hai?” Rūt nejawāb diyā, “Āp kī khādimā Rūt.Merī ek guzārish hai. Chūṅki āpmere qarībī rishtedār haiṅ is lieāp kā haq hai ki merī zarūriyātpūrī kareṅ. Mehrbānī karke apnelibās kā dāman mujh par bichhākar zāhir kareṅ ki mere sāth shādīkareṅge.”

10Boaz bolā, “Beṭī, Rab āp kobarkat de! Ab āp ne apne susrāl sewafādārī kā pahle kī nisbat zyādāizhār kiyā hai, kyoṅki āp jawānādmiyoṅ ke pīchhe na lagīṅ, khāhġharīb hoṅ yā amīr. 11Beṭī, abfikr na kareṅ. Maiṅ zarūr āp kīyih guzārish pūrī karūṅga. Ākhirtamām maqāmī log jān gae haiṅki āp sharīf aurat haiṅ. 12Āp kībāt sach hai ki maiṅ āp kā qarībīrishtedār hūṅ aur yih merā haqhai ki āp kī zarūriyāt pūrī karūṅ.Lekin ek aur ādmī hai jis kā āp sezyādā qarībī rishtā hai. 13Rāt ke lieyahāṅ ṭhahreṅ! Kal maiṅ us ādmīse bāt karūṅga. Agar wuh āp se

Page 116: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

110 Rūt 4:5

shādī karke rishtedārī kā haq adākarnā chāhe to ṭhīk hai. Agar nahīṅto Rab kī qasam, maiṅ yih zarūrkarūṅga. Āp subah ke waqt takyihīṅ leṭī raheṅ.”

14Chunāṅche Rūt Boaz ke pairoṅke pās leṭī rahī. Lekin wuh subahmuṅhandhere uṭh kar chalī gaī tākikoī use pahchān na sake, kyoṅkiBoaz ne kahā thā, “Kisī ko patā nachale ki koī aurat yahāṅ gāhne kījagah par mere pās āī hai.” 15Rūtke jāne se pahle Boaz bolā, “Apnīchādar bichhā deṅ!” Phir us ne koībartan chhih dafā jau ke dānoṅ sebhar kar chādar meṅ ḍāl diyā auruse Rūt ke sar par rakh diyā. Phirwuh shahr meṅ wāpas chalā gayā.

16Jab Rūt ghar pahuṅchī to sāsne pūchhā, “Beṭī, waqt kaisā rahā?”Rūt ne use sab kuchh sunāyā joBoaz ne jawāb meṅ kiyā thā. 17Rūtbolī, “Jau ke yih dāne bhī us kī tarafse haiṅ. Wuh nahīṅ chāhtā thā kimaiṅ khālī hāth āp ke pās wāpasāūṅ.” 18Yih sun kar Naomī ne Rūtko tasallī dī, “Beṭī, jab tak koī natījāna nikle yahāṅ ṭhahar jāeṅ. Ab yihādmī ārām nahīṅ karegā balki āj hīmuāmale kā hal nikālegā.”

4 Boaz shahr ke darwāze ke pāsjā kar baiṭh gayā jahāṅ buzurg

faisle kiyā karte the. Kuchh der kebādwuh rishtedār wahāṅ se guzarājis kā zikr Boaz ne Rūt se kiyā thā.Boaz us se mukhātib huā, “Dost,idhar āeṅ. Mere pās baiṭh jāeṅ.”Rishtedār us ke pās baiṭh gayā

2to Boaz ne shahr ke das buzurgoṅko bhī sāth biṭhāyā. 3Phir us nerishtedār se bāt kī, “Naomī Mulk‐e‐Moāb se wāpas ā kar apne shauharIlīmalik kī zamīn farokht karnāchāhtī hai. 4Yih zamīn hamārekhāndān kā maurūsī hissā hai, islie maiṅ ne munāsib samjhā ki āpko ittalā dūṅ tāki āp yih zamīnkharīd leṅ. Bait‐laham ke buzurgaur sāth baiṭhe rāhnumā is kegawāh hoṅge. Lāzim hai ki yihzamīn hamāre khāndān kā hissārahe, is lie batāeṅ ki kyā āp isekharīd kar chhuṛāeṅge? Āp kāsab se qarībī rishtā hai, is lie yihāp hī kā haq hai. Agar āp zamīnkharīdnā na chāheṅ to yih merāhaq banegā.” Rishtedār ne jawābdiyā, “Ṭhīk hai, maiṅ ise kharīdkar chhuṛāūṅgā.” 5Phir Boaz bolā,“Agar āp Naomī se zamīn kharīdeṅto āp ko us kī Moābī bahū Rūtse shādī karnī paṛegī tāki marhūmshauhar kī jagah aulād paidā kareṅ

Page 117: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Rūt 4:6 111

jo us kā nām rakh kar yih zamīnsaṅbhāleṅ.”

6Yih sun kar rishtedār ne kahā,“Phir maiṅ ise kharīdnā nahīṅchāhtā, kyoṅki aisā karne semerī maurūsī zamīn ko nuqsānpahuṅchegā. Āp hī ise kharīd karchhuṛāeṅ.”

7Us zamāne meṅ agar aise kisīmuāmale meṅ koī zamīn kharīdnekā apnā haq kisī dūsre ko muntaqilkarnā chāhtā thā to wuh apnīchappal utār kar use de detā thā.Is tarīqe se faislā qānūnī taur partay ho jātā thā. 8Chunāṅche Rūtke zyādā qarībī rishtedār ne apnīchappal utār kar Boaz ko de dī aurkahā, “Āp hī zamīn ko kharīd leṅ.”9Tab Boaz ne buzurgoṅ aur bāqīlogoṅ ke sāmne elān kiyā, “Āj āpgawāh haiṅ ki maiṅ ne Naomī sesab kuchh kharīd liyā hai jo us kemarhūm shauhar Ilīmalik aur us kedo beṭoṅ Kilyon aurMahlon kā thā.10Sāth hī maiṅ ne Mahlon kī bewāMoābī aurat Rūt se shādī karne kāwādā kiyā hai tāki Mahlon ke nāmse beṭā paidā ho. Yoṅ marhūmkī maurūsī zamīn khāndān sechhin nahīṅ jāegī, aur us kā nāmhamāre khāndān aur Bait‐laham

ke bāshindoṅ meṅ qāym rahegā.Āj āp sab gawāh haiṅ!”

11Buzurgoṅ aur shahr ke darwāzepar baiṭhe dīgar mardoṅ ne is kītasdīq kī, “Ham gawāh haiṅ! Rabāp ke ghar meṅ āne wālī is auratko un barkatoṅ se nawāze jin se usne Rākhil aur Liyāh ko nawāzā, jinse tamām Isrāīlī nikle. Rab kareki āp kī daulat aur izzat Ifrātā yānīBait‐laham meṅ baṛhtī jāe. 12Wuhāp aur āp kī bīwī ko utnī aulādbakhshe jitnī Tamr aur Yahūdāh kebeṭe Fāras ke khāndān ko bakhshīthī.”

13Chunāṅche Rūt Boaz kī bīwīban gaī. Aur Rab kī marzī se Rūtshādī ke bād hāmilā huī. Jab us kebeṭā huā 14to Bait‐laham kī auratoṅne Naomī se kahā, “Rab kī tamjīdho! Āp ko yih bachchā atā karne seus ne aisā shakhs muhaiyā kiyā haijo āp kā khāndān saṅbhālegā. Allāhkare ki us kī shohrat pūre Isrāīlmeṅ phail jāe. 15Us se āp tāzādamho jāeṅgī, aur buṛhāpe meṅ wuhāp ko sahārā degā. Kyoṅki āp kībahū jo āp ko pyār kartī hai aur jiskī qadar‐o‐qīmat sāt beṭoṅ se baṛhkar hai usī ne use janm diyā hai!”

16Naomī bachche ko apnī godmeṅ biṭhā kar use pālne lagī.

Page 118: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

112 Rūt 4:22

17Paṛosī auratoṅ ne us kā nāmObed yānī khidmat karne wālārakhā. Unhoṅ ne kahā, “Naomī kehāṅ beṭā paidā huā hai!”Obed Dāūd Bādshāh ke bāp Yassī

kā bāp thā. 18Zail meṅ Fāras kā

Dāūd tak nasabnāmā hai: Fāras,Hasron, 19Rām, Ammīnadāb,20Nahson, Salmon, 21Boaz, Obed,22Yassī aur Dāūd.

Page 119: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel

Hannā Allāh se BachchāMāṅgtī Hai

1 Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe keshahr Rāmātāym‐sofīm yānī

Rāmā meṅ ek Ifrāīmī rahtā thājis kā nām Ilqānā bin Yarohāmbin Ilīhū bin Tūkhū bin Sūf thā.2Ilqānā kī do bīwiyāṅ thīṅ. Ekkā nām Hannā thā aur dūsrī kāFaninnā. Faninnā ke bachche the,lekin Hannā beaulād thī.

3Ilqānā har sāl apne khāndānsamet safr karke Sailā ke maqdiskepās jātā tākiwahāṅRabbul‐afwājke huzūr qurbānī guzarāne aur uskī parastish kare. Un dinoṅ meṅElī Imām ke do beṭe Hufnī aurFīnhās Sailā meṅ imām kī khidmatanjām dete the. 4Har sāl Ilqānāapnī qurbānī pesh karne ke bādqurbānī ke gosht ke ṭukṛe Faninnā

aur us ke beṭe‐beṭiyoṅ meṅ taqsīmkartā. 5Hannā ko bhī gosht miltā,lekin jahāṅ dūsroṅ ko ek hissāmiltā wahāṅ use do hisse miltethe. Kyoṅki Ilqānā us se bahutmuhabbat rakhtā thā, agarche abtak Rab kīmarzī nahīṅ thī ki Hannāke bachche paidā hoṅ. 6Faninnākī Hannā se dushmanī thī, is liewuh har sāl Hannā ke bāṅjhpan kāmazāq uṛā kar use tang kartī thī.7Sāl basāl aisā hī huā kartā thā. Jabbhī wuh Rab ke maqdis ke pās jāteto FaninnāHannā ko itnā tang kartīki wuh us kī bāteṅ sun sun kar ropaṛtī aur khā‐pī na saktī. 8PhirIlqānā pūchhtā, “Hannā, tū kyoṅro rahī hai? Tū khānā kyoṅ nahīṅkhā rahī? Udās hone kī kyā zarūrat?Maiṅ to hūṅ. Kyā yih das beṭoṅ sekahīṅ behtar nahīṅ?”

Page 120: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

114 1 Samuel 1:22

9Ek din jab wuh Sailā meṅ theto Hannā khāne‐pīne ke bād duākarne ke lie uṭhī. Elī Imām Rabke maqdis ke darwāze ke pās kursīpar baiṭhā thā. 10Hannā shadīdpareshānī ke ālam meṅ phūṭ phūṭkar rone lagī. Rab se duā kartekarte 11us ne qasam khāī, “AiRabbul‐afwāj, merī burī hālat parnazar ḍāl kar mujhe yād kar! Apnīkhādimā ko mat bhūlnā balki beṭāatā farmā! Agar tū aisā kare tomaiṅuse tujhe wāpas kar dūṅgī. Ai Rab,us kī pūrī zindagī tere lie makhsūshogī! Is kā nishān yih hogā ki us kebāl kabhī nahīṅ kaṭwāe jāeṅge.”

12Hannā baṛī der tak yoṅ duākartī rahī. Elī us kemuṅhpar ġhaurkarne lagā 13to dekhā ki Hannā kehoṅṭ to hil rahe haiṅ lekin āwāzsunāī nahīṅ de rahī, kyoṅki Hannādil hī dil meṅ duā kar rahī thī.Lekin Elī ko aisā lag rahā thā kiwuhnashe meṅ dhut hai, 14is lie us neuse jhiṛakte hue kahā, “Tū kab taknashe meṅ dhut rahegī? Mai pīnese bāz ā!”

15Hannā ne jawāb diyā, “Mereāqā, aisī koī bāt nahīṅ hai. Maiṅne na mai, na koī aur nashā‐āwar

chīz chakhī hai. Bāt yih hai ki maiṅbaṛī ranjīdā hūṅ, is lie Rab ke huzūrapne dil kī āh‐o‐zārī unḍel dī hai.a16Yih na samjheṅ ki maiṅ nikammīaurat hūṅ, balki maiṅ baṛe ġhamaur aziyat meṅ duā kar rahī thī.”

17Yih sun kar Elī ne jawāb diyā,“Salāmatī se apne ghar chalī jā!Isrāīl kā Khudā terī darkhāst pūrīkare.” 18Hannā ne kahā, “Apnīkhādimā par āp kī nazar‐e‐karmho.” Phir us ne jā kar kuchh khāyā,aur us kā chehrā udās na rahā.

Samuel kī Paidāish aur Bachpan19Agle din pūrā khāndān subah‐sawere uṭhā. Unhoṅ ne maqdismeṅ jā kar Rab kī parastish kī, phirRāmā wāpas chale gae jahāṅ un kāghar thā. Aur Rab ne Hannā ko yādkarke us kī duā sunī. 20Ilqānā aurHannā ke beṭā paidā huā. Hannāne us kā nām Samuel yānī ‘Us kāNāmAllāh Hai’ rakhā, kyoṅki us nekahā, “Maiṅ ne use Rab se māṅgā.”

21Agle sāl Ilqānā khāndān ke sāthmāmūl ke mutābiq Sailā gayā tākiRab ko sālānā qurbānī pesh kareaur apnī mannat pūrī kare. 22LekinHannā na gaī. Us ne apne shauhar

aLafzī tarjumā: apnī jān unḍel dī hai.

Page 121: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 1:23 115

se kahā, “Jab bachchā dūdh pīnāchhoṛ degā tab hī maiṅ use lekar Rab ke huzūr pesh karūṅgī.Us waqt se wuh hameshā wahīṅrahegā.” 23Ilqānā ne jawāb diyā,“Wuh kuchh kar jo tujhe munāsiblage. Bachche kā dūdh chhuṛānetak yahāṅ rah. Lekin Rab apnākalām qāym rakhe.” ChunāṅcheHannā bachche ke dūdh chhuṛānetak ghar meṅ rahī.

24Jab Samuel ne dūdh pīnā chhoṛdiyā to Hannā use Sailāmeṅ Rab kemaqdis ke pās le gaī, go bachchāabhī chhoṭā thā. Qurbāniyoṅ kelie us ke pās tīn bail, maide ketaqrīban 16 kilogrām aur mai kīmashk thī. 25Bail ko qurbāngāhpar chaṛhāne ke bād Ilqānā aurHannā bachche ko Elī ke pās le gae.26Hannā ne kahā, “Mere āqā, āp kīhayāt kī qasam, maiṅ wuhī aurathūṅ jo kuchh sāl pahle yahāṅ āp kīmaujūdagī meṅ khaṛī duā kar rahīthī. 27Us waqt maiṅ ne iltamās kīthī ki Rab mujhe beṭā atā kare, aurRab nemerī sunī hai. 28Chunāṅcheabmaiṅ apnāwādā pūrā karke beṭeko Rab ko wāpas kar detī hūṅ.Umr‐bhar wuh Rab ke lie makhsūshogā.” Tab us ne Rab ke huzūr sijdākiyā.

Hannā kā Gīt

2 Wahāṅ Hannā ne yih gītgāyā,

“Merādil Rabkī khushīmanātāhai,kyoṅki us ne mujhe quwwat atākī hai. Merā muṅh dilerī se apnedushmanoṅ ke khilāf bāt kartā hai,kyoṅki maiṅ terī najāt ke bāis bāġhbāġh hūṅ.

2Rab jaisā quddūs koī nahīṅ hai,tere siwā koī nahīṅ hai. HamāreKhudā jaisī koī chaṭān nahīṅhai. 3Ḍīṅgeṅ mārne se bāz āo!Gustākh bāteṅ mat bako! KyoṅkiRab aisā Khudā hai jo sab kuchhjāntā hai, wuh tamām āmāl ko tolkar parakhtā hai. 4Ab baṛoṅ kīkamāneṅ ṭūṭ gaī haiṅ jabki girnewāle quwwat se kamarbastā ho gaehaiṅ. 5Jo pahle ser the wuh roṭīmilne ke lie mazdūrī karte haiṅjabki jo pahle bhūke the wuh serho gae haiṅ. Beaulād aurat ke sātbachche paidā hue haiṅ jabki wāfirbachchoṅ kī māṅ murjhā rahī hai.

6Rab ek ko marne detā aur dūsreko zindā hone detā hai. Wuh ek koPātāl meṅ utarne detā aur dūsre kowahāṅ se nikal āne detā hai. 7Rab

Page 122: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

116 1 Samuel 2:17

hī ġharīb aur amīr banā detā hai,wuhī past kartā aur wuhī sarfarāzkartā hai. 8Wuh khāk meṅ dabeādmī ko khaṛā kartā hai aur rākhmeṅ leṭe zarūratmand ko sarfarāzkartā hai, phir unheṅ ra’īsoṅ kesāth izzat kī kursī par biṭhā detāhai. Kyoṅki duniyā kī buniyādeṅRab kī haiṅ, aur usī ne un parzamīn rakhī hai.

9Wuh apne wafādār pairokāroṅke pāṅw mahfūz rakhegā jabkisharīr tārīkī meṅ chup ho jāeṅge.Kyoṅki insān apnī tāqat se kāmyābnahīṅ hotā. 10Jo Rab se laṛnekī jurrat kareṅ wuh pāsh pāsh hojāeṅge. Rab āsmān se un ke khilāfgaraj kar duniyā kī intahā tak sab kīadālat karegā. Wuh apne bādshāhko taqwiyat aur apnemasah kie huekhādim ko quwwat atā karegā.”

11Phir Ilqānā aur Hannā Rāmāmeṅ apne ghar wāpas chale gae.Lekin un kā beṭā Elī Imām kepās rahā aur maqdis meṅ Rab kīkhidmat karne lagā.

Elī ke Beṭoṅ kī Bedīn Zindagī12Lekin Elī ke beṭe badmāsh the.Na wuh Rab ko jānte the, 13na

imām kī haisiyat se apne farāyzsahīh taur par adā karte the.Kyoṅki jab bhī koī ādmī apnīqurbānī pesh karke rifāqatī khāneke lie gosht ubāltā to Elī ke beṭeapne naukar ko wahāṅ bhej dete.Yih naukar sihshākhā kāṅṭā 14degmeṅ ḍāl kar gosht kā har wuhṭukṛā apnemālikoṅ ke pās le jātā jokāṅṭe se lag jātā. Yihī un kā tamāmIsrāīliyoṅ ke sāth sulūk thā jo Sailāmeṅ qurbāniyāṅ chaṛhāne āte the.15Na sirf yih balki kaī bār naukarus waqt bhī ā jātā jab jānwar kīcharbī abhī qurbāngāh par jalānīhotī thī. Phir wuh taqāzā kartā,“Mujhe imām ke lie kachchā goshtde do! Use ublā gosht manzūrnahīṅ balki sirf kachchā gosht,kyoṅki wuh use bhūnanā chāhtāhai.” 16Qurbānī pesh karne wālāetarāz kartā, “Pahle to Rab ke liecharbī jalānā hai, is ke bād hījo jī chāhe le leṅ.” Phir naukarbadtamīzī kartā, “Nahīṅ, use abhīde do, warnā maiṅ zabardastī lelūṅgā.” 17In jawān imāmoṅ kā yihgunāh Rab kī nazar meṅ nihāyatsangīn thā, kyoṅki wuh Rab kīqurbāniyāṅ haqīr jānte the.

Page 123: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 2:18 117

Māṅ‐bāp Samuel se MilneĀte Haiṅ

18Lekin chhoṭā Samuel Rab kehuzūr khidmat kartā rahā. Usebhī dūsre imāmoṅ kī tarah katānkā bālāposh diyā gayā thā. 19Harsāl jab us kī māṅ khāwind ke sāthqurbānī pesh karne ke lie Sailā ātīto wuh nayā choġhā sī kar use dedetī. 20Aur rawānā hone se pahleElī Samuel ke māṅ‐bāp ko barkatde kar Ilqānā se kahtā, “Hannā neRab se bachchā māṅg liyā aur jabmilā to use Rab ko wāpas kar diyā.Ab Rab āp ko is bachche kī jagahmazīd bachche de.” Is ke bād wuhapne ghar chale jāte. 21Aur wāqaī,Rab ne Hannā ko mazīd tīn beṭeaur do beṭiyāṅ atā kīṅ. Yih bachcheghar meṅ rahe, lekin Samuel Rabkehuzūr khidmat karte karte jawānho gayā.

Elī ke Beṭe Bāp kī Nahīṅ Sunte22Elī us waqt bahut būṛhā ho chukāthā. Beṭoṅ kā tamām Isrāīl kesāth burā sulūk us ke kānoṅ takpahuṅch gayā thā, balki yih bhī kibeṭe un auratoṅ se nājāyz tālluqātrakhte haiṅ jo mulāqāt ke khaimeke darwāze par khidmat kartī haiṅ.

23Us ne unheṅ samjhāyā bhī thā,“Āp aisī harkateṅ kyoṅ kar rahehaiṅ? Mujhe tamām logoṅ se āp kesharīr kāmoṅ kī khabreṅmiltī rahtīhaiṅ. 24Beṭo, aisā mat karnā! Jobāteṅ āp ke bāre meṅ Rab kī qaummeṅ phail gaī haiṅ wuh achchhīnahīṅ. 25Dekheṅ, agar insān kisīdūsre insān kā gunāh kare to hosaktā hai Allāh donoṅ kā darmiyānīban kar qusūrwār shakhs par rahmkare. Lekin agar koī Rab kā gunāhkare to phir kaun us kā darmiyānīban kar use bachāegā?”Lekin Elī ke beṭoṅ ne bāp kī na

sunī, kyoṅki Rab kī marzī thī kiunheṅ sazā‐e‐mautmil jāe. 26LekinSamuel un se farq thā. Jitnā wuhbaṛā hotā gayā utnī us kī Rab aurinsān ke sāmne qabūliyat baṛhtīgaī.

Elī ke Gharāne ko SazāMilne kī Peshgoī

27Ek din ek nabī Elī ke pās āyā aurkahā, “Rab farmātā hai, ‘Kyā jabterā bāp Hārūn aur us kā gharānāMisr ke bādshāh ke ġhulām theto maiṅ ne apne āp ko us parzāhir na kiyā? 28Go Isrāīl ke bārahqabīle the lekin maiṅ ne muqarrar

Page 124: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

118 1 Samuel 2:36

kiyā ki usī ke gharāne ke mardmere imām ban kar qurbāngāhke sāmne khidmat kareṅ, bakhūrjalāeṅ aur mere huzūr imāmkā bālāposh pahneṅ. Sāth sāthmaiṅ ne unheṅ qurbāngāh parjalne wālī qurbāniyoṅ kā ek hissāmilne kā haq de diyā. 29To phirtum log zabah aur ġhallā kī wuhqurbāniyāṅ haqīr kyoṅ jānte hojo mujhe hī pesh kī jātī haiṅ aurjo maiṅ ne apnī sukūnatgāh kelie muqarrar kī thīṅ? Elī, tū apnebeṭoṅ kā mujh se zyādā ehtirāmkartā hai. Tum to merī qaum Isrāīlkī har qurbānī ke behtarīn hissekhā khā kar moṭe ho gae ho.’

30Chunāṅche Rab jo Isrāīl kāKhudā hai farmātā hai, wādā tomaiṅ ne kiyā thā ki Lāwī ke qabīlekā terā gharānā hameshā hī imāmkī khidmat saranjām degā. Lekinab maiṅ elān kartā hūṅ ki aisākabhī nahīṅ hogā! Kyoṅki jo merāehtirām karte haiṅ un kā maiṅehtirām karūṅga, lekin jo mujhehaqīr jānte haiṅ unheṅ haqīr jānājāegā. 31Is lie sun! Aise din ārahe haiṅ jab maiṅ terī aur teregharāne kī tāqat yoṅ toṛ ḍālūṅgāki ghar kā koī bhī buzurg nahīṅpāyā jāegā. 32Aur tū maqdis meṅ

musībat dekhegā hālāṅki maiṅIsrāīl ke sāth bhalāī kartā rahūṅgā.Tere ghar meṅ kabhī bhī buzurgnahīṅ pāyā jāegā. 33Maiṅ tum meṅse har ek ko to apnī khidmat senikāl kar halāk nahīṅ karūṅga jabterī āṅkheṅ dhundlī‐sī paṛ jāeṅgīaur terī jān halkān ho jāegī. Lekinterī tamām aulād ġhairtabaī mautmaregī. 34Tere beṭe Hufnī aurFīnhās donoṅ ek hī din halāk hojāeṅge. Is nishān se tujhe yaqīnāegā ki jo kuchh maiṅ ne farmāyāhai wuh sach hai.

35Tab maiṅ apne lie ek imāmkhaṛā karūṅga jo wafādār rahegā.Jo bhīmerādil aurmerī jān chāhegīwuhī wuh karegā. Maiṅ us ke gharkī mazbūt buniyādeṅ rakhūṅgā,aur wuh hameshā tak mere masahkie hue khādim ke huzūr ātājātā rahegā. 36Us waqt tere gharke bache hue tamām afrād usimām ke sāmne jhuk jāeṅge aurpaise aur roṭī māṅg kar iltamāskareṅge, ‘Mujhe imām kī koī na koīzimmedārī deṅ tāki roṭī kā ṭukṛāmil jāe.’”

Page 125: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 3:1 119

Allāh Samuel se HamkalāmHotā Hai

3 Chhoṭā Samuel Elī ke zer‐e‐nigarānī Rab ke huzūr

khidmat kartā thā. Un dinoṅ meṅRab kī taraf se bahut kam paiġhāmyā royāeṅ miltī thīṅ. 2Ek rāt Elījis kī āṅkheṅ itnī kamzor ho gaīthīṅ ki dekhnā taqrīban nāmumkinthā māmūl ke mutābiq so gayā thā.3Samuel bhī leṭ gayā thā. Wuh Rabke maqdis meṅ so rahā thā jahāṅahd kā sandūq paṛā thā. Shamādānab takRabkehuzūr jal rahā thā 4‐5kiachānak Rab ne āwāz dī, “Samuel!”Samuel ne jawāb diyā, “Jī, maiṅabhī ātā hūṅ.” Wuh bhāg kar Elī kepās gayā aur kahā, “Jī janāb, maiṅhāzir hūṅ. Āp ne mujhe bulāyā?”Elī bolā, “Nahīṅ, maiṅ ne tumheṅnahīṅ bulāyā. Wāpas jā kar dubārāleṭ jāo.” Chunāṅche Samuel dubārāleṭ gayā.

6Lekin Rab ne ek bār phir āwāzdī, “Samuel!” Laṛkā dubārā uṭhāaur Elī ke pās jā kar bolā, “Jījanāb, maiṅ hāzir hūṅ. Āp nemujhe bulāyā?” Elī ne jawābdiyā, “Nahīṅ beṭā, maiṅ ne tumheṅnahīṅ bulāyā. Dubārā so jāo.”

7Us waqt Samuel Rab kī āwāznahīṅ pahchān saktā thā, kyoṅkiabhī use Rab kā koī paiġhām nahīṅmilā thā. 8Chunāṅche Rab ne tīsrībār āwāz dī, “Samuel!” Ek aurmartabā Samuel uṭh khaṛā huā aurElī ke pās jā kar bolā, “Jī janāb,maiṅ hāzir hūṅ. Āp ne mujhebulāyā?” Yih sun kar Elī ne jānliyā ki Rab Samuel se hamkalāmho rahā hai. 9Is lie us ne laṛke kobatāyā, “Ab dubārā leṭ jāo, lekinaglī dafā jab āwāz sunāī de totumheṅ kahnā hai, ‘Ai Rab, farmā.Terā khādim sun rahā hai.’”Samuel ek bār phir apne bistar

par leṭ gayā. 10Rab ā kar wahāṅkhaṛā huā aur pahle kī tarahpukārā, “Samuel! Samuel!” Laṛkene jawāb diyā, “Ai Rab, farmā. Terākhādim sun rahā hai.” 11Phir RabSamuel se hamkalām huā, “Dekh,maiṅ Isrāīl meṅ itnā haulnāk kāmkarūṅga ki jise bhī is kī khabarmilegī us ke kān bajne lageṅge.12Us waqt maiṅ shurū se le karākhir tak wuh tamām bāteṅ pūrīkarūṅga jo maiṅ ne Elī aur uske gharāne ke bāre meṅ kī haiṅ.13Maiṅ Elī ko āgāh kar chukā hūṅki us kā gharānā hameshā tak merīadālat kā nishānā banā rahegā.

Page 126: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

120 1 Samuel 4:5

Kyoṅki go use sāf mālūm thā kius ke beṭe apnī ġhalat harkatoṅ semerā ġhazab apne āp par lāeṅge tobhī us ne unheṅ karne diyā aur narokā. 14Maiṅ ne qasam khāī hai kiElī ke gharāne kā qusūr na zabahaur na ġhallā kī kisī qurbānī se dūrkiyā jā saktā hai balki is kā kaffārākabhī bhī nahīṅ diyā jā sakegā!”

15Is ke bād Samuel subah takapne bistar par leṭā rahā. Phir wuhmāmūl kemutābiq uṭhā aur Rab keghar ke darwāze khol die. Wuh Elīko apnī royā batāne se ḍartā thā,16lekin Elī ne use bulā kar kahā,“Samuel, mere beṭe!” Samuel nejawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”17Elī ne pūchhā, “Rab ne tumheṅkyā batāyā hai? Koī bhī bāt mujh semat chhupānā! Allāh tumheṅ sakhtsazā de agar tum ek lafz bhī mujhse poshīdā rakho.” 18Phir Samuelne use khul kar sab kuchh batā diyāaur ek bāt bhī na chhupāī. Elī nekahā, “WuhīRabhai. Jo kuchhus kīnazar meṅ ṭhīk hai use wuh kare.”

19Samuel jawān hotā gayā, aurRab us ke sāth thā. Us ne Samuel kīhar bāt pūrī hone dī. 20Pūre Isrāīlne Dān se le kar Bair‐sabā tak jānliyā ki Rab ne apne nabī Samuelkī tasdīq kī hai. 21Agle sāloṅ meṅ

bhī Rab Sailā meṅ apne kalām seSamuel par zāhir hotā rahā.

4 Yoṅ Samuel kā kalām Sailā senikal kar pūre Isrāīlmeṅ phail

gayā.

Filistī Ahd kā SandūqChhīn Lete Haiṅ

Ek din Isrāīl kī Filistiyoṅ ke sāthjang chhiṛ gaī. Isrāīliyoṅ ne laṛneke lie nikal kar Aban‐azar kepās apnī lashkargāh lagāī jabkiFilistiyoṅ ne Afīq ke pās apne ḍereḍāle. 2Pahle Filistiyoṅ ne Isrāīliyoṅpar hamlā kiyā. Laṛte laṛte unhoṅne Isrāīl ko shikast dī. Taqrīban4,000 Isrāīlī maidān‐e‐jang meṅhalāk hue.

3Fauj lashkargāh meṅ wāpas āīto Isrāīl ke buzurg sochne lage,“Rab ne Filistiyoṅ ko ham par kyoṅfatah pāne dī? Āo, ham Rab keahd kā sandūq Sailā se le āeṅ tākiwuh hamāre sāth chal kar hameṅdushman se bachāe.”

4Chunāṅche ahd kā sandūq jis keūpar Rabbul‐afwāj karūbī farishtoṅke darmiyān takhtnashīn hai Sailāse lāyā gayā. Elī ke do beṭe Hufnīaur Fīnhās bhī sāth āe. 5Jab ahd kāsandūq lashkargāh meṅ pahuṅchā

Page 127: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 4:6 121

to Isrāīlī nihāyat khush ho karbuland āwāz se nāre lagāne lage.Itnā shor mach gayā ki zamīn hilgaī.

6Yih sun kar Filistī chaunk uṭheaur ek dūsre se pūchhne lage, “Yihkaisā shor hai jo Isrāīlī lashkargāhmeṅ ho rahā hai?” Jab patā chalāki Rab ke ahd kā sandūq Isrāīlīlashkargāh meṅ ā gayā hai 7towuh ghabrā kar chillāe, “Un kādewatā un kī lashkargāh meṅ āgayā hai. Hāy, hamārā satyānāsho gayā hai! Pahle to aisā kabhīnahīṅ huā hai. 8Ham par afsos!Kaun hameṅ in tāqatwar dewatāoṅse bachāegā? Kyoṅki inhīṅ neregistān meṅMisriyoṅ ko har qismkī balā se mār kar halāk kar diyāthā. 9Bhāiyo, ab diler ho aurmardānagī dikhāo, warnā ham usītarah Ibrāniyoṅ ke ġhulām banjāeṅge jaise wuh ab tak hamāreġhulām the. Mardānagī dikhā karlaṛo!” 10Āpas meṅ aisī bāteṅ kartekarte Filistī laṛne ke lie nikle aurIsrāīl ko shikast dī. Har taraf qatl‐e‐ām nazar āyā, aur 30,000 piyādeIsrāīlī kāmāe. Bāqī sab farār ho karapne apne gharoṅ meṅ chhup gae.11Elī ke do beṭe Hufnī aur Fīnhāsbhī usī din halāk hue, aur Allāh ke

ahd kā sandūq Filistiyoṅ ke qabzemeṅ ā gayā.

Elī kī Maut12Usī din Binyamīn ke qabīle kāek ādmī maidān‐e‐jang se bhāg karSailā pahuṅch gayā. Us ke kapṛephaṭe hue the aur sar par khāk thī.13‐15Elī saṛak ke kināre apnī kursīpar baiṭhā thā. Wuh ab andhā hochukā thā, kyoṅki us kī umr 98 sālthī. Wuh baṛī bechainī se rāstepar dhyān de rahā thā tāki jang kīkoī tāzā khabar mil jāe, kyoṅki useis bāt kī baṛī fikr thī ki Allāh kāsandūq lashkargāh meṅ hai.Jab wuh ādmī shahr meṅ dākhil

huā aur logoṅ ko sārā mājarāsunāyā to pūrā shahr chillānelagā. Jab Elī ne shor sunā to usne pūchhā, “Yih kyā shor hai?”Binyamīnī dauṛ kar Elī ke pās āyāaur bolā, 16“Maiṅ maidān‐e‐jangse āyā hūṅ. Āj hī maiṅ wahāṅ sefarār huā.” Elī ne pūchhā, “Beṭā,kyā huā?” 17Qāsid ne jawāb diyā,“Isrāīlī Filistiyoṅ ke sāmne farārhue. Fauj ko har taraf shikastmānanī paṛī, aur āp ke donoṅ beṭeHufnī aur Fīnhās bhī māre gae

Page 128: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

122 1 Samuel 5:7

haiṅ. Afsos, Allāh kā sandūq bhīdushman ke qabzemeṅ ā gayā hai.”

18Ahd ke sandūq kā zikr suntehī Elī apnī kursī par se pīchhe kītaraf gir gayā. Chūṅki wuh būṛhāaur bhārī‐bharkam thā is lie uskī gardan ṭūṭ gaī aur wuh wahīṅmaqdis ke darwāze ke pās hī margayā. Wuh 40 sāl Isrāīl kā qāzī rahāthā.

Fīnhās kī Bewā kī Maut19Uswaqt Elī kī bahū yānī Fīnhās kībīwī kā pāṅwbhārī thā aur bachchāpaidā honewālā thā. Jab us ne sunāki Allāh kā sandūq dushman kehāthmeṅā gayāhai aur ki susar aurshauhar donoṅmar gae haiṅ to useitnā sakht sadmā pahuṅchā ki wuhshadīd dard‐e‐zah meṅ mubtalā hogaī. Wuh jhuk gaī, aur bachchāpaidā huā. 20Us kī jān nikalnelagī to dāiyoṅ ne us kī hauslā‐afzāīkarke kahā, “Ḍaro mat! Tumhārebeṭā paidā huā hai.” Lekin māṅne na jawāb diyā, na bāt par dhyāndiyā. 21‐22Kyoṅki wuh Allāh kesandūq ke chhin jāne aur susar aurshauhar kī maut ke bāis nihāyatbedil ho gaī thī. Us ne kahā, “Beṭekā nām Yakabod yānī ‘Jalāl Kahāṅ

Rahā’ hai, kyoṅki Allāh ke sandūqke chhin jāne se Allāh kā jalāl Isrāīlse jātā rahā hai.”

Filistiyoṅmeṅ Ahd kā Sandūq

5 Filistī Allāh kā sandūq Aban‐azar se Ashdūd Shahr meṅ

le gae. 2Wahāṅ unhoṅ ne useapne dewatā Dajūn ke mandirmeṅ but ke qarīb rakh diyā. 3Agledin subah‐sawere jab Ashdūd kebāshinde mandir meṅ dākhil hueto kyā dekhte haiṅ ki Dajūn kāmujassamā muṅh ke bal Rab kesandūq ke sāmne hī paṛā hai.UnhoṅneDajūnkouṭhā kar dubārāus kī jagah par khaṛā kiyā. 4Lekinagle din jab subah‐sawere āe toDajūn dubārā muṅh ke bal Rabke sandūq ke sāmne paṛā huā thā.Lekin is martabā but kā sar aurhāth ṭūṭ kar dahlīz par paṛe the.Sirf dhaṛ rah gayā thā. 5Yihī wajahhai ki āj tak Dajūn kā koī bhī pujārīyā mehmān Ashdūd ke mandir kīdahlīz par qadam nahīṅ rakhtā.

6Phir Rab ne Ashdūd aur gird‐o‐nawāh ke dehātoṅ par sakht dabāwḍāl kar bāshindoṅ ko pareshān kardiyā. Un meṅ achānak aziyatnākphoṛoṅ kī wabā phail gaī. 7Jab

Page 129: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 5:8 123

Ashdūd ke logoṅ ne is kī wajah jānlī to wuh bole, “Lāzim hai ki Isrāīlke Khudā kā sandūq hamāre pās narahe. Kyoṅki us kā ham par aurhamāre dewatā Dajūn par dabāwnāqābil‐e‐bardāsht hai.”

8Unhoṅ ne tamām Filistīhukmrānoṅ ko ikaṭṭhā karkepūchhā, “Ham Isrāīl ke Khudā kesandūq ke sāth kyā kareṅ?”Unhoṅ ne mashwarā diyā, “Use

Jāt Shahr meṅ le jāeṅ.” 9Lekin jabahd kā sandūq Jāt meṅ chhoṛā gayāto Rab kā dabāw us shahr par bhīā gayā. Baṛī afrā‐tafrī paidā huī,kyoṅki chhoṭoṅ se le kar baṛoṅ taksab ko aziyatnāk phoṛe nikal āe.10Tab unhoṅ ne ahd kā sandūq āgeAqrūn bhej diyā.Lekin sandūq abhī pahuṅchne

wālā thā ki Aqrūn ke bāshindechīkhne lage, “Wuh Isrāīl keKhudā kā sandūq hamāre pās lāehaiṅ tāki hameṅ halāk kar deṅ!”11Tamām Filistī hukmrānoṅ kodubārā bulāyā gayā, aur aqrūniyoṅne taqāzā kiyā ki sandūq ko shahrse dūr kiyā jāe. Wuh bole, “Isewahāṅwāpas bhejā jāe jahāṅ se āyāhai, warnā yih hameṅ balki pūrīqaum ko halāk kar ḍālegā.” Kyoṅkishahr par Rab kā sakht dabāw hāwī

ho gayā thā. Mohlak wabā ke bāisus meṅ khauf‐o‐hirās kī lahar dauṛgaī. 12Jo marne se bachā use kamaz kam phoṛe nikal āe. Chāroṅtaraf logoṅ kī chīkh‐pukār fizāmeṅbuland huī.

Ahd kā Sandūq Isrāīl WāpasLāyā Jātā Hai

6 Allāh kā sandūq ab sātmahīneFilistiyoṅ ke pās rahā thā.

2Ākhirkār unhoṅ ne apne tamāmpujāriyoṅ aur rammāloṅ ko bulākar un se mashwarā kiyā, “Abham Rab ke sandūq kā kyā kareṅ?Hameṅ batāeṅ ki ise kis tarah is keapne mulk meṅ wāpas bhejeṅ.”

3Pujāriyoṅ aur rammāloṅ nejawāb diyā, “Agar āp use wāpasbhejeṅ to waise mat bhejnā balkiqusūr kī qurbānī sāth bhejnā. Tabāp ko shifā milegī, aur āp jān leṅgeki wuh āp ko sazā dene se kyoṅnahīṅ bāz āyā.”

4Filistiyoṅ ne pūchhā, “Hamuse kis qism kī qusūr kī qurbānībhejeṅ?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Filistiyoṅ

ke pāṅch hukmrān haiṅ, is lie soneke pāṅch phoṛe aur pāṅch chūhebanwāeṅ, kyoṅki āp sab is ek hī

Page 130: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

124 1 Samuel 6:15

wabā kī zad meṅ āe hue haiṅ,khāh hukmrān hoṅ, khāh riāyā.5Sone ke yih phoṛe aur mulk kotabāh karne wāle chūhe banā karIsrāīl ke dewatā kā ehtirām kareṅ.Shāyad wuh yih dekh kar āp, āp kedewatāoṅ aur mulk ko sazā dene sebāz āe. 6Āp kyoṅ purāne zamāneke Misriyoṅ aur un ke bādshāh kītarah aṛ jāeṅ? Kyoṅki us waqt Allāhne Misriyoṅ ko itnī sakht musībatmeṅ ḍāl diyā ki ākhirkār unheṅIsrāīliyoṅ ko jāne denā paṛā.

7Ab bailgāṛī banā kar us ke āgedo gāeṅ joteṅ. Aisī gāeṅ hoṅ jinke dūdh pīne wāle bachche hoṅaur jin par ab tak juā na rakhāgayā ho. Gāyoṅ ko bailgāṛī ke āgejoteṅ, lekin un ke bachchoṅ kosāth jāne na deṅ balki unheṅ kahīṅband rakheṅ. 8Phir Rab kā sandūqbailgāṛī par rakhā jāe aur us kesāth ek thailā jis meṅ sone kī wuhchīzeṅ hoṅ jo āp qusūr kī qurbānīke taurparbhej rahehaiṅ. Is kebādgāyoṅ ko khulā chhoṛ deṅ. 9Ġhaurkareṅ ki wuh kaun‐sā rāstā ikhtiyārkareṅgī. Agar Isrāīl ke Bait‐shamskī taraf chaleṅ to phir mālūm hogāki Rab ham par yih baṛī musībatlāyā hai. Lekin agar wuh kahīṅaur chaleṅ to matlab hogā ki Isrāīl

ke dewatā ne hameṅ sazā nahīṅ dībalki sab kuchh ittafāq se huā hai.”

10Filistiyoṅ ne aisā hī kiyā.Unhoṅ ne do gāeṅ naī bailgāṛī meṅjot kar un ke chhoṭe bachchoṅ kokahīṅ band rakhā. 11Phir unhoṅ neahd kā sandūq us thaile samet jismeṅ sone ke chūhe aur phoṛe thebailgāṛī par rakhā.

12Jab gāyoṅ ko chhoṛ diyā gayāto wuh ḍakrātī ḍakrātī sīdhī Bait‐shams ke rāste par ā gaīṅ aur nadāīṅ, na bāīṅ taraf haṭīṅ. Filistiyoṅke sardār Bait‐shams kī sarhad takun ke pīchhe chale.

13Us waqt Bait‐shams kebāshinde nīche wādī meṅ gandumkī fasal kāṭ rahe the. Ahd kā sandūqdekh kar wuh nihāyat khush hue.14Bailgāṛī ek khet tak pahuṅchījis kā mālik Bait‐shams kā rahnewālā Yashua thā. Wahāṅ wuh ekbaṛe patthar ke pās ruk gaī. Logoṅne bailgāṛī kī lakaṛī ṭukṛe ṭukṛekarke use jalā diyā aur gāyoṅ kozabah karke Rab ko bhasm honewālī qurbānī ke taur par pesh kiyā.15Lāwī ke qabīle ke kuchh mardoṅne Rab ke sandūq ko bailgāṛī seuṭhā kar sone kī chīzoṅ ke thailesamet patthar par rakh diyā. Usdin Bait‐shams ke logoṅ ne Rab

Page 131: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 6:16 125

ko bhasm hone wālī aur zabah kīqurbāniyāṅ pesh kīṅ.

16Yih sab kuchh dekhne ke bādFilistī sardār usī din Aqrūn wāpaschale gae. 17Filistiyoṅ ne apnāqusūr dūr karne ke lie har ek shahrke lie sone kā ekphoṛā banā liyā thāyānī Ashdūd, Ġhazzā, Askqalūn, Jātaur Aqrūn ke lie ek ek phoṛā. 18Iske alāwā unhoṅ ne har shahr aur uske gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ ke liesone kā ek ek chūhā banā liyā thā.Jis baṛe patthar par ahd kā sandūqrakhā gayā wuh āj tak Yashua Bait‐shamsī ke khetmeṅ is bāt kī gawāhīdetā hai.

Ahd kā Sandūq Qiriyat‐yārīmMeṅ19Lekin Rab ne Bait‐shams kebāshindoṅ ko sazā dī, kyoṅki unmeṅ se bāz ne ahd ke sandūqmeṅ nazar ḍālī thī. Us waqt 70afrād halāk hue. Rab kī yih sakhtsazā dekh kar Bait‐shams ke logmātam karne lage. 20Wuh bole,“Kaun ismuqaddas Khudā ke huzūrqāym rah saktā hai? Yih hamārebas kī bāt nahīṅ, lekin ham Rabkā sandūq kis ke pās bhejeṅ?”21Ākhir meṅ unhoṅ ne Qiriyat‐yārīm ke bāshindoṅ ko paiġhām

bhejā, “Filistiyoṅ ne Rab kā sandūqwāpas kar diyā hai. Ab āeṅ aur useapne pās le jāeṅ!”

7 Yih sun kar Qiriyat‐yārīm kemard āe aur Rab kā sandūq

apne shahr meṅ le gae. Wahāṅunhoṅ ne use Abīnadāb ke gharmeṅ rakh diyā jo pahāṛī parthā. Abīnadāb ke beṭe Iliyazar komakhsūs kiyā gayā tāki wuh ahd kesandūq kī pahrādārī kare.

Taubā kīWajah se IsrāīlīFilistiyoṅ par Fatah Pāte Haiṅ

2Ahd kā sandūq 20 sāl ke tawīl arsetak Qiriyat‐yārīmmeṅ paṛā rahā. Isdaurān tamām Isrāīl mātam kartārahā, kyoṅki lagtā thā ki Rab neunheṅ tark kar diyā hai. 3PhirSamuel ne tamām Isrāīliyoṅ sekahā, “Agar āp wāqaī Rab ke pāswāpas ānā chāhte haiṅ to ajnabīmābūdoṅ aur Astārāt Dewī ke butdūr kar deṅ. Pūre dil ke sāth Rabke tābeho kar usī kī khidmat kareṅ.Phir hī wuh āp ko Filistiyoṅ sebachāegā.”

4Isrāīliyoṅ ne us kī bāt mān lī.Wuh Bāl aur Astārāt ke butoṅ kophaiṅk kar sirf Rab kī khidmatkarne lage. 5Tab Samuel ne elān

Page 132: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

126 1 Samuel 7:17

kiyā, “Pūre Isrāīl ko Misfāh meṅjamā kareṅ to maiṅ wahāṅ Rab seduā karke āp kī sifārish karūṅga.”6Chunāṅche wuh sab Misfāh meṅjamā hue. Taubā kā izhār karkeunhoṅ ne kueṅ se pānī nikāl karRab ke huzūr unḍel diyā. Sāthsāth unhoṅ ne pūrā din rozā rakhāaur iqrār kiyā, “Ham ne Rab kāgunāh kiyā hai.” Wahāṅ Misfāhmeṅ Samuel ne Isrāīliyoṅ ke liekachahrī lagāī.

7Filistī hukmrānoṅ ko patā chalāki IsrāīlīMisfāhmeṅ jamā hue haiṅto wuh un se laṛne ke lie āe. Yihsun kar Isrāīlī sakht ghabrā gae8aur Samuel se minnat kī, “Duākarte raheṅ! Rab hamāre Khudāse iltamās karne se na rukeṅ tākiwuh hameṅ Filistiyoṅ se bachāe.”9Tab Samuel ne bheṛ kā dūdh pītābachchā chun kar Rab ko bhasmhone wālī qurbānī ke taur par peshkiyā. Sāth sāth wuh Rab se iltamāskartā rahā.Aur Rab ne us kī sunī. 10Samuel

abhī qurbānī pesh kar rahā thāki Filistī wahāṅ pahuṅch karIsrāīliyoṅ par hamlā karne ke lietaiyār hue. Lekin us din Rab ne zorse kaṛaktī huī āwāz se Filistiyoṅ koitnā dahshatzadā kar diyā ki wuh

darham‐barham ho gae aur Isrāīlīāsānī se unheṅ shikast de sake.11Isrāīliyoṅ ne Misfāh se nikal karBait‐kār ke nīche tak dushman kātāqqub kiyā. Rāste meṅ bahut‐seFilistī halāk hue.

12Is fatah kī yād meṅ Samuel neMisfāh aur Shen ke darmiyān ekbaṛā patthar nasab kar diyā. Usne patthar kā nām Aban‐azar yānī‘Madad kā Patthar’ rakhā. Kyoṅkius ne kahā, “Yahāṅ tak Rab nehamārī madad kī hai.” 13Is tarahFilistiyoṅ ko maġhlūb kiyā gayā,aur wuh dubārā Isrāīl ke ilāqe meṅna ghuse. Jab tak Samuel jītā rahāFilistiyoṅ par Rab kā sakht dabāwrahā. 14Aur Aqrūn se le kar Jāt takjitnī Isrāīlī ābādiyāṅ Filistiyoṅ kehāth meṅ ā gaī thīṅ wuh sab unkī zamīnoṅ samet dubārā Isrāīl keqabze meṅ ā gaīṅ. Amoriyoṅ kesāth bhī sulah ho gaī.

15Samuel apne jīte‐jī Isrāīl kā qāzīaur rāhnumā rahā. 16Har sāl wuhBaitel, Jiljāl aur Misfāh kā daurākartā, kyoṅki in tīn jaghoṅ par wuhIsrāīliyoṅ ke lie kachahrī lagāyākartā thā. 17Is ke bād wuh dubārāRāmā apne ghar wāpas ā jātā jahāṅmustaqil kachahrī thī. Wahāṅ us

Page 133: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 8:1 127

ne Rab ke lie qurbāngāh bhī banāīthī.

Isrāīl Bādshāh kā TaqāzāKartā Hai

8 Jab Samuel būṛhā huā to us neapne do beṭoṅ ko Isrāīl ke qāzī

muqarrar kiyā. 2Baṛe kā nām Yoelthā aur chhoṭe kā Abiyāh. DonoṅBair‐sabā meṅ logoṅ kī kachahrīlagāte the. 3Lekin wuh bāp kenamūne par nahīṅ chalte balkirishwat khā kar ġhalat faisle kartethe.

4Phir Isrāīl ke buzurg mil karSamuel ke pās āe, jo Rāmā meṅthā. 5Unhoṅ ne kahā, “Dekheṅ, āpbūṛhe ho gae haiṅ aur āp ke beṭeāp ke namūne par nahīṅ chalte. Abham par bādshāh muqarrar kareṅtāki wuh hamārī us tarah rāhnumāīkare jis tarah dīgar aqwām meṅdastūr hai.”

6Jabbuzurgoṅne rāhnumāī ke liebādshāh kā taqāzā kiyā to Samuelnihāyat nākhush huā. Chunāṅcheus ne Rab se hidāyat māṅgī. 7Rabne jawāb diyā, “Jo kuchh bhī wuhtujh se māṅgte haiṅ unheṅ de de.Is se wuh tujhe radd nahīṅ kar rahebalki mujhe, kyoṅki wuh nahīṅ

chāhte ki maiṅ un kā bādshāhrahūṅ. 8Jab se maiṅ unheṅ Misrse nikāl lāyā wuh mujhe chhoṛ kardīgar mābūdoṅ kī khidmat karte āehaiṅ. Aur ab wuh tujh se bhī yihīsulūk kar rahe haiṅ. 9Un kī bātmān le, lekin sanjīdagī se unheṅ unpar hukūmat karne wāle bādshāhke huqūq se āgāh kar.”

Bādshāh ke Huqūq10Samuel ne bādshāh kā taqāzākarne wāloṅ ko sab kuchh kahsunāyā jo Rab ne use batāyā thā.11Wuh bolā, “Jo bādshāh āp parhukūmat karegā us ke yih huqūqhoṅge: Wuh āp ke beṭoṅ kī bhartīkarke unheṅ apne rathoṅ aurghoṛoṅ ko saṅbhālne kī zimmedārīdegā. Unheṅ us ke rathoṅ keāge āge dauṛnā paṛegā. 12Kuchhus kī fauj ke janral aur kaptānbaneṅge, kuchh us ke khetoṅ meṅhal chalāne aur fasleṅ kāṭne parmajbūr ho jāeṅge, aur bāz ko us kehathiyār aur rath kā sāmān banānāpaṛegā. 13Bādshāh āp kī beṭiyoṅko āp se chhīn legā tāki wuh us kelie khānā pakāeṅ, roṭī banāeṅ aurkhushbū taiyār kareṅ. 14Wuh āp kekhetoṅ aur āp ke angūr aur zaitūn

Page 134: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

128 1 Samuel 9:6

ke bāġhoṅ kā behtarīn hissā chunkar apne mulāzimoṅ ko de degā.15Bādshāh āp ke anāj aur angūr kādaswāṅ hissā le kar apne afsaroṅaur mulāzimoṅ ko de degā. 16Āp kenaukar‐naukarāniyāṅ, āp ke moṭe‐tāze bail aur gadhe usī ke istemālmeṅ āeṅge. 17Wuh āp kī bheṛ‐bakriyoṅ kā daswāṅ hissā talabkaregā, aur āp khud us ke ġhulāmhoṅge.

18Tab āp pachhtā kar kaheṅge,‘Ham ne bādshāh kā taqāzā kyoṅkiyā?’ Lekin jab āp Rab ke huzūrchīkhte‐chillāte madad chāheṅgeto wuh āp kī nahīṅ sunegā.”

19Lekin logoṅ ne Samuel kī bātna mānī balki kahā, “Nahīṅ, tobhī ham bādshāh chāhte haiṅ,20kyoṅki phir hī hamdīgar qaumoṅkī mānind hoṅge. Phir hamārābādshāh hamārī rāhnumāī karegāaur jang meṅ hamāre āge āge chalkar dushman se laṛegā.” 21Samuelne Rab ke huzūr yih bāteṅ dohrāīṅ.22Rab ne jawāb diyā, “Un kā taqāzāpūrā kar, un par bādshāhmuqarrarkar!”Phir Samuel ne Isrāīl ke mardoṅ

se kahā, “Har ek apne apne shahrwāpas chalā jāe.”

Sāūl Bāp kī GadhiyāṅTalāsh Kartā Hai

9 Binyamīn ke qabāylī ilāqemeṅ ek Binyamīnī banām Qīs

rahtā thā jis kā achchhā‐khāsā asar‐o‐rasūkh thā. Bāp kā nām Abiyelbin Saror bin Bakūrat bin Afīkhthā. 2Qīs kā beṭā Sāūl jawān aurkhūbsūrat thā balki Isrāīl meṅ koīaur itnā khūbsūrat nahīṅ thā. Sāthsāth wuh itnā lambā thā ki bāqī sablog sirf us ke kandhoṅ tak āte the.

3Ek din Sāūl ke bāp Qīs kīgadhiyāṅ gum ho gaīṅ. Yih dekhkar us ne apne beṭe Sāūl ko hukmdiyā, “Naukar ko apne sāth le kargadhiyoṅ ko ḍhūnḍ lāeṅ.” 4Donoṅādmī Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe aurSalīsā ke ilāqe meṅ se guzare,lekin besūd. Phir unhoṅ ne Sālīmke ilāqe meṅ khoj lagāyā, lekinwahāṅ bhī gadhiyāṅ na milīṅ. Iske bād wuh Binyamīn ke ilāqemeṅ ghūmte phire, lekin befāydā.5Chalte chalte wuh Sūf ke qarībpahuṅch gae. Sāūl ne naukar sekahā, “Āo, ham ghar wāpas chaleṅ,aisā na ho ki wālid gadhiyoṅ kīnahīṅ balki hamārī fikr kareṅ.”

6Lekin naukar ne kahā, “Is shahrmeṅ ek mard‐e‐Khudā hai. Log us

Page 135: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 9:7 129

kī baṛī izzat karte haiṅ, kyoṅki jokuchh bhī wuh kahtā hai wuh pūrāho jātā hai. Kyoṅ na ham us kepās jāeṅ? Shāyadwuhhameṅ batāeki gadhiyoṅ ko kahāṅ ḍhūṅḍnāchāhie.”

7Sāūl ne pūchhā, “Lekin ham usekyā deṅ? Hamārā khānā khatm hogayā hai, aur hamāre pās us ke lietohfā nahīṅ hai.”

8Naukar ne jawāb diyā, “Koī bātnahīṅ, mere pās chāṅdī kā chhoṭāsikkāa hai. Yihmaiṅmard‐e‐Khudāko de dūṅgā tāki batāe ki ham kistaraf ḍhūnḍeṅ.”

9‐11Sāūl ne kahā, “Ṭhīk hai,chaleṅ.” Wuh shahr kī taraf chalpaṛe tāki mard‐e‐Khudā se bātkareṅ. Jab pahāṛī ḍhalān par shahrkī taraf chaṛh rahe the to kuchhlaṛkiyāṅ pānī bharne ke lie niklīṅ.Ādmiyoṅ ne un se pūchhā, “Kyāġhaibbīn shahr meṅ hai?” (Purānezamānemeṅ nabī ġhaibbīn kahlātāthā. Agar koī Allāh se kuchhmālūm karnā chāhtā to kahtā, “Āo,ham ġhaibbīn ke pās chaleṅ.”)

12‐13Laṛkiyoṅ ne jawāb diyā,“Jī, wuh abhī abhī pahuṅchā hai,

kyoṅki shahr ke log āj pahāṛī parqurbāniyāṅ chaṛhā kar īd manārahe haiṅ. Agar jaldī kareṅ topahāṛī par chaṛhnī se pahle usse mulāqāt ho jāegī. Us waqt takziyāfat shurū nahīṅ hogī jab takġhaibbīn pahuṅch na jāe. Kyoṅkiuse pahle khāne ko barkat denāhai, phir hī mehmānoṅ ko khānākhāne kī ijāzat hai. Ab jāeṅ, kyoṅkiisī waqt āp us se bāt kar sakte haiṅ.”

14Chunāṅche Sāūl aur naukarshahr kī taraf baṛhe. Shahr kedarwāze par hī Samuel se mulāqātho gaī jo wahāṅ se nikal karqurbāngāh kī pahāṛī par chaṛhnīko thā.

Samuel Sāūl kī Mehmān‐nawāzī Kartā Hai

15Rab Samuel ko ek din pahlepaiġhām de chukā thā, 16“Kal maiṅisī waqt Mulk‐e‐Binyamīn kā ekādmī tere pās bhej dūṅgā. Usemasah karke merī qaum Isrāīl parbādshāh muqarrar kar. Wuh merīqaum ko Filistiyoṅ se bachāegā.Kyoṅki maiṅ ne apnī qaum kīmusībat par dhyān diyā hai, aur

aLafzī tarjumā: chāṅdī ke sikke kī ekchauthāī

Page 136: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

130 1 Samuel 9:27

madadke lie us kī chīkheṅmujh takpahuṅch gaī haiṅ.” 17Ab jab Samuelne shahr ke darwāze se nikalte hueSāūl ko dekhā to Rab Samuel sehamkalām huā, “Dekh, yihī wuhādmī hai jis kā zikrmaiṅ ne kal kiyāthā. Yihī merī qaum par hukūmatkaregā.”

18Wahīṅ shahr ke darwāze parSāūl Samuel se mukhātib huā,“Mehrbānī karke mujhe batāieki ġhaibbīn kā ghar kahāṅ hai?”19Samuel ne jawāb diyā, “Maiṅhī ġhaibbīn hūṅ. Āeṅ, us pahāṛīpar chaleṅ jis par ziyāfat ho rahīhai, kyoṅki āj āp mere mehmānhaiṅ. Kal maiṅ subah‐sawere āpko āp ke dil kī bāt batā dūṅgā.20Jahāṅ tak tīn din se gumshudāgadhiyoṅ kā tālluq hai, un kī fikr nakareṅ. Wuh to mil gaī haiṅ. Waiseāp aur āp ke bāp ke gharāne koIsrāīl kī har qīmtī chīz hāsil hai.”21Sāūl ne pūchhā, “Yih kis tarah?Maiṅ to Isrāīl ke sab se chhoṭeqabīle Binyamīn kā hūṅ, aur merākhāndān qabīle meṅ sab se chhoṭāhai.”

22Samuel Sāūl ko naukar sametus hāl meṅ le gayā jis meṅ ziyāfatho rahī thī. Taqrīban 30 mehmānthe, lekin Samuel ne donoṅ

ādmiyoṅ ko sab se izzat kī jagahpar biṭhā diyā. 23Khānsāme ko usne hukm diyā, “Ab gosht kā wuhṭukṛā le āo jo maiṅ ne tumheṅ dekar kahā thā ki use alag rakhnāhai.” 24Khānsāme ne qurbānī kīrān lā kar use Sāūl ke sāmne rakhdiyā. Samuel bolā, “Yih āp ke liemahfūz rakhā gayā hai. Ab khāeṅ,kyoṅki dūsroṅ ko dāwat dete waqtmaiṅ ne yih gosht āp ke lie auris mauqe ke lie alag kar liyā thā.”Chunāṅche Sāūl ne us din Samuelke sāth khānā khāyā.

25Ziyāfat ke bād wuh pahāṛīse utar kar shahr wāpas āe, aurSamuel apne ghar kī chhat par Sāūlse bātchīt karne lagā. 26Agle dinjab pau phaṭne lagī to Samuel nenīche se Sāūl ko jo chhat par sorahā thā āwāz dī, “Uṭheṅ! Maiṅ āpko rukhsat karūṅ.” Sāūl jāg uṭhāaur wuh mil kar rawānā hue. 27Jabwuh shahr ke kināre par pahuṅcheto Samuel ne Sāūl se kahā, “Apnenaukar ko āge bhejeṅ.” Jab naukarchalā gayā to Samuel bolā, “Ṭhaharjāeṅ, kyoṅki mujhe āp ko Allāh kāek paiġhām sunānā hai.”

Page 137: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 10:1 131

Sāūl koMasah Kiyā Jātā Hai

10 Phir Samuel ne kuppī lekar Sāūl ke sar par zaitūn

kā tel unḍel diyā aur use bosā dekar kahā, “Rab ne āp ko apnī khāsmilkiyat par rāhnumā muqarrarkiyā hai. 2Mere pās se chale jāneke bād jab āp Binyamīn kī sarhadke shahr Zilzakh ke qarīb Rākhilkī qabr ke pās se guzareṅge to āpkī mulāqāt do ādmiyoṅ se hogī.Wuh āp se kaheṅge, ‘Jo gadhiyāṅāp ḍhūṅḍne gae wuh mil gaī haiṅ.Aur ab āp ke bāp gadhiyoṅ kī nahīṅbalki āp kī fikr kar rahe haiṅ. Wuhkah rahe haiṅ ki maiṅ kis tarahapne beṭe kā patā karūṅ?’

3Āp āge jā kar Tabūr ke balūtke darakht ke pās pahuṅcheṅge.Wahāṅ tīn ādmī āp se mileṅge joAllāh kī ibādat karne ke lie Baiteljā rahe hoṅge. Ek ke pās tīn chhoṭībakriyāṅ, dūsre ke pās tīn roṭiyāṅaur tīsre ke pās mai kī mashkhogī. 4Wuh āp ko salām kah kardo roṭiyāṅ deṅge. Un kī yih roṭiyāṅqabūl kareṅ.

5Is ke bād āp Allāh ke Jibiyājāeṅge jahāṅ Filistiyoṅ kī chaukīhai. Shahr meṅ dākhil hote waqtāp kīmulāqāt nabiyoṅke ek julūs se

hogī jo uswaqt pahāṛī kī qurbāngāhse utar rahā hogā. Un ke āgeāge sitār, daf, bāṅsriyāṅ aur sarodbajāne wāle chaleṅge, aur wuhnabuwwat kī hālat meṅ hoṅge.6Rab kā Rūh āp par bhī nāzilhogā, aur āp un ke sāth nabuwwatkareṅge. Us waqt āp farq shakhsmeṅ tabdīl ho jāeṅge.

7Jab yih tamām nishān wujūdmeṅ āeṅge to wuh kuchh kareṅjo āp ke zahan meṅ ā jāe, kyoṅkiAllāh āp ke sāth hogā. 8Phir mereāge Jiljāl chale jāeṅ. Maiṅ bhīāūṅgā aur wahāṅ bhasm hone wālīaur salāmatī kī qurbāniyāṅ peshkarūṅga. Lekin āp ko sāt din merāintazār karnā hai. Phir maiṅ ā karāp ko batā dūṅgā ki āge kyā karnāhai.”

9Sāūl rawānā hone ke lie Samuelke pās se muṛā to Allāh ne us kā diltabdīl kar diyā. Jin nishānoṅ kī bhīpeshgoī Samuel ne kī thī wuh usīdin pūrī huī. 10Jab Sāūl aur us kānaukar Jibiyā pahuṅche to wahāṅun kī mulāqāt mazkūrā nabiyoṅ kejulūs se huī. Allāh kā Rūh Sāūl parnāzil huā, aur wuh un ke darmiyānnabuwwat karne lagā. 11Kuchh logwahāṅ the jo bachpan se us sewāqif the. Sāūl ko yoṅ nabiyoṅ

Page 138: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

132 1 Samuel 10:23

ke darmiyān nabuwwat karte huedekh karwuh āpasmeṅkahne lage,“Qīs ke beṭe ke sāth kyā huā? KyāSāūl ko bhī nabiyoṅ meṅ shumārkiyā jātā hai?” 12Ek maqāmī ādmīne jawāb diyā, “Kaun in kā bāphai?” Bād meṅ yih muhāwarā bangayā, “Kyā Sāūl ko bhī nabiyoṅmeṅshumār kiyā jātā hai?”

13Nabuwwat karne ke ikhtitāmpar Sāūl pahāṛī par chaṛh gayājahāṅ qurbāngāh thī. 14Jab Sāūlnaukar samet wahāṅ pahuṅchā tous ke chachā ne pūchhā, “Āp kahāṅthe?” Sāūl ne jawāb diyā, “Hamgumshudā gadhiyoṅ ko ḍhūṅḍneke lie nikle the. Lekin jab wuhna milīṅ to ham Samuel ke pāsgae.” 15Chachā bolā, “Achchhā? Usne āp ko kyā batāyā?” 16Sāūl nejawāb diyā, “Khair, us ne kahā kigadhiyāṅ mil gaī haiṅ.” Lekin jokuchh Samuel ne bādshāh bananeke bāre meṅ batāyā thā us kā zikrus ne na kiyā.

Sāūl Bādshāh Ban Jātā Hai17Kuchh der ke bād Samuel neawām ko bulā kar Misfāh meṅRab ke huzūr jamā kiyā. 18Usne kahā, “Rab Isrāīl kā Khudā

farmātā hai, ‘Maiṅ Isrāīl ko Misrse nikāl lāyā. Maiṅ ne tumheṅMisriyoṅ aur un tamām saltanatoṅse bachāyā jo tumpar zulmkar rahīthīṅ. 19Lekin go maiṅ ne tumheṅtumhārī tamām musībatoṅ aurtangiyoṅ se chhuṭkārā diyā to bhītum ne apne Khudā ko mustaradkar diyā. Kyoṅki tum ne isrārkiyā ki ham par bādshāh muqarrarkaro! Ab apne apne qabīloṅ aurkhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiqRab ke huzūr khaṛe ho jāo.’”

20Yih kah kar Samuel ne tamāmqabīloṅ ko Rab ke huzūr peshkiyā. Qurā ḍālā gayā to Binyamīnke qabīle ko chunā gayā. 21PhirSamuel ne Binyamīn ke qabīle kesāre khāndānoṅ ko Rab ke huzūrpesh kiyā. Matrī ke khāndān kochunā gayā. Yoṅ qurā ḍālte ḍālteSāūl bin Qīs ko chunā gayā. Lekinjab Sāūl ko ḍhūnḍā gayā to wuhġhāyb thā.

22Unhoṅ ne Rab se dariyāft kiyā,“Kyā Sāūl yahāṅ pahuṅch chukāhai?” Rab ne jawāb diyā, “Wuhsāmān ke bīch meṅ chhup gayāhai.” 23Kuchh log dauṛ kar usesāmān meṅ se nikāl kar awām kepās le āe. Jabwuh logoṅmeṅ khaṛā

Page 139: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 10:24 133

huā to itnā lambā thā ki bāqī sab logsirf us ke kandhoṅ tak āte the.

24Samuel ne kahā, “Yih ādmīdekho jise Rab ne chun liyā hai.Awām meṅ us jaisā koī nahīṅhai!” Tamām log khushī ke māre“Bādshāh zindābād!” Kā nārālagāte rahe. 25Samuel ne bādshāhke huqūq tafsīl se sunāe. Us ne sabkuchh kitāb meṅ likh diyā aur useRab ke maqdis meṅ mahfūz rakhā.Phir us ne awām ko rukhsat kardiyā.

26Sāūl bhī apne ghar chalā gayājo Jibiyā meṅ thā. Kuchh faujīus ke sāth chale jin ke diloṅ koAllāh ne chhū diyā thā. 27Lekinaise sharīr log bhī the jinhoṅ ne uskā mazāq uṛā kar pūchhā, “Bhalāyih kis tarah hameṅ bachā saktāhai?” Wuh use haqīr jānte the auruse tohfe pesh karne ke lie bhītaiyār na hue. Lekin Sāūl un kībāteṅ nazarandāz karke khāmoshhī rahā.

Sāūl Ammoniyoṅ parFatah Pātā Hai

11 Kuchh der ke bād Ammonībādshāh Nāhas ne apnī

fauj le kar Yabīs‐jiliyād kā

muhāsarā kiyā. Yabīs ke tamāmafrād ne us se guzārish kī, “Hamāresāth muāhadā kareṅ to ham āindāāp ke tābe raheṅge.” 2Nāhas nejawāb diyā, “Ṭhīk hai, lekin is shartpar ki maiṅ har ek kī dahnī āṅkhnikāl kar tamām Isrāīl kī be’izzatīkarūṅga!” 3Yabīs ke buzurgoṅ nedarkhāst kī, “Hameṅ ek hafte kīmuhlat dījie tāki ham apne qāsidoṅko Isrāīl kī har jagah bhejeṅ. Agarkoī hameṅ bachāne ke lie na āe toham hathiyār ḍāl kar shahr ko āpke hawāle kar deṅge.”

4Qāsid Sāūl ke shahr Jibiyā bhīpahuṅch gae. Jab maqāmī logoṅne un kā paiġhām sunā to pūrāshahr phūṭ phūṭ kar rone lagā. 5Uswaqt Sāūl apne bailoṅ ko khetoṅ sewāpas lā rahā thā. Us ne pūchhā,“Kyā huā hai? Log kyoṅ ro rahehaiṅ?” Use qāsidoṅ kā paiġhāmsunāyā gayā. 6Tab Sāūl par Allāhkā Rūh nāzil huā, aur use sakhtġhussā āyā. 7Us ne bailoṅ kā joṛāle kar unheṅ ṭukṛe ṭukṛe kar diyā.Phir qāsidoṅ ko yih ṭukṛe pakaṛākar us ne unheṅ yih paiġhām dekar Isrāīl kī har jagah bhej diyā, “JoSāūl aur Samuel ke pīchhe chal karAmmoniyoṅ se laṛne nahīṅ jāegā

Page 140: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

134 1 Samuel 12:2

us ke bail isī tarah ṭukṛe ṭukṛe kardie jāeṅge!”Yih khabar sun kar logoṅ par Rab

kī dahshat tārī ho gaī, aur sabke sabek dil ho kar Ammoniyoṅ se laṛneke lie nikle. 8Bazaq ke qarīb Sāūlne fauj kā jāyzā liyā. Yahūdāh ke30,000 afrād the aur bāqī qabīloṅ ke3,00,000.

9Unhoṅ ne Yabīs‐jiliyād keqāsidoṅ ko wāpas bhej kar batāyā,“Kal dopahar se pahle pahle āpko bachā liyā jāegā.” Wahāṅke bāshinde yih khabar sun karbahut khush hue. 10Unhoṅ neAmmoniyoṅ ko ittalā dī, “Kal hamhathiyār ḍāl kar shahr ke darwāzekhol deṅge. Phir wuh kuchh kareṅjo āp ko ṭhīk lage.”

11Agle din subah‐sawere Sāūl nefauj ko tīn hissoṅ meṅ taqsīm kiyā.Sūraj ke tulū hone se pahle pahleunhoṅ ne tīn simtoṅ se dushmankī lashkargāh par hamlā kiyā.Dopahar tak unhoṅneAmmoniyoṅko mār mār kar khatm kar diyā. Jothoṛe‐bahut log bach gae wuh yoṅtitar‐bitar ho gae ki do bhī ikaṭṭhena rahe.

Sāūl kī Dubārā Tasdīq12Fatah ke bād log Samuel ke pāsā kar kahne lage, “Wuh log kahāṅhaiṅ jinhoṅ ne etarāz kiyā ki Sāūlham par hukūmat kare? Unheṅle āeṅ tāki ham unheṅ mār deṅ.”13Lekin Sāūl ne unheṅ rok diyā.Us ne kahā, “Nahīṅ, āj to hamkisī bhī bhāī ko sazā‐e‐maut nahīṅdeṅge, kyoṅki is din Rab ne Isrāīlko rihāī bakhshī hai!” 14PhirSamuel ne elān kiyā, “Āo, hamJiljāl jā kar dubārā is kī tasdīqkareṅ ki Sāūl hamārā bādshāh hai.”15Chunāṅche tamām logoṅ ne Jiljāljā kar Rab ke huzūr is kī tasdīq kī kiSāūl hamārā bādshāh hai. Is ke bādunhoṅ ne Rab ke huzūr salāmatī kīqurbāniyāṅ pesh karke baṛā jashnmanāyā.

Samuel kī Alwidāī Taqrīr

12 Tab Samuel tamām Isrāīlse mukhātib huā, “Maiṅ

ne āp kī har bāt mān kar āppar bādshāh muqarrar kiyā hai.2Ab yihī āp ke āge āge chal karāp kī rāhnumāī karegā. Maiṅkhud būṛhā hūṅ, aur mere bālsafed ho gae haiṅ jabki mere beṭeāp ke darmiyān hī rahte haiṅ.

Page 141: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 12:3 135

Maiṅ jawānī se le kar āj tak āp kīrāhnumāī kartā āyā hūṅ. 3Ab maiṅhāzir hūṅ. Agar mujh se koī ġhaltīhuī hai to Rab aur us ke masah kiehue bādshāh ke sāmne is kī gawāhīdeṅ. Kyā maiṅ ne kisī kā bail yāgadhā lūṭ liyā? Kyā maiṅ ne kisīse ġhalat fāydā uṭhāyā yā kisī parzulm kiyā? Kyā maiṅ ne kabhī kisīse rishwat le kar ġhalat faislā kiyāhai? Agar aisā huā tomujhe batāeṅ!Phir maiṅ sab kuchh wāpas kardūṅgā.”

4Ijtimā ne jawāb diyā, “Na āp nehamse ġhalat fāydāuṭhāyā, nahampar zulm kiyā hai. Āp ne kabhībhī rishwat nahīṅ lī.” 5Samuelbolā, “Āj Rab aur us kā masahkiyā huā bādshāh gawāh haiṅ ki āpko mujh par ilzām lagāne kā koīsabab na milā.” Awām ne kahā, “Jī,aisā hī hai.” 6Samuel ne bāt jārīrakhī, “Rab khud Mūsā aur Hārūnko Isrāīl ke rāhnumā banā kar āpke bāpdādā ko Misr se nikāl lāyā.7Ab yahāṅ Rab ke takht‐e‐adālatke sāmne khaṛe ho jāeṅ to maiṅāp ko un tamām bhalāiyoṅ kī yāddilāūṅgā jo Rab ne āp aur āp kebāpdādā se kī haiṅ.

8Āp kā bāp Yāqūb Misr āyā. JabMisrī us kī aulād ko dabāne lage

to unhoṅ ne chīkhte‐chillāte Rabse madad māṅgī. Tab us ne Mūsāaur Hārūn ko bhej diyā tāki wuhpūrī qaum ko Misr se nikāl karyahāṅ is mulk meṅ lāeṅ. 9LekinjaldhīwuhRabapne Khudākobhūlgae. Is lie us ne unheṅ dushmanke hawāle kar diyā. Kabhī HasūrShahr ke bādshāh kā kamānḍarSīsarā un se laṛā, kabhī Filistī aurkabhī Moāb kā bādshāh. 10Hardafā āp ke bāpdādā ne chīkhte‐chillāte Rab se madad māṅgī auriqrār kiyā, ‘Ham ne gunāh kiyā hai,kyoṅki ham ne Rab ko tark karkeBāl aur Astārāt ke butoṅ kī pūjā kīhai. Lekin ab hameṅ dushmanoṅse bachā! Phir ham sirf terī hīkhidmat kareṅge.’ 11Aur har bārRab ne kisī na kisī ko bhej diyā,kabhī Jidāūn, kabhī Baraq, kabhīIftāh aur kabhī Samuel ko. Unādmiyoṅ kī mārifat Allāh ne āpko irdgird ke tamām dushmanoṅse bachāyā, aur mulk meṅ amn‐o‐amān qāym ho gayā.

12Lekin jab Ammonī bādshāhNāhas āp se laṛne āyā to āp merepās ā kar taqāzā karne lage kihamārā apnā bādshāh ho jo hampar hukūmat kare, hālāṅki āp jāntethe ki Rab hamārā Khudā hamārā

Page 142: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

136 1 Samuel 12:25

Bādshāh hai. 13Ab wuh bādshāhdekheṅ jise āp māṅg rahe the!Rab ne āp kī khāhish pūrī karkeuse āp par muqarrar kiyā hai.14Chunāṅche Rab kā khauf māneṅ,us kī khidmat kareṅ aur us kīsuneṅ. Sarkash ho kar us ke ahkāmkī khilāfwarzī mat karnā. Agar āpaur āp kā bādshāh Rab se wafādārraheṅge to wuh āp ke sāth hogā.15Lekin agar āp us ke tābe na raheṅaur sarkash ho kar us ke ahkāmkī khilāfwarzī kareṅ to wuh āp kīmukhālafat karegā, jis tarah us neāp ke bāpdādā kī bhīmukhālafat kī.

16Ab khaṛe ho kar dekheṅ ki Rabkyā karne wālā hai. Wuh āp kīāṅkhoṅ ke sāmne hī baṛā mojizākaregā. 17Is waqt gandum kī kaṭāīkā mausam hai. Go in dinoṅ meṅbārish nahīṅ hotī, lekin maiṅ duākarūṅga to Rab garajte bādal aurbārish bhejegā. Tab āp jān leṅge kiāp ne bādshāh kā taqāzā karte hueRab ke nazdīk kitnī burī bāt kī hai.”

18Samuel nepukār karRab se duākī, aur us din Rab ne garajte bādalaur bārish bhej dī. Yih dekh karijtimā sakht ghabrā kar Samuel aurRab se ḍarne lagā. 19Sab ne Samuelse iltamās kī, “Rab apne Khudā seduā karke hamārī sifārish kareṅ

tāki ham mar na jāeṅ. Kyoṅkibādshāh kā taqāzā karne se hamneapne gunāhoṅ meṅ izāfā kiyā hai.”

20Samuel ne logoṅ ko tasallī dekar kahā, “Mat ḍareṅ. Beshak āpse ġhaltī huī hai, lekin āindā khayālrakheṅ ki āp Rab se dūr na hojāeṅ balki pūre dil se us kī khidmatkareṅ. 21Bemānī butoṅ ke pīchhemat paṛnā. Na wuh fāyde kā bāishaiṅ, na āp ko bachā sakte haiṅ.Un kī koī haisiyat nahīṅ hai. 22Rabapne azīmnāmkī khātir apnī qaumko nahīṅ chhoṛegā, kyoṅki us ne āpko apnī qaum banāne kā faislā kiyāhai. 23Jahāṅ tak merā tālluq hai,maiṅ is meṅ Rab kā gunāh nahīṅkarūṅga ki āp kī sifārish karnese bāz āūṅ. Aur āindā bhī maiṅāp ko achchhe aur sahīh rāste kītālīm detā rahūṅgā. 24Lekin dhyānse Rab kā khauf māneṅ aur pūredil aur wafādārī se us kī khidmatkareṅ. Yād rahe ki us ne āp ke liekitne azīm kām kie haiṅ. 25Lekinagar āp ġhalat kām karne par tuleraheṅ to āp apne bādshāh sametduniyā meṅ se miṭ jāeṅge.”

Page 143: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 13:1 137

Filistiyoṅ se Jang

13 Sāūl 30 sāl kā thā jabtakhtnashīn huā. Do sāl

hukūmat karne ke bād 2us ne apnīfauj ke lie 3,000 Isrāīlī chun lie.Jang laṛne ke qābil bāqī ādmiyoṅko us ne fāriġh kar diyā. 2,000faujiyoṅ kī ḍyūṭī Mikmās aur Baitelke pahāṛī ilāqe meṅ lagāī gaī jahāṅSāūl khud thā. Bāqī 1,000 afrādYūnatan ke pās Binyamīn ke shahrJibiyā meṅ the.

3Ek din Yūnatan ne Jibiyā kīFilistī chaukī par hamlā karke useshikast dī. Jald hī yih khabar dūsreFilistiyoṅ tak pahuṅch gaī. Sāūl nemulk ke kone kone meṅ qāsid bhejdie, aur wuh narsingā bajāte bajātelogoṅ ko Yūnatan kī fatah sunātegae. 4Tamām Isrāīl meṅ khabarphail gaī, “Sāūl ne Jibiyā kī Filistīchaukī ko tabāh kar diyā hai, aurab Isrāīl Filistiyoṅ kī khās nafratkā nishānā ban gayā hai.” Sāūlne tamām mardoṅ ko Filistiyoṅ selaṛne ke lie Jiljāl meṅ bulāyā.

5Filistī bhī Isrāīliyoṅ se laṛne kelie jamā hue. Un ke 30,000 rath,6,000 ghuṛsawār aur sāhil kī retjaise beshumār piyādā faujī the.Unhoṅ ne Bait‐āwan ke mashriq

meṅMikmās ke qarīb apne khaimelagāe. 6Isrāīliyoṅ ne dekhā ki hambaṛe khatre meṅ ā gae haiṅ, aurdushman ham par bahut dabāw ḍālrahā hai to pareshānī ke ālam meṅkuchh ġhāroṅ aur darāṛoṅ meṅaur kuchh pattharoṅ ke darmiyānyā qabroṅ aur hauzoṅ meṅ chhupgae. 7Kuchh itne ḍar gae ki wuhDariyā‐e‐Yardan ko pār karke Jadaur Jiliyād ke ilāqe meṅ chale gae.

Sāūl kī BesabrīSāūl ab tak Jiljāl meṅ thā, lekinjo ādmī us ke sāth rahe the wuhkhauf ke māre thartharā rahe the.8Samuel ne Sāūl ko hidāyat dī thī kisāt din merā intazār kareṅ. Lekinsāt din guzar gae. Aur Samuelna āyā. Sāūl ke faujī muntashirhone lage 9to Sāūl ne hukm diyā,“Bhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ le āo.” Phir us ne khudqurbāniyāṅ pesh kīṅ.

10Wuh abhī is kām se fāriġh hīhuā thā ki Samuel pahuṅch gayā.Sāūl use khushāmdīd kahne ke lieniklā. 11Lekin Samuel ne pūchhā,“Āp ne kyā kiyā?”Sāūl ne jawāb diyā, “Log

muntashir ho rahe the, aur āp waqt

Page 144: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

138 1 Samuel 13:22

par na āe. Jab maiṅ ne dekhāki Filistī Mikmās ke qarīb jamāho rahe haiṅ 12to maiṅ ne sochā,‘Filistī yahāṅ Jiljāl meṅ ā kar mujhpar hamlā karne ko haiṅ, hālāṅkimaiṅ ne abhī Rab se duā nahīṅ kīki wuh ham par mehrbānī kare.’Is lie maiṅ ne jurrat karke khudqurbāniyāṅ pesh kīṅ.”

13Samuel bolā, “Yih kaisīahmaqānā harkat thī! Āp ne Rabapne Khudā kā hukm na mānā.Rab to āp aur āp kī aulād kohameshā ke lie Isrāīl par muqarrarkarnā chāhtā thā. 14Lekin ab āpkī bādshāhat qāym nahīṅ rahegī.Chūṅki āp ne us kī na sunī is lieRab ne kisī aur ko chun kar apnīqaum kā rāhnumā muqarrar kiyāhai, ek aise ādmī ko jo us kī sochrakhegā.”

15Phir Samuel Jiljāl se chalā gayā.

Jang kī TaiyāriyāṅBache hue Isrāīlī Sāūl ke pīchhedushman se laṛne gae. Wuh Jiljāl serawānā ho kar Jibiyā pahuṅch gae.Jab Sāūl ne wahāṅ fauj kā jāyzā liyāto bas 600 afrād rah gae the. 16Sāūl,Yūnatan aur un kī fauj Binyamīnke shahr Jibiyā meṅ ṭik gae jabki

Filistī Mikmās ke pās khaimāzanthe. 17Kuchh der ke bād Filistiyoṅke tīn daste mulk ko lūṭne ke lienikle. Ek Suāl ke ilāqe ke shahrUfrā kī taraf chal paṛā, 18dūsrā Bait‐haurūn kī taraf aur tīsrā us pahāṛīsilsile kī taraf jahāṅ se Wādī‐e‐Zaboīm aur registān dekhā jā saktāhai.

19Un dinoṅ meṅ pūre Mulk‐e‐Isrāīl meṅ lohār nahīṅ thā, kyoṅkiFilistī nahīṅ chāhte the ki Isrāīlītalwāreṅ yā neze banāeṅ. 20Apnehaloṅ, kudāloṅ, kulhāṛiyoṅ yādarāntiyoṅ ko tez karwāne ke lietamām Isrāīliyoṅ ko Filistiyoṅ kepās jānā paṛtā thā. 21Filistī haloṅ,kudāloṅ, kāṅṭoṅ aur kulhāṛiyoṅ kotez karne ke lie aur āṅkusoṅ kī nokṭhīk karne ke lie chāṅdī ke sikkekī do tihāī lete the. 22Natīje meṅus din Sāūl aur Yūnatan ke siwākisī bhī Isrāīlī ke pās talwār yā nezānahīṅ thā.

Page 145: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 13:23 139

Yūnatan Filistiyoṅ parHamlā Kartā Hai

23Filistiyoṅ neMikmās ke darre parqabzā karke wahāṅ chaukī qāym kīthī.

14 Ek din Yūnatan ne apnejawān silāhbardār se kahā,

“Āo, ham parlī taraf jāeṅ jahāṅFilistī fauj kī chaukī hai.” Lekin usne apne bāp ko ittalā na dī.

2Sāūl us waqt anār ke darakhtke sāy meṅ baiṭhā thā jo Jibiyā keqarīb ke Mijron meṅ thā. 600 mardus ke pās the. 3Akhiyāh Imāmbhī sāth thā jo imām kā bālāposhpahne hue thā. Akhiyāh Yakabodke bhāī Akhītūb kā beṭā thā. Us kādādā Fīnhās aur pardādā Elī thā, jopurāne zamānemeṅ Sailāmeṅ Rabkā imām thā. Kisī ko bhī mālūm nathā ki Yūnatan chalā gayā hai.

4‐5Filistī chaukī tak pahuṅchneke lie Yūnatan ne ek tang rāstāikhtiyār kiyā jo do kaṛāṛoṅ kedarmiyān se guzartā thā. Pahlekā nām Bosīs thā, aur wuh shimālmeṅ Mikmās ke muqābil thā.Dūsre kā nām Sanā thā, aurwuh junūb meṅ Jibā ke muqābilthā. 6Yūnatan ne apne jawānsilāhbardār se kahā, “Āo, ham parlī

taraf jāeṅ jahāṅ in nāmakhtūnoṅkī chaukī hai. Shāyad Rab hamārīmadad kare, kyoṅki us ke nazdīkkoī farq nahīṅ ki ham zyādā hoṅyā kam.” 7Us kā silāhbardār bolā,“Jo kuchh āp ṭhīk samajhte haiṅ,wuhī kareṅ. Zarūr jāeṅ. Jo kuchhbhī āp kaheṅge, maiṅ hāzir hūṅ.”8Yūnatan bolā, “Ṭhīk hai. Phir hamyoṅ dushmanoṅ kī taraf baṛhtejāeṅge, ki ham unheṅ sāf nazarāeṅ. 9Agar wuh hameṅ dekh karpukāreṅ, ‘Ruk jāo, warnā hamtumheṅ mār deṅge!’ To ham apnemansūbe se bāz ā kar un ke pāsnahīṅ jāeṅge. 10Lekin agar wuhpukāreṅ, ‘Āo, hamāre pās ā jāo!’ Toham zarūr un ke pās chaṛh jāeṅge.Kyoṅki yih is kā nishān hogā kiRab unheṅ hamāre qabze meṅ kardegā.”

11Chunāṅche wuh chalte chalteFilistī chaukī ko nazar āe. Filistīshor machāne lage, “Dekho, Isrāīlīapne chhupne ke biloṅ se nikalrahe haiṅ!” 12Chaukī ke faujiyoṅne donoṅ ko chaileṅj kiyā, “Āo,hamāre pās āo to ham tumheṅsabaq sikhāeṅge.” Yih sun karYūnatan ne apne silāhbardār koāwāz dī, “Āo, mere pīchhe chalo!Rab ne unheṅ Isrāīl ke hawāle kar

Page 146: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

140 1 Samuel 14:24

diyā hai.” 13Donoṅ apne hāthoṅaur pairoṅ ke bal chaṛhte chaṛhtechaukī tak jā pahuṅche. JabYūnatan āge āge chal kar Filistiyoṅke pās pahuṅch gayā to wuh uske sāmne girte gae. Sāth sāthsilāhbardār pīchhe se logoṅ komārtā gayā.

14Is pahle hamle ke daurānunhoṅ ne taqrīban 20 ādmiyoṅko mār ḍālā. Un kī lāsheṅ ādhekaṛ zamīn par bikhrī paṛī thīṅ.15Achānak pūrī fauj meṅ dahshatphail gaī, na sirf lashkargāh balkikhule maidān meṅ bhī. Chaukīke mard aur lūṭne wāle daste bhīthartharāne lage. Sāth sāth zalzalāāyā. Rab ne tamām Filistī faujiyoṅke diloṅ meṅ dahshat paidā kī.

Rab Filistiyoṅ par Fatah Detā Hai16Sāūl ke jo pahredār Jibiyā sedushmankī harkatoṅ par ġhaur karrahe the unhoṅ ne achānak dekhāki Filistī fauj meṅ halchal machgaī hai, afrā‐tafrī kabhī is taraf,kabhī us taraf baṛh rahī hai. 17Sāūlne fauran hukm diyā, “Faujiyoṅ kogin kar mālūm karo ki kaun chalāgayā hai.” Mālūm huā ki Yūnatanaur us kā silāhbardārmaujūdnahīṅ

haiṅ. 18Sāūl ne Akhiyāh ko hukmdiyā, “Ahd kā sandūq le āeṅ.”Kyoṅki wuh un dinoṅ meṅ Isrāīlīkaimp meṅ thā. 19Lekin Sāūl abhīAkhiyāh se bāt kar rahā thā ki Filistīlashkargāh meṅ hangāmā aur shorbahut zyādā baṛh gayā. Sāūl neimām se kahā, “Koī bāt nahīṅ,rahne deṅ.” 20Wuh apne 600 afrādko le kar fauran dushman par ṭūṭpaṛā. Jab un tak pahuṅch gae tomālūm huā ki Filistī ek dūsre koqatl kar rahe haiṅ, aur har tarafhangāmā hī hangāmā hai.

21Filistiyoṅ ne kāfī Isrāīliyoṅ koapnī fauj meṅ shāmil kar liyā thā.Ab yih log Filistiyoṅ ko chhoṛ karSāūl aur Yūnatan ke pīchhe holie. 22In ke alāwā jo Isrāīlī Ifrāīmke pahāṛī ilāqe meṅ idhar‐udharchhup gae the, jab unheṅ khabarmilī ki Filistī bhāg rahe haiṅ towuh bhī un kā tāqqub karne lage.23Laṛte laṛte maidān‐e‐jang Bait‐āwan tak phail gayā. Is tarah Rabne us din Isrāīliyoṅ ko bachā liyā.

Sāūl kī Besoche‐samjhe Lānat24Us din Isrāīlī sakht laṛāī ke bāisbaṛī musībatmeṅ the. Is lie Sāūl neqasam khā kar kahā, “Us par lānat

Page 147: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 14:25 141

jo shāmsepahle khānā khāe. Pahlemaiṅ apne dushman se intaqāmlūṅgā, phir hī sab khā‐pī saktehaiṅ.” Is wajah se kisī ne roṭī kohāth tak na lagāyā. 25Pūrī faujjangal meṅ dākhil huī to wahāṅzamīn par shahd ke chhatte the.26Tamām log jab un ke pās seguzare to dekhā ki un se shahdṭapak rahā hai. Lekin kisī ne thoṛābhī le kar khāne kī jurrat na kī,kyoṅki sab Sāūl kī lānat se ḍartethe.

27Yūnatan ko lānat kā ilm na thā,is lie us ne apnī lāṭhī kā sirā kisīchhatte meṅ ḍāl kar use chāṭ liyā.Us kī āṅkheṅ fauran chamak uṭhīṅ,aur wuh tāzādam ho gayā. 28Kisīne dekh kar Yūnatan ko batāyā,“Āp ke bāp ne fauj se qasam khilākar elān kiyā hai ki us par lānatjo is din kuchh khāe. Isī wajahse ham sab itne niḍhāl ho gaehaiṅ.” 29Yūnatan ne jawāb diyā,“Mere bāpnemulk komusībatmeṅḍāl diyā hai! Dekho, is thoṛe‐seshahd ko chakhne se merī āṅkheṅkitnī chamak uṭhīṅ aur maiṅ kitnātāzādam ho gayā. 30Behtar hotāki hamāre log dushman se lūṭehue māl meṅ se kuchh na kuchhkhā lete. Lekin is hālat meṅ ham

Filistiyoṅ ko kis tarah zyādā nuqsānpahuṅchā sakte haiṅ?”

31Us din Isrāīlī Filistiyoṅ koMikmās semārmār kar Aiyālon takpahuṅch gae. Lekin shām ke waqtwuh nihāyat niḍhāl ho gae the.32Phir wuh lūṭe hue rewaṛoṅ parṭūṭ paṛe. Unhoṅ ne jaldī jaldī bheṛ‐bakriyoṅ, gāy‐bailoṅ aur bachhṛoṅko zabah kiyā. Bhūk kī shiddatkī wajah se unhoṅ ne khūn kosahīh taur se nikalne na diyā balkijānwaroṅ ko zamīn par chhoṛ kargosht ko khūn samet khāne lage.

33Kisī ne Sāūl ko ittalā dī,“Dekheṅ, log Rab kā gunāh karrahe haiṅ, kyoṅki wuh gosht khārahe haiṅ jis meṅ ab tak khūn hai.”Yih sun kar Sāūl pukār uṭhā, “ĀpRab se wafādār nahīṅ rahe!” Phirus ne sāth wāle ādmiyoṅ ko hukmdiyā, “Koī baṛā patthar luṛhkākar idhar le āeṅ! 34Phir tamāmādmiyoṅ ke pās jā kar unheṅ batādenā, ‘Apne jānwaroṅ ko merepās le āeṅ tāki unheṅ patthar parzabah karke khāeṅ. Warnā āpkhūnālūdā gosht khā kar Rab kāgunāh kareṅge.’”Sab mān gae. Us shām wuh Sāūl

ke pās āe aur apne jānwaroṅ kopatthar par zabah kiyā. 35Wahāṅ

Page 148: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

142 1 Samuel 14:46

Sāūl ne pahlī dafā Rab kī tāzīmmeṅqurbāngāh banāī.

36Phir us ne elān kiyā, “Āeṅ,ham abhī isī rāt Filistiyoṅ kātāqqub karke un meṅ lūṭ‐mār kāsilsilā jārī rakheṅ tāki ek bhī nabache.” Faujiyoṅ ne jawāb diyā,“Ṭhīk hai, wuh kuchh kareṅ jo āpko munāsib lage.” Lekin imāmbolā, “Pahle ham Allāh se hidāyatleṅ.” 37Chunāṅche Sāūl ne Allāhse pūchhā, “Kyā ham Filistiyoṅ kātāqqub jārī rakheṅ? Kyā tū unheṅIsrāīl ke hawāle kar degā?” Lekin ismartabā Allāh ne jawāb na diyā.

38Yih dekh kar Sāūl ne fauj ketamām rāhnumāoṅ ko bulā karkahā, “Kisī ne gunāh kiyā hai.Mālūm karne kī koshish kareṅ kikaun qusūrwār hai. 39Rab kī hayātkī qasam jo Isrāīl kā najātdahindāhai, qusūrwār ko fauran sazā‐e‐maut dī jāegī, khāh wuh merā beṭāYūnatan kyoṅ na ho.” Lekin sabkhāmosh rahe.

40Tab Sāūl ne dubārā elān kiyā,“Pūrī fauj ek taraf khaṛī ho jāeaur Yūnatan aur maiṅ dūsrī taraf.”Logoṅ ne jawāb diyā, “Jo āp komunāsib lage wuh kareṅ.” 41PhirSāūl ne Rab Isrāīl ke Khudā se duā

kī, “Ai Rab, hameṅ dikhā ki kaunqusūrwār hai!”Jab qurā ḍālā gayā to Yūnatan

aur Sāūl ke guroh ko qusūrwārqarār diyā gayā aur bāqī fauj kobequsūr. 42Phir Sāūl ne hukm diyā,“Ab qurā ḍāl kar patā kareṅ ki maiṅqusūrwār hūṅ yā Yūnatan.” Jabqurāḍālā gayā toYūnatanqusūrwārṭhahrā. 43Sāūl ne pūchhā, “Batāeṅ,āp ne kyā kiyā?” Yūnatan nejawāb diyā, “Maiṅ ne sirf thoṛā‐sā shahd chakh liyā jo merī lāṭhīke sire par lagā thā. Lekin maiṅmarne ke lie taiyār hūṅ.” 44Sāūlne kahā, “Yūnatan, Allāh mujhesakht sazā de agar maiṅ āp ko iske lie sazā‐e‐maut na dūṅ.” 45Lekinfaujiyoṅ ne etarāz kiyā, “Yih kaisībāt hai? Yūnatan hī ne apnezabardast hamle se Isrāīl ko ājbachā liyā hai. Use kis tarah sazā‐e‐maut dī jā saktī hai? Kabhī nahīṅ!Allāh kī hayāt kī qasam, us kā ek bālbhī bīkā nahīṅ hogā, kyoṅki āj usne Allāh kī madad se fatah pāī hai.”Yoṅ faujiyoṅ neYūnatan komaut sebachā liyā.

46Tab Sāūl ne Filistiyoṅkā tāqqubkarnā chhoṛ diyā aur apne gharchalā gayā. Filistī bhī apne mulkmeṅ wāpas chale gae.

Page 149: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 14:47 143

Sāūl kī Jangeṅ47Jab Sāūl takhtnashīn huā towuh mulk ke irdgird ke tamāmdushmanoṅ se laṛā. In meṅ Moāb,Ammon, Adom, Zobāh ke bādshāhaur Filistī shāmil the. Aur jahāṅ bhījang chhiṛī wahāṅ us ne fatah pāī.48Wuh nihāyat bahādur thā. Us neAmālīqiyoṅ ko bhī shikast dī auryoṅ Isrāīl ko un tamāmdushmanoṅse bachā liyā jo bār bār mulk kī lūṭ‐mār karte the.

Sāūl kā Khāndān49Sāūl ke tīn beṭe the, Yūnatan,Iswī aur Malkīshua. Us kī baṛībeṭī Mīrab aur chhoṭī beṭī Mīkalthī. 50Bīwī kā nām Akhīnūsambint Akhīmāz thā. Sāūl kī fauj kākamānḍar Abinair thā, jo Sāūl kechachā Nair kā beṭā thā. 51Sāūl kābāp Qīs aur Abinair kā bāp Nairsage bhāī the jin kā bāp Abiyel thā.

52Sāūl ke jīte‐jī Filistiyoṅ se sakhtjang jārī rahī. Is lie jab bhī koībahādur aur laṛne ke qābil ādmīnazar āyā to Sāūl ne use apnī faujmeṅ bhartī kar liyā.

TamāmAmālīqiyoṅ ko HalākKarne kā Hukm

15 Ek din Samuel ne Sāūl kepās ā kar us se bāt kī, “Rab

hī ne mujhe āp ko masah karkeIsrāīl par muqarrar karne kā hukmdiyā thā. Ab Rab kā paiġhām sunleṅ! 2Rabbul‐afwāj farmātā hai,‘Maiṅ Amālīqiyoṅ kā merī qaum kesāth sulūk nahīṅ bhūl saktā. Uswaqt jab Isrāīlī Misr se nikal karKanān kī taraf safr kar rahe theto Amālīqiyoṅ ne rāstā band kardiyā thā. 3Ab waqt ā gayā haiki tū un par hamlā kare. Sabkuchh tabāh karke mere hawālekar de. Kuchh bhī bachne nade, balki tamām mardoṅ, auratoṅ,bachchoṅ shīrkhāroṅ samet, gāy‐bailoṅ, bheṛ‐bakriyoṅ, ūṅṭoṅ aurgadhoṅ ko maut ke ghāṭ utār de.’”

4Sāūl ne apne faujiyoṅ ko bulākar Talāym meṅ un kā jāyzāliyā. Kul 2,00,000 piyāde faujīthe, nīz Yahūdāh ke 10,000 afrād.5Amālīqiyoṅ ke shahr ke pāspahuṅch kar Sāūl wādī meṅ tākmeṅ baiṭh gayā. 6Lekin pahleus ne Qīniyoṅ ko khabar bhejī,“Amālīqiyoṅ se alag ho kar un kepās se chale jāeṅ, warnā āp un ke

Page 150: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

144 1 Samuel 15:18

sāth halāk ho jāeṅge. Kyoṅki jabIsrāīlī Misr se nikal kar registānmeṅ safr kar rahe the to āp ne unpar mehrbānī kī thī.” Yih khabarmilte hī Qīnī Amālīqiyoṅ se alagho kar chale gae. 7Tab Sāūl neAmālīqiyoṅpar hamlā karke unheṅHawīlā se le kar Misr kī mashriqīsarhad Shūr tak shikast dī. 8Pūrīqaum ko talwār se mārā gayā, sirfun kā bādshāh Ajāj zindā pakaṛāgayā. 9Sāūl aur us ke faujiyoṅ neuse zindā chhoṛ diyā. Isī tarahsab se achchhī bheṛ‐bakriyoṅ, gāy‐bailoṅ, moṭe‐tāze bachhṛoṅ aurchīdā bheṛ ke bachchoṅ ko bhīchhoṛ diyā gayā. Jo bhī achchhāthā bach gayā, kyoṅki Isrāīliyoṅkā dil nahīṅ kartā thā ki tandurustaur moṭe‐tāze jānwaroṅ ko halākkareṅ. Unhoṅ ne sirf un tamāmkamzor jānwaroṅ ko khatm kiyā jinkī qadar‐o‐qīmat na thī.

Farmāṅbardārī Qurbāniyoṅse AhamHai

10Phir Rab Samuel se hamkalāmhuā, 11“Mujhe dukh hai ki maiṅne Sāūl ko bādshāh banā liyā hai,kyoṅki us ne mujh se dūr ho karmerā hukm nahīṅ mānā.” Samuel

ko itnā ġhussā āyā ki wuh pūrī rātbuland āwāz se Rab se fariyād kartārahā. 12Agle din wuh uṭh kar Sāūlse milne gayā. Kisī ne use batāyā,“Sāūl Karmil chalā gayā. Wahāṅapne lie yādgār khaṛā karke wuhāge Jiljāl chalā gayā hai.” 13JabSamuel Jiljāl pahuṅchā to Sāūl nekahā, “Mubārak ho! Maiṅ neRab kā hukm pūrā kar diyā hai.”14Samuel ne pūchhā, “Jānwaroṅ kāyih shor kahāṅ se ā rahā hai? Bheṛ‐bakriyāṅ mamyā rahī aur gāy‐bailḍakrā rahe haiṅ.” 15Sāūl ne jawābdiyā, “Yih Amālīqiyoṅ ke hāṅ selāe gae haiṅ. Faujiyoṅ ne sabse achchhe gāy‐bailoṅ aur bheṛ‐bakriyoṅ ko zindā chhoṛ diyā tākiunheṅ Rab āp ke Khudā ke huzūrqurbān kareṅ. Lekin ham ne bāqīsab ko Rab ke hawāle karke mārdiyā.”

16Samuel bolā, “Khāmosh! Pahlewuh bāt sun leṅ jo Rab ne mujhepichhlī rāt farmāī.” Sāūl ne jawābdiyā, “Batāeṅ.” 17Samuel ne kahā,“Jab āp tamām qaum ke rāhnumāban gae to ehsās‐e‐kamtarī kāshikār the. To bhī Rab ne āp komasah karke Isrāīl kā bādshāhbanā diyā. 18Aur us ne āp ko bhejkar hukm diyā, ‘Jā aur Amālīqiyoṅ

Page 151: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 15:19 145

ko pūre taur par halāk karke merehawāle kar. Us waqt tak in sharīrlogoṅ se laṛtā rah jab takwuhsabkesabmiṭ na jāeṅ.’ 19Abmujhe batāeṅki āp ne Rab kī kyoṅ na sunī? Āplūṭe huemāl par kyoṅ ṭūṭ paṛe? Yihto Rab ke nazdīk gunāh hai.”

20Sāūl ne etarāz kiyā, “Lekinmaiṅ ne zarūr Rab kī sunī. Jismaqsad ke lie Rab ne mujhe bhejāwuh maiṅ ne pūrā kar diyā hai,kyoṅki maiṅ Amālīq ke bādshāhAjāj ko giriftār karke yahāṅ le āyāaur bāqī sab ko maut ke ghāṭ utārkar Rab ke hawāle kar diyā. 21Merefaujī lūṭe huemālmeṅ se sirf sab seachchhī bheṛ‐bakriyāṅ aur gāy‐bailchun kar le āe, kyoṅki wuh unheṅyahāṅ Jiljāl meṅ Rab āp ke Khudāke huzūr qurbān karnā chāhte the.”

22Lekin Samuel ne jawāb diyā,“Rab ko kyā bāt zyādā pasandhai, āp kī bhasm hone wālī aurzabah kī qurbāniyāṅ yā yih kiāp us kī sunte haiṅ? Sunanāqurbānī se kahīṅ behtar aur dhyāndenā menḍhe kī charbī se kahīṅumdā hai. 23Sarkashī ġhaibdānī kegunāh ke barābar hai aur ġhurūrbutparastī ke gunāh se kam nahīṅhotā. Āp ne Rab kā hukm radd kiyāhai, is lie us ne āp ko radd karke

bādshāh kā ohdā āp se chhīn liyāhai.”

24Tab Sāūl ne iqrār kiyā, “Mujhse gunāh huā hai. Maiṅ ne āpkī hidāyat aur Rab ke hukm kīkhilāfwarzī kī hai. Maiṅ ne logoṅse ḍar kar un kī bāt mān lī. 25Lekinab mehrbānī karke mujhe muāfkareṅ aur mere sāth wāpas āeṅtākimaiṅ āp kīmaujūdagīmeṅ Rabkī parastish kar sakūṅ.” 26LekinSamuel ne jawāb diyā, “Maiṅ āp kesāth wāpas nahīṅ chalūṅgā. Āp neRab kā kalām radd kiyā hai, is lieRabne āpko raddkarkebādshāhkāohdā āp se chhīn liyā hai.”

27Samuel muṛ kar wahāṅ sechalne lagā, lekin Sāūl ne us kechoġhe kā dāman itne zor se pakaṛliyā ki wuh phaṭ kar us ke hāthmeṅrah gayā. 28Samuel bolā, “Jis tarahkapṛā phaṭ kar āp ke hāth meṅ rahgayā bilkul usī tarah Rab ne āj hīIsrāīl par āp kā ikhtiyār āp se chhīnkar kisī aur ko de diyā hai, aiseshakhs ko jo āp se kahīṅ behtarhai. 29Jo Isrāīl kī shān‐o‐shaukathai wuh na jhūṭ boltā, na kabhīapnī soch ko badaltā hai, kyoṅkiwuh insān nahīṅ ki ek bāt kah karbād meṅ use badle.”

Page 152: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

146 1 Samuel 16:5

30Sāūl ne dubārā minnat kī,“Beshak maiṅ ne gunāh kiyā hai.Lekin barāh‐e‐karm kam az kammerī qaum ke buzurgoṅ aur Isrāīlke sāmne tomerī izzat kareṅ. Meresāth wāpas āeṅ tāki maiṅ āp kīmaujūdagī meṅ Rab āp ke Khudākī parastish kar sakūṅ.”

31Tab Samuel mān gayā aurSāūl ke sāth dūsroṅ ke pās wāpasāyā. Sāūl ne Rab kī parastishkī, 32phir Samuel ne elān kiyā,“Amālīq ke bādshāh Ajāj ko merepās le āo!” Ajāj itmīnān se Samuelke pās āyā, kyoṅki us ne sochā,“Beshak maut kā khatrā ṭal gayāhai.” 33Lekin Samuel bolā, “Terītalwār se beshumār māeṅ apnebachchoṅ se mahrūm ho gaī haiṅ.Ab terī māṅ bhī beaulād ho jāegī.”Yih kah kar Samuel ne wahīṅ Jiljālmeṅ Rab ke huzūr Ajāj ko talwār seṭukṛe ṭukṛe kar diyā.

34Phir wuh Rāmā wāpas chalāgayā, aur Sāūl apne ghar gayā joJibiyā meṅ thā. 35Is ke bād Samueljīte‐jī Sāūl se kabhī na milā, kyoṅkiwuh Sāūl kā mātam kartā rahā.Lekin Rab ko dukh thā ki maiṅ neSāūl ko Isrāīl par kyoṅ muqarrarkiyā.

Nae Bādshāh Dāūd koMuqarrarKiyā Jātā Hai

16 Ek din Rab Samuel sehamkalām huā, “Tū kab

tak Sāūl kāmātam karegā? Maiṅ neto use radd karke bādshāh kā ohdāus se le liyā hai. Ab menḍhe kāsīṅg zaitūn ke tel se bhar kar Bait‐laham chalā jā. Wahāṅ ek ādmī semil jis kā nām Yassī hai. Kyoṅkimaiṅ ne us ke beṭoṅ meṅ se ek kochun liyā hai ki wuh nayā bādshāhban jāe.” 2Lekin Samuel ne etarāzkiyā, “Maiṅ kis tarah jā saktā hūṅ?Sāūl yih sunkarmujhemārḍālegā.”Rab ne jawāb diyā, “Ek jawān gāyapne sāth le kar logoṅ ko batā deki maiṅ ise Rab ke huzūr qurbānkarne ke lie āyā hūṅ. 3Yassī kodāwat de ki wuh qurbānī kī ziyāfatmeṅ sharīk ho jāe. Āge maiṅ tujhebatāūṅgā ki kyā karnā hai. Maiṅtujhe dikhāūṅgā ki kis beṭe komerelie masah karke chun lenā hai.”

4Samuel mān gayā. Jab wuh Bait‐laham pahuṅch gayā to log chaunkuṭhe. Larazte larazte shahr kebuzurg us se milne āe aur pūchhā,“Khairiyat to hai ki āp hamāre pāsā gae haiṅ?” 5Samuel ne unheṅtasallī de kar kahā, “Khairiyat hai.

Page 153: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 16:6 147

Maiṅ Rab ke huzūr qurbānī peshkarne ke lie āyā hūṅ. Apne āpko Rab ke lie makhsūs‐o‐muqaddaskareṅ aur phir mere sāth qurbānīkī ziyāfat meṅ sharīk ho jāeṅ.”Samuel ne Yassī aur us ke beṭoṅko bhī dāwat dī aur unheṅ apne āpko makhsūs‐o‐muqaddas karne kokahā.

6Jab Yassī apne beṭoṅ sametqurbānī kī ziyāfat ke lie āyā toSamuel kī nazar Iliyāb par paṛī.Us ne sochā, “Beshak yih wuhhai jise Rab masah karke bādshāhbanānā chāhtā hai.” 7Lekin Rabne farmāyā, “Is kī shakl‐o‐sūrataur lambe qad se muta’assir naho, kyoṅki yih mujhe nāmanzūrhai. Maiṅ insān kī nazar se nahīṅdekhtā. Kyoṅki insān zāhirī sūratpar ġhaur karke faislā kartā haijabki Rab ko har ek kā dil sāf sāfnazar ātā hai.”

8Phir Yassī ne apne dūsre beṭeAbīnadāb ko bulā kar Samuel kesāmne se guzarne diyā. Samuelbolā, “Nahīṅ, Rab ne ise bhī nahīṅchunā.” 9Is ke bād Yassī ne tīsrebeṭe Sammā ko pesh kiyā. Lekinyih bhī nahīṅ chunā gayā thā.10Yoṅ Yassī ne apne sāt beṭoṅ koek ek karke Samuel ke sāmne se

guzarne diyā. In meṅ se koī Rabkā chunā huā bādshāh na niklā.11Ākhirkār Samuel ne pūchhā, “Inke alāwā koī aur beṭā to nahīṅhai?” Yassī ne jawāb diyā, “Sab sechhoṭā beṭā abhī bāqī rah gayā hai,lekin wuh bāhar khetoṅ meṅ bheṛ‐bakriyoṅ kī nigarānī kar rahā hai.”Samuel ne kahā, “Use fauran bulāleṅ. Us ke āne tak ham khāne ke lienahīṅ baiṭheṅge.”

12Chunāṅche Yassī chhoṭe kobulā kar andar le āyā. Yih beṭā gorāthā. Us kī āṅkheṅ khūbsūrat aurshakl‐o‐sūrat qābil‐e‐tārīf thī. Rabne Samuel ko batāyā, “Yihī hai. Uṭhkar ise masah kar.” 13Samuel ne telse bharā huāmenḍhe kā sīṅg le karuse Dāūd ke sar par unḍel diyā. Sabbhāī maujūd the. Usī waqt Rab kāRūh Dāūd par nāzil huā aur us kīsārī umr us par ṭhahrā rahā. PhirSamuel Rāmā wāpas chalā gayā.

Dāūd Sāūl ko Badrūh seĀrāmDilātā Hai

14Lekin Rab ke Rūh ne Sāūl kochhoṛ diyā thā. Is ke bajāeRab kī taraf se ek burī rūh usedahshatzadā karne lagī. 15Ek dinSāūl ke mulāzimoṅ ne us se kahā,

Page 154: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

148 1 Samuel 17:5

“Allāh kī taraf se ek burī rūh āp kedil meṅ dahshat paidā kar rahī hai.16Hamārā āqā apne khādimoṅ kohukm de ki wuh kisī ko ḍhūnḍ lāeṅjo sarod bajā sake. Jab bhī Allāh kītaraf se yih burī rūh āp par āe towuh apnā sāz bajā kar āp ko sukūndilāegā.”

17Sāūl ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai,aisā hī karo. Kisī ko bulā lāo josāz bajāne meṅ māhir ho.” 18Ekmulāzim bolā, “Maiṅ ne ek ādmīko dekhā hai jo khūb bajā saktāhai. Wuh Bait‐laham ke rahne wāleYassī kā beṭā hai. Wuh na sirfmahārat se sarod bajā saktā haibalki baṛā jangjū bhī hai. Yih bhīus kī ek khūbī hai kiwuhharmauqepar samajhdārī se bāt kar saktā hai.Aur wuh khūbsūrat bhī hai. Rab uske sāth hai.”

19Sāūl ne fauran apne qāsidoṅko Yassī ke pās bhej kar use ittalādī, “Apne beṭe Dāūd ko jo bheṛ‐bakriyoṅ ko saṅbhāltā haimere pāsbhej denā.” 20Yih sun kar Yassīne roṭī, mai kā mashkīzā aur ekjawān bakrī gadhe par lād kar Dāūdke hawāle kar dī aur use Sāūl kedarbār meṅ bhej diyā.

21Is tarah Dāūd Sāūl kī khidmatmeṅ hāzir ho gayā. Wuh bādshāh

ko bahut pasand āyā balki Sāūlko itnā pyārā lagā ki use apnāsilāhbardār banā liyā. 22Sāūl neYassī ko ittalā bhejī, “Dāūd mujhebahut pasand āyā hai, is lie usemustaqil taur par merī khidmatkarne kī ijāzat deṅ.” 23Aur jab bhīburī rūh Sāūl par ātī to Dāūd apnāsarod bajāne lagtā. Tab Sāūl kosukūn miltā aur burī rūh us par sedūr ho jātī.

Jātī Jālūt

17 Ek din Filistiyoṅ ne apnīfauj ko Yahūdāh ke shahr

Sokā ke qarīb jamā kiyā. WuhIfas‐dammīm meṅ khaimāzan huejo Sokā aur Azīqā ke darmiyānhai. 2Jawāb meṅ Sāūl ne apnī faujko bulā kar Wādī‐e‐Ailā meṅ jamākiyā. Wahāṅ Isrāīl ke mard jang kelie tartīb se khaṛe hue. 3Yoṅ Filistīek pahāṛī par khaṛe the aur Isrāīlīdūsrī pahāṛī par. Un ke bīch meṅwādī thī.

4Phir Filistī safoṅ se Jāt Shahrkā pahalwān nikal kar Isrāīliyoṅ kesāmne khaṛā huā. Us kā nām Jālūtthā aur wuh 9 fuṭ se zyādā lambāthā. 5Us ne hifāzat ke lie pītal kīkaī chīzeṅ pahan rakhī thīṅ: sar

Page 155: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 17:6 149

par khod, dhaṛ par zirābaktar jo 57kilogrām waznī thā 6aur pinḍliyoṅpar baktar. Kandhoṅ par pītal kīshamshīr laṭkī huī thī. 7Jo nezāwuh pakaṛ kar chal rahā thā us kādastā khaḍḍī ke shahtīr jaisā moṭāaur lambā thā, aur us ke lohe kī nokkā wazn 7 kilogrām se zyādā thā.Jālūt ke āge āge ek ādmī us kī ḍhāluṭhāe chal rahā thā.

8Jālūt Isrāīlī safoṅ ke sāmne rukkar garjā, “Tum sab kyoṅ laṛne kelie saf‐ārā ho gae ho? Kyā maiṅFilistī nahīṅ hūṅ jabki tum sirfSāūl ke naukar‐chākar ho? Chalo,ek ādmī ko chun kar use yahāṅnīche mere pās bhej do. 9Agarwuh mujh se laṛ sake aur mujhemār de to ham tumhāre ġhulāmban jāeṅge. Lekin agar maiṅ uspar ġhālib ā kar use mār ḍālūṅto tum hamāre ġhulām ban jāoge.10Āj maiṅ Isrāīlī safoṅ kī badnāmīkarke unheṅ chaileṅj kartā hūṅ kimujhe ek ādmī do jo mere sāthlaṛe.” 11Jālūt kī yih bāteṅ sun karSāūl aur tamām Isrāīlī ghabrā gae.Aur un par dahshat tārī ho gaī.

Dāūd Bhāiyoṅ se Milne ke lieFauj ke pās Jātā Hai

12Us waqt Dāūd kā bāp Yassī kāfībūṛhā ho chukā thā. Us ke kul 8beṭe the, aur wuh Ifrātā ke ilāqe keBait‐laham meṅ rahtā thā. 13Lekinus ke tīn sab se baṛe beṭe Filistiyoṅse laṛne ke lie Sāūl kī fauj meṅbhartī ho gae the. Sab se baṛekā nām Iliyāb, dūsre kā Abīnadābaur tīsre kā Sammā thā. 14‐15Dāūdto sab se chhoṭā bhāī thā. Wuhdūsroṅ kī tarah pūrā waqt Sāūl kepās na guzār sakā, kyoṅki use bāpkī bheṛ‐bakriyoṅ ko saṅbhālne kīzimmedārī dī gaī thī. Is lie wuh ātājātā rahā. Chunāṅche wuh maujūdnahīṅ thā 16jab Jālūt 40 din subh‐o‐shām Isrāīliyoṅ kī safoṅ ke sāmnekhaṛe ho kar unheṅ chaileṅj kartārahā.

17Ek din Yassī ne Dāūd se kahā,“Beṭā, apne bhāiyoṅ ke pās kaimpmeṅ jā kar un kā patā karo. Bhunehue anāj ke yih 16 kilogrām aur yihdas roṭiyāṅ apne sāth le kar jaldījaldī udhar pahuṅch jāo. 18Panīrkī yih das ṭikkiyāṅ un ke kaptān kode denā. Bhāiyoṅ kā hāl mālūmkarke un kī koī chīz wāpas le āotākimujhe tasallī ho jāe ki wuh ṭhīk

Page 156: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

150 1 Samuel 17:31

haiṅ. 19Wuh Wādī‐e‐Ailā meṅ Sāūlaur Isrāīlī fauj ke sāth Filistiyoṅ selaṛ rahe haiṅ.” 20Agle din subah‐sawere Dāūd ne rewaṛ ko kisī aurke sapurd karke sāmān uṭhāyā aurYassī kī hidāyat ke mutābiq chalāgayā. Jab wuh kaimp ke pāspahuṅch gayā to Isrāīlī faujī nārelagā lagā kar maidān‐e‐jang ke lienikal rahe the. 21Wuh laṛne ke lietartīb se khaṛe ho gae. Aur dūsrītaraf Filistī safeṅ bhī taiyār huīṅ.22Yih dekh kar Dāūd ne apnī chīzeṅus ādmī ke pās chhoṛ dīṅ jo lashkarke sāmān kī nigarānī kar rahā thā,phir bhāg kar maidān‐e‐jang meṅbhāiyoṅ se milne chalā gayā.Wuh abhī un kā hāl pūchh hī

rahā thā 23ki Jātī Jālūt māmūl kemutābiq Filistiyoṅ kī safoṅ se nikalkar Isrāīliyoṅ ke sāmne wuhī tanzkī bāteṅ bakne lagā. Dāūd ne bhīus kī bāteṅ sunīṅ. 24Jālūt ko dekhtehī Isrāīliyoṅ ke roṅgṭe khaṛe hogae. Aur wuh bhāg kar 25āpas meṅkahne lage, “Kyā āp ne is ādmīko hamārī taraf baṛhte hue dekhā?Suneṅ ki wuh kis tarah hamārībadnāmī karke hameṅ chaileṅj karrahā hai. Bādshāh ne elān kiyāhai ki jo shakhs ise mār de usebaṛā ajr milegā. Shahzādī se us

kī shādī hogī, aur āindā us ke bāpke khāndān ko ṭaiks nahīṅ denāpaṛegā.”

26Dāūd ne sāth wāle faujiyoṅ sepūchhā, “Kyā kah rahe haiṅ? Usādmī ko kyā ināmmilegā jo is Filistīko mār kar hamārī qaum kī ruswāīdūr karegā? Yih nāmakhtūn Filistīkaun hai ki zindā Khudā kī fauj kībadnāmī karke use chaileṅj kare!”27Logoṅ ne dubārā Dāūd ko batāyāki bādshāh us ādmī ko kyā degā joJālūt ko mār ḍālegā.

28Jab Dāūd ke baṛe bhāī Iliyāb neDāūd kī bāteṅ sunīṅ to use ġhussāāyā aur wuh use jhiṛakne lagā, “Tūkyoṅ āyā hai? Bayābān meṅ apnīchand ek bheṛ‐bakriyoṅ ko kis kepās chhoṛ āyā hai? Maiṅ terī shokhīaur dil kī sharārat khūb jāntā hūṅ.Tū sirf jang kā tamāshā dekhne āyāhai!” 29Dāūd ne pūchhā, “Ab mujhse kyā ġhaltī huī? Maiṅ ne to sirfsawāl pūchhā.” 30Wuh us se muṛkar kisī aur ke pās gayā aur wuhībāt pūchhne lagā. Wuhī jawābmilā.

Hathiyār kā Chunāo31Dāūd kī yih bāteṅ sun kar kisī neSāūl ko ittalā dī. Sāūl ne use fauran

Page 157: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 17:32 151

bulāyā. 32Dāūd ne bādshāh sekahā, “Kisī ko is Filistī kī wajah sehimmat nahīṅ hārnā chāhie. Maiṅus se laṛūṅgā.” 33Sāūl bolā, “Āp? Āpjaisā laṛkā kis tarah us kāmuqābalākar saktā hai? Āp to abhī bachchese ho jabki wuh tajrabākār jangjūhai jo jawānī se hathiyār istemālkartā āyā hai.”

34Lekin Dāūd ne isrār kiyā,“Maiṅ apne bāp kī bheṛ‐bakriyoṅkī nigarānī kartā hūṅ. Jab kabhī koīsherbabar yā rīchh rewaṛ kā jānwarchhīn kar bhāg jātā 35to maiṅ us kepīchhe jātā aur use mār mār karbheṛ ko us ke muṅh se chhuṛā letāthā. Agar sher yā rīchh jawāb meṅmujh par hamlā kartā tomaiṅ us kesar ke bāloṅ ko pakaṛ kar use mārdetā thā. 36Is tarah āp ke khādimne kaī sheroṅ aur rīchhoṅ ko mārḍālā hai. Yih nāmakhtūn bhī unkī tarah halāk ho jāegā, kyoṅki usne zindā Khudā kī fauj kī badnāmīkarke use chaileṅj kiyā hai. 37JisRab ne mujhe sher aur rīchh kepanje se bachā liyā hai wuh mujheis Filistī ke hāth se bhī bachāegā.”Sāūl bolā, “Ṭhīk hai, jāeṅ aur Rab

āp ke sāth ho.” 38Us ne Dāūd koapnā zirābaktar aur pītal kā khodpahnāyā. 39Phir Dāūd ne Sāūl kī

talwār bāndh kar chalne kī koshishkī. Lekin use bahut mushkil lagrahā thā. Us ne Sāūl se kahā, “Maiṅyih chīzeṅ pahan kar nahīṅ laṛsaktā, kyoṅki maiṅ in kā ādī nahīṅhūṅ.” Unheṅ utār kar 40us ne nadīse pāṅch chikne chikne pattharchun kar unheṅ apnī charwāhe kīthailī meṅ ḍāl liyā. Phir charwāhekī apnī lāṭhī aur falākhan pakaṛ karwuh Filistī se laṛne ke lie Isrāīlīsafoṅ se niklā.

Dāūd kī Fatah41Jālūt Dāūd kī jānib baṛhā. Ḍhāl kouṭhānewālā us ke āge āge chal rahāthā. 42Us ne hiqāratāmez nazaroṅse Dāūd kā jāyzā liyā, kyoṅki wuhgorā aur khūbsūrat naujawān thā.43Wuh garjā, “Kyā maiṅ kuttā hūṅki tū lāṭhī le kar merā muqābalākarne āyā hai?” Apne dewatāoṅke nām le kar wuh Dāūd par lānatbhej kar 44chillāyā, “Idhar ā tākimaiṅ terā gosht parindoṅ aur janglījānwaroṅ ko khilāūṅ.”

45Dāūd ne jawāb diyā, “Āp talwār,nezā aur shamshīr le kar merāmuqābalā karne āe haiṅ, lekinmaiṅ Rabbul‐afwāj kā nām le karātā hūṅ, usī kā nām jo Isrāīlī fauj

Page 158: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

152 1 Samuel 17:58

kā Khudā hai. Kyoṅki āp ne usī kochaileṅj kiyā hai. 46Āj hī Rab āpko mere hāth meṅ kar degā, aurmaiṅ āp kā sar qalamkar dūṅgā. Isīdin maiṅ Filistī faujiyoṅ kī lāsheṅparindoṅ aur janglī jānwaroṅ kokhilā dūṅgā. Tab tamāmduniyā jānlegī ki Isrāīl kā Khudā hai. 47Sab joyahāṅmaujūdhaiṅ jān leṅge ki Rabko hameṅ bachāne ke lie talwār yāneze kī zarūrat nahīṅ hotī. Wuhkhud hī jang kar rahā hai, aur wuhīāp ko hamāre qabzemeṅ kar degā.”

48Jālūt Dāūd par hamlā karne kelie āge baṛhā, aur Dāūd bhī us kītaraf dauṛā. 49Chalte chalte us neapnī thailī se patthar nikālā auruse falākhan meṅ rakh kar zor sechalāyā. Patthar uṛtā uṛtā Filistī kemāthe par jā lagā. Wuh khopaṛīmeṅ dhaṅs gayā, aur pahalwānmuṅhkebal gir gayā. 50‐51YoṅDāūdfalākhan aur patthar se Filistī parġhālib āyā. Us ke hāth meṅ talwārnahīṅ thī. Tab us ne Jālūt kī tarafdauṛ kar usī kī talwār miyān sekhīṅch kar Filistī kā sar kāṭ ḍālā.Jab Filistiyoṅ ne dekhā ki hamārā

pahalwān halāk ho gayā hai to wuhbhāg nikle. 52Isrāīl aur Yahūdāhke mard fatah ke nāre lagā lagākar Filistiyoṅ par ṭūṭ paṛe. Un

kā tāqqub karte karte wuh Jāt aurAqrūn ke darwāzoṅ tak pahuṅchgae. Jo rāstā Shāraim se Jāt aurAqrūn tak jātā hai us par hartaraf Filistiyoṅ kī lāsheṅ nazar āīṅ.53Phir Isrāīliyoṅ ne wāpas ā karFilistiyoṅ kī chhoṛī huī lashkargāhko lūṭ liyā.

54Bād meṅ Dāūd Jālūt kā sarYarūshalam ko le āyā. Filistī kehathiyār us ne apne khaime meṅrakh lie.

Sāūl Dāūd ke Khāndānkā Patā Kartā Hai

55Jab Dāūd Jālūt se laṛne gayā toSāūl ne fauj ke kamānḍar Abinairse pūchhā, “Is jawān ādmī kā bāpkaun hai?” Abinair ne jawāb diyā,“Āp kī hayāt kī qasam, mujhemālūm nahīṅ.” 56Bādshāh bolā,“Phir patā kareṅ!” 57JabDāūdFilistīkā sar qalam karke wāpas āyā toAbinair use bādshāh ke pās lāyā.Dāūd abhī Jālūt kā sar uṭhāe phirrahā thā. 58Sāūl ne pūchhā, “Āp kābāp kaunhai?” Dāūdne jawāb diyā,“Maiṅ Bait‐laham ke rahne wāle āpke khādim Yassī kā beṭā hūṅ.”

Page 159: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 18:1 153

Dāūd aur Yūnatan kī Dostī

18 Is guftgū ke bād Dāūdkī mulāqāt bādshāh ke

beṭe Yūnatan se huī. Un meṅfauran gahrī dostī paidā ho gaī,aur Yūnatan Dāūd ko apnī jān kebarābar azīz rakhne lagā. 2Usdin seSāūl ne Dāūd ko apne darbār meṅrakh liyā aur use bāp ke ghar wāpasjāne na diyā. 3AurYūnatanneDāūdse ahd bāndhā, kyoṅki wuh Dāūdko apnī jān ke barābar azīz rakhtāthā. 4Ahd kī tasdīq ke lie Yūnatanne apnā choġhā utār kar use apnezirābaktar, talwār, kamān aur peṭīsamet Dāūd ko de diyā.

5Jahāṅ bhī Sāūl ne Dāūd ko laṛneke lie bhejā wahāṅ wuh kāmyābhuā. Yih dekh kar Sāūl ne usefauj kā baṛā afsar banā diyā. Yihbāt awām aur Sāūl ke afsaroṅ kopasand āī.

Sāūl Dāūd se Hasad Kartā Hai6Jab Dāūd Filistiyoṅ ko shikastdene se wāpas āyā to tamāmshahroṅ se aurateṅ nikal kar SāūlBādshāh se milne āīṅ. Daf aur sāzbajāte hue wuh khushī ke gīt gāgā kar nāchne lagīṅ. 7Aur nāchtenāchte wuh gātī rahīṅ, “Sāūl ne to

hazār halāk kie jabki Dāūd ne dashazār.”

8Sāūl baṛe ġhusse meṅ ā gayā,kyoṅki auratoṅ kā gīt use nihāyatburā lagā. Us ne sochā, “Un kīnazarmeṅDāūd ne das hazār halākkie jabki maiṅ ne sirf hazār. Ab sirfyih bāt rah gaī hai ki use bādshāhmuqarrar kiyā jāe.” 9Us waqt seSāūl Dāūd ko shak kī nazar sedekhne lagā. 10‐11Agle din Allāhne dubārā Sāūl par burī rūh ānedī, aur wuh ghar ke andar wajd kīhālat meṅ ā gayā. Dāūd māmūlke mutābiq sāz bajāne lagā tākibādshāh ko sukūn mile. Sāūl kehāth meṅ nezā thā. Achānak usne use phaiṅk kar Dāūd ko dīwārke sāth chhed ḍālne kī koshish kī.Lekin Dāūd ek taraf haṭ kar bachniklā. Ek aur dafā aisā huā, lekinDāūd phir bach gayā.

12Yih dekh kar Sāūl Dāūd seḍarne lagā, kyoṅki us ne jān liyā kiRabmujhe chhoṛ kar Dāūd kā hāmīban gayā hai. 13Ākhirkār us neDāūd ko darbār se dūr karke hazārfaujiyoṅ par muqarrar kar diyā. Inādmiyoṅ ke sāth Dāūd mukhtalifjangoṅ ke lie nikaltā rahā. 14Aurjo kuchh bhī wuh kartā us meṅkāmyāb rahtā, kyoṅki Rab us ke

Page 160: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

154 1 Samuel 18:25

sāth thā. 15Jab Sāūl ne dekhā kiDāūd ko kitnī zyādā kāmyābī huīhai to wuh us se mazīd ḍar gayā.16Lekin Isrāīl aur Yahūdāh ke bāqīlogDāūd se bahutmuhabbat rakhtethe, kyoṅki wuh har jang meṅnikalte waqt se le kar ghar wāpasāte waqt tak un ke āge āge chaltāthā.

Dāūd Sāūl kā Dāmād Ban Jātā Hai17Ek din Sāūl ne Dāūd se bāt kī,“Maiṅ apnī baṛī beṭī Mīrab kārishtā āp ke sāth bāndhnā chāhtāhūṅ. Lekin pahle sābit kareṅ ki āpachchhe faujī haiṅ, joRabkī jangoṅmeṅ khūb hissā le.” Lekin dil hī dilmeṅ Sāūl ne sochā, “Khud to maiṅDāūd par hāth nahīṅ uṭhāūṅgā,behtar hai ki wuh Filistiyoṅ kehāthoṅ mārā jāe.” 18Lekin Dāūdne etarāz kiyā, “Maiṅ kaun hūṅ kibādshāh kā dāmād banūṅ? Isrāīlmeṅ to mere khāndān aur ābāīkunbe kī koī haisiyat nahīṅ.”

19To bhī shādī kī taiyāriyāṅ kīgaīṅ. Lekin jab muqarrarā waqt āgayā to Sāūl ne Mīrab kī shādī ekaur ādmī banām Adriyel Mahūlātīse karwā dī.

20Itne meṅ Sāūl kī chhoṭī beṭīMīkal Dāūd se muhabbat karnelagī. Jab Sāūl ko is kī khabar milīto wuh khush huā. 21Us ne sochā,“Ab maiṅ beṭī kā rishtā us ke sāthbāndh kar use yoṅ phaṅsā dūṅgāki wuh Filistiyoṅ se laṛte laṛte marjāegā.” Dāūd se us ne kahā, “Āj āpko merā dāmād banane kā dubārāmauqā milegā.”

22Phir us ne apne mulāzimoṅ kohukm diyā ki wuh chupke se Dāūdko batāeṅ, “Suneṅ, āp bādshāh kopasand haiṅ, aur us ke tamāmafsarbhī āp ko pyār karte haiṅ. Āp zarūrbādshāh kī peshkash qabūl karkeus kā dāmād ban jāeṅ.” 23LekinDāūd ne etarāz kiyā, “Kyā āp kīdānist meṅ bādshāh kā dāmādbananā chhoṭī‐sī bāt hai? Maiṅto ġharīb ādmī hūṅ, aur merī koīhaisiyat nahīṅ.”

24Mulāzimoṅ ne bādshāh kepās wāpas jā kar use Dāūd kealfāz batāe. 25Sāūl ne unheṅ phirDāūd ke pās bhej kar use ittalādī, “Bādshāh mahr ke lie paisenahīṅ māṅgtā balki yih ki āp unke dushmanoṅ se badlā le kar 100Filistiyoṅ ko qatl kar deṅ. Sabūt ketaur par āp ko un kā khatnā karkejild kā kaṭā huā hissā bādshāh ke

Page 161: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 18:26 155

pās lānā paṛegā.” Shart kā maqsadyih thā ki Dāūd Filistiyoṅ ke hāthoṅmārā jāe.

26Jab Dāūd ko yih khabar milīto use Sāūl kī peshkash pasand āī.Muqarrarā waqt se pahle 27us neapne ādmiyoṅ ke sāth nikal kar200 Filistiyoṅ ko mār diyā. Lāshoṅkā khatnā karke wuh jild ke kul200 ṭukṛe bādshāh ke pās lāyā tākibādshāh kā dāmād bane. Yih dekhkar Sāūl ne us kī shādī Mīkal sekarwā dī.

28Sāūl ko mānanā paṛā ki RabDāūd ke sāth hai aur ki merī beṭīMīkal use bahut pyār kartī hai.29Tab wuh Dāūd se aur bhī ḍarnelagā. Is ke bād wuh jīte‐jī Dāūd kādushman banā rahā. 30Un dinoṅmeṅ Filistī sardār Isrāīl se laṛterahe. Lekin jab bhī wuh jang ke lienikle to Dāūd Sāūl ke bāqī afsaroṅkī nisbat zyādā kāmyāb hotā thā.Natīje meṅ us kī shohrat pūremulkmeṅ phail gaī.

Yūnatan Dāūd kī SifārishKartā Hai

19 Ab Sāūl ne apne beṭeYūnatan aur tamām

mulāzimoṅ ko sāf batāyā ki Dāūd

ko halāk karnā hai. Lekin DāūdYūnatan ko bahut pyārā thā, 2is lieus ne use āgāh kiyā, “Merā bāp āpko mār dene ke mawāqe ḍhūnḍrahā hai. Kal subah khabardārraheṅ. Kahīṅ chhup kar merāintazār kareṅ. 3Phir maiṅ apnebāp ke sāth shahr se nikal kar āp keqarīb se guzarūṅga. Wahāṅ maiṅun se āp kā muāmalā chheṛ karmālūm karūṅga ki wuh kyā irādārakhte haiṅ. Jo kuchh bhī wuhkaheṅge maiṅ āp ko batā dūṅgā.”

4Aglī subah jab Yūnatan ne apnebāp se bāt kī to us ne Dāūd kīsifārish karke kahā, “Bādshāhapne khādim Dāūd kā gunāh nakareṅ, kyoṅki us ne āp kā gunāhnahīṅ kiyā balki hameshā āp ke liefāydāmand rahā hai. 5Usī ne apnījān ko khatre meṅ ḍāl kar Filistī komār ḍālā, aur Rabne us kewasīle setamām Isrāīl ko baṛī najāt bakhshī.Us waqt āp khud bhī sab kuchhdekh kar khush hue. To phir āpgunāh karke us jaise bequsūr ādmīko kyoṅ bilāwajahmarwānā chāhtehaiṅ?”

6Yūnatan kī bāteṅ sun kar Sāūlmān gayā. Us ne wādā kiyā, “Rabkī hayāt kī qasam, Dāūd ko mārānahīṅ jāegā.” 7Bād meṅ Yūnatan

Page 162: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

156 1 Samuel 19:18

ne Dāūd ko bulā kar use sab kuchhbatāyā, phir use Sāūl ke pās lāyā.Tab Dāūd pahle kī tarah bādshāh kīkhidmat karne lagā.

Sāūl kā Dāūd par Dūsrā Hamlā8Ek bār phir jang chhiṛ gaī, aurDāūd nikal kar Filistiyoṅ se laṛā. Isdafā bhī us ne unheṅ yoṅ shikastdī ki wuh farār ho gae. 9Lekinek din jab Sāūl apnā nezā pakaṛeghar meṅ baiṭhā thā to Allāh kībhejī huī burī rūh us par ġhālib āī.Us waqt Dāūd sarod bajā rahā thā.10Achānak Sāūl ne neze ko phaiṅkkar Dāūd ko dīwār ke sāth chhedḍālne kī koshish kī. Lekin wuh ektaraf haṭ gayā aur nezā us ke qarībse guzar kar dīwārmeṅ dhaṅs gayā.Dāūd bhāg gayā aur us rāt Sāūl kehāth se bach gayā.

11Sāūl ne fauran apne ādmiyoṅko Dāūd ke ghar ke pās bhej diyātāki wuhmakān kī pahrādārī karkeDāūd ko subah ke waqt qatl kardeṅ. Lekin Dāūd kī bīwī Mīkalne us ko āgāh kar diyā, “Āj rātko hī yahāṅ se chale jāeṅ, warnāāp nahīṅ bacheṅge balki kal subahhī mār die jāeṅge.” 12ChunāṅcheDāūd ghar kī khiṛkī meṅ se niklā,

aur Mīkal ne utarne meṅ us kīmadad kī. Tab Dāūd bhāg kar bachgayā.

13Mīkal ne Dāūd kī chārpāī parbut rakh kar us ke sar par bakriyoṅke bāl lagā die aur bāqī hisse parkambal bichhā diyā. 14Jab Sāūl keādmī Dāūd ko pakaṛne ke lie āe toMīkal ne kahā, “Wuh bīmār hai.”15Faujiyoṅ ne Sāūl ko ittalā dī to usne unheṅ hukm diyā, “Use chārpāīsamet hī mere pās le āo tāki usemār dūṅ.”

16Jab wuh Dāūd ko le jāne kelie āe to kyā dekhte haiṅ ki uskī chārpāī par but paṛā hai jis kesar par bakriyoṅ ke bāl lage haiṅ.17Sāūl ne apnī beṭī ko bahut jhiṛkā,“Tū ne mujhe is tarah dhokā de karmere dushman kī farār hone meṅmadad kyoṅ kī? Terī hī wajah sewuh bach gayā.” Mīkal ne jawābdiyā, “Us ne mujhe dhamkī dī kimaiṅ tujhe qatl kar dūṅgā agar tūfarār hone meṅ merī madad nakare.”

Dāūd Rāmāmeṅ Samuel ke pās18Is tarah Dāūd bach niklā. WuhRāmāmeṅ Samuel ke pās farār huāaur use sab kuchh sunāyā jo Sāūl

Page 163: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 19:19 157

ne us ke sāth kiyā thā. Phir donoṅmil kar Nayot chale gae. Wahāṅwuh ṭhahre. 19Sāūl ko ittalā dī gaī,“Dāūd Rāmā ke Nayot meṅ ṭhahrāhuā hai.” 20Us ne fauran apneādmiyoṅ ko use pakaṛne ke lie bhejdiyā. Jab wuh pahuṅche to dekhāki nabiyoṅ kā pūrā guroh wahāṅnabuwwat kar rahā hai, aur Samuelkhud un kī rāhnumāī kar rahā hai.Unheṅ dekhte hī Allāh kā Rūh Sāūlke ādmiyoṅ par nāzil huā, aur wuhbhī nabuwwat karne lage. 21Sāūlko is bāt kī khabar milī to us nemazīd ādmiyoṅ ko Rāmā bhej diyā.Lekinwuh bhī wahāṅ pahuṅchte hīnabuwwat karne lage. Sāūl ne tīsrībār ādmiyoṅkobhej diyā, lekin yihīkuchh un ke sāth bhī huā.

22Ākhir meṅ Sāūl khud Rāmā kelie rawānā huā. Chalte chalte wuhsīkū ke baṛe hauz par pahuṅchā.Wahāṅ us ne logoṅ se pūchhā,“Dāūd aur Samuel kahāṅ haiṅ?”Unhoṅ ne jawāb diyā, “Rāmā kīābādī Nayot meṅ.”

23Sāūl abhī Nayot nahīṅpahuṅchā thā ki Allāh kā Rūhus par bhī nāzil huā, aur wuhnabuwwat karte karte Nayotpahuṅch gayā. 24Wahāṅ wuhapne kapṛoṅ ko utār kar Samuel

ke sāmne nabuwwat kartā rahā.Nabuwwat karte karte wuh zamīnpar leṭ gayā aur wahāṅ pūre dinaur pūrī rāt paṛā rahā. Isī wajah seyih qaulmashhūr huā, “Kyā Sāūl kobhī nabiyoṅ meṅ shumār kiyā jātāhai?”

Dāūd aur Yūnatan AhdBāndhte Haiṅ

20 Ab Dāūd Rāmā ke Nayotse bhī bhāg gayā. Chupke

se wuh Yūnatan ke pās āyā aurpūchhā, “Mujh se kyā ġhaltī huīhai? Merā kyā qusūr hai? Mujh seāp ke bāp ke khilāf kyā jurm sarzadhuā hai ki wuh mujhe qatl karnāchāhte haiṅ?”

2Yūnatan ne etarāz kiyā, “Yihkabhī nahīṅ ho saktā! Āp nahīṅmareṅge. Merā bāp to mujhehameshā sab kuchh batā detā hai,khāh bāt baṛī ho yā chhoṭī. Tophir wuh aisā koī mansūbā mujhse kyoṅ chhupāe? Āp kī yih bātsarāsar ġhalat hai.”

3Lekin Dāūd ne qasam khā karisrār kiyā, “Zāhir hai ki āp ko is kebāre meṅ ilm nahīṅ. Āp ke bāpko sāf mālūm hai ki maiṅ āp kopasand hūṅ. ‘Wuh to sochte hoṅge,

Page 164: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

158 1 Samuel 20:14

Yūnatan ko is bāt kā ilm na ho,warnā wuh dukh mahsūs karegā.’Lekin Rab kī aur āp kī jān kī qasam,maiṅ baṛe khatre meṅ hūṅ, aurmaut se bachnā mushkil hī hai.”

4Yūnatan ne kahā, “Mujhebatāeṅ ki maiṅ kyā karūṅ to maiṅuse karūṅga.” 5Tab Dāūd ne apnāmansūbā pesh kiyā. “Kal NaeChāṅd kī Īd hai, aur bādshāhtawaqqo kareṅge ki maiṅ un kīziyāfat meṅ sharīk hūṅ. Lekin ismartabā mujhe parsoṅ shām takbāhar khule maidān meṅ chhupārahne kī ijāzat deṅ. 6Agar āp kebāp merā patā kareṅ to unheṅ kahdenā, ‘Dāūd ne baṛe zor se mujhse apne shahr Bait‐laham ko jānekī ijāzat māṅgī. Use baṛī jaldī thī,kyoṅki us kā pūrā khāndān apnīsālānā qurbānī chaṛhānā chāhtāhai.’ 7Agar āp ke bāp jawāb deṅki ṭhīk hai to phir mālūm hogā kikhatrā ṭal gayā hai. Lekin agarwuh baṛe ġhusse meṅ ā jāeṅ toyaqīn jāneṅ ki wuh mujhe nuqsānpahuṅchāne kā irādā rakhte haiṅ.8Barāh‐e‐karmmujh par mehrbānīkarke yād rakheṅ ki āp ne Rab kesāmne apne khādim se ahd bāndhāhai. Agar maiṅ wāqaī qusūrwārṭhahrūṅ to āp khud mujhe mār

ḍāleṅ. Lekin kisī sūrat meṅ bhīmujhe apne bāp ke hawāle nakareṅ.”

9Yūnatan ne jawāb diyā, “Fikrna kareṅ, maiṅ kabhī aisā nahīṅkarūṅga. Jab bhī mujhe ishārā miljāe ki merā bāp āp ko qatl karnekā irādā rakhtā hai to maiṅ zarūrāp ko fauran ittalā dūṅgā.” 10Dāūdne pūchhā, “Agar āp ke bāp ġhussemeṅ jawāb deṅ to kaun mujhekhabar pahuṅchāegā?”

11Yūnatan ne jawāb meṅ kahā,“Āeṅ ham nikal kar khule maidānmeṅ jāeṅ.” Donoṅ nikle 12toYūnatan ne Dāūd se kahā, “RabIsrāīl ke Khudā kī qasam, parsoṅis waqt tak maiṅ apne bāp se bātmālūm kar lūṅgā. Agar wuh āp kebāre meṅ achchhī soch rakhe aurmaiṅ āp ko ittalā na dūṅ 13to Rabmujhe sakht sazā de. Lekin agarmujhe patā chale ki merā bāp āpko mār dene par tulā huā hai tomaiṅ āp ko is kī ittalā bhī dūṅgā.Is sūrat meṅ maiṅ āp ko nahīṅrokūṅgā balki āp ko salāmatī sejāne dūṅgā. Rab usī tarah āp kesāth ho jis tarah wuh pahle merebāp ke sāth thā. 14Lekin darkhāsthai ki mere jīte‐jī mujh par Rabkī‐sī mehrbānī kareṅ tāki maiṅ

Page 165: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 20:15 159

mar na jāūṅ. 15Mere khāndān parbhī hameshā tak mehrbānī kareṅ.Wuh kabhī bhī āp kī mehrbānī semahrūm na ho jāe, us waqt bhīnahīṅ jab Rab ne āp ke tamāmdushmanoṅ ko rū‐e‐zamīn par semiṭā diyā hogā.”

16Chunāṅche Yūnatan ne Dāūdse ahd bāndh kar kahā, “RabDāūd ke dushmanoṅ se badlā le.”17Wuh bolā, “Qasam khāeṅ kiāp yih ahd utne pukhtā irāde seqāym rakheṅge jitnī āp mujh semuhabbat rakhte haiṅ.” KyoṅkiYūnatan Dāūd ko apnī jān kebarābar azīz rakhtā thā.

18Phir Yūnatan ne apnāmansūbāpesh kiyā. “Kal to Nae Chāṅd kīĪd hai. Jaldī se patā chalegā kiāp nahīṅ āe, kyoṅki āp kī kursīkhālī rahegī. 19Is lie parsoṅ shāmke waqt khule maidān meṅ wahāṅchale jāeṅ jahāṅ pahle chhup gaethe. Patthar ke ḍher ke qarīb baiṭhjāeṅ. 20Us waqt maiṅ ghar se nikalkar tīn tīr patthar ke ḍher kī tarafchalāūṅgā goyā meṅ kisī chīz konishānā banā kar mashq kar rahāhūṅ. 21Phir maiṅ laṛke ko tīroṅ kole āne ke lie bhej dūṅgā. Agar maiṅuse batā dūṅ, ‘Tīr urlī taraf paṛehaiṅ, unheṅ jā kar le āo’ to āp khauf

khāe baġhair chhupne kī jagah senikal kar mere pās ā sakeṅge. Rabkī hayāt kī qasam, is sūrat meṅ koīkhatrā nahīṅ hogā. 22Lekin agarmaiṅ laṛke ko batā dūṅ, ‘Tīr parlītaraf paṛe haiṅ’ to āp ko fauranhijrat karnī paṛegī. Is sūrat meṅRab khud āp ko yahāṅ se bhejrahā hogā. 23Lekin jo bāteṅ hamne āj āpas meṅ kī haiṅ Rab khudhameshā tak in kā gawāh rahe.”

Sāūl kī Dāūd se Alāniyā Dushmanī24Chunāṅche Dāūd khule maidānmeṅ chhup gayā. Nae chāṅd kī Īdāī to bādshāh ziyāfat ke lie baiṭhgayā. 25Māmūl ke mutābiq wuhdīwār ke pās baiṭh gayā. Abinair uske sāthbaiṭhā thā aurYūnatanus kemuqābil. Lekin Dāūd kī jagah khālīrahī.

26Us din Sāūl ne bāt na chheṛī,kyoṅki us ne sochā, “Dāūd kisīwajah se nāpāk ho gayā hogā, is lienahīṅ āyā.”

27Lekin agle din jabDāūd kī jagahphir khālī rahī to Sāūl ne Yūnatanse pūchhā, “Yassī kā beṭā na tokal, na āj ziyāfat meṅ sharīk huāhai. Kyā wajah hai?” 28Yūnatanne jawāb diyā, “Dāūd ne baṛe zor

Page 166: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

160 1 Samuel 20:41

se mujh se Bait‐laham jāne kī ijāzatmāṅgī. 29Us ne kahā, ‘Mehrbānīkarkemujhe jāne deṅ, kyoṅkimerākhāndān ek khās qurbānī chaṛhārahā hai, aur mere bhāī ne mujheāne kā hukm diyā hai. Agarāp ko manzūr ho to barāh‐e‐karmmujhe apne bhāiyoṅ ke pās jānekī ijāzat deṅ.’ Yihī wajah hai kiwuh bādshāh kī ziyāfat meṅ sharīknahīṅ huā.”

30Yih sun kar Sāūl āpe se bāharho gayā. Wuh garjā, “Harāmzāde!Mujhe khūb mālūm hai ki tū neDāūd kā sāth diyā hai. Sharm kībāt hai, tere lie aur terī māṅ kelie. 31Jab tak Yassī kā beṭā zindā haitab tak na tū aur na terī bādshāhatqāym rahegī. Ab jā, use le ā, kyoṅkiuse marnā hī hai.”

32Yūnatan ne kahā, “Kyoṅ? Usne kyā kiyā jo sazā‐e‐maut ke lāyqhai?” 33Jawāb meṅ Sāūl ne apnānezā zor se Yūnatan kī taraf phaiṅkdiyā tāki usemār ḍāle. Yih dekh karYūnatan ne jān liyā ki Sāūl Dāūd koqatl karne kā pukhtā irādā rakhtāhai. 34Baṛe ġhusse ke ālam meṅwuh khaṛā huā aur chalā gayā. Usdin us ne khānā khāne se inkārkiyā. Use bahut dukh thā ki merā

bāp Dāūd kī itnī be’izzatī kar rahāhai.

35Agle dinYūnatan subahkewaqtghar se nikal kar khule maidānmeṅ us jagah ā gayā jahāṅ Dāūd semilnā thā. Ek laṛkā us ke sāth thā.36Us ne laṛke ko hukmdiyā, “Chalo,us taraf bhāgnā shurū karo jis tarafmaiṅ tīroṅ ko chalāūṅgā tāki tujhemālūm ho ki wuh kahāṅ haiṅ.”Chunāṅche laṛkā dauṛne lagā, aurYūnatan ne tīr itne zor se chalāyāki wuh us se āge kahīṅ dūr jā girā.37Jab laṛkā tīr ke qarīb pahuṅchgayā to Yūnatan ne āwāz dī, “Tīrparlī taraf hai. 38Jaldī karo, bhāgkar āge niklo aur na ruko!” Phirlaṛkā tīr ko uṭhā kar apne mālik kepās wāpas ā gayā. 39Wuh nahīṅjāntā thā ki is ke pīchhe kyāmaqsadhai. Sirf Yūnatan aur Dāūd ko ilmthā.

40Phir Yūnatan ne kamān aurtīroṅ ko laṛke ke sapurd karkeuse hukm diyā, “Jāo, sāmān lekar shahr meṅ wāpas chale jāo.”41Laṛkā chalā gayā to Dāūd pattharke ḍher ke junūb se nikal karYūnatan ke pās āyā. Tīn martabāwuh Yūnatan ke sāmne muṅh kebal jhuk gayā. Ek dūsre ko chūmkar donoṅ khūb roe, khāskar Dāūd.

Page 167: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 20:42 161

42Phir Yūnatan bolā, “Salāmatī sejāeṅ! Aur kabhī wuh wāde nabhūleṅ jo hamneRab kī qasamkhākar ek dūsre se kie haiṅ. Yih ahdāp ke aur mere aur āp kī aur merīaulād ke darmiyān hameshā qāymrahe. Rab khud hamārā gawāhhai.”Phir Dāūd rawānā huā, aur

Yūnatan shahr ko wāpas chalāgayā.

Dāūd Nobmeṅ Akhīmalikke pās Ṭhahartā Hai

21 Dāūd Nob meṅ AkhīmalikImām ke pās gayā.

Akhīmalik kāṅpte hue us se milneke lie āyā aur pūchhā, “Āp akelekyoṅ āe haiṅ? Koī āp ke sāthnahīṅ.” 2Dāūd ne jawāb diyā,“Bādshāh ne mujhe ek khāszimmedārī dī hai jis kā zikr takkarnā manā hai. Kisī ko bhī is kebāre meṅ jānanā nahīṅ chāhie.Maiṅ ne apne ādmiyoṅ ko hukmdiyā hai ki fulāṅ fulāṅ jagah parmerā intazār kareṅ. 3Ab mujhezarā batāeṅ ki khāne ke lie kyā milsaktā hai? Mujhe pāṅch roṭiyāṅ dedeṅ, yā jo kuchh bhī āp ke pās hai.”

4Imām ne jawāb diyā, “Mere pāsām roṭī nahīṅ hai. Maiṅ āp ko sirfRab ke lie makhsūsshudā roṭī desaktā hūṅ. Shart yih hai ki āp keādmī pichhle dinoṅ meṅ auratoṅse hambistar na hue hoṅ.” 5Dāūdne use tasallī de kar kahā, “Fikrna kareṅ. Pahle kī tarah hameṅis muhimm ke daurān bhī auratoṅse dūr rahnā paṛā hai. Mere faujīām muhimmoṅ ke lie bhī apne āpko pāk rakhte haiṅ, to is dafā wuhkahīṅ zyādā pāk‐sāf haiṅ.”

6Phir imām ne Dāūd komakhsūsshudā roṭiyāṅ dīṅ yānīwuh roṭiyāṅ jo mulāqāt ke khaimemeṅ Rab ke huzūr rakhī jātī thīṅaur usī din tāzā roṭiyoṅ se tabdīl huīthīṅ. 7Us waqt Sāūl ke charwāhoṅkā Adomī inchārj Doeg wahāṅthā. Wuh kisī majbūrī ke bāisRab ke huzūr ṭhahrā huā thā.Us kī maujūdagī meṅ 8Dāūd neAkhīmalik se pūchhā, “Kyā āp kepās koī nezā yā talwār hai? Mujhebādshāh kīmuhimmke lie itnī jaldīse nikalnā paṛā ki apnī talwār yā koīaur hathiyār sāth lāne ke lie fursatna milī.”

9Akhīmalik ne jawāb diyā, “Jīhai. Wādī‐e‐Ailā meṅ āp ke hāthoṅmāre gae Filistīmard Jālūt kī talwār

Page 168: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

162 1 Samuel 22:4

mere pās hai. Wuh ek kapṛe meṅlipṭī mere bālāposh ke pīchhe paṛīhai. Agar āp use apne sāth le jānāchāheṅ to le jāeṅ. Mere pās koī aurhathiyār nahīṅ hai.” Dāūd ne kahā,“Is qism kī talwār kahīṅ aur nahīṅmiltī. Mujhe de deṅ.”

Dāūd Filistī Bādshāh ke pās10Usī din Dāūd āge niklā tāki Sāūlse bach sake. Isrāīl ko chhoṛ karwuh Filistī shahr Jāt ke bādshāhAkīs ke pās gayā. 11Lekin Akīske mulāzimoṅ ne bādshāh ko āgāhkiyā, “Kyā yih mulk kā bādshāhDāūd nahīṅ hai? Isī ke bāre meṅIsrāīlī nāch kar gīt gāte haiṅ, ‘Sāūlne hazār halāk kie jabki Dāūd nedas hazār.’”

12Yih sun kar Dāūd ghabrāgayā aur Jāt ke bādshāh Akīs sebahut ḍarne lagā. 13Achānak wuhpāgal ādmī kā rūp bhar kar un kedarmiyān ajīb ajīb harkateṅ karnelagā. Shahr ke darwāze ke pās jākar us ne us par betuke‐se nishānlagāe aur apnī dāṛhī par rāl ṭapaknedī.

14Yih dekh kar Akīs ne apnemulāzimoṅ ko jhiṛkā, “Tum is ādmīko mere pās kyoṅ le āe ho? Tum

khud dekh sakte ho ki yih pāgal hai.15Kyā mere pās pāgaloṅ kī kamīhai ki tum is ko mere sāmne le āeho tāki is tarah kī harkateṅ kare?Kyā mujhe aise mehmān kī zarūrathai?”

Adullām ke Ġhār aur MoābMeṅ

22 Is tarah Dāūd Jāt se bachniklā aur Adullām ke ġhār

meṅ chhup gayā. Jab us ke bhāiyoṅaur bāp ke gharāne ko is kī khabarmilī to wuh Bait‐laham se ā karwahāṅ us ke sāth jā mile. 2Aur logbhī jaldī se us ke gird jamā ho gae.Aise jo kisī musībat meṅ phaṅsehue the yā apnā qarz adā nahīṅkar sakte the aur aise bhī jin kādil talkhī se bharā huā thā. Hotehote Dāūd taqrīban 400 afrād kārāhnumā ban gayā.

3Dāūd Adullām se rawānā hokar Mulk‐e‐Moāb ke shahr Misfāhchalā gayā. UsneMoābī bādshāh seguzārish kī, “Mere māṅ‐bāp ko uswaqt tak yahāṅ panāh deṅ jab takmujhe patā na ho ki Allāh mere liekyā irādā rakhtā hai.” 4Wuh apnemāṅ‐bāp ko bādshāh ke pās le āyā,aur wuh utnī der tak wahāṅ ṭhahre

Page 169: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 22:5 163

jitnī der Dāūd apne pahāṛī qilemeṅrahā.

5Ekdin JādNabī neDāūd se kahā,“Yahāṅ pahāṛī qile meṅ mat raheṅbalki dubārā Yahūdāh ke ilāqemeṅwāpas chale jāeṅ.” Dāūd us kī sunkar hārat ke jangal meṅ jā basā.

Sāūl Nob ke Imāmoṅ seBadlā Letā Hai

6Sāūl ko ittalā dī gaī ki Dāūdaur us ke ādmī dubārā Yahūdāhmeṅ pahuṅch gae haiṅ. Us waqtSāūl apnā nezā pakaṛe jhāū ke usdarakht ke sāy meṅ baiṭhā thā joJibiyā kī pahāṛī par thā. Sāūl keirdgird us ke mulāzim khaṛe the.7Wuh pukār uṭhā, “Binyamīn kemardo! Suneṅ, kyā Yassī kā beṭāāp sab ko khet aur angūr ke bāġhdegā? Kyā wuh fauj meṅ āp kohazār hazār aur sau sau afrād parmuqarrar karegā? 8Lagtā hai ki āpis kī ummīd rakhte haiṅ, warnā āpyoṅ mere khilāf sāzish na karte.Kyoṅki āpmeṅ se kisī ne bhīmujheyih nahīṅ batāyā ki mere apne beṭene is ādmī ke sāth ahd bāndhā hai.Āp ko merī fikr tak nahīṅ, warnāmujhe ittalā dete ki Yūnatan nemere mulāzim Dāūd ko ubhārā

hai ki wuh merī tāk meṅ baiṭh jāe.Kyoṅki āj to aisā hī ho rahā hai.”

9Doeg Adomī Sāūl ke afsaroṅ kesāth wahāṅ khaṛā thā. Ab wuh boluṭhā, “Maiṅ ne Yassī ke beṭe kodekhā hai. Us waqt wuh Nob meṅAkhīmalik bin Akhītūb se milneāyā. 10Akhīmalik ne Rab se dariyāftkiyā ki Dāūd kā aglā qadam kyā ho.Sāth sāth us ne use safr ke lie khānāaur Filistī mard Jālūt kī talwār bhīdī.”

11Bādshāh ne fauran Akhīmalikbin Akhītūb aur us ke bāp ke pūrekhāndān ko bulāyā. Sab Nob meṅimām the. 12Jab pahuṅche to Sāūlbolā, “Akhītūb ke beṭe, suneṅ.”Akhīmalik ne jawāb diyā, “Jī mereāqā, hukm.” 13Sāūl ne ilzām lagākar kahā, “Āp ne Yassī ke beṭe Dāūdke sāth mere khilāf sāzisheṅ kyoṅkī haiṅ? Batāeṅ, āp ne use roṭīaur talwār kyoṅ dī? Āp ne Allāhse dariyāft kyoṅ kiyā ki Dāūd āgekyā kare? Āp hī kī madad se wuhsarkash ho kar merī tāk meṅ baiṭhgayāhai, kyoṅki āj to aisā hī ho rahāhai.”

14Akhīmalik bolā, “Lekin mereāqā, kyāmulāzimoṅmeṅ se koī aurāp ke dāmād Dāūd jaisā wafādārsābit huā hai? Wuh to āp ke

Page 170: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

164 1 Samuel 23:3

muhāfiz daste kā kaptān aur āp kegharāne kā muazzaz membar hai.15Aur yih pahlī bār nahīṅ thā kimaiṅ ne us ke lie Allāh se hidāyatmāṅgī. Is muāmale meṅ bādshāhmujh aur mere khāndān par ilzāmna lagāe. Maiṅ ne to kisī sāzish kāzikr tak nahīṅ sunā.”

16Lekin bādshāh bolā,“Akhīmalik, tujhe aur tere bāp kepūre khāndān ko marnā hai.” 17Usne sāth khaṛe apne muhāfizoṅ kohukm diyā, “Jā kar imāmoṅ ko mārdo, kyoṅki yih bhī Dāūd ke ittahādīhaiṅ. Go in ko mālūm thā ki Dāūdmujh se bhāg rahā hai to bhī inhoṅne mujhe ittalā na dī.”Lekin muhāfizoṅ ne Rab ke

imāmoṅ ko mār ḍālne se inkārkiyā. 18Tab bādshāh ne DoegAdomī ko hukm diyā, “Phir tum hīimāmoṅ komār do.” Doeg ne un kepās jā kar un sab ko qatl kar diyā.Katān kā bālāposh pahnane wālekul 85 ādmī us dinmāre gae. 19Phirus ne jā kar imāmoṅ ke shahr Nobke tamām bāshindoṅ ko mār ḍālā.Shahr ke mard, aurateṅ, bachcheshīrkhāroṅ samet, gāy‐bail, gadheaur bheṛ‐bakriyāṅ sab us din halākhue.

20Sirf ek hī shakhs bach gayā,Abiyātar jo Akhīmalik bin Akhītūbkā beṭā thā. Wuh bhāg kar Dāūd kepās āyā 21aur use ittalā dī ki Sāūl neRab ke imāmoṅko qatl kar diyā hai.22Dāūd ne kahā, “Us din jab maiṅne Doeg Adomī ko wahāṅ dekhā tomujhemālūm thā kiwuh zarūr Sāūlko khabar pahuṅchāegā. Yih merāhī qusūr hai ki āp ke bāp kā pūrākhāndān halāk ho gayā hai. 23Abmere sāth raheṅ aur mat ḍareṅ. Joādmī āp ko qatl karnā chāhtā haiwuh mujhe bhī qatl karnā chāhtāhai. Āp mere sāth rah kar mahfūzraheṅge.”

Dāūd Qaīlā ko Bachātā Hai

23 Ek din Dāūd ko khabarmilī ki Filistī Qaīlā Shahr

par hamlā karke gāhne kī jaghoṅ seanāj lūṭ rahe haiṅ. 2Dāūd ne Rabse dariyāft kiyā, “Kyā maiṅ jā karFilistiyoṅ par hamlā karūṅ?” Rabne jawāb diyā, “Jā, Filistiyoṅ parhamlā karke Qaīlā ko bachā.”

3Lekin Dāūd ke ādmī etarāzkarne lage, “Ham pahle se yahāṅYahūdāh meṅ logoṅ kī mukhālafatse ḍarte haiṅ. Jab ham Qaīlā jākar Filistiyoṅ par hamlā kareṅge

Page 171: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 23:4 165

to phir hamārā kyā banegā?” 4TabDāūd ne Rab se dubārā hidāyatmāṅgī, aur dubārā use yihī jawābmilā, “Qaīlā ko jā! Maiṅ Filistiyoṅko tere hawāle kar dūṅgā.”

5Chunāṅche Dāūd apne ādmiyoṅke sāth Qaīlā chalā gayā. Us neFilistiyoṅ par hamlā karke unheṅbaṛī shikast dī aur un kī bheṛ‐bakriyoṅ ko chhīn kar Qaīlā kebāshindoṅ ko bachāyā. 6WahāṅQaīlā meṅ Abiyātar Dāūd ke logoṅmeṅ shāmil huā. Us ke pās imāmkā bālāposh thā.

7Jab Sāūl ko khabar milī ki DāūdQaīlā Shahr meṅ ṭhahrā huā hai tous ne sochā, “Allāh ne use merehawāle kar diyā hai, kyoṅki ab wuhfasīldār shahr meṅ jā kar phaṅsgayā hai.” 8Wuh apnī pūrī fauj kojamā karke jang ke lie taiyāriyāṅkarne lagā tāki utar kar Qaīlā kāmuhāsarā kare jis meṅ Dāūd ab takṭhahrā huā thā.

9Lekin Dāūd ko patā chalā ki Sāūlus ke khilāf taiyāriyāṅ kar rahāhai. Us ne Abiyātar Imām se kahā,“Imām kā bālāposh le āeṅ tāki hamRab se hidāyat māṅgeṅ.” 10Phir usne duā kī, “Ai Rab Isrāīl ke Khudā,mujhe khabar milī hai ki Sāūl merīwajah se Qaīlā par hamlā karke use

barbād karnā chāhtā hai. 11Kyāshahr ke bāshinde mujhe Sāūl kehawāle kar deṅge? Kyā Sāūl wāqaīāegā? Ai Rab, Isrāīl ke Khudā, apnekhādim ko batā!” Rab ne jawābdiyā, “Hāṅ, wuh āegā.” 12Phir Dāūdne mazīd dariyāft kiyā, “Kyā shahrke buzurgmujhe aurmere logoṅ koSāūl ke hawāle kar deṅge?” Rab nekahā, “Hāṅ, wuh kar deṅge.”

13Lihāzā Dāūd apne taqrīban 600ādmiyoṅ ke sāthQaīlā se chalā gayāaur idhar‐udhar phirne lagā. JabSāūl ko ittalā milī ki Dāūd Qaīlā senikal kar bach gayā hai to wahāṅjāne se bāz āyā.

Yūnatan Dāūd se Miltā Hai14Ab Dāūd bayābān ke pahāṛī qiloṅaur Dasht‐e‐Zīf ke pahāṛī ilāqemeṅrahne lagā. Sāūl to musalsal uskā khoj lagātā rahā, lekin Allāhhameshā Dāūd ko Sāūl ke hāth sebachātā rahā. 15Ek din jab DāūdHorish ke qarīb thā to use ittalāmilī ki Sāūl āp ko halāk karne kelie niklā hai. 16Us waqt Yūnatanne Dāūd ke pās ā kar us kī hauslā‐afzāī kī ki wuh Allāh par bharosārakhe. 17Us ne kahā, “Ḍareṅ mat.Mere bāp kā hāth āp tak nahīṅ

Page 172: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

166 1 Samuel 23:28

pahuṅchegā. Ek din āp zarūr Isrāīlke bādshāh ban jāeṅge, aur merārutbā āp ke bād hī āegā. Merābāp bhī is haqīqat se khūb wāqifhai.” 18Donoṅ ne Rab ke huzūrahd bāndhā. Phir Yūnatan apneghar chalā gayā jabki Dāūd wahāṅHorish meṅ ṭhahrā rahā.

Dāūd Zīf meṅ Bach Jātā Hai19Dasht‐e‐Zīf meṅ ābād kuchh logSāūl ke pās ā gae jo us waqt Jibiyāmeṅ thā. Unhoṅ ne kahā, “Hamjānte haiṅ ki Dāūd kahāṅ chhupgayā hai. Wuh Horish ke pahāṛīqiloṅ meṅ hai, us pahāṛī par jis kānām Hakīlā hai aur jo Yashīmon kejunūb meṅ hai. 20Ai bādshāh, jabbhī āp kā dil chāhe āeṅ to ham usepakaṛ kar āp ke hawāle kar deṅge.”21Sāūl ne jawāb diyā, “Rab āp kobarkat bakhshe ki āp ko mujh partars āyā hai. 22Ab wāpas jā karmazīd taiyāriyāṅ kareṅ. Patā kareṅki wuh kahāṅ ātā jātā hai aur kisne use wahāṅ dekhā hai. Kyoṅkimujhebatāyā gayāhai kiwuhbahutchālāk hai. 23Har jagah kā khojlagāeṅ jahāṅ wuh chhup jātā hai.Jab āp ko sārī tafsīlāt mālūm hoṅto mere pās āeṅ. Phir maiṅ āp

ke sāth wahāṅ pahuṅchūṅgā. Agarwuhwāqaī wahāṅ kahīṅ ho tomaiṅuse zarūr ḍhūnḍ nikālūṅgā, khāhmujhe pūre Yahūdāh kī chhānbīnkyoṅ na karnī paṛe.”

24‐25Zīf ke ādmī wāpas chale gae.Thoṛī der ke bād Sāūl bhī apnī faujsamet wahāṅ ke lie niklā. Us waqtDāūd aur us ke log Dasht‐e‐Maūnmeṅ Yashīmon ke junūb meṅ the.Jab Dāūd ko ittalā milī ki Sāūl us kātāqqub kar rahā hai towuh registānke mazīd junūb meṅ chalā gayā,wahāṅ jahāṅ baṛī chaṭān nazar ātīhai. Lekin Sāūl ko patā chalā aurwuh fauran registān meṅ Dāūd kepīchhe gayā.

26Chalte chalte Sāūl Dāūd keqarīb hī pahuṅch gayā. Ākhirkārsirf ek pahāṛī un ke darmiyān rahgaī. Sāūl pahāṛī ke ek dāmanmeṅ thā jabki Dāūd apne logoṅsamet dūsre dāman meṅ bhāgtāhuā bādshāh se bachne kī koshishkar rahā thā. Sāūl abhī unheṅ gherkar pakaṛne ko thā 27ki achānakqāsid Sāūl ke pās pahuṅchā jis nekahā, “Jaldī āeṅ! Filistī hamāremulk meṅ ghus āe haiṅ.” 28Sāūlko Dāūd ko chhoṛnā paṛā, aurwuh Filistiyoṅ se laṛne gayā. Us

Page 173: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 23:29 167

waqt se pahāṛī kā nām “Alahdagī kīChaṭān” paṛ gayā.

29Dāūd wahāṅ se chalā gayā aurAin‐jadī ke pahāṛī qiloṅ meṅ rahnelagā.

Dāūd Sāūl ko Qatl Karnese Inkār Kartā Hai

24 Jab Sāūl Filistiyoṅ kātāqqub karne se wāpas āyā

to use khabar milī ki Dāūd Ain‐jadīke registān meṅ hai. 2Wuh tamāmIsrāīl ke 3,000 chīdā faujiyoṅ ko lekar Pahāṛī Bakriyoṅ kī Chaṭānoṅ kelie rawānā huā tāki Dāūd ko pakaṛle.

3Chalte chalte wuh bheṛoṅ kekuchh bāṛoṅ se guzarne lage.Wahāṅ ek ġhār ko dekh kar Sāūlandar gayā tāki apnī hājat rafākare. Ittifāq se Dāūd aur us keādmī usī ġhār ke pichhle hissemeṅ chhupe baiṭhe the. 4Dāūd keādmiyoṅ ne āhistā se us se kahā,“Rab ne to āp se wādā kiyā thā,‘Maiṅ tere dushman ko tere hawālekar dūṅgā, aur tū jo jī chāhe uske sāth kar sakegā.’ Ab yih waqtā gayā hai!” Dāūd reṅgte reṅgteāge Sāūl ke qarīb pahuṅch gayā.Chupke se us ne Sāūl ke libās ke

kināre kā ṭukṛā kāṭ liyā aur phirwāpas ā gayā. 5Lekin jab apnelogoṅ ke pās pahuṅchā to us kāzamīr use malāmat karne lagā. 6Usne apne ādmiyoṅ se kahā, “Rab nakare ki maiṅ apne āqā ke sāth aisāsulūk karke Rab ke masah kie huebādshāh ko hāth lagāūṅ. KyoṅkiRab ne khud usemasah karke chunliyā hai.” 7Yih kah kar Dāūd ne unko samjhāyā aur unheṅ Sāūl parhamlā karne se rok diyā.Thoṛī der ke bād Sāūl ġhār se

nikal kar āge chalne lagā. 8Jab wuhkuchh fāsile par thā to Dāūd bhīniklā aur pukār uṭhā, “Ai bādshāhsalāmat, ai mere āqā!” Sāūl nepīchhe dekhā to Dāūd muṅh kebal jhuk kar 9bolā, “Jab log āp kobatāte haiṅ ki Dāūd āp ko nuqsānpahuṅchāne par tulā huā hai to āpkyoṅ dhyān dete haiṅ? 10Āj āp apnīāṅkhoṅ se dekh sakte haiṅ ki yihjhūṭ hī jhūṭ hai. Ġhār meṅ āp Allāhkī marzī se mere qabze meṅ ā gaethe. Mere logoṅ ne zor diyā kimaiṅ āp ko mār dūṅ, lekin maiṅne āp ko na chheṛā. Maiṅ bolā,‘Maiṅ kabhī bhī bādshāh ko nuqsānnahīṅ pahuṅchāūṅgā, kyoṅki Rabne khud use masah karke chun liyāhai.’ 11Mere bāp, yih dekheṅ jo

Page 174: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

168 1 Samuel 25:1

mere hāth meṅ hai! Āp ke libās kāyih ṭukṛā maiṅ kāṭ sakā, aur phirbhī maiṅ ne āp ko halāk na kiyā.Ab jān leṅ ki na maiṅ āp ko nuqsānpahuṅchāne kā irādā rakhtā hūṅ,na maiṅ ne āp kā gunāh kiyā hai.Phir bhī āp merā tāqqub karte huemujhe mār ḍālne ke darpai haiṅ.12Rab khud faislā kare ki kis seġhaltī ho rahī hai, āp se yā mujhse. Wuhī āp se merā badlā le.Lekin khudmaiṅ kabhī āp par hāthnahīṅ uṭhāūṅgā. 13Qadīm qaul yihībāt bayān kartā hai, ‘Badkāroṅ sebadkārī paidā hotī hai.’ Merī nīyatto sāf hai, is lie maiṅ kabhī aisānahīṅ karūṅga. 14Isrāīl kā bādshāhkis ke khilāf nikal āyā hai? Jis kātāqqub āp kar rahe haiṅ us kī tokoī haisiyat nahīṅ. Wuh murdākuttā yā pissū hī hai. 15Rab hamārāmunsif ho. Wuhī ham donoṅ kāfaislā kare. Wuh mere muāmalepar dhyān de, mere haq meṅ bātkare aurmujhe be’ilzām ṭhahrā karāp ke hāth se bachāe.”

16Dāūd khāmosh huā to Sāūl nepūchhā, “Dāūdmere beṭe, kyā āp kīāwāz hai?” Aur wuh phūṭ phūṭ karrone lagā. 17Us ne kahā, “Āp mujhse zyādā rāstbāz haiṅ. Āp ne mujhse achchhā sulūk kiyā jabki maiṅ

āp se burā sulūk kartā rahā hūṅ.18Āj āpnemere sāth bhalāī kā sabūtdiyā, kyoṅki go Rab ne mujhe āpke hawāle kar diyā thā to bhī āp nemujhe halāk na kiyā. 19Jab kisī kādushmanus ke qabzemeṅā jātā haito wuh use jāne nahīṅ detā. Lekināp ne aisā hī kiyā. Rab āp ko usmehrbānī kā ajr de jo āp ne āj mujhpar kī hai. 20Ab maiṅ jāntā hūṅ kiāp zarūr bādshāh ban jāeṅge, aur kiāp ke zariye Isrāīl kī bādshāhī qāymrahegī. 21Chunāṅche Rab kī qasamkhā kar mujh se wādā kareṅ ki naāp merī aulād ko halāk kareṅge, namere ābāī gharāne meṅ se merānāmmiṭā deṅge.”

22Dāūd ne qasam khā kar Sāūlse wādā kiyā. Phir Sāūl apneghar chalā gayā jabki Dāūd ne apnelogoṅ ke sāth ek pahāṛī qile meṅpanāh le lī.

Samuel kī Maut

25 Un dinoṅmeṅ Samuel fauthuā. Tamām Isrāīl Rāmā

meṅ janāze ke lie jamā huā. Us kāmātam karte hue unhoṅ ne use uskī khāndānī qabr meṅ dafn kiyā.

Page 175: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 25:2‐4 169

Nābāl Dāūd kī Be’izzatī Kartā HaiUn dinoṅ meṅ Dāūd Dasht‐e‐Fārānmeṅ chalā gayā.

2‐4Maūn meṅ Kālib ke khāndānkā ek ādmī rahtā thā jis kā nāmNābāl thā. Wuh nihāyat amīr thā.Karmil ke qarīb us kī 3,000 bheṛeṅaur 1,000 bakriyāṅ thīṅ. Bīwī kānām Abījel thā. Wuh zahīn bhī thīaur khūbsūrat bhī. Us kemuqābalemeṅ Nābāl sakhtmizāj aur kamīnāthā. Ek din Nābāl apnī bheṛoṅ kebāl katarne ke lie Karmil āyā.Jab Dāūd ko khabar milī 5to us

ne 10 jawānoṅ ko bhej kar kahā,“Karmil jā kar Nābāl se mileṅ auruse merā salām deṅ. 6Use batānā,‘Allāh āp ko tawīl zindagī atā kare.Āp kī, āp ke khāndān kī aur āpkī tamām milkiyat kī salāmatī ho.7Sunā hai ki bheṛoṅ ke bāl katarnekā waqt ā gayā hai. Karmil meṅāp ke charwāhe hameshā hamāresāth rahe. Us pūre arse meṅ naunheṅ hamārī taraf se koī nuqsānpahuṅchā, na koī chīz chorī huī.8Apne logoṅ se khud pūchh leṅ!Wuh is kī tasdīq kareṅge. Āj āpkhushī manā rahe haiṅ, is lie merejawānoṅ par mehrbānī kareṅ. Jokuchh āp khushī se de sakte haiṅ

wuh unheṅ aur apne beṭe Dāūd kode deṅ.’”

9Dāūd ke ādmī Nābāl ke pās gae.UseDāūd kā salāmde kar unhoṅneus kā paiġhām diyā aur phir jawābkā intazār kiyā. 10Lekin Nābālne karakht lahje meṅ kahā, “YihDāūd kaun hai? Kaun hai Yassī kābeṭā? Ājkal bahut‐se aise ġhulāmhaiṅ jo apne mālik se bhāge huehaiṅ. 11Maiṅ apnī roṭī, apnā pānīaur katarne wāloṅ ke lie zabah kiyāgayā gosht le kar aise āwārā phirnewāloṅ ko kyoṅ de dūṅ? Kyā patā haiki yih kahāṅ se āe haiṅ.”

12Dāūd ke ādmī chale gae aurDāūd ko sab kuchh batā diyā. 13TabDāūd ne hukmdiyā, “Apnī talwāreṅbāndh lo!” Sab ne apnī talwāreṅbāndh līṅ. Us ne bhī aisā kiyā aurphir 400 afrād ke sāth Karmil ke lierawānā huā. Bāqī 200 mard sāmānke pās rahe.

Abījel Dāūd kā ĠhussāṬhanḍā Kartī Hai

14Itne meṅ Nābāl ke ek naukarne us kī bīwī ko ittalā dī, “Dāūdne registān meṅ se apne qāsidoṅko Nābāl ke pās bhejā tāki usemubārakbād deṅ. Lekin us

Page 176: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

170 1 Samuel 25:27

ne jawāb meṅ garaj kar unheṅgāliyāṅ dī haiṅ, 15hālāṅki un logoṅkā hamāre sāth sulūk hameshāachchhā rahā hai. Ham aksarrewaṛoṅ ko charāne ke lie unke qarīb phirte rahe, to bhīunhoṅ ne hameṅ kabhī nuqsānna pahuṅchāyā, na koī chīz chorīkī. 16Jab bhī ham un ke qarīb theto wuh din rāt chārdīwārī kī tarahhamārī hifāzat karte rahe. 17Absoch leṅ ki kyā kiyā jāe! Kyoṅkihamārā mālik aur us ke tamāmghar wāle baṛe khatre meṅ haiṅ.Wuh khud itnā sharīr hai ki us sebāt karne kā koī fāydā nahīṅ.”

18Jitnī jaldī ho sakā Abījel nekuchh sāmān ikaṭṭhā kiyā jis meṅ200 roṭiyāṅ, mai kī do mashkeṅ,khāne ke lie taiyār kī gaī pāṅchbheṛeṅ, bhune hue anāj ke sāṛhe27 kilogrām, kishmish kī 100 auranjīr kī 200 ṭikkiyāṅ shāmil thīṅ.Sab kuchh gadhoṅ par lād kar19us ne apne naukaroṅ ko hukmdiyā, “Mere āge nikal jāo, maiṅtumhāre pīchhe pīchhe āūṅgī.”Apne shauhar ko us ne kuchh nabatāyā. 20JabAbījel pahāṛ kī āṛmeṅutarne lagī to Dāūd apne ādmiyoṅsamet us kī taraf baṛhte hue nazarāyā. Phir unkīmulāqāt huī. 21Dāūd

to abhī tak baṛe ġhusse meṅ thā,kyoṅki wuh soch rahā thā, “Is ādmīkī madad karne kā kyā fāydā thā!Ham registānmeṅ us ke rewaṛoṅ kīhifāzat karte rahe aur us kī koī bhīchīz gum na hone dī. To bhī us nehamārī nekī ke jawāb meṅ hamārībe’izzatī kī hai. 22Allāhmujhe sakhtsazā de agar maiṅ kal subah tak uske ek ādmīkobhī zindā chhoṛdūṅ!”

23‐24Dāūd ko dekh kar Abījel jaldīse gadhe par se utar kar us kesāmne muṅh ke bal jhuk gaī. Usne kahā, “Mere āqā, mujhe hīqusūrwār ṭhahrāeṅ. Mehrbānīkarke apnī khādimā ko bolne deṅaur us kī bāt suneṅ. 25Mere mālikus sharīr ādmī Nābāl par zyādādhyān na deṅ. Us ke nām kāmatlab ahmaq hai aur wuh hai hīahmaq. Afsos, merī un ādmiyoṅse mulāqāt nahīṅ huī jo āp nehamāre pās bheje the. 26LekinRab kī aur āp kī hayāt kī qasam,Rab ne āp ko apne hāthoṅ se badlālene aur qātil banane se bachāyāhai. Aur Allāh kare ki jo bhīāp se dushmanī rakhte aur āp konuqsān pahuṅchānā chāhte haiṅunheṅNābāl kī‐sī sazāmil jāe. 27Abguzārish hai ki jo barkat hameṅmilī hai us meṅ āp bhī sharīk

Page 177: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 25:28 171

hoṅ. Jo chīzeṅ āp kī khādimā lāīhai unheṅ qabūl karke un jawānoṅmeṅ taqsīm kar deṅ jo mere āqā kepīchhe ho lie haiṅ. 28Jo bhī ġhaltīhuī hai apnī khādimā komuāf kījie.Rab zarūr mere āqā kā gharānāhameshā tak qāym rakhegā, kyoṅkiāpRab ke dushmanoṅ se laṛte haiṅ.Wuh āp ko jīte‐jī ġhaltiyāṅ karnese bachāe rakhe. 29Jab koī āp kātāqqub karke āp ko mār dene kīkoshish kare to Rab āp kā Khudāāp kī jān jāndāroṅ kī thailī meṅmahfūz rakhegā. Lekin āp kedushmanoṅ kī jān wuh falākhanke patthar kī tarah dūr phaiṅk karhalāk kar degā. 30Jab Rab apnetamāmwāde pūre karke āp ko Isrāīlkā bādshāh banā degā 31to koī aisībāt sāmne nahīṅ āegī jo ṭhokar kābāis ho. Mere āqā kā zamīr sāfhogā, kyoṅki āp badlā le kar qātilnahīṅ bane hoṅge. Guzārish hai kijab Rab āp ko kāmyābī de to apnīkhādimā ko bhī yād kareṅ.”

32Dāūd bahut khush huā. “RabIsrāīl ke Khudākī tārīf ho jis ne āj āpko mujh se milne ke lie bhej diyā.33Āp kī basīrat mubārak hai! Āpmubārak haiṅ, kyoṅki āp ne mujheis din apne hāthoṅ se badlā le karqātil banane se rok diyā hai. 34Rab

Isrāīl ke Khudā kī qasam jis nemujhe āp ko nuqsān pahuṅchānese rok diyā, kal subah Nābāl ketamām ādmī halāk hote agar āp itnījaldī se mujh se milne na ātīṅ.”

35Dāūd ne Abījel kī peshkardāchīzeṅqabūl karkeuse rukhsat kiyāaur kahā, “Salāmatī se jāeṅ. Maiṅne āp kī sunī aur āp kī bāt manzūrkar lī hai.”

Rab Nābāl ko Sazā Detā Hai36Jab Abījel apne ghar pahuṅchī todekhā ki bahut raunaq hai, kyoṅkiNābāl bādshāh kī‐sī ziyāfat karkekhushiyāṅ manā rahā thā. Chūṅkiwuh nashe meṅ dhut thā is lieAbījel ne use us waqt kuchh nabatāyā.

37Aglī subah jab Nābāl hosh meṅā gayā to Abījel ne use sab kuchhkah sunāyā. Yih sunte hī Nābāl kodaurā paṛ gayā, aur wuh patthar‐sā ban gayā. 38Das din ke bād Rabne use marne diyā. 39Jab Dāūd koNābāl kī maut kī khabar mil gaīto wuh pukārā, “Rab kī tārīf ho jisne mere lie Nābāl se laṛ kar merībe’izzatī kā badlā liyā hai. Us kīmehrbānī hai ki maiṅ ġhalat kāmkarne se bach gayā hūṅ jabki Nābāl

Page 178: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

172 1 Samuel 26:5

kī burāī us ke apne sar par ā gaīhai.”

Abījel kī Dāūd se ShādīKuchh der ke bād Dāūd ne apnelogoṅ ko Abījel ke pās bhejā tākiwuh Dāūd kī us ke sāth shādī kīdarkhāst pesh kareṅ. 40Chunāṅcheus ke mulāzim Karmil meṅ Abījelke pās jā kar bole, “Dāūd ne hameṅshādī kā paiġhāmde kar bhejā hai.”41Abījel khaṛī huī, phirmuṅhkebaljhuk kar bolī, “Maiṅ un kī khidmatmeṅ hāzir hūṅ. Maiṅ apne mālikke khādimoṅ ke pāṅw dhone taktaiyār hūṅ.”

42Wuh jaldī se taiyār huī aurgadhe par baiṭh kar Dāūd kemulāzimoṅ ke sāth rawānā huī.Pāṅch naukarāniyāṅ us ke sāthchalī gaīṅ. Yoṅ Abījel Dāūd kī bīwīban gaī.

43Ab Dāūd kī do bīwiyāṅthīṅ, kyoṅki pahle us kī shādīAkhīnūsam se huī thī jo Yazrael sethī. 44Jahāṅ tak Sāūl kī beṭī Mīkalkā tālluq thā Sāūl ne use Dāūd se lekar us kī dubārā shādī Faltiyel binLais se karwāī thī jo Jallīm kā rahnewālā thā.

Dāūd Sāūl ko Dūsrī BārBachne Detā Hai

26 Ek din Dasht‐e‐Zīf kekuchh bāshinde dubārā

Jibiyā meṅ Sāūl ke pās ā gae.Unhoṅ ne bādshāh ko batāyā,“Ham jānte haiṅ ki Dāūd kahāṅchhup gayā hai. Wuh us pahāṛīpar hai jo Hakīlā kahlātī hai aurYashīmon ke muqābil hai.” 2Yihsun kar Sāūl Isrāīl ke 3,000 chīdāfaujiyoṅ ko le kar Dasht‐e‐Zīf meṅgayā tāki Dāūd ko ḍhūnḍ nikāle.3Hakīlā Pahāṛī par Yashīmon kemuqābil wuh ruk gae. Jo rāstāpahāṛ par se guzartā hai us ke pāsunhoṅ ne apnā kaimp lagāyā. Dāūdus waqt registān meṅ chhup gayāthā. Jab use khabar milī ki Sāūlmerā tāqqub kar rahā hai 4to us neapne logoṅ ko mālūm karne ke liebhejā. Unhoṅ ne wāpas ā kar useittalā dī ki bādshāh wāqaī apnī faujsamet registān meṅ pahuṅch gayāhai. 5Yih sun kar Dāūd khud nikalkar chupke se us jagah gayā jahāṅSāūl kā kaimp thā. Us ko mālūmhuā ki Sāūl aur us kā kamānḍarAbinair bin Nair kaimp ke ain bīchmeṅ so rahe haiṅ jabki bāqī ādmī

Page 179: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 26:6 173

dāyrā banā kar un ke irdgird sorahe haiṅ.

6Do mard Dāūd ke sāth the,Akhīmalik Hittī aur Abīshai binZarūyāh. Zarūyāh Yoāb kā bhāīthā. Dāūd ne pūchhā, “Kaun meresāth kaimp meṅ ghus kar Sāūl kepās jāegā?” Abīshai ne jawāb diyā,“Maiṅ sāth jāūṅgā.” 7Chunāṅchedonoṅ rāt ke waqt kaimpmeṅ ghusāe. Soe hue faujiyoṅ aur Abinairse guzar kar wuh Sāūl tak pahuṅchgae jo zamīn par leṭā so rahā thā.Us kā nezā sar ke qarīb zamīn meṅgaṛā huā thā. 8Abīshai ne āhistā seDāūd se kahā, “Āj Allāh ne āp kedushman ko āp ke qabze meṅ kardiyā hai. Agar ijāzat ho to maiṅ useus ke apne neze se zamīn ke sāthchheddūṅ. Maiṅuse ekhīwārmeṅmār dūṅgā. Dūsre wār kī zarūrat hīnahīṅ hogī.”

9Dāūd bolā, “Na karo! Use matmārnā, kyoṅki jo Rab ke masahkie hue khādim ko hāth lagāe wuhqusūrwār ṭhahregā. 10Rab kī hayātkī qasam, Rab khud Sāūl kī mautmuqarrar karegā, khāh wuh būṛhāho karmar jāe, khāh jangmeṅ laṛtehue. 11Rab mujhe is se mahfūzrakhe ki maiṅ us ke masah kie huekhādim ko nuqsān pahuṅchāūṅ.

Nahīṅ, ham kuchh aur kareṅge. Uskā nezā aur pānī kī surāhī pakaṛlo. Āo, ham yih chīzeṅ apne sāthle kar yahāṅ se nikal jāte haiṅ.”12Chunāṅche wuh donoṅ chīzeṅapne sāth le kar chupke se chalegae. Kaimp meṅ kisī ko bhī patāna chalā, koī na jāgā. Sab soe rahe,kyoṅki Rab ne unheṅ gahrī nīndsulā diyā thā.

13Dāūd wādī ko pār karke pahāṛīpar chaṛh gayā. Jab Sāūl se fāsilākāfī thā 14to Dāūd ne fauj aurAbinair ko ūṅchī āwāz se pukār karkahā, “Ai Abinair, kyā āp mujhejawāb nahīṅ deṅge?” Abinairpukārā, “Āp kaun haiṅ ki bādshāhko is tarah kī ūṅchī āwāz deṅ?”15Dāūd ne tanzan jawāb diyā, “Kyāāp mard nahīṅ haiṅ? Aur Isrāīlmeṅ kaun āp jaisā hai? To phir āpne apne bādshāh kī sahīh hifāzatkyoṅ na kī jab koī use qatl karneke lie kaimp meṅ ghus āyā? 16Jo āpne kiyā wuh ṭhīk nahīṅ hai. Rab kīhayāt kī qasam, āp aur āp ke ādmīsazā‐e‐maut ke lāyq haiṅ, kyoṅkiāp ne apne mālik kī hifāzat na kī,go wuh Rab kā masah kiyā huābādshāh hai. Khud dekh leṅ, jonezā aur pānī kī surāhī bādshāh kesar ke pās the wuh kahāṅ haiṅ?”

Page 180: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

174 1 Samuel 27:1

17Tab Sāūl ne Dāūd kī āwāzpahchān lī. Wuh pukārā, “Merebeṭe Dāūd, kyā āp kī āwāz hai?”18Dāūd ne jawāb diyā, “Jī, bādshāhsalāmat. Mere āqā, āpmerā tāqqubkyoṅ kar rahe haiṅ? Maiṅ to āp kākhādim hūṅ. Maiṅ ne kyā kiyā?Mujh se kyā jurm sarzad huā hai?19Guzārish hai ki merā āqā aurbādshāh apne khādim kī bāt sune.Agar Rab ne āp ko mere khilāfuksāyā ho to wuh merī ġhallā kīnazar qabūl kare. Lekin agar insānis ke pīchhe haiṅ to Rab ke sāmneun par lānat! Apnī harkatoṅ seunhoṅ ne mujhe merī maurūsīzamīn se nikāl diyā hai aur natījemeṅ maiṅ Rab kī qaummeṅ nahīṅrah saktā. Haqīqat meṅ wuh kahrahe haiṅ, ‘Jāo, dīgar mābūdoṅ kīpūjā karo!’ 20Aisā na ho ki maiṅwatan se aur Rab ke huzūr se dūrmar jāūṅ. Isrāīl kā bādshāh pissūko ḍhūnḍ nikālne ke lie kyoṅ nikalāyā hai? Wuh to pahāṛoṅmeṅmerāshikār tītar ke shikār kī tarah karrahe haiṅ.”

21Tab Sāūl ne iqrār kiyā, “Maiṅne gunāh kiyā hai. Dāūd merebeṭe, wāpas āeṅ. Ab se maiṅ āpko nuqsān pahuṅchāne kī koshishnahīṅ karūṅga, kyoṅki āj merī jān

āp kī nazar meṅ qīmtī thī. Maiṅbaṛī bewuqūfī kar gayā hūṅ, aurmujh se baṛī ġhaltī huī hai.”

22Dāūd ne jawāb meṅ kahā,“Bādshāh kā nezā yahāṅ mere pāshai. Āp kā koī jawān ā kar use lejāe. 23Rab har us shakhs ko ajrdetā hai jo insāf kartā aur wafādārrahtā hai. Āj Rab ne āp ko merehawāle kar diyā, lekin maiṅ neus ke masah kie hue bādshāh kohāth lagāne se inkār kiyā. 24Aurmerī duā hai ki jitnī qīmtī āp kī jānāj merī nazar meṅ thī, utnī qīmtīmerī jān bhī Rab kī nazar meṅ ho.Wuhīmujhe harmusībat se bachāerakhe.” 25Sāūl ne jawāb diyā, “Merebeṭe Dāūd, Rab āp ko barkat de.Āindā āp ko baṛī kāmyābī hāsilhogī.”Is ke bād Dāūd ne apnī rāh lī aur

Sāūl apne ghar chalā gayā.

Dāūd Dubārā Akīs ke pās

27 Is tajrabe ke bād Dāūdsochne lagā, “Agar maiṅ

yihīṅ ṭhahar jāūṅ to kisī din Sāūlmujhe mār ḍālegā. Behtar haiki apnī hifāzat ke lie Filistiyoṅke mulk meṅ chalā jāūṅ. TabSāūl pūre Isrāīl meṅ merā khoj

Page 181: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 27:2 175

lagāne se bāz āegā, aur maiṅmahfūz rahūṅgā.” 2Chunāṅchewuh apne 600 ādmiyoṅ ko le karJāt ke bādshāh Akīs bin Māok kepās chalā gayā. 3Un ke khāndānsāth the. Dāūd kī do bīwiyāṅAkhīnūsam Yazraelī aur Nābāl kībewā Abījel Karmilī bhī sāth thīṅ.Akīs ne unheṅ Jāt Shahrmeṅ rahnekī ijāzat dī. 4Jab Sāūl ko khabarmilīki Dāūd ne Jāt meṅ panāh lī hai towuh us kā khoj lagāne se bāz āyā.

5Ek din Dāūd ne Akīs se bāt kī,“Agar āp kī nazar‐e‐karm mujh parhai to mujhe dehāt kī kisī ābādīmeṅ rahne kī ijāzat deṅ. Kyāzarūrat hai ki maiṅ yahāṅ āp kesāth dārul‐hukūmat meṅ rahūṅ?”6Akīs muttafiq huā. Us din us neuse Siqlāj Shahr de diyā. Yih shahrus waqt se Yahūdāh ke bādshāhoṅkī milkiyat meṅ rahā hai. 7Dāūdek sāl aur chār mahīne Filistī mulkmeṅ ṭhahrā rahā.

8Siqlāj se Dāūd apne ādmiyoṅke sāth mukhtalif jaghoṅ parhamlā karne ke lie nikaltā rahā.Kabhī wuh Jasūriyoṅ par dhāwābolte, kabhī Jirziyoṅ yā Amālīqiyoṅpar. Yih qabīle qadīm zamānese Yahūdāh ke junūb meṅ Shūraur Misr kī sarhad tak rahte the.

9Jab bhī koī maqām Dāūd ke qabzemeṅ ā jātā to wuh kisī bhī mardyā aurat ko zindā na rahne detālekin bheṛ‐bakriyoṅ, gāy‐bailoṅ,gadhoṅ, ūṅṭoṅ aur kapṛoṅ ko apnesāth Siqlāj le jātā.Jab bhī Dāūd kisī hamle se wāpas

ā kar bādshāh Akīs se miltā 10towuh pūchhtā, “Āj āp ne kis parchhāpā mārā?” Phir Dāūd jawābdetā, “Yahūdāh ke junūbī ilāqepar,” yā “Yarahmiyeliyoṅ ke junūbīilāqe par,” yā “Qīniyoṅ ke junūbīilāqe par.” 11Jab bhī Dāūd kisī ābādīpar hamlā kartā to wuh tamāmbāshindoṅ ko maut ke ghāṭ utārdetā aur namard, na aurat ko zindāchhoṛ kar Jāt lātā. Kyoṅki us nesochā, “Aisā na ho ki Filistiyoṅko patā chale ki maiṅ asal meṅIsrāīlī ābādiyoṅ par hamlā nahīṅkar rahā.”Jitnā waqt Dāūd ne Filistī mulk

meṅ guzārā wuh aisā hī kartā rahā.12Akīs ne Dāūd par pūrā bharosākiyā, kyoṅki us ne sochā, “Ab Dāūdko hameshā tak merī khidmat meṅrahnā paṛegā, kyoṅki aisī harkatoṅse us kī apnī qaum us se sakhtmutanaffir ho gaī hai.”

28 Un dinoṅ meṅ Filistī Isrāīlse laṛne ke lie apnī faujeṅ

Page 182: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

176 1 Samuel 28:13

jamā karne lage. Akīs ne Dāūd sebhī bāt kī, “Tawaqqo hai ki āp apnefaujiyoṅ samet mere sāth mil karjang ke lie nikleṅge.”

2Dāūd ne jawāb diyā, “Zarūr. Abāp khud dekheṅge ki āp kā khādimkyā karne ke qābil hai!” Akīs bolā,“Ṭhīk hai. Pūrī jang ke daurān āpmere muhāfiz hoṅge.”

Sāūl Jādūgarnī kī TarafRujū Kartā Hai

3Us waqt Samuel intaqāl kar chukāthā, aur pūre Isrāīl ne us kā mātamkarke use us ke ābāī shahr Rāmāmeṅ dafnāyā thā.Un dinoṅ meṅ Isrāīl meṅ

murdoṅ se rābitā karne wāle aurġhaibdān nahīṅ the, kyoṅki Sāūlne unheṅ pūre mulk se nikāl diyāthā.

4Ab Filistiyoṅ ne apnī lashkargāhShūnīm ke pās lagāī jabki Sāūl netamām Isrāīliyoṅ ko jamā karkeJilbua ke pās apnā kaimp lagāyā.5Filistiyoṅ kī baṛī fauj dekh karwuh sakht dahshat khāne lagā. 6Usne Rab se hidāyat hāsil karne kīkoshish kī, lekin koī jawāb na milā,na khāb, na muqaddas qurā ḍālnese aur na nabiyoṅ kī mārifat. 7Tab

Sāūl ne apne mulāzimoṅ ko hukmdiyā, “Mere lie murdoṅ se rābitākarne wālī ḍhūnḍo tāki maiṅ jākar us se mālūmāt hāsil kar lūṅ.”Mulāzimoṅ ne jawāb diyā, “Ain‐dormeṅ aisī aurat hai.”

8Sāūl bhes badal kar do ādmiyoṅke sāth Ain‐dor ke lie rawānā huā.Rāt ke waqt wuh jādūgarnī ke pās

pahuṅch gayā aur bolā, “Murdoṅ serābitā karke us rūh ko Pātāl se bulādeṅ jis kā nām maiṅ āp ko batātāhūṅ.” 9Jādūgarnī ne etarāz kiyā,“Kyā āp mujhe marwānā chāhtehaiṅ? Āp ko patā hai ki Sāūl netamām ġhaibdānoṅ aur murdoṅ serābitā karne wāloṅ ko mulk meṅse miṭā diyā hai. Āp mujhe kyoṅphaṅsānā chāhte haiṅ?” 10Tab Sāūlne kahā, “Rab kī hayāt kī qasam,āp ko yih karne ke lie sazā nahīṅmilegī.” 11Aurat ne pūchhā, “Maiṅkis ko bulāūṅ?” Sāūl ne jawāb diyā,“Samuel ko bulā deṅ.”

12Jab Samuel aurat ko nazar āyāto wuh chīkh uṭhī, “Āp ne mujhekyoṅ dhokā diyā? Āp to Sāūl haiṅ!”13Sāūl ne use tasallī de kar kahā,“Ḍareṅ mat. Batāeṅ to sahī, kyādekh rahī haiṅ?” Aurat ne jawābdiyā, “Mujhe ek rūh nazar ā rahīhai jo chaṛhtī chaṛhtī zamīn meṅ

Page 183: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 28:14 177

se nikal kar ā rahī hai.” 14Sāūl nepūchhā, “Us kī shakl‐o‐sūrat kaisīhai?” Jādūgarnī ne kahā, “Choġhemeṅ lipṭā huā būṛhā ādmī hai.”Yih sun kar Sāūl ne jān liyā ki

Samuel hī hai. Wuh muṅh ke balzamīn par jhuk gayā. 15Samuelbolā, “Tū ne mujhe Pātāl se bulwākar kyoṅ muztarib kar diyā hai?”Sāūl ne jawāb diyā, “Maiṅ baṛīmusībat meṅ hūṅ. Filistī mujh selaṛ rahe haiṅ, aur Allāh ne mujhetark kar diyā hai. Na wuh nabiyoṅkī mārifat mujhe hidāyat detā hai,na khāb ke zariye. Is lie maiṅ neāp ko bulwāyā hai tāki āp mujhebatāeṅ ki maiṅ kyā karūṅ.”

16Lekin Samuel ne kahā, “Rabkhud hī tujhe chhoṛ kar terādushman ban gayā hai to phirmujhse dariyāft karne kā kyā fāydā hai?17Rab is waqt tere sāth wuh kuchhkar rahā hai jis kī peshgoī us nemerī mārifat kī thī. Us ne tere hāthse bādshāhī chhīn kar kisī aur yānīDāūd ko de dī hai. 18Jab Rab netujhe Amālīqiyoṅ par us kā sakhtġhazab nāzil karne kā hukm diyāthā to tū ne us kī na sunī. Ab tujheis kī sazā bhugatnī paṛegī. 19Rabtujhe Isrāīl samet Filistiyoṅ kehawāle kar degā. Kal hī tū aur tere

beṭe yahāṅmere pās pahuṅcheṅge.Rab terī pūrī fauj bhī Filistiyoṅ keqabze meṅ kar degā.”

20Yih sun kar Sāūl sakht ghabrāgayā, aur wuh gir kar zamīn pardarāz ho gayā. Jism kī pūrī tāqatkhatm ho gaī thī, kyoṅki us nepichhle pūre din aur rāt rozā rakhāthā.

21Jab jādūgarnī ne Sāūl ke pās jākar dekhā ki us ke roṅgṭe khaṛeho gae haiṅ to us ne kahā, “Janāb,maiṅ ne āp kā hukm mān kar apnījān khatre meṅ ḍāl dī. 22Ab zarāmerī bhī suneṅ. Mujhe ijāzat deṅki maiṅ āp ko kuchh khānā khilāūṅtāki āp taqwiyat pā kar wāpas jāsakeṅ.” 23Lekin Sāūl ne inkār kiyā,“Maiṅ kuchh nahīṅ khāūṅgā.” Tabus ke ādmiyoṅ ne aurat ke sāthmil kar use bahut samjhāyā, aurākhirkār us ne un kī sunī. Wuhzamīn se uṭh kar chārpāī par baiṭhgayā. 24Jādūgarnī ke pās moṭā‐tāzābachhṛā thā. Use us ne jaldī sezabah karwā kar taiyār kiyā. Us nekuchh āṭā bhī le kar gūṅdhā aur usse bekhamīrī roṭī banāī. 25Phir usne khānā Sāūl aur us kemulāzimoṅke sāmne rakh diyā, aur unhoṅ nekhāyā. Phir wuh usī rāt dubārārawānā ho gae.

Page 184: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

178 1 Samuel 29:11

Filistī Dāūd par Shak Karte Haiṅ

29 Filistiyoṅ ne apnī faujoṅko Afīq ke pās jamā kiyā,

jabki Isrāīliyoṅ kī lashkargāhYazrael ke chashme ke pās thī.2Filistī sardār jang ke lie nikalnelage. Un ke pīchhe sau sau aurhazār hazār sipāhiyoṅ ke guroh holie. ĀkhirmeṅDāūd aur us ke ādmībhī Akīs ke sāth chalne lage.

3Yih dekh kar Filistī kamānḍaroṅne pūchhā, “Yih Isrāīlī kyoṅ sāthjā rahe haiṅ?” Akīs ne jawābdiyā, “Yih Dāūd hai, jo pahle Isrāīlībādshāh Sāūl kā faujī afsar thā aurab kāfī der se mere sāth hai. Jabse wuh Sāūl ko chhoṛ kar mere pāsāyā hai maiṅ ne us meṅ aib nahīṅdekhā.”

4Lekin Filistī kamānḍar ġhussese bole, “Use us shahr wāpas bhejdeṅ jo āp ne us ke lie muqarrarkiyā hai! Kahīṅ aisā na ho kiwuhhamāre sāthnikal kar achānakham par hī hamlā kar de. Kyāapne mālik se sulah karāne kā koībehtar tarīqā hai ki wuh apnemālikko hamāre kaṭe hue sar pesh kare?5Kyā yih wuhī Dāūd nahīṅ jis kebāre meṅ Isrāīlī nāchte hue gāte

the, ‘Sāūl ne hazār halāk kie jabkiDāūd ne das hazār.’”

6Chunāṅche Akīs ne Dāūd kobulā kar kahā, “Rab kī hayāt kīqasam, āp diyānatdār haiṅ, aurmerī khāhish thī ki āp Isrāīl se laṛneke lie mere sāth nikleṅ, kyoṅki jabse āpmerī khidmat karne lage haiṅmaiṅ ne āp meṅ aib nahīṅ dekhā.Lekin afsos, āp sardāroṅ ko pasandnahīṅ haiṅ. 7Is lie mehrbānī karkesalāmatī se lauṭ jāeṅ aur kuchh nakareṅ jo unheṅ burā lage.”

8Dāūd ne pūchhā, “Mujh se kyāġhaltī huī hai? Kyā āp ne us dinse mujh meṅ nuqs pāyā hai jab semaiṅ āpkī khidmat karne lagāhūṅ?Maiṅ apne mālik aur bādshāh kedushmanoṅ se laṛne ke lie kyoṅnahīṅ nikal saktā?”

9Akīs ne jawāb diyā, “Merenazdīk to āp Allāh ke farishtejaise achchhe haiṅ. Lekin Filistīkamānḍar is bāt par bazid haiṅ kiāp Isrāīl se laṛne ke lie hamāre sāthna nikleṅ. 10Chunāṅche kal subah‐sawere uṭh kar apne ādmiyoṅ kesāth rawānā ho jānā. Jab dinchaṛhe to der na karnā balki jaldīse apne ghar chale jānā.”

11Dāūd aur us ke ādmiyoṅ ne aisāhī kiyā. Agle dinwuh subah‐sawere

Page 185: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 30:1 179

uṭh kar Filistī mulk meṅ wāpaschale gae jabki Filistī Yazrael ke lierawānā hue.

Siqlāj kī Tabāhī aurDāūd kā Badlā

30 Tīsre din jab Dāūd Siqlājpahuṅchā to dekhā

ki shahr kā satyānās ho gayāhai. Un kī ġhairmaujūdagī meṅAmālīqiyoṅ ne Dasht‐e‐Najab meṅā kar Siqlāj par bhī hamlā kiyāthā. Shahr ko jalā kar 2wuh tamāmbāshindoṅ ko chhoṭoṅ se le karbaṛoṅ tak apne sāth le gae the.Lekin koī halāk nahīṅ huā thā balkiwuh sab ko apne sāth le gae the.3Chunāṅche jab Dāūd aur us keādmī wāpas āe to dekhā ki shahrbhasm ho gayā hai aur tamām bāl‐bachche chhin gae haiṅ. 4Wuhphūṭ phūṭ kar rone lage, itne roeki ākhirkār rone kī sakat hī na rahī.5Dāūd kī do bīwiyoṅ AkhīnūsamYazraelī aur Abījel Karmilī ko bhīasīr kar liyā gayā thā.

6Dāūd kī jān baṛe khatre meṅ āgaī, kyoṅki us ke mard ġham kemāre āpas meṅ use sangsār karnekī bāteṅ karne lage. Kyoṅki beṭe‐beṭiyoṅ ke chhin jāne ke bāis sab

sakht ranjīdā the. Lekin Dāūd neRab apne Khudā meṅ panāh le kartaqwiyat pāī. 7Us ne Abiyātar binAkhīmalik ko hukm diyā, “Qurāḍālne ke lie imām kā bālāposh leāeṅ.” Jab imām bālāposh le āyā 8toDāūd ne Rab se dariyāft kiyā, “Kyāmaiṅ luṭeroṅ kā tāqqub karūṅ? Kyāmaiṅ un ko jā lūṅgā?” Rab ne jawābdiyā, “Un kā tāqqub kar! Tū nasirf unheṅ jā legā balki apne logoṅko bachā bhī legā.” 9‐10Tab Dāūdapne 600 mardoṅ ke sāth rawānāhuā. Chalte chalte wuh Basor Nadīke pās pahuṅch gae. 200 afrād itneniḍhāl ho gae the ki wuh wahīṅ rukgae. Bāqī 400 mard nadī ko pārkarke āge baṛhe.

11Rāste meṅ unheṅ khulemaidān meṅ ek Misrī ādmī milāaur use Dāūd ke pās lā kar kuchhpānī pilāyā aur kuchh roṭī, 12anjīrkī ṭikkī kā ṭukṛā aur kishmish kī doṭikkiyāṅ khilāīṅ. Tab us kī jān meṅjān ā gaī. Use tīn din aur rāt se nakhānā, na pānī milā thā. 13Dāūd nepūchhā, “Tumhārā mālik kaun hai,aur tum kahāṅ ke ho?” Us ne jawābdiyā, “Maiṅ Misrī ġhulām hūṅ, aurek Amālīqī merā mālik hai. Jabmaiṅ safr ke daurān bīmār ho gayāto us ne mujhe yahāṅ chhoṛ diyā.

Page 186: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

180 1 Samuel 30:24

Abmaiṅ tīn din se yahāṅ paṛā hūṅ.14Pahle ham ne Karetiyoṅ yānīFilistiyoṅ ke junūbī ilāqe aur phirYahūdāh ke ilāqe par hamlā kiyāthā, khāskar Yahūdāh ke junūbīhisse par jahāṅ Kālib kī aulād ābādhai. Shahr Siqlāj ko ham ne bhasmkar diyā thā.”

15Dāūd ne sawāl kiyā, “Kyā tummujhe batā sakte ho ki yih luṭerekis taraf gae haiṅ?” Misrī ne jawābdiyā, “Pahle Allāh kī qasam khākar wādā kareṅ ki āp mujhe nahalāk kareṅge, na mere mālik kehawāle kareṅge. Phir maiṅ āp koun ke pās le jāūṅgā.” 16Chunāṅchewuh Dāūd ko Amālīqī luṭeroṅ kepās le gayā. Jab wahāṅ pahuṅcheto dekhā ki Amālīqī idhar‐udharbikhre hue baṛā jashn manā rahehaiṅ. Wuh har taraf khānā khāteaur mai pīte hue nazar ā rahe the,kyoṅki jo māl unhoṅ ne Filistiyoṅaur Yahūdāh ke ilāqe se lūṭ liyā thāwuh bahut zyādā thā.

17Subah‐sawere jab abhī thoṛīraushnī thī Dāūd ne un par hamlākiyā. Laṛte laṛte agle din kī shāmho gaī. Dushman hār gayā aur sabke sab halāk hue. Sirf 400 jawānbach gae jo ūṅṭoṅ par sawār ho karfarār ho gae. 18Dāūd ne sab kuchh

chhuṛā liyā jo Amālīqiyoṅ ne lūṭliyā thā. Us kī do bīwiyāṅ bhī sahīh‐salāmat mil gaīṅ. 19Na bachchā nabuzurg, na beṭā na beṭī, na māl yākoī aur lūṭī huī chīz rahī jo Dāūdwāpas na lāyā. 20Amālīqiyoṅ kegāy‐bail aur bheṛ‐bakriyāṅDāūd kāhissā ban gaīṅ, aur us ke logoṅ neunheṅ apne rewaṛoṅ ke āge āgehāṅk kar kahā, “Yih lūṭe hue mālmeṅ se Dāūd kā hissā hai.”

Māl‐e‐Ġhanīmat kī Taqsīm21Jab Dāūd apne ādmiyoṅ ke sāthwāpas ā rahā thā to jo 200 ādmīniḍhāl hone ke bāis Basor Nadī seāge na jā sake wuh bhī un se āmile. Dāūd ne salām karke un kāhāl pūchhā. 22Lekin bāqī ādmiyoṅmeṅkuchh sharāratī logbuṛbuṛānelage, “Yih hamāre sāth laṛne ke lieāge na nikle, is lie inheṅ lūṭe huemāl kā hissā pāne kā haq nahīṅ.Bas wuh apne bāl‐bachchoṅ ko lekar chale jāeṅ.”

23Lekin Dāūd ne inkār kiyā.“Nahīṅ, mere bhāiyo, aisā matkarnā! Yih sab kuchh Rab kī tarafse hai. Usī ne hameṅ mahfūz rakhkar hamlā‐āwar luṭeroṅ par fatahbakhshī. 24To phir ham āp kī bāt

Page 187: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Samuel 30:25 181

kis tarah māneṅ? Jo pīchhe rah karsāmān kī hifāzat kar rahā thā usebhī utnā hī milegā jitnā ki use jodushman se laṛne gayā thā. Hamyih sab kuchh barābar barābartaqsīm kareṅge.”

25Us waqt se yih usūl ban gayā.Dāūd ne ise Isrāīlī qānūn kā hissābanā diyā jo āj tak jārī hai. 26Siqlājwāpas pahuṅchne par Dāūd ne lūṭehue māl kā ek hissā Yahūdāh kebuzurgoṅ ke pās bhej diyā jo us kedost the. Sāth sāth us ne paiġhāmbhejā, “Āp ke lie yih tohfā Rab kedushmanoṅ se lūṭ liyā gayā hai.”27Yih tohfe us ne zail ke shahroṅmeṅ bhej die: Baitel, Rāmāt‐najab,Yattīr, 28Aroīr, Sifmot, Istimua,29‐31Rakal, Hurmā, Bor‐asān, AtāqaurHabrūn. Is ke alāwā us ne tohfeYarahmiyeliyoṅ, Qīniyoṅ aur bāqīun tamām shahroṅ ko bhej die jinmeṅ wuh kabhī ṭhahrā thā.

Sāūl aur Us ke Beṭoṅ kā Anjām

31 Itne meṅ Filistiyoṅ aurIsrāīliyoṅ ke darmiyān

jang chhiṛ gaī thī. Laṛte laṛte Isrāīlīfarār hone lage, lekin bahut‐se logJilbua ke pahāṛī silsile par shahīdho gae.

2Phir Filistī Sāūl aur us ke beṭoṅYūnatan, Abīnadāb aur Malkīshuake pās jā pahuṅche. Tīnoṅ beṭehalāk ho gae 3jabki laṛāī Sāūlke irdgird urūj tak pahuṅch gaī.Phir wuh tīrandāzoṅ kā nishānāban kar burī tarah zakhmī hogayā. 4Us ne apne silāhbardār kohukm diyā, “Apnī talwār miyānse khīṅch kar mujhe mār ḍāl,warnā yih nāmakhtūn mujhechhed kar be’izzat kareṅge.” Lekinsilāhbardār ne inkār kiyā, kyoṅkiwuh bahut ḍarā huā thā. Ākhirmeṅ Sāūl apnī talwār le kar khudus par gir gayā.

5Jab silāhbardār ne dekhā kimerāmālikmar gayāhai towuhbhīapnī talwār par gir kar mar gayā.6Yoṅ us din Sāūl, us ke tīn beṭe,us kā silāhbardār aur us ke tamāmādmī halāk ho gae.

7Jab Maidān‐e‐Yazrael ke pār aurDariyā‐e‐Yardan ke pār rahne wāleIsrāīliyoṅ ko khabar milī ki Isrāīlīfauj bhāg gaī aur Sāūl apne beṭoṅsamet mārā gayā hai to wuh apneshahroṅ ko chhoṛ kar bhāg nikle,aur Filistī chhoṛe hue shahroṅ parqabzā karke un meṅ basne lage.

8Agle din Filistī lāshoṅ ko lūṭneke lie dubārā maidān‐e‐jang meṅ

Page 188: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

182 1 Samuel 31:13

ā gae. Jab unheṅ Jilbua ke pahāṛīsilsile par Sāūl aur us ke tīnoṅ beṭemurdā mile 9to unhoṅ ne Sāūl kāsar kāṭ kar us kā zirābaktar utārliyā aur qāsidoṅ ko apne pūremulkmeṅbhej kar apnebutoṅkemandirmeṅ aur apnī qaum ko fatah kīittalā dī. 10Sāūl kā zirābaktarunhoṅ ne Astārāt Dewī ke mandirmeṅ mahfūz kar liyā aur us kī lāshko Bait‐shān kī fasīl se laṭkā diyā.

11Jab Yabīs‐jiliyād ke bāshindoṅko khabar milī ki Filistiyoṅ ne Sāūl

kī lāsh ke sāth kyā kuchh kiyā hai12to shahr ke tamām laṛne ke qābilādmī Bait‐shān ke lie rawānā hue.Pūrī rāt chalte hue wuh shahr kepās pahuṅch gae. Sāūl aur us kebeṭoṅ kī lāshoṅ ko fasīl se utār karwuh unheṅ Yabīs ko le gae. Wahāṅunhoṅ ne lāshoṅ ko bhasmkar diyā13aur bachī huī haḍḍiyoṅ ko shahrmeṅ jhāū ke darakht ke sāy meṅdafnāyā. Unhoṅ ne rozā rakh karpūre hafte tak un kā mātam kiyā.

Page 189: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel

Dāūd ko Sāūl aur Yūnatan kīMaut kī Khabar Miltī Hai

1 Jab Dāūd Amālīqiyoṅ koshikast dene se wāpas āyā to

Sāūl Bādshāh mar chukā thā. Wuhabhī do hī din Siqlājmeṅ ṭhahrā thā2ki ek ādmī Sāūl kī lashkargāh sepahuṅchā. Dukh ke izhār ke lie usne apne kapṛoṅ ko phāṛ kar apnesar par khāk ḍāl rakhī thī. Dāūdke pās ā kar wuh baṛe ehtirām kesāth us ke sāmne jhuk gayā. 3Dāūdne pūchhā, “Āp kahāṅ se āe haiṅ?”Ādmī ne jawāb diyā, “Maiṅ bāl bālbach kar Isrāīlī lashkargāh se āyāhūṅ.” 4Dāūd ne pūchhā, “Batāeṅ,hālāt kaise haiṅ?” Us ne batāyā,“Hamāre bahut‐se ādmī maidān‐e‐jang meṅ kām āe. Bāqī bhāg gaehaiṅ. Sāūl aur us kā beṭā Yūnatanbhī halāk ho gae haiṅ.”

5Dāūd ne sawāl kiyā, “Āp ko kaisemālūm huā ki Sāūl aur Yūnatanmar gae haiṅ?” 6Jawān ne jawābdiyā, “Ittifāq se maiṅ Jilbua kepahāṛī silsile par se guzar rahā thā.Wahāṅ mujhe Sāūl nazar āyā. Wuhneze kā sahārā le kar khaṛā thā.Dushman ke rath aur ghuṛsawārtaqrīban use pakaṛne hī wāle the7ki us ne muṛ kar mujhe dekhāaur apne pās bulāyā. Maiṅ nekahā, ‘Jī, maiṅ hāzir hūṅ.’ 8Usne pūchhā, ‘Tum kaun ho?’ Maiṅne jawāb diyā, ‘Maiṅ Amālīqī hūṅ.’9Phir us ne mujhe hukm diyā, ‘Āoaur mujhe mār ḍālo! Kyoṅki gomaiṅ zindā hūṅ merī jān nikalrahī hai.’ 10Chunāṅche maiṅ neuse mār diyā, kyoṅki maiṅ jāntāthā ki bachne kā koī imkān nahīṅrahā thā. Phir maiṅ us kā tāj aur

Page 190: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

184 2 Samuel 1:23

bāzūband le kar apne mālik ke pāsyahāṅ le āyā hūṅ.”

11Yih sab kuchh sun kar Dāūdaur us ke tamām logoṅ ne ġham kemāre apne kapṛe phāṛ lie. 12Shāmtak unhoṅ ne ro ro kar aur rozārakh kar Sāūl, us ke beṭe Yūnatanaur Rab ke un bāqī logoṅ kāmātamkiyā jo māre gae the.

13Dāūd ne us jawān se jo un kīmaut kī khabar lāyā thā pūchhā,“Āp kahāṅ ke haiṅ?” Us ne jawābdiyā, “Maiṅ Amālīqī hūṅ jo ajnabīke taur par āp ke mulk meṅ rahtāhūṅ.” 14Dāūd bolā, “Āp ne Rabke masah kie hue bādshāh ko qatlkarne kī jurrat kaise kī?” 15Usne apne kisī jawān ko bulā karhukm diyā, “Ise mār ḍālo!” Usīwaqt jawānneAmālīqī komār ḍālā.16Dāūd ne kahā, “Āp ne apne āp kokhud mujrim ṭhahrāyā hai, kyoṅkiāp ne apne muṅh se iqrār kiyā haiki maiṅ ne Rab ke masah kie huebādshāh ko mār diyā hai.”

Sāūl aur Yūnatan parMātam kā Gīt

17Phir Dāūd ne Sāūl aur Yūnatanpar mātam kā gīt gāyā. 18Us nehidāyat dī ki Yahūdāh ke tamām

bāshinde yih gīt yād kareṅ. Gīt kānām ‘Kamān kā Gīt’ hai aur ‘Yāsharkī Kitāb’ meṅ darj hai. Gīt yih hai,

19“Hāy, ai Isrāīl! Terī shān‐o‐shaukat terī bulandiyoṅ par mārīgaī hai. Hāy, tere sūrme kis tarahgir gae haiṅ!

20Jāt meṅ jā kar yih khabar matsunānā. Askqalūn kī galiyoṅmeṅ iskā elānmat karnā, warnā Filistiyoṅkī beṭiyāṅ khushī manāeṅgī,nāmakhtūnoṅ kī beṭiyāṅ fatah kenāre lagāeṅgī.

21Ai Jilbua ke pahāṛo! Ai pahāṛīḍhalāno! Āindā tum par na os paṛe,na bārish barse. Kyoṅki sūrmāoṅkī ḍhāl nāpāk ho gaī hai. Ab se Sāūlkī ḍhāl tel mal kar istemāl nahīṅ kījāegī.

22Yūnatan kī kamān zabardastthī, Sāūl kī talwār kabhī khālīhāth na lauṭī. Un ke hathiyāroṅse hameshā dushman kā khūnṭapaktā rahā, wuh sūrmāoṅ kīcharbī se chamakte rahe.

23Sāūl aur Yūnatan kitne pyāreaur mehrbān the! Jīte‐jī wuhek dūsre ke qarīb rahe, aur abmaut bhī unheṅ alag na kar sakī.Wuh uqāb se tez aur sherbabar setāqatwar the.

Page 191: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 1:24 185

24Ai Isrāīl kī khawātīn! Sāūl ke lieāṅsū bahāeṅ. Kyoṅki usī ne āp koqirmizī rang ke shāndār kapṛoṅ semulabbas kiyā, usī ne āp ko sone kezewarāt se ārāstā kiyā.

25Hāy, hamāre sūrme laṛte laṛteshahīd ho gae haiṅ. Hāy ai Isrāīl,Yūnatan murdā hālat meṅ terībulandiyoṅ par paṛā hai.

26Ai Yūnatan mere bhāī, maiṅtere bāre meṅ kitnā dukhī hūṅ. Tūmujhe kitnā azīz thā. Terī mujh semuhabbat anokhī thī, wuh auratoṅkī muhabbat se bhī anokhī thī.

27Hāy, hāy! Hamāre sūrme kistarah gir kar shahīd ho gae haiṅ.Jangkehathiyār tabāhhogaehaiṅ.”

Dāūd Yahūdāh kā BādshāhBan Jātā Hai

2 Is ke bād Dāūd ne Rab sedariyāft kiyā, “Kyā maiṅ

Yahūdāh ke kisī shahr meṅ wāpaschalā jāūṅ?” Rab ne jawāb diyā,“Hāṅ, wāpas jā.” Dāūd ne sawālkiyā, “Maiṅ kis shahr meṅ jāūṅ?”Rab ne jawāb diyā, “Habrūn meṅ.”2Chunāṅche Dāūd apnī do bīwiyoṅAkhīnūsam Yazraelī aur Nābāl kī

bewāAbījel Karmilī ke sāthHabrūnmeṅ jā basā.

3Dāūd ne apne ādmiyoṅ ko bhīun ke khāndānoṅ samet Habrūnaur gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅmeṅ muntaqil kar diyā. 4Ek dinYahūdāh ke ādmī Habrūn meṅ āeaur Dāūd ko masah karke apnābādshāh banā liyā.Jab Dāūd ko khabar mil gaī ki

Yabīs‐jiliyād ke mardoṅ ne Sāūl kodafnā diyā hai 5to us ne unheṅpaiġhām bhejā, “Rab āp ko is ke liebarkat de ki āp ne apne mālik Sāūlko dafn karke us par mehrbānī kīhai. 6Jawāb meṅ Rab āp par apnīmehrbānī aur wafādārī kā izhārkare. Maiṅ bhī is nek amal kā ajrdūṅgā. 7Ab mazbūt aur diler hoṅ.Āp kā āqā Sāūl to faut huā hai, lekinYahūdāh ke qabīle ne mujhe us kījagah chun liyā hai.”

Ishbosat Isrāīl kā BādshāhBan Jātā Hai

8Itnemeṅ Sāūl kī fauj ke kamānḍarAbinair bin Nair ne Sāūl ke beṭeIshbosat ko Mahanāym Shahrmeṅ le jā kar 9bādshāh muqarrarkar diyā. Jiliyād, Yazrael, Āshar,Ifrāīm, Binyamīn aur tamām Isrāīl

Page 192: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

186 2 Samuel 2:23

us ke qabze meṅ rahe. 10SirfYahūdāh kā qabīlā Dāūd ke sāthrahā. Ishbosat 40 sāl kī umr meṅbādshāh banā, aur us kī hukūmatdo sāl qāym rahī. 11Dāūd Habrūnmeṅ Yahūdāh par sāṛhe sāt sālhukūmat kartā rahā.

Isrāīl aur Yahūdāh kedarmiyān Jang

12Ek din Abinair Ishbosat bin Sāūlke mulāzimoṅ ke sāth Mahanāymse nikal kar Jibaūn āyā. 13Yih dekhkar Dāūd kī fauj Yoāb bin Zarūyāhkī rāhnumāī meṅ un se laṛne kelie niklī. Donoṅ faujoṅ kī mulāqātJibaūn ke tālāb par huī. Abinair kīfauj tālāb kī urlī taraf ruk gaī aurYoāb kī fauj parlī taraf. 14Abinairne Yoāb se kahā, “Āo, hamārechand jawān hamāre sāmne ekdūsre kā muqābalā kareṅ.” Yoābbolā, “Ṭhīk hai.” 15Chunāṅche harfauj ne bārah jawānoṅ ko chun karmuqābale ke lie pesh kiyā. Ishbosataur Binyamīn ke qabīle ke bārahjawān Dāūd ke bārah jawānoṅ kemuqābale meṅ khaṛe ho gae. 16Jabmuqābalā shurū huā to har ek ne ekhāth se apne mukhālif ke bāloṅ kopakaṛ kar dūsre hāth se apnī talwār

us ke peṭ meṅ ghoṅp dī. Sab ke sabek sāthmar gae. Bādmeṅ Jibaūn kīis jagah kā nām Khilqat‐hazzūrīmpaṛ gayā.

17Phir donoṅ faujoṅ ke darmiyānnihāyat sakht laṛāī chhiṛ gaī. Laṛtelaṛte Abinair aur us ke mard hārgae. 18Yoāb ke do bhāī Abīshai aurAsāhel bhī laṛāī meṅ hissā le rahethe. Asāhel ġhazāl kī tarah tez dauṛsaktā thā. 19Jab Abinair shikast khākar bhāgne lagā to Asāhel sīdhā uske pīchhe paṛ gayā aur na dāīṅ,na bāīṅ taraf haṭā. 20Abinair nepīchhe dekh kar pūchhā, “Kyā āp hīhaiṅ, Asāhel?” Us ne jawāb diyā,“Jī, maiṅ hī hūṅ.” 21Abinair bolā,“Dāīṅ yā bāīṅ taraf haṭ kar kisī aurko pakaṛeṅ! Jawānoṅmeṅ se kisī selaṛ kar us kehathiyār aur zirābaktarutāreṅ.”Lekin Asāhel us kā tāqqub karne

sebāzna āyā. 22Abinair neuse āgāhkiyā, “Khabardār. Mere pīchhe sehaṭ jāeṅ, warnā āp ko mār denepar majbūr ho jāūṅgā. Phir āpke bhāī Yoāb ko kis tarah muṅhdikhāūṅgā?” 23To bhī Asāhel nepīchhā na chhoṛā. Yih dekh karAbinair ne apne neze kā dastā itnezor se us ke peṭ meṅ ghoṅp diyāki us kā sirā dūsrī taraf nikal gayā.

Page 193: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 2:24 187

Asāhel wahīṅ gir kar jāṅ bahaq hogayā. Jis ne bhī wahāṅ se guzar karyih dekhā wuh wahīṅ ruk gayā.

24Lekin Yoāb aur Abīshai Abinairkā tāqqub karte rahe. Jab sūrajġhurūb hone lagā to wuh ek pahāṛīke pās pahuṅch gae jis kā nāmAmmā thā. Yih Jiyāh ke muqābilus rāste ke pās hai jo musāfir koJibaūn se registānmeṅ pahuṅchātāhai. 25Binyamīn ke qabīle kelog wahāṅ pahāṛī par Abinair kepīchhe jamā ho kar dubārā laṛneke lie taiyār ho gae. 26Abinair neYoāb ko āwāz dī, “Kyā yih zarūrī haiki ham hameshā tak ek dūsre komaut ke ghāṭ utārte jāeṅ? Kyā āpko samajh nahīṅ āī ki aisī harkateṅsirf talkhī paidā kartī haiṅ? Āp kabapne mardoṅ ko hukm deṅge kiwuh apne Isrāīlī bhāiyoṅ kā tāqqubkarne se bāz āeṅ?”

27Yoāb ne jawāb diyā, “Rab kīhayāt kī qasam, agar āp laṛne kāhukm na dete to mere log āj subahhī apne bhāiyoṅ kā tāqqub karne sebāz ā jāte.” 28Us ne narsingā bajādiyā, aur us ke ādmī ruk kar dūsroṅkā tāqqub karne se bāz āe. Yoṅ laṛāīkhatm ho gaī.

29Us pūrī rāt ke daurān Abinairaur us ke ādmī chalte gae. Dariyā‐

e‐Yardan kī Wādī meṅ se guzar karunhoṅ ne dariyā ko pār kiyā aurphir gahrī ghāṭī meṅ se ho karMahanāym pahuṅch gae.

30Yoāb bhī Abinair aur us kelogoṅ ko chhoṛ kar wāpas chalāgayā. Jab us ne apne ādmiyoṅ kojamā karke ginā to mālūm huā kiAsāhel ke alāwā Dāūd ke 19 ādmīmāre gae haiṅ. 31Is ke muqābalemeṅ Abinair ke 360 ādmī halāk huethe. Sab Binyamīn ke qabīle kethe. 32Yoāb aur us ke sāthiyoṅ neAsāhel kī lāsh uṭhā kar use Bait‐laham meṅ us ke bāp kī qabr meṅdafn kiyā. Phir usī rāt apnā safrjārī rakh kar wuh pau phaṭte waqtHabrūn pahuṅch gae.

3 Sāūl kebeṭe Ishbosat aurDāūdke darmiyān yih jang baṛī

der tak jārī rahī. Lekin āhistāāhistā Dāūd zor pakaṛtā gayā jabkiIshbosat kī tāqat kam hotī gaī.

Dāūd kā Khāndān HabrūnMeṅ2Habrūn meṅ Dāūd ke bāz beṭepaidā hue. Pahle kā nām Amnonthā. Us kī māṅ Akhīnūsam Yazraelīthī. 3Phir Kiliyāb paidā huā jis kīmāṅ Nābāl kī bewā Abījel Karmilīthī. Tīsrā beṭā Abīsalūm thā. Us kī

Page 194: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

188 2 Samuel 3:15

māṅ Mākā thī jo Jasūr ke bādshāhTalmī kī beṭī thī. 4Chauthe kā nāmAdūniyāh thā. Us kī māṅ Hajjīt thī.Pāṅchwāṅ beṭā Safatiyāh thā. Uskī māṅ Abītāl thī. 5Chhaṭe kā nāmItriyām thā. Us kī māṅ Ijlā thī. Yihchhih beṭe Habrūn meṅ paidā hue.

Abinair Ishbosat se Jhagaṛtā Hai6Jitnī der tak Ishbosat aur Dāūd kedarmiyān jang rahī, utnī der takAbinair Sāūl ke gharāne kāwafādārrahā.

7Lekin ek din Ishbosat Abinairse nārāz huā, kyoṅki wuh Sāūlmarhūm kī ek dāshtā se hambistarho gayā thā. Aurat kā nām Risfābint Aiyāh thā. Ishbosat neshikāyat kī, “Āp ne mere bāp kīdāshtā se aisā sulūk kyoṅ kiyā?”8Abinair baṛe ġhusse meṅ ā kargarjā, “Kyāmaiṅ Yahūdāh kā kuttāa

hūṅ ki āp mujhe aisā rawaiyādikhāte haiṅ? Āj takmaiṅ āp ke bāpke gharāne aur us ke rishtedāroṅaur dostoṅ ke lie laṛtā rahā hūṅ.Merī hī wajah se āp ab tak Dāūdke hāth se bache rahe haiṅ. Kyāyih is kā muāwazā hai? Kyā ekaisī aurat ke sabab se āp mujhe

mujrim ṭhahrā rahe haiṅ? 9‐10Allāhmujhe sakht sazā de agar ab sehar mumkin koshish na karūṅ kiDāūd pūre Isrāīl aur Yahūdāh parbādshāh ban jāe, shimāl meṅ Dānse le kar junūb meṅ Bair‐sabā tak.Ākhir Rab ne khud qasam khā karDāūd se wādā kiyā hai ki maiṅbādshāhī Sāūl ke gharāne se chhīnkar tujhe dūṅgā.”

11Yih sun kar Ishbosat Abinair seitnā ḍar gayā kimazīd kuchh kahnekī jurrat jātī rahī.

Abinair ke Dāūd se Muzākarāt12Abinair ne Dāūd ko paiġhāmbhejā, “Mulk kis kā hai? Meresāth muāhadā kar leṅ to maiṅ pūreIsrāīl ko āp ke sāth milā dūṅgā.”

13Dāūd ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai,maiṅ āp ke sāth muāhadā kartāhūṅ. Lekin ek hī shart par, āpSāūl kī beṭī Mīkal ko jo merī bīwīhai mere ghar pahuṅchāeṅ, warnāmaiṅ āp se nahīṅmilūṅgā.” 14Dāūdne Ishbosat ke pās bhī qāsid bhejkar taqāzā kiyā, “Mujhe merī bīwīMīkal jis se shādī karne ke lie maiṅne sau Filistiyoṅ komārāwāpas kardeṅ.” 15Ishbosat mān gayā. Us

aLafzī tarjumā: kutte kā sar

Page 195: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 3:16 189

ne hukm diyā ki Mīkal ko us kemaujūdā shauhar Faltiyel bin Laisse le kar Dāūd ko bhejā jāe. 16LekinFaltiyel use chhoṛnā nahīṅ chāhtāthā. Wuh rote rote Bahūrīm takapnī bīwī ke pīchhe chaltā rahā.Tab Abinair ne us se kahā, “Ab jāo!Wāpas chale jāo!” Tab wuh wāpaschalā.

17Abinair ne Isrāīl ke buzurgoṅse bhī bāt kī, “Āp to kāfī derse chāhte haiṅ ki Dāūd āp kābādshāh ban jāe. 18Ab qadamuṭhāne kā waqt ā gayā hai! KyoṅkiRab ne Dāūd se wādā kiyā hai,‘Apne khādim Dāūd se maiṅ apnīqaum Isrāīl ko Filistiyoṅ aur bāqītamām dushmanoṅ ke hāth sebachāūṅgā.’” 19Yihī bāt Abinair neBinyamīn ke buzurgoṅ ke pās jā karbhī kī. Is ke bād wuh Habrūn meṅDāūd ke pās āyā tāki us ke sāmneIsrāīl aur Binyamīn ke buzurgoṅ kāfaislā pesh kare.

20Bīs ādmī Abinair ke sāthHabrūn pahuṅch gae. Un kāistaqbāl karke Dāūd ne ziyāfat kī.21Phir Abinair ne Dāūd se kahā,“Ab mujhe ijāzat deṅ. Maiṅ apneāqā aur bādshāh ke lie tamāmIsrāīl ko jamā kar lūṅgā tāki wuhāp ke sāth ahd bāndh kar āp ko

apnā bādshāh banā leṅ. Phir āp uspūremulk par hukūmat kareṅge jistarah āp kā dil chāhtā hai.” PhirDāūd ne Abinair ko salāmatī serukhsat kar diyā.

Abinair ko Qatl Kiyā Jātā Hai22Thoṛī der ke bād Yoāb Dāūdke ādmiyoṅ ke sāth kisī laṛāī sewāpas āyā. Un ke pās bahut‐sālūṭā huā māl thā. Lekin AbinairHabrūn meṅ Dāūd ke pās nahīṅthā, kyoṅki Dāūd ne use salāmatīse rukhsat kar diyā thā. 23JabYoāb apne ādmiyoṅ ke sāth shahrmeṅ dākhil huā to use ittalā dī gaī,“Abinair bin Nair bādshāh ke pāsthā, aur bādshāh ne use salāmatīse rukhsat kar diyā hai.” 24Yoābfauran bādshāh ke pās gayā aurbolā, “Āp ne yih kyā kiyā hai? JabAbinair āp ke pās āyā to āp ne usekyoṅ salāmatī se rukhsat kiyā? Abuse pakaṛne kā mauqā jātā rahāhai. 25Āp to use jānte haiṅ. Haqīqatmeṅ wuh is lie āyā ki āp ko manwākar āp ke āne jāne aur bāqī kāmoṅke bāre meṅ mālūmāt hāsil kare.”

26Yoāb ne darbār se nikal karqāsidoṅ ko Abinair ke pīchhe bhejdiyā. Wuh abhī safr karte karte

Page 196: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

190 2 Samuel 3:36

Sīrā ke hauz par se guzar rahā thāki qāsid us ke pās pahuṅch gae.Un kī dāwat par wuh un ke sāthwāpas gayā. Lekin bādshāh ko iskā ilm na thā. 27Jab Abinair dubārāHabrūn meṅ dākhil hone lagā toYoāb shahr ke darwāze meṅ us kāistaqbāl karke use ek taraf le gayājaise wuh us ke sāth koī khufiyā bātkarnā chāhtā ho. Lekin achānak usne apnī talwār ko miyān se khīṅchkar Abinair ke peṭ meṅ ghoṅp diyā.Is tarah Yoāb ne apne bhāī Asāhelkā badlā le kar Abinair komār ḍālā.

28JabDāūd ko is kī ittalāmilī to usne elān kiyā, “Maiṅ Rab ke sāmneqasam khātā hūṅ ki bequsūr hūṅ.Merā Abinair kī maut meṅ hāthnahīṅ thā. Is nāte se mujh par aurmerī bādshāhī par kabhī bhī ilzāmna lagāyā jāe, 29kyoṅki Yoāb aur uske bāp kā gharānā qusūrwār haiṅ.Rab use aur us ke bāp ke gharāneko munāsib sazā de. Ab se abadtak us kī har nasl meṅ koī na koīho jise aise zakhm lag jāeṅ jo bharna pāeṅ, kisī ko koṛh lag jāe, kisīko baisākhiyoṅ kī madad se chalnāpaṛe, koī ġhairtabaī maut mar jāe,yā kisī ko khurāk kī musalsal kamīrahe.” 30Yoṅ Yoāb aur us ke bhāīAbīshai ne apne bhāī Asāhel kā

badlā liyā. Unhoṅ ne Abinair kois lie qatl kiyā ki us ne Asāhel koJibaūn ke qarīb laṛte waqt maut keghāṭ utār diyā thā.

Dāūd Abinair kāMātam Kartā Hai31‐32Dāūd ne Yoāb aur us kesāthiyoṅ ko hukm diyā, “Apnekapṛe phāṛ do aur ṭāṭ oṛh karAbinair kā mātam karo!” Janāzekā band‐o‐bast Habrūn meṅ kiyāgayā. Dāūd khud janāze ke ainpīchhe chalā. Qabr par bādshāhūṅchī āwāz se ro paṛā, aur bāqī sablog bhī rone lage. 33Phir Dāūd neAbinair ke bāre meṅ mātamī gītgāyā,

34“Hāy, Abinair kyoṅ bedīn kītarahmārā gayā? Tere hāth bandhehue na the, tere pāṅw zanjīroṅmeṅjakaṛe hue na the. Jis tarah koīsharīroṅ ke hāthmeṅ ā karmar jātāhai usī tarah tū halāk huā.”Tab tamām log mazīd roe.

35Dāūd ne janāze ke din rozā rakhā.Sab ne minnat kī ki wuh kuchhkhāe, lekin us ne qasam khā karkahā, “Allāh mujhe sakht sazā deagar maiṅ sūraj ke ġhurūb hone sepahle roṭī kā ek ṭukṛā bhī khā lūṅ.”36Bādshāh kā yih rawaiyā logoṅ ko

Page 197: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 3:37 191

bahut pasand āyā. Waise bhī Dāūdkā har amal logoṅ ko pasand ātāthā. 37Yoṅ tamām hāzirīn balkitamām Isrāīliyoṅ ne jān liyā kibādshāh kā Abinair ko qatl karnemeṅ hāth na thā. 38Dāūd ne apnedarbāriyoṅ se kahā, “Kyā āp kosamajh nahīṅ āī ki āj Isrāīl kā baṛāsūrmā faut huā hai? 39Mujhe abhīabhī masah karke bādshāh banāyāgayā hai, is lie merī itnī tāqat nahīṅki Zarūyāh ke in do beṭoṅ Yoābaur Abīshai ko kanṭrol karūṅ. Rabunheṅ un kī is sharīr harkat kīmunāsib sazā de!”

Ishbosat ko Qatl Kiyā Jātā Hai

4 Jab Sāūl ke beṭe Ishbosatko ittalā milī ki Abinair ko

Habrūn meṅ qatl kiyā gayā hai towuh himmat hār gayā, aur tamāmIsrāīl sakht ghabrā gayā. 2Ishbosatke do ādmī the jin ke nām Bānā aurRaikāb the. Jab kabhī Ishbosat kefaujī chhāpā mārne ke lie nikalteto yih do bhāī un par muqarrarthe. Un kā bāp Rimmon Binyamīnke qabāylī ilāqe ke shahr Bairotkā rahne wālā thā. Bairot bhīBinyamīn meṅ shumār kiyā jātāhai, 3agarche us ke bāshindoṅ ko

hijrat karke Jittaimmeṅ basnā paṛājahāṅ wuh āj tak pardesī kī haisiyatse rahte haiṅ.

4Yūnatan kā ek beṭā zindā rahgayā thā jis kā nām Mifībosat thā.Pāṅch sāl kī umr meṅ Yazrael sekhabar āī thī ki Sāūl aur Yūnatanmāre gae haiṅ. Tab us kī āyā usele kar kahīṅ panāh lene ke lie bhāggaī thī. Lekin jaldī kī wajah seMifībosat gir kar langaṛā ho gayāthā. Us waqt se us kī donoṅ ṭāṅgeṅmaflūj thīṅ.

5Ek din Rimmon Bairotī kebeṭe Raikāb aur Bānā dopaharke waqt Ishbosat ke ghar gae.Garmī urūj par thī, is lie Ishbosatārām kar rahā thā. 6‐7Donoṅādmī yih bahānā pesh karke gharke andarūnī kamre meṅ gae kiham kuchh anāj le jāne ke lie āehaiṅ. Jab Ishbosat ke kamre meṅpahuṅche to wuh chārpāī par leṭāso rahā thā. Yih dekh kar unhoṅne us ke peṭ meṅ talwār ghoṅp dīaur phir us kā sar kāṭ kar wahāṅ sesalāmatī se nikal āe.Pūrī rāt safr karte karte wuh

Dariyā‐e‐Yardan kī Wādī meṅ seguzar kar 8Habrūn pahuṅch gae.Wahāṅ unhoṅ ne Dāūd ko Ishbosatkā sar dikhā kar kahā, “Yih dekheṅ,

Page 198: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

192 2 Samuel 5:5

Sāūl ke beṭe Ishbosat kā sar. Āp kādushman Sāūl bār bār āp ko mārdene kī koshish kartā rahā, lekin ājRab ne us se aur us kī aulād se āp kābadlā liyā hai.”

Dāūd Qātiloṅ ko Sazā Detā Hai9Lekin Dāūd ne jawāb diyā, “Rabkī hayāt kī qasam jis ne fidyā dekar mujhe har musībat se bachāyāhai, 10jis ādmī ne mujhe us waqtSiqlāj meṅ Sāūl kī maut kī ittalā dīwuh bhī samajhtā thā kimaiṅ Dāūdko achchhī khabar pahuṅchā rahāhūṅ. Lekin maiṅ ne use pakaṛ karsazā‐e‐maut de dī. Yihī thā wuh ajrjo use aisī khabar pahuṅchāne keewaz milā! 11Ab tum sharīr logoṅne is se baṛh kar kiyā. Tum nebequsūr ādmī ko us ke apne gharmeṅ us kī apnī chārpāī par qatl kardiyā hai. To kyā merā farz nahīṅ kitumko is qatl kī sazā de kar tumheṅmulk meṅ se miṭā dūṅ?”

12Dāūd ne donoṅ ko mār denekā hukm diyā. Us ke mulāzimoṅne unheṅ mār kar un ke hāthoṅaur pairoṅ ko kāṭ ḍālā aur un kīlāshoṅ ko Habrūn ke tālāb ke qarībkahīṅ laṭkā diyā. Ishbosat ke sar

ko unhoṅ ne Abinair kī qabr meṅdafnāyā.

Dāūd Pūre Isrāīl kā BādshāhBan Jātā Hai

5 Uswaqt Isrāīl ke tamāmqabīleHabrūn meṅ Dāūd ke pās āe

aur kahā, “Ham āp hī kī qaum aurāp hī ke rishtedār haiṅ. 2Māzīmeṅ bhī jab Sāūl bādshāh thā toāp hī faujī muhimmoṅ meṅ Isrāīlkī qiyādat karte rahe. Aur Rabne āp se wādā bhī kiyā hai ki tūmerī qaum Isrāīl kā charwāhā bankar us par hukūmat karegā.” 3JabIsrāīl ke tamām buzurg Habrūnpahuṅche to Dāūd Bādshāh ne Rabke huzūr un ke sāth ahd bāndhā,aur unhoṅ ne use masah karkeIsrāīl kā bādshāh banā diyā.

4Dāūd 30 sāl kī umrmeṅbādshāhban gayā. Us kī hukūmat 40 sāl takjārī rahī. 5Pahle sāṛhe sāt sāl wuhsirf Yahūdāh kā bādshāh thā aurus kā dārul‐hukūmat Habrūn rahā.Bāqī 33 sāl wuh Yarūshalam meṅrah kar Yahūdāh aur Isrāīl donoṅpar hukūmat kartā rahā.

Page 199: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 5:6 193

Dāūd Yarūshalam parQabzā Kartā Hai

6Bādshāh banane ke bād Dāūdapne faujiyoṅ ke sāth Yarūshalamgayā tāki us par hamlā kare. Wahāṅab tak Yabūsī ābād the. Dāūdko dekh kar Yabūsiyoṅ ne us kāmazāq uṛāyā, “Āp hamāre shahrmeṅ kabhī dākhil nahīṅ ho pāeṅge!Āp ko rokne ke lie hamāre langaṛeaur andhe kāfī haiṅ.” Unheṅ pūrāyaqīn thā ki Dāūd shahr meṅ kisībhī tarīqe se nahīṅ ā sakegā.

7To bhī Dāūd ne Siyyūn ke qilepar qabzā kar liyā jo ājkal ‘Dāūdkā Shahr’ kahlātā hai. 8Jis dinunhoṅ ne shahr par hamlā kiyāus ne elān kiyā, “Jo bhī Yabūsiyoṅpar fatah pānā chāhe use pānī kīsurangmeṅ se guzar kar shahrmeṅghusnā paṛegā tāki un langaṛoṅ aurandhoṅ ko māre jin se merī jānnafrat kartī hai.” Is lie āj tak kahājātā hai, “Langaṛoṅ aur andhoṅ koghar meṅ jāne kī ijāzat nahīṅ.”

9Yarūshalam par fatah pāne kebād Dāūd qile meṅ rahne lagā. Usne use ‘Dāūd kā Shahr’ qarār diyāaur us ke irdgird shahr ko baṛhānelagā. Yih tāmīrī kām irdgird ke

chabūtaroṅ se shurū huā aur hotehote qile tak pahuṅch gayā.

10Yoṅ Dāūd zor pakaṛtā gayā,kyoṅki Rabbul‐afwāj us ke sāth thā.

Dāūd kī Taraqqī11Ek din Sūr ke bādshāh Hīrām neDāūd ke pāswafd bhejā. Baṛhaī aurrāj bhī sāth the. Un ke pās deodārkī lakaṛī thī, aur unhoṅ ne Dāūd kelie mahal banā diyā. 12Yoṅ Dāūdne jān liyā ki Rab ne mujhe Isrāīlkā bādshāhbanākarmerī bādshāhīapnī qaum Isrāīl kī khātir sarfarāzkar dī hai.

13Habrūn se Yarūshalam meṅmuntaqil hone ke bād Dāūd nemazīd bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ seshādī kī. Natīje meṅ Yarūshalammeṅ us ke kaī beṭe‐beṭiyāṅ paidāhue. 14Jo beṭe wahāṅ paidā huewuh yih the: Sammua, Sobāb,Nātan, Sulemān, 15Ibhār, Ilīsua,Nafaj, Yafīa, 16Ilīsamā, Ilyadā aurIlīfalat.

Filistiyoṅ par Fatah17Jab Filistiyoṅ ko ittalā milī kiDāūd ko masah karke Isrāīl kābādshāh banāyā gayā hai to unhoṅne apne faujiyoṅ ko Isrāīl meṅ bhej

Page 200: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

194 2 Samuel 6:5

diyā tāki use pakaṛ leṅ. Lekin Dāūdko patā chal gayā, aur us ne ekpahāṛī qile meṅ panāh le lī.

18Jab Filistī Isrāīl meṅ pahuṅchkar Wādī‐e‐Rafāīm meṅ phail gae19to Dāūd ne Rab se dariyāft kiyā,“Kyā maiṅ Filistiyoṅ par hamlākarūṅ? Kyā tū mujhe un par fatahbakhshegā?” Rab ne jawāb diyā,“Hāṅ, un par hamlā kar! Maiṅunheṅ zarūr tere qabze meṅ kardūṅgā.” 20Chunāṅche Dāūd apnefaujiyoṅko le karBāl‐parāzīmgayā.Wahāṅ us ne Filistiyoṅ ko shikastdī. Bād meṅ us ne gawāhī dī,“Jitne zor se band ke ṭūṭ jāne parpānī us se phūṭ nikaltā hai utnezor se āj Rab mere dekhte dekhtedushman kī safoṅ meṅ se phūṭniklā hai.” Chunāṅche us jagahkā nām Bāl‐parāzīm yānī ‘PhūṭNikalne kāMālik’ paṛ gayā. 21Filistīapne but chhoṛ kar bhāg gae. Aurwuh Dāūd aur us ke ādmiyoṅ keqabze meṅ ā gae.

22Ek bār phir Filistī ā kar Wādī‐e‐Rafāīm meṅ phail gae. 23JabDāūd ne Rab se dariyāft kiyā tous ne jawāb diyā, “Is martabā unkā sāmnā mat karnā balki un kepīchhe jā kar bakā ke darakhtoṅ kesāmne un par hamlā kar. 24Jab un

darakhtoṅ kī choṭiyoṅ se qadmoṅkī chāp sunāī de to khabardār! Yihis kā ishārā hogā ki Rab khud tereāge āge chal kar Filistiyoṅkomārneke lie nikal āyā hai.”

25Dāūd ne aisā hī kiyā aur natījemeṅ Filistiyoṅ ko shikast de karJibaūn se le kar Jazar tak un kātāqqub kiyā.

Dāūd Ahd kā Sandūq Yarūshalammeṅ Le Ātā Hai

6 Ek bār phir Dāūd ne Isrāīlke chunīdā ādmiyoṅ ko jamā

kiyā. 30,000 afrād the. 2Unke sāth mil kar wuh Yahūdāh keBālā pahuṅch gayā tāki Allāh kāsandūq uṭhā kar Yarūshalam lejāeṅ, wuhī sandūq jis par Rabbul‐afwāj ke nāmkā ṭhappā lagā hai aurjahāṅ wuh sandūq ke ūpar karūbīfarishtoṅ ke darmiyān takhtnashīnhai. 3‐4Logoṅ ne Allāh ke sandūqko pahāṛī par wāqe Abīnadāb keghar se nikāl kar ek naī bailgāṛī parrakh diyā, aur Abīnadāb ke do beṭeUzzā aur Akhiyo use Yarūshalamkī taraf le jāne lage. Akhiyo gāṛīke āge āge 5aur Dāūd bāqī tamāmlogoṅ ke sāth pīchhe chal rahāthā. Sab Rab ke huzūr pūre zor

Page 201: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 6:6 195

se khushī manāne aur gīt gānelage. Mukhtalif sāz bhī bajāe jārahe the. Fizā sitāroṅ, sarodoṅ,dafoṅ, khanjriyoṅa aur jhāṅjhoṅ kīāwāzoṅ se gūṅj uṭhī.

6Wuh gandum gāhne kī ek jagahpar pahuṅch gae jis ke mālikkā nām Nakon thā. Wahāṅ bailachānak beqābū ho gae. Uzzā nejaldī se Allāh kā sandūq pakaṛ liyātāki wuh gir na jāe. 7Usī lamhe Rabkā ġhazab us par nāzil huā, kyoṅkius ne Allāh ke sandūq ko chhūne kījurrat kī thī. WahīṅAllāh ke sandūqkepās hīUzzā gir kar halāk ho gayā.8Dāūd ko baṛā ranj huā ki Rab kāġhazab Uzzā par yoṅ ṭūṭ paṛā hai.Us waqt se us jagah kā nām Paraz‐uzzā yānī ‘Uzzā par Ṭūṭ Paṛnā’ hai.

9Us din Dāūd ko Rab se khaufāyā. Us ne sochā, “Rab kā sandūqkis tarah mere pās pahuṅchsakegā?” 10Chunāṅche us nefaislā kiyā ki ham Rab kā sandūqYarūshalam nahīṅ le jāeṅge balkiuse Obed‐adom jātī ke ghar meṅmahfūz rakheṅge. 11Wahāṅ wuhtīn māh tak paṛā rahā.

In tīn mahīnoṅ ke daurān Rab neObed‐adom aur us ke pūre gharāneko barkat dī. 12Ek din Dāūd koittalā dī gaī, “Jab se Allāh kā sandūqObed‐adom ke ghar meṅ hai uswaqt se Rab ne us ke gharāne aurus kī pūrī milkiyat ko barkat dīhai.” Yih sun kar Dāūd Obed‐adomke ghar gayā aur khushī manātehue Allāh ke sandūq ko Dāūd keshahr le āyā. 13Chhih qadmoṅ kebād Dāūd ne Rab kā sandūq uṭhānewāloṅ ko rok kar ek sānḍ aurek moṭā‐tāzā bachhṛā qurbān kiyā.14Jab julūs āge niklā to Dāūd pūrezor ke sāth Rab ke huzūr nāchnelagā. Wuhkatān kā bālāposh pahnehue thā. 15Khushī ke nāre lagālagā kar aur narsinge phūṅk phūṅkkar Dāūd aur tamām Isrāīlī Rab kāsandūq Yarūshalam le āe.

16Rab kā sandūq Dāūd ke shahrmeṅ dākhil huā to Dāūd kī bīwīMīkal bint Sāūl khiṛkī meṅ se julūsko dekh rahī thī. Jab bādshāhRab ke huzūr kūdtā aur nāchtā huānazar āyā to Mīkal ne dil meṅ usehaqīr jānā.

aIbrānī meṅ is se murād jhunjhune jaisākoī sāz hai.

Page 202: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

196 2 Samuel 7:7

17Rab kā sandūq us tambū kedarmiyān meṅ rakhā gayā jo Dāūdne us ke lie lagwāyā thā. Phir Dāūdne Rab ke huzūr bhasm hone wālīaur salāmatī kī qurbāniyāṅ peshkīṅ. 18Is ke bād us ne qaum koRabbul‐afwāj ke nām se barkat dekar 19har Isrāīlī mard aur auratko ek roṭī, khajūr kī ek ṭikkī aurkishmish kī ek ṭikkī de dī. Phirtamām log apne apne gharoṅ kowāpas chale gae.

20Dāūd bhī apne ghar lauṭā tākiapne khāndān ko barkat de karsalām kare. Wuh abhī mahal keandar nahīṅ pahuṅchā thā ki Mīkalnikal kar us se milne āī. Us netanzan kahā, “Wāh jī wāh. Āj Isrāīlkā bādshāh kitnī shān ke sāth logoṅko nazar āyā hai! Apne logoṅ kīlaunḍiyoṅ ke sāmne hī us ne apnekapṛe utār die, bilkul usī tarah jistarah gaṅwār karte haiṅ.” 21Dāūdne jawāb diyā, “Maiṅ Rab hī kehuzūr nāch rahā thā, jis ne āp kebāp aur us ke khāndān ko tarkkarke mujhe chun liyā aur Isrāīl kābādshāh banā diyā hai. Usī kī tāzīmmeṅ maiṅ āindā bhī nāchūṅgā.22Hāṅ, maiṅ is se bhī zyādā zalīlhone ke lie taiyār hūṅ. Jahāṅ tak

launḍiyoṅ kā tālluq hai, wuh zarūrmerī izzat kareṅgī.”

23Jīte‐jī Mīkal beaulād rahī.

Rab Dāūd se Abadī BādshāhīkāWādā Kartā Hai

7 Dāūd Bādshāh sukūn se apnemahalmeṅ rahne lagā, kyoṅki

Rab ne irdgird ke dushmanoṅ kous par hamlā karne se rok diyā thā.2Ek din Dāūd ne Nātan Nabī se bātkī, “Dekheṅ, maiṅ yahāṅ deodār kemahalmeṅ rahtāhūṅ jabkiAllāhkāsandūq ab tak tambūmeṅ paṛā hai.Yih munāsib nahīṅ hai!”

3Nātan ne bādshāh kī hauslā‐afzāī kī, “Jo kuchh bhī āp karnāchāhte haiṅ wuh kareṅ. Rab āp kesāth hai.”

4Lekin usī rāt Rab Nātan sehamkalām huā, 5“Mere khādimDāūd ke pās jā kar use batā deki Rab farmātā hai, ‘Kyā tū merīrihāish ke lie makān tāmīr karegā?Hargiz nahīṅ! 6Āj tak maiṅ kisīmakān meṅ nahīṅ rahā. Jab semaiṅ Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāllāyā us waqt se maiṅ khaime meṅrah kar jagah bajagah phirtā rahāhūṅ. 7Jis daurān maiṅ tamāmIsrāīliyoṅ ke sāth idhar‐udhar

Page 203: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 7:8 197

phirtā rahā kyā maiṅ ne Isrāīl keun rāhnumāoṅ se kabhī is nāte seshikāyat kī jinheṅ maiṅ ne apnīqaum kī gallābānī karne kā hukmdiyā thā? Kyā maiṅ ne un meṅse kisī se kahā ki tum ne merelie deodār kā ghar kyoṅ nahīṅbanāyā?’

8Chunāṅche mere khādim Dāūdko batā de, ‘Rabbul‐afwāj farmātāhai ki maiṅ hī ne tujhe charāgāhmeṅ bheṛoṅ kī gallābānī karne sefāriġh karke apnī qaum Isrāīl kābādshāh banā diyā hai. 9Jahāṅbhī tū ne qadam rakhā wahāṅmaiṅ tere sāth rahā hūṅ. Teredekhte dekhte maiṅ ne tere tamāmdushmanoṅ ko halāk kar diyā hai.Ab maiṅ terā nām sarfarāz kardūṅgā, wuh duniyā ke sab se azīmādmiyoṅ ke nāmoṅ ke barābar hīhogā. 10Aur maiṅ apnī qaum Isrāīlke lie ek watan muhaiyā karūṅga,paude kī tarah unheṅ yoṅ lagādūṅgā ki wuh jaṛ pakaṛ kar mahfūzraheṅge aur kabhī bechain nahīṅhoṅge. Bedīn qaumeṅ unheṅ ustarah nahīṅ dabāeṅgī jis tarahmāzīmeṅ kiyā kartī thīṅ, 11us waqt sejab maiṅ qaum par qāzī muqarrarkartā thā. Maiṅ tere dushmanoṅko tujh se dūr rakh kar tujhe

amn‐o‐amān atā karūṅga. Āj Rabfarmātā hai ki maiṅ hī tere lie gharbanāūṅgā.

12Jab tū būṛhā ho kar kūch karjāegā aur apne bāpdādā ke sāthārām karegā to maiṅ terī jagah terebeṭoṅ meṅ se ek ko takht par biṭhādūṅgā. Us kī bādshāhī ko maiṅmazbūt banā dūṅgā. 13Wuhī merenām ke lie ghar tāmīr karegā, aurmaiṅ us kī bādshāhī kā takht abadtak qāym rakhūṅgā. 14Maiṅ uskā bāp hūṅgā, aur wuh merā beṭāhogā. Jab kabhī us se ġhaltī hogī tomaiṅ use yoṅ chhaṛī se sazā dūṅgājis tarah insānī bāp apne beṭe kītarbiyat kartā hai. 15Lekin merīnazar‐e‐karm kabhī us se nahīṅhaṭegī. Us ke sāth maiṅ wuh sulūknahīṅ karūṅga jo maiṅ ne Sāūlke sāth kiyā jab use tere sāmnese haṭā diyā. 16Terā gharānā aurterī bādshāhī hameshā mere huzūrqāym rahegī, terā takht hameshāmazbūt rahegā.’”

Dāūd kī Shukrguzārī17Nātan ne Dāūd ke pās jā kar usesab kuchh sunāyā jo Rab ne useroyā meṅ batāyā thā. 18Tab Dāūd

Page 204: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

198 2 Samuel 7:29

ahd ke sandūq ke pās gayā aur Rabke huzūr baiṭh kar duā karne lagā,“Ai Rab Qādir‐e‐mutlaq, maiṅ

kaun hūṅ aur merā khāndān kyāhaisiyat rakhtā hai ki tū ne mujheyahāṅ tak pahuṅchāyā hai? 19Aurab ai Rab Qādir‐e‐mutlaq, tūmujheaur bhī zyādā atā karne ko hai,kyoṅki tū ne apne khādim kegharāne ke mustaqbil ke bāre meṅbhī wādā kiyā hai. Kyā tū ām taurpar insān ke sāth aisā sulūk kartāhai? Hargiz nahīṅ! 20Lekin maiṅmazīd kyā kahūṅ? Ai Rab Qādir‐e‐mutlaq, tū to apne khādim ko jāntāhai. 21Tū ne apne farmān kī khātiraur apnīmarzī kemutābiq yih azīmkām karke apne khādim ko ittalā dīhai.

22Ai Rab Qādir‐e‐mutlaq, tū kitnāazīm hai! Tujh jaisā koī nahīṅhai. Ham ne apne kānoṅ se sunliyā hai ki tere siwā koī aur Khudānahīṅ hai. 23Duniyā meṅ kaun‐sīqaum terī ummat Isrāīl kī mānindhai? Tū ne isī ek qaum kā fidyāde kar use ġhulāmī se chhuṛāyā aurapnī qaum banā liyā. Tū ne Isrāīlke wāste baṛe aur haibatnāk kāmkarke apne nām kī shohrat phailādī. Hameṅ Misr se rihā karke tūne qaumoṅ aur un ke dewatāoṅ

ko hamāre āge se nikāl diyā. 24AiRab, tū Isrāīl ko hameshā ke lieapnī qaum banā kar un kā Khudāban gayā hai. 25Chunāṅche ai RabQādir‐e‐mutlaq, jo bāt tū ne apnekhādim aur us ke gharāne ke bāremeṅ kī hai use abad tak qāym rakhaur apnā wādā pūrā kar. 26Tabterā nām abad tak mashhūr rahegāaur log taslīm kareṅge ki Rabbul‐afwāj Isrāīl kā Khudā hai. Phir terekhādim Dāūd kā gharānā bhī terehuzūr qāym rahegā.

27Ai Rabbul‐afwāj, Isrāīl keKhudā, tū ne apne khādim ke kānko is bāt ke lie khol diyā hai. Tūhī ne farmāyā, ‘Maiṅ tere lie ghartāmīr karūṅga.’ Sirf isī lie terekhādim ne yoṅ tujh se duā karnekī jurrat kī hai. 28Ai Rab Qādir‐e‐mutlaq, tū hī Khudā hai, aur terī hībātoṅ par etamād kiyā jā saktā hai.Tū ne apne khādim se in achchhīchīzoṅ kā wādā kiyā hai. 29Ab apnekhādim ke gharāne ko barkat denepar rāzī ho tāki wuh hameshā taktere huzūr qāym rahe. Kyoṅki tūhī ne yih farmāyā hai, aur chūṅkitū ai Rab Qādir‐e‐mutlaq ne barkatdī hai is lie tere khādim kā gharānāabad tak mubārak rahegā.”

Page 205: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 8:1 199

Dāūd kī Jangeṅ

8 Phir aisā waqt āyā ki Dāūdne Filistiyoṅ ko shikast de

kar unheṅ apne tābe kar liyā aurhukūmat kī bāgḍor un ke hāthoṅ sechhīn lī.

2Us ne Moābiyoṅ par bhī fatahpāī. Moābī qaidiyoṅ kī qatār banākar us neunheṅ zamīnpar liṭā diyā.Phir rassī kā ṭukṛā le kar us ne qatārkā nāp liyā. Jitne log rassī kī lambāīmeṅ ā gae wuh ek guroh ban gae.YoṅDāūdne logoṅkogurohoṅmeṅtaqsīm kiyā. Phir us ne gurohoṅke tīn hisse banā kar do hissoṅ kesar qalam kie aur ek hisse ko zindāchhoṛ diyā. Lekin jitne qaidī chhūṭgae wuh Dāūd ke tābe rah kar usekharāj dete rahe.

3Dāūd ne shimālī Shām ke shahrZobāh ke bādshāh Hadadazarbin Rahob ko bhī harā diyā jabHadadazar Dariyā‐e‐Furāt pardubārā qābū pāne ke lie nikal āyāthā. 4Dāūd ne 1,700 ghuṛsawāroṅaur 20,000 piyādā sipāhiyoṅ kogiriftār kar liyā. Rathoṅ ke 100ghoṛoṅ ko us ne apne lie mahfūzrakhā, jabki bāqiyoṅ kī us nekoṅcheṅ kāṭ dīṅ tāki wuh āindājang ke lie istemāl na ho sakeṅ.

5Jab Damishq ke Arāmī bāshindeZobāh ke bādshāh Hadadazar kīmadad karne āe to Dāūd ne un ke22,000 afrād halāk kar die. 6Phirus ne Damishq ke ilāqe meṅ apnīfaujī chaukiyāṅqāymkīṅ. Arāmīuske tābe ho gae aur use kharāj deterahe. Jahāṅ bhī Dāūd gayā wahāṅRab ne use kāmyābī bakhshī.7Sone kī jo ḍhāleṅ Hadadazar keafsaroṅ ke pās thīṅ unheṅ DāūdYarūshalam le gayā. 8Hadadazar kedo shahroṅ Batāh aur Berotī se usne kasrat kā pītal chhīn liyā.

9Jab Hamāt ke bādshāh Tūī koittalā milī ki Dāūd ne Hadadazarkī pūrī fauj par fatah pāī hai 10tous ne apne beṭe Yūrām ko Dāūdke pās bhejā tāki use salām kahe.Yūrām ne Dāūd ko Hadadazar parfatah ke lie mubārakbād dī, kyoṅkiHadadazar Tūī kā dushman thā,aur un ke darmiyān jang rahī thī.YūrāmneDāūd ko sone, chāṅdī aurpītal ke tohfe bhī pesh kie. 11Dāūdne yih chīzeṅ Rab ke lie makhsūskar dīṅ. Jahāṅ bhī wuh dūsrīqaumoṅ par ġhālib āyā wahāṅkī sonā‐chāṅdī us ne Rab ke liemakhsūs kar dī. 12Yoṅ Adom,Moāb, Ammon, Filistiyā, Amālīqaur Zobāh ke bādshāh Hadadazar

Page 206: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

200 2 Samuel 9:7

bin Rahob kī sonā‐chāṅdī Rab kopesh kī gaī.

13Jab Dāūd ne Namak kī Wādīmeṅ Adomiyoṅ par fatah pāī to uskī shohrat mazīd phail gaī. Usjang meṅ dushman ke 18,000 afrādhalākhue. 14DāūdneAdomkepūremulk meṅ apnī faujī chaukiyāṅqāym kīṅ, aur tamām Adomī Dāūdke tābe ho gae. Dāūd jahāṅ bhī jātāRab us kī madad karke use fatahbakhshtā.

Dāūd ke Ālā Afsar15Jitnī der Dāūd pūre Isrāīl parhukūmat kartā rahā utnī der takus ne dhyān diyā ki qaum ke harek shakhs ko insāf mil jāe. 16Yoābbin Zarūyāh fauj par muqarrar thā.Yahūsafat bin Akhīlūd bādshāhkā mushīr‐e‐khās thā. 17Sadoqbin Akhītūb aur Akhīmalik binAbiyātar imām the. Sirāyāhmīrmunshī thā. 18Bināyāh binYahoyadā Dāūd ke khās dastebanām Karetī‐o‐Faletī kā kaptānthā. Dāūd ke beṭe imām the.

Dāūd Yūnatan ke Beṭe parMehrbānī Kartā Hai

9 Ek din Dāūd pūchhne lagā,“Kyā Sāūl ke khāndān kā koī

fard bach gayā hai? Maiṅ Yūnatankī khātir us par apnī mehrbānī kāizhār karnā chāhtā hūṅ.”

2Ek ādmī ko bulāyā gayā jo Sāūlke gharāne kā mulāzim thā. Us kānām Zībā thā. Dāūd ne sawāl kiyā,“Kyā āp Zībā haiṅ?” Zībā ne jawābdiyā, “Jī, āp kā khādim hāzir hai.”3Bādshāh ne dariyāft kiyā, “KyāSāūl ke khāndān kā koī fard zindārah gayā hai? Maiṅ us par Allāhkī mehrbānī kā izhār karnā chāhtāhūṅ.” Zībā ne kahā, “Yūnatan kā ekbeṭā ab tak zindā hai. Wuh donoṅṭāṅgoṅ se maflūj hai.” 4Dāūd nepūchhā, “Wuh kahāṅ hai?” Zībāne jawāb diyā, “Wuh Lo‐dibār meṅMakīr bin Ammiyel ke hāṅ rahtāhai.” 5Dāūd ne use fauran darbārmeṅ bulā liyā.

6Yūnatan ke jis beṭe kā zikr Zībāne kiyā wuh Mifībosat thā. Jab useDāūd ke sāmne lāyā gayā to us nemuṅh ke bal jhuk kar us kī izzatkī. Dāūd ne kahā, “Mifībosat!” Usne jawāb diyā, “Jī, āp kā khādimhāzir hai.” 7Dāūd bolā, “Ḍareṅ

Page 207: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 9:8 201

mat. Āj maiṅ āp ke bāp Yūnatan kesāth kiyā huā wādā pūrā karke āppar apnī mehrbānī kā izhār karnāchāhtā hūṅ. Ab suneṅ! Maiṅ āp koāp ke dādā Sāūl kī tamām zamīneṅwāpas kar detā hūṅ. Is ke alāwāmaiṅ chāhtā hūṅ ki āp rozānāmeresāth khānā khāyā kareṅ.”

8Mifībosat ne dubārā jhuk karbādshāh kī tāzīm kī, “Maiṅ kaunhūṅ ki āp mujh jaise murdā kuttepar dhyān de kar aisī mehrbānīfarmāeṅ!” 9Dāūdne Sāūl ke purānemulāzim Zībā ko bulā kar usehidāyat dī, “Maiṅ ne āp ke mālikke pote ko Sāūl aur us ke khāndānkī tamām milkiyat de dī hai. 10Abāp kī zimmedārī yih hai ki āp apnebeṭoṅ aur naukaroṅ ke sāth us kekhetoṅ ko saṅbhāleṅ tāki us kākhāndān zamīnoṅ kī paidāwār seguzārā kar sake. Lekin Mifībosatkhud yahāṅ rah kar mere beṭoṅkī tarah mere sāth khānā khāyākaregā.” (Zībā ke 15 beṭe aur 20naukar the.)

11Zībā ne jawāb diyā, “Maiṅ āpkī khidmat meṅ hāzir hūṅ. Jo bhīhukm āp deṅge maiṅ karne ke lietaiyār hūṅ.” 12‐13Us din se Zībā kegharāne ke tamām afrād Mifībosatke mulāzim ho gae. Mifībosat

khud jo donoṅ ṭāṅgoṅ semaflūj thāYarūshalam meṅ rihāishpazīr huāaur rozānā Dāūd Bādshāh ke sāthkhānā khātā rahā. Us kā ek chhoṭābeṭā thā jis kā nāmMīkā thā.

Ammonī Dāūd kī Be’izzatīKarte Haiṅ

10 Kuchh der ke bādAmmoniyoṅ kā bādshāh

faut huā, aur us kā beṭā Hanūntakhtnashīn huā. 2Dāūd ne sochā,“Nāhas ne hameshā mujh parmehrbānī kī thī, is lie ab maiṅ bhīus ke beṭe Hanūn par mehrbānīkarūṅga.” Us ne bāp kī wafāt kāafsos karne ke lie Hanūn ke pāswafd bhejā.Lekin jab Dāūd ke safīr

Ammoniyoṅ ke darbār meṅpahuṅch gae 3to us mulk ke buzurgHanūn Bādshāh ke kān meṅ manfībāteṅ bharne lage, “Kyā Dāūd ne inādmiyoṅ ko wāqaī sirf is lie bhejāhai ki wuh afsos karke āp ke bāpkā ehtirām kareṅ? Hargiz nahīṅ!Yih sirf bahānā hai. Asal meṅyih jāsūs haiṅ jo hamāre dārul‐hukūmat ke bāre meṅ mālūmāthāsil karnā chāhte haiṅ tāki uspar qabzā kar sakeṅ.” 4Chunāṅche

Page 208: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

202 2 Samuel 10:14

Hanūn ne Dāūd ke ādmiyoṅ kopakaṛwā kar un kī dāṛhiyoṅ kāādhā hissā munḍwā diyā aur unke libās ko kamr se le kar pāṅwoṅtak kāṭ kar utarwāyā. Isī hālat meṅbādshāh ne unheṅ fāriġh kar diyā.

5Jab Dāūd ko is kī khabar milī tous ne apne qāsidoṅ ko un se milneke lie bhejā tāki unheṅ batāeṅ,“Yarīhū meṅ us waqt tak ṭhahreraheṅ jab tak āp kī dāṛhiyāṅ dubārābahāl na ho jāeṅ.” Kyoṅki wuhapnī dāṛhiyoṅ kī wajah se baṛīsharmindagī mahsūs kar rahe the.

Ammoniyoṅ se Jang6Ammoniyoṅ ko khūb mālūmthā ki is harkat se ham Dāūd kedushman ban gae haiṅ. Is lieunhoṅ ne kirāe par kaī jaghoṅse faujī talab kie. Bait‐rahob aurZobāh ke 20,000 Arāmī piyādāsipāhī, Mākā kā bādshāh 1,000faujiyoṅ samet aur Mulk‐e‐Tob ke12,000 sipāhī un kī madad karneāe. 7Jab Dāūd ko is kā ilm huāto us ne Yoāb ko pūrī fauj kesāth un kā muqābalā karne ke liebhej diyā. 8Ammonī apne dārul‐hukūmat Rabbā se nikal kar shahrke darwāze ke sāmne hī saf‐ārā hue

jabki un ke Arāmī ittahādī Zobāhaur Rahob Mulk‐e‐Tob aur Mākāke mardoṅ samet kuchh fāsile parkhule maidān meṅ khaṛe ho gae.

9Jab Yoāb ne jān liyā ki sāmneaur pīchhe donoṅ taraf se hamle kākhatrā hai to us ne apnī fauj ko dohissoṅ meṅ taqsīm kar diyā. Sab seachchhe faujiyoṅ ke sāth wuh khudShām ke sipāhiyoṅ se laṛne ke lietaiyār huā. 10Bāqī ādmiyoṅ ko usne apne bhāī Abīshai ke hawāle kardiyā tāki wuhAmmoniyoṅ se laṛeṅ.11Ek dūsre se alag hone se pahleYoāb ne Abīshai se kahā, “AgarShām ke faujī mujh par ġhālib ānelageṅ tomere pās ā karmerīmadadkarnā. Lekin agar āp Ammoniyoṅpar qābū na pā sakeṅ to maiṅ ākar āp kī madad karūṅga. 12Hauslārakheṅ! Ham dilerī se apnī qaumaur apne Khudā ke shahroṅ ke lielaṛeṅ. Aur Rab wuh kuchh hone dejo us kī nazar meṅ ṭhīk hai.”

13Yoāb ne apnī fauj ke sāth Shāmke faujiyoṅ par hamlā kiyā to wuhus ke sāmne se bhāgne lage. 14Yihdekh kar Ammonī Abīshai se farārho kar shahr meṅ dākhil hue. PhirYoāb Ammoniyoṅ se laṛne se bāzāyā aur Yarūshalam wāpas chalāgayā.

Page 209: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 10:15 203

Shām ke khilāf Jang15Jab Shām ke faujiyoṅ koshikast kī be’izzatī kā ehsās huāto wuh dubārā jamā ho gae.16Hadadazar ne Dariyā‐e‐Furātke pār Masoputāmiyā meṅ ābādArāmiyoṅ ko bulāyā tāki wuh uskī madad kareṅ. Phir sab Hilāmpahuṅch gae. Hadadazar kī faujpar muqarrar afsar Sobak un kīrāhnumāī kar rahā thā. 17Jab Dāūdko khabar milī to us ne Isrāīl ketamām laṛne ke qābil ādmiyoṅko jamā kiyā aur Dariyā‐e‐Yardanko pār karke Hilām pahuṅchgayā. Shām ke faujī saf‐ārā ho karIsrāīliyoṅ kā muqābalā karne lage.18Lekin unheṅ dubārā shikast mānkar farār honā paṛā. Is dafā unke 700 rathbānoṅ ke alāwā 40,000piyādā sipāhī halāk hue. Dāūd nefauj ke kamānḍar Sobak ko itnāzakhmī kar diyā ki wuh maidān‐e‐jang meṅ halāk ho gayā.

19Jo Arāmī bādshāh pahleHadadazar ke tābe the unhoṅ neab hār mān kar Isrāīliyoṅ se sulahkar lī aur un ke tābe ho gae. Uswaqt se Arāmiyoṅ ne Ammoniyoṅkī madad karne kī phir jurrat na kī.

Dāūd aur Bat‐sabā

11 Bahār kā mausam ā gayā,wuh waqt jab bādshāh

jang ke lie nikalte haiṅ. DāūdBādshāh ne bhī apne faujiyoṅ kolaṛne ke lie bhej diyā. Yoāb kīrāhnumāī meṅ us ke afsar aur pūrīfauj Ammoniyoṅ se laṛne ke lierawānā hue. Wuh dushman kotabāh karke dārul‐hukūmat Rabbākā muhāsarā karne lage. Dāūdkhud Yarūshalammeṅ rahā.

2Ek din wuh dopahar ke waqt sogayā. Jab shām ke waqt jāg uṭhāto mahal kī chhat par ṭahalne lagā.Achānak us kī nazar ek aurat parpaṛī jo apne sahan meṅ nahā rahīthī. Aurat nihāyat khūbsūrat thī.3Dāūd ne kisī ko us ke bāre meṅmālūmāt hāsil karne ke lie bhejdiyā. Wāpas ā kar us ne ittalā dī,“Aurat kā nām Bat‐sabā hai. WuhIliyām kī beṭī aur Ūriyāh Hittī kībīwī hai.” 4Tab Dāūd ne qāsidoṅko Bat‐sabā ke pās bhejā tāki usemahalmeṅ le āeṅ. Aurat āī to Dāūdus se hambistar huā. Phir Bat‐sabāapne ghar wāpas chalī gaī. (Thoṛīder pahle us ne wuh rasm adā kīthī jis kā taqāzā sharīat māhwārī ke

Page 210: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

204 2 Samuel 11:16

bād kartī hai tāki aurat dubārā pāk‐sāf ho jāe.)

5Kuchh der ke bād use mālūmhuā ki merā pāṅw bhārī ho gayāhai. Us ne Dāūd ko ittalā dī, “Merāpāṅw bhārī ho gayā hai.” 6Yihsunte hī Dāūd ne Yoāb ko paiġhāmbhejā, “Ūriyāh Hittī ko mere pāsbhej deṅ!” Yoāb ne use bhej diyā.7Jab Ūriyāh darbār meṅ pahuṅchāto Dāūd ne us se Yoāb aur fauj kāhāl mālūm kiyā aur pūchhā ki jangkis tarah chal rahī hai?

8Phir us ne Ūriyāh ko batāyā,“Ab apne ghar jāeṅ aur pāṅw dhokar ārām kareṅ.” Ūriyāh abhīmahal se dūr nahīṅ gayā thā kiek mulāzim ne us ke pīchhe bhāgkar use bādshāh kī taraf se tohfādiyā. 9Lekin Ūriyāh apne ghar nagayā balki rāt ke lie bādshāh kemuhāfizoṅ ke sāth ṭhahrā rahā jomahal ke darwāze ke pās sote the.

10Dāūd ko is bāt kā patā chalā tous ne agle din use dubārā bulāyā.Us ne pūchhā, “Kyā bāt hai? Āp tobaṛī dūr se āe haiṅ. Āp apne gharkyoṅ na gae.” 11Ūriyāh ne jawābdiyā, “Ahd kā sandūq aur Isrāīl aurYahūdāh ke faujī jhoṅpṛiyoṅ meṅrah rahe haiṅ. Yoāb aur bādshāhke afsar bhī khule maidān meṅ

ṭhahre hue haiṅ to kyā munāsibhai ki maiṅ apne ghar jā kar ārāmse khāūṅ‐piyūṅ aur apnī bīwī sehambistar ho jāūṅ? Hargiz nahīṅ!Āp kī hayāt kī qasam, maiṅ kabhīaisā nahīṅ karūṅga.”

12Dāūd ne use kahā, “Ek aur dinyahāṅ ṭhahreṅ. Kal maiṅ āp kowāpas jāne dūṅgā.” ChunāṅcheŪriyāh ek aur din Yarūshalammeṅṭhahrā rahā.

13Shām ke waqt Dāūd ne usekhāne kī dāwat dī. Us ne use itnīmai pilāī ki Ūriyāh nashemeṅ dhutho gayā, lekin is martabā bhī wuhapne ghar na gayā balki dubārāmahal meṅ muhāfizoṅ ke sāth sogayā.

Dāūd Ūriyāh ko Qatl Karwātā Hai14Agle din subah Dāūd ne Yoāb kokhat likh kar Ūriyāh ke hāth bhejdiyā. 15Us meṅ likhā thā, “Ūriyāhko sab se aglī saf meṅ khaṛā kareṅ,jahāṅ laṛāī sab se sakht hotī hai.Phir achānakpīchhekī taraf haṭ karuse chhoṛ deṅ tāki dushman usemār de.”

16Yih paṛh kar Yoāb ne Ūriyāh koek aisī jagah par khaṛā kiyā jis kebāre meṅ use ilm thā ki dushman

Page 211: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 11:17 205

ke sab se zabardast faujī wahāṅlaṛte haiṅ. 17Jab Ammoniyoṅ neshahr se nikal kar un par hamlākiyā to kuchh Isrāīlī shahīd hue.ŪriyāhHittī bhī unmeṅ shāmil thā.

18Yoāb ne laṛāī kī pūrī riporṭbhej dī. 19Dāūd ko yih paiġhāmpahuṅchāne wāle ko us ne batāyā,“Jab āp bādshāh ko tafsīl se laṛāī kāsārā silsilā sunāeṅge 20to ho saktāhai wuh ġhusse ho kar kahe, ‘Āpshahr ke itne qarīb kyoṅ gae. Kyāāp ko mālūm na thā ki dushmanfasīl se tīr chalāeṅge? 21Kyā āp koyād nahīṅ ki qadīm zamāne meṅJidāūn ke beṭe Abīmalik ke sāth kyāhuā? Taibiz Shahr meṅ ek aurat hīne use mār ḍālā. Aur wajah yih thīki wuh qile ke itne qarīb ā gayā thāki aurat dīwār par se chakkī kā ūparkā pāṭ us par phaiṅk sakī. Shahr kīfasīl ke is qadar qarīb laṛne kī kyāzarūrat thī?’ Agar bādshāh āp paraise ilzāmāt lagāeṅ to jawāb meṅbas itnā hī kah denā, ‘Ūriyāh Hittībhī mārā gayā hai.’”

22Qāsid rawānā huā. JabYarūshalam pahuṅchā to us neDāūd ko Yoāb kā pūrā paiġhāmsunā diyā, 23“Dushman ham sezyādā tāqatwar the. Wuh shahr senikal kar khule maidān meṅ ham

par ṭūṭ paṛe. Lekin ham ne un kāsāmnā yoṅ kiyā ki wuh pīchhe haṭgae. Balki ham ne un kā tāqqubshahr ke darwāze tak kiyā. 24Lekinafsos ki phir kuchh tīrandāz hampar fasīl par se tīr barsāne lage.Āp ke kuchh khādim khet āe aurŪriyāh Hittī bhī un meṅ shāmilhai.” 25Dāūd ne jawāb diyā, “Yoābko batā denā ki yih muāmalā āp kohimmat hārne na de. Jang to aisīhī hotī hai. Kabhī koī yahāṅ talwārkā luqmā ho jātā hai, kabhī wahāṅ.Pūre azm ke sāth shahr se jang jārīrakh kar use tabāh kar deṅ. Yih kahkar Yoāb kī hauslā‐afzāī kareṅ.”

26Jab Bat‐sabā ko ittalā milī kiŪriyāh nahīṅ rahā to us ne us kāmātam kiyā. 27Mātam kāwaqt pūrāhuā to Dāūd ne use apne ghar bulākar us se shādī kar lī. Phir us kebeṭā paidā huā.Lekin Dāūd kī yih harkat Rab ko

nihāyat burī lagī.

Nātan Dāūd koMujrimṬhahrātā Hai

12 Rab ne Nātan Nabī koDāūd ke pās bhej diyā.

Bādshāh ke pās pahuṅch kar wuhkahne lagā, “Kisī shahr meṅ do

Page 212: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

206 2 Samuel 12:12

ādmī rahte the. Ek amīr thā,dūsrā ġharīb. 2Amīr kī bahut bheṛ‐bakriyāṅ aur gāy‐bail the, 3lekinġharīb ke pās kuchh nahīṅ thā,sirf bheṛ kī nanhī‐sī bachchī jous ne kharīd rakhī thī. Ġharīb uskī parwarish kartā rahā, aur wuhghar meṅ us ke bachchoṅ ke sāthsāth baṛī hotī gaī. Wuh us kī pleṭse khātī, us ke pyāle se pītī aurrāt ko us ke bāzuoṅ meṅ so jātī.Ġharz bheṛ ġharīb ke lie beṭī kī‐sīhaisiyat rakhtī thī. 4Ek din amīrke hāṅ mehmān āyā. Jab us ke liekhānā pakānā thā to amīr kā dilnahīṅ kartā thā ki apne rewaṛ meṅse kisī jānwar ko zabah kare, is lieus ne ġharīb ādmī se us kī nanhī‐sī bheṛ le kar use mehmān ke lietaiyār kiyā.”

5Yih sun karDāūd ko baṛā ġhussāāyā. Wuh pukārā, “Rab kī hayātkī qasam, jis ādmī ne yih kiyā wuhsazā‐e‐maut ke lāyq hai. 6Lāzimhai ki wuh bheṛ kī bachchī ke ewazġharīb ko bheṛ ke chār bachche de.Yihī us kī munāsib sazā hai, kyoṅkius ne aisī harkat karke ġharīb partars na khāyā.”

7Nātan ne Dāūd se kahā, “Āphī wuh ādmī haiṅ! Rab Isrāīl kāKhudā farmātā hai, ‘Maiṅ ne tujhe

masah karke Isrāīl kā bādshāhbanā diyā, aur maiṅ hī ne tujheSāūl se mahfūz rakhā. 8Sāūl kāgharānā us kī bīwiyoṅ samet maiṅne tujhe de diyā. Hāṅ, pūrā Isrāīlaur Yahūdāh bhī tere taht ā gaehaiṅ. Aur agar yih tere lie kamhotā to maiṅ tujhe mazīd dene kelie bhī taiyār hotā. 9Ab mujhebatā ki tū ne merī marzī ko haqīrjān kar aisī harkat kyoṅ kī haijis se mujhe nafrat hai? Tū neŪriyāh Hittī ko qatl karwā ke us kībīwī ko chhīn liyā hai. Hāṅ, tūqātil hai, kyoṅki tū ne hukm diyāki Ūriyāh ko Ammoniyoṅ se laṛtelaṛte marwānā hai. 10Chūṅki tū nemujhe haqīr jān kar Ūriyāh Hittīkī bīwī ko us se chhīn liyā is lieāindā talwār tere gharāne se nahīṅhaṭegī.’

11Rab farmātā hai, ‘Maiṅ honedūṅgā ki tere apne khāndān meṅse musībat tujh par āegī. Teredekhte dekhte maiṅ terī bīwiyoṅko tujh se chhīn kar tere qarīb keādmī ke hawāle kar dūṅgā, aurwuhalāniyā un se hambistar hogā. 12Tūne chupke se gunāh kiyā, lekinjo kuchh maiṅ jawāb meṅ honedūṅgā wuh alāniyā aur pūre Isrāīlke dekhte dekhte hogā.’”

Page 213: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 12:13 207

13Tab Dāūd ne iqrār kiyā, “Maiṅne Rab kā gunāh kiyā hai.” Nātanne jawāb diyā, “Rab ne āp ko muāfkar diyā hai aur āp nahīṅ mareṅge.14Lekin is harkat se āp ne Rabke dushmanoṅ ko kufr bakne kāmauqā farāham kiyā hai, is lie Bat‐sabā se hone wālā beṭā mar jāegā.”

15Tab Nātan apne ghar chalāgayā.

Dāūd kā Beṭā Mar Jātā HaiPhir Rab ne Bat‐sabā ke beṭe kochhū diyā, aur wuh sakht bīmār hogayā. 16Dāūd ne Allāh se iltamāskī ki bachche ko bachne de. Rozārakh kar wuh rāt ke waqt nangefarsh par sone lagā. 17Ghar kebuzurg us ke irdgird khaṛe koshishkarte rahe ki wuh farsh se uṭh jāe,lekin befāydā. Wuh un ke sāthkhāne ke lie bhī taiyār nahīṅ thā.

18Sātweṅ din beṭā faut ho gayā.Dāūd ke mulāzimoṅ ne use khabarpahuṅchāne kī jurrat na kī, kyoṅkiunhoṅ ne sochā, “Jab bachchā abhīzindā thā to ham ne use samjhānekī koshish kī, lekin us ne hamārīek bhī na sunī. Ab agar bachche kīmaut kī khabar deṅ to khatrā hai kiwuh koī nuqsāndeh qadam uṭhāe.”

19Lekin Dāūd ne dekhā kimulāzim dhīmī āwāz meṅ ek dūsrese bāt kar rahe haiṅ. Us ne pūchhā,“Kyā beṭā mar gayā hai?” Unhoṅ nejawāb diyā, “Jī, wuh mar gayā hai.”

20Yih sun kar Dāūd farsh par seuṭh gayā. Wuh nahāyā aur jism kokhushbūdār tel semal kar sāf kapṛepahan lie. Phir us ne Rab ke gharmeṅ jā kar us kī parastish kī. Iske bād wuhmahal meṅ wāpas gayāaur khānāmangwā kar khāyā. 21Uske mulāzim hairān hue aur bole,“Jab bachchā zindā thā to āp rozārakh kar rote rahe. Ab bachchājāṅ bahaq ho gayā hai to āp uṭhkar dubārā khānā khā rahe haiṅ.Kyā wajah hai?” 22Dāūd ne jawābdiyā, “Jab tak bachchā zindā thāto maiṅ rozā rakh kar rotā rahā.Khayāl yih thā ki shāyad Rab mujhpar rahm karke use zindā chhoṛ de.23Lekin jab wuh kūch kar gayā haito ab rozā rakhne kā kyā fāydā? Kyāmaiṅ is se use wāpas lā saktā hūṅ?Hargiz nahīṅ! Ek din maiṅ khudhī us ke pās pahuṅchūṅgā. Lekinus kā yahāṅ mere pās wāpas ānānāmumkin hai.”

24Phir Dāūd ne apnī bīwī Bat‐sabā ke pās jā kar use tasallī dī aurus se hambistar huā. Tab us ke ek

Page 214: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

208 2 Samuel 13:4

aur beṭā paidā huā. Dāūd ne uskā nām Sulemān yānī Amnpasandrakhā. Yih bachchā Rab ko pyārāthā, 25is lie us ne Nātan Nabīkī mārifat ittalā dī ki us kā nāmYadīdiyāh yānī ‘Rab ko Pyārā’ rakhājāe.

Rabbā Shahr par Fatah26Ab tak Yoāb Ammonī dārul‐hukūmat Rabbā kā muhāsarā kiehue thā. Phirwuh shahr ke ek hissebanām ‘Shāhī Shahr’ par qabzākarne meṅ kāmyāb ho gayā. 27Usne Dāūd ko ittalā dī, “Maiṅ neRabbā par hamlā karke us jagahpar qabzā kar liyā hai jahāṅ pānīdastyāb hai. 28Chunāṅche ab faujke bāqī afrād ko lā kar khud shahrpar qabzā kar leṅ. Warnā logsamjheṅge ki maiṅ hī shahr kāfāteh hūṅ.”

29Chunāṅche Dāūd fauj ke bāqīafrād ko le kar Rabbā pahuṅchā.Jab shahr par hamlā kiyā to wuhus ke qabze meṅ ā gayā. 30Dāūdne Hanūn Bādshāh kā tāj us ke sarse utār kar apne sar par rakh liyā.Sone ke is tāj kā wazn 34 kilogrāmthā, aur us meṅ ek beshqīmatjauhar jaṛā huā thā. Dāūd ne shahr

se bahut‐sā lūṭā huā māl le kar 31uske bāshindoṅ ko ġhulām banā liyā.Unheṅ patthar kāṭne kī āriyāṅ,lohe kī kudāleṅ aur kulhāṛiyāṅdī gaīṅ tāki wuh mazdūrī kareṅaur bhaṭṭoṅ par kām kareṅ. Yihīsulūk bāqī Ammonī shahroṅ kebāshindoṅ ke sāth bhī kiyā gayā.Jang ke ikhtitām par Dāūd pūrī

fauj ke sāth Yarūshalam lauṭ āyā.

Tamr kī Ismatdarī

13 Dāūd ke beṭe Abīsalūm kīkhūbsūrat bahan thī jis kā

nām Tamr thā. Us kā sautelā bhāīAmnon Tamr se shadīd muhabbatkarne lagā. 2Wuh Tamr ko itnīshiddat se chāhne lagā ki ranjish kebāis bīmār ho gayā, kyoṅki Tamrkuṅwārī thī, aur Amnon ko us keqarīb āne kā koī rāstā nazar na āyā.

3Amnon kā ek dost thā jis kā nāmYūnadab thā. Wuh Dāūd ke bhāīSimā kā beṭā thā aur baṛā zahīnthā. 4Us ne Amnon se pūchhā,“Bādshāh ke beṭe, kyā maslā hai?Roz baroz āp zyādā bujhe hue nazarā rahe haiṅ. Kyā āp mujhe nahīṅbatāeṅge ki bāt kyā hai?” Amnonbolā, “Maiṅ Abīsalūm kī bahanTamr se shadīd muhabbat kartā

Page 215: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 13:5 209

hūṅ.” 5Yūnadab ne apne dost komashwarā diyā, “Bistar par leṭ jāeṅaur aisā zāhir kareṅ goyā bīmārhaiṅ. Jab āp ke wālid āp kā hālpūchhne āeṅge to un se darkhāstkarnā, ‘Merī bahan Tamr ā karmujhe marīzoṅ kā khānā khilāe.Wuhmere sāmne khānā taiyār karetākimaiṅuse dekhkar us kehāth sekhānā khāūṅ.’”

6Chunāṅche Amnon ne bistarpar leṭ kar bīmār hone kā bahānākiyā. Jab bādshāh us kā hālpūchhne āyā to Amnon ne guzārishkī, “Merī bahan Tamr mere pāsāe aur mere sāmne marīzoṅ kākhānā banā karmujhe apne hāth sekhilāe.”

7DāūdneTamr ko ittalā dī, “Āp kābhāī Amnon bīmār hai. Us ke pāsjā kar us ke lie marīzoṅ kā khānātaiyār kareṅ.” 8Tamr ne Amnonke pās ā kar us kī maujūdagī meṅmaidā gūṅdhā aur khānā taiyārkarke pakāyā. Amnon bistar parleṭā use dekhtā rahā. 9Jab khānāpak gayā to Tamr ne use Amnonke pās lā kar pesh kiyā. Lekin usne khāne se inkār kar diyā. Us nehukm diyā, “Tamām naukar kamrese bāhar nikal jāeṅ!” Jab sab chalegae 10to usneTamr se kahā, “Khāne

ko mere sone ke kamre meṅ leāeṅ tāki maiṅ āp ke hāth se khāsakūṅ.” Tamr khāne ko le kar soneke kamre meṅ apne bhāī ke pās āī.

11Jab wuh use khānā khilāne lagīto Amnonne use pakaṛ kar kahā, “Āmerī bahan, mere sāth hambistarho!” 12Wuh pukārī, “Nahīṅ, merebhāī! Merī ismatdarī na kareṅ.Aisā amal Isrāīlmeṅmanā hai. Aisībedīn harkat mat karnā! 13Auraisī behurmatī ke bād maiṅ kahāṅjāūṅ? Jahāṅ tak āp kā tālluq haiIsrāīlmeṅ āp kī burī tarah badnāmīho jāegī, aur sab samjheṅge kiāp nihāyat sharīr ādmī haiṅ. Āpbādshāh se bāt kyoṅ nahīṅ karte?Yaqīnan wuh āp ko mujh se shādīkarne se nahīṅ rokeṅge.” 14LekinAmnon ne us kī na sunī balki usepakaṛ kar us kī ismatdarī kī.

15Lekin phir achānak us kīmuhabbat sakht nafrat meṅ badalgaī. Pahle to wuh Tamr se shadīdmuhabbat kartā thā, lekin ab wuhis se baṛh kar us se nafrat karnelagā. Us ne hukm diyā, “Uṭh, dafāho jā!” 16Tamr ne iltamās kī, “Hāy,aisā mat karnā. Agar āp mujhenikāleṅge to yih pahle gunāh sezyādā sangīn jurm hogā.” LekinAmnon us kī sunane ke lie taiyār

Page 216: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

210 2 Samuel 13:27

na thā. 17Us ne apne naukar kobulā kar hukm diyā, “Is aurat koyahāṅ se nikāl do aur is ke pīchhedarwāzā band karke kunḍī lagāo!”18Naukar Tamr ko bāhar le gayā aurphir us ke pīchhe darwāzā bandkarke kunḍī lagā dī.Tamr ek lambe bāzuoṅ wālā frāk

pahne hue thī. Bādshāh kī tamāmkuṅwārī beṭiyāṅ yihī libās pahnākartī thīṅ. 19Baṛī ranjish ke ālammeṅ us ne apnā yih libās phāṛ karapne sar par rākh ḍāl lī. Phir apnāhāth sar par rakh kar wuh chīkhtī‐chillātī wahāṅ se chalī gaī. 20Jabghar pahuṅch gaī to Abīsalūm neus se pūchhā, “Merī bahan, kyāAmnon ne āp se ziyādatī kī hai?Ab khāmosh ho jāeṅ. Wuh to āpkā bhāī hai. Is muāmale ko hadse zyādā ahmiyat mat denā.” Uswaqt se Tamr akelī hī apne bhāīAbīsalūm ke ghar meṅ rahī.

21JabDāūd ko is wāqiye kī khabarmilī to use sakht ġhussā āyā.22Abīsalūm ne Amnon se ek bhībāt na kī. Na us ne us par koīilzām lagāyā, na koī achchhī bāt kī,kyoṅki Tamr kī ismatdarī kī wajahse wuh apne bhāī se sakht nafratkarne lagā thā.

Abīsalūm kā Intaqām23Do sāl guzar gae. Abīsalūm kībheṛeṅ Ifrāīmkeqarīb keBāl‐hasūrmeṅ lāī gaīṅ tāki un ke bāl katrejāeṅ. Is mauqe par Abīsalūm nebādshāh ke tamām beṭoṅ ko dāwatdī ki wuhwahāṅ ziyāfatmeṅ sharīkhoṅ. 24Wuh Dāūd Bādshāh ke pāsbhī gayā aur kahā, “In dinoṅ meṅmaiṅ apnī bheṛoṅ ke bāl katrā rahāhūṅ. Bādshāh aur un ke afsaroṅko bhī mere sāth khushī manāne kīdāwat hai.”

25Lekin Dāūd ne inkār kiyā,“Nahīṅ, mere beṭe, ham sab tonahīṅ ā sakte. Itne log āp ke liebojh kā bāis ban jāeṅge.” Abīsalūmbahut isrār kartā rahā, lekin Dāūdne dāwat ko qabūl na kiyā balki usebarkat de kar rukhsat karnā chāhtāthā.

26Ākhirkār Abīsalūmne darkhāstkī, “Agar āp hamāre sāth jā nasakeṅ to phir kam az kam merebhāī Amnon ko āne deṅ.” Bādshāhne pūchhā, “Khāskar Amnon kokyoṅ?” 27Lekin Abīsalūm itnā zordetā rahā ki Dāūd ne Amnon kobāqī beṭoṅ samet Bāl‐hasūr jāne kīijāzat de dī.

Page 217: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 13:28 211

28Ziyāfat se pahle Abīsalūm neapne mulāzimoṅ ko hukm diyā,“Suneṅ! Jab Amnon mai pī pīkar khush ho jāegā to maiṅ āp koAmnon ko mārne kā hukm dūṅgā.Phir āp ko use mār ḍālnā hai.Ḍareṅ mat, kyoṅki maiṅ hī ne āpko yih hukm diyā hai. Mazbūt aurdiler hoṅ!”

29Mulāzimoṅ ne aisā hī kiyā.Unhoṅ ne Amnon ko mār ḍālā. Yihdekh kar bādshāh ke dūsre beṭe uṭhkar apne khachcharoṅ par sawārhue aur bhāg gae. 30Wuh abhīrāste meṅ hī the ki afwāh Dāūdtak pahuṅchī, “Abīsalūm ne āp ketamām beṭoṅ ko qatl kar diyā hai.Ek bhī nahīṅ bachā.”

31Bādshāh uṭhā aur apne kapṛephāṛ kar farsh par leṭ gayā. Us kedarbārī bhī dukh meṅ apne kapṛephāṛ phāṛ kar us ke pās khaṛe rahe.32Phir Dāūd kā bhatījā Yūnadab boluṭhā, “Mere āqā, āp na socheṅ kiunhoṅ ne tamām shahzādoṅ komār ḍālā hai. Sirf Amnonmar gayāhogā, kyoṅki jab se us ne Tamr kīismatdarī kī uswaqt se Abīsalūmkāyihī irādā thā. 33Lihāzā is khabar koitnī ahmiyat na deṅ ki tamām beṭehalāk hue haiṅ. Sirf Amnon margayā hogā.”

34Itne meṅ Abīsalūm farār hogayā thā. Phir Yarūshalam kī fasīlpar khaṛe pahredār ne achānakdekhā ki maġhrib se logoṅ kā baṛāguroh shahr kī taraf baṛh rahā hai.Wuh pahāṛī ke dāman meṅ chaleā rahe the. 35Tab Yūnadab nebādshāh se kahā, “Lo, bādshāh kebeṭe ā rahe haiṅ, jis tarah āp kekhādim ne kahā thā.” 36Wuh abhīapnī bāt khatm kar hī rahā thāki shahzāde andar āe aur khūb ropaṛe. Bādshāh aur us ke afsar bhīrone lage.

37Dāūd baṛī der tak Amnon kāmātam kartā rahā. Lekin Abīsalūmne farār ho kar Jasūr ke bādshāhTalmī bin Ammīhūd ke pās panāhlī jo us kā nānā thā. 38Wahāṅ wuhtīn sāl tak rahā. 39Phir ek waqt āgayā ki Dāūd kā Amnon ke lie dukhdūrho gayā, aur us kāAbīsalūmparġhussā tham gayā.

Yoāb Abīsalūm kī SifārishKartā Hai

14 Yoāb bin Zarūyāh komālūm huā ki bādshāh

apne beṭe Abīsalūm ko chāhtāhai, 2is lie us ne Taqua se ekdānishmand aurat ko bulāyā. Yoāb

Page 218: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

212 2 Samuel 14:13

ne use hidāyat dī, “Mātam kā rūpbhareṅ jaise āp der se kisī kāmātam kar rahī hoṅ. Mātam kekapṛe pahan kar khushbūdār telmat lagānā. 3Bādshāh ke pās jā karus se bāt kareṅ.” Phir Yoāb ne auratko lafz balafz wuh kuchh sikhāyā jouse bādshāh ko batānā thā.

4Dāūd ke darbār meṅ ā karaurat ne aundhe muṅh jhuk kariltamās kī, “Ai bādshāh, merīmadad kareṅ!” 5Dāūd ne dariyāftkiyā, “Kyā maslā hai?” Aurat nejawāb diyā, “Maiṅ bewā hūṅ, merāshauhar faut ho gayā hai. 6Aurmere dobeṭe the. Ek dinwuhbāharkhet meṅ ek dūsre se ulajh paṛe.Aur chūṅki koī maujūd nahīṅ thājo donoṅ ko alag kartā is lie ek nedūsre ko mār ḍālā. 7Us waqt sepūrā kumbā mere khilāf uṭh khaṛāhuā hai. Wuh taqāzā karte haiṅ kimaiṅ apne beṭe ko un ke hawālekarūṅ. Wuh kahte haiṅ, ‘Us neapne bhāī ko mār diyā hai, is lieham badle meṅ use sazā‐e‐mautdeṅge. Is tarah wāris bhī nahīṅrahegā.’ Yoṅ wuh merī ummīdkī ākhirī kiran ko khatm karnāchāhte haiṅ. Kyoṅki agar merā yihbeṭā bhī mar jāe to mere shauharkā nām qāym nahīṅ rahegā, aur

us kā khāndān rū‐e‐zamīn par semiṭ jāegā.” 8Bādshāh ne aurat sekahā, “Apne ghar chalī jāeṅ aur fikrna kareṅ. Maiṅ muāmalā hal kardūṅgā.”

9Lekin aurat ne guzārish kī, “Aibādshāh, ḍar hai ki log phir bhīmujhe mujrim ṭhahrāeṅge agarmere beṭe ko sazā‐e‐maut na dījāe. Āp par to wuh ilzām nahīṅlagāeṅge.” 10Dāūd ne isrār kiyā,“Agar koī āp ko tang kare to usemere pās le āeṅ. Phir wuh āindāāp ko nahīṅ satāegā!” 11Aurat kotasallī na huī. Us ne guzārish kī, “Aibādshāh, barāh‐e‐karm Rab apneKhudā kī qasam khāeṅ ki āp kisīko bhī maut kā badlā nahīṅ lenedeṅge. Warnā nuqsān meṅ izāfāhogā aurmerā dūsrā beṭā bhī halākho jāegā.” Dāūdne jawābdiyā, “Rabkī hayāt kī qasam, āp ke beṭe kā ekbāl bhī bīkā nahīṅ hogā.”

12Phir aurat asal bāt par ā gaī,“Mere āqā, barāh‐e‐karm apnīkhādimā ko ek aur bāt karne kīijāzat deṅ.” Bādshāh bolā, “Kareṅbāt.” 13Tab aurat ne kahā, “Āp khudkyoṅ Allāh kī qaum ke khilāf aisāirādā rakhte haiṅ jise āp ne abhīabhī ġhalat qarār diyā hai? Āpne khud farmāyā hai ki yih ṭhīk

Page 219: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 14:14 213

nahīṅ, aur yoṅ āp ne apne āp ko hīmujrim ṭhahrāyā hai. Kyoṅki āp neapne beṭe ko radd karke use wāpasāne nahīṅ diyā. 14Beshak hamsab ko kisī waqt marnā hai. Hamsab zamīn par unḍele gae pānī kīmānindhaiṅ jise zamīn jazb kar letīhai aur jo dubārā jamānahīṅ kiyā jāsaktā. Lekin Allāh hamārī zindagīko bilāwajah miṭā nahīṅ detā balkiaise mansūbe taiyār rakhtā hai jinke zariye mardūd shakhs bhī us kepās wāpas ā sake aur us se dūr narahe. 15Ai bādshāhmere āqā, maiṅis waqt is lie āp ke huzūr āī hūṅ kimere log mujhe ḍarāne kī koshishkar rahe haiṅ. Maiṅ ne sochā,maiṅ bādshāh se bāt karne kī jurratkarūṅgī, shāyad wuh merī suneṅ16aur mujhe us ādmī se bachāeṅ jomujhe aurmere beṭe ko usmaurūsīzamīn se mahrūm rakhnā chāhtāhai jo Allāh ne hameṅ de dī hai.17Khayāl yih thā ki agar bādshāhmuāmalā hal kar deṅ to phirmujhedubārā sukūn milegā, kyoṅki āpachchhī aur burī bātoṅ kā imtiyāzkarne meṅ Allāh ke farishte jaisehaiṅ. Rab āp kā Khudā āp ke sāthho.”

18Yih sab kuchh sun kar Dāūdbol uṭhā, “Ab mujhe ek bāt batāeṅ.

Is kā sahīh jawāb deṅ.” Auratne jawāb diyā, “Jī mere āqā, bātfarmāie.” Dāūd ne pūchhā, “KyāYoāb ne āp se yih kām karwāyā?”19Aurat pukārī, “Bādshāh kī hayātkī qasam, jo kuchh bhī mere āqāfarmāte haiṅ wuh nishāne par lagjātā hai, khāh bandā bāīṅ yā dāīṅtaraf haṭne kī koshish kyoṅna kare.Jī hāṅ, āp ke khādimYoābnemujheāp ke huzūr bhej diyā. Us nemujhelafz balafz sab kuchh batāyā jomujhe āpko arz karnā thā, 20kyoṅkiwuh āp ko yih bāt barāh‐e‐rāstnahīṅpeshkarnā chāhtā thā. Lekinmere āqā ko Allāh ke farishte kī‐sī hikmat hāsil hai. Jo kuchh bhīmulk meṅ wuqū meṅ ātā hai us kāāp ko patā chal jātā hai.”

Abīsalūm kīWāpasī21Dāūd ne Yoāb ko bulā kar usse kahā, “Ṭhīk hai, maiṅ āp kīdarkhāst pūrī karūṅga. Jāeṅ, merebeṭe Abīsalūm ko wāpas le āeṅ.”22Yoāb aundhe muṅh jhuk gayāaur bolā, “Rab bādshāh ko barkatde! Mere āqā, āj mujhe mālūmhuā hai ki maiṅ āp ko manzūrhūṅ, kyoṅki āp ne apne khādim kīdarkhāst ko pūrā kiyā hai.” 23Yoāb

Page 220: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

214 2 Samuel 15:1

rawānā ho kar Jasūr chalā gayāaur wahāṅ se Abīsalūm ko wāpaslāyā. 24Lekin jab wuh Yarūshalampahuṅche to bādshāh ne hukmdiyā, “Use apne ghar meṅ rahne kīijāzat hai, lekin wuh kabhī mujhenazar na āe.” Chunāṅche Abīsalūmapne ghar meṅ dubārā rahne lagā,lekin bādshāh se kabhī mulāqāt naho sakī.

25Pūre Isrāīl meṅ Abīsalūm jaisākhūbsūrat ādmī nahīṅ thā. Sab uskī khās tārīf karte the, kyoṅki sarse le kar pāṅwoṅ tak us meṅ koīnuqs nazar nahīṅ ātā thā. 26Sālmeṅ wuh ek hī martabā apne bālkaṭwātā thā, kyoṅki itne meṅ uske bāl had se zyādā waznī ho jātethe. Jab unheṅ tolā jātā to un kāwazn taqrīban sawā do kilogrāmhotā thā. 27Abīsalūmke tīn beṭe aurek beṭī thī. Beṭī kā nām Tamr thāaur wuh nihāyat khūbsūrat thī.

28Do sāl guzar gae. Phir bhīAbīsalūm ko bādshāh se milne kīijāzat na milī. 29Phir us ne Yoābko ittalā bhejī ki wuh us kī sifārishkare. Lekin Yoāb ne āne se inkārkiyā. Abīsalūm ne use dubārābulāne kī koshish kī, lekin is bārbhī Yoāb us ke pās na āyā. 30TabAbīsalūm ne apne naukaroṅ ko

hukm diyā, “Dekho, Yoāb kā khetmere khet se mulhiq hai, aur usmeṅ jau kī fasal pak rahī hai. Jāo,use āg lagā do!” Naukar gae aur aisāhī kiyā.

31Jab khet meṅ āg lag gaī toYoāb bhāg kar Abīsalūm ke pās āyāaur shikāyat kī, “Āp ke naukaroṅne mere khet ko āg kyoṅ lagāīhai?” 32Abīsalūm ne jawāb diyā,“Dekheṅ, āp nahīṅ āe jab maiṅ neāp ko bulāyā. Kyoṅki maiṅ chāhtāhūṅ ki āp bādshāh ke pās jā karun se pūchheṅ ki mujhe Jasūr sekyoṅ lāyā gayā. Behtar hotā kimaiṅwahīṅ rahtā. Ab bādshāh mujh semileṅ yā agar wuh ab tak mujhequsūrwār ṭhahrāte haiṅ to mujhesazā‐e‐maut deṅ.”

33Yoāb ne bādshāh ke pās jākar use yih paiġhām pahuṅchāyā.Phir Dāūd ne apne beṭe ko bulāyā.Abīsalūm andar āyā aur bādshāhke sāmne aundhe muṅh jhuk gayā.Phir bādshāh ne Abīsalūm ko bosādiyā.

Abīsalūm kī Sāzish

15 Kuchh der ke bādAbīsalūm ne rath aur

ghoṛe kharīde aur sāth sāth 50

Page 221: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 15:2 215

muhāfiz bhī rakhe jo us ke āgeāge dauṛeṅ. 2Rozānā wuh subah‐sawere uṭh kar shahr ke darwāzepar jātā. Jab kabhī koī shakhs ismaqsad se shahr meṅ dākhil hotāki bādshāh us ke kisī muqaddamekā faislā kare to Abīsalūm us semukhātib ho kar pūchhtā, “Āp kisshahr se haiṅ?” Agar wuh jawābdetā, “Maiṅ Isrāīl ke fulāṅ qabīle sehūṅ,” 3to Abīsalūm kahtā, “Beshakāp is muqaddame ko jīt sakte haiṅ,lekin afsos! Bādshāh kā koī bhībandā is par sahīh dhyān nahīṅdegā.” 4Phir wuh bāt jārī rakhtā,“Kāsh maiṅ hī mulk par ālā qāzīmuqarrar kiyā gayā hotā! Phir sablog apne muqaddame mujhe peshkar sakte aur maiṅ un kā sahīhinsāf kar detā.” 5Aur agar koī qarībā kar Abīsalūm ke sāmne jhuknelagtā to wuh use rok kar us ko galelagātā aur bosā detā. 6Yih us kā untamām Isrāīliyoṅ ke sāth sulūk thājo apne muqaddame bādshāh kopesh karne ke lie āte the. Yoṅ usne Isrāīliyoṅ ke diloṅ ko apnī tarafmāyl kar liyā.

7Yih silsilā chār sāl jārī rahā. Ekdin Abīsalūm ne Dāūd se bāt kī,“Mujhe Habrūn jāne kī ijāzat dījie,kyoṅki maiṅ ne Rab se aisī mannat

mānī hai jis ke lie zarūrī hai kiHabrūn jāūṅ. 8Kyoṅki jab maiṅJasūr meṅ thā to maiṅ ne qasamkhā kar wādā kiyā thā, ‘Ai Rab, agartū mujhe Yarūshalam wāpas lāe tomaiṅ Habrūn meṅ terī parastishkarūṅga.’” 9Bādshāh ne jawāb diyā,“Ṭhīk hai. Salāmatī se jāeṅ.”

10Lekin Habrūn pahuṅch karAbīsalūm ne khufiyā taur par apneqāsidoṅ ko Isrāīl ke tamām qabāylīilāqoṅ meṅ bhej diyā. Jahāṅbhī wuh gae unhoṅ ne elān kiyā,“Jyoṅ hī narsinge kī āwāz sunāī deāp sab ko kahnā hai, ‘AbīsalūmHabrūn meṅ bādshāh ban gayāhai.’” 11Abīsalūm ke sāth 200mehmān Yarūshalam se Habrūnāe the. Wuh belaus the, aur unheṅis ke bāre meṅ ilm hī na thā.

12Jab Habrūn meṅ qurbāniyāṅchaṛhāī jā rahī thīṅ to Abīsalūm neDāūd ke ek mushīr ko bulāyā joJiloh kā rahne wālā thā. Us kā nāmAkhītufal Jilonī thā. Wuh āyā aurAbīsalūm ke sāth mil gayā. YoṅAbīsalūm ke pairokāroṅ meṅ izāfāhotā gayā aur us kī sāzisheṅ zorpakaṛne lagīṅ.

Page 222: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

216 2 Samuel 15:23

Dāūd Yarūshalam se HijratKartā Hai

13Ek qāsid ne Dāūd ke pās pahuṅchkar use ittalā dī, “Abīsalūm āpke khilāf uṭh khaṛā huā hai, aurtamām Isrāīl us ke pīchhe lag gayāhai.” 14Dāūd ne apne mulāzimoṅse kahā, “Āo, ham fauran hijratkareṅ, warnā Abīsalūm ke qabzemeṅ ā jāeṅge. Jaldī kareṅ tāki hamfauran rawānā ho sakeṅ, kyoṅkiwuh koshish karegā ki jitnī jaldīho sake yahāṅ pahuṅche. Agarham us waqt shahr se nikle nahoṅ to wuh ham par āfat lā karshahr kebāshindoṅkomārḍālegā.”15Bādshāh ke mulāzimoṅ ne jawābdiyā, “Jo bhī faislā hamāre āqā aurbādshāh kareṅ ham hāzir haiṅ.”

16Bādshāh apne pūre khāndān kesāth rawānā huā. Sirf das dāshtāeṅmahal ko saṅbhālne ke lie pīchherah gaīṅ. 17Jab Dāūd apne tamāmlogoṅ ke sāth shahr ke ākhirī ghartak pahuṅchā to wuh ruk gayā.18Us ne apne tamām pairokāroṅko āge nikalne diyā, pahle shāhīdaste Karetī‐o‐Faletī ko, phir un600 jātī ādmiyoṅ ko jo us ke sāthJāt se yahāṅ āe the aur ākhir meṅbāqī tamām logoṅ ko. 19Jab Filistī

shahr Jāt kā ādmī Ittī Dāūd kesāmne se guzarne lagā to bādshāhus se mukhātib huā, “Āp hamāresāth kyoṅ jāeṅ? Nahīṅ, wāpaschale jāeṅ aur nae bādshāh ke sāthraheṅ. Āp to ġhairmulkī haiṅ auris lie Isrāīl meṅ rahte haiṅ ki āp kojilāwatan kar diyā gayā hai. 20Āpko yahāṅ āe thoṛī der huī hai, tokyā munāsib hai ki āp ko dubārāmerī wajah se kabhī idhar kabhīidhar ghūmnā paṛe? Kyā patā haiki mujhe kahāṅ kahāṅ jānā paṛe.Is lie wāpas chale jāeṅ, aur apnehamwatanoṅ ko bhī apne sāth lejāeṅ. Rab āppar apnīmehrbānī aurwafādārī kā izhār kare.”

21Lekin Ittī ne etarāz kiyā, “Mereāqā, Rab aur bādshāh kī hayāt kīqasam, maiṅ āp ko kabhī nahīṅchhoṛ saktā, khāh mujhe apnī jānbhī qurbān karnī paṛe.” 22TabDāūd mān gayā. “Chalo, phir āgenikleṅ!” Chunāṅche Ittī apne logoṅaur un ke khāndānoṅ ke sāth āgeniklā. 23Ākhir meṅ Dāūd ne Wādī‐e‐Qidron ko pār karke registān kītaraf rukh kiyā. Gird‐o‐nawāhke tamām log bādshāh ko us kepairokāroṅ samet rawānā hote huedekh kar phūṭ phūṭ kar rone lage.

Page 223: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 15:24 217

24Sadoq Imām aur tamām Lāwībhī Dāūd ke sāth shahr se nikal āethe. Lāwī ahd kā sandūq uṭhāe chalrahe the. Ab unhoṅ ne use shahrse bāhar zamīn par rakh diyā,aur Abiyātar wahāṅ qurbāniyāṅchaṛhāne lagā. Logoṅ ke shahrse nikalne ke pūre arse ke daurānwuh qurbāniyāṅ chaṛhātā rahā.25Phir Dāūd Sadoq se mukhātibhuā, “Allāh kā sandūq shahr meṅwāpas le jāeṅ. Agar Rab kī nazar‐e‐karm mujh par huī to wuh kisīdin mujhe shahr meṅ wāpas lā karahd ke sandūq aur us kī sukūnatgāhko dubārā dekhne kī ijāzat degā.26Lekin agar wuh farmāe ki tūmujhe pasand nahīṅ hai, to maiṅyih bhī bardāsht karne ke lie taiyārhūṅ. Wuh mere sāth wuh kuchhkare jo use munāsib lage.

27Jahāṅ tak āp kā tālluq hai, apnebeṭe Akhīmāz ko sāth le kar sahīh‐salāmat shahr meṅ wāpas chalejāeṅ. Abiyātar aur us kā beṭāYūnatanbhī sāth jāeṅ. 28Maiṅ khudregistān meṅ Dariyā‐e‐Yardan kīus jagah ruk jāūṅgā jahāṅ hamāsānī se dariyā ko pār kar sakeṅge.Wahāṅ āp mujhe Yarūshalam kehālāt ke bāre meṅ paiġhām bhej

sakte haiṅ. Maiṅ āp ke intazār meṅrahūṅgā.”

29Chunāṅche Sadoq aur Abiyātarahd kā sandūq shahr meṅ wāpasle jā kar wahīṅ rahe. 30Dāūd roterote Zaitūn ke pahāṛ par chaṛhnīlagā. Us kā sar ḍhāṅpā huā thā,aur wuh nange pāṅw chal rahāthā. Bāqī sab ke sar bhī ḍhāṅpehue the, sab rote rote chaṛhnī lage.31Rāste meṅ Dāūd ko ittalā dī gaī,“Akhītufal bhī Abīsalūmke sāthmilgayā hai.” Yih sun kar Dāūd ne duākī, “Ai Rab, bakhsh de ki Akhītufalke mashware nākām ho jāeṅ.”

32Chalte chalte Dāūd pahāṛ kīchoṭī par pahuṅch gayā jahāṅ Allāhkī parastish kī jātī thī. WahāṅHūsī Arkī us se milne āyā. Uske kapṛe phaṭe hue the, aur sarpar khāk thī. 33Dāūd ne us sekahā, “Agar āp mere sāth jāeṅto āp sirf bojh kā bāis baneṅge.34Behtar hai ki āp lauṭ kar shahrmeṅ jāeṅ aur Abīsalūm se kaheṅ,‘Ai bādshāh, maiṅ āp kī khidmatmeṅ hāzir hūṅ. Pahle maiṅ āp kebāp kī khidmat kartā thā, aur abāp hī kī khidmat karūṅga.’ Agarāp aisā kareṅ to āp Akhītufal kemashware nākām banāne meṅmerī baṛī madad kareṅge. 35‐36Āp

Page 224: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

218 2 Samuel 16:8

akele nahīṅ hoṅge. Donoṅ imāmSadoq aur Abiyātar bhī Yarūshalammeṅ pīchhe rah gae haiṅ. Darbārmeṅ jo bhīmansūbebāndhe jāeṅgewuh unheṅ batāeṅ. Sadoq kābeṭā Akhīmāz aur Abiyātar kābeṭā Yūnatan mujhe har khabarpahuṅchāeṅge, kyoṅki wuh bhīshahr meṅ ṭhahre hue haiṅ.”

37Tab Dāūd kā dost Hūsī wāpaschalā gayā. Wuh us waqt pahuṅchgayā jab Abīsalūm Yarūshalammeṅ dākhil ho rahā thā.

ZībāMifībosat ke bāremeṅ Jhūṭ Boltā Hai

16 Dāūd abhī pahāṛ kī choṭīse kuchhāgenikal gayā thā

ki Mifībosat kā mulāzim Zībā usse milne āyā. Us ke pās do gadhethe jin par zīneṅ kasī huī thīṅ. Unpar 200 roṭiyāṅ, kishmish kī 100ṭikkiyāṅ, 100 tāzā phal aur mai kīek mashk ladī huī thī. 2Bādshāhne pūchhā, “Āp in chīzoṅ ke sāthkyā karnā chāhte haiṅ?” Zībā nejawāb diyā, “Gadhe bādshāh kekhāndān ke lie haiṅ, wuh in parbaiṭh kar safr kareṅ. Roṭī aurphal jawānoṅ ke lie haiṅ, aur maiun ke lie jo registān meṅ chalte

chalte thak jāeṅ.” 3Bādshāh nesawāl kiyā, “Āp ke purāne mālik kāpotā Mifībosat kahāṅ hai?” Zībāne kahā, “Wuh Yarūshalam meṅṭhahrā huā hai. Wuh sochtā haiki āj Isrāīlī mujhe bādshāh banādeṅge, kyoṅki maiṅ Sāūl kā potāhūṅ.” 4Yih sun kar Dāūd bolā, “Ājhī Mifībosat kī tamām milkiyat āpke nām muntaqil kī jātī hai!” Zībāne kahā, “Maiṅ āp ke sāmne apneghuṭne ṭektā hūṅ. Rab kare kimaiṅapne āqā aur bādshāhkāmanzūr‐e‐nazar rahūṅ.” 5Jab Dāūd BādshāhBahūrīm ke qarīb pahuṅchā to ekādmī wahāṅ se nikal kar us parlānateṅ bhejne lagā. Ādmī kā nāmSimaī bin Jīrā thā, aur wuh Sāūl kārishtedār thā.

Simaī Dāūd ko Lān‐tān Kartā Hai6Wuh Dāūd aur us ke afsaroṅ parpatthar bhī phaiṅkne lagā, agarcheDāūd ke bāeṅ aur dāeṅ hāth uske muhāfiz aur behtarīn faujī chalrahe the. 7Lānat karte karte Simaīchīkh rahā thā, “Chal, dafā ho jā!Qātil! Badmāsh! 8Yih terā hīqusūr thā ki Sāūl aur us kā khāndāntabāh hue. Ab Rab tujhe jo Sāūlkī jagah takhtnashīn ho gayā hai is

Page 225: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 16:9 219

kī munāsib sazā de rahā hai. Usne tere beṭe Abīsalūm ko terī jagahtakhtnashīn karke tujhe tabāh kardiyā hai. Qātil ko sahīh muāwazāmil gayā hai!”

9Abīshai bin Zarūyāh bādshāh sekahne lagā, “Yih kaisā murdā kuttāhai jo mere āqā bādshāh par lānatkare? Mujhe ijāzat deṅ, to maiṅjā kar us kā sar qalam kar dūṅ.”10Lekin bādshāh ne use rok diyā,“Merā āp aur āp ke bhāī Yoāb sekyā wāstā? Nahīṅ, use lānat karnedeṅ. Ho saktā hai Rab ne useyih karne kā hukm diyā hai. Tophir ham kaun haiṅ ki use rokeṅ.”11Phir Dāūd tamām afsaroṅ se bhīmukhātib huā, “Jabki merā apnābeṭā mujhe qatl karne kī koshishkar rahā hai to Sāūl kā yih rishtedāraisā kyoṅ na kare? Ise chhoṛ do,kyoṅki Rab ne ise yih karne kāhukm diyā hai. 12Shāyad Rab merīmusībat kā lihāz karke Simaī kīlānateṅ barkat meṅ badal de.”

13Dāūd aur us ke logoṅ ne safrjārī rakhā. Simaī qarīb kī pahāṛīḍhalān par us ke barābar chaltechalte us par lānateṅ bhejtā aurpatthar aur miṭṭī ke ḍhele phaiṅktārahā. 14Sab thakemānde Dariyā‐e‐

Yardan ko pahuṅch gae. WahāṅDāūd tāzādam ho gayā.

Abīsalūm YarūshalamMeṅ15Itne meṅ Abīsalūm apnepairokāroṅ ke sāth Yarūshalammeṅ dākhil huā thā. Akhītufal bhīun ke sāth mil gayā thā. 16Thoṛīder ke bād Dāūd kā dost Hūsī ArkīAbīsalūm ke darbār meṅ hāzir hokar pukārā, “Bādshāh zindābād!Bādshāh zindābād!” 17Yih sun karAbīsalūm ne us se tanzan kahā,“Yih kaisī wafādārī hai jo āp apnedost Dāūd ko dikhā rahe haiṅ? Āpapne dost ke sāth rawānā kyoṅna hue?” 18Hūsī ne jawāb diyā,“Nahīṅ, jis ādmī ko Rab aur tamāmIsrāīliyoṅ ne muqarrar kiyā hai,wuhī merā mālik hai, aur usī kīkhidmat meṅ maiṅ hāzir rahūṅgā.19Dūsre, agar kisī kī khidmat karnīhai to kyā Dāūd ke beṭe kī khidmatkarnāmunāsib nahīṅ hai? Jis tarahmaiṅ āp ke bāp kī khidmat kartārahā hūṅ usī tarah ab āp kī khidmatkarūṅga.”

20Phir Abīsalūm Akhītufal semukhātib huā, “Āge kyā karnāchāhie? Mujhe apnā mashwarāpesh kareṅ.” 21Akhītufal ne jawāb

Page 226: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

220 2 Samuel 17:9

diyā, “Āp ke bāp ne apnī kuchhdāshtāoṅ ko mahal saṅbhālne kelie yahāṅ chhoṛ diyā hai. Unke sāthhambistar ho jāeṅ. Phir tamāmIsrāīl ko mālūm ho jāegā ki āp neapne bāp kī aisī be’izzatī kī hai kisulah kā rāstā band ho gayā hai.Yih dekh kar sab jo āp ke sāth haiṅmazbūt ho jāeṅge.” 22Abīsalūmmān gayā, aur mahal kī chhat parus ke lie khaimā lagāyā gayā. Usmeṅ wuh pūre Isrāīl ke dekhtedekhte apne bāp kī dāshtāoṅ sehambistar huā.

23Us waqt Akhītufal kā harmashwarā Allāh ke farmān jaisāmānā jātā thā. Dāūd aur Abīsalūmdonoṅ yoṅ hī us ke mashwaroṅ kīqadar karte the.

Hūsī aur Akhītufal

17 Akhītufal ne Abīsalūm koek aur mashwarā bhī diyā.

“Mujhe ijāzat deṅ to maiṅ 12,000faujiyoṅ ke sāth isī rāt Dāūd kātāqqub karūṅ. 2Maiṅ us par hamlākarūṅga jab wuh thakāmāṅdā aurbedil hai. Tab wuh ghabrā jāegā,aur us ke tamām faujī bhāg jāeṅge.Natījatan maiṅ sirf bādshāh hī komār dūṅgā 3aur bāqī tamām logoṅ

ko āp ke pās wāpas lāūṅgā. Jo ādmīāp pakaṛnā chāhte haiṅ us kī mautpar sab wāpas ā jāeṅge. Aur qaummeṅ amn‐o‐amān qāym ho jāegā.”

4Yih mashwarā Abīsalūm aurIsrāīl ke tamām buzurgoṅ kopasand āyā. 5Tāham Abīsalūmne kahā, “Pahle ham Hūsī Arkī sebhī mashwarā leṅ. Koī use bulālāe.” 6Hūsī āyā to Abīsalūm ne uske sāmne Akhītufal kā mansūbābayān karke pūchhā, “Āp kā kyākhayāl hai? Kyā hameṅ aisā karnāchāhie, yā āp kī koī aur rāy hai?”

7Hūsī ne jawāb diyā, “Jomashwarā Akhītufal ne diyā haiwuh is dafā ṭhīk nahīṅ. 8Āp toapne wālid aur un ke ādmiyoṅse wāqif haiṅ. Wuh sab māhirfaujī haiṅ. Wuh us rīchhnī kī‐sī shiddat se laṛeṅge jis se us kebachche chhīn lie gae haiṅ. Yihbhī zahanmeṅ rakhnā chāhie ki āpkā bāp tajrabākār faujī hai. Imkānnahīṅ ki wuh rāt ko apne faujiyoṅke darmiyān guzāregā. 9Ġhālibanwuh is waqt bhī gahrī khāī yā kahīṅaur chhup gayā hai. Ho saktā haiwuh wahāṅ se nikal kar āp kedastoṅ par hamlā kare aur ibtidāhī meṅ āp ke thoṛe‐bahut afrādmar jāeṅ. Phir afwāh phail jāegī ki

Page 227: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 17:10 221

Abīsalūm ke dastoṅ meṅ qatl‐e‐āmshurū ho gayā hai. 10Yih sun kar āpke tamām afrād ḍar ke māre bedilho jāeṅge, khāh wuh sherbabarjaise bahādur kyoṅ na hoṅ. Kyoṅkitamām Isrāīl jāntā hai ki āp kā bāpbehtarīn faujī hai aur ki us ke sāthībhī diler haiṅ.

11Yih pesh‐e‐nazar rakh karmaiṅāp ko ek aur mashwarā detā hūṅ.Shimāl meṅ Dān se le kar junūbmeṅ Bair‐sabā tak laṛne ke qābiltamām Isrāīliyoṅ ko bulāeṅ. Itnejamā kareṅ ki wuh sāhil kī ret kīmānind hoṅge, aur āp khud un keāge chal kar laṛne ke lie nikleṅ.12Phir ham Dāūd kā khoj lagā karus par hamlā kareṅge. Ham ustarah us par ṭūṭ paṛeṅge jis tarahos zamīn par girtī hai. Sab kesab halāk ho jāeṅge, aur na wuhaur na us ke ādmī bach pāeṅge.13Agar Dāūd kisī shahr meṅ panāhle to tamām Isrāīlī fasīl ke sāthrasse lagā kar pūre shahr ko wādīmeṅ ghasīṭ le jāeṅge. Patthar parpatthar bāqī nahīṅ rahegā!”

14Abīsalūm aur tamām Isrāīliyoṅne kahā, “Hūsī kā mashwarāAkhītufal ke mashware se behtarhai.” Haqīqat meṅ Akhītufal kāmashwarā kahīṅ behtar thā, lekin

Rab ne use nākām hone diyā tākiAbīsalūm ko musībat meṅ ḍāle.

Dāūd ko Abīsalūm kāMansūbāBatāyā Jātā Hai

15Hūsī ne donoṅ imāmoṅ Sadoqaur Abiyātar ko wuh mansūbābatāyā jo Akhītufal ne Abīsalūmaur Isrāīl ke buzurgoṅ ko pesh kiyāthā. Sāth sāth us ne unheṅ apnemashware ke bāre meṅ bhī āgāhkiyā. 16Us ne kahā, “Ab fauranDāūd ko ittalā deṅ ki kisī sūratmeṅ bhī is rāt ko Dariyā‐e‐Yardankī us jagah par na guzāreṅ jahāṅ logdariyā ko pār karte haiṅ. Lāzim haiki āp āj hī dariyā ko ubūr kar leṅ,warnā āp tamām sāthiyoṅ sametbarbād ho jāeṅge.”

17Yūnatan aur AkhīmāzYarūshalam se bāhar ke chashmeAin‐rājil ke pās intazār kar rahe the,kyoṅki wuh shahr meṅ dākhil hokar kisī ko nazar āne kā khatrā molnahīṅ le sakte the. Ek naukarānīshahr se nikal āī aur unheṅHūsī kāpaiġhām de diyā tāki wuh āge nikalkar use Dāūd tak pahuṅchāeṅ.18Lekin ek jawān ne unheṅ dekhāaur bhāg kar Abīsalūm ko ittalā dī.Donoṅ jaldī jaldī wahāṅ se chale

Page 228: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

222 2 Samuel 17:29

gae aur ek ādmī ke gharmeṅ chhupgae jo Bahūrīm meṅ rahtā thā. Uske sahan meṅ kuāṅ thā. Us meṅwuh utar gae. 19Ādmī kī bīwī nekueṅ ke muṅh par kapṛā bichhākar us par anāj ke dāne bikher dietāki kisī ko mālūm na ho ki wahāṅkuāṅ hai.

20Abīsalūm ke sipāhī us gharmeṅ pahuṅche aur aurat sepūchhne lage, “Akhīmāz aurYūnatan kahāṅ haiṅ?” Aurat nejawāb diyā, “Wuh āge nikal chukehaiṅ, kyoṅki wuh nadī ko pārkarnā chāhte the.” Sipāhī donoṅādmiyoṅ kā khoj lagāte lagāte thakgae. Ākhirkār wuh khālī hāthYarūshalam lauṭ gae.

21Jab chale gae to Akhīmāz aurYūnatan kueṅ se nikal kar sīdheDāūd Bādshāh ke pās chale gae tākiuse paiġhām sunāeṅ. Unhoṅ nekahā, “Lāzim hai ki āp dariyā kofauran pār kareṅ!” Phir unhoṅne Dāūd ko Akhītufal kā pūrāmansūbā batāyā. 22Dāūd aur uske tamām sāthī jald hī rawānā hueaur usī rāt Dariyā‐e‐Yardan ko ubūrkiyā. Pau phaṭtewaqt ek bhī pīchhenahīṅ rah gayā thā.

23Jab Akhītufal ne dekhā ki merāmashwarā radd kiyā gayā hai to

wuh apne gadhe par zīn kas karapne watanī shahr wāpas chalāgayā. Wahāṅ us ne ghar ke tamāmmuāmalāt kā band‐o‐bast kiyā, phirjā kar phāṅsī le lī. Use us ke bāp kīqabr meṅ dafnāyā gayā.

24Jab Dāūd Mahanāym pahuṅchgayā to Abīsalūm Isrāīlī fauj kesāth Dariyā‐e‐Yardan ko pār karnelagā. 25Us ne Amāsā ko fauj parmuqarrar kiyā thā, kyoṅki Yoāb toDāūd ke sāth thā. Amāsā ek Ismāīlībanām Itrā kā beṭā thā. Us kīmāṅ Abījel bint Nāhas thī, aur wuhYoāb kī māṅ Zarūyāh kī bahan thī.26Abīsalūm aur us ke sāthiyoṅ neMulk‐e‐Jiliyād meṅ paṛāw ḍālā.

27JabDāūdMahanāympahuṅchāto tīn ādmiyoṅ ne us kā istaqbālkiyā. Sobī bin Nāhas Ammoniyoṅke dārul‐hukūmat Rabbā se, Makīrbin Ammiyel Lo‐dibār se aurBarzillī Jiliyādī Rājilīm se āe.28Tīnoṅ ne Dāūd aur us ke logoṅko bistar, bāsan, miṭṭī ke bartan,gandum, jau, maidā, anāj kebhune hue dāne, lobiyā, masūr,29shahd, dahī, bheṛ‐bakriyāṅ aurgāy ke dūdh kā panīr muhaiyā kiyā.Kyoṅki unhoṅ ne sochā, “Yih logregistān meṅ chalte chalte zarūr

Page 229: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 18:1 223

bhūke, pyāse aur thakemānde hogae hoṅge.”

Jang ke lie Taiyāriyāṅ

18 Dāūd ne apne faujiyoṅkā muāynā karke hazār

hazār aur sau sau afrād par ādmīmuqarrar kie. 2Phir us ne unheṅtīn hissoṅ meṅ taqsīm karke ekhisse par Yoāb ko, dūsre par us kebhāī Abīshai bin Zarūyāh ko aurtīsre par Ittī Jātī ko muqarrar kiyā.Us ne faujiyoṅ ko batāyā, “Maiṅ

khud bhī āp ke sāth laṛne ke lieniklūṅgā.” 3Lekin unhoṅ ne etarāzkiyā, “Aisā na kareṅ! Agar hameṅbhāgnā bhī paṛe yā hamārā ādhāhissā mārā bhī jāe to Abīsalūm kefaujiyoṅ ke lie itnā koī farq nahīṅpaṛegā. Wuh āp hī ko pakaṛnāchāhte haiṅ, kyoṅki āp un kenazdīk ham meṅ se 10,000 afrādse zyādā aham haiṅ. Chunāṅchebehtar hai ki āp shahr hīmeṅ raheṅaur wahāṅ se hamārī himāyatkareṅ.”

4Bādshāh ne jawāb diyā, “Ṭhīkhai, jo kuchh āp ko māqūl lagtāhai wuhī karūṅga.” Wuh shahr kedarwāze par khaṛā huā, aur tamāmmard sau sau aur hazār hazār ke

gurohoṅmeṅ us ke sāmne se guzarkar bāhar nikle. 5Yoāb, Abīshaiaur Ittī ko us ne hukm diyā, “Merīkhātir jawān Abīsalūm se narmī sepesh ānā!” Tamām faujiyoṅ netīnoṅ kamānḍaroṅ se yih bāt sunī.

Abīsalūm kī Shikast6Dāūd ke log khule maidān meṅIsrāīliyoṅ se laṛne gae. Ifrāīm kejangal meṅ un kī ṭakkar huī, 7aurDāūd ke faujiyoṅ ne mukhālifoṅko shikast‐e‐fāsh dī. Un ke 20,000afrād halāk hue. 8Laṛāī pūre jangalmeṅ phailtī gaī. Yih jangal itnākhatarnāk thā ki us din talwār kīnisbat zyādā log us kī zadmeṅ ā karhalāk ho gae.

9Achānak Dāūd ke kuchhfaujiyoṅ ko Abīsalūm nazar āyā.Wuh khachchar par sawār balūtke ek baṛe darakht ke sāy meṅ seguzarne lagā to us ke bāl darakhtkī shākhoṅ meṅ ulajh gae. Us kākhachchar āge nikal gayā jabkiAbīsalūmwahīṅ āsmān‐o‐zamīn kedarmiyān laṭkā rahā. 10Jin ādmiyoṅne yih dekhā un meṅ se ek Yoābke pās gayā aur ittalā dī, “Maiṅ neAbīsalūm ko dekhā hai. Wuh balūtke ek darakht meṅ laṭkā huā hai.”

Page 230: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

224 2 Samuel 18:22

11Yoāb pukārā, “Kyā āp ne usedekhā? To use wahīṅ kyoṅ na mārdiyā? Phir maiṅ āp ko inām ketaur par chāṅdī ke das sikke aur ekkamarband de detā.” 12Lekin ādmīne etarāz kiyā, “Agar āp mujhechāṅdī ke hazār sikke bhī dete tobhī maiṅ bādshāh ke beṭe ko hāthna lagātā. Hamāre sunte suntebādshāh ne āp, Abīshai aur Ittī kohukm diyā, ‘Merī khātir Abīsalūmko nuqsān na pahuṅchāeṅ.’ 13Auragar maiṅ chupke se bhī use qatlkartā to bhī is kī khabar kisī nakisī waqt bādshāh ke kānoṅ takpahuṅchtī. Kyoṅki koī bhī bātbādshāh se poshīdā nahīṅ rahtī.Agar mujhe is sūrat meṅ pakaṛājātā to āp merī himāyat na karte.”

14Yoāb bolā, “Merā waqt mazīdzāe mat karo.” Us ne tīn neze le karAbīsalūm ke dil meṅ ghoṅp die jabwuh abhī zindā hālat meṅ darakhtse laṭkā huā thā. 15Phir Yoāb ke dassilāhbardāroṅ ne Abīsalūm ko gherkar use halāk kar diyā.

16Tab Yoāb ne narsingā bajā diyā,aur us ke faujī dūsroṅ kā tāqqubkarne se bāz ā kar wāpas ā gae.17Bāqī Isrāīlī apne apne ghar bhāggae. Yoāb ke ādmiyoṅ ne Abīsalūmkī lāsh ko ek gahre gaṛhe meṅ

phaiṅk kar us par pattharoṅ kābaṛā ḍher lagā diyā.

18Kuchh der pahle Abīsalūm iskhayāl se Bādshāh kī Wādī meṅapnī yād meṅ ek satūn khaṛā karchukā thā ki merā koī beṭā nahīṅhai jo merā nām qāym rakhe. Ājtak yih ‘Abīsalūm kī Yādgār’ kahlātāhai.

Dāūd ko Abīsalūm kī Mautkī Khabar Miltī Hai

19Akhīmāz bin Sadoq ne Yoābse darkhāst kī, “Mujhe dauṛ karbādshāh ko khushkhabrī sunānedeṅ ki Rab ne use dushmanoṅse bachā liyā hai.” 20Lekin Yoābne inkār kiyā, “Jo paiġhām āp kobādshāh tak pahuṅchānā hai wuhus ke lie khushkhabrī nahīṅ hai,kyoṅki us kā beṭāmar gayāhai. Kisīaurwaqtmaiṅ zarūr āp ko us ke pāsbhej dūṅgā, lekin āj nahīṅ.” 21Usne Ethopiyā ke ek ādmī ko hukmdiyā, “Jāeṅ aur bādshāh ko batāeṅ.”Ādmī Yoāb ke sāmne aundhemuṅhjhuk gayā aur phir dauṛ kar chalāgayā.

22Lekin Akhīmāz khush nahīṅthā. Wuh isrār kartā rahā, “Kuchhbhī ho jāe, mehrbānī karke mujhe

Page 231: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 18:23 225

us ke pīchhe dauṛne deṅ!” Ek aurbār Yoāb ne use rokne kī koshishkī, “Beṭe, āp jāne ke lie kyoṅ taṛaptehaiṅ? Jo khabar pahuṅchānī haius ke lie āp ko inām nahīṅ milegā.”23Akhīmāz ne jawāb diyā, “Koī bātnahīṅ. Kuchh bhī ho jāe, maiṅ harsūrat meṅ dauṛ kar bādshāh ke pāsjānā chāhtā hūṅ.” Tab Yoāb ne usejāne diyā. Akhīmāz ne Dariyā‐e‐Yardan ke khule maidān kā rāstāliyā, is lie wuh Ethopiyā ke ādmīse pahle bādshāh ke pās pahuṅchgayā.

24Us waqt Dāūd shahr ke bāharaur andar wāle darwāzoṅ kedarmiyān baiṭhā intazār kar rahāthā. Jab pahredār darwāze ke ūparkī fasīl par chaṛhā to use ek tanhāādmī nazar āyā jo dauṛtā huā unkī taraf ā rahā thā. 25Pahredār neāwāz de kar bādshāh ko ittalā dī.Dāūd bolā, “Agar akelā ho to zarūrkhushkhabrī le kar ā rahā hogā.”Yih ādmī bhāgtā bhāgtā qarīb āgayā, 26lekin itne meṅ pahredārko ek aur ādmī nazar āyā jo shahrkī taraf dauṛtā huā ā rahā thā. Usne shahr ke darwāze ke darbānko āwāz dī, “Ek aur ādmī dauṛtāhuā dikhāī de rahā hai. Wuh bhīakelā hī ā rahā hai.” Dāūd ne kahā,

“Wuh bhī achchhī khabar le kar ārahā hai.” 27Phir pahredār pukārā,“Lagtā hai ki pahlā ādmī Akhīmāzbin Sadoq hai, kyoṅki wuhī yoṅchaltā hai.” Dāūd ko tasallī huī,“Akhīmāz achchhā bandā hai. Wuhzarūr achchhī khabar le kar ā rahāhogā.”

28Dūr se Akhīmāz ne bādshāhko āwāz dī, “Bādshāh kī salāmatīho!” Wuh aundhe muṅh bādshāhke sāmne jhuk kar bolā, “Rab āpke Khudā kī tamjīd ho! Us ne āpko un logoṅ se bachā liyā hai jomere āqā aur bādshāh ke khilāfuṭh khaṛe hue the.” 29Dāūd nepūchhā, “Aur merā beṭā Abīsalūm?Kyā wuh mahfūz hai?” Akhīmāzne jawāb diyā, “Jab Yoāb ne mujheaur bādshāh ke dūsre khādim koāp ke pās rukhsat kiyā to us waqtbaṛī afrā‐tafrī thī. Mujhe tafsīl semālūm na huā ki kyā ho rahā hai.”30Bādshāh ne hukm diyā, “Ek tarafho kar mere pās khaṛe ho jāeṅ!”Akhīmāz ne aisā hī kiyā.

31Phir Ethopiyā kā ādmī pahuṅchgayā. Us ne kahā, “Mere bādshāh,merī khushkhabrī suneṅ! Āj Rabne āp ko un sab logoṅ se najātdilāī hai jo āp ke khilāf uṭh khaṛehue the.” 32Bādshāh ne sawāl kiyā,

Page 232: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

226 2 Samuel 19:8

“Aurmerā beṭā Abīsalūm? Kyā wuhmahfūz hai?” Ethopiyā ke ādmīne jawāb diyā, “Mere āqā, jis tarahus ke sāth huā hai, us tarah āp ketamām dushmanoṅ ke sāth ho jāe,un sab ke sāth jo āp ko nuqsānpahuṅchānā chāhte haiṅ!”

33Yih sun kar bādshāh laraz uṭhā.Shahr ke darwāze ke ūpar kī fasīlpar ek kamrā thā. Ab bādshāhrote rote sīṛhiyoṅ par chaṛhnīlagā aur chīkhte‐chillāte us kamremeṅ chalā gayā, “Hāy mere beṭeAbīsalūm! Mere beṭe, mere beṭeAbīsalūm! Kāsh maiṅ hī terī jagahmar jātā. Hāy Abīsalūm, merebeṭe, mere beṭe!”

Yoāb Dāūd ko Samjhātā Hai

19 Yoāb ko ittalā dī gaī,“Bādshāh rote rote

Abīsalūm kā mātam kar rahā hai.”2Jab faujiyoṅ ko khabar milī kibādshāh apne beṭe kā mātam karrahā hai to fatah pāne par un kīsārī khushī kāfūr ho gaī. Har tarafmātamaur ġhamkā samāṅ thā. 3Usdin Dāūd ke ādmī chorī chorī shahrmeṅ ghus āe, aise logoṅ kī tarahjo maidān‐e‐jang se farār hone par

sharmāte hue chupke se shahrmeṅā jāte haiṅ.

4Bādshāhabhī kamremeṅbaiṭhāthā. Apne muṅh ko ḍhāṅp kar wuhchīkhtā‐chillātā rahā, “Hāy merebeṭe Abīsalūm! Hāy Abīsalūm,mere beṭe, mere beṭe!” 5Tab Yoābus ke pās jā kar use samjhāne lagā,“Āj āp ke khādimoṅ ne na sirf āpkī jān bachāī hai balki āp ke beṭoṅ,beṭiyoṅ, bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ kījān bhī. To bhī āp ne un kā muṅhkālā kar diyā hai. 6Jo āp se nafratkarte haiṅ un se āp muhabbatrakhte haiṅ jabki jo āp se pyārkarte haiṅ un se āp nafrat kartehaiṅ. Āj āp ne sāf zāhir kar diyāhai ki āp ke kamānḍar aur dasteāp kī nazar meṅ koī haisiyat nahīṅrakhte. Hāṅ, āj maiṅ ne jān liyāhai ki agar Abīsalūm zindā hotāto āp khush hote, khāh ham bāqītamām log halāk kyoṅ na ho jāte.7Ab uṭh kar bāhar jāeṅ aur apnekhādimoṅ kī hauslā‐afzāī kareṅ.Rab kī qasam, agar āp bāhar nanikleṅge to rāt tak ek bhī āp kesāth nahīṅ rahegā. Phir āp par aisīmusībat āegī jo āp kī jawānī se lekar āj tak āp par nahīṅ āī hai.”

8Tab Dāūd uṭhā aur shahr kedarwāze ke pās utar āyā. Jab

Page 233: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 19:9 227

faujiyoṅ ko batāyā gayā ki bādshāhshahr ke darwāze meṅ baiṭhā haito wuh sab us ke sāmne jamā hue.Itnemeṅ Isrāīlī apne ghar bhāg gaethe.

Dāūd YarūshalamWāpas Ātā Hai9Isrāīl ke tamām qabīloṅ meṅ logāpas meṅ bahs‐mubāhasā karnelage, “Dāūd Bādshāh ne hameṅhamāre dushmanoṅ se bachāyā,aur usī ne hameṅ Filistiyoṅ ke hāthse āzād kar diyā. Lekin Abīsalūmkī wajah se wuh mulk se hijratkar gayā hai. 10Ab jab Abīsalūmjise ham ne masah karke bādshāhbanāyā thā mar gayā hai to āpbādshāh ko wāpas lāne se kyoṅjhijakte haiṅ?”

11Dāūd ne Sadoq aur Abiyātarimāmoṅ kī mārifat Yahūdāh kebuzurgoṅ ko ittalā dī, “Yih bātmujhtak pahuṅch gaī hai ki tamām Isrāīlapne bādshāh kā istaqbāl karkeuse mahal meṅ wāpas lānā chāhtāhai. To phir āp kyoṅ der karrahe haiṅ? Kyā āp mujhe wāpaslāne meṅ sab se ākhir meṅ ānāchāhte haiṅ? 12Āpmere bhāī, mereqarībī rishtedār haiṅ. To phir āpbādshāh ko wāpas lāne meṅ ākhir

meṅ kyoṅ ā rahe haiṅ?” 13AurAbīsalūm ke kamānḍar Amāsā kodonoṅ imāmoṅ ne Dāūd kā yihpaiġhām pahuṅchāyā, “Suneṅ, āpmere bhatīje haiṅ, is lie ab seāp hī Yoāb kī jagah merī fauj kekamānḍar hoṅge. Allāh mujhesakht sazā de agar maiṅ apnā yihwādā pūrā na karūṅ.”

14Is tarah Dāūd Yahūdāh ketamām diloṅ ko jīt sakā, aur sab kesab us ke pīchhe lag gae. Unhoṅ neuse paiġhām bhejā, “Wāpas āeṅ,āp bhī aur āp ke tamām log bhī.”15Tab Dāūd Yarūshalam wāpaschalne lagā. Jab wuh Dariyā‐e‐Yardan tak pahuṅchā to Yahūdāhke log Jiljāl meṅ āe tāki us se mileṅaur use dariyā ke dūsre kināre takpahuṅchāeṅ.

Dāūd Simaī koMuāf Kar Detā Hai16Binyamīnī shahr Bahūrīm kāSimaī bin Jīrā bhī bhāg karYahūdāh ke ādmiyoṅ ke sāth Dāūdse milne āyā. 17Binyamīn ke qabīleke hazār ādmī us ke sāth the. Sāūlkā purānā naukar Zībā bhī apne15 beṭoṅ aur 20 naukaroṅ sametun meṅ shāmil thā. Bādshāh keYardan ke kināre tak pahuṅchne se

Page 234: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

228 2 Samuel 19:28

pahle pahle 18wuh jaldī se dariyāko ubūr karke us ke pās āe tākibādshāh ke gharāne ko dariyā kedūsre kināre tak pahuṅchāeṅ aurhar tarah se bādshāh ko khushrakheṅ.Dāūd dariyā ko pār karne ko thā

ki Simaī aundhemuṅh us ke sāmnegir gayā. 19Us ne iltamās kī, “Mereāqā, mujhe muāf kareṅ. Jo ziyādatīmaiṅ ne us din āp se kī jab āp koYarūshalam ko chhoṛnā paṛā wuhyādna kareṅ. Barāh‐e‐karmyih bātapne zahan se nikāl deṅ. 20Maiṅne jān liyā hai ki mujh se baṛājurm sarzad huā hai, is lie āj maiṅYūsuf ke gharāne ke tamām afrādsepahlehī apneāqā aurbādshāhkehuzūr ā gayā hūṅ.”

21Abīshai bin Zarūyāh bolā,“Simaī sazā‐e‐maut ke lāyq hai! Usne Rab ke masah kie hue bādshāhpar lānat kī hai.” 22Lekin Dāūdne use ḍānṭā, “Merā āp aur āp kebhāī Yoāb ke sāth kyā wāstā? Aisībātoṅ se āp is din mere mukhālifban gae haiṅ! Āj to Isrāīl meṅ kisīko sazā‐e‐maut dene kā nahīṅ balkikhushī kā din hai. Dekheṅ, is dinmaiṅ dubārā Isrāīl kā bādshāh bangayā hūṅ!” 23Phir bādshāh Simaī se

mukhātib huā, “Rab kī qasam, āpnahīṅ mareṅge.”

Mifībosat Dāūd se Milne Ātā Hai24Sāūl kā potā Mifībosat bhībādshāh semilne āyā. Us din se jabDāūd ko Yarūshalam ko chhoṛnāpaṛā āj tak jab wuh salāmatī sewāpas pahuṅchā Mifībosat mātamkī hālat meṅ rahā thā. Na us neapne pāṅw na apne kapṛe dhoethe, na apnī mūṅchhoṅ kī kāṅṭ‐chhāṅṭ kī thī. 25Jab wuh bādshāhse milne ke lie Yarūshalam se niklāto bādshāh ne us se sawāl kiyā,“Mifībosat, āp mere sāth kyoṅnahīṅ gae the?”

26Us ne jawāb diyā, “Mere āqāaur bādshāh, maiṅ jāne ke lietaiyār thā, lekin merā naukar Zībāmujhe dhokā de kar akelā hī chalāgayā. Maiṅ ne to use batāyā thā,‘Mere gadhe par zīn kaso tāki maiṅbādshāh ke sāth rawānā ho sakūṅ.’Aur merā jāne kā koī aur wasīlā thānahīṅ, kyoṅki maiṅ donoṅ ṭāṅgoṅse māzūr hūṅ. 27Zībā ne mujh partohmat lagāī hai. Lekin mere āqāaur bādshāh Allāh ke farishte jaisehaiṅ. Mere sāth wuhī kuchh kareṅjo āp komunāsib lage. 28Mere dādā

Page 235: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 19:29 229

ke pūre gharāne ko āp halāk karsakte the, lekin phir bhī āp ne merīizzat karke un mehmānoṅ meṅshāmil kar liyā jo rozānā āp kī mezpar khānā khāte haiṅ. Chunāṅchemerā kyā haq hai ki maiṅ bādshāhse mazīd apīl karūṅ.”

29Bādshāh bolā, “Ab bas kareṅ.Maiṅ ne faislā kar liyā hai ki āp kīzamīneṅ āp aur Zībā meṅ barābartaqsīm kī jāeṅ.” 30Mifībosat nejawāb diyā, “Wuh sab kuchh le le.Mere lie yihī kāfī hai ki āj mereāqā aur bādshāh salāmatī se apnemahal meṅ wāpas ā pahuṅchehaiṅ.”

Dāūd aur Barzillī31Barzillī Jiliyādī Rājilīm se āyāthā tāki bādshāh ke sāth Dariyā‐e‐Yardan ko pār karke use rukhsatkare. 32Barzillī 80 sāl kā thā.Mahanāym meṅ rahte waqt usīne Dāūd kī mehmān‐nawāzī kīthī, kyoṅki wuh bahut amīr thā.33Ab Dāūd ne Barzillī ko dāwatdī, “Mere sāth Yarūshalam jā karwahāṅ raheṅ! Maiṅ āp kā har tarahse khayāl rakhūṅgā.”

34Lekin Barzillī ne inkār kiyā,“Merī zindagī ke thoṛe din bāqī

haiṅ, maiṅ kyoṅ Yarūshalam meṅjā basūṅ? 35Merī umr 80 sālhai. Na maiṅ achchhī aur burīchīzoṅ meṅ imtiyāz kar saktā, namujhe khāne‐pīne kī chīzoṅ kāmazā ātā hai. Gīt gāne wāloṅ kīāwāzeṅ bhī mujh se sunī nahīṅjātīṅ. Nahīṅmere āqā aur bādshāh,agar maiṅ āp ke sāth jāūṅ to āp kelie sirf bojh kā bāis hūṅgā. 36Iskī zarūrat nahīṅ ki āp mujhe isqism kā muāwazā deṅ. Maiṅ basāp ke sāth Dariyā‐e‐Yardan ko pārkarūṅga 37aur phir agar ijāzat hoto wāpas chalā jāūṅgā. Maiṅ apnehī shahr meṅ marnā chāhtā hūṅ,jahāṅ mere māṅ‐bāp kī qabr hai.Lekin merā beṭā Kimhām āp kīkhidmat meṅ hāzir hai. Wuh āpke sāth chalā jāe to āp us ke liewuh kuchh kareṅ jo āp ko munāsiblage.”

38Dāūd ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai,Kimhām mere sāth jāe. Aur jokuchh bhī āp chāheṅge maiṅ us kelie karūṅga. Agar koī kām hai jomaiṅ āp ke lie kar saktā hūṅ tomaiṅ hāzir hūṅ.”

39Phir Dāūd ne apne sāthiyoṅsamet dariyā ko ubūr kiyā. Barzillīko bosā de kar us ne use barkatdī. Barzillī apne shahr wāpas chal

Page 236: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

230 2 Samuel 20:4

paṛā 40jabki Dāūd Jiljāl kī taraf baṛhgayā. Kimhām bhī sāth gayā. Is kealāwā Yahūdāh ke sab aur Isrāīl keādhe log us ke sāth chale.

Isrāīl aur Yahūdāh Āpasmeṅ Jhagaṛte Haiṅ

41Rāstemeṅ Isrāīl kemardbādshāhke pās ā kar shikāyat karne lage,“Hamāre bhāiyoṅ Yahūdāh kelogoṅ ne āp ko āp ke gharāneaur faujiyoṅ samet chorī chorīkyoṅ Dariyā‐e‐Yardan ke maġhribīkināre tak pahuṅchāyā? Yih ṭhīknahīṅ hai.”

42Yahūdāh ke mardoṅ ne jawābdiyā, “Bāt yih hai ki ham bādshāhke qarībī rishtedār haiṅ. Āp koyih dekh kar ġhussā kyoṅ ā gayāhai? Na ham ne bādshāh kā khānākhāyā, na us se koī tohfā pāyā hai.”

43To bhī Isrāīl ke mardoṅ neetarāz kiyā, “Hamāre das qabīlehaiṅ, is lie hamārā bādshāh kīkhidmat karne kā das gunā zyādāhaq hai. To phir āp hameṅ haqīrkyoṅ jānte haiṅ? Ham ne to pahleapne bādshāh ko wāpas lāne kī bātkī thī.” Yoṅ bahs‐mubāhasā jārīrahā, lekin Yahūdāh ke mardoṅ kībāteṅ zyādā sakht thīṅ.

Sabā Dāūd ke khilāf UṭhKhaṛā Hotā Hai

20 Jhagaṛne wāloṅ meṅ se ekbadmāsh thā jis kā nām

Sabā bin Bikrī thā. Wuh Binyamīnīthā. Ab us ne narsingā bajā kar elānkiyā, “Na hameṅ Dāūd se mīrāsmeṅ kuchhmilegā, na Yassī ke beṭese kuchh milne kī ummīd hai. AiIsrāīl, har ek apne gharwāpas chalājāe!” 2Tab tamām Isrāīlī Dāūd kochhoṛ kar Sabā bin Bikrī ke pīchhelag gae. Sirf Yahūdāh kemard apnebādshāh ke sāth lipṭe rahe aur useYardan se le kar Yarūshalam takpahuṅchāyā.

3Jab Dāūd apne mahal meṅdākhil huā to us ne un das dāshtāoṅkā band‐o‐bast karāyā jin ko us nemahal ko saṅbhālne ke lie pīchhechhoṛ diyā thā. Wuh unheṅ ekkhās ghar meṅ alag rakh kar unkī tamām zarūriyāt pūrī kartā rahālekinun se kabhī hambistar nahuā.Wuh kahīṅ jā na sakīṅ, aur unheṅzindagī ke ākhirī lamhe tak bewākī‐sī zindagī guzārnī paṛī.

4Phir Dāūd ne Amāsā ko hukmdiyā, “Yahūdāh ke tamām faujiyoṅko mere pās bulā lāeṅ. Tīn dinke andar andar un ke sāth hāzir

Page 237: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 20:5 231

ho jāeṅ.” 5Amāsā rawānā huā.Lekin jab tīn din ke bād lauṭ naāyā 6to Dāūd Abīshai se mukhātibhuā, “Ākhir meṅ Sabā bin Bikrīhameṅ Abīsalūm kī nisbat zyādānuqsān pahuṅchāegā. Jaldī kareṅ,mere dastoṅ ko le kar us kā tāqqubkareṅ. Aisā na ho ki wuh qilābandshahroṅ ko qabzemeṅ le le aur yoṅhamārā baṛā nuqsān ho jāe.” 7TabYoāb ke sipāhī, bādshāh kā dastāKaretī‐o‐Faletī aur tamām māhirfaujī Yarūshalam se nikal kar Sabābin Bikrī kā tāqqub karne lage.

8Jab wuh Jibaūn kī baṛī chaṭānke pās pahuṅche to un kī mulāqātAmāsā se huī jo thoṛī der pahlewahāṅ pahuṅch gayā thā. Yoābapnā faujī libās pahne hue thā, aurus par us ne kamr meṅ apnī talwārkī peṭī bāndhī huī thī. Ab jab wuhAmāsā se milne gayā to us ne apnebāeṅ hāth se talwār ko chorī chorīmiyān se nikāl liyā. 9Us ne salāmkarke kahā, “Bhāī, kyā sab ṭhīkhai?” Aur phir apne dahne hāthse Amāsā kī dāṛhī ko yoṅ pakaṛliyā jaise use bosā denā chāhtā ho.10Amāsā ne Yoāb ke dūsre hāthmeṅ talwār par dhyān na diyā, aurachānak Yoāb ne use itne zor se peṭmeṅ ghoṅp diyā ki us kī antaṛiyāṅ

phūṭ kar zamīn par gir gaīṅ. Talwārko dubārā istemāl karne kī zarūrathī nahīṅ thī, kyoṅki Amāsā fauranmar gayā.Phir Yoāb aur Abīshai Sabā kā

tāqqub karne ke lie āge baṛhe.11Yoāb kā ek faujī Amāsā kī lāsh kepās khaṛā rahā aur guzarne wālefaujiyoṅ ko āwāz detā rahā, “JoYoāb aur Dāūd ke sāth hai wuhYoāb ke pīchhe ho le!” 12Lekinjitne wahāṅ se guzare wuh Amāsākā khūnālūdā aur taṛaptā huā jismdekh kar ruk gae. Jab ādmī nedekhā ki lāsh rukāwaṭ kā bāis bangaī hai to us ne use rāste se haṭākar khet meṅ ghasīṭ liyā aur us parkapṛā ḍāl diyā. 13Lāsh ke ġhāybho jāne par sab log Yoāb ke pīchhechale gae aur Sabā kā tāqqub karnelage.

14Itne meṅ Sabā pūre Isrāīlse guzarte guzarte shimāl keshahr Abīl‐bait‐mākā tak pahuṅchgayā thā. Bikrī ke khāndān ketamām mard bhī us ke pīchhelag kar wahāṅ pahuṅch gae the.15Tab Yoāb aur us ke faujī wahāṅpahuṅch kar shahr kā muhāsarākarne lage. Unhoṅ ne shahr kībāhar wālī dīwār ke sāth sāth miṭṭīkā baṛā todā lagāyā aur us par se

Page 238: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

232 2 Samuel 21:1

guzar kar andar wālī baṛī dīwār takpahuṅch gae. Wahāṅ wuh dīwār kītoṛ phoṛ karne lage tāki wuh gir jāe.

16Tab shahr kī ek dānishmandaurat ne fasīl se Yoāb ke logoṅ koāwāz dī, “Suneṅ! Yoāb ko yahāṅbulā leṅ tāki maiṅ us se bāt karsakūṅ.” 17Jab Yoāb dīwār ke pāsāyā to aurat ne sawāl kiyā, “Kyā āpYoāb haiṅ?” Yoāb ne jawāb diyā,“Maiṅ hī hūṅ.” Aurat ne darkhāstkī, “Zarā merī bātoṅ par dhyāndeṅ.” Yoāb bolā, “Ṭhīk hai, maiṅsun rahā hūṅ.” 18Phir aurat neapnī bāt pesh kī, “Purāne zamānemeṅ kahā jātā thā ki Abīl Shahrse mashwarā lo to bāt banegī.19Dekheṅ, hamārā shahr Isrāīlkā sab se zyādā amnpasand aurwafādār shahrhai. Āp ek aisā shahrtabāh karne kī koshish kar rahehaiṅ jo ‘Isrāīl kī Māṅ’ kahlātā hai.Āp Rab kī mīrās ko kyoṅ haṛap karlenā chāhte haiṅ?”

20Yoāb ne jawāb diyā, “Allāh nakare ki maiṅ āp ke shahr ko haṛapyā tabāh karūṅ. 21Mere āne kā ekaur maqsad hai. Ifrāīm ke pahāṛīilāqe kā ek ādmī Dāūd Bādshāh kekhilāf uṭh khaṛā huā hai jis kā nāmSabā bin Bikrī hai. Use ḍhūnḍ rahehaiṅ. Use hamāre hawāle kareṅ

to ham shahr ko chhoṛ kar chalejāeṅge.”Aurat ne kahā, “Ṭhīk hai, ham

dīwār par se us kā sar āp ke pāsphaiṅk deṅge.” 22Us ne Abīl‐bait‐mākā ke bāshindoṅ se bāt kī aurapnī hikmat se unheṅ qāyl kiyāki aisā hī karnā chāhie. Unhoṅne Sabā kā sar qalam karke Yoābke pās phaiṅk diyā. Tab Yoāb nenarsingā bajā kar shahr ko chhoṛnekā hukm diyā, aur tamām faujīapne apne ghar wāpas chale gae.Yoāb khud Yarūshalam meṅ DāūdBādshāh ke pās lauṭ gayā.

Dāūd ke Ālā Afsar23Yoāb pūrī Isrāīlī fauj par, Bināyāhbin Yahoyadā shāhī daste Karetī‐o‐Faletī par 24aur Adorām begāriyoṅpar muqarrar thā. Yahūsafat binAkhīlūd bādshāh kā mushīr‐e‐khāsthā. 25Siwā mīrmunshī thā aurSadoq aur Abiyātar imām the. 26ĪrāYāīrī Dāūd kā zātī imām thā.

Sāūl ke Jurm kā Kaffārā

21 Dāūd kī hukūmat kedaurān kāl paṛ gayā jo tīn

sāl tak jārī rahā. Jab Dāūd ne is kīwajah dariyāft kī to Rab ne jawāb

Page 239: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 21:2 233

diyā, “Kāl is lie khatm nahīṅ horahā ki Sāūl ne Jibaūniyoṅ ko qatlkiyā thā.”

2Tab bādshāh ne Jibaūniyoṅko bulā liyā tāki un se bāt kare.Asal meṅ wuh Isrāīlī nahīṅ balkiAmoriyoṅ kā bachā‐khuchā hissāthe. Mulk‐e‐Kanān par qabzā kartewaqt Isrāīliyoṅ ne qasam khā karwādā kiyā thā ki ham āp ko halāknahīṅ kareṅge. Lekin Sāūl ne Isrāīlaur Yahūdāh ke lie josh meṅ ā karunheṅ halāk karne kī koshish kīthī.

3Dāūd ne Jibaūniyoṅ se pūchhā,“Maiṅ us ziyādatī kā kaffārā kistarah de saktā hūṅ jo āp se huī hai?Maiṅ āp ke lie kyā karūṅ tāki āpdubārā us zamīn ko barkat deṅ joRab ne hameṅ mīrās meṅ dī hai?”4Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jo Sāūlne hamāre aur hamāre khāndānoṅke sāth kiyā hai us kā izālā sone‐chāṅdī se nahīṅ kiyā jā saktā. Yihbhī munāsib nahīṅ ki ham is keewaz kisī Isrāīlī ko mār deṅ.” Dāūdne sawāl kiyā, “To phir maiṅ āpke lie kyā karūṅ?” 5Jibaūniyoṅne kahā, “Sāūl hī ne hameṅ halākkarne kā mansūbā banāyā thā,wuhī hameṅ tabāh karnā chāhtāthā tāki ham Isrāīl kī kisī bhī jagah

qāym na rah sakeṅ. 6Is lie Sāūlkī aulād meṅ se sāt mardoṅ kohamāre hawāle kar deṅ. Hamunheṅ Rab ke chune hue bādshāhSāūl ke watanī shahr Jibiyā meṅRab ke pahāṛ par maut ke ghāṭ utārkar us ke huzūr laṭkā deṅ.”Bādshāh ne jawāb diyā, “Maiṅ

unheṅ āp ke hawāle kar dūṅgā.”7Yūnatan kā beṭā Mifībosat Sāūlkā potā to thā, lekin bādshāhne use na chheṛā, kyoṅki us neRab kī qasam khā kar Yūnatanse wādā kiyā thā ki maiṅ āp kīaulād ko kabhī nuqsān nahīṅpahuṅchāūṅgā. 8Chunāṅche us neSāūl kī dāshtā Risfā bint Aiyāh kedo beṭoṅ Armonī aur Mifībosat koaur is ke alāwā Sāūl kī beṭī Mīrabke pāṅch beṭoṅ ko chun liyā. MīrabBarzillī Mahūlātī ke beṭe Adriyel kībīwī thī. 9In sāt ādmiyoṅ ko Dāūdne Jibaūniyoṅ ke hawāle kar diyā.Sātoṅ ādmiyoṅ ko mazkūrā

pahāṛ par lāyā gayā. WahāṅJibaūniyoṅ ne unheṅ qatl karkeRab ke huzūr laṭkā diyā. Wuh sabek hī din mar gae. Us waqt jau kīfasal kī kaṭāī shurū huī thī.

10Tab Risfā bint Aiyāh sātoṅlāshoṅ ke pās gaī aur patthar parapne lie ṭāṭ kā kapṛā bichhā kar

Page 240: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

234 2 Samuel 21:20

lāshoṅ kī hifāzat karne lagī. Dinke waqt wuh parindoṅ ko bhagātīaur rāt ke waqt janglī jānwaroṅ kolāshoṅ se dūr rakhtī rahī. Wuhbahār ke mausam meṅ fasal kīkaṭāī ke pahle dinoṅ se le kar uswaqt tak wahāṅ ṭhahrī rahī jab takbārish na huī.

11Jab Dāūd ko mālūm huā kiSāūl kī dāshtā Risfā ne kyā kiyāhai 12‐14to wuh Yabīs‐jiliyād kebāshindoṅ ke pās gayā aur un seSāūl aur us ke beṭe Yūnatan kīhaḍḍiyoṅ ko le kar Sāūl ke bāpQīs kī qabr meṅ dafnāyā. (JabFilistiyoṅ ne Jilbua ke pahāṛī ilāqemeṅ Isrāīliyoṅ ko shikast dī thīto unhoṅ ne Sāūl aur Yūnatan kīlāshoṅ ko Bait‐shān ke chauk meṅlaṭkā diyā thā. Tab Yabīs‐jiliyādke ādmī chorī chorī wahāṅ ā karlāshoṅ ko apne pās le gae the.)Dāūd ne Jibiyā meṅ ab tak laṭkī sātlāshoṅ ko bhī utār kar Zilā meṅQīs kī qabr meṅ dafnāyā. ZilāBinyamīn ke qabīle kī ābādī hai.Jab sab kuchh Dāūd ke hukm ke

mutābiq kiyā gayā thā to Rab nemulk ke lie duāeṅ sun līṅ.

Filistiyoṅ se Jangeṅ15Ek aur bār Filistiyoṅ aurIsrāīliyoṅ ke darmiyān jang chhiṛgaī. Dāūd apnī fauj samet Filistiyoṅse laṛne ke lie niklā. Jab wuh laṛtālaṛtā niḍhāl ho gayā thā 16to ekFilistī ne us par hamlā kiyā jis kānām Ishbī‐banob thā. Yih ādmīdewqāmatmard Rafā kī nasl se thā.Us ke pās naī talwār aur itnā lambānezā thā ki sirf us kī pītal kī nokkā wazn taqrīban sāṛhe 3 kilogrāmthā. 17Lekin Abīshai bin Zarūyāhdauṛ kar Dāūd kī madad karne āyāaur Filistī ko mār ḍālā. Is ke bādDāūd ke faujiyoṅ ne qasam khāī,“Āindā āp laṛne ke lie hamāre sāthnahīṅ nikleṅge. Aisā na ho ki Isrāīlkā charāġh bujh jāe.”

18Is ke bād Isrāīliyoṅ ko Jūbke qarīb bhī Filistiyoṅ se laṛnāpaṛā. Wahāṅ Sibbakī Hūsātī nedewqāmat mard Rafā kī aulād meṅse ek ādmī ko mār ḍālā jis kā nāmSaf thā.

19Jūb ke qarīb ek aur laṛāī chhiṛgaī. Is ke daurān Bait‐laham keIlhanān bin Yāre‐urjīm ne Jātī Jālūtko maut ke ghāṭ utār diyā. Jālūt kānezā khaḍḍī ke shahtīr jaisā baṛāthā. 20Ek aur dafā Jāt ke pās laṛāī

Page 241: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 21:21 235

huī. Filistiyoṅ kā ek faujī jo Rafā kīnasl kā thā bahut lambā thā. Us kehāthoṅ aur pairoṅ kī chhih chhihungliyāṅ yānī mil kar 24 ungliyāṅthīṅ. 21Jabwuh Isrāīliyoṅ kāmazāquṛāne lagā to Dāūd ke bhāī Simāke beṭe Yūnatan ne use mār ḍālā.22Jāt ke yih dewqāmat mard Rafā kīaulād the, aur wuh Dāūd aur us kefaujiyoṅ ke hāthoṅ halāk hue.

Dāūd kā Gīt

22 Jis din Rab ne Dāūd kotamām dushmanoṅ aur

Sāūl ke hāth se bachāyā us dinbādshāh ne gīt gāyā,

2“Rabmerī chaṭān, merā qilā aurmerā najātdahindā hai.

3Merā Khudā merī chaṭān haijis meṅ maiṅ panāh letā hūṅ.Wuh merī ḍhāl, merī najāt kāpahāṛ, merā buland hisār aurmerī panāhgāh hai. Tū merānajātdahindā hai jo mujhe zulm‐o‐tashaddud se bachātā hai.

4Maiṅ Rab ko pukārtā hūṅ, uskī tamjīd ho! Tab wuh mujhedushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai.

5Maut kī maujoṅ ne mujhe gherliyā, halākat ke sailāb ne mere dilpar dahshat tārī kī.

6Pātāl ke rassoṅ ne mujhe jakaṛliyā, maut ne mere rāste meṅ apnephande ḍāl die.

7Jab maiṅ musībat meṅ phaṅsgayā to maiṅ ne Rab ko pukārā.Maiṅ ne madad ke lie apneKhudā se fariyād kī to us neapnī sukūnatgāh se merī āwāzsunī, merī chīkheṅ us ke kān takpahuṅch gaīṅ.

8Tab zamīn laraz uṭhī aurthartharāne lagī, āsmān kībuniyādeṅRab ke ġhazab ke sāmnekāṅpne aur jhūlne lagīṅ.

9Us kī nāk se dhuāṅ nikal āyā,us ke muṅh se bhasm karne wāleshole aur dahakte koele bhaṛakuṭhe.

10Āsmān ko jhukā kar wuh nāzilhuā. Jab utar āyā to us ke pāṅwoṅke nīche andherā hī andherā thā.

11Wuh karūbī farishte par sawārhuā aur uṛ kar hawā ke paroṅ parmanḍlāne lagā.

12Usne andhere ko apnī chhupnekī jagah banāyā, bārish ke kāle aurghane bādal khaime kī tarah apneirdgird lagāe.

Page 242: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

236 2 Samuel 22:30

13Us ke huzūr kī tez raushnī sesholāzan koele phūṭ nikle.

14Rab āsmān se kaṛakne lagā,Allāh T’ālā kī āwāz gūṅj uṭhī.

15Us ne apne tīr chalā die todushman titar‐bitar ho gae. Us kībijlī idhar‐udhar girtī gaī to unmeṅhalchal mach gaī.

16Rab ne ḍānṭā to samundarkī wādiyāṅ zāhir huīṅ, jab wuhġhusse meṅ garjā to us ke damke jhoṅkoṅ se zamīn kī buniyādeṅnazar āīṅ.

17Bulandiyoṅ par se apnā hāthbaṛhā kar us ne mujhe pakaṛ liyā,gahre pānī meṅ se khīṅch karmujhe nikāl lāyā.

18Us ne mujhe mere zabardastdushman se bachāyā, un se jomujhse nafrat karte haiṅ, jin par maiṅġhālib na ā sakā.

19Jis din maiṅ musībat meṅphaṅs gayā us din unhoṅ ne mujhpar hamlā kiyā, lekin Rab merāsahārā banā rahā.

20Us nemujhe tang jagah se nikālkar chhuṭkārā diyā, kyoṅki wuhmujh se khush thā.

21Rab mujhe merī rāstbāzī kā ajrdetā hai. Mere hāth sāf haiṅ, is liewuh mujhe barkat detā hai.

22Kyoṅki maiṅ Rab kī rāhoṅ parchaltā rahā hūṅ, maiṅ badī karnese apne Khudā se dūr nahīṅ huā.

23Us ke tamām ahkām meresāmne rahe haiṅ, maiṅ us kefarmānoṅ se nahīṅ haṭā.

24Us ke sāmne hī maiṅ be’ilzāmrahā, gunāh karne se bāz rahā hūṅ.

25Is lie Rab ne mujhe merīrāstbāzī kā ajr diyā, kyoṅki us kīāṅkhoṅ ke sāmne hī maiṅ pāk‐sāfsābit huā.

26Ai Allāh, jo wafādār hai us kesāth terā sulūk wafādārī kā hai, jobe’ilzām hai us ke sāth terā sulūkbe’ilzām hai.

27Jo pāk hai us ke sāth terā sulūkpāk hai. Lekin jo kajrau hai us kesāth terā sulūk bhī kajrawī kā hai.

28Tū pasthāloṅ ko najāt detā hai,aur terī āṅkheṅmaġhrūroṅ par lagīrahtī haiṅ tāki unheṅ past kareṅ.

29Ai Rab, tū hī merā charāġh hai,Rab hī mere andhere ko raushankartā hai.

30Kyoṅki tere sāth maiṅ faujīdaste par hamlā kar saktā, apne

Page 243: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 22:31 237

Khudā ke sāth dīwār ko phalāṅgsaktā hūṅ.

31Allāh kī rāh kāmil hai, Rab kāfarmān khālis hai. Jo bhī us meṅpanāh le us kī wuh ḍhāl hai.

32KyoṅkiRabke siwākaun Khudāhai? Hamāre Khudā ke siwā kaunchaṭān hai?

33Allāh mujhe quwwat sekamarbastā kartā, wuh merī rāhko kāmil kar detā hai.

34Wuhmere pāṅwoṅ ko hiran kī‐sī phurtī atā kartā, mujhe mazbūtīsemerī bulandiyoṅ par khaṛā kartāhai.

35Wuh mere hāthoṅ ko jangkarne kī tarbiyat detā hai. Ab merebāzū pītal kī kamān ko bhī tān letehaiṅ.

36Ai Rab, tū ne mujhe apnī najātkī ḍhāl bakhsh dī hai, terī narmī nemujhe baṛā banā diyā hai.

37Tū mere qadmoṅ ke lie rāstābanā detā hai, is lie mere ṭakhnenahīṅ ḍagmagāte.

38Maiṅ ne apne dushmanoṅ kātāqqub karke unheṅ kuchal diyā,maiṅ bāz na āyā jab tak wuh khatmna ho gae.

39Maiṅneunheṅ tabāhkarke yoṅpāsh pāsh kar diyā ki dubārā uṭh na

sake balki gir karmere pāṅwoṅ talepaṛe rahe.

40Kyoṅki tū ne mujhe jang karneke lie quwwat se kamarbastā kardiyā, tū ne mere mukhālifoṅ komere sāmne jhukā diyā.

41Tū ne mere dushmanoṅ komere sāmne se bhagā diyā, aurmaiṅ ne nafrat karne wāloṅ kotabāh kar diyā.

42Wuh madad ke lie chīkhte‐chillāte rahe, lekin bachāne wālākoī nahīṅ thā. Wuh Rab ko pukārterahe, lekin us ne jawāb na diyā.

43Maiṅneunheṅ chūr chūr karkegard kī tarah hawā meṅ uṛā diyā.Maiṅ ne unheṅ galī meṅ miṭṭī kītarah pāṅwoṅ tale raund kar rezārezā kar diyā.

44Tū ne mujhe merī qaum kejhagaṛoṅ se bachā kar aqwām parmerī hukūmat qāym rakhī hai. Jisqaum se maiṅ nāwāqif thā wuhmerī khidmat kartī hai.

45Pardesī dabak kar merīkhushāmad karte haiṅ. Jyoṅ hīmaiṅ bāt kartā hūṅ to wuh merīsunte haiṅ.

46Wuh himmat hār kar kāṅptehue apne qiloṅ se nikal āte haiṅ.

Page 244: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

238 2 Samuel 23:7

47Rab zindā hai! Merī chaṭān kītamjīd ho! Mere Khudā kī tāzīm hojo merī najāt kī chaṭān hai.

48Wuhī Khudā hai jo merāintaqām letā, aqwām ko mere tābekar detā

49aur mujhe mere dushmanoṅse chhuṭkārā detā hai. Yaqīnantū mujhe mere mukhālifoṅ parsarfarāz kartā, mujhe zālimoṅ sebachāe rakhtā hai.

50Ai Rab, is lie maiṅ aqwāmmeṅ terī hamd‐o‐sanā karūṅga,tere nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.

51Kyoṅki Rab apne bādshāh kobaṛī najāt detā hai, wuh apnemasah kie hue bādshāh Dāūdaur us kī aulād par hameshā takmehrbān rahegā.”

Dāūd ke Ākhirī Alfāz

23 Darj‐e‐zail Dāūd ke ākhirīalfāz haiṅ:

“Dāūd bin Yassī kā farmān jiseAllāh ne sarfarāz kiyā, jise Yāqūbke Khudā ne masah karke bādshāhbanā diyā thā, aur jis kī tārīf Isrāīlke gīt karte haiṅ,

2Rab ke Rūh ne merī mārifat bātkī, us kā farmān merī zabān parthā.

3Isrāīl ke Khudā ne farmāyā,Isrāīl kī Chaṭān mujh se hamkalāmhuī, ‘Jo insāf se hukūmat kartāhai, jo Allāh kā khauf mān karhukmrānī kartā hai,

4wuh subah kī raushnī kīmānindhai, us tulū‐e‐āftāb kī mānind jabbādal chhāe nahīṅ hote. Jab uskī kirneṅ bārish ke bād zamīn parpaṛtī haiṅ to paude phūṭ nikaltehaiṅ.’

5Yaqīnan merā gharānā mazbūtīse Allāh ke sāth hai, kyoṅki us nemere sāth abadī ahd bāndhā hai,aisā ahd jis kā har pahlūmunazzamaur mahfūz hai. Wuh merī najāttakmīl tak pahuṅchāegā aur merīhar ārzū pūrī karegā.

6Lekin bedīn khārdār jhāṛiyoṅ kīmānind haiṅ jo hawā ke jhoṅkoṅse idhar‐udhar bikhar gaī haiṅ.Kāṅṭoṅ kī wajah se koī bhī hāthnahīṅ lagātā.

7Log unheṅ lohe ke auzār yā nezeke daste se jamā karke wahīṅ kewahīṅ jalā dete haiṅ.”

Page 245: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 23:8 239

Dāūd ke Sūrmā8Darj‐e‐zail Dāūd ke sūrmāoṅ kīfahrist hai. Jo tīn afsar Yoāb ke bhāīAbīshai ke ain bād āte the un meṅYosheb‐bashebat Tahkamūnī pahlenambar par ātā thā. Ek bār us neapne neze se 800 ādmiyoṅ ko mārdiyā.

9In tīn afsaroṅmeṅ sedūsrī jagahpar Iliyazar bin Dodo bin Akhūhīātā thā. Ek jang meṅ jab unhoṅne Filistiyoṅ ko chaileṅj diyā thāaur Isrāīlī bād meṅ pīchhe haṭ gaeto Iliyazar Dāūd ke sāth 10Filistiyoṅkā muqābalā kartā rahā. Us dinwuh Filistiyoṅ ko mārte mārte itnāthak gayā ki ākhirkār talwār uṭhāna sakā balki hāth talwār ke sāthjam gayā. Rab ne us kī mārifatbaṛī fatah bakhshī. Bāqī daste sirflāshoṅ ko lūṭne ke lie lauṭ āe.

11Uskebād tīsrī jagahpar Sammābin Ajī‐harārī ātā thā. Ek martabāFilistī Lahī ke qarīb masūr kekhet meṅ Isrāīl ke khilāf laṛ rahethe. Isrāīlī faujī un ke sāmnebhāgne lage, 12lekin Sammā khetke darmiyān tak baṛh gayā aurwahāṅ laṛte laṛte Filistiyoṅ koshikast dī. Rab ne us kī mārifatbaṛī fatah bakhshī.

13‐14Ek aur jang ke daurān DāūdAdullām ke ġhār ke pahāṛī qilemeṅ thā jabki Filistī fauj neWādī‐e‐Rafāīm meṅ apnī lashkargāh lagāīthī. Un ke dastoṅ ne Bait‐lahampar bhī qabzā kar liyā thā. Fasalkā mausam thā. Dāūd ke tīs ālāafsaroṅ meṅ se tīn us se milne āe.15Dāūdko shadīdpyās lagī, aurwuhkahne lagā, “Kaun mere lie Bait‐laham ke darwāze par ke hauz sekuchh pānī lāegā?” 16Yih sun kartīnoṅ afsar Filistiyoṅ kī lashkargāhpar hamlā karke us meṅ ghus gaeaur laṛte laṛte Bait‐laham ke hauztak pahuṅch gae. Us se kuchh pānībhar kar wuh use Dāūd ke pās leāe. Lekin us ne pīne se inkār kardiyā balki use qurbānī ke taur parunḍel kar Rab ko pesh kiyā 17aurbolā, “Rab na kare ki maiṅ yihpānī piyūṅ. Agar aisā kartā to unādmiyoṅ kā khūn pītā jo apnī jānpar khel kar pānī lāe haiṅ.” Is liewuh use pīnā nahīṅ chāhtā thā. Yihin tīn sūrmāoṅ ke zabardast kāmoṅkī ek misāl hai.

18‐19Yoāb bin Zarūyāh kā bhāīAbīshai mazkūrā tīn sūrmāoṅ parmuqarrar thā. Ek dafā us ne apneneze se 300 ādmiyoṅ ko mār ḍālā.Tīnoṅ kī nisbat us kī dugnī izzat

Page 246: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

240 2 Samuel 24:2

kī jātī thī, lekin wuh khud un meṅginā nahīṅ jātā thā.

20Bināyāh bin Yahoyadā bhīzabardast faujī thā. Wuh Qabziyelkā rahne wālā thā, aur us ne bahutdafā apnī mardānagī dikhāī. Moābke do baṛe sūrmā us ke hāthoṅhalāk hue. Ek bār jab bahut barfpaṛ gaī to us ne ek hauz meṅ utarkar ek sherbabar ko mār ḍālā jo usmeṅ gir gayā thā. 21Ek aur mauqepar us kā wāstā ek dewqāmat Misrīse paṛā. Misrī ke hāthmeṅnezā thājabki us ke pās sirf lāṭhī thī. LekinBināyāh ne us par hamlā karke uske hāth se nezā chhīn liyā aur useus ke apne hathiyār se mār ḍālā.22Aisī bahādurī dikhāne kī binā parBināyāh bin Yahoyadā mazkūrā tīnādmiyoṅ ke barābar mashhūr huā.23Tīs afsaroṅ ke dīgar mardoṅ kīnisbat us kī zyādā izzat kī jātī thī,lekin wuh mazkūrā tīn ādmiyoṅmeṅ ginā nahīṅ jātā thā. Dāūd neuse apne muhāfizoṅ par muqarrarkiyā.

24Zail ke ādmī bādshāh ke 30sūrmāoṅ meṅ shāmil the.Yoāb kā bhāī Asāhel, Bait‐laham

kā Ilhanān bin Dodo, 25SammāHarodī, Ilīqā Harodī, 26KhalisFaltī, Taqua kā Īrā bin Aqqīs,

27Anatot kā Abiyazar, MabūnnīHūsātī, 28Zalmon Akhūhī, MahrīNatūfātī, 29Halib bin BānāNatūfātī,Binyamīnī shahr Jibiyā kā Ittī binRībī, 30Bināyāh Fir’ātonī, Nahle‐jās kā Hiddī, 31Abī‐albon Arbātī,Azmāwat Barhūmī, 32‐33IliyahbāSa’ālbūnī, banī Yasīn, Yūnatan binSammāHarārī, Akhiyām bin Sarār‐harārī, 34Ilīfalat bin Ahasbī Mākātī,Iliyām bin Akhītufal Jilonī, 35HasroKarmilī, Fārī Arbī, 36Zobāh kāIjāl bin Nātan, Bānī Jādī, 37SilaqAmmonī, Yoāb bin Zarūyāh kāsilāhbardār Nahrī Bairotī, 38ĪrāItrī, Jarīb Itrī 39aur Ūriyāh Hittī.Ādmiyoṅ kī kul tādād 37 thī.

Dāūd kī Mardumshumārī

24 Ek bār phir Rab ko Isrāīlpar ġhussā āyā, aur us ne

Dāūd ko unheṅmusībat meṅ ḍālnepar uksā kar us ke zahan meṅmardumshumārī karne kā khayālḍāl diyā.

2Chunāṅche Dāūd ne fauj kekamānḍar Yoāb ko hukm diyā,“Dān se le kar Bair‐sabā tak Isrāīlke tamām qabīloṅ meṅ se guzartehue jang karne ke qābil mardoṅ kogin leṅ tāki mālūm ho jāe ki un kī

Page 247: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 24:3 241

kul tādād kyā hai.” 3Lekin Yoābne etarāz kiyā, “Ai bādshāh mereāqā, kāsh Rab āp kā Khudā āp kedekhte dekhte faujiyoṅ kī tādād saugunā baṛhāe. Lekin mere āqā aurbādshāh un kī mardumshumārīkyoṅ karnā chāhte haiṅ?” 4Lekinbādshāh Yoāb aur fauj ke baṛeafsaroṅ ke etarāzāt ke bāwujūdapnī bāt par ḍaṭā rahā. Chunāṅchewuh darbār se rawānā ho kar Isrāīlke mardoṅ kī fahrist taiyār karnelage.

5Dariyā‐e‐Yardan ko ubūr karkeunhoṅ ne Aroīr aur Wādī‐e‐Arnonke bīch ke shahr meṅ shurū kiyā.Wahāṅ se wuh Jad aur Yāzer seho kar 6Jiliyād aur Hittiyoṅ kemulk ke shahr Qādis tak pahuṅche.Phir āge baṛhte baṛhte wuh Dānaur Saidā ke gird‐o‐nawāh keilāqe 7aur qilāband shahr Sūraur Hiwwiyoṅ aur Kanāniyoṅ ketamām shahroṅ tak pahuṅch gae.Ākhirkār unhoṅ ne Yahūdāh kejunūb kī mardumshumārī Bair‐sabā tak kī.

8Yoṅ pūre mulk meṅ safrkarte karte wuh 9 mahīnoṅ aur20 dinoṅ ke bād Yarūshalamwāpas āe. 9Yoāb ne bādshāh komardumshumārī kī pūrī riporṭ

pesh kī. Isrāīl meṅ talwār chalāneke qābil 8 lākh afrād the jabkiYahūdāh ke 5 lākh mard the.

10Lekin ab Dāūd kā zamīr us komalāmat karne lagā. Us ne Rabse duā kī, “Mujh se sangīn gunāhsarzad huā hai. Ai Rab, ab apnekhādim kā qusūr muāf kar. Mujhse baṛī hamāqat huī hai.”

11Agle din jab Dāūd subah kewaqt uṭhā to us ke ġhaibbīn JādNabī ko Rab kī taraf se paiġhāmmil gayā, 12“Dāūd ke pās jā kar usebatā denā, ‘Rab tujhe tīn sazāeṅpesh kartā hai. In meṅ se ek chunle.’” 13Jād Dāūd ke pās gayā aur useRab kā paiġhām sunā diyā. Us nesawāl kiyā, “Āp kis sazā ko tarjīhdete haiṅ? Apne mulk meṅ sāt sālke daurān kāl? Yā yih ki āp kedushman āp ko bhagā kar tīn māhtak āp kā tāqqub karte raheṅ? Yāyih ki āp ke mulk meṅ tīn din takwabā phail jāe? Dhyān se is ke bāremeṅ socheṅ tāki maiṅ use āp kājawābpahuṅchā sakūṅ jis nemujhebhejā hai.”

14Dāūd ne jawāb diyā, “Hāy,maiṅ kyā kahūṅ? Maiṅ bahutpareshān hūṅ. Lekin ādmiyoṅ kehāth meṅ paṛne kī nisbat behtar

Page 248: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

242 2 Samuel 24:25

hai ki maiṅ Rab hī ke hāth meṅ paṛjāūṅ, kyoṅki us kā rahm azīm hai.”

15Tab Rab ne Isrāīl meṅ wabāphailne dī. Wuh usī subah shurūhuī aur tīn din tak logoṅ ko mautke ghāṭ utārtī gaī. Shimāl meṅ Dānse le kar junūb meṅ Bair‐sabā takkul 70,000 afrād halāk hue. 16Lekinjab wabā kā farishtā chalte chalteYarūshalam tak pahuṅch gayā aurus par hāth uṭhāne lagā to Rabne logoṅ kī musībat ko dekh kartars khāyā aur tabāh karne wālefarishte ko hukmdiyā, “Bas kar! Abbāz ā.” Us waqt Rab kā farishtāwahāṅ khaṛā thā jahāṅ AraunāhYabūsī apnā anāj gāhtā thā.

17Jab Dāūd ne farishte ko logoṅko mārte hue dekhā to us neRab se iltamās kī, “Maiṅ hī negunāh kiyā hai, yih merā hī qusūrhai. In bheṛoṅ se kyā ġhaltī huīhai? Barāh‐e‐karm in ko chhoṛ karmujhe aur mere khāndān ko sazāde.”

18Usī din Jād Dāūd ke pās āyāaur us se kahā, “Araunāh Yabūsīkī gāhne kī jagah ke pās jā karus par Rab kī qurbāngāh banāle.” 19Chunāṅche Dāūd chaṛh kargāhne kī jagah ke pās āyā jis tarahRab ne Jād kī mārifat farmāyā thā.

20Jab Araunāh ne bādshāh aurus ke darbāriyoṅ ko apnī tarafchaṛhtā huā dekhā to wuh nikal karbādshāh ke sāmne aundhe muṅhjhuk gayā. 21Us ne pūchhā, “Mereāqā aur bādshāh mere pās kyoṅ āgae.” Dāūd ne jawāb diyā, “Maiṅ āpkī gāhne kī jagah kharīdnā chāhtāhūṅ tāki Rab ke lie qurbāngāhtāmīr karūṅ. Kyoṅki yih karne sewabā ruk jāegī.”

22Araunāh ne kahā, “Mere āqāaur bādshāh, jo kuchh āp koachchhā lage use le kar chaṛhāeṅ.Yih bail bhasm hone wālī qurbānīke lie hāzir haiṅ. Aur anāj kogāhne aur bailoṅ ko jotne kā sāmānqurbāngāh par rakh kar jalā deṅ.23Bādshāh salāmat, maiṅ khushī seāp ko yih sab kuchh de detā hūṅ.Duā hai ki āp Rab apne Khudā kopasand āeṅ.”

24Lekin bādshāh ne inkār kiyā,“Nahīṅ, maiṅ zarūr har chīz kīpūrī qīmat adā karūṅga. Maiṅ Rabapne Khudā ko aisī koī bhasm honewālī qurbānī pesh nahīṅ karūṅga jomujhe muft meṅ mil jāe.”Chunāṅche Dāūd ne bailoṅ

samet gāhne kī jagah chāṅdīke 50 sikkoṅ ke ewaz kharīd lī.25Us ne wahāṅ Rab kī tāzīm meṅ

Page 249: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Samuel 24:25 243

qurbāngāh tāmīr karke us parbhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. Tab Rab ne

mulk ke lie duā sun karwabā ko rokdiyā.

Page 250: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn

Adūniyāh kī Sāzish

1 Dāūd Bādshāh bahut būṛhāho chukā thā. Use hameshā

sardī lagtī thī, aur us par mazīdbistar ḍālne se koī fāydā na hotāthā. 2Yih dekh kar mulāzimoṅ nebādshāh se kahā, “Agar ijāzat ho toham bādshāh ke lie ek naujawānkuṅwārī ḍhūnḍ leṅ jo āp kī khidmatmeṅ hāzir rahe aur āp kī dekh‐bhāl kare. Laṛkī āp ke sāth leṭ karāp ko garm rakhe.” 3Chunāṅchewuh pūremulkmeṅ kisī khūbsūratlaṛkī kī talāsh karne lage. Ḍhūṅḍteḍhūṅḍte Abīshāg Shūnīmī ko chunkar bādshāh ke pās lāyā gayā. 4Abse wuh us kī khidmat meṅ hāzirhotī aur us kī dekh‐bhāl kartī rahī.Laṛkī nihāyat khūbsūrat thī, lekinbādshāh ne kabhī us se sohbat nakī.

5‐6Un dinoṅ meṅ Adūniyāhbādshāh banane kī sāzish karnelagā. Wuh Dāūd kī bīwī Hajjīt kābeṭā thā. Yoṅ wuh Abīsalūm kāsautelā bhāī aur us ke marne parDāūdkā sab sebaṛābeṭā thā. Shakl‐o‐sūrat ke lihāz se log us kī baṛī tārīfkiyā karte the, aur bachpan se us kebāp ne use kabhī nahīṅ ḍānṭā thāki tū kyā kar rahā hai. Ab Adūniyāhapne āp ko logoṅ ke sāmne peshkarke elān karne lagā, “Maiṅ hībādshāh banūṅgā.” Is maqsad ketaht us ne apne lie rath aur ghoṛekharīd kar 50 ādmiyoṅ ko rakh liyātāki wuh jahāṅ bhī jāe us ke āgeāge chalte raheṅ. 7Us ne Yoāb binZarūyāh aur Abiyātar Imām se bātkī to wuh us ke sāthī ban kar uskī himāyat karne ke lie taiyār hue.8Lekin Sadoq Imām, Bināyāh bin

Page 251: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 1:9 245

Yahoyadā aurNātanNabī us ke sāthnahīṅ the, na Simaī, Re’ī yā Dāūdke muhāfiz.

9Ek din Adūniyāh ne Ain‐rājilChashme ke qarīb kī chaṭān Zuhlatke pās ziyāfat kī. Kāfī bheṛ‐bakriyāṅ, gāy‐bail aur moṭe‐tāzebachhṛe zabah kie gae. Adūniyāhne bādshāh ke tamām beṭoṅ aurYahūdāh ke tamām shāhī afsaroṅko dāwat dī thī. 10Kuchh logoṅ kojān‐būjh kar is meṅ shāmil nahīṅkiyā gayā thā. Un meṅ us kā bhāīSulemān, Nātan Nabī, Bināyāh aurDāūd ke muhāfiz shāmil the.

Dāūd Sulemān ko BādshāhQarār Detā Hai

11Tab Nātan Sulemān kī māṅ Bat‐sabā se milā aur bolā, “Kyā yihkhabar āp tak nahīṅ pahuṅchī kiHajjīt ke beṭe Adūniyāh ne apneāp ko bādshāh banā liyā hai? Aurhamāre āqā Dāūd ko is kā ilm taknahīṅ! 12Āp kī aur āp ke beṭeSulemān kī zindagī baṛe khatremeṅ hai. Is lie lāzim hai ki āpmere mashware par fauran amalkareṅ. 13Dāūd Bādshāh ke pās jākar use batā denā, ‘Ai mere āqāaur bādshāh, kyā āp ne qasam

khā kar mujh se wādā nahīṅ kiyāthā ki terā beṭā Sulemān merebād takhtnashīn hogā? To phirAdūniyāh kyoṅ bādshāh ban gayāhai?’ 14Āpkī bādshāh se guftgū abhīkhatmnahīṅhogī kimaiṅdākhil hokar āp kī bāt kī tasdīq karūṅga.”

15Bat‐sabā fauran bādshāh kepās gaī jo sone ke kamre meṅleṭā huā thā. Us waqt to wuhbahut umrrasīdā ho chukā thā, aurAbīshāg us kī dekh‐bhāl kar rahīthī. 16Bat‐sabā kamre meṅ dākhilho kar bādshāh ke sāmne muṅh kebal jhuk gaī. Dāūd ne pūchhā, “Kyābāt hai?” 17Bat‐sabā ne kahā, “Mereāqā, āp ne to Rab apne Khudākī qasam khā kar mujh se wādākiyā thā ki terā beṭā Sulemān merebād takhtnashīn hogā. 18Lekin abAdūniyāh bādshāh ban baiṭhā haiaur mere āqā aur bādshāh ko iskā ilm tak nahīṅ. 19Us ne ziyāfatke lie bahut‐se gāy‐bail, moṭe‐tāze bachhṛe aur bheṛ‐bakriyāṅzabah karke tamām shahzādoṅko dāwat dī hai. Abiyātar Imāmaur fauj kā kamānḍar Yoāb bhīin meṅ shāmil haiṅ, lekin āp kekhādim Sulemān ko dāwat nahīṅmilī. 20Ai bādshāh mere āqā, iswaqt tamām Isrāīl kī āṅkheṅ āp par

Page 252: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

246 1 Salātīn 1:35

lagī haiṅ. Sab āp se yih jānane kelie taṛapte haiṅ ki āp ke bād kauntakhtnashīn hogā. 21Agar āp nejald hī qadam na uṭhāyā to āp kekūch kar jāne ke fauran bād maiṅaurmerā beṭā Adūniyāh kā nishānāban kar mujrim ṭhahreṅge.”

22‐23Bat‐sabā abhī bādshāh se bātkar hī rahī thī ki Dāūd ko ittalā dīgaī ki Nātan Nabī āp se milne āyāhai. Nabī kamre meṅ dākhil ho karbādshāh ke sāmne aundhe muṅhjhuk gayā. 24Phir us ne kahā, “Mereāqā, lagtā hai ki āp is haq meṅ haiṅki Adūniyāh āp ke bād takhtnashīnho. 25Kyoṅki āj us ne Ain‐rājiljā kar bahut‐se gāy‐bail, moṭe‐tāze bachhṛe aur bheṛ‐bakriyoṅ kozabah kiyā hai. Ziyāfat ke lieus ne tamām shahzādoṅ, tamāmfaujī afsaroṅ aur Abiyātar Imām kodāwat dī hai. Is waqtwuh us ke sāthkhānā khā khā kar aur mai pī pīkar nārā lagā rahe haiṅ, ‘AdūniyāhBādshāh zindābād!’ 26Kuchh logoṅko jān‐būjh kar dāwat nahīṅ dī. Unmeṅ maiṅ āp kā khādim, SadoqImām, Bināyāh bin Yahoyadā aurāp kā khādim Sulemān bhī shāmilhaiṅ. 27Mere āqā, kyā āp ne wāqaīis kā hukm diyā hai? Kyā āpne apne khādimoṅ ko ittalā die

baġhair faislā kiyā hai ki yih shakhsbādshāh banegā?”

28JawābmeṅDāūd ne kahā, “Bat‐sabā ko bulāeṅ!” Wuh wāpas āīaur bādshāh ke sāmne khaṛī ho gaī.29Bādshāh bolā, “Rab kī hayāt kīqasam jis ne fidyā de kar mujhehar musībat se bachāyā hai, 30āpkā beṭā Sulemānmere bād bādshāhhogā balki āj hī mere takht parbaiṭh jāegā. Hāṅ, āj hī maiṅ wuhwādā pūrā karūṅga jo maiṅ ne RabIsrāīl ke Khudā kī qasam khā karāp se kiyā thā.” 31Yih sun kar Bat‐sabā aundhe muṅh jhuk gaī aurkahā, “Merā mālik Dāūd Bādshāhzindābād!”

32Phir Dāūd ne hukm diyā,“Sadoq Imām, Nātan Nabī aurBināyāh bin Yahoyadā ko bulālāeṅ.” Tīnoṅ āe 33to bādshāh un semukhātibhuā, “Merebeṭe Sulemānko mere khachchar par biṭhāeṅ.Phir mere afsaroṅ ko sāth le karuse Jaihūn Chashme tak pahuṅchādeṅ. 34Wahāṅ Sadoq aur Nātanuse masah karke Isrāīl kā bādshāhbanā deṅ. Narsinge ko bajā bajākar nārā lagānā, ‘Sulemān Bādshāhzindābād!’ 35Is ke bād mere beṭeke sāth yahāṅ wāpas ā jānā. Wuhmahal meṅ dākhil ho kar mere

Page 253: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 1:36 247

takht par baiṭh jāe aur merī jagahhukūmat kare, kyoṅki maiṅ ne useIsrāīl aur Yahūdāh kā hukmrānmuqarrar kiyā hai.”

36Bināyāh bin Yahoyadā ne jawābdiyā, “Āmīn, aisā hī ho! Rab mereāqā kā Khudā is faisle par apnībarkat de. 37Aur jis tarah Rabāp ke sāth rahā usī tarah wuhSulemān ke sāth bhī ho, balki wuhus ke takht ko āp ke takht se kahīṅzyādā sarbuland kare!” 38PhirSadoq Imām, Nātan Nabī, Bināyāhbin Yahoyadā aur bādshāh kemuhāfiz Karetiyoṅ aur Faletiyoṅ neSulemān ko bādshāh ke khachcharpar biṭhā kar use Jaihūn Chashmetak pahuṅchā diyā. 39Sadoq kepās tel se bharā menḍhe kā wuhsīṅg thā jo muqaddas khaime meṅpaṛā rahtā thā. Ab us ne yih tel lekar Sulemān ko masah kiyā. Phirnarsingā bajāyā gayā aur log milkar nārā lagāne lage, “SulemānBādshāh zindābād! SulemānBādshāh zindābād!” 40Tamām logbāṅsrī bajāte aur khushī manātehue Sulemān ke pīchhe chalnelage. Jab wuh dubārā Yarūshalammeṅ dākhil huā to itnā shor thā kizamīn laraz uṭhī.

Adūniyāh kī Shikast41Logoṅ kī yih āwāzeṅ Adūniyāhaur us ke mehmānoṅ tak bhīpahuṅchgaīṅ. Thoṛī der pahlewuhkhāne se fāriġh hue the. Narsingekī āwāz sun kar Yoāb chaunk uṭhāaur pūchhā, “Yih kyā hai? Shahrse itnā shor kyoṅ sunāī de rahāhai?” 42Wuhabhī yihbāt karhī rahāthā ki Abiyātar kā beṭā Yūnatanpahuṅch gayā. Yoāb bolā, “Hamārepās āeṅ. Āp jaise lāyq ādmī achchhīkhabar le kar ā rahe hoṅge.”

43Yūnatan ne jawāb diyā, “Afsos,aisā nahīṅ hai. Hamāre āqā DāūdBādshāh ne Sulemān ko bādshāhbanā diyā hai. 44Us ne use SadoqImām, Nātan Nabī, Bināyāh binYahoyadā aur bādshāh ke muhāfizKaretiyoṅ aur Faletiyoṅ ke sāthJaihūn Chashme ke pās bhejdiyā hai. Sulemān Bādshāh kekhachchar par sawār thā. 45JaihūnChashme ke pās Sadoq Imām aurNātan Nabī ne use masah karkebādshāh banā diyā. Phir wuhkhushī manāte hue shahr meṅwāpas chale gae. Pūre shahr meṅhalchal mach gaī. Yihī wuh shorhai jo āp ko sunāī de rahā hai. 46AbSulemān takht par baiṭh chukā hai,

Page 254: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

248 1 Salātīn 2:4

47aur darbārī hamāre āqā DāūdBādshāh ko mubārakbād dene kelie us ke pās pahuṅch gae haiṅ.Wuh kah rahe haiṅ, ‘Āp kā Khudākare ki Sulemān kā nām āp kenām se bhī zyādā mashhūr ho jāe.Us kā takht āp ke takht se kahīṅzyādā sarbuland ho.’ Bādshāh neapne bistar par jhuk kar Allāh kīparastish kī 48aur kahā, ‘Rab Isrāīlke Khudā kī tamjīd ho jis ne merebeṭoṅ meṅ se ek ko merī jagahtakht par biṭhā diyā hai. Us kāshukr hai ki maiṅ apnī āṅkhoṅ seyih dekh sakā.’”

49Yūnatan kemuṅh se yih khabarsun kar Adūniyāh ke tamāmmehmān ghabrā gae. Sab uṭh karchāroṅ taraf muntashir ho gae.50Adūniyāh Sulemān se khauf khākar muqaddas khaime ke pās gayāaur qurbāngāh ke sīṅgoṅ se lipaṭgayā. 51Kisī ne Sulemān ke pāsjā kar use ittalā dī, “Adūniyāh koSulemān Bādshāh se khauf hai, islie wuh qurbāngāh ke sīṅgoṅ selipṭe hue kah rahā hai, ‘SulemānBādshāh pahle qasam khāe kiwuh mujhe maut ke ghāṭ nahīṅutāregā.’” 52Sulemān ne wādā kiyā,“Agar wuh lāyq sābit ho to us kā ekbāl bhī bīkā nahīṅ hogā. Lekin jab

bhī us meṅ badī pāī jāe wuh zarūrmaregā.”

53Sulemān ne apne logoṅ koAdūniyāh ke pās bhej diyā tāki wuhuse bādshāh ke pās pahuṅchāeṅ.Adūniyāh āyā aur Sulemān kesāmne aundhe muṅh jhuk gayā.Sulemān bolā, “Apne ghar chalejāo!”

Dāūd kī Ākhirī Hidāyāt

2 Jab Dāūd ko mahsūs huā kikūch kar jāne kā waqt qarīb

hai to us ne apne beṭe Sulemān kohidāyat kī, 2“Abmaiṅwahāṅ jā rahāhūṅ jahāṅ duniyā ke har shakhs kojānā hotā hai. Chunāṅche mazbūthoṅ aur mardānagī dikhāeṅ. 3Jokuchh Rab āp kā Khudā āp sechāhtā hai wuh kareṅ aur us kīrāhoṅ par chalte raheṅ. Allāh kīsharīat meṅ darj har hukm aurhidāyat par pūre taur par amalkareṅ. Phir jo kuchh bhī kareṅgeaur jahāṅ bhī jāeṅge āp ko kāmyābīnasīb hogī. 4Phir Rab mere sāthapnā wādā pūrā karegā. Kyoṅkius ne farmāyā hai, ‘Agar terī aulādapne chāl‐chalan par dhyān dekar pūre dil‐o‐jān se merī wafādār

Page 255: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 2:5 249

rahe to Isrāīl par us kī hukūmathameshā tak qāym rahegī.’

5Do ek aur bāteṅ bhī haiṅ. Āpko khūb mālūm hai ki Yoāb binZarūyāh ne mere sāth kaisā sulūkkiyā hai. Isrāīl ke do kamānḍaroṅAbinair bin Nair aur Amāsā binYatar ko us ne qatl kiyā. Jab jangnahīṅ thī us ne jang kā khūn bahākar apnī peṭī aur jūtoṅ ko bequsūrkhūn se ālūdā kar liyā hai. 6Uske sāth wuh kuchh kareṅ jo āp komunāsib lage. Yoāb būṛhā to hai,lekin dhyān deṅ ki wuh tabaī mautna mare. 7Tāham Barzillī Jiliyādīke beṭoṅ parmehrbānī kareṅ. Wuhāp kī mez ke mustaqil mehmānraheṅ, kyoṅki unhoṅ ne mere sāthbhī aisā hī sulūk kiyā jab maiṅ neāp ke bhāī Abīsalūm kī wajah seYarūshalam se hijrat kī. 8Bahūrīmke Binyamīnī Simaī bin Jīrā par bhīdhyān deṅ. Jis dinmaiṅ hijrat kartehue Mahanāym se guzar rahā thāto us ne mujh par lānateṅ bhejīṅ.Lekin merī wāpasī par wuh Dariyā‐e‐Yardan parmujh semilne āyā aurmaiṅ ne Rab kī qasam khā kar us sewādākiyāki usemaut ke ghāṭnahīṅutārūṅga. 9Lekin āp us kā jurmnazarandāz na kareṅ balki us kīmunāsib sazā deṅ. Āp dānishmand

haiṅ, is lie āp zarūr sazā dene kākoī na koī tarīqā ḍhūnḍ nikāleṅge.Wuh būṛhā to hai, lekin dhyān deṅki wuh tabaī maut na mare.”

10Phir Dāūd mar kar apnebāpdādā se jā milā. UseYarūshalam ke us hisse meṅ dafnkiyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātāhai. 11Wuh kul 40 sāl tak Isrāīlkā bādshāh rahā, sāt sāl Habrūnmeṅ aur 33 sāl Yarūshalam meṅ.12Sulemān apne bāp Dāūd ke bādtakhtnashīn huā. Us kī hukūmatmazbūtī se qāym huī.

Adūniyāh kī Maut13Ek din Dāūd kī bīwī Hajjīt kābeṭā Adūniyāh Sulemān kī māṅBat‐sabā ke pās āyā. Bat‐sabā nepūchhā, “Kyā āp amnpasand irādārakh kar āe haiṅ?” Adūniyāh bolā,“Jī, 14balkimerī āp se guzārish hai.”Bat‐sabā ne jawāb diyā, “To phir

batāeṅ!” 15Adūniyāh ne kahā, “Āpto jāntī haiṅ ki asal meṅ bādshāhbanane kā haq merā thā. Auryih tamām Isrāīl kī tawaqqo bhīthī. Lekin ab to hālāt badal gaehaiṅ. Merā bhāī bādshāh bangayā hai, kyoṅki yihī Rab kī marzīthī. 16Ab merī āp se darkhāst

Page 256: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

250 1 Salātīn 2:26

hai. Is se inkār na kareṅ.” Bat‐sabā bolī, “Batāeṅ.” 17Adūniyāh nekahā, “Maiṅ Abīshāg Shūnīmī seshādī karnā chāhtā hūṅ. Barāh‐e‐karm Sulemān Bādshāh ke sāmnemerī sifārish kareṅ tāki bāt banjāe. Agar āp bāt kareṅ to wuhinkār nahīṅ karegā.” 18Bat‐sabārāzī huī, “Chaleṅ, ṭhīk hai. Maiṅ āpkā yih muāmalā bādshāh ko peshkarūṅgī.”

19Chunāṅche Bat‐sabā SulemānBādshāh ke pās gaī tāki useAdūniyāh kā muāmalā pesh kare.Jab darbār meṅ pahuṅchī tobādshāhuṭh kar us semilne āyā aurus ke sāmne jhuk gayā. Phir wuhdubārā takht par baiṭh gayā aurhukm diyā ki māṅ ke lie bhī takhtrakhā jāe. Bādshāh ke dahne hāthbaiṭh kar 20us ne apnā muāmalāpesh kiyā, “Merī āp se ek chhoṭī‐sīguzārish hai. Is se inkār na kareṅ.”Bādshāh ne jawāb diyā, “Ammī,batāeṅ apnī bāt, maiṅ inkār nahīṅkarūṅga.” 21Bat‐sabā bolī, “Apnebhāī Adūniyāh ko Abīshāg Shūnīmīse shādī karne deṅ.”

22Yih sun kar Sulemān bhaṛakuṭhā, “Adūniyāh kī Abīshāg seshādī!! Yih kaisī bāt hai jo āp peshkar rahī haiṅ? Agar āp yih chāhtī

haiṅ to kyoṅ na barāh‐e‐rāst taqāzākareṅ ki Adūniyāhmerī jagah takhtpar baiṭh jāe. Ākhir wuhmerā baṛābhāī hai, aur Abiyātar Imām aurYoāb bin Zarūyāh bhī us kā sāthde rahe haiṅ.” 23Phir SulemānBādshāh ne Rab kī qasam khā karkahā, “Is darkhāst se Adūniyāh neapnīmaut parmuhr lagāī hai. Allāhmujhe sakht sazā de agar maiṅ usemaut ke ghāṭ na utārūṅ. 24Rabkī qasam jis ne merī tasdīq karkemujhe mere bāp Dāūd ke takhtpar biṭhā diyā aur apne wāde kemutābiq mere lie ghar tāmīr kiyāhai, Adūniyāh ko āj hī marnā hai!”

25Phir Sulemān Bādshāh neBināyāh bin Yahoyadā ko hukmdiyā ki wuh Adūniyāh ko maut keghāṭ utār de. Chunāṅche wuh niklāaur use mār ḍālā.

Yoāb aur Abiyātar kī Sazā26Abiyātar Imām se bādshāhne kahā, “Ab yahāṅ se chalejāeṅ. Anatot meṅ apne ghar meṅraheṅ aur wahāṅ apnī zamīneṅsaṅbhāleṅ. Go āp sazā‐e‐mautke lāyq haiṅ to bhī maiṅ is waqtāp ko nahīṅ mār dūṅgā, kyoṅkiāp mere bāp Dāūd ke sāmne Rab

Page 257: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 2:27 251

Qādir‐e‐mutlaq ke ahd kā sandūquṭhāe har jagah un ke sāth gae. Āpmere bāp ke tamām taklīfdeh aurmushkiltarīn lamhāt meṅ sharīkrahe haiṅ.” 27Yih kah kar Sulemānne Abiyātar kā Rab ke huzūr imāmkī khidmat saranjām dene kā haqmansūkh kar diyā. Yoṅ Rab kī wuhpeshgoī pūrī huī jo us ne Sailā meṅElī ke gharāne ke bāre meṅ kī thī.

28Yoāb ko jald hī patā chalāki Adūniyāh aur Abiyātar se kyākuchh huā hai. Wuh Abīsalūm kīsāzishoṅ meṅ to sharīk nahīṅ huāthā lekin bād meṅ Adūniyāh kāsāthī ban gayā thā. Is lie ab wuhbhāg kar Rab ke muqaddas khaimemeṅ dākhil huā aur qurbāngāh kesīṅgoṅ ko pakaṛ liyā. 29SulemānBādshāh ko ittalā dī gaī, “Yoābbhāg kar Rab ke muqaddas khaimemeṅ gayā hai. Ab wuh wahāṅqurbāngāh ke pās khaṛā hai.” Yihsun kar Sulemān ne Bināyāh binYahoyadā ko hukm diyā, “Jāo, Yoābko mār do!”

30Bināyāh Rab ke khaime meṅjā kar Yoāb se mukhātib huā,“Bādshāh farmātā hai ki khaimese nikal āo!” Lekin Yoāb ne jawābdiyā, “Nahīṅ, agar marnā hai toyihīṅ marūṅga.” Bināyāh bādshāh

ke pās wāpas āyā aur use Yoāb kājawāb sunāyā. 31Tab bādshāh nehukm diyā, “Chalo, us kī marzī!Use wahīṅ mār kar dafn kar do tākimaiṅ aur mere bāp kā gharānā unqatloṅ ke jawābdeh na ṭhahreṅ jous ne bilāwajah kie haiṅ. 32Rabuse un do ādmiyoṅ ke qatl kī sazāde jo us se kahīṅ zyādā sharīfaur achchhe the yānī Isrāīlī faujkā kamānḍar Abinair bin Nairaur Yahūdāh kī fauj kā kamānḍarAmāsā bin Yatar. Yoāb ne donoṅko talwār semār ḍālā, hālāṅkimerebāp ko is kā ilm nahīṅ thā. 33Yoābaur us kī aulād hameshā tak inqatloṅ ke qusūrwār ṭhahreṅ. LekinRab Dāūd, us kī aulād, gharāne aurtakht ko hameshā tak salāmatī atākare.”

34Tab Bināyāh ne muqaddaskhaime meṅ jā kar Yoāb ko mārdiyā. Use Yahūdāh ke bayābānmeṅus kī apnī zamīn meṅ dafnā diyāgayā. 35Yoāb kī jagah bādshāh neBināyāh bin Yahoyadā ko fauj kākamānḍar banā diyā. Abiyātar kāohdā us ne Sadoq Imām ko de diyā.

Page 258: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

252 1 Salātīn 3:1

Simaī kī Maut36Is ke bād bādshāh ne Simaī kobulā kar use hukm diyā, “YahāṅYarūshalam meṅ apnā ghar banākar rahnā. Āindā āp ko shahrse nikalne kī ijāzat nahīṅ hai,khāh āp kahīṅ bhī jānā chāheṅ.37Yaqīn jāneṅ ki jyoṅ hī āp shahrke darwāze se nikal kar Wādī‐e‐Qidron ko pār kareṅge to āp komārdiyā jāegā. Tab āp khud apnī mautke zimmedār ṭhahreṅge.” 38Simaīne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, jo kuchhmere āqā ne farmāyā hai maiṅkarūṅga.”Simaī der tak bādshāh ke hukm

ke mutābiq Yarūshalam meṅ rahā.39Tīn sāl yoṅ hī guzar gae. Lekinek din us ke do ġhulām bhāg gae.Chalte chalte wuh Jāt ke bādshāhAkīs bin Mākā ke pās pahuṅch gae.Kisī ne Simaī ko ittalā dī, “Āp keġhulām Jāt meṅ ṭhahre hue haiṅ.”40Wuh fauran apne gadhe par zīnkas kar ġhulāmoṅ ko ḍhūṅḍne kelie Jāt meṅ Akīs ke pās chalā gayā.Donoṅ ġhulām ab tak wahīṅ the toSimaī unheṅ pakaṛ kar Yarūshalamwāpas le āyā.

41Sulemān ko khabar milī kiSimaī Jāt jā kar lauṭ āyā hai. 42Tab

us ne use bulā kar pūchhā, “Kyāmaiṅ ne āp ko āgāh karke nahīṅkahā thā ki yaqīn jāneṅ ki jyoṅhī āp Yarūshalam se nikleṅge āpko mār diyā jāegā, khāh āp kahīṅbhī jānā chāheṅ. Aur kyā āp nejawāb meṅ Rab kī qasam khā karnahīṅ kahā thā, ‘Ṭhīk hai, maiṅaisā hī karūṅga?’ 43Lekin ab āp neapnī qasam toṛ kar mere hukm kīkhilāfwarzī kī hai. Yih āp ne kyoṅkiyā hai?” 44Phir bādshāh ne kahā,“Āp khūb jānte haiṅ ki āp ne merebāp Dāūd ke sāth kitnā burā sulūkkiyā. Ab Rab āp ko is kī sazā degā.45Lekin Sulemān Bādshāh ko wuhbarkat detā rahegā, aur Dāūd kātakht Rab ke huzūr abad tak qāymrahegā.”

46Phir bādshāh ne Bināyāh binYahoyadā ko hukm diyā ki wuhSimaī ko mār de. Bināyāh ne usebāhar le jā kar talwār se mār diyā.Yoṅ Sulemān kī Isrāīl par hukūmatmazbūt ho gaī.

Sulemān Rab se HikmatMāṅgtā Hai

3 Sulemān Firaun kī beṭī seshādī karke Misrī bādshāh kā

dāmād ban gayā. Shurū meṅ us kī

Page 259: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 3:2 253

bīwī shahr ke us hisse meṅ rahtīthī jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā thā.Kyoṅki us waqt nayāmahal, Rab kāghar aur shahr kī fasīl zer‐e‐tāmīrthe.

2Un dinoṅ meṅ Rab ke nām kāghar tāmīr nahīṅ huā thā, is lieIsrāīlī apnī qurbāniyāṅ mukhtalifūṅchī jaghoṅ par chaṛhāte the.3Sulemān Rab se pyār kartā thāaur is lie apne bāp Dāūd kī tamāmhidāyāt ke mutābiq zindagī guzārtāthā. Lekin wuh bhī jānwaroṅ kīapnī qurbāniyāṅ aur bakhūr aise hīmaqāmoṅ par Rab ko pesh kartāthā.

4Ek din bādshāh Jibaūn gayāaur wahāṅ bhasm hone wālī 1,000qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ, kyoṅki usshahr kī ūṅchī jagah qurbāniyāṅchaṛhāne kā sab se aham markazthī. 5Jabwuhwahāṅ ṭhahrā huā thāto Rab khāb meṅ us par zāhir huāaur farmāyā, “Terā dil kyā chāhtāhai? Mujhe batā de to maiṅ terīkhāhish pūrī karūṅga.”

6Sulemān ne jawāb diyā, “Tūmere bāp Dāūd par baṛī mehrbānīkar chukā hai. Wajah yih thī kiterā khādim wafādārī, insāf aurkhulūsdilī se tere huzūr chaltārahā. Terī us par mehrbānī āj tak

jārī rahī hai, kyoṅki tū ne us kābeṭā us kī jagah takhtnashīn kardiyā hai. 7Ai Rab mere Khudā, tūne apne khādim ko mere bāp Dāūdkī jagah takht par biṭhā diyā hai.Lekin maiṅ abhī chhoṭā bachchāhūṅ jise apnī zimmedāriyāṅ sahīhtaur par saṅbhālne kā tajrabānahīṅ huā. 8To bhī tere khādim koterī chunī huī qaum ke bīch meṅkhaṛā kiyā gayā hai, itnī azīm qaumke darmiyān ki use ginā nahīṅ jāsaktā. 9Chunāṅche mujhe sunanewālā dil atā farmā tāki maiṅ terīqaum kā insāf karūṅ aur sahīhaur ġhalat bātoṅ meṅ imtiyāz karsakūṅ. Kyoṅki kaun terī is azīmqaum kā insāf kar saktā hai?”

10Sulemān kī yih darkhāst Rabko pasand āī, 11is lie us ne jawābdiyā, “Maiṅ khush hūṅ ki tū ne naumr kī darāzī, na daulat aur naapne dushmanoṅ kī halākat balkiimtiyāz karne kī salāhiyat māṅgīhai tāki sun kar insāf kar sake.12Is lie maiṅ terī darkhāst pūrīkarke tujhe itnā dānishmand aursamajhdār banā dūṅgā ki utnā namāzī meṅ koī thā, na mustaqbilmeṅ kabhī koī hogā. 13Balki tujhewuh kuchh bhī de dūṅgā jo tūne nahīṅ māṅgā, yānī daulat aur

Page 260: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

254 1 Salātīn 3:26

izzat. Tere jīte‐jī koī aur bādshāhtere barābar nahīṅ pāyā jāegā.14Agar tū merī rāhoṅ par chaltārahe aur apne bāp Dāūd kī tarahmere ahkām ke mutābiq zindagīguzāre to phir maiṅ terī umr darāzkarūṅga.”

15Sulemān jāg uṭhā to mālūmhuā ki maiṅ ne khāb dekhā hai.Wuh Yarūshalam ko wāpas chalāgayā aur Rab ke ahd ke sandūqke sāmne khaṛā huā. Wahāṅ usne bhasm hone wālī aur salāmatīkī qurbāniyāṅ pesh kīṅ, phir baṛīziyāfat kī jis meṅ tamām darbārīsharīk hue.

Do Kasbiyoṅ ke Bachche ke bāremeṅ Sulemān kā Faislā

16Ek din do kasbiyāṅ bādshāh kepās āīṅ. 17Ek bāt karne lagī, “Mereāqā, ham donoṅ ek hī ghar meṅbastī haiṅ. Kuchh der pahle iskī maujūdagī meṅ ghar meṅ merebachchā paidā huā. 18Do din kebād is ke bhī bachā huā. Ham akelīhī thīṅ, hamāre siwā ghar meṅ koīaur nahīṅ thā. 19Ek rāt ko merīsāthī kā bachchāmar gayā. Māṅ nesote meṅ karwaṭeṅ badalte badalteapne bachche ko dabā diyā thā.

20Rātoṅ rāt ise mālūm huā ki beṭāmar gayā hai. Maiṅ abhī gahrī nīndso rahī thī. Yih dekh kar is ne merebachche ko uṭhāyā aur apnemurdebeṭe ko merī god meṅ rakh diyā.Phir wuh mere beṭe ke sāth so gaī.21Subah kewaqt jabmaiṅ apne beṭeko dūdh pilāne ke lie uṭhī to dekhāki us se jān nikal gaī hai. Lekin jabdin mazīd chaṛhā aur maiṅ ġhaurse use dekh sakī to kyā dekhtī hūṅki yih wuh bachchā nahīṅ hai jisemaiṅ ne janm diyā hai!”

22Dūsrī aurat ne us kī bāt kāṭkar kahā, “Hargiz nahīṅ! Yih jhūṭhai. Merā beṭā zindā hai aur terāto mar gayā hai.” Pahlī aurat chīkhuṭhī, “Kabhī bhī nahīṅ! Zindābachchā merā aur murdā bachchāterā hai.” Aisī bāteṅ karte kartedonoṅ bādshāh ke sāmne jhagaṛtīrahīṅ.

23Phir bādshāh bolā, “Sīdhī‐sī bātyih hai ki donoṅ hī dāwā kartīhaiṅ ki zindā bachchāmerā hai aurmurdābachchādūsrī kāhai. 24Ṭhīkhai, phir mere pās talwār le āeṅ!”Us ke pās talwār lāī gaī. 25Tab usne hukm diyā, “Zindā bachche kobarābar ke do hissoṅ meṅ kāṭ karhar aurat ko ek ek hissā de deṅ.”26Yih sun kar bachche kī haqīqī

Page 261: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 3:27 255

māṅ ne jis kā dil apne beṭe ke lietaṛaptā thā bādshāh se iltamās kī,“Nahīṅ mere āqā, use mat māreṅ!Barāh‐e‐karm use isī ko de dījie.”Lekin dūsrī aurat bolī, “Ṭhīk hai,

use kāṭ deṅ. Agar yih merā nahīṅhogā to kam az kam terā bhī nahīṅhogā.”

27Yih dekh kar bādshāh ne hukmdiyā, “Rukeṅ! Bachche par talwārmat chalāeṅ balki use pahlī auratko de deṅ jo chāhtī hai ki zindārahe. Wuhī us kī māṅ hai.” 28Jaldhī Sulemān ke is faisle kī khabarpūremulkmeṅ phail gaī, aur logoṅpar bādshāh kā khauf chhā gayā,kyoṅki unhoṅne jān liyā ki Allāhneuse insāf karne kī khās hikmat atākī hai.

Sulemān ke Sarkārī Afsaroṅkī Fahrist

4 Ab Sulemān pūre Isrāīl parhukūmat kartā thā. 2Yih us ke

ālā afsar the:imām‐e‐āzam: Azariyāh bin

Sadoq,3mīrmunshī: Sīsā ke beṭe Ilīhūrif

aur Akhiyāh,bādshāh kā mushīr‐e‐khās:

Yahūsafat bin Akhīlūd,

4fauj kā kamānḍar: Bināyāh binYahoyadā,imām: Sadoq aur Abiyātar,5ziloṅ par muqarrar afsaroṅ kā

sardār: Azariyāh bin Nātan,bādshāh kā qarībī mushīr: imām

Zabūd bin Nātan,6mahal kā inchārj: Akhīsar,begāriyoṅ kā inchārj: Adūnīrām

bin Abdā7Sulemān ne Mulk‐e‐Isrāīl ko

bārah ziloṅ meṅ taqsīm karke harzile par ek afsar muqarrar kiyā thā.In afsaroṅ kī ek zimmedārī yih thīki darbār kī zarūriyāt pūrī kareṅ.Har afsar ko sāl meṅ ek māh kīzarūriyāt pūrī karnī thīṅ. 8Darj‐e‐zail in afsaroṅ aur un ke ilāqoṅkī fahrist hai. Bin‐hūr: Ifrāīm kāpahāṛī ilāqā,

9Bin‐diqar: Maqas, Sālbīm, Bait‐shams aur Ailon‐bait‐hanān,

10Bin‐hasad: Arubbot, Sokā aurHifar kā ilāqā,

11Sulemān kī beṭī Tāfat kāshauharBin‐abīnadāb: sāhilī shahrDor kā pahāṛī ilāqā,

12Bānā bin Akhīlūd: Tānak,Majiddo aur us Bait‐shān kā pūrāilāqā jo Zartān ke paṛos meṅYazrael ke nīche wāqe hai, nīz Bait‐

Page 262: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

256 1 Salātīn 4:27

shān se le kar Abīl‐mahūlā tak kāpūrā ilāqā bashamūl Yuqmiyām,

13Bin‐jabar: Jiliyād meṅ Rāmātkā ilāqā bashamūl Yāīr binManassīkī bastiyāṅ, phir Basan meṅ Arjūbkā ilāqā. Is meṅ 60 aise fasīldārshahr shāmil the jin ke darwāzoṅpar pītal ke kunḍe lage the,

14Akhīnadāb bin Iddū:Mahanāym,

15Sulemān kī beṭī Bāsamat kāshauhar Akhīmāz: Naftālī kāqabāylī ilāqā,

16Bānā bin Hūsī: Āshar kāqabāylī ilāqā aur Bālot,

17Yahūsafat bin Farūh: Ishkār kāqabāylī ilāqā,

18Simaī bin Ailā: Binyamīn kāqabāylī ilāqā,

19Jabar bin Ūrī Jiliyād kā wuhilāqā jis par pahle Amorī bādshāhSīhon aur Basan ke bādshāh Oj kīhukūmat thī. Is pūre ilāqe par sirfyihī ek afsar muqarrar thā.

Sulemān kī Hukūmat kī Azmat20Us zamāne meṅ Isrāīl aurYahūdāh ke log sāhil kī ret kīmānind beshumār the. Logoṅko khāne aur pīne kī sab chīzeṅdastyāb thīṅ, aur wuh khush the.

21Sulemān Dariyā‐e‐Furāt se lekar Filistiyoṅ ke ilāqe aur Misrīsarhad tak tamām mamālik parhukūmat kartā thā. Us ke jīte‐jī yihmamālik us ke tābe rahe aur usekharāj dete the.

22Sulemān ke darbār kī rozānāzarūriyāt yih thīṅ: taqrīban 5,000kilogrām bārīk maidā, taqrīban10,000 kilogrām ām maidā, 2310moṭe‐tāze bail, charāgāhoṅ meṅpale hue 20 ām bail, 100 bheṛ‐bakriyāṅ, aur is ke alāwā hiran,ġhazāl, mrig aur mukhtalif qism kemoṭe‐tāze murġh.

24Jitne mamālik Dariyā‐e‐Furātke maġhrib meṅ the un sab parSulemān kī hukūmat thī, yānīTifsah se le kar Ġhazzā tak. Kisī bhīpaṛosī mulk se us kā jhagaṛā nahīṅthā, balki sab ke sāth sulah thī. 25Uske jīte‐jī pūre Yahūdāh aur Isrāīlmeṅ sulah‐salāmatī rahī. Shimālmeṅ Dān se le kar junūb meṅ Bair‐sabā tak har ek salāmatī se angūr kīapnī bel aur anjīr ke apne darakhtke sāy meṅ baiṭh saktā thā.

26Apne rathoṅ ke ghoṛoṅ ke lieSulemān ne 4,000 thān banwāe. Uske 12,000 ghoṛe the. 27Bārah ziloṅpar muqarrar afsar bāqāydagī seSulemān Bādshāh aur us ke darbār

Page 263: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 4:28 257

kī zarūriyāt pūrī karte rahe. Har ekko sāl meṅ ekmāh ke lie sab kuchhmuhaiyā karnā thā. Un kī mehnatkī wajah se darbār meṅ koī kamīna huī. 28Bādshāh kī hidāyat kemutābiq wuh rathoṅ ke ghoṛoṅ aurdūsre ghoṛoṅ ke lie darkār jau aurbhūsā barāh‐e‐rāst un ke thānoṅtak pahuṅchāte the.

29Allāh ne Sulemān ko bahutzyādā hikmat aur samajh atā kī.Use sāhil kī ret jaisā wasī ilmhāsil huā. 30Us kī hikmat Isrāīlke mashriq meṅ rahne wāle aurMisr ke ālimoṅ se kahīṅ zyādā thī.31Is lihāz se koī bhī us ke barābarnahīṅ thā. Wuh Aitān Izrāhī aurMahol ke beṭoṅ Haimān, Kalkūlaur Dardā par bhī sabqat le gayāthā. Us kī shohrat irdgird ke tamāmmamālik meṅ phail gaī. 32Us ne3,000 kahāwateṅ aur 1,005 gīt likhdie. 33Wuh tafsīl se mukhtalif qismke paudoṅ ke bāre meṅ bāt karsaktā thā, Lubnān meṅ deodārke baṛe darakht se le kar chhoṭepaude zūfā tak jo dīwār kī darāṛoṅmeṅ ugtā hai. Wuh mahārat sechaupāiyoṅ, parindoṅ, reṅgnewāle jānwaroṅ aur machhliyoṅ kītafsīlāt bhī bayān kar saktā thā.34Chunāṅche tamām mamālik ke

bādshāhoṅ ne apne safīroṅ koSulemān ke pās bhej diyā tāki uskī hikmat suneṅ.

Hīrām Bādshāh ke sāth SulemānkāMuāhadā

5 Sūr kā bādshāh Hīrāmhameshā Dāūd kā achchhā

dost rahā thā. Jab use khabarmilī ki Dāūd ke bād Sulemānko masah karke bādshāh banāyāgayā hai to us ne apne safīroṅ kouse mubārakbād dene ke lie bhejdiyā. 2Tab Sulemān ne Hīrām kopaiġhām bhejā, 3“Āp jānte haiṅ kimere bāp Dāūd Rab apne Khudāke nām ke lie ghar tāmīr karnāchāhte the. Lekin yih un ke baskī bāt nahīṅ thī, kyoṅki un ke jīte‐jīirdgird kemamālik un se jang karterahe. Go Rab ne Dāūd ko tamāmdushmanoṅ par fatah bakhshī thī,lekin laṛte laṛte wuh Rab kā gharna banā sake. 4Ab hālāt farq haiṅ:Rab mere Khudā ne mujhe pūrāsukūn atā kiyā hai. Chāroṅ tarafna koī mukhālif nazar ātā hai, nakoī khatrā. 5Is lie maiṅ Rab apneKhudā ke nām ke lie ghar tāmīrkarnā chāhtā hūṅ. Kyoṅki merebāp Dāūd ke jīte‐jī Rab ne un se

Page 264: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

258 1 Salātīn 5:16

wādākiyā thā, ‘Tere jis beṭe komaiṅtere bād takht par biṭhāūṅgā wuhīmere nām ke lie ghar banāegā.’6Ab guzārish hai ki āp ke lakaṛhāreLubnān meṅ mere lie deodār kedarakht kāṭ deṅ. Mere log un kesāth mil kar kām kareṅge. Āpke logoṅ kī mazdūrī maiṅ hī adākarūṅga. Jo kuchh bhī āp kaheṅgemaiṅ unheṅ dūṅgā. Āp to khūbjānte haiṅ ki hamāre hāṅ Saidāke lakaṛhāroṅ jaise māhir nahīṅhaiṅ.”

7Jab Hīrām ko Sulemān kāpaiġhām milā to wuh bahut khushho kar bol uṭhā, “Āj Rab kī hamdho jis ne Dāūd ko is baṛī qaumpar hukūmat karne ke lie itnādānishmand beṭā atā kiyā hai!”8Sulemān ko Hīrām ne jawābbhejā, “Mujhe āp kā paiġhām milgayā hai, aur maiṅ āp kī zarūrmadad karūṅga. Deodār aurjūnīpar kī jitnī lakaṛī āp ko chāhiewuh maiṅ āp ke pās pahuṅchādūṅgā. 9Mere log darakhtoṅ ketane Lubnān ke pahāṛī ilāqe senīche sāhil tak lāeṅge jahāṅ hamun ke beṛe bāndh kar samundarpar us jagah pahuṅchā deṅge joāp muqarrar kareṅge. Wahāṅ hamtanoṅ ke rasse khol deṅge, aur āp

unheṅ le jā sakeṅge. Muāwazemeṅ āpmujhe itnī khurākmuhaiyākareṅ ki mere darbār kī zarūriyātpūrī ho jāeṅ.”

10Chunāṅche Hīrām ne Sulemānko deodār aur jūnīpar kī utnīlakaṛī muhaiyā kī jitnī use zarūratthī. 11Muāwaze meṅ Sulemān usesālānā taqrīban 32,50,000 kilogrāmgandum aur taqrīban 4,40,000 liṭarzaitūn kā tel bhejtā rahā. 12Is kealāwā Sulemān aur Hīrām ne āpasmeṅ sulah kā muāhadā kiyā. YoṅRab ne Sulemān ko hikmat atā kī jistarah us ne us se wādā kiyā thā.

Rab kā Ghar Banāne kīPahlī Taiyāriyāṅ

13‐14Sulemān Bādshāh ne Lubnānmeṅ yih kām karne ke lie Isrāīlmeṅ se 30,000 ādmiyoṅ kī begārpar bhartī kī. Us ne Adūnīrāmko un par muqarrar kiyā. Harmāh wuh bārī bārī 10,000 afrādko Lubnān meṅ bhejtā rahā. Yoṅhar mazdūr ek māh Lubnān meṅaur do māh ghar meṅ rahtā.15Sulemān ne 80,000 ādmiyoṅ kokānoṅmeṅ lagāyā tāki wuh pattharnikāleṅ. 70,000 afrād yih pattharYarūshalam lāte the. 16Un logoṅ

Page 265: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 5:17 259

par 3,300 nigarān muqarrar the.17Bādshāh ke hukmpar wuh kānoṅse behtarīn patthar ke baṛe baṛeṭukṛe nikāl lāe aur unheṅ tarāshkar Rab ke ghar kī buniyād ke lietaiyār kiyā. 18Jabal ke kārīgaroṅ neSulemān aur Hīrām ke kārīgaroṅkī madad kī. Unhoṅ ne mil karpatthar ke baṛe baṛe ṭukṛe aurlakaṛī ko tarāsh kar Rab ke gharkī tāmīr ke lie taiyār kiyā.

Rab ke Ghar kī Tāmīr

6 Sulemān ne apnī hukūmat kechauthe sāl ke dūsre mahīne

Zībmeṅ Rab ke ghar kī tāmīr shurūkī. Isrāīl ko Misr se nikle 480 sālguzar chuke the.

2Imārat kī lambāī 90 fuṭ, chauṛāī30 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ thī. 3Sāmneek barāmdā banāyā gayā jo imāratjitnā chauṛā yānī 30 fuṭ aur āge kītaraf 15 fuṭ lambā thā. 4Imāratkī dīwāroṅ meṅ khiṛkiyāṅ thīṅjin par jangle lage the. 5Imāratse bāhar ā kar Sulemān ne dāeṅbāeṅ kī dīwāroṅ aur pichhlī dīwārke sāth ek ḍhāṅchā khaṛā kiyājis kī tīn manzileṅ thīṅ aur jismeṅ mukhtalif kamre the. 6Nichlīmanzil kī andar kī chauṛāī sāṛhe

7 fuṭ, darmiyānī manzil kī 9 fuṭaur ūpar kī manzil kī sāṛhe 10 fuṭthī. Wajah yih thī ki Rab ke gharkī bairūnī dīwār kī moṭāī manzilbamanzil kam hotī gaī. Is tarīqe sebairūnī ḍhāṅche kī dūsrī aur tīsrīmanzil ke shahtīroṅ ke lie Rab keghar kī dīwār meṅ sūrākh banānekī zarūrat nahīṅ thī balki unheṅdīwār par hī rakhā gayā. Yānīdarmiyānī manzil kī imārat wālīdīwār nichlī kī dīwār kī nisbat kammoṭī aur ūpar wālī manzil kī imāratwālī dīwār darmiyānī manzil kīdīwār kī nisbat kam moṭī thī. Yoṅis ḍhāṅche kī chhatoṅ ke shahtīroṅko imārat kī dīwār toṛ kar us meṅlagāne kī zarūrat nahīṅ thī balkiunheṅ imārat kī dīwār par hī rakhāgayā.

7Jo patthar Rab ke ghar kī tāmīrke lie istemāl hue unheṅ patthar kīkān ke andar hī tarāsh kar taiyārkiyā gayā. Is lie jab unheṅ zer‐e‐tāmīr imārat ke pās lā kar joṛā gayātonahathauṛoṅ, na chhainī na loheke kisī aur auzār kī āwāz sunāī dī.

8Is ḍhāṅche meṅ dākhil honeke lie imārat kī dahnī dīwār meṅdarwāzā banāyā gayā. Wahāṅ seek sīṛhī parastār ko darmiyānī aurūpar kī manzil tak pahuṅchātī thī.

Page 266: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

260 1 Salātīn 6:23

9Yoṅ Sulemān ne imārat ko takmīltak pahuṅchāyā. Chhat ko deodārke shahtīroṅ aur takhtoṅ se banāyāgayā. 10Jo ḍhāṅchā imārat ke tīnoṅtaraf khaṛā kiyā gayā use deodār keshahtīroṅ se imārat kī bāhar wālīdīwār ke sāth joṛā gayā. Us kī tīnoṅmanziloṅ kī ūṅchāī sāṛhe sāt sāt fuṭthī.

11Ek din Rab Sulemān sehamkalām huā, 12“Jahāṅ tak merīsukūnatgāh kā tālluq hai jo tūmere lie banā rahā hai, agar tūmere tamām ahkām aur hidāyātke mutābiq zindagī guzāre to maiṅtere lie wuh kuchh karūṅga jis kāwādāmaiṅ ne tere bāpDāūd se kiyāhai. 13Tab maiṅ Isrāīl ke darmiyānrahūṅgā aur apnī qaum ko kabhītark nahīṅ karūṅga.”

Rab ke Ghar kā Andarūnī Hissā14Jab imārat kī dīwāreṅ aur chhatmukammal huīṅ 15to andarūnīdīwāroṅ par farsh se le kar chhattak deodār ke takhte lagāe gae.Farsh par jūnīpar ke takhte lagāegae. 16Ab tak imārat kā ekhī kamrā thā, lekin ab us nedeodār ke takhtoṅ se farsh se lekar chhat tak dīwār khaṛī karke

pichhle hisse meṅ alag kamrābanā diyā jis kī lambāī 30 fuṭ thī.Yih Muqaddastarīn Kamrā bangayā. 17Jo hissā sāmne rah gayāuse Muqaddas Kamrā muqarrarkiyā gayā. Us kī lambāī 60 fuṭthī. 18Imārat kī tamām andarūnīdīwāroṅ par deodār ke takhte yoṅlage the ki kahīṅ bhī patthar nazarna āyā. Takhtoṅ par tūṅbe aur phūlkandā kie gae the.

19Pichhle kamre meṅ Rabke ahd kā sandūq rakhnā thā.20Is kamre kī lambāī 30 fuṭ,chauṛāī 30 fuṭ aur ūṅchāī 30 fuṭthī. Sulemān ne is kī tamāmdīwāroṅ aur farsh par khālis sonāchaṛhāyā. Muqaddastarīn Kamreke sāmne deodār kī qurbāngāhthī. Us par bhī sonā manḍhāgayā 21balki imārat ke sāmnewāle kamre kī dīwāroṅ, chhat aurfarsh par bhī sonā manḍhā gayā.Muqaddastarīn Kamre ke darwāzepar sone kī zanjīreṅ lagāī gaīṅ.22Chunāṅche imārat kī tamāmandarūnī dīwāroṅ, chhat aur farshpar sonāmanḍhā gayā, aur isī tarahMuqaddastarīn Kamre ke sāmne kīqurbāngāh par bhī.

23Phir Sulemān ne zaitūn kīlakaṛī se do karūbī farishte banwāe

Page 267: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 6:24‐25 261

jinheṅ Muqaddastarīn Kamre meṅrakhā gayā. In mujassamoṅ kā qad15 fuṭ thā. 24‐25Donoṅ shakl‐o‐sūratmeṅ ek jaise the. Har ek ke do parthe, aur har par kī lambāī sāṛhesāt sāt fuṭ thī. Chunāṅche ek parke sire se dūsre par ke sire tak kāfāsilā 15 fuṭ thā. 26Har ek kā qad15 fuṭ thā. 27Unheṅ MuqaddastarīnKamre meṅ yoṅ ek dūsre ke sāthkhaṛā kiyā gayā ki har farishte kāek par dūsre ke par se lagtā jabkidāīṅ aur bāīṅ taraf har ek kā dūsrāpar dīwār ke sāth lagtā thā. 28Infarishtoṅ par bhī sonā manḍhāgayā.

29Muqaddas aur muqaddastarīnkamroṅ kī dīwāroṅ par karūbīfarishte, khajūr ke darakht aur phūlkandā kie gae. 30Donoṅ kamroṅke farsh par bhī sonā manḍhāgayā. 31Sulemān neMuqaddastarīnKamre kā darwāzā zaitūn kī lakaṛīse banwāyā. Us ke do kiwāṛ the, aurchaukhaṭ kī lakaṛī ke pāṅch konethe. 32Darwāze ke kiwāṛoṅ parkarūbī farishte, khajūr ke darakhtaur phūl kandā kie gae. In kiwāṛoṅpar bhī farishtoṅ aur khajūr kedarakhtoṅ samet sonā manḍhāgayā. 33Sulemān ne imārat meṅdākhil hone wāle darwāze ke lie

bhī zaitūn kī lakaṛī se chaukhaṭbanwāī, lekin us kī lakaṛī ke chārkone the. 34Is darwāze ke do kiwāṛjūnīpar kī lakaṛī ke bane hue the.Donoṅ kiwāṛ dīwār tak ghūm saktethe. 35In kiwāṛoṅ par bhī karūbīfarishte, khajūr ke darakht aur phūlkandā kie gae the. Phir un par sonāyoṅ manḍhā gayā ki wuh achchhītarah in bel‐būṭoṅ ke sāth lag gayā.

36Imārat ke sāmne ek andarūnīsahan banāyā gayā jis kī chārdīwārīyoṅ tāmīr huī ki patthar ke har tīnraddoṅ ke bād deodār ke shahtīroṅkā ek raddā lagāyā gayā.

37Rab ke ghar kī buniyādSulemānkī hukūmat ke chauthe sālke dūsre mahīne Zīb meṅ ḍālī gaī,38aur us kī hukūmat ke gyārhweṅsāl ke āṭhweṅ mahīne būl meṅimārat mukammal huī. Sab kuchhnaqshe ke ain mutābiq banā. Iskām par kul sāt sāl sarf hue.

Sulemān kāMahal

7 Jo mahal Sulemān nebanwāyā wuh 13 sāl ke bād

mukammal huā.2‐3Us kī ek imārat kā nām

‘Lubnān kā Jangal’ thā. Imārat kīlambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur

Page 268: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

262 1 Salātīn 7:14

ūṅchāī 45 fuṭ thī. Nichlī manzil ekbaṛā hāl thā jis ke deodār kī lakaṛīke 45 satūn the. Pandrah pandrahsatūnoṅ ko tīn qatāroṅ meṅ khaṛākiyā gayā thā. Satūnoṅ par shahtīrthe jin par dūsrī manzil ke farshke lie deodār ke takhte lagāe gaethe. Dūsrī manzil ke mukhtalifkamre the, aur chhat bhī deodārkī lakaṛī se banāī gaī thī. 4Hālkī donoṅ lambī dīwāroṅ meṅ tīntīn khiṛkiyāṅ thīṅ, aur ek dīwār kīkhiṛkiyāṅ dūsrī dīwār kī khiṛkiyoṅke bilkulmuqābil thīṅ. 5In dīwāroṅke tīn tīn darwāze bhī ek dūsre kemuqābil the. Un kī chaukhaṭoṅ kīlakaṛī ke chār chār kone the.

6Is ke alāwā Sulemān ne satūnoṅkā hāl banwāyā jis kī lambāī 75 fuṭaur chauṛāī 45 fuṭ thī. Hāl ke sāmnesatūnoṅ kā barāmdā thā. 7Us nedīwān bhī tāmīr kiyā jo Dīwān‐e‐Adl kahlātā thā. Usmeṅ us kā takhtthā, aur wahāṅ wuh logoṅ kī adālatkartā thā. Dīwānkī chāroṅdīwāroṅpar farsh se le kar chhat tak deodārke takhte lage hue the.

8Dīwān ke pīchhe sahan thā jismeṅ bādshāh kā rihāishī mahalthā. Mahal kā ḍizāyn dīwān jaisāthā. Us kī Misrī bīwī Firaun kī beṭī

kā mahal bhī ḍizāyn meṅ dīwān semutābiqat rakhtā thā.

9Yih tamām imārateṅ buniyādoṅse le kar chhat tak aur bāhar sele kar baṛe sahan tak ālā qism kepattharoṅ se banī huī thīṅ, aisepattharoṅ se jo chāroṅ taraf ārīse nāp ke ain mutābiq kāṭe gaethe. 10Bunyādoṅ ke lie umdāqism ke baṛe baṛe patthar istemālhue. Bāz kī lambāī 12 aur bāzkī 15 fuṭ thī. 11In par ālā qismke pattharoṅ kī dīwāreṅ khaṛī kīgaīṅ. Dīwāroṅ meṅ deodār keshahtīr bhī lagāe gae. 12Baṛe sahankī chārdīwārī yoṅ banāī gaī kipattharoṅ ke har tīn raddoṅ ke bāddeodār ke shahtīroṅ kā ek raddālagāyā gayā thā. Jo andarūnī sahanRab ke ghar ke irdgird thā us kīchārdīwārī bhī isī tarah hī banāīgaī, aur isī tarah Rab ke ghar kebarāmde kī dīwāreṅ bhī.

Rab ke Ghar ke sāmne keDo Khās Satūn

13Phir Sulemān Bādshāh ne Sūrke ek ādmī ko bulāyā jis kā nāmHīrām thā. 14Us kī māṅ Isrāīlīqabīle Naftālī kī bewā thī jabki uskā bāp Sūr kā rahne wālā aur pītal

Page 269: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 7:15 263

kā kārīgar thā. Hīrām baṛī hikmat,samajhdārī aur mahārat se pītal kīhar chīz banā saktā thā. Is qismkā kām karne ke lie wuh SulemānBādshāh ke pās āyā.

15Pahle us ne pītal ke do satūnḍhāl die. Har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭaur gherā 18 fuṭ thā. 16Phir us nehar satūn ke lie pītal kā bālāī hissāḍhāl diyā jis kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭthī. 17Har bālāī hisse ko ek dūsreke sāth khūbsūratī se milāī gaī sātzanjīroṅ se ārāstā kiyā gayā. 18‐20Inzanjīroṅ ke ūpar Hīrām ne harbālāī hisse ko pītal ke 200 anāroṅse sajāyā jo do qatāroṅ meṅ lagāegae. Phir bālāī hisse satūnoṅ parlagāe gae. Bālāī hissoṅ kī sosan kephūl kī‐sī shakl thī, aur yih phūl 6fuṭ ūṅche the. 21Hīrām ne donoṅsatūn Rab ke ghar ke barāmde kesāmne khaṛe kie. Dahne hāth kesatūn kā nām us ne ‘Yakīn’ aurbāeṅ hāth ke satūn kā nām ‘Boaz’rakhā. 22Bālāī hisse sosan‐numāthe. Chunāṅche kām mukammalhuā.

Pītal kā Hauz23Is ke bād Hīrām ne pītal kā baṛāgol hauz ḍhāl diyā jis kā nām

‘Samundar’ rakhā gayā. Us kīūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban45 fuṭ thā. 24Hauz ke kināre kenīche tūṅboṅ kī do qatāreṅ thīṅ. Fīfuṭ taqrīban 6 tūṅbe the. Tūṅbe aurhauz mil kar ḍhāle gae the. 25Hauzko bailoṅ ke 12 mujassamoṅ parrakhā gayā. Tīn bailoṅ kā rukhshimāl kī taraf, tīn kā rukhmaġhribkī taraf, tīn kā rukh junūb kī tarafaur tīn kā rukhmashriq kī taraf thā.Un ke pichhle hisse hauz kī tarafthe, aur hauz un ke kandhoṅ parpaṛā thā. 26Hauz kā kinārā pyālebalki sosan ke phūl kī tarah bāharkī taraf muṛā huā thā. Us kī dīwārtaqrīban tīn inchmoṭī thī, aur hauzmeṅ pānī ke taqrīban 44,000 liṭarsamā jāte the.

Pānī ke Bāsan Uṭhānekī Hathgāṛiyāṅ

27Phir Hīrām ne pānī ke bāsanuṭhāne ke lie pītal kī hathgāṛiyāṅbanāīṅ. Har gāṛī kī lambāī 6 fuṭ,chauṛāī 6 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 4fuṭ thī. 28Har gāṛī kā ūpar kāhissā sariyoṅ se mazbūt kiyā gayāfrem thā. 29Frem ke bairūnī pahlūsherbabaroṅ, bailoṅ aur karūbī

Page 270: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

264 1 Salātīn 7:44

farishtoṅ se saje hue the. Sheroṅaur bailoṅ ke ūpar aur nīche pītalke sehre lage hue the. 30Har gāṛī kechār pahie aur do dhure the. Yihbhī pītal ke the. Chāroṅ konoṅ parpītal ke aise ṭukṛe lage the jin parbāsan rakhe jāte the. Yih ṭukṛe bhīsehroṅ se saje hue the. 31Frem keandar jis jagah bāsan ko rakhā jātāthā wuh gol thī. Us kī ūṅchāī ḍeṛhfuṭ thī, aur us kā muṅh sawā do fuṭchauṛā thā. Us ke bairūnī pahlū parchīzeṅ kandā kī gaī thīṅ. Gāṛī kāfrem gol nahīṅ balki chauras thā.32Gāṛī ke frem ke nīche mazkūrāchār pahie the jo dhuroṅ se juṛethe. Dhure frem ke sāth hī ḍhal gaethe. Har pahiyā sawā do fuṭ chauṛāthā. 33Pahie rathoṅ ke pahiyoṅ kīmānind the. Un ke dhure, kināre,tār aur nābheṅ sab ke sab pītalse ḍhāle gae the. 34Gāṛiyoṅ kechār konoṅ par daste lage the jofrem ke sāth mil kar ḍhāle gae the.35‐36Har gāṛī ke ūpar kā kinārā nauinch ūṅchā thā. Konoṅ par lagedaste aur frem ke pahlū har jagahkarūbī farishtoṅ, sherbabaroṅ aurkhajūr ke darakhtoṅ se saje huethe. Chāroṅ taraf sehre bhī kandākie gae. 37Hīrām ne dasoṅ gāṛiyoṅ

ko ek hī sāṅche meṅ ḍhālā, is liesab ek jaisī thīṅ.

38Hīrām ne har gāṛī ke lie pītalkā bāsan ḍhāl diyā. Har bāsan 6fuṭ chauṛā thā, aur us meṅ 880 liṭarpānī samā jātā thā. 39Us ne pāṅchgāṛiyāṅ Rab ke ghar ke dāeṅ hāthaur pāṅch us ke bāeṅ hāth khaṛīkīṅ. Hauz banām Samundar ko usne Rab ke ghar ke junūb‐mashriqmeṅ rakh diyā.

Us Sāmān kī Fahrist JoHīrām ne Banāyā

40Hīrām ne bāsan, belche aurchhiṛkāw ke kaṭore bhī banāe.Yoṅ us ne Rab ke ghar meṅ wuhsārā kām mukammal kiyā jis ke lieSulemān Bādshāh ne use bulāyāthā. Us ne zail kī chīzeṅ banāīṅ:

41do satūn,satūnoṅ par lage pyālānumā

bālāī hisse,bālāī hissoṅ par lagī zanjīroṅ kā

ḍizāyn,42zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī

bālāī hissā 200 adad),4310 hathgāṛiyāṅ,in par ke pānī ke 10 bāsan,44hauz banām Samundar,

Page 271: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 7:45 265

ise uṭhāne wāle bail ke 12mujassame,

45bālṭiyāṅ, belche aur chhiṛkāwke kaṭore.Yih tamām sāmān jo Hīrām ne

Sulemān ke hukm par Rab ke gharke lie banāyā pītal se ḍhāl karpālish kiyā gayā thā. 46Bādshāhne use Wādī‐e‐Yardan meṅ Sukkātaur Zartān ke darmiyān ḍhalwāyā.Wahāṅ ek faunḍarī thī jahāṅHīrāmne gāre ke sāṅche banā kar har chīzḍhāl dī. 47Is sāmān ke lie SulemānBādshāh ne itnā zyādā pītal istemālkiyā ki us kā kul waznmālūm na hosakā.

Rab ke Ghar ke AndarSone kā Sāmān

48Rab ke ghar ke andar ke lieSulemān ne darj‐e‐zail sāmānbanwāyā:sone kī qurbāngāh,sone kī wuhmez jis par Rab ke lie

makhsūs roṭiyāṅ paṛī rahtī thīṅ,49khālis sone ke 10 shamādān

jo Muqaddastarīn Kamre ke sāmnerakhe gae. Pāṅch darwāze kedahne hāth aur pāṅch us ke bāeṅhāth,

sone ke wuh phūl jin seshamādān ārāstā the,sone ke charāġh aur battī ko

bujhāne ke auzār,50khālis sone ke bāsan, charāġh

ko katarne ke auzār, chhiṛkāw kekaṭore aur pyāle,jalte hue koele ke lie khālis sone

ke bartan,Muqaddastarīn Kamre aur baṛe

hāl ke darwāzoṅ ke qabze.51Rab ke ghar kī takmīl par

Sulemān Bādshāh ne wuh sonā‐chāṅdī aur bāqī tamām qīmtīchīzeṅ Rab ke ghar ke khazānoṅmeṅ rakhwā dīṅ jo us ke bāp Dāūdne Rab ke lie makhsūs kī thīṅ.

Ahd kā Sandūq Rab ke Gharmeṅ Lāyā Jātā Hai

8 Phir Sulemān ne Isrāīl ketamām buzurgoṅ aur qabīloṅ

aur kunboṅ ke tamām sarparastoṅko apne pās Yarūshalam meṅbulāyā, kyoṅki Rab ke ahd kāsandūq ab tak Yarūshalam ke ushisse meṅ thā jo ‘Dāūd kā Shahr’yā Siyyūn kahlātā hai. Sulemānchāhtā thā ki qaum ke numāindehāzir hoṅ jab sandūq ko wahāṅ

aSitambar tā Aktūbar

Page 272: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

266 1 Salātīn 8:16

se Rab ke ghar meṅ pahuṅchāyājāe. 2Chunāṅche Isrāīl ke tamāmmard sāl ke sātweṅmahīne Itānīma

meṅ Sulemān Bādshāh ke pāsYarūshalam meṅ jamā hue. Isīmahīne meṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īdmanāī jātī thī.

3Jab sab jamā hue to imām Rabke sandūq ko uṭhā kar 4Rab keghar meṅ lāe. Lāwiyoṅ ke sāth milkar unhoṅ ne mulāqāt ke khaimeko bhī us ke tamām muqaddassāmān samet Rab ke ghar meṅpahuṅchāyā. 5Wahāṅ sandūq kesāmne Sulemān Bādshāh aur bāqītamām jamā hue Isrāīliyoṅ ne itnībheṛ‐bakriyāṅ aur gāy‐bail qurbānkie ki un kī tādād ginī nahīṅ jā saktīthī.

6Imāmoṅ ne Rab ke ahdkā sandūq pichhle yānīMuqaddastarīn Kamre meṅ lākar karūbī farishtoṅ ke paroṅ kenīche rakh diyā. 7Farishtoṅ ke parpūre sandūq par us kī uṭhāne kīlakaṛiyoṅ samet phaile rahe. 8Tobhī uṭhāne kī yih lakaṛiyāṅ itnīlambī thīṅ ki un ke sire sāmnewāleyānī Muqaddas Kamre se nazar ātethe. Lekin wuh bāhar se dekhenahīṅ jā sakte the. Āj tak wuhwahīṅ maujūd haiṅ. 9Sandūq meṅ

sirf patthar kī wuh do takhtiyāṅthīṅ jin koMūsā neHorib yānī Koh‐e‐Sīnā ke dāman meṅ us meṅ rakhdiyā thā, us waqt jab Rab ne Misrse nikle hue Isrāīliyoṅ ke sāth ahdbāndhā thā.

10‐11Jab imām Muqaddas Kamrese nikal kar sahan meṅ āe to Rabkā ghar ek bādal se bhar gayā.Imām apnī khidmat anjām na desake, kyoṅki Rab kā ghar us ke jalālke bādal se māmūr ho gayā thā.12Yih dekh kar Sulemān ne duā kī,“Rab ne farmāyā hai ki maiṅ ghanebādal ke andhere meṅ rahūṅgā.13Yaqīnan maiṅ ne tere lie azīmsukūnatgāh banāī hai, ekmaqām joterī abadī sukūnat ke lāyq hai.”

Rab ke Ghar kī Makhsūsiyatpar Sulemān kī Taqrīr

14Phir bādshāh ne muṛ kar Rab keghar ke sāmne khaṛī Isrāīl kī pūrījamāt kī taraf rukh kiyā. Us neunheṅ barkat de kar kahā,

15“Rab Isrāīl ke Khudā kī tārīf hojis ne wuh wādā pūrā kiyā hai jous ne mere bāp Dāūd se kiyā thā.Kyoṅki us ne farmāyā, 16‘Jis dinmaiṅ apnī qaum Isrāīl ko Misr senikāl lāyā us din se le kar āj tak

Page 273: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 8:17 267

maiṅ ne kabhī na farmāyā ki Isrāīlīqabīloṅ ke kisī shahr meṅ merenām kī tāzīmmeṅ ghar banāyā jāe.Lekin maiṅ ne Dāūd ko apnī qaumIsrāīl kā bādshāh banāyā hai.’

17Mere bāp Dāūd kī baṛī khāhishthī ki Rab Isrāīl ke Khudā ke nām kītāzīmmeṅghar banāe. 18LekinRabne etarāz kiyā, ‘Maiṅ khush hūṅ kitū mere nām kī tāzīm meṅ ghartāmīr karnā chāhtā hai, 19lekintū nahīṅ balki terā beṭā hī usebanāegā.’

20Aur wāqaī, Rab ne apnā wādāpūrā kiyā hai. Maiṅ Rab ke wādeke ain mutābiq apne bāp Dāūd kījagah Isrāīl kā bādshāh ban kartakht par baiṭh gayā hūṅ. Aur abmaiṅ ne Rab Isrāīl ke Khudā kenām kī tāzīm meṅ ghar bhī banāyāhai. 21Us meṅ maiṅ ne us sandūqke lie maqām taiyār kar rakhā haijis meṅ sharīat kī takhtiyāṅ paṛīhaiṅ, us ahd kī takhtiyāṅ jo Rab nehamāre bāpdādā se Misr se nikāltewaqt bāndhā thā.”

Rab ke Ghar kī Makhsūsiyatpar Sulemān kī Duā

22Phir Sulemān Isrāīl kī pūrī jamātke dekhte dekhte Rab kī qurbāngāh

ke sāmne khaṛā huā. Us ne apnehāth āsmān kī taraf uṭhā kar 23duākī,“Ai Rab Isrāīl ke Khudā, tujh jaisā

koī Khudā nahīṅ hai, na āsmān aurna zamīn par. Tū apnā wuh ahdqāym rakhtā hai jise tū ne apnīqaum ke sāth bāndhā hai aur apnīmehrbānī un sab par zāhir kartāhai jo pūre dil se terī rāh par chaltehaiṅ. 24Tū ne apne khādim Dāūdse kiyā huā wādā pūrā kiyā hai. Jobāt tū ne apne muṅh se mere bāpse kī wuh tū ne apne hāth se ājhī pūrī kī hai. 25Ai Rab Isrāīl keKhudā, ab apnī dūsrī bāt bhī pūrīkar jo tū ne apne khādimDāūd se kīthī. Kyoṅki tū ne mere bāp se wādākiyā thā, ‘Agar terī aulād terī tarahapne chāl‐chalan par dhyān de karmere huzūr chaltī rahe to Isrāīl parus kī hukūmat hameshā tak qāymrahegī.’ 26Ai Isrāīl ke Khudā, abbarāh‐e‐karm apnā yih wādā pūrākar jo tū ne apne khādimmere bāpDāūd se kiyā hai.

27Lekin kyā Allāh wāqaī zamīnpar sukūnat karegā? Nahīṅ, tū tobulandtarīn āsmān meṅ bhī samānahīṅ saktā! To phir yih makān jomaiṅ ne banāyā hai kis tarah terīsukūnatgāh ban saktā hai? 28Ai Rab

Page 274: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

268 1 Salātīn 8:39

mere Khudā, to bhī apne khādim kīduā aur iltijā sun jab maiṅ āj terehuzūr pukārte hue iltamās kartāhūṅ 29ki barāh‐e‐karm din rāt isimārat kī nigarānī kar! Kyoṅki yihwuh jagah hai jis ke bāre meṅ tūne khud farmāyā, ‘Yahāṅmerānāmsukūnat karegā.’ Chunāṅche apnekhādim kī guzārish sun jo maiṅis maqām kī taraf rukh kie huekartā hūṅ. 30Jab ham is maqām kītaraf rukh karke duā kareṅ to apnekhādim aur apnī qaum kī iltijā sun.Āsmān par apne takht se hamārīsun. Aur jab sunegā to hamāregunāhoṅ ko muāf kar!

31Agar kisī par ilzām lagāyā jāeaur use yahāṅ terī qurbāngāh kesāmne lāyā jāe tāki halaf uṭhā karwādā kare ki maiṅ bequsūr hūṅ32to barāh‐e‐karm āsmān par sesun kar apne khādimoṅ kā insāfkar. Qusūrwār ko mujrim ṭhahrākar us ke apne sar par wuh kuchhāne de jo us se sarzad huā hai, aurbequsūr ko be’ilzāmqarār de kar uskī rāstbāzī kā badlā de.

33Hosaktāhai kisīwaqt terī qaumIsrāīl terā gunāh kare aur natījemeṅ dushman ke sāmne shikastkhāe. Agar Isrāīlī ākhirkār terepās lauṭ āeṅ aur tere nām kī tamjīd

karke yahāṅ is gharmeṅ tujh se duāaur iltamās kareṅ 34to āsmān par seun kī fariyād sun lenā. Apnī qaumIsrāīl kā gunāh muāf karke unheṅdubārā us mulk meṅ wāpas lānā jotū ne un ke bāpdādā ko de diyā thā.

35Ho saktā hai Isrāīlī terā itnāsangīn gunāh kareṅ ki kāl paṛe aurbaṛī der tak bārish na barse. Agarwuh ākhirkār is ghar kī taraf rukhkarke tere nām kī tamjīd kareṅ aurterī sazā ke bāis apnā gunāh chhoṛkar lauṭ āeṅ 36to āsmān par se un kīfariyād sun lenā. Apne khādimoṅaur apnī qaum Isrāīl ko muāf kar,kyoṅki tū hī unheṅ achchhī rāh kītālīm detā hai. Tab us mulk pardubārā bārish barsā de jo tū ne apnīqaum ko mīrās meṅ de diyā hai.

37Ho saktā hai Isrāīl meṅ kālpaṛ jāe, anāj kī fasal kisī bīmārī,phaphūṅdī, ṭiḍḍiyoṅ yā kīṛoṅ semuta’assir ho jāe, yā dushman kisīshahr kā muhāsarā kare. Jo bhīmusībat yā bīmārī ho, 38agar koīIsrāīlī yā terī pūrī qaumus kā sababjān kar apne hāthoṅ ko is ghar kītaraf baṛhāe aur tujh se iltamāskare 39to āsmān par apne takht seun kī fariyād sun lenā. Unheṅmuāfkarke wuh kuchh kar jo zarūrī hai.Har ek ko us kī tamām harkatoṅ

Page 275: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 8:40 269

kā badlā de, kyoṅki sirf tū hī harinsān ke dil ko jāntā hai. 40Phirjitnī der wuh us mulk meṅ zindagīguzāreṅge jo tū ne hamāre bāpdādāko diyā thā utnī der wuh terā khaufmāneṅge.

41Āindā pardesī bhī tere nāmke sabab se dūr‐darāz mamālik seāeṅge. Agarche wuh terī qaumIsrāīl ke nahīṅ hoṅge 42to bhī wuhtere azīm nām, terī baṛī qudrat aurtere zabardast kāmoṅ ke bāre meṅsun kar āeṅge aur is ghar kī tarafrukh karke duā kareṅge. 43Tabāsmān par se un kī fariyād sunlenā. Jo bhī darkhāst wuh peshkareṅwuhpūrī karnā tāki duniyā kītamāmaqwām terā nām jānkar terīqaum Isrāīl kī tarah hī terā khaufmāneṅ aur jān leṅ ki jo imāratmaiṅne tāmīr kī hai us par tere hī nāmkāṭhappā lagā hai.

44Ho saktā hai terī qaum kemard terī hidāyat ke mutābiq apnedushman se laṛne ke lie nikleṅ.Agar wuh tere chune hue shahr aurus imārat kī taraf rukh karke duākareṅ jo maiṅ ne tere nām ke lietāmīr kī hai 45to āsmān par se un kīduā aur iltamās sun kar un ke haqmeṅ insāf qāym rakhnā.

46Ho saktā hai wuh terā gunāhkareṅ, aisī harkateṅ to ham sabse sarzad hotī rahtī haiṅ, aurnatīje meṅ tū nārāz ho kar unheṅdushman ke hawāle kar de jounheṅ qaid karke apne kisī dūr‐darāz yā qarībī mulk meṅ le jāe.47Shāyadwuh jilāwatanīmeṅ taubākarke dubārā terī taraf rujū kareṅaur tujh se iltamās kareṅ, ‘Hamne gunāh kiyā hai, ham se ġhaltīhuī hai, ham ne bedīn harkateṅkī haiṅ.’ 48Agar wuh aisā karkedushman ke mulk meṅ apne pūredil‐o‐jān se dubārā terī taraf rujūkareṅ aur terī taraf se bāpdādā kodie gaemulk, tere chune hue shahraur us imārat kī taraf rukh karkeduā kareṅ jo maiṅ ne tere nām kelie tāmīr kī hai 49to āsmān par apnetakht se un kī duā aur iltamās sunlenā. Un ke haq meṅ insāf qāymkarnā, 50aur apnī qaumkegunāhoṅko muāf kar denā. Jis bhī jurmse unhoṅ ne terā gunāh kiyā haiwuh muāf kar denā. Bakhsh de kiunheṅ giriftār karne wāle un parrahm kareṅ. 51Kyoṅki yih terī hīqaum ke afrād haiṅ, terī hī mīrāsjise tū Misr ke bhaṛakte bhaṭṭe senikāl lāyā.

Page 276: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

270 1 Salātīn 8:64

52Ai Allāh, terī āṅkheṅ merīiltijāoṅ aur terī qaum Isrāīl kīfariyādoṅ ke lie khulī raheṅ.Jab bhī wuh madad ke lie tujhepukāreṅ to un kī sun lenā! 53Kyoṅkitū, ai Rab Qādir‐e‐mutlaq ne Isrāīlko duniyā kī tamāmqaumoṅ se alagkarke apnī khās milkiyat banā liyāhai. Hamāre bāpdādā ko Misr senikālte waqt tū ne Mūsā kī mārifatis haqīqat kā elān kiyā.”

Ākhirī Duā aur Barkat54Is duā ke bād Sulemān khaṛā huā,kyoṅki duā ke daurān us ne Rab kīqurbāngāh ke sāmne apne ghuṭneṭeke aur apne hāth āsmān kī tarafuṭhāe hue the. 55Ab wuh Isrāīl kīpūrī jamāt ke sāmne khaṛā huā aurbuland āwāz se use barkat dī,

56“Rab kī tamjīd ho jis ne apnewāde ke ain mutābiq apnī qaumIsrāīl ko ārām‐o‐sukūn farāhamkiyā hai. Jitne bhī khūbsūrat wādeus ne apne khādimMūsā kī mārifatkie haiṅ wuh sab ke sab pūre hogae haiṅ. 57Jis tarah Rab hamārāKhudā hamāre bāpdādā ke sāththā usī tarah wuh hamāre sāth bhīrahe. Na wuh hameṅ chhoṛe, natark kare 58balki hamāre diloṅ ko

apnī taraf māyl kare tāki ham uskī tamām rāhoṅ par chaleṅ aur untamām ahkām aur hidāyāt ke tāberaheṅ jo us ne hamāre bāpdādā kodī haiṅ.

59Rab ke huzūr merī yih fariyāddin rāt Rab hamāre Khudā ke qarībrahe tāki wuh merā aur apnī qaumkā insāf qāym rakhe aur hamārīrozānā zarūriyāt pūrī kare. 60Tabtamām aqwām jān leṅgī ki Rab hīKhudā hai aur ki us ke siwā koī aurmābūd nahīṅ hai.

61Lekin lāzim hai ki āp Rabhamāre Khudā ke pūre dil sewafādār raheṅ. Hameshā us kīhidāyāt aur ahkām ke mutābiqzindagī guzāreṅ, bilkul usī tarahjis tarah āp āj kar rahe haiṅ.”

Rab ke Ghar kī Makhsūsiyatpar Jashn

62‐63Phir bādshāh aur tamām Isrāīlne Rab ke huzūr qurbāniyāṅ peshkarkeRab ke ghar komakhsūs kiyā.Is silsile meṅ Sulemān ne 22,000gāy‐bailoṅ aur 1,20,000 bheṛ‐bakriyoṅ ko salāmatī kī qurbāniyoṅke taur par zabah kiyā. 64Usī dinbādshāh ne sahan kā darmiyānīhissā qurbāniyāṅ chaṛhāne ke lie

Page 277: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 8:65 271

makhsūs kiyā. Wajah yih thī kipītal kī qurbāngāh itnī qurbāniyāṅpesh karne ke lie chhoṭī thī, kyoṅkibhasm hone wālī qurbāniyoṅ aurġhallā kī nazaroṅ kī tādād bahutzyādā thī. Is ke alāwā salāmatī kībeshumār qurbāniyoṅ kī charbī kobhī jalānā thā.

65Īd 14 din tak manāī gaī.Pahle hafte meṅ Sulemān aurtamām Isrāīl ne Rab ke ghar kīmakhsūsiyat manāī aur dūsre haftemeṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd. Bahutzyādā log sharīk hue. Wuh dūr‐darāz ilāqoṅ se Yarūshalam āe the,shimāl meṅ Labo‐hamāt se le karjunūb meṅ us wādī tak jo Misr kīsarhad thī. 66Do haftoṅ ke bādSulemān ne Isrāīliyoṅ ko rukhsatkiyā. Bādshāh ko barkat de karwuh apne apne ghar chale gae. Sabshādmān aur dil se khush the kiRab ne apne khādimDāūd aur apnīqaum Isrāīl par itnī mehrbānī kīhai.

Rab Sulemān se HamkalāmHotā Hai

9 Chunāṅche Sulemān ne Rabke ghar aur shāhī mahal ko

takmīl tak pahuṅchāyā. Jo kuchh

bhī us ne ṭhān liyā thā wuh pūrāhuā. 2Us waqt Rab dubārā us parzāhir huā, us tarah jis tarah wuhJibaūn meṅ us par zāhir huā thā.3Us ne Sulemān se kahā,“Jo duā aur iltijā tū ne mere

huzūr kī use maiṅ ne sun kar isimārat ko jo tū ne banāī hai apne liemakhsūs‐o‐muqaddas kar liyā hai.Us meṅ maiṅ apnā nām abad takqāym rakhūṅgā. Merī āṅkheṅ aurdil abad tak wahāṅ hāzir raheṅge.4Jahāṅ tak terā tālluq hai, apnebāp Dāūd kī tarah diyānatdārī aurrāstī se mere huzūr chaltā rah.Kyoṅki agar tū mere tamām ahkāmaur hidāyāt kī pairawī kartā rahe5to maiṅ terī Isrāīl par hukūmathameshā tak qāym rakhūṅgā. Phirmerā wuh wādā qāym rahegā jomaiṅ ne tere bāp Dāūd se kiyā thāki Isrāīl par terī aulād kī hukūmathameshā tak qāym rahegī.

6Lekin khabardār! Agar tū yāterī aulād mujh se dūr ho kar meredie gae ahkām aur hidāyāt ke tābena rahe balki dīgar mābūdoṅ kītaraf rujū karke un kī khidmat aurparastish kare 7to maiṅ Isrāīl ko usmulk meṅ se miṭā dūṅgā jo maiṅne un ko de diyā thā. Na sirf yihbalki maiṅ is ghar ko bhī radd kar

Page 278: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

272 1 Salātīn 9:18

dūṅgā jo maiṅ ne apne nām ke liemakhsūs‐o‐muqaddas kar liyā hai.Us waqt Isrāīl tamām aqwām meṅmazāq aur lān‐tān kā nishānā banjāegā. 8Is shāndār ghar kī burīhālat dekh kar yahāṅ se guzarnewāle tamām logoṅ ke roṅgṭe khaṛeho jāeṅge, aur wuh apnī hiqāratkā izhār karke pūchheṅge, ‘Rab neis mulk aur is ghar se aisā sulūkkyoṅ kiyā?’ 9Tab log jawāb deṅge,‘Is lie ki go Rab un kā Khudā unke bāpdādā ko Misr se nikāl karyahāṅ lāyā to bhī yih log use tarkkarke dīgarmābūdoṅ se chimaṭ gaehaiṅ. Chūṅki wuh un kī parastishaur khidmat karne se bāz na āe islie Rab ne unheṅ is sārī musībatmeṅ ḍāl diyā hai.’”

Hīrām kī Madad kā Silā10Rab ke ghar aur shāhī mahal kotāmīr karnemeṅ20 sāl sarf hue the.11Us daurān Sūr kā bādshāh HīrāmSulemān ko deodār aur jūnīpar kīutnī lakaṛī aur utnā sonā bhejtārahā jitnā Sulemān chāhtā thā. Jabimārateṅ takmīl tak pahuṅch gaīṅto Sulemān ne Hīrām ko muāwazemeṅ Galīl ke 20 shahr de die.12Lekin jab Hīrām un kā muāynā

karne ke lie Sūr se Galīl āyā to wuhuse pasand na āe. 13Us ne sawālkiyā, “Mere bhāī, yih kaise shahrhaiṅ jo āp ne mujhe die haiṅ?”Aur us ne us ilāqe kā nām kābūlyānī ‘Kuchh Bhī Nahīṅ’ rakhā. Yihnām āj tak rāyj hai. 14Bāt yih thīki Hīrām ne Isrāīl ke bādshāh kotaqrīban 4,000 kilogrām sonā bhejāthā.

Sulemān kī Mukhtalif Muhimmāt15Sulemān ne apne tāmīrī kām kelie begārī lagāe. Aise hī logoṅkī madad se us ne na sirf Rabkā ghar, apnā mahal, irdgird kechabūtare aur Yarūshalam kī fasīlbanwāī balki tīnoṅ shahr Hasūr,Majiddo aur Jazar ko bhī.

16Jazar Shahr par Misr kebādshāh Firaun ne hamlā karkeqabzā kar liyā thā. Us ke Kanānībāshindoṅ ko qatl karke us ne pūreshahr ko jalā diyā thā. Jab Sulemānkī Firaun kī beṭī se shādī huī toMisrī bādshāh ne jahez ke taur paruse yih ilāqā de diyā. 17Ab Sulemānne Jazar kā shahr dubārā tāmīrkiyā. Is ke alāwā us ne NashebīBait‐haurūn, 18Bālāt aur registānke

Page 279: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 9:19 273

shahr Tadmūrmeṅ bahut‐sā tāmīrīkām karāyā.

19Sulemān ne apne godāmoṅ kelie aur apne rathoṅ aur ghoṛoṅ korakhne ke lie bhī shahr banwāe.Jo kuchh bhī wuh Yarūshalam,Lubnān yā apnī saltanat kī kisī aurjagah banwānā chāhtā thā wuh usne banwāyā.

20‐21Jin ādmiyoṅ kī Sulemān nebegār par bhartī kī wuh Isrāīlīnahīṅ the balki Amorī, Hittī,Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī yānīKanān ke pahle bāshindoṅ kī wuhaulād the jo bāqī rah gae the. Mulkpar qabzā karte waqt Isrāīlī inqaumoṅ ko pūre taur par miṭā nasake, aur āj tak in kī aulād ko Isrāīlke lie begār meṅ kām karnā paṛtāhai. 22Lekin Sulemān ne Isrāīliyoṅmeṅ se kisī ko bhī aise kām karnepar majbūr na kiyā balki wuh uske faujī, sarkārī afsar, fauj ke afsaraur rathoṅ ke faujī ban gae. Aurunheṅ us ke rathoṅ aur ghoṛoṅ parmuqarrar kiyā gayā. 23Sulemānke tāmīrī kām par bhī 550 Isrāīlīmuqarrar the jo ziloṅ parmuqarrarafsaroṅ ke tābe the. Yih log tāmīrīkām karne wāloṅ kī nigarānī kartethe.

24Jab Firaun kī beṭī Yarūshalamke purāne hisse banām ‘Dāūdkā Shahr’ se us mahal meṅmuntaqil huī jo Sulemān ne uske lie tāmīr kiyā thā to wuhirdgird ke chabūtare banwāne lagā.25Sulemān sāl meṅ tīn bār Rab kobhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ pesh kartā thā. Wuhunheṅ Rab ke ghar kī us qurbāngāhpar chaṛhātā thā jo us ne Rab ke liebanwāī thī. Sāth sāth wuh bakhūrbhī jalātā thā. Yoṅ us ne Rab keghar ko takmīl tak pahuṅchāyā.

26Is ke alāwā Sulemān Bādshāhne bahrī jahāzoṅ kā beṛā bhībanwāyā. Is kām kā markaz Ailātke qarīb shahr Asyūn‐jābar thā.Yih bandargāh Mulk‐e‐Adom meṅBahr‐e‐Qulzum ke sāhil par hai.27HīrāmBādshāh ne use tajrabākārmallāh bheje tāki wuh Sulemān keādmiyoṅ ke sāthmil kar jahāzoṅ kochalāeṅ. 28Unhoṅ ne Ofīr tak safrkiyā aur wahāṅ se taqrīban 14,000kilogrām sonā Sulemān ke pās leāe.

Page 280: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

274 1 Salātīn 10:10

Sabā kī Malikā Sulemānse Miltī Hai

10 Sulemān kī shohrat Sabākī malikā tak pahuṅch gaī.

Jab us ne us ke bāre meṅ sunāaur yih bhī ki us ne Rab ke nāmke lie kyā kuchh kiyā hai to wuhSulemān semilne ke lie rawānā huītāki use mushkil paheliyāṅ peshkarke us kī dānishmandī jāṅch le.2Wuh nihāyat baṛe qāfile ke sāthYarūshalam pahuṅchī jis ke ūṅṭbalsān, kasrat ke sone aur qīmtījawāhar se lade hue the.Malikā kī Sulemān se mulāqāt

huī to us ne us se wuh tamāmmushkil sawālāt pūchhe jo us kezahanmeṅ the. 3Sulemān us ke harsawāl kā jawāb de sakā. Koī bhī bātitnī pechīdā nahīṅ thī ki bādshāhus kā matlab malikā ko batā nasaktā. 4Sabā kī malikā Sulemān kīwasī hikmat aur us ke nae mahalse bahut muta’assir huī. 5Us nebādshāh kīmezoṅ par kemukhtalifkhāne dekhe aur yih ki us ke afsarkis tartīb se us par biṭhāe jāte the.Us ne bairoṅ kī khidmat, un kīshāndār wardiyoṅ aur sāqiyoṅ parbhī ġhaur kiyā. Jab us ne in bātoṅke alāwā bhasm hone wālī wuh

qurbāniyāṅ bhī dekhīṅ jo SulemānRab ke ghar meṅ chaṛhātā thā tomalikā hakkā‐bakkā rah gaī.

6Wuh bol uṭhī, “Wāqaī, jo kuchhmaiṅ ne apne mulk meṅ āp keshāhkāroṅ aur hikmat ke bāremeṅsunā thā wuh durust hai. 7Jab takmaiṅ ne khud ā kar yih sab kuchhapnī āṅkhoṅ se na dekhā mujheyaqīn nahīṅ ātā thā. Balki haqīqatmeṅ mujhe āp ke bāre meṅ ādhābhī nahīṅ batāyā gayā thā. Āpkī hikmat aur daulat un riporṭoṅse kahīṅ zyādā hai jo mujh takpahuṅchī thīṅ. 8Āp ke log kitnemubārak haiṅ! Āp ke afsar kitnemubārak haiṅ jo musalsal āp kesāmne khaṛe rahte aur āp kī dānishbharī bāteṅ sunte haiṅ! 9Rab āpke Khudā kī tamjīd ho jis ne āpko pasand karke Isrāīl ke takht parbiṭhāyā hai. Rab Isrāīl se abadīmuhabbat rakhtā hai, isī lie us neāp ko bādshāh banā diyā hai tākiinsāf aur rāstbāzī qāym rakheṅ.”

10Phir malikā ne Sulemān kotaqrīban 4,000 kilogrām sonā,bahut zyādā balsān aur jawāhardie. Bādmeṅ kabhī bhī utnā balsānIsrāīl meṅ nahīṅ lāyā gayā jitnā uswaqt Sabā kī malikā lāī.

Page 281: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 10:11 275

11Hīrām ke jahāz Ofīr se na sirfsonā lāe balki unhoṅ ne qīmtīlakaṛī aur jawāhar bhī baṛī miqdārmeṅ Isrāīl tak pahuṅchāe. 12Jitnīqīmtī lakaṛī undinoṅmeṅdarāmadhuī utnī āj tak kabhī Yahūdāhmeṅ nahīṅ lāī gaī. Is lakaṛī sebādshāh ne Rab ke ghar aur apnemahal ke lie kaṭahre banwāe. Yihmausīqāroṅ ke sarod aur sitārbanāne ke lie bhī istemāl huī.

13Sulemān Bādshāh ne apnī tarafse Sabā kī malikā ko bahut‐se tohfedie. Nīz, jo kuchh bhī malikāchāhtī thī yā us ne māṅgā wuh usediyā gayā. Phir wuh apne naukar‐chākaroṅ aur afsaroṅ ke hamrāhapne watan wāpas chalī gaī.

Sulemān kī Daulat aur Shohrat14Jo sonā Sulemān ko sālānāmiltā thā us kā wazn taqrīban23,000 kilogrām thā. 15Is meṅwuh ṭaiks shāmil nahīṅ the jouse saudāgaroṅ, tājiroṅ, Arabbādshāhoṅ aur ziloṅ ke afsaroṅ semilte the.

16‐17SulemānBādshāhne 200 baṛīaur 300 chhoṭī ḍhāleṅ banwāīṅ. Unpar sonā manḍhā gayā. Har baṛīḍhāl ke lie taqrīban 7 kilogrāmsonā

istemāl huā aur har chhoṭī ḍhālke lie taqrīban sāṛhe 3 kilogrām.Sulemān ne unheṅ ‘Lubnān kāJangal’ nāmī mahal meṅ mahfūzrakhā.

18In ke alāwā bādshāh nehāthīdāṅt se ārāstā ek baṛā takhtbanwāyā jis par khālis sonāchaṛhāyā gayā. 19‐20Takht kī pushtkā ūpar kā hissā gol thā, aur uske har bāzū ke sāth sherbabarkā mujassamā thā. Takht kuchhūṅchā thā, aur bādshāh chhih pāewālī sīṛhī par chaṛh kar us parbaiṭhtā thā. Dāīṅ aur bāīṅ taraf harpāe par sherbabar kā mujassamāthā. Is qism kā takht kisī aursaltanat meṅ nahīṅ pāyā jātā thā.

21Sulemān ke tamām pyālesone ke the, balki ‘Lubnān kāJangal’ nāmī mahal meṅ tamāmbartan khālis sone ke the. Koī bhīchīz chāṅdī kī nahīṅ thī, kyoṅkiSulemān ke zamāne meṅ chāṅdī kīkoī qadar nahīṅ thī. 22Bādshāh keapne bahrī jahāz the jo Hīrām kejahāzoṅ ke sāth mil kar mukhtalifjaghoṅ par jāte the. Har tīn sāl kebād wuh sone‐chāṅdī, hāthīdāṅt,bandaroṅ aur moroṅ se lade huewāpas āte the.

Page 282: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

276 1 Salātīn 11:7

23Sulemān kī daulat aur hikmatduniyā ke tamām bādshāhoṅ sekahīṅ zyādā thī. 24Pūrī duniyā usse milne kī koshish kartī rahī tākiwuh hikmat sun le jo Allāh ne uske dil meṅ ḍāl dī thī. 25Sāl basāljo bhī Sulemān ke darbār meṅ ātāwuh koī na koī tohfā lātā. Yoṅuse sone‐chāṅdī ke bartan, qīmtīlibās, hathiyār, balsān, ghoṛe aurkhachchar milte rahe.

26Sulemān ke 1,400 rath aur12,000 ghoṛe the. Kuchh usne rathoṅ ke lie makhsūs kiegae shahroṅ meṅ aur kuchhYarūshalam meṅ apne pās rakhe.27Bādshāh kī sargarmiyoṅ ke bāischāṅdī patthar jaisī ām ho gaī aurdeodār kī qīmtī lakaṛī Yahūdāh kemaġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqekī anjīr‐tūt kī sastī lakaṛī jaisī āmho gaī. 28Bādshāh apne ghoṛe Misraur que yānī Kilikiyā se darāmadkartā thā. Us ke tājir in jaghoṅpar jā kar unheṅ kharīd lāte the.29Bādshāh ke rath Misr se darāmadhote the. Har rath kī qīmat chāṅdīke 600 sikke aur har ghoṛe kī qīmatchāṅdī ke 150 sikke thī. Sulemān ketājir yih ghoṛe barāmad karte huetamām Hittī aur Arāmī bādshāhoṅtak bhī pahuṅchāte the.

Sulemān Rab se Dūr Ho Jātā Hai

11 Lekin Sulemān bahut‐sīġhairmulkī khawātīn se

muhabbat kartā thā. Firaun kībeṭī ke alāwā us kī shādī Moābī,Ammonī, Adomī, Saidānī aur Hittīauratoṅ se huī. 2In qaumoṅ ke bāremeṅ Rab ne Isrāīliyoṅ ko hukmdiyā thā, “Na tum in ke gharoṅmeṅjāo aur na yih tumhāre gharoṅmeṅāeṅ, warnā yih tumhāre dil apnedewatāoṅ kī taraf māyl kar deṅge.”To bhī Sulemān baṛe pyār se apnī inbīwiyoṅ se lipṭā rahā. 3Us kī shāhīkhāndānoṅ se tālluq rakhne wālī700 bīwiyāṅ aur 300 dāshtāeṅ thīṅ.In auratoṅne ākhirkār us kā dil Rabse dūr kar diyā. 4Jab wuh būṛhā hogayā to unhoṅ ne us kā dil dīgarmābūdoṅ kī taraf māyl kar diyā.Yoṅ wuh buṛhāpe meṅ apne bāpDāūd kī tarah pūre dil se Rab kāwafādār na rahā 5balki Saidāniyoṅkī dewī Astārāt aur Ammoniyoṅ kedewatā Milkūm kī pūjā karne lagā.6Ġharz us ne aisā kām kiyā jo Rabko nāpasand thā. Wuh wafādārī narahī jis se us ke bāp Dāūd ne Rab kīkhidmat kī thī.

7Yarūshalam ke mashriq meṅSulemān ne ek pahāṛī par do

Page 283: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 11:8 277

mandir banāe, ek Moāb keghinaune dewatā Kamos ke lieaur ek Ammon ke ghinaunedewatā Malik yānī Milkūm ke lie.8Aise mandir us ne apnī tamāmġhairmulkī bīwiyoṅ ke lie tāmīr kietāki wuh apne dewatāoṅ ko bakhūraur zabah kī qurbāniyāṅ pesh karsakeṅ.

9Rab ko Sulemānpar baṛā ġhussāāyā, kyoṅki wuh Isrāīl ke Khudāse dūr ho gayā thā, hālāṅki Rabus par do bār zāhir huā thā. 10Gous ne use dīgar mābūdoṅ kī pūjākarne se sāf manā kiyā thā tobhī Sulemān ne us kā hukm namānā. 11Is lie Rab ne us se kahā,“Chūṅki tū mere ahd aur ahkām kemutābiq zindagī nahīṅ guzārtā, islie maiṅ bādshāhī ko tujh se chhīnkar tere kisī afsar ko dūṅgā. Yihbāt yaqīnī hai. 12Lekin tere bāpDāūd kī khātir maiṅ yih tere jīte‐jī nahīṅ karūṅga balki bādshāhī kotere beṭe hī se chhīnūṅgā. 13Aurmaiṅ pūrī mamlakat us ke hāthse nahīṅ lūṅgā balki apne khādimDāūd aur apne chune hue shahrYarūshalam kī khātir us ke lie ekqabīlā chhoṛ dūṅgā.”

Sulemān ke DushmanHadad aur Razūn

14Phir Rab ne Adom ke shāhīkhāndān meṅ se ek ādmī banāmHadad ko barpā kiyā jo Sulemān kāsakht mukhālif ban gayā. 15Wuhyoṅ Sulemān kā dushman ban gayāki chand sāl pahle jab Dāūd neAdom ko shikast dī to us kā faujīkamānḍar Yoāb maidān‐e‐jangmeṅ paṛī tamām Isrāīlī lāshoṅ kodafnāne ke lie Adom āyā. Jahāṅ bhīgayā wahāṅ us ne har Adomī mardko mār ḍālā. 16Wuh chhih māhtak apne faujiyoṅ ke sāth har jagahphirā aur tamām Adomī mardoṅko mārtā gayā. 17Hadad us waqtbach gayā aur apne bāp ke chandek sarkārī afsaroṅ ke sāth farār hokar Misr meṅ panāh le sakā.

18Rāste meṅ unheṅ Dasht‐e‐Fārān ke Mulk‐e‐Midiyān seguzarnā paṛā. Wahāṅ wuh mazīdkuchh ādmiyoṅ ko jamā kar sakeaur safr karte karte Misr pahuṅchgae. HadadMisr ke bādshāh Firaunke pās gayā to us ne use ghar,kuchh zamīn aur khurāk muhaiyākī. 19Hadad Firaun ko itnā pasandāyā ki us ne us kī shādī apnī bīwīmalikā Tahfanīs kī bahan ke sāth

Page 284: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

278 1 Salātīn 11:31

karāī. 20Is bahan ke beṭā paidāhuā jis kā nām Janūbat rakhā gayā.Tahfanīs ne use shāhī mahal meṅpālā jahāṅ wuh Firaun ke beṭoṅ kesāth parwān chaṛhā.

21Ek din Hadad ko khabar milīki Dāūd aur us kā kamānḍar Yoābfaut ho gae haiṅ. Tab us neFiraun se ijāzat māṅgī, “Maiṅ apnemulk lauṭ jānā chāhtā hūṅ, barāh‐e‐karm mujhe jāne deṅ.” 22Firaunne etarāz kiyā, “Yahāṅ kyā kamīhai ki tum apne mulk wāpas jānāchāhte ho?” Hadad ne jawāb diyā,“Maiṅ kisī bhī chīz se mahrūmnahīṅ rahā, lekin phir bhī mujhejāne dījie.”

23Allāh ne ek aur ādmī ko bhīSulemān ke khilāf barpā kiyā. Uskā nāmRazūn bin Ilyadā thā. Pahlewuh Zobāh ke bādshāh Hadadazarkī khidmat anjām detā thā, lekinek din us ne apne mālik se bhāgkar 24kuchh ādmiyoṅ ko apne girdjamā kiyā aur ḍākuoṅ ke jatthe kāsarġhanā ban gayā. Jab Dāūd neZobāh ko shikast de dī to Razūnapne ādmiyoṅ ke sāth Damishqgayā aur wahāṅ ābād ho kar apnīhukūmat qāym kar lī. 25Hote hotewuh pūre Shām kā hukmrān bangayā. Wuh Isrāīliyoṅ senafrat kartā

thā aur Sulemān ke jīte‐jī Isrāīl kākhās dushman banā rahā. Hadadkī tarahwuh bhī Isrāīl ko tang kartārahā.

Yarubiyām aur Akhiyāh Nabī26Sulemān kā ek sarkārī afsar bhīus ke khilāf uṭh khaṛā huā. Uskā nām Yarubiyām bin Nabāt thā,aur wuh Ifrāīm ke shahr Sarīdākā thā. Us kī māṅ Saruā bewāthī. 27Jab Yarubiyām bāġhī huā toun dinoṅ meṅ Sulemān irdgird kechabūtare aur fasīl kā ākhirī hissātāmīr kar rahā thā. 28Us ne dekhāki Yarubiyām māhir aur mehnatījawān hai, is lie us ne use Ifrāīmaur Manassī ke qabīloṅ ke tamāmbegār meṅ kām karne wāloṅ parmuqarrar kiyā.

29Ek din Yarubiyām shahr senikal rahā thā to us kīmulāqāt Sailāke nabī Akhiyāh se huī. Akhiyāhnaī chādar oṛhe phir rahā thā.Khule maidān meṅ jahāṅ koī aurnazar na āyā 30Akhiyāh ne apnīchādar ko pakaṛ kar bārah ṭukṛoṅmeṅ phāṛ liyā 31aur Yarubiyām sekahā,“Chādar ke das ṭukṛe apne pās

rakheṅ! Kyoṅki Rab Isrāīl kā Khudā

Page 285: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 11:32 279

farmātā hai, ‘Is waqt maiṅ Isrāīl kībādshāhī ko Sulemān se chhīnanewālā hūṅ. Jab aisā hogā to maiṅus ke das qabīle tere hawāle kardūṅgā. 32Ek hī qabīlā us ke pāsrahegā, aur yih bhī sirf us ke bāpDāūd aur us shahr kī khātir jisemaiṅ ne tamām qabīloṅ meṅ sechun liyā hai. 33Is tarah maiṅSulemān ko sazā dūṅgā, kyoṅkiwuh aur us ke log mujhe tarkkarke Saidāniyoṅkī dewīAstārāt kī,Moābiyoṅ ke dewatā Kamos kī aurAmmoniyoṅ ke dewatā Milkūm kīpūjā karne lage haiṅ. Wuh merīrāhoṅ par nahīṅ chalte balki wuhīkuchh karte haiṅ jo mujhe bilkulnāpasand hai. Jis tarah Dāūd mereahkām aur hidāyāt kī pairawī kartāthā us tarah us kā beṭā nahīṅ kartā.

34Lekin maiṅ is waqt pūrībādshāhī Sulemān ke hāth se nahīṅchhīnūṅgā. Apne khādim Dāūdkī khātir jise maiṅ ne chun liyāaur jo mere ahkām aur hidāyātke tābe rahā maiṅ Sulemān kejīte‐jī yih nahīṅ karūṅga. Wuhkhud bādshāh rahegā, 35lekin uske beṭe semaiṅ bādshāhī chhīn kardas qabīle tere hawāle kar dūṅgā.36Sirf ek qabīlā Sulemān ke beṭe kesapurd rahegā tāki mere khādim

Dāūd kā charāġh hameshā merehuzūr Yarūshalam meṅ jaltā rahe,us shahr meṅ jo maiṅ ne apne nāmkī sukūnat ke lie chun liyā hai.37Lekin tujhe, ai Yarubiyām, maiṅIsrāīl par bādshāh banā dūṅgā.Jo kuchh bhī terā jī chāhtā hai uspar tū hukūmat karegā. 38Us waqtagar tū mere khādim Dāūd kī tarahmerī har bāt mānegā, merī rāhoṅpar chalegā aur mere ahkām aurhidāyāt ke tābe rah kar wuh kuchhkaregā jo mujhe pasand hai to phirmaiṅ tere sāth rahūṅgā. Phir maiṅterā shāhī khāndānutnā hī qāym‐o‐dāymkar dūṅgā jitnāmaiṅ neDāūdkā kiyā hai, aur Isrāīl tere hī hawālerahegā.

39Yoṅmaiṅ Sulemān ke gunāh kebāis Dāūd kī aulād ko sazā dūṅgā,agarche yih abadī sazā nahīṅ hogī.’”

40Is ke bād Sulemān neYarubiyām ko marwāne kī koshishkī, lekin Yarubiyām ne farār ho karMisr ke bādshāh Sīsaq kepās panāhlī. WahāṅwuhSulemānkīmaut takrahā.

Sulemān kī Maut41Sulemān kī zindagī aur hikmatke bāre meṅmazīd bāteṅ ‘Sulemān

Page 286: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

280 1 Salātīn 12:11

ke Āmāl’ kī kitāb meṅ bayān kīgaī haiṅ. 42Sulemān 40 sāl pūreIsrāīl par hukūmat kartā rahā. Uskā dārul‐hukūmat Yarūshalam thā.43Jab wuh mar kar apne bāpdādāse jā milā to use Yarūshalam ke ushisse meṅ dafn kiyā gayā jo ‘Dāūdkā Shahr’ kahlātā hai. Phir us kābeṭā Rahubiyām takhtnashīn huā.

Shimālī Qabīle Alag Ho Jāte Haiṅ

12 Rahubiyām Sikam gayā,kyoṅki wahāṅ tamām

Isrāīlī use bādshāhmuqarrar karneke lie jamā ho gae the. 2Yarubiyāmbin Nabāt yih khabar sunte hīMisr se jahāṅ us ne SulemānBādshāh se bhāg kar panāh lī thīIsrāīl wāpas āyā. 3Isrāīliyoṅ neuse bulāyā tāki us ke sāth Sikamjāeṅ. Jab pahuṅchā to Isrāīl kī pūrījamāt Yarubiyām ke sāth mil karRahubiyām se milne gaī. Unhoṅne bādshāh se kahā, 4“Jo juā āp kebāp ne ham par ḍāl diyā thā useuṭhānāmushkil thā, aur jowaqt aurpaise hameṅ bādshāh kī khidmatmeṅ sarf karne the wuh nāqābil‐e‐bardāsht the. Ab donoṅ ko kamkar deṅ. Phir ham khushī se āp kīkhidmat kareṅge.”

5Rahubiyām ne jawāb diyā,“Mujhe tīn din kī muhlat deṅ, phirdubārā mere pās āeṅ.” Chunāṅchelog chale gae.

6Phir Rahubiyām Bādshāh neun buzurgoṅ se mashwarā kiyājo Sulemān ke jīte‐jī bādshāh kīkhidmat karte rahe the. Us nepūchhā, “Āp kā kyā khayāl hai?Maiṅ in logoṅ ko kyā jawāb dūṅ?”7Buzurgoṅ ne jawāb diyā, “Hamārāmashwarā hai ki is waqt un kākhādim ban kar un kī khidmatkareṅ aur unheṅ narm jawābdeṅ. Agar āp aisā kareṅ to wuhhameshā āp ke wafādār khādimbane raheṅge.”

8Lekin Rahubiyām ne buzurgoṅkā mashwarā radd karke us kīkhidmat meṅ hāzir un jawānoṅ semashwarā kiyā jo us ke sāth parwānchaṛhe the. 9Us ne pūchhā, “Maiṅis qaum ko kyā jawāb dūṅ? Yihtaqāzā kar rahe haiṅ ki maiṅ wuhjuā halkā kar dūṅ jo mere bāp neun par ḍāl diyā.” 10Jo jawān us kesāth parwān chaṛhe the unhoṅ nekahā, “Achchhā, yih log taqāzā karrahe haiṅ ki āp ke bāp kā juā halkākiyā jāe? Unheṅ batā denā, ‘Merīchhoṭī unglī mere bāp kī kamr sezyādā moṭī hai! 11Beshak jo juā

Page 287: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 12:12 281

us ne āp par ḍāl diyā use uṭhānāmushkil thā, lekinmerā juā aur bhībhārī hogā. Jahāṅ mere bāp neāp ko koṛe lagāe wahāṅ maiṅ āp kībichchhuoṅ se tādīb karūṅga.’”

12Tīn din ke bād jab Yarubiyāmtamām Isrāīliyoṅ ke sāthRahubiyām kā faislā sunane kelie wāpas āyā 13to bādshāh neunheṅ sakht jawāb diyā. Buzurgoṅkā mashwarā radd karke 14us neunheṅ jawānoṅ kā jawāb diyā,“Beshak jo juā mere bāp ne āp parḍāl diyā use uṭhānā mushkil thā,lekin merā juā aur bhī bhārī hogā.Jahāṅmere bāp ne āp ko koṛe lagāewahāṅ maiṅ āp kī bichchhuoṅ setādīb karūṅga!” 15Yoṅ Rab kī marzīpūrī huī ki Rahubiyām logoṅ kī bātnahīṅ mānegā. Kyoṅki ab Rab kīwuh peshgoī pūrī huī jo Sailā kenabī Akhiyāh ne Yarubiyām binNabāt ko batāī thī.

16Jab Isrāīliyoṅ ne dekhā kibādshāh hamārī bāt sunane ke lietaiyār nahīṅ hai to unhoṅ ne us sekahā, “Na hameṅ Dāūd se mīrāsmeṅ kuchhmilegā, na Yassī ke beṭese kuchh milne kī ummīd hai. AiIsrāīl, sab apne apne ghar wāpaschaleṅ! Ai Dāūd, ab apnā ghar

khud saṅbhāl lo!” Yih kah kar wuhsab chale gae.

17Sirf Yahūdāh ke qabīle keshahroṅ meṅ rahne wāle IsrāīlīRahubiyām ke taht rahe. 18PhirRahubiyām Bādshāh ne begāriyoṅpar muqarrar afsar Adūnīrām koshimālī qabīloṅ ke pās bhej diyā,lekin use dekh kar tamām logoṅ neuse sangsār kiyā. Tab Rahubiyāmjaldī se apne rath par sawār huāaur bhāg kar Yarūshalam pahuṅchgayā. 19Yoṅ Isrāīl ke shimālī qabīleDāūd ke shāhī gharāne se alag hogae aur āj tak us kī hukūmat nahīṅmānte.

20Jab khabar shimālī Isrāīl meṅphailī ki Yarubiyām Misr se wāpasā gayā hai to logoṅ ne qaumīijlās mun’aqid karke use bulāyā aurwahāṅ use apnā bādshāh banā liyā.Sirf Yahūdāh kā qabīlā Rahubiyāmaur us ke gharāne kā wafādār rahā.

Rahubiyām ko Isrāīl se JangKarne kī Ijāzat NahīṅMiltī

21Jab Rahubiyām Yarūshalampahuṅchā to us ne Yahūdāh aurBinyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdāfaujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne kelie bulāyā. 1,80,000 mard jamā

Page 288: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

282 1 Salātīn 12:32

hue tāki Rahubiyām bin Sulemānke lie Isrāīl par dubārā qābūpāeṅ. 22Lekin ain us waqt mard‐e‐Khudā Samāyāh ko Allāh kī tarafse paiġhām milā, 23“Yahūdāh kebādshāh Rahubiyām bin Sulemān,Yahūdāh aur Binyamīn ke tamāmafrād aur bāqī logoṅ ko ittalā de,24‘Rab farmātā hai ki apne Isrāīlībhāiyoṅ se jang mat karnā. Har ekapne apne ghar wāpas chalā jāe,kyoṅki jo kuchh huā hai wuh merehukm par huā hai.’”Tab wuh Rab kī sun kar apne

apne ghar wāpas chale gae.

Yarubiyām ke Sone ke Bachhṛe25Yarubiyām Ifrāīm ke pahāṛī ilāqeke shahr Sikam ko mazbūt karkewahāṅ ābād huā. Bād meṅ us neFanuel Shahr kī bhī qilābandī kī aurwahāṅ muntaqil huā. 26Lekin dilmeṅ andeshā rahā ki kahīṅ Isrāīldubārā Dāūd ke gharāne ke hāthmeṅ na ā jāe. 27Us ne sochā,“Log bāqāydagī se Yarūshalam ātejāte haiṅ tāki wahāṅ Rab ke gharmeṅ apnī qurbāniyāṅ pesh kareṅ.Agar yih silsilā toṛā na jāe to āhistāāhistā un ke dil dubārā Yahūdāh

ke bādshāh Rahubiyām kī tarafmāyl ho jāeṅge. Ākhirkār wuhmujhe qatl karke Rahubiyām koapnā bādshāh banā leṅge.”

28Apne afsaroṅ ke mashware parus ne sone ke do bachhṛe banwāe.Logoṅ ke sāmne us ne elān kiyā,“Har qurbānī ke lie Yarūshalamjānā mushkil hai! Ai Isrāīl dekh,yih tere dewatā haiṅ jo tujhe Misrse nikāl lāe.” 29Ek but us nejunūbī shahr Baitel meṅ khaṛā kiyāaur dūsrā shimālī shahr Dān meṅ.30Yoṅ Yarubiyām ne Isrāīliyoṅ kogunāh karne par uksāyā. Log Dāntak safr kiyā karte the tākiwahāṅkebut kī pūjā kareṅ.

31Is ke alāwā Yarubiyām nebahut‐sī ūṅchī jaghoṅ par mandirbanwāe. Unheṅ saṅbhālne ke lieus ne aise log muqarrar kie jo Lāwīke qabīle ke nahīṅ balki ām logthe. 32Us ne ek naī īd bhī rāyjkī jo Yahūdāh meṅ manāne wālīJhoṅpṛiyoṅ kī Īd kī mānind thī. Yihīd āṭhweṅ māha ke pandrahweṅdin manāī jātī thī. Baitel meṅus ne khud qurbāngāh par jā karapne banwāe hue bachhṛoṅ koqurbāniyāṅ pesh kīṅ, aur wahīṅ us

aAktūbar tā Nawambar

Page 289: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 12:33 283

ne apne un mandiroṅ ke imāmoṅko muqarrar kiyā jo us ne ūṅchījaghoṅ par tāmīr kie the.

Nabī Yarubiyām ko Burī KhabarPahuṅchātā Hai

33Chunāṅche Yarubiyām kemuqarrarkardā din yānī āṭhweṅmahīne ke pandrahweṅ dinIsrāīliyoṅ ne Baitel meṅ īd manāī.Tamām mehmānoṅ ke sāmneYarubiyām qurbāngāh par chaṛhgayā tāki qurbāniyāṅ pesh kare.

13 Wuh abhī qurbāngāh kepās khaṛā apnī qurbāniyāṅ

pesh karnā hī chāhtā thā ki ekmard‐e‐Khudā ān pahuṅchā. Rabne use Yahūdāh se Baitel bhejdiyā thā. 2Buland āwāz se wuhqurbāngāh se mukhātib huā, “Aiqurbāngāh! Ai qurbāngāh! Rabfarmātā hai, ‘Dāūd ke gharāne sebeṭā paidā hogā jis kā nām Yūsiyāhhogā. Tujh par wuh un imāmoṅ koqurbān kar degā jo ūṅchī jaghoṅ kemandiroṅ meṅ khidmat karte auryahāṅ qurbāniyāṅ pesh karne kelie āte haiṅ. Tujh par insānoṅ kīhaḍḍiyāṅ jalāī jāeṅgī.’” 3Phir mard‐e‐Khudā ne ilāhī nishān bhī peshkiyā. Us ne elān kiyā, “Ek nishān

sābit karegā ki Rabmerīmārifat bātkar rahā hai! Yih qurbāngāh phaṭjāegī, aur is par maujūd charbī milīrākh zamīn par bikhar jāegī.”

4Yarubiyām Bādshāh ab takqurbāngāh ke pās khaṛā thā. Jabus ne Baitel kī qurbāngāh ke khilāfmard‐e‐Khudā kī bāt sunī to wuhhāth se us kī taraf ishārā karkegarjā, “Use pakaṛo!” Lekin jyoṅhī bādshāh ne apnā hāth baṛhāyāwuh sūkh gayā, aur wuh usewāpas na khīṅch sakā. 5Usī lamhequrbāngāh phaṭ gaī aur us parmaujūd rākh zamīn par bikhar gaī.Bilkul wuhī kuchh huā jis kā elānmard‐e‐Khudā ne Rab kī taraf sekiyā thā.

6Tab bādshāh iltamās karne lagā,“Rab apne Khudā kā ġhussā ṭhanḍākarke mere lie duā kareṅ tāki merāhāth bahāl ho jāe.” Mard‐e‐Khudāne us kī shafā’at kī to Yarubiyām kāhāth fauran bahāl ho gayā.

7Tab Yarubiyām Bādshāh nemard‐e‐Khudā ko dāwat dī, “Āeṅ,mere ghar meṅ khānā khā kartāzādam ho jāeṅ. Maiṅ āp ko tohfābhī dūṅgā.” 8Lekin us ne inkārkiyā, “Maiṅ āp ke pās nahīṅ āūṅgā,chāhe āp mujhe apnī milkiyat kāādhā hissā kyoṅ na deṅ. Maiṅ

Page 290: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

284 1 Salātīn 13:22

yahāṅ na roṭī khāūṅgā, na kuchhpiyūṅgā. 9Kyoṅki Rab ne mujhehukm diyā hai, ‘Rāste meṅ nakuchh khā aur na kuchh pī. Aurwāpas jāte waqt wuh rāstā na le jispar se tū Baitel pahuṅchā hai.’”

10Yih kah kar wuh farq rāstāikhtiyār karke apne ghar ke lierawānā huā.

Nabī kī Nāfarmānī11Baitel meṅ ek būṛhā nabī rahtāthā. Jab us ke beṭe us din gharwāpas āe to unhoṅ ne use sabkuchh kah sunāyā jomard‐e‐Khudāne Baitel meṅ kiyā aur YarubiyāmBādshāh ko batāyā thā. 12Bāpne pūchhā, “Wuh kis taraf gayā?”Beṭoṅ ne use wuh rāstā batāyā joYahūdāh ke mard‐e‐Khudā ne liyāthā. 13Bāp ne hukm diyā, “Meregadhe par jaldī se zīn kaso!” Beṭoṅne aisā kiyā to wuh us par baiṭh kar14mard‐e‐Khudā ko ḍhūṅḍne gayā.Chalte chalte mard‐e‐Khudā

balūt ke darakht ke sāy meṅ baiṭhānazar āyā. Buzurg ne pūchhā,“Kyā āp wuhī mard‐e‐Khudā haiṅjo Yahūdāh se Baitel āe the?” Us nejawāb diyā, “Jī, maiṅ wuhī hūṅ.”15Buzurg nabī ne use dāwat dī,

“Āeṅ, mere sāth. Maiṅ ghar meṅāp ko kuchh khānā khilātā hūṅ.”

16Lekin mard‐e‐Khudā ne inkārkiyā, “Nahīṅ, na maiṅ āp ke sāthwāpas jā saktā hūṅ, na mujheyahāṅ khāne‐pīne kī ijāzat hai.17Kyoṅki Rab ne mujhe hukm diyā,‘Rāste meṅ na kuchh khā aur nakuchh pī. Aur wāpas jāte waqtwuh rāstā na le jis par se tū Baitelpahuṅchā hai.’”

18Buzurg nabī ne etarāz kiyā,“Maiṅ bhī āp jaisā nabī hūṅ! Ekfarishte ne mujhe Rab kā nayāpaiġhām pahuṅchā kar kahā, ‘Useapne sāth ghar le jā kar roṭī khilāaur pānī pilā.’” Buzurg jhūṭ bolrahā thā, 19lekin mard‐e‐Khudā uske sāth wāpas gayā aur us ke gharmeṅ kuchh khāyā aur piyā.

20Wuh abhī wahāṅ baiṭhe khānākhā rahe the ki buzurg par Rab kākalām nāzil huā. 21Us ne bulandāwāz se Yahūdāh ke mard‐e‐Khudāse kahā, “Rab farmātā hai, ‘Tū neRab ke kalām kī khilāfwarzī kī hai!Jo hukm Rab tere Khudā ne tujhediyā thā wuh tū ne nazarandāz kiyāhai. 22Go us ne farmāyā thā kiyahāṅ na kuchh khā aur na kuchhpī to bhī tū ne wāpas ā kar yahāṅroṭī khāī aur pānī piyā hai. Is lie

Page 291: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 13:23 285

marte waqt tujhe tere bāpdādā kīqabr meṅ dafnāyā nahīṅ jāegā.’”

23Khāne ke bād buzurg ke gadhepar zīn kasā gayā aur mard‐e‐Khudā ko us par biṭhāyā gayā.24Wuh dubārā rawānā huā to rāstemeṅ ek sherbabar ne us par hamlākarke use mār ḍālā. Lekin us nelāsh ko na chheṛā balki wuh wahīṅrāste meṅ paṛī rahī jabki gadhā aursher donoṅ hī us ke pās khaṛe rahe.

25Kuchh logwahāṅ se guzare. Jabunhoṅ ne lāsh ko rāste meṅ paṛeaur sherbabar ko us ke pās khaṛedekhā to unhoṅ ne Baitel jahāṅbuzurg nabī rahtā thā ā kar logoṅko ittalā dī. 26Jab buzurg ko khabarmilī to us ne kahā, “Wuhī mard‐e‐Khudā hai jis ne Rab ke farmānkī khilāfwarzī kī. Ab wuh kuchhhuā hai jo Rab ne use farmāyā thāyānī us ne use sherbabar ke hawālekar diyā tāki wuh use phāṛ kar mārḍāle.” 27Buzurg ne apne beṭoṅ kogadhe par zīn kasne kā hukm diyā,28aur wuh us par baiṭh kar rawānāhuā. Jab wahāṅ pahuṅchā to dekhāki lāsh ab tak rāstemeṅ paṛī hai aurgadhā aur sher donoṅ hī us ke pāskhaṛe haiṅ. Sherbabar ne na lāshko chheṛā aur na gadhe ko phāṛāthā.

29Buzurg nabī ne lāsh ko uṭhākar apne gadhe par rakhā aur useBaitel lāyā tāki us kā mātam karkeuse wahāṅ dafnāe. 30Us ne lāshko apnī khāndānī qabr meṅ dafnkiyā, aur logoṅ ne “Hāy, merebhāī” kah kar us kā mātam kiyā.31Janāze ke bād buzurg nabī neapne beṭoṅ se kahā, “Jab maiṅkūch kar jāūṅgā to mujhe mard‐e‐Khudā kī qabr meṅ dafnānā.Merī haḍḍiyoṅ ko us kī haḍḍiyoṅke pās hī rakheṅ. 32Kyoṅki jobāteṅ us ne Rab ke hukm parBaitel kī qurbāngāh aur Sāmariyake shahroṅ kī ūṅchī jaghoṅ kemandiroṅ ke bāremeṅ kī haiṅ wuhyaqīnan pūrī ho jāeṅgī.”

Yarubiyām Phir Bhī NāfarmānRahtā Hai

33Inwāqiyāt ke bāwujūdYarubiyāmapnī sharīr harkatoṅ se bāz naāyā. Ām logoṅ ko imām banānekā silsilā jārī rahā. Jo koī bhīimām bananā chāhtā use wuhūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ meṅkhidmat karne ke lie makhsūskartā thā. 34Yarubiyām ke gharāneke is sangīn gunāh kī wajah se wuh

Page 292: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

286 1 Salātīn 14:11

ākhirkār tabāh huā aur rū‐e‐zamīnpar se miṭ gayā.

Yarubiyām ko Ilāhī Sazā Miltī Hai

14 Ek din Yarubiyām kā beṭāAbiyāh bahut bīmār huā.

2Tab Yarubiyām ne apnī bīwī sekahā, “Jā kar apnā bhes badleṅtāki koī na pahchāne ki āp merībīwī haiṅ. Phir Sailā jāeṅ. WahāṅAkhiyāhNabī rahtā hai jis nemujheittalā dī thī ki maiṅ is qaum kābādshāh ban jāūṅgā. 3Us ke pās dasroṭiyāṅ, kuchh biskuṭ aur shahd kāmartabān le jāeṅ. Wuh ādmī āp kozarūr batā degā ki laṛke ke sāth kyāho jāegā.”

4Chunāṅche Yarubiyām kī bīwīapnā bhes badal kar rawānā huī aurchalte chalte Sailā meṅ Akhiyāhke ghar pahuṅch gaī. Akhiyāhumrrasīdā hone ke bāis dekh nahīṅsaktā thā. 5Lekin Rab ne use āgāhkar diyā, “Yarubiyām kī bīwī tujhse milne ā rahī hai tāki apne bīmārbeṭe ke bāre meṅ mālūmāt hāsilkare. Lekin wuh apnā bhes badalkar āegī tāki use pahchānā na jāe.”Phir Rab ne nabī ko batāyā ki usekyā jawāb denā hai.

6JabAkhiyāhne aurat ke qadmoṅkī āhaṭ sunī to bolā, “Yarubiyām kībīwī, andar āeṅ! Rūp bharne kī kyāzarūrat? Mujhe āp ko burī khabarpahuṅchānī hai. 7Jāeṅ, Yarubiyāmko Rab Isrāīl ke Khudā kī taraf sepaiġhām deṅ, ‘Maiṅ ne tujhe logoṅmeṅ se chun kar khaṛā kiyā aurapnī qaum Isrāīl par bādshāh banādiyā. 8Maiṅ ne bādshāhī ko Dāūdke gharāne se chhīn kar tujhe dediyā. Lekin afsos, tū mere khādimDāūdkī tarah zindagī nahīṅ guzārtājo mere ahkām ke tābe rah karpūre dil se merī pairawī kartā rahāaur hameshā wuh kuchh kartā thājo mujhe pasand thā. 9Jo tujh sepahle the un kī nisbat tū ne kahīṅzyādā badī kī, kyoṅki tū ne but ḍhālkar apne lie dīgar mābūd banāehaiṅ aur yoṅ mujhe taish dilāyā.Chūṅki tū ne apnā muṅh mujh sepher liyā 10is lie maiṅ tere khāndānko musībat meṅ ḍāl dūṅgā. Isrāīlmeṅ maiṅ Yarubiyām ke tamāmmardoṅ ko halāk kar dūṅgā, khāhwuh bachche hoṅ yā bāliġh. Jistarah gobar ko jhāṛū de kar dūrkiyā jātā hai usī tarah Yarubiyāmke gharāne kā nām‐o‐nishān miṭjāegā. 11Tum meṅ se jo shahr meṅmareṅge unheṅ kutte khā jāeṅge,

Page 293: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 14:12 287

aur jo khule maidān meṅ mareṅgeunheṅ parinde chaṭ kar jāeṅge.Kyoṅki yih Rab kā farmān hai.’”

12Phir Akhiyāh ne Yarubiyām kībīwī se kahā, “Āp apne ghar wāpaschalī jāeṅ. Jyoṅ hī āp shahr meṅdākhil hoṅgī laṛkā faut ho jāegā.13Pūrā Isrāīl us kāmātamkarke usedafn karegā. Wuh āp ke khāndānkā wāhid fard hogā jise sahīh taurse dafnāyā jāegā. Kyoṅki Rab Isrāīlke Khudā ne sirf usī meṅ kuchhpāyā jo use pasand thā. 14RabIsrāīl par ek bādshāh muqarrarkaregā jo Yarubiyāmke khāndān kohalāk karegā. Āj hī se yih silsilāshurū ho jāegā. 15Rab Isrāīl kobhī sazā degā, kyoṅki wuh YasīratDewī ke khambe banā kar un kīpūjā karte haiṅ. Chūṅki wuh Rabko taish dilāte rahe haiṅ, is liewuh unheṅ māregā, aur wuh pānīmeṅ sarkanḍe kī tarah hil jāeṅge.Rab unheṅ is achchhe mulk seukhāṛ kar Dariyā‐e‐Furāt ke pārmuntashir kar degā. 16Yoṅ wuhIsrāīl ko un gunāhoṅ ke bāis tarkkaregā jo Yarubiyām ne kie aurIsrāīl ko karne par uksāyā hai.”

17Yarubiyām kī bīwī Tirzā meṅapne ghar wāpas chalī gaī. Aurghar ke darwāze meṅ dākhil hote

hī us kā beṭā mar gayā. 18TamāmIsrāīl ne use dafnā kar us kāmātamkiyā. Sab kuchh waise huā jaiseRab ne apne khādim Akhiyāh Nabīkī mārifat farmāyā thā.

Yarubiyām kī Maut19Bāqī jo kuchh Yarubiyām kīzindagī ke bāre meṅ likhā hai wuh‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitābmeṅdarj hai. Us kitābmeṅpaṛhā jāsaktā hai ki wuh kis tarah hukūmatkartā thā aur us ne kaun kaun‐sījangeṅ kīṅ. 20Yarubiyām 22 sālbādshāh rahā. Jab wuh mar karapne bāpdādā se jā milā to us kābeṭā Nadab takhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Rahubiyām21Yahūdāh meṅ Rahubiyām binSulemān hukūmat kartā thā. Uskī māṅ Nāmā Ammonī thī. 41 sāl kīumr meṅ wuh takhtnashīn huā aur17 sāl bādshāh rahā. Us kā dārul‐hukūmat Yarūshalam thā, wuhshahr jise Rab ne tamām Isrāīlīqabīloṅ meṅ se chun liyā tāki usmeṅ apnā nām qāym kare.

22Lekin Yahūdāh ke bāshinde bhīaisī harkateṅ karte the jo Rab konāpasand thīṅ. Apne gunāhoṅ se

Page 294: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

288 1 Salātīn 15:4

wuh use taish dilāte rahe, kyoṅkiun ke yih gunāh un ke bāpdādāke gunāhoṅ se kahīṅ zyādā sangīnthe. 23Unhoṅ ne bhī ūṅchī jaghoṅpar mandir banāe. Har ūṅchīpahāṛī par aur har ghane darakhtke sāy meṅ unhoṅ ne makhsūspatthar yā Yasīrat Dewī ke khambekhaṛe kie, 24yahāṅ tak ki mandiroṅmeṅ jismfarosh mard aur aurateṅthe. Ġharz, unhoṅ ne un qaumoṅke tamām ghinaune rasm‐o‐riwājapnā lie jin ko Rab ne Isrāīliyoṅ keāge āge nikāl diyā thā.

25Rahubiyām Bādshāh kīhukūmat ke pāṅchweṅ sālmeṅ Misr ke bādshāh Sīsaq neYarūshalam par hamlā karke 26Rabke ghar aur shāhī mahal ke tamāmkhazāne lūṭ lie. Sone kī wuhḍhāleṅ bhī chhīn lī gaīṅ jo Sulemānne banwāī thīṅ. 27In kī jagahRahubiyām ne pītal kī ḍhāleṅbanwāīṅ aur unheṅ un muhāfizoṅke afsaroṅ ke sapurd kiyā jo shāhīmahal ke darwāze kī pahrādārīkarte the. 28Jab bhī bādshāh Rabke ghar meṅ jātā tab muhāfiz yihḍhāleṅ uṭhā kar sāth le jāte. Iske bād wuh unheṅ pahredāroṅ kekamre meṅ wāpas le jāte the.

29Bāqī jo kuchh RahubiyāmBādshāh kī hukūmat ke daurānhuā aur jo kuchh us ne kiyā wuh‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kīkitāb meṅ darj hai. 30Donoṅbādshāhoṅ Rahubiyām aurYarubiyāmke jīte‐jī un ke darmiyānjang jārī rahī. 31Jab Rahubiyāmmar kar apne bāpdādā se jā milāto use Yarūshalam ke us hissemeṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātāhai khāndānī qabr meṅ dafnāyāgayā. Us kīmāṅNāmāAmmonī thī.Phir Rahubiyām kā beṭā Abiyāhtakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Abiyāh

15 Abiyāh Isrāīl ke bādshāhYarubiyām bin Nabāt

kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅYahūdāh kā bādshāh banā. 2Wuhtīn sāl bādshāh rahā, aur us kādārul‐hukūmat Yarūshalam thā.Us kī māṅ Mākā bint Abīsalūmthī. 3Abiyāh se wuhī gunāh sarzadhue jo us ke bāp ne kie the, aurwuh pūre dil se Rab apne Khudākā wafādār na rahā. Go wuh ismeṅ apne pardādā Dāūd se farq thā4to bhī Rab us ke Khudā ne Abiyāhkā Yarūshalam meṅ charāġh jalne

Page 295: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 15:5 289

diyā. Dāūd kī khātir us ne usejānashīn atā kiyā aur Yarūshalamko qāym rakhā, 5kyoṅki Dāūd newuh kuchh kiyā thā jo Rab kopasand thā. Jīte‐jī wuh Rab keahkām ke tābe rahā, siwāe us jurmke jab us ne Ūriyāh Hittī ke silsilemeṅ ġhalat qadam uṭhāe the.

6Rahubiyām aur Yarubiyāmke darmiyān kī jang Abiyāh kīhukūmat ke daurān bhī jārī rahī.7Bāqī jo kuchh Abiyāh kī hukūmatke daurān huā aur jo kuchh usne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāhkī Tārīkh’ kī kitāb meṅ darj hai.8Jab wuh mar kar apne bāpdādāse jā milā to use Yarūshalam ke ushisse meṅ dafn kiyā gayā jo ‘Dāūdkā Shahr’ kahlātā hai. Phir us kābeṭā Āsā takhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Āsā9Āsā Isrāīl ke bādshāh Yarubiyāmke 20weṅ sāl meṅ Yahūdāh kābādshāhban gayā. 10Uskī hukūmatkā daurāniyā 41 sāl thā, aur uskā dārul‐hukūmat Yarūshalamthā. Māṅ kā nām Mākā thā, aurwuh Abīsalūm kī beṭī thī. 11Apnepardādā Dāūd kī tarah Āsā bhīwuh kuchh kartā rahā jo Rab ko

pasand thā. 12Us ne un jismfaroshmardoṅ aur auratoṅ ko nikāldiyā jo mandiroṅ meṅ nām‐nihādkhidmat karte the aur un tamāmbutoṅ ko tabāh kar diyā jo us kebāpdādā ne banāe the. 13Aur gous kī māṅ bādshāh kī māṅ honeke bāis bahut asar‐o‐rasūkh rakhtīthī, tāham Āsā ne yih ohdā khatmkar diyā jab māṅ ne Yasīrat Dewīkā ghinaunā khambā banwā liyā.Āsā ne yih but kaṭwā kar Wādī‐e‐Qidron meṅ jalā diyā. 14Afsos ki usne ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ kodūr na kiyā. To bhī Āsā jīte‐jī pūredil se Rab kā wafādār rahā. 15Sonā‐chāṅdī aur bāqī jitnī chīzeṅ us kebāp aur us ne Rab ke lie makhsūskī thīṅ un sab ko wuh Rab ke gharmeṅ lāyā.

16Yahūdāh ke bādshāh Āsāaur Isrāīl ke bādshāh Bāshā kedarmiyān zindagī‐bhar jang jārīrahī. 17Ek din Bāshā Bādshāh neYahūdāh par hamlā karke RāmāShahr kī qilābandī kī. Maqsad yihthā ki na koī Yahūdāh kemulk meṅdākhil ho sake, na koī wahāṅ senikal sake. 18Jawāb meṅ Āsā neShām ke bādshāh Bin‐hadad kepās wafd bhejā. Bin‐hadad kā bāpTābrimmon bin Hazyūn thā, aur

Page 296: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

290 1 Salātīn 15:27‐28

us kā dārul‐hukūmat Damishq thā.Āsā neRab ke ghar aur shāhīmahalke khazānoṅ kā tamām bachā huāsonā aur chāṅdī wafd ke sapurdkarke Damishq ke bādshāh kopaiġhām bhejā, 19“Merā āp ke sāthahd hai jis tarah mere bāp kā āp kebāp ke sāth ahd thā. Guzārish hai kiāp sone‐chāṅdī kā yih tohfā qabūlkarke Isrāīl ke bādshāh Bāshā kesāth apnā ahd mansūkh kar deṅtāki wuh mere mulk se nikal jāe.”

20Bin‐hadad muttafiq huā. Usne apne faujī afsaroṅ ko Isrāīl keshahroṅ par hamlā karne ke liebhej diyā to unhoṅ ne Aiyyūn, Dān,Abīl‐bait‐mākā, tamām Kinnarataur Naftālī par qabzā kar liyā. 21JabBāshā ko is kī khabar milī to wuhRāmā kī qilābandī karne se bāz āyāaur Tirzā wāpas chalā gayā.

22Phir Āsā Bādshāh ne Yahūdāhke tamām mardoṅ kī bhartī karkeunheṅ Rāmā bhej diyā tāki wuhun tamām pattharoṅ aur shahtīroṅko uṭhā kar le jāeṅ jin se BāshāBādshāh Rāmā kī qilābandī karnāchāhtā thā. Tamām mardoṅ kowahāṅ jānā paṛā, ek ko bhī chhuṭṭīna milī. Is sāmān se Āsā neBinyamīn ke shahr Jibā aur Misfāhkī qilābandī kī.

23Bāqī jo kuchh Āsā kī hukūmatke daurān huā aur jo kuchh usne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kīTārīkh’ kī kitāb meṅ darj hai. Usmeṅ us kī kāmyābiyoṅ aur us ketāmīr kie gae shahroṅ kā zikr hai.Buṛhāpe meṅ us ke pāṅwoṅ kobīmārī lag gaī. 24Jab wuh markar apne bāpdādā se jā milā touse Yarūshalam ke us hisse meṅjo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā haikhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā.Phir us kā beṭā Yahūsafat us kījagah takhtnashīn huā.

Isrāīl kā Bādshāh Nadab25NadabbinYarubiyāmYahūdāhkebādshāh Āsā kī hukūmat ke dūsresāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā.Us kī hukūmat kā daurāniyā do sālthā. 26Us kā tarz‐e‐zindagī Rabko pasand nahīṅ thā, kyoṅki wuhapne bāp ke namūne par chaltārahā. Jo badī Yarubiyām ne Isrāīlko karne par uksāyā thā us seNadab bhī dūr na huā.

27‐28Ek din jab Nadab Isrāīlī faujke sāth Filistī shahr Jibbatūn kāmuhāsarā kie hue thā to Ishkār keqabīle ke Bāshā bin Akhiyāh neus ke khilāf sāzish karke use mār

Page 297: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 15:29 291

ḍālā aur khud Isrāīl kā bādshāh bangayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Āsākī hukūmat ke tīsre sāl meṅ huā.

29Takht par baiṭhte hī Bāshā neYarubiyām ke pūre khāndān komarwā diyā. Us ne ek ko bhī zindāna chhoṛā. Yoṅ wuh bāt pūrī huījo Rab ne Sailā ke rahne wāle apnekhādim Akhiyāh kī mārifat farmāīthī. 30Kyoṅki jo gunāh Yarubiyāmne kie aur Isrāīl ko karne paruksāyā thā un se us ne Rab Isrāīl keKhudā ko taish dilāyā thā.

31Bāqī jo kuchh Nadab kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitāb meṅ darjhai.

Isrāīl kā Bādshāh Bāshā32‐33Bāshā bin Akhiyāh Yahūdāh kebādshāh Āsā kī hukūmat ke tīsresāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā.Us kī hukūmat kā daurāniyā 24sāl thā, aur us kā dārul‐hukūmatTirzā rahā. Us ke aur Yahūdāh kebādshāh Āsā ke darmiyān zindagī‐bhar jang jārī rahī. 34Lekin wuhbhī aisā kām kartā thā jo Rabko nāpasand thā, kyoṅki us neYarubiyām ke namūne par chal kar

wuh gunāh jārī rakhe jo karne parYarubiyām ne Isrāīl ko uksāyā thā.

16 Ek din Rab ne Yāhū binHanānī ko Bāshā ke pās

bhej kar farmāyā, 2“Pahle tū kuchhnahīṅ thā, lekinmaiṅne tujhe khākmeṅ se uṭhā kar apnī qaum Isrāīlkā hukmrān banā diyā. To bhītū ne Yarubiyām ke namūne parchal kar merī qaum Isrāīl ko gunāhkarne par uksāyā aur mujhe taishdilāyā hai. 3Is liemaiṅ tere gharāneke sāth wuhī kuchh karūṅga joYarubiyām bin Nabāt ke gharāneke sāth kiyā thā. Bāshā kī pūrīnasl halāk ho jāegī. 4Khāndānke jo afrād shahr meṅ mareṅgeunheṅ kutte khā jāeṅge, aur jokhulemaidānmeṅmareṅge unheṅparinde chaṭ kar jāeṅge.”

5Bāqī jo kuchh Bāshā kī hukūmatke daurān huā, jo kuchh us ne kiyāaur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅwuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kīkitāb meṅ darj haiṅ. 6Jab wuhmar kar apne bāpdādā se jā milāto use Tirzā meṅ dafn kiyā gayā.Phir us kā beṭā Ailā takhtnashīnhuā. 7Rab kī sazā kā jo paiġhāmHanānī ke beṭe YāhūNabī ne Bāshāaur us ke khāndān ko sunāyā uskī do wujūhāt thīṅ. Pahle, Bāshā

Page 298: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

292 1 Salātīn 16:18

ne Yarubiyām ke khāndān kī tarahwuhkuchhkiyā jo Rab konāpasandthā aur use taish dilāyā. Dūsre, usne Yarubiyām ke pūre khāndān kohalāk kar diyā thā.

Isrāīl kā Bādshāh Ailā8Ailā bin Bāshā Yahūdāh kebādshāh Āsā kī hukūmat ke 26weṅsāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā.Us kī hukūmat ke do sāl ke daurānus kā dārul‐hukūmat Tirzā rahā.9Ailā kā ek afsar banām Zimrī thā.Zimrī rathoṅ ke ādhe hisse parmuqarrar thā. Ab wuh bādshāh kekhilāf sāzisheṅ karne lagā. Ek dinAilā Tirzā meṅ mahal ke inchārjArzā ke ghar meṅ baiṭhā mai pīrahā thā. Jab nashe meṅ dhut huā10to Zimrī ne andar jā kar use mārḍālā. Phirwuh khud takht par baiṭhgayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Āsākī hukūmat ke 27weṅ sāl meṅ huā.

11Takht par baiṭhte hī Zimrī neBāshā ke pūre khāndān ko halākkar diyā. Us ne kisī bhī mard kozindā na chhoṛā, khāh wuh dūr kārishtedār thā, khāh dost. 12Yoṅwuhī kuchh huā jo Rab ne YāhūNabī kī mārifat Bāshā ko farmāyāthā. 13Kyoṅki Bāshā aur us ke beṭe

Ailā se sangīn gunāh sarzad huethe, aur sāth sāth unhoṅ ne Isrāīlko bhī yih karne par uksāyā thā.Apne bātil dewatāoṅ se unhoṅ neRab Isrāīl ke Khudā ko taish dilāyāthā.

14Bāqī jo kuchh Ailā kī hukūmatke daurān huā aur jo kuchh us nekiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’kī kitāb meṅ darj hai.

Isrāīl kā Bādshāh Zimrī15Zimrī Yahūdāh ke bādshāh Āsā kīhukūmat ke 27weṅ sālmeṅ Isrāīl kābādshāh banā. Lekin Tirzā meṅ uskī hukūmat sirf sāt din tak qāymrahī. Us waqt Isrāīlī fauj Filistīshahr Jibbatūn kā muhāsarā karrahī thī. 16Jab fauj meṅ khabarphail gaī ki Zimrī ne bādshāhke khilāf sāzish karke use qatlkiyā hai to tamām Isrāīliyoṅ nelashkargāh meṅ ā kar usī din apnekamānḍar Umrī ko bādshāh banādiyā. 17Tab Umrī tamām faujiyoṅke sāth Jibbatūn ko chhoṛ kar Tirzākā muhāsarā karne lagā. 18JabZimrī ko patā chalā ki shahr dūsroṅke qabze meṅ ā gayā hai to us nemahal ke burj meṅ jā kar use āglagāī. Yoṅ wuh jal kar mar gayā.

Page 299: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 16:19 293

19Is tarah use bhī munāsib sazāmil gaī, kyoṅki us ne bhī wuhkuchh kiyā thā jo Rab ko nāpasandthā. Yarubiyām ke namūne parchal kar us ne wuh tamām gunāhkie jo Yarubiyām ne kie aur Isrāīlko karne par uksāyā thā. 20Jokuchh Zimrī kī hukūmat ke daurānhuā aur jo sāzisheṅ us ne kīṅ wuh‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitābmeṅ darj haiṅ.

Isrāīl kā Bādshāh Umrī21Zimrī kī maut ke bād Isrāīlī dofirqoṅ meṅ baṭ gae. Ek firqāTibnī bin Jīnat ko bādshāh banānāchāhtā thā, dūsrā Umrī ko. 22LekinUmrī kā firqā Tibnī ke firqekī nisbat zyādā tāqatwar niklā.Chunāṅche Tibnī mar gayā aurUmrī pūrī qaum par bādshāh bangayā.

23Umrī Yahūdāh ke bādshāh Āsākī hukūmat ke 31weṅ sāl meṅ Isrāīlkā bādshāhbanā. Us kī hukūmat kādaurāniyā 12 sāl thā. Pahle chhihsāl dārul‐hukūmat Tirzā rahā. 24Iske bād us ne ek ādmī banām Samarko chāṅdī ke 6,000 sikke de kar usse Sāmariya Pahāṛī kharīd lī aurwahāṅ apnā nayā dārul‐hukūmat

tāmīr kiyā. Pahle mālik Samarkī yād meṅ us ne shahr kā nāmSāmariya rakhā.

25Lekin Umrī ne bhī wuhī kuchhkiyā jo Rab ko nāpasand thā,balki us ne māzī ke bādshāhoṅkī nisbat zyādā badī kī. 26Us neYarubiyām bin Nabāt ke namūnepar chal kar wuh tamām gunāh kiejo Yarubiyām ne kie aur Isrāīl kokarne par uksāyā thā. Natīje meṅIsrāīlī Rab apne Khudā ko apnebātil dewatāoṅ se taish dilāte rahe.27Bāqī jo kuchh Umrī kī hukūmatke daurān huā, jo kuchh us ne kiyāaur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅwuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kīkitāb meṅ bayān kī gaī haiṅ. 28JabUmrī mar kar apne bāpdādā se jāmilā to use Sāmariya meṅ dafnāyāgayā. Phir us kā beṭā Akhiyabtakhtnashīn huā.

Isrāīl kā Bādshāh Akhiyab29Akhiyab bin Umrī Yahūdāh kebādshāh Āsā ke 38weṅ sāl meṅIsrāīl kā bādshāh banā. Us kīhukūmat kā daurāniyā 22 sāl thā,aur us kā dārul‐hukūmat Sāmariyarahā. 30Akhiyabnebhī aise kāmkiejo Rab ko nāpasand the, balki māzī

Page 300: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

294 1 Salātīn 17:9

ke bādshāhoṅ kī nisbat us ke gunāhzyādā sangīn the. 31Yarubiyām kenamūne par chalnā us ke lie kāfīnahīṅ thā balki us ne is se baṛh karSaidā ke bādshāh Itbāl kī beṭī Īzabilse shādī bhī kī. Natīje meṅ wuh uske dewatā Bāl ke sāmne jhuk karus kī pūjā karne lagā. 32Sāmariyameṅ us ne Bāl kāmandir tāmīr kiyāaur dewatā ke lie qurbāngāh banākar usmeṅ rakh diyā. 33Akhiyab neYasīrat Dewī kā but bhī banwā diyā.Yoṅ us ne apne ghinaune kāmoṅ semāzī ke tamām Isrāīlī bādshāhoṅkī nisbat kahīṅ zyādā Rab Isrāīl keKhudā ko taish dilāyā.

34Akhiyab kī hukūmat ke daurānBaitel ke rahne wāle Hiyel neYarīhū Shahr ko nae sire se tāmīrkiyā. Jab us kī buniyād rakhī gaīto us kā sab se baṛā beṭā Abīrāmmar gayā, aur jab us ne shahr kedarwāze lagā die to us ke sab sechhoṭe beṭe Sajūb ko apnī jān denīpaṛī. Yoṅ Rab kī wuh bāt pūrī huījo us ne Yashua bin Nūn kī mārifatfarmāī thī.

Kawwe Iliyās Nabī ko KhānāKhilāte Haiṅ

17 Ek din Iliyās Nabī ne joJiliyād ke shahr Tishbī kā

thā Akhiyab Bādshāh se kahā, “RabIsrāīl ke Khudā kī qasam jis kīkhidmat maiṅ kartā hūṅ, āne wālesāloṅ meṅ na os, na bārish paṛegījab tak maiṅ na kahūṅ.”

2Phir Rab ne Iliyās se kahā,3“Yahāṅ se chalā jā! Mashriq kītaraf safr karke Wādī‐e‐Karīt meṅchhup jā jis kī nadī Dariyā‐e‐Yardanmeṅ bahtī hai. 4Pānī tū nadī sepī saktā hai, aur maiṅ ne kawwoṅko tujhe wahāṅ khānā khilāne kāhukm diyā hai.” 5Iliyās Rab kī sunkar rawānā huā aur Wādī‐e‐Karītmeṅ rahne lagā jis kī nadī Dariyā‐e‐Yardan meṅ bahtī hai. 6Subh‐o‐shām kawwe use roṭī aur goshtpahuṅchāte rahe, aur pānī wuhnadī se pītā thā.

Iliyās Sārpat kī Bewā ke pās7Is pūre arse meṅ bārish na huī,is lie nadī āhistā āhistā sūkh gaī.Jab us kā pānī bilkul khatm ho gayā8to Rab dubārā Iliyās se hamkalāmhuā, 9“Yahāṅ se rawānā ho karSaidā ke shahr Sārpat meṅ jā bas.

Page 301: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 17:10 295

Maiṅ ne wahāṅ kī ek bewā ko tujhekhānā khilāne kā hukm diyā hai.”10Chunāṅche Iliyās Sārpat ke lierawānā huā.Safr karte karte wuh shahr ke

darwāze ke pās pahuṅch gayā.Wahāṅ ek bewā jalāne ke lielakaṛiyāṅ chun kar jamā kar rahīthī. Use bulā kar Iliyās ne kahā,“Zarā kisī bartan meṅ pānī bharkar mujhe thoṛā‐sā pilāeṅ.”

11Wuh abhī pānī lāne jā rahī thīki Iliyās ne us ke pīchhe āwāz dekar kahā, “Mere lie roṭī kā ṭukṛābhī lānā!” 12Yih sun kar bewā rukgaī aur bolī, “Rab āp ke Khudā kīqasam, mere pās kuchh nahīṅ hai.Bas, ek bartan meṅ muṭṭhī‐bharmaidā aur dūsre meṅ thoṛā‐sā telrah gayā hai. Ab maiṅ jalāne ke liechand ek lakaṛiyāṅ chun rahī hūṅtāki apne aur apne beṭe ke lie ākhirīkhānā pakāūṅ. Is ke bād hamārīmaut yaqīnī hai.”

13Iliyās ne use tasallī dī, “Ḍareṅmat! Beshak wuh kuchh kareṅjo āp ne kahā hai. Lekin pahlemere lie chhoṭī‐sī roṭī banā karmere pās le āeṅ. Phir jo bāqī rahgayā ho us se apne aur apne beṭeke lie roṭī banāeṅ. 14Kyoṅki RabIsrāīl kā Khudā farmātā hai, ‘Jab tak

Rab bārish barasne na de tab takmaide aur tel ke bartan khālī nahīṅhoṅge.’”

15‐16Aurat ne jā kar waisā hī kiyājaisā Iliyās ne use kahā thā. Wāqaīmaidā aur tel kabhī khatm na huā.Roz baroz Iliyās, bewā aur us kebeṭe ke lie khānā dastyāb rahā. Sabkuchh waisā hī huā jaisā Rab neIliyās kī mārifat farmāyā thā.

17Ek din bewā kā beṭā bīmār hogayā. Us kī tabiyat bahut kharābhuī, aur hote hote us kī jān nikalgaī. 18Tab bewā Iliyās se shikāyatkarne lagī, “Mard‐e‐Khudā, merāāp ke sāth kyā wāstā? Āp to sirf ismaqsad se yahāṅ āe haiṅ ki Rab komere gunāh kī yād dilā kar merebeṭe ko mār ḍāleṅ!”

19Iliyās ne jawāb meṅ kahā,“Apne beṭe ko mujhe de deṅ.” Wuhlaṛke ko aurat kī god meṅ se uṭhākar chhat par apne kamre meṅ legayā aur wahāṅ use chārpāī parrakh kar 20duā karne lagā, “Ai Rabmere Khudā, tū ne is bewā ko jiskā mehmān maiṅ hūṅ aisī musībatmeṅ kyoṅ ḍāl diyā hai? Tū ne us kebeṭe ko marne kyoṅ diyā?” 21Wuhtīn bār lāsh par darāz huā aur sāthsāth Rab se iltamās kartā rahā, “AiRab mere Khudā, barāh‐e‐karm

Page 302: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

296 1 Salātīn 18:10

bachche kī jān ko us meṅ wāpasāne de!”

22Rab ne Iliyās kī sunī, aur laṛkekī jān us meṅ wāpas āī. 23Iliyāsuse uṭhā kar nīche le āyā aur useus kī māṅ ko wāpas de kar bolā,“Dekheṅ, āp kā beṭā zindā hai!”24Aurat ne jawāb diyā, “Ab maiṅne jān liyā hai ki āp Allāh kepaiġhambar haiṅ aur ki jo kuchh āpRab kī taraf se bolte haiṅ wuh sachhai.”

Iliyās Isrāīl Wāpas Jātā Hai

18 Bahut din guzar gae. Phirkāl ke tīsre sāl meṅ Rab

Iliyās se hamkalām huā, “Ab jā karapne āp ko Akhiyab ke sāmne peshkar. Maiṅ bārish kā silsilā dubārāshurū kar dūṅgā.”

2Chunāṅche Iliyās Akhiyab semilne ke lie Isrāīl chalā gayā. Uswaqt Sāmariya kāl kī sakht giriftmeṅ thā, 3is lie Akhiyab ne mahalke inchārj Abadiyāh ko bulāyā.(Abadiyāh Rab kā khauf māntāthā. 4Jab Īzabil ne Rab ke tamāmnabiyoṅ ko qatl karne kī koshishkī thī to Abadiyāh ne 100 nabiyoṅko do ġhāroṅ meṅ chhupā diyāthā. Har ġhār meṅ 50 nabī rahte

the, aur Abadiyāh unheṅ khāne‐pīne kī chīzeṅ pahuṅchātā rahtāthā.) 5Ab Akhiyab ne Abadiyāhko hukm diyā, “Pūre mulk meṅse guzar kar tamām chashmoṅ aurwādiyoṅ kā muāynā kareṅ. Shāyadkahīṅ kuchh ghās mil jāe jo hamapne ghoṛoṅ aur khachcharoṅ kokhilā kar unheṅ bachā sakeṅ. Aisāna ho ki hameṅ khāne kī qillatke bāis kuchh jānwaroṅ ko zabahkarnā paṛe.”

6Unhoṅ ne muqarrar kiyā kiAkhiyab kahāṅ jāegā aur Abadiyāhkahāṅ, phir donoṅ ek dūsre se alagho gae. 7Chalte chalte Abadiyāh koachānak Iliyās us kī taraf āte huenazar āyā. Jab Abadiyāh ne usepahchānā to wuhmuṅh ke bal jhukkar bolā, “Mere āqā Iliyās, kyā āphī haiṅ?”

8Iliyās ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hīhūṅ. Jāeṅ, apne mālik ko ittalā deṅki Iliyās ā gayā hai.”

9Abadiyāh ne etarāz kiyā, “Mujhse kyā ġhaltī huī hai ki āp mujheAkhiyab se marwānā chāhte haiṅ?10Rab āp ke Khudā kī qasam,bādshāh ne apne bandoṅ ko harqaum aur mulk meṅ bhej diyā haitāki āp ko ḍhūnḍ nikāleṅ. Aurjahāṅ jawāb milā ki Iliyās yahāṅ

Page 303: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 18:11 297

nahīṅ hai wahāṅ logoṅ ko qasamkhānī paṛī ki ham Iliyās kā khojlagāne meṅ nākām rahe haiṅ.11Aur ab āp chāhte haiṅ ki maiṅbādshāh ke pās jā kar use batāūṅki Iliyās yahāṅ hai? 12Ain mumkinhai ki jab maiṅ āp ko chhoṛ karchalā jāūṅ to Rab kā Rūh āp kouṭhā kar kisī nāmālūm jagah lejāe. Agar bādshāh merī yih ittalāsun kar yahāṅ āe aur āp ko napāe to mujhe mār ḍālegā. Yādrahe ki maiṅ jawānī se le kar ājtak Rab kā khauf māntā āyā hūṅ.13Kyā mere āqā tak yih khabarnahīṅ pahuṅchī ki jab Īzabil Rabke nabiyoṅ ko qatl kar rahī thī tomaiṅ ne kyā kiyā? Maiṅ do ġhāroṅmeṅ pachās pachās nabiyoṅ kochhupā kar unheṅ khāne‐pīne kīchīzeṅ pahuṅchātā rahā. 14Aur abāp chāhte haiṅ ki maiṅ Akhiyabke pās jā kar use ittalā dūṅ ki Iliyāsyahāṅ ā gayā hai? Wuhmujhe zarūrmār ḍālegā.”

15Iliyās ne kahā, “Rabbul‐afwāj kīhayāt kī qasam jis kī khidmat maiṅkartā hūṅ, ājmaiṅ apne āp ko zarūrbādshāh ko pesh karūṅga.”

16Tab Abadiyāh chalā gayāaur bādshāh ko Iliyās kī khabarpahuṅchāī. Yih sun kar AkhiyabIliyās se milne ke lie āyā.

Kyā Bāl HaqīqīMābūdHai yā Rab?17Iliyās ko dekhte hī Akhiyab bolā,“Ai Isrāīl ko musībat meṅ ḍālnewāle, kyā āp wāpas ā gae haiṅ?”18Iliyās ne etarāz kiyā, “Maiṅ toIsrāīl ke lie musībat kā bāis nahīṅbanā balki āp aur āp ke bāp kāgharānā. Āp Rab ke ahkām chhoṛkar Bāl ke butoṅ ke pīchhe lag gaehaiṅ. 19Ab maiṅ āp ko chaileṅjdetā hūṅ, tamām Isrāīl ko bulā karKarmil Pahāṛ par jamā kareṅ. Sāthsāth Bāl Dewatā ke 450 nabiyoṅ koaur Īzabil kī mez par sharīk honewāle Yasīrat Dewī ke 400 nabiyoṅko bhī bulāeṅ.”

20Akhiyab mān gayā. Us netamām Isrāīliyoṅ aur nabiyoṅ kobulāyā. Jab wuh Karmil Pahāṛpar jamā ho gae 21to Iliyās un kesāmne jā khaṛā huā aur kahā, “Āpkab tak kabhī is taraf, kabhī ustaraf langaṛāte raheṅge?a Agar RabKhudā hai to sirf usī kī pairawī

aDekhie āyat 26.

Page 304: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

298 1 Salātīn 18:30

kareṅ, lekin agar Bāl wāhid Khudāhai to usī ke pīchhe lag jāeṅ.”Log khāmosh rahe. 22Iliyās ne

bāt jārī rakhī, “Rab ke nabiyoṅmeṅse sirf maiṅ hī bāqī rah gayā hūṅ.Dūsrī taraf Bāl Dewatā ke yih 450nabī khaṛe haiṅ. 23Ab do bail leāeṅ. Bāl kenabī ekkopasandkareṅaur phir use ṭukṛe ṭukṛe karke apnīqurbāngāh kī lakaṛiyoṅ par rakhdeṅ. Lekin wuh lakaṛiyoṅ ko āg nalagāeṅ. Maiṅ dūsre bail ko taiyārkarke apnī qurbāngāh kī lakaṛiyoṅpar rakh dūṅgā. Lekin maiṅ bhīunheṅ āgnahīṅ lagāūṅgā. 24Phir āpapne dewatā kā nām pukāreṅ jabkimaiṅ Rab kā nām pukārūṅga. Jomābūd qurbānī ko jalā kar jawābdegā wuhī Khudā hai.” Tamām logbole, “Āp ṭhīk kahte haiṅ.”

25Phir Iliyās ne Bāl ke nabiyoṅse kahā, “Shurū kareṅ, kyoṅki āpbahut haiṅ. Ek bail ko chun karuse taiyār kareṅ. Lekin use āgmat lagānā balki apne dewatā kānām pukāreṅ tāki wuh āg bhej de.”26Unhoṅ ne bailoṅ meṅ se ek kochun kar use taiyār kiyā, phir Bāl kānām pukārne lage. Subah se le kar

dopahar tak wuhmusalsal chīkhte‐chillāte rahe, “Ai Bāl, hamārī sun!”Sāth sāth wuh us qurbāngāh keirdgird nāchte rahea Jo unhoṅ nebanāī thī. Lekin na koī āwāz sunāīdī, na kisī ne jawāb diyā.

27Dopahar ke waqt Iliyās un kāmazāq uṛāne lagā, “Zyādā ūṅchīāwāz se boleṅ! Shāyad wuh sochoṅmeṅ ġharq ho yā apnī hājat rafākarne ke lie ek taraf gayā ho. Yihbhī ho saktā hai ki wuh kahīṅ safrkar rahā ho. Yā shāyad wuh gahrīnīnd so gayā ho aur use jagāne kīzarūrat hai.”

28Tab wuh mazīd ūṅchī āwāz sechīkhne‐chillāne lage. Māmūl kemutābiq wuh chhuriyoṅ aur nezoṅse apne āp ko zakhmī karne lage,yahāṅ tak ki khūn bahne lagā.29Dopahar guzar gaī, aurwuh shāmke us waqt tak wajd meṅ rahe jabġhallā kī nazar pesh kī jātī hai.Lekin koī āwāz na sunāī dī. Na kisīne jawāb diyā, na un ke tamāshepar tawajjuh dī.

30Phir Iliyās Isrāīliyoṅ semukhātib huā, “Āeṅ, sab yahāṅmere pās āeṅ!” Sab qarīb āe.

aLafzī tarjumā: langaṛāte hue nāchte rahe.Ġhāliban Bāl kī tāzīmmeṅ ek khās qism kā

raqs. Lihāzā āyat 21 meṅ Iliyās kā sawāl,“Āp kab tak . . . langaṛāte raheṅge?”

Page 305: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 18:31 299

Wahāṅ Rab kī ek qurbāngāh thījo girāī gaī thī. Ab Iliyās ne wuhdubārā khaṛī kī. 31Us ne Yāqūb senikle har qabīle ke lie ek ek pattharchun liyā. (Bād meṅ Rab ne Yāqūbkā nām Isrāīl rakhā thā.) 32In bārahpattharoṅ ko le kar Iliyās ne Rabke nām kī tāzīm meṅ qurbāngāhbanāī. Is ke irdgird us ne itnāchauṛā gaṛhā khodā ki us meṅtaqrīban 15 liṭar pānī samā saktāthā. 33Phir us ne qurbāngāh parlakaṛiyoṅ kā ḍher lagāyā aur bailko ṭukṛe ṭukṛe karke lakaṛiyoṅ parrakh diyā. Is ke bād us ne hukmdiyā, “Chār ghaṛe pānī se bhar karqurbānī aur lakaṛiyoṅ par unḍeldeṅ!” 34Jab unhoṅ ne aisā kiyā to usne dubārā aisā karne kā hukmdiyā,phir tīsrī bār. 35Ākhirkār itnā pānīthā ki us ne chāroṅ taraf qurbāngāhse ṭapak kar gaṛhe ko bhar diyā.

36Shām ke waqt jab ġhallā kīnazar pesh kī jātī hai Iliyās nequrbāngāh ke pās jā kar bulandāwāz se duā kī, “Ai Rab, ai Ibrāhīm,Is’hāq aur Isrāīl ke Khudā, āj logoṅpar zāhir kar ki Isrāīl meṅ tū hīKhudā hai aur ki maiṅ terā khādimhūṅ. Sābit kar ki maiṅ ne yih sabkuchh tere hukm ke mutābiq kiyāhai. 37Ai Rab, merī duā sun! Merī

sun tāki yih log jān leṅ ki tū, ai Rab,Khudā hai aur ki tū hī un ke diloṅko dubārā apnī taraf māyl kar rahāhai.”

38Achānak āsmān se Rab kī āgnāzil huī. Āg ne na sirf qurbānīaur lakaṛī ko bhasm kar diyā balkiqurbāngāh ke pattharoṅ aur us kenīche kī miṭṭī ko bhī. Gaṛhe meṅpānī bhī ek dam sūkh gayā.

39Yih dekh kar Isrāīlī aundhemuṅh gir kar pukārne lage, “Rabhī Khudā hai! Rab hī Khudā hai!”40Phir Iliyās ne unheṅ hukm diyā,“Bāl ke nabiyoṅ ko pakaṛ leṅ. Ekbhī bachne na pāe!” Logoṅ neunheṅ pakaṛ liyā to Iliyās unheṅnīche Wādī‐e‐Qaison meṅ le gayāaur wahāṅ sab komaut ke ghāṭ utārdiyā.

Bārish Hotī Hai41Phir Iliyās ne Akhiyab se kahā,“Ab jā kar kuchh khāeṅ aur pieṅ,kyoṅki mūslādhār bārish kā shorsunāī de rahā hai.” 42ChunāṅcheAkhiyab khāne‐pīne ke lie chalāgayā jabki Iliyās Karmil Pahāṛ kīchoṭī par chaṛh gayā. Wahāṅ usne jhuk kar apne sar ko donoṅghuṭnoṅ ke bīch meṅ chhupā liyā.

Page 306: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

300 1 Salātīn 19:7

43Apne naukar ko us ne hukm diyā,“Jāo, samundar kī taraf dekho.”Naukar gayā aur samundar kī

taraf dekhā, phir wāpas ā kar Iliyāsko ittalā dī, “Kuchh bhī nazar nahīṅātā.” Lekin Iliyās ne use dubārādekhne ke lie bhej diyā. Is dafābhī kuchh mālūm na ho sakā. Sātbār Iliyās ne naukar ko dekhne kelie bhejā. 44Ākhirkār jab naukarsātwīṅ dafā gayā to us ne wāpas ākar ittalā dī, “Ek chhoṭā‐sā bādalsamundar meṅ se nikal kar ūparchaṛh rahā hai. Wuh ādmī ke hāthke barābar hai.”Tab Iliyās ne hukm diyā, “Jāo,

Akhiyab ko ittalā do, ‘Ghoṛoṅ kofauran rath meṅ jot kar ghar chalejāeṅ, warnā bārish āp ko rok legī.’”45Naukar ittalā dene chalā gayā tojald hī āṅdhī āī, āsmān par kālekāle bādal chhā gae aur mūslādhārbārish barasne lagī. Akhiyab jaldīse rath par sawār ho kar Yazrael kelie rawānā ho gayā. 46Us waqt Rabne Iliyās ko khās tāqat dī. Safr ke liekamarbastā ho kar wuh Akhiyab kerath ke āge āge dauṛ kar us se pahleYazrael pahuṅch gayā.

Iliyās Bhāg Jātā Hai

19 Akhiyab ne Īzabil ko sabkuchh sunāyā jo Iliyās ne

kahā thā, yih bhī ki us ne Bāl kenabiyoṅ ko kis tarah talwār se mārdiyā thā. 2Tab Īzabil ne qāsid koIliyās ke pās bhej kar use ittalādī, “Dewatā mujhe sakht sazā deṅagar maiṅ kal is waqt tak āp ko unnabiyoṅ kī‐sī sazā na dūṅ.”

3Iliyās sakht ḍar gayā aur apnī jānbachāne ke lie bhāg gayā. Chaltechalte wuh Yahūdāh ke shahr Bair‐sabā tak pahuṅch gayā. Wahāṅwuh apne naukar ko chhoṛ kar 4āgeregistān meṅ jā niklā. Ek din kesafr ke bād wuh sīṅk kī jhāṛī ke pāspahuṅch gayā aur us ke sāy meṅbaiṭh kar duā karne lagā, “Ai Rab,mujhe marne de. Bas ab kāfī hai.Merī jān le le, kyoṅki maiṅ apnebāpdādā se behtar nahīṅ hūṅ.”5Phir wuh jhāṛī ke sāy meṅ leṭ karso gayā.Achānak ek farishte ne use chhū

kar kahā, “Uṭh, khānā khā le!”6Jab us ne apnī āṅkheṅ kholīṅ todekhā ki sirhāne ke qarīb koeloṅpar banāī gaī roṭī aur pānī kī surāhīpaṛī hai. Us ne roṭī khāī, pānī piyāaur dubārā so gayā. 7Lekin Rab

Page 307: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 19:8 301

kā farishtā ek bār phir āyā aur usehāth lagā kar kahā, “Uṭh, khānākhāle, warnā āge kā lambā safr tere baskī bāt nahīṅ hogī.”

8Tab Iliyās ne uṭh kar dubārākhānā khāyā aur pānī piyā. Iskhurāk ne use itnī taqwiyat dīki wuh chālīs din aur chālīs rātsafr karte karte Allāh ke pahāṛHorib yānī Sīnā tak pahuṅch gayā.9Wahāṅ wuh rāt guzārne ke lie ekġhār meṅ chalā gayā.

Rab Iliyās kī Hauslā‐afzāī Kartā Hai

Ġhār meṅ Rab us se hamkalāmhuā. Us ne pūchhā, “Iliyās, tūyahāṅ kyā kar rahā hai?” 10Iliyās nejawāb diyā, “Maiṅ ne Rab, āsmānīlashkaroṅ ke Khudā kī khidmatkarne kī sirtoṛ koshish kī hai,kyoṅki Isrāīliyoṅ ne tere ahd kotark kar diyā hai. Unhoṅ neterī qurbāngāhoṅ ko girā kar terenabiyoṅ ko talwār se qatl kar diyāhai. Maiṅ akelā hī bachā hūṅ, aurwuhmujhe bhīmār ḍālne ke darpaihaiṅ.”

11Jawāb meṅ Rab ne farmāyā,“Ġhār se nikal kar pahāṛ par Rabke sāmne khaṛā ho jā!” Phir Rab

wahāṅ se guzarā. Us ke āge āgebaṛī aur zabardast āṅdhī āī jis nepahāṛoṅ ko chīr kar chaṭānoṅ koṭukṛe ṭukṛe kar diyā. Lekin Rabāṅdhī meṅ nahīṅ thā. 12Is kebād zalzalā āyā, lekin Rab zalzalemeṅ nahīṅ thā. 13Zalzale ke bādbhaṛaktī huī āg wahāṅ se guzarī,lekin Rab āg meṅ bhī nahīṅ thā.Phir narm hawā kī dhīmī dhīmīāwāz sunāī dī. Yih āwāz sun karIliyās ne apne chehre ko chādarse ḍhāṅp liyā aur nikal kar ġhārke muṅh par khaṛā ho gayā. Ekāwāz us se mukhātib huī, “Iliyās, tūyahāṅ kyā kar rahā hai?” 14Iliyās nejawāb diyā, “Maiṅ ne Rab, āsmānīlashkaroṅ ke Khudā kī khidmatkarne kī sirtoṛ koshish kī hai,kyoṅki Isrāīliyoṅ ne tere ahd kotark kar diyā hai. Unhoṅ neterī qurbāngāhoṅ ko girā kar terenabiyoṅ ko talwār se qatl kar diyāhai. Maiṅ akelā hī bachā hūṅ, aurwuhmujhe bhīmār ḍālne ke darpaihaiṅ.”

15Rab ne jawāb meṅ kahā,“Registān meṅ us rāste se hokar wāpas jā jis ne tujhe yahāṅpahuṅchāyā hai. Phir Damishqchalā jā. Wahāṅ Hazāel ko tel semasah karke Shām kā bādshāh

Page 308: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

302 1 Salātīn 20:5

qarār de. 16Isī tarah Yāhū binNimsīko masah karke Isrāīl kā bādshāhqarār de aur Abīl‐mahūlā ke rahnewāle Ilīshā bin Sāfat ko masahkarke apnā jānashīn muqarrar kar.17Jo Hazāel kī talwār se bach jāegāuse Yāhū mār degā, aur jo Yāhūkī talwār se bach jāegā use Ilīshāmār degā. 18Lekinmaiṅ ne apne lieIsrāīl meṅ 7,000 afrād ko bachā liyāhai, un tamām logoṅ ko jo ab takna Bāl Dewatā ke sāmne jhuke, naus ke but ko bosā diyā hai.”

Iliyās Ilīshā ko Apnā JānashīnMuqarrar Kartā Hai

19Iliyās wahāṅ se chalā gayā. Isrāīlmeṅ wāpas ā kar use Ilīshā binSāfatmilā jo bailoṅ kī bārah joṛiyoṅkī madad se hal chalā rahā thā.Khudwuh bārhwīṅ joṛī ke sāth chalrahā thā. Iliyās ne us ke pās ā karapnī chādar us ke kandhoṅ par ḍāldī aur ruke baġhair āge nikal gayā.

20Ilīshā fauran apne bailoṅ kochhoṛ kar Iliyās ke pīchhe bhāgā.Us ne kahā, “Pahle mujhe apnemāṅ‐bāp ko bosā de kar khairbādkahne dījie. Phirmaiṅ āp ke pīchheho lūṅgā.” Iliyās ne jawāb diyā,“Chaleṅ, wāpas jāeṅ. Lekin wuh

kuchh yād rahe jo maiṅ ne āp kesāth kiyā hai.” 21Tab Ilīshā wāpaschalā gayā. Bailoṅ kī ek joṛī kole kar us ne donoṅ ko zabah kiyā.Hal chalāne kā sāmān us ne goshtpakāne ke lie jalā diyā. Jab goshttaiyār thā to us ne use logoṅ meṅtaqsīm karke unheṅ khilā diyā. Iske bād Ilīshā Iliyās ke pīchhe ho karus kī khidmat karne lagā.

Shām kī Fauj Sāmariya kāMuhāsarā Kartī Hai

20 Ek din Shām ke bādshāhBin‐hadad ne apnī pūrī

fauj ko jamā kiyā. 32 ittahādībādshāh bhī apne rathoṅ aurghoṛoṅ ko le kar āe. Is baṛī faujke sāth Bin‐hadad ne Sāmariya kāmuhāsarā karke Isrāīl se jang kāelān kiyā. 2Us ne apne qāsidoṅko shahr meṅ bhej kar Isrāīl kebādshāh Akhiyab ko ittalā dī, 3“Abse āp kā sonā, chāṅdī, khawātīnaur beṭe mere hī haiṅ.” 4Isrāīl kebādshāh ne jawāb diyā, “Mere āqāaur bādshāh, āp kī marzī. Maiṅ aurjo kuchh merā hai āp kī milkiyathai.”

5Thoṛī der ke bād qāsid Bin‐hadad kī naī khabar le kar āe,

Page 309: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 20:6 303

“Maiṅ ne āp se sone, chāṅdī,khawātīn aur beṭoṅ kā taqāzā kiyāhai. 6Ab ġhaur kareṅ! Kal is waqtmaiṅ apnemulāzimoṅ ko āp ke pāsbhej dūṅgā, aur wuh āp ke mahalaur āp ke afsaroṅ ke gharoṅ kītalāshī leṅge. Jo kuchh bhī āp kopyārā hai use wuh le jāeṅge.”

7Tab Akhiyab Bādshāh ne mulkke tamām buzurgoṅ ko bulā karun se bāt kī, “Dekheṅ yih ādmīkitnā burā irādā rakhtā hai. Jab usne merī khawātīn, beṭoṅ, sone aurchāṅdī kā taqāzā kiyā to maiṅ neinkār na kiyā.” 8Buzurgoṅ aur bāqīlogoṅ ne mil kar mashwarā diyā,“Us kī na suneṅ, aur jo kuchh wuhmāṅgtā hai us par rāzī na ho jāeṅ.”9Chunāṅchebādshāhneqāsidoṅ sekahā, “Mere āqā bādshāh ko jawābdenā, jo kuchh āp ne pahlī martabāmāṅg liyā wuh maiṅ āp ko deneke lie taiyār hūṅ, lekin yih ākhirītaqāzā maiṅ pūrā nahīṅ kar saktā.”Jab qāsidoṅ ne Bin‐hadad ko

yih khabar pahuṅchāī 10to us neAkhiyab ko fauran khabar bhej dī,“Dewatā mujhe sakht sazā deṅ agarmaiṅ Sāmariya ko nest‐o‐nābūd nakar dūṅ. Itnā bhī nahīṅ rahegāki merā har faujī muṭṭhī‐bhar khākapne sāth wāpas le jā sake!” 11Isrāīl

ke bādshāh ne qāsidoṅ ko jawābdiyā, “Use batā denā ki jo abhī jangkī taiyāriyāṅ kar rahā hai wuh fatahke nāre na lagāe.”

12Jab Bin‐hadad ko yih ittalāmilī to wuh lashkargāh meṅ apneittahādī bādshāhoṅ ke sāth mai pīrahā thā. Us ne apne afsaroṅ kohukm diyā, “Hamlā karne ke lietaiyāriyāṅ karo!” Chunāṅche wuhshahrparhamlā karnekī taiyāriyāṅkarne lage.

Shām kī Fauj se Pahlī Jang13Is daurān ek nabī AkhiyabBādshāh ke pās āyā aur kahā, “Rabfarmātā hai, ‘Kyā tujhe dushman kīyih baṛī fauj nazar ā rahī hai? Tobhī maiṅ ise āj hī tere hawāle kardūṅgā. Tab tū jān legā ki maiṅ hīRab hūṅ.’”

14Akhiyab ne sawāl kiyā, “Rabyih kis ke wasīle se karegā?” Nabīne jawāb diyā, “Rab farmātā haiki ziloṅ par muqarrar afsaroṅ kejawān yih fatah pāeṅge.” Bādshāhnemazīd pūchhā, “Laṛāī meṅ kaunpahlā qadamuṭhāe?” Nabī ne kahā,“Tū hī.”

15Chunāṅche Akhiyab ne ziloṅpar muqarrar afsaroṅ ke jawānoṅ

Page 310: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

304 1 Salātīn 20:26

ko bulāyā. 232 afrād the. Phirus ne bāqī Isrāīliyoṅ ko jamā kiyā.7,000 afrād the. 16‐17Dopahar kowuh laṛne ke lie nikle. Ziloṅ parmuqarrar afsaroṅ ke jawān sab seāge the. Bin‐hadad aur 32 ittahādībādshāh lashkargāh meṅ baiṭhenashe meṅ dhut mai pī rahe theki achānak shahr kā jāyzā lene kelie Bin‐hadad ke bheje gae sipāhīandar āe aur kahne lage, “Sāmariyase ādmī nikal rahe haiṅ.” 18Bin‐hadad ne hukm diyā, “Har sūratmeṅ unheṅ zindā pakaṛeṅ, khāhwuh amnpasand irādā rakhte hoṅyā na.”

19Lekin unheṅ yih karne kāmauqā na milā, kyoṅki Isrāīl keziloṅ par muqarrar afsaroṅ aurbāqī faujiyoṅ ne shahr se nikalkar 20fauran un par hamlā kardiyā. Aur jis bhī dushman kāmuqābalā huā use mārā gayā.Tab Shām kī pūrī fauj bhāg gaī.Isrāīliyoṅ ne un kā tāqqub kiyā,lekin Shām kā bādshāh Bin‐hadadghoṛe par sawār ho kar chand ekghuṛsawāroṅ ke sāth bach niklā.21Us waqt Isrāīl kā bādshāh jang kelie niklā aur ghoṛoṅ aur rathoṅ kotabāh karke Arāmiyoṅ ko zabardastshikast dī.

Shām kī Fauj se Dūsrī Jang22Bād meṅ mazkūrā nabī dubārāIsrāīl ke bādshāh ke pās āyā. Wuhbolā, “Abmazbūt ho kar baṛe dhyānse socheṅ ki āne wāle dinoṅ meṅkyā kyā taiyāriyāṅ karnī chāhieṅ,kyoṅki agle bahār ke mausammeṅShām kā bādshāh dubārā āp parhamlā karegā.”

23Shām ke bādshāh ko bhīmashwarā diyā gayā. Us kebaṛe afsaroṅ ne khayāl peshkiyā, “Isrāīliyoṅ ke dewatā pahāṛīdewatā haiṅ, is lie wuh ham parġhālib ā gae haiṅ. Lekin agar hammaidānī ilāqe meṅ un se laṛeṅ tohar sūrat meṅ jīteṅge. 24Lekinhamārā ek aur mashwarā bhī hai.32 bādshāhoṅ ko haṭā kar un kījagah apne afsaroṅ ko muqarrarkareṅ. 25Phir ek naī fauj taiyārkareṅ jo tabāhshudā purānī faujjaisī tāqatwar ho. Us ke utne hīrath aur ghoṛe hoṅ jitne pahle the.Phir jab hammaidānī ilāqemeṅ unse laṛeṅge to un par zarūr ġhālibāeṅge.”Bādshāh un kī bāt mān kar

taiyāriyāṅ karne lagā. 26Jab bahārkā mausam āyā to wuh Shāmke faujiyoṅ ko jamā karke Isrāīl

Page 311: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 20:27 305

se laṛne ke lie Afīq Shahr gayā.27Isrāīlī fauj bhī laṛne ke lie jamāhuī. Khāne‐pīne kī ashyā kāband‐o‐bast kiyā gayā, aur wuhdushman se laṛne ke lie nikle.Jab wahāṅ pahuṅche to unhoṅ neapne khaimoṅ ko do jaghoṅ parlagāyā. Yih do guroh Shām kī wasīfauj ke muqābale meṅ bakriyoṅ kedo chhoṭe rewaṛoṅ jaise lag rahethe, kyoṅki pūrā maidān Shām kefaujiyoṅ se bharā thā.

28Phir mard‐e‐Khudā ne Akhiyabke pās ā kar kahā, “Rab farmātāhai, ‘Shām ke log khayāl karte haiṅki Rab pahāṛī dewatā hai is liemaidānī ilāqe meṅ nākām rahegā.Chunāṅche maiṅ un kī zabardastfauj ko tere hawāle kar dūṅgā. Tabtū jān legā ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”

29Sāt din tak donoṅ faujeṅ ekdūsre ke muqābil saf‐ārā rahīṅ.Sātweṅ din laṛāī kā āġhāz huā.Isrāīlī is martabā bhī Shām kī faujpar ġhālib āe. Us din unhoṅ ne unke ek lākh piyādā faujiyoṅ ko mārdiyā. 30Bāqī farār ho kar Afīq Shahrmeṅ ghus gae. Taqrīban 27,000ādmī the. Lekin achānak shahr kīfasīl un par gir gaī, towuhbhī halākho gae.

Akhiyab Shām ke Bādshāhpar RahmKartā Hai

Bin‐hadad Bādshāh bhī Afīq meṅfarār huā thā. Ab wuh kabhī iskamre meṅ, kabhī us meṅ khisakkar chhupne kī koshish kar rahāthā. 31Phir us ke afsaroṅ ne usemashwarā diyā, “Sunā hai ki Isrāīlke bādshāh narmdil hote haiṅ.Kyoṅ na ham ṭāṭ oṛh kar aur apnīgardanoṅ meṅ rasse ḍāl kar Isrāīlke bādshāh ke pās jāeṅ? Shāyadwuh āp ko zindā chhoṛ de.”

32Chunāṅche Bin‐hadad ke afsarṭāṭ oṛh kar aur apnī gardanoṅ meṅrasse ḍāl kar Isrāīl ke bādshāh kepās āe. Unhoṅ ne kahā, “Āp kākhādim Bin‐hadad guzārish kartāhai ki mujhe zindā chhoṛ deṅ.”Akhiyab ne sawāl kiyā, “Kyāwuh abtak zindā hai? Wuh to merā bhāīhai!” 33Jab Bin‐hadad ke afsaroṅne jān liyā ki Akhiyab kā rujhān kistaraf hai to unhoṅ ne jaldī se is kītasdīq kī, “Jī, Bin‐hadad āp kā bhāīhai!” Akhiyabnehukmdiyā, “Jā karuse bulā lāeṅ.”Tab Bin‐hadad nikal āyā, aur

Akhiyab ne use apne rath par sawārhone kī dāwat dī. 34Bin‐hadad neAkhiyab se kahā, “Maiṅ āp ko wuh

Page 312: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

306 1 Salātīn 20:43

tamām shahr wāpas kar detā hūṅjo mere bāp ne āp ke bāp se chhīnlie the. Āp hamāre dārul‐hukūmatDamishq meṅ tijāratī marākiz bhīqāym kar sakte haiṅ, jis tarahmerebāp ne pahle Sāmariya meṅ kiyāthā.” Akhiyab bolā, “Ṭhīk hai. Iske badle meṅ maiṅ āp ko rihā kardūṅgā.” Unhoṅ ne muāhadā kiyā,phir Akhiyab ne Shām ke bādshāhko rihā kar diyā.

Nabī Akhiyab koMalāmatKartā Hai

35Us waqt Rab ne nabiyoṅ meṅ seek ko hidāyat kī, “Jā kar apne sāthīko kah de ki wuh tujhe māre.” Nabīne aisā kiyā, lekin sāthī ne inkārkiyā. 36Phir nabī bolā, “Chūṅki āpne Rab kī nahīṅ sunī, is lie jyoṅ hīāp mujh se chale jāeṅge sherbabarāp ko phāṛ ḍālegā.” Aur aisā hīhuā. Jab sāthī wahāṅ se niklā tosherbabar ne us par hamlā karkeuse phāṛ ḍālā.

37Nabī kī mulāqāt kisī aur se huīto us ne us se bhī kahā, “Mehrbānīkarke mujhe māreṅ!” Us ādmī nenabī ko mār mār kar zakhmī kardiyā. 38Tab nabī ne apnī āṅkhoṅpar paṭṭī bāndhī tāki use pahchānā

na jāe, phir rāste ke kināre parAkhiyab Bādshāh ke intazār meṅkhaṛā ho gayā.

39Jab bādshāhwahāṅ se guzarā tonabī chillā kar us se mukhātib huā,“Janāb, maiṅ maidān‐e‐jang meṅlaṛ rahā thā ki achānak kisī ādmī nemere pās ā kar apne qaidī ko merehawāle kar diyā. Us ne kahā, ‘Is kīnigarānī karnā. Agar yih kisī bhīwajah se bhāg jāe to āp ko us kī jānke ewaz apnī jān denī paṛegī yā āpko ekman chāṅdī adā karnī paṛegī.’40Lekin maiṅ idhar‐udhar masrūfrahā, aur itne meṅ qaidī ġhāyb hogayā.” Akhiyab Bādshāh ne jawābdiyā, “Āp ne khud apne bāre meṅfaislā diyā hai. Ab āp ko is kā natījābhugatnā paṛegā.”

41Phir nabī ne jaldī se paṭṭī koapnī āṅkhoṅ par se utār diyā, aurbādshāh ne pahchān liyā ki yihnabiyoṅ meṅ se ek hai. 42Nabīne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Maiṅne muqarrar kiyā thā ki Bin‐hadadko mere lie makhsūs karke halākkarnā hai, lekin tū ne use rihā kardiyā hai. Ab us kī jagah tū hīmaregā, aur us kī qaumkī jagah terīqaum ko nuqsān pahuṅchegā.’”

43Isrāīl kā bādshāh baṛe ġhusseaur badmizājī ke ālam meṅ

Page 313: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 21:1 307

Sāmariya meṅ apne mahal meṅchalā gayā.

Īzabil ke Hāthoṅ Nabot kā Qatl

21 Is ke bād ek aur qābil‐e‐zikr bāt huī. Yazrael meṅ

Sāmariya kebādshāhAkhiyabkā ekmahal thā. Mahal kī zamīn ke sāthsāth angūr kā bāġh thā. Mālik kānām Nabot thā. 2Ek din Akhiyabne Nabot se bāt kī, “Angūr kā āp kābāġh mere mahal ke qarīb hī hai.Use mujhe de deṅ, kyoṅki maiṅ usmeṅ sabziyāṅ lagānā chāhtā hūṅ.Muāwaze meṅ maiṅ āp ko us seachchhā angūr kā bāġh de dūṅgā.Lekin agar āp paise ko tarjīh deṅto āp ko us kī pūrī raqam adā kardūṅgā.”

3Lekin Nabot ne jawāb diyā,“Allāh na kare ki maiṅ āp kowuh maurūsī zamīn dūṅ jo merebāpdādā ne mere sapurd kī hai!”

4Akhiyab baṛe ġhusse meṅ apneghar wāpas chalā gayā. Wuhbezār thā ki Nabot apne bāpdādākī maurūsī zamīn bechnā nahīṅchāhtā. Wuh palang par leṭ gayāaur apnāmuṅh dīwār kī taraf karkekhānā khāne se inkār kiyā. 5Uskī bīwī Īzabil us ke pās āī aur

pūchhne lagī, “Kyā bāt hai? Āpkyoṅ itne bezār haiṅ ki khānā bhīnahīṅ khānā chāhte?” 6Akhiyab nejawāb diyā, “Yazrael kā rahne wālāNabot mujhe angūr kā bāġh nahīṅdenā chāhtā. Go maiṅ use paisedenā chāhtā thā balki use is kī jagahkoī aur bāġhdeneke lie taiyār thā tobhī wuh bazid rahā.”

7Īzabil bolī, “Kyā āp Isrāīl kebādshāh haiṅ ki nahīṅ? Ab uṭheṅ!Khāeṅ, pieṅ aur apnā dil bahlāeṅ.Maiṅ hī āp ko Nabot Yazraelī kāangūr kā bāġh dilā dūṅgī.” 8Us neAkhiyab ke nām se khutūt likh karun par bādshāh kī muhr lagāī aurunheṅ Nabot ke shahr ke buzurgoṅaur shurafā ko bhej diyā. 9Khatoṅmeṅ zail kī khabar likhī thī,“Shahr meṅ elān kareṅ ki ek din

kā rozā rakhā jāe. Jab log us dinjamā ho jāeṅge to Nabot ko logoṅke sāmne izzat kī kursī par biṭhādeṅ. 10Lekin us ke muqābil dobadmāshoṅ ko biṭhā denā. Ijtimāke daurān yih ādmī sab ke sāmneNabot par ilzām lagāeṅ, ‘Is shakhsne Allāh aur bādshāh par lānatbhejī hai! Ham is ke gawāh haiṅ.’Phir use shahr se bāhar le jā karsangsār kareṅ.”

Page 314: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

308 1 Salātīn 21:24

11Yazrael ke buzurgoṅ aurshurafā ne aisā hī kiyā. 12Unhoṅne roze ke din kā elān kiyā. Jab logmuqarrarā din jamā hue to Nabotko logoṅ ke sāmne izzat kī kursī parbiṭhā diyā gayā. 13Phir do badmāshāe aur us ke muqābil baiṭh gae.Ijtimā ke daurān yih ādmī sab kesāmneNabot par ilzām lagāne lage,“Is shakhs ne Allāh aur bādshāhpar lānat bhejī hai! Ham is kegawāh haiṅ.” Tab Nabot ko shahrse bāhar le jā kar sangsār kar diyāgayā. 14Phir shahr ke buzurgoṅ neĪzabil ko ittalā dī, “Nabot mar gayāhai, use sangsār kiyā gayā hai.”

15Yih khabar milte hī Īzabil neAkhiyab se bāt kī, “Jāeṅ, NabotYazraelī ke us bāġh par qabzā kareṅjo wuh āp ko bechne se inkār karrahā thā. Abwuh ādmī zindā nahīṅrahā balki mar gayā hai.”

16Yih sun kar Akhiyab fauranNabot ke angūr ke bāġh par qabzākarne ke lie rawānā huā.

Iliyās Akhiyab ko Sazā Sunātā Hai17Tab Rab Iliyās Tishbī sehamkalām huā, 18“Isrāīl kebādshāh Akhiyab se jo Sāmariyameṅ rahtā hai milne jā. Is waqt

wuh Nabot ke angūr ke bāġh meṅhai, kyoṅki wuh us par qabzā karneke lie wahāṅ pahuṅchā hai. 19Usebatā denā, ‘Rab farmātā hai ki tū neek ādmī ko bilāwajah qatl karke uskī milkiyat par qabzā kar liyā hai.Rab farmātā hai ki jahāṅ kuttoṅne Nabot kā khūn chāṭā hai wahāṅwuh terā khūn bhī chāṭeṅge.’”

20Jab Iliyās Akhiyab ke pāspahuṅchā to bādshāh bolā, “Meredushman, kyā āp ne mujhe ḍhūnḍnikālā hai?” Iliyās ne jawāb diyā,“Jī, maiṅ ne āp ko ḍhūnḍ nikālāhai, kyoṅki āp ne apne āp ko badīke hāthmeṅ bech kar aisā kāmkiyāhai jo Rab ko nāpasand hai. 21Absuneṅ Rab kā farmān, ‘Maiṅ tujheyoṅ musībat meṅ ḍāl dūṅgā ki terānām‐o‐nishān tak nahīṅ rahegā.Maiṅ Isrāīl meṅ se tere khāndānke har mard ko miṭā dūṅgā, khāhwuh bāliġh ho yā bachchā. 22Tū nemujhe baṛā taish dilāyā aur Isrāīlko gunāh karne par uksāyā hai. Islie merā tere gharāne ke sāth wuhīsulūk hogā jo maiṅ ne Yarubiyāmbin Nabāt aur Bāshā bin Akhiyāhke sāth kiyā hai.’ 23Īzabil par bhīRab kī sazā āegī. Rab farmātāhai, ‘Kutte Yazrael kī fasīl ke pāsĪzabil ko khā jāeṅge. 24Akhiyab

Page 315: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 21:25 309

ke khāndān meṅ se jo shahr meṅmareṅge unheṅ kutte khā jāeṅge,aur jo khule maidān meṅ mareṅgeunheṅ parinde chaṭ kar jāeṅge.’”

25Aur yih haqīqat hai ki Akhiyabjaisā kharāb shakhs koī nahīṅ thā.Kyoṅki Īzabil ke uksāne par usne apne āp ko badī ke hāth meṅbech kar aisā kām kiyā jo Rab konāpasand thā. 26Sab se ghinaunībāt yih thī ki wuh butoṅ ke pīchhelagā rahā, bilkul un Amoriyoṅ kītarah jinheṅ Rab ne Isrāīl se nikāldiyā thā.

27Jab Akhiyab ne Iliyās kī yihbāteṅ sunīṅ to us ne apne kapṛephāṛ kar ṭāṭ oṛh liyā. Rozā rakhkar wuh ġhamgīn hālat meṅ phirtārahā. Ṭāṭ us ne sote waqt bhīna utārā. 28Tab Rab dubārā IliyāsTishbī se hamkalām huā, 29“Kyā tūne ġhaur kiyā hai ki Akhiyab neapne āp ko mere sāmne kitnā pastkar diyā hai? Chūṅki us ne apnīājizī kā izhār kiyā hai is lie maiṅ uske jīte‐jī us ke khāndān komazkūrāmusībat meṅ nahīṅ ḍālūṅgā balkius waqt jab us kā beṭā takht parbaiṭhegā.”

Jhūṭe Nabiyoṅ aur MīkāyāhkāMuqābalā

22 Tīn sāl tak Shām aur Isrāīlke darmiyān sulah rahī.

2Tīsre sāl Yahūdāh kā bādshāhYahūsafat Isrāīl ke bādshāhAkhiyab se milne gayā. 3Us waqtIsrāīl ke bādshāh ne apne afsaroṅse bāt kī, “Dekheṅ, Rāmāt‐jiliyādhamārā hī shahr hai. To phirham kyoṅ kuchh nahīṅ kar rahe?Hameṅ use Shām ke bādshāh keqabze se chhuṛwānā chāhie.” 4Usne Yahūsafat se sawāl kiyā, “Kyā āpmere sāth Rāmāt‐jiliyād jāeṅge tākius par qabzā kareṅ?” Yahūsafat nejawāb diyā, “Jī zarūr. Ham to bhāīhaiṅ. Merī qaum ko apnī qaumaur mere ghoṛoṅ ko apne ghoṛesamjheṅ! 5Lekin mehrbānī karkepahle Rab kīmarzī mālūm kar leṅ.”

6Isrāīl ke bādshāh ne taqrīban400 nabiyoṅ ko bulā kar un sepūchhā, “Kyā maiṅ Rāmāt‐jiliyādpar hamlā karūṅ yā is irāde se bāzrahūṅ?” Nabiyoṅ ne jawāb diyā, “Jīkareṅ, kyoṅki Rab use bādshāh kehawāle kar degā.”

7Lekin Yahūsafat mutma’in nahuā. Us ne pūchhā, “Kyā yahāṅRabkākoī nabī nahīṅ jis se hamdariyāft

Page 316: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

310 1 Salātīn 22:17

kar sakeṅ?” 8Isrāīl kā bādshāhbolā, “Hāṅ, ek to hai jis ke zariyeham Rab kī marzī mālūm kar saktehaiṅ. Lekin maiṅ us se nafratkartā hūṅ, kyoṅki wuh mere bāremeṅ kabhī bhī achchhī peshgoīnahīṅ kartā. Wuh hameshā burīpeshgoiyāṅ sunātā hai. Us kā nāmMīkāyāh bin Imlā hai.” Yahūsafatne etarāz kiyā, “Bādshāh aisī bātna kahe!” 9Tab Isrāīl ke bādshāhne kisī mulāzim ko bulā kar hukmdiyā, “Mīkāyāh bin Imlā ko fauranhamāre pās pahuṅchā denā!”

10Akhiyab aur Yahūsafat apneshāhī libās pahne hue Sāmariyake darwāze ke qarīb apne apnetakht par baiṭhe the. Yih aisīkhulī jagah thī jahāṅ anāj gāhā jātāthā. Tamām 400 nabī wahāṅ unke sāmne apnī peshgoiyāṅ pesh karrahe the. 11Eknabī banāmSidqiyāhbin Kanānā ne apne lie lohe ke sīṅgbanā kar elān kiyā, “Rab farmātāhai ki in sīṅgoṅ se tū Shām kefaujiyoṅ ko mār mār kar halāk kardegā.” 12Dūsre nabī bhī is qism kīpeshgoiyāṅ kar rahe the, “Rāmāt‐jiliyād par hamlā kareṅ, kyoṅki āpzarūr kāmyāb ho jāeṅge. Rab shahrko āp ke hawāle kar degā.”

13Jis mulāzim ko Mīkāyāh kobulāne ke lie bhejā gayā thā us nerāste meṅ use samjhāyā, “Dekheṅ,bāqī tamām nabī mil kar kahrahe haiṅ ki bādshāh ko kāmyābīhāsil hogī. Āp bhī aisī hī bāteṅkareṅ, āp bhī fatah kī peshgoīkareṅ!” 14Lekin Mīkāyāh ne etarāzkiyā, “Rab kī hayāt kī qasam,maiṅ bādshāh ko sirf wuhī kuchhbatāūṅgā jo Rab mujhe farmāegā.”

15JabMīkāyāh Akhiyab ke sāmnekhaṛā huā to bādshāh ne pūchhā,“Mīkāyāh, kyā ham Rāmāt‐jiliyādpar hamlā kareṅ yā maiṅ is irādese bāz rahūṅ?” Mīkāyāh ne jawābdiyā, “Us par hamlā kareṅ, kyoṅkiRab shahr ko āp ke hawāle karke āpko kāmyābī bakhshegā.” 16Bādshāhnārāz huā, “Mujhe kitnī dafā āp kosamjhānā paṛegā ki āp qasam khākar mujhe Rab ke nām meṅ sirfwuh kuchh sunāeṅ jo haqīqat hai.”

17Tab Mīkāyāh ne jawāb meṅkahā, “Mujhe tamām Isrāīlgallābān semahrūmbheṛ‐bakriyoṅkī tarah pahāṛoṅ par bikhrā huānazar āyā. Phir Rab mujh sehamkalām huā, ‘In kā koī māliknahīṅ hai. Har ek salāmatī se apneghar wāpas chalā jāe.’”

Page 317: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 22:18 311

18Isrāīl ke bādshāh ne Yahūsafatse kahā, “Lo, kyā maiṅ ne āp konahīṅ batāyā thā ki yih shakhshameshā mere bāre meṅ burīpeshgoiyāṅ kartā hai?”

19Lekin Mīkāyāh ne apnī bāt jārīrakhī, “Rab kā farmān suneṅ! Maiṅne Rab ko us ke takht par baiṭhedekhā. Āsmān kī pūrī fauj uske dāeṅ aur bāeṅ hāth khaṛī thī.20Rab ne pūchhā, ‘Kaun Akhiyabko Rāmāt‐jiliyād par hamlā karnepar uksāegā tāki wuh wahāṅ jā karmar jāe?’ Ek ne yih mashwarā diyā,dūsre ne wuh. 21Ākhirkār ek rūhRab ke sāmne khaṛī huī aur kahnelagī, ‘Maiṅ use uksāūṅgī.’ 22Rabne sawāl kiyā, ‘Kis tarah?’ Rūhne jawāb diyā, ‘Maiṅ nikal kar uske tamām nabiyoṅ par yoṅ qābūpāūṅgī ki wuh jhūṭ hī boleṅge.’ Rabne farmāyā, ‘Tū kāmyāb hogī. Jāaur yoṅ hī kar!’ 23Ai bādshāh, Rabne āp par āfat lāne kā faislā kar liyāhai, is lie us ne jhūṭī rūh ko āp ke intamām nabiyoṅ ke muṅh meṅ ḍāldiyā hai.”

24Tab SidqiyāhbinKanānāne āgebaṛh kar Mīkāyāh ke muṅh parthappaṛ mārā aur bolā, “Rab kāRūh kis tarah mujh se nikal gayātāki tujh se bāt kare?” 25Mīkāyāh

ne jawāb diyā, “Jis din āp kabhī iskamre meṅ, kabhī us meṅ khisakkar chhupne kī koshish kareṅge usdin āp ko patā chalegā.”

26Tab Akhiyab Bādshāh ne hukmdiyā, “Mīkāyāh ko shahr parmuqarrar afsar Amūn aur merebeṭe Yuās ke pās wāpas bhej do!27Unheṅ batā denā, ‘Is ādmī ko jelmeṅ ḍāl kar mere sahīh‐salāmatwāpas āne tak kam se kam roṭīaur pānī diyā kareṅ.’” 28Mīkāyāhbolā, “Agar āp sahīh‐salāmat wāpasāeṅ to matlab hogā ki Rab ne merīmārifat bāt nahīṅ kī.” Phir wuhsāth khaṛe logoṅ se mukhātib huā,“Tamām log dhyān deṅ!”

Akhiyab Rāmāt ke QarībMar Jātā Hai

29Is ke bād Isrāīl kā bādshāhAkhiyab aur Yahūdāh kā bādshāhYahūsafat mil kar Rāmāt‐jiliyādpar hamlā karne ke lie rawānāhue. 30Jang se pahle Akhiyab neYahūsafat se kahā, “Maiṅ apnābhes badal kar maidān‐e‐jang meṅjāūṅgā. Lekin āp apnā shāhī libāsna utāreṅ.” Chunāṅche Isrāīlkā bādshāh apnā bhes badal karmaidān‐e‐jang meṅ āyā. 31Shām ke

Page 318: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

312 1 Salātīn 22:43

bādshāh ne rathoṅ par muqarrarapne 32 afsaroṅ ko hukm diyā thā,“Sirf aur sirf bādshāh par hamlākareṅ. Kisī aur se mat laṛnā, khāhwuh chhoṭā ho yā baṛā.”

32Jab laṛāī chhiṛ gaī to rathoṅke afsar Yahūsafat par ṭūṭ paṛe,kyoṅki unhoṅ ne kahā, “Yaqīnanyihī Isrāīl kā bādshāh hai!” Lekinjab Yahūsafat madad ke lie chillāuṭhā 33to dushmanoṅ ko mālūmhuā ki yih Akhiyab Bādshāh nahīṅhai, aur wuh us kā tāqqub karnese bāz āe. 34Lekin kisī ne khāsnishānā bāndhe baġhair apnā tīrchalāyā to wuh Akhiyab ko aisījagah jā lagā jahāṅ zirābaktar kā joṛthā. Bādshāh ne apne rathbān kohukmdiyā, “Rath komoṛkarmujhemaidān‐e‐jang se bāhar le jāo!Mujhe choṭ lag gaī hai.” 35Lekinchūṅki us pūre din shadīd qism kīlaṛāī jārī rahī, is lie bādshāh apnerath meṅ ṭek lagā kar dushman kemuqābil khaṛā rahā. Khūn zakhmse rath ke farsh par ṭapaktā rahā,aur shām ke waqt Akhiyab margayā. 36Jab sūraj ġhurūb hone lagāto Isrāīlī fauj meṅ buland āwāz seelān kiyā gayā, “Har ek apne shahraur apne ilāqe meṅ wāpas chalājāe!”

37Bādshāh kī maut ke bād us kīlāsh ko Sāmariya lā kar dafnāyāgayā. 38Shāhī rath ko Sāmariyake ek tālāb ke pās lāyā gayā jahāṅkasbiyoṅ kī nahāne kī jagah thī.Wahāṅ use dhoyā gayā. Kutte bhīā kar khūn ko chāṭne lage. Yoṅ Rabkā farmān pūrā huā.

39Bāqī jo kuchh Akhiyab kīhukūmat ke daurān huā wuh‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitābmeṅ darj hai. Us meṅ bādshāh kātāmīrkardā hāthīdāṅt kā mahal aurwuh shahr bayān kie gae haiṅ jin kīqilābandī us ne kī. 40Jab wuh markar apne bāpdādā se jāmilā to us kābeṭā Akhaziyāh takhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahūsafat41Āsā kā beṭā Yahūsafat Isrāīlke bādshāh Akhiyab kī hukūmatke chauthe sāl meṅ Yahūdāh kābādshāh banā. 42Us waqt us kīumr 35 sāl thī. Us kā dārul‐hukūmat Yarūshalam rahā, aur uskī hukūmat kā daurāniyā 25 sālthā. Māṅ kā nām Azūbā bint Silhīthā. 43Wuh har kām meṅ apnebāp Āsā ke namūne par chaltā aurwuh kuchh kartā rahā jo Rab kopasand thā. Lekin us ne bhī ūṅche

Page 319: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Salātīn 22:44 313

maqāmoṅ ke mandiroṅ ko khatmna kiyā. Aisī jaghoṅ par jānwaroṅko qurbān karne aur bakhūr jalānekā intazām jārī rahā. 44Yahūsafataur Isrāīl ke bādshāh ke darmiyānsulah qāym rahī.

45Bāqī jo kuchh Yahūsafat kīhukūmat ke daurān huā wuh‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’kī kitāb meṅ darj hai. Us kīkāmyābiyāṅ aur jangeṅ sab us meṅbayān kī gaī haiṅ. 46Jo jismfaroshmard aur aurateṅ Āsā ke zamānemeṅ bach gae the unheṅ Yahūsafatne mulk meṅ se miṭā diyā. 47Uswaqt Mulk‐e‐Adom kā bādshāh nathā balki Yahūdāh kā ek afsar uspar hukmrānī kartā thā.

48Yahūsafat ne bahrī jahāzoṅ kābeṛā banwāyā tākiwuh tijārat karkeOfīr se sonā lāeṅ. Lekin wuhkabhī istemāl na hue balki apnī hībandargāh Asyūn‐jābar meṅ tabāhho gae. 49Tabāh hone se pahleIsrāīl ke bādshāh Akhaziyāh binAkhiyab ne Yahūsafat se darkhāst

kī thī ki Isrāīl ke kuchh log jahāzoṅpar sāth chaleṅ. Lekin Yahūsafatne inkār kiyā thā.

50Jab Yahūsafat mar kar apnebāpdādā se jā milā to useYarūshalam ke hisse meṅ jo ‘Dāūdkā Shahr’ kahlātā hai khāndānīqabr meṅ dafnāyā gayā. Phir uskā beṭā Yahūrām takhtnashīn huā.

Isrāīl kā Bādshāh Akhaziyāh51Akhiyab kā beṭā AkhaziyāhYahūdāh ke bādshāh Yahūsafat kīhukūmat ke 17weṅ sālmeṅ Isrāīl kābādshāhbanā. Wuhdo sāl tak Isrāīlpar hukmrān rahā. Sāmariya uskā dārul‐hukūmat thā. 52Jo kuchhus ne kiyā wuh Rab ko nāpasandthā, kyoṅki wuh apne māṅ‐bāp aurYarubiyām bin Nabāt ke namūnepar chaltā rahā, usī Yarubiyām kenamūne par jis ne Isrāīl ko gunāhkarne par uksāyā thā. 53Apne bāpkī tarah Bāl Dewatā kī khidmat aurpūjā karne se us ne Rab, Isrāīl keKhudā ko taish dilāyā.

Page 320: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn

Akhaziyāh ke lie Iliyāskā Paiġhām

1 Akhiyab kī maut ke bād Moābkā mulk bāġhī ho kar Isrāīl ke

tābe na rahā.2Sāmariya ke shāhī mahal ke

bālākhāne kī ek dīwār meṅ janglālagā thā. Ek din AkhaziyāhBādshāh jangle ke sāth lag gayā towuh ṭūṭ gayā aur bādshāh zamīnpar gir kar bahut zakhmī huā. Usne qāsidoṅ ko Filistī shahr Aqrūnbhej kar kahā, “Jā kar Aqrūn kedewatā Bāl‐zabūb se patā kareṅki merī sehhat bahāl ho jāegī kinahīṅ.” 3Tab Rab ke farishte neIliyās Tishbī ko hukm diyā, “Uṭh,Sāmariya ke bādshāh ke qāsidoṅ semilne jā. Un se pūchh, ‘Āp dariyāftkarne ke lie Aqrūn ke dewatā Bāl‐zabūbkepās kyoṅ jā rahehaiṅ? Kyā

Isrāīl meṅ koī Khudā nahīṅ hai?4Chunāṅche Rab farmātā hai ki aiAkhaziyāh, jis bistar par tū paṛā haius se tū kabhī nahīṅ uṭhne kā. Tūyaqīnan mar jāegā.’”Iliyās jā kar qāsidoṅ se milā. 5Us

kā paiġhām sun kar qāsid bādshāhke pās wāpas gae. Us ne pūchhā,“Āp itnī jaldī wāpas kyoṅ āe?”6Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ek ādmīham se milne āyā jis ne hameṅ āpke pās wāpas bhej kar āp ko yihkhabar pahuṅchāne ko kahā, ‘Rabfarmātā hai ki tū apne bāre meṅdariyāft karne ke lie apne bandoṅko Aqrūn ke dewatā Bāl‐zabūb kepās kyoṅ bhej rahā hai? Kyā Isrāīlmeṅ koī Khudā nahīṅ hai? Chūṅkitū ne yih kiyā hai is lie jis bistarpar tū paṛā hai us se tū kabhī nahīṅuṭhne kā. Tū yaqīnan mar jāegā.’”

Page 321: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 1:7 315

7Akhaziyāh ne pūchhā, “Yih kisqism kā ādmī thā jis ne āp se milkar āp ko yih bāt batāī?” 8Unhoṅne jawāb diyā, “Us ke lambe bālthe, aur kamr meṅ chamṛe kī peṭībandhī huī thī.” Bādshāh bol uṭhā,“Yih to Iliyās Tishbī thā!”

Āsmān se Āg9Fauran us ne ek afsar ko 50faujiyoṅ samet Iliyās ke pās bhejdiyā. Jab faujī Iliyās ke pāspahuṅche to wuh ek pahāṛī kīchoṭī par baiṭhā thā. Afsar bolā,“Ai mard‐e‐Khudā, bādshāh kahtehaiṅ ki nīche utar āeṅ!” 10Iliyāsne jawāb diyā, “Agar maiṅ mard‐e‐Khudā hūṅ to āsmān se āg nāzilho kar āp aur āp ke 50 faujiyoṅ kobhasm kar de.” Fauran āsmān se āgnāzil huī aur afsar ko us ke logoṅsamet bhasm kar diyā. 11Bādshāhne ek aur afsar ko Iliyās ke pās bhejdiyā. Us ke sāth bhī 50 faujī the.Us ke pās pahuṅch kar afsar bolā,“Ai mard‐e‐Khudā, bādshāh kahtehaiṅ ki fauran utar āeṅ.” 12Iliyās nedubārā pukārā, “Agar maiṅ mard‐e‐Khudā hūṅ to āsmān se āg nāzilho kar āp aur āp ke 50 faujiyoṅ kobhasm kar de.” Fauran āsmān se

Allāh kī āg nāzil huī aur afsar kous ke 50 faujiyoṅ samet bhasm kardiyā.

13Phir bādshāh ne tīsrī bār ekafsar ko 50 faujiyoṅ ke sāth Iliyāske pās bhej diyā. Lekin yih afsarIliyās ke pās ūpar chaṛh āyā aur uske sāmne ghuṭne ṭek kar iltamāskarne lagā, “Ai mard‐e‐Khudā,merī aur apne in 50 khādimoṅ kījānoṅ kī qadar kareṅ. 14Dekheṅ,āg ne āsmān se nāzil ho kar pahledo afsaroṅ ko un ke ādmiyoṅ sametbhasm kar diyā hai. Lekin barāh‐e‐karm hamāre sāth aisā na kareṅ.Merī jān kī qadar kareṅ.”

15Tab Rab ke farishte ne Iliyāsse kahā, “Is se mat ḍarnā balkiis ke sāth utar jā!” ChunāṅcheIliyās uṭhā aur afsar ke sāth utarkar bādshāh ke pās gayā. 16Us nebādshāh se kahā, “Rab farmātā hai,‘Tū ne apne qāsidoṅ ko Aqrūn kedewatā Bāl‐zabūb se dariyāft karneke lie kyoṅ bhejā? Kyā Isrāīl meṅkoī Khudā nahīṅ hai? Chūṅki tū neyih kiyā hai is lie jis bistar par tūpaṛā hai us se tū kabhī nahīṅ uṭhnekā. Tū yaqīnan mar jāegā.’”

Page 322: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

316 2 Salātīn 2:8

Akhaziyāh kī Maut17Waisā hī huā jaisā Rab ne Iliyāskī mārifat farmāyā thā, Akhaziyāhmar gayā. Chūṅki us kā beṭānahīṅ thā is lie us kā bhāī YahūrāmYahūdāh ke bādshāh Yūrām binYahūsafat kī hukūmat ke dūsre sālmeṅ takhtnashīn huā. 18Bāqī jokuchh Akhaziyāh kī hukūmat kedaurān huā aur jo kuchh us ne kiyāwuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kīkitāb meṅ bayān kiyā gayā hai.

Iliyās ko Āsmān par UṭhāLiyā Jātā Hai

2 Phir wuh din āyā jab Rab neIliyās ko āṅdhī meṅ āsmān

par uṭhā liyā. Us din Iliyās aurIlīshā Jiljāl Shahr se rawānā ho karsafr kar rahe the. 2Rāste meṅ IliyāsIlīshā se kahne lagā, “Yihīṅ ṭhaharjāeṅ, kyoṅki Rab ne mujhe Baitelbhejā hai.” Lekin Ilīshā ne inkārkiyā, “Rab aur āp kī hayāt kī qasam,maiṅ āp ko nahīṅ chhoṛūṅgā.”Chunāṅche donoṅ chalte chalte

Baitel pahuṅch gae. 3Nabiyoṅ kājo guroh wahāṅ rahtā thā wuhshahr se nikal kar un se milne āyā.Ilīshā semukhātib ho kar unhoṅ nepūchhā, “Kyā āp ko mālūm hai ki

āj Rab āp ke āqā ko āp ke pās seuṭhā le jāegā?” Ilīshā ne jawāb diyā,“Jī, mujhe patā hai. Khāmosh!”4Dubārā Iliyās apne sāthī se kahnelagā, “Ilīshā, yihīṅ ṭhahar jāeṅ,kyoṅki Rab ne mujhe Yarīhū bhejāhai.” Ilīshā ne jawāb diyā, “Rab aurāp kī hayāt kī qasam, maiṅ āp konahīṅ chhoṛūṅgā.”Chunāṅche donoṅ chalte chalte

Yarīhū pahuṅch gae. 5Nabiyoṅ kājo guroh wahāṅ rahtā thā us ne bhīIlīshā ke pās ā kar us se pūchhā,“Kyā āp ko mālūm hai ki āj Rabāp ke āqā ko āp ke pās se uṭhā lejāegā?” Ilīshā ne jawāb diyā, “Jī,mujhe patā hai. Khāmosh!”

6Iliyās tīsrī bār Ilīshā se kahnelagā, “Yihīṅ ṭhahar jāeṅ, kyoṅkiRab ne mujhe Dariyā‐e‐Yardan kepās bhejā hai.” Ilīshā ne jawāb diyā,“Rab aur āp kī hayāt kī qasam,maiṅāp ko nahīṅ chhoṛūṅgā.”Chunāṅche donoṅ āge baṛhe.

7Pachās nabī bhī un ke sāth chalpaṛe. Jab Iliyās aur Ilīshā Dariyā‐e‐Yardan ke kināre par pahuṅcheto dūsre un se kuchh dūr khaṛe hogae. 8Iliyās ne apnī chādar utār karuse lapeṭ liyā aur us ke sāthpānī parmārā. Pānī taqsīm huā, aur donoṅādmī khushk zamīn par chalte hue

Page 323: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 2:9 317

dariyā meṅ se guzar gae. 9Dūsrekināre par pahuṅch kar Iliyās neIlīshā se kahā, “Mere āp ke pāsse uṭhā lie jāne se pahle mujhebatāeṅ ki āp ke lie kyā karūṅ?”Ilīshā ne jawāb diyā, “Mujhe āpkī rūh kā dugnā hissā mīrās meṅmile.”a 10Iliyās bolā, “Jo darkhāstāp ne kī hai use pūrā karnāmushkilhai. Agar āp mujhe us waqt dekhsakeṅge jab mujhe āp ke pās seuṭhā liyā jāegā to matlab hogā ki āpkī darkhāst pūrī ho gaī hai, warnānahīṅ.” 11Donoṅ āpas meṅ bāteṅkarte hue chal rahe the ki achānakek ātishīṅ rathnazar āyā jise ātishīṅghoṛe khīṅch rahe the. Rath nedonoṅ ko alag kar diyā, aur Iliyāsko āṅdhī meṅ āsmān par uṭhā liyāgayā. 12Yih dekh kar Ilīshā chillāuṭhā, “Hāy mere bāp, mere bāp!Isrāīl ke rath aur us ke ghoṛe!”Iliyās Ilīshā kī nazaroṅ se ojhal

huā to Ilīshā ne ġhamkemāre apnekapṛoṅ ko phāṛ ḍālā. 13Iliyās kīchādar zamīn par gir gaī thī. Ilīshāuse uṭhā kar Dariyā‐e‐Yardan kepās wāpas chalā. 14Chādar ko pānīpar mār kar wuh bolā, “Rab aur

Iliyās kā Khudā kahāṅ hai?” Pānītaqsīm huā aur wuh bīch meṅ seguzar gayā.

15Yarīhū se āe nabī ab tak dariyāke maġhribī kināre par khaṛethe. Jab unhoṅ ne Ilīshā ko apnepās āte hue dekhā to pukār uṭhe,“Iliyās kī rūh Ilīshā par ṭhahrī huīhai!” Wuh us se milne gae auraundhe muṅh us ke sāmne jhukkar 16bole, “Hamāre 50 tāqatwarādmī khidmat ke lie hāzir haiṅ.Agar ijāzat ho to ham unheṅ bhejdeṅge tāki wuh āp ke āqā ko talāshkareṅ. Ho saktā hai Rab ke Rūh neuse uṭhā kar kisī pahāṛ yāwādīmeṅrakh chhoṛā ho.”Ilīshā ne manā karne kī koshish

kī, “Nahīṅ, unheṅ mat bhejnā.”17Lekin unhoṅ ne yahāṅ tak isrārkiyā ki ākhirkār wuh mān gayā aurkahā, “Chalo, unheṅ bhej deṅ.”Unhoṅ ne 50 ādmiyoṅ ko bhej diyājo tīn din tak Iliyās kā khoj lagāterahe. Lekin wuh kahīṅ nazar naāyā. 18Himmat hār kar wuh Yarīhūwāpas āe jahāṅ Ilīshā ṭhahrā huāthā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ nenahīṅ kahā thā ki na jāeṅ?”

aIlīshā pahlauṭhe kā hissā māṅg rahā haijo dūsre wārisoṅ kī nisbat dugnā hotā hai.

Page 324: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

318 2 Salātīn 3:4

Ilīshā keMojize19Ek din Yarīhū ke ādmī Ilīshāke pās ā kar shikāyat karne lage,“Hamāre āqā, āp khud dekh saktehaiṅ ki is shahr meṅ achchhāguzārā hotā hai. Lekin pānī kharābhai, aur natīje meṅ bahut dafābachche māṅ ke peṭ meṅ hī marjāte haiṅ.”

20Ilīshā ne hukm diyā, “Ek ġhair‐istemālshudā bartan meṅ namakḍāl kar use mere pās le āeṅ.” Jabbartan us ke pās lāyā gayā 21towuh use le kar shahr se niklā aurchashme ke pās gayā. Wahāṅ usne namak ko pānī meṅ ḍāl diyā aursāth sāth kahā, “Rab farmātā haiki maiṅ ne is pānī ko bahāl kardiyā hai. Ab se yih kabhī mautyā bachchoṅ ke zāe hone kā bāisnahīṅ banegā.”

22Usī lamhe pānī bahāl ho gayā.Ilīshā ke kahne ke mutābiq yih ājtak ṭhīk rahā hai.

23Yarīhū se Ilīshā Baitel ko wāpaschalā gayā. Jab wuh rāste parchalte hue shahr se guzar rahā thāto kuchh laṛke shahr se nikal āe aurus kā mazāq uṛā kar chillāne lage,“Oe ganje, idhar ā! Oe ganje, idharā!” 24Ilīshā muṛ gayā aur un par

nazar ḍāl kar Rab ke nām meṅ unpar lānat bhejī. Tab do rīchhniyāṅjangal se nikal kar laṛkoṅ par ṭūṭpaṛīṅ aur kul 42 laṛkoṅ ko phāṛḍālā.

25Iliyās āge niklā aur chaltechalte Karmil Pahāṛ ke pās āyā.Wahāṅ se wāpas ā kar Sāmariyapahuṅch gayā.

Isrāīl kā Bādshāh Yūrām

3 Akhiyab kā beṭā YūrāmYahūdāh ke bādshāh

Yahūsafat ke 18weṅ sāl meṅ Isrāīlkā bādshāh banā. Us kī hukūmatkā daurāniyā 12 sāl thā aur us kādārul‐hukūmat Sāmariya rahā. 2Uskā chāl‐chalan Rab ko nāpasandthā, agarche wuh apne māṅ‐bāp kīnisbat kuchh behtar thā. Kyoṅki usneBālDewatā kāwuh satūn dūr kardiyā jo us ke bāp ne banwāyā thā.3To bhī wuh Yarubiyām bin Nabātke un gunāhoṅ ke sāth lipṭā rahājo karne par Yarubiyām ne Isrāīl kouksāyā thā. Wuh kabhī un se dūrna huā.

Moāb ke khilāf Jang4Moāb kā bādshāh Mesā bheṛeṅrakhtā thā, aur sālānā use bheṛ

Page 325: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 3:5 319

ke ek lākh bachche aur ek lākhmenḍhe un kī ūn samet Isrāīl kebādshāh ko kharāj ke taur paradā karne paṛte the. 5Lekin jabAkhiyab faut huā to Moāb kābādshāh tābe na rahā.

6Tab Yūrām Bādshāh neSāmariya se nikal kar tamāmIsrāīliyoṅ kī bhartī kī. 7Sāth sāth usne Yahūdāh ke bādshāh Yahūsafatko ittalā dī, “Moāb kā bādshāhsarkash ho gayā hai. Kyā āp meresāth us se laṛne jāeṅge?” Yahūsafatne jawāb bhejā, “Jī, maiṅ āp kesāth jāūṅgā. Ham to bhāī haiṅ.Merī qaum ko apnī qaum aur mereghoṛoṅ ko apne ghoṛe samjheṅ.8Ham kis rāste se jāeṅ?” Yūrām nejawāb diyā, “HamAdomke registānse ho kar jāeṅge.”

9Chunāṅche Isrāīl kā bādshāhYahūdāh ke bādshāh ke sāth milkar rawānā huā. Mulk‐e‐Adomkā bādshāh bhī sāth thā. Apnemansūbe ke mutābiq unhoṅ neregistān kā rāstā ikhtiyār kiyā.Lekin chūṅki wuh sīdhe nahīṅbalki mutabādil rāste se ho kar gaeis lie sāt din ke safr ke bād un kepās pānī na rahā, na un ke lie, najānwaroṅ ke lie.

10Isrāīl kā bādshāh bolā, “Hāy,Rab hameṅ is lie yahāṅ bulā lāyāhai ki ham tīnoṅ bādshāhoṅ koMoāb ke hawāle kare.”

11Lekin Yahūsafat ne sawāl kiyā,“Kyā yahāṅ Rab kā koī nabī nahīṅhai jis kī mārifat ham Rab kī marzījān sakeṅ?” Isrāīl ke bādshāh kekisī afsar ne jawāb diyā, “Ek to hai,Ilīshā bin Sāfat jo Iliyās kā qarībīshāgird thā, wuh us ke hāthoṅ parpānī ḍālne kī khidmat anjām diyākartā thā.” 12Yahūsafat bolā, “Rabkā kalām us ke pās hai.” Tīnoṅbādshāh Ilīshā ke pās gae.

13Lekin Ilīshā ne Isrāīl kebādshāh se kahā, “Merā āp ke sāthkyā wāstā? Agar koī bāt ho toapne māṅ‐bāp ke nabiyoṅ ke pāsjāeṅ.” Isrāīl ke bādshāh ne jawābdiyā, “Nahīṅ, ham is lie yahāṅ āehaiṅ ki Rab hī ham tīnoṅ ko yahāṅbulā lāyā hai tāki hameṅ Moāb kehawāle kare.” 14Ilīshā ne kahā,“Rabbul‐afwāj kī hayāt kī qasamjis kī khidmat maiṅ kartā hūṅ, agarYahūdāh kā bādshāh yahāṅmaujūdna hotā to phir maiṅ āp kā lihāzna kartā balki āp kī taraf dekhtābhī na. Lekin maiṅ Yahūsafat kākhayāl kartā hūṅ, 15is lie kisī kobulāeṅ jo sarod bajā sake.”

Page 326: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

320 2 Salātīn 3:26

Koī sarod bajāne lagā to Rab kāhāth Ilīshā par ā ṭhahrā, 16aur usne elān kiyā, “Rab farmātā hai kiis wādī meṅ har taraf gaṛhoṅ kīkhudāī karo. 17Go tum na hawāaur na bārish dekhoge to bhī wādīpānī se bhar jāegī. Pānī itnā hogāki tum, tumhāre rewaṛ aur bāqītamām jānwar pī sakeṅge. 18Lekinyih Rab ke nazdīk kuchh nahīṅhai, wuh Moāb ko bhī tumhārehawāle kar degā. 19Tum tamāmqilāband aur markazī shahroṅ parfatah pāoge. Tum mulk ke tamāmachchhe darakhtoṅ ko kāṭ kartamām chashmoṅ ko band karogeaur tamām achchhe khetoṅ kopattharoṅ se kharāb karoge.”

20Aglī subah taqrīban us waqtjab ġhallā kī nazar pesh kī jātīhai Mulk‐e‐Adom kī taraf se sailābāyā, aur natīje meṅ wādī ke tamāmgaṛhe pānī se bhar gae.

Moāb par Fatah21Itne meṅ tamām Moābiyoṅ kopatā chal gayā thā ki tīnoṅ bādshāhham se laṛne ā rahe haiṅ. Chhoṭoṅse le kar baṛoṅ tak jo bhī apnītalwār chalā saktā thā use bulā karsarhadkī taraf bhejā gayā. 22Subah‐

sawere jabMoābī laṛne ke lie taiyārhue to tulū‐e‐āftāb kī surkh raushnīmeṅ wādī kā pānī khūn kī tarahsurkh nazar āyā. 23Moābī chillānelage, “Yih to khūn hai! Tīnoṅbādshāhoṅ ne āpas meṅ laṛ kar ekdūsre ko mār diyā hogā. Āo, hamun ko lūṭ leṅ!”

24Lekin jab wuh Isrāīlīlashkargāh ke qarīb pahuṅche toIsrāīlī un par ṭūṭ paṛe aur unheṅmār kar bhagā diyā. Phir unhoṅne un ke mulk meṅ dākhil hokar Moāb ko shikast dī. 25Chaltechalte unhoṅ ne tamām shahroṅko barbād kiyā. Jab bhī wuh kisīachchhe khet se guzare to harsipāhī ne ek patthar us par phaiṅkdiyā. Yoṅ tamām khet pattharoṅse bhar gae. Isrāīliyoṅ ne tamāmchashmoṅ ko bhī band kar diyā aurhar achchhe darakht ko kāṭ ḍālā.Ākhir meṅ sirf Qīr‐harāsat qāym

rahā. Lekin falākhan chalānewāle us kā muhāsarā karke us parhamlā karne lage. 26Jab Moāb kebādshāh ne jān liyā ki maiṅ shikastkhā rahā hūṅ to us ne talwāroṅse lais 700 ādmiyoṅ ko apnesāth liyā aur Adom ke bādshāhke qarīb dushman kā muhāsarātoṛ kar nikalne kī koshish kī,

Page 327: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 3:27 321

lekin befāydā. 27Phir us ne apnepahlauṭheko jise us kebādbādshāhbananā thā le kar fasīl par apnedewatā ke lie qurbān karke jalādiyā. Tab Isrāīliyoṅ par baṛāġhazab nāzil huā, aur wuh shahr kochhoṛ kar apne mulk wāpas chalegae.

Ilīshā aur Bewā kā Tel

4 Ek din ek bewā Ilīshā ke pāsāī jis kā shauhar jab zindā

thā nabiyoṅ ke guroh meṅ shāmilthā. Bewā chīkhtī‐chillātī Ilīshāse mukhātib huī, “Āp jānte haiṅki merā shauhar jo āp kī khidmatkartā thā Allāh kā khaufmāntā thā.Ab jab wuh faut ho gayā hai to uskā ek sāhūkār ā kar dhamkī de rahāhai ki agar qarz adā na kiyā gayā tomaiṅ tere do beṭoṅ ko ġhulāmbanākar le jāūṅgā.”

2Ilīshā ne pūchhā, “Maiṅ kistarah āp kī madad karūṅ? Batāeṅ,ghar meṅ āp ke pās kyā hai?” Bewāne jawāb diyā, “Kuchh nahīṅ, sirfzaitūn ke tel kā chhoṭā‐sā bartan.”3Ilīshā bolā, “Jāeṅ, apnī tamāmpaṛosanoṅ se khālī bartanmāṅgeṅ.Lekin dhyān rakheṅ ki thoṛe bartanna hoṅ! 4Phir apne beṭoṅ ke sāth

ghar meṅ jā kar darwāze par kunḍīlagāeṅ. Tel kā apnā bartan lekar tamām khālī bartanoṅ meṅ telunḍeltī jāeṅ. Jab ek bhar jāe to useek taraf rakh kar dūsre ko bharnāshurū kareṅ.”

5Bewā ne jā kar aisā hī kiyā. Wuhapne beṭoṅ ke sāth ghar meṅ gaīaur darwāze par kunḍī lagāī. Beṭeuse khālī bartan dete gae aur māṅun meṅ tel unḍeltī gaī. 6Bartanoṅmeṅ tel ḍalte ḍalte sab labālab bhargae. Māṅ bolī, “Mujhe ek aurbartan de do” to ek laṛke ne jawābdiyā, “Aur koī nahīṅ hai.” Tab tel kāsilsilā ruk gayā.

7Jab bewā ne mard‐e‐Khudā kepās jā kar use ittalā dī to Ilīshā nekahā, “Ab jā kar tel ko bech deṅaur karze ke paise adā kareṅ. Jobach jāe use āp aur āp ke beṭe apnīzarūriyāt pūrī karne ke lie istemālkar sakte haiṅ.”

Ilīshā Shūnīmmeṅ Laṛke koZindā Kar Detā Hai

8Ek din Ilīshā Shūnīm gayā. Wahāṅek amīr aurat rahtī thī jis nezabardastī use apne ghar biṭhākar khānā khilāyā. Bād meṅ jabkabhī Ilīshā wahāṅ se guzartā to

Page 328: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

322 2 Salātīn 4:22

wuh khāne ke lie us aurat ke gharṭhahar jātā. 9Ek din aurat ne apneshauhar se bāt kī, “Maiṅ ne jānliyā hai ki jo ādmī hamāre hāṅ ātārahtā hai wuh Allāh kā muqaddaspaiġhambar hai. 10Kyoṅ na ham uske lie chhat par chhoṭā‐sā kamrābanā kar us meṅ chārpāī, mez,kursī aur shamādān rakheṅ. Phirjab bhī wuh hamāre pās āe to wuhus meṅ ṭhahar saktā hai.”

11Ek din jab Ilīshā āyā to wuhapne kamre meṅ jā kar bistar parleṭ gayā. 12Us ne apne naukarJaihāzī se kahā, “Shūnīmī mezbānko bulā lāo.” Jab wuh ā kar uske sāmne khaṛī huī 13to Ilīshā neJaihāzī se kahā, “Use batā denā kiāp ne hamāre lie bahut taklīf uṭhāīhai. Ab ham āp ke lie kyā kuchhkareṅ? Kyā ham bādshāh yā faujke kamānḍar se bāt karke āp kīsifārish kareṅ?” Aurat ne jawābdiyā, “Nahīṅ, is kī zarūrat nahīṅ.Maiṅ apne hī logoṅ ke darmiyānrahtī hūṅ.”

14Bād meṅ Ilīshā ne Jaihāzī sebāt kī, “Ham us ke lie kyā kareṅ?”Jaihāzī ne jawāb diyā, “Ek bāt tohai. Us kā koī beṭā nahīṅ, aur uskā shauhar kāfī būṛhā hai.” 15Ilīshābolā, “Use wāpas bulāo.” Aurat

wāpas ā kar darwāze meṅ khaṛīho gaī. Ilīshā ne us se kahā,16“Agle sāl isī waqt āp kā apnā beṭāāp kī god meṅ hogā.” Shūnīmīaurat ne etarāz kiyā, “Nahīṅ nahīṅ,mere āqā. Mard‐e‐Khudā aisī bāteṅkarke apnī khādimā ko jhūṭī tasallīmat deṅ.”

17Lekin aisā hī huā. Kuchh der kebād aurat kā pāṅw bhārī ho gayā,aur ain ek sāl ke bād us ke hāṅ beṭāpaidā huā. Sab kuchh waisā hī huājaisā Ilīshā ne kahā thā. 18Bachchāparwān chaṛhā, aur ek din wuhghar se nikal kar khet meṅ apnebāp ke pās gayā jo fasal kī kaṭāīkarne wāloṅ ke sāth kām kar rahāthā. 19Achānak laṛkā chīkhne lagā,“Hāy merā sar, hāy merā sar!” Bāpne kisī mulāzim ko batāyā, “Laṛkeko uṭhā kar māṅ ke pās le jāo.”20Naukar use uṭhā kar le gayā, aurwuh apnī māṅ kī god meṅ baiṭhārahā. Lekin dopahar ko wuh margayā.

21Māṅ laṛke kī lāsh ko le karchhat par chaṛh gaī. Mard‐e‐Khudāke kamremeṅ jā kar us ne use us kebistar par liṭā diyā. Phir darwāze koband karke wuh bāhar niklī 22aurapne shauhar ko bulwā kar kahā,“Zarā ek naukar aur ek gadhī mere

Page 329: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 4:23 323

pās bhej deṅ. Mujhe fauran mard‐e‐Khudā ke pās jānā hai. Maiṅ jaldhī wāpas ā jāūṅgī.” 23Shauhar nehairān ho kar pūchhā, “Āj us ke pāskyoṅ jānā hai? Na to Nae Chāṅd kīĪd hai, na Sabat kā din.” Bīwī nekahā, “Sab khairiyat hai.” 24Gadhīpar zīn kas kar us ne naukar kohukm diyā, “Gadhī ko tez chalā tākiham jaldī pahuṅch jāeṅ. Jab maiṅkahūṅgī tab hī ruknā hai, warnānahīṅ.”

25Chalte chalte wuh KarmilPahāṛ ke pās pahuṅch gae jahāṅmard‐e‐Khudā Ilīshā thā. Use dūrse dekh kar Ilīshā Jaihāzī se kahnelagā, “Dekho, Shūnīm kī aurat ārahī hai! 26Bhāg kar us ke pās jāoaurpūchhoki kyā āp, āpkā shauharaur bachchā ṭhīk haiṅ?” Jaihāzī nejā kar us kā hāl pūchhā to auratne jawāb diyā, “Jī, sab ṭhīk hai.”27Lekin jyoṅ hī wuh pahāṛ ke pāspahuṅch gaī to Ilīshā ke sāmne girkar us ke pāṅwoṅ se chimaṭ gaī.Yih dekh kar Jaihāzī use haṭāne kelie qarīb āyā, lekin mard‐e‐Khudābolā, “Chhoṛ do! Koī bāt ise bahuttaklīf de rahī hai, lekin Rab newajah mujh se chhupāe rakhī hai.Us ne mujhe is ke bāre meṅ kuchhnahīṅ batāyā.”

28Phir Shūnīmī aurat bol uṭhī,“Mere āqā, kyā maiṅ ne āp se beṭekī darkhāst kī thī? Kyā maiṅ nenahīṅ kahā thā ki mujhe ġhalatummīd na dilāeṅ?” 29Tab Ilīshāne naukar ko hukm diyā, “Jaihāzī,safr ke lie kamarbastā ho kar merīlāṭhī ko le lo aur bhāg kar Shūnīmpahuṅcho. Agar rāste meṅ kisī semilo to use salām tak na karnā, auragar koī salām kahe to use jawābmat denā. Jab wahāṅ pahuṅchogeto merī lāṭhī laṛke ke chehre parrakh denā.” 30Lekin māṅ ne etarāzkiyā, “Rab kī aur āp kī hayāt kīqasam, āp ke baġhair maiṅ gharwāpas nahīṅ jāūṅgī.”Chunāṅche Ilīshā bhī uṭhā aur

aurat ke pīchhe pīchhe chal paṛā.31Jaihāzī bhāg bhāg kar un se pahlepahuṅch gayā aur lāṭhī ko laṛke kechehre par rakh diyā. Lekin kuchhna huā. Na koī āwāz sunāī dī, nakoī harkat huī. Wuh Ilīshā ke pāswāpas āyā aur bolā, “Laṛkā abhī takmurdā hī hai.”

32Jab Ilīshāpahuṅchgayā to laṛkāab takmurdā hālatmeṅ us ke bistarpar paṛā thā. 33Wuh akelā hī andargayā aur darwāze par kunḍī lagākar Rab se duā karne lagā. 34Phirwuh laṛke par leṭ gayā, yoṅ ki us kā

Page 330: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

324 2 Salātīn 4:43

muṅh bachche ke muṅh se, us kīāṅkheṅ bachche kī āṅkhoṅ se aurus ke hāth bachche ke hāthoṅ se laggae. Aur jyoṅ hī wuh laṛke par jhukgayā to us kā jism garm hone lagā.35Ilīshā khaṛā huā aur ghar meṅidhar‐udhar phirne lagā. Phir wuhekaurmartabā laṛkepar leṭ gayā. Isdafā laṛke ne sāt bār chhīṅkeṅ mārkar apnī āṅkheṅ khol dīṅ.

36Ilīshā ne Jaihāzī ko āwāz dekar kahā, “Shūnīmī aurat ko bulālāo.” Wuh kamre meṅ dākhil huī toIlīshā bolā, “Āeṅ, apne beṭe ko uṭhākar le jāeṅ.” 37Wuh āī aur Ilīshāke sāmne aundhe muṅh jhuk gaī,phir apne beṭe ko uṭhā kar kamrese bāhar chalī gaī.

Ilīshā Zahrīle Sālan ko Khāneke Qābil Banā Detā Hai

38Ilīshā Jiljāl ko lauṭ āyā. Un dinoṅmeṅ mulk kāl kī girift meṅ thā.Ek din jab nabiyoṅ kā guroh us kesāmne baiṭhā thā to us ne apnenaukar ko hukm diyā, “Baṛī deg lekar nabiyoṅ ke lie kuchh pakā lo.”

39Ek ādmī bāhar nikal kar khulemaidān meṅ kaddū ḍhūṅḍne gayā.Kahīṅ ek bel nazar āī jis par kaddūjaisī koī sabzī lagī thī. In kadduoṅ

se apnī chādar bhar kar wuh wāpasāyā aur unheṅ kāṭ kāṭ kar deg meṅḍāl diyā, hālāṅki kisī ko bhī mālūmnahīṅ thā ki kyā chīz hai.

40Sālan pak kar nabiyoṅ meṅtaqsīm huā. Lekin use chakhte hīwuh chīkhne lage, “Mard‐e‐Khudā,sālan meṅ zahr hai! Ise khā karbandā mar jāegā.” Wuh use bilkulna khā sake. 41Ilīshā ne hukmdiyā, “Mujhe kuchh maidā lā kardeṅ.” Phir use deg meṅ ḍāl karbolā, “Ab ise logoṅ ko khilā deṅ.”Ab khānā khāne ke qābil thā aurunheṅ nuqsān na pahuṅchā sakā.

100 Ādmiyoṅ ke lie Khānā42Ek aur mauqe par kisī ādmī neBāl‐salīsā se ā kar mard‐e‐Khudāko naī fasal ke jau kī 20 roṭiyāṅaur kuchh anāj de diyā. Ilīshā neJaihāzī ko hukm diyā, “Ise logoṅ kokhilā do.”

43Jaihāzī hairān ho kar bolā, “Yihkaise mumkin hai? Yih to 100ādmiyoṅ ke lie kāfī nahīṅ hai.”Lekin Ilīshā ne isrār kiyā, “Iselogoṅ meṅ taqsīm kar do, kyoṅkiRab farmātā hai ki wuh jī bharkar khāeṅge balki kuchh bach bhījāegā.”

Page 331: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 4:44 325

44Aur aisā hī huā. Jab naukar neādmiyoṅ meṅ khānā taqsīm kiyā tounhoṅ ne jī bhar kar khāyā, balkikuchh khānā bach bhī gayā. Waisāhī huā jaisā Rab ne farmāyā thā.

Nāmān kī Shifā

5 Us waqt Shām kī fauj kākamānḍar Nāmān thā.

Bādshāh us kī bahut qadar kartāthā, aur dūsre bhī us kī khās izzatkarte the, kyoṅki Rab ne us kīmārifat Shām ke dushmanoṅ parfatah bakhshī thī. Lekin zabardastfaujī hone ke bāwujūd wuh sangīnjildī bīmārī kā marīz thā. 2Nāmānke ghar meṅ ek Isrāīlī laṛkī rahtīthī. Kisī waqt jab Shām ke faujiyoṅne Isrāīl par chhāpā mārā thā towuh use giriftār karke yahāṅ leāe the. Ab laṛkī Nāmān kī bīwīkī khidmat kartī thī. 3Ek din usne apnī mālikan se bāt kī, “Kāshmerā āqā us nabī se milne jātā joSāmariya meṅ rahtā hai. Wuh usezarūr shifā detā.”

4Yih sun kar Nāmān ne bādshāhke pās jā kar laṛkī kī bāt dohrāī.5Bādshāh bolā, “Zarūr jāeṅ aur usnabī se mileṅ. Maiṅ āp ke hāthIsrāīl ke bādshāh ko sifārishī khat

bhej dūṅgā.” Chunāṅche Nāmānrawānā huā. Us ke pās taqrīban 340kilogrām chāṅdī, 68 kilogrām sonāaur 10 qīmtī sūṭ the. 6Jo khat wuhsāth le kar gayā us meṅ likhā thā,“Jo ādmī āp ko yih khat pahuṅchārahā hai wuh merā khādim Nāmānhai. Maiṅneuse āpkepāsbhejāhaitāki āp use us kī jildī bīmārī se shifādeṅ.”

7Khat paṛh kar Yūrām ne ranjishke māre apne kapṛe phāṛe aurpukārā, “Is ādmī ne marīz ko merepās bhej diyā hai tāki maiṅ useshifā dūṅ! Kyā maiṅ Allāh hūṅ kikisī ko jān se mārūṅ yā use zindākarūṅ? Ab ġhaur kareṅ aur dekheṅkiwuhkis tarahmere sāth jhagaṛnekā mauqā ḍhūnḍ rahā hai.”

8Jab Ilīshā ko khabar milī kibādshāh ne ghabrā kar apne kapṛephāṛ lie haiṅ to us ne Yūrām kopaiġhām bhejā, “Āp ne apne kapṛekyoṅ phāṛ lie? Ādmī ko mere pāsbhej deṅ to wuh jān legā ki Isrāīlmeṅ nabī hai.”

9Tab Nāmān apne rath par sawārIlīshā ke ghar ke darwāze parpahuṅch gayā. 10Ilīshā khud naniklā balki kisī ko bāhar bhej karittalā dī, “Jā kar sāt bār Dariyā‐e‐Yardan meṅ nahā leṅ. Phir āp ke

Page 332: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

326 2 Salātīn 5:18

jism ko shifā milegī aur āp pāk‐sāfho jāeṅge.”

11Yih sun kar Nāmān ko ġhussāāyā aur wuh yih kah kar chalā gayā,“Maiṅ ne sochā ki wuh kam az kambāhar ā kar mujh se milegā. Honāyih chāhie thā ki wuh mere sāmnekhaṛe ho kar Rab apne Khudā kānām pukārtā aur apnā hāth bīmārjagah ke ūpar hilā hilā kar mujheshifā detā. 12KyāDamishqkedariyāAbānā aur Farfar tamām Isrāīlīdariyāoṅ se behtar nahīṅ haiṅ?Agar nahāne kī zarūrat hai to maiṅkyoṅ na un meṅ nahā kar pāk‐sāfho jāūṅ?”Yoṅ buṛbuṛāte hue wuh baṛe

ġhusse meṅ chalā gayā. 13Lekin uske mulāzimoṅ ne use samjhāne kīkoshish kī. “Hamāre āqā, agar nabīāp se kisī mushkil kām kā taqāzākartā to kyā āp wuh karne ke lietaiyār na hote? Ab jabki us ne sirfyih kahā hai ki nahā kar pāk‐sāfho jāeṅ to āp ko yih zarūr karnāchāhie.” 14Ākhirkār Nāmān māngayā aur Yardan kī Wādī meṅ utargayā. Dariyā par pahuṅch kar usne sāt bār us meṅ ḍubkī lagāī aurwāqaī us kā jism laṛke ke jism jaisāsehhatmand aur pāk‐sāf ho gayā.

15Tab Nāmān apne tamāmmulāzimoṅ ke sāth mard‐e‐Khudāke pās wāpas gayā. Us ke sāmnekhaṛe ho kar us ne kahā, “Ab maiṅjān gayā hūṅ ki Isrāīl ke Khudā kesiwā pūrī duniyā meṅ Khudā nahīṅhai. Zarā apne khādim se tohfāqabūl kareṅ.” 16Lekin Ilīshā neinkār kiyā, “Rab kī hayāt kī qasamjis kī khidmat maiṅ kartā hūṅ,maiṅ kuchh nahīṅ lūṅgā.” Nāmānisrār kartā rahā, to bhī wuh kuchhlene ke lie taiyār na huā.

17Ākhirkār Nāmān mān gayā. Usne kahā, “Ṭhīk hai, lekin mujhezarā ek kām karne kī ijāzat deṅ.Maiṅ yahāṅ se itnī miṭṭī apneghar le jānā chāhtā hūṅ jitnī dokhachchar uṭhā kar le jā saktehaiṅ. Kyoṅki āindā maiṅ us parRab ko bhasm hone wālī aur zabahkī qurbāniyāṅ chaṛhānā chāhtāhūṅ. Ab se maiṅ kisī aur mābūd koqurbāniyāṅ pesh nahīṅ karūṅga.18Lekin Rab mujhe ek bāt ke liemuāf kare. Jab merā bādshāh pūjākarne ke lie Rimmon ke mandirmeṅ jātā hai tomerebāzūkā sahārāletā hai. Yoṅ mujhe bhī us ke sāthjhuk jānā paṛtā hai jab wuh but kesāmne aundhe muṅh jhuk jātā hai.Rab merī yih harkat muāf kar de.”

Page 333: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 5:19 327

19Ilīshā ne jawāb diyā, “Salāmatīse jāeṅ.”

Jaihāzī kā LālachNāmān rawānā huā 20to kuchh derke bād Ilīshā kā naukar Jaihāzīsochne lagā, “Mere āqā ne Shām keis bande Nāmān par had se zyādānarmdilī kā izhār kiyā hai. Chāhieto thā ki wuh us ke tohfe qabūl karletā. Rab kī hayāt kī qasam, maiṅus ke pīchhe dauṛ kar kuchh nakuchh us se le lūṅgā.”

21Chunāṅche Jaihāzī Nāmān kepīchhe bhāgā. Jab Nāmān ne usedekhā to wuh rath se utar karJaihāzī se milne gayā aur pūchhā,“Kyā sab khairiyat hai?” 22Jaihāzīne jawāb diyā, “Jī, sab khairiyathai. Mere āqā nemujhe āp ko ittalādene bhejā hai ki abhī abhī nabiyoṅke guroh ke do jawān Ifrāīm kepahāṛī ilāqe se mere pās āe haiṅ.Mehrbānī karke unheṅ 34 kilogrāmchāṅdī aur do qīmtī sūṭ de deṅ.”23Nāmān bolā, “Zarūr, balki 68kilogrām chāṅdī le leṅ.” Is bāt parwuh bazid rahā. Us ne 68 kilogrāmchāṅdī boriyoṅ meṅ lapeṭ lī, dosūṭ chun lie aur sab kuchh apne

do naukaroṅ ko de diyā tāki wuhsāmān Jaihāzī ke āge āge le chaleṅ.

24Jab wuh us pahāṛ ke dāmanmeṅ pahuṅche jahāṅ Ilīshā rahtāthā to Jaihāzī ne sāmān naukaroṅse le kar apne ghar meṅ rakhchhoṛā, phir donoṅ ko rukhsat kardiyā. 25Phir wuh jā kar Ilīshā kesāmne khaṛā ho gayā. Ilīshā nepūchhā, “Jaihāzī, tum kahāṅ se āeho?” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ kahīṅnahīṅ gayā thā.”

26Lekin Ilīshā ne etarāz kiyā,“Kyā merī rūh tumhāre sāth nahīṅthī jab Nāmān apne rath se utar kartum se milne āyā? Kyā āj chāṅdī,kapṛe, zaitūn aur angūr ke bāġh,bheṛ‐bakriyāṅ, gāy‐bail, naukaraur naukarāniyāṅ hāsil karne kāwaqt thā? 27Ab Nāmān kī jildībīmārī hameshā tak tumheṅ aurtumhārī aulād ko lagī rahegī.”Jab Jaihāzī kamre se niklā to jildī

bīmārī use lag chukī thī. Wuh barfkī tarah safed ho gayā thā.

Kulhāṛī kā Lohā Pānī kīSatah par Tairtā Hai

6 Ek din kuchh nabī Ilīshā kepās ā kar shikāyat karne lage,

“Jis tang jagah par ham āp ke pās

Page 334: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

328 2 Salātīn 6:15

ā kar ṭhahre haiṅ us meṅ hamārelie rahnā mushkil hai. 2Kyoṅ naham Dariyā‐e‐Yardan par jāeṅ aurhar ādmī wahāṅ se shahtīr le āetāki ham rahne kī naī jagah banāsakeṅ.” Ilīshā bolā, “Ṭhīk hai,jāeṅ.” 3Kisī ne guzārish kī, “Barāh‐e‐karm hamāre sāth chaleṅ.” Nabīrāzī ho kar 4un ke sāth rawānā huā.Dariyā‐e‐Yardan ke pās

pahuṅchte hī wuh darakht kāṭnelage. 5Kāṭte kāṭte achānak kisī kīkulhāṛī kā lohā pānī meṅ gir gayā.Wuh chillā uṭhā, “Hāy mere āqā!Yih merā nahīṅ thā, maiṅ ne to usekisī se udhār liyā thā.” 6Ilīshā nesawāl kiyā, “Lohā kahāṅ pānī meṅgirā?” Ādmī ne use jagah dikhāī tonabī ne kisī darakht se shākh kāṭkar pānī meṅ phaiṅk dī. Achānaklohā pānī kī satah par ā kar tairnelagā. 7Ilīshā bolā, “Ise pānī se nikāllo!” Ādmī ne apnā hāth baṛhā karlohe ko pakaṛ liyā.

Shām ke Jangī Mansūbe Ilīshāke bāis Nākām Rahte Haiṅ

8Shām aur Isrāīl ke darmiyānjang thī. Jab kabhī bādshāhapne afsaroṅ se mashwarā karkekahtā, “Ham fulāṅ fulāṅ jagah apnī

lashkargāh lagā leṅge” 9to fauranmard‐e‐Khudā Isrāīl ke bādshāh koāgāh kartā, “Fulāṅ jagah se matguzarnā, kyoṅki Shām ke faujīwahāṅ ghāt meṅ baiṭhe haiṅ.”10Tab Isrāīl kā bādshāh apne logoṅko mazkūrā jagah par bhejtā aurwahāṅ se guzarne se muhtāt rahtāthā. Aisā na sirf ek yā do dafā balkikaī martabā huā.

11Ākhirkār Shām ke bādshāh nebahut ranjīdā ho kar apne afsaroṅko bulāyā aur pūchhā, “Kyā koīmujhe batā saktā hai ki ham meṅse kaun Isrāīl ke bādshāh kā sāthdetā hai?” 12Kisī afsar ne jawābdiyā, “Mere āqā aur bādshāh, hammeṅ se koī nahīṅ hai. Maslā yihhai ki Isrāīl kā nabī Ilīshā Isrāīlke bādshāh ko wuh bāteṅ bhī batādetā hai jo āp apne sone ke kamremeṅ bayān karte haiṅ.” 13Bādshāhne hukm diyā, “Jāeṅ, us kā patākareṅ tāki ham apne faujiyoṅ kobhej kar use pakaṛ leṅ.”Bādshāh ko ittalā dī gaī ki Ilīshā

Dūtain nāmī shahr meṅ hai. 14Usne fauran ek baṛī fauj rathoṅaur ghoṛoṅ samet wahāṅ bhej dī.Unhoṅ ne rāt ke waqt pahuṅch karshahr ko gher liyā. 15Jab Ilīshā kānaukar subah‐sawere jāg uṭhā aur

Page 335: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 6:16 329

ghar se niklā to kyā dekhtā hai kipūrā shahr ek baṛī fauj se ghirāhuā hai jis meṅ rath aur ghoṛe bhīshāmil haiṅ. Us ne Ilīshā se kahā,“Hāy mere āqā, ham kyā kareṅ?”16Lekin Ilīshā ne use tasallī dī,“Ḍaro mat! Jo hamāre sāth haiṅwuh un kī nisbat kahīṅ zyādā haiṅjo dushman ke sāth haiṅ.” 17Phirus ne duā kī, “Ai Rab, naukar kīāṅkheṅ khol tāki wuh dekh sake.”Rab ne Ilīshā ke naukar kī āṅkheṅkhol dīṅ to us ne dekhā ki pahāṛpar Ilīshā ke irdgird ātishīṅ ghoṛeaur rath phaile hue haiṅ.

18Jab dushman Ilīshā kī tarafbaṛhne lagā to us ne duā kī, “AiRab, in ko andhā kar de!” Rab neIlīshā kī sunī aur unheṅ andhā kardiyā. 19Phir Ilīshā un ke pās gayāaur kahā, “Yih rāstā sahīh nahīṅ.Āp ġhalat shahr kepās pahuṅch gaehaiṅ. Mere pīchhe ho leṅ to maiṅāp ko us ādmī ke pās pahuṅchādūṅgā jise āp ḍhūnḍ rahehaiṅ.” Yihkah kar wuh unheṅ Sāmariya legayā.

20Jab wuh shahr meṅ dākhil hueto Ilīshā ne duā kī, “Ai Rab, faujiyoṅkī āṅkheṅ khol de tāki wuh dekhsakeṅ.” Tab Rab ne un kī āṅkheṅ

khol dīṅ, aur unheṅ mālūm huā kihamSāmariyameṅphaṅs gaehaiṅ.

21Jab Isrāīl ke bādshāh ne apnedushmanoṅ ko dekhā to us neIlīshā se pūchhā, “Mere bāp, kyāmaiṅ unheṅ mār dūṅ? Kyā maiṅunheṅ mār dūṅ?” 22Lekin Ilīshāne manā kiyā, “Aisā mat kareṅ.Kyā āp apne jangī qaidiyoṅ ko mārdete haiṅ? Nahīṅ, unheṅ khānākhilāeṅ, pānī pilāeṅ aur phir un kemālik ke pās wāpas bhej deṅ.”

23Chunāṅche bādshāh ne un kelie baṛī ziyāfat kā ehtimām kiyāaur khāne‐pīne se fāriġh hone parunheṅ un ke mālik ke pās wāpasbhej diyā. Is ke bād Isrāīl par Shāmkī taraf se lūṭ‐mār ke chhāpe bandho gae.

Sāmariya kāMuhāsarā24Kuchh der ke bād Shām kābādshāh Bin‐hadad apnī pūrī faujjamā karke Isrāīl par chaṛh āyāaur Sāmariya kā muhāsarā kiyā.25Natīje meṅ shahr meṅ shadīdkāl paṛā. Ākhir meṅ gadhe kāsar chāṅdī ke 80 sikkoṅ meṅ aurkabūtar kī muṭṭhī‐bhar bīṭ chāṅdīke 5 sikkoṅ meṅ miltī thī.

Page 336: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

330 2 Salātīn 7:2

26Ek din Isrāīl kā bādshāh Yūrāmshahr kī fasīl par sair kar rahā thāto ek aurat ne us se iltamās kī,“Ai mere āqā aur bādshāh, merīmadad kījie.” 27Bādshāh ne jawābdiyā, “Agar Rab āp kī madad nahīṅkartā tomaiṅ kis tarah āp kī madadkarūṅ? Na maiṅ gāhne kī jagahjā kar āp ko anāj de saktā hūṅ, naangūr kā ras nikālne kī jagah jākar āp ko ras pahuṅchā saktā hūṅ.28Phir bhīmujhe batāeṅ, maslā kyāhai?” Aurat bolī, “Is aurat ne mujhse kahā thā, ‘Āeṅ, āj āp apne beṭe koqurbān kareṅ tāki hamuse khā leṅ,to phir kal ham mere beṭe ko khāleṅge.’ 29Chunāṅche ham ne merebeṭe ko pakā kar khā liyā. Agledin maiṅ ne us se kahā, ‘Ab apnebeṭe ko de deṅ tāki use bhī khā leṅ.’Lekin us ne use chhupāe rakhā.”

30Yih sun kar bādshāh ne ranjishke māre apne kapṛe phāṛ ḍāle.Chūṅkiwuh abhī tak fasīl par khaṛāthā is lie sab logoṅ ko nazar āyā kikapṛoṅ ke nīche wuh ṭāṭ pahne huethā. 31Us ne pukārā, “Allāh mujhesakht sazā de agar maiṅ Ilīshā binSāfat kā āj hī sar qalam na karūṅ!”

32Us ne ek ādmī ko Ilīshā ke pāsbhejā aur khud bhī us ke pīchhechal paṛā. Ilīshā us waqt ghar meṅ

thā, aur shahr ke buzurg us ke pāsbaiṭhe the. Bādshāh kā qāsid abhīrāste meṅ thā ki Ilīshā buzurgoṅse kahne lagā, “Ab dhyān kareṅ, isqātil bādshāh ne kisī ko merā sarqalam karne ke lie bhej diyā hai.Use andar ānenadeṅbalki darwāzepar kunḍī lagāeṅ. Us ke pīchhepīchhe us ke mālik ke qadmoṅ kīāhaṭ bhī sunāī de rahī hai.”

33Ilīshā abhī bāt kar hī rahā thāki qāsid pahuṅch gayā aur us kepīchhe bādshāh bhī. Bādshāh bolā,“Rab hī ne hameṅ is musībat meṅphaṅsā diyā hai. Maiṅ mazīd uskī madad ke intazār meṅ kyoṅrahūṅ?”

7 Tab Ilīshā bolā, “Rab kāfarmān suneṅ! Rab farmātā

hai ki kal isī waqt shahr ke darwāzepar sāṛhe 5 kilogrām behtarīnmaidā aur 11 kilogrām jau chāṅdīke ek sikke ke lie bikegā.” 2Jis afsarke bāzū kā sahārā bādshāh letā thāwuh mard‐e‐Khudā kī bāt sun karbol uṭhā, “Yih nāmumkin hai, khāhRab āsmān ke darīche kyoṅ nakhol de.” Ilīshā ne jawāb diyā, “Āpapnī āṅkhoṅ se is kā mushāhadākareṅge, lekin khud us meṅ sekuchh na khāeṅge.”

Page 337: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 7:3 331

Shām ke Faujī Farār Ho Jāte Haiṅ3Shahr se bāhar darwāze ke qarībkoṛh ke chār marīz baiṭhe the. Abyih ādmī ek dūsre se kahne lage,“Ham yahāṅ baiṭh kar maut kāintazār kyoṅ kareṅ? 4Shahr meṅkāl hai. Agar us meṅ jāeṅ to bhūkemar jāeṅge, lekin yahāṅ rahne sebhī koī farq nahīṅ paṛtā. To kyoṅna ham Shām kī lashkargāh meṅ jākar apne āp ko un ke hawāle kareṅ.Agar wuh hameṅ zindā rahne deṅto achchhā rahegā, aur agar wuhhameṅ qatl bhī kar deṅ to koī farqnahīṅ paṛegā. Yahāṅ rah kar bhīhameṅ marnā hī hai.”

5Shām ke dhundalke meṅ wuhrawānā hue. Lekin jab lashkargāhke kināre tak pahuṅche to ek bhīādmī nazar na āyā. 6Kyoṅki Rabne Shām ke faujiyoṅ ko rathoṅ,ghoṛoṅ aur ek baṛī fauj kā shorsunā diyā thā. Wuh ek dūsre sekahne lage, “Isrāīl ke bādshāh neHittī aur Misrī bādshāhoṅ ko ujratpar bulāyā tāki wuh hampar hamlākareṅ!” 7Ḍar ke māre wuh shāmke dhundalkemeṅ farār ho gae the.Un ke khaime, ghoṛe, gadhe balkipūrī lashkargāh pīchhe rah gaī thī

jabki wuh apnī jān bachāne ke liebhāg gae the.

8Jabkoṛhī lashkargāhmeṅdākhilhue to unhoṅ ne ek khaime meṅjā kar jī bhar kar khānā khāyā aurmai pī. Phir unhoṅ ne sonā, chāṅdīaur kapṛe uṭhā kar kahīṅ chhupādie. Wuh wāpas ā kar kisī aurkhaime meṅ gae aur us kā sāmānjamā karke use bhī chhupā diyā.9Lekin phir wuh āpas meṅ kahnelage, “Jo kuchh ham kar rahe haiṅṭhīk nahīṅ. Āj khushī kā din hai,aur ham yih khushkhabrī dūsroṅtak nahīṅ pahuṅchā rahe. Agarham subah tak intazār kareṅ toqusūrwār ṭhahreṅge. Āeṅ, hamfauran wāpas jā kar bādshāh kegharāne ko ittalā deṅ.”

10Chunāṅche wuh shahr kedarwāze ke pās gae aur pahredāroṅko āwāz de kar unheṅ sab kuchhsunāyā, “Ham Shām kī lashkargāhmeṅ gae to wahāṅ na koī dikhāīdiyā, na kisī kī āwāz sunāī dī. Ghoṛeaur gadhe bandhe hue the aurkhaime tartīb se khaṛe the, lekinādmī ek bhī maujūd nahīṅ thā!”

11Darwāze ke pahredāroṅ neāwāz de kar dūsroṅ ko khabarpahuṅchāī to shahr ke andarbādshāh ke gharāne ko ittalā dī

Page 338: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

332 2 Salātīn 7:19

gaī. 12Go rāt kā waqt thā to bhībādshāh ne uṭh kar apne afsaroṅko bulāyā aur kahā, “Maiṅ āp kobatātā hūṅ ki Shām ke faujī kyākar rahe haiṅ. Wuh to khūb jāntehaiṅ ki ham bhūke mar rahe haiṅ.Ab wuh apnī lashkargāh ko chhoṛkar khule maidān meṅ chhup gaehaiṅ, kyoṅki wuh samajhte haiṅ kiIsrāīlī khālī lashkargāh ko dekh karshahr se zarūr nikleṅge aur phirham unheṅ zindā pakaṛ kar shahrmeṅ dākhil ho jāeṅge.”

13Lekin ek afsar ne mashwarādiyā, “Behtar hai ki ham chandek ādmiyoṅ ko pāṅch bache hueghoṛoṅ ke sāth lashkargāh meṅbhejeṅ. Agar wuh pakaṛe jāeṅ tokoī bāt nahīṅ. Kyoṅki agar wuhyahāṅ raheṅ to phir bhī unheṅhamāre sāth marnā hī hai.”

14Chunāṅche do rathoṅ koghoṛoṅ samet taiyār kiyā gayā,aur bādshāh ne unheṅ Shāmkī lashkargāh meṅ bhej diyā.Rathbānoṅ ko us ne hukm diyā,“Jāeṅ aur patā kareṅ ki kyā huāhai.” 15Wuh rawānā hue aurShām ke faujiyoṅ ke pīchhe pīchhechalne lage. Rāste meṅ har tarafkapṛe aur sāmān bikhrā paṛā thā,kyoṅki faujiyoṅ ne bhāgte bhāgte

sab kuchh phaiṅk kar rāste meṅchhoṛ diyā thā. Isrāīlī rathsawārDariyā‐e‐Yardan tak pahuṅche aurphir bādshāh ke pās wāpas ā karsab kuchh kah sunāyā.

16Tab Sāmariya ke bāshindeshahr se nikal āe aur Shām kīlashkargāh meṅ jā kar sab kuchhlūṭ liyā. Yoṅ wuh kuchh pūrā huājo Rab ne farmāyā thā ki sāṛhe 5kilogrām behtarīn maidā aur 11kilogrām jau chāṅdī ke ek sikke kelie bikegā.

17Jis afsar ke bāzū kā sahārābādshāh letā thā use us ne darwāzekī nigarānī karne ke lie bhej diyāthā. Lekin jab log bāhar nikleto afsar un kī zad meṅ ā kar unke pairoṅ tale kuchlā gayā. Yoṅwaisā hī huā jaisāmard‐e‐Khudā neus waqt kahā thā jab bādshāh uske ghar āyā thā. 18Kyoṅki Ilīshāne bādshāh ko batāyā thā, “Kal isīwaqt shahr ke darwāze par sāṛhe5 kilogrām behtarīn maidā aur 11kilogrām jau chāṅdī ke ek sikkeke lie bikegā.” 19Afsar ne etarāzkiyā thā, “Yih nāmumkin hai, khāhRab āsmān ke darīche kyoṅ na kholde.” Aur mard‐e‐Khudā ne jawābdiyā thā, “Āp apnī āṅkhoṅ se is kā

Page 339: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 7:20 333

mushāhadā kareṅge, lekin khud usmeṅ se kuchh nahīṅ khāeṅge.”

20Ab yih peshgoī pūrī huī, kyoṅkibeqābū logoṅ ne use shahr kedarwāze par pāṅwoṅ tale kuchaldiyā, aur wuh mar gayā.

Yūrām Bādshāh Shūnīmī Aurat kīZamīnWāpas Kar Detā Hai

8 Ek din Ilīshā ne us aurat ko jiskā beṭā us ne zindā kiyā thā

mashwarā diyā, “Apne khāndān kole kar ārizī taur par bairūn‐e‐mulkchalī jāeṅ, kyoṅki Rab ne hukmdiyā hai ki mulk meṅ sāt sāl tak kālhogā.” 2Shūnīm kī aurat nemard‐e‐Khudā kī bātmān lī. Apne khāndānko le kar wuh chalī gaī aur sāt sālFilistīmulkmeṅ rahī. 3Sāt sāl guzargae to wuh us mulk se wāpas āī.Lekin kisī aur ne us ke ghar aurzamīn par qabzā kar rakhā thā, islie wuh madad ke lie bādshāh kepās gaī.

4Ain us waqt jab wuh darbārmeṅ pahuṅchī to bādshāh mard‐e‐Khudā Ilīshā ke naukar Jaihāzī seguftgū kar rahā thā. Bādshāh neus se darkhāst kī thī, “Mujhe wuhtamām baṛe kām sunā do jo Ilīshāne kie haiṅ.” 5Aur ab jab Jaihāzī

sunā rahā thā ki Ilīshā ne murdālaṛke ko kis tarah zindā kar diyā tous kī māṅ andar ā kar bādshāh seiltamās karne lagī, “Ghar aur zamīnwāpas milne meṅ merī madadkījie.” Use dekh kar Jaihāzī nebādshāh se kahā, “Mere āqā aurbādshāh, yih wuhī aurat hai auryih us kā wuhī beṭā hai jise Ilīshāne zindā kar diyā thā.” 6Bādshāhne aurat se sawāl kiyā, “Kyā yihsahīh hai?” Aurat ne tasdīq meṅuse dubārā sab kuchh sunāyā. Tabusne aurat kāmuāmalā kisī darbārīafsar ke sapurd karke hukm diyā,“Dhyān deṅ ki ise pūrī milkiyatwāpasmil jāe! Aur jitne paise qabzākarnewālā aurat kī ġhairmaujūdagīmeṅ zamīn kī fasloṅ se kamā sakāwuh bhī aurat ko de die jāeṅ.”

Bin‐hadad kī Maut kī Peshgoī7Ek din Ilīshā Damishq āyā. Uswaqt Shām kā bādshāh Bin‐hadadbīmār thā. Jab use ittalā milī kimard‐e‐Khudā āyā hai 8to us neapne afsar Hazāel ko hukm diyā,“Mard‐e‐Khudā ke lie tohfā le karuse milne jāeṅ. Wuh Rab sedariyāft kare ki kyā maiṅ bīmārī seshifā pāūṅgā yā nahīṅ?”

Page 340: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

334 2 Salātīn 8:19

9Hazāel 40 ūṅṭoṅ par Damishq kībehtarīn paidāwār lād kar Ilīshā semilne gayā. Us ke pās pahuṅchkar wuh us ke sāmne khaṛā huāaur kahā, “Āp ke beṭe Shām kebādshāh Bin‐hadad ne mujhe āpke pās bhejā hai. Wuh yih jānanāchāhtā hai ki kyā maiṅ apnī bīmārīse shifā pāūṅgā yā nahīṅ?”

10Ilīshā ne jawāb diyā, “Jāeṅaur use ittalā deṅ, ‘Āp zarūr shifāpāeṅge.’ Lekin Rab ne mujh parzāhir kiyā hai ki wuh haqīqat meṅmar jāegā.” 11Ilīshā khāmosh hogayā aur ṭikṭikī bāndh kar baṛīder tak use ghūrtā rahā, phir ronelagā. 12Hazāel ne pūchhā, “Mereāqā, āp kyoṅ ro rahe haiṅ?” Ilīshāne jawāb diyā, “Mujhe mālūm haiki āp Isrāīliyoṅ ko kitnā nuqsānpahuṅchāeṅge. Āp un kī qilābandābādiyoṅ ko āg lagā kar un kejawānoṅ ko talwār se qatl kardeṅge, un ke chhoṭe bachchoṅko zamīn par paṭakh deṅge aurun kī hāmilā auratoṅ ke peṭ chīrḍāleṅge.” 13Hazāel bolā, “Mujhjaise kutte kī kyā haisiyat hai ki itnābaṛā kām karūṅ?” Ilīshā ne kahā,“Rab ne mujhe dikhā diyā hai ki āpShām ke bādshāh ban jāeṅge.”

14Is ke bād Hazāel chalā gayāaur apne mālik ke pās wāpas āyā.Bādshāh ne pūchhā, “Ilīshā ne āpko kyā batāyā?” Hazāel ne jawābdiyā, “Us ne mujhe yaqīn dilāyāki āp shifā pāeṅge.” 15Lekin agledin Hazāel ne kambal le kar pānīmeṅ bhigo diyā aur use bādshāh kemuṅh par rakh diyā. Bādshāh kāsāṅs ruk gayā aur wuh mar gayā.Phir Hazāel takhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahūrām16Yahūrām bin Yahūsafat Isrāīlke bādshāh Yūrām kī hukūmatke pāṅchweṅ sāl meṅ Yahūdāhkā bādshāh banā. Shurū meṅwuh apne bāp ke sāth hukūmatkartā thā. 17Yahūrām 32 sāl kīumr meṅ bādshāh banā, aur wuhYarūshalam meṅ rah kar 8 sāltak hukūmat kartā rahā. 18Us kīshādī Isrāīl ke bādshāh Akhiyab kībeṭī se huī thī, aur wuh Isrāīl kebādshāhoṅ aur khāskar Akhiyabke khāndān ke bure namūne parchaltā rahā. Us kā chāl‐chalanRab ko nāpasand thā. 19To bhīwuh apne khādim Dāūd kī khātirYahūdāh ko tabāh nahīṅ karnāchāhtā thā, kyoṅki us ne Dāūd

Page 341: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 8:20 335

se wādā kiyā thā ki terā aur terīaulād kā charāġh hameshā tak jaltārahegā.

20Yahūrāmkī hukūmat ke daurānAdomiyoṅ ne baġhāwat kī aurYahūdāh kī hukūmat ko radd karkeapnā bādshāh muqarrar kiyā.21Tab Yahūrāmapne tamām rathoṅko le kar Saīr ke qarīb āyā. Jab jangchhiṛ gaī to Adomiyoṅ ne use aurus ke rathoṅ par muqarrar afsaroṅko gher liyā. Rāt ko bādshāhgherne wāloṅ kī safoṅ ko toṛnemeṅ kāmyāb ho gayā, lekin us kefaujī use chhoṛ kar apne apne gharbhāg gae. 22Is wajah se Mulk‐e‐Adom āj tak dubārā Yahūdāh kīhukūmat ke taht nahīṅ āyā. Usīwaqt Libnā Shahr bhī sarkash hokar khudmukhtār ho gayā.

23Bāqī jo kuchh Yahūrām kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitāb meṅbayān kiyā gayā hai. 24Jab Yahūrāmmar kar apne bāpdādā se jā milāto use Yarūshalam ke us hissemeṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātāhai khāndānī qabr meṅ dafnāyāgayā. Phir us kā beṭā Akhaziyāhtakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Akhaziyāh25Akhaziyāh bin Yahūrām Isrāīlke bādshāh Yūrām bin Akhiyabkī hukūmat ke 12weṅ sāl meṅYahūdāh kā bādshāh banā. 26Wuh22 sāl kī umr meṅ takhtnashīnhuā aur Yarūshalam meṅ rah karek sāl bādshāh rahā. Us kī māṅAtaliyāh Isrāīl ke bādshāh Umrī kīpotī thī. 27Akhaziyāh bhī Akhiyabke khāndān ke bure namūne parchal paṛā. Akhiyab ke gharānekī tarah us kā chāl‐chalan Rab konāpasand thā. Wajah yih thī kius kā rishtā Akhiyab ke khāndānke sāth bandh gayā thā. 28Ek dinAkhaziyāh Bādshāh Yūrām binAkhiyab ke sāth mil kar Rāmāt‐jiliyād gayā tāki Shām ke bādshāhHazāel se laṛe. Jab jang chhiṛ gaī toYūrām Shām ke faujiyoṅ ke hāthoṅzakhmī huā 29aurmaidān‐e‐jang kochhoṛ kar Yazrael wāpas āyā tākizakhm bhar jāeṅ. Jab wuh wahāṅṭhahrā huā thā to Yahūdāh kābādshāh Akhaziyāh bin Yahūrāmus kā hāl pūchhne ke lie Yazraelāyā.

Page 342: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

336 2 Salātīn 9:12

Ilīshā Yāhū koMasah Kartā Hai

9 Ek din Ilīshā nabī ne nabiyoṅke guroh meṅ se ek ko bulā

kar kahā, “Safr ke lie kamarbastāho kar Rāmāt‐jiliyād ke lie rawānāho jāeṅ. Zaitūn ke tel kī yih kuppīapne sāth le jāeṅ. 2Wahāṅpahuṅchkar Yāhū bin Yahūsafat bin Nimsīko talāsh kareṅ. Jab us se mulāqātho to use us ke sāthiyoṅ se alagkarke kisī andarūnī kamre meṅ lejāeṅ. 3Wahāṅ kuppī le kar Yāhūke sar par tel unḍel deṅ aur kaheṅ,‘Rab farmātā hai ki maiṅ tujhe telse masah karke Isrāīl kā bādshāhbanā detā hūṅ.’ Is ke bād der nakareṅ balki fauran darwāze ko kholkar bhāg jāeṅ!”

4Chunāṅche jawān nabī Rāmāt‐jiliyād ke lie rawānā huā. 5Jabwahāṅ pahuṅchā to faujī afsar milkar baiṭhe hue the. Wuh un keqarīb gayā aur bolā, “Mere pāskamānḍar ke lie paiġhām hai.”Yāhū ne sawāl kiyā, “Ham meṅ sekis ke lie?” Nabī ne jawāb diyā, “Āphī ke lie.”

6Yāhū khaṛā huā aur us ke sāthghar meṅ gayā. Wahāṅ nabī neYāhū ke sar par tel unḍel kar kahā,“Rab Isrāīl kā Khudā farmātā hai,

‘Maiṅ ne tujhe masah karke apnīqaum kā bādshāh banā diyā hai.7Tujhe apnemālik Akhiyab ke pūrekhāndān ko halāk karnā hai. Yoṅmaiṅ un nabiyoṅ kā intaqām lūṅgājo merī khidmat karte hue shahīdho gae haiṅ. Hāṅ, maiṅ Rabke un tamām khādimoṅ kā badlālūṅgā jinheṅ Īzabil ne qatl kiyā hai.8Akhiyab kā pūrā gharānā tabāhho jāegā. Maiṅ us ke khāndān kehar mard ko halāk kar dūṅgā, khāhwuh bāliġh ho yā bachchā. 9MerāAkhiyab ke khāndān ke sāth wuhīsulūk hogā jo maiṅ ne Yarubiyāmbin Nabāt aur Bāshā bin Akhiyāhke khāndānoṅ ke sāth kiyā. 10Jahāṅtak Īzabil kā tālluq hai use dafnāyānahīṅ jāegā balki kutte use Yazraelkī zamīn par khā jāeṅge.’” Yih kahkar nabī darwāzā khol kar bhāggayā.

11Jab Yāhū nikal kar apne sāthīafsaroṅ ke pās wāpas āyā to unhoṅne pūchhā, “Kyā sab khairiyat hai?Yih dīwānā āp se kyā chāhtā thā?”Yāhū bolā, “Khair, āp to is qism kelogoṅ ko jānte haiṅ ki kis tarah kīgappeṅ hāṅkte haiṅ.” 12Lekin uske sāthī is jawāb se mutma’in nahue, “Jhūṭ! Sahīh bāt batāeṅ.” PhirYāhū ne unheṅ khul kar bāt batāī,

Page 343: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 9:13 337

“Ādmī ne kahā, ‘Rab farmātā hai kimaiṅne tujhemasah karke Isrāīl kābādshāh banā diyā hai.’”

13Yih sun kar afsaroṅ ne jaldījaldī apnī chādaroṅ ko utār kar uske sāmne sīṛhiyoṅ par bichhā diyā.Phir wuh narsingā bajā bajā karnārā lagāne lage, “Yāhū Bādshāhzindābād!”

Yūrām aur Akhaziyāh kā Anjām14Yāhū bin Yahūsafat bin Nimsīfauran Yūrām Bādshāh ko takhtse utārne ke mansūbe bāndhnelagā. Yūrām us waqt pūrī Isrāīlīfauj samet Rāmāt‐jiliyād ke qarībDamishq ke bādshāh Hazāel se laṛrahā thā. Lekin shahr kā difā kartekarte 15bādshāh Shām ke faujiyoṅke hāthoṅ zakhmī ho gayā thāaur maidān‐e‐jang ko chhoṛ karYazrael wāpas āyā thā tāki zakhmbhar jāeṅ. Ab Yāhū ne apne sāthīafsaroṅ se kahā, “Agar āp wāqaīmere sāth haiṅ to kisī ko bhī shahrse nikalne na deṅ, warnā khatrāhai ki koī Yazrael jā kar bādshāhko ittalā de de.” 16Phir wuh rathpar sawār ho kar Yazrael chalāgayā jahāṅ Yūrām ārām kar rahāthā. Us waqt Yahūdāh kā bādshāh

Akhaziyāh bhī Yūrām se milne kelie Yazrael āyā huā thā.

17Jab Yazrael ke burj par khaṛepahredār ne Yāhū ke ġhol ko shahrkī taraf āte hue dekhā to us nebādshāh ko ittalā dī. Yūrām nehukm diyā, “Ek ghuṛsawār ko unkī taraf bhej kar un se mālūmkareṅki sab khairiyat hai yānahīṅ.”18Ghuṛsawār shahr se niklā aurYāhū ke pās ā kar kahā, “Bādshāhpūchhte haiṅ ki kyā sab khairiyathai?” Yāhū ne jawāb diyā, “Is se āpkā kyā wāstā? Āeṅ, mere pīchheho leṅ.” Burj par ke pahredār nebādshāh ko ittalā dī, “Qāsid un takpahuṅch gayā hai, lekinwuhwāpasnahīṅ ā rahā.”

19Tab bādshāh ne ek aurghuṛsawār ko bhej diyā. Yāhū kepās pahuṅch kar us ne bhī kahā,“Bādshāh pūchhte haiṅ ki kyā sabkhairiyat hai?” Yāhū ne jawāb diyā,“Is se āp kā kyāwāstā? Mere pīchheho leṅ.” 20Burj par ke pahredārne yih dekh kar bādshāh ko ittalādī, “Hamārā qāsid un tak pahuṅchgayā hai, lekin yih bhī wāpas nahīṅā rahā. Aisā lagtā hai ki un kārāhnumā Yāhū bin Nimsī hai,kyoṅki wuh apne rath ko dīwānekī tarah chalā rahā hai.”

Page 344: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

338 2 Salātīn 9:31

21Yūrām ne hukm diyā, “Mererath ko taiyār karo!” Phir wuhaur Yahūdāh kā bādshāh apne apnerath meṅ sawār ho kar Yāhū semilne ke lie shahr se nikle. Unkī mulāqāt us bāġh ke pās huījo Nabot Yazraelī se chhīn liyāgayā thā. 22Yāhū ko pahchānkar Yūrām ne pūchhā, “Yāhū, kyāsab khairiyat hai?” Yāhū bolā,“Khairiyat kaise ho saktī hai jabterī māṅ Īzabil kī butparastī aurjādūgarī har taraf phailī huī hai?”23Yūrām Bādshāh chillā uṭhā, “AiAkhaziyāh, ġhaddārī!” Aurmuṛ karbhāgne lagā.

24Yāhū ne fauran apnī kamānkhīṅch kar tīr chalāyā jo sīdhāYūrām ke kandhoṅ ke darmiyānyoṅ lagā ki dil meṅ se guzar gayā.Bādshāh ek dam apne rath meṅ girpaṛā. 25Yāhū ne apne sāth wāleafsar Bidqar se kahā, “Is kī lāshuṭhā kar us bāġh meṅ phaiṅk deṅjo Nabot Yazraelī se chhīn liyā gayāthā. Kyoṅki wuh din yād kareṅ jabham donoṅ apne rathoṅ ko is kebāp Akhiyab ke pīchhe chalā rahethe aur Rab ne Akhiyab ke bāremeṅ elān kiyā, 26‘Yaqīn jān ki kalNabot aur us ke beṭoṅ kā qatl mujhse chhupā na rahā. Is kā muāwazā

maiṅ tujhe Nabot kī isī zamīn pardūṅgā.’ Chunāṅche ab Yūrām kouṭhā kar us zamīn par phaiṅk deṅtāki Rab kī bāt pūrī ho jāe.”

27Jab Yahūdāh ke bādshāhAkhaziyāh ne yih dekhā to wuhBait‐gān kā rāstā le kar farār hogayā. Yāhū us kā tāqqub kartehue chillāyā, “Use bhī mār do!”Ibliyām ke qarīb jahāṅ rāstā jūr kītaraf chaṛhtā hai Akhaziyāh apnerath meṅ chalte chalte zakhmīhuā. Wuh bach to niklā lekinMajiddo pahuṅch kar mar gayā.28Us ke mulāzim lāsh ko rath parrakh kar Yarūshalam lāe. Wahāṅuse Yarūshalam ke us hisse meṅjo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā haikhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā.29Akhaziyāh Yūrām bin Akhiyabkī hukūmat ke 11weṅ sāl meṅYahūdāh kā bādshāh ban gayā thā.

Īzabil kā Anjām30Is ke bād Yāhū Yazrael chalā gayā.Jab Īzabil ko ittalāmilī to us ne apnīāṅkhoṅ meṅ surmā lagā kar apnebāloṅ ko khūbsūratī se saṅwārā aurphir khiṛkī se bāhar jhāṅkne lagī.31Jab Yāhūmahal ke geṭmeṅ dākhilhuā to Īzabil chillāī, “Ai Zimrī jis ne

Page 345: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 9:32 339

apnemālik ko qatl kar diyā hai, kyāsab khairiyat hai?” 32Yāhū ne ūpardekh kar āwāz dī, “Kaun mere sāthhai, kaun?” Do yā tīn khwājāsarāoṅne khiṛkī se bāhar dekh kar uspar nazar ḍālī 33to Yāhū ne unheṅhukm diyā, “Use nīche phaiṅk do!”Tab unhoṅ ne malikā ko nīche

phaiṅk diyā. Wuh itne zor se zamīnpar girī ki khūn ke chhīṅṭe dīwāraur ghoṛoṅ par paṛ gae. Yāhū aurus ke logoṅ ne apne rathoṅ ko us keūpar se guzarne diyā. 34Phir Yāhūmahal meṅ dākhil huā aur khāyāaur piyā. Is ke bādus nehukmdiyā,“Koī jāe aur us lānatī aurat ko dafnkare, kyoṅki wuh bādshāh kī beṭīthī.”

35Lekin jab mulāzim use dafnkarne ke lie bāhar nikle to dekhāki sirf us kī khopaṛī, hāth aur pāṅwbāqī rah gae haiṅ. 36Yāhū ke pāswāpas jā kar unhoṅ ne use āgāhkiyā. Tab us ne kahā, “Ab sabkuchh pūrā huā hai jo Rab ne apnekhādim Iliyās Tishbī kī mārifatfarmāyā thā, ‘Yazrael kī zamīn parkutte Īzabil kī lāsh khā jāeṅge. 37Uskī lāsh Yazrael kī zamīn par gobarkī tarah paṛī rahegī tāki koī yaqīn sena kah sake ki wuh kahāṅ hai.’”

Yāhū Akhiyab kī Aulād koHalāk Kartā Hai

10 Sāmariya meṅ Akhiyab ke70 beṭe the. Ab Yāhū

ne khat likh kar Sāmariya bhejdie. Yazrael ke afsaroṅ, shahr kebuzurgoṅ aur Akhiyab ke beṭoṅ kesarparastoṅ ko yih khat mil gae.Aur un meṅ zail kī khabar likhī thī,

2“Āp ke mālik ke beṭe āp ke pāshaiṅ. Āp qilāband shahr meṅ rahtehaiṅ, aur āp ke pās hathiyār, rathaur ghoṛe bhī haiṅ. Is lie maiṅāp ko chaileṅj detā hūṅ ki yih khatpaṛhte hī 3apne mālik ke sab seachchhe aur lāyq beṭe ko chun karuse us ke bāp ke takht par biṭhādeṅ. Phir apne mālik ke khāndānke lie laṛeṅ!”

4Lekin Sāmariya ke buzurgbehad saham gae aur āpas meṅkahne lage, “Agar do bādshāh uskā muqābalā na kar sake to hamkyā kar sakte haiṅ?” 5Is lie mahalke inchārj, Sāmariya par muqarrarafsar, shahr ke buzurgoṅ aurAkhiyab ke beṭoṅ ke sarparastoṅne Yāhū ko paiġhām bhejā, “Hamāp ke khādim haiṅ aur jo kuchhāp kaheṅge ham karne ke lietaiyār haiṅ. Ham kisī ko bādshāh

Page 346: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

340 2 Salātīn 10:15

muqarrar nahīṅ kareṅge. Jo kuchhāp munāsib samajhte haiṅ wuhkareṅ.”

6Yih paṛh kar Yāhū ne ek aurkhat likh kar Sāmariya bhejā. Usmeṅ likhā thā, “Agar āp wāqaīmere sāth haiṅ aur mere tāberahnā chāhte haiṅ to apne mālikke beṭoṅ ke saroṅ ko kāṭ kar kal iswaqt tak Yazrael meṅ mere pās leāeṅ.” Kyoṅki Akhiyab ke 70 beṭeSāmariya ke baṛoṅ ke pās rah karparwarish pā rahe the. 7Jab khat unke pās pahuṅch gayā to in ādmiyoṅne 70 ke 70 shahzādoṅ ko zabah kardiyā aur un ke saroṅ ko ṭokroṅmeṅrakh kar Yazrael meṅ Yāhū ke pāsbhej diyā.

8Ek qāsid ne Yāhū ke pās ā karittalā dī, “Wuh bādshāh ke beṭoṅ kesar le kar āe haiṅ.” Tab Yāhū nehukm diyā, “Shahr ke darwāze parun ke do ḍher lagā do aur unheṅsubah tak wahīṅ rahne do.” 9Agledin Yāhū subah ke waqt niklā aurdarwāze ke pās khaṛe ho kar logoṅse mukhātib huā, “Yūrām kī mautke nāte se āp be’ilzām haiṅ. Maiṅhī ne apnemālik ke khilāfmansūbebāndh kar use mār ḍālā. Lekin kisne in tamāmbeṭoṅ kā sar qalamkardiyā? 10Chunāṅche āj jān leṅ ki jo

kuchhbhī RabneAkhiyab aur us kekhāndān ke bāre meṅ farmāyā haiwuh pūrā ho jāegā. Jis kā elān Rabne apne khādim Iliyās kī mārifatkiyā hai wuh us ne kar liyā hai.”11Is ke bād Yāhū ne Yazrael meṅrahne wāle Akhiyab ke bāqī tamāmrishtedāroṅ, baṛe afsaroṅ, qarībīdostoṅ aur pujāriyoṅ ko halāk kardiyā. Ek bhī na bachā.

12Phir wuh Sāmariya ke lierawānā huā. Rāste meṅ jab Bait‐iqad‐roīm ke qarīb pahuṅch gayā13to us kī mulāqāt Yahūdāh kebādshāh Akhaziyāh ke chand ekrishtedāroṅ se huī. Yāhū nepūchhā, “Āp kaun haiṅ?” Unhoṅne jawāb diyā, “Ham Akhaziyāhke rishtedār haiṅ aur Sāmariya kāsafr kar rahe haiṅ. Wahāṅ hambādshāh aur malikā ke beṭoṅ semilnā chāhte haiṅ.” 14Tab Yāhū nehukm diyā, “Unheṅ zindā pakaṛo!”Unhoṅ ne unheṅ zindā pakaṛ karBait‐iqad ke hauz ke pās mār ḍālā.42 ādmiyoṅ meṅ se ek bhī nabachā.

15Us jagah ko chhoṛ kar Yāhū āgeniklā. Chalte chalte us kī mulāqātYūnadab bin Raikāb se huī jo usse milne ā rahā thā. Yāhū nesalām karke kahā, “Kyā āp kā dil

Page 347: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 10:16 341

mere bāre meṅ mukhlis hai jaisāki merā dil āp ke bāre meṅ hai?”Yūnadab ne jawāb diyā, “Jī hāṅ.”Yāhū bolā, “Agar aisā hai, to meresāth hāth milāeṅ.” Yūnadab neus ke sāth hāth milāyā to Yāhū neuse apne rath par sawār hone diyā.16Phir Yāhū ne kahā, “Āeṅ meresāth aur merī Rab ke lie jidd‐o‐jahd dekheṅ.” ChunāṅcheYūnadabYāhū ke sāth Sāmariya chalā gayā.

17Sāmariya pahuṅch kar Yāhū neAkhiyab ke khāndān ke jitne afrādab tak bach gae the halāk kardie. Jis tarah Rab ne Iliyās kofarmāyā thā usī tarah Akhiyab kāpūrā gharānā miṭ gayā.

Yāhū Bāl ke Tamām Pujāriyoṅko Qatl Kartā Hai

18Is ke bād Yāhū ne tamām logoṅko jamā karke elān kiyā, “Akhiyabne Bāl Dewatā kī parastish thoṛīkī hai. Maiṅ kahīṅ zyādā us kīpūjā karūṅga! 19Ab jā kar Bāl ketamām nabiyoṅ, khidmatguzāroṅaur pujāriyoṅ ko bulā lāeṅ. Khayālkareṅ ki ek bhī dūr na rahe, kyoṅkimaiṅ Bāl ko baṛī qurbānī peshkarūṅga. Jo bhī āne se inkār kareuse sazā‐e‐maut dī jāegī.”

Is tarah Yāhū ne Bāl kekhidmatguzāroṅ ke lie jāl bichhādiyā tāki wuh us meṅ phaṅs karhalāk ho jāeṅ. 20‐21Us ne pūreIsrāīl meṅ qāsid bhej kar elānkiyā, “Bāl Dewatā ke lie muqaddasīd manāeṅ!” Chunāṅche Bāl ketamām pujārī āe, aur ek bhī ijtimāse dūr na rahā. Itne jamā hue ki Bālkā mandir ek sire se dūsre sire takbhar gayā.

22Yāhū ne īd ke kapṛoṅ keinchārj ko hukm diyā, “Bāl ketamām pujāriyoṅ ko īd ke libāsde denā.” Chunāṅche sab ko libāsdie gae. 23Phir Yāhū aur Yūnadabbin Raikāb Bāl ke mandir meṅdākhil hue, aur Yāhū ne Bāl kekhidmatguzāroṅ se kahā, “Dhyāndeṅ ki yahāṅ āp ke sāth Rab kā koīkhādim maujūd na ho. Sirf Bāl kepujārī hone chāhieṅ.”

24Donoṅ ādmī sāmne gae tākizabah kī aur bhasm hone wālīqurbāniyāṅ pesh kareṅ. Itne meṅYāhū ke 80 ādmī bāhar mandirke irdgird khaṛe ho gae. Yāhūne unheṅ hukm de kar kahā thā,“Khabardār! Jo pūjā karne wāloṅmeṅ se kisī ko bachne de use sazā‐e‐maut dī jāegī.”

Page 348: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

342 2 Salātīn 10:35‐36

25Jyoṅ hī Yāhū bhasm hone wālīqurbānī ko chaṛhāne se fāriġhhuā to us ne apne muhāfizoṅ aurafsaroṅ ko hukm diyā, “Andar jākar sabkomārdenā. Ekbhī bachnena pāe.” Wuh dākhil hue aur apnītalwāroṅ ko khīṅch kar sab ko mārḍālā. Lāshoṅ ko unhoṅ ne bāharphaiṅk diyā. Phir wuh mandir kesab se andar wāle kamre meṅ gae26jahāṅbut thā. Useunhoṅnenikālkar jalā diyā 27aur Bāl kā satūn bhīṭukṛe ṭukṛe kar diyā. Bāl kā pūrāmandir ḍhā diyā gayā, aur wuhjagah baitul‐khalā ban gaī. Āj takwuh is ke lie istemāl hotā hai.

Yāhū kī Hukūmat28Is tarah Yāhū ne Isrāīl meṅ BālDewatā kī pūjā khatm kar dī. 29TobhīwuhYarubiyāmbinNabāt keungunāhoṅ se bāz na āyā jo karne parYarubiyām ne Isrāīl ko uksāyā thā.Baitel aur Dān meṅ qāym sone kebachhṛoṅ kī pūjā khatm na huī.

30Ek din Rab ne Yāhū se kahā,“Jo kuchh mujhe pasand hai usetū ne achchhī tarah saranjāmdiyā hai, kyoṅki tū ne Akhiyab kegharāne ke sāth sab kuchh kiyāhai jo merī marzī thī. Is wajah

se terī aulād chauthī pusht takIsrāīl par hukūmat kartī rahegī.”31Lekin Yāhū ne pūre dil se RabIsrāīl ke Khudā kī sharīat kemutābiq zindagī na guzārī. Wuhun gunāhoṅ se bāz āne ke lie taiyārnahīṅ thā jo karne par Yarubiyāmne Isrāīl ko uksāyā thā.

32Yāhū kī hukūmat ke daurānRab Isrāīl kā ilāqā chhoṭā karnelagā. Shām ke bādshāh Hazāel neIsrāīl ke us pūre ilāqe par qabzākar liyā 33jo Dariyā‐e‐Yardan kemashriq meṅ thā. Jad, Rūbin aurManassī kā ilāqā Jiliyād Basan se lekar Dariyā‐e‐Arnon par wāqe Aroīrtak Shām ke bādshāh ke hāth meṅā gayā.

34Bāqī jo kuchh Yāhū kī hukūmatke daurān huā, jo us ne kiyā aurjo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitābmeṅ bayān kiyā gayā hai. 35‐36Wuh28 sāl Sāmariyameṅ bādshāh rahā.Wahāṅ wuh dafn bhī huā. Jab wuhmar kar apne bāpdādā se jā milā tous kā beṭā Yahuākhaz takhtnashīnhuā.

Page 349: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 11:1 343

Yahūdāhmeṅ Ataliyāh kīZālimānā Hukūmat

11 Jab Akhaziyāh kī māṅAtaliyāh ko mālūm huā

ki merā beṭā mar gayā hai to wuhAkhaziyāh kī tamām aulād ko qatlkarne lagī. 2Lekin Akhaziyāh kīsagī bahan Yahūsabā ne Akhaziyāhke chhoṭe beṭe Yuās ko chupkese un shahzādoṅ meṅ se nikālliyā jinheṅ qatl karnā thā auruse us kī dāyā ke sāth ek sṭormeṅ chhupā diyā jis meṅ bistarwaġhairā mahfūz rakhe jāte the.Is tarah wuh bach gayā. 3Bād meṅYuās ko Rab ke ghar meṅ muntaqilkiyā gayā jahāṅ wuh us ke sāth unchhih sāloṅ ke daurān chhupā rahājab Ataliyāh malikā thī.

Ataliyāh kā Anjām aur YuāsBādshāh Ban Jātā Hai

4Ataliyāh kī hukūmat ke sātweṅsāl meṅ Yahoyadā Imām nesau sau sipāhiyoṅ par muqarrarafsaroṅ, Kārī nāmī dastoṅ aurshāhī muhāfizoṅ ko Rab ke gharmeṅ bulā liyā. Wahāṅ us ne qasamkhilā kar un se ahd bāndhā. Phirus ne bādshāh ke beṭe Yuās kopesh karke 5unheṅ hidāyat kī,

“Agle Sabat ke din āp meṅ se jitneḍyūṭī par āeṅge wuh tīn hissoṅmeṅ taqsīm ho jāeṅ. Ek hissāshāhī mahal par pahrā de, 6dūsrāSūr nāmī darwāze par aur tīsrāshāhī muhāfizoṅ ke pīchhe kedarwāze par. Yoṅ āp Rab ke ghar kīhifāzat kareṅge. 7Dūsre do gurohjo Sabat ke din ḍyūṭī nahīṅ karteunheṅ Rab ke ghar meṅ ā kar YuāsBādshāh kī pahrādārī karnī hai.8Wuh us ke irdgird dāyrā banā karapne hathiyāroṅ ko pakaṛe rakheṅaur jahāṅ bhī wuh jāe use ghererakheṅ. Jo bhī is dāyremeṅ ghusnekī koshish kare use mār ḍālnā.”

9So sau sipāhiyoṅ par muqarrarafsaroṅ ne aisā hī kiyā. Agle Sabatke dinwuh sab apne faujiyoṅ sametYahoyadā Imām ke pās āe. Wuhbhī āe jo ḍyūṭī par the aur wuhbhī jin kī ab chhuṭṭī thī. 10Imāmne afsaroṅ ko Dāūd Bādshāh kewuh neze aur ḍhāleṅ dīṅ jo ab takRab ke ghar meṅ mahfūz rakhī huīthīṅ. 11Phir muhāfiz hathiyāroṅko hāth meṅ pakaṛe bādshāh kegird khaṛe ho gae. Qurbāngāh aurRab ke ghar ke darmiyān un kādāyrā Rab ke ghar kī junūbī dīwārse le kar us kī shimālī dīwār takphailā huā thā. 12Phir Yahoyadā

Page 350: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

344 2 Salātīn 11:20

bādshāh ke beṭe Yuās ko bāhar lāyāaur us ke sar par tāj rakh kar useqawānīn kī kitāb de dī. Yoṅ Yuās kobādshāh banā diyā gayā. Unhoṅ neuse masah karke tāliyāṅ bajāīṅ aurbuland āwāz se nārā lagāne lage,“Bādshāh zindābād!”

13Jab muhāfizoṅ aur bāqī logoṅkā shor Ataliyāh tak pahuṅchā towuh Rab ke ghar ke sahan meṅun ke pās āī. 14Wahāṅ pahuṅchkar wuh kyā dekhtī hai ki nayābādshāh us satūn ke pās khaṛā haijahāṅ bādshāh riwāj ke mutābiqkhaṛā hotā hai, aur wuh afsaroṅaur turam bajāne wāloṅ se ghirāhuā hai. Tamām ummat bhī sāthkhaṛī turam bajā bajā kar khushīmanā rahī hai. Ataliyāh ranjish kemāre apne kapṛe phāṛ kar chīkhuṭhī, “Ġhaddārī, ġhaddārī!”

15Yahoyadā Imām ne sau saufaujiyoṅ par muqarrar un afsaroṅko bulāyā jin ke sapurd fauj kī gaīthī aur unheṅ hukm diyā, “Usebāhar le jāeṅ, kyoṅki munāsibnahīṅ ki use Rab ke ghar ke pāsmārā jāe. Aur jo bhī us ke pīchheāe use talwār se mār denā.”

16Wuh Ataliyāh ko pakaṛ kar us

rāste par le gae jis par chalte hueghoṛe mahal ke pās pahuṅchtehaiṅ. Wahāṅ use mār diyā gayā.17Phir Yahoyadā ne bādshāh aurqaum ke sāth mil kar Rab se ahdbāndh kar wādā kiyā ki ham Rabkī qaum raheṅge. Is ke alāwābādshāh ne Yahoyadā kī mārifatqaum se bhī ahd bāndhā. 18Iske bād ummat ke tamām log Bālke mandir par ṭūṭ paṛe aur useḍhā diyā. Us kī qurbāngāhoṅaur butoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe karkeunhoṅ ne Bāl ke pujārī Mattānko qurbāngāhoṅ ke sāmne hī mārḍālā. Rab ke ghar par pahredārkhaṛe karne ke bād 19Yahoyadāsau sau faujiyoṅ par muqarrarafsaroṅ, Kārī nāmī dastoṅ, mahalke muhāfizoṅ aur bāqī pūrī ummatke hamrāh julūs nikāl kar bādshāhko Rab ke ghar se mahal meṅ legayā. Wuh muhāfizoṅ ke darwāzese ho kar dākhil hue. Bādshāhshāhī takht par baiṭh gayā, 20aurtamām ummat khushī manātī rahī.Yoṅ Yarūshalam Shahr ko sukūnmilā, kyoṅki Ataliyāh ko mahal kepās talwār se mār diyā gayā thā.

Page 351: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 11:21 345

Yahūdāh kā Bādshāh Yuās21Yuās sāt sāl kā thā jab takhtnashīn

12 huā. 1Wuh Isrāīl kebādshāh Yāhū kī hukūmat

ke sātweṅ sāl meṅ Yahūdāh kābādshāh banā, aur Yarūshalammeṅ us kī hukūmat kā daurāniyā40 sāl thā. Us kī māṅ Zibiyāh Bair‐sabā kī rahne wālī thī. 2Jab takYahoyadā us kī rāhnumāī kartāthā Yuās wuh kuchh kartā rahā joRab ko pasand thā. 3To bhī ūṅchījaghoṅ ke mandir dūr na kie gae.Awām māmūl ke mutābiq wahāṅapnī qurbāniyāṅ pesh karte aurbakhūr jalāte rahe.

Yuās Rab ke Ghar kī MarammatKarwātā Hai

4Ek din Yuās ne imāmoṅ ko hukmdiyā, “Rab ke lie makhsūs jitne bhīpaise Rab ke ghar meṅ lāe jātehaiṅ un sab ko jamā kareṅ, chāhewuh mardumshumārī ke ṭaiksa yākisī mannat ke zimn meṅ die gaehoṅ, chāhe razākārānā taur par adākie gae hoṅ. 5Yih tamām paiseimāmoṅ ke sapurd kie jāeṅ. Inse āp ko jahāṅ bhī zarūrat hai Rabke ghar kī darāṛoṅ kī marammat

karwānī hai.” 6Lekin Yuās kīhukūmat ke 23weṅ sāl meṅ us nedekhā ki ab tak Rab ke ghar kīdarāṛoṅ kī marammat nahīṅ huī.7Tab us ne Yahoyadā aur bāqīimāmoṅ ko bulā kar pūchhā, “ĀpRab ke ghar kī marammat kyoṅnahīṅ karā rahe? Ab se āp ko inpaisoṅ se āp kī apnī zarūriyāt pūrīkarne kī ijāzat nahīṅ balki tamāmpaise Rab ke ghar kī marammat kelie istemāl karne haiṅ.”

8Imām mān gae ki ab se hamlogoṅ se hadiyā nahīṅ leṅge aur kiis ke badle hameṅ Rab ke ghar kīmarammat nahīṅ karwānī paṛegī.9Phir Yahoyadā Imāmne ek sandūqle kar us ke ḍhakne meṅ sūrākhbanā diyā. Is sandūq ko us nequrbāngāh ke pās rakh diyā, usdarwāze ke dahnī taraf jis meṅse parastār Rab ke ghar ke sahanmeṅ dākhil hote the. Jab logapne hadiyājāt Rab ke ghar meṅpesh karte to darwāze kī pahrādārīkarne wāle imām tamām paisoṅko sandūq meṅ ḍāl dete. 10Jabkabhī patā chaltā ki sandūq bhargayā hai to bādshāh kā mīrmunshīaur imām‐e‐āzam āte aur tamām

aDekhie Khurūj 30:11‐16.

Page 352: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

346 2 Salātīn 12:20

paise gin kar thailiyoṅmeṅḍāl detethe. 11Phir yih gine hue paise unṭhekedāroṅ ko die jāte jin ke sapurdRab ke ghar kī marammat kā kāmkiyā gayā thā. In paisoṅ se wuhmarammat karnewāle kārīgaroṅ kīujrat adā karte the. In meṅ baṛhaī,imārat par kām karne wāle, 12rājaur patthar tarāshne wāle shāmilthe. Is ke alāwā unhoṅ ne yih paisedarāṛoṅ kī marammat ke lie darkārlakaṛī aur tarāshe hue pattharoṅke lie bhī istemāl kie. Bāqī jitneakhrājāt Rab ke ghar ko bahālkarne ke lie zarūrī the wuh sab inpaisoṅ se pūre kie gae. 13Lekinin hadiyājāt se sone yā chāṅdī kīchīzeṅ na banwāī gaīṅ, na chāṅdīke bāsan, battī katarne ke auzār,chhiṛkāw ke kaṭore yā turam. 14Yihsirf aur sirf ṭhekedāroṅ ko die gaetāki wuh Rab ke ghar kī marammatkar sakeṅ. 15Ṭhekedāroṅ se hisābna liyā gayā jab unheṅ kārīgaroṅ kopaise dene the, kyoṅki wuh qābil‐e‐etamād the.

16Mahz wuh paise jo qusūr aurgunāh kī qurbāniyoṅ ke lie miltethe Rab ke ghar kīmarammat ke lieistemāl na hue. Wuh imāmoṅ kāhissā rahe.

Kharāj Milne par Hazāel Yarū‐shalam ko Chhoṛtā Hai

17Un dinoṅ meṅ Shām ke bādshāhHazāel ne Jāt par hamlā karke uspar qabzā kar liyā. Is ke bādwuh muṛ kar Yarūshalam kī tarafbaṛhne lagā tāki us par bhī hamlākare. 18Yih dekh kar Yahūdāhke bādshāh Yuās ne un tamāmhadiyājāt ko ikaṭṭhā kiyā jo us kebāpdādā Yahūsafat, Yahūrām aurAkhaziyāh ne Rab ke ghar ke liemakhsūs kie the. Us ne wuh bhījamā kie jo us ne khud Rab keghar ke lie makhsūs kie the. Yihchīzeṅ us sāre sone ke sāth milākar jo Rab ke ghar aur shāhī mahalke khazānoṅ meṅ thā us ne sabkuchh Hazāel ko bhej diyā. TabHazāel Yarūshalam ko chhoṛ karchalā gayā.

Yuās kī Maut19Bāqī jo kuchh Yuās kī hukūmatke daurān huā aur jo kuchh us nekiyā us kā zikr ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh’kī kitāb meṅ kiyā gayā hai. 20Ekdin us ke afsaroṅ ne us ke khilāfsāzish karke use qatl kar diyā jabwuh Bait‐millo ke pās us rāstepar thā jo Sillā kī taraf utar jātā

Page 353: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 12:21 347

thā. 21Qātiloṅ ke nām Yūzabad binSim’āt aur Yahūzabad bin Shūmīrthe. Yuās ko Yarūshalam ke ushisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’kahlātā hai khāndānī qabr meṅdafnāyā gayā. Phir us kā beṭāAmasiyāh takhtnashīn huā.

Isrāīl kā Bādshāh Yahuākhaz

13 Yahuākhaz bin YāhūYahūdāh ke bādshāh Yuās

bin Akhaziyāh kī hukūmat ke23weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāhbanā. Us kī hukūmat kā daurāniyā17 sāl thā, aur us kā dārul‐hukūmatSāmariya rahā. 2Us kā chāl‐chalanRab ko nāpasand thā, kyoṅki wuhbhī Yarubiyām bin Nabāt ke burenamūne par chaltā rahā. Us newuh gunāh jārī rakhe jo karne parYarubiyām ne Isrāīl ko uksāyā thā.Us butparastī se wuh kabhī bāzna āyā. 3Is wajah se Rab Isrāīl sebahut nārāz huā, aur wuh Shām kebādshāh Hazāel aur us ke beṭe Bin‐hadad ke wasīle se unheṅ bār bārdabātā rahā.

4Lekin phir Yahuākhaz ne Rabkā ġhazab ṭhanḍā kiyā, aur Rab neus kī minnateṅ sunīṅ, kyoṅki usemālūm thā ki Shām kā bādshāh

Isrāīl par kitnā zulm kar rahāhai. 5Rab ne kisī ko bhej diyā jisne unheṅ Shām ke zulm se āzādkarwāyā. Is ke bād wuh pahle kītarah sukūn ke sāth apne gharoṅmeṅ rah sakte the. 6To bhī wuh ungunāhoṅ se bāz na āe jo karne parYarubiyām ne unheṅ uksāyā thābalki un kī yih butparastī jārī rahī.Yasīrat Dewī kā but bhī Sāmariya sehaṭāyā na gayā.

7Ākhir meṅ Yahuākhaz ke sirf50 ghuṛsawār, 10 rath aur 10,000piyādā sipāhī rah gae. Fauj kā bāqīhissā Shām ke bādshāh ne tabāhkar diyā thā. Us ne Isrāīlī faujiyoṅko kuchal kar yoṅ uṛā diyā thā jistarah dhūl anāj ko gāhtewaqt uṛ jātīhai.

8Bāqī jo kuchh Yahuākhaz kīhukūmat ke daurān huā, jo kuchhus ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ usehāsil huīṅ wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kīTārīkh’ kī kitāb meṅ bayān kī gaīhaiṅ. 9Jab wuh mar kar apnebāpdādā se jā milā to use Sāmariyameṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭāYahuās takhtnashīn huā.

Page 354: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

348 2 Salātīn 13:19

Isrāīl kā Bādshāh Yahuās10Yahuās bin Yahuākhaz Yahūdāhke bādshāh Yuās kī hukūmat ke37weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāhbanā. 11Yahuās kā chāl‐chalanRab ko nāpasand thā. Wuh ungunāhoṅ se bāz na āyā jo karne parYarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl kouksāyā thā balki yih butparastī jārīrahī. 12Bāqī jo kuchh Yahuās kīhukūmat ke daurān huā, jo kuchhus ne kiyā aur jo kāmyābiyāṅ usehāsil huīṅ wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kīTārīkh’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. Usmeṅ us kī Yahūdāh ke bādshāhAmasiyāh ke sāth jang kā zikr bhīhai.

13Jab Yahuās mar kar apnebāpdādā se jā milā to use Sāmariyameṅ shāhī qabr meṅ dafnāyā gayā.Phir Yarubiyām Duwum takht parbaiṭh gayā.

Bistar‐e‐Marg par Yahuās kīIlīshā se Mulāqāt

14Yahuās ke daur‐e‐hukūmat meṅIlīshā shadīd bīmār ho gayā. Jabwuh marne ko thā to Isrāīl kābādshāh Yahuās us se milne gayā.Us ke ūpar jhuk kar wuh khūbro paṛā aur chillāyā, “Hāy, mere

bāp, mere bāp. Isrāīl ke rathaur us ke ghoṛe!” 15Ilīshā ne usehukm diyā, “Ek kamān aur kuchhtīr le āeṅ.” Bādshāh kamān aur tīrIlīshā ke pās le āyā. 16Phir Ilīshābolā, “Kamān ko pakaṛeṅ.” Jabbādshāh ne kamān ko pakaṛ liyā toIlīshā ne apne hāth us ke hāthoṅpar rakh die. 17Phir us ne hukmdiyā, “Mashriqī khiṛkī ko khol deṅ.”Bādshāh ne use khol diyā. Ilīshā nekahā, “Tīr chalāeṅ!” Bādshāh ne tīrchalāyā. Ilīshā pukārā, “Yih Rab kāfatah dilāne wālā tīr hai, Shām parfatah kā tīr! Āp Afīq ke pās Shām kīfauj ko mukammal taur par tabāhkar deṅge.”

18Phir us ne bādshāh ko hukmdiyā, “Ab bāqī tīroṅ ko pakaṛeṅ.”Bādshāh ne unheṅ pakaṛ liyā. PhirIlīshā bolā, “In ko zamīnpar paṭakhdeṅ.” Bādshāh ne tīnmartabā tīroṅko zamīn par paṭakh diyā aur phirruk gayā. 19Yih dekh kar mard‐e‐Khudā ġhusse ho gayā aur bolā, “Āpko tīroṅ ko pāṅch yā chhihmartabāzamīn par paṭakhnā chāhie thā.Agar aisā karte to Shām kī fauj koshikast de kar mukammal taur partabāh kar dete. Lekin ab āp use sirftīn martabā shikast deṅge.”

Page 355: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 13:20 349

20Thoṛī der ke bād Ilīshā fauthuā aur use dafn kiyā gayā. Undinoṅ meṅ Moābī luṭere har sālmausam‐e‐bahār ke daurān mulkmeṅ ghus āte the. 21Ek din kisī kājanāzā ho rahā thā to achānak yihluṭere nazar āe. Mātam karne wālelāsh ko qarīb kī Ilīshā kī qabr meṅphaiṅk kar bhāg gae. Lekin jyoṅ hīlāsh Ilīshā kī haḍḍiyoṅ se ṭakrāī usmeṅ jān ā gaī aur wuh ādmī khaṛāho gayā.

Ilīshā ke Ākhirī Alfāz PūreHo Jāte Haiṅ

22Yahuākhaz ke jīte‐jī Shām kābādshāh Hazāel Isrāīl ko dabātārahā. 23To bhī Rab ko apnī qaumpar tars āyā. Us ne un par rahmkiyā, kyoṅki use wuh ahd yād rahājo us ne Ibrāhīm, Is’hāq aur Yāqūbse bāndhā thā. Āj tak wuh unheṅtabāhkarne yā apnehuzūr se khārijkarne ke lie taiyār nahīṅ huā.

24Jab Shām kā bādshāh Hazāelfaut huā to us kā beṭā Bin‐hadadtakhtnashīn huā. 25Tab Yahuās binYahuākhaz ne Bin‐hadad se wuhIsrāīlī shahr dubārā chhīn lie jinpar Bin‐hadad ke bāp Hazāel neqabzā kar liyā thā. Tīn bār Yahuās

ne Bin‐hadad ko shikast de karIsrāīlī shahr wāpas le lie.

Yahūdāh kā Bādshāh Amasiyāh

14 Amasiyāh bin Yuās Isrāīlke bādshāh Yahuās bin

Yahuākhaz ke dūsre sāl meṅYahūdāh kā bādshāh banā. 2Uswaqt wuh 25 sāl kā thā. WuhYarūshalam meṅ rah kar 29 sālhukūmat kartā rahā. Us kī māṅYahuaddān Yarūshalam kī rahnewālī thī. 3Jo kuchh Amasiyāhne kiyā wuh Rab ko pasand thā,agarche wuh utnī wafādārī se Rabkī pairawīnahīṅkartā thā jitnī us kebāp Dāūd ne kī thī. Har kām meṅwuh apne bāp Yuās ke namūne parchalā, 4lekinusnebhī ūṅchī jaghoṅkemandiroṅkodūrnakiyā. Ām logab tak wahāṅ qurbāniyāṅ chaṛhāteaur bakhūr jalāte rahe.

5Jyoṅ hī Amasiyāh ke pāṅwmazbūtī se jam gae us ne unafsaroṅko sazā‐e‐maut dī jinhoṅnebāp ko qatl kar diyā thā. 6Lekin unke beṭoṅ ko us ne zindā rahne diyāaur yoṅ Mūswī sharīat ke tābe rahājis meṅ Rab farmātā hai, “Wālidainko un ke bachchoṅ ke jarāym kesabab se sazā‐e‐maut na dī jāe, na

Page 356: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

350 2 Salātīn 14:15

bachchoṅ ko un ke wālidain kejarāym ke sabab se. Agar kisī kosazā‐e‐maut denī ho to us gunāh kesabab se jo us ne khud kiyā hai.”

7Amasiyāh ne Adomiyoṅ koNamak kī Wādī meṅ shikast dī. Uswaqt un ke 10,000 faujī us se laṛneāe the. Jang ke daurān us ne SilāShahr par qabzā kar liyā aur us kānām Yuqtiyel rakhā. Yih nām āj takrāyj hai.

Amasiyāh Isrāīl ke BādshāhYahuās se Laṛtā Hai

8Is fatah ke bād Amasiyāh ne Isrāīlke bādshāh Yahuās bin Yahuākhazko paiġhām bhejā, “Āeṅ, ham ekdūsre kā muqābalā kareṅ!” 9LekinIsrāīl ke bādshāh Yahuās ne jawābdiyā, “Lubnān meṅ ek kāṅṭedārjhāṛī ne deodār ke ek darakht sebāt kī, ‘Mere beṭe ke sāth apnī beṭīkā rishtā bāndho.’ Lekin usī waqtLubnān ke janglī jānwaroṅ ne uske ūpar se guzar kar use pāṅwoṅtale kuchal ḍālā. 10Mulk‐e‐Adompar fatah pāne ke sabab se āp kā dilmaġhrūr ho gayā hai. Lekin merāmashwarā hai ki āp apne ghar meṅrah kar fatahmeṅ hāsil huī shohratkā mazā lene par iktifā kareṅ. Āp

aisī musībat ko kyoṅ dāwat detehaiṅ jo āp aur Yahūdāh kī tabāhī kābāis ban jāe?”

11Lekin Amasiyāh mānane ke lietaiyār nahīṅ thā, is lie Yahuās apnīfauj le kar Yahūdāh par chaṛh āyā.Bait‐shams ke pās us kā Yahūdāhke bādshāh ke sāth muqābalā huā.12Isrāīl kī fauj ne Yahūdāh kī faujko shikast dī, aur har ek apne apneghar bhāg gayā. 13Isrāīl ke bādshāhYahuās ne Yahūdāh ke bādshāhAmasiyāh bin Yuās bin Akhaziyāhko wahīṅ Bait‐shams meṅ giriftārkar liyā. Phir wuh Yarūshalamgayā aur shahr kī fasīl Ifrāīm nāmīdarwāze se Kone ke Darwāze takgirā dī. Is hisse kī lambāī taqrīban600 fuṭ thī. 14Jitnā bhī sonā, chāṅdīaur qīmtī sāmān Rab ke ghar aurshāhī mahal ke khazānoṅ meṅ thāuse us ne pūre kā pūrā chhīn liyā.Lūṭā huā māl aur bāz yarġhamāloṅko le kar wuh Sāmariya wāpaschalā gayā.

Isrāīl ke Bādshāh Yahuās kī Maut15Bāqī jo kuchh Yahuās kī hukūmatke daurān huā, jo kuchh us ne kiyāaur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅwuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī

Page 357: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 14:16 351

kitāb meṅ darj haiṅ. Us meṅ uskī Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāhke sāth jang kā zikr bhī hai. 16JabYahuās mar kar apne bāpdādā sejā milā to use Sāmariya meṅ Isrāīlke bādshāhoṅ kī qabr meṅ dafnāyāgayā. Phir us kā beṭā YarubiyāmDuwum takhtnashīn huā.

Yahūdāh ke BādshāhAmasiyāh kī Maut

17Isrāīl ke bādshāh Yahuās binYahuākhaz kīmaut ke bād Yahūdāhkā bādshāh Amasiyāh bin Yuāsmazīd 15 sāl jītā rahā. 18Bāqījo kuchh Amasiyāh kī hukūmatke daurān huā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitāb meṅdarj hai. 19Ek din log Yarūshalammeṅ us ke khilāf sāzish karnelage. Ākhirkār us ne farār ho karLakīs meṅ panāh lī, lekin sāzishkarne wāloṅ ne apne logoṅ ko uske pīchhe bhejā, aur wuh wahāṅuse qatl karne meṅ kāmyāb hogae. 20Us kī lāsh ghoṛe par uṭhākar Yarūshalam lāī gaī jahāṅ useshahr ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā

Shahr’ kahlātā hai khāndānī qabrmeṅ dafnāyā gayā.

21Yahūdāh ke tamām logoṅ neAmasiyāh ke beṭe Uzziyāha ko bāpke takht par biṭhā diyā. Us kī umr16 sāl thī 22jab us kā bāp mar karapne bāpdādā se jā milā. Bādshāhbanane ke bād Uzziyāh ne AilātShahr par qabzā karke use dubārāYahūdāh kā hissā banā liyā. Usne shahr meṅ bahut tāmīrī kāmkarwāyā.

Isrāīl kā Bādshāh YarubiyāmDuwum

23Yahūdāh ke bādshāh Amasiyāhbin Yuās ke 15weṅ sāl meṅYarubiyām bin Yahuās Isrāīl kābādshāh banā. Us kī hukūmatkā daurāniyā 41 sāl thā, aurus kā dārul‐hukūmat Sāmariyarahā. 24Us kā chāl‐chalan Rab konāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ sebāz na āyā jo karne par Nabāt kebeṭe Yarubiyām Awwal ne Isrāīl kouksāyā thā. 25Yarubiyām DuwumLabo‐hamāt se le kar Bahīrā‐e‐Murdār tak un tamām ilāqoṅ pardubārā qabzā kar sakā jo pahle

aYahāṅ kaī jaghoṅ par Ibrānī meṅ Uzziyāhkā dūsrā nām Azariyāh mustāmal hai.

Page 358: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

352 2 Salātīn 15:7

Isrāīl ke the. Yoṅ wuh wādā pūrāhuā jo Rab Isrāīl ke Khudā ne apnekhādim Jāt‐hifar ke rahne wālenabī Yūnus bin Amittī kī mārifatkiyā thā. 26Kyoṅki Rab ne Isrāīl kīnihāyat burī hālat par dhyān diyāthā. Use mālūm thā ki chhoṭe baṛesab halāk hone wāle haiṅ aur kiunheṅ chhuṛāne wālā koī nahīṅhai. 27Rab ne kabhī nahīṅ kahāthā ki maiṅ Isrāīl qaum kā nām‐o‐nishān miṭā dūṅgā, is lie us neunheṅ Yarubiyām bin Yahuās kewasīle se najāt dilāī.

28Bāqī jo kuchh YarubiyāmDuwum kī hukūmat ke daurānhuā, jo kuchh us ne kiyā aur jojangī kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ unkā zikr ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’kī kitāb meṅ huā hai. Us meṅyih bhī bayān kiyā gayā hai ki usne kis tarah Damishq aur Hamātpar dubārā qabzā kar liyā. 29JabYarubiyām mar kar apne bāpdādāse jā milā to use Sāmariya meṅbādshāhoṅ kī qabr meṅ dafnāyāgayā. Phir us kā beṭā Zakariyāhtakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Uzziyāh

15 Uzziyāh bin AmasiyāhIsrāīl ke bādshāh

Yarubiyām Duwum kī hukūmatke 27weṅ sāl meṅ Yahūdāh kābādshāh banā. 2Us waqt us kī umr16 sāl thī, aurwuhYarūshalammeṅrah kar 52 sāl hukūmat kartā rahā.Us kī māṅ Yakūliyāh Yarūshalamkī rahne wālī thī. 3Apne bāpAmasiyāh kī tarah us kā chāl‐chalan Rab ko pasand thā, 4lekinūṅchī jaghoṅ ko dūr na kiyā gayā,aur ām log wahāṅ apnī qurbāniyāṅchaṛhāte aur bakhūr jalāte rahe.

5Ek din Rab ne bādshāh ko sazādī ki use koṛh lag gayā. Uzziyāhjīte‐jī is bīmārī se shifā na pā sakā,aur use alāhidā ghar meṅ rahnāpaṛā. Us ke beṭe Yūtām ko mahalpar muqarrar kiyā gayā, aur wuhīummat par hukūmat karne lagā.

6Bāqī jo kuchh Uzziyāh kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitābmeṅ darj hai. 7Jab wuh markar apne bāpdādā se jā milā touse Yarūshalam ke us hisse meṅjo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā haikhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā.

Page 359: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 15:8 353

Phir us kā beṭā Yūtām takhtnashīnhuā.

Isrāīl kā Bādshāh Zakariyāh8ZakariyāhbinYarubiyāmYahūdāhke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke38weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāhbanā. Us kā dārul‐hukūmat bhīSāmariya thā, lekin chhih māhke bād us kī hukūmat khatmho gaī. 9Apne bāpdādā kī tarahZakariyāh kā chāl‐chalan bhīRab ko nāpasand thā. Wuh ungunāhoṅ se bāz na āyā jo karne parYarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl kouksāyā thā. 10Sallūm bin Yabīs neus ke khilāf sāzish karke use sabke sāmne qatl kiyā. Phir wuh us kījagah bādshāh ban gayā.

11Bāqī jo kuchh Zakariyāh kīhukūmat ke daurān huā us kā zikr‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitābmeṅ kiyā gayā hai.

12Yoṅ Rab kā wuh wādā pūrā huājo us ne Yāhū se kiyā thā, “Terīaulād chauthī pusht tak Isrāīl parhukūmat kartī rahegī.”

Isrāīl kā Bādshāh Sallūm13Sallūm bin Yabīs Yahūdāh kebādshāh Uzziyāh ke 39weṅ sāl meṅ

Isrāīl kā bādshāh banā. WuhSāmariya meṅ rah kar sirf ek māhtak takht par baiṭh sakā. 14PhirManāhim bin Jādī ne Tirzā se ā karSallūm ko Sāmariya meṅ qatl kardiyā. Is ke bād wuh khud takht parbaiṭh gayā.

15Bāqī jo kuchh Sallūm kīhukūmat ke daurān huā aur josāzisheṅ us ne kīṅ wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitāb meṅ bayānkiyā gayā hai.

16Us waqt Manāhim ne Tirzā se ākar shahr Tifsah ko us ke tamāmbāshindoṅ aur gird‐o‐nawāh keilāqe samet tabāh kiyā. Wajahyih thī ki us ke bāshinde apnedarwāzoṅ ko khol kar us ke tābe hojāne ke lie taiyār nahīṅ the. Jawābmeṅ Manāhim ne un ko mārā aurtamām hāmilā auratoṅ ke peṭ chīrḍāle.

Isrāīl kā BādshāhManāhim17Manāhim bin Jādī Yahūdāh kebādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke39weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāhbanā. Sāmariya us kā dārul‐hukūmat thā, aur us kī hukūmat kādaurāniyā 10 sāl thā. 18Us kā chāl‐chalan Rab ko nāpasand thā, aur

Page 360: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

354 2 Salātīn 15:29

wuh zindagī‐bhar un gunāhoṅ sebāz na āyā jo karne par Yarubiyāmbin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā.

19‐20Manāhim ke daur‐e‐hukūmat meṅ Asūr kā bādshāhPūl yānī Tiglat‐pilesar mulk selaṛne āyā. Manāhim ne use 34,000kilogrām chāṅdī de dī tāki wuhus kī hukūmat mazbūt karne meṅmadad kare. Tab Asūr kā bādshāhIsrāīl ko chhoṛ kar apne mulkwāpas chalā gayā. Chāṅdī ke yihpaise Manāhim ne amīr Isrāīliyoṅse jamā kie. Har ek ko chāṅdī ke 50sikke adā karne paṛe.

21Bāqī jo kuchh Manāhim kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitāb meṅdarj hai. 22Jab wuh mar kar apnebāpdādā se jā milā to us kā beṭāFiqahiyāh takht par baiṭh gayā.

Isrāīl kā Bādshāh Fiqahiyāh23Fiqahiyāh bin Manāhim Yahūdāhke bādshāh Uzziyāh ke 50weṅsāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā.Sāmariya meṅ rah kar us kīhukūmat kā daurāniyā do sāl thā.24Fiqahiyāh kā chāl‐chalan Rab konāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se

bāz na āyā jo karne par Yarubiyāmbin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā.

25Ek din fauj ke ālā afsar Fiqahbin Ramaliyāh ne us ke khilāfsāzish kī. Jiliyād ke 50 ādmiyoṅ koapne sāth le kar us ne Fiqahiyāhko Sāmariya ke mahal ke burj meṅmār ḍālā. Us waqt do aur afsarbanāmArjūb aurAriyā bhī us kī zadmeṅ ā kar mar gae. Is ke bād Fiqahtakht par baiṭh gayā.

26Bāqī jo kuchh Fiqahiyāh kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitāb meṅ bayānkiyā gayā hai.

Isrāīl kā Bādshāh Fiqah27Fiqah bin Ramaliyāh Yahūdāh kebādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke52weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāhbanā. Sāmariya meṅ rah kar wuh20 sāl tak hukūmat kartā rahā.28Fiqah kā chāl‐chalan Rab konāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ sebāz na āyā jo karne par Yarubiyāmbin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā.

29Fiqah ke daur‐e‐hukūmat meṅAsūr ke bādshāh Tiglat‐pilesar neIsrāīl par hamlā kiyā. Zail ketamām shahr us ke qabze meṅ

Page 361: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 15:30 355

ā gae: Aiyyūn, Abīl‐bait‐mākā,Yānūh, Qādis aur Hasūr. Jiliyād aurGalīl ke ilāqe bhī Naftālī ke pūreqabāylī ilāqe samet us kī girift meṅā gae. Asūr kā bādshāh in tamāmjaghoṅ meṅ ābād logoṅ ko giriftārkarke apne mulk Asūr le gayā.

30Ek din Hosea bin Ailā ne Fiqahke khilāf sāzish karke use maut keghāṭ utār diyā. Phir wuh khudtakht par baiṭh gayā. Yih Yahūdāhke bādshāh Yūtām bin Uzziyāh kīhukūmat ke 20weṅ sāl meṅ huā.

31Bāqī jo kuchh Fiqah kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitāb meṅ darjhai.

Yahūdāh kā Bādshāh Yūtām32Uzziyāh kā beṭā Yūtām Isrāīl kebādshāhFiqahkī hukūmat kedūsresāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā.33Wuh 25 sāl kī umr meṅ bādshāhbanā aur Yarūshalam meṅ rah kar16 sāl hukūmat kartā rahā. Uskī māṅ Yarūsā bint Sadoq thī.34Wuh apne bāp Uzziyāh kī tarahwuh kuchh kartā rahā jo Rab kopasand thā. 35To bhī ūṅchī jaghoṅke mandir haṭāe na gae. Log

wahāṅ apnī qurbāniyāṅ chaṛhāneaur bakhūr jalāne se bāz na āe.Yūtām ne Rab ke ghar kā BālāīDarwāzā tāmīr kiyā.

36Bāqī jo kuchh Yūtām kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitāb meṅqalamband hai. 37Un dinoṅ meṅRab Shām ke bādshāh Razīn aurFiqah bin Ramaliyāh ko Yahūdāhke khilāf bhejne lagā tāki usse laṛeṅ. 38Jab Yūtām mar karapne bāpdādā se jā milā to useYarūshalam ke us hisse meṅjo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā haikhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā.Phir us kā beṭā Ākhaz takht parbaiṭh gayā.

Yahūdāh kā Bādshāh Ākhaz

16 Ākhaz bin Yūtām Isrāīlke bādshāh Fiqah bin

Ramaliyāh kī hukūmat ke 17weṅsāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā.2Us waqt Ākhaz 20 sāl kā thā, aurwuh Yarūshalam meṅ rah kar 16sāl hukūmat kartā rahā. Wuh apnebāp Dāūd ke namūne par na chalābalki wuh kuchh kartā rahā jo Rabko nāpasand thā. 3Kyoṅki us ne

Page 362: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

356 2 Salātīn 16:12

Isrāīl ke bādshāhoṅ kā chāl‐chalanapnāyā, yahāṅ tak ki us ne apnebeṭe ko qurbānī ke taur par jalādiyā. Yoṅ wuh un qaumoṅ keghinaune rasm‐o‐riwāj adā karnelagā jinheṅ Rab ne Isrāīliyoṅ keāge mulk se nikāl diyā thā. 4Ākhazbakhūr jalā kar apnī qurbāniyāṅūṅche maqāmoṅ, pahāṛiyoṅ kīchoṭiyoṅ aur har ghane darakht kesāy meṅ chaṛhātā thā.

Ākhaz Asūr ke Bādshāhse Madad Letā Hai

5Ek din Shām kā bādshāh Razīnaur Isrāīl kā bādshāh Fiqah binRamaliyāh Yarūshalam par hamlākarne ke lie Yahūdāh meṅ ghusāe. Unhoṅ ne shahr kā muhāsarāto kiyā lekin us par qabzā karnemeṅ nākām rahe. 6Unhīṅ dinoṅmeṅ Razīn ne Ailāt par dubārāqabzā karke Shām kā hissā banāliyā. Yahūdāh ke logoṅ kowahāṅ senikāl kar us newahāṅAdomiyoṅ kobasā diyā. Yih Adomī āj tak wahāṅābād haiṅ.

7Ākhaz ne apne qāsidoṅ ko Asūrke bādshāh Tiglat‐pilesar ke pāsbhej kar use ittalā dī, “Maiṅ āp kākhādim aur beṭā hūṅ. Mehrbānī

karke āeṅ aur mujhe Shām aurIsrāīl ke bādshāhoṅ se bachāeṅ jomujh par hamlā kar rahe haiṅ.”8Sāth sāth Ākhaz ne wuh chāṅdīaur sonā jamā kiyā jo Rab ke gharaur shāhī mahal ke khazānoṅ meṅthā aur use tohfe ke taur par Asūrke bādshāh ko bhej diyā. 9Tiglat‐pilesar rāzī ho gayā. Us neDamishqpar hamlā karke shahr par qabzākar liyā aur us ke bāshindoṅ kogiriftār karke Qīr ko le gayā. Razīnko us ne qatl kar diyā.

Ākhaz Rab ke Ghar kīBehurmatī Kartā Hai

10Ākhaz Bādshāh Asūr ke bādshāhTiglat‐pilesar se milne ke lieDamishq gayā. Wahāṅ ekqurbāngāh thī jis kā namūnāĀkhazne banā kar Ūriyāh Imām ko bhejdiyā. Sāth sāth us ne ḍizāyn kītamām tafsīlāt bhī Yarūshalambhej dīṅ. 11Jab Ūriyāh ko hidāyātmilīṅ to us ne unhīṅ ke mutābiqYarūshalam meṅ ek qurbāngāhbanāī. Ākhaz ke Damishq se wāpasāne se pahle pahle use taiyār karliyā gayā.

12Jab bādshāh wāpas āyā to usne naī qurbāngāh kā muāynā kiyā.

Page 363: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 16:13 357

Phir us kī sīṛhī par chaṛh kar 13usne khud qurbāniyāṅ us par peshkīṅ. Bhasm hone wālī qurbānī aurġhallā kī nazar jalā kar us ne mai kīnazar qurbāngāh par unḍel dī aursalāmatī kī qurbāniyoṅ kā khūn uspar chhiṛak diyā.

14Rab ke ghar aur naī qurbāngāhke darmiyān ab tak pītal kī purānīqurbāngāh thī. Ab Ākhaz ne useuṭhā kar Rab ke ghar ke sāmne semuntaqil karke naī qurbāngāh kepīchhe yānī shimāl kī taraf rakhwādiyā. 15Ūriyāh Imām ko us nehukm diyā, “Ab se āp ko tamāmqurbāniyoṅ ko naī qurbāngāh parpesh karnā hai. In meṅ subh‐o‐shām kī rozānā qurbāniyāṅ bhīshāmil haiṅ aur bādshāh aurummat kī mukhtalif qurbāniyāṅbhī, masalan bhasm hone wālīqurbāniyāṅ aur ġhallā aur mai kīnazareṅ. Qurbāniyoṅ ke tamāmkhūn ko bhī sirf naī qurbāngāhpar chhiṛaknā hai. Āindā pītal kīpurānī qurbāngāh sirf mere zātīistemāl ke lie hogī jab mujhe Allāhse kuchh dariyāft karnā hogā.”16Ūriyāh Imām ne waisā hī kiyājaisā bādshāh ne use hukm diyā.

17Lekin Ākhaz Bādshāh Rab keghar meṅ mazīd tabdīliyāṅ bhī

lāyā. Hathgāṛiyoṅ ke jin fremoṅpar bāsan rakhe jāte the unheṅ toṛkar us ne bāsanoṅ ko dūr kar diyā.Is ke alāwā us ne ‘Samundar’ nāmībaṛe hauz ko pītal ke un bailoṅ seutār diyā jin par wuh shurū se paṛāthā aur use patthar ke ek chabūtarepar rakhwā diyā. 18Us ne Asūr kebādshāh ko khush rakhne ke lie ekaur kām bhī kiyā. Us ne Rab keghar se wuh chabūtarā dūr kar diyājis par bādshāh kā takht rakhā jātāthā aur wuh darwāzā band kar diyājo bādshāh Rab ke ghar meṅ dākhilhone ke lie istemāl kartā thā.

19Bāqī jo kuchh Ākhaz kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitābmeṅ darj hai. 20Jab wuh markar apne bāpdādā se jā milāto use Yarūshalam ke us hissemeṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātāhai khāndānī qabr meṅ dafnāyāgayā. Phir us kā beṭā Hizqiyāhtakhtnashīn huā.

Isrāīl kā Ākhirī Bādshāh Hosea

17 Hosea bin Ailā Yahūdāhke bādshāh Ākhaz kī

hukūmat ke 12weṅ sāl meṅ Isrāīl

Page 364: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

358 2 Salātīn 17:12

kā bādshāh banā. Sāmariya uskā dārul‐hukūmat rahā, aur uskī hukūmat kā daurāniyā 9 sālthā. 2Hosea kā chāl‐chalan Rabko nāpasand thā, lekin Isrāīl ke unbādshāhoṅ kī nisbat jo us se pahlethe wuh kuchh behtar thā.

3Ek din Asūr ke bādshāhSalmanasar ne Isrāīl par hamlākiyā. Tab Hosea shikast mān kar uske tābe ho gayā. Use Asūr ko kharājadā karnā paṛā. 4Lekin chand sālke bād wuh sarkash ho gayā. Us nekharāj kā sālānā silsilā band karkeapne safīroṅ koMisr ke bādshāh soke pās bhejā tāki us se madad hāsilkare. Jab Asūr ke bādshāh ko patāchalā to us ne use pakaṛ kar jelmeṅḍāl diyā.

Sāmariya kā Anjām5Salmanasar pūre mulk meṅ seguzar kar Sāmariya tak pahuṅchgayā. Tīn sāl tak use shahrkā muhāsarā karnā paṛā, 6lekinākhirkār wuh Hosea kī hukūmatke naweṅ sāl meṅ kāmyāb huā aurshahr par qabzā karke Isrāīliyoṅ kojilāwatan kar diyā. Unheṅ Asūr lākar us ne kuchh Khalah ke ilāqemeṅ, kuchh Jauzān ke Dariyā‐e‐

Khābūr ke kināre par aur kuchhMādiyoṅ ke shahroṅ meṅ basāe.

7Yih sab kuchh is lie huā kiIsrāīliyoṅ ne Rab apne Khudā kāgunāh kiyā thā, hālāṅki wuh unheṅMisrī bādshāh Firaun ke qabze serihā karke Misr se nikāl lāyā thā.Wuh dīgar mābūdoṅ kī pūjā karte8aur un qaumoṅ ke rasm‐o‐riwāj kīpairawī karte jin ko Rab ne un keāge se nikāl diyā thā. Sāth sāthwuh un rasmoṅ se bhī lipṭe rahejo Isrāīl ke bādshāhoṅ ne shurūkī thīṅ. 9Isrāīliyoṅ ko Rab apneKhudā ke khilāf bahut tarkībeṅsūjhīṅ jo ṭhīk nahīṅ thīṅ. Sab sechhoṭī chaukī se le kar baṛe se baṛeqilāband shahr tak unhoṅ ne apnetamām shahroṅ kī ūṅchī jaghoṅpar mandir banāe. 10Har pahāṛīkī choṭī par aur har ghane darakhtke sāy meṅ unhoṅ ne patthar keapne dewatāoṅ ke satūn aur YasīratDewī ke khambe khaṛe kie. 11Harūṅchī jagah par wuh bakhūr jalādete the, bilkul un aqwām kī tarahjinheṅ Rab ne un ke āge se nikāldiyā thā. Ġharz Isrāīliyoṅ se bahut‐sī aisī sharīr harkateṅ sarzad huīṅjin ko dekh kar Rab ko ġhussāāyā. 12Wuhbutoṅ kī parastish karte

Page 365: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 17:13 359

rahe agarcheRabne is semanākiyāthā.

13Bār bār Rab ne apne nabiyoṅaur ġhaibbīnoṅ ko Isrāīl aurYahūdāh ke pās bhejā thā tākiunheṅ āgāh kareṅ, “Apnī sharīrrāhoṅ se bāz āo. Mere ahkāmaur qawāyd ke tābe raho. Uspūrī sharīat kī pairawī karo jomaiṅ ne tumhāre bāpdādā ko apnekhādimoṅ yānī nabiyoṅ ke wasīlese de dī thī.”

14Lekin wuh sunane ke lie taiyārnahīṅ the balki apne bāpdādā kītarah aṛ gae. Kyoṅki wuh bhīRab apne Khudā par bharosā nahīṅkarte the. 15Unhoṅ ne us ke ahkāmaur us ahd ko radd kiyā jo us ne unke bāpdādā se bāndhā thā. Jab bhīus ne unheṅ kisī bāt se āgāh kiyāto unhoṅ ne use haqīr jānā. Bekārbutoṅ kī pairawī karte karte wuhkhud bekār ho gae. Wuh gird‐o‐nawāh kī qaumoṅ ke namūne parchal paṛe hālāṅki Rab ne is semanākiyā thā. 16Rab apne Khudā ketamām ahkām ko mustarad karkeunhoṅ ne apne lie bachhṛoṅ kedo mujassame ḍhāl lie aur YasīratDewī kā khambā khaṛā kar diyā.Wuh sūraj, chāṅd balki āsmān kepūre lashkar ke sāmne jhuk gae aur

Bāl Dewatā kī parastish karne lage.17Apne beṭe‐beṭiyoṅ ko unhoṅ neapne butoṅ ke lie qurbān karkejalā diyā. Nujūmiyoṅ se mashwarālenā aur jādūgarī karnā āmho gayā.Ġharz unhoṅ ne apne āp ko badī kehāth meṅ bech kar aisā kām kiyājo Rab ko nāpasand thā aur jo useġhussā dilātā rahā.

18Tab Rab kā ġhazab Isrāīl parnāzil huā, aur us ne unheṅ apnehuzūr se khārij kar diyā. SirfYahūdāh kā qabīlā mulk meṅ bāqīrah gayā.

19Lekin Yahūdāh ke afrād bhīRab apne Khudā ke ahkām ke tāberahne ke lie taiyār nahīṅ the. Wuhbhī un bure rasm‐o‐riwāj kī pairawīkarte rahe jo Isrāīl ne shurū kie the.20Phir Rab ne pūrī kī pūrī qaum koradd kar diyā. Unheṅ tang karkewuhunheṅ luṭeroṅ ke hawāle kartārahā, aur ek din us ne unheṅ bhīapne huzūr se khārij kar diyā.

21Rab ne khud Isrāīl ke shimālīqabīloṅ ko Dāūd ke gharāne sealag kar diyā thā, aur unhoṅ neYarubiyām bin Nabāt ko apnābādshāh banā liyā thā. LekinYarubiyām ne Isrāīl ko ek sangīngunāh karne par uksā kar Rabkī pairawī karne se dūr kie

Page 366: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

360 2 Salātīn 17:32

rakhā. 22Isrāīlī Yarubiyām ke burenamūne par chalte rahe aur kabhīis se bāz na āe.

23Yihī wajah hai ki jo kuchh Rabne apne khādimoṅ yānī nabiyoṅ kīmārifat farmāyā thā wuh pūrā huā.Us ne unheṅ apne huzūr se khārijkar diyā, aur dushman unheṅ qaidībanā kar Asūr le gayā jahāṅ wuh ājtak zindagī guzārte haiṅ.

Sāmariya meṅ Ajnabī Qaumoṅko Ābād Kiyā Jātā Hai

24Asūr ke bādshāh ne Bābal, Kūtā,Awwā, Hamāt aur Sifarwāym selogoṅ ko Isrāīl meṅ lā kar Sāmariyake Isrāīliyoṅ se khālī kie gaeshahroṅ meṅ basā diyā. Yih logSāmariya par qabzā karke us keshahroṅ meṅ basne lage. 25Lekināte waqt wuh Rab kī parastishnahīṅ karte the, is lie Rab ne unke darmiyān sherbabar bhej diejinhoṅ ne kaī ek ko phāṛ ḍālā.

26Asūr ke bādshāh ko ittalā dīgaī, “Jin logoṅ ko āp ne jilāwatankarke Sāmariya ke shahroṅ meṅbasā diyā hai wuh nahīṅ jānte ki usmulk kā dewatā kin kin bātoṅ kātaqāzā kartā hai. Natīje meṅ us neun ke darmiyān sherbabar bhej die

haiṅ jo unheṅ phāṛ rahe haiṅ. Aurwajah yihī hai ki wuh us kī sahīhpūjā karne se wāqif nahīṅ haiṅ.”27Yih sun kar Asūr ke bādshāh nehukm diyā, “Sāmariya se yahāṅ lāegae imāmoṅ meṅ se ek ko chunlo jo apne watan lauṭ kar wahāṅdubārā ābād ho jāe aur logoṅ kosikhāe ki us mulk kā dewatā apnīpūjā ke lie kin kin bātoṅ kā taqāzākartā hai.”

28Tab ek imām jilāwatanī sewāpas āyā. Baitel meṅ ābād ho karus ne nae bāshindoṅ ko sikhāyāki Rab kī munāsib ibādat kis tarahkī jātī hai. 29Lekin sāth sāth wuhapne zātī dewatāoṅ kī pūjā bhīkarte rahe. Shahr bashahr harqaumne apne apnebut banā kar untamām ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅmeṅ khaṛe kie jo Sāmariya kelogoṅ ne banā chhoṛe the. 30Bābalke bāshindoṅ ne Sukkāt‐banātke but, Kūtā ke logoṅ ne nairgalke mujassame, Hamāt wāloṅ neAsīmā ke but 31aur Awwā kelogoṅ ne Nibhāz aur Tartāq kemujassame khaṛe kie. Sifarwāymke bāshinde apne bachchoṅ koapne dewatāoṅ Adrammalik aurAnammalik ke lie qurbān karkejalā dete the. 32Ġharz sab Rab

Page 367: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 17:33 361

kī parastish ke sāth sāth apnedewatāoṅkī pūjā bhī karte aur apnelogoṅ meṅ se mukhtalif qism keafrād ko chun kar pujārī muqarrarkarte the tāki wuh ūṅchī jaghoṅ kemandiroṅ ko saṅbhāleṅ. 33WuhRab kī ibādat bhī karte aur sāthsāth apne dewatāoṅ kī un qaumoṅke riwājoṅ ke mutābiq ibādat bhīkarte the jin meṅ se unheṅ yahāṅlāyā gayā thā.

34Yih silsilā āj tak jārī hai.Sāmariya ke bāshinde apne unpurāne riwājoṅ ke mutābiq zindagīguzārte haiṅ aur sirf Rab kīparastish karne ke lie taiyār nahīṅhote. Wuh us kī hidāyāt aur ahkāmkī parwā nahīṅ karte aur us sharīatkī pairawī nahīṅ karte jo Rab neYāqūb kī aulād ko dī thī. (Rab neYāqūb kā nām Isrāīlmeṅ badal diyāthā.) 35KyoṅkiRabne Isrāīl kī qaumke sāth ahd bāndh kar use hukmdiyā thā,“Dūsre kisī bhī mābūd kī ibādat

mat karnā! Un ke sāmne jhuk karun kī khidmatmat karnā, na unheṅqurbāniyāṅ pesh karnā. 36Sirf Rabkī parastish karo jo baṛī qudrataur azīm kām dikhā kar tumheṅMisr se nikāl lāyā. Sirf usī kesāmne jhuk jāo, sirf usī ko apnī

qurbāniyāṅ pesh karo. 37Lāzim haiki tum dhyān se un tamām hidāyāt,ahkām aur qawāyd kī pairawī karojo maiṅ ne tumhāre lie qalambandkar die haiṅ. Kisī aur dewatākī pūjā mat karnā. 38Wuh ahdmat bhūlnā jo maiṅ ne tumhāresāth bāndh liyā hai, aur dīgarmābūdoṅ kī parastish na karo.39Sirf aur sirf Rab apne Khudākī ibādat karo. Wuhī tumheṅtumhāre tamām dushmanoṅ kehāth se bachā legā.”

40Lekin log yih sunane ke lietaiyār nahīṅ the balki apne purānerasm‐o‐riwāj ke sāth lipṭe rahe.41Chunāṅche Rab kī ibādat ke sāthhī Sāmariya ke nae bāshinde apnebutoṅ kī pūjā karte rahe. Āj tak unkī aulād yihī kuchh kartī āī hai.

Yahūdāh kā Bādshāh Hizqiyāh

18 Isrāīl ke bādshāh Hoseabin Ailā kī hukūmat ke

tīsre sāl meṅ Hizqiyāh bin ĀkhazYahūdāh kā bādshāh banā. 2Uswaqt us kī umr 25 sāl thī, aur wuhYarūshalam meṅ rah kar 29 sālhukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Abībint Zakariyāh thī. 3Apne bāpDāūdkī tarah us ne aisā kām kiyā jo Rab

Page 368: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

362 2 Salātīn 18:13

ko pasand thā. 4Us ne ūṅchī jaghoṅke mandiroṅ ko girā diyā, pattharke un satūnoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kardiyā jin kī pūjā kī jātī thī aur YasīratDewī ke khamboṅ ko kāṭ ḍālā. Pītalkā jo sāṅp Mūsā ne banāyā thāuse bhī bādshāh ne ṭukṛe ṭukṛe kardiyā, kyoṅki Isrāīlī un aiyām takus ke sāmne bakhūr jalāne āte the.(Sāṅp Nakhushtān kahlātā thā.)

5Hizqiyāh Rab Isrāīl ke Khudāpar bharosā rakhtā thā. Yahūdāhmeṅ na is se pahle aur na is kebād aisā bādshāh huā. 6Wuh Rabke sāth lipṭā rahā aur us kī pairawīkarne se kabhī bhī bāz na āyā. Wuhun ahkām par amal kartā rahā joRab ne Mūsā ko die the. 7Is lie Rabus ke sāth rahā. Jab bhī wuh kisīmaqsad ke lie niklā to use kāmyābīhāsil huī.Chunāṅche wuh Asūr kī

hukūmat se āzād ho gayā aur us ketābe na rahā. 8Filistiyoṅ ko us nesab se chhoṭī chaukī se le kar baṛese baṛe qilāband shahr tak shikastdī aur unheṅ mārte mārte ĠhazzāShahr aur us ke ilāqe tak pahuṅchgayā.

Asūrī Isrāīl par Qabzā Karte Haiṅ9Hizqiyāh kī hukūmat ke chauthesāl meṅ aur Isrāīl ke bādshāhHosea kī hukūmat ke sātweṅ sālmeṅ Asūr ke bādshāh Salmanasarne Isrāīl par hamlā kiyā. SāmariyaShahr kā muhāsarā karke 10wuhtīn sāl ke bād us par qabzā karnemeṅ kāmyāb huā. Yih Hizqiyāh kīhukūmat ke chhaṭe sāl aur Isrāīlke bādshāh Hosea kī hukūmat kenaweṅ sāl meṅ huā. 11Asūr kebādshāh ne Isrāīliyoṅ ko jilāwatankarke kuchh Khalah ke ilāqe meṅ,kuchh Jauzān ke Dariyā‐e‐Khābūrke kināre par aur kuchh Mādiyoṅke shahroṅ meṅ basāe.

12Yih sab kuchh is lie huā ki wuhRab apne Khudā ke tābe na rahebalki us ke un ke sāth bandhe hueahd ko toṛ kar un tamām ahkāmke farmāṅbardār na rahe jo Rab kekhādimMūsā ne unheṅ die the. Nawuh un kī sunte aur na un par amalkarte the.

Asūrī Yarūshalam kāMuhāsarāKarte Haiṅ

13Hizqiyāh Bādshāh kī hukūmat ke14weṅ sāl meṅ Asūr ke bādshāhSanherib ne Yahūdāh ke tamām

Page 369: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 18:14 363

qilāband shahroṅ par dhāwā bolkar un par qabzā kar liyā. 14JabAsūr kā bādshāh Lakīs ke ās‐pāspahuṅchā to Yahūdāh ke bādshāhHizqiyāh ne use ittalā dī, “Mujh seġhaltī huī hai. Mujhe chhoṛ deṅto jo kuchh bhī āp mujh se talabkareṅge maiṅ āp ko adā karūṅga.”Tab Sanherib ne Hizqiyāh se

chāṅdī ke taqrīban 10,000 kilogrāmaur sone ke taqrīban 1,000kilogrām māṅg liyā. 15Hizqiyāhne use wuh tamām chāṅdī de dījo Rab ke ghar aur shāhī mahal kekhazānoṅ meṅ paṛī thī. 16Sonekā taqāzā pūrā karne ke lie usne Rab ke ghar ke darwāzoṅaur chaukhaṭoṅ par lagā sonāutarwā kar use Asūr ke bādshāhko bhej diyā. Yih sonā us ne khuddarwāzoṅ aur chaukhaṭoṅ parchaṛhwāyā thā.

17Phir bhī Asūr kā bādshāhmutma’in na huā. Us ne apnesab se ālā afsaroṅ ko baṛī fauj kesāth Lakīs se Yarūshalam ko bhejā.(Un kī apnī zabān meṅ afsaroṅ keohdoṅ ke nām Tartān, Rab‐sārisaur Rabshāqī the.) Yarūshalampahuṅchkarwuhusnāle kepās rukgae jo pānī ko ūpar wāle tālāb takpahuṅchātā hai. (Yih tālāb us rāste

par hai jo Dhobiyoṅ ke Ghāṭ takle jātā hai.) 18In tīn Asūrī afsaroṅne ittalā dī ki bādshāh ham semilne āe, lekin Hizqiyāh ne mahalke inchārj Iliyāqīm bin Khilqiyāh,mīrmunshī Shibnāh aur mushīr‐e‐khās Yuākh bin Āsaf ko un ke pāsbhejā. 19Rabshāqī ne un ke hāthHizqiyāh ko paiġhām bhejā,“Asūr ke azīm bādshāh farmāte

haiṅ, tumhārā bharosā kis chīzpar hai? 20Tum samajhte ho kikhālī bāteṅ karnā faujī hikmat‐e‐amlī aur tāqat ke barābar hai. Yihkaisī bāt hai? Tum kis par etamādkar rahe ho ki mujh se sarkash hogaeho? 21Kyā tumMisr par bharosākarte ho? Wuh to ṭūṭā huā sarkanḍāhī hai. Jo bhī us par ṭek lagāe uskā hāth wuh chīr kar zakhmī kardegā. Yihī kuchh un sab ke sāthho jāegā jo Misr ke bādshāh Firaunpar bharosā kareṅ! 22Shāyad tumkaho, ‘Ham Rab apne Khudā partawakkul karte haiṅ.’ Lekin yih kistarah ho saktā hai? Hizqiyāh ne tous kī behurmatī kī hai. Kyoṅki usne ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ aurqurbāngāhoṅ ko ḍhā kar Yahūdāhaur Yarūshalam se kahā hai kisirf Yarūshalam kī qurbāngāh kesāmne parastish kareṅ.

Page 370: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

364 2 Salātīn 18:32

23Āo, mere āqā Asūr ke bādshāhse saudā karo. Maiṅ tumheṅ 2,000ghoṛe dūṅgā basharteki tum un kelie sawār muhaiyā kar sako. Lekinafsos, tumhāre pās itne ghuṛsawārhaiṅ hī nahīṅ! 24Tum mere āqāAsūr ke bādshāh ke sab se chhoṭeafsar kā bhī muqābalā nahīṅ karsakte. Lihāzā Misr ke rathoṅpar bharosā rakhne kā kyā fāydā?25Shāyad tum samajhte ho ki maiṅRab kī marzī ke baġhair hī is jagahpar hamlā karne āyā hūṅ tāki sabkuchh barbād karūṅ. Lekin aisāhargiz nahīṅ hai! Rab ne khudmujhe kahā ki is mulk par dhāwābol kar ise tabāh kar de.”

26Yih sun kar Iliyāqīm binKhilqiyāh, Shibnāh aur Yuākh neRabshāqī kī taqrīrmeṅdakhl de karkahā, “Barāh‐e‐karm Arāmī zabānmeṅ apne khādimoṅ ke sāth guftgūkījie, kyoṅki ham yih achchhī tarahbol lete haiṅ. Ibrānī zabān istemālna kareṅ, warnā shahr kī fasīl parkhaṛe log āp kī bāteṅ sun leṅge.”27Lekin Rabshāqī ne jawāb diyā,“Kyā tum samajhte ho ki meremālik ne yih paiġhām sirf tumheṅaur tumhāre mālik ko bhejā hai?Hargiz nahīṅ! Wuh chāhte haiṅki tamām log yih bāteṅ sun leṅ.

Kyoṅkiwuhbhī tumhārī tarah apnāfuzlā khāne aur apnā peshāb pīnepar majbūr ho jāeṅge.”

28Phir wuh fasīl kī taraf muṛ karbuland āwāz se Ibrānī zabān meṅawām se mukhātib huā, “Suno,shahanshāh, Asūr ke bādshāh kefarmān par dhyān do! 29Bādshāhfarmāte haiṅ ki Hizqiyāh tumheṅdhokā na de. Wuh tumheṅmere hāth se bachā nahīṅ saktā.30Beshak wuh tumheṅ tasallīdilāne kī koshish karke kahtā hai,‘Rab hameṅ zarūr chhuṭkārā degā,yih shahr kabhī bhī Asūrī bādshāhke qabze meṅ nahīṅ āegā.’ Lekin isqism kī bātoṅ se tasallī pā kar Rabpar bharosā mat karnā. 31Hizqiyāhkī bāteṅ na māno balki Asūr kebādshāh kī. Kyoṅki wuh farmātehaiṅ, mere sāth sulah karo aurshahr se nikal kar mere pās ā jāo.Phir tum meṅ se har ek angūr kīapnī bel aur anjīr ke apne darakhtkā phal khāegā aur apne hauz kāpānī piegā. 32Phir kuchh der kebād maiṅ tumheṅ ek aise mulkmeṅ le jāūṅgā jo tumhāre apnemulk kī mānind hogā. Us meṅbhī anāj, naī mai, roṭī aur angūr kebāġh, zaitūn ke darakht aur shahdhai. Ġharz, maut kī rāh ikhtiyār

Page 371: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 18:33 365

na karnā balki zindagī kī rāh.Hizqiyāh kī mat sunanā. Jab wuhkahtā hai, ‘Rab hameṅ bachāegā’to wuh tumheṅ dhokā de rahā hai.33Kyā dīgar aqwām ke dewatā apnemulkoṅ ko Shāh‐e‐Asūr se bachāneke qābil rahe haiṅ? 34Hamāt aurArfād ke dewatā kahāṅ rah gaehaiṅ? Sifarwāym, Henā aur Iwwāke dewatā kyā kar sake? Aur kyākisī dewatā ne Sāmariya ko merīgirift se bachāyā? 35Nahīṅ, koī bhīdewatā apnā mulk mujh se bachāna sakā. To phir Rab Yarūshalamko kis tarah mujh se bachāegā?”

36Fasīl par khaṛe log khāmoshrahe. Unhoṅ ne koī jawāb na diyā,kyoṅki bādshāh ne hukm diyā thāki jawāb meṅ ek lafz bhī na kaheṅ.37Phir mahal kā inchārj Iliyāqīmbin Khilqiyāh, mīrmunshī Shibnāhaur mushīr‐e‐khās Yuākh bin Āsafranjish ke māre apne libās phāṛkar Hizqiyāh ke pās wāpas gae.Darbārmeṅ pahuṅch kar unhoṅ nebādshāh ko sab kuchh kah sunāyājo Rabshāqī ne unheṅ kahā thā.

Rab Hizqiyāh ko Tasallī Detā Hai

19 Yihbāteṅ sunkarHizqiyāhne apne kapṛe phāṛe aur

ṭāṭ kā mātamī libās pahan kar Rabke ghar meṅ gayā. 2Sāth sāthus ne mahal ke inchārj Iliyāqīm,mīrmunshī Shibnāh aur imāmoṅke buzurgoṅ ko Āmūs ke beṭeYasāyāh Nabī ke pās bhejā. Sabṭāṭ ke mātamī libās pahne hue the.3Nabī kepās pahuṅchkarunhoṅneHizqiyāh kā paiġhām sunāyā, “Ājham baṛī musībat meṅ haiṅ. Sazāke is din Asūriyoṅ ne hamārī sakhtbe’izzatī kī hai. Hamārā hāl dard‐e‐zah meṅ mubtalā us aurat kā‐sāhai jis ke peṭ se bachchā nikalneko hai, lekin jo is lie nahīṅ nikalsaktā ki māṅ kī tāqat jātī rahī hai.4Lekin shāyad Rab āp ke Khudā neRabshāqī kī wuh tamām bāteṅ sunīhoṅ jo us ke āqā Asūr ke bādshāhne zindā Khudā kī tauhīnmeṅbhejīhaiṅ. Ho saktā hai Rab āp kā Khudāus kī bāteṅ sun kar use sazā de.Barāh‐e‐karm hamāre lie jo ab takbache hue haiṅ duā kareṅ.”

5Jab Hizqiyāh ke afsaroṅ neYasāyāh ko bādshāh kā paiġhāmpahuṅchāyā 6to nabī ne jawāb diyā,“Apne āqā ko batā denā ki Rabfarmātā hai, ‘Un dhamkiyoṅ sekhauf mat khā jo Asūrī bādshāh kemulāzimoṅ ne merī ihānat karkedī haiṅ. 7Dekh, maiṅ us kā irādā

Page 372: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

366 2 Salātīn 19:19

badal dūṅgā. Wuh afwāh sun karitnā muztarib ho jāegā ki apne hīmulk wāpas chalā jāegā. Wahāṅmaiṅ use talwār se marwā dūṅgā.’”

Sanherib kī Dhamkiyāṅ aurHizqiyāh kī Duā

8Rabshāqī Yarūshalam ko chhoṛkar Asūr ke bādshāh ke pās wāpaschalā gayā jo us waqt Lakīs serawānā ho kar Libnā par chaṛhāīkar rahā thā.

9Phir Sanherib ko ittalā milī,“Ethopiyā kā bādshāh Tirhāqāāp se laṛne ā rahā hai.” Tabus ne apne qāsidoṅ ko dubārāYarūshalam bhej diyā tāki Hizqiyāhko paiġhām pahuṅchāeṅ, 10“Jisdewatā par tum bharosā rakhte hous se fareb na khāo jab wuh kahtāhai ki Yarūshalam kabhī Asūrībādshāh ke qabze meṅ nahīṅ āegā.11Tum to sun chuke ho ki Asūr kebādshāhoṅ ne jahāṅ bhī gae kyākuchh kiyā hai. Harmulk ko unhoṅne mukammal taur par tabāh kardiyā hai. To phir tum kis tarahbach jāoge? 12Kyā Jauzān, Hārānaur Rasaf ke dewatā un kī hifāzatkar pāe? Kyā Mulk‐e‐Adan meṅTilassār ke bāshinde bach sake?

Nahīṅ, koī bhī dewatā un kī madadna kar sakā jab mere bāpdādā neunheṅ tabāh kiyā. 13Dhyān do, abHamāt, Arfād, Sifarwāym Shahr,Henā aur Iwwā ke bādshāh kahāṅhaiṅ?”

14Khatmilne parHizqiyāh ne usepaṛh liyā aur phir Rab ke ghar kesahan meṅ gayā. Khat ko Rab kesāmne bichhā kar 15us ne Rab seduā kī,“Ai Rab Isrāīl ke Khudā jo karūbī

farishtoṅ ke darmiyān takhtnashīnhai, tū akelā hī duniyā ke tamāmmamālik kā Khudā hai. Tū hīne āsmān‐o‐zamīn ko khalaq kiyāhai. 16Ai Rab, merī sun! Apnīāṅkheṅ khol kar dekh! Sanheribkī un bātoṅ par dhyān de jo us neis maqsad se ham tak pahuṅchāīhaiṅ ki zindā Khudā kī ihānat kare.17Ai Rab, yih bāt sach hai ki Asūrībādshāhoṅ ne in qaumoṅ ko unke mulkoṅ samet tabāh kar diyāhai. 18Wuh to un ke butoṅ ko āgmeṅ phaiṅk kar bhasm kar saktethe, kyoṅki wuh zindā nahīṅ balkisirf insān ke hāthoṅ se bane huelakaṛī aur patthar ke but the. 19AiRab hamāre Khudā, ab maiṅ tujhse iltamās kartā hūṅ ki hameṅAsūrī bādshāhkehāth se bachā tāki

Page 373: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 19:20 367

duniyā ke tamām mamālik jān leṅki tū ai Rab, wāhid Khudā hai.”

Asūrī kī Lān‐tān parAllāh kā Jawāb

20Phir Yasāyāh bin Āmūs neHizqiyāh ko paiġhām bhejā, “RabIsrāīl kā Khudā farmātā hai ki maiṅne Asūrī bādshāh Sanherib ke bāremeṅ terī duā sunī hai. 21Ab Rab kāus ke khilāf farmān sun,Kuṅwārī Siyyūn Beṭī tujhe haqīr

jāntī hai, hāṅYarūshalamBeṭī apnāsar hilā hilā kar hiqāratāmez nazarse tere pīchhe dekhtī hai. 22Kyā tūnahīṅ jāntā ki kis ko gāliyāṅ dīṅ aurkis kī ihānat kī hai? Kyā tujhe nahīṅmālūm ki tū ne kis ke khilāf āwāzbuland kī hai? Jis kī taraf tū ġhurūrkī nazar se dekh rahā hai wuh Isrāīlkā Quddūs hai!

23Apne qāsidoṅ ke zariye tū neRab kī ihānat kī hai. Tū ḍīṅgeṅmār kar kahtā hai, ‘Maiṅ apnebeshumār rathoṅ se pahāṛoṅ kīchoṭiyoṅ aur Lubnān kī intahā takchaṛh gayā hūṅ. Maiṅ deodār kebaṛe baṛe aur jūnīpar ke behtarīndarakhtoṅ ko kāṭ kar Lubnān kedūrtarīn konoṅ tak, us ke sab seghane jangal tak pahuṅch gayā

hūṅ. 24Maiṅ ne ġhairmulkoṅ meṅkueṅ khudwā kar un kā pānī pīliyā hai. Mere talwoṅ tale Misr kītamām nadiyāṅ khushk ho gaīṅ.’

25Ai Asūrī bādshāh, kyā tū nenahīṅ sunā ki baṛī der se maiṅne yih sab kuchh muqarrar kiyā?Qadīm zamāne meṅ hī maiṅ neis kā mansūbā bāndh liyā, aur abmaiṅ ise wujūd meṅ lāyā. Merīmarzī thī ki tū qilāband shahroṅko khāk meṅ milā kar patthar keḍheroṅ meṅ badal de. 26Isī lie unke bāshindoṅ kī tāqat jātī rahī, wuhghabrāe aur sharmindā hue. Wuhghās kī tarah kamzor the, chhat parugne wālī us hariyālī kī mānind jothoṛī der ke lie phaltī‐phūltī to hai,lekin lū chalte waqt ek dammurjhājātī hai. 27Maiṅ to tujh se khūbwāqif hūṅ. Mujhe mālūm hai ki tūkahāṅ ṭhahrā huā hai, aur terā ānājānā mujh se poshīdā nahīṅ rahtā.Mujhe patā hai ki tū mere khilāfkitne taish meṅ ā gayā hai. 28Terātaish aur ġhurūr dekh karmaiṅ terīnāk meṅ nakel aur tere muṅh meṅlagām ḍāl kar tujhe us rāste par sewāpas ghasīṭ le jāūṅgā jis par se tūyahāṅ ā pahuṅchā hai.

29Ai Hizqiyāh, maiṅ is nishānse tujhe tasallī dilāūṅgā ki is

Page 374: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

368 2 Salātīn 20:3

sāl aur āne wāle sāl tum wuhkuchh khāoge jo khetoṅ meṅ khudbakhud ugegā. Lekin tīsre sāltum bīj bo kar fasleṅ kāṭoge aurangūr ke bāġh lagā kar un kā phalkhāoge. 30Yahūdāh ke bache huebāshinde ek bār phir jaṛ pakaṛ karphal lāeṅge. 31Kyoṅki Yarūshalamse qaum kā baqiyā nikal āegā,aur Koh‐e‐Siyyūn kā bachā‐khuchāhissā dubārāmulkmeṅ phail jāegā.Rabbul‐afwāj kī ġhairat yih kuchhsaranjām degī.

32Jahāṅ tak Asūrī bādshāh kātālluq hai Rab farmātā hai ki wuh isshahrmeṅdākhil nahīṅ hogā. Wuhek tīr tak us meṅ nahīṅ chalāegā.Na wuh ḍhāl le kar us par hamlākaregā, na shahr kī fasīl ke sāthmiṭṭī kā ḍher lagāegā. 33Jis rāstese bādshāh yahāṅ āyā usī rāste parse wuh apne mulk wāpas chalājāegā. Is shahr meṅ wuh ghusnenahīṅ pāegā. Yih Rab kā farmānhai. 34Kyoṅki maiṅ apnī aur apnekhādim Dāūd kī khātir is shahr kādifā karke ise bachāūṅgā.”

35Usī rāt Rab kā farishtā nikalāyā aur Asūrī lashkargāh meṅ seguzar kar 1,85,000 faujiyoṅ ko mārḍālā. Jab log subah‐sawere uṭhe to

chāroṅ taraf lāsheṅ hī lāsheṅ nazarāīṅ.

36Yih dekh kar Sanherib apnekhaime ukhāṛ kar apne mulkwāpas chalā gayā. Nīnwā Shahrpahuṅch kar wuh wahāṅ ṭhahargayā. 37Ek din jabwuh apne dewatāNisrūk ke mandir meṅ pūjā karrahā thā to us ke beṭoṅAdrammalikaur Sharāzar ne use talwār se qatlkar diyā aur farār ho kar Mulk‐e‐Arārāt meṅ panāh lī. Phir us kābeṭā Asarhaddon takhtnashīn huā.

Allāh Hizqiyāh ko Shifā Detā Hai

20 Un dinoṅ meṅ Hizqiyāhitnā bīmār huā ki marne

kī naubat ā pahuṅchī. Āmūs kābeṭā Yasāyāh Nabī us se milne āyāaur kahā, “Rab farmātā hai ki apneghar kā band‐o‐bast kar le, kyoṅkitujhe marnā hai. Tū is bīmārī seshifā nahīṅ pāegā.”

2Yih sun kar Hizqiyāh ne apnāmuṅh dīwār kī taraf pher kar duākī, 3“Ai Rab, yād kar ki maiṅwafādārī aur khulūsdilī se teresāmne chaltā rahā hūṅ, ki maiṅwuh kuchh kartā āyā hūṅ jo tujhepasand hai.” Phir wuh phūṭ phūṭkar rone lagā.

Page 375: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 20:4 369

4Itne meṅ Yasāyāh chalā gayāthā. Lekin wuh abhī andarūnīsahan se niklā nahīṅ thā ki useRab kā kalām milā, 5“Merī qaumke rāhnumā Hizqiyāh ke pās wāpasjā kar use batā denā ki Rab terebāp Dāūd kā Khudā farmātā hai,‘Maiṅ ne terī duā sun lī aur tereāṅsū dekhe haiṅ. Maiṅ tujhe shifādūṅgā. Parsoṅ tū dubārā Rab keghar meṅ jāegā. 6Maiṅ terī zindagīmeṅ 15 sāl kā izāfā karūṅga. Sāthsāth maiṅ tujhe aur is shahr koAsūr ke bādshāh se bachā lūṅgā.Maiṅ apnī aur apne khādimDāūdkīkhātir shahr kā difā karūṅga.’”

7Phir Yasāyāh ne hukm diyā,“Anjīr kī ṭikkī lā kar bādshāh kenāsūr par bāndh do!” Jab aisākiyā gayā to Hizqiyāh ko shifā milī.8Pahle Hizqiyāh ne Yasāyāh sepūchhā thā, “Rab mujhe kaun‐sānishān degā jis se mujhe yaqīnāe ki wuh mujhe shifā degā aurki maiṅ parsoṅ dubārā Rab keghar kī ibādat meṅ sharīk hūṅgā?”9Yasāyāh ne jawāb diyā, “Rabdhūpghaṛī kā sāyā das darje āgekaregā yā das darje pīchhe. Is se āpjān leṅge ki wuh apnā wādā pūrākaregā. Āp kyā chāhte haiṅ, kyāsāyā das darje āge chale yā das darje

pīchhe?” 10Hizqiyāh ne jawāb diyā,“Yih karwānā ki sāyā das darje āgechale āsān kām hai. Nahīṅ, wuhdas darje pīchhe jāe.”

11TabYasāyāhNabī neRab se duākī, aur Rab ne Ākhaz kī banāī huīdhūpghaṛī kā sāyā das darje pīchhekar diyā.

Hizqiyāh se SangīnĠhaltī Hotī Hai

12Thoṛī der ke bād Bābal kebādshāh Marūdak‐baladān binBaladān ne Hizqiyāh kī bīmārīkī khabar sun kar wafd ke hāthkhat aur tohfe bheje. 13Hizqiyāhne wafd kā istaqbāl karke usewuh tamām khazāne dikhāe jozakhīrākhāne meṅ mahfūz rakhegae the yānī tamām sonā‐chāṅdī,balsān kā tel aur bāqī qīmtī tel. Usne aslākhānā aur bāqī sab kuchhbhī dikhāyā jo us ke khazānoṅmeṅthā. Pūre mahal aur pūre mulkmeṅ koī khās chīz na rahī jo us neunheṅ na dikhāī. 14Tab YasāyāhNabī Hizqiyāh Bādshāh ke pās āyāaur pūchhā, “In ādmiyoṅ ne kyākahā? Kahāṅ se āe haiṅ?” Hizqiyāhne jawāb diyā, “Dūr‐darāz mulkBābal se āe haiṅ.” 15Yasāyāh bolā,

Page 376: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

370 2 Salātīn 21:4

“Unhoṅ ne mahal meṅ kyā kuchhdekhā?” Hizqiyāh ne kahā, “Unhoṅne mahal meṅ sab kuchh dekh liyāhai. Mere khazānoṅ meṅ koī chīzna rahī jo maiṅ ne unheṅ nahīṅdikhāī.”

16Tab Yasāyāh ne kahā, “Rab kāfarmān suneṅ! 17Ek din āne wālāhai ki tere mahal kā tamām mālchhīn liyā jāegā. Jitne bhī khazānetū aur tere bāpdādā ne āj tak jamākie haiṅ un sab ko dushman Bāballe jāegā. Rab farmātā hai ki ek bhīchīz pīchhe nahīṅ rahegī. 18Terebeṭoṅ meṅ se bhī bāz chhīn liejāeṅge, aise jo ab tak paidā nahīṅhue. Tab wuh khwājāsarā bankar Shāh‐e‐Bābal ke mahal meṅkhidmat kareṅge.”

19Hizqiyāh bolā, “Rab kā jopaiġhām āp ne mujhe diyā hai wuhṭhīk hai.” Kyoṅki us ne sochā, “Baṛībāt yih hai ki mere jīte‐jī amn‐o‐amān hogā.”

Hizqiyāh kī Maut20Bāqī jo kuchh Hizqiyāh kīhukūmat ke daurān huā aur jokāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ wuh‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kīkitāb meṅ darj haiṅ. Wahāṅ yih

bhī bayān kiyā gayā hai ki us ne kistarah tālāb banwā kar wuh surangkhudwāī jis ke zariye chashmekā pānī shahr tak pahuṅchtāhai. 21Jab Hizqiyāh mar kar apnebāpdādā se jā milā to us kā beṭāManassī takhtnashīn huā.

Yahūdāh kā BādshāhManassī

21 Manassī 12 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā, aur

Yarūshalam meṅ us kī hukūmatkā daurāniyā 55 sāl thā. Us kīmāṅ Hifsībāh thī. 2Manassī kāchāl‐chalan Rab ko nāpasand thā.Us ne un qaumoṅ ke qābil‐e‐ghinrasm‐o‐riwāj apnā lie jinheṅ Rabne Isrāīliyoṅ ke āge se nikāl diyāthā. 3Ūṅchī jaghoṅ ke jinmandiroṅko us ke bāp Hizqiyāh ne ḍhādiyā thā unheṅ us ne nae sire setāmīr kiyā. Us ne Bāl Dewatā kīqurbāngāheṅ banwāīṅ aur YasīratDewī kā khambā khaṛā kiyā, bilkulusī tarah jis tarah Isrāīl ke bādshāhAkhiyab ne kiyā thā. In ke alāwāwuh sūraj, chāṅd balki āsmān kepūre lashkar ko sijdā karke un kīkhidmat kartā thā. 4Us ne Rab keghar meṅ bhī apnī qurbāngāheṅkhaṛī kīṅ, hālāṅki Rab ne ismaqām

Page 377: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 21:5 371

ke bāre meṅ farmāyā thā, “MaiṅYarūshalam meṅ apnā nām qāymkarūṅga.” 5Lekin Manassī neparwā na kī balki Rab ke gharke donoṅ sahnoṅ meṅ āsmān kepūre lashkar ke lie qurbāngāheṅbanwāīṅ. 6Yahāṅ tak ki us ne apnebeṭe ko bhī qurbān karke jalā diyā.Jādūgarī aur ġhaibdānī karne kealāwā wuh murdoṅ kī rūhoṅ serābitā karne wāloṅ aur rammāloṅse bhī mashwarā kartā thā.Ġharz us ne bahut kuchh kiyā jo

Rab ko nāpasand thā aur use taishdilāyā. 7Yasīrat Dewī kā khambābanwā kar us ne use Rab ke gharmeṅ khaṛā kiyā, hālāṅki Rab neDāūd aur us ke beṭe Sulemān sekahā thā, “Is ghar aur is shahrYarūshalammeṅ jomaiṅne tamāmIsrāīlī qabīloṅ meṅ se chun liyāhai maiṅ apnā nām abad tak qāymrakhūṅgā. 8Agar Isrāīlī ehtiyāt semere un tamām ahkām kī pairawīkareṅ jo Mūsā ne sharīat meṅunheṅ die to maiṅ kabhī nahīṅhone dūṅgā ki Isrāīliyoṅ kousmulkse jilāwatan kar diyā jāe jo maiṅne un ke bāpdādā ko atā kiyā thā.”9Lekin log Rab ke tābe na rahe, aurManassī ne unheṅ aise ġhalat kāmkarne par uksāyā jo un qaumoṅ se

bhī sarzad nahīṅ hue the jinheṅRab ne mulk meṅ dākhil hote waqtun ke āge se tabāh kar diyā thā.

10Ākhirkār Rab ne apnekhādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifatelān kiyā, 11“Yahūdāh ke bādshāhManassī se qābil‐e‐ghin gunāhsarzad hue haiṅ. Us kī harkateṅmulk meṅ Isrāīl se pahle rahnewāle Amoriyoṅ kī nisbat kahīṅzyādā sharīr haiṅ. Apnebutoṅ se usneYahūdāh ke bāshindoṅ ko gunāhkarnepar uksāyāhai. 12ChunāṅcheRab Isrāīl kā Khudā farmātā hai,‘Maiṅ Yarūshalam aur Yahūdāh paraisī āfat nāzil karūṅga ki jise bhī iskī khabar milegī us ke kān bajnelageṅge. 13Maiṅ Yarūshalam kousī nāp se nāpūṅgā jis se Sāmariyako nāp chukā hūṅ. Maiṅ use ustarāzū meṅ rakh kar tolūṅgā jismeṅ Akhiyab kā gharānā tol chukāhūṅ. Jis tarah bartan safāī kartewaqt poṅchh kar ulṭe rakhe jātehaiṅ usī tarah maiṅ Yarūshalam kāsafāyā kar dūṅgā. 14Us waqt maiṅapnī mīrās kā bachā‐khuchā hissābhī tark kar dūṅgā. Maiṅ unheṅun ke dushmanoṅ ke hawāle kardūṅgā jo un kī lūṭ‐mār kareṅge.15Aur wajah yihī hogī ki un se aisīharkateṅ sarzad huī haiṅ jo mujhe

Page 378: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

372 2 Salātīn 22:2

nāpasand haiṅ. Us din se le karjab un ke bāpdādā Misr se nikal āeāj tak wuh mujhe taish dilāte rahehaiṅ.’”

16Lekin Manassī ne na sirfYahūdāh ke bāshindoṅ kobutparastī aur aise kām karne paruksāyā jo Rab ko nāpasand thebalki us ne beshumār bequsūrlogoṅ ko qatl bhī kiyā. Un ke khūnse Yarūshalam ek sire se dūsre siretak bhar gayā.

17Bāqī jo kuchh Manassī kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitāb meṅdarj hai. Us meṅ us ke gunāhoṅkā zikr bhī kiyā gayā hai. 18Jabwuh mar kar apne bāpdādā se jāmilā to use us ke mahal ke bāġhmeṅ dafnāyā gayā jo Uzzā kā Bāġhkahlātā hai. Phir us kā beṭā Amūntakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Amūn19Amūn 22 sāl kī umrmeṅ bādshāhbanā aur do sāl tak Yarūshalammeṅ hukūmat kartā rahā. Us kīmāṅ Masullimat bint Harūs Yutbākī rahne wālī thī. 20Apne bāpManassī kī tarah Amūn aisā ġhalat

kām kartā rahā jo Rab ko nāpasandthā. 21Wuhhar tarah se apnebāpkebure namūne par chal kar un butoṅkī khidmat aurpūjā kartā rahā jin kīpūjā us kā bāp kartā āyā thā. 22Rabapne bāpdādā ke Khudā ko us netark kiyā, aur wuh us kī rāhoṅ parnahīṅ chaltā thā.

23Ek din Amūn ke kuchh afsaroṅne us ke khilāf sāzish karke usemahal meṅ qatl kar diyā. 24Lekinummat ne tamām sāzish karnewāloṅ ko mār ḍālā aur Amūn kebeṭe Yūsiyāh ko bādshāh banā diyā.

25Bāqī jo kuchh Amūn kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitāb meṅbayān kiyā gayā hai. 26Use Uzzā keBāġhmeṅ us kī apnī qabrmeṅ dafnkiyā gayā. Phir us kā beṭā Yūsiyāhtakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yūsiyāh

22 Yūsiyāh 8 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā, aur

Yarūshalam meṅ rah kar us kīhukūmat kā daurāniyā 31 sāl thā.Us kī māṅ Yadīdā bint AdāyāhBusqat kī rahne wālī thī. 2Yūsiyāhwuh kuchh kartā rahā jo Rab ko

Page 379: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 22:3 373

pasand thā. Wuh har bāt meṅ apnebāp Dāūd ke achchhe namūne parchaltā rahā aur us se na dāīṅ, nabāīṅ taraf haṭā.

3Apnī hukūmat ke 18weṅ sālmeṅ Yūsiyāh Bādshāh ne apnemīrmunshī Sāfan bin Asaliyāhbin Masullām ko Rab ke gharke pās bhej kar kahā, 4“Imām‐e‐āzam Khilqiyāh ke pās jā kar usebatā denā ki un tamām paisoṅ kogin leṅ jo darbānoṅ ne logoṅ sejamā kie haiṅ. 5‐6Phir paise unṭhekedāroṅ ko de deṅ jo Rab keghar kīmarammat karwā rahe haiṅtāki wuh kārīgaroṅ, tāmīr karnewāloṅ aur rājoṅ kī ujrat adā karsakeṅ. In paisoṅ sewuh darāṛoṅ koṭhīk karne ke lie darkār lakaṛī aurtarāshe hue patthar bhī kharīdeṅ.7Ṭhekedāroṅ ko akhrājāt kā hisāb‐kitāb dene kī zarūrat nahīṅ hai,kyoṅki wuh qābil‐e‐etamād haiṅ.”

Rab ke Ghar se Sharīat kīKitābMil Jātī Hai

8Jabmīrmunshī Sāfan Khilqiyāh kepās pahuṅchā to imām‐e‐āzam neuse ekkitāb dikhā kar kahā, “MujheRab ke ghar meṅ Sharīat kī Kitābmilī hai.” Us ne use Sāfan ko de

diyā jis ne use paṛh liyā. 9TabSāfan bādshāh ke pās gayā aur useittalā dī, “Ham ne Rab ke gharmeṅ jamāshudā paise marammatpar muqarrar ṭhekedāroṅ aur bāqīkām karne wāloṅ ko de die haiṅ.”10Phir Sāfan ne bādshāh ko batāyā,“Khilqiyāh ne mujhe ek kitāb dīhai.” Kitāb ko khol kar wuhbādshāh kī maujūdagī meṅ us kītilāwat karne lagā.

11Kitāb kī bāteṅ sun kar bādshāhne ranjīdā ho kar apne kapṛe phāṛlie. 12Us ne Khilqiyāh Imām,Akhīqām bin Sāfan, Akbor binMīkāyāh, mīrmunshī Sāfan aurapne khās khādim Asāyāh kobulā kar unheṅ hukm diyā, 13“Jākar merī aur qaum balki tamāmYahūdāh kī khātir Rab se is kitābmeṅ darj bātoṅ ke bāre meṅdariyāft kareṅ. Rab kā jo ġhazabham par nāzil hone wālā hai wuhnihāyat sakht hai, kyoṅki hamārebāpdādā na kitāb ke farmānoṅke tābe rahe, na un hidāyāt kemutābiq zindagī guzārī hai jo usmeṅ hamāre lie darj kī gaī haiṅ.”

14Chunāṅche Khilqiyāh Imām,Akhīqām, Akbor, Sāfan aur AsāyāhKhuldā Nabiyā ko milne gae.Khuldā kā shauhar Sallūm bin

Page 380: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

374 2 Salātīn 23:3

Tiqwā bin Kharkhas Rab ke gharke kapṛe saṅbhāltā thā. WuhYarūshalam ke nae ilāqemeṅ rahtethe. 15‐16Khuldā ne unheṅ jawābdiyā,“Rab Isrāīl kā Khudā farmātā hai

ki jis ādmī ne tumheṅ bhejā hai usebatā denā, ‘Rab farmātā hai kimaiṅis shahr aur us ke bāshindoṅ parāfat nāzil karūṅga. Wuh tamāmbāteṅ pūrī ho jāeṅgī jo Yahūdāhke bādshāh ne kitāb meṅ paṛhīhaiṅ. 17Kyoṅki merī qaum nemujhe tark karke dīgar mābūdoṅko qurbāniyāṅ pesh kī haiṅ aurapne hāthoṅ se but banā karmujhetaish dilāyā hai. Merā ġhazab ismaqāmpar nāzil ho jāegā aur kabhīkhatm nahīṅ hogā.’

18Lekin Yahūdāh ke bādshāh kepās jāeṅ jis ne āp ko Rab se dariyāftkarne ke lie bhejā hai aur use batādeṅ ki Rab Isrāīl kā Khudā farmātāhai, ‘Merī bāteṅ sun kar 19terā dilnarm ho gayā hai. Jab tujhe patāchalā ki maiṅ ne is maqām aur iske bāshindoṅ ke bāremeṅ farmāyāhai ki wuh lānatī aur tabāh hojāeṅge to tū ne apne āp ko Rab kesāmne past kar diyā. Tū ne ranjīdāhokar apnekapṛephāṛ lie aurmerehuzūr phūṭ phūṭ kar royā. Rab

farmātā hai ki yih dekh karmaiṅ neterī sunī hai. 20Jab tū mere kahnepar mar kar apne bāpdādā se jāmilegā to salāmatī se dafn hogā. Joāfat maiṅ shahr par nāzil karūṅgawuh tū khud nahīṅ dekhegā.’”Afsar bādshāh ke pās wāpas gae

aur use Khuldā kā jawāb sunā diyā.

Yūsiyāh Rab se Ahd Bāndhtā Hai

23 Tab bādshāh Yahūdāh aurYarūshalam ke tamām

buzurgoṅ ko bulā kar 2Rab ke gharmeṅ gayā. Sab log chhoṭe se lekar baṛe tak us ke sāth gae yānīYahūdāh ke ādmī, Yarūshalam kebāshinde, imām aur nabī. Wahāṅpahuṅch kar jamāt ke sāmne ahdkī us pūrī kitāb kī tilāwat kī gaī joRab ke ghar meṅ milī thī.

3Phir bādshāh ne satūn ke pāskhaṛe ho kar Rab ke huzūr ahdbāndhā aur wādā kiyā, “Ham Rabkī pairawī kareṅge, ham pūre dil‐o‐jān se us ke ahkām aur hidāyātpūrī karke is kitāb meṅ darj ahd kībāteṅ qāym rakheṅge.” Pūrī qaumahd meṅ sharīk huī.

Page 381: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 23:4 375

Yūsiyāh Butparastī koKhatm Kartā Hai

4Ab bādshāh ne imām‐e‐āzamKhilqiyāh, dūsre darje parmuqarrar imāmoṅ aur darbānoṅko hukm diyā, “Rab ke ghar meṅse wuh tamām chīzeṅ nikāl deṅjo Bāl Dewatā, Yasīrat Dewī aurāsmān ke pūre lashkar kī pūjāke lie istemāl huī haiṅ.” Phir usne yih sārā sāmān Yarūshalamke bāhar Wādī‐e‐Qidron ke khulemaidān meṅ jalā diyā aur us kīrākh uṭhā kar Baitel le gayā. 5Usne un butparast pujāriyoṅ kobhī haṭā diyā jinheṅ Yahūdāh kebādshāhoṅ ne Yahūdāh ke shahroṅaur Yarūshalam ke gird‐o‐nawāhkemandiroṅmeṅ qurbāniyāṅ peshkarne ke lie muqarrar kiyā thā. Yihpujārī na sirf Bāl Dewatā ko apnenazarānepeshkarte the balki sūraj,chāṅd, jhurmaṭoṅ aur āsmān kepūre lashkar ko bhī. 6Yasīrat Dewīkā khambā Yūsiyāh ne Rab ke gharse nikāl kar shahr ke bāhar Wādī‐e‐Qidron meṅ jalā diyā. Phir usne use pīs kar us kī rākh ġharīblogoṅ kī qabroṅ par bikher dī. 7Rabke ghar ke pās aise makān the jojismfarosh mardoṅ aur auratoṅ ke

lie banāe gae the. Un meṅ aurateṅYasīrat Dewī ke lie kapṛe bhī buntīthīṅ. Ab bādshāh ne un ko bhī girādiyā.

8Phir Yūsiyāh tamām imāmoṅko Yarūshalam wāpas lāyā. Sāthsāth us ne Yahūdāh ke shimāl meṅJibā se le kar junūb meṅ Bair‐sabātak ūṅchī jaghoṅ ke un tamāmmandiroṅ kī behurmatī kī jahāṅimām pahle qurbāniyāṅ pesh kartethe. Yarūshalam ke us darwāze kepās bhī do mandir the jo shahr kesardār Yashua ke nām se mashhūrthā. In ko bhī Yūsiyāh ne ḍhā diyā.(Shahr meṅ dākhil hote waqt yihmandir bāīṅ taraf nazar āte the.)9Jin imāmoṅ ne ūṅchī jaghoṅ parkhidmat kī thī unheṅ Yarūshalammeṅ Rab ke huzūr qurbāniyāṅpesh karne kī ijāzat nahīṅ thī.Lekin wuh bāqī imāmoṅ kī tarahbekhamīrī roṭī ke lie makhsūs roṭīkhā sakte the. 10Bin‐hinnūm kīWādī kī qurbāngāh banām Tūfatko bhī bādshāh ne ḍhā diyā tākiāindā koī bhī apne beṭe yā beṭī kojalā karMalik Dewatā ko qurbān nakar sake. 11Ghoṛe ke jo mujassameYahūdāh ke bādshāhoṅ ne SūrajDewatā kī tāzīm meṅ khaṛe kiethe unheṅ bhī Yūsiyāh ne girā

Page 382: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

376 2 Salātīn 23:18

diyā aur un ke rathoṅ ko jalā diyā.Yih ghoṛe Rab ke ghar ke sahanmeṅ darwāze ke sāth khaṛe the,wahāṅ jahāṅ darbārī afsar banāmNātan‐malik kā kamrā thā. 12ĀkhazBādshāh ne apnī chhat par ekkamrā banāyā thā jis kī chhatpar bhī mukhtalif bādshāhoṅ kībanī huī qurbāngāheṅ thīṅ. AbYūsiyāh ne in ko bhī ḍhā diyāaur un do qurbāngāhoṅ ko bhījo Manassī ne Rab ke ghar ke dosahnoṅ meṅ khaṛī kī thīṅ. In koṭukṛe ṭukṛe karke us ne malbāWādī‐e‐Qidron meṅ phaiṅk diyā.13Nīz, bādshāh ne Yarūshalamke mashriq meṅ ūṅchī jaghoṅ kemandiroṅ kī behurmatī kī. Yihmandir halākat ke pahāṛ ke junūbmeṅ the, aur Sulemān Bādshāhne unheṅ tāmīr kiyā thā. Us neunheṅ Saidā kī sharmnāk dewīAstārāt, Moāb ke makrūh dewatāKamos aur Ammon ke qābil‐e‐ghin dewatā Milkūm ke lie banāyāthā. 14Yūsiyāh ne dewatāoṅ kelie makhsūs kie gae satūnoṅ koṭukṛe ṭukṛe karke Yasīrat Dewī kekhambe kaṭwā die aur maqāmātpar insānī haḍḍiyāṅ bikher kar unkī behurmatī kī.

Yūsiyāh Baitel aur Sāmariya keMandiroṅ ko Girā Detā Hai

15‐16Baitel meṅ ab tak ūṅchī jagahpar wuh mandir aur qurbāngāhpaṛī thī jo Yarubiyām bin Nabāt netāmīr kī thī. Yarubiyām hī ne Isrāīlko gunāh karne par uksāyā thā. JabYūsiyāh ne dekhā ki jis pahāṛ parqurbāngāh hai us kī ḍhalānoṅ parbahut‐sī qabreṅ haiṅ to us ne hukmdiyā ki un kī haḍḍiyāṅ nikāl karqurbāngāh par jalā dī jāeṅ. Yoṅqurbāngāh kī behurmatī bilkul usītarah huī jis tarah Rab ne mard‐e‐Khudā kī mārifat farmāyā thā.Is ke bād Yūsiyāh ne mandir aurqurbāngāh ko girā diyā. Us neYasīrat Dewī kā mujassamā kūṭ kūṭkar ākhir meṅ sab kuchh jalā diyā.

17Phir Yūsiyāh ko ek aur qabrnazar āī. Us ne shahr ke bāshindoṅse pūchhā, “Yih kis kī qabr hai?”Unhoṅne jawābdiyā, “YihYahūdāhke us mard‐e‐Khudā kī qabr hai jisne Baitel kī qurbāngāh ke bāremeṅain wuh peshgoī kī thī jo āj āp kewasīle se pūrī huī hai.” 18Yih sunkar bādshāh ne hukm diyā, “Isechhoṛ do! Koī bhī is kī haḍḍiyoṅko na chheṛe.” Chunāṅche us kīaur usnabī kī haḍḍiyāṅbach gaīṅ jo

Page 383: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 23:19 377

Sāmariya se us semilne āyā aur bādmeṅ us kī qabr meṅ dafnāyā gayāthā.

19Jis tarah Yūsiyāh ne Baitel kemandir ko tabāh kiyā usī tarah usne Sāmariya ke tamām shahroṅ kemandiroṅ ke sāth kiyā. Unheṅūṅchī jaghoṅ par banā kar Isrāīl kebādshāhoṅ ne Rab ko taish dilāyāthā. 20In mandiroṅ ke pujāriyoṅ kous ne un kī apnī apnī qurbāngāhoṅpar sazā‐e‐maut dī aur phir insānīhaḍḍiyāṅ un par jalā kar un kībehurmatī kī. Is ke bād wuhYarūshalam lauṭ gayā.

Fasah kī Īd Manāī Jātī Hai21Yarūshalam meṅ ā kar bādshāhne hukm diyā, “Pūrī qaum Rabapne Khudā kī tāzīm meṅ Fasah kīĪdmanāe, jis tarah ahdkī kitābmeṅfarmāyā gayā hai.” 22Us zamāne sele kar jab qāzī Isrāīl kī rāhnumāīkarte the Yūsiyāh ke dinoṅ takFasah kī Īd is tarah nahīṅ manāīgaī thī. Isrāīl aur Yahūdāh kebādshāhoṅ ke aiyām meṅ bhī aisīīd nahīṅ manāī gaī thī. 23Yūsiyāhkī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ pahlīdafā Rab kī tāzīm meṅ aisī īdYarūshalammeṅ manāī gaī.

Yūsiyāh kī Farmāṅbardārī24Yūsiyāh un tamām hidāyāt ketābe rahā jo sharīat kī us kitāb meṅdarj thīṅ jo Khilqiyāh Imām ko Rabke ghar meṅ milī thī. Chunāṅcheus ne murdoṅ kī rūhoṅ se rābitākarne wāloṅ, rammāloṅ, gharelūbutoṅ, dūsre butoṅ aur bāqī tamāmmakrūh chīzoṅ ko khatm kar diyā.25Na Yūsiyāh se pahle, na us ke bādus jaisā koī bādshāh huā jis ne ustarah pūre dil, pūrī jān aur pūrītāqat ke sāth Rab ke pās wāpas ākar Mūswī sharīat ke har farmānke mutābiq zindagī guzārī ho. 26Tobhī Rab Yahūdāh par apne ġhussese bāz na āyā, kyoṅki Manassī neapnī ġhalat harkatoṅ se use hadse zyādā taish dilāyā thā. 27Isī lieRab ne farmāyā, “Jo kuchh maiṅne Isrāīl ke sāth kiyā wuhī kuchhYahūdāh ke sāth bhī karūṅga. Maiṅuse apne huzūr se khārij kar dūṅgā.Apne chune hue shahr Yarūshalamkomaiṅ radd karūṅga aur sāth sāthus ghar ko bhī jis ke bāremeṅmaiṅne kahā, ‘Wahāṅ merā nām hogā.’”

28Bāqī jo kuchh Yūsiyāh kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐

Page 384: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

378 2 Salātīn 24:2

Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitāb meṅbayān kiyā gayā hai.

29Yūsiyāh kī hukūmat ke daurānMisr kā bādshāh Nikoh FiraunDariyā‐e‐Furāt ke lie rawānā huātāki Asūr ke bādshāh se laṛe.Rāste meṅ Yūsiyāh us se laṛneke lie niklā. Lekin jab Majiddoke qarīb un kā ek dūsre ke sāthmuqābalā huā to Nikoh ne use mārdiyā. 30Yūsiyāh ke mulāzim us kīlāsh rath par rakh kar Majiddo seYarūshalam le āe jahāṅ use us kīapnī qabr meṅ dafn kiyā gayā. Phirummat ne us ke beṭe Yahuākhaz komasah karke bāp ke takht par biṭhādiyā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahuākhaz31Yahuākhaz 23 sāl kī umr meṅbādshāh banā, aur Yarūshalammeṅ us kī hukūmat kā daurāniyātīn māh thā. Us kī māṅ Hamūtalbint Yarmiyāh Libnā kī rahne wālīthī. 32Apne bāpdādā kī tarah wuhbhī aisā kām kartā rahā jo Rabko nāpasand thā. 33Nikoh Firaunne Mulk‐e‐Hamāt ke shahr Riblāmeṅ use giriftār kar liyā, aur uskī hukūmat khatm huī. Mulk‐e‐Yahūdāh ko kharāj ke taur par

taqrīban 3,400 kilogrām chāṅdī aur34 kilogrām sonā adā karnā paṛā.34Yahuākhaz kī jagah Firaun neYūsiyāh ke ek aur beṭe ko takhtpar biṭhāyā. Us ke nām Iliyāqīm kous ne Yahūyaqīm meṅ badal diyā.Yahuākhaz ko wuh apne sāth Misrle gayā jahāṅ wuh bād meṅ marābhī.

35Matlūbā chāṅdī aur sone kīraqam adā karne ke lie Yahūyaqīmne logoṅ se khās ṭaiks liyā. Ummatko apnī daulat ke mutābiq paisedene paṛe. Is tarīqe se YahūyaqīmFiraun ko kharāj adā kar sakā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahūyaqīm36Yahūyaqīm 25 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā, aur wuhYarūshalam meṅ rah kar 11 sālhukūmat kartā rahā. Us kī māṅZabūdā bint Fidāyāh Rūmāh kīrahne wālī thī. 37Bāpdādā kītarah us kā chāl‐chalan bhī Rab konāpasand thā.

24 Yahūyaqīm kī hukūmat kedaurān Bābal ke bādshāh

Nabūkadnazzar ne Yahūdāh parhamlā kiyā. Natīje meṅ Yahūyaqīmus ke tābe ho gayā. Lekin tīn sāl kebādwuh sarkash ho gayā. 2Tab Rab

Page 385: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 24:3 379

ne Bābal, Shām, Moāb aur Ammonse ḍākuoṅ ke jatthe bhej die tākiuse tabāh kareṅ. Waisā hī huājis tarah Rab ne apne khādimoṅyānī nabiyoṅ kī mārifat farmāyāthā. 3Yih āfateṅ is lie Yahūdāh parāīṅ ki Rab ne in kā hukm diyā thā.WuhManassī ke sangīn gunāhoṅ kīwajah se Yahūdāh ko apne huzūr sekhārij karnā chāhtā thā.

4Wuh yih haqīqat bhī nazarandāzna kar sakā ki Manassī neYarūshalam ko bequsūr logoṅ kekhūn se bhar diyā thā. Rab yihmuāf karne ke lie taiyār nahīṅthā. 5Bāqī jo kuchh Yahūyaqīmkī hukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh kī Tārīkh’ kī kitāb meṅdarj hai. 6Jab wuh mar kar apnebāpdādā se jā milā to us kā beṭāYahūyākīn takhtnashīn huā. 7Uswaqt Misr kā bādshāh dubārā apnemulk se nikal na sakā, kyoṅkiBābal ke bādshāh ne Misr kīsarhad banām Wādī‐e‐Misr se lekar Dariyā‐e‐Furāt tak kā sārā ilāqāMisr ke qabze se chhīn liyā thā.

Yahūyākīn kī Hukūmat aur Yarū‐shalam par Bābal kā Qabzā

8Yahūyākīn 18 sāl kī umr meṅbādshāh banā, aur Yarūshalammeṅ us kī hukūmat kā daurāniyātīn māh thā. Us kī māṅ Nahushtābint Ilnātan Yarūshalam kī rahnewālī thī. 9Apne bāp kī tarahYahūyākīn bhī aisā kām kartā rahājo Rab ko nāpasand thā.

10Us kī hukūmat ke daurānBābal ke bādshāh Nabūkadnazzarkī fauj Yarūshalam tak baṛhkar us kā muhāsarā karne lagī.11Nabūkadnazzar khud shahr kemuhāsare ke daurān pahuṅchgayā. 12Tab Yahūyākīn neshikast mān kar apne āp koapnī māṅ, mulāzimoṅ, afsaroṅaur darbāriyoṅ samet Bābal kebādshāh ke hawāle kar diyā.Bādshāh ne use giriftār kar liyā.Yih Nabūkadnazzar kī hukūmat

ke āṭhweṅ sāl meṅ huā. 13Jis kāelān Rab ne pahle kiyā thā wuhab pūrā huā, Nabūkadnazzar neRab ke ghar aur shāhī mahal ketamām khazāne chhīn lie. Usne sone kā wuh sārā sāmān bhīlūṭ liyā jo Sulemān ne Rab keghar ke lie banwāyā thā. 14Aur

Page 386: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

380 2 Salātīn 25:4

jitne khāte‐pīte log Yarūshalammeṅ the un sab ko bādshāh nejilāwatan kar diyā. Un meṅ tamāmafsar, faujī, dastkār aur dhātoṅkā kām karne wāle shāmil the,kul 10,000 afrād. Ummat kesirf ġharīb log pīchhe rah gae.15Nabūkadnazzar Yahūyākīn ko bhīqaidī banā kar Bābal le gayā aurus kī māṅ, bīwiyoṅ, darbāriyoṅaur mulk ke tamām asar‐o‐rasūkhrakhne wāloṅ ko bhī. 16Us nefaujiyoṅ ke 7,000 afrād aur 1,000dastkāroṅ aur dhātoṅ kā kāmkarne wāloṅ ko jilāwatan karkeBābal meṅ basā diyā. Yih sabmāhir aur jang karne ke qābil ādmīthe. 17Yarūshalam meṅ Bābal kebādshāh ne Yahūyākīn kī jagah uske chachā Mattaniyāh ko takht parbiṭhā kar us kā nām Sidqiyāh meṅbadal diyā.

Yahūdāh kā Bādshāh Sidqiyāh18Sidqiyāh 21 sāl kī umr meṅbādshāh banā, aur Yarūshalammeṅ us kī hukūmat kā daurāniyā11 sāl thā. Us kī māṅ Hamūtalbint Yarmiyāh Libnā Shahr kīrahne wālī thī. 19Yahūyaqīm kī

tarah Sidqiyāh aisā kām kartārahā jo Rab ko nāpasand thā.20Rab Yarūshalam aur Yahūdāhke bāshindoṅ se itnā nārāz huā kiākhir meṅ us ne unheṅ apne huzūrse khārij kar diyā.

Sidqiyāh kā Farār aur GiriftārīEk din Sidqiyāh Bābal ke bādshāh

25 se sarkash huā, 1is lieShāh‐e‐Bābal Nabūkad‐

nazzar tamām fauj ko apne sāth lekar dubārā Yarūshalam pahuṅchātāki us par hamlā kare.Sidqiyāh kī hukūmat ke naweṅ

sāl meṅ Bābal kī fauj Yarūshalamkā muhāsarā karne lagī. Yihkām dasweṅ mahīne ke dasweṅdina shurū huā. Pūre shahr keirdgird bādshāh ne pushte banwāe.2Sidqiyāh kī hukūmat ke 11weṅ sāltak Yarūshalam qāym rahā. 3Lekinphir kāl ne shahr meṅ zor pakaṛā,aur awām ke lie khāne kī chīzeṅ narahīṅ.Chauthe mahīne ke naweṅ dinb

4Bābal ke faujiyoṅ ne fasīl meṅrakhnā ḍāl diyā. Usī rāt Sidqiyāhapne tamām faujiyoṅ samet farārhone meṅ kāmyāb huā, agarche

aYānī 15 Janwarī bYānī 18 Julāī.

Page 387: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 25:5 381

shahr dushman se ghirā huā thā.Wuh fasīl ke us darwāze se niklejo Shāhī Bāġh ke sāth mulhiq dodīwāroṅ ke bīch meṅ thā. WuhWādī‐e‐Yardan kī taraf bhāgne lage,5lekin Bābal kī fauj ne bādshāh kātāqqub karke use Yarīhū kemaidānmeṅ pakaṛ liyā. Us ke faujī us sealag ho kar chāroṅ taraf muntashirho gae. 6Aur wuh khud giriftār hogayā.Phir use Riblā meṅ Shāh‐e‐

Bābal ke pās lāyā gayā, aur wahīṅSidqiyāh par faislā sādir kiyā gayā.7Sidqiyāh ke dekhte dekhte us kebeṭoṅ ko qatl kiyā gayā. Is ke bādfaujiyoṅ ne us kī āṅkheṅ nikāl karuse pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyāaur Bābal le gae.

Yarūshalam aur Rab keGhar kī Tabāhī

8Shāh‐e‐Bābal Nabūkadnazzarkī hukūmat ke 19weṅ sālmeṅ bādshāh kā khās afsarNabūzarādān Yarūshalampahuṅchā. Wuh shāhī muhāfizoṅpar muqarrar thā. Pāṅchweṅmahīne ke sātweṅ dina us ne ākar 9Rab ke ghar, shāhī mahal aur

Yarūshalam ke tamāmmakānoṅ kojalā diyā. Har baṛī imārat bhasmhogaī. 10Us ne apne tamām faujiyoṅse shahr kī fasīl ko bhī girā diyā.11Phir Nabūzarādān ne sab kojilāwatan kar diyā jo Yarūshalamaur Yahūdāh meṅ pīchhe rah gaethe. Wuh bhī un meṅ shāmil thejo jang ke daurān ġhaddārī karkeShāh‐e‐Bābal ke pīchhe lag gae the.12Lekin Nabūzarādān ne sab senichle tabqe ke bāz logoṅ ko Mulk‐e‐Yahūdāh meṅ chhoṛ diyā tākiwuh angūr ke bāġhoṅ aur khetoṅko saṅbhāleṅ.

13Bābal ke faujiyoṅ ne Rabke ghar meṅ jā kar pītal kedonoṅ satūnoṅ, pānī ke bāsanoṅko uṭhāne wālī hathgāṛiyoṅ aurSamundar nāmī pītal ke hauz ko toṛdiyā aur sārā pītal uṭhā kar Bābal legae. 14Wuh Rab ke ghar kī khidmatsaranjām dene ke lie darkār sāmānbhī le gae yānī bālṭiyāṅ, belche,battī katarne ke auzār, bartan aurpītal kā bāqī sārā sāmān. 15Khālissone aur chāṅdī ke bartan bhīis meṅ shāmil the yānī jalte huekoele ke bartan aur chhiṛkāw kekaṭore. Shāhī muhāfizoṅ kā afsar

aYānī 14 Agast.

Page 388: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

382 2 Salātīn 25:26

sārā sāmān uṭhā kar Bābal le gayā.16Jab donoṅ satūnoṅ, Samundarnāmī hauz aur bāsanoṅ ko uṭhānewālī hathgāṛiyoṅ kā pītal tuṛwāyāgayā to wuh itnā waznī thā ki usetolā na jā sakā. Sulemān Bādshāhne yih chīzeṅ Rab ke ghar ke liebanwāī thīṅ. 17Har satūn kī ūṅchāī27 fuṭ thī. Un ke bālāī hissoṅ kīūṅchāī sāṛhe chār fuṭ thī, aur wuhpītal kī jālī aur anāroṅ se saje huethe.

18Shāhī muhāfizoṅ ke afsarNabūzarādān ne zail ke qaidiyoṅko alag kar diyā: imām‐e‐āzamSirāyāh, us ke bād āne wālāimām Safaniyāh, Rab ke ghar ketīn darbānoṅ, 19shahr ke bachehuoṅ meṅ se us afsar ko joshahr ke faujiyoṅ par muqarrarthā, Sidqiyāh Bādshāh ke pāṅchmushīroṅ, ummat kī bhartīkarne wāle afsar aur shahr meṅmaujūd us ke 60 mardoṅ ko.20Nabūzarādān in sab ko alag karkesūbā Hamāt ke shahr Riblā legayā jahāṅ Bābal kā bādshāh thā.21Wahāṅ Nabūkadnazzar ne unheṅsazā‐e‐maut dī.Yoṅ Yahūdāh ke bāshindoṅ ko

jilāwatan kar diyā gayā.

Jidaliyāh kī Hukūmat22Jin logoṅ ko Bābal ke bādshāhNabūkadnazzar ne Yahūdāh meṅpīchhe chhoṛ diyā thā, un parus ne Jidaliyāh bin Akhīqām binSāfan muqarrar kiyā. 23Jab faujke bache hue afsaroṅ aur un kedastoṅ ko khabar milī ki Jidaliyāhko gawarnar muqarrar kiyā gayāhai to wuh Misfāh meṅ us kepās āe. Afsaroṅ ke nām Ismāīlbin Nataniyāh, Yūhanān bin Qarīh,Sirāyāh bin Tanhūmat Natūfātī aurYāzaniyāh bin Mākātī the. Un kefaujī bhī sāth āe.

24Jidaliyāh ne qasam khā kar unse wādā kiyā, “Bābal ke afsaroṅ semat ḍarnā! Mulkmeṅ rahkarBābalke bādshāh kī khidmat kareṅ to āpkī salāmatī hogī.”

25Lekin us sāl ke sātweṅ mahīnemeṅ Ismāīl bin Nataniyāh binIlīsamā ne das sāthiyoṅ ke sāthMisfāh ā kar dhoke se Jidaliyāhko qatl kiyā. Ismāīl shāhī nasl kāthā. Jidaliyāh ke alāwā unhoṅ neus ke sāth rahne wāle Yahūdāh aurBābal ke tamām logoṅ ko bhī qatlkiyā. 26Yih dekh kar Yahūdāh ketamām bāshinde chhoṭe se le karbaṛe tak faujī afsaroṅ samet hijrat

Page 389: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Salātīn 25:27 383

karke Misr chale gae. Kyoṅki wuhBābal ke intaqām se ḍarte the.

Yahūyākīn ko Āzād Kiyā Jātā Hai27Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīnkī jilāwatanī ke 37weṅ sāl meṅAwīl‐marūdak Bābal kā bādshāhbanā. Usī sāl ke 12weṅ mahīneke 27weṅ din us ne Yahūyākīn koqaidkhāne se āzād kar diyā. 28Usne us se narm bāteṅ karke use

izzat kī aisī kursī par biṭhāyā joBābal meṅ jilāwatan kie gae bāqībādshāhoṅ kī nisbat zyādā ahamthī. 29Yahūyākīn ko qaidiyoṅ kekapṛe utārne kī ijāzat milī, aur usezindagī‐bhar bādshāh kī mez parbāqāydagī se sharīk hone kā sharfhāsil rahā. 30Bādshāh ne muqarrarkiyā ki Yahūyākīn ko umr‐bhar itnāwazīfā miltā rahe ki us kī rozmarrāzarūriyāt pūrī hotī raheṅ.

Page 390: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh

Ādam se Ibrāhīm takkā Nasabnāmā

1 Nūh tak Ādam kī aulād Set,Anūs, 2Qīnān, Mahalalel,

Yārid, 3Hanūk, Matūsilah, Lamak,4aur Nūh thī.Nūh ke tīn beṭe Sim, Hām aur

Yāfat the. 5Yāfat ke beṭe Jumar,Mājūj, Mādī, Yāwān, Tūbal, Masakaur Tīrās the. 6Jumar ke beṭeAshkanāz, Rīfat aur Tujarmā the.7Yāwān ke beṭe Ilīsā aur Tarsīs the.Kittī aur Rodānī bhī us kī aulādhaiṅ.

8Hām ke beṭe Kūsh, Misr, Fūt aurKanān the. 9Kūsh ke beṭe Sibā,Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakāthe. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadānthe. 10Namrūd bhī Kūsh kā beṭāthā. Wuh zamīn par pahlā sūrmāthā. 11Misr zail kī qaumoṅ kā

bāp thā: Lūdī, Anāmī, Lihābī,Naftūhī, 12Fatrūsī, Kaslūhī ( jin seFilistī nikle) aur Kaftūrī. 13Kanānkā pahlauṭhā Saidā thā. Kanānin qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī14Yabūsī, Amorī, Jirjāsī, 15Hiwwī,Arqī, Sīnī, 16Arwādī, Samārī aurHamātī.

17Sim ke beṭe Ailām, Asūr,Arfaksad, Lūd aur Arām the. Arāmke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Masakthe. 18Arfaksad kā beṭā Silah aurSilah kā beṭā Ibar thā. 19Ibar kedo beṭe paidā hue. Ek kā nāmFalaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki unaiyām meṅ duniyā taqsīm huī.Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā.20Yuqtān ke beṭe Almūdād, Salaf,Hasarmāwat, Irākh, 21Hadūrām,Ūzāl, Diqlā, 22Ūbāl, Abīmāel, Sabā,

Page 391: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 1:23 385

23Ofīr, Hawīlā aur Yūbāb the. Yihsab us ke beṭe the.

24Sim kā yih nasabnāmā hai:Sim, Arfaksad, Silah, 25Ibar, Falaj,Raū, 26Sarūj, Nahūr, Tārah 27aurAbrām yānī Ibrāhīm.

Ibrāhīm kā Nasabnāmā28Ibrāhīm ke beṭe Is’hāq aur Ismāīlthe. 29Un kī darj‐e‐zail aulād thī:Ismāīl kā pahlauṭhā Nabāyot thā.

Us ke bāqī beṭe Qīdār, Adbiyel,Mibsām, 30Mishmā, Dūmā, Massā,Hadad, Taimā, 31Yatūr, Nafīs aurQidmā the. Sab Ismāīl ke hāṅ paidāhue.

32Ibrāhīm kī dāshtā Qatūrā kebeṭe Zimrān, Yuqsān, Midān,Midiyān, Isbāq aur Sūkh the.Yuqsān ke do beṭe Sabā aur Dadānpaidā hue 33jabki Midiyān ke beṭeAifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda’āthe. Sab Qatūrā kī aulād the.

34Ibrāhīm ke beṭe Is’hāq ke dobeṭe paidā hue, Esau aur Isrāīl.35Esau ke beṭe Ilīfaz, Raūel, Yaūs,Yālām aur Qorah the. 36Ilīfaz kebeṭe Temān, Omar, Safī, Jātām,Qanaz aur Amālīq the. Amālīq kīmāṅ Timnā thī. 37Raūel ke beṭe

Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzāthe.

Saīr Yānī Adom kā Nasabnāmā38Saīr ke beṭe Lotān, Sobal, Sibaon,Anā, Dīson, Esar aur Dīsān the.39LotānkedobeṭeHorī aurHomāmthe. (Timnā Lotān kī bahan thī.)40Sobal ke beṭe Alyān, Mānahat,Aibāl, Safī aur Onām the. Sibaonke beṭe Aiyāh aur Anā the. 41Anā keek beṭā Dīson paidā huā. Dīson kechār beṭe Hamrān, Ishbān, Yitrānaur Kirān the. 42Esar ke tīn beṭeBilhān, Zāwān aur Aqān the. Dīsānke do beṭe Ūz aur Arān the.

Adom ke Bādshāh43Is se pahle ki Isrāīliyoṅ kā koībādshāh thā zail ke bādshāh yakebād dīgare Mulk‐e‐Adom meṅhukūmat karte the: Bālā bin Baorjo Dinhābā Shahr kā thā.

44Us kīmaut par Yūbāb bin Zārahjo Busrā Shahr kā thā.

45Us kī maut par Hushām joTemāniyoṅ ke mulk kā thā.

46Us kī maut par Hadad binBidad jis ne Mulk‐e‐Moāb meṅMidiyāniyoṅ ko shikast dī. WuhAwīt Shahr kā thā.

Page 392: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

386 1 Tawārīkh 2:17

47Us kī maut par Samlā joMasriqā Shahr kā thā.

48Us kī maut par Sāūl jo Dariyā‐e‐Furāt par Rahobot Shahr kā thā.

49Us kī maut par Bāl‐hanān binAkbor.

50Us kī maut par Hadad joFāū Shahr kā thā. (Bīwī kānām Mahetabel bint Matrid bintMezāhāb thā.) 51Phir Hadad margayā.Adomī qabīloṅ ke sardār Timnā,

Alyā, Yatet, 52Uhlībāmā, Ailā,Fīnon, 53Qanaz, Temān, Mibsār,54Majdiyel aur Irām the. Yihī Adomke sardār the.

Yāqūb Yānī Isrāīl ke Beṭe

2 Isrāīl ke bārah beṭe Rūbin,Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh,

Ishkār, Zabūlūn, 2Dān, Yūsuf,Binyamīn, Naftālī, Jad aur Āsharthe.

Yahūdāh kā Nasabnāmā3Yahūdāh kī shādī Kanānī aurat sehuī jo Sua kī beṭī thī. Un ke tīnbeṭe Er, Onān aur Selā paidā hue.Yahūdāh kā pahlauṭhā Er Rab kenazdīk sharīr thā, is lie us ne usemarne diyā. 4Yahūdāh ke mazīd do

beṭe us kī bahū Tamr se paidā hue.UnkenāmFāras aur Zārah the. YoṅYahūdāh ke kul pāṅch beṭe the.

5Fāras ke do beṭe Hasron aurHamūl the.

6Zārah ke pāṅch beṭe Zimrī,Aitān, Haimān, Kalkūl aur Dārāthe. 7Karmī bin Zimrī kā beṭā wuhīAkar yānī Akan thā jis ne us lūṭehue māl meṅ se kuchh liyā jo Rabke lie makhsūs thā. 8Aitān ke beṭekā nām Azariyāh thā.

9Hasron ke tīn beṭe Yarahmiyel,Rām aur Kalūbī yānī Kālib the.

Rām kī Aulād10Rām ke hāṅ Ammīnadāb aurAmmīnadāb ke hāṅ Yahūdāh keqabīle kā sardār Nahson paidā huā.11Nahson Salmon kā aur SalmonBoaz kā bāp thā. 12Boaz Obedkā aur Obed Yassī kā bāp thā.13Baṛe se le kar chhoṭe tak Yassīke beṭe Iliyāb, Abīnadāb, Simā,14Nataniyel, Raddī, 15Ozam aurDāūd the. Kul sāt bhāī the. 16Un kīdo bahneṅ Zarūyāh aur Abījel thīṅ.Zarūyāh ke tīn beṭe Abīshai, Yoābaur Asāhel the. 17Abījel ke ek beṭāAmāsā paidā huā. BāpYatar Ismāīlīthā.

Page 393: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 2:18 387

Kālib kī Aulād18Kālib bin Hasron kī bīwī Azūbāke hāṅ beṭī banāmYarīot paidā huī.Yarīot ke beṭe Yashar, Sobāb aurArdūn the. 19Azūbā ke wafāt pānepar Kālib ne Ifrāt se shādī kī. Un kebeṭā Hūr paidā huā. 20Hūr Ūrī kāaur Ūrī Bazliyel kā bāp thā.

2160 sāl kī umr meṅ Kālib kebāp Hasron ne dubārā shādī kī.Bīwī Jiliyād ke bāp Makīr kī beṭīthī. Is rishte se beṭā Sajūb paidāhuā. 22‐23Sajūb kā beṭā wuh Yāīrthā jis kī Jiliyād ke ilāqe meṅ 23bastiyāṅ banām ‘Yāīr kī Bastiyāṅ’thīṅ. Lekin bād meṅ Jasūr aurShām ke faujiyoṅ ne un par qabzākar liyā. Us waqt unheṅ Qanātbhī gird‐o‐nawāh ke ilāqe samethāsil huā. Un dinoṅ meṅ kul 60ābādiyāṅ un ke hāthmeṅ ā gaīṅ. Inke tamām bāshinde Jiliyād ke bāpMakīr kī aulād the. 24Hasron jis kībīwī Abiyāh thī faut huā to Kālibaur Ifrātā ke hāṅ beṭā Ashhūr paidāhuā. Bād meṅ Ashhūr Taqua Shahrkā bānī ban gayā.

Yarahmiyel kī Aulād25Hasron ke pahlauṭhe Yarahmiyelke beṭe baṛe se le kar chhoṭe

tak Rām, Būnā, Oran, Ozam aurAkhiyāh the. 26Yarahmiyel kī dūsrībīwī Atārā kā ek beṭā Onām thā.

27Yarahmiyel ke pahlauṭhe Rāmke beṭe Māz, Yamīn aur Eqar the.28Onām ke do beṭe Sammī aur Yadāthe. Sammī ke do beṭe Nadabaur Abīsūr the. 29Abīsūr kī bīwīAbīkhail ke do beṭe Akhbān aurMolid paidā hue. 30Nadab ke dobeṭe Silad aur Affāym the. Siladbeaulād mar gayā, 31lekin Affāymke hāṅ beṭā Yisaī paidā huā. YisaīSīsān kā aur Sīsān Akhlī kā bāpthā. 32Sammī ke bhāī Yadā ke dobeṭe Yatar aur Yūnatan the. Yatarbeaulād mar gayā, 33lekin Yūnatanke do beṭe Falat aur Zāzā paidāhue. Sab Yarahmiyel kī aulādthe. 34‐35Sīsān ke beṭe nahīṅ thebalki beṭiyāṅ. Ek beṭī kī shādīus ne apne Misrī ġhulām Yarkhāse karwāī. Un ke beṭā Attī paidāhuā. 36Attī ke hāṅ Nātan paidāhuā aurNātan ke Zabad, 37Zabad keIflāl, Iflāl ke Obed, 38Obed ke Yāhū,Yāhū ke Azariyāh, 39Azariyāh keKhalis, Khalis ke Iliyāsā, 40Iliyāsāke Sismī, Sismī ke Sallūm, 41Sallūmke Yaqamiyāh aur Yaqamiyāh keIlīsamā.

Page 394: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

388 1 Tawārīkh 3:5

Kālib kī Aulād kā Ekaur Nasabnāmā

42Zail meṅ Yarahmiyel ke bhāīKālib kī aulād hai: Us kā pahlauṭhāMesā Zīf kā bāp thā aur dūsrā beṭāMaresā Habrūn kā bāp. 43Habrūnke chār beṭe Qorah, Taffuah,Raqam aur Samā the. 44Samā kebeṭe Rakham ke hāṅ Yurqiyāmpaidā huā. Raqam Sammī kā bāpthā, 45Sammī Maūn kā aur MaūnBait‐sūr kā.

46Kālib kī dāshtā Aifā ke beṭeHārān, Mauzā aur Jāziz paidā hue.Hārān ke beṭe kā nām Jāziz thā.47Yahdī ke beṭe Rajam, Yūtām,Jesān, Falat, Aifā aur Shāf the.

48Kālib kī dūsrī dāshtā Mākāke beṭe Shibar, Tirhanā, 49Shāf(Madmannā kā bāp) aur Siwā(Makbenā aur Jibiyā kā bāp) paidāhue. Kālib kī ek beṭī bhī thī jis kānām Aksā thā. 50Sab Kālib kī aulādthe.Ifrātā ke pahlauṭhe Hūr ke beṭe

Qiriyat‐yārīm kā bāp Sobal, 51Bait‐laham kā bāp Salmā aur Bait‐jādirkā bāp Khārif the. 52Qiriyat‐yārīmke bāp Sobal se yih gharāne nikle:Harāī, Mānahat kā ādhā hissā 53aurQiriyat‐yārīm ke khāndān Uttarī,

Fūtī, Sumātī aur Misrāī. In sesqurātī aur Istālī nikle haiṅ.

54Salmā se zail ke gharāne nikle:Bait‐laham ke bāshinde, Natūfātī,Atarāt‐bait‐yoāb, Mānahat kā ādhāhissā, Sur’ī 55aur Yābīz meṅ ābādmunshiyoṅ ke khāndān Tir’ātī,Sim’ātī aur Sūkātī. Yih sab Qīnī thejo Raikābiyoṅ ke bāp Hammat senikle the.

Dāūd Bādshāh kī Aulād

3 Habrūn meṅ Dāūd Bādshāhke darj‐e‐zail beṭe paidā hue:

Pahlauṭhā Amnon thā jis kī māṅAkhīnūsam Yazraelī thī. DūsrāDānyāl thā jis kīmāṅ Abījel Karmilīthī. 2Tīsrā Abīsalūm thā. Us kīmāṅMākā thī jo Jasūr ke bādshāh Talmīkī beṭī thī. Chauthā Adūniyāh thājis kī māṅ Hajjīt thī. 3PāṅchwāṅSafatiyāh thā jis kī māṅ Abītāl thī.Chhaṭā Itriyām thā jis kī māṅ Ijlāthī. 4Dāūd ke yih chhih beṭe unsāṛhe sāt sāloṅ ke daurān paidā huejab Habrūn us kā dārul‐hukūmatthā.Is ke bād wuh Yarūshalam meṅ

muntaqil huā aur wahāṅ mazīd33 sāl hukūmat kartā rahā. 5Usdaurān us kī bīwī Bat‐sabā bint

Page 395: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 3:6 389

Ammiyel ke chār beṭe Simā, Sobāb,Nātan aur Sulemān paidā hue.6Mazīd beṭe bhī paidā hue, Ibhār,Ilīsua, Ilīfalat, 7Naujā, Nafaj, Yafīa,8Ilīsamā, Ilyadā aur Ilīfalat. Kulnau beṭe the. 9Tamr un kī bahanthī. In ke alāwā Dāūd kī dāshtāoṅke beṭe bhī the.

10Sulemān ke hāṅ Rahubiyāmpaidā huā, Rahubiyām ke Abiyāh,Abiyāh ke Āsā, Āsā ke Yahūsafat,11Yahūsafat ke Yahūrām, Yahūrāmke Akhaziyāh, Akhaziyāh ke Yuās,12Yuās ke Amasiyāh, Amasiyāh keAzariyāh yānī Uzziyāh, Uzziyāh keYūtām, 13Yūtām ke Ākhaz, Ākhazke Hizqiyāh, Hizqiyāh ke Manassī,14Manassī ke Amūn aur Amūn keYūsiyāh.

15Yūsiyāh ke chār beṭe baṛese le kar chhoṭe tak Yūhanān,Yahūyaqīm, Sidqiyāh aur Sallūmthe.

16Yahūyaqīm Yahūyākīna kāaur Yahūyākīn Sidqiyāh kā bāpthā. 17Yahūyākīna ko Bābal meṅjilāwatan kar diyā gayā. Us kesāt beṭe Siyāltiyel, 18Malkirām,Fidāyāh, Shenāzzar, Yaqamiyāh,

Hūsamā aur Nadabiyāh the.19Fidāyāh ke do beṭe Zarubbābalaur Simaī the.Zarubbābal ke do beṭe Masullām

aur Hananiyāh the. Ek beṭī banāmSalūmīt bhī paidā huī. 20Bāqīpāṅch beṭoṅ ke nāmHasūbā, Ohal,Barakiyāh, Hasdiyāh aur Yūsab‐hasad the.

21Hananiyāh ke do beṭe Falatiyāhaur Yasāyāh the. Yasāyāh Rifāyāhkā bāp thā, Rifāyāh Arnān kā,Arnān Abadiyāh kā aur AbadiyāhSakaniyāh kā.

22Sakaniyāh ke beṭe kā nāmSamāyāh thā. Samāyāh ke chhihbeṭe Hattūsh, Ijāl, Barīh, Na’ariyāhaur Sāfat the. 23Na’ariyāh ketīn beṭe Iliyuainī, Hizqiyāh aurAzrīqām paidā hue.

24Iliyuainī ke sāt beṭeHūdāwiyāh, Iliyāsib, Filāyāh,Aqqūb, Yūhanān, Dilāyāh aurAnānī the.

Yahūdāh kī Aulād

4 Fāras, Hasron, Karmī, Hūraur Sobal Yahūdāh kī aulād

the.

aIbrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādifYakūniyāh mustāmal hai.

Page 396: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

390 1 Tawārīkh 4:19

2Riyāyāh bin Sobal ke hāṅ Yahat,Yahat ke Akhūmī aur Akhūmī keLāhad paidā huā. Yih squrātīkhāndānoṅ ke bāpdādā the.

3Aitām ke tīn beṭe Yazrael, Ismāaur Idbās the. Un kī bahan kā nāmHazlilfonī thā.

4Ifrātā kā pahlauṭhā Hūr Bait‐laham kā bāp thā. Us ke do beṭeJadūr kā bāp Fanuel aur Hūsā kābāp Azar the.

5Taqua ke bāp Ashhūr kī dobīwiyāṅ Hīlāh aur Nārā thīṅ.

6Nārā ke beṭe Akhūzzām, Hifar,Temnī aur Hakhastarī the.

7Hīlāh ke beṭe Zarat, Suhar aurItnān the.

8Kūz ke beṭe Anūb aurHazzobībāthe. Us se Akharkhail bin Harūmke khāndān bhī nikle.

9Yābīz kī apne bhāiyoṅ kī nisbatzyādā izzat thī. Us kī māṅ neus kā nām Yābīz yānī ‘Wuh TaklīfDetā Hai’ rakhā, kyoṅki us ne kahā,“Paidā hote waqt mujhe baṛī taklīfhuī.” 10Yābīz ne buland āwāz seIsrāīl ke Khudā se iltamās kī, “Kāshtū mujhe barkat de kar merā ilāqāwasī kar de. Terā hāth mere sāthho, aurmujhe nuqsān se bachā tākimujhe taklīf na pahuṅche.” AurAllāh ne us kī sunī.

11Sūkhā ke bhāī Kalūb Mahīr kāaur Mahīr Istūn kā bāp thā.

12Istūn ke beṭe Bait‐rafā, Fāsahaur Takhinnā the.Takhinnā Nāhas Shahr kā bāp

thā jis kī aulād Raikā meṅ ābādhai. 13Qanaz ke beṭe Ġhutniyel aurSirāyāh the. Ġhutniyel ke beṭoṅ kenām Hatat aur Maūnātī the.

14Maūnātī Ufrā kā bāp thā.Sirāyāh Yoāb kā bāp thā jo ‘Wādī‐

e‐Kārīgar’ kā bānī thā. Ābādī kāyih nām is lie paṛ gayā ki us kebāshinde kārīgar the.

15Kālib bin Yafunnā ke beṭe Īrū,Ailā aur Nām the. Ailā kā beṭāQanaz thā.

16Yahallalel ke chār beṭe Zīf, Zīfā,Tīriyāh aur Asarel the.

17‐18Azrā ke chār beṭe Yatar,Marad, Ifar aur Yalūn the. Marad kīshādī Misrī bādshāh Firaun kī beṭīBitiyāh se huī. Us ke tīn bachcheMariyam, Sammī aur Isbāh paidāhue. Isbāh Istimua kā bāp thā.Mard kī dūsrī bīwī Yahūdāh kīthī, aur us ke tīn beṭe Jadūr kābāp Yarad, Sokā kā bāp Hibar aurZanūh kā bāp Yaqūtiyel the.

19Hūdiyāh kī bīwī Naham kībahan thī. Us kā ekbeṭāQaīlā Jarmī

Page 397: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 4:20 391

kā bāp aur dūsrā Istimua Mākātīthā.

20Sīmūn ke beṭe Amnon, Rinnā,Bin‐hanān aur Tīlon the. Yisaī kebeṭe Zohit aur Bin‐zohit the.

21Selā bin Yahūdāh kī darj‐e‐zailaulād thī: Lekā kā bāp Er, Maresākā bāp Lādā, Bait‐ashbīa meṅ ābādbārīk katān kā kām karne wāloṅke khāndān, 22Yoqīm, Kozībā kebāshinde, aur Yuās aur Sārāf joqadīm riwāyat ke mutābiq Moābpar hukmrānī karte the lekin bādmeṅ Bait‐laham wāpas āe. 23WuhNatāīm aur Jadīrā meṅ rah karkumhār aur bādshāh ke mulāzimthe.

Shamāūn kī Aulād24Shamāūn ke beṭe Yamuel, Yamīn,Yarīb, Zārah aur Sāūl the. 25Sāūlke hāṅ Sallūm paidā huā, Sallūmke Mibsām, Mibsām ke Mishmā,26Mishmā ke Hammuel, Hammuelke Zakkūr aur Zakkūr ke Simaī.27Simaī ke 16 beṭe aur chhihbeṭiyāṅ thīṅ, lekin us ke bhāiyoṅke kam bachche paidā hue. Natījemeṅ Shamāūn kā qabīlā Yahūdāhke qabīle kī nisbat chhoṭā rahā.

28Zail ke shahr un ke gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ samet Shamāūnkā qabāylī ilāqā thā: Bair‐sabā,Molādā, Hasār‐suāl, 29Bilhāh,Azam, Tolad, 30Batuel, Hurmā,Siqlāj, 31Bait‐markabot, Hasār‐sūsīm, Bait‐birī aur Shāraim. Dāūdkī hukūmat tak yih qabīlā in jaghoṅmeṅ ābād thā, 32nīz Aitām, Ain,Rimmon, Tokan aur Asan meṅbhī. 33In pāṅch ābādiyoṅ ke gird‐o‐nawāh ke dehāt bhī Bāl tak shāmilthe. Har maqām ke apne apnetahrīrī nasabnāme the.

34Shamāūn ke khāndānoṅ kedarj‐e‐zail sarparast the: Misobāb,Yamlīk, Yūshā bin Amasiyāh,35Yoel, Yāhū bin Yūsibiyāh binSirāyāh bin Asiyel, 36Iliyuainī,Yāqūbā, Yashūkhāyā, Asāyāh,Adiyel, Yasīmiyel, Bināyāh, 37Zīzābin Shifaī bin Allon bin Yadāyāhbin Simrī bin Samāyāh.

38Darj‐e‐bālā ādmī apnekhāndānoṅ ke sarparast the. Unke khāndān bahut baṛh gae. 39Islie wuh apne rewaṛoṅ ko charānekī jagheṅ ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte wādīke mashriq meṅ Jadūr tak phailgae. 40Wahāṅ unheṅ achchhī aurshādāb charāgāheṅ mil gaīṅ. Ilāqākhulā, pursukūn aur ārāmdeh

Page 398: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

392 1 Tawārīkh 5:10

bhī thā. Pahle Hām kī kuchhaulād wahāṅ ābād thī, 41lekinHizqiyāh Bādshāh ke aiyām meṅShamāūn ke mazkūrā sarparastoṅne wahāṅ ke rahne wāle Hāmiyoṅaur Maūniyoṅ par hamlā kiyā aurun ke tambuoṅ ko tabāh karke sabko mār diyā. Ek bhī na bachā. Phirwuh khud wahāṅ ābād hue. Ab unke rewaṛoṅ ke lie kāfī charāgāheṅthīṅ. Āj tak wuh isī ilāqe meṅ rahtehaiṅ.

42Ek din Shamāūn ke 500 ādmīYisaī ke chār beṭoṅ Falatiyāh,Na’ariyāh, Rifāyāh aur Uzziyel kīrāhnumāī meṅ Saīr ke pahāṛī ilāqemeṅ ghus gae. 43Wahāṅ unhoṅ neun Amālīqiyoṅ ko halāk kar diyājinhoṅ ne bach kar wahāṅ panāh līthī. Phir wuh khud wahāṅ rahnelage. Āj tak wuh wahīṅ ābād haiṅ.

Rūbin kī Aulād

5 Isrāīl kā pahlauṭhā Rūbin thā.Lekin chūṅki us ne apne bāp

kī dāshtā se hambistar hone sebāp kī behurmatī kī thī is liepahlauṭhe kā maurūsī haq us kebhāī Yūsuf ke beṭoṅ ko diyā gayā.Isī wajah se nasabnāmemeṅ Rūbinko pahlauṭhe kī haisiyat se bayān

nahīṅ kiyā gayā. 2Yahūdāh dīgarbhāiyoṅ kī nisbat zyādā tāqatwarthā, aur us se qaum kā bādshāhniklā. To bhī Yūsuf ko pahlauṭhe kāmaurūsī haq hāsil thā.

3Isrāīl ke pahlauṭhe Rūbin kechār beṭe Hanūk, Fallū, Hasron aurKarmī the.

4Yoel ke hāṅ Samāyāh paidā huā,Samāyāhke Jūj, Jūj ke Simaī, 5Simaīke Mīkāh, Mīkāh ke Riyāyāh,Riyāyāh ke Bāl aur 6Bāl ke Baīrā.Baīrā ko Asūr ke bādshāh Tiglat‐pilesar ne jilāwatan kar diyā. BaīrāRūbin ke qabīle kā sarparast thā.7Un ke nasabnāme meṅ us ke bhāīun ke khāndānoṅ ke mutābiq darjkie gae haiṅ, sar‐e‐fahrist Ya’iyel,phir Zakariyāh 8aur Bālā bin Azazbin Samā bin Yoel.Rūbin kā qabīlā Aroīr se le kar

Nabū aur Bāl‐maūn tak ke ilāqemeṅ ābād huā. 9Mashriq kī tarafwuh us registān ke kināre tak phailgae jo Dariyā‐e‐Furāt se shurū hotāhai. Kyoṅki Jiliyād meṅ un kerewaṛoṅkī tādādbahut baṛh gaī thī.

10Sāūl ke aiyām meṅ unhoṅ neHājiriyoṅ se laṛ kar unheṅ halākkar diyā aur khud un kī ābādiyoṅmeṅ rahne lage. Yoṅ Jiliyād ke

Page 399: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 5:11 393

mashriq kā pūrā ilāqā Rūbin keqabīle kī milkiyat meṅ ā gayā.

Jad kī Aulād11Jad kā qabīlā Rūbin ke qabīleke paṛosī mulk Basan meṅ Salkātak ābād thā. 12Us kā sarbarāhYoel thā, phir Sāfam, Yānī aurSāfat. Wuh sab Basan meṅ ābādthe. 13Un ke bhāī un ke khāndānoṅsamet Mīkāel, Masullām, Sabā,Yūrī, Yākān, Zīa aur Ibar the. 14Yihsāt ādmī Abīkhail bin Hūrī binYārūh bin Jiliyād bin Mīkāel binYasīsī bin Yahdū bin Būz ke beṭethe. 15Akhī bin Abdiyel bin Jūnī inkhāndānoṅ kā sarparast thā.

16Jad kā qabīlā Jiliyād aur Basanke ilāqoṅ kī ābādiyoṅ meṅ ābādthā. Shārūn se le kar sarhad takkī pūrī charāgāheṅ bhī un ke qabzemeṅ thīṅ. 17Yih tamām khāndānYahūdāh ke bādshāh Yūtām aurIsrāīl ke bādshāh Yarubiyām kezamāne meṅ nasabnāme meṅ darjkie gae.

Dariyā‐e‐Yardan keMashriqmeṅ Qabīloṅ kī Jang

18Rūbin, Jad aur Manassī ke ādheqabīle ke 44,760 faujī the. Sab laṛne

ke qābil aur tajrabākār ādmī the,aise log jo tīr chalā sakte aur ḍhālaur talwār se lais the. 19Unhoṅ neHājiriyoṅ, Yatūr, Nafīs aur Nodabse jang kī. 20Laṛte waqt unhoṅ neAllāh se madad ke lie fariyād kī, tous ne un kī sun kar Hājiriyoṅ ko unke ittahādiyoṅ samet un ke hawālekar diyā. 21Unhoṅ ne un se bahutkuchh lūṭ liyā: 50,000 ūṅṭ, 2,50,000bheṛ‐bakriyāṅ aur 2,000 gadhe.Sāth sāth unhoṅ ne 1,00,000 logoṅko qaid bhī kar liyā. 22Maidān‐e‐jang meṅ beshumār dushmanmāre gae. Kyoṅki jang Allāh kīthī. Jab tak Isrāīliyoṅ ko Asūr meṅjilāwatan na kar diyā gayā wuh isilāqe meṅ ābād rahe.

Manassī kā Ādhā Qabīlā23Manassī kā ādhā qabīlā bahutbaṛā thā. Us ke log Basan se le karBāl‐harmūnaur Sanīr yānīHarmūnke pahāṛī silsile tak phail gae.24Un ke khāndānī sarparast Ifar,Yisaī, Iliyel, Azriyel, Yarmiyāh,Hūdāwiyāh aur Yahdiyel the. Sabmāhir faujī, mashhūr ādmī aurkhāndānī sarbarāh the.

Page 400: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

394 1 Tawārīkh 6:20

Mashriqī Qabīloṅ kī Jilāwatanī25Lekin yih mashriqī qabīle apnebāpdādā ke Khudā se bewafā hogae. Wuh zinā karke mulk keun aqwām ke dewatāoṅ ke pīchhelag gae jin ko Allāh ne un ke āgese miṭā diyā thā. 26Yih dekh karIsrāīl ke Khudā ne Asūr ke bādshāhTiglat‐pilesar ko un ke khilāf barpākiyā jis ne Rūbin, Jad aur Manassīke ādhe qabīle ko jilāwatan kardiyā. Wuhunheṅ Khalah, Dariyā‐e‐Khābūr, Hārā aur Dariyā‐e‐Jauzānko le gayā jahāṅ wuh āj tak ābādhaiṅ.

Imām‐e‐Āzam kī Nasl(Lāwī kā Qabīlā)

6 Lāwī ke beṭe Jairson, Qihātaur Mirārī the. 2Qihāt ke beṭe

Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyelthe.

3Amrām ke beṭe Hārūn aurMūsā the. Beṭī kā nām Mariyamthā. Hārūn ke beṭe Nadab, Abīhū,Iliyazar aur Itamar the.

4Iliyazar ke hāṅ Fīnhās paidāhuā, Fīnhās ke Abīsua, 5Abīsuake Buqqī, Buqqī ke Uzzī, 6Uzzīke Zarakhiyāh, Zarakhiyāh keMirāyot, 7Mirāyot ke Amariyāh,

Amariyāh ke Akhītūb, 8Akhītūbke Sadoq, Sadoq ke Akhīmāz,9Akhīmāz ke Azariyāh, Azariyāhke Yūhanān 10aur Yūhanān keAzariyāh. Yihī Azariyāh Rab keus ghar kā pahlā imām‐e‐āzamthā jo Sulemān ne Yarūshalammeṅ banwāyā thā. 11Us ke hāṅAmariyāh paidā huā, Amariyāhke Akhītūb, 12Akhītūb ke Sadoq,Sadoq ke Sallūm, 13Sallūm keKhilqiyāh, Khilqiyāh ke Azariyāh,14Azariyāh ke Sirāyāh aur Sirāyāhke Yahūsadaq. 15Jab Rab neNabūkadnazzar ke hāth seYarūshalam aur pūre Yahūdāh kebāshindoṅ ko jilāwatan kar diyā toYahūsadaq bhī un meṅ shāmil thā.

Lāwī kī Aulād16Lāwī ke tīn beṭe Jairsom, Qihātaur Mirārī the. 17Jairsom ke dobeṭe Libnī aur Simaī the. 18Qihāt kechār beṭe Amrām, Izhār, Habrūnaur Uzziyel the. 19Mirārī ke do beṭeMahlī aur Mūshī the.Zail meṅ Lāwī ke khāndānoṅ kī

fahrist un ke bāniyoṅ ke mutābiqdarj hai.

20JairsomkehāṅLibnī paidāhuā,Libnī ke Yahat, Yahat ke Zimmā,

Page 401: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 6:21 395

21Zimmā ke Yuākh, Yuākh ke Iddū,Iddū ke Zārah aur Zārah ke Yatrī.

22Qihāt kehāṅAmmīnadābpaidāhuā, Ammīnadāb ke Qorah, Qorahke Assīr, 23Assīr ke Ilqānā, Ilqānāke Abiyāsaf, Abiyāsaf ke Assīr,24Assīr ke Tahat Tahat ke Ūriyel,Ūriyel ke Uzziyāh aur Uzziyāh keSāūl. 25Ilqānā ke beṭe Amāsī,Akhīmot 26aur Ilqānā the. Ilqānāke hāṅ Zūfī paidā huā, Zūfī keNahat, 27Nahat ke Iliyāb, Iliyāb keYarohām, Yarohām ke Ilqānā aurIlqānā ke Samuel. 28Samuel kāpahlā beṭā Yoel aur dūsrā Abiyāhthā.

29Mirārī ke hāṅ Mahlī paidā huā,Mahlī ke Libnī, Libnī ke Simaī,Simaī ke Uzzā, 30Uzzā ke Simā,Simā ke Hajjiyāh aur Hajjiyāh keAsāyāh.

Lāwī kī Zimmedāriyāṅ31Jab ahd kā sandūq Yarūshalammeṅ lāyā gayā tāki āindā wahāṅrahe to Dāūd Bādshāh ne kuchhLāwiyoṅ ko Rab ke ghar meṅ gītgāne kī zimmedārī dī. 32Is sepahle ki Sulemān ne Rab kā gharbanwāyā yih log apnī khidmatmulāqāt ke khaime ke sāmne

saranjām dete the. Wuh sab kuchhmuqarrarā hidāyāt ke mutābiq adākarte the. 33Zail meṅ un ke nāmun ke beṭoṅ ke nāmoṅ samet darjhaiṅ.Qihāt ke khāndān kā Haimān

pahlā gulūkār thā. Us kā pūrānām yih thā: Haimān bin Yoel binSamuel 34bin Ilqānā bin Yarohāmbin Iliyel bin Tūkh 35bin Sūf binIlqānā bin Mahat bin Amāsī 36binIlqānā bin Yoel bin Azariyāh binSafaniyāh 37bin Tahat bin Assīr binAbiyāsaf bin Qorah 38bin Izhār binQihāt bin Lāwī bin Isrāīl.

39Haimān ke dahne hāth Āsafkhaṛā hotā thā. Us kā pūrā nāmyih thā: Āsaf bin Barakiyāh binSimā 40bin Mīkāel bin Bāsiyāh binMalkiyāh 41bin Atnī bin Zārah binAdāyāh 42bin Aitān bin Zimmā binSimaī 43bin Yahat bin Jairsom binLāwī.

44Haimān ke bāeṅ hāth Aitānkhaṛā hotā thā. Wuh Mirārī kekhāndān kā fard thā. Us kā pūrānām yih thā: Aitān bin Qīsī binAbdī binMallūk 45binHasbiyāh binAmasiyāh bin Khilqiyāh 46bin Amsībin Bānī bin Samar 47bin Mahlī binMūshī bin Mirārī bin Lāwī.

Page 402: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

396 1 Tawārīkh 6:64‐65

48Dūsre Lāwiyoṅ ko Allāh kīsukūnatgāh meṅ bāqīmāndāzimmedāriyāṅ dī gaī thīṅ.

49Lekin sirfHārūn aur us kī aulādbhasm hone wālī qurbāniyāṅ peshkarte aur bakhūr kī qurbāngāhpar bakhūr jalāte the. WuhīMuqaddastarīn Kamre meṅ harkhidmat saranjām dete the.Isrāīl kā kaffārā denā unhīṅ kīzimmedārī thī. Wuh sab kuchh ainunhidāyāt kemutābiq adākarte thejo Allāh ke khādim Mūsā ne unheṅdī thīṅ.

50Hārūn ke hāṅ Iliyazar paidāhuā, Iliyazar ke Fīnhās, Fīnhāske Abīsua, 51Abīsua ke Buqqī,Buqqī ke Uzzī, Uzzī ke Zarakhiyāh,52Zarakhiyāh ke Mirāyot, Mirāyotke Amariyāh, Amariyāh keAkhītūb, 53Akhītūb ke Sadoq,Sadoq ke Akhīmāz.

Lāwiyoṅ kī Ābādiyāṅ54Zail meṅ wuh ābādiyāṅ aurcharāgāheṅ darj haiṅ jo Lāwiyoṅko qurā ḍāl kar dī gaīṅ.Qurā ḍālte waqt pahle Hārūn ke

beṭe Qihāt kī aulād ko jagheṅ milgaīṅ. 55Use Yahūdāh ke qabīle seHabrūn Shahr us kī charāgāhoṅ

samet mil gayā. 56Lekin gird‐o‐nawāh ke khet aur dehāt Kālib binYafunnā ko die gae. 57Habrūnun shahroṅ meṅ shāmil thā jinmeṅ har wuh panāh le saktā thājis ke hāthoṅ ġhairirādī taur parkoī halāk huā ho. Habrūn kealāwā Hārūn kī aulād ko zail kemaqām un kī charāgāhoṅ sametdie gae: Libnā, Yattīr, Istimua,58Haulūn, Dabīr, 59Asan, aur Bait‐shams. 60Binyamīn ke qabīle seunheṅ Jibaūn, Jibā, Alamat aurAnatot un kī charāgāhoṅ samet diegae. Is tarah Hārūn ke khāndān ko13 shahr mil gae.

61Qihāt ke bāqī khāndānoṅ koManassī ke maġhribī hisse ke dasshahr mil gae.

62Jairsom kī aulād ko Ishkār,Āshar, Naftālī aur Manassī keqabīloṅ ke 13 shahr die gae. YihManassī kā wuh ilāqā thā jo Dariyā‐e‐Yardan ke mashriq meṅ Mulk‐e‐Basan meṅ thā.

63Mirārī kī aulād ko Rūbin, Jadaur Zabūlūn ke qabīloṅ ke 12 shahrmil gae.

64‐65Yoṅ Isrāīliyoṅ ne qurā ḍālkar Lāwiyoṅ ko mazkūrā shahr dedie. Sab Yahūdāh, Shamāūn aur

Page 403: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 6:66 397

Binyamīn ke qabāylī ilāqoṅ meṅthe.

66Qihāt ke chand ek khāndānoṅko Ifrāīm ke qabīle se shahr un kīcharāgāhoṅ samet mil gae. 67Inmeṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kāshahr Sikam shāmil thā jis meṅ harwuh panāh le saktā thā jis se koīġhairirādī taur par halāk huā hotāthā, phir Jazar, 68Yuqmiyām, Bait‐haurūn, 69Aiyālon aur Jāt‐rimmon.70Qihāt ke bāqī kunboṅ ko Manassīkemaġhribī hisse ke do shahr Āneraur Bilām un kī charāgāhoṅ sametmil gae.

71Jairsom kī aulād ko zail keshahr bhī un kī charāgāhoṅ sametmil gae: Manassī ke mashriqīhisse se Jaulān jo Basan meṅ haiaur Astārāt. 72Ishkār ke qabīlese Qādis, Dābarat, 73Rāmāt aurĀnīm. 74Āshar ke qabīle se Misāl,Abdon, 75Huqūq aur Rahob. 76AurNaftālī ke qabīle se Galīl kā Qādis,Hammūn aur Qiriyatāym.

77Mirārī ke bāqī khāndānoṅ kozail ke shahr un kī charāgāhoṅsamet mil gae: Zabūlūn ke qabīlese Rimmon aur Tabūr. 78‐79Rūbinke qabīle se registān kā Basar,Yahaz, Qadīmāt aur Mifāt. (Yihshahr Dariyā‐e‐Yardan ke mashriq

meṅYarīhū kemuqābil wāqe haiṅ.)80Jad ke qabīle se Jiliyād kā Rāmāt,Mahanāym, 81Hasbon aur Yāzer.

Ishkār kī Aulād

7 Ishkār ke chār beṭe Tolā,Fuwwā, Yasūb aur Simron the.

2Tolā ke pāṅch beṭe Uzzī,Rifāyāh, Yariyel, Yahmī, Ibsām aurSamuel the. Sab apne khāndānoṅke sarparast the. Nasabnāme kemutābiq Dāūd ke zamānemeṅ Tolāke khāndān ke 22,600 afrād jangkarne ke qābil the.

3Uzzī kā beṭā Izrakhiyāh thājo apne chār bhāiyoṅ Mīkāel,Abadiyāh, Yoel aur Yissiyāh kesāth khāndānī sarparast thā.4Nasabnāme ke mutābiq un ke36,000 afrād jang karne ke qābilthe. In kī tādād is lie zyādā thīki Uzzī kī aulād ke bahut bāl‐bachche the. 5Ishkār ke qabīle kekhāndānoṅ ke kul 87,000 ādmī jangkarne ke qābil the. Sab nasabnāmemeṅ darj the.

Binyamīn aur Naftālī kī Aulād6Binyamīn ke tīn beṭe Bālā, Bakaraur Yadiyael the. 7Bālā ke pāṅchbeṭe Isbūn, Uzzī, Uzziyel, Yarīmot

Page 404: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

398 1 Tawārīkh 7:24

aur Īrī the. Sab apne khāndānoṅke sarparast the. Un ke nasabnāmeke mutābiq un ke 22,034 mard jangkarne ke qābil the.

8Bakar ke 9 beṭe Zamīrā, Yuās,Iliyazar, Iliyuainī, Umrī, Yarīmot,Abiyāh, Anatot aur Alamat the. 9Unke nasabnāmemeṅ un ke sarparastaur 20,200 jang karne ke qābilmardbayān kie gae haiṅ.

10Bilhān bin Yadiyael ke sāt beṭeYaūs, Binyamīn, Ahūd, Kanānā,Zaitān, Tarsīs aur Akhīsahar the.11Sab apne khāndānoṅ ke sarparastthe. Un ke 17,200 jang karne keqābil mard the.

12Suffī aur Huffī Īr kī aur HushīAkhīr kī aulād the.

13Naftālī ke chār beṭe Yahsiyel,Jūnī, Yisar aur Sallūm the. SabBilhāh kī aulād the.

Manassī kī Aulād14Manassī kī Arāmī dāshtā ke dobeṭe Asriyel aur Jiliyād kā bāpMakīr paidā hue. 15Makīr neHuffiyoṅ aur Suffiyoṅ kī ek auratse shādī kī. Bahan kā nām Mākāthā. Makīr ke dūsre beṭe kā nāmSilāfihād thā jis ke hāṅ sirf beṭiyāṅpaidā huīṅ.

16Makīr kī bīwī Mākā ke mazīddo beṭe Faras aur Sharas paidā hue.Sharas kedobeṭeAulāmaurRaqamthe. 17Aulām ke beṭe kā nām Bidānthā. Yihī Jiliyād bin Makīr binManassī kī aulād the.

18Jiliyād kī bahan mūlikat ketīn beṭe Ishhūd, Abiyazar aurMahlāh the. 19Samīdā ke chār beṭeAkhiyān, Sikam, Liqhī aur Aniyāmthe.

Ifrāīm kī Aulād20Ifrāīm ke hāṅ Sūtalah paidā huā,Sūtalah ke Barad, Barad ke TahatTahat ke Iliadā, Iliadā ke Tahat21Tahat ke Zabad aur Zabad keSūtalah.Ifrāīm ke mazīd do beṭe Azar aur

Iliad the. Yih do mard ek dinJāt gae tāki wahāṅ ke rewaṛ lūṭleṅ. Lekinmaqāmī logoṅ ne unheṅpakaṛ kar mār ḍālā. 22Un kā bāpIfrāīm kāfī arse tak un kā mātamkartā rahā, aur us ke rishtedār usse milne āe tāki use tasallī deṅ.23Jab is ke bād us kī bīwī ke beṭāpaidā huā to us ne us kā nāmBariyā yānī Musībat rakhā, kyoṅkius waqt khāndān musībat meṅ āgayā thā. 24Ifrāīm kī beṭī sairā ne

Page 405: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 7:25 399

Bālāī aur Nashebī Bait‐haurūn aurUzzan‐sairā ko banwāyā.

25Ifrāīm ke mazīd do beṭe Rafahaur Rasaf the. Rasaf ke hāṅ Tilahpaidā huā, Tilah ke Tahan, 26Tahanke Lādān, Lādān ke Ammīhūd,Ammīhūd ke Ilīsamā, 27Ilīsamā keNūn, Nūn ke Yashua.

28Ifrāīm kī aulād ke ilāqe meṅzail ke maqām shāmil the: Baitelgird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ samet,mashriq meṅ Nārān tak, maġhribmeṅ Jazar tak gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet, shimālmeṅSikamaur Aiyāh tak gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet. 29Bait‐shān,Tānak, Majiddo aur Dor gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ samet Manassīkī aulād kī milkiyat ban gae. Intamām maqāmoṅ meṅ Yūsuf binIsrāīl kī aulād rahtī thī.

Āshar kī Aulād30Āshar ke chār beṭe Yimnā, Iswāh,Iswī aur Bariyā the. Un kī bahanSirah thī.

31Bariyā ke beṭe Hibar aurBirzāyt kā bāp Malkiyel the.

32Hibar ke tīn beṭe Yaflīt, Shūmīraur Khūtām the. Un kī bahan Suathī.

33Yaflīt ke tīn beṭe Fāsak, Bimhālaur Aswāt the. 34Shūmīr ke chārbeṭe Akhī, Rūhjā, Hubbā aur Arāmthe. 35Us ke bhāī Hīlam ke chārbeṭe Sūfah, Imnā, Salas aur Amalthe.

36Sūfah ke 11 beṭe Sūh, Harnafar,Suāl, Bairī, Imrāh,

37Basar, Hūd, Sammā, Silsā,Yitrān aur Baīrā the.

38Yatar ke tīn beṭe Yafunnā,Fisfāh aur Arā the.

39Ullā ke tīn beṭe Arakh,Hanniyel aur Riziyāh the.

40Āshar ke darj‐e‐bālā tamāmafrād apne apne khāndānoṅ kesarparast the. Sab chīdā mard,māhir faujī aur sardāroṅ kesarbarāh the. Nasabnāme meṅ26,000 jang karne ke qābil marddarj haiṅ.

Binyamīn kī Aulād

8 Binyamīn ke pāṅch beṭe baṛese le kar chhoṭe tak Bālā,

Ashbel, Akhrakh, 2Nūhā aur Rafāthe.

3Bālā ke beṭe Addār, Jīrā,Abīhūd, 4Abīsua, Nāmān, Akhūh,5Jīrā, Safūfān aur Hūrām the.

Page 406: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

400 1 Tawārīkh 8:35

6‐7Ahūd ke tīn beṭe Nāmān,Akhiyāh aur Jīrā the. Yih unkhāndānoṅ ke sarparast the jopahle Jibā meṅ rahte the lekinjinheṅ bād meṅ jilāwatan karkeMānahat meṅ basāyā gayā. Uzzāaur Akhīhūd kā bāp Jīrā unheṅwahāṅ le kar gayā thā.

8‐9Sahraim apnī do bīwiyoṅHushīm aur Bārā ko talāq de karMoāb chalā gayā. Wahāṅ us kī bīwīHūdas ke sāt beṭe Yūbāb, Zibiyā,Mesā, Malkām, 10Yaūz, Sakiyāh aurMirmā paidā hue. Sab bād meṅapne khāndānoṅ ke sarparast bangae. 11Pahlī bīwī Hushīm ke dobeṭe Abītūb aur Ilfāl paidā hue.

12‐14Ilfāl ke āṭh beṭe Ibar,Mish’ām, Samad, Bariyā, Samā,Akhiyo, Shāshaq aur Yarīmot the.Samad Onū, Lūd aur gird‐o‐nawāhkī ābādiyoṅ kā bānī thā. Bariyāaur Samā Aiyālon ke bāshindoṅke sarbarāh the. Unhīṅ ne Jāt kebāshindoṅ ko nikāl diyā.

15‐16Bariyā ke beṭe Zabadiyāh,Arād, Idar, Mīkāel, Isfāh aur Yūkhāthe.

17Ilfāl ke mazīd beṭe Zabadiyāh,Masullām, hizqī, Hibar, 18Yismarī,Yizliyāh aur Yūbāb the.

19‐21Simaī ke beṭe Yaqīm, Zikrī,Zabdī, Iliyainī, Zillatī, Iliyel,Adāyāh, Birāyāh aur Simrāt the.

22‐25Shāshaq ke beṭe Isfān,Ibar, Iliyel, Abdon, Zikrī, Hanān,Hananiyāh, Ailām, Anatotiyāh,Yafdiyāh aur Fanuel the.

26‐/27Yarohām ke beṭe Samsarī,Shahāriyāh, Ataliyāh, Yārasiyāh,Iliyās aur Zikrī the. 28Yih tamāmkhāndānī sarparast nasabnāmemeṅ darj the aur Yarūshalam meṅrahte the.

Jibaūnmeṅ Sāūl kā Khāndān29Jibaūn kā bāp Ya’iyel Jibaūn meṅrahtā thā. Us kī bīwī kā nām Mākāthā. 30Baṛe se le kar chhoṭe takun ke beṭe Abdon, Sūr, Qīs, Bāl,Nadab, 31Jadūr, Akhiyo, Zakar 32aurMiqlot the. Miqlot kā beṭā Simāhthā. Wuh bhī apne rishtedāroṅ kesāth Yarūshalammeṅ rahte the.

33Nair Qīs kā bāp thā aur Qīs Sāūlkā. Sāūl ke chār beṭe Yūnatan,Malkīshua, Abīnadāb aur Ishbālthe.

34Yūnatan Marībbāl kā bāp thāaur Marībbāl Mīkāh kā.

35Mīkāh ke chār beṭe Fītūn,Malik, Tārīa aur Ākhaz the.

Page 407: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 8:36 401

36Ākhaz kā beṭā Yahuaddā thā jiske tīn beṭe Alamat, Azmāwat aurZimrī the. Zimrī ke hāṅ Mauzāpaidā huā, 37Mauzā ke Bin’ā, Bin’āke Rāfā, Rāfā ke Iliyāsā aur Iliyāsāke Asīl.

38Asīl ke chhih beṭe Azrīqām,Bokirū, Ismāīl, Sa’ariyāh, Abadiyāhaur Hanān the. 39Asīl ke bhāī īshaqke tīn beṭe baṛe se le kar chhoṭe takAulām, Yaūs aur Ilīfalat the.

40Aulām ke beṭe tajrabākār faujīthe jo mahārat se tīr chalā saktethe. Un ke bahut‐se beṭe aurpote the, kul 150 afrād. Tamāmmazkūrā ādmī un ke khāndānoṅsamet Binyamīn kī aulād the.

Jilāwatanī ke bād Yarū‐shalam ke Bāshinde

9 Tamām Isrāīl Shāhān‐e‐Isrāīlkī Kitāb ke nasabnāmoṅ meṅ

darj hai.Phir Yahūdāh ke bāshindoṅ

ko bewafāī ke bāis Bābal meṅjilāwatan kar diyā gayā. 2Jo logpahle wāpas ā kar dubārā shahroṅmeṅ apnīmaurūsī zamīn par rahnelage wuh imām, Lāwī, Rab ke gharke khidmatgār aur bāqī chand ekIsrāīlī the. 3Yahūdāh, Binyamīn,

Ifrāīm aur Manassī ke qabīloṅ kekuchh log Yarūshalammeṅ jā base.

4Yahūdāh ke qabīle ke darj‐e‐zailkhāndānī sarparast wahāṅ ābādhue:Ūtī bin Ammīhūd bin Umrī bin

Imrī bin Bānī. Bānī Fāras binYahūdāh kī aulād meṅ se thā.

5Sailā ke khāndān kā pahlauṭhāAsāyāh aur us ke beṭe.

6Zārah ke khāndān kā yaūel.Yahūdāh ke in khāndānoṅ kī kultādād 690 thī.

7‐8Binyamīn ke qabīle kedarj‐e‐zail khāndānī sarparastYarūshalammeṅ ābād hue:Sallū bin Masullām bin

Hūdāwiyāh bin Sanūsāh.Ibniyāh bin Yarohām.Ailā bin Uzzī bin Miqrī.Masullām bin Safatiyāh bin

Raūel bin Ibniyāh.9Nasabnāme ke mutābiq

Binyamīn ke in khāndānoṅ kī kultādād 956 thī.

10Jo imām jilāwatanī se wāpas ākar Yarūshalammeṅ ābād huewuhzail meṅ darj haiṅ:Yadāyāh, Yahūyarīb, Yakīn,

11Allāh ke ghar kā inchārj Azariyāhbin Khilqiyāh bin Masullām binSadoq bin Mirāyot bin Akhītūb,

Page 408: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

402 1 Tawārīkh 9:27

12Adāyāh bin Yarohām bin Fashhūrbin Malkiyāh aur Māsī bin Adiyelbin Yahzīrāh bin Masullām binMasillimit bin Immer. 13Imāmoṅke in khāndānoṅ kī kul tādād 1,760thī. Un ke mard Rab ke ghar meṅkhidmat saranjām dene ke qābilthe.

14Jo Lāwī jilāwatanī se wāpas ākar Yarūshalammeṅ ābād huewuhdarj‐e‐zail haiṅ:Mirārī ke khāndān kā Samāyāh

bin Hassūb bin Azrīqām binHasbiyāh, 15Baqbaqqar, Haras,Jalāl, Mattaniyāh binMīkā bin Zikrībin Āsaf, 16Abadiyāh bin Samāyāhbin Jalāl bin Yadūtūn aur Barakiyāhbin Āsā bin Ilqānā. BarakiyāhNatūfātiyoṅ kī ābādiyoṅ kā rahnewālā thā.

17Zail ke darbān bhī wāpas āe:Sallūm, Aqqūb, Talmūn, Akhīmānaur un ke bhāī. Sallūm un kāinchārj thā. 18Āj tak us kā khāndānRab ke ghar ke mashriq meṅ ShāhīDarwāze kī pahrādārī kartā hai.Yih darbān Lāwiyoṅ ke khaimoṅke afrād the. 19Sallūm bin Qore binAbiyāsaf bin Qorah apne bhāiyoṅke sāth Qorah ke khāndān kāthā. Jis tarah un ke bāpdādā kīzimmedārī Rab kī khaimāgāh meṅ

mulāqāt ke khaime ke darwāze kīpahrādārī karnī thī usī tarah unkī zimmedārī maqdis ke darwāzekī pahrādārī karnī thī. 20Qadīmzamāne meṅ Fīnhās bin Iliyazarun par muqarrar thā, aur Rab us kesāth thā. 21Bād meṅ Zakariyāh binMasalamiyāh mulāqāt ke khaimeke darwāze kā darbān thā.

22Kul 212 mardoṅ ko darbān kīzimmedārī dī gaī thī. Un ke nāmunkī maqāmī jaghoṅ ke nasabnāmemeṅ darj the. Dāūd aur SamuelĠhaibbīn ne un ke bāpdādā ko yihzimmedārī dī thī. 23Wuh aur unkī aulād pahle Rab ke ghar yānīmulāqāt ke khaime ke darwāzoṅpar pahrādārī karte the. 24Yihdarbān Rab ke ghar ke chāroṅ tarafke darwāzoṅ kī pahrādārī karte the.

25Lāwī ke aksar log Yarūshalammeṅ nahīṅ rahte the balki bārī bārīek hafte ke lie dehāt se Yarūshalamāte the tāki wahāṅ apnī khidmatsaranjām deṅ. 26Sirf darbānoṅ kechār inchārj musalsal Yarūshalammeṅ rahte the. Yih chār Lāwī Allāhke ghar ke kamroṅ aur khazānoṅko bhī saṅbhālte 27aur rāt ko bhīAllāh ke ghar ke irdgird guzārtethe, kyoṅki unhīṅ ko us kī hifāzat

Page 409: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 9:28 403

karnā aur subah ke waqt us kedarwāzoṅ ko kholnā thā.

28Bāz darbān ibādat kā sāmānsaṅbhālte the. Jab bhī use istemālke lie andar aur bād meṅ dubārābāhar lāyā jātā to wuh har chīz kogin kar chaik karte the. 29Bāz bāqīsāmān aur maqdis meṅ maujūdchīzoṅ ko saṅbhālte the. Rab keghar meṅ mustāmal bārīk maidā,mai, zaitūn kā tel, bakhūr aurbalsān ke mukhtalif tel bhī inmeṅ shāmil the. 30Lekin balsānke teloṅ ko taiyār karnā imāmoṅkī zimmedārī thī. 31Qorah kekhāndān kā Lāwī Mattitiyāh joSallūm kā pahlauṭhā thā qurbānīke lie mustāmal roṭī banāne kāintazām chalātā thā. 32Qihātke khāndān ke bāz Lāwiyoṅ kehāth meṅ wuh roṭiyāṅ banāne kāintazām thā jo har hafte ke din koRab ke lie makhsūs karke Rab keghar ke Muqaddas Kamre kī mezpar rakhī jātī thīṅ.

33Mausīqār bhī Lāwī the. Un kesarbarāh bāqī tamām khidmatmeṅhissā nahīṅ lete the, kyoṅki unheṅhar waqt apnī hī khidmat saranjāmdene ke lie taiyār rahnā paṛtā thā.Is lie wuh Rab ke ghar ke kamroṅmeṅ rahte the.

34Lāwiyoṅ ke yih tamāmkhāndānī sarparast nasabnāmemeṅ darj the aur Yarūshalam meṅrahte the.

Jibaūnmeṅ Sāūl ke Khāndān35Jibaūn kā bāp Ya’iyel Jibaūn meṅrahtā thā. Us kī bīwī kā nām Mākāthā. 36Baṛe se le kar chhoṭe tak unke beṭe Abdon, Sūr, Qīs, Bāl, Nair,Nadab, 37Jadūr, Akhiyo, Zakariyāhaur Miqlot the. 38Miqlot kā beṭāSimāh thā. Wuh bhī apne bhāiyoṅke muqābil Yarūshalam meṅ rahtethe.

39Nair Qīs kā bāp thā aur Qīs Sāūlkā. Sāūl ke chār beṭe Yūnatan,Malkīshua, Abīnadāb aur Ishbālthe.

40Yūnatan Marībbāl kā bāp thāaur Marībbāl Mīkāh kā. 41Mīkāhke chār beṭe Fītūn, Malik, Tahreaaur Ākhaz the. 42Ākhaz kā beṭāYārā thā. Yārā ke tīn beṭe Alamat,Azmāwat aur Zimrī the. Zimrī kehāṅ Mauzā paidā huā, 43Mauzā keBin’ā, banā ke Rifāyāh, Rifāyāh keIliyāsā aur Iliyāsā ke Asīl.

44Asīl ke chhih beṭe Azrīqām,Bokirū, Ismāīl, Sa’ariyāh, Abadiyāhaur Hanān the.

Page 410: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

404 1 Tawārīkh 10:13

Sāūl aur Us ke Beṭoṅ kī Maut

10 Jilbua ke pahāṛī silsile parFilistiyoṅ aur Isrāīliyoṅ ke

darmiyān jang chhiṛ gaī. Laṛte laṛteIsrāīlī farār hone lage, lekin bahutlog wahīṅ shahīd ho gae.

2Phir Filistī Sāūl aur us ke beṭoṅYūnatan, Abīnadāb aur Malkīshuake pās jā pahuṅche. Tīnoṅ beṭehalāk ho gae. 3Jabki laṛāī Sāūl keirdgird urūj tak pahuṅch gaī. Phirwuh tīrandāzoṅ kā nishānā ban karzakhmī ho gayā. 4Us ne apnesilāhbardār ko hukm diyā, “Apnītalwār miyān se khīṅch kar mujhemār ḍāl! Warnā yih nāmakhtūnmujhe be’izzat kareṅge.” Lekinsilāhbardār ne inkār kiyā, kyoṅkiwuh bahut ḍarā huā thā. Ākhirmeṅ Sāūl apnī talwār le kar khud uspar gir gayā.

5Jab silāhbardār ne dekhā kimerāmālikmar gayāhai towuhbhīapnī talwār par gir kar mar gayā.6Yoṅ us din Sāūl, us ke tīn beṭeaur us kā tamām gharānā halākho gae. 7Jab Maidān‐e‐Yazrael keIsrāīliyoṅ ko khabar milī ki Isrāīlīfauj bhāg gaī aur Sāūl apne beṭoṅsamet mārā gayā hai to wuh apneshahroṅ ko chhoṛ kar bhāg nikle,

aur Filistī chhoṛe hue shahroṅ parqabzā karke un meṅ basne lage.

8Agle din Filistī lāshoṅ ko lūṭneke lie dubārā maidān‐e‐jang meṅā gae. Jab unheṅ Jilbua ke pahāṛīsilsile par Sāūl aur us ke tīnoṅbeṭe murdā mile 9to unhoṅ ne Sāūlkā sar kāṭ kar us kā zirābaktarutār liyā aur qāsidoṅ ko apne pūremulk meṅ bhej kar apne butoṅ aurapnī qaum ko fatah kī ittalā dī.10Sāūl kā zirābaktar unhoṅ ne apnedewatāoṅ ke mandir meṅ mahfūzkar liyā aur us ke sar ko DajūnDewatā ke mandir meṅ laṭkā diyā.

11Jab Yabīs‐jiliyād ke bāshindoṅko khabar milī ki Filistiyoṅ ne Sāūlkī lāsh ke sāth kyā kuchh kiyā hai12to shahr ke tamām laṛne ke qābilādmī Bait‐shān ke lie rawānā hue.Wahāṅ pahuṅch kar wuh Sāūl aurus ke beṭoṅ kī lāshoṅ ko utār karYabīs le gae jahāṅ unhoṅ ne un kīhaḍḍiyoṅ ko Yabīs ke baṛe darakhtke sāy meṅ dafnāyā. Unhoṅ nerozā rakh kar pūre hafte tak un kāmātam kiyā.

13Sāūl ko is lie mārā gayā ki wuhRab kā wafādār na rahā. Us neus kī hidāyāt par amal na kiyā,yahāṅ tak ki us ne murdoṅ kī rūhse rābitā karne wālī jādūgarnī se

Page 411: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 10:14 405

mashwarā kiyā, 14hālāṅki use Rabse dariyāft karnā chāhie thā. Yihīwajah hai ki Rab ne use sazā‐e‐maut de kar saltanat ko Dāūd binYassī ke hawāle kar diyā.

Dāūd Pūre Isrāīl kā BādshāhBan Jātā Hai

11 Us waqt tamām IsrāīlHabrūn meṅ Dāūd ke pās

āyā aur kahā, “Ham āp hī kī qaumaur āp hī ke rishtedār haiṅ. 2Māzīmeṅ bhī jab Sāūl bādshāh thā to āphī faujī muhimmoṅ meṅ Isrāīl kīqiyādat karte rahe. Aur Rab āp keKhudā ne āp se wādā bhī kiyā haiki tū merī qaum Isrāīl kā charwāhāban kar us par hukūmat karegā.”

3Jab Isrāīl ke tamām buzurgHabrūn pahuṅche to DāūdBādshāh ne Rab ke huzūr un kesāth ahd bāndhā, aur unhoṅ neuse masah karke Isrāīl kā bādshāhbanā diyā. Yoṅ Rab kā Samuel kīmārifat kiyā huā wādā pūrā huā.

Dāūd Yarūshalam parQabzā Kartā Hai

4Bādshāh banane ke bād Dāūdtamām Isrāīliyoṅ ke sāthYarūshalam gayā tāki us par hamlā

kare. Us zamāne meṅ us kā nāmYabūs thā, aur Yabūsī us meṅbaste the. 5Dāūd ko dekh karYabūsiyoṅ ne us se kahā, “Āphamāre shahr meṅ kabhī dākhilnahīṅ ho pāeṅge!”To bhī Dāūd ne Siyyūn ke qile

par qabzā kar liyā jo ājkal ‘Dāūdkā Shahr’ kahlātā hai. 6Yabūs parhamlā karne se pahleDāūdne kahāthā, “Jo bhī Yabūsiyoṅ par hamlākarne meṅ rāhnumāī kare wuhfauj kā kamānḍar banegā.” TabYoāb bin Zarūyāh ne pahle shahrpar chaṛhāī kī. Chunāṅche usekamānḍar muqarrar kiyā gayā.

7Yarūshalam par fatah pāne kebād Dāūd qile meṅ rahne lagā. Usne use ‘Dāūd kā Shahr’ qarār diyā8aur us ke irdgird shahr ko baṛhānelagā. Dāūd kā yih tāmīrī kāmirdgird ke chabūtaroṅ se shurū huāaur chāroṅ taraf phailtā gayā jabkiYoāb ne shahr kā bāqī hissā bahālkar diyā. 9Yoṅ Dāūd zor pakaṛtāgayā, kyoṅki Rabbul‐afwāj us kesāth thā.

Dāūd keMashhūr Faujī10Darj‐e‐zail Dāūd ke sūrmāoṅ kīfahrist hai. Pūre Isrāīl ke sāth

Page 412: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

406 1 Tawārīkh 11:22

unhoṅnemazbūtī se us kī bādshāhīkī himāyat karke Dāūd ko Rab kefarmān ke mutābiq apnā bādshāhbanā diyā.

11Jo tīn afsar Yoāb ke bhāīAbīshai ke ain bād āte the un meṅYasūbiyāmHakmūnīpahlenambarpar ātā thā. Ek bār us ne apne nezese 300 ādmiyoṅ ko mār diyā. 12Intīn afsaroṅ meṅ se dūsrī jagah parIliyazar bin Dodo bin Akhūhī ātāthā. 13Yih Fas‐dammīm meṅ Dāūdke sāth thā jab Filistī wahāṅ laṛneke lie jamā ho gae the. Maidān‐e‐jang meṅ jau kā khet thā, aur laṛtelaṛte Isrāīlī Filistiyoṅ ke sāmnebhāgne lage. 14Lekin Iliyazar Dāūdke sāth khet ke bīch meṅ Filistiyoṅkā muqābalā kartā rahā. Filistiyoṅko mārte mārte unhoṅ ne khet kādifā karke Rab kī madad se baṛīfatah pāī.

15‐16Ek aur jang ke daurān DāūdAdullām ke ġhār ke pahāṛī qilemeṅ thā jabki Filistī fauj neWādī‐e‐Rafāīm meṅ apnī lashkargāh lagāīthī. Un ke dastoṅ ne Bait‐lahamparbhī qabzā kar liyā thā. Dāūd ke tīsālā afsaroṅ meṅ se tīn us se milneāe. 17Dāūd ko shadīd pyās lagī, aurwuh kahne lagā, “Kaun mere lie

Bait‐laham ke darwāze par ke hauzse kuchh pānī lāegā?”

18Yih sun kar tīnoṅ afsarFilistiyoṅ kī lashkargāh par hamlākarke us meṅ ghus gae aur laṛtelaṛte Bait‐laham ke hauz takpahuṅch gae. Us se kuchh pānībhar kar wuh use Dāūd ke pās leāe. Lekin us ne pīne se inkār kardiyā balki use qurbānī ke taur parunḍel kar Rab ko pesh kiyā 19aurbolā, “Allāh na kare ki maiṅ yihpānī piyūṅ. Agar aisā kartā to unādmiyoṅ kā khūn pītā jo apnī jānpar khel kar pānī lāe haiṅ.” Is liewuh use pīnā nahīṅ chāhtā thā. Yihin tīn sūrmāoṅ ke zabardast kāmoṅkī ek misāl hai.

20‐21Yoāb kā bhāī Abīshaimazkūrā tīn sūrmāoṅ parmuqarrar thā. Ek dafā us ne apneneze se 300 ādmiyoṅ ko mār ḍālā.Tīnoṅ kī nisbat us kī zyādā izzat kījātī thī, lekinwuh khud inmeṅ ginānahīṅ jātā thā.

22Bināyāh bin Yahoyadā bhīzabardast faujī thā. Wuh Qabziyelkā rahne wālā thā, aur us ne bahutdafā apnī mardānagī dikhāī. Moābke do baṛe sūrmā us ke hāthoṅhalāk hue. Ek bār jab bahut barfpaṛ gaī to us ne ek hauz meṅ utar

Page 413: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 11:23 407

kar ek sherbabar ko mār ḍālā jous meṅ gir gayā thā. 23Ek aurmauqe par us kā wāstā ek Misrīse paṛā jis kā qad sāṛhe sāt fuṭthā. Misrī ke hāth meṅ khaḍḍī keshahtīr jaisā baṛā nezā thā jabki uske apne pās sirf lāṭhī thī. LekinBināyāh ne us par hamlā karke uske hāth se nezā chhīn liyā aur useus ke apne hathiyār se mār ḍālā.24Aisī bahādurī dikhāne kī binā parBināyāh bin Yahoyadā mazkūrā tīnādmiyoṅ ke barābar mashhūr huā.25Tīs afsaroṅ ke dīgar mardoṅ kīnisbat us kī zyādā izzat kī jātī thī,lekin wuh mazkūrā tīn ādmiyoṅmeṅ ginā nahīṅ jātā thā. Dāūd neuse apne muhāfizoṅ par muqarrarkiyā.

26Zail ke ādmī bādshāh kesūrmāoṅ meṅ shāmil the.Yoāb kā bhāī Asāhel, Bait‐laham

kā Ilhanān bin Dodo, 27SammotHarorī, Khalis Falūnī, 28Taqua kāĪrā bin Aqqīs, Anatot kā Abiyazar,29Sibbakī Hūsātī, Īlī Akhūhī,30Mahrī Natūfātī, Halid bin BānāNatūfātī, 31Binyamīnī shahr Jibiyākā Ittī bin Rībī, Bināyāh Fir’ātonī32Nahle‐jās kā Hūrī, Abiyel Arbātī,33Azmāwat Bahrūmī, IliyahbāSa’ālbūnī, 34Hashīm Jizūnī ke

beṭe, Yūnatan bin Shajī Harārī,35Akhiyām bin Sakār Harārī,Ilīfal bin Ūr, 36Hifar Makīrātī,Akhiyāh Falūnī, 37Hasro Karmilī,Nārī bin Azbī, 38Nātan kā bhāīYoel, Mibkhār bin Hājirī, 39SilaqAmmonī, Yoāb bin Zarūyāh kāsilāhbardār Nahrī Bairotī, 40Īrā Itrī,Jarīb Itrī, 41Ūriyāh Hittī, Zabad binAkhlī, 42Adīnā bin Sīzā (Rūbin keqabīle kā yih sardār 30 faujiyoṅpar muqarrar thā), 43Hanān binMākā, Yūsafat Mitnī, 44UzziyāhAstarātī, Khūtām Aroīrī ke beṭeSamā aur Ya’iyel, 45Yadiyael binSimrī, us kābhāīYūkhāTīsī, 46IliyelMahāwī, Ilnām ke beṭe Yarībī aurYūsāwiyāh, Yitmā Moābī, 47Iliyel,Obed aur Yāsiyel Mazobāī.

Sāūl ke Daur‐e‐Hukūmat meṅDāūd ke Pairokār

12 Zail ke ādmī Siqlāj meṅDāūd ke sāth mil gae. Us

waqt jab wuh Sāūl bin Qīs sechhupā rahtā thā. Yih un faujiyoṅmeṅ se the jo jang meṅ Dāūdke sāth mil kar laṛte the 2aurbehtarīn tīrandāz the, kyoṅki yihna sirf dahne balki bāeṅ hāth sebhī mahārat se tīr aur falākhan kā

Page 414: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

408 1 Tawārīkh 12:18

patthar chalā sakte the. In ādmiyoṅmeṅ se darj‐e‐zail Binyamīn keqabīle aur Sāūl ke khāndān se the.

3Un kā rāhnumā Akhiyazar, phirYuās (donoṅ Samā’āh Jibiyātī kebeṭe the), Yaziyel aur Falat (donoṅAzmāwat ke beṭe the), Barākā,Yāhū Anatotī, 4Ismāyāh Jibaūnī joDāūd ke 30 afsaroṅ kā ek sūrmāaur līḍar thā, Yarmiyāh, Yahziyel,Yūhanān, Yūzabad Jadīrātī, 5Iliūzī,Yarīmot, Bāliyāh, Samariyāh aurSafatiyāh Kharūfī.

6Qorah ke khāndān meṅ seIlqānā, Yissiyāh, Azarel, Yuazar aurYasūbiyām Dāūd ke sāth the.

7In ke alāwā Yarohām Jadūrī kebeṭe Yūīlā aur Zabadiyāh bhī the.

8Jad ke qabīle se bhī kuchhbahādur aur tajrabākār faujī Sāūlse alag ho kar Dāūd ke sāth mil gaejab wuh registān ke qile meṅ thā.Yih mard mahārat se ḍhāl aur nezāistemāl kar sakte the. Un ke chehresherbabar ke chehroṅ kī mānindthe, aur wuh pahāṛī ilāqe meṅġhazāloṅ kī tarah tez chal sakte the.

9Un kā līḍar Azar zail kedas ādmiyoṅ par muqarrar thā:Abadiyāh, Iliyāb, 10Mismannā,Yarmiyāh, 11Attī, Iliyel, 12Yūhanān,Ilzabad, 13Yarmiyāh aurMakbannī.

14Jad ke yih mard sab ālā faujīafsar ban gae. Un meṅ se sab sekamzor ādmī sau ām faujiyoṅ kāmuqābalā kar saktā thā jabki sab setāqatwar ādmī hazār kā muqābalākar saktā thā. 15Inhīṅ ne bahārke mausam meṅ Dariyā‐e‐Yardanko pār kiyā, jab wuh kināroṅ sebāhar ā gayā thā, aur mashriq aurmaġhrib kī wādiyoṅ ko band karrakhā.

16Binyamīn aur Yahūdāh keqabīloṅ ke kuchh mard Dāūd kepahāṛī qile meṅ āe. 17Dāūd bāharnikal kar un se milne gayā aurpūchhā, “Kyā āp salāmatī se merepās āe haiṅ? Kyā āp merī madadkarnā chāhte haiṅ? Agar aisā hai tomaiṅ āp kā achchhā sāthī rahūṅgā.Lekin agar āp mujhe dushmanoṅke hawāle karne ke lie āe haiṅhālāṅkimujh se koī bhī zulm nahīṅhuā hai to hamāre bāpdādā kāKhudā ise dekh kar āp ko sazā de.”

18Phir Rūhul‐quds 30 afsaroṅ kerāhnumā Amāsī par nāzil huā, aurus ne kahā, “Ai Dāūd, ham tere hīlog haiṅ. Ai Yassī ke beṭe, ham teresāth haiṅ. Salāmatī, salāmatī tujhehāsil ho, aur salāmatī unheṅ hāsilho jo terīmadad karte haiṅ. Kyoṅkiterā Khudā terī madad karegā.”

Page 415: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 12:19 409

Yih sun kar Dāūd ne unheṅ qabūlkarke apne chhāpāmār dastoṅ parmuqarrar kiyā.

19Manassī ke qabīle ke kuchhmard bhī Sāūl se alag ho kar Dāūdke pās āe. Us waqt wuh Filistiyoṅke sāthmil kar Sāūl se laṛne jā rahāthā, lekin bād meṅ use maidān‐e‐jang meṅ āne kī ijāzat na milī.Kyoṅki Filistī sardāroṅ ne āpasmeṅ mashwarā karne ke bād useyih kah kar wāpas bhej diyā kikhatrā hai ki yih hameṅ maidān‐e‐jang meṅ chhoṛ kar apne purānemālik Sāūl se dubārā mil jāe. Phirham tabāh ho jāeṅge.

20Jab Dāūd Siqlāj wāpas jā rahāthā to Manassī ke qabīle ke darj‐e‐zail afsar Sāūl se alag ho kar uske sāth ho lie: Adnā, Yūzabad,Yadiyael, Mīkāel, Yūzabad, Ilīhūaur Zillatī. Manassī meṅ har ek kohazār hazār faujiyoṅ par muqarrarkiyā gayā thā. 21Unhoṅ ne lūṭnewāle Amālīqī dastoṅ ko pakaṛnemeṅDāūd kīmadad kī, kyoṅki wuhsab diler aur qābil faujī the. Sab uskī fauj meṅ afsar ban gae.

22Roz baroz log Dāūd kī madadkarne ke lie āte rahe, aur hote hoteus kī fauj Allāh kī fauj jaisī baṛī hogaī.

Habrūnmeṅ Dāūd kī Fauj23Darj‐e‐zail un tamām faujiyoṅ kīfahrist hai jo Habrūn meṅ Dāūdke pās āe tāki use Sāūl kī jagahbādshāh banāeṅ, jis tarah Rab nehukm diyā thā.

24Yahūdāh ke qabīle ke ḍhāl aurneze se lais 6,800 mard the.

25Shamāūn ke qabīle ke 7,100tajrabākār faujī the.

26Lāwī ke qabīle ke 4,600 mardthe. 27Un meṅ Hārūn ke khāndānkā sarparast Yahoyadā bhī shāmilthā jis ke sāth 3,700 ādmī the.28Sadoq nāmī ek diler aur jawānfaujī bhī shāmil thā. Us ke sāth uske apne khāndān ke 22 afsar the.

29Sāūl ke qabīle Binyamīn ke bhī3,000 mard the, lekin is qabīle keaksar faujī ab tak Sāūl ke khāndānke sāth lipṭe rahe.

30Ifrāīm ke qabīle ke 20,800 faujīthe. Sab apne khāndānoṅ meṅasar‐o‐rasūkh rakhne wāle the.

31Manassī ke ādhe qabīle ke18,000 mard the. Unheṅ Dāūd kobādshāh banāne ke lie chun liyāgayā thā.

32Ishkār ke qabīle ke 200 afsarapne dastoṅ ke sāth the. Yih log

Page 416: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

410 1 Tawārīkh 13:5

waqt kī zarūrat samajh kar jānte theki Isrāīl ko kyā karnā hai.

33Zabūlūn ke qabīle ke 50,000tajrabākār faujī the. Wuh harhathiyār se lais aur pūrī wafādārī seDāūd ke lie laṛne ke lie taiyār the.

34Naftālī ke qabīle ke 1,000 afsarthe. Un ke taht ḍhāl aur neze semusallah 37,000 ādmī the.

35Dān ke qabīle ke 28,600 mardthe jo sab laṛne ke lie musta’id the.

36Āshar ke qabīle ke 40,000 mardthe jo sab laṛne ke lie taiyār the.

37Dariyā‐e‐Yardan ke mashriqmeṅ ābād qabīloṅ Rūbin, Jad aurManassī ke ādhe hisse ke 1,20,000mard the. Har ek har qism kehathiyār se lais thā.

38Sab tartīb se Habrūn āe tākipūre azm ke sāth Dāūd ko pūreIsrāīl kā bādshāh banāeṅ. Bāqītamām Isrāīlī bhī muttafiq theki Dāūd hamārā bādshāh banjāe. 39Yih faujī tīn din tak Dāūdke pās rahe jis daurān un keqabāylī bhāī unheṅ khāne‐pīnekī chīzeṅ muhaiyā karte rahe.40Qarīb ke rahne wāloṅ ne bhīis meṅ un kī madad kī. Ishkār,Zabūlūn aur Naftālī tak ke logapne gadhoṅ, ūṅṭoṅ, khachcharoṅaur bailoṅ par khāne kī chīzeṅ

lād kar wahāṅ pahuṅche. Maidā,anjīr aur kishmish kī ṭikkiyāṅ,mai, tel, bail aur bheṛ‐bakriyāṅbaṛī miqdār meṅ Habrūn lāī gaīṅ,kyoṅki tamām Isrāīlī khushī manārahe the.

Dāūd Ahd kā Sandūq Yarūshalammeṅ Lānā Chāhtā Hai

13 Dāūd ne tamām afsaroṅ semashwarā kiyā. Un meṅ

hazār hazār aur sau sau faujiyoṅpar muqarrar afsar shāmil the.2Phir us ne Isrāīl kī pūrī jamāt sekahā, “Agar āp ko manzūr ho aurRab hamāre Khudā kī marzī hoto āeṅ ham pūre mulk ke Isrāīlībhāiyoṅ ko dāwat deṅ ki ā karhamāre sāth jamā ho jāeṅ. Wuhimām aur Lāwī bhī sharīk hoṅ joapne apne shahroṅ aur charāgāhoṅmeṅ baste haiṅ. 3Phir ham apneKhudā ke ahd kā sandūq dubārāapne pās wāpas lāeṅ, kyoṅki Sāūlke daur‐e‐hukūmat meṅ ham us kīfikr nahīṅ karte the.”

4Pūrī jamāt muttafiq huī, kyoṅkiyih mansūbā sab ko durust lagā.5Chunāṅche Dāūd ne pūre Isrāīlko junūb meṅ Misr ke Saihūr se lekar shimāl meṅ Labo‐hamāt tak

Page 417: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 13:6 411

bulāyā tāki sab mil kar Allāh keahd kā sandūq Qiriyat‐yārīm seYarūshalam le jāeṅ. 6Phir wuhun ke sāth Yahūdāh ke Bālā yānīQiriyat‐yārīm gayā tāki Rab Khudākā sandūq uṭhā kar Yarūshalamle jāeṅ, wuhī sandūq jis par Rabke nām kā ṭhappā lagā hai aurjahāṅ wuh sandūq ke ūpar karūbīfarishtoṅ ke darmiyān takhtnashīnhai. 7Qiriyat‐yārīm pahuṅch karlogoṅ ne Allāh ke sandūq koAbīnadāb ke ghar se nikāl kar eknaī bailgāṛī par rakh diyā, aur Uzzāaur Akhiyo use Yarūshalam kī tarafle jāne lage. 8Dāūd aur tamāmIsrāīlī gāṛī ke pīchhe chal paṛe. SabAllāh ke huzūr pūre zor se khushīmanāne lage. Jūnīpar kī lakaṛīke mukhtalif sāz bhī bajāe jā rahethe. Fizā sitāroṅ, sarodoṅ, dafoṅ,jhāṅjhoṅ aur turamoṅ kī āwāzoṅ segūṅj uṭhī.

9Wuh gandum gāhne kī ek jagahpar pahuṅch gae jis ke mālik kānām Kaidūn thā. Wahāṅ bailachānak beqābū ho gae. Uzzā nejaldī se ahd kā sandūq pakaṛ liyātākiwuhgir na jāe. 10Usī lamheRabkā ġhazab us par nāzil huā, kyoṅkius ne ahd ke sandūq ko chhūne kījurrat kī thī. Wahīṅ Allāh ke huzūr

Uzzā gir kar halāk huā. 11Dāūd kobaṛā ranj huāki Rabkā ġhazabUzzāpar yoṅ ṭūṭ paṛā hai. Us waqt se usjagah kā nām Paraz‐uzzā yānī ‘Uzzāpar Ṭūṭ Paṛnā’ hai.

12Us din Dāūd ko Allāh se khaufāyā. Us ne sochā, “Maiṅ kistarah Allāh kā sandūq apne pāspahuṅchā sakūṅgā?” 13Chunāṅcheus ne faislā kiyā ki ham ahd kāsandūqYarūshalamnahīṅ le jāeṅgebalki use Obed‐adom jātī ke gharmeṅ mahfūz rakheṅge. 14Wahāṅwuh tīn māh tak paṛā rahā. In tīnmahīnoṅ ke daurān Rab ne Obed‐adom ke gharāne aur us kī pūrīmilkiyat ko barkat dī.

Dāūd kī Taraqqī

14 Ek din Sūr ke bādshāhHīrām ne Dāūd ke pās

wafd bhejā. Rāj aur baṛhaī bhī sāththe. Un ke pās deodār kī lakaṛīthī tāki Dāūd ke lie mahal banāeṅ.2Yoṅ Dāūd ne jān liyā ki Rab nemujhe Isrāīl kā bādshāh banā karmerī bādshāhī apnī qaum Isrāīl kīkhātir bahut sarfarāz kar dī hai.

3Yarūshalam meṅ jā basne kebād Dāūd ne mazīd shādiyāṅ kīṅ.Natīje meṅ Yarūshalam meṅ us

Page 418: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

412 1 Tawārīkh 15:1

ke kaī beṭe‐beṭiyāṅ paidā hue.4Jo beṭe wahāṅ paidā hue wuhyih the: Sammua, Sobāb, Nātan,Sulemān, 5Ibhār, Ilīsua, Ilfalat,6Naujā, Nafaj, Yafīa, 7Ilīsamā, Bāl‐yadā aur Ilīfalat.

Filistiyoṅ par Fatah8Jab Filistiyoṅ ko ittalāmilī ki Dāūdko masah karke Isrāīl kā bādshāhbanāyā gayā hai to unhoṅ ne apnefaujiyoṅ ko Isrāīlmeṅbhej diyā tākiuse pakaṛ leṅ. Jab Dāūd ko patāchal gayā to wuh un kā muqābalākarne ke lie gayā. 9Jab Filistī Isrāīlmeṅ pahuṅch kar Wādī‐e‐Rafāīmmeṅ phail gae 10to Dāūd ne Rab sedariyāft kiyā, “Kyā maiṅ Filistiyoṅpar hamlā karūṅ? Kyā tū mujheun par fatah bakhshegā?” Rab nejawāb diyā, “Hāṅ, un par hamlākar! Maiṅ unheṅ tere qabze meṅkar dūṅgā.” 11Chunāṅche Dāūdapne faujiyoṅ ko le kar Bāl‐parāzīmgayā. Wahāṅ us ne Filistiyoṅ koshikast dī. Bād meṅ us ne gawāhīdī, “Jitne zor se band ke ṭūṭ jānepar pānī us se phūṭ nikaltā haiutne zor se āj Allāh mere wasīlese dushman kī safoṅ meṅ se phūṭniklā hai.” Chunāṅche us jagah

kā nām Bāl‐parāzīm yānī ‘PhūṭNikalne kāMālik’ paṛ gayā. 12Filistīapne dewatāoṅ ko chhoṛ kar bhāggae. Aur Dāūd ne unheṅ jalā denekā hukm diyā.

13Ek bār phir Filistī ā kar Wādī‐e‐Rafāīm meṅ phail gae. 14Is dafājab Dāūd ne Allāh se dariyāft kiyāto us ne jawāb diyā, “Is martabāun kā sāmnāmat karnā balki un kepīchhe jā kar bakā ke darakhtoṅ kesāmne un par hamlā kar. 15Jab undarakhtoṅ kī choṭiyoṅ se qadmoṅkī chāp sunāī de to khabardār! Yihis kā ishārā hogā ki Allāh khud tereāge āge chal kar Filistiyoṅkomārneke lie nikal āyā hai.” 16Dāūd ne aisāhī kiyā aur natīje meṅ Filistiyoṅ koshikast de kar Jibaūn se le kar Jazartak un kā tāqqub kiyā.

17Dāūd kī shohrat tamāmmamālik meṅ phail gaī. Rab netamāmqaumoṅ ke diloṅmeṅDāūdkā khauf ḍāl diyā.

Yarūshalammeṅ Ahd ke Sandūqke lie Taiyāriyāṅ

15 Yarūshalam ke us hissemeṅ jis kā nām ‘Dāūd kā

Shahr’ paṛ gayā thā Dāūd ne apnelie chand imārateṅ banwāīṅ. Us

Page 419: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 15:2 413

ne Allāh ke sandūq ke lie bhī ekjagah taiyār karke wahāṅ khaimālagā diyā. 2Phir us ne hukm diyā,“Siwāe Lāwiyoṅ ke kisī ko bhī Allāhkā sandūq uṭhāne kī ijāzat nahīṅ.Kyoṅki Rab ne inhīṅ ko Rab kāsandūq uṭhāne aur hameshā ke lieus kī khidmat karne ke lie chun liyāhai.”

3Is ke bād Dāūd ne tamām Isrāīlko Yarūshalam bulāyā tāki wuhmilkar Rab kā sandūq us jagah le jāeṅjo us ne us ke lie taiyār kar rakhīthī. 4Bādshāh ne Hārūn aur bāqīLāwiyoṅ kī aulād ko bhī bulāyā.5Darj‐e‐zail un Lāwī sarparastoṅ kīfahrist hai jo apne rishtedāroṅ ko lekar āe.Qihāt ke khāndān se Ūriyel 120

mardoṅ samet,6Mirārī ke khāndān se Asāyāh

220 mardoṅ samet,7Jairsom ke khāndān se Yoel 130

mardoṅ samet,8Ilīsafan ke khāndān se Samāyāh

200 mardoṅ samet,9Habrūn ke khāndān se Iliyel 80

mardoṅ samet,10Uzziyel ke khāndān se

Ammīnadāb 112 mardoṅ samet.11Dāūd ne donoṅ imāmoṅ Sadoq

aur Abiyātar ko mazkūrā chhih

Lāwī sarparastoṅ samet apne pāsbulā kar 12un se kahā, “Āp Lāwiyoṅke sarbarāh haiṅ. Lāzim hai ki āpapne qabāylī bhāiyoṅ ke sāth apneāp ko makhsūs‐o‐muqaddas karkeRab Isrāīl ke Khudā ke sandūqko us jagah le jāeṅ jo maiṅ neus ke lie taiyār kar rakhī hai.13Pahlī martabā jab ham ne useyahāṅ lāne kī koshish kī to yih āpLāwiyoṅ ke zariye na huā, is lieRab hamāre Khudā kā qahr hampar ṭūṭ paṛā. Us waqt ham ne usse dariyāft nahīṅ kiyā thā ki useuṭhā kar le jāne kā kyā munāsibtarīqā hai.” 14Tab imāmoṅ aurLāwiyoṅ ne apne āp ko makhsūs‐o‐muqaddas karke Rab Isrāīl keKhudā ke sandūq ko Yarūshalamlāne ke lie taiyār kiyā. 15PhirLāwī Allāh ke sandūq ko uṭhānekī lakaṛiyoṅ se apne kandhoṅ paryoṅ hī rakh kar chal paṛe jis tarahMūsā ne Rab ke kalām ke mutābiqfarmāyā thā.

16Dāūd ne Lāwī sarbarāhoṅ koyih hukm bhī diyā, “Apne qabīlemeṅ se aise ādmiyoṅ ko chunleṅ jo sāz, sitār, sarod aur jhāṅjhbajāte hue khushī ke gīt gāeṅ.”17Us zimmedārī ke lie Lāwiyoṅne zail ke ādmiyoṅ ko muqarrar

Page 420: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

414 1 Tawārīkh 16:1

kiyā: Haimān bin Yoel, us kā bhāīĀsaf bin Barakiyāh aur Mirārī kekhāndān kā Aitān bin Kausāyāh.18Dūsre maqām par un ke yih bhāīāe: Zakariyāh, Yāziyel, Samīrāmot,Yihiyel, Unnī, Iliyāb, Bināyāh,Māsiyāh, Mattitiyāh, Ilīfalehū,Miqniyāh, Obed‐adom aur Ya’iyel.Yih darbān the. 19Haimān,Āsaf aur Aitān gulūkār the, aurunheṅ pītal ke jhāṅjh bajāne kīzimmedārī dī gaī. 20Zakariyāh,Aziyel, Samīrāmot, Yihiyel, Unnī,Iliyāb, Māsiyāh aur Bināyāh koalāmūt ke tarz par sitār bajānā thā.21Mattitiyāh, Ilīfalehū, Miqniyāh,Obed‐adom, Ya’iyel aur Azaziyāhko Shamīnīt ke tarz par sarodbajāne ke lie chunā gayā.

22Kananiyāh ne Lāwiyoṅ kī kwāirkī rāhnumāī kī, kyoṅki wuh is meṅmāhir thā.

23‐24Barakiyāh, Ilqānā, Obed‐adom aur Yahiyāh ahd ke sandūqke darbān the. Sabaniyāh, Yūsafat,Nataniyel, Amāsī, Zakariyāh,Bināyāh aur Iliyazar ko turam bajākar Allāh ke sandūq ke āge āgechalne kī zimmedārī dī gaī. Sātoṅimām the.

Dāūd Ahd kā Sandūq Yarū‐shalammeṅ Le Ātā Hai

25Phir Dāūd, Isrāīl ke buzurg aurhazār hazār faujiyoṅ par muqarrarafsar khushī manāte hue nikalkar Obed‐adom ke ghar gae tākiRab ke ahd kā sandūq wahāṅ sele kar Yarūshalam pahuṅchāeṅ.26Jab zāhir huā ki Allāh ahd kesandūq ko uṭhāne wāle Lāwiyoṅkī madad kar rahā hai to sāt jawānsānḍoṅ aur sātmenḍhoṅkoqurbānkiyā gayā. 27Dāūd bārīk katānkā libās pahne hue thā, aur istarah ahd kā sandūq uṭhāne wāleLāwī, gulūkār aur kwāir kā līḍarkananiyāh bhī. Is ke alāwā Dāūdkatān kā bālāposh pahne hue thā.28Tamām Isrāīlī khushī ke nāre lagālagā kar, narsinge aur turam phūṅkphūṅk kar aur jhāṅjh, sitār aursarod bajā bajā kar Rab ke ahd kāsandūq Yarūshalam lāe.

29Rab kā ahd kā sandūq Dāūd keshahr meṅ dākhil huā to Dāūd kībīwī Mīkal bint Sāūl khiṛkī meṅ sejulūs ko dekh rahī thī. Jab bādshāhkūdtā aur nāchtā huā nazar āyā toMīkal ne use haqīr jānā.

16 Allāh kā sandūq us tambūke darmiyān meṅ rakhā

Page 421: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 16:2 415

gayā jo Dāūd ne us ke lie lagwāyāthā. Phir unhoṅ ne Allāh ke huzūrbhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ pesh kīṅ. 2Is ke bādDāūd ne qaum ko Rab ke nām sebarkat de kar 3har Isrāīlī mardaur aurat ko ek roṭī, khajūr kīek ṭikkī aur kishmish kī ek ṭikkīde dī. 4Us ne kuchh Lāwiyoṅ koRab ke sandūq ke sāmne khidmatkarne kī zimmedārī dī. UnheṅRab Isrāīl ke Khudā kī tamjīdaur hamd‐o‐sanā karnī thī. 5Unkā sarbarāh Āsaf jhāṅjh bajātāthā. Us kā nāyb Zakariyāh thā.Phir Ya’iyel, Samīrāmot, Yihiyel,Mattitiyāh, Iliyāb, Bināyāh, Obed‐adom aur Ya’iyel the jo sitār aursarod bajāte the. 6Bināyāh aurYahziyel Imāmoṅ kī zimmedārīAllāh ke ahd ke sandūq ke sāmneturam bajānā thī.

Shukr kā Gīt7Us din Dāūd ne pahlī dafā Āsaf aurus ke sāthī Lāwiyoṅ ke hawāle zailkā gīt karke unheṅ Rab kī satāishkarne kī zimmedārī dī.

8“Rab kā shukr karo aur us kānām pukāro! Aqwām meṅ us kekāmoṅ kā elān karo.

9Sāz bajā kar us kī madahsarāīkaro. Us ke tamām ajāyb ke bāremeṅ logoṅ ko batāo.

10Us ke muqaddas nām par fakhrkaro. Rab ke tālib dil se khush hoṅ.

11Rab aur us kī qudrat kī dariyāftkaro, har waqt us ke chehre ke tālibraho.

12Jo mojize us ne kie unheṅ yādkaro. Us ke ilāhī nishān aur us kemuṅh ke faisle dohrāte raho.

13Tum jo us ke khādim Isrāīl kīaulād aur Yāqūb ke farzand ho, jous ke barguzīdā log ho, tumheṅ sabkuchh yād rahe!

14Wuhī Rab hamārā Khudā hai,wuhī pūrī duniyā kī adālat kartāhai.

15Wuh hameshā apne ahd kākhayāl rakhtā hai, us kalām kā jous ne hazār pushtoṅ ke lie farmāyāthā.

16Yih wuh ahd hai jo us neIbrāhīm se bāndhā, wuhwādā jo usne qasamkhā kar Is’hāq se kiyā thā.

17Us ne use Yāqūb ke lie qāymkiyā tākiwuhus kemutābiq zindagī

Page 422: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

416 1 Tawārīkh 16:35

guzāre, us ne tasdīq kī ki yih merāIsrāīl se abadī ahd hai.

18Sāth sāth us ne farmāyā, ‘MaiṅtujheMulk‐e‐Kanān dūṅgā. Yih terīmīrās kā hissā hogā.’

19Us waqt wuh tādād meṅ kamaur thoṛe hī the balki mulk meṅajnabī hī the.

20Ab tak wuh mukhtalif qaumoṅaur saltanatoṅ meṅ ghūmte‐phirtethe.

21Lekin Allāh ne un par kisī kozulmkarnena diyā, aur un kī khātirus ne bādshāhoṅ ko ḍānṭā,

22‘Meremasah kie hue khādimoṅko mat chheṛnā, mere nabiyoṅ konuqsān mat pahuṅchānā.’

23Ai pūrī duniyā, Rab kī tamjīdmeṅ gīt gā! Roz baroz us kī najāt kīkhushkhabrī sunā.

24Qaumoṅ meṅ us kā jalāl aurtamām ummatoṅ meṅ us ke ajāybbayān karo.

25Kyoṅki Rab azīm aur satāishke bahut lāyq hai. Wuh tamāmmābūdoṅ se mahīb hai.

26Kyoṅki dīgar qaumoṅ ketamāmmābūdbut hī haiṅ jabki Rabne āsmān ko banāyā.

27Us ke huzūr shān‐o‐shaukat, uskī sukūnatgāh meṅ qudrat aur jalālhai.

28Ai qaumoṅ ke qabīlo, Rab kītamjīd karo, Rab ke jalāl aur qudratkī satāish karo.

29Rab ke nām ko jalāl do.Qurbānī le kar us ke huzūr āo.Muqaddas libās se ārāstā ho karRab ko sijdā karo.

30Pūrī duniyā us ke sāmne larazuṭhe. Yaqīnan duniyā mazbūtī seqāym hai aur nahīṅ ḍagmagāegī.

31Āsmān shādmān ho, aur zamīnjashn manāe. Qaumoṅ meṅ kahājāe ki Rab Bādshāh hai.

32Samundar aur jo kuchh usmeṅhai khushī se garaj uṭhe, maidānaur jo kuchh us meṅ hai bāġh bāġhho.

33Phir jangal ke darakht Rab kesāmne shādiyānā bajāeṅge, kyoṅkiwuh ā rahā hai, wuh zamīn kīadālat karne ā rahā hai.

34Rab kā shukr karo, kyoṅki wuhbhalā hai, aur us kī shafqat abadīhai.

35Us se iltamās karo, ‘Ai hamārīnajāt ke Khudā, hameṅ bachā!Hameṅ jamā karke dīgar qaumoṅke hāth se chhuṛā. Tab hī ham tere

Page 423: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 16:36 417

muqaddas nām kī satāish kareṅgeaur tere qābil‐e‐tārīf kāmoṅ parfakhr kareṅge.’

36Azal se abad tak Rab, Isrāīl keKhudā kī hamd ho!”Tab pūrī qaum ne “Āmīn” aur

“Rab kī hamd ho” kahā.

Lāwiyoṅ kī Zimmedāriyāṅ37Dāūd ne Āsaf aur us ke sāthīLāwiyoṅ ko Rab ke ahd ke sandūqke sāmne chhoṛ kar kahā, “Āindāyahāṅbāqāydagī se rozānākī zarūrīkhidmat karte jāeṅ.”

38Is guroh meṅ Obed‐adom aurmazīd 68 Lāwī shāmil the. Obed‐adombinYadūtūn aurHūsā darbānban gae.

39Lekin Sadoq Imām aur us kesāthī imāmoṅ ko Dāūd ne Rab kīus sukūnatgāh ke pās chhoṛ diyā joJibaūn kī pahāṛī par thī. 40Kyoṅkilāzim thā ki wuh wahāṅ har subahaur shām ko bhasm hone wālīqurbāniyāṅ pesh kareṅ aur bāqītamām hidāyāt par amal kareṅ joRab kī taraf se Isrāīl ke lie sharīatmeṅ bayān kī gaī haiṅ. 41Dāūd neHaimān, Yadūtūn aur mazīd kuchhchīdā Lāwiyoṅ ko bhī Jibaūn meṅun ke pās chhoṛ diyā. Wahāṅ un

kī khās zimmedārī Rab kī hamd‐o‐sanā karnā thī, kyoṅki us kī shafqatabadī hai. 42Un ke pās turam,jhāṅjh aur bāqī aise sāz the jo Allāhkī tārīf meṅ gāe jāne wāle gītoṅke sāth bajāe jāte the. Yadūtūn kebeṭoṅ ko darbān banāyā gayā.

43Jashn ke bād sab log apne apneghar chale gae. Dāūd bhī apne gharlauṭā tāki apne khāndān ko barkatde kar salām kare.

Rab Dāūd ke lie Abadī BādshāhīkāWādā Kartā Hai

17 Dāūd Bādshāh salāmatī seapne mahal meṅ rahne

lagā. Ek din us neNātanNabī se bātkī, “Dekheṅ, maiṅ yahāṅ deodārke mahal meṅ rahtā hūṅ jabki Rabke ahd kā sandūq ab tak tambūmeṅ paṛā hai. Yihmunāsib nahīṅ!”2Nātan ne bādshāh kī hauslā‐afzāīkī, “Jo kuchh bhī āp karnā chāhtehaiṅ wuh kareṅ. Allāh āp ke sāthhai.”

3Lekin usī rāt Allāh Nātan sehamkalām huā, 4“Mere khādimDāūd ke pās jā kar use batā de kiRab farmātā hai, ‘Tū merī rihāishke lie makān tāmīr nahīṅ karegā.5Āj takmaiṅ kisī makānmeṅ nahīṅ

Page 424: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

418 1 Tawārīkh 17:16

rahā. Jab se maiṅ Isrāīliyoṅ koMisr se nikāl lāyā us waqt se maiṅkhaime meṅ rah kar jagah bajagahphirtā rahā hūṅ. 6Jis daurān maiṅtamām Isrāīliyoṅ ke sāth idhar‐udhar phirtā rahā kyā maiṅ neIsrāīl ke un rāhnumāoṅ se kabhīis nāte se shikāyat kī jinheṅ maiṅne apnī qaum kī gallābānī karnekā hukm diyā thā? Kyā maiṅ neun meṅ se kisī se kahā ki tum nemere lie deodār kā ghar kyoṅ nahīṅbanāyā?’

7Chunāṅche mere khādim Dāūdko batā de, ‘Rabbul‐afwāj farmātāhai ki maiṅ hī ne tujhe charāgāhmeṅ bheṛoṅ kī gallābānī karne sefāriġh karke apnī qaum Isrāīl kābādshāh banā diyā hai. 8Jahāṅbhī tū ne qadam rakhā wahāṅmaiṅ tere sāth rahā hūṅ. Teredekhte dekhte maiṅ ne tere tamāmdushmanoṅ ko halāk kar diyā hai.Ab maiṅ terā nām sarfarāz kardūṅgā, wuh duniyā ke sab se azīmādmiyoṅ ke nāmoṅ ke barābar hīhogā. 9Aur maiṅ apnī qaum Isrāīlke lie ek watan muhaiyā karūṅga,paude kī tarah unheṅ yoṅ lagādūṅgā ki wuh jaṛ pakaṛ kar mahfūzraheṅge aur kabhī bechain nahīṅhoṅge. Bedīn qaumeṅ unheṅ us

tarah nahīṅ dabāeṅgī jis tarahmāzīmeṅ kiyā kartī thīṅ, 10us waqt sejab maiṅ qaum par qāzī muqarrarkartā thā. Maiṅ tere dushmanoṅko khāk meṅ milā dūṅgā. Ājmaiṅ farmātā hūṅ ki Rab hī terelie ghar banāegā. 11Jab tū būṛhāho kar kūch kar jāegā aur apnebāpdādā se jā milegā to maiṅ terījagah tere beṭoṅ meṅ se ek kotakht par biṭhā dūṅgā. Us kībādshāhī ko maiṅ mazbūt banādūṅgā. 12Wuhī mere lie ghar tāmīrkaregā, aur maiṅ us kā takht abadtak qāym rakhūṅgā. 13Maiṅ uskā bāp hūṅgā aur wuh merā beṭāhogā. Merī nazar‐e‐karm Sāūl parna rahī, lekin maiṅ use tere beṭe sekabhī nahīṅ haṭāūṅgā. 14Maiṅ useapne gharāne aur apnī bādshāhīpar hameshā qāym rakhūṅgā, us kātakht hameshā mazbūt rahegā.’”

Dāūd kī Shukrguzārī15Nātan ne Dāūd ke pās jā kar usesab kuchh sunāyā jo Rab ne useroyā meṅ batāyā thā. 16Tab Dāūdahd ke sandūq ke pās gayā aur Rabke huzūr baiṭh kar duā karne lagā,“Ai Rab Khudā, maiṅ kaun hūṅ

aur merā khāndān kyā haisiyat

Page 425: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 17:17 419

rakhtā hai ki tū nemujhe yahāṅ takpahuṅchāyā hai? 17Aur ab ai Allāh,tūmujhe aur bhī zyādā atā karne kohai, kyoṅki tū ne apne khādim kegharāne ke mustaqbil ke bāre meṅbhīwādā kiyā hai. Ai Rab Khudā, tūne yoṅmujh par nigāh ḍālī hai goyākimaiṅ koī bahut ahambandā hūṅ.18‐19Lekin maiṅ mazīd kyā kahūṅjab tū ne yoṅ apne khādim kī izzatkī hai? Ai Rab, tū to apne khādimko jāntā hai. Tū ne apne khādimkī khātir aur apnīmarzī kemutābiqyih azīm kām karke in azīm wādoṅkī ittalā dī hai.

20Ai Rab, tujh jaisā koī nahīṅhai. Ham ne apne kānoṅ se sunliyā hai ki tere siwā koī aur Khudānahīṅ hai. 21Duniyā meṅ kaun‐sīqaum terī ummat Isrāīl kī mānindhai? Tū ne isī ek qaum kā fidyāde kar use ġhulāmī se chhuṛāyā aurapnī qaum banā liyā. Tū ne Isrāīlke wāste baṛe aur haibatnāk kāmkarke apne nām kī shohrat phailādī. Hameṅ Misr se rihā karke tūne qaumoṅ ko hamāre āge se nikāldiyā. 22Ai Rab, tū Isrāīl ko hameshāke lie apnī qaum banā kar un kāKhudā ban gayā hai.

23Chunāṅche ai Rab, jo bāt tūne apne khādim aur us ke gharāne

ke bāre meṅ kī hai use abad takqāym rakh aur apnā wādā pūrākar. 24Tab wuh mazbūt rahegā aurterā nāmabad takmashhūr rahegā.Phir log taslīm kareṅge ki Isrāīl kāKhudā Rabbul‐afwāj wāqaī Isrāīl kāKhudā hai, aur tere khādim Dāūdkā gharānā bhī abad tak tere huzūrqāym rahegā. 25Ai mere Khudā, tūne apne khādim ke kān ko is bāt kelie khol diyā hai. Tū hī ne farmāyā,‘Maiṅ tere lie ghar tāmīr karūṅga.’Sirf isī lie tere khādim ne yoṅ tujhse duā karne kī jurrat kī hai. 26AiRab, tū hī Khudā hai. Tū ne apnekhādim se in achchhī chīzoṅ kāwādā kiyā hai. 27Ab tū apne khādimke gharāne ko barkat dene par rāzīho gayā hai tāki wuh hameshā taktere sāmne qāym rahe. Kyoṅki tūhī ne use barkat dī hai, is lie wuhabad tak mubārak rahegā.”

Dāūd kī Jangeṅ

18 Phir aisā waqt āyā ki Dāūdne Filistiyoṅ ko shikast

de kar unheṅ apne tābe kar liyāaur Jāt Shahr par gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet qabzā kar liyā.

Page 426: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

420 1 Tawārīkh 18:13

2Us ne Moābiyoṅ par bhī fatahpāī, aur wuh us ke tābe ho kar usekharāj dene lage.

3Dāūd ne shimālī Shām ke shahrZobāh ke bādshāh Hadadazar kobhī Hamāt ke qarīb harā diyā jabHadadazar Dariyā‐e‐Furāt par qābūpāne ke lie nikal āyā thā. 4Dāūd ne1,000 rathoṅ, 7,000 ghuṛsawāroṅaur 20,000 piyādā sipāhiyoṅ kogiriftār kar liyā. Rathoṅ ke 100ghoṛoṅ ko us ne apne lie mahfūzrakhā jabki bāqiyoṅ kī us nekoṅcheṅ kāṭ dīṅ tāki wuh āindājang ke lie istemāl na ho sakeṅ.

5Jab Damishq ke Arāmī bāshindeZobāh ke bādshāh Hadadazar kīmadad karne āe to Dāūd ne un ke22,000 afrād halāk kar die. 6Phirus ne Damishq ke ilāqe meṅ apnīfaujī chaukiyāṅqāymkīṅ. Arāmīuske tābe ho gae aur use kharāj deterahe. Jahāṅ bhī Dāūd gayā wahāṅRab ne use kāmyābī bakhshī.7Sone kī jo ḍhāleṅ Hadadazar keafsaroṅ ke pās thīṅ unheṅ DāūdYarūshalam le gayā. 8Hadadazar kedo shahroṅ Kūn aur Tibkhat se usne kasrat kā pītal chhīn liyā. Bādmeṅ Sulemān ne yih pītal Rab keghar meṅ ‘Samundar’ nāmī pītal kā

hauz, satūn aur pītal kā mukhtalifsāmān banāne ke lie istemāl kiyā.

9Jab Hamāt ke bādshāh Tūī koittalā milī ki Dāūd ne Zobāh kebādshāhHadadazar kī pūrī fauj parfatah pāī hai 10to us ne apne beṭeHadūrām ko Dāūd ke pās bhejātāki use salām kahe. Hadūrāmne Dāūd ko Hadadazar par fatahke lie mubārakbād dī, kyoṅkiHadadazar Tūī kā dushman thā,aur un ke darmiyān jang rahī thī.Hadūrām ne Dāūd ko sone, chāṅdīaur pītal ke bahut‐se tohfe bhīpesh kie. 11Dāūd ne yih chīzeṅRab ke lie makhsūs kar dīṅ. Jahāṅbhī wuh dūsrī qaumoṅ par ġhālibāyā wahāṅ kī sonā‐chāṅdī us neRab ke lie makhsūs kar dī. YoṅAdom,Moāb, Ammon, Filistiyā aurAmālīq kī sonā‐chāṅdī Rab ko peshkī gaī.

12Abīshai bin Zarūyāh ne Namakkī Wādī meṅ Adomiyoṅ par fatahpā kar 18,000 afrād halāk kar die.13Us ne Adom ke pūre mulk meṅapnī faujī chaukiyāṅ qāym kīṅ, aurtamām Adomī Dāūd ke tābe hogae. Dāūd jahāṅ bhī jātā Rab us kīmadad karke use fatah bakhshtā.

Page 427: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 18:14 421

Dāūd ke Ālā Afsar14Jitnī der Dāūd pūre Isrāīl parhukūmat kartā rahā utnī der takus ne dhyān diyā ki qaum ke harek shakhs ko insāf mil jāe. 15Yoābbin Zarūyāh fauj par muqarrar thā.Yahūsafat bin Akhīlūd bādshāh kāmushīr‐e‐khās thā. 16Sadoq binAkhītūb aur Abīmalik bin Abiyātarimām the. Shaushā mīrmunshīthā. 17Bināyāh bin Yahoyadā Dāūdke khās daste banām Karetī aurFaletī kā kaptān muqarrar thā.Dāūd ke beṭe ālā afsar the.

Ammonī Dāūd kī Be’izzatīKarte Haiṅ

19 Kuchh der ke bādAmmoniyoṅ kā bādshāh

Nāhas faut huā, aur us kā beṭātakhtnashīn huā. 2Dāūd ne sochā,“Nāhas ne hameshā mujh parmehrbānī kī thī, is lie ab maiṅ bhīus ke beṭe Hanūn par mehrbānīkarūṅga.” Us ne bāp kī wafāt kāafsos karne ke lie Hanūn ke pāswafd bhejā.Lekin jab Dāūd ke safīr

Ammoniyoṅ ke darbār meṅpahuṅch gae tāki Hanūn ke sāmneafsos kā izhār kareṅ 3to us mulk

ke buzurg Hanūn Bādshāh ke kānmeṅmanfī bāteṅ bharne lage, “KyāDāūd ne in ādmiyoṅ kowāqaī sirf islie bhejā hai ki wuh afsos karke āpke bāp kā ehtirām kareṅ? Hargiznahīṅ! Yih sirf bahānā hai. Asalmeṅ yih jāsūs haiṅ jo hamāremulkke bāre meṅ mālūmāt hāsil karnāchāhte haiṅ tāki us par qabzā karsakeṅ.” 4Chunāṅche Hanūn neDāūd ke ādmiyoṅ ko pakaṛwā karun kī dāṛhiyāṅ munḍwā dīṅ aur unke libās ko kamr se le kar pāṅwoṅtak kāṭ kar utarwāyā. Isī hālat meṅbādshāh ne unheṅ fāriġh kar diyā.

5Jab Dāūd ko is kī khabar milī tous ne apne qāsidoṅ ko un se milneke lie bhejā tāki unheṅ batāeṅ,“Yarīhū meṅ us waqt tak ṭhahreraheṅ jab tak āp kī dāṛhiyāṅ dubārābahāl na ho jāeṅ.” Kyoṅki wuhapnī dāṛhiyoṅ kī wajah se baṛīsharmindagī mahsūs kar rahe the.

Ammoniyoṅ se Jang6Ammoniyoṅ ko khūb mālūmthā ki is harkat se ham Dāūdke dushman ban gae haiṅ. Islie Hanūn aur Ammoniyoṅ neMasoputāmiyā, Arām‐mākā aurZobāh ko chāṅdī ke 34,000

Page 428: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

422 1 Tawārīkh 19:18

kilogrāmbhej kar kirāepar rath aurrathsawār mangwāe. 7Yoṅ unheṅ32,000 rath un ke sawāroṅ sametmil gae. Mākā kā bādshāh bhīapne dastoṅ ke sāth un semuttahidhuā. Mīdabā ke qarīb unhoṅ neapnī lashkargāh lagāī. Ammonībhī apne shahroṅ se nikal kar jangke lie jamā hue. 8Jab Dāūd ko iskā ilm huā to us ne Yoāb ko pūrīfauj ke sāth un kā muqābalā karneke lie bhej diyā. 9Ammonī apnedārul‐hukūmat Rabbā se nikal karshahr ke darwāze ke sāmne hī saf‐ārā hue jabki dūsre mamālik se āehuebādshāhkuchh fāsile par khulemaidān meṅ khaṛe ho gae.

10Jab Yoāb ne jān liyā ki sāmneaur pīchhe donoṅ taraf se hamle kākhatrā hai to us ne apnī fauj ko dohissoṅ meṅ taqsīm kar diyā. Sab seachchhe faujiyoṅ ke sāth wuh khudShām ke sipāhiyoṅ se laṛne ke lietaiyār huā. 11Bāqī ādmiyoṅ ko usne apne bhāī Abīshai ke hawāle kardiyā tāki wuhAmmoniyoṅ se laṛeṅ.12Ek dūsre se alag hone se pahleYoāb ne Abīshai se kahā, “AgarShām ke faujī mujh par ġhālib ānelageṅ tomere pās ā karmerīmadadkarnā. Lekin agar āp Ammoniyoṅpar qābū na pā sakeṅ to maiṅ ā

kar āp kī madad karūṅga. 13Hauslārakheṅ! Ham dilerī se apnī qaumaur apne Khudā ke shahroṅ ke lielaṛeṅ. Aur Rab wuh kuchh hone dejo us kī nazar meṅ ṭhīk hai.”

14Yoāb ne apnī fauj ke sāth Shāmke faujiyoṅ par hamlā kiyā to wuhus ke sāmne se bhāgne lage. 15Yihdekh kar Ammonī bhī us ke bhāīAbīshai se farār ho kar shahr meṅdākhil hue. Tab Yoāb Yarūshalamwāpas chalā gayā.

Shām ke khilāf Jang16Jab Shām ke faujiyoṅ ko shikastkī be’izzatī kā ehsās huā tounhoṅ ne Dariyā‐e‐Furāt kepār Masoputāmiyā meṅ ābādArāmiyoṅ ke pās qāsid bheje tākiwuh bhī laṛne meṅ madad kareṅ.Hadadazar kā kamānḍar Sofak unpar muqarrar huā. 17Jab Dāūd kokhabarmilī to usne Isrāīl ke tamāmlaṛne ke qābil ādmiyoṅ ko jamākiyā aur Dariyā‐e‐Yardan ko pārkarke un ke muqābil saf‐ārā huā.Jabwuh yoṅun se laṛne ke lie taiyārhuā to Arāmī us kāmuqābalā karnelage. 18Lekin unheṅ dubārā shikastmān kar farār honā paṛā. Is dafā unke 7,000 rathbānoṅ ke alāwā 40,000

Page 429: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 19:19 423

piyādā sipāhī halāk hue. Dāūd nefauj ke kamānḍar Sofak ko bhī mārḍālā.

19Jo Arāmī pahle Hadadazar ketābe the unhoṅ ne ab hār mān karIsrāīliyoṅ se sulah kar lī aur un ketābe ho gae. Us waqt se Arāmiyoṅne Ammoniyoṅ kī madad karne kīphir jurrat na kī.

Rabbā Shahr par Fatah

20 Bahār kā mausam ā gayā,wuh waqt jab bādshāh

jang ke lie nikalte haiṅ. Tab Yoābne fauj le kar Ammoniyoṅ kā mulktabāh kar diyā. Laṛte laṛte wuhRabbā tak pahuṅch gayā aur us kāmuhāsarā karne lagā. Lekin Dāūdkhud Yarūshalam meṅ rahā. PhirYoāb ne Rabbā ko bhī shikast dekar khāk meṅ milā diyā. 2Dāūdne Hanūn Bādshāh kā tāj us ke sarse utār kar apne sar par rakh liyā.Sone ke is tāj kā wazn 34 kilogrāmthā, aur us meṅ ek beshqīmatjauhar jaṛā huā thā. Dāūd ne shahrse bahut‐sā lūṭā huā māl le kar 3uske bāshindoṅ ko ġhulām banā liyā.Unheṅ patthar kāṭne kī āriyāṅ,lohe kī kudāleṅ aur kulhāṛiyāṅ dīgaīṅ tāki wuh mazdūrī kareṅ. Yihī

sulūk bāqī Ammonī shahroṅ kebāshindoṅ ke sāth bhī kiyā gayā.Jang ke ikhtitām par Dāūd pūrī faujke sāth Yarūshalam lauṭ āyā.

Filistiyoṅ se Jang4Is ke bād Isrāīliyoṅ ko Jazarke qarīb Filistiyoṅ se laṛnāpaṛā. Wahāṅ Sibbakī Hūsātī nedewqāmat mard Rafā kī aulādmeṅ se ek ādmī ko mār ḍālā jiskā nām Saffī thā. Yoṅ Filistiyoṅko tābe kar liyā gayā. 5Un se ekaur laṛāī ke daurān Ilhanān binYāīr ne Jātī Jālūt ke bhāī Lahmīko maut ke ghāṭ utār diyā. Us kānezā khaḍḍī ke shahtīr jaisā baṛāthā. 6Ek aur dafā Jāt ke pās laṛāīhuī. Filistiyoṅ kā ek faujī jo Rafā kīnasl kā thā bahut lambā thā. Us kehāthoṅ aur pairoṅ kī chhih chhihungliyāṅ yānī mil kar 24 ungliyāṅthīṅ. 7Jab wuh Isrāīliyoṅ kā mazāquṛāne lagā to Dāūd ke bhāī Simāke beṭe Yūnatan ne use mār ḍālā.8Jāt ke yih dewqāmat mard Rafā kīaulād the, aur wuh Dāūd aur us kefaujiyoṅ ke hāthoṅ halāk hue.

Page 430: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

424 1 Tawārīkh 21:13

Dāūd kī Mardumshumārī

21 Ek din Iblīs Isrāīl ke khilāfuṭh khaṛā huā aur Dāūd ko

Isrāīl kīmardumshumārī karne paruksāyā. 2Dāūd ne Yoāb aur qaumke buzurgoṅ ko hukm diyā, “Dān sele kar Bair‐sabā tak Isrāīl ke tamāmqabīloṅ meṅ se guzarte hue jangkarne ke qābil mardoṅ ko gin leṅ.Phir wāpas ā kar mujhe ittalā deṅtākimālūmho jāe ki un kī kul tādādkyā hai.”

3Lekin Yoāb ne etarāz kiyā, “Aibādshāh mere āqā, kāsh Rab apnefaujiyoṅ kī tādād sau gunā baṛhāde. Kyoṅki yih to sab āp kekhādim haiṅ. Lekin mere āqāun kī mardumshumārī kyoṅ karnāchāhte haiṅ? Isrāīl āp ke sabab sekyoṅ qusūrwār ṭhahre?”

4Lekin bādshāh Yoāb ke etarāzātke bāwujūd apnī bāt par ḍaṭā rahā.Chunāṅche Yoāb darbār se rawānāhuā aur pūre Isrāīl meṅ se guzarkar us kī mardumshumārī kī. Iske bād wuh Yarūshalam wāpasā gayā. 5Wahāṅ us ne Dāūd komardumshumārī kī pūrī riporṭpesh kī. Isrāīl meṅ 11,00,000talwār chalāne ke qābil afrādthe jabki Yahūdāh ke 4,70,000

mard the. 6Hālāṅki Yoāb neLāwī aur Binyamīn ke qabīloṅko mardumshumārī meṅ shāmilnahīṅ kiyā thā, kyoṅki use yih kāmkarne se ghin ātī thī.

7Allāh ko Dāūd kī yih harkat burīlagī, is lie us ne Isrāīl ko sazā dī.8TabDāūdneAllāh se duākī, “Mujhse sangīn gunāh sarzad huā hai.Ab apne khādim kā qusūr muāfkar. Mujh se baṛī hamāqat huī hai.”9Tab Rab Dāūd ke ġhaibbīn JādNabī se hamkalām huā, 10“Dāūd kepās jā kar use batā denā, ‘Rab tujhetīn sazāeṅ pesh kartā hai. In meṅse ek chun le.’”

11Jād Dāūd ke pās gayā aur useRab kā paiġhām sunā diyā. Us nesawāl kiyā, “Āp kis sazā ko tarjīhdete haiṅ? 12Sāt sāl ke daurān kāl?Yā yih ki āp ke dushman tīn māhtak āp ko talwār se mār mār kar āpkā tāqqub karte raheṅ? Yā yih kiRab kī talwār Isrāīl meṅ se guzare?Is sūrat meṅ Rab kā farishtā mulkmeṅ wabā phailā kar pūre Isrāīl kāsatyānās kar degā.”

13Dāūd ne jawāb diyā, “Hāymaiṅkyā kahūṅ? Maiṅ bahut pareshānhūṅ. Lekin ādmiyoṅ ke hāthoṅmeṅ paṛ jāne kī nisbat behtar haiki ham Rab hī ke hāthoṅ meṅ paṛ

Page 431: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 21:14 425

jāeṅ, kyoṅki us kā rahm nihāyatazīm hai.”

14Tab Rab ne Isrāīl meṅ wabāphailne dī. Mulk meṅ 70,000 afrādhalāk hue. 15Allāh ne apne farishteko Yarūshalam ko tabāh karne kelie bhī bhejā. Lekin farishtā abhīis ke lie taiyār ho rahā thā ki Rabne logoṅ kī musībat ko dekh kartars khāyā aur tabāh karne wālefarishte ko hukmdiyā, “Bas kar! Abbāz ā.” Us waqt Rab kā farishtāwahāṅ khaṛā thā jahāṅ urnān yānīAraunāh Yabūsī apnā anāj gāhtāthā. 16Dāūd ne apnī nigāh uṭhākar Rab ke farishte ko āsmān‐o‐zamīn ke darmiyān khaṛe dekhā.Apnī talwār miyān se khīṅch kar usne use Yarūshalam kī taraf baṛhāyāthā ki Dāūd buzurgoṅ samet muṅhke bal gir gayā. Sab ṭāṭ kā libās oṛhehue the. 17Dāūd ne Allāh se iltamāskī, “Maiṅ hī ne hukm diyā ki laṛneke qābil mardoṅ ko ginā jāe. Maiṅhī ne gunāh kiyā hai, yih merā hīqusūr hai. In bheṛoṅ se kyā ġhaltīhuī hai? AiRabmere Khudā, barāh‐e‐karm in ko chhoṛ kar mujhe aurmere khāndān ko sazā de. Apnīqaum se wabā dūr kar!”

18Phir Rab ke farishte ne Jād kīmārifat Dāūd ko paiġhām bhejā,

“Araunāh Yabūsī kī gāhne kījagah ke pās jā kar us par Rab kīqurbāngāh banā le.”

19Chunāṅche Dāūd chaṛh kargāhne kī jagah ke pās āyā jis tarahRab ne Jād kī mārifat farmāyā thā.20Uswaqt Araunāh apne chār beṭoṅke sāth gandum gāh rahā thā. Jabus ne pīchhe dekhā to farishtānazar āyā. Araunāh ke beṭe bhāgkar chhup gae. 21Itne meṅ Dāūd āpahuṅchā. Use dekhte hī Araunāhgāhne kī jagah ko chhoṛ kar us semilne gayā aur us ke sāmne aundhemuṅh jhuk gayā. 22Dāūd ne us sekahā, “Mujhe apnī gāhne kī jagahde deṅ tāki maiṅ yahāṅ Rab ke liequrbāngāh tāmīr karūṅ. Kyoṅkiyih karne se wabā ruk jāegī. Mujheis kī pūrī qīmat batāeṅ.”

23Araunāh ne Dāūd se kahā,“Mere āqā aur bādshāh, ise lekar wuh kuchh kareṅ jo āp koachchhā lage. Dekheṅ, maiṅ āpko apne bailoṅ ko bhasm hone wālīqurbāniyoṅke lie de detā hūṅ. Anājko gāhne kā sāmān qurbāngāh parrakh kar jalā deṅ. Merā anāj ġhallākī nazar ke lie hāzir hai. Maiṅkhushī se āp ko yih sab kuchh dedetā hūṅ.” 24Lekin Dāūd Bādshāhne inkār kiyā, “Nahīṅ, maiṅ zarūr

Page 432: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

426 1 Tawārīkh 22:5

har chīz kī pūrī qīmat adā karūṅga.Jo āp kī hai use maiṅ le kar Rabko pesh nahīṅ karūṅga, na maiṅaisī koī bhasm hone wālī qurbānīchaṛhāūṅgā jomujhemuftmeṅmiljāe.”

25Chunāṅche Dāūd ne Araunāhko us jagah ke lie sone ke 600 sikkede die. 26Us ne wahāṅ Rab kī tāzīmmeṅ qurbāngāh tāmīr karke us parbhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. Jab us neRab se iltamās kī to Rab ne uskī sunī aur jawāb meṅ āsmān sebhasm hone wālī qurbānī par āgbhej dī. 27Phir Rab ne maut kefarishte ko hukm diyā, aur us neapnī talwār ko dubārā miyān meṅḍāl diyā.

28Yoṅ Dāūd ne jān liyā ki Rabne Araunāh Yabūsī kī gahne kījagah par merī sunī jab maiṅne yahāṅ qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ.29Us waqt Rab kā wuh muqaddaskhaimā jo Mūsā ne registān meṅbanwāyā thā Jibaūn kī pahāṛī parthā. Qurbāniyoṅ ko jalāne kīqurbāngāh bhī wahīṅ thī. 30Lekinab Dāūd meṅ wahāṅ jā kar Rab kehuzūr us kī marzī dariyāft karnekī jurrat na rahī, kyoṅki Rab kefarishte kī talwār ko dekh kar us

par itnī shadīd dahshat tārī huī ki

22 wuh jā hī nahīṅ saktā thā.1is lie Dāūd ne faislā kiyā,

“Rab hamāre Khudā kā ghar gāhnekī is jagah par hogā, aur yahāṅ wuhqurbāngāh bhī hogī jis par Isrāīl kelie bhasm hone wālī qurbānī jalāījātī hai.”

Dāūd Rab kā Ghar Banāne kīTaiyāriyāṅ Kartā Hai

2Chunāṅche us ne Isrāīl meṅrahne wāle pardesiyoṅ ko bulā karunheṅ Allāh ke ghar ke lie darkārtarāshe hue patthar taiyār karne kīzimmedārī dī. 3Is ke alāwā Dāūdne darwāzoṅ ke kiwāṛoṅ kī kīloṅaur kaṛoṅ ke lie lohe ke baṛe ḍherlagāe. Sāth sāth itnā pītal ikaṭṭhākiyā gayā ki ākhirkār use tolā na jāsakā. 4Isī tarah deodār kī bahutzyādā lakaṛī Yarūshalam lāī gaī.Saidā aur Sūr ke bāshindoṅ ne useDāūd tak pahuṅchāyā. 5Yih sāmānjamā karne ke pīchhe Dāūd kā yihkhayāl thā, “Merā beṭā Sulemānjawān hai, aur us kā abhī itnātajrabā nahīṅ hai, hālāṅki jo gharRab ke lie banwānā hai use itnābaṛā aur shāndār hone kī zarūrathai ki tamām duniyā hakkā‐bakkā

Page 433: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 22:6 427

rah kar us kī tārīf kare. Is liemaiṅ khud jahāṅ tak ho sake usebanwāne kī taiyāriyāṅ karūṅga.”Yihī wajah thī ki Dāūd ne apnīmautse pahle itnā sāmān jamā karāyā.

Dāūd Sulemān ko Rab kā GharBanwāne kī Zimmedārī Detā Hai

6Phir Dāūd ne apne beṭe Sulemānko bulā kar use Rab Isrāīl keKhudā ke lie sukūnatgāh banwānekī zimmedārī de kar 7kahā,“Mere beṭe, maiṅ khud Rab apneKhudā ke nām ke lie ghar banānāchāhtā thā. 8Lekin mujhe ijāzatnahīṅ milī, kyoṅki Rab mujh sehamkalām huā, ‘Tū ne shadīdqism kī jangeṅ laṛ kar beshumārlogoṅ ko mār diyā hai. Nahīṅ, tūmere nām ke lie ghar tāmīr nahīṅkaregā, kyoṅkimere dekhte dekhtetū bahut khūṅrezī kā sabab banāhai. 9Lekin tere ek beṭā paidā hogājo amnpasand hogā. Use maiṅamn‐o‐amān muhaiyā karūṅga,use chāroṅ taraf ke dushmanoṅse laṛnā nahīṅ paṛegā. Us kā nāmSulemān hogā, aur us kī hukūmatke daurān maiṅ Isrāīl ko amn‐o‐amān atā karūṅga. 10Wuhī merenām ke lie ghar banāegā. Wuh

merā beṭā hogā aur maiṅ us kābāp hūṅgā. Aur maiṅ Isrāīl par uskī bādshāhī kā takht hameshā takqāym rakhūṅgā.’”

11Dāūd ne bāt jārī rakh kar kahā,“Mere beṭe, Rab āp ke sāth ho tākiāp ko kāmyābī hāsil ho aur āp Rabapne Khudā kā ghar us ke wādeke mutābiq tāmīr kar sakeṅ. 12Āpko Isrāīl par muqarrar karte waqtRab āp ko hikmat aur samajh atākare tāki āp Rab apne Khudā kīsharīat par amal kar sakeṅ. 13Agarāp ehtiyāt se un hidāyāt aur ahkāmpar amal kareṅ jo Rab ne Mūsā kīmārifat Isrāīl ko de die to āp kozarūr kāmyābī hāsil hogī. Mazbūtaur diler hoṅ. Ḍareṅ mat aurhimmat na hāreṅ. 14Dekheṅ, maiṅne baṛī jidd‐o‐jahd ke sāth Rabke ghar ke lie sone ke 34,00,000kilogrām aur chāṅdī ke 3,40,00,000kilogrām taiyār kar rakhe haiṅ. Iske alāwā maiṅ ne itnā pītal aurlohā ikaṭṭhā kiyā ki use tolā nahīṅjā saktā, nīz lakaṛī aur patthar kāḍher lagāyā, agarche āp aur bhījamā kareṅge. 15Āp kī madadkarne wāle kārīgar bahut haiṅ. Unmeṅ patthar ko tarāshne wāle, rāj,baṛhaī aur aise kārīgar shāmil haiṅjo mahārat se har qism kī chīz

Page 434: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

428 1 Tawārīkh 23:13

banā sakte haiṅ, 16khāh wuh sone,chāṅdī, pītal yā lohe kī kyoṅ naho. Beshumār aise log taiyār khaṛehaiṅ. Ab kām shurū kareṅ, aur Rabāp ke sāth ho!”

17Phir Dāūd ne Isrāīl ke tamāmrāhnumāoṅ ko apne beṭe Sulemānkī madad karne kā hukm diyā. 18Usne un se kahā, “Rab āp kā Khudāāp ke sāth hai. Us ne āp ko paṛosīqaumoṅ se mahfūz rakh kar amn‐o‐amān atā kiyā hai. Mulk kebāshindoṅ ko us ne mere hawālekar diyā, aur ab yihmulkRab auruskī qaum ke tābe ho gayā hai. 19Abdil‐o‐jān seRab apne Khudā ke tālibraheṅ. Rab apne Khudā ke maqdiskī tāmīr shurū kareṅ tāki āp jaldīse ahd kā sandūq aur muqaddaskhaime ke sāmān ko us gharmeṅ lāsakeṅ jo Rab ke nām kī tāzīm meṅtāmīr hogā.”

23 Jab Dāūd umrrasīdā thā tous ne apne beṭe Sulemān

ko Isrāīl kā bādshāh banā diyā.

Khidmat ke lie Lāwiyoṅ ke Guroh2Dāūd ne Isrāīl ke tamāmrāhnumāoṅ ko imāmoṅ aurLāwiyoṅ samet apne pās bulā liyā.3Tamām un Lāwiyoṅ ko ginā gayā

jin kī umr tīs sāl yā is se zāyd thī.Un kī kul tādād 38,000 thī. 4InheṅDāūd ne mukhtalif zimmedāriyāṅsauṅpīṅ. 24,000 afrād Rab ke gharkī tāmīr ke nigarān, 6,000 afsar aurqāzī, 54,000 darbān aur 4,000 aisemausīqār ban gae jinheṅ Dāūd kebanwāe hue sāzoṅ ko bajā kar Rabkī hamd‐o‐sanā karnī thī.

6Dāūd ne Lāwiyoṅ ko Lāwī ke tīnbeṭoṅ Jairson, Qihāt aur Mirārī kemutābiq tīn gurohoṅ meṅ taqsīmkiyā.

7Jairson ke do beṭe Lādān aurSimaī the. 8Lādān ke tīn beṭeYihiyel, Zaitām aur Yoel the. 9Simaīke tīn beṭe Salūmīt, Haziyel aurHārān the. Yih Lādān ke gharānoṅke sarbarāh the. 10‐11Simaī ke chārbeṭe baṛe se le kar chhoṭe takYahat,Zīzā, Yaūs aur Bariyā the. ChūṅkiYaūs aur Bariyā ke kam beṭe the islie un kī aulād mil kar khidmat kelihāz se ek hī khāndān aur guroh kīhaisiyat rakhtī thī.

12Qihāt ke chār beṭe Amrām,Izhār, Habrūn aur Uzziyel the.13Amrām ke do beṭe Hārūn aurMūsā the. Hārūn aur us kī aulād koalag kiyā gayā tāki wuh hameshātak muqaddastarīn chīzoṅ komakhsūs‐o‐muqaddas rakheṅ, Rab

Page 435: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 23:14 429

ke huzūr qurbāniyāṅ pesh kareṅ,us kī khidmat kareṅ aur us ke nāmse logoṅ ko barkat deṅ. 14Mard‐e‐Khudā Mūsā ke beṭoṅ ko bāqīLāwiyoṅ meṅ shumār kiyā jātāthā. 15Mūsā ke do beṭe Jairsomaur Iliyazar the. 16Jairsom kepahlauṭhe kā nām Sabuel thā.17Iliyazar kā sirf ek beṭā Rahabiyāhthā. Lekin Rahabiyāh kī beshumāraulād thī. 18Izhār ke pahlauṭhekā nām Salūmīt thā. 19Habrūn kechār beṭe baṛe se le kar chhoṭetak Yariyāh, Amariyāh, Yahziyelaur Yaqamiyām the. 20Uzziyel kāpahlauṭhā Mīkāh thā. Dūsre kānām Yissiyāh thā.

21Mirārī ke do beṭe Mahlī aurMūshī the. Mahlī ke do beṭeIliyazar aur Qīs the. 22Jab Iliyazarfaut huā to us kī sirf beṭiyāṅ thīṅ. Inbeṭiyoṅ kī shādī Qīs ke beṭoṅ yānīchachāzād bhāiyoṅ se huī. 23Mūshīke tīn beṭe Mahlī, Idar aur Yarīmotthe.

24Ġharz yih Lāwī ke qabīle kekhāndān aur sarparast the. Har ekko khāndānī rajisṭar meṅ darj kiyāgayā thā. In meṅ se jo Rab ke gharmeṅ khidmat karte the har ek kīumr kam az kam 20 sāl thī.

25‐27Kyoṅki Dāūd ne marne sepahle pahle hukm diyā thā ki jitneLāwiyoṅ kī umr kam az kam 20sāl hai, wuh khidmat ke lie rajisṭarmeṅ darj kie jāeṅ. Is nāte se us nekahā thā,“Rab Isrāīl ke Khudā ne apnī

qaum ko amn‐o‐amān atā kiyāhai, aur ab wuh hameshā ke lieYarūshalam meṅ sukūnat karegā.Ab se Lāwiyoṅ ko mulāqāt kākhaimā aur us kā sāmān uṭhā karjagah bajagah le jāne kī zarūratnahīṅ rahī. 28Ab se wuh imāmoṅkī madad kareṅ jab yih Rab keghar meṅ khidmat karte haiṅ.Wuh sahnoṅ aur chhoṭe kamroṅko saṅbhāleṅ aur dhyān deṅ kiRab ke ghar ke lie makhsūs‐o‐muqaddas kī gaī chīzeṅ pāk‐sāfraheṅ. Unheṅ Allāh ke ghar meṅkaī aur zimmedāriyāṅ bhī sauṅpījāeṅ. 29Zail kī chīzeṅ saṅbhālnā sirfunhīṅ kī zimmedārī hai: makhsūs‐o‐muqaddas kī gaī roṭiyāṅ, ġhallākī nazaroṅ ke lie mustāmal maidā,bekhamīrī roṭiyāṅ pakāne aurgūṅdhne kā intazām. Lāzim haiki wuhī tamām lawāzimāt koachchhī tarah toleṅ aur nāpeṅ.30Har subah aur shām ko un kegulūkār Rab kī hamd‐o‐sanā kareṅ.

Page 436: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

430 1 Tawārīkh 24:16

31Jab bhī Rab ko bhasm hone wālīqurbāniyāṅ pesh kī jāeṅ to Lāwīmadad kareṅ, khāh Sabat ko, khāhNae Chāṅd kī Īd yā kisī aur īdke mauqe par ho. Lāzim hai kiwuh rozānā muqarrarā tādād kemutābiq khidmat ke lie hāzir hojāeṅ.”

32Is tarah Lāwī pahle mulāqāt kekhaime meṅ aur bād meṅ Rab keghar meṅ apnī khidmat saranjāmdete rahe. Wuh Rab ke ghar kīkhidmatmeṅ apne qabāylī bhāiyoṅyānī imāmoṅ kī madad karte the.

Khidmat ke lie Imāmoṅ ke Guroh

24 Hārūn kī aulād ko bhīmukhtalif gurohoṅ meṅ

taqsīm kiyā gayā. Hārūn ke chārbeṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aurItamar the. 2Nadab aur Abīhūapne bāp se pahle mar gae. Aurun ke beṭe nahīṅ the. Iliyazar aurItamar imām ban gae. 3Dāūd neimāmoṅ ko khidmat ke mukhtalifgurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. Sadoqaur Akhīmalik ne is meṅ Dāūdkī madad kī. (Sadoq Iliyazar kīaulādmeṅ se aur Akhīmalik Itamarkī aulād meṅ se thā.) 4Iliyazarkī aulād ko 16 gurohoṅ meṅ aur

Itamar kī aulād ko 8 gurohoṅmeṅ taqsīm kiyā gayā, kyoṅkiIliyazar kī aulād ke itne hī zyādākhāndānī sarparast the. 5Tamāmzimmedāriyāṅ qurā ḍāl kar inmukhtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kīgaīṅ, kyoṅki Iliyazar aur Itamardonoṅ khāndānoṅ ke bahut sāreaise afsar the jo pahle se maqdismeṅ Rab kī khidmat karte the.

6Yih zimmedāriyāṅ taqsīm karneke lie Iliyazar aur Itamar kī aulādbārī bārī qurā ḍālte rahe. Qurāḍālte waqt bādshāh, Isrāīl kebuzurg, Sadoq Imām, Akhīmalikbin Abiyātar aur imāmoṅ aurLāwiyoṅ ke khāndānī sarparasthāzir the. Mīrmunshī Samāyāhbin Nataniyel ne jo khud Lāwī thākhidmat ke in gurohoṅ kī fahristzail kī tartīb se likh lī jis tarah wuhqurā ḍālne se muqarrar kie gae.

71. Yahūyarīb, 2. Yadāyāh,83. Hārim, 4. Saūrīm,95. Malkiyāh, 6. Miyāmīn,107. Haqqūz, 8. Abiyāh,119. Yashua, 10. Sakaniyāh,1211. Iliyāsib, 12. Yaqīm,1313. Khuffāh, 14. Yasbiyāb,1415. Biljā, 16. Immer,1517. Khazīr, 18. Fizzīz,1619. Fatahiyāh, 20. Yahizqel,

Page 437: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 24:17 431

1721. Yakīn, 22. Jamūl,1823. Dilāyāh, 24. Māziyāh.19Imāmoṅ ko isī tartīb ke

mutābiq Rab ke ghar meṅ ā karapnī khidmat saranjām denī thī, unhidāyāt ke mutābiq jo Rab Isrāīl keKhudā ne unheṅ un ke bāp Hārūnkī mārifat dī thīṅ.

Khidmat ke lie LāwiyoṅkeMazīd Guroh

20Zail ke Lāwiyoṅ ke mazīdkhāndānī sarparast haiṅ:Amrām kī aulād meṅ se Sūbāel,Sūbāel kī aulād meṅ se

Yahadiyāh21Rahabiyāh kī aulād meṅ se

Yissiyāh sarparast thā,22Izhār kī aulād meṅ se Salūmīt,Salūmīt kī aulād meṅ se Yahat,23Habrūn kī aulād meṅ se

baṛe se le kar chhoṭe takYariyāh, Amariyāh, Yahziyel aurYaqamiyām,

24Uzziyel kī aulād meṅ se Mīkāh,Mīkāh kī aulād meṅ se Samīr,25Mīkāh kā bhāī Yissiyāh,Yissiyāh kī aulād meṅ se

Zakariyāh,26Mirārī kī aulād meṅ se Mahlī

aur Mūshī,

us ke beṭe Yāziyāh kī aulād,27Mirārī ke beṭe Yāziyāh kī aulād

meṅ se Sūham, Zakkūr aur Ibrī,28‐29Mahlī kī aulād meṅ se

Iliyazar aur Qīs. Iliyazar beaulādthā jabki Qīs ke hāṅ Yarahmiyelpaidā huā.

30Mūshī kī aulād meṅ se Mahlī,Idar aur Yarīmot bhī Lāwiyoṅ ke inmazīd khāndānī sarparastoṅ meṅshāmil the.

31Imāmoṅ kī tarah un kīzimmedāriyāṅ bhī qurā‐andāzī semuqarrar kī gaīṅ. Is silsile meṅ sabse chhoṭe bhāī ke khāndān ke sāthaur sab se baṛe bhāī ke khāndānke sāth sulūk barābar thā. Is kār‐rawāī ke lie bhī Dāūd Bādshāh,Sadoq, Akhīmalik aur imāmoṅ aurLāwiyoṅ ke khāndānī sarparasthāzir the.

Rab ke GharmeṅMausīqāroṅke Guroh

25 Dāūdne fauj ke ālā afsaroṅke sāth Āsaf, Haimān

aur Yadūtūn kī aulād ko ek khāskhidmat ke lie alag kar diyā. Unheṅnabuwwat kī rūh meṅ sarod, sitāraur jhāṅjh bajānā thā. Zail keādmiyoṅ ko muqarrar kiyā gayā:

Page 438: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

432 1 Tawārīkh 25:26

2Āsaf ke khāndān se Āsaf kebeṭe Zakkūr, Yūsuf, Nataniyāh aurAsarelāh. Un kā bāp guroh kārāhnumā thā, aur wuh bādshāh kīhidāyāt ke mutābiq nabuwwat kīrūh meṅ sāz bajātā thā.

3Yadūtūn ke khāndān se Yadūtūnke beṭe Jidaliyāh, Zarī, Yasāyāh,Simaī, Hasbiyāh, aur Mattitiyāh.Un kā bāp guroh kā rāhnumā thā,aur wuh nabuwwat kī rūh meṅRab kī hamd‐o‐sanā karte hue sitārbajātā thā.

4Haimān ke khāndān seHaimān ke beṭe Buqqiyāh,Mattaniyāh, Uzziyel, Sabuel,Yarīmot, Hananiyāh, Hanānī,Iliyātā, Jiddāltī, Rūmamtī‐azar,Yasbiqāshā, Mallūtī, Hautīr aurMahāziyot. 5In sab kā bāp HaimānDāūd Bādshāh kā ġhaibbīn thā.Allāh ne Haimān se wādā kiyā thāki maiṅ terī tāqat baṛhā dūṅgā, islie us ne use 14 beṭe aur tīn beṭiyāṅatā kī thīṅ.

6Yih sab apne apnebāp yānī Āsaf,Yadūtūn aur Haimān kī rāhnumāīmeṅ sāz bajāte the. Jab kabhīRab ke ghar meṅ gīt gāe jāte theto yih mausīqār sāth sāth jhāṅjh,sitār aur sarod bajāte the. Wuhapnī khidmat bādshāh kī hidāyāt ke

mutābiq saranjām dete the. 7Apnebhāiyoṅ samet jo Rab kī tāzīmmeṅgīt gāte the un kī kul tādād 288thī. Sab ke sab māhir the. 8Un kīmukhtalif zimmedāriyāṅ bhī qurāke zariye muqarrar kī gaīṅ. Is meṅsab ke sāth sulūk ek jaisā thā, khāhjawān the yā būṛhe, khāh ustād theyā shāgird.

9Qurā ḍāl kar 24 gurohoṅ komuqarrar kiyā gayā. Har guroh kebārah bārah ādmī the. Yoṅ zail keādmiyoṅ ke gurohoṅ ne tashkīl pāī:

1. Āsaf ke khāndān kā Yūsuf,2. Jidaliyāh,

103. Zakkūr,114. Zarī,125. Nataniyāh,136. Buqqiyāh,147. Yasarelāh,158. Yasāyāh,169. Mattaniyāh,1710. Simaī,1811. Azarel,1912. Hasbiyāh,2013. Sūbāel,2114. Mattitiyāh,2215. Yarīmot,2316. Hananiyāh,2417. Yasbiqāshā,2518. Hanānī,2619. Mallūtī,

Page 439: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 25:27 433

2720. Iliyātā,2821. Hautīr,2922. Jiddāltī,3023. Mahāziyot,3124. Rūmamtī‐azar.Har guroh meṅ rāhnumā ke beṭe

aur kuchh rishtedār shāmil the.

Rab ke Ghar ke Darbān

26 Rab ke ghar ke sahan kedarwāzoṅ par pahrādārī

karne ke guroh bhī muqarrar kiegae. Un meṅ zail ke ādmī shāmilthe:Qorah ke khāndān kā fard

Masalamiyāh bin Qore jo Āsaf kīaulād meṅ se thā. 2Masalamiyāhke sāt beṭe baṛe se le kar chhoṭetak Zakariyāh, Yadiyael, Zabadiyāh,Yatniyel, 3Ailām, Yūhanān aurIlīhuainī the.

4‐5Obed‐adom bhī darbān thā.Allāh ne use barkat de kar āṭh beṭedie the. Baṛe se le kar chhoṭe takun ke nām Samāyāh, Yahūzabad,Yuākh, Sakār, Nataniyel, Ammiyel,Ishkār aur Fa’ūllatī the. 6Samāyāhbin Obed‐adom ke beṭe khāndānīsarbarāh the, kyoṅki wuh kāfī asar‐o‐rasūkh rakhte the. 7Un ke nāmutnī, rafāel, Obed aur Ilzabad the.

Samāyāh ke rishtedār Ilīhū aurSamakiyāh bhī guroh meṅ shāmilthe, kyoṅki wuh bhī khās haisiyatrakhte the. 8Obed‐adom se nikleyih tamām ādmī lāyq the. Wuhapne beṭoṅ aur rishtedāroṅ sametkul 62 afrād the aur sab mahārat seapnī khidmat saranjām dete the.

9Masalamiyāh ke beṭe aurrishtedār kul 18 ādmī the. Sab lāyqthe.

10Mirārī ke khāndān kā fardHūsā ke chār beṭe Simrī, Khilqiyāh,Tabaliyāh aur Zakariyāh the. Hūsāne Simrī ko khidmat ke guroh kāsarbarāh banā diyā thā agarchewuh pahlauṭhā nahīṅ thā. 11Dūsrebeṭe baṛe se le kar chhoṭe takKhilqiyāh, Tabaliyāh aur Zakariyāhthe. Hūsā ke kul 13 beṭe aurrishtedār the.

12Darbānoṅ ke in gurohoṅ meṅkhāndānī sarparast aur tamāmādmī shāmil the. Bāqī Lāwiyoṅkī tarah yih bhī Rab ke ghar meṅapnī khidmat saranjām dete the.13Qurā‐andāzī se muqarrar kiyāgayā ki kaun‐sā guroh sahan ke kisdarwāze kī pahrādārī kare. Is silsilemeṅ baṛe aur chhoṭe khāndānoṅmeṅ imtiyāz na kiyā gayā. 14Yoṅ jabqurā ḍālā gayā to Masalamiyāh ke

Page 440: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

434 1 Tawārīkh 26:28

khāndān kā nāmMashriqī Darwāzekī pahrādārī karne ke lie niklā.Zakariyāh bin Masalamiyāh kekhāndān kā nām Shimālī Darwāzekī pahrādārī karne ke lie niklā.Zakariyāh apne dānā mashwaroṅke lie mashhūr thā. 15Jab qurāJunūbī Darwāze kī pahrādārī ke lieḍālā gayā to Obed‐adom kā nāmniklā. Us ke beṭoṅ ko godām kīpahrādārī karne kī zimmedārī dīgaī. 16Jab Maġhribī Darwāze aurSalakat Darwāze ke lie qurā ḍālāgayā to Suffīm aur Hūsā ke nāmnikle. Salakat Darwāzā chaṛhnīwāle rāste par hai.Pahrādārī kī khidmat yoṅ bāṅṭī

gaī:17Rozānā Mashriqī Darwāze par

chhih Lāwī pahrā dete the, Shimālīaur Junūbī Darwāzoṅ par chār chārafrād aur godām par do. 18Rab keghar ke sahankeMaġhribīDarwāzepar chhih Lāwī pahrā dete the, chārrāste par aur do sahan meṅ.

19Yih sab darbānoṅ ke gurohthe. Sab Qorah aur Mirārī kekhāndānoṅ kī aulād the.

Khidmat ke lie LāwiyoṅkeMazīd Guroh

20Dūsre kuchh Lāwī Allāh keghar ke khazānoṅ aur Rab ke liemakhsūs kī gaī chīzeṅ saṅbhāltethe.

21‐22Do bhāī Zaitām aur Yoel Rabke ghar ke khazānoṅ kī pahrādārīkarte the. Wuh Yihiyel ke khāndānke sarparast the aur yoṅ LādānJairsonī kī aulād the. 23Amrām,Izhār, Habrūn aur Uzziyel kekhāndānoṅ kī yih zimmedāriyāṅthīṅ:

24Sabuel bin Jairsom binMūsā khazānoṅ kā nigarān thā.25Jairsom ke bhāī Iliyazar kā beṭāRahabiyāh thā. Rahabiyāh kā beṭāYasāyāh, Yasāyāh kā beṭā Yūrām,Yūrām kā beṭā Zikrī aur Zikrī kābeṭā Salūmīt thā. 26Salūmīt apnebhāiyoṅ ke sāth un muqaddaschīzoṅ ko saṅbhāltā thā jo DāūdBādshāh, khāndānī sarparastoṅ,hazār hazār aur sau sau faujiyoṅpar muqarrar afsaroṅ aur dūsre ālāafsaroṅ ne Rab ke lie makhsūs kīthīṅ. 27Yih chīzeṅ jangoṅ meṅ lūṭehue māl meṅ se le kar Rab ke gharko mazbūt karne ke lie makhsūskī gaī thīṅ. 28In meṅ wuh sāmān

Page 441: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 26:29 435

bhī shāmil thā jo Samuel Ġhaibbīn,Sāūl bin Qīs, Abinair bin Nair aurYoāb bin Zarūyāh ne maqdis kelie makhsūs kiyā thā. Salūmīt aurus ke bhāī in tamām chīzoṅ kosaṅbhālte the.

29Izhār ke khāndān ke afrād yānīkananiyāh aur us ke beṭoṅ ko Rabke ghar se bāhar kī zimmedāriyāṅdī gaīṅ. Unheṅ nigarānoṅ aurqāziyoṅ kī haisiyat se Isrāīl parmuqarrar kiyā gayā. 30Habrūn kekhāndān ke afrād yānī Hasbiyāhaur us ke bhāiyoṅ ko Dariyā‐e‐Yardan ke maġhrib ke ilāqeko saṅbhālne kī zimmedārī dīgaī. Wahāṅ wuh Rab ke ghar semutālliq kāmoṅ ke alāwā bādshāhkī khidmat bhī saranjām dete the.In lāyq ādmiyoṅ kī kul tādād 1,700thī.

31Dāūd Bādshāh kī hukūmatke 40weṅ sāl meṅ nasabnāmekī tahqīq kī gaī tāki Habrūn kekhāndān ke bāre meṅ mālūmāthāsil ho jāeṅ. Patā chalā ki us ke kaīlāyq rukn Jiliyād ke ilāqe ke shahrYāzer meṅ ābād haiṅ. Yariyāh unkā sarparast thā. 32Dāūd Bādshāhne use Rūbin, Jad aur Manassīke mashriqī ilāqe ko saṅbhālnekī zimmedārī dī. Yariyāh kī is

khidmat meṅ us ke khāndān kemazīd 2,700 afrād bhī shāmil the.Sab lāyq aur apne apne khāndānoṅke sarparast the. Us ilāqe meṅ wuhRab ke ghar se mutālliq kāmoṅke alāwā bādshāh kī khidmat bhīsaranjām dete the.

Fauj ke Guroh

27 Darj‐e‐zail un khāndānīsarparastoṅ, hazār hazār

aur sau sau faujiyoṅ par muqarrarafsaroṅ aur sarkārī afsaroṅ kīfahrist hai jo bādshāh ke mulāzimthe.Fauj 12 gurohoṅ par mushtamil

thī, aur har guroh ke 24,000 afrādthe. Har guroh kī ḍyūṭī sāl meṅek māh ke lie lagtī thī. 2Jo afsar ingurohoṅ par muqarrar the wuh yihthe:Pahlā māh: Yasūbiyām bin

Zabdiyel. 3Wuh Fāras ke khāndānkā thā aur us guroh par muqarrarthā jis kī ḍyūṭī pahle mahīne meṅhotī thī.

4Dūsrā māh: Dodī Akhūhī. Us keguroh ke ālā afsar kā nām Miqlotthā.

5Tīsrā māh: Yahoyadā Imāmkā beṭā Bināyāh. 6Yih Dāūd ke

Page 442: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

436 1 Tawārīkh 27:23

behtarīn daste banām ‘Tīs’ parmuqarrar thā aur khud zabardastfaujī thā. Us ke guroh kā ālā afsarus kā beṭā ammīzabad thā.

7Chauthā māh: Yoāb kā bhāīAsāhel. Us kī maut ke bād Asāhelkā beṭā Zabadiyāh us kī jagahmuqarrar huā.

8Pāṅchwāṅ māh: SamhūtIzrākhī.

9Chhaṭā māh: Īrā bin AqqīsTaqūī.

10Sātwāṅ māh: Khalis FalūnīIfrāīmī.

11Āṭhwāṅ māh: Zārah kekhāndān kā Sibbakī Hūsātī.

12Nawāṅ māh: Binyamīn keqabīle kā Abiyazar Anatotī.

13Daswāṅ māh: Zārah kekhāndān kā Mahrī Natūfātī.

14Gyārhwāṅ māh: Ifrāīm keqabīle kā Bināyāh Fir’ātonī.

15Bārhwāṅ māh: Ġhutniyel kekhāndān kā Khaldī Natūfātī.

Qabīloṅ ke Sarparast16Zail ke ādmī Isrāīlī qabīloṅ kesarparast the:Rūbin kā qabīlā: Iliyazar bin

Zikrī.

Shamāūn kā qabīlā: Safatiyāhbin Mākā.

17Lāwī kā qabīlā: Hasbiyāh binQamuel. Hārūn ke khāndān kāsarparast Sadoq thā.

18Yahūdāh kā qabīlā: Dāūd kābhāī Ilīhū.Ishkār kā qabīlā: Umrī bin

Mīkāel.19Zabūlūnkāqabīlā: Ismāyāhbin

Abadiyāh.Naftālī kā qabīlā: Yarīmot bin

Azriyel.20Ifrāīm kā qabīlā: Hosea bin

Azaziyāh.MaġhribīManassī kā qabīlā: Yoel

bin Fidāyāh.21Mashriqī Manassī kā qabīlā

jo Jiliyād meṅ thā: Yiddū binZakariyāh.Binyamīn kā qabīlā: Yāsiyel bin

Abinair.22Dān kā qabīlā: Azarel bin

Yarohām.Yih bārah log Isrāīlī qabīloṅ ke

sarbarāh the.23Jitne Isrāīlī mardoṅ kī umr 20

sāl yā is se kam thī unheṅ Dāūdne shumār nahīṅ kiyā, kyoṅkiRab ne us se wādā kiyā thā kimaiṅ Isrāīliyoṅ ko āsmān parke sitāroṅ jaisā beshumār banā

Page 443: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 27:24 437

dūṅgā. 24Nīz, Yoāb bin Zarūyāhne mardumshumārī ko shurū tokiyā lekin use ikhtitām tak nahīṅpahuṅchāyā thā, kyoṅki Allāh kāġhazab mardumshumārī ke bāisIsrāīl par nāzil huā thā. Natīje meṅDāūd Bādshāh kī tārīkhī kitāb meṅIsrāīliyoṅ kī kul tādād kabhī nahīṅdarj huī.

Shāhī Milkiyat ke Inchārj25Azmāwat bin Adiyel Yarūshalamke shāhī godāmoṅ kā inchārj thā.Jo godām dehī ilāqe, bāqī

shahroṅ, gāṅwoṅ aur qiloṅ meṅthe un ko Yūnatan bin Uzziyāhsaṅbhāltā thā.

26Azrī bin Kalūb shāhī zamīnoṅkī kāshtkārī karne wāloṅ parmuqarrar thā.

27Simaī Rāmātī angūr ke bāġhoṅkī nigarānī kartā jabki Zabdī Shifmīin bāġhoṅ kī mai ke godāmoṅ kāinchārj thā.

28Bāl‐hanān Jadīrī zaitūn auranjīr‐tūt ke un bāġhoṅ parmuqarrar thā jo maġhrib kenashebī pahāṛī ilāqe meṅ the.Yuās zaitūn ke tel ke godāmoṅ kīnigarānī kartā thā.

29Shārūn ke maidān meṅ charnewāle gāy‐bail Sitrī Shārūnī ke zer‐e‐nigarānī the jabki Sāfat bin Adlīwādiyoṅ meṅ charne wāle gāy‐bailoṅ ko saṅbhāltā thā. 30ObilIsmāīlī ūṅṭoṅ par muqarrar thā,Yahadiyāh Marūnotī gadhiyoṅ par31aur Yāzīz Hājirī bheṛ‐bakriyoṅpar.Yih sab shāhī milkiyat ke nigarān

the.

Bādshāh ke Qarībī Mushīr32Dāūd kā samajhdār aur ālimchachā Yūnatan bādshāh kāmushīr thā. Yihiyel bin Hakmūnībādshāh ke beṭoṅ kī tarbiyat ke liezimmedār thā. 33Akhītufal Dāūdkā mushīr jabki Hūsī Arkī Dāūdkā dost thā. 34Akhītufal ke bādYahoyadā bin Bināyāh aur Abiyātarbādshāh ke mushīr ban gae. Yoābshāhī fauj kā kamānḍar thā.

Isrāīl ke Buzurgoṅ ke sāmneDāūd kī Taqrīr

28 Dāūd ne Isrāīl ke tamāmbuzurgoṅ ko Yarūshalam

bulāyā. In meṅ qabīloṅ kesarparast, faujī ḍiwīzhanoṅ parmuqarrar afsar, hazār hazār aur

Page 444: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

438 1 Tawārīkh 28:10

sau sau faujiyoṅ par muqarrarafsar, shāhī milkiyat aur rewaṛoṅke inchārj, bādshāh ke beṭoṅ kītarbiyat karne wāle afsar, darbārī,mulk ke sūrmā aur bāqī tamāmsāhib‐e‐haisiyat shāmil the.

2Dāūd Bādshāh un ke sāmnekhaṛe ho kar un se mukhātib huā,“Mere bhāiyo aur merī qaum,

merī bāt par dhyān deṅ! Kāfīder se maiṅ ek aisā makān tāmīrkarnā chāhtā thā jis meṅ Rab keahd kā sandūq mustaqil taur parrakhā jā sake. Ākhir yih to hamāreKhudā kī chaukī hai. Is maqsad semaiṅ taiyāriyāṅ karne lagā. 3Lekinphir Allāh mujh se hamkalām huā,‘Mere nām ke lie makān banānāterā kām nahīṅ hai, kyoṅki tū nejangjū hote hue bahut khūn bahāyāhai.’

4Rab Isrāīl ke Khudā ne merepūre khāndān meṅ se mujhechun kar hameshā ke lie Isrāīlkā bādshāh banā diyā, kyoṅkius kī marzī thī ki Yahūdāh kāqabīlā hukūmat kare. Yahūdāhke khāndānoṅ meṅ se us ne merebāp ke khāndān ko chun liyā,aur isī khāndān meṅ se us nemujhe pasand karke pūre Isrāīl kābādshāh banā diyā. 5Rab ne mujhe

bahut beṭe atā kie haiṅ. Un meṅse us ne muqarrar kiyā ki Sulemānmere bād takht par baiṭh kar Rab kīummat par hukūmat kare. 6Rab nemujhe batāyā, ‘Terā beṭā Sulemānhī merā ghar aur us ke sahan tāmīrkaregā. Kyoṅki maiṅ ne use chunkar farmāyā hai ki wuh merā beṭāhogā aur maiṅ us kā bāp hūṅgā.7Agar wuh āj kī tarah āindā bhīmere ahkām aur hidāyāt par amalkartā rahe to maiṅ us kī bādshāhīabad tak qāym rakhūṅgā.’

8Ab merī hidāyat par dhyān deṅ,pūrā Isrāīl yānī Rab kī jamāt aurhamārā Khudā is ke gawāh haiṅ.Rab apne Khudā ke tamām ahkāmke tābe raheṅ! Phir āindā bhī yihachchhā mulk āp kī milkiyat aurhameshā tak āp kī aulād kīmaurūsīzamīn rahegā. 9Ai Sulemān merebeṭe, apne bāp ke Khudā ko taslīmkarke pūre dil‐o‐jān aur khushī seus kī khidmat kareṅ. Kyoṅki Rabtamām diloṅ kī tahqīq kar letāhai, aur wuh hamāre khayāloṅ ketamām mansūboṅ se wāqif hai. Uske tālib raheṅ to āp use pā leṅge.Lekin agar āp use tark kareṅ towuhāp ko hameshā ke lie radd kar degā.10Yād rahe, Rab ne āp ko is lie chunliyā hai ki āp us ke lie muqaddas

Page 445: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 28:11 439

ghar tāmīr kareṅ. Mazbūt rah karis kāmmeṅ lage raheṅ!”

Rab ke Ghar kā Naqshā11Phir Dāūd ne apne beṭe Sulemānko Rab ke ghar kā naqshā de diyājis meṅ tamām tafsīlāt darj thīṅyānī us ke barāmde, khazānoṅke kamre, bālākhāne, andarūnīkamre, wuh Muqaddastarīn Kamrājis meṅ ahd ke sandūq ko us kekaffāre ke ḍhakne samet rakhnāthā, 12Rab ke ghar ke sahan, us keirdgird ke kamre aur wuh kamrejin meṅ Rab ke lie makhsūs kie gaesāmān ko mahfūz rakhnā thā.Dāūd ne Rūh kī hidāyat se yih

pūrā naqshā taiyār kiyā thā. 13Usne Rab ke ghar kī khidmat ke liedarkār imāmoṅ aur Lāwiyoṅ kegurohoṅ ko bhī muqarrar kiyā, aursāth sāth Rab ke ghar meṅ bāqītamām zimmedāriyāṅ bhī. Is kealāwā us ne Rab ke ghar kī khidmatke lie darkār tamām sāmān kīfahrist bhī taiyār kī thī. 14Us nemuqarrar kiyā ki mukhtalif chīzoṅke lie kitnā sonā aur kitnī chāṅdīistemāl karnī hai. In meṅ zailkī chīzeṅ shāmil thīṅ: 15sone aurchāṅdī ke charāġhdān aur un ke

charāġh (mukhtalif charāġhdānoṅke wazn farq the, kyoṅki har ek kāwazn us ke maqsad par munhasirthā), 16sone kī wuh mezeṅ jin parRab ke lie makhsūs roṭiyāṅ rakhnīthīṅ, chāṅdī kī mezeṅ, 17khālissone ke kāṅṭe, chhiṛkāw ke kaṭoreaur surāhī, sone‐chāṅdī ke pyāle18aur bakhūr jalāne kī qurbāngāhpar manḍhā huā khālis sonā. Dāūdne Rab ke rath kā naqshā bhīSulemān ke hawāle kar diyā, yānīun karūbī farishtoṅ kā naqshā joapne paroṅ ko phailā kar Rab keahd ke sandūq ko ḍhāṅp dete haiṅ.

19Dāūd ne kahā, “Maiṅ ne yihtamām tafsīlāt waise hī qalambandkar dī haiṅ jaise Rab ne mujhehikmat aur samajh atā kī hai.”

20Phir wuh apne beṭe Sulemān semukhātib huā, “Mazbūt aur dilerhoṅ! Ḍareṅ mat aur himmat mathārnā, kyoṅki Rab Khudā merāKhudā āp ke sāth hai. Na wuh āpko chhoṛegā, na tark karegā balkiRab ke ghar kī takmīl tak āp kīmadad kartā rahegā. 21Khidmat kelie muqarrar imāmoṅ aur Lāwiyoṅke guroh bhī āp kā sahārā ban karRab ke ghar meṅ apnī khidmatsaranjām deṅge. Tāmīr ke lie jitnebhī māhir kārīgaroṅ kī zarūrat hai

Page 446: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

440 1 Tawārīkh 29:9

wuh khidmat ke lie taiyār khaṛehaiṅ. Buzurgoṅ se le kar ām logoṅtak sab āp kī har hidāyat kī tāmīlkarne ke lie musta’id haiṅ.”

Rab ke Ghar kī Tāmīrke lie Nazarāne

29 Phir Dāūd dubārā pūrījamāt se mukhātib huā,

“Allāh ne mere beṭe Sulemān kochun kar muqarrar kiyā hai ki wuhaglā bādshāh bane. Lekin wuhabhī jawān aur nātajrabākār hai,aur yih tāmīrī kām bahut wasīhai. Use to yih mahal insān kelie nahīṅ banānā hai balki Rabhamāre Khudā ke lie. 2Maiṅ pūrījāṅfishānī se apne Khudā ke gharkī tāmīr ke lie sāmān jamā karchukā hūṅ. Is meṅ sonā‐chāṅdī,pītal, lohā, lakaṛī, aqīq‐e‐ahmar,a

mukhtalif jaṛe hue jawāhar aurpachchīkārī ke mukhtalif pattharbaṛī miqdārmeṅ shāmil haiṅ. 3Aurchūṅki mujh meṅ apne Khudākā ghar banāne ke lie bojh hai islie maiṅ ne in chīzoṅ ke alāwāapne zātī khazānoṅ se bhī sonāaur chāṅdī dī hai 4yānī taqrīban1,00,000 kilogrām khālis sonā aur

2,35,000 kilogrām khālis chāṅdī.Maiṅ chāhtā hūṅ ki yih kamroṅ kīdīwāroṅ par chaṛhāī jāe. 5Kuchhkārīgaroṅ ke bāqī kāmoṅ ke lie bhīistemāl ho saktā hai. Ab maiṅ āpse pūchhtā hūṅ, āj kaun merī tarahkhushī se Rab ke kām ke lie kuchhdene ko taiyār hai?”

6Yih sun kar wahāṅ hāzirkhāndānī sarparastoṅ, qabīloṅ kebuzurgoṅ, hazār hazār aur sau saufaujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ aurbādshāh ke ālā sarkārī afsaroṅ nekhushī se kām ke lie hadiye die.7Us din Rab ke ghar ke lie taqrīban1,70,000 kilogrām sonā, sone ke10,000 sikke, 3,40,000 kilogrāmchāṅdī, 6,10,000 kilogrām pītalaur 34,00,000 kilogrām lohā jamāhuā. 8Jis ke pās jawāhar the us neunheṅ Yihiyel Jairsonī ke hawālekar diyā jo khazāṅchī thā aur jisne unheṅ Rab ke ghar ke khazānemeṅ mahfūz kar liyā. 9Pūrī qaumis farākhdilī ko dekh kar khushhuī, kyoṅki sab ne dilī khushī aurfaiyāzī se apne hadiye Rab ko peshkie. Dāūd Bādshāh bhī nihāyatkhush huā.

acarnelian

Page 447: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

1 Tawārīkh 29:10 441

Dāūd kī Duā10Is ke bād Dāūd ne pūrī jamāt kesāmne Rab kī tamjīd karke kahā,“Ai Rab hamāre bāp Isrāīl ke

Khudā, azal se abad tak terī hamdho. 11Ai Rab, azmat, qudrat, jalālaur shān‐o‐shaukat tere hī haiṅ,kyoṅki jo kuchh bhī āsmān aurzamīn meṅ hai wuh terā hī hai. AiRab, saltanat tere hāth meṅ hai,aur tū tamām chīzoṅ par sarfarāzhai. 12Daulat aur izzat tujh se miltīhai, aur tū sab par hukmrān hai.Tere hāthmeṅ tāqat aur qudrat hai,aur har insān ko tū hī tāqatwaraur mazbūt banā saktā hai. 13Aihamāre Khudā, yih dekh kar hamterī satāish aur tere jalālī nām kītārīf karte haiṅ.

14Merī aur merī qaum kī kyāhaisiyat hai ki ham itnī faiyāzī seyih chīzeṅ de sake? Ākhir hamārītamām milkiyat terī taraf se hai.Jo kuchh bhī ham ne tujhe de diyāwuh hameṅ tere hāth se milā hai.15Apne bāpdādā kī tarah ham bhītere nazdīk pardesī aur ġhairshahrīhaiṅ. Duniyā meṅ hamārī zindagīsāy kī tarah ārizī hai, aur maut sebachne kī koī ummīd nahīṅ. 16AiRab hamāre Khudā, ham ne yih

sārā tāmīrī sāmān is lie ikaṭṭhā kiyāhai ki tere muqaddas nām ke lieghar banāyā jāe. Lekin haqīqatmeṅ yih sab kuchh pahle se terehāth se hāsil huā hai. Yih pahlese terā hī hai. 17Ai mere Khudā,maiṅ jāntā hūṅ ki tū insān kā diljāṅch letā hai, ki diyānatdārī tujhepasand hai. Jo kuchh bhī maiṅ nediyā hai wuhmaiṅ ne khushī se aurachchhī nīyat se diyā hai. Abmujheyih dekh kar khushī hai ki yahāṅhāzir terī qaumnebhī itnī faiyāzī setujhe hadiye die haiṅ.

18Ai Rab hamāre bāpdādāIbrāhīm, Is’hāq aur Isrāīl ke Khudā,guzārish hai ki tū hameshā tak apnīqaum ke diloṅ meṅ aisī hī taṛapqāym rakh. Atā kar ki un ke diltere sāth lipṭe raheṅ. 19Mere beṭeSulemān kī bhīmadad kar tāki wuhpūre dil‐o‐jān se tere ahkām aurhidāyāt par amal kare aur usmahalko takmīl tak pahuṅchā sake jis kelie maiṅ ne taiyāriyāṅ kī haiṅ.”

20Phir Dāūd ne pūrī jamāt sekahā, “Āeṅ, Rab apne Khudā kīsatāish kareṅ!” Chunāṅche sabRabapne bāpdādā ke Khudā kī tamjīdkarke Rab aur bādshāh ke sāmnemuṅh ke bal jhuk gae.

Page 448: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

442 1 Tawārīkh 29:30

21Agle din tamām Isrāīl kelie bhasm hone wālī bahut‐sīqurbāniyāṅ un kī mai kī nazaroṅsamet Rab ko pesh kī gaīṅ. Is ke lie1,000 jawān bailoṅ, 1,000 menḍhoṅaur 1,000 bheṛ ke bachchoṅ kochaṛhāyā gayā. Sāth sāth zabah kībeshumār qurbāniyāṅ bhī pesh kīgaīṅ. 22Us din unhoṅ ne Rab kehuzūr khāte‐pīte hue baṛī khushīmanāī. Phir unhoṅ ne dubārā is kītasdīq kī ki Dāūd kā beṭā Sulemānhamārā bādshāh hai. Tel se usemasah karke unhoṅ ne use Rab kehuzūr bādshāh aur Sadoq ko imāmqarār diyā.

Sulemān kī Zabardast Hukūmat23Yoṅ Sulemān apne bāp Dāūd kījagah Rab ke takht par baiṭh gayā.Use kāmyābī hāsil huī, aur tamāmIsrāīl us ke tābe rahā. 24Tamām ālāafsar, baṛe baṛe faujī aur Dāūd kebāqī beṭoṅ ne bhī apnī tābedārī kāizhār kiyā. 25Isrāīl kedekhte dekhte

Rab ne Sulemān ko bahut sarfarāzkiyā. Us ne us kī saltanat ko aisīshān‐o‐shaukat se nawāzā jo māzīmeṅ Isrāīl ke kisī bhī bādshāh kohāsil nahīṅ huī thī.

Dāūd kīWafāt26‐27Dāūd bin Yassī kul 40 sāltak Isrāīl kā bādshāh rahā, 7 sālHabrūnmeṅ aur 33 sāl Yarūshalammeṅ. 28Wuh bahut umrrasīdā aurumr, daulat aur izzat se āsūdā hokar intaqāl kar gayā. Phir Sulemāntakhtnashīn huā.

29Bāqī jo kuchhDāūd kī hukūmatke daurān huā wuh tīnoṅ kitāboṅ‘Samuel Ġhaibbīn kī Tārīkh,’ ‘NātanNabī kī Tārīkh’ aur ‘Jād Ġhaibbīnkī Tārīkh’ meṅ darj hai. 30In meṅus kī hukūmat aur asar‐o‐rasūkh kītafsīlāt bayān kī gaī haiṅ, nīz wuhkuchh jo us ke sāth, Isrāīl ke sāthaur gird‐o‐nawāh ke mamālik kesāth huā.

Page 449: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh

Sulemān Rab se HikmatMāṅgtā Hai

1 SulemānbinDāūdkī hukūmatmazbūt ho gaī. Rab us kā

Khudā us ke sāth thā, aur wuh us kītāqat baṛhātā rahā.

2Ek din Sulemān ne tamām Isrāīlko apne pās bulāyā. Un meṅhazār hazār aur sau sau faujiyoṅpar muqarrar afsar, qāzī, tamāmbuzurg aur kunboṅ ke sarparastshāmil the. 3Phir Sulemān unke sāth Jibaūn kī us pahāṛī pargayā jahāṅ Allāh kā mulāqāt kākhaimā thā, wuhī jo Rab ke khādimMūsā ne registān meṅ banwāyāthā. 4Ahd kā sandūq us meṅnahīṅ thā, kyoṅki Dāūd ne useQiriyat‐yārīm se Yarūshalam lā karek khaime meṅ rakh diyā thā jous ne wahāṅ us ke lie taiyār kar

rakhā thā. 5Lekin pītal kī joqurbāngāh Bazliyel bin Ūrī bin Hūrne banāī thī wuh ab tak Jibaūnmeṅ Rab ke khaime ke sāmnethī. Ab Sulemān aur Isrāīl uske sāmne jamā hue tāki Rab kīmarzī dariyāft kareṅ. 6Wahāṅ Rabke huzūr Sulemān ne pītal kī usqurbāngāh par bhasm hone wālī1,000 qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ.

7Usī rāt Rab Sulemān par zāhirhuā aur farmāyā, “Terā dil kyāchāhtā hai? Mujhe batā de tomaiṅ terī khāhish pūrī karūṅga.”8Sulemān ne jawāb diyā, “Tū merebāp Dāūd par baṛī mehrbānī karchukā hai, aur ab tū ne us kī jagahmujhe takht par biṭhā diyā hai. 9Tūnemujhe ek aisī qaumpar bādshāhbanā diyā hai jo zamīn kī khāk kītarah beshumār hai. Chunāṅche

Page 450: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

444 2 Tawārīkh 2:2

ai Rab Khudā, wuh wādā pūrā karjo tū ne mere bāp Dāūd se kiyāhai. 10Mujhe hikmat aur samajhatā farmā tāki maiṅ is qaum kīrāhnumāī kar sakūṅ. Kyoṅki kaunterī is azīm qaum kā insāf kar saktāhai?”

11Allāh ne Sulemān se kahā,“Maiṅ khush hūṅ ki tū dil seyihī kuchh chāhtā hai. Tū ne namāl‐o‐daulat, na izzat, na apnedushmanoṅ kī halākat aur na umrkī darāzī balki hikmat aur samajhmāṅgī hai tāki merī us qaum kāinsāf kar sake jis par maiṅ netujhe bādshāh banā diyā hai. 12Islie maiṅ terī yih darkhāst pūrīkarke tujhe hikmat aur samajh atākarūṅga. Sāth sāthmaiṅ tujhe utnāmāl‐o‐daulat aur utnī izzat dūṅgājitnī na māzī meṅ kisī bādshāh kohāsil thī, na mustaqbil meṅ kabhīkisī ko hāsil hogī.”

13Is ke bād Sulemān Jibaūn kī uspahāṛī se utrā jis par mulāqāt kākhaimā thā aur Yarūshalam wāpaschalā gayā jahāṅ wuh Isrāīl parhukūmat kartā thā.

Sulemān kī Daulat14Sulemān ke 1,400 rath aur 12,000ghoṛe the. Kuchh us ne rathoṅke lie makhsūs kie gae shahroṅmeṅ aur kuchh Yarūshalam meṅapne pās rakhe. 15Bādshāh kīsargarmiyoṅ ke bāis chāṅdī pattharjaisī ām ho gaī aur deodār kī qīmtīlakaṛī maġhrib ke nashebī pahāṛīilāqe kī anjīr‐tūt kī sastī lakaṛījaisī ām ho gaī. 16Bādshāh apneghoṛe Misr aur que yānī Kilikiyāse darāmad kartā thā. Us ke tājirin jaghoṅ par jā kar unheṅ kharīdlāte the. 17Bādshāh ke rath Misrse darāmad hote the. Har rathkī qīmat chāṅdī ke 600 sikke aurhar ghoṛe kī qīmat chāṅdī ke 150sikke thī. Sulemān ke tājir yihghoṛe barāmad karte hue tamāmHittī aur Arāmī bādshāhoṅ tak bhīpahuṅchāte the.

Rab ke Ghar kī Tāmīrkī Taiyāriyāṅ

2 Phir Sulemān ne Rab ke lieghar aur apne lie shāhī mahal

banāne kā hukm diyā. 2Is ke lieus ne 1,50,000 ādmiyoṅ kī bhartī kī.80,000 ko us ne pahāṛī kānoṅ meṅlagāyā tāki wuh patthar nikāleṅ

Page 451: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 2:3 445

jabki 70,000 afrād kī zimmedārī yihpatthar Yarūshalam lānā thī. Insab par Sulemān ne 3,600 nigarānmuqarrar kie. 3Us ne Sūr kebādshāh Hīrām ko ittalā dī, “Jistarah āp mere bāp Dāūd ko deodārkī lakaṛī bhejte rahe jab wuh apnelie mahal banā rahe the usī tarahmujhe bhī deodār kī lakaṛī bhejeṅ.4Maiṅ ek ghar tāmīr karke use Rabapne Khudā ke nām ke lie makhsūskarnā chāhtā hūṅ. Kyoṅki hameṅaisī jagah kī zarūrat hai jis meṅ uskehuzūr khushbūdār bakhūr jalāyājāe, Rab ke lie makhsūs roṭiyāṅbāqāydagī se mez par rakhī jāeṅaur khās mauqoṅ par bhasm honewālī qurbāniyāṅ pesh kī jāeṅ yānīhar subh‐o‐shām, Sabat ke din, NaeChāṅd kī Īdoṅ aur Rab hamāreKhudā kī dīgarmuqarrarā īdoṅ par.Yih Isrāīl kā dāymī farz hai.

5Jis ghar ko maiṅ banāne kohūṅ wuh nihāyat azīm hogā,kyoṅki hamārā Khudā dīgar tamāmmābūdoṅ se kahīṅ azīmhai. 6Lekinkaun us ke lie aisā ghar banā saktāhai jo us ke lāyq ho? Bulandtarīnāsmān bhī us kī rihāish ke liechhoṭā hai. To phir merī kyāhaisiyat hai ki us ke lie gharbanāūṅ? Maiṅ sirf aisī jagah

banā saktā hūṅ jis meṅ us ke liequrbāniyāṅ chaṛhāī jā sakeṅ.

7Chunāṅche mere pās kisī aisesamajhdār kārīgar ko bhej deṅjo mahārat se sone‐chāṅdī, pītalaur lohe kā kām jāntā ho. Wuhnīle, arġhawānī aur qirmizī rangkā kapṛā banāne aur kandākārīkā ustād bhī ho. Aisā shakhsYarūshalam aur Yahūdāh meṅmere un kārīgaroṅ kā inchārj banejinheṅ mere bāp Dāūd ne kām parlagāyā hai. 8Is ke alāwā mujheLubnān se deodār, jūnīpar aurdīgar qīmtī darakhtoṅ kī lakaṛībhej deṅ. Kyoṅki maiṅ jāntāhūṅ ki āp ke log umdā qism kelakaṛhāre haiṅ. Mere ādmī āpke logoṅ ke sāth mil kar kāmkareṅge. 9Hameṅ bahut‐sī lakaṛīkī zarūrat hogī, kyoṅki jo gharmaiṅ banānā chāhtā hūṅ wuhbaṛā aur shāndār hogā. 10Āp kelakaṛhāroṅ ke kām ke muāwazemeṅ maiṅ 32,75,000 kilogrāmgandum, 27,00,000 kilogrām jau,4,40,000 liṭar mai aur 4,40,000 liṭarzaitūn kā tel dūṅgā.”

11Sūr ke bādshāh Hīrām ne khatlikh kar Sulemān ko jawāb diyā,“Rab apnī qaum ko pyār kartā hai,is lie us ne āp ko us kā bādshāh

Page 452: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

446 2 Tawārīkh 3:4

banāyā hai. 12Rab Isrāīl ke Khudākī hamd ho jis ne āsmān‐o‐zamīnko khalaq kiyā hai ki us ne DāūdBādshāh ko itnā dānishmand beṭāatā kiyā hai. Us kī tamjīd ho kiyih aqalmand aur samajhdār beṭāRab ke lie ghar aur apne lie mahaltāmīr karegā. 13Maiṅ āp ke pāsek māhir aur samajhdār kārīgar kobhej detā hūṅ jis kā nām Hīrām‐abī hai. 14Us kī Isrāīlī māṅ, Dānke qabīle kī hai jabki us kā bāp Sūrkā hai. Hīrām sone‐chāṅdī, pītal,lohe, patthar aur lakaṛī kī chīzeṅbanāne meṅ mahārat rakhtā hai.Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizīrang kā kapṛā aur katān kā bārīkkapṛā banā saktā hai. Wuh harqism kī kandākārī meṅ bhī māhirhai. Jo bhī mansūbā use peshkiyā jāe use wuh pāyā‐e‐takmīl takpahuṅchā saktā hai. Yih ādmīāp ke aur āp ke muazzaz bāpDāūd ke kārīgaroṅ ke sāth milkar kām karegā. 15Chunāṅche jisgandum, jau, zaitūn ke tel aurmai kā zikr mere āqā ne kiyāwuh apne khādimoṅ ko bhej deṅ.16Muāwaze meṅ ham āp ke liedarkār darakhtoṅ ko Lubnān meṅkaṭwāeṅge aur un ke beṛe bāndhkar samundar ke zariye Yāfā Shahr

tak pahuṅchā deṅge. Wahāṅ se āpunheṅ Yarūshalam le jā sakeṅge.”

17Sulemān ne Isrāīl meṅābād tamām ġhairmulkiyoṅ kīmardumshumārī karwāī. (Uske bāp Dāūd ne bhī un kīmardumshumārī karwāī thī.)Mālūm huā ki Isrāīl meṅ 1,53,600ġhairmulkī rahte haiṅ. 18In meṅ seus ne 80,000 ko pahāṛī kānoṅ meṅlagāyā tāki wuh patthar nikāleṅjabki 70,000 afrād kī zimmedārī yihpatthar Yarūshalam lānā thī. Insab par Sulemān ne 3,600 nigarānmuqarrar kie.

Rab ke Ghar kī Tāmīr

3 Sulemān ne Rab ke ghar koYarūshalamkī pahāṛīMoriyāh

par tāmīr kiyā. Us kā bāp Dāūdyih maqām muqarrar kar chukāthā. Yihīṅ jahāṅ pahle urnān yānīAraunāh Yabūsī apnā anāj gāhtāthā Rab Dāūd par zāhir huā thā.2Tāmīr kā yih kām Sulemān kīhukūmat ke chauthe sāl ke dūsremāh aur us ke dūsre din shurū huā.

3Makān kī lambāī 90 fuṭ aurchauṛāī 30 fuṭ thī. 4Sāmne ekbarāmdā banāyā gayā jo imāratjitnā chauṛā yānī 30 fuṭ aur 30 fuṭ

Page 453: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 3:5 447

ūṅchā thā. Us kī andarūnī dīwāroṅpar us ne khālis sonā chaṛhāyā.5Baṛe hāl kī dīwāroṅ par us ne ūparse le kar nīche tak jūnīpar kī lakaṛīke takhte lagāe, phir takhtoṅ parkhālis sonā manḍhwā kar unheṅkhajūr ke darakhtoṅ aur zanjīroṅ kītaswīroṅ se ārāstā kiyā. 6Sulemānne Rab ke ghar ko jawāhar se bhīsajāyā. Jo sonā istemāl huā wuhparwāym se mangwāyā gayā thā.7Sonā makān, tamām shahtīroṅ,dahlīzoṅ, dīwāroṅ aur darwāzoṅpar manḍhā gayā. Dīwāroṅ parkarūbī farishtoṅ kī taswīreṅ bhīkandā kī gaīṅ.

Muqaddastarīn Kamrā8Imārat kā sab se andarūnī kamrābanām Muqaddastarīn Kamrāimārat jaisā chauṛā yānī 30 fuṭ thā.Us kī lambāī bhī 30 fuṭ thī. Is kamrekī tamām dīwāroṅ par 20,000kilogrām se zāyd sonā manḍhāgayā. 9Sone kī kīloṅ kā wazntaqrīban 600 grām thā. Bālākhānoṅkī dīwāroṅ par bhī sonā manḍhāgayā.

10Phir Sulemān ne karūbīfarishtoṅ ke domujassame banwāejinheṅ Muqaddastarīn Kamre meṅ

rakhā gayā. Un par bhī sonāchaṛhāyā gayā. 11‐13Jab donoṅfarishtoṅ ko ek dūsre ke sāthMuqaddastarīn Kamre meṅ khaṛākiyā gayā to un ke chār paroṅ kīmil kar lambāī 30 fuṭ thī. Harek ke do par the, aur har par kīlambāī sāṛhe sāt sāt fuṭ thī. UnheṅMuqaddastarīn Kamre meṅ yoṅek dūsre ke sāth khaṛā kiyā gayāki har farishte kā ek par dūsre kepar se lagtā jabki dāīṅ aur bāīṅtaraf har ek kā dūsrā par dīwār kesāth lagtā thā. Wuh apne pāṅwoṅpar khaṛe baṛe hāl kī taraf dekhtethe. 14Muqaddastarīn Kamre kedarwāze par Sulemān ne bārīkkatān se bunā huā pardā lagwāyā.Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizīrang ke dhāge se sajā huā thā, aurus par karūbī farishtoṅ kī taswīreṅthīṅ.

Rab ke Ghar ke Darwāzepar Do Satūn

15Sulemān ne do satūn ḍhalwā karRab ke ghar ke darwāze ke sāmnekhaṛe kie. Har ek 27 fuṭ lambāthā, aur har ek par ek bālāī hissārakhā gayā jis kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭthī. 16In bālāī hissoṅ ko zanjīroṅ se

Page 454: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

448 2 Tawārīkh 4:9

sajāyā gayā jin se sau anār laṭke huethe. 17Donoṅ satūnoṅ ko Sulemānne Rab ke ghar ke darwāze ke dāīṅaur bāīṅ taraf khaṛā kiyā. Dahnehāth ke satūn kā nām us ne ‘Yakīn’aur bāeṅ hāth ke satūn kā nām‘Boaz’ rakhā.

Qurbāngāh aur SamundarNāmī Hauz

4 Sulemān ne pītal kī ekqurbāngāh bhī banwāī jis kī

lambāī 30 fuṭ, chauṛāī 30 fuṭ aurūṅchāī 15 fuṭ thī.

2Is ke bād us ne pītal kā baṛāgol hauz ḍhalwāyā jis kā nām‘Samundar’ rakhā gayā. Us kīūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban45 fuṭ thā. 3Hauz ke kināre ke nīchebailoṅ kī do qatāreṅ thīṅ. Fī fuṭtaqrīban 6 bail the. Bail aur hauzmil kar ḍhāle gae the. 4Hauz kobailoṅ ke 12mujassamoṅpar rakhāgayā. Tīn bailoṅ kā rukh shimāl kītaraf, tīn kā rukh maġhrib kī taraf,tīn kā rukh junūb kī taraf aur tīn kārukh mashriq kī taraf thā. Un kepichhle hisse hauz kī taraf the, aurhauz un ke kandhoṅ par paṛā thā.5Hauz kā kinārā pyāle balki sosan

ke phūl kī tarah bāhar kī tarafmuṛāhuā thā. Us kī dīwār taqrīban tīninch moṭī thī, aur hauz meṅ pānīke taqrīban 66,000 liṭar samā jātethe.

6Sulemān ne 10 bāsan ḍhalwāe.Pāṅch ko Rab ke ghar ke dāeṅhāth aur pāṅch ko us ke bāeṅ hāthkhaṛā kiyā gayā. In bāsanoṅ meṅgosht kewuh ṭukṛe dhoe jāte jinheṅbhasm hone wālī qurbānī ke taurpar jalānā thā. Lekin ‘Samundar’nāmī hauz imāmoṅ ke istemāl kelie thā. Us meṅ wuh nahāte the.

Sone ke Shamādān aurMezeṅ7Sulemān ne sone ke 10 shamādānmuqarrarā tafsīlāt ke mutābiqbanwā kar Rab ke ghar meṅ rakhdie, pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅchko bāīṅ taraf. 8Das mezeṅ bhī banākar Rab ke ghar meṅ rakhī gaīṅ,pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅch kobāīṅ taraf. In chīzoṅ ke alāwāSulemān ne chhiṛkāw ke sone ke100 kaṭore banwāe.

Sahan9Phir Sulemān ne wuh andarūnīsahan banwāyā jis meṅ sirfimāmoṅ ko dākhil hone kī ijāzat

Page 455: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 4:10 449

thī. Us ne baṛā sahan bhī uske darwāzoṅ samet banwāyā.Darwāzoṅ ke kiwāṛoṅ par pītalchaṛhāyā gayā. 10‘Samundar’ nāmīhauz ko sahan ke junūb‐mashriqmeṅ rakhā gayā.

Us Sāmān kī Fahrist Jo Hīrāmne Taiyār Kiyā

11Hīrām ne bāsan, belche aurchhiṛkāw ke kaṭore bhī banāe.Yoṅ us ne Allāh ke ghar meṅ wuhsārā kām mukammal kiyā jis ke lieSulemān Bādshāh ne use bulāyāthā. Us ne zail kī chīzeṅ banāīṅ:

12do satūn,satūnoṅ par lage pyālānumā

bālāī hisse,bālāī hissoṅ par lagī zanjīroṅ kā

ḍizāyn,13zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī

bālāī hissā 200 adad),14hathgāṛiyāṅ,in par ke pānī ke bāsan,15hauz banām Samundar,ise uṭhāne wāle bail ke 12

mujassame,16bālṭiyāṅ, belche, gosht ke

kāṅṭe.Tamām sāmān jo Hīrām‐abī ne

Sulemān ke hukm par Rab ke ghar

ke lie banāyā pītal se ḍhāl karpālish kiyā gayā thā. 17Bādshāhne use Wādī‐e‐Yardan meṅ Sukkātaur Zartān ke darmiyān ḍhalwāyā.Wahāṅ ek faunḍarī thī jahāṅHīrāmne gāre se sāṅche banā kar har chīzḍhāl dī. 18Is sāmān ke lie SulemānBādshāh ne itnā zyādā pītal istemālkiyā ki us kā kul waznmālūm na hosakā.

Rab ke Ghar ke AndarSone kā Sāmān

19Allāh ke ghar ke andar ke lieSulemān ne darj‐e‐zail sāmānbanwāyā:sone kī qurbāngāh,sone kī wuhmezeṅ jin par Rab ke

lie makhsūs roṭiyāṅ paṛī rahtī thīṅ,20khālis sone ke wuh shamādān

aur charāġh jin ko qawāyd kemutābiq Muqaddastarīn Kamre kesāmne jalnā thā,

21khālis sone ke wuh phūl jin seshamādān ārāstā the,khālis sone ke charāġh aur battī

ko bujhāne ke auzār,22charāġh ko katarne ke khālis

sone ke auzār, chhiṛkāw ke khālissone ke kaṭore aur pyāle,

Page 456: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

450 2 Tawārīkh 5:10

jalte hue koele ke lie khālis soneke bartan,Muqaddastarīn Kamre aur baṛe

hāl ke darwāze.

5 Rab ke ghar kī takmīl parSulemān ne wuh sonā‐chāṅdī

aur bāqī tamām qīmtī chīzeṅ Rabke ghar ke khazānoṅ meṅ rakhwādīṅ jo us ke bāp Dāūd ne Allāh kelie makhsūs kī thīṅ.

Ahd kā Sandūq Rab ke Gharmeṅ Lāyā Jātā Hai

2Phir Sulemān ne Isrāīl ke tamāmbuzurgoṅ aur qabīloṅ aur kunboṅke tamām sarparastoṅ ko apne pāsYarūshalam meṅ bulāyā, kyoṅkiRab ke ahd kā sandūq ab takYarūshalam ke us hisse meṅ thā jo‘Dāūd kā Shahr’ yā Siyyūn kahlātāhai. Sulemān chāhtā thā ki qaumke numāinde hāzir hoṅ jab sandūqko wahāṅ se Rab ke ghar meṅpahuṅchāyā jāe. 3Chunāṅche Isrāīlke tamām mard sāl ke sātweṅmahīnea meṅ bādshāh ke pāsYarūshalam meṅ jamā hue. Isīmahīne meṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īdmanāī jātī thī.

4Jab sab jamā hue to Lāwī Rab kesandūq ko uṭhā kar 5Rab ke gharmeṅ lāe. Imāmoṅ ke sāth milkar unhoṅ ne mulāqāt ke khaimeko bhī us ke tamām muqaddassāmān samet Rab ke ghar meṅpahuṅchāyā. 6Wahāṅ sandūq kesāmne Sulemān Bādshāh aur bāqītamām jamāshudā Isrāīliyoṅne itnībheṛ‐bakriyāṅ aur gāy‐bail qurbānkie ki un kī tādād ginī nahīṅ jā saktīthī.

7Imāmoṅ ne Rab ke ahdkā sandūq pichhle yānīMuqaddastarīn Kamre meṅ lākar karūbī farishtoṅ ke paroṅ kenīche rakh diyā. 8Farishtoṅ ke parpūre sandūq par us kī uṭhāne kīlakaṛiyoṅ samet phaile rahe. 9Tobhī uṭhāne kī yih lakaṛiyāṅ itnīlambī thīṅ ki un ke sire sāmnewāleyānī Muqaddas Kamre se nazar ātethe. Lekin wuh bāhar se dekhenahīṅ jā sakte the. Āj tak wuhwahīṅ maujūd haiṅ. 10Sandūqmeṅsirf patthar kī wuh do takhtiyāṅthīṅ jin ko Mūsā ne Horib yānīKoh‐e‐Sīnā ke dāman meṅ us meṅrakh diyā thā, us waqt jab Rabne Misr se nikle hue Isrāīliyoṅ

aSitambar tā Aktūbar

Page 457: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 5:11 451

ke sāth ahd bāndhā thā. 11Phirimām Muqaddas Kamre se nikalkar sahan meṅ āe.Jitne imām āe the un sab ne

apne āp ko pāk‐sāf kiyā huā thā,khāh us waqt un ke guroh kī Rabke ghar meṅ ḍyūṭī thī yā nahīṅ.12Lāwiyoṅ ke tamām gulūkārbhī hāzir the. Un ke rāhnumāĀsaf, Haimān aur Yadūtūn apnebeṭoṅ aur rishtedāroṅ samet sabbārīk katān ke libās pahne huequrbāngāh ke mashriq meṅ khaṛethe. Wuh jhāṅjh, sitār aur sarodbajā rahe the, jabki un ke sāth120 imām turam phūṅk rahe the.13Gāne wāle aur turam bajāne wālemil kar Rab kī satāish kar rahe the.Turamoṅ, jhāṅjhoṅ aur bāqī sāzoṅke sāth unhoṅ ne buland āwāz seRab kī tamjīd meṅ gīt gāyā, “Wuhbhalā hai, aur us kī shafqat abadīhai.”Tab Rab kā ghar ek bādal se bhar

gayā. 14Imām Rab ke ghar meṅapnī khidmat anjām na de sake,kyoṅki Allāh kā ghar us ke jalāl kebādal se māmūr ho gayā thā.

6 Yih dekh kar Sulemān ne duākī, “Rab ne farmāyā hai ki

maiṅ ghane bādal ke andhere meṅrahūṅgā. 2Maiṅ ne tere lie azīm

sukūnatgāh banāī hai, ekmaqām joterī abadī sukūnat ke lāyq hai.”

Rab ke Ghar kī Makhsūsiyatpar Sulemān kī Taqrīr

3Phir bādshāh ne muṛ kar Rab keghar ke sāmne khaṛī Isrāīl kī pūrījamāt kī taraf rukh kiyā. Us neunheṅ barkat de kar kahā,

4“Rab Isrāīl ke Khudā kī tārīfho jis ne wuh wādā pūrā kiyāhai jo us ne mere bāp Dāūd sekiyā thā. Kyoṅki us ne farmāyā,5‘Jis din maiṅ apnī qaum ko Misrse nikāl lāyā us din se le kar ājtak maiṅ ne na kabhī farmāyāki Isrāīlī qabīloṅ ke kisī shahrmeṅ mere nām kī tāzīm meṅ gharbanāyā jāe, na kisī ko merī qaumIsrāīl par hukūmat karne ke liemuqarrar kiyā. 6Lekin ab maiṅne Yarūshalam ko apne nām kīsukūnatgāh aurDāūd ko apnī qaumIsrāīl kā bādshāh banāyā hai.’

7Mere bāp Dāūd kī baṛī khāhishthī ki Rab Isrāīl ke Khudā ke nāmkī tāzīm meṅ ghar banāe. 8LekinRab ne etarāz kiyā, ‘Maiṅ khushhūṅ ki tū mere nām kī tāzīm meṅghar tāmīr karnā chāhtā hai, 9lekin

Page 458: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

452 2 Tawārīkh 6:19

tū nahīṅ balki terā beṭā hī usebanāegā.’

10Aur wāqaī, Rab ne apnā wādāpūrā kiyā hai. Maiṅ Rab ke wāde keainmutābiq apnebāpDāūdkī jagahIsrāīl kā bādshāh ban kar takht parbaiṭh gayā hūṅ. Aur ab maiṅ neRab Isrāīl ke Khudā kenāmkī tāzīmmeṅ ghar bhī banāyā hai. 11Usmeṅmaiṅnewuh sandūq rakhdiyāhai jis meṅ sharīat kī takhtiyāṅ paṛīhaiṅ, us ahd kī takhtiyāṅ jo Rab neIsrāīliyoṅ se bāndhā thā.”

Rab ke Ghar kī Makhsūsiyatpar Sulemān kī Duā

12Phir Sulemān ne Isrāīl kī pūrījamāt ke dekhte dekhte Rab kīqurbāngāh ke sāmne khaṛe ho karapne hāth āsmān kī taraf uṭhāe.13Us ne is mauqe ke lie pītal kā ekchabūtarā banwā kar use bairūnīsahankebīchmeṅ rakhwādiyā thā.Chabūtarā sāṛhe 7 fuṭ lamb, sāṛhe7 fuṭ chauṛā aur sāṛhe 4 fuṭ ūṅchāthā. Ab Sulemān us par chaṛh karpūrī jamāt ke dekhte dekhte jhukgayā. Apne hāthoṅ ko āsmān kītaraf uṭhā kar 14us ne duā kī,“Ai Rab Isrāīl ke Khudā, tujh jaisā

koī Khudā nahīṅ hai, na āsmān aur

na zamīn par. Tū apnā wuh ahdqāym rakhtā hai jise tū ne apnīqaum ke sāth bāndhā hai aur apnīmehrbānī un sab par zāhir kartāhai jo pūre dil se terī rāh par chaltehaiṅ. 15Tū ne apne khādim Dāūdse kiyā huā wādā pūrā kiyā hai. Jobāt tū ne apne muṅh se mere bāpse kī wuh tū ne apne hāth se ājhī pūrī kī hai. 16Ai Rab Isrāīl keKhudā, ab apnī dūsrī bāt bhī pūrīkar jo tū ne apne khādim Dāūd sekī thī. Kyoṅki tū ne mere bāp sewādā kiyā thā, ‘Agar terī aulād terītarah apne chāl‐chalan par dhyānde kar merī sharīat ke mutābiqmere huzūr chaltī rahe to Isrāīl parus kī hukūmat hameshā tak qāymrahegī.’ 17Ai Rab Isrāīl ke Khudā, abbarāh‐e‐karm apnā yih wādā pūrākar jo tū ne apne khādim Dāūd sekiyā hai.

18Lekin kyā Allāh wāqaī zamīnpar insān ke darmiyān sukūnatkaregā? Nahīṅ, tū to bulandtarīnāsmān meṅ bhī samā nahīṅsaktā! To phir yih makān jomaiṅ ne banāyā hai kis tarah terīsukūnatgāh ban saktā hai? 19Ai Rabmere Khudā, to bhī apne khādimkī duā aur iltijā sun jab maiṅ terehuzūr pukārte hue iltamās kartā

Page 459: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 6:20 453

hūṅ 20ki barāh‐e‐karm din rāt isimārat kī nigarānī kar! Kyoṅki yihwuh jagah hai jis ke bāre meṅ tū nekhud farmāyā, ‘Yahāṅ merā nāmsukūnat karegā.’ Chunāṅche apnekhādim kī guzārish sun jo maiṅis maqām kī taraf rukh kie huekartā hūṅ. 21Jab ham is maqāmkī taraf rukh karke duā kareṅ toapne khādim aur apnī qaum kīiltijāeṅ sun. Āsmān par apne takhtse hamārī sun. Aur jab sunegā tohamāre gunāhoṅ ko muāf kar!

22Agar kisī par ilzām lagāyā jāeaur use yahāṅ terī qurbāngāh kesāmne lāyā jāe tāki halaf uṭhā karwādākare kimaiṅbequsūrhūṅ 23tobarāh‐e‐karm āsmān par se sunkar apne khādimoṅ kā insāf kar.Qusūrwār ko sazā de kar us ke apnesar par wuh kuchh āne de jo usse sarzad huā hai, aur bequsūr kobe’ilzām qarār de aur us kī rāstbāzīkā badlā de.

24Hosaktāhai kisīwaqt terī qaumIsrāīl terā gunāh kare aur natījemeṅ dushman ke sāmne shikastkhāe. Agar Isrāīlī ākhirkār terepās lauṭ āeṅ aur tere nām kī tamjīdkarke yahāṅ is gharmeṅ tere huzūrduā aur iltamās kareṅ 25to āsmānpar se un kī fariyād sun lenā. Apnī

qaum Isrāīl kā gunāh muāf karkeunheṅ dubārā us mulk meṅ wāpaslānā jo tū ne unheṅ aur un kebāpdādā ko de diyā thā.

26Ho saktā hai Isrāīlī terā itnāsangīn gunāh kareṅ ki kāl paṛe aurbaṛī der tak bārish na barse. Agarwuh ākhirkār is ghar kī taraf rukhkarke tere nām kī tamjīd kareṅ aurterī sazā ke bāis apnā gunāh chhoṛkar lauṭ āeṅ 27to āsmān par se un kīfariyād sun lenā. Apne khādimoṅaur apnī qaum Isrāīl ko muāf kar,kyoṅki tū hī unheṅ achchhī rāh kītālīm detā hai. Tab us mulk pardubārā bārish barsā de jo tū ne apnīqaum ko mīrās meṅ de diyā hai.

28Ho saktā hai Isrāīl meṅ kālpaṛ jāe, anāj kī fasal kisī bīmārī,phaphūṅdī, ṭiḍḍiyoṅ yā kīṛoṅ semuta’assir ho jāe, yā dushman kisīshahr kā muhāsarā kare. Jo bhīmusībat yā bīmārī ho, 29agar koīIsrāīlī yā terī pūrī qaumus kā sababjān kar apne hāthoṅ ko is ghar kītaraf baṛhāe aur tujh se iltamāskare 30to āsmān par apne takht seun kī fariyād sun lenā. Unheṅmuāf karke har ek ko us kī tamāmharkatoṅ kā badlā de, kyoṅki sirftū hī har insān ke dil ko jāntā hai.31Phir jitnī der wuh us mulk meṅ

Page 460: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

454 2 Tawārīkh 6:42

zindagī guzāreṅge jo tū ne hamārebāpdādā ko diyā thā utnī der wuhterā khauf mān kar terī rāhoṅ parchalte raheṅge.

32Āindā pardesī bhī tere azīmnām, terī baṛī qudrat aur terezabardast kāmoṅ ke sabab se āeṅgeaur is ghar kī taraf rukh karkeduā kareṅge. Agarche wuh terīqaum Isrāīl ke nahīṅ hoṅge 33tobhī āsmān par se un kī fariyād sunlenā. Jo bhī darkhāst wuh peshkareṅwuhpūrī karnā tāki duniyā kītamāmaqwām terā nām jānkar terīqaum Isrāīl kī tarah hī terā khaufmāneṅ aur jān leṅ ki jo imāratmaiṅne tāmīr kī hai us par tere hī nāmkāṭhappā lagā hai.

34Ho saktā hai terī qaum kemard terī hidāyat ke mutābiq apnedushman se laṛne ke lie nikleṅ.Agar wuh tere chune hue shahr aurus imārat kī taraf rukh karke duākareṅ jo maiṅ ne tere nām ke lietāmīr kī hai 35to āsmān par se un kīduā aur iltamās sun kar un ke haqmeṅ insāf qāym rakhnā.

36Ho saktā hai wuh terā gunāhkareṅ, aisī harkateṅ to ham sabse sarzad hotī rahtī haiṅ, aurnatīje meṅ tū nārāz ho kar unheṅdushman ke hawāle kar de jo

unheṅ qaid karke kisī dūr‐darāz yāqarībī mulk meṅ le jāe. 37Shāyadwuh jilāwatanī meṅ taubā karkedubārā terī taraf rujū kareṅ aur tujhse iltamās kareṅ, ‘Ham ne gunāhkiyā hai, ham se ġhaltī huī hai, hamne bedīn harkateṅ kī haiṅ.’

38Agar wuh aisā karke apnī qaidkemulkmeṅ apne pūre dil‐o‐jān sedubārā terī taraf rujū kareṅ aur terītaraf se bāpdādā ko die gae mulk,tere chune hue shahr aur us imāratkī taraf rukh karke duā kareṅ jomaiṅ ne tere nām ke lie tāmīr kīhai 39to āsmān par apne takht seun kī duā aur iltamās sun lenā. Unke haq meṅ insāf qāym karnā, aurapnī qaum ke gunāhoṅ ko muāfkar denā. 40Ai mere Khudā, terīāṅkheṅ aur tere kān un duāoṅ kelie khule raheṅ jo is jagah par kī jātīhaiṅ.

41Ai Rab Khudā, uṭh kar apnīārāmgāh ke pās ā, tū aur ahdkā sandūq jo terī qudrat kā izhārhai. Ai Rab Khudā, tere imāmnajāt se mulabbas ho jāeṅ, aurtere īmāndār terī bhalāī kī khushīmanāeṅ. 42Ai Rab Khudā, apnemasah kie hue khādim ko radd nakar balki us shafqat ko yād kar jo tūne apne khādim Dāūd par kī hai.”

Page 461: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 7:1 455

Rab ke Ghar kī Makhsūsiyatpar Jashn

7 Sulemān kī is duā ke ikhtitāmpar āg ne āsmān par se nāzil

ho kar bhasm hone wālī aur zabahkī qurbāniyoṅ ko bhasm kar diyā.Sāth sāth Rab kā ghar us ke jalāl seyoṅ māmūr huā 2ki imām us meṅdākhil na ho sake. 3Jab Isrāīliyoṅne dekhā ki āsmān par se āg nāzilhuī hai aur ghar Rab ke jalāl semāmūr ho gayā hai to wuh muṅhke bal jhuk kar Rab kī hamd‐o‐sanākarke gīt gāne lage, “Wuhbhalā hai,aur us kī shafqat abadī hai.”

4‐5Phir bādshāh aur tamāmqaum ne Rab ke huzūr qurbāniyāṅpesh karke Allāh ke ghar komakhsūs kiyā. Is silsile meṅSulemān ne 22,000 gāy‐bailoṅ aur1,20,000 bheṛ‐bakriyoṅ ko qurbānkiyā. 6Imām aur Lāwī apnī apnīzimmedāriyoṅ ke mutābiq khaṛethe. Lāwī un sāzoṅ ko bajā rahethe jo Dāūd ne Rab kī satāish karneke lie banwāe the. Sāth sāth wuhhamd kā wuh gīt gā rahe the jounhoṅ ne Dāūd se sīkhā thā, “Uskī shafqat abadī hai.” Lāwiyoṅ kemuqābil imām turam bajā rahe thejabki bāqī tamām log khaṛe the.

7Sulemān ne sahan kā darmiyānīhissā qurbāniyāṅ chaṛhāne ke liemakhsūs kiyā. Wajah yih thī kipītal kī qurbāngāh itnī qurbāniyāṅpesh karne ke lie chhoṭī thī, kyoṅkibhasm hone wālī qurbāniyoṅ aurġhallā kī nazaroṅ kī tādād bahutzyādā thī. Is ke alāwā salāmatī kībeshumār qurbāniyoṅ kī charbī kobhī jalānā thā.

8‐9Īd 14 dinoṅ tak manāī gaī.Pahle hafte meṅ Sulemān aurtamām Isrāīl ne qurbāngāh kīmakhsūsiyat manāī aur dūsre haftemeṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd. Is īd meṅbahut zyādā log sharīk hue. Wuhdūr‐darāz ilāqoṅ se Yarūshalam āethe, shimāl meṅ Labo‐hamāt sele kar junūb meṅ us wādī tak joMisr kī sarhad thī. Ākhirī din pūrījamāt ne ikhtitāmī jashn manāyā.10Yih sātweṅ māh ke 23weṅ dinwuqūpazīr huā. Is ke bād Sulemānne Isrāīliyoṅ ko rukhsat kiyā. Sabshādmān aur dil se khush the kiRab ne Dāūd, Sulemān aur apnīqaum Isrāīl par itnī mehrbānī kīhai.

Page 462: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

456 2 Tawārīkh 7:22

Rab Sulemān se HamkalāmHotā Hai

11Chunāṅche Sulemān ne Rab keghar aur shāhī mahal ko takmīl takpahuṅchāyā. Jo kuchh bhī us neṭhān liyā thāwuhpūrāhuā. 12Ek rātRab us par zāhir huā aur kahā,“Maiṅ ne terī duā ko sun kar tay

kar liyā hai ki yih ghar wuhī jagahho jahāṅ tum mujhe qurbāniyāṅpesh kar sako. 13Jab kabhī maiṅbārish kā silsilā rokūṅ, yā fasleṅkharāb karne ke lie ṭiḍḍiyāṅ bhejūṅyā apnī qaum meṅ wabā phailnedūṅ 14to agar merī qaum jo merenām se kahlātī hai apne āp ko pastkare aur duā karke mere chehre kītālib ho aur apnī sharīr rāhoṅ sebāz āe to phir maiṅ āsmān par seus kī sun kar us ke gunāhoṅ komuāf kar dūṅgā aur mulk ko bahālkarūṅga. 15Ab se jab bhī yahāṅduā māṅgī jāe to merī āṅkheṅkhulī raheṅgī aur mere kān us pardhyān deṅge. 16Kyoṅki maiṅ neis ghar ko chun kar makhsūs‐o‐muqaddas kar rakhā hai tāki merānām hameshā tak yahāṅ qāymrahe. Merī āṅkheṅ aur dil hameshāis meṅ hāzir raheṅge. 17Jahāṅtak terā tālluq hai, apne bāp Dāūd

kī tarah mere huzūr chaltā rah.Kyoṅki agar tū mere tamām ahkāmaur hidāyāt kī pairawī kartā rahe18to maiṅ terī Isrāīl par hukūmatqāym rakhūṅgā. Phir merā wuhwādā qāym rahegā jo maiṅ ne terebāpDāūd se ahd bāndh kar kiyā thāki Isrāīl par terī aulād kī hukūmathameshā tak qāym rahegī.

19Lekin khabardār! Agar tū mujhse dūr ho kar mere die gae ahkāmaur hidāyāt ko tark kare balki dīgarmābūdoṅ kī taraf rujū karke unkī khidmat aur parastish kare 20tomaiṅ Isrāīl ko jaṛ se ukhāṛ kar usmulk se nikāl dūṅgā jo maiṅ neun ko de diyā hai. Na sirf yihbalki maiṅ is ghar ko bhī radd kardūṅgā jo maiṅ ne apne nām kelie makhsūs‐o‐muqaddas kar liyāhai. Us waqt maiṅ Isrāīl ko tamāmaqwām meṅ mazāq aur lān‐tān kānishānā banā dūṅgā. 21Is shāndārghar kī burī hālat dekh kar yahāṅse guzarne wāle tamām logoṅ keroṅgṭe khaṛe ho jāeṅge, aur wuhpūchheṅge, ‘Rab ne is mulk aur isghar se aisā sulūk kyoṅ kiyā?’ 22Tablog jawāb deṅge, ‘Is lie ki go Rab unke bāpdādā kā Khudā unheṅ Misrse nikāl kar yahāṅ lāyā to bhī yihlog use tark karke dīgar mābūdoṅ

Page 463: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 8:1 457

se chimaṭ gae haiṅ. Chūṅki wuh unkī parastish aur khidmat karne sebāz na āe is lie us ne unheṅ is sārīmusībat meṅ ḍāl diyā hai.’”

Sulemān kī Mukhtalif Muhimmāt

8 Rab ke ghar aur shāhī mahalko tāmīr karne meṅ 20 sāl lag

gae the. 2Is ke bād Sulemān newuhābādiyāṅ nae sire se tāmīr kīṅ joHīrām ne use de dī thīṅ. In meṅ usne Isrāīliyoṅ ko basā diyā.

3Ek faujī muhimm ke daurān usne Hamāt‐zobāh par hamlā karkeus par qabzā kar liyā. 4Is ke alāwāus ne Hamāt ke ilāqe meṅ godāmke shahr banāe. Registān ke shahrTadmūr meṅ us ne bahut‐sā tāmīrīkāmkarāyā 5‐6aur isī tarahBālāī aurNashebī Bait‐haurūn aur Bālātmeṅbhī. In shahroṅ ke lie us ne fasīlaur kunḍe wāle darwāze banwāe.Sulemān ne apne godāmoṅ ke lieaur apne rathoṅ aur ghoṛoṅ korakhne ke lie bhī shahr banwāe.Jo kuchh bhī wuh Yarūshalam,

Lubnān yā apnī saltanat kī kisī aurjagah banwānā chāhtā thā wuh usne banwāyā. 7‐8Jin ādmiyoṅ kīSulemān ne begār par bhartī kīwuh Isrāīlī nahīṅ the balki Hittī,

Amorī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsīyānī Kanān ke pahle bāshindoṅ kīwuh aulād the jo bāqī rah gae the.Mulk par qabzā karte waqt Isrāīlīin qaumoṅ ko pūre taur par miṭāna sake, aur āj tak in kī aulādko Isrāīl ke lie begār meṅ kāmkarnā paṛtā hai. 9Lekin Sulemānne Isrāīliyoṅ ko aise kām karnepar majbūr na kiyā balki wuh uske faujī aur rathoṅ ke faujiyoṅ keafsar ban gae. Aur unheṅ rathoṅaur ghoṛoṅ parmuqarrar kiyā gayā.10Sulemān ke tāmīrī kām par bhī250 Isrāīlī muqarrar the jo ziloṅpar muqarrar afsaroṅ ke tābe the.Yih log tāmīrī kām karne wāloṅ kīnigarānī karte the.

11Firaun kī beṭī Yarūshalam kepurāne hisse banām ‘Dāūd kāShahr’ se us mahal meṅ muntaqilhuī jo Sulemān ne us ke lie tāmīrkiyā thā, kyoṅki Sulemān ne kahā,“Lāzim hai ki merī ahliyā Isrāīlke bādshāh Dāūd ke mahal meṅna rahe. Chūṅki Rab kā sandūqyahāṅ se guzarā hai, is lie yih jagahmuqaddas hai.”

Page 464: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

458 2 Tawārīkh 9:1

Rab ke Gharmeṅ Khidmatkī Tartīb

12Us waqt se Sulemān Rab koRab ke ghar ke baṛe hāl kesāmne kī qurbāngāh par bhasmhone wālī qurbāniyāṅ pesh kartāthā. 13Jo kuchh bhī Mūsā nerozānā kī qurbāniyoṅ ke mutālliqfarmāyā thā us kemutābiq bādshāhqurbāniyāṅ chaṛhātā thā. In meṅwuh qurbāniyāṅ bhī shāmil thīṅjo Sabat ke din, Nae Chāṅd kī Īdpar aur sāl kī tīn baṛī īdoṅ paryānī Fasah kī Īd, Haftoṅ kī Īdaur Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd par pesh kījātī thīṅ. 14Sulemān ne imāmoṅke mukhtalif gurohoṅ ko wuhzimmedāriyāṅ sauṅpīṅ jo us ke bāpDāūd nemuqarrar kī thīṅ. Lāwiyoṅkī zimmedāriyāṅ bhī muqarrarkī gaīṅ. Un kī ek zimmedārīRab kī hamd‐o‐sanā karne meṅparastāroṅ kī rāhnumāī karnī thī.Nīz, unheṅ rozānā kī zarūriyāt kemutābiq imāmoṅ kī madad karnīthī. Rab ke ghar ke darwāzoṅkī pahrādārī bhī Lāwiyoṅ kī ekkhidmat thī. Har darwāze par ekalag guroh kī ḍyūṭī lagāī gaī. Yih bhīmard‐e‐Khudā Dāūd kī hidāyāt kemutābiq huā. 15Jo bhī hukm Dāūd

ne imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur khazānoṅke mutālliq diyā thā wuh unhoṅ nepūrā kiyā.

16Yoṅ Sulemān ke tamāmmansūbe Rab ke ghar kī buniyādrakhne se le kar us kī takmīl takpūre hue.

17Bād meṅ Sulemān Asyūn‐jābaraur Ailāt gayā. Yih shahr Adomke sāhil par wāqe the. 18WahāṅHīrām Bādshāh ne apne jahāz aurtajrabākār mallāh bheje tāki wuhSulemān ke ādmiyoṅ ke sāth milkar jahāzoṅ ko chalāeṅ. Unhoṅne Ofīr tak safr kiyā aur wahāṅse Sulemān ke lie taqrīban 15,000kilogrām sonā le kar āe.

Sabā kī Malikā SulemānseMiltī Hai

9 Sulemān kī shohrat Sabā kīmalikā tak pahuṅch gaī. Jab

us ne us ke bāre meṅ sunā to wuhSulemān semilne ke lie rawānā huītāki use mushkil paheliyāṅ peshkarke us kī dānishmandī jāṅch le.Wuh nihāyat baṛe qāfile ke sāthYarūshalam pahuṅchī jis ke ūṅṭbalsān, kasrat ke sone aur qīmtījawāhar se lade hue the.

Page 465: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 9:2 459

Malikā kī Sulemān se mulāqāthuī to us ne us se wuh tamāmmushkil sawālāt pūchhe jo us kezahan meṅ the. 2Sulemān us kehar sawāl kā jawāb de sakā. Koībhī bāt itnī pechīdā nahīṅ thī kiwuh us kā matlab malikā ko batāna saktā. 3Sabā kī malikā Sulemānkī hikmat aur us ke nae mahalse bahut muta’assir huī. 4Us nebādshāh kīmezoṅ par kemukhtalifkhāne dekhe aur yih ki us ke afsarkis tartīb se us par biṭhāe jāte the.Us ne bairoṅ kī khidmat, un kīshāndār wardiyoṅ aur sāqiyoṅ kīshāndār wardiyoṅ par bhī ġhaurkiyā. Jab us ne in bātoṅ ke alāwābhasm hone wālī wuh qurbāniyāṅbhī dekhīṅ jo Sulemān Rab ke gharmeṅ chaṛhātā thā to malikā hakkā‐bakkā rah gaī.

5Wuh bol uṭhī, “Wāqaī, jo kuchhmaiṅ ne apne mulk meṅ āp keshāhkāroṅ aur hikmat ke bāremeṅsunā thā wuh durust hai. 6Jab takmaiṅ ne khud ā kar yih sab kuchhapnī āṅkhoṅ se na dekhā mujheyaqīn nahīṅ ātā thā. Lekin haqīqatmeṅ mujhe āp kī zabardast hikmatke bāre meṅ ādhā bhī nahīṅ batāyāgayā thā. Wuh un riporṭoṅ se kahīṅzyādā hai jo mujh tak pahuṅchī

thīṅ. 7Āp ke log kitne mubārakhaiṅ! Āp ke afsar kitne mubārakhaiṅ jomusalsal āp ke sāmne khaṛerahte aur āp kī dānish bharī bāteṅsunte haiṅ! 8Rab āp ke Khudākī tamjīd ho jis ne āp ko pasandkarke apne takht par biṭhāyā tākiRab apne Khudā kī khātir hukūmatkareṅ. Āp kā Khudā Isrāīl semuhabbat rakhtā hai, aur wuh useabad tak qāym rakhnā chāhtā hai,isī lie us ne āp ko un kā bādshāhbanā diyā hai tāki insāf aur rāstbāzīqāym rakheṅ.”

9Phir malikā ne Sulemān kotaqrīban 4,000 kilogrām sonā,bahut zyādā balsān aur jawāhar dedie. Pahle kabhī bhī utnā balsānIsrāīl meṅ nahīṅ lāyā gayā thā jitnāus waqt Sabā kī malikā lāī.

10Hīrām aur Sulemān ke ādmīOfīr se na sirf sonā lāe balki unhoṅne qīmtī lakaṛī aur jawāhar bhīIsrāīl tak pahuṅchāe. 11Jitnī qīmtīlakaṛī un dinoṅ meṅ Yahūdāhmeṅ darāmad huī utnī pahle kabhīwahāṅ lāī nahīṅ gaī thī. Is lakaṛī sebādshāh ne Rab ke ghar aur apnemahal ke lie sīṛhiyāṅ banwāīṅ.Yih mausīqāroṅ ke sarod aur sitārbanāne ke lie bhī istemāl huī.

Page 466: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

460 2 Tawārīkh 9:24

12Sulemān Bādshāh ne apnī tarafse Sabā kī malikā ko bahut‐se tohfedie. Yih un chīzoṅ se zyādā thejo malikā apne mulk se us ke pāslāī thī. Jo bhī malikā chāhtī thī yāus ne māṅgā wuh use diyā gayā.Phir wuh apne naukar‐chākaroṅaur afsaroṅ ke hamrāh apne watanwāpas chalī gaī.

Sulemān kī Daulat aur Shohrat13Jo sonā Sulemān ko sālānāmiltā thā us kā wazn taqrīban23,000 kilogrām thā. 14Is meṅwuh ṭaiks shāmil nahīṅ the jouse saudāgaroṅ, tājiroṅ, Arabbādshāhoṅ aur ziloṅ ke afsaroṅ semilte the. Yih use sonā aur chāṅdīdete the.

15‐16SulemānBādshāhne 200 baṛīaur 300 chhoṭī ḍhāleṅ banwāīṅ. Unpar sonā manḍhā gayā. Har baṛīḍhāl ke lie taqrīban 7 kilogrāmsonāistemāl huā aur har chhoṭī ḍhālke lie sāṛhe 3 kilogrām. Sulemānne unheṅ ‘Lubnān kā Jangal’ nāmīmahal meṅ mahfūz rakhā.

17In ke alāwā bādshāh nehāthīdāṅt se ārāstā ek baṛā takhtbanwāyā jis par khālis sonāchaṛhāyā gayā. 18‐19Us ke har bāzū

ke sāth sherbabar kā mujassamāthā. Takht kuchh ūṅchā thā,aur bādshāh chhih pāe wālī sīṛhīpar chaṛh kar us par baiṭhtā thā.Dāīṅ aur bāīṅ taraf har pāe parsherbabar kā mujassamā thā.Pāṅwoṅ ke lie sone kī chaukī banāīgaī thī. Is qism kā takht kisī aursaltanat meṅ nahīṅ pāyā jātā thā.

20Sulemān ke tamām pyālesone ke the, balki ‘Lubnān kāJangal’ nāmī mahal meṅ tamāmbartan khālis sone ke the. Koī bhīchīz chāṅdī kī nahīṅ thī, kyoṅkiSulemān ke zamāne meṅ chāṅdī kīkoī qadar nahīṅ thī. 21Bādshāh keapne bahrī jahāz the jo Hīrām kebandoṅ ke sāth mil kar mukhtalifjaghoṅ par jāte the. Har tīn sāl kebād wuh sone‐chāṅdī, hāthīdāṅt,bandaroṅ aur moroṅ se lade huewāpas āte the.

22Sulemān kī daulat aur hikmatduniyā ke tamām bādshāhoṅ sekahīṅ zyādā thī. 23Duniyā ketamām bādshāh us se milne kīkoshish karte rahe tāki wuh hikmatsun leṅ jo Allāh ne us ke dilmeṅ ḍāldī thī. 24Sāl basāl jo bhī Sulemānke darbār meṅ ātā wuh koī na koītohfā lātā. Yoṅ use sone‐chāṅdīke bartan, qīmtī libās, hathiyār,

Page 467: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 9:25 461

balsān, ghoṛe aur khachchar milterahe.

25Ghoṛoṅ aur rathoṅ ko rakhneke lie Sulemān ke 4,000 thān the.Us ke 12,000 ghoṛe the. Kuchhus ne rathoṅ ke lie makhsūskie gae shahroṅ meṅ aur kuchhYarūshalam meṅ apne pās rakhe.26Sulemān un tamām bādshāhoṅkā hukmrān thā jo Dariyā‐e‐Furātse le kar Filistiyoṅ ke mulk kīMisrī sarhad tak hukūmat kartethe. 27Bādshāh kī sargarmiyoṅ kebāis chāṅdī patthar jaisī ām ho gaīaur deodār kī qīmtī lakaṛī maġhribke nashebī pahāṛī ilāqe kī anjīr‐tūt kī sastī lakaṛī jaisī ām ho gaī.28Bādshāh ke ghoṛe Misr aur dīgarkaī mulkoṅ se darāmad hote the.

Sulemān kī Maut29Sulemān kī zindagī ke bāre meṅmazīd bāteṅ shurū se le kar ākhirtak ‘Nātan Nabī kī Tārīkh,’ Sailāke rahne wāle nabī Akhiyāh kīkitāb ‘Akhiyāh kī Nabuwwat’ aurYarubiyām bin Nabāt se mutālliqkitāb ‘Iddū Ġhaibbīn kī Royāeṅ’meṅ darj haiṅ.

30Sulemān 40 sāl ke daurān pūreIsrāīl par hukūmat kartā rahā. Us

kā dārul‐hukūmat Yarūshalam thā.31Jab wuh mar kar apne bāpdādāse jā milā to use Yarūshalam ke ushisse meṅ dafn kiyā gayā jo ‘Dāūdkā Shahr’ kahlātā hai. Phir us kābeṭā Rahubiyām takhtnashīn huā.

Shimālī Qabīle Alag Ho Jāte Haiṅ

10 Rahubiyām Sikam gayā,kyoṅki wahāṅ tamām

Isrāīlī use bādshāhmuqarrar karneke lie jamā ho gae the. 2Yarubiyāmbin Nabāt yih khabar sunte hīMisr se jahāṅ us ne SulemānBādshāh se bhāg kar panāh lī thīIsrāīl wāpas āyā. 3Isrāīliyoṅ neuse bulāyā tāki us ke sāth Sikamjāeṅ. Jab pahuṅchā to Isrāīl kī pūrījamāt Yarubiyām ke sāth mil karRahubiyām se milne gaī. Unhoṅne bādshāh se kahā, 4“Jo juā āp kebāp ne ham par ḍāl diyā thā useuṭhānāmushkil thā, aur jowaqt aurpaise hameṅ bādshāh kī khidmatmeṅ sarf karne the wuh nāqābil‐e‐bardāsht the. Ab donoṅ ko kamkar deṅ. Phir ham khushī se āp kīkhidmat kareṅge.”

5Rahubiyām ne jawāb diyā,“Mujhe tīn din kī muhlat deṅ, phirdubārā mere pās āeṅ.” Chunāṅche

Page 468: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

462 2 Tawārīkh 10:17

log chale gae. 6Phir RahubiyāmBādshāh ne un buzurgoṅ semashwarā kiyā jo Sulemān ke jīte‐jībādshāh kī khidmat karte rahe the.Us ne pūchhā, “Āp kā kyā khayālhai? Maiṅ in logoṅ ko kyā jawābdūṅ?” 7Buzurgoṅ ne jawāb diyā,“Hamārā mashwarā hai ki is waqtun se mehrbānī se pesh ā kar unse achchhā sulūk kareṅ aur narmjawāb deṅ. Agar āp aisā kareṅto wuh hameshā āp ke wafādārkhādim bane raheṅge.”

8Lekin Rahubiyām ne buzurgoṅkā mashwarā radd karke us kīkhidmat meṅ hāzir un jawānoṅ semashwarā kiyā jo us ke sāth parwānchaṛhe the. 9Us ne pūchhā, “Maiṅis qaum ko kyā jawāb dūṅ? Yihtaqāzā kar rahe haiṅ ki maiṅ wuhjuā halkā kar dūṅ jo mere bāp neun par ḍāl diyā.” 10Jo jawān us kesāth parwān chaṛhe the unhoṅ nekahā, “Achchhā, yih log taqāzā karrahe haiṅ ki āp ke bāp kā juā halkākiyā jāe? Unheṅ batā denā, ‘Merīchhoṭī unglī mere bāp kī kamr sezyādā moṭī hai! 11Beshak jo juāus ne āp par ḍāl diyā use uṭhānāmushkil thā, lekinmerā juā aur bhībhārī hogā. Jahāṅ mere bāp ne

āp ko koṛe lagāe wahāṅ maiṅ āp kībichchhuoṅ se tādīb karūṅga.’”

12Tīn din ke bād jab Yarubiyāmtamām Isrāīliyoṅ ke sāthRahubiyām kā faislā sunane kelie wāpas āyā 13to bādshāh neunheṅ sakht jawāb diyā. Buzurgoṅkā mashwarā radd karke 14us neunheṅ jawānoṅ kā jawāb diyā,“Beshak jo juā mere bāp ne āp parḍāl diyā use uṭhānā mushkil thā,lekin merā juā aur bhī bhārī hogā.Jahāṅmere bāp ne āp ko koṛe lagāewahāṅ maiṅ āp kī bichchhuoṅ setādīb karūṅga!” 15Yoṅ Rab kī marzīpūrī huī ki Rahubiyām logoṅ kī bātnahīṅ mānegā. Kyoṅki ab Rab kīwuh peshgoī pūrī huī jo Sailā kenabī Akhiyāh ne Yarubiyām binNabāt ko batāī thī.

16Jab Isrāīliyoṅ ne dekhā kibādshāh hamārī bāt sunane ke lietaiyār nahīṅ hai to unhoṅ ne us sekahā, “Na hameṅ Dāūd se mīrāsmeṅ kuchhmilegā, na Yassī ke beṭese kuchh milne kī ummīd hai. AiIsrāīl, sab apne apne ghar wāpaschaleṅ! Ai Dāūd, ab apnā gharkhud saṅbhāl lo!” Yih kah kar wuhsab chale gae.

17Sirf Yahūdāh ke qabīle keshahroṅ meṅ rahne wāle Isrāīlī

Page 469: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 10:18 463

Rahubiyām ke taht rahe. 18PhirRahubiyām Bādshāh ne begāriyoṅpar muqarrar afsar Adūnīrām koshimālī qabīloṅ ke pās bhej diyā,lekin use dekh kar logoṅ ne usesangsār kiyā. Tab Rahubiyām jaldīse apne rath par sawār huā aurbhāg kar Yarūshalam pahuṅchgayā.

19Yoṅ Isrāīl ke shimālī qabīleDāūd ke shāhī gharāne se alag hogae aur āj tak us kī hukūmat nahīṅmānte.

Rahubiyām ko Isrāīl se Laṛnekī Ijāzat NahīṅMiltī

11 JabRahubiyāmYarūshalampahuṅchā to us ne

Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl sejang karne ke lie bulāyā. 1,80,000mard jamā hue tāki Rahubiyāmke lie Isrāīl par dubārā qābūpāeṅ. 2Lekin ain us waqt mard‐e‐Khudā Samāyāh ko Rab kī tarafse paiġhām milā, 3“Yahūdāh kebādshāh Rahubiyām bin Sulemānaur Yahūdāh aur Binyamīn ketamām afrād ko ittalā de, 4‘Rabfarmātā hai ki apne bhāiyoṅ se jangmat karnā. Har ek apne apne ghar

wāpas chalā jāe, kyoṅki jo kuchhhuā hai wuh mere hukm par huāhai.’”Tab wuh Rab kī sun kar

Yarubiyām se laṛne se bāz āe.

Rahubiyām kī Qilābandī5Rahubiyām kā dārul‐hukūmatYarūshalam rahā. Yahūdāh meṅus ne zail ke shahroṅ kī qilābandīkī: 6Bait‐laham, Aitām, Taqua,7Bait‐sūr, Sokā, Adullām, 8Jāt,Maresā, Zīf, 9Adūrāīm, Lakīs,Azīqā, 10Sur’ā, Aiyālon aur Habrūn.Yahūdāh aur Binyamīn ke inqilāband shahroṅ ko 11mazbūtkarke Rahubiyām ne har shahr parafsar muqarrar kie. Un meṅ us nekhurāk, zaitūn ke tel aur mai kāzakhīrā kar liyā 12aur sāth sāth unmeṅ ḍhāleṅ aur neze bhī rakhe. Istarah us ne unheṅ bahut mazbūtbanā kar Yahūdāh aur Binyamīnpar apnī hukūmat mahfūz kar lī.

Imām aur Lāwī YahūdāhmeṅMuntaqil Ho Jāte Haiṅ

13Go imām aur Lāwī tamām Isrāīlmeṅ bikhre rahte the to bhī unhoṅne Rahubiyām kā sāth diyā. 14Apnīcharāgāhoṅ aur milkiyat ko chhoṛ

Page 470: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

464 2 Tawārīkh 12:3

kar wuh Yahūdāh aur Yarūshalammeṅ ābād hue, kyoṅki Yarubiyāmaur us ke beṭoṅ ne unheṅ imām kīhaisiyat se Rab kī khidmat karnese rok diyā thā. 15Un kī jagah usne apne zātī imām muqarrar kie joūṅchī jaghoṅ par ke mandiroṅ kosaṅbhālte hue bakre ke dewatāoṅaur bachhṛe ke butoṅ kī khidmatkarte the. 16Lāwiyoṅ kī tarahtamām qabīloṅ ke bahut‐se aiselog Yahūdāh meṅ muntaqil hue jopūre dil se Rab Isrāīl ke Khudā ketālib rahe the. Wuh Yarūshalam āetāki Rab apne bāpdādā ke Khudāko qurbāniyāṅ pesh kar sakeṅ.17Yahūdāh kī saltanat ne aise logoṅse taqwiyat pāī. Wuh Rahubiyāmbin Sulemān ke lie tīn sāl takmazbūtī kā sabab the, kyoṅki tīn sāltak Yahūdāh Dāūd aur Sulemān keachchhe namūne par chaltā rahā.

Rahubiyām kā Khāndān18Rahubiyām kī shādī Mahalat sehuī jo Yarīmot aur Abīkhail kī beṭīthī. Yarīmot Dāūd kā beṭā aurAbīkhail Iliyāb bin Yassī kī beṭīthī. 19Mahalat ke tīn beṭe Yaūs,Samariyāh aur Zaham paidā hue.20BādmeṅRahubiyāmkīMākā bint

Abīsalūm se shādī huī. Is rishtese chār beṭe Abiyāh, Attī, Zīzā aurSalūmīt paidā hue. 21Rahubiyāmkī 18 bīwiyāṅ aur 60 dāshtāeṅthīṅ. In ke kul 28 beṭe aur 60beṭiyāṅ paidā huīṅ. Lekin Mākābint Abīsalūm Rahubiyām ko sabse zyādā pyārī thī. 22Us ne Mākāke pahlauṭhe Abiyāh ko us kebhāiyoṅ kā sarbarāh banā diyā aurmuqarrar kiyā ki yih beṭā merebād bādshāh banegā. 23Rahubiyāmne apne beṭoṅ se baṛī samajhdārīke sāth sulūk kiyā, kyoṅki us neunheṅ alag alag karke Yahūdāh aurBinyamīn ke pūre qabāylī ilāqe aurtamāmqilāband shahroṅmeṅ basādiyā. Sāth sāthwuhunheṅkasrat kīkhurāk aur bīwiyāṅ muhaiyā kartārahā.

Misr kī Yahūdāh par Fatah

12 Jab Rahubiyām kī saltanatzor pakaṛ kar mazbūt ho

gaī to us ne tamām Isrāīl sametRab kī sharīat ko tark kar diyā.2Un kī Rab se bewafāī kā natījāyih niklā ki Rahubiyām kī hukūmatke pāṅchweṅ sāl meṅ Misr kebādshāh Sīsaq ne Yarūshalam parhamlā kiyā. 3Us kī fauj bahut baṛī

Page 471: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 12:4 465

thī. 1,200 rathoṅ ke alāwā 60,000ghuṛsawār aur Libiyā, Sukkiyoṅ kemulk aur Ethopiyā ke beshumārpiyādā sipāhī the. 4Yake bād dīgareYahūdāh ke qilāband shahroṅ parqabzā karte karte Misrī bādshāhYarūshalam tak pahuṅch gayā.

5Tab Samāyāh nabī Rahubiyāmaur Yahūdāh ke un buzurgoṅ ke pāsāyā jinhoṅ ne Sīsaq ke āge āge bhāgkar Yarūshalam meṅ panāh lī thī.Us ne un se kahā, “Rab farmātāhai, ‘Tum ne mujhe tark kar diyāhai, is lie ab maiṅ tumheṅ tarkkarke Sīsaq ke hawāle kar dūṅgā.’”6Yih paiġhām sun kar Rahubiyāmaur Yahūdāh ke buzurgoṅ ne baṛīinkisārī ke sāth taslīm kiyā ki Rabhī ādil hai. 7Un kī yih ājizīdekh kar Rab ne Samāyāh se kahā,“Chūṅki unhoṅ ne baṛī khāksārīse apnā ġhalat rawaiyā taslīm karliyā hai is lie maiṅ unheṅ tabāhnahīṅ karūṅga balki jald hī unheṅrihā karūṅga. Merā ġhazab Sīsaqke zariye Yarūshalam par nāzilnahīṅ hogā. 8Lekin wuh is qaumko zarūr apne tābe kar rakhegā.Tab wuh samajh leṅge ki merīkhidmat karne aur dīgar mamālikke bādshāhoṅ kī khidmat karnemeṅ kyā farq hai.”

9Misr ke bādshāh Sīsaq neYarūshalam par hamlā karte waqtRab ke ghar aur shāhī mahal ketamām khazāne lūṭ lie. Sone kīwuh ḍhāleṅ bhī chhīn lī gaīṅ joSulemān ne banwāī thīṅ. 10In kījagah Rahubiyām ne pītal kī ḍhāleṅbanwāīṅ aur unheṅ un muhāfizoṅke afsaroṅ ke sapurd kiyā jo shāhīmahal ke darwāze kī pahrādārīkarte the. 11Jab bhī bādshāh Rabke ghar meṅ jātā tab muhāfiz yihḍhāleṅ uṭhā kar sāth le jāte. Iske bād wuh unheṅ pahredāroṅ kekamre meṅ wāpas le jāte the.

12Chūṅki Rahubiyām ne baṛīinkisārī se apnā ġhalat rawaiyātaslīm kiyā is lie Rab kā us parġhazab ṭhanḍā ho gayā, aur wuhpūre taur par tabāh na huā.Darhaqīqat Yahūdāh meṅ ab takkuchh na kuchh pāyā jātā thā joachchhā thā.

Rahubiyām kī Maut13Rahubiyām kī saltanat ne dubārātaqwiyat pāī, aur Yarūshalam meṅrah kar wuh apnī hukūmat jārīrakh sakā. 41 sāl kī umr meṅ wuhtakhtnashīn huā thā, aur wuh 17sāl bādshāh rahā. Us kā dārul‐

Page 472: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

466 2 Tawārīkh 13:8

hukūmat Yarūshalam thā, wuhshahr jise Rab ne tamām Isrāīlīqabīloṅ meṅ se chun liyā tākius meṅ apnā nām qāym kare.Us kī māṅ Nāmā Ammonī thī.14Rahubiyām ne achchhī zindagīna guzārī, kyoṅki wuh pūre dil seRab kā tālib na rahā thā.

15Bāqī jo kuchh Rahubiyām kīhukūmat ke daurān shurū se lekar ākhir tak huā us kā Samāyāhnabī aur ġhaibbīn Iddū kī tārīkhīkitāb meṅ bayān hai. Wahāṅ uske nasabnāme kā zikr bhī hai.Donoṅ bādshāhoṅ Rahubiyām aurYarubiyāmke jīte‐jī un ke darmiyānjang jārī rahī. 16Jab Rahubiyāmmar kar apne bāpdādā se jā milāto use Yarūshalam ke us hisse meṅdafnāyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’kahlātā hai. Phir us kā beṭā Abiyāhtakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Abiyāh

13 Abiyāh Isrāīl ke bādshāhYarubiyām Awwal kī

hukūmat ke 18weṅ sāl meṅYahūdāh kā bādshāh banā. 2Wuhtīn sāl bādshāh rahā, aur us kādārul‐hukūmat Yarūshalam thā. Us

kī māṅ Mākā bint Ūriyel Jibiyā kīrahne wālī thī.Ek din Abiyāh aur Yarubiyām ke

darmiyān jang chhiṛ gaī. 34,00,000tajrabākār faujiyoṅ ko jamā karkeAbiyāh Yarubiyām se laṛne kelie niklā. Yarubiyām 8,00,000tajrabākār faujiyoṅ ke sāth us kemuqābil saf‐ārā huā. 4Phir Abiyāhne Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke pahāṛSamraim par chaṛh kar bulandāwāz se pukārā,“Yarubiyām aur tamām Isrāīliyo,

merī bāt suneṅ! 5Kyā āp ko nahīṅmālūm ki Rab Isrāīl ke Khudāne Dāūd se namak kā abadī ahdbāndh kar use aur us kī aulād kohameshā ke lie Isrāīl kī saltanatatā kī hai? 6To bhī Sulemān binDāūd kā mulāzim Yarubiyām binNabāt apne mālik ke khilāf uṭh karbāġhī ho gayā. 7Us ke irdgird kuchhbadmāsh jamā hue aur Rahubiyāmbin Sulemān kī mukhālafat karnelage. Us waqt wuh jawān aurnātajrabākār thā, is lie un kā sahīhmuqābalā na kar sakā.

8Aur ab āp wāqaī samajhte haiṅki ham Rab kī bādshāhī par fatahpā sakte haiṅ, usī bādshāhī parjo Dāūd kī aulād ke hāth meṅhai. Āp samajhte haiṅ ki āp

Page 473: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 13:9 467

kī fauj bahut hī baṛī hai, aur kisone ke bachhṛe āp ke sāth haiṅ,wuhī but jo Yarubiyām ne āp kīpūjā ke lie taiyār kar rakhe haiṅ.9Lekin āp ne Rab ke imāmoṅ yānīHārūn kī aulād ko Lāwiyoṅ sametmulk se nikāl kar un kī jagah aisepujārī khidmat ke lie muqarrar kiejaise butparast qaumoṅ meṅ pāejāte haiṅ. Jo bhī chāhtā hai kiuse makhsūs karke imām banāyājāe use sirf ek jawān bail aursāt menḍhe pesh karne kī zarūrathai. Yih in nām‐nihād khudāoṅ kāpujārī banane ke lie kāfī hai.

10Lekin jahāṅ tak hamārā tālluqhai Rab hī hamārā Khudā hai. Hamne use tark nahīṅ kiyā. Sirf Hārūnkī aulād hī hamāre imām haiṅ.Sirf yih aur Lāwī Rab kī khidmatkarte haiṅ. 11Yihī subah‐shāmuse bhasm hone wālī qurbāniyāṅaur khushbūdār bakhūr pesh kartehaiṅ. Pāk mez par Rab ke liemakhsūs roṭiyāṅ rakhnā aur soneke shamādān ke charāġh jalānāinhīṅ kī zimmedārī rahī hai. Ġharz,ham Rab apne Khudā kī hidāyātpar amal karte haiṅ jabki āp neuse tark kar diyā hai. 12ChunāṅcheAllāh hamāre sāth hai. Wuhīhamārā rāhnumā hai, aur us ke

imām turam bajā kar āp se laṛnekā elān kareṅge. Isrāīl ke mardo,khabardār! Rab apne bāpdādā keKhudā se mat laṛnā. Yih jang āp jīthī nahīṅ sakte!”

13Itnemeṅ Yarubiyām ne chupkese kuchh dastoṅ ko Yahūdāh kī faujke pīchhe bhej diyā tāki wahāṅ tākmeṅ baiṭh jāeṅ. Yoṅ us kī fauj kāek hissā Yahūdāh kī fauj ke sāmneaur dūsrā hissā us ke pīchhe thā.14Achānak Yahūdāh ke faujiyoṅ kopatā chalā ki dushman sāmne aurpīchhe se ham par hamlā kar rahāhai. Chīkhte‐chillāte hue unhoṅne Rab se madad māṅgī. Imāmoṅne apne turambajāe 15aur Yahūdāhke mardoṅ ne jang kā nārā lagāyā.Jab un kī āwāzeṅ buland huīṅ toAllāh ne Yarubiyām aur tamāmIsrāīliyoṅ ko shikast de kar Abiyāhaur Yahūdāh kī fauj ke sāmne sebhagā diyā. 16Isrāīlī farār hue,lekin Allāh ne unheṅ Yahūdāh kehawāle kar diyā. 17Abiyāh aur us kelog unheṅ baṛā nuqsān pahuṅchāsake. Isrāīl ke 5,00,000 tajrabākārfaujī maidān‐e‐jang meṅ māre gae.18Us waqt Isrāīl kī baṛī be’izzatīhuī jabki Yahūdāh ko taqwiyat milī.Kyoṅki wuh Rab apne bāpdādā keKhudā par bharosā rakhte the.

Page 474: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

468 2 Tawārīkh 14:7

19Abiyāh ne Yarubiyām kātāqqub karte karte us se tīn shahrgird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ sametchhīn lie, Baitel, Yasānā aurIfron. 20Abiyāh ke jīte‐jī Yarubiyāmdubārā taqwiyat na pā sakā, aurthoṛī der ke bād Rab ne use mārdiyā. 21Us ke muqābale meṅAbiyāh kī tāqat baṛhtī gaī. Us kī 14bīwiyoṅ ke 22 beṭe aur 16 beṭiyāṅpaidā huīṅ.

22Bāqī jo kuchh Abiyāh kīhukūmat ke daurān huā aur jokuchh us ne kiyā aur kahā, wuhIddū Nabī kī Kitāb meṅ bayān kiyāgayā hai.

14 Jab Abiyāh mar kar apnebāpdādā se jā milā to

use Yarūshalam ke us hisse meṅdafnāyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’kahlātā hai. Phir us kā beṭā Āsātakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh ĀsāĀsā kī hukūmat ke taht mulk meṅ10 sāl tak amn‐o‐amān qāym rahā.2Āsā wuh kuchh kartā rahā jo Rabus ke Khudā ke nazdīk achchhā aurṭhīk thā. 3Us ne ajnabī mābūdoṅkī qurbāngāhoṅ ko ūṅchī jaghoṅ kemandiroṅ samet girā kar dewatāoṅ

ke lie makhsūs kie gae satūnoṅ koṭukṛe ṭukṛe kar diyā aur YasīratDewī ke khambe kāṭ ḍāle. 4Sāthsāth us ne Yahūdāh ke bāshindoṅko hidāyat dī ki wuh Rab apnebāpdādā ke Khudā ke tālib hoṅaur us ke ahkām ke tābe raheṅ.5Yahūdāh ke tamām shahroṅ seus ne bakhūr kī qurbāngāheṅ aurūṅchī jaghoṅ ke mandir dūr kardie. Chunāṅche us kī hukūmat kedaurān bādshāhī meṅ sukūn rahā.

6Amn‐o‐amān ke in sāloṅ kedaurān Āsā Yahūdāh meṅ kaīshahroṅ kī qilābandī kar sakā. Jangkā khatrā nahīṅ thā, kyoṅki Rab neuse sukūn muhaiyā kiyā. 7Bādshāhne Yahūdāh ke bāshindoṅ se kahā,“Āeṅ, ham in shahroṅ kī qilābandīkareṅ! Ham in ke irdgird fasīleṅbanā kar unheṅ burjoṅ, darwāzoṅaur kunḍoṅ se mazbūt kareṅ.Kyoṅki ab tak mulk hamāre hāthmeṅ hai. Chūṅki ham Rab apneKhudā ke tālib rahe haiṅ is lie us nehameṅ chāroṅ taraf sulah‐salāmatīmuhaiyā kī hai.” Chunāṅcheqilābandī kā kām shurū huā balkitakmīl tak pahuṅch sakā.

Page 475: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 14:8 469

Ethopiyā par Fatah8Āsā kī fauj meṅ baṛī ḍhāloṅ aurnezoṅ se lais Yahūdāh ke 3,00,000afrād the. Is ke alāwā chhoṭīḍhāloṅ aur kamānoṅ se musallahBinyamīnke 2,80,000 afrād the. Sabtajrabākār faujī the.

9Ek din Ethopiyā ke bādshāhZārah ne Yahūdāh par hamlā kiyā.Us ke beshumār faujī aur 300 raththe. Baṛhte baṛhte wuh Maresātak pahuṅch gayā. 10Āsā us kāmuqābalā karne ke lie niklā. Wādī‐e‐Safātā meṅ donoṅ faujeṅ laṛneke lie saf‐ārā huīṅ. 11Āsā ne Rabapne Khudā se iltamās kī, “Ai Rab,sirf tū hī bebasoṅ ko tāqatwaroṅke hamloṅ se mahfūz rakh saktāhai. Ai Rab hamāre Khudā, hamārīmadad kar! Kyoṅki ham tujh parbharosā rakhte haiṅ. Terā hī nāmle kar ham is baṛī fauj kā muqābalākarne ke lie nikle haiṅ. Ai Rab, tūhī hamārā Khudā hai. Aisā na honede ki insān terīmarzī kī khilāfwarzīkarne meṅ kāmyāb ho jāe.”

12Tab Rab ne Āsā aur Yahūdāh kedekhte dekhte dushman ko shikastdī. Ethopiyā ke faujī farār hue,13aur Āsā ne apne faujiyoṅ kesāth Jirār tak un kā tāqqub kiyā.

Dushman ke itne afrād halāk hueki us kī fauj bād meṅ bahāl na hosakī. Rab khud aur us kī fauj nedushman ko tabāh kar diyā thā.Yahūdāh ke mardoṅ ne bahut‐sāmāl lūṭ liyā. 14Wuh Jirār ke irdgirdke shahroṅ par bhī qabzā karnemeṅ kāmyāb hue, kyoṅki maqāmīlogoṅ meṅ Rab kī dahshat phailgaī thī. Natīje meṅ in shahroṅ sebhī bahut‐sā māl chhīn liyā gayā.15Is muhimm ke daurān unhoṅ negallābānoṅkī khaimāgāhoṅpar bhīhamlā kiyā aur un se kasrat kī bheṛ‐bakriyāṅ aur ūṅṭ lūṭ kar apne sāthYarūshalam le āe.

Āsā Rab se Ahd kī TajdīdKartā Hai

15 Allāh kā Rūh Azariyāh binOdīd par nāzil huā, 2aur

wuh Āsā se milne ke lie niklāaur kahā, “Ai Āsā aur Yahūdāhaur Binyamīn ke tamām bāshindo,merī bāt suno! Rab tumhāre sāthhai agar tum usī ke sāth raho.Agar tum us ke tālib raho to usepā loge. Lekin jab bhī tum usetark karo to wuh tumhīṅ ko tarkkaregā. 3Lambe arse tak Isrāīlīhaqīqī Khudā ke baġhair zindagī

Page 476: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

470 2 Tawārīkh 15:15

guzārte rahe. Na koī imām thājo unheṅ Allāh kī rāh sikhātā, nasharīat. 4Lekin jab kabhī wuhmusībat meṅ phaṅs jāte to dubārāRab Isrāīl ke Khudā ke pās lauṭāte. Wuh use talāsh karte aurnatīje meṅ use pā lete. 5Us zamānemeṅ safr karnā khatarnāk hotā thā,kyoṅki amn‐o‐amān kahīṅ nahīṅthā. 6Ek qaum dūsrī qaum kesāth aur ek shahr dūsre ke sāthlaṛtā rahtā thā. Is ke pīchhe Allāhkā hāth thā. Wuhī unheṅ harqism kī musībat meṅ ḍāltā rahā.7Lekin jahāṅ tak tumhārā tālluqhai, mazbūt ho aur himmat nahāro. Allāh zarūr tumhārī mehnatkā ajr degā.”

8JabĀsāneOdīd kebeṭeAzariyāhNabī kī peshgoī sunī to us kāhauslā baṛh gayā, aur us ne apnepūre ilāqe ke ghinaune butoṅ kodūr kar diyā. Is meṅ Yahūdāhaur Binyamīn ke alāwā Ifrāīmke pahāṛī ilāqe ke wuh shahrshāmil the jin par us ne qabzākar liyā thā. Sāth sāth us ne usqurbāngāh kī marammat karwāījo Rab ke ghar ke darwāze kesāmne thī. 9Phir us ne Yahūdāhaur Binyamīn ke tamām logoṅ koYarūshalam bulāyā. Un Isrāīliyoṅ

kobhī dāwatmilī jo Ifrāīm,Manassīaur Shamāūn ke qabāylī ilāqoṅse muntaqil ho kar Yahūdāh meṅābād hue the. Kyoṅki beshumār logyih dekh kar ki Rab Āsā kā Khudāus ke sāth hai Isrāīl se nikal karYahūdāh meṅ jā base the.

10Āsā Bādshāh kī hukūmat ke15weṅ sāl aur tīsre mahīne meṅsab Yarūshalam meṅ jamā hue.11Wahāṅ unhoṅ ne lūṭe hue mālmeṅ se Rab ko 700 bail aur 7,000bheṛ‐bakriyāṅ qurbān kar dīṅ.12Unhoṅ ne ahd bāndhā, ‘Hampūre dil‐o‐jān se Rab apne bāpdādāke Khudā ke tālib raheṅge. 13Aurjo Rab Isrāīl ke Khudā kā tālibnahīṅ rahegā use sazā‐e‐maut dījāegī, khāh wuh chhoṭā ho yā baṛā,mard ho yā aurat.’ 14Buland āwāzse unhoṅ ne qasam khā kar Rab seapnī wafādārī kā elān kiyā. Sāthsāth turam aur narsinge bajte rahe.15Yih ahd tamām Yahūdāh ke liekhushī kā bāis thā, kyoṅki unhoṅne pūre dil se qasam khā kar usebāndhā thā. Aur chūṅki wuh pūredil se Khudā ke tālib the is lie wuhuse pā bhī sake. Natīje meṅ Rab neunheṅ chāroṅ taraf amn‐o‐amānmuhaiyā kiyā.

Page 477: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 15:16 471

16Āsā kī māṅ Mākā bādshāh kīmāṅ hone ke bāis bahut asar‐o‐rasūkh rakhtī thī. Lekin Āsā ne yihohdā khatm kar diyā jab māṅ neYasīrat Dewī kā ghinaunā khambābanwā liyā. Āsā ne yih but kaṭwākar ṭukṛe ṭukṛe kar diyā aur Wādī‐e‐Qidron meṅ jalā diyā. 17Afsoski us ne Isrāīl kī ūṅchī jaghoṅ kemandiroṅ ko dūr na kiyā. To bhīĀsā apne jīte‐jī pūre dil se Rab kāwafādār rahā. 18Sonā‐chāṅdī aurbāqī jitnī chīzeṅ us ke bāp aur us neRab ke lie makhsūs kī thīṅ un sabko wuh Rab ke ghar meṅ lāyā.

19Āsā kī hukūmat ke 35weṅ sāltak jang dubārā na chhiṛī.

Shām ke sāth Āsā kāMuāhadā

16 Āsā kī hukūmat ke 36weṅsāl meṅ Isrāīl ke bādshāh

Bāshā ne Yahūdāh par hamlākarke Rāmā Shahr kī qilābandī kī.Maqsad yih thā ki na koī Yahūdāhkemulkmeṅ dākhil ho sake, na koīwahāṅ se nikal sake.

2Jawāb meṅ Āsā ne Shāmke bādshāh Bin‐hadad ke pāswafd bhejā jis kā dārul‐hukūmatDamishq thā. Us ne Rab ke gharaur shāhī mahal ke khazānoṅ kī

sonā‐chāṅdī wafd ke sapurd karkeDamishq ke bādshāh ko paiġhāmbhejā, 3“Merā āp ke sāth ahd haijis tarah mere bāp kā āp ke bāpke sāth ahd thā. Guzārish hai kiāp sone‐chāṅdī kā yih tohfā qabūlkarke Isrāīl ke bādshāh Bāshā kesāth apnā ahd mansūkh kar deṅtāki wuh mere mulk se nikal jāe.”

4Bin‐hadad muttafiq huā. Usne apne faujī afsaroṅ ko Isrāīl keshahroṅ par hamlā karne ke liebhej diyā to unhoṅ ne Aiyyūn,Dān, Abīl‐māym aur Naftālī ke untamām shahroṅ par qabzā kar liyājin meṅ shāhī godām the. 5JabBāshā ko is kī khabar milī to us neRāmā kī qilābandī karne se bāz ākar apnī yih muhimm chhoṛ dī.

6Phir Āsā Bādshāh ne Yahūdāhke tamām mardoṅ kī bhartī karkeunheṅ Rāmā bhej diyā tāki wuhun tamām pattharoṅ aur shahtīroṅko uṭhā kar le jāeṅ jin se BāshāBādshāh Rāmā kī qilābandī karnāchāhtā thā. Is sāmān se Āsā ne JibāaurMisfāh shahroṅ kī qilābandī kī.

Āsā ke Ākhirī Sāl aur Maut7Us waqt Hanānī ĠhaibbīnYahūdāh ke bādshāh Āsā ko milne

Page 478: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

472 2 Tawārīkh 17:4

āyā. Us ne kahā, “Afsos ki āp neRab apne Khudā par etamād nakiyā balki Arām ke bādshāh par,kyoṅki is kā burā natījā niklā hai.Rab Shām ke bādshāh kī fauj ko āpke hawāle karne ke lie taiyār thā,lekin ab yih mauqā jātā rahā hai.8Kyā āp bhūl gae haiṅ ki Ethopiyāaur Libiyā kī kitnī baṛī fauj āp selaṛne āī thī? Un ke sāth kasrat kerath aur ghuṛsawār bhī the. Lekinus waqt āp ne Rab par etamād kiyā,aur jawāb meṅ us ne unheṅ āp kehawāle kar diyā. 9Rab to apnī nazarpūrī rū‐e‐zamīn par dauṛātā rahtāhai tāki un kī taqwiyat kare jo pūrīwafādārī se us se lipṭe rahte haiṅ.Āp kī ahmaqānā harkat kī wajah seāp ko ab se mutawātir jangeṅ tangkartī raheṅgī.” 10Yih sun kar Āsāġhusse se lāl‐pīlā ho gayā. Āpe sebāhar ho kar us ne hukm diyā kinabī ko giriftār karke us ke pāṅwkāṭh meṅ ṭhoṅko. Us waqt se Āsāapnī qaum ke kaī logoṅ par zulmkarne lagā.

11Bāqī jo kuchh shurū se le karākhir tak Āsā kī hukūmat ke daurānhuā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh‐o‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitāb meṅ bayānkiyā gayā hai. 12Hukūmat ke 39weṅsāl meṅ us ke pāṅwoṅ ko bīmārī

lag gaī. Go us kī burī hālat thī to bhīus ne Rab ko talāsh na kiyā balkisirf ḍākṭaroṅ ke pīchhe paṛ gayā.13Hukūmat ke 41weṅ sāl meṅ Āsāmar kar apne bāpdādā se jā milā.14Us ne Yarūshalam ke us hissemeṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā haiapne lie chaṭān meṅ qabr tarāshīthī. Ab use is meṅ dafn kiyā gayā.Janāze ke waqt logoṅ ne lāsh ko ekpalang par liṭā diyā jo balsān ke telaur mukhtalif qism ke khushbūdārmarhamoṅ se ḍhāṅpā gayā thā.Phir us ke ehtirām meṅ lakaṛī kāzabardast ḍher jalāyā gayā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahūsafat

17 Āsā ke bād us kā beṭāYahūsafat takhtnashīn

huā. Us ne Yahūdāh kī tāqat baṛhāītāki wuh Isrāīl kā muqābalā karsake. 2Yahūdāh ke tamām qilābandshahroṅ meṅ us ne daste biṭhāe.Yahūdāh ke pūre qabāylī ilāqe meṅus ne chaukiyāṅ taiyār kar rakhīṅaur isī tarah Ifrāīm ke un shahroṅmeṅ bhī jo us ke bāp Āsā ne Isrāīlse chhīn lie the. 3Rab Yahūsafatke sāth thā, kyoṅki wuh Dāūd kenamūne par chaltā thā aur Bāldewatāoṅ ke pīchhe na lagā. 4Isrāīl

Page 479: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 17:5 473

ke bādshāhoṅ ke baraks wuh apnebāp ke Khudā kā tālib rahā aur uske ahkām par amal kartā rahā. 5Isīlie Rab ne Yahūdāh par Yahūsafatkī hukūmat ko tāqatwar banā diyā.Log tamām Yahūdāh se ā kar usetohfe dete rahe, aur use baṛī daulataur izzat milī. 6Rab kī rāhoṅ parchalte chalte use baṛā hauslā huāaur natīje meṅ us ne ūṅchī jaghoṅke mandiroṅ aur Yasīrat Dewī kekhamboṅ ko Yahūdāh se dūr kardiyā.

7Apnī hukūmat ke tīsre sālke daurān Yahūsafat ne apnemulāzimoṅ ko Yahūdāh ke tamāmshahroṅ meṅ bhejā tāki wuhlogoṅ ko Rab kī sharīat kī tālīmdeṅ. In afsaroṅ meṅ Bin‐khail,Abadiyāh, Zakariyāh, Nataniyel aurMīkāyāh shāmil the. 8Un ke sāth 9Lāwī banām Samāyāh, Nataniyāh,Zabadiyāh, Asāhel, Samīrāmot,Yahūnatan, Adūniyāh, Tūbiyāh,aur Tūb‐adūniyāh the. Imāmoṅ kītaraf se Ilīsamā aur Yahūrām sāthgae. 9Rab kī Sharīat kī Kitāb apnesāth le kar in ādmiyoṅ ne Yahūdāhmeṅ shahr bashahr jā kar logoṅ kotālīm dī.

10Us waqt Yahūdāh ke paṛosīmamālik par Rab kā khauf chhā

gayā, aur unhoṅ ne Yahūsafat sejang karne kī jurrat na kī. 11Kharājke taur par use Filistiyoṅ se hadiyeaur chāṅdī miltī thī, jabki Arabuse 7,700 menḍhe aur 7,700 bakrediyā karte the. 12Yoṅ Yahūsafat kītāqat baṛhtī gaī. Yahūdāh kī kaījaghoṅ par us ne qile aur shāhīgodām ke shahr tāmīr kie. 13Sāthsāth us ne Yahūdāh ke shahroṅmeṅ zarūriyāt‐e‐zindagī ke baṛezakhīre jamā kie aur Yarūshalammeṅ tajrabākār faujī rakhe.

14Yahūsafat kī fauj ko kunboṅke mutābiq tartīb diyā gayā thā.Yahūdāh ke qabīle kā kamānḍarAdnā thā. Us ke taht 3,00,000tajrabākār faujī the. 15Us ke alāwāYūhanān thā jis ke taht 2,80,000afrād the 16aur Amasiyāh binZikrī jis ke taht 2,00,000 afrādthe. Amasiyāh ne apne āp korazākārānā taur par Rab kī khidmatke liewaqf kar diyā thā. 17Binyamīnke qabīle kā kamānḍar Ilyadā thājo zabardast faujī thā. Us ke tahtkamān aur ḍhāloṅ se lais 2,00,000faujī the. 18Us ke alāwā Yahūzabadthā jis ke 1,80,000 musallah ādmīthe.

19Sab fauj meṅ bādshāh kīkhidmat saranjām dete the. Un

Page 480: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

474 2 Tawārīkh 18:10

meṅ wuh faujī nahīṅ shumār kiejāte the jinheṅ bādshāh ne pūreYahūdāh ke qilāband shahroṅ meṅrakhā huā thā.

Jhūṭe Nabiyoṅ aur MīkāyāhkāMuqābalā

18 Ġharz Yahūsafat ko baṛīdaulat aur izzat hāsil huī.

Us ne apne pahlauṭhe kī shādī Isrāīlke bādshāhAkhiyabkī beṭī se karāī.

2Kuchh sāl ke bād wuh Akhiyabsemilne ke lie Sāmariya gayā. Isrāīlke bādshāh ne Yahūsafat aur uske sāthiyoṅ ke lie bahut‐sī bheṛ‐bakriyāṅ aur gāy‐bail zabah kie.Phir us ne Yahūsafat ko apne sāthRāmāt‐jiliyād se jang karne paruksāyā. 3Akhiyab ne Yahūsafatse sawāl kiyā, “Kyā āp mere sāthRāmāt‐jiliyād jāeṅge tāki us parqabzā kareṅ?” Us ne jawāb diyā, “Jīzarūr, ham to bhāī haiṅ,merī qaumko apnī qaum samjheṅ! Ham āp kesāth mil kar laṛne ke lie nikleṅge.4Lekin mehrbānī karke pahle Rabkī marzī mālūm kar leṅ.”

5Isrāīl ke bādshāhne 400nabiyoṅko bulā kar un se pūchhā, “KyāhamRāmāt‐jiliyād par hamlā kareṅyā maiṅ is irāde se bāz rahūṅ?”

Nabiyoṅ ne jawāb diyā, “Jī, kareṅ,kyoṅki Allāh use bādshāh kehawāle kar degā.”

6Lekin Yahūsafat mutma’in nahuā. Us ne pūchhā, “Kyā yahāṅRabkākoī nabī nahīṅ jis se hamdariyāftkar sakeṅ?” 7Isrāīl kā bādshāhbolā, “Hāṅ, ek to hai jis ke zariyeham Rab kī marzī mālūm kar saktehaiṅ. Lekin maiṅ us se nafratkartā hūṅ, kyoṅki wuh mere bāremeṅ kabhī bhī achchhī peshgoīnahīṅ kartā. Wuh hameshā burīpeshgoiyāṅ sunātā hai. Us kā nāmMīkāyāh bin Imlā hai.” Yahūsafatne etarāz kiyā, “Bādshāh aisī bātna kahe!” 8Tab Isrāīl ke bādshāhne kisī mulāzim ko bulā kar hukmdiyā, “Mīkāyāh bin Imlā ko fauranhamāre pās pahuṅchā denā!”

9Akhiyab aur Yahūsafat apneshāhī libās pahne hue Sāmariya kedarwāze ke qarīb apne apne takhtpar baiṭhe the. Yih aisī khulī jagahthī jahāṅanāj gāhā jātā thā. Tamām400 nabī wahāṅ un ke sāmne apnīpeshgoiyāṅ pesh kar rahe the. 10Eknabī banām Sidqiyāh bin Kanānāne apne lie lohe ke sīṅg banā karelān kiyā, “Rab farmātā hai ki insīṅgoṅ se tū Shām ke faujiyoṅ komār mār kar halāk kar degā.”

Page 481: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 18:11 475

11Dūsre nabī bhī is qism kīpeshgoiyāṅ kar rahe the, “Rāmāt‐jiliyād par hamlā kareṅ, kyoṅki āpzarūr kāmyāb ho jāeṅge. Rab shahrko āp ke hawāle kar degā.”

12Jis mulāzim ko Mīkāyāh kobulāne ke lie bhejā gayā thāus ne rāste meṅ use samjhāyā,“Dekheṅ, bāqī tamām nabī milkar kah rahe haiṅ ki bādshāh kokāmyābī hāsil hogī. Āp bhī aisīhī bāteṅ kareṅ, āp bhī fatah kīpeshgoī kareṅ!” 13Lekin Mīkāyāhne etarāz kiyā, “Rab kī hayāt kīqasam, maiṅ bādshāh ko sirf wuhīkuchh batāūṅgā jo merā Khudāfarmāegā.”

14JabMīkāyāh Akhiyab ke sāmnekhaṛā huā to bādshāh ne pūchhā,“Mīkāyāh, kyā ham Rāmāt‐jiliyādpar hamlā kareṅ yāmaiṅ is irāde sebāz rahūṅ?”Mīkāyāh ne jawāb diyā, “Us par

hamlā kareṅ, kyoṅki unheṅ āp kehawāle kar diyā jāegā, aur āp kokāmyābī hāsil hogī.” 15Bādshāhnārāz huā, “Mujhe kitnī dafā āp kosamjhānā paṛegā ki āp qasam khākar mujhe Rab ke nām meṅ sirfwuh kuchh sunāeṅ jo haqīqat hai.”

16Tab Mīkāyāh ne jawāb meṅkahā, “Mujhe tamām Isrāīl

gallābān semahrūmbheṛ‐bakriyoṅkī tarah pahāṛoṅ par bikhrā huānazar āyā. Phir Rab mujh sehamkalām huā, ‘In kā koī māliknahīṅ hai. Har ek salāmatī se apneghar wāpas chalā jāe.’”

17Isrāīl ke bādshāh ne Yahūsafatse kahā, “Lo, kyā maiṅ ne āp konahīṅ batāyā thā ki yih shakhshameshā mere bāre meṅ burīpeshgoiyāṅ kartā hai?”

18Lekin Mīkāyāh ne apnī bāt jārīrakhī, “Rab kā farmān suneṅ! Maiṅne Rab ko us ke takht par baiṭhedekhā. Āsmān kī pūrī fauj uske dāeṅ aur bāeṅ hāth khaṛī thī.19Rab ne pūchhā, ‘Kaun Isrāīl kebādshāh Akhiyab ko Rāmāt‐jiliyādpar hamlā karne par uksāegā tākiwuh wahāṅ jā kar mar jāe?’ Ek neyih mashwarā diyā, dūsre ne wuh.20Ākhirkār ek rūh Rab ke sāmnekhaṛī huī aur kahne lagī, ‘Maiṅ useuksāūṅgī’. Rab ne sawāl kiyā, ‘Kistarah?’ 21Rūh ne jawāb diyā, ‘Maiṅnikal kar us ke tamām nabiyoṅpar yoṅ qābū pāūṅgī ki wuh jhūṭhī boleṅge.’ Rab ne farmāyā, ‘Tūkāmyāb hogī. Jā aur yoṅ hī kar!’22Ai bādshāh, Rab ne āp par āfatlāne kā faislā kar liyā hai, is lie us

Page 482: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

476 2 Tawārīkh 18:34

ne jhūṭī rūh ko āp ke in tamāmnabiyoṅkemuṅhmeṅḍāl diyāhai.”

23Tab SidqiyāhbinKanānāne āgebaṛh kar Mīkāyāh ke muṅh parthappaṛ mārā aur bolā, “Rab kāRūh kis tarah mujh se nikal gayātāki tujh se bāt kare?” 24Mīkāyāhne jawāb diyā, “Jis din āp kabhī iskamre meṅ, kabhī us meṅ khisakkar chhupne kī koshish kareṅge usdin āp ko patā chalegā.”

25Tab Akhiyab Bādshāh ne hukmdiyā, “Mīkāyāh ko shahr parmuqarrar afsar Amūn aur merebeṭe Yuās ke pās wāpas bhej do!26Unheṅ batā denā, ‘Is ādmī ko jelmeṅ ḍāl kar mere sahīh‐salāmatwāpas āne tak kam se kam roṭīaur pānī diyā kareṅ.’” 27Mīkāyāhbolā, “Agar āp sahīh‐salāmat wāpasāeṅ to matlab hogā ki Rab ne merīmārifat bāt nahīṅ kī.” Phir wuhsāth khaṛe logoṅ se mukhātib huā,“Tamām log dhyān deṅ!”

Akhiyab Rāmāt ke QarībMar Jātā Hai

28Is ke bād Isrāīl kā bādshāhAkhiyab aur Yahūdāh kā bādshāhYahūsafat mil kar Rāmāt‐jiliyādpar hamlā karne ke lie rawānā

hue. 29Jang se pahle Akhiyab neYahūsafat se kahā, “Maiṅ apnābhes badal kar maidān‐e‐jang meṅjāūṅgā. Lekin āp apnā shāhī libāsna utāreṅ.” Chunāṅche Isrāīlkā bādshāh apnā bhes badal karmaidān‐e‐jang meṅ āyā. 30Shām kebādshāh ne rathoṅ par muqarrarapne afsaroṅ ko hukm diyā thā,“Sirf aur sirf bādshāh par hamlākareṅ. Kisī aur se mat laṛnā, khāhwuh chhoṭā ho yā baṛā.”

31Jab laṛāī chhiṛ gaī to rathoṅ keafsar Yahūsafat par ṭūṭ paṛe, kyoṅkiunhoṅ ne kahā, “Yihī Isrāīl kābādshāh hai!” Lekin jab Yahūsafatmadad ke lie chillā uṭhā to Rabne us kī sunī. Us ne un kā dhyānYahūsafat se khīṅch liyā, 32kyoṅkijab dushmanoṅ ko mālūm huā kiyih Akhiyab Bādshāh nahīṅ haito wuh us kā tāqqub karne se bāzāe. 33Lekin kisī ne khās nishānābāndhe baġhair apnā tīr chalāyāto wuh Akhiyab ko aisī jagah jālagā jahāṅ zirābaktar kā joṛ thā.Bādshāh ne apne rathbān ko hukmdiyā, “Rath ko moṛ kar mujhemaidān‐e‐jang se bāhar le jāo!Mujhe choṭ lag gaī hai.” 34Lekinchūṅki us pūre din shadīd qism kīlaṛāī jārī rahī, is lie bādshāh apne

Page 483: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 19:1 477

rath meṅ ṭek lagā kar dushmanke muqābil khaṛā rahā. Jab sūrajġhurūb hone lagā to wuhmar gayā.

19 Lekin Yahūdāh kābādshāh Yahūsafat sahīh‐

salāmat Yarūshalam aur apnemahal meṅ pahuṅchā. 2Us waqtYāhū bin Hanānī jo ġhaibbīn thāuse milne ke lie niklā aur bādshāhse kahā, “Kyā yih ṭhīk hai ki āpsharīr kī madad kareṅ? Āp kyoṅun ko pyār karte haiṅ jo Rab senafrat karte haiṅ? Yih dekh karRab kā ġhazab āp par nāzil huā hai.3To bhī āp meṅ achchhī bāteṅ bhīpāī jātī haiṅ. Āp ne Yasīrat Dewīke khamboṅ ko mulk se dūr karkeAllāh ke tālib hone kā pakkā irādākar rakhā hai.”

Yahūsafat Qānūnī Kār‐rawāīkī Islāh Kartā Hai

4Is ke bād Yahūsafat Yarūshalammeṅ rahā. Lekin ek din wuhdubārā niklā. Is bār us ne junūbmeṅ Bair‐sabā se le kar shimālmeṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe tak pūreYahūdāh kā daurā kiyā. Har jagahwuh logoṅ ko Rab un ke bāpdādāke Khudā ke pās wāpas lāyā. 5Usne Yahūdāh ke tamām qilāband

shahroṅ meṅ qāzī bhī muqarrarkie. 6Unheṅ samjhāte hue us nekahā, “Apnī rawish par dhyān deṅ!Yād rahe ki āp insān ke jawābdehnahīṅ haiṅ balki Rab ke. Wuhī āpke sāth hogā jab āp faisle kareṅge.7Chunāṅche Allāh kā khauf mānkar ehtiyāt se logoṅ kā insāf kareṅ.Kyoṅki jahāṅ Rab hamārā Khudāhai wahāṅ be’insāfī, jānibdārī aurrishwatkhorī ho hī nahīṅ saktī.”

8Yarūshalam meṅ Yahūsafatne kuchh Lāwiyoṅ, imāmoṅ aurkhāndānī sarparastoṅ ko insāfkarne kī zimmedārī dī. Rab kīsharīat se mutālliq kisī muāmaleyā Yarūshalam ke bāshindoṅ kedarmiyān jhagaṛe kī sūrat meṅunheṅ faislā karnā thā. 9Yahūsafatne unheṅ samjhāte hue kahā, “Rabkā khauf mān kar apnī khidmat kowafādārī aur pūre dil se saranjāmdeṅ. 10Āp ke bhāī shahroṅ se ākar āp ke sāmne apne jhagaṛe peshkareṅge tāki āp un kā faislā kareṅ.Āp ko qatl ke muqaddamoṅ kāfaislā karnā paṛegā. Aisemuāmalātbhī hoṅge jo Rab kī sharīat, kisīhukm, hidāyat yā usūl se tālluqrakheṅge. Jo bhī ho, lāzim hai kiāp unheṅ samjhāeṅ tāki wuh Rabkā gunāh na kareṅ. Warnā us kā

Page 484: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

478 2 Tawārīkh 20:10

ġhazab āp aur āp ke bhāiyoṅ parnāzil hogā. Agar āp yih kareṅ toāp bequsūr raheṅge. 11Imām‐e‐āzam Amariyāh Rab kī sharīat setālluq rakhne wāle muāmalāt kāhatmī faislā karegā. Jomuqaddamebādshāh se tālluq rakhte haiṅ unkā hatmī faislā Yahūdāh ke qabīlekā sarbarāh Zabadiyāh bin Ismāīlkaregā. Adālat kā intazām chalānemeṅ Lāwī āp kī madad kareṅge.Ab hauslā rakh kar apnī khidmatsaranjām deṅ. Jo bhī sahīh kāmkaregā us ke sāth Rab hogā.”

Ammoniyoṅ kā Yahūdāhpar Hamlā

20 Kuchh der ke bād Moābī,Ammonī aur kuchhMaūnī

Yahūsafat se jang karne ke lie nikle.2Ek qāsid ne ā kar bādshāh ko ittalādī, “Mulk‐e‐Adom se ek baṛī faujāp se laṛne ke lie ā rahī hai. WuhBahīrā‐e‐Murdār ke dūsre kināre sebaṛhtī baṛhtī is waqt Hassūn‐tamrpahuṅch chukī hai.” (Hassūn Ain‐jadī kā dūsrā nām hai.)

3Yih sun kar Yahūsafat ghabrāgayā. Us ne Rab se rāhnumāīmāṅgne kā faislā karke elān kiyāki tamām Yahūdāh rozā rakhe.

4Yahūdāh ke tamām shahroṅ se logYarūshalam āe tāki mil kar madadke lie Rab se duā māṅgeṅ. 5WuhRab ke ghar ke nae sahanmeṅ jamāhue aur Yahūsafat ne sāmne ā kar6duā kī,“Ai Rab, hamāre bāpdādā

ke Khudā! Tū hī āsmān partakhtnashīn Khudā hai, aur tū hīduniyā ke tamām mamālik parhukūmat kartā hai. Tere hāth meṅqudrat aur tāqat hai. Koī bhī terāmuqābalā nahīṅ kar saktā. 7Aihamāre Khudā, tū ne is mulk kepurāne bāshindoṅ ko apnī qaumIsrāīl ke āge se nikāl diyā. Ibrāhīmterā dost thā, aur us kī aulād ko tūne yihmulk hameshā ke lie de diyā.8Is meṅ terī qaum ābād huī. Terenām kī tāzīmmeṅmaqdis banā karunhoṅ ne kahā, 9‘Jab bhī āfat hampar āe to ham yahāṅ tere huzūrā sakeṅge, chāhe jang, wabā, kālyā koī aur sazā ho. Agar ham uswaqt is ghar ke sāmne khaṛe ho karmadad ke lie tujhe pukāreṅ to tūhamārī sun kar hameṅ bachāegā,kyoṅki is imārat par tere hī nām kāṭhappā lagā hai.’

10Ab Ammon, Moāb aur pahāṛīmulk Saīr kī harkatoṅ ko dekh! JabIsrāīl Misr se niklā to tū ne use in

Page 485: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 20:11 479

qaumoṅ par hamlā karne aur in keilāqemeṅ se guzarne kī ijāzat na dī.Isrāīl ko mutabādil rāstā ikhtiyārkarnā paṛā, kyoṅki use inheṅ halākkarne kī ijāzat na milī. 11Ab dhyānde ki yih badle meṅ kyā kar rahehaiṅ. Yih hameṅ usmaurūsī zamīnse nikālnā chāhte haiṅ jo tū nehameṅ dī thī. 12Ai hamāre Khudā,kyā tū un kī adālat nahīṅ karegā?Ham to is baṛī fauj ke muqābalemeṅ bebas haiṅ. Is ke hamlese bachne kā rāstā hameṅ nazarnahīṅ ātā, lekin hamārī āṅkheṅmadad ke lie tujh par lagī haiṅ.”

13Yahūdāh ke tamām mard,aurateṅ aur bachche wahāṅ Rabke huzūr khaṛe rahe. 14Tab Rabkā Rūh ek Lāwī banām Yahziyelpar nāzil huā jab wuh jamāt kedarmiyān khaṛā thā. Yih ādmī Āsafke khāndān kā thā, aur us kā pūrānām Yahziyel bin Zakariyāh binBināyāh bin Ya’iyel bin Mattaniyāhthā. 15Us ne kahā, “Yahūdāh aurYarūshalam ke logo, merī bātsuneṅ! Ai bādshāh, āp bhī ispar dhyān deṅ. Rab farmātā haiki ḍaro mat, aur is baṛī fauj kodekh kar mat ghabrānā. Kyoṅkiyih jang tumhārā nahīṅ balkimerā muāmalā hai. 16Kal un ke

muqābale ke lie niklo. Us waqtwuh Darrā‐e‐Sīs se ho kar tumhārītaraf baṛh rahe hoṅge. Tumhārāun se muqābalā us wādī ke sirepar hogā jahāṅ Yaruel kā Registānshurū hotā hai. 17Lekin tumheṅlaṛne kī zarūrat nahīṅ hogī. Basdushman ke āmne‐sāmne khaṛeho kar ruk jāo aur dekho ki Rabkis tarah tumheṅ chhuṭkārā degā.Lihāzā mat ḍaro, ai Yahūdāh aurYarūshalam, aur dahshatmat khāo.Kal un kā sāmnā karne ke lie niklo,kyoṅki Rab tumhāre sāth hogā.”

18Yih sun kar Yahūsafat muṅhke bal jhuk gayā. Yahūdāh aurYarūshalam ke tamām logoṅ nebhī aundhe muṅh jhuk kar Rabkī parastish kī. 19Phir Qihāt aurQorah ke khāndānoṅ ke kuchhLāwī khaṛe ho kar buland āwāz seRab Isrāīl ke Khudā kī hamd‐o‐sanākarne lage.

Ammoniyoṅ par Fatah20Agle din subah‐sawere Yahūdāhkī fauj Taqua ke Registān ke lierawānāhuī. NikaltewaqtYahūsafatne un ke sāmne khaṛe ho karkahā, “Yahūdāh aur Yarūshalamke mardo, merī bāt suneṅ! Rab

Page 486: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

480 2 Tawārīkh 20:30

apne Khudā par bharosā rakheṅ toāp qāym raheṅge. Us ke nabiyoṅkī bātoṅ kā yaqīn kareṅ to āpko kāmyābī hāsil hogī.” 21Logoṅse mashwarā karke Yahūsafat nekuchh mardoṅ ko Rab kī tāzīmmeṅ gīt gāne ke lie muqarrar kiyā.Muqaddas libās pahne hue wuhfauj ke āge āge chal kar hamd‐o‐sanā kā yih gīt gāte rahe, “Rab kīsatāish karo, kyoṅki us kī shafqatabadī hai.”

22Us waqt Rab hamlā‐āwar faujke mukhālifoṅ ko khaṛā kar chukāthā. Ab jab Yahūdāh kemard hamdke gīt gāne lage to wuh tāk meṅse nikal kar baṛhtī huī fauj par ṭūṭpaṛe aur use shikast dī. 23PhirAmmoniyoṅ aur Moābiyoṅ ne milkar pahāṛīmulk Saīr kemardoṅparhamlā kiyā tāki unheṅ mukammaltaur par khatm kar deṅ. Jab yihhalāk hue to Ammonī aur Moābīek dūsre ko maut ke ghāṭ utārnelage. 24Yahūdāh ke faujiyoṅ ko is kāilm nahīṅ thā. Chalte chalte wuhus maqām tak pahuṅch gae jahāṅse registān nazar ātā hai. Wahāṅwuh dushman ko talāsh karne lage,lekin lāsheṅ hī lāsheṅ zamīn parbikhrī nazar āīṅ. Ek bhī dushmannahīṅ bachā thā. 25Yahūsafat aur

us ke logoṅ ke lie sirf dushman kolūṭne kā kām bāqī rah gayā thā.Kasrat ke jānwar, qism qism kāsāmān, kapṛe aur kaī qīmtī chīzeṅthīṅ. Itnā sāmān thā ki wuh useek waqt meṅ uṭhā kar apne sāth lejā nahīṅ sakte the. Sārā māl jamākarne meṅ tīn din lage.

26Chauthe din wuh qarīb kī ekwādīmeṅ jamā hue tāki Rab kī tārīfkareṅ. Us waqt se wādī kā nām‘Tārīf kī Wādī’ paṛ gayā. 27Is ke bādYahūdāh aurYarūshalamke tamāmmard Yahūsafat kī rāhnumāī meṅkhushī manāte hue Yarūshalamwāpas āe. Kyoṅki Rab ne unheṅdushman kī shikast se khushīkā sunahrā mauqā atā kiyā thā.28Sitār, sarod aur turam bajāte huewuh Yarūshalam meṅ dākhil hueaurRabke ghar kepās jā pahuṅche.29Jab irdgird kemamālik ne sunā kikis tarah Rab Isrāīl ke dushmanoṅse laṛā hai to un meṅ Allāh kīdahshat phail gaī. 30Us waqt seYahūsafat sukūn se hukūmat karsakā, kyoṅki Allāh ne use chāroṅtaraf ke mamālik ke hamloṅ semahfūz rakhā thā.

Page 487: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 20:31 481

Yahūsafat ke Ākhirī Sāl aur Maut31Yahūsafat 35 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā, aur wuhYarūshalam meṅ rah kar 25 sālhukūmat kartā rahā. Us kī māṅAzūbā bint Silhī thī. 32Wuh apnebāp Āsā ke namūne par chaltā aurwuh kuchh kartā rahā jo Rab kopasand thā. 33Lekin us ne bhīūṅche maqāmoṅ ke mandiroṅ kokhatm na kiyā, aur logoṅ ke dilapne bāpdādā ke Khudā kī tarafmāyl na hue.

34Bāqī jo kuchh Yahūsafat kīhukūmat ke daurān huā wuh shurūse le kar ākhir tak Yāhū bin Hanānīkī tārīkh meṅ bayān kiyā gayā hai.Bād meṅ sab kuchh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitāb meṅ darjkiyā gayā.

35Bād meṅ Yahūdāh ke bādshāhYahūsafat ne Isrāīl ke bādshāhAkhaziyāh se ittahād kiyā, go uskā rawaiyā bedīnī kā thā. 36Donoṅne mil kar tijāratī jahāzoṅ kā aisābeṛā banwāyā joTarsīs tak pahuṅchsake. Jab yih jahāz bandargāhAsyūn‐jābar meṅ taiyār hue 37toMaresā kā rahne wālā Iliyazar binDūdāwāhū ne Yahūsafat ke khilāfpeshgoī kī, “Chūṅki āp Akhaziyāh

ke sāth muttahid ho gae haiṅ is lieRab āpkā kām tabāh kar degā!” Aurwāqaī, yih jahāz kabhī apnīmanzil‐e‐maqsūd Tarsīs tak pahuṅch nasake, kyoṅki wuh pahle hī ṭukṛeṭukṛe ho gae.

21 Jab Yahūsafat mar karapne bāpdādā se jā milā

to use Yarūshalam ke us hissemeṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātāhai khāndānī qabr meṅ dafn kiyāgayā. Phir us kā beṭā Yahūrāmtakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahūrām2Yahūsafat ke bāqī beṭe Azariyāh,Yihiyel, Zakariyāh, Azariyāhū,Mīkāel aur Safatiyāh the.3Yahūsafat ne unheṅ bahut sonā‐chāṅdī aur dīgar qīmtī chīzeṅ dekar Yahūdāh ke qilāband shahroṅpar muqarrar kiyā thā. LekinYahūrām ko us ne pahlauṭhā honeke bāis apnā jānashīn banāyāthā. 4Bādshāh banane ke bād jabYahūdāh kī hukūmat mazbūtī seus ke hāth meṅ thī to Yahūrām neapne tamām bhāiyoṅ ko Yahūdāhke kuchh rāhnumāoṅ samet qatlkar diyā.

Page 488: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

482 2 Tawārīkh 21:16

5Yahūrām 32 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā, aur wuhYarūshalam meṅ rah kar 8 sāltak hukūmat kartā rahā. 6Us kīshādī Isrāīl ke bādshāh Akhiyab kībeṭī se huī thī, aur wuh Isrāīl kebādshāhoṅ aur khāskar Akhiyabke khāndān ke bure namūne parchaltā rahā. Us kā chāl‐chalan Rabkonāpasand thā. 7TobhīwuhDāūdke gharāne ko tabāh nahīṅ karnāchāhtā thā, kyoṅki us ne Dāūd seahd bāndh kar wādā kiyā thā ki terāaur terī aulād kā charāġh hameshātak jaltā rahegā.

8Yahūrām kī hukūmat ke daurānAdomiyoṅ ne baġhāwat kī aurYahūdāh kī hukūmat ko radd karkeapnā bādshāh muqarrar kiyā.9Tab Yahūrām apne afsaroṅ aurtamām rathoṅ ko le kar un ke pāspahuṅchā. Jab jang chhiṛ gaī toAdomiyoṅ ne use aur us ke rathoṅpar muqarrar afsaroṅ ko gher liyā,lekin rāt ko bādshāh gherne wāloṅkī safoṅ ko toṛne meṅ kāmyāb hogayā. 10To bhī Mulk‐e‐Adom āj takdubārāYahūdāhkī hukūmat ke tahtnahīṅ āyā. Usī waqt Libnā Shahrbhī sarkash ho kar khudmukhtārho gayā. Yih sab kuchh is lie huā kiYahūrām ne Rab apne bāpdādā ke

Khudā ko tark kar diyā thā, 11yahāṅtak ki us ne Yahūdāh ke pahāṛīilāqe meṅ kaī ūṅchī jaghoṅ parmandir banwāe aur Yarūshalamke bāshindoṅ ko Rab se bewafā hojāne par uksāyā. Pūre Yahūdāh kowuh butparastī kī ġhalat rāh par leāyā.

12Tab Yahūrām ko Iliyās Nabī sekhat milā jis meṅ likhā thā, “Rabāp ke bāp Dāūd kā Khudā farmātāhai, ‘Tū apne bāp Yahūsafat aurapne dādā Āsā Bādshāh ke achchhenamūne par nahīṅ chalā 13balkiIsrāīl ke bādshāhoṅ kī ġhalatrāhoṅ par. Bilkul Akhiyab kekhāndān kī tarah tū Yarūshalamaur pūre Yahūdāh ke bāshindoṅ kobutparastī kī rāh par lāyā hai. Auryih tere lie kāfī nahīṅ thā, balki tūne apne sage bhāiyoṅ ko bhī jo tujhse behtar the qatl kar diyā. 14Is lieRab terī qaum, tere beṭoṅ aur terībīwiyoṅ ko terī pūrī milkiyat sametbaṛī musībat meṅ ḍālne ko hai.15Tū khud bīmār ho jāegā. Lā’ilājmarz kī zad meṅ ā kar tujhe baṛīder tak taklīf hogī. Ākhirkār terīantaṛiyāṅ jism se nikleṅgī.’”

16UndinoṅmeṅRabne Filistiyoṅaur Ethopiyā ke paṛos meṅ rahnewāle Arab qabīloṅ ko Yahūrām

Page 489: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 21:17 483

par hamlā karne kī tahrīk dī.17Yahūdāh meṅ ghus kar wuhYarūshalam tak pahuṅch gae aurbādshāh ke mahal ko lūṭne meṅkāmyāb hue. Tamām māl‐o‐asbābke alāwā unhoṅ ne bādshāh kebeṭoṅ aur bīwiyoṅ ko bhī chhīnliyā. Sirf sab se chhoṭā beṭāYahuākhaz yānī Akhaziyāh bachniklā.

18Is ke bād Rab kā ġhazabbādshāh par nāzil huā. Use lā’ilājbīmārī lag gaī jis se us kī antaṛiyāṅmuta’assir huīṅ. 19Bādshāh kī hālatbahut kharāb hotī gaī. Do sāl kebād antaṛiyāṅ jism se nikal gaīṅ.Yahūrām shadīd dard kī hālat meṅkūch kar gayā. Janāze par us kīqaum ne us ke ehtirām meṅ lakaṛīkā baṛā ḍher na jalāyā, go unhoṅ neyih us ke bāpdādā ke lie kiyā thā.

20Yahūrām 32 sāl kī umr meṅbādshāh banā aur Yarūshalammeṅrah kar 8 sāl tak hukūmat kartārahā thā. Jab faut huā to kisī kobhī afsos na huā. Use YarūshalamShahr ke us hisse meṅ dafn to kiyāgayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai,lekin shāhī qabroṅ meṅ nahīṅ.

Yahūdāh kā Bādshāh Akhaziyāh

22 Yarūshalam ke bāshindoṅne Yahūrām ke sab se

chhoṭe beṭe Akhaziyāh ko takht parbiṭhā diyā. Bāqī tamāmbeṭoṅkounluṭeroṅ ne qatl kiyā thā jo Araboṅke sāth shāhī lashkargāh meṅ ghusāe the. Yihī wajah thī ki Yahūdāhke bādshāh Yahūrām kā beṭāAkhaziyāh bādshāh banā. 2Wuh22 sāl kī umr meṅ takhtnashīnhuā aur Yarūshalam meṅ rah karek sāl bādshāh rahā. Us kī māṅAtaliyāh Isrāīl ke bādshāh Umrī kīpotī thī. 3Akhaziyāh bhī Akhiyabke khāndān ke ġhalat namūnepar chal paṛā, kyoṅki us kī māṅuse bedīn rāhoṅ par chalne parubhārtī rahī. 4Bāp kī wafāt par wuhAkhiyab ke gharāne ke mashwarepar chalne lagā. Natīje meṅ us kāchāl‐chalan Rab ko nāpasand thā.Ākhirkār yihī log us kī halākat kāsabab ban gae.

5Inhīṅ ke mashware par wuhIsrāīl ke bādshāh Yūrām binAkhiyab ke sāth mil kar Shām kebādshāh Hazāel se laṛne ke lieniklā. Jab Rāmāt‐jiliyād ke qarībjang chhiṛ gaī to Yūrām Shām kefaujiyoṅ ke hāthoṅ zakhmī huā

Page 490: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

484 2 Tawārīkh 23:2

6aur maidān‐e‐jang ko chhoṛ karYazrael wāpas āyā tāki zakhmbhar jāeṅ. Jab wuh wahāṅ ṭhahrāhuā thā to Yahūdāh kā bādshāhAkhaziyāh bin Yahūrām us kā hālpūchhne ke lie Yazrael āyā. 7LekinAllāh kī marzī thī ki yih mulāqātAkhaziyāh kī halākat kā bāis bane.Wahāṅ pahuṅch kar wuh Yūrām kesāth Yāhū bin Nimsī se milne ke lieniklā, wuhī Yāhū jise Rab nemasahkarke Akhiyab ke khāndān ko nest‐o‐nābūd karne ke lie makhsūskiyā thā. 8Akhiyab ke khāndān kīadālat karte karte Yāhū kī mulāqātYahūdāh ke kuchh afsaroṅ aurAkhaziyāh ke bāz rishtedāroṅ sehuī jo Akhaziyāh kī khidmat meṅus ke sāth āe the. Inheṅ qatl karke9Yāhū Akhaziyāh ko ḍhūṅḍne lagā.Patā chalā ki wuh Sāmariya Shahrmeṅ chhup gayā hai. Use Yāhū kepās lāyā gayā jis ne use qatl kardiyā. To bhī use izzat ke sāth dafnkiyā gayā, kyoṅki logoṅ ne kahā,“Ākhir wuh Yahūsafat kā potā haijo pūre dil se Rab kā tālib rahā.” Uswaqt Akhaziyāh ke khāndān meṅkoī na pāyā gayā jo bādshāh kā kāmsaṅbhāl saktā.

Ataliyāh kī Zālimānā Hukūmat10Jab Akhaziyāh kī māṅ Ataliyāh komālūm huā ki merā beṭā mar gayāhai to wuh Yahūdāh ke pūre shāhīkhāndān ko qatl karne lagī. 11LekinAkhaziyāh kī sagī bahan Yahūsabāne Akhaziyāh ke chhoṭe beṭe Yuāsko chupke se un shahzādoṅ meṅse nikāl liyā jinheṅ qatl karnā thāaur use us kī dāyā ke sāth ek sṭormeṅ chhupā diyā jis meṅ bistarwaġhairā mahfūz rakhe jāte the.Wahāṅ wuh Ataliyāh kī girift semahfūz rahā. Yahūsabā YahoyadāImām kī bīwī thī. 12Bād meṅ Yuāsko Rab ke ghar meṅ muntaqil kiyāgayā jahāṅwuhun ke sāth un chhihsāloṅ ke daurān chhupā rahā jabAtaliyāh malikā thī.

Ataliyāh kā Anjām aurYuās kī Hukūmat

23 Ataliyāh kī hukūmat kesātweṅ sāl meṅ Yahoyadā

ne jurrat karke sau sau faujiyoṅparmuqarrar pāṅch afsaroṅ se ahdbāndhā. Un ke nām Azariyāhbin Yarohām, Ismāīl bin Yūhanān,Azariyāh bin Obed, Māsiyāh binAdāyāh aur Ilīsāfat bin Zikrī the.2In ādmiyoṅ ne chupke se Yahūdāh

Page 491: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 23:3 485

ke tamām shahroṅ meṅ se guzarkar Lāwiyoṅ aur Isrāīlī khāndānoṅke sarparastoṅ ko jamā kiyā aurphir un ke sāth mil kar Yarūshalamāe. 3Allāh ke ghar meṅ pūrī jamātne jawān bādshāh Yuās ke sāth ahdbāndhā.Yahoyadā un se mukhātib huā,

“Hamāre bādshāh kā beṭā hī hampar hukūmat kare, kyoṅki Rabne muqarrar kiyā hai ki Dāūdkī aulād yih zimmedārī saṅbhāle.4Chunāṅche agle Sabat ke din āpimāmoṅ aur Lāwiyoṅ meṅ se jitneḍyūṭī par āeṅgewuh tīn hissoṅmeṅtaqsīm ho jāeṅ. Ek hissā Rab keghar ke darwāzoṅ par pahrā de,5dūsrā shāhī mahal par aur tīsrāBunyād nāmī darwāze par. Bāqīsab ādmī Rab ke ghar ke sahnoṅmeṅ jamā ho jāeṅ. 6Khidmatkarne wāle imāmoṅ aur Lāwiyoṅke siwā koī aur Rab ke ghar meṅdākhil na ho. Sirf yihī andar jāsakte haiṅ, kyoṅki Rab ne unheṅis khidmat ke lie makhsūs kiyā hai.Lāzim hai ki pūrī qaum Rab kīhidāyāt par amal kare. 7Bāqī Lāwībādshāh ke irdgird dāyrā banā karapne hathiyāroṅ ko pakaṛe rakheṅaur jahāṅ bhī wuh jāe use ghererakheṅ. Jo bhī Rab ke ghar meṅ

ghusne kī koshish kare use mārḍālnā.”

8Lāwī aur Yahūdāh ke in tamāmmardoṅ ne aisā hī kiyā. Agle Sabatke din sab apne bandoṅ samet uske pās āe, wuh bhī jin kī ḍyūṭī thīaur wuh bhī jin kī ab chhuṭṭī thī.Kyoṅki Yahoyadā ne khidmat karnewāloṅ meṅ se kisī ko bhī jāne kīijāzat nahīṅ dī thī. 9Imām ne sausau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅko Dāūd Bādshāh ke wuh neze aurchhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ dīṅ jo abtak Rab ke ghar meṅ mahfūz rakhīhuī thīṅ. 10Phir us ne faujiyoṅko bādshāh ke irdgird khaṛā kiyā.Har ek apne hathiyār pakaṛe taiyārthā. Qurbāngāh aur Rab ke gharke darmiyān un kā dāyrā Rab keghar kī junūbī dīwār se le kar us kīshimālī dīwār tak phailā huā thā.11Phir wuhYuās ko bāhar lāe aur uske sar par tāj rakh kar use qawānīnkī kitāb de dī. Yoṅ Yuās ko bādshāhbanā diyā gayā. Unhoṅ ne usemasahkiyā aurbulandāwāz senārālagāne lage, “Bādshāh zindābād!”

12Logoṅ kā shor Ataliyāh takpahuṅchā, kyoṅki sab dauṛ karjamāho rahe aur bādshāhkī khushīmeṅ nāre lagā rahe the. Wuh Rabke ghar ke sahan meṅ un ke pās āī

Page 492: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

486 2 Tawārīkh 23:21

13to kyā dekhtī hai ki nayā bādshāhdarwāze ke qarīb us satūn ke pāskhaṛā hai jahāṅ bādshāh riwāj kemutābiq khaṛā hotā hai, aur wuhafsaroṅ aur turam bajāne wāloṅse ghirā huā hai. Tamām ummatbhī sāth khaṛī turam bajā bajā karkhushī manā rahī hai. Sāth sāthgulūkār apne sāz bajā kar hamd kegīt gāne meṅ rāhnumāī kar rahehaiṅ. Ataliyāh ranjish ke māreapne kapṛe phāṛ kar chīkh uṭhī,“Ġhaddārī, ġhaddārī!”

14Yahoyadā Imām ne sau saufaujiyoṅ par muqarrar un afsaroṅko bulāyā jin ke sapurd fauj kī gaīthī aur unheṅ hukm diyā, “Usebāhar le jāeṅ, kyoṅki munāsibnahīṅ ki use Rab ke ghar ke pāsmārā jāe. Aur jo bhī us ke pīchheāe use talwār se mār denā.” 15WuhAtaliyāh ko pakaṛ kar wahāṅ sebāhar le gae aur use Ghoṛoṅ keDarwāze par mār diyā jo shāhīmahal ke pās thā.

16Phir Yahoyadā ne qaum aurbādshāh ke sāth mil kar Rab se ahdbāndh kar wādā kiyā ki ham Rab kīqaum raheṅge. 17Is ke bād sab Bālke mandir par ṭūṭ paṛe aur use ḍhādiyā. Us kī qurbāngāhoṅ aur butoṅko ṭukṛe ṭukṛe karke unhoṅ ne Bāl

ke pujārī Mattān ko qurbāngāhoṅke sāmne hī mār ḍālā.

18Yahoyadā ne imāmoṅ aurLāwiyoṅ ko dubārā Rab ke gharko saṅbhālne kī zimmedārī dī.Dāūd ne unheṅ khidmat ke liegurohoṅ meṅ taqsīm kiyā thā. Uskī hidāyāt ke mutābiq unhīṅ kokhushī manāte aur gīt gāte huebhasm hone wālī qurbāniyāṅ peshkarnī thīṅ, jis tarah Mūsā kī sharīatmeṅ likhā hai. 19Rab ke ghar kedarwāzoṅ par Yahoyadā ne darbānkhaṛe kie tāki aise logoṅ ko andarāne se rokā jāe jo kisī bhī wajah senāpāk hoṅ.

20Phir wuh sau sau faujiyoṅ parmuqarrar afsaroṅ, asar‐o‐rasūkhwāloṅ, qaum ke hukmrānoṅ aurbāqī pūrī ummat ke hamrāh julūsnikāl kar bādshāh koBālāī Darwāzese ho kar shāhī mahal meṅ legayā. Wahāṅ unhoṅ ne bādshāh kotakht par biṭhā diyā, 21aur tamāmummat khushī manātī rahī. YoṅYarūshalam Shahr ko sukūn milā,kyoṅki Ataliyāh ko talwār se mārdiyā gayā thā.

Page 493: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 24:1 487

Yuās Rab ke Ghar kī MarammatKarwātā Hai

24 Yuās 7 sāl kī umr meṅbādshāh banā, aur

Yarūshalam meṅ us kī hukūmatkā daurāniyā 40 sāl thā. Us kīmāṅ Zibiyāh Bair‐sabā kī rahnewālī thī. 2Yahoyadā ke jīte‐jī Yuāswuh kuchh kartā rahā jo Rab kopasand thā. 3Yahoyadā ne us kīshādī do khawātīn se karāī jin kebeṭe‐beṭiyāṅ paidā hue.

4Kuchh der ke bād Yuās ne Rabke ghar kī marammat karāne kāfaislā kiyā. 5Imāmoṅ aur Lāwiyoṅko apne pās bulā kar us ne unheṅhukm diyā, “Yahūdāh ke shahroṅmeṅ se guzar kar tamām logoṅ sepaise jamā kareṅ tāki āp sāl basālapne Khudā ke ghar kī marammatkarwāeṅ. Ab jā kar jaldī kareṅ.”Lekin Lāwiyoṅ ne baṛī der lagāī.

6Tab bādshāh ne imām‐e‐āzamYahoyadā ko bulā kar pūchhā,“Āp ne Lāwiyoṅ se mutālabā kyoṅnahīṅ kiyā ki wuh Yahūdāh keshahroṅ aur Yarūshalam se Rab keghar kī marammat ke paise jamākareṅ? Yih to koī naī bāt nahīṅ hai,kyoṅki Rab kā khādim Mūsā bhīmulāqāt kā khaimā ṭhīk rakhne ke

lie Isrāīlī jamāt se ṭaiks letā rahā.7Āp ko khudmālūm hai ki us bedīnaurat Ataliyāh ne apne pairokāroṅke sāth Rab ke ghar meṅ naqblagā kar Rab ke lie makhsūs hadiyechhīn lie aur Bāl ke apne butoṅ kīkhidmat ke lie istemāl kie the.”

8Bādshāh ke hukmpar ek sandūqbanwāyā gayā jo bāhar, Rab keghar ke sahan ke darwāze parrakhā gayā. 9Pūre Yahūdāh aurYarūshalam meṅ elān kiyā gayāki Rab ke lie wuh ṭaiks adā kiyājāe jis kā Khudā ke khādim Mūsāne registān meṅ Isrāīliyoṅ semutālabā kiyā thā. 10Yih sunkar tamām rāhnumā balki pūrīqaum khush huī. Apne hadiyeRab ke ghar ke pās lā kar wuhunheṅ sandūq meṅ ḍālte rahe. Jabkabhī wuh bhar jātā 11to Lāwī useuṭhā kar bādshāh ke afsaroṅ kepās le jāte. Agar us meṅ wāqaībahut paise hote to bādshāh kāmīrmunshī aur imām‐e‐āzam kāek afsar ā kar use khālī kar dete.Phir Lāwī use us kī jagah wāpasrakh dete the. Yih silsilā rozānājārī rahā, aur ākhirkār bahut baṛīraqam ikaṭṭhī ho gaī.

12Bādshāh aur Yahoyadā yihpaise un ṭhekedāroṅ ko diyā karte

Page 494: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

488 2 Tawārīkh 24:22

the jo Rab ke ghar kī marammatkarwāte the. Yih paise patthartarāshne wāloṅ, baṛha’iyoṅ aurun kārīgaroṅ kī ujrat ke lie sarfhue jo lohe aur pītal kā kām kartethe. 13Rab ke ghar kī marammatke nigarānoṅ ne mehnat se kāmkiyā, aur un ke zer‐e‐nigarānītaraqqī hotī gaī. Ākhir meṅ Rab keghar kī hālat pahle kī‐sī ho gaī thībalki unhoṅ ne use mazīd mazbūtbanā diyā. 14Kām ke ikhtitām parṭhekedār bāqī paise Yuās Bādshāhaur Yahoyadā ke pās lāe. In seunhoṅ ne Rab ke ghar kī khidmatke lie darkār pyāle, sone aur chāṅdīke bartan aur dīgar kaī chīzeṅ joqurbāniyāṅ chaṛhāne ke lie istemālhotī thīṅ banwāīṅ. Yahoyadā kejīte‐jī Rabke gharmeṅbāqāydagī sebhasm hone wālī qurbāniyāṅ peshkī jātī rahīṅ.

15Yahoyadā nihāyat būṛhā hogayā. 130 sāl kī umr meṅ wuh fauthuā. 16Use Yarūshalam ke us hissemeṅ shāhī qabristān meṅ dafnāyāgayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai,kyoṅki us ne Isrāīl meṅ Allāh aurus ke ghar kī achchhī khidmat kīthī.

Yuās Bādshāh Rab koTark Kartā Hai

17Yahoyadā kī maut ke bādYahūdāh ke buzurg Yuās ke pāsā kar muṅh ke bal jhuk gae. Uswaqt se wuh un ke mashwaroṅ paramal karne lagā. 18Is kā ek natījāyih niklā ki wuh un ke sāth mil karRab apne bāp ke Khudā ke ghar kochhoṛkarYasīratDewī kekhamboṅaur butoṅ kī pūjā karne lagā. Isgunāh kī wajah se Allāh kā ġhazabYahūdāh aur Yarūshalam par nāzilhuā. 19Us ne apne nabiyoṅ kologoṅ ke pās bhejā tāki wuh unheṅsamjhā kar Rab ke pās wāpas lāeṅ.Lekin koī bhī un kī bāt sunaneke lie taiyār na huā. 20Phir Allāhkā Rūh Yahoyadā Imām ke beṭeZakariyāh par nāzil huā, aur us neqaum ke sāmne khaṛe ho kar kahā,“Allāh farmātā hai, ‘Tum Rab keahkām kī khilāfwarzī kyoṅ karteho? Tumheṅ kāmyābī hāsil nahīṅhogī. Chūṅki tum ne Rab ko tarkkar diyā hai is lie us ne tumheṅtark kar diyā hai.’”

21Jawāb meṅ logoṅ ne Zakariyāhke khilāf sāzish karke use bādshāhke hukm par Rab ke ghar ke sahanmeṅ sangsār kar diyā. 22Yoṅ Yuās

Page 495: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 24:23 489

Bādshāh ne us mehrbānī kā khayālna kiyā jo Yahoyadā ne us par kīthī balki use nazarandāz karke uske beṭe ko qatl kiyā. Marte waqtZakariyāh bolā, “Rab dhyān de karmerā badlā le!”

23Agle sāl ke āġhāz meṅ Shām kīfauj Yuās se laṛne āī. Yahūdāh meṅghus kar unhoṅ ne Yarūshalampar fatah pāī aur qaum ke tamāmbuzurgoṅ ko mār ḍālā. Sārā lūṭāhuā māl Damishq ko bhejā gayājahāṅ bādshāh thā. 24AgarcheShām kī fauj Yahūdāh kī fauj kīnisbat bahut chhoṭī thī to bhī Rabne use fatah bakhshī. ChūṅkiYahūdāh ne Rab apne bāpdādāke Khudā ko tark kar diyā thā islie Yuās ko Shām ke hāthoṅ sazāmilī. 25Jang ke daurān Yahūdāhkā bādshāh shadīd zakhmī huā.Jab dushman ne mulk ko chhoṛdiyā to Yuās ke afsaroṅ ne us kekhilāf sāzish kī. Yahoyadā Imāmke beṭe ke qatl kā intaqām le karunhoṅ ne use mār ḍālā jab wuhbīmār hālat meṅ bistar par paṛāthā. Bādshāh ko Yarūshalam ke ushisse meṅ dafn kiyā gayā jo ‘Dāūdkā Shahr’ kahlātā hai. Lekin shāhīqabristānmeṅ nahīṅ dafnāyā gayā.26Sāzish karnewāloṅ ke nāmZabad

aur Yahūzabad the. Pahle kī māṅSim’āt Ammonī thī jabki dūsre kīmāṅ Simrīt Moābī thī.

27Yuās ke beṭoṅ, us ke khilāfnabiyoṅ ke farmānoṅ aur Allāh keghar kī marammat ke bāre meṅmazīd mālūmāt ‘Shāhān kī Kitāb’meṅ darj haiṅ. Yuās ke bād us kābeṭā Amasiyāh takhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Amasiyāh

25 Amasiyāh 25 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā aur

Yarūshalam meṅ us kī hukūmat kādaurāniyā 29 sāl thā. Us kī māṅYahuaddān Yarūshalam kī rahnewālī thī. 2Jo kuchh Amasiyāh nekiyā wuh Rab ko pasand thā, lekinwuh pūre dil se Rab kī pairawīnahīṅ kartā thā. 3Jyoṅ hī us kepāṅw mazbūtī se jam gae us ne unafsaroṅko sazā‐e‐maut dī jinhoṅnebāp ko qatl kar diyā thā. 4Lekin unke beṭoṅ ko us ne zindā rahne diyāaur yoṅ Mūswī sharīat ke tābe rahājis meṅ Rab farmātā hai, “Wālidainko un ke bachchoṅ ke jarāym kesabab se sazā‐e‐maut na dī jāe, nabachchoṅ ko un ke wālidain kejarāym ke sabab se. Agar kisī ko

Page 496: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

490 2 Tawārīkh 25:13

sazā‐e‐maut denī ho to us gunāh kesabab se jo us ne khud kiyā hai.”

Adom se Jang5Amasiyāh ne Yahūdāh aurBinyamīn ke qabīloṅ ke tamāmmardoṅ ko bulā kar unheṅkhāndānoṅ ke mutābiq tartīb diyā.Us ne hazār hazār aur sau saufaujiyoṅ par afsar muqarrar kie.Jitne bhī mard 20 yā is se zāydsāl ke the un sab kī bhartī huī.Is tarah 3,00,000 faujī jamā hue.Sab baṛī ḍhāloṅ aur nezoṅ se laisthe. 6Is ke alāwā Amasiyāh ne Isrāīlke 1,00,000 tajrabākār faujiyoṅ koujrat par bhartī kiyā tāki wuh jangmeṅ madad kareṅ. Unheṅ us nechāṅdī ke taqrīban 3,400 kilogrāmdie.

7Lekin ek mard‐e‐Khudā neAmasiyāh ke pās ā kar usesamjhāyā, “Bādshāh salāmat, lāzimhai ki yih Isrāīlī faujī āp ke sāth milkar laṛne ke lie na nikleṅ. KyoṅkiRab un ke sāth nahīṅ hai, wuhIfrāīm ke kisī bhī rahne wāle kesāth nahīṅ hai. 8Agar āp un kesāth mil kar nikleṅ tāki mazbūtīse dushman se laṛeṅ to Allāh āpko dushman ke sāmne girā degā.

Kyoṅki Allāh ko āp kī madad karneaur āp ko girāne kī qudrat hāsilhai.” 9Amasiyāh ne etarāz kiyā,“Lekin maiṅ Isrāīliyoṅ ko chāṅdīke 3,400 kilogrām adā kar chukāhūṅ. In paisoṅ kā kyā banegā?”Mard‐e‐Khudā ne jawāb diyā, “Rabāp ko is se kahīṅ zyādā atā kar saktāhai.” 10Chunāṅche Amasiyāh neIfrāīm se āe hue tamām faujiyoṅ kofāriġh karke wāpas bhej diyā, aurwuh Yahūdāh se bahut nārāz hue.Har ek baṛe taish meṅ apne apneghar chalā gayā.

11To bhī Amasiyāh jurrat karkejang ke lie niklā. Apnī fauj koNamak kī Wādī meṅ le jā kar usne Adomiyoṅ par fatah pāī. Unke 10,000 mard maidān‐e‐jang meṅmāre gae. 12Dushman ke mazīd10,000 ādmiyoṅ ko giriftār kar liyāgayā. Yahūdāh ke faujiyoṅ neqaidiyoṅ ko ek ūṅchī chaṭān kīchoṭī par le jā kar nīche girā diyā.Is tarah sab pāsh pāsh ho kar halākhue.

13Itne meṅ fāriġh kie gae Isrāīlīfaujiyoṅ ne Sāmariya aur Bait‐haurūn ke bīchmeṅwāqe Yahūdāhke shahroṅ par hamlā kiyā thā.Laṛte laṛte unhoṅ ne 3,000 mardoṅ

Page 497: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 25:14 491

ko maut ke ghāṭ utār diyā aurbahut‐sā māl lūṭ liyā thā.

Amasiyāh kī Butparastī14Adomiyoṅ ko shikast dene ke bādAmasiyāh Saīr ke bāshindoṅ kebutoṅ ko lūṭ kar apne ghar wāpaslāyā. Wahāṅ us ne unheṅ khaṛākiyā aurunke sāmneaundhemuṅhjhuk kar unheṅ qurbāniyāṅ peshkīṅ. 15Yih dekh kar Rab us se bahutnārāz huā. Us ne ek nabī ko uske pās bhejā jis ne kahā, “Tū indewatāoṅ kī taraf kyoṅ rujū karrahā hai? Yih to apnī qaum ko tujhse najāt na dilā sake.” 16Amasiyāhne nabī kī bāt kāṭ kar kahā, “Hamne kab se tujhe bādshāh kā mushīrbanā diyā hai? Khāmosh, warnātujhe mār diyā jāegā.” Nabī nekhāmosh ho kar itnā hī kahā,“Mujhemālūmhai ki Allāh ne āp koāp kī in harkatoṅ kī wajah se aur islie ki āp ne merā mashwarā qabūlnahīṅ kiyā tabāh karne kā faislā karliyā hai.”

Amasiyāh Isrāīl ke BādshāhYuās se Laṛtā Hai

17Ek din Yahūdāh ke bādshāhAmasiyāh ne apne mushīroṅ se

mashwarā karne ke bād Yuās binYahuākhaz bin Yāhū ko paiġhāmbhejā, “Āeṅ, ham ek dūsre kāmuqābalā kareṅ!” 18Lekin Isrāīlke bādshāh Yuās ne jawāb diyā,“Lubnān meṅ ek kāṅṭedār jhāṛīne deodār ke ek darakht se bātkī, ‘Mere beṭe ke sāth apnī beṭīkā rishtā bāndho.’ Lekin usī waqtLubnān ke janglī jānwaroṅ ne uske ūpar se guzar kar use pāṅwoṅtale kuchal ḍālā. 19Adom parfatah pāne ke sabab se āp kā dilmaġhrūr ho kar mazīd shohrathāsil karnā chāhtā hai. Lekin merāmashwarā hai ki āp apne gharmeṅ raheṅ. Āp aisī musībat kokyoṅ dāwat dete haiṅ jo āp aurYahūdāh kī tabāhī kā bāis ban jāe?”20Lekin Amasiyāh mānane ke lietaiyār nahīṅ thā. Allāh use aur uskī qaum ko Isrāīliyoṅ ke hawālekarnā chāhtā thā, kyoṅki unhoṅne Adomiyoṅ ke dewatāoṅ kī tarafrujū kiyā thā.

21Tab Isrāīl kā bādshāh Yuās apnīfauj le kar Yahūdāh par chaṛhāyā. Bait‐shams ke pās us kāYahūdāh ke bādshāh Amasiyāh kesāth muqābalā huā. 22Isrāīlī faujne Yahūdāh kī fauj ko shikast dī,aur har ek apne apne ghar bhāg

Page 498: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

492 2 Tawārīkh 26:5

gayā. 23Isrāīl ke bādshāh Yuās neYahūdāh ke bādshāh Amasiyāh binYuās bin Akhaziyāh ko wahīṅ Bait‐shams meṅ giriftār kar liyā. Phirwuh use Yarūshalam lāyā aur shahrkī fasīl Ifrāīm nāmī darwāze se lekar Kone ke Darwāze tak girā dī.Is hisse kī lambāī taqrīban 600 fuṭthī. 24Jitnā bhī sonā, chāṅdī aurqīmtī sāmān Rab ke ghar aur shāhīmahal ke khazānoṅ meṅ thā useus ne pūre kā pūrā chhīn liyā. Uswaqt Obed‐adom Rab ke ghar kekhazāne saṅbhāltā thā. Yuās lūṭāhuā māl aur bāz yarġhamāloṅ ko lekar Sāmariya wāpas chalā gayā.

Amasiyāh kī Maut25Isrāīl ke bādshāh Yuās binYahuākhaz kīmaut ke bād Yahūdāhkā bādshāh Amasiyāh bin Yuāsmazīd 15 sāl jītā rahā. 26Bāqījo kuchh Amasiyāh kī hukūmatke daurān huā wuh shurū se lekar ākhir tak ‘Shāhān‐e‐Isrāīl‐o‐Yahūdāh’ kī kitāb meṅ darjhai. 27Jab se wuh Rab kī pairawīkarne se bāz āyā us waqt se logYarūshalammeṅus ke khilāf sāzishkarne lage. Ākhirkār us ne farār hokar Lakīsmeṅpanāh lī, lekin sāzish

karne wāloṅ ne apne logoṅ ko uske pīchhe bhejā, aur wuh wahāṅuse qatl karnemeṅ kāmyāb ho gae.28Us kī lāsh ghoṛe par uṭhā karYahūdāh ke shahr Yarūshalam lāīgaī jahāṅ use khāndānī qabr meṅdafnāyā gayā.

Yahūdāh kā Bādshāh Uzziyāh

26 Yahūdāh ke tamām logoṅne Amasiyāh kī jagah us

ke beṭe Uzziyāh ko takht par biṭhādiyā. Us kī umr 16 sāl thī 2jab uskā bāp mar kar apne bāpdādā sejā milā. Bādshāh banane ke bādUzziyāh ne Ailāt Shahr par qabzākarke use dubārā Yahūdāh kā hissābanā liyā. Us ne shahr meṅ bahuttāmīrī kām karwāyā.

3Uzziyāh 16 sāl kī umr meṅbādshāh banā aur Yarūshalammeṅrah kar 52 sāl hukūmat kartā rahā.Us kī māṅ Yakūliyāh Yarūshalamkī rahne wālī thī. 4Apne bāpAmasiyāh kī tarah us kā chāl‐chalan Rab ko pasand thā. 5Imām‐e‐āzam Zakariyāh ke jīte‐jī UzziyāhRab kā tālib rahā, kyoṅki Zakariyāhuse Allāh kā khaufmānane kī tālīmdetā rahā. Jab tak bādshāh Rab

Page 499: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 26:6 493

kā tālib rahā us waqt tak Allāh usekāmyābī bakhshtā rahā.

6Uzziyāh ne Filistiyoṅ se jangkarke Jāt, Yabnā aur Ashdūd kīfasīloṅ ko ḍhā diyā. Dīgar kaīshahroṅ ko us ne nae sire setāmīr kiyā jo Ashdūd ke qarīb aurFilistiyoṅ ke bāqī ilāqe meṅ the.7Lekin Allāh ne na sirf Filistiyoṅse laṛte waqt Uzziyāh kī madad kībalki us waqt bhī jab Jūr‐bāl meṅrahne wāle Araboṅ aur Maūniyoṅse jang chhiṛ gaī. 8Ammoniyoṅ koUzziyāh ko kharāj adā karnā paṛā,aur wuh itnā tāqatwar banā ki us kīshohrat Misr tak phail gaī.

9Yarūshalam meṅ Uzziyāh neKone keDarwāze,Wādī keDarwāzeaur fasīl ke moṛ par mazbūt burjbanwāe. 10Us ne bayābān meṅ bhīburj tāmīr kie aur sāth sāth pattharke beshumār hauz tarāshe, kyoṅkimaġhribī Yahūdāh ke nashebīpahāṛī ilāqe aur maidānī ilāqemeṅ us ke baṛe baṛe rewaṛ chartethe. Bādshāh ko kāshtkārī kā kāmkhās pasand thā. Bahut log pahāṛīilāqoṅ aur zarkhez wādiyoṅmeṅ uske khetoṅ aur angūr ke bāġhoṅ kīnigarānī karte the.

11Uzziyāh kī tāqatwar fauj thī.Bādshāh ke ālā afsar Hananiyāh kī

rāhnumāī meṅ mīrmunshī Ya’iyelne afsar Māsiyāh ke sāth fauj kībhartī karke use tartīb diyā thā.12In dastoṅ par kunboṅ ke 2,600sarparast muqarrar the. 13Fauj3,07,500 jang laṛne ke qābilmardoṅpar mushtamil thī. Jang meṅbādshāh un par pūrā bharosā karsaktā thā. 14Uzziyāh ne apnetamām faujiyoṅ ko ḍhāloṅ, nezoṅ,khodoṅ, zirābaktaroṅ, kamānoṅaur falākhan ke sāmān semusallahkiyā. 15Aur Yarūshalam ke burjoṅaur fasīl ke konoṅ par us ne aisīmashīneṅ lagāeṅ jo tīr chalā saktīaur baṛe baṛe patthar phaiṅk saktīthīṅ.

UzziyāhMaġhrūr Ho Jātā HaiĠharz, Allāh kīmadad seUzziyāh kīshohrat dūr dūr tak phail gaī, aur uskī tāqat baṛhtī gaī.

16Lekin is tāqat ne use maġhrūrkar diyā, aur natījemeṅwuh ġhalatrāh par ā gayā. Rab apne Khudā kābewafā ho kar wuh ek din Rab keghar meṅ ghus gayā tāki bakhūrkī qurbāngāh par bakhūr jalāe.17Lekin imām‐e‐āzam AzariyāhRab ke mazīd 80 bahādur imāmoṅko apne sāth le kar us ke pīchhe

Page 500: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

494 2 Tawārīkh 27:5

pīchhe gayā. 18Unhoṅ ne bādshāhUzziyāh kā sāmnā karke kahā,“Munāsib nahīṅ ki āp Rab kobakhūr kī qurbānī pesh kareṅ.Yih Hārūn kī aulād yānī imāmoṅkī zimmedārī hai jinheṅ is ke liemakhsūs kiyā gayā hai. Maqdisse nikal jāeṅ, kyoṅki āp Allāh sebewafā ho gae haiṅ, aur āp kī yihharkat Rab Khudā ke sāmne izzatkā bāis nahīṅ banegī.” 19Uzziyāhbakhūrdān ko pakaṛe bakhūr kopesh karne ko thā ki imāmoṅ kībāteṅ sun kar āg‐bagūlā ho gayā.Lekin usī lamhe us ke māthe parkoṛh phūṭ niklā. 20Yih dekh karimām‐e‐āzam Azariyāh aur dīgarimāmoṅ ne use jaldī se Rab ke gharse nikāl diyā. Uzziyāh ne khud bhīwahāṅ se nikalne kī jaldī kī, kyoṅkiRab hī ne use sazā dī thī.

21Uzziyāh jīte‐jī is bīmārī se shifāna pā sakā. Use alāhidā ghar meṅrahnā paṛā, aur use Rab ke gharmeṅ dākhil hone kī ijāzat nahīṅthī. Us ke beṭe Yūtām ko mahalpar muqarrar kiyā gayā, aur wuhīummat par hukūmat karne lagā.

22Bāqī jo kuchh Uzziyāh kīhukūmat ke daurān shurū se le karākhir tak huā wuh Āmūs ke beṭeYasāyāh Nabī ne qalamband kiyā

hai. 23Jab Uzziyāh mar kar apnebāpdādā se jā milā to use koṛh kīwajah se dūsre bādshāhoṅ ke sāthnahīṅ dafnāyā gayā balki qarībke ek khet meṅ jo shāhī khāndānkā thā. Phir us kā beṭā Yūtāmtakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yūtām

27 Yūtām 25 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā aur

Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl takhukūmat kartā rahā. Us kī māṅYarūsā bint Sadoq thī. 2Yūtām newuh kuchh kiyā jo Rab ko pasandthā. Wuh apne bāp Uzziyāh kenamūne par chaltā rahā, agarcheus ne kabhī bhī bāp kī tarah Rab keghar meṅ ghus jāne kī koshish nakī. Lekin ām log apnī ġhalat rāhoṅse na haṭe.

3Yūtām ne Rab ke ghar kāBālāī Darwāzā tāmīr kiyā. OfalPahāṛī jis par Rab kā ghar thāus kī dīwār ko us ne bahutjaghoṅ par mazbūt banā diyā.4Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅus ne shahr tāmīr kie aur janglīilāqoṅ meṅ qile aur burj banāe.5Jab Ammonī bādshāh ke sāth jangchhiṛ gaī to us ne Ammoniyoṅ ko

Page 501: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 27:6 495

shikast dī. Tīn sāl tak unheṅ usesālānā kharāj ke taur par taqrīban3,400 kilogrām chāṅdī, 16,00,000kilogrām gandum aur 13,50,000kilogrām jau adā karnā paṛā. 6YoṅYūtām kī tāqat baṛhtī gaī. Aurwajah yih thī ki wuh sābitqadmīse Rab apne Khudā ke huzūr chaltārahā.

7Bāqī jo kuchhYūtāmkī hukūmatke daurān huā wuh ‘Shāhān‐e‐Isrāīl‐o‐Yahūdāh’ kī kitāb meṅqalamband hai. Us meṅ us kītamām jangoṅ aur bāqī kāmoṅ kāzikr hai. 8Wuh 25 sāl kī umr meṅbādshāh banā aur Yarūshalammeṅrah kar 16 sāl hukūmat kartā rahā.9Jab wuh mar kar apne bāpdādāse jā milā to use Yarūshalam keus hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’kahlātā hai dafnāyā gayā. Phir uskā beṭā Ākhaz takhtnashīn huā.

Yahūdāh kā Bādshāh Ākhaz

28 Ākhaz 20 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā aur

Yarūshalam meṅ rah kar 16 sālhukūmat kartā rahā. Wuh apnebāp Dāūd ke namūne par na chalābalki wuh kuchh kartā rahā jo Rabko nāpasand thā. 2Kyoṅki us ne

Isrāīl ke bādshāhoṅ kā chāl‐chalanapnāyā. Bāl ke but ḍhalwā kar3us ne na sirf Wādī‐e‐Bin‐hinnūmmeṅ butoṅ ko qurbāniyāṅ pesh kīṅbalki apne beṭoṅ ko bhī qurbānīke taur par jalā diyā. Yoṅ wuhun qaumoṅ ke ghinaune rasm‐o‐riwāj adā karne lagā jinheṅ Rabne Isrāīliyoṅ ke āge mulk se nikāldiyā thā. 4Ākhaz bakhūr jalā karapnī qurbāniyāṅ ūṅche maqāmoṅ,pahāṛiyoṅ kī choṭiyoṅ aur harghane darakht ke sāymeṅ chaṛhātāthā.

5Isī lie Rab us ke Khudā ne useShām ke bādshāh ke hawāle kardiyā. Shām kī fauj ne use shikastdī aur Yahūdāh ke bahut‐se logoṅko qaidī banā kar Damishq le gaī.Ākhaz ko Isrāīl ke bādshāh Fiqahbin Ramaliyāh ke hawāle bhī kardiyā gayā jis ne use shadīd nuqsānpahuṅchāyā. 6Ek hī din meṅYahūdāh ke 1,20,000 tajrabākārfaujī shahīd hue. Yih sab kuchhis lie huā ki qaum ne Rab apnebāpdādā ke Khudā ko tark kar diyāthā. 7Us waqt Ifrāīm ke qabīle kepahalwān Zikrī ne Ākhaz ke beṭeMāsiyāh,mahal ke inchārj Azrīqāmaur bādshāh ke bād sab se ālā afsarIlqānā ko mār ḍālā. 8Isrāīliyoṅ ne

Page 502: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

496 2 Tawārīkh 28:15

Yahūdāh kī 2,00,000 aurateṅ aurbachche chhīn lie aur kasrat kāmāllūṭ kar Sāmariya le gae.

Isrāīl Qaidiyoṅ ko RihāKar Detā Hai

9Sāmariya meṅ Rab kā ek nabībanām Odīd rahtā thā. Jab Isrāīlīfaujī maidān‐e‐jang se wāpas āe toOdīd un se milne ke lie niklā. Usne un se kahā, “Dekheṅ, Rab āpke bāpdādā kā Khudā Yahūdāh senārāz thā, is lie us ne unheṅ āpke hawāle kar diyā. Lekin āp logtaish meṅ ā kar un par yoṅ ṭūṭpaṛe ki un kā qatl‐e‐ām āsmān takpahuṅch gayā hai. 10Lekin yih kāfīnahīṅ thā. Ab āp Yahūdāh aurYarūshalam ke bache huoṅ ko apneġhulām banānā chāhte haiṅ. Kyāāp samajhte haiṅ ki ham un seachchhe haiṅ? Nahīṅ, āp se bhīRab apne Khudā ke khilāf gunāhsarzad hue haiṅ. 11Chunāṅchemerī bāt suneṅ! In qaidiyoṅ kowāpas kareṅ jo āp ne apne bhāiyoṅse chhīn lie haiṅ. Kyoṅki Rabkā sakht ġhazab āp par nāzil honewālā hai.”

12Ifrāīm ke qabīle ke kuchhsarparastoṅ ne bhī faujiyoṅ kā

sāmnā kiyā. Un ke nām Azariyāhbin Yūhanān, Barakiyāh binMasillamot, Yahizqiyāh bin Sallūmaur Amāsā bin Khadlī the. 13Unhoṅne kahā, “In qaidiyoṅ ko yahāṅmatle āeṅ, warnā ham Rab ke sāmnequsūrwār ṭhahreṅge. Kyā āpchāhte haiṅ ki ham apne gunāhoṅmeṅ izāfā kareṅ? Hamārā qusūrpahle hī bahut baṛā hai. Hāṅ, RabIsrāīl par sakht ġhusse hai.”

14Tab faujiyoṅ ne apne qaidiyoṅko āzād karke unheṅ lūṭe hue mālke sāth buzurgoṅ aur pūrī jamāt kehawāle kar diyā. 15Mazkūrā chārādmiyoṅ ne sāmne ā kar qaidiyoṅko apne pās mahfūz rakhā. Lūṭehue māl meṅ se kapṛe nikāl karunhoṅ ne unheṅ un meṅ taqsīmkiyā jo barahnā the. Is ke bādunhoṅne tamāmqaidiyoṅ ko kapṛeaur jūte de die, unheṅ khānākhilāyā, pānī pilāyā aur un kezakhmoṅ kī marham‐paṭṭī kī. Jitnethakāwaṭ kī wajah se chal na saktethe unheṅ unhoṅ ne gadhoṅ parbiṭhāyā, phir chalte chalte sabko Khajūr ke Shahr Yarīhū takpahuṅchāyā jahāṅ un ke apne logthe. Phir wuh Sāmariya lauṭ āe.

Page 503: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 28:16 497

Ākhaz Asūr ke Bādshāhse Madad Letā Hai

16Us waqt Ākhaz Bādshāh ne Asūrke bādshāh se iltamās kī, “Hamārīmadad karne āeṅ.” 17Kyoṅki AdomīYahūdāh meṅ ghus kar kuchhlogoṅ ko giriftār karke apne sāth legae the. 18Sāth sāth Filistī maġhribīYahūdāh ke nashebī pahāṛī ilāqeaur junūbī ilāqe meṅ ghus āe theaur zail ke shahroṅ par qabzākarke un meṅ rahne lage the: Bait‐shams, Aiyālon, Jadīrot, nīz Sokā,Timnat aur Jimzū gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet. 19Is tarah Rabne Yahūdāh ko Ākhaz kī wajah sezer kar diyā, kyoṅki bādshāh neYahūdāh meṅ belagām berāhrawīphailne dī aur Rab se apnī bewafāīkā sāf izhār kiyā thā.

20Asūr ke bādshāh Tiglat‐pilesarapnī fauj le karmulkmeṅāyā, lekinĀkhaz kī madad karne ke bajāeus ne use tang kiyā. 21Ākhaz neRab ke ghar, shāhī mahal aur apneālā afsaroṅ ke khazānoṅ ko lūṭ karsārā māl Asūr ke bādshāh ko bhejdiyā, lekin befāydā. Is se use sahīhmadad na milī.

22Go wuh us waqt baṛī musībatmeṅ thā to bhī Rab se aur dūr ho

gayā. 23Wuh Shām ke dewatāoṅko qurbāniyāṅ pesh karne lagā,kyoṅki us kā khayāl thā ki inhīṅ nemujhe shikast dī hai. Us ne sochā,“Shām ke dewatā apne bādshāhoṅkī madad karte haiṅ! Ab se maiṅunheṅ qurbāniyāṅ pesh karūṅgatāki wuh merī bhī madad kareṅ.”Lekin yih dewatā bādshāh Ākhazaur pūrī qaum ke lie tabāhī kā bāisban gae. 24Ākhaz ne hukm diyā kiAllāh ke ghar kā sārā sāmān nikālkar ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jāe. Phirus ne Rab ke ghar ke darwāzoṅpar tālā lagā diyā. Us kī jagahus ne Yarūshalam ke kone konemeṅ qurbāngāheṅ khaṛī kar dīṅ.25Sāth sāth us ne dīgar mābūdoṅko qurbāniyāṅ pesh karne ke lieYahūdāh ke har shahr kī ūṅchījaghoṅ par mandir tāmīr kie. Aisīharkatoṅ sewuhRab apne bāpdādāke Khudā ko taish dilātā rahā.

26Bāqī jo kuchh us kī hukūmatke daurān huā aur jo kuchh usne kiyā wuh shurū se le kar ākhirtak ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh‐o‐Isrāīl’ kīkitāb meṅ darj hai. 27Jab Ākhazmar kar apne bāpdādā se jā milāto use Yarūshalam meṅ dafn kiyāgayā, lekin shāhī qabristān meṅ

Page 504: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

498 2 Tawārīkh 29:12

nahīṅ. Phir us kā beṭā Hizqiyāhtakhtnashīn huā.

Hizqiyāh Bādshāh Rab ke Gharko Dubārā Khol Detā Hai

29 Jab Hizqiyāh Bādshāhbanā to us kī umr 25 sāl

thī. Yarūshalam meṅ rah kar wuh29 sāl hukūmat kartā rahā. Us kīmāṅ Abiyāh bint Zakariyāh thī.

2Apne bāp Dāūd kī tarah us neaisā kām kiyā jo Rab ko pasandthā. 3Apnī hukūmat ke pahle sālke pahle mahīne meṅ us ne Rab keghar ke darwāzoṅ ko khol kar un kīmarammat karwāī. 4Lāwiyoṅ aurimāmoṅ ko bulā kar us ne unheṅRabke ghar kemashriqī sahanmeṅjamā kiyā 5aur kahā,“Ai lāwiyo, merī bāt suneṅ! Apne

āp ko khidmat ke lie makhsūs‐o‐muqaddas kareṅ, aur Rab apnebāpdādā ke Khudā ke ghar kobhī makhsūs‐o‐muqaddas kareṅ.Tamām nāpāk chīzeṅ maqdis senikāleṅ! 6Hamāre bāpdādā bewafāho kar wuh kuchh karte gae jo Rabhamāre Khudā ko nāpasand thā.Unhoṅ ne use chhoṛ diyā, apnemuṅhkoRabkī sukūnatgāh sepherkar dūsrī taraf chal paṛe. 7Rab

ke ghar ke sāmne wāle barāmdeke darwāzoṅ par unhoṅ ne tālālagā kar charāġhoṅ ko bujhā diyā.Na Isrāīl ke Khudā ke lie bakhūrjalāyā jātā, na bhasm hone wālīqurbāniyāṅ maqdis meṅ pesh kījātī thīṅ. 8Isī wajah se Rab kāġhazab Yahūdāh aur Yarūshalampar nāzil huā hai. Hamārī hālatko dekh kar log ghabrā gae. Unke roṅgṭe khaṛe ho gae haiṅ. Hamdūsroṅ ke liemazāq kā nishānā bangae haiṅ. Āp khud is ke gawāhhaiṅ. 9Hamārī bewafāī kī wajah sehamāre bāp talwār kī zadmeṅ ā karmāre gae aur hamāre beṭe‐beṭiyāṅaur bīwiyāṅ ham se chhīn lī gaīhaiṅ. 10Lekin ab maiṅ Rab Isrāīl keKhudā ke sāth ahd bāndhnā chāhtāhūṅ tāki us kā sakht qahr ham seṭal jāe. 11Mere beṭo, ab sustī nadikhāeṅ, kyoṅki Rab ne āp ko chunkar apne khādim banāyā hai. Āpko us ke huzūr khaṛe ho kar us kīkhidmat karne aur bakhūr jalāne kīzimmedārī dī gaī hai.”

12Phir zail ke Lāwī khidmat ke lietaiyār hue:Qihāt ke khāndān kā Mahat bin

Amāsī aur Yoel bin Azariyāh,Mirārī ke khāndān kā Qīs bin

Abdī aur Azariyāh bin Yahallalel,

Page 505: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 29:13 499

Jairson ke khāndān kā Yuākh binZimmā aur Adan bin Yuākh,

13Ilīsafan ke khāndān kā Simrīaur Ya’iyel,Āsaf ke khāndān kā Zakariyāh

aur Mattaniyāh,14Haimān ke khāndān kā Yihiyel

aur Simaī,Yadūtūn ke khāndān kā Samāyāh

aur Uzziyel.15Bāqī Lāwiyoṅ ko bulā kar

unhoṅ ne apne āp ko Rabkī khidmat ke lie makhsūs‐o‐muqaddas kiyā. Phir wuh bādshāhke hukm ke mutābiq Rab ke gharko pāk‐sāf karne lage. Kām kartekarte unhoṅ ne is kā khayāl kiyāki sab kuchh Rab kī hidāyāt kemutābiq ho rahā ho. 16Imām Rabke gharmeṅ dākhil hue aur usmeṅse har nāpāk chīz nikāl kar usesahan meṅ lāe. Wahāṅ se Lāwiyoṅne sab kuchh uṭhā kar shahr sebāhar Wādī‐e‐Qidron meṅ phaiṅkdiyā. 17Rab ke ghar kī quddūsiyatbahāl karne kā kām pahle mahīnekepahle din shurūhuā, aur ekhafteke bād wuh sāmne wāle barāmdetak pahuṅch gae the. Ek aur haftāpūre ghar komakhsūs‐o‐muqaddaskarne meṅ lag gayā.

Pahle mahīne ke 16weṅ dinkām mukammal huā. 18HizqiyāhBādshāh ke pās jā kar unhoṅ nekahā, “Ham ne Rab ke pūre gharko pāk‐sāf kar diyā hai. Is meṅjānwaroṅ ko jalāne kī qurbāngāhus ke sāmān samet aur wuh mezjis par Rab ke lie makhsūs roṭiyāṅrakhī jātī haiṅ us ke sāmān sametshāmil hai. 19Aur jitnī chīzeṅĀkhaz ne bewafā ban kar apnīhukūmat ke daurān radd kar dīthīṅ un sab ko ham ne ṭhīk karkedubārā makhsūs‐o‐muqaddas kardiyā hai. Ab wuh Rab kī qurbāngāhke sāmne paṛī haiṅ.”

Rab ke Ghar kī DubārāMakhsūsiyat

20Agle din Hizqiyāh Bādshāhsubah‐sawere shahr ke tamāmbuzurgoṅ ko bulā kar un ke sāthRab ke ghar ke pās gayā. 21Sātjawān bail, sāt menḍhe aur bheṛke sāt bachche bhasm hone wālīqurbānī ke lie sahan meṅ lāe gae.Nīz sāt bakre jinheṅ gunāh kīqurbānī ke taur par shāhī khāndān,maqdis aur Yahūdāh ke lie peshkarnā thā. Hizqiyāh ne Hārūn kīaulād yānī imāmoṅ ko hukm diyā

Page 506: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

500 2 Tawārīkh 29:32

ki in jānwaroṅ ko Rab kī qurbāngāhpar chaṛhāeṅ. 22Pahle bailoṅ kozabah kiyā gayā. Imāmoṅ ne unkā khūn jamā karke use qurbāngāhpar chhiṛkā. Is ke bād menḍhoṅko zabah kiyā gayā. Is bār bhīimāmoṅ ne un kā khūn qurbāngāhpar chhiṛkā. Bheṛ ke bachchoṅke khūn ke sāth bhī yihī kuchhkiyā gayā. 23Ākhir meṅ gunāh kīqurbānī ke lie makhsūs bakroṅko bādshāh aur jamāt ke sāmnelāyā gayā, aur unhoṅ ne apnehāthoṅkobakroṅke saroṅpar rakhdiyā. 24Phir imāmoṅ ne unheṅzabah karke un kā khūn gunāh kīqurbānī ke taur par qurbāngāh parchhiṛkā tāki Isrāīl kā kaffārā diyājāe. Kyoṅki bādshāh ne hukm diyāthā ki bhasm hone wālī aur gunāhkī qurbānī tamām Isrāīl ke lie peshkī jāe.

25HizqiyāhneLāwiyoṅ ko jhāṅjh,sitār aur sarod thamā kar unheṅRab ke ghar meṅ khaṛā kiyā. Sabkuchh un hidāyāt ke mutābiq huājo Rab ne Dāūd Bādshāh, us keġhaibbīn Jād aur Nātan Nabī kīmārifat dī thīṅ. 26Lāwī un sāzoṅke sāth khaṛe ho gae jo Dāūdne banwāe the, aur imām apneturamoṅ ko thāme un ke sāth

khaṛe hue. 27Phir Hizqiyāh nehukm diyā ki bhasm hone wālīqurbānī qurbāngāh par pesh kījāe. Jab imām yih kām karnelage to Lāwī Rab kī tārīf meṅ gītgāne lage. Sāth sāth turam aurDāūd Bādshāh ke banwāe hue sāzbajne lage. 28Tamām jamāt aundhemuṅh jhuk gaī jabki Lāwī gīt gāteaur imām turam bajāte rahe. Yihsilsilā is qurbānī kī takmīl tak jārīrahā. 29Is ke bād Hizqiyāh aurtamāmhāzirīn dubārāmuṅh ke baljhuk gae. 30Bādshāh aur buzurgoṅne Lāwiyoṅ ko kahā, “Dāūd aurĀsaf Ġhaibbīn ke zabūr gā karRab kī satāish kareṅ.” ChunāṅcheLāwiyoṅ ne baṛī khushī se hamd‐o‐sanā ke gīt gāe. Wuh bhī aundhemuṅh jhuk gae.

31Phir Hizqiyāh logoṅ semukhātib huā, “Āj āp ne apne āpko Rab ke lie waqf kar diyā hai. Abwuh kuchh Rab ke ghar ke pās leāeṅ jo āp zabah aur salāmatī kīqurbānī ke taur par pesh karnāchāhte haiṅ.” Tab log zabah aursalāmatī kī apnī qurbāniyāṅ le āe.Nīz, jis kā bhī dil chāhtā thā wuhbhasm hone wālī qurbāniyāṅ lāyā.32Is tarah bhasmhonewālī qurbānīke lie 70 bail, 100 menḍhe aur bheṛ

Page 507: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 29:33 501

ke 200 bachche jamā karke Rab kopesh kie gae. 33Un ke alāwā 600bail aur 3,000 bheṛ‐bakriyāṅ Rabke ghar ke lie makhsūs kī gaīṅ.34Lekin itne jānwaroṅ kī khāloṅko utārne ke lie imām kam the, islie Lāwiyoṅ ko un kī madad karnīpaṛī. Is kām ke ikhtitām tak balkijab tak mazīd imām khidmat ke lietaiyār aur pāk nahīṅ ho gae theLāwī madad karte rahe. Imāmoṅkī nisbat zyādā Lāwī pāk‐sāf ho gaethe, kyoṅki unhoṅ ne zyādā laganse apne āp ko Rab ke lie makhsūs‐o‐muqaddas kiyā thā. 35Bhasmhone wālī beshumār qurbāniyoṅke alāwā imāmoṅ ne salāmatī kīqurbāniyoṅ kī charbī bhī jalāī. Sāthsāth unhoṅ ne mai kī nazareṅ peshkīṅ.Yoṅ Rab ke ghar meṅ khidmat kā

nae sire se āġhāz huā. 36Hizqiyāhaur pūrī qaum ne khushī manāī kiAllāh ne yih sab kuchh itnī jaldī sehameṅ muhaiyā kiyā hai.

Fasah kī Īd ke lie Dāwat

30 Hizqiyāh ne Isrāīl aurYahūdāh kī har jagah apne

qāsidoṅ ko bhej kar logoṅ ko Rabke ghar meṅ āne kī dāwat dī,

kyoṅki wuh un ke sāth Rab Isrāīlke Khudā kī tāzīm meṅ Fasah kī Īdmanānā chāhtā thā. Us ne Ifrāīmaur Manassī ke qabīloṅ ko bhīdāwatanāme bheje. 2Bādshāh neapne afsaroṅ aur Yarūshalam kīpūrī jamāt ke sāth mil kar faislākiyā ki ham yih īd dūsre mahīnemeṅ manāeṅge. 3Ām taur par yihpahle mahīne meṅ manāī jātī thī,lekin us waqt tak khidmat ke lietaiyār imām kāfī nahīṅ the. Kyoṅkiab tak sab apne āp ko pāk‐sāf na karsake. Dūsrī bāt yih thī ki log itnījaldī se Yarūshalam meṅ jamā naho sake. 4In bātoṅ ke pesh‐e‐nazarbādshāh aur tamām hāzirīn is parmuttafiq hue ki Fasah kī Īdmultawīkī jāe. 5Unhoṅ ne faislā kiyā ki hamtamām Isrāīliyoṅ ko junūb meṅBair‐sabā se le kar shimāl meṅ Dāntak dāwat deṅge. Sab Yarūshalamāeṅ tāki ham mil kar Rab Isrāīl keKhudā kī tāzīm meṅ Fasah kī Īdmanāeṅ. Asal meṅ yih īd baṛī derse hidāyāt ke mutābiq nahīṅ manāīgaī thī.

6Bādshāh ke hukm par qāsidIsrāīl aur Yahūdāh meṅ se guzare.Har jagah unhoṅ ne logoṅ kobādshāh aur us ke afsaroṅ ke khatpahuṅchā die. Khat meṅ likhā thā,

Page 508: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

502 2 Tawārīkh 30:16

“Ai Isrāīliyo, Rab Ibrāhīm, Is’hāqaur Isrāīl ke Khudā ke pās wāpasāeṅ! Phirwuhbhī āp kepās joAsūrībādshāhoṅ ke hāth se bach niklehaiṅ wāpas āegā. 7Apne bāpdādāaur bhāiyoṅ kī tarah na baneṅ joRab apne bāpdādā ke Khudā sebewafā ho gae the. Yihī wajah haiki us ne unheṅ aisī hālatmeṅ chhoṛdiyā ki jis ne bhī unheṅ dekhā uske roṅgṭe khaṛe ho gae. Āp khudis ke gawāh haiṅ. 8Un kī tarahaṛe na raheṅ balki Rab ke tābe hojāeṅ. Us ke maqdis meṅ āeṅ, jous ne hameshā ke lie makhsūs‐o‐muqaddas kar diyā hai. Rab apneKhudā kī khidmat kareṅ tāki āpus ke sakht ġhazab kā nishānā naraheṅ. 9Agar āp Rab ke pās lauṭāeṅ to jinhoṅ ne āp ke bhāiyoṅ aurun ke bāl‐bachchoṅ ko qaid kar liyāhai wuh un par rahm karke unheṅis mulk meṅ wāpas āne deṅge.Kyoṅki Rab āp kā Khudā mehrbānaur rahīm hai. Agar āp us ke pāswāpas āeṅ to wuh apnāmuṅh āp senahīṅ pheregā.”

10Qāsid Ifrāīm aur Manassī kepūre qabāylī ilāqe meṅ se guzareaur har shahr ko yih paiġhāmpahuṅchāyā. Phir chalte chaltewuh Zabūlūn tak pahuṅch gae.

Lekin aksar log un kī bāt sunkar haṅs paṛe aur un kā mazāquṛāne lage. 11Sirf Āshar, Manassīaur Zabūlūn ke chand ek ādmīfarotanī kā izhār karkemān gae aurYarūshalam āe. 12Yahūdāh meṅAllāhne logoṅko tahrīk dī ki unhoṅne yakdilī se us hukmpar amal kiyājo bādshāh aur buzurgoṅ ne Rab kefarmān ke mutābiq diyā thā.

Hizqiyāh aur Qaum Fasahkī Īd Manāte Haiṅ

13Dūsre mahīne meṅ bahut zyādālog Bekhamīrī Roṭī kī Īd manāneke lie Yarūshalam pahuṅche.14Pahle unhoṅ ne shahr se butoṅkī tamām qurbāngāhoṅ ko dūrkar diyā. Bakhūr jalāne kī chhoṭīqurbāngāhoṅ ko bhī unhoṅ ne uṭhākar Wādī‐e‐Qidron meṅ phaiṅkdiyā. 15Dūsre mahīne ke 14weṅdin Fasah ke leloṅ ko zabah kiyāgayā. Imāmoṅ aur Lāwiyoṅ nesharmindā ho kar apne āp kokhidmat ke lie pāk‐sāf kar rakhāthā, aur ab unhoṅ ne bhasm honewālī qurbāniyoṅ ko Rab ke gharmeṅ pesh kiyā. 16Wuh khidmatke lie yoṅ khaṛe ho gae jis tarahmard‐e‐KhudāMūsā kī sharīatmeṅ

Page 509: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 30:17 503

farmāyā gayā hai. Lāwī qurbāniyoṅkā khūn imāmoṅ ke pās lāe jinhoṅne use qurbāngāh par chhiṛkā.

17Lekin hāzirīn meṅ se bahut‐selogoṅ ne apne āp ko sahīh taurpar pāk‐sāf nahīṅ kiyā thā. Un kelie Lāwiyoṅ ne Fasah ke leloṅ kozabah kiyā tāki un kī qurbāniyoṅko bhī Rab ke lie makhsūs kiyā jāsake. 18Khāskar Ifrāīm, Manassī,Zabūlūn aur Ishkār ke aksar logoṅne apne āp ko sahīh taur par pāk‐sāf nahīṅ kiyā thā. ChunāṅchewuhFasah ke khāne meṅ us hālat meṅsharīk na hue jis kā taqāzā sharīatkartī hai. Lekin Hizqiyāh ne unkī shafā’at karke duā kī, “Rab jomehrbān hai har ek ko muāf kare19jo pūre dil se Rab apne bāpdādāke Khudā kā tālib rahne kā irādārakhtā hai, khāh use maqdis ke liedarkār pākīzagī hāsil na bhī ho.”20Rab ne Hizqiyāh kī duā sun karlogoṅ ko bahāl kar diyā.

21Yarūshalam meṅ jamāshudāIsrāīliyoṅ ne baṛī khushī se sāt dintak Bekhamīrī Roṭī kī Īd manāī.Har din Lāwī aur imām apne sāzbajā kar buland āwāz se Rab kīsatāish karte rahe. 22Lāwiyoṅ neRab kī khidmat karte waqt baṛī

samajhdārī dikhāī, aur Hizqiyāhne is meṅ un kī hauslā‐afzāī kī.Pūre hafte ke daurān Isrāīlī Rab

ko salāmatī kī qurbāniyāṅ peshkarke qurbānī kā apnā hissā khāteaur Rab apne bāpdādā ke Khudā kītamjīd karte rahe.

23Is hafte ke bād pūrī jamāt nefaislā kiyā ki īd ko mazīd sāt dinmanāyā jāe. Chunāṅche unhoṅ nekhushī se ek aur hafte ke daurān īdmanāī. 24Tab Yahūdāh ke bādshāhHizqiyāh ne jamāt ke lie 1,000 bailaur 7,000 bheṛ‐bakriyāṅ pesh kīṅjabki buzurgoṅ ne jamāt ke lie1,000 bail aur 10,000 bheṛ‐bakriyāṅchaṛhāīṅ. Itne meṅ mazīd bahut‐se imāmoṅ ne apne āp ko Rabkī khidmat ke lie makhsūs‐o‐muqaddas kar liyā thā.

25Jitne bhī āe the khushī manārahe the, khāh wuh Yahūdāh kebāshinde the, khāh imām, Lāwī,Isrāīlī yā Isrāīl aur Yahūdāh meṅrahne wāle pardesī mehmān.26Yarūshalam meṅ baṛī shādmānīthī, kyoṅki aisī īd Dāūd Bādshāh kebeṭe Sulemān ke zamāne se le karuswaqt tak Yarūshalammeṅmanāīnahīṅ gaī thī.

27Īd ke ikhtitām par imāmoṅ aurLāwiyoṅ ne khaṛe ho kar qaum

Page 510: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

504 2 Tawārīkh 31:6

ko barkat dī. Aur Allāh ne unkī sunī, un kī duā āsmān parus kī muqaddas sukūnatgāh takpahuṅchī.

Pūre Yahūdāhmeṅ But‐parastī kā Khātmā

31 Īd ke bād jamāt ke tamāmIsrāīliyoṅ ne Yahūdāh ke

shahroṅ meṅ jā kar patthar kebutoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā,Yasīrat Dewī ke khamboṅ ko kāṭḍālā, ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ koḍhā diyā aur ġhalat qurbāngāhoṅko khatm kar diyā. Jab tak unhoṅne yih kām Yahūdāh, Binyamīn,Ifrāīm aur Manassī ke pūre ilāqoṅmeṅ takmīl tak nahīṅ pahuṅchāyāthā unhoṅ ne ārām na kiyā. Is kebād wuh sab apne apne shahroṅaur gharoṅ ko chale gae.

Rab ke Gharmeṅ Intazām kī Islāh2Hizqiyāh ne imāmoṅ aur Lāwiyoṅko dubārā khidmat ke waise hīgurohoṅ meṅ taqsīm kiyā jaisepahle the. Un kī zimmedāriyāṅbhasm hone wālī aur salāmatī kīqurbāniyāṅ chaṛhānā, Rab ke gharmeṅ mukhtalif qism kī khidmāt

anjām denā aur hamd‐o‐sanā ke gītgānā thīṅ.

3Jo jānwar bādshāh apnī milkiyatse Rab ke ghar ko detā rahā wuhbhasm hone wālī un qurbāniyoṅke lie muqarrar the jin ko Rabkī sharīat ke mutābiq har subah‐shām, Sabat kedin, NaeChāṅdkī Īdaur dīgar īdoṅ par Rab ke gharmeṅpesh kī jātī thīṅ.

4Hizqiyāh ne Yarūshalam kebāshindoṅ ko hukm diyā ki apnīmilkiyat meṅ se imāmoṅ aurLāwiyoṅ ko kuchh deṅ tāki wuhapnā waqt Rab kī sharīat kī takmīlke lie waqf kar sakeṅ. 5Bādshāh kāyih elān suntehī Isrāīlī farākhdilī seġhallā, angūr ke ras, zaitūn ke tel,shahd aur khetoṅ kī bāqī paidāwārkā pahlā phal Rab ke ghar meṅ lāe.Bahut kuchh ikaṭṭhā huā, kyoṅkilogoṅ ne apnī paidāwār kā pūrādaswāṅ hissā wahāṅ pahuṅchāyā.6Yahūdāh ke bāqī shahroṅ kebāshinde bhī sāth rahne wāleIsrāīliyoṅ samet apnī paidāwār kādaswāṅ hissā Rab ke ghar meṅ lāe.Jo bhī bail, bheṛ‐bakriyāṅ aur bāqīchīzeṅ unhoṅ ne Rab apne Khudāke lie waqf kī thīṅ wuh Rab ke gharmeṅ pahuṅchīṅ jahāṅ logoṅ neunheṅ baṛe ḍher lagā kar ikaṭṭhā

Page 511: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 31:7 505

kiyā. 7Chīzeṅ jamā karne kā yihsilsilā tīsre mahīne meṅ shurū huāaur sātweṅ mahīne meṅ ikhtitāmko pahuṅchā. 8Jab Hizqiyāh aurus ke afsaroṅ ne ā kar dekhā kikitnī chīzeṅ ikaṭṭhī ho gaī haiṅ tounhoṅ ne Rab aur us kī qaum Isrāīlko mubārak kahā.

9Jab Hizqiyāh ne imāmoṅ aurLāwiyoṅ se in ḍheroṅ ke bāre meṅpūchhā 10to Sadoq ke khāndān kāimām‐e‐āzam Azariyāh ne jawābdiyā, “Jab se log apne hadiye yahāṅle āte haiṅ us waqt se ham jī bharkar khā sakte haiṅ balki kāfī kuchhbach bhī jātā hai. Kyoṅki Rab neapnī qaum ko itnī barkat dī hai kiyih sab kuchh bāqī rah gayā hai.”

11Tab Hizqiyāh ne hukm diyā kiRab ke ghar meṅ godām banāejāeṅ. Jab aisā kiyā gayā 12torazākārānā hadiye, paidāwār kādaswāṅ hissā aur Rab ke liemakhsūs kie gae atiyāt un meṅrakhe gae. Kūnaniyāh Lāwī inchīzoṅ kā inchārj banā jabki uskā bhāī Simaī us kā madadgārmuqarrar huā. 13Imām‐e‐āzamAzariyāh Rab ke ghar ke pūreintazām kā inchārj thā, is lieHizqiyāh Bādshāh ne us ke sāthmil kar das nigarān muqarrar

kie jo Kūnaniyāh aur Simaī ketaht khidmat anjām deṅ. Un kenām Yihiyel, Azaziyāh, Nahat,Asāhel, Yarīmot, Yūzabad, Iliyel,Ismākiyāh, Mahat aur Bināyāh the.

14Jo Lāwī Mashriqī Darwāzekā darbān thā us kā nām Qorebin Yimnā thā. Ab use Rab korazākārānā taur par die gae hadiyeaur us ke lie makhsūs kie gaeatiye taqsīm karne kā nigarānbanāyā gayā. 15Adan, Minyamīn,Yashua, Samāyāh, Amariyāh aurSakaniyāh us ke madadgār the. Unkī zimmedārī Lāwiyoṅ ke shahroṅmeṅ rahne wāle imāmoṅ ko un kāhissā denā thī. Baṛī wafādārī sewuh khayāl rakhte the ki khidmatke mukhtalif gurohoṅ ke tamāmimāmoṅ ko wuh hissā mil jāe jo unkā haq bantā thā, khāh wuh baṛethe yā chhoṭe. 16Jo apne gurohke sāth Rab ke ghar meṅ khidmatkartā thā use us kā hissā barāh‐e‐rāstmiltā thā. Is silsilemeṅLāwī keqabīle ke jitne mardoṅ aur laṛkoṅkī umr tīn sāl yā is se zāyd thī unkī fahrist banāī gaī. 17In fahristoṅmeṅ imāmoṅ ko un ke kunboṅ kemutābiq darj kiyā gayā. Isī tarah20 sāl yā is se zāyd ke Lāwiyoṅko un zimmedāriyoṅ aur khidmat

Page 512: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

506 2 Tawārīkh 32:5

ke mutābiq jo wuh apne gurohoṅmeṅ saṅbhālte the fahristoṅ meṅdarj kiyā gayā. 18Khāndānoṅ kīaurateṅ aur beṭe‐beṭiyāṅ chhoṭebachchoṅ samet bhī in fahristoṅmeṅ darj thīṅ. Chūṅki un kemard wafādārī se Rab ke ghar meṅkhidmat karte the, is lie yih dīgarafrād bhī makhsūs‐o‐muqaddassamjhe jāte the. 19Jo imāmshahroṅse bāhar un charāgāhoṅ meṅ rahtethe jo unheṅ Hārūn kī aulād kīhaisiyat se milī thīṅ unheṅ bhīhissā miltā thā. Har shahr ke lieādmī chune gae jo imāmoṅ kekhāndānoṅ ke mardoṅ aur fahristmeṅ darj tamām Lāwiyoṅ ko wuhhissā diyā kareṅ jo un kā haq thā.

20Hizqiyāh Bādshāh ne hukmdiyā ki pūre Yahūdāh meṅ aisāhī kiyā jāe. Us kā kām Rab kenazdīk achchhā, munsifānā aurwafādārānā thā. 21Jo kuchh us neAllāh ke ghar meṅ intazām dubārāchalāne aur sharīat ko qāym karneke silsile meṅ kiyā us ke lie wuhpūre dil se apne Khudā kā tālibrahā. Natījemeṅ use kāmyābī hāsilhuī.

Asūrī YahūdāhmeṅGhus Āte Haiṅ

32 Hizqiyāh ne wafādārīse yih tamām mansūbe

takmīl tak pahuṅchāe. Phir ekdin Asūr kā bādshāh Sanherib apnīfauj ke sāth Yahūdāh meṅ ghus āyāaur qilāband shahroṅ kā muhāsarākarne lagā tāki un par qabzā kare.2Jab Hizqiyāh ko ittalā milī kiSanherib ā kar Yarūshalam parhamlā karne kī taiyāriyāṅ kar rahāhai 3to us ne apne sarkārī aur faujīafsaroṅ se mashwarā kiyā. Khayālyih pesh kiyā gayā ki YarūshalamShahr ke bāhar tamām chashmoṅko malbe se band kiyā jāe. Sabmuttafiq ho gae. 4Kyoṅki unhoṅ nekahā, “Asūr ke bādshāh ko yahāṅā kar kasrat kā pānī kyoṅ mile?”Bahut‐se ādmī jamāhue aurmil karchashmoṅ ko malbe se band kardiyā. Unhoṅ ne us zamīndoz nālekā muṅh bhī band kar diyā jis kezariye pānī shahr meṅ pahuṅchtāthā.

5Is ke alāwā Hizqiyāh ne baṛīmehnat se fasīl ke ṭūṭe‐phūṭehissoṅ kī marammat karwā karus par burj banwāe. Fasīl kebāhar us ne ek aur chārdīwārī

Page 513: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 32:6 507

tāmīr kī jabki Yarūshalam ke ushisse ke chabūtare mazīd mazbūtkarwāe jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātāhai. Sāth sāth us ne baṛī miqdārmeṅ hathiyār aur ḍhāleṅ banwāīṅ.6Hizqiyāh ne logoṅ par faujī afsarmuqarrar kie.Phir us ne sab ko darwāze ke sāth

wāle chauk par ikaṭṭhā karke un kīhauslā‐afzāī kī, 7“Mazbūt aur dilerhoṅ! Asūr ke bādshāh aur us kī baṛīfauj ko dekh kar mat ḍareṅ, kyoṅkijo tāqat hamāre sāth hai wuh usehāsil nahīṅ hai. 8Asūr ke bādshāhke lie sirf khākī ādmī laṛ rahe haiṅjabki Rab hamārā Khudā hamāresāth hai. Wuhī hamārī madadkarke hamāre lie laṛegā!” HizqiyāhBādshāh ke in alfāz se logoṅ kī baṛīhauslā‐afzāī huī.

Asūrī Yarūshalam kāMuhāsarāKarte Haiṅ

9Jab Asūr kā bādshāh Sanheribapnī pūrī fauj ke sāth Lakīs kāmuhāsarā kar rahā thā to us newahāṅ se Yarūshalam ko wafdbhejā tāki Yahūdāh ke bādshāhHizqiyāh aur Yahūdāh ke tamāmbāshindoṅ ko paiġhāmpahuṅchāe,

10“Shāh‐e‐Asūr Sanherib farmātehaiṅ, tumhārā bharosā kis chīzpar hai ki tum muhāsare ke waqtYarūshalam ko chhoṛnā nahīṅchāhte? 11Jab Hizqiyāh kahtāhai, ‘Rab hamārā Khudā hameṅAsūr ke bādshāh se bachāegā’ towuh tumheṅ ġhalat rāh par lārahā hai. Is kā sirf yih natījāniklegā ki tumbhūke aur pyāsemarjāoge. 12Hizqiyāh ne to is Khudākī behurmatī kī hai. Kyoṅki us neus kī ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅaur qurbāngāhoṅ ko ḍhā karYahūdāh aur Yarūshalam se kahāhai ki ek hī qurbāngāh ke sāmneparastish kareṅ, ek hī qurbāngāhpar qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ. 13Kyātumheṅ ilm nahīṅ ki maiṅ aurmere bāpdādā ne dīgar mamālikkī tamām qaumoṅ ke sāth kyākuchh kiyā? Kyā in qaumoṅ kedewatā apne mulkoṅ ko mujh sebachāne ke qābil rahe haiṅ? Hargiznahīṅ! 14Mere bāpdādā ne in sabko tabāh kar diyā, aur koī bhīdewatā apnī qaum ko mujh sebachā na sakā. To phir tumhārādewatā tumheṅ kis tarah mujh sebachāegā? 15Hizqiyāh se fareb nakhāo! Wuh is tarah tumheṅ ġhalatrāh par na lāe. Us kī bāt par etamād

Page 514: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

508 2 Tawārīkh 32:24

mat karnā, kyoṅki ab tak kisī bhīqaum yā saltanat kā dewatā apnīqaum ko mere yā mere bāpdādā keqabze se chhuṭkārā na dilā sakā. Tophir tumhārā dewatā tumheṅmereqabze se kis tarah bachāegā?”

16Aisī bāteṅ karte karte Sanheribke afsar Rab Isrāīl ke Khudā aur uske khādim Hizqiyāh par kufr baktegae.

17Asūr ke bādshāh ne wafd kehāth khat bhī bhejā jis meṅ us neRab Isrāīl ke Khudā kī ihānat kī.Khat meṅ likhā thā, “Jis tarah dīgarmamālik ke dewatā apnī qaumoṅko mujh se mahfūz na rakh sakeusī tarah Hizqiyāh kā dewatā bhīapnī qaum ko mere qabze se nahīṅbachāegā.”

18Asūrī afsaroṅ ne buland āwāzse Ibrānī zabān meṅ bādshāhkā paiġhām fasīl par khaṛeYarūshalam ke bāshindoṅ takpahuṅchāyā tāki un meṅ khauf‐o‐hirās phail jāe aur yoṅ shahrpar qabzā karne meṅ āsānī hojāe. 19In afsaroṅ ne Yarūshalamke Khudā kā yoṅ tamaskhur uṛāyājaisā wuh duniyā kī dīgar qaumoṅke dewatāoṅ kā uṛāyā karte the,hālāṅki dīgar mābūd sirf insānīhāthoṅ kī paidāwār the.

Rab Sanherib ko Sazā Detā Hai20Phir Hizqiyāh Bādshāh aur Āmūske beṭe Yasāyāh Nabī ne chillātehue āsmān par takhtnashīn Khudāse iltamās kī. 21Jawāb meṅ Rabne Asūriyoṅ kī lashkargāh meṅek farishtā bhejā jis ne tamāmbehtarīn faujiyoṅ ko afsaroṅ aurkamānḍaroṅ samet maut ke ghāṭutār diyā. Chunāṅche Sanheribsharmindā ho kar apne mulk lauṭgayā. Wahāṅ ek din jab wuh apnedewatā ke mandir meṅ dākhil huāto us ke kuchh beṭoṅ ne use talwārse qatl kar diyā.

22Is tarah Rab ne Hizqiyāh aurYarūshalam ke bāshindoṅ ko Shāh‐e‐Asūr Sanherib se chhuṭkārādilāyā. Us ne unheṅ dūsrī qaumoṅke hamloṅ se bhī mahfūz rakhā,aur chāroṅ taraf amn‐o‐amān phailgayā. 23Beshumār log Yarūshalamāe tāki Rab ko qurbāniyāṅ peshkareṅ aur Hizqiyāh Bādshāh koqīmtī tohfe deṅ. Us waqt se tamāmqaumeṅ us kā baṛā ehtirām karnelagīṅ.

Hizqiyāh ke Ākhirī Sāl24Un dinoṅ meṅ Hizqiyāh itnābīmār huā ki marne kī naubat

Page 515: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 32:25 509

ā pahuṅchī. Tab us ne Rab seduā kī, aur Rab ne us kī sun karek ilāhī nishān se is kī tasdīq kī.25Lekin Hizqiyāh maġhrūr huā,aur us ne is mehrbānī kā munāsibjawāb na diyā. Natīje meṅ Rab usse aur Yahūdāh aur Yarūshalamse nārāz huā. 26Phir Hizqiyāhaur Yarūshalam ke bāshindoṅ nepachhtā kar apnā ġhurūr chhoṛdiyā, is lie Rab kā ġhazab Hizqiyāhke jīte‐jī un par nāzil na huā.

27Hizqiyāh ko bahut daulat aurizzat hāsil huī, aur us ne apnī sone‐chāṅdī, jawāhar, balsān ke qīmtītel, ḍhāloṅ aur bāqī qīmtī chīzoṅke lie khās khazāne banwāe. 28Usne ġhallā, angūr kā ras aur zaitūnkā tel mahfūz rakhne ke lie godāmtāmīr kie aur apne gāy‐bailoṅ aurbheṛ‐bakriyoṅ ko rakhne kī bahut‐sī jagheṅ bhī banwā līṅ. 29Us kegāy‐bailoṅ aur bheṛ‐bakriyoṅ meṅizāfā hotā gayā, aur us ne kaī naeshahroṅ kī buniyād rakhī, kyoṅkiAllāh ne use nihāyat hī amīr banādiyā thā. 30Hizqiyāh hī ne JaihūnChashme kā muṅh band karke uskā pānī surang ke zariyemaġhrib kītaraf Yarūshalam ke us hisse meṅpahuṅchāyā jo ‘Dāūd kā Shahr’kahlātā hai. Jo bhī kām us ne shurū

kiyā us meṅ wuh kāmyāb rahā.31Ek din Bābal ke hukmrānoṅ neus ke pās wafd bhejā tāki us ilāhīnishān ke bāre meṅ mālūmāt hāsilkareṅ jo Yahūdāh meṅ huā thā. Uswaqt Allāh ne use akelā chhoṛ diyātāki us ke dil kī haqīqī hālat jāṅchle.

32Bāqī jo kuchh Hizqiyāh kīhukūmat ke daurān huā aur jonek kām us ne kiyā wuh ‘Āmūske Beṭe Yasāyāh Nabī kī Royā’meṅ qalamband hai jo ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh‐o‐Isrāīl’ kī kitāb meṅdarj hai. 33Jab wuh mar kar apnebāpdādā se jā milā to use shāhīqabristān kī ek ūṅchī jagah pardafnāyā gayā. Jab janāzā niklāto Yahūdāh aur Yarūshalam ketamāmbāshindoṅ ne us kā ehtirāmkiyā. Phir us kā beṭā Manassītakhtnashīn huā.

Yahūdāh kā BādshāhManassī

33 Manassī 12 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā, aur

Yarūshalam meṅ us kī hukūmatkā daurāniyā 55 sāl thā. 2Manassīkā chāl‐chalan Rab ko nāpasandthā. Us ne un qaumoṅ ke qābil‐e‐ghin rasm‐o‐riwāj apnā lie jinheṅ

Page 516: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

510 2 Tawārīkh 33:12

Rab ne Isrāīliyoṅ ke āge se nikāldiyā thā. 3Ūṅchī jaghoṅ ke jinmandiroṅ ko us ke bāpHizqiyāh neḍhādiyā thāunheṅusnenae sire setāmīr kiyā. Us ne Bāl dewatāoṅ kīqurbāngāheṅ banwāīṅ aur YasīratDewī ke khambe khaṛe kie. Inke alāwā wuh sūraj, chāṅd balkiāsmān ke pūre lashkar ko sijdākarke un kī khidmat kartā thā.4Us ne Rab ke ghar meṅ bhī apnīqurbāngāheṅ khaṛī kīṅ, hālāṅkiRab ne is maqām ke bāre meṅfarmāyā thā, “Yarūshalam meṅmerā nām abad tak qāym rahegā.”5Lekin Manassī ne parwā na kībalki Rab ke ghar ke donoṅ sahnoṅmeṅ āsmān ke pūre lashkar ke liequrbāngāheṅ banwāīṅ. 6Yahāṅtak ki us ne Wādī‐e‐Bin‐hinnūmmeṅ apne beṭoṅ ko bhī qurbānkarke jalā diyā. Jādūgarī, ġhaibdānīaur afsūṅgarī karne ke alāwāwuh murdoṅ kī rūhoṅ se rābitākarne wāloṅ aur rammāloṅ se bhīmashwarā kartā thā.Ġharz us ne bahut kuchh kiyā jo

Rab ko nāpasand thā aur use taishdilāyā. 7Dewī kā but banwā kar usne use Allāh ke ghar meṅ khaṛākiyā, hālāṅki Rab neDāūd aur us kebeṭe Sulemān se kahā thā, “Is ghar

aur is shahr Yarūshalam meṅ jomaiṅ ne tamām Isrāīlī qabīloṅmeṅse chun liyā hai maiṅ apnā nāmabad tak qāym rakhūṅgā. 8AgarIsrāīlī ehtiyāt se mere un tamāmahkāmaur hidāyāt kī pairawī kareṅjo Mūsā ne sharīat meṅ unheṅdie to maiṅ kabhī nahīṅ honedūṅgā ki Isrāīliyoṅ ko us mulk sejilāwatan kar diyā jāe jo maiṅ neun ke bāpdādā ko atā kiyā thā.”9Lekin Manassī ne Yahūdāh aurYarūshalam ke bāshindoṅ ko aiseġhalat kām karne par uksāyā jo unqaumoṅ se bhī sarzad nahīṅ huethe jinheṅ Rab nemulkmeṅ dākhilhote waqt un ke āge se tabāh kardiyā thā.

10Go Rab ne Manassī aur apnīqaum ko samjhāyā, lekin unhoṅne parwā na kī. 11Tab Rab neAsūrī bādshāh ke kamānḍaroṅ koYahūdāh par hamlā karne diyā.Unhoṅ ne Manassī ko pakaṛ kar uskī nāk meṅ nakel ḍālī aur use pītalkī zanjīroṅ meṅ jakaṛ kar Bābal legae. 12Jab wuh yoṅ musībat meṅphaṅs gayā to Manassī Rab apneKhudā kā ġhazab ṭhanḍā karne kīkoshish karne lagā aur apne āp koapne bāpdādā ke Khudā ke huzūrpast kar diyā.

Page 517: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 33:13 511

13Aur Rab ne us kī iltamās pardhyān de kar us kī sunī. UseYarūshalamwāpas lā kar us ne us kīhukūmat bahāl kar dī. TabManassīne jān liyā ki Rab hī Khudā hai.

14Is ke bād us ne ‘Dāūd keshahr’ kī bairūnī fasīl nae sire sebanwāī. Yih fasīl Jaihūn Chashmeke maġhrib se shurū huī aur Wādī‐e‐Qidronmeṅ se guzar karMachhlīke Darwāze tak pahuṅch gaī. Isdīwār ne Rab ke ghar kī pūrī pahāṛībanām Ofal kā ihātā kar liyā aurbahut buland thī. Is ke alāwābādshāh ne Yahūdāh ke tamāmqilāband shahroṅ par faujī afsarmuqarrar kie. 15Us ne ajnabīmābūdoṅ ko but samet Rab keghar se nikāl diyā. Jo qurbāngāheṅus ne Rab ke ghar kī pahāṛī aurbāqī Yarūshalam meṅ khaṛī kī thīṅunheṅ bhī us ne ḍhā kar shahrse bāhar phaiṅk diyā. 16Phir usne Rab kī qurbāngāh ko nae sirese tāmīr karke us par salāmatīaur shukrguzārī kī qurbāniyāṅchaṛhāīṅ. Sāth sāth us ne Yahūdāhke bāshindoṅ se kahā ki Rab Isrāīlke Khudā kī khidmat kareṅ. 17Golog is ke bād bhī ūṅchī jaghoṅ parapnī qurbāniyāṅ pesh karte the,

lekin ab sewuh inheṅ sirf Rab apneKhudā ko pesh karte the.

18Bāqī jo kuchh Manassī kīhukūmat ke daurān huā wuh‘Shāhān‐e‐Isrāīl kī Tārīkh’ kī kitābmeṅ darj hai. Wahāṅ us kī apneKhudā se duā bhī bayān kī gaī haiaur wuh bāteṅ bhī jo ġhaibbīnoṅne Rab Isrāīl ke Khudā ke nāmmeṅ use batāī thīṅ. 19Ġhaibbīnoṅkī kitāb meṅ bhī Manassī kī duābayān kī gaī hai aur yih ki Allāhne kis tarah us kī sunī. Wahāṅ uske tamām gunāhoṅ aur bewafāī kāzikr hai, nīz un ūṅchī jaghoṅ kīfahrist darj hai jahāṅ us ne Allāh ketābe ho jāne se pahle mandir banākar Yasīrat Dewī ke khambe aur butkhaṛe kie the. 20Jab Manassī markar apne bāpdādā se jā milā to useus ke mahal meṅ dafn kiyā gayā.Phir us kā beṭā Amūn takhtnashīnhuā.

Yahūdāh kā Bādshāh Amūn21Amūn 22 sāl kī umrmeṅ bādshāhbanā aur do sāl tak Yarūshalammeṅ hukūmat kartā rahā. 22Apnebāp Manassī kī tarah wuh aisāġhalat kām kartā rahā jo Rab konāpasand thā. Jo but us ke bāp

Page 518: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

512 2 Tawārīkh 34:6‐7

ne banwāe the unhīṅ kī pūjā wuhkartā aur unhīṅ ko qurbāniyāṅpesh kartā thā. 23Lekin us meṅ aurManassī meṅ yih farq thā ki beṭene apne āp ko Rab ke sāmne pastna kiyā balki us kā qusūr mazīdsangīn hotā gayā. 24Ek din Amūnke kuchh afsaroṅ ne us ke khilāfsāzish karke use mahal meṅ qatlkar diyā. 25Lekin ummat ne tamāmsāzish karne wāloṅ komār ḍālā aurAmūn kī jagah us ke beṭe Yūsiyāhko bādshāh banā diyā.

Yūsiyāh Bādshāh Butparastīkī Mukhālafat Kartā Hai

34 Yūsiyāh 8 sāl kī umrmeṅ bādshāh banā, aur

Yarūshalam meṅ rah kar us kīhukūmat kā daurāniyā 31 sāl thā.2Yūsiyāh wuh kuchh kartā rahājo Rab ko pasand thā. Wuh apnebāp Dāūd ke achchhe namūne parchaltā rahā aur us se na dāīṅ, nabāīṅ taraf haṭā.

3Apnī hukūmat ke āṭhweṅ sālmeṅ wuh apne bāp Dāūd keKhudā kī marzī talāsh karne lagā,go us waqt wuh jawān hī thā.Apnī hukūmat ke 12weṅ sāl meṅwuh ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ,

Yasīrat Dewī ke khamboṅ aurtamām tarāshe aur ḍhāle huebutoṅ ko pūre mulk se dūr karnelagā. Yoṅ tamām Yarūshalam aurYahūdāh in chīzoṅ se pāk‐sāf hogayā. 4Bādshāh ke zer‐e‐nigarānīBāl dewatāoṅ kī qurbāngāhoṅko ḍhā diyā gayā. Bakhūr kī joqurbāngāheṅ un ke ūpar thīṅunheṅ us ne ṭukṛe ṭukṛe kardiyā. Yasīrat Dewī ke khamboṅaur tarāshe aur ḍhāle hue butoṅko zamīn par paṭakh kar us neunheṅ pīs kar un kī qabroṅpar bikher diyā jinhoṅ ne jīte‐jīun ko qurbāniyāṅ pesh kī thīṅ.5Butparast pujāriyoṅ kī haḍḍiyoṅko un kī apnī qurbāngāhoṅ parjalāyā gayā. Is tarah se Yūsiyāhne Yarūshalam aur Yahūdāh kopāk‐sāf kar diyā. 6‐7Yih us nena sirf Yahūdāh balki Manassī,Ifrāīm, Shamāūn aur Naftālītak ke shahroṅ meṅ irdgird kekhanḍarāt samet bhī kiyā. Us nequrbāngāhoṅ ko girā kar YasīratDewī ke khamboṅ aur butoṅ koṭukṛe ṭukṛe karke chaknāchūr kardiyā. Tamām Isrāīl kī bakhūr kīqurbāngāhoṅ ko us ne ḍhā diyā.Is ke bād wuh Yarūshalam wāpaschalā gayā.

Page 519: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 34:8 513

Rab ke Ghar kī Marammat8Apnī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅYūsiyāh ne Sāfan bin Asaliyāh,Yarūshalam par muqarrar afsarMāsiyāh aur bādshāh ke mushīr‐e‐khās Yuākh bin Yuākhaz ko Rabapne Khudā ke ghar ke pās bhejātāki us kī marammat karwāeṅ.Us waqt mulk aur Rab ke gharko pāk‐sāf karne kī muhimm jārīthī. 9Imām‐e‐āzam Khilqiyāh kepās jā kar unhoṅ ne use wuhpaise die jo Lāwī ke darbānoṅ neRab ke ghar meṅ jamā kie the.Yih hadiye Manassī aur Ifrāīm kebāshindoṅ, Isrāīl ke tamām bachehue logoṅ aur Yahūdāh, Binyamīnaur Yarūshalam ke rahne wāloṅ kītaraf se pesh kie gae the.

10Ab yih paise un ṭhekedāroṅke hawāle kar die gae jo Rab keghar kī marammat karwā rahethe. In paisoṅ se ṭhekedāroṅne un kārīgaroṅ kī ujrat adā kījo Rab ke ghar kī marammatkarke use mazbūt kar rahe the.11Kārīgaroṅ aur tāmīr karne wāloṅne in paisoṅ se tarāshe huepatthar aur shahtīroṅ kī lakaṛī bhīkharīdī. Imāratoṅ meṅ shahtīroṅko badalne kī zarūrat thī, kyoṅki

Yahūdāh ke bādshāhoṅ ne un pardhyān nahīṅ diyā thā, lihāzā wuhgal gae the. 12In ādmiyoṅ newafādārī se khidmat saranjām dī.Chār Lāwī in kī nigarānī karte thejin meṅ Yahat aur Abadiyāh Mirārīke khāndān ke the jabki Zakariyāhaur Masullām Qihāt ke khāndānke the. Jitne Lāwī sāz bajānemeṅ māhir the 13wuh mazdūroṅaur tamām dīgar kārīgaroṅ parmuqarrar the. Kuchh aur Lāwīmunshī, nigarān aur darbān the.

Rab ke Gharmeṅ Sharīatkī KitābMil Jātī Hai

14Jab wuh paise bāhar lāe gae joRab ke ghar meṅ jamā hue the toKhilqiyāh ko sharīat kī wuh kitābmilī jo Rab ne Mūsā kī mārifatdī thī. 15Use mīrmunshī Sāfanko de kar us ne kahā, “MujheRab ke ghar meṅ Sharīat kī Kitābmilī hai.” 16Tab Sāfan kitāb kole kar bādshāh ke pās gayā auruse ittalā dī, “Jo bhī zimmedārīāp ke mulāzimoṅ ko dī gaī unheṅwuh achchhī tarah pūrā kar rahehaiṅ. 17Unhoṅ ne Rab ke gharmeṅ jamāshudā paise marammatpar muqarrar ṭhekedāroṅ aur bāqī

Page 520: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

514 2 Tawārīkh 34:28

kām karne wāloṅ ko de die haiṅ.”18Phir Sāfan ne bādshāh ko batāyā,“Khilqiyāh ne mujhe ek kitāb dīhai.” Kitāb ko khol kar wuhbādshāh kī maujūdagī meṅ us kītilāwat karne lagā.

19Kitāb kī bāteṅ sun kar bādshāhne ranjīdā ho kar apne kapṛe phāṛlie. 20Us ne Khilqiyāh, Akhīqāmbin Sāfan, Abdon bin Mīkāh,mīrmunshī Sāfan aur apne khāskhādim Asāyāh ko bulā kar unheṅhukm diyā, 21“Jā kar merī aur Isrāīlaur Yahūdāh ke bache hue afrādkī khātir Rab se is kitāb meṅ darjbātoṅ ke bāre meṅ dariyāft kareṅ.Rab kā jo ġhazab ham par nāzilhone wālā hai wuh nihāyat sakhthai, kyoṅki hamāre bāpdādā naRab ke farmān ke tābe rahe, na unhidāyāt ke mutābiq zindagī guzārīhai jo kitāb meṅ darj kī gaī haiṅ.”

22Chunāṅche Khilqiyāh Bādshāhke bheje hue chand ādmiyoṅ kesāth Khuldā Nabiyā ko milne gayā.Khuldā kā shauhar Sallūm bintoqahat bin khasrā Rab ke gharke kapṛe saṅbhāltā thā. WuhYarūshalam ke nae ilāqemeṅ rahtethe. 23‐24Khuldā ne unheṅ jawābdiyā,

“Rab Isrāīl kā Khudā farmātā haiki jis ādmī ne tumheṅ bhejā haiuse batā denā, ‘Rab farmātā hai kimaiṅ is shahr aur is ke bāshindoṅpar āfat nāzil karūṅga. Wuh tamāmlānateṅ pūrī ho jāeṅgī jo bādshāhke huzūr paṛhī gaī kitābmeṅ bayānkī gaī haiṅ. 25Kyoṅki merī qaum nemujhe tark karke dīgar mābūdoṅko qurbāniyāṅ pesh kī haiṅ aurapne hāthoṅ se but banā karmujhetaish dilāyā hai. Merā ġhazabis maqām par nāzil ho jāegā aurkabhī khatm nahīṅ hogā.’ 26LekinYahūdāh ke bādshāh ke pās jāeṅjis ne āp ko Rab se dariyāft karneke lie bhejā hai aur use batā deṅki Rab Isrāīl kā Khudā farmātā hai,‘Merī bāteṅ sun kar 27terā dil narmho gayā hai. Jab tujhe patā chalāki maiṅ ne is maqām aur is kebāshindoṅ ke khilāf bāt kī hai totū ne apne āp ko Allāh ke sāmnepast kar diyā. Tū ne baṛī inkisārīse ranjīdā ho kar apne kapṛe phāṛlie aur mere huzūr phūṭ phūṭ karroyā. Rab farmātā hai ki yih dekhkar maiṅ ne terī sunī hai. 28Jabtū mere kahne par mar kar apnebāpdādā se jā milegā to salāmatī sedafn hogā. Jo āfat maiṅ shahr aur

Page 521: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 34:29 515

us ke bāshindoṅ par nāzil karūṅgawuh tū khud nahīṅ dekhegā.’”Afsar bādshāh ke pās wāpas gae

aur use Khuldā kā jawāb sunā diyā.

Yūsiyāh Rab se Ahd Bāndhtā Hai29Tab bādshāh Yahūdāh aurYarūshalamke tamāmbuzurgoṅ kobulā kar 30Rab ke ghar meṅ gayā.Sab log chhoṭe se le kar baṛe tak uske sāth gae yānī Yahūdāh ke ādmī,Yarūshalamke bāshinde, imāmaurLāwī. Wahāṅ pahuṅch kar jamātke sāmne ahd kī us pūrī kitāb kītilāwat kī gaī jo Rab ke ghar meṅmilī thī.

31Phir bādshāh ne apne satūn kepās khaṛe ho kar Rab ke huzūr ahdbāndhā aur wādā kiyā, “Ham Rabkī pairawī kareṅge, ham pūre dil‐o‐jān se us ke ahkām aur hidāyātpūrī karke is kitāb meṅ darj ahd kībāteṅ qāym rakheṅge.” 32Yūsiyāhne mutālabā kiyā ki Yarūshalamaur Yahūdāh ke tamām bāshindeahd meṅ sharīk ho jāeṅ. Us waqtse Yarūshalam ke bāshinde apnebāpdādā ke Khudā ke ahd ke sāthlipṭe rahe.

33Yūsiyāh ne Isrāīl ke pūre mulkse tamām ghinaune butoṅ ko

dūr kar diyā. Isrāīl ke tamāmbāshindoṅ ko us ne tākīd kī, “Rabapne Khudā kī khidmat kareṅ.”Chunāṅche Yūsiyāh ke jīte‐jī wuhRab apne bāpdādā kī rāh se dūr nahue.

Yūsiyāh Fasah kī Īd Manātā Hai

35 Phir Yūsiyāh ne Rab kītāzīm meṅ Fasah kī Īd

manāī. Pahle mahīne ke 14weṅdin Fasah kā lelā zabah kiyā gayā.2Bādshāh ne imāmoṅ ko kāmpar lagā kar un kī hauslā‐afzāīkī ki wuh Rab ke ghar meṅ apnīkhidmat achchhī tarah anjām deṅ.3Lāwiyoṅ ko tamām Isrāīliyoṅ kosharīat kī tālīm dene kī zimmedārīdī gaī thī, aur sāth sāth unheṅ Rabkī khidmat ke liemakhsūs kiyā gayāthā. Un se Yūsiyāh ne kahā,“Muqaddas sandūq ko us imārat

meṅ rakheṅ jo Isrāīl ke bādshāhDāūd ke beṭe Sulemān ne tāmīrkiyā. Use apne kandhoṅ par uṭhākar idhar‐udhar le jāne kī zarūratnahīṅ hai balki ab se apnā waqtRab apne Khudā aur us kī qaumIsrāīl kī khidmat meṅ sarf kareṅ.4Un khāndānī gurohoṅ ke mutābiqkhidmat ke lie taiyār raheṅ jin kī

Page 522: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

516 2 Tawārīkh 35:14

tartīb Dāūd Bādshāh aur us ke beṭeSulemān ne likh kar muqarrar kīthī. 5Phir maqdis meṅ us jagahkhaṛe ho jāeṅ jo āp ke khāndānīguroh ke lie muqarrar hai aurun khāndānoṅ kī madad kareṅ joqurbāniyāṅ chaṛhāne ke lie ātehaiṅ aur jin kī khidmat karne kīzimmedārī āp ko dī gaī hai. 6Apneāp ko khidmat ke lie makhsūskareṅ aur Fasah ke lele zabah karkeapne hamwatanoṅ ke lie is tarahtaiyār kareṅ jis tarah Rab ne Mūsākī mārifat hukm diyā thā.”

7Īd kī khushī meṅ Yūsiyāh ne īdmanāne wāloṅ ko apnī milkiyatmeṅ se 30,000 bheṛ‐bakriyoṅ kebachche die. Yih jānwar Fasah kīqurbānī ke taur par chaṛhāe gaejabki bādshāh kī taraf se 3,000 baildīgar qurbāniyoṅ ke lie istemālhue. 8Is ke alāwā bādshāh keafsaroṅ ne bhī apnī khushī seqaum, imāmoṅ aur Lāwiyoṅ kojānwar die. Allāh ke ghar ke sabse ālā afsaroṅ Khilqiyāh, Zakariyāhaur Yihiyel ne dīgar imāmoṅ koFasah kī qurbānī ke lie 2,600bheṛ‐bakriyoṅ ke bachche die, nīz300 bail. 9Isī tarah Lāwiyoṅ kerāhnumāoṅ ne dīgar Lāwiyoṅ koFasah kī qurbānī ke lie 5,000 bheṛ‐

bakriyoṅ ke bachche die, nīz 500bail. Un meṅ se tīn bhāī banāmKūnaniyāh, Samāyāh aur Nataniyelthe jabki dūsroṅ ke nām Hasbiyāh,Ya’iyel aur Yūzabad the. 10Jab harek khidmat ke lie taiyār thā toimām apnī apnī jagah par aur Lāwīapne apne gurohoṅ ke mutābiqkhaṛe ho gae jis tarah bādshāhne hidāyat dī thī. 11Lāwiyoṅ neFasah ke leloṅ ko zabah karke unkī khāleṅ utārīṅ jabki imāmoṅ neLāwiyoṅ se jānwaroṅkā khūn le karqurbāngāh par chhiṛkā. 12Jo kuchhbhasm hone wālī qurbāniyoṅ kelie muqarrar thā use qaum kemukhtalif khāndānoṅ ke lie ektaraf rakh diyā gayā tāki wuh usebād meṅ Rab ko qurbānī ke taurpar pesh kar sakeṅ, jis tarah Mūsākī sharīat meṅ likhā hai. Bailoṅ kesāth bhī aisā hī kiyā gayā. 13Fasahke leloṅ ko hidāyāt ke mutābiq āgpar bhūnā gayā jabki bāqī goshtko mukhtalif qism kī degoṅ meṅubālā gayā. Jyoṅ hī gosht pak gayāto Lāwiyoṅ ne use jaldī se hāzirīnmeṅ taqsīmkiyā. 14Is ke bād unhoṅne apne aur imāmoṅ ke lie Fasahke lele taiyār kie, kyoṅki Hārūn kīaulād yānī imām bhasm hone wālī

Page 523: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 35:15 517

qurbāniyoṅ aur charbī ko chaṛhānemeṅ rāt tak masrūf rahe.

15Īd ke pūre daurān Āsaf kekhāndān ke gulūkār apnī apnījagah par khaṛe rahe, jis tarahDāūd, Āsaf, Haimān aur bādshāhke ġhaibbīn Yadūtūn ne hidāyatdī thī. Darbān bhī Rab ke ghar kedarwāzoṅ parmusalsal khaṛe rahe.Unheṅ apnī jaghoṅ ko chhoṛne kīzarūrat bhī nahīṅ thī, kyoṅki bāqīLāwiyoṅ ne un ke lie bhī Fasah kelele taiyār kar rakhe. 16Yoṅ us dinYūsiyāh ke hukm par qurbāniyoṅke pūre intazām ko tartīb diyā gayātāki āindā Fasah kī Īdmanāī jāe aurbhasm hone wālī qurbāniyāṅ Rabkī qurbāngāh par pesh kī jāeṅ.

17Yarūshalam meṅ jamā hueIsrāīliyoṅ ne Fasah kī Īd aurBekhamīrī Roṭī kī Īd ek hafte kedaurān manāī. 18Fasah kī Īd Isrāīlmeṅ Samuel Nabī ke zamāne sele kar us waqt tak is tarah nahīṅmanāī gaī thī. Isrāīl ke kisī bhībādshāh ne use yoṅ nahīṅ manāyāthā jis tarah Yūsiyāh ne use us waqtimāmoṅ, Lāwiyoṅ, Yarūshalam aurtamām Yahūdāh aur Isrāīl se āehue logoṅ ke sāth mil kar manāī.19Yūsiyāh Bādshāh kī hukūmat ke

18weṅ sāl meṅ pahlī dafā Rab kītāzīm meṅ aisī īd manāī gaī.

Yūsiyāh kī Maut20Rab ke ghar kī bahālī kī takmīlke bād ek din Misr kā bādshāhNikoh Dariyā‐e‐Furāt par ke shahrKarkimīs ke lie rawānā huā tākiwahāṅ dushman se laṛe. Lekinrāste meṅ Yūsiyāh us kā muqābalākarne ke lie niklā. 21Nikoh ne apneqāsidoṅ ko Yūsiyāh ke pās bhejkar use ittalā dī, “Ai Yahūdāh kebādshāh, merā āp se kyā wāstā?Is waqt maiṅ āp par hamlā karneke lie nahīṅ niklā balki us shāhīkhāndān par jis ke sāth merājhagaṛā hai. Allāhne farmāyāhai kimaiṅ jaldī karūṅ. Wuh tomere sāthhai. Chunāṅche us kā muqābalākarne se bāz āeṅ, warnā wuh āp kohalāk kar degā.”

22Lekin Yūsiyāh bāz na āyā balkilaṛne ke lie taiyār huā. Us neNikoh kī bāt na mānī go Allāh neuse us kī mārifat āgāh kiyā thā.Chunāṅche wuh bhes badal karFiraun se laṛne ke lie Majiddo kemaidān meṅ pahuṅchā. 23Jab laṛāīchhiṛ gaī to Yūsiyāh tīroṅ se zakhmīhuā, aur us ne apne mulāzimoṅ ko

Page 524: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

518 2 Tawārīkh 36:8

hukm diyā, “Mujhe yahāṅ se le jāo,kyoṅki maiṅ sakht zakhmī ho gayāhūṅ.” 24Logoṅ ne use us ke apnerath par se uṭhā kar us ke ek aurrath meṅ rakhā jo use Yarūshalamle gayā. Lekin us ne wafāt pāī,aur use apne bāpdādā ke khāndānīqabristānmeṅ dafn kiyā gayā. PūreYahūdāh aur Yarūshalam ne us kāmātam kiyā.

25Yarmiyāh ne Yūsiyāh kī yādmeṅ mātamī gīt likhe, aur āj takgīt gāne wāle mard‐o‐khawātīnYūsiyāh kī yādmeṅmātamī gīt gātehaiṅ, yih pakkā dastūr ban gayāhai. Yih gīt ‘Nohā kī Kitāb’ meṅdarj haiṅ.

26‐27Bāqī jo kuchh shurū se lekar ākhir tak Yūsiyāh kī hukūmatke daurān huā wuh ‘Shāhān‐e‐Yahūdāh‐o‐Isrāīl’ kī kitāb meṅbayān kiyā gayā hai. Wahāṅ us kenek kāmoṅ kā zikr hai aur yih ki usne kis tarah sharīat ke ahkām paramal kiyā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahuākhaz

36 Ummat ne Yūsiyāh ke beṭeYahuākhaz ko bāp ke takht

par biṭhā diyā. 2Yahuākhaz 23 sālkī umr meṅ bādshāh banā, aur

Yarūshalam meṅ us kī hukūmatkā daurāniyā tīn māh thā. 3PhirMisr ke bādshāh ne use takht seutār diyā, aur Mulk‐e‐Yahūdāh kotaqrīban 3,400 kilogrām chāṅdī aur34 kilogrām sonā kharāj ke taur paradā karnā paṛā. 4Misr ke bādshāhneYahuākhaz ke sage bhāī Iliyāqīmko Yahūdāh aur Yarūshalam kānayā bādshāh banā kar us kānām Yahūyaqīm meṅ badal diyā.Yahuākhaz ko wuh qaid karke apnesāth Misr le gayā.

Yahūdāh kā Bādshāh Yahūyaqīm5Yahūyaqīm 25 sāl kī umr meṅbādshāh banā, aur Yarūshalammeṅ rah kar wuh 11 sāl takhukūmat kartā rahā. Us kāchāl‐chalan Rab us ke Khudā konāpasand thā. 6Ek din Bābal keNabūkadnazzar ne Yahūdāh parhamlā kiyā aur Yahūyaqīm ko pītalkī zanjīroṅ meṅ jakaṛ kar Bābal legayā. 7Nabūkadnazzar Rab ke gharkī kaī qīmtī chīzeṅ bhī chhīn karapne sāth Bābal le gayā aur wahāṅapne mandir meṅ rakh dīṅ.

8Bāqī jo kuchh Yahūyaqīm kīhukūmat ke daurān huā wuh‘Shāhān‐e‐Yahūdāh‐o‐Isrāīl’ kī

Page 525: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

2 Tawārīkh 36:9 519

kitāb meṅ darj hai. Wahāṅ yihbayān kiyā gayā hai ki us ne kaisīghinaunī harkateṅ kīṅ aur ki kyākuchh us ke sāth huā. Us ke bādus kā beṭā Yahūyākīn takhtnashīnhuā.

Yahūyākīn kī Hukūmat9Yahūyākīn 18 sāl kī umr meṅbādshāh banā, aur Yarūshalammeṅ us kī hukūmat kā daurāniyātīn māh aur das din thā. Uskā chāl‐chalan Rab ko nāpasandthā. 10Bahār ke mausam meṅNabūkadnazzar Bādshāh ne hukmdiyā ki use giriftār karke Bāballe jāyā jāe. Sāth sāth faujiyoṅne Rab ke ghar kī qīmtī chīzeṅbhī chhīn kar Bābal pahuṅchāīṅ.Yahūyākīn kī jagah Nabūkadnazzarne Yahūyākīn ke chachā Sidqiyāhko Yahūdāh aur Yarūshalam kābādshāh banā diyā.

Sidqiyāh Bādshāh aur Yarū‐shalam kī Tabāhī

11Sidqiyāh 21 sāl kī umr meṅtakhtnashīn huā, aur Yarūshalammeṅ us kī hukūmat kā daurāniyā11 sāl thā. 12Us kā chāl‐chalanRab us ke Khudā ko nāpasand

thā. Jab Yarmiyāh Nabī ne useRab kī taraf se āgāh kiyā to us neapne āp ko nabī ke sāmne past nakiyā. 13Sidqiyāh ko Allāh kī qasamkhā kar Nabūkadnazzar Bādshāhkā wafādār rahne kā wādā karnāpaṛā. To bhī wuh kuchh der ke bādsarkash ho gayā. Wuh aṛ gayā, aurus kā dil itnā sakht ho gayā ki wuhRab Isrāīl ke Khudā kī taraf dubārārujū karne ke lie taiyār nahīṅ thā.

14Lekin Yahūdāh ke rāhnumāoṅ,imāmoṅ aur qaum kī bewafāī bhībaṛhtī gaī. Paṛosī qaumoṅ keghinaune rasm‐o‐riwāj apnā karunhoṅ ne Rab ke ghar ko nāpāk kardiyā, go us ne Yarūshalam meṅ yihimārat apne lie makhsūs kī thī.

15Bār bār Rab un ke bāpdādākā Khudā apne paiġhambaroṅko un ke pās bhej kar unheṅsamjhātā rahā, kyoṅki use apnīqaum aur sukūnatgāh par tars ātāthā. 16Lekin logoṅ ne Allāh kepaiġhambaroṅ kā mazāq uṛāyā,un ke paiġhām haqīr jāne aurnabiyoṅ ko lān‐tān kī. ĀkhirkārRab kā ġhazab un par nāzilhuā, aur bachne kā koī rāstā narahā. 17Us ne Bābal ke bādshāhNabūkadnazzar ko un ke khilāfbhejā to dushman Yahūdāh ke

Page 526: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

520 2 Tawārīkh 36:23

jawānoṅ ko talwār se qatl karneke lie maqdis meṅ ghusne se bhīna jhijke. Kisī par bhī rahm nakiyā gayā, khāh jawān mard yājawān khātūn, khāh buzurg yāumrrasīdā ho. Rab ne sab koNabūkadnazzar ke hawāle kar diyā.18Nabūkadnazzar ne Allāh ke gharkī tamām chīzeṅ chhīn līṅ, khāhwuh baṛī thīṅ yā chhoṭī. WuhRab ke ghar, bādshāh aur us keālā afsaroṅ ke tamām khazāne bhīBābal le gayā. 19Faujiyoṅ ne Rabke ghar aur tamām mahaloṅ kojalā kar Yarūshalam kī fasīl ko girādiyā. Jitnī bhī qīmtī chīzeṅ rahgaī thīṅ wuh tabāh huīṅ. 20Aur jotalwār se bach gae the unheṅ Bābalkā bādshāh qaid karke apne sāthBābal le gayā. Wahāṅ unheṅ uskī aur us kī aulād kī khidmat karnīpaṛī. Un kī yih hālat us waqt tak jārīrahī jab tak Fārsī qaum kī saltanatshurū na huī.

21Yoṅ wuh kuchh pūrā huā jiskī peshgoī Rab ne Yarmiyāh Nabī

kī mārifat kī thī, kyoṅki zamīn koākhirkār Sabat kā wuh ārām milgayā jo bādshāhoṅ ne use nahīṅdiyā thā. Jis tarah nabī ne kahā thā,ab zamīn 70 sāl tak tabāh aur wīrānrahī.

Jilāwatanī seWāpasī22Fāras ke bādshāh Khoras kīhukūmat ke pahle sāl meṅ Rab newuh kuchh pūrā hone diyā jis kīpeshgoī us ne Yarmiyāh kī mārifatkī thī. Us ne Khoras ko zail kā elānkarne kī tahrīk dī. Yih elān zabānīaur tahrīrī taur par pūrī bādshāhīmeṅ kiyā gayā.

23“Fāras kā bādshāh Khorasfarmātā hai, Rab āsmān ke Khudāne duniyā ke tamāmmamālikmerehawāle kar die haiṅ. Us ne mujheYahūdāh ke shahr Yarūshalammeṅus ke lie ghar banāne kī zimmedārīdī hai. Āp meṅ se jitne us kī qaumke haiṅ Yarūshalam ke lie rawānāho jāeṅ. Rab āp kā Khudā āp kesāth ho.”

Page 527: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā

Jilāwatanī seWāpasī

1 Fāras ke bādshāh Khoras kīhukūmat ke pahle sāl meṅ

Rab ne wuh kuchh pūrā hone diyājis kī peshgoī us ne Yarmiyāh kīmārifat kī thī. Us ne Khoras kozail kā elān karne kī tahrīk dī. Yihelān zabānī aur tahrīrī taur par pūrībādshāhī meṅ kiyā gayā.

2“Fāras kā bādshāh Khorasfarmātā hai, Rab āsmān ke Khudāne duniyā ke tamāmmamālikmerehawāle kar die haiṅ. Us ne mujheYahūdāh ke shahr Yarūshalammeṅus ke lie ghar banāne kī zimmedārīdī hai. 3Āp meṅ se jitne us kīqaum ke haiṅ Yarūshalam ke lierawānā ho jāeṅ tāki wahāṅ RabIsrāīl ke Khudā ke lie ghar banāeṅ,us Khudā ke lie jo Yarūshalammeṅsukūnat kartā hai. Āp kā Khudā āp

ke sāth ho. 4Jahāṅ bhī Isrāīlī qaumke bache hue log rahte haiṅ, wahāṅun ke paṛosiyoṅ kā farz hai ki wuhsone‐chāṅdī aur māl‐maweshī seun kī madad kareṅ. Is ke alāwāwuh apnī khushī se Yarūshalammeṅ Allāh ke ghar ke lie hadiye bhīdeṅ.”

5Tab kuchh Isrāīlī rawānā hokar Yarūshalam meṅ Rab keghar ko tāmīr karne kī taiyāriyāṅkarne lage. Un meṅ Yahūdāh aurBinyamīn ke khāndānī sarparast,imām aur Lāwī shāmil the yānījitne logoṅ ko Allāh ne tahrīk dī thī.6Un ke tamām paṛosiyoṅ ne unheṅsonā‐chāṅdī aur māl‐maweshī dekar un kī madad kī. Is ke alāwāunhoṅ ne apnī khushī se bhī Rabke ghar ke lie hadiye die.

Page 528: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

522 Azrā 2:24

7Khoras Bādshāh ne wuh chīzeṅwāpas kar dīṅ jo Nabūkadnazzarne Yarūshalam meṅ Rab ke gharse lūṭ kar apne dewatā ke mandirmeṅ rakh dī thīṅ. 8Unheṅ nikālkar Fāras ke bādshāh ne Mitradātkhazāṅchī ke hawāle kar diyā jisne sab kuchh gin kar Yahūdāh kebuzurg Shesbazzar ko de diyā. 9Jofahrist us ne likhī us meṅ zail kīchīzeṅ thīṅ:sone ke 30 bāsan,chāṅdī ke 1,000 bāsan,29 chhuriyāṅ,10sone ke 30 pyāle,chāṅdī ke 410 pyāle,bāqī chīzeṅ 1,000 adad.11Sone aur chāṅdī kī kul 5,400

chīzeṅ thīṅ. Shesbazzar yih sabkuchh apne sāth le gayā jab wuhjilāwatanoṅ ke sāth Bābal seYarūshalam ke lie rawānā huā.

Wāpas Āe Hue Isrāīliyoṅkī Fahrist

2 Zail meṅ Yahūdāh ke un logoṅkī fahrist hai jo jilāwatanī

se wāpas āe. Bābal kā bādshāhNabūkadnazzar unheṅ qaid karkeBābal le gayā thā, lekin ab wuhYarūshalam aur Yahūdāh ke un

shahroṅ meṅ phir jā base jahāṅ unke khāndān pahle rahte the. 2Unke rāhnumā Zarubbābal, Yashua,Nahmiyāh, Sirāyāh, Rālāyāh,Mardakī, Bilshān, Misfār, Bigwī,Rahūm aur Bānā the. Zail kī fahristmeṅ wāpas āe hue khāndānoṅ kemard bayān kie gae haiṅ.

3Parūs kā khāndān: 2,172,4Safatiyāh kā khāndān: 372,5Arakh kā khāndān: 775,6Pakhat‐moāb kā khāndān yānī

Yashua aur Yoāb kī aulād: 2,812,7Ailām kā khāndān: 1,254,8Zattū kā khāndān: 945,9Zakkī kā khāndān: 760,10Bānī kā khāndān: 642,11Babī kā khāndān: 623,12Azjād kā khāndān: 1,222,13Adūniqām kā khāndān: 666,14Bigwī kā khāndān: 2,056,15Adīn kā khāndān: 454,16Atīr kā khāndān yānī Hizqiyāh

kī aulād: 98,17Bazī kā khāndān: 323,18Yūrā kā khāndān: 112,19Hāshūm kā khāndān: 223,20Jibbār kā khāndān: 95,21Bait‐laham ke bāshinde: 123,22Natūfā ke 56 bāshinde,23Anatot ke bāshinde: 128,24Azmāwat ke bāshinde: 42,

Page 529: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 2:25 523

25Qiriyat‐yārīm, Kafīrā aurBairotke bāshinde: 743,

26Rāmā aur Jibā ke bāshinde:621,

27Mikmās ke bāshinde: 122,28Baitel aur Aī ke bāshinde: 223,29Nabū ke bāshinde: 52,30Majbīs ke bāshinde: 156,31Dūsre Ailām ke bāshinde:

1,254,32Hārim ke bāshinde: 320,33Lūd, Hādīd aur Onūs ke

bāshinde: 725,34Yarīhū ke bāshinde: 345,35Sanā’āh ke bāshinde: 3,630.36Zail ke imām jilāwatanī se

wāpas āe.Yadāyāh kā khāndān jo Yashua kī

nasl kā thā: 973,37Immer kā khāndān: 1,052,38Fashhūr kā khāndān: 1,247,39Hārim kā khāndān: 1,017.40Zail ke Lāwī jilāwatanī sewāpas

āe. Yashua aur Qadmiyel kākhāndān yānī Hūdāwiyāh kī aulād:74,

41Gulūkār: Āsaf ke khāndān ke128 ādmī,

42Rab ke ghar ke darbān: Sallūm,Atīr, Talmūn, Aqqūb, Khatītā aurSobī ke khāndānoṅ ke 139 ādmī.

43Rab ke ghar ke khidmatgāroṅke darj‐e‐zail khāndān jilāwatanī sewāpas āe.Zīhā, Hasūfā, Tabbāot, 44Qarūs,

Siyāhā, Fadūn, 45Libānā, Hajābā,Aqqūb, 46Hajāb, Shalmī, Hanān,47Jiddel, Jahar, Riyāyāh, 48Razīn,Naqūdā, Jazzām, 49Uzzā, Fāsih,Basī, 50Asnā, Maūnīm, Nafūsīm,51Baqbūq, Haqūfā, Harhūr,52Bazlūt, Mahīdā, Harshā,53Barqūs, Sīsarā, Tāmah, 54Naziyāhaur Khatīfā.

55Sulemān ke khādimoṅ ke darj‐e‐zail khāndān jilāwatanī se wāpasāe.Sūtī, Sūfirat, Farūdā, 56Yālā,

Darqūn, Jiddel, 57Safatiyāh,Khattīl, Fūkirat‐zabāym aur Amī.

58Rab ke ghar ke khidmatgāroṅaur Sulemān ke khādimoṅ kekhāndānoṅ meṅ se wāpas āehue mardoṅ kī tādād 392 thī.59‐60Wāpas āe hue khāndānoṅDilāyāh, Tūbiyāh aur Naqūdā ke652 mard sābit na kar sake kiIsrāīl kī aulād haiṅ, go wuh Tal‐milah, Tal‐harshā, Karūb, Addūnaur Immer ke rahne wāle the.

61‐62Habāyāh, Haqqūz aurBarzillī ke khāndānoṅ ke kuchhimām bhī wāpas āe, lekin unheṅ

Page 530: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

524 Azrā 3:3

Rab ke ghar meṅ khidmat karne kīijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ nenasabnāme meṅ apne nām talāshkie un kā kahīṅ zikr na milā, islie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā.(Barzillī ke khāndān ke bānī neBarzillī Jiliyādī kī beṭī se shādīkarke apne susar kā nām apnā liyāthā). 63Yahūdāh ke gawarnar nehukm diyā ki in tīn khāndānoṅ keimām filhāl qurbāniyoṅ kā wuhhissā khāne meṅ sharīk na hoṅjo imāmoṅ ke lie muqarrar hai.Jab dubārā imām‐e‐āzammuqarrarkiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīmnāmī qurā ḍāl kar muāmalā halkare.

64Kul 42,360 Isrāīlī apne watanlauṭ āe, 65nīz un ke 7,337 ġhulāmaur launḍiyāṅ aur 200 gulūkār jinmeṅ mard‐o‐khawātīn shāmil the.

66Isrāīliyoṅ ke pās 736 ghoṛe,245 khachchar, 67435 ūṅṭ aur 6,720gadhe the.

68Jab wuh Yarūshalam meṅ Rabke ghar ke pās pahuṅche to kuchhkhāndānī sarparastoṅ ne apnīkhushī se hadiye die tāki Allāh kāghar nae sire se us jagah tāmīr kiyājā sake jahāṅ pahle thā. 69Har ek neutnā de diyā jitnā de sakā. Us waqtsone ke kul 61,000 sikke, chāṅdī ke

2,800 kilogrām aur imāmoṅ ke 100libās jamā hue.

70Imām, Lāwī, gulūkār, Rab keghar ke darbān aur khidmatgār,aur awām ke kuchh log apnī apnīābāī ābādiyoṅ meṅ dubārā jā base.Yoṅ tamām Isrāīlī dubārā apneapne shahroṅ meṅ rahne lage.

Naī Qurbāngāh par Qurbāniyāṅ

3 Sātweṅ mahīne kī ibtidā meṅpūrī qaum Yarūshalam meṅ

jamā huī. Us waqt Isrāīlī apnīābādiyoṅ meṅ dubārā ābād hogae the. 2Jamā hone kā maqsadIsrāīl ke Khudā kī qurbāngāh konae sire se tāmīr karnā thā tākimard‐e‐Khudā Mūsā kī sharīatke mutābiq us par bhasm honewālī qurbāniyāṅ pesh kī jā sakeṅ.Chunāṅche Yashua bin Yūsadaqaur Zarubbābal bin Siyāltiyel kāmmeṅ lag gae. Yashua ke imāmbhāiyoṅ aur Zarubbābal ke bhāiyoṅne un kī madad kī. 3Go wuh mulkmeṅ rahne wālī dīgar qaumoṅse sahme hue the tāham unhoṅne qurbāngāh ko us kī purānībuniyād par tāmīr kiyā aur subah‐shām us par Rab ko bhasm honewālī qurbāniyāṅ pesh karne lage.

Page 531: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 3:4 525

4Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd unhoṅ ne sharīatkī hidāyat ke mutābiq manāī.Us hafte ke har din unhoṅ nebhasm hone wālī utnī qurbāniyāṅchaṛhāīṅ jitnī zarūrī thīṅ.

5Us waqt se imām bhasm honewālī tamām darkār qurbāniyāṅbāqāydagī se pesh karne lage, nīzNae Chāṅd kī Īdoṅ aur Rab kībāqī makhsūs‐o‐muqaddas īdoṅ kīqurbāniyāṅ. Qaum apnī khushī sebhī Rab ko qurbāniyāṅ pesh kartīthī. 6Go Rab ke ghar kī buniyādabhī ḍālī nahīṅ gaī thī to bhī Isrāīlīsātweṅmahīne ke pahle din se Rabko bhasm hone wālī qurbāniyāṅpesh karne lage. 7Phir unhoṅ nerājoṅ aur kārīgaroṅ ko paise dekar kām par lagāyā aur Sūr aurSaidā ke bāshindoṅ se deodār kīlakaṛī mangwāī. Yih lakaṛī Lubnānke pahāṛī ilāqe se samundar taklāī gaī aur wahāṅ se samundar kerāste Yāfā pahuṅchāī gaī. Isrāīliyoṅne muāwaze meṅ khāne‐pīne kīchīzeṅ aur zaitūn kā tel de diyā.Fāras ke bādshāh Khoras ne unheṅyih karwāne kī ijāzat dī thī.

Rab ke Ghar kī Tāmīr‐e‐Nau8Jilāwatanī se wāpas āne ke dūsresāl ke dūsre mahīne meṅ Rab keghar kī nae sire se tāmīr shurūhuī. Is kām meṅ Zarubbābalbin Siyāltiyel, Yashua bin Yūsadaq,dīgar imām aur Lāwī aur watanmeṅ wāpas āe hue bāqī tamāmIsrāīlī sharīk hue. Tāmīrī kām kīnigarānī un Lāwiyoṅ ke zimme lagādī gaī jin kī umr 20 sāl yā is se zāydthī.

9Zail ke log mil kar Rab kā gharbanānewāloṅ kī nigarānī karte the:Yashua apne beṭoṅ aur bhāiyoṅsamet, Qadmiyel aur us ke beṭejo Hūdāwiyāh kī aulād the aurHanadād ke khāndān ke Lāwī.

10Rab ke ghar kī buniyād rakhtewaqt imām apne muqaddas libāspahne hue sāth khaṛe ho gaeaur turam bajāne lage. Āsaf kekhāndān ke Lāwī sāth sāth jhāṅjhbajāne aur Rab kī satāish karnelage. Sab kuchh Isrāīl ke bādshāhDāūd kī hidāyāt ke mutābiq huā.11Wuh hamd‐o‐sanā ke gīt se Rabkī tārīf karne lage, “Wuh bhalā hai,aur Isrāīl par us kī shafqat abadīhai!” Jab hāzirīn ne dekhā ki Rabke ghar kī buniyād rakhī jā rahī hai

Page 532: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

526 Azrā 4:8

to sab Rab kī khushī meṅ zordārnāre lagāne lage.

12Lekin bahut‐se imām, Lāwīaur khāndānī sarparast hāzir thejinhoṅ ne Rab kā pahlā ghar dekhāhuā thā. Jab un ke dekhte dekhteRab ke nae ghar kī buniyād rakhīgaī towuh buland āwāz se rone lagejabki bāqī bahut sāre log khushīke nāre lagā rahe the. 13Itnā shorthā ki khushī ke nāroṅ aur ronekī āwāzoṅ meṅ imtiyāz na kiyā jāsakā. Shor dūr dūr tak sunāī diyā.

Rab ke Ghar kī Tāmīrkī Mukhālafat

4 Yahūdāh aur Binyamīn kedushmanoṅ ko patā chalā ki

watanmeṅwāpas āe hue Isrāīlī RabIsrāīl ke Khudā ke lie ghar tāmīrkar rahe haiṅ. 2Zarubbābal aurkhāndānī sarparastoṅ ke pās ā karunhoṅ ne darkhāst kī, “Ham bhīāp ke sāth mil kar Rab ke ghar kotāmīr karnā chāhte haiṅ. Kyoṅkijab se Asūr ke bādshāhAsarhaddonne hameṅ yahāṅ lā kar basāyā haius waqt se ham āp ke Khudā ketālib rahe aur use qurbāniyāṅ peshkarte āe haiṅ.” 3Lekin Zarubbābal,Yashua aur Isrāīl ke bāqī khāndānī

sarparastoṅ ne inkār kiyā, “Nahīṅ,is meṅ āp kā hamāre sāth koī wāstānahīṅ. Ham akele hī Rab Isrāīl keKhudā ke lie ghar banāeṅge, jistarah Fāras ke bādshāh Khoras nehameṅ hukm diyā hai.”

4Yih sun kar mulk kī dūsrīqaumeṅ Yahūdāh ke logoṅ kīhauslāshiknī aur unheṅ ḍarānekī koshish karne lagīṅ tāki wuhimārat banāne se bāz āeṅ. 5Yahāṅtak kiwuhFāras kebādshāh Khoraske kuchh mushīroṅ ko rishwat dekar kām roknemeṅkāmyābho gae.Yoṅ Rab ke ghar kī tāmīr KhorasBādshāh ke daur‐e‐hukūmat se lekar Dārā Bādshāh kī hukūmat takrukī rahī.

6Bād meṅ jab AkhaswerusBādshāh kī hukūmat shurū huī toIsrāīl ke dushmanoṅ ne Yahūdāhaur Yarūshalam ke bāshindoṅ parilzām lagā kar shikāyatī khat likhā.

7Phir Artakhshastā Bādshāh kedaur‐e‐hukūmat meṅ use Yahūdāhke dushmanoṅ kī taraf se shikāyatīkhat bhejā gayā. Khat ke pīchhekhāskar Bishlām, Mitradāt aurTābiyel the. Pahle use Arāmīzabān meṅ likhā gayā, aur bādmeṅ us kā tarjumā huā. 8Sāmariyake gawarnar Rahūm aur us ke

Page 533: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 4:9 527

Mīrmunshī Shamsī ne shahanshāhko khat likh diyā jis meṅ unhoṅ neYarūshalam par ilzāmāt lagāe. Patemeṅ likhā thā,

9Az: Rahūm Gawarnar aurMīrmunshī Shamsī, nīz un kehamkhidmat qāzī, safīr aur Tarpal,Sippar, Arak, Bābal aur Sosanyānī Ailām ke mard, 10nīz bāqītamām qaumeṅ jin ko azīm aurazīz bādshāh Ashūrbanīpāl ne uṭhākar Sāmariya aur Dariyā‐e‐Furātke bāqīmāndā maġhribī ilāqe meṅbasā diyā thā.

11Khat meṅ likhā thā,“Shahanshāh Artakhshastā ke

nām,Az: āp ke khādim jo Dariyā‐e‐

Furāt ke maġhrib meṅ rahte haiṅ.12Shahanshāh ko ilm ho ki jo

Yahūdī āp ke huzūr se hamāre pāsYarūshalam pahuṅche haiṅ wuhis waqt us bāġhī aur sharīr shahrko nae sire se tāmīr kar rahehaiṅ. Wuh fasīl ko bahāl karkebuniyādoṅ kī marammat kar rahehaiṅ. 13Shahanshāh ko ilm hoki agar shahr nae sire se tāmīrho jāe aur us kī fasīl takmīl takpahuṅche to yih log ṭaiks, kharājaur mahsūl adā karne se inkār kardeṅge. Tab bādshāh ko nuqsān

pahuṅchegā. 14Ham to namak‐harām nahīṅ haiṅ, na shahanshāhkī tauhīn bardāsht kar sakte haiṅ.Is lie ham guzārish karte haiṅ15ki āp apne bāpdādā kī tārīkhīdastāwezāt se Yarūshalam ke bāremeṅ mālūmāt hāsil kareṅ, kyoṅkiun meṅ is bāt kī tasdīq milegīki yih shahr māzī meṅ sarkashrahā. Haqīqat meṅ shahr ko isī lietabāh kiyā gayā ki wuh bādshāhoṅaur sūboṅ ko tang kartā rahā aurqadīm zamāne se hī baġhāwat kāmambā rahā hai. 16Ġharz hamshahanshāh ko ittalā dete haiṅ kiagar Yarūshalam ko dubārā tāmīrkiyā jāe aur us kī fasīl takmīltak pahuṅche to Dariyā‐e‐Furāt kemaġhribī ilāqe par āp kā qābū jātārahegā.”

17Shahanshāh ne jawāb meṅlikhā,“Maiṅ yih khat Rahūm

Gawarnar, Shamsī Mīrmunshī aurSāmariya aur Dariyā‐e‐Furāt kemaġhrib meṅ rahne wāle un kehamkhidmat afsaroṅ ko likh rahāhūṅ.Āp ko salām! 18Āp ke khat kā

tarjumā merī maujūdagī meṅ huāhai aur usemere sāmne paṛhā gayāhai. 19Mere hukm par Yarūshalam

Page 534: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

528 Azrā 5:5

ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kī gaīhaiṅ. Mālūm huā ki wāqaī yihshahr qadīm zamāne se bādshāhoṅkī mukhālafat karke sarkashīaur baġhāwat kā mambā rahāhai. 20Nīz, Yarūshalam tāqatwarbādshāhoṅ kā dārul‐hukūmatrahā hai. Un kī itnī tāqat thī kiDariyā‐e‐Furāt ke pūre maġhribīilāqe ko unheṅ mukhtalif qism keṭaiks aur kharāj adā karnā paṛā.21Chunāṅche ab hukm deṅ ki yihādmī shahr kī tāmīr karne se bāzāeṅ. Jab tak maiṅ khud hukmna dūṅ us waqt tak shahr ko naesire se tāmīr karne kī ijāzat nahīṅhai. 22Dhyān deṅ ki is hukm kītakmīl meṅ sustī na kī jāe, aisā naho ki shahanshāh ko baṛā nuqsānpahuṅche.”

23Jyoṅ hī khat kī kāpī Rahūm,Shamsī aur un ke hamkhidmatafsaroṅ ko paṛh kar sunāī gaī towuh Yarūshalam ke lie rawānā hueaur Yahūdiyoṅ ko zabardastī kāmjārī rakhne se rok diyā.

24Chunāṅche Yarūshalam meṅAllāh ke ghar kā tāmīrī kām rukgayā, aur wuh Fāras ke bādshāhDārā kī hukūmat ke dūsre sāl takrukā rahā.

Rab ke Ghar kī Tāmīr DubārāShurū Hotī Hai

5 Ek din do nabī banām Hajjīaur Zakariyāh bin Iddū uṭh

kar Isrāīl ke Khudā ke nām meṅjo un ke ūpar thā Yahūdāh aurYarūshalam ke Yahūdiyoṅ kesāmne nabuwwat karne lage.2Un ke hauslā‐afzā alfāz sun karZarubbābal bin Siyāltiyel aurYashuabinYūsadaqne faislā kiyā kihamdubārā YarūshalammeṅAllāhke ghar kī tāmīr shurū kareṅge.Donoṅ nabī is meṅ un ke sāth theaur un kī madad karte rahe.

3Lekin jyoṅ hī kām shurū huā toDariyā‐e‐Furāt kemaġhribī ilāqe kegawarnar Tattanī aur Shatar‐boznīapne hamkhidmat afsaroṅ sametYarūshalam pahuṅche. Unhoṅ nepūchhā, “Kis ne āp ko yih gharbanāne aur is kā ḍhāṅchā takmīltak pahuṅchāne kī ijāzat dī? 4Iskām ke lie zimmedār ādmiyoṅ kenām hameṅ batāeṅ!” 5Lekin unkā Khudā Yahūdāh ke buzurgoṅ kīnigarānī kar rahā thā, is lie unheṅrokā na gayā. Kyoṅki logoṅ nesochā ki pahle Dārā Bādshāh koittalā dī jāe. Jab tak wuh faislā nakare us waqt tak kām rokā na jāe.

Page 535: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 5:6 529

6Phir Dariyā‐e‐Furāt ke maġhribīilāqe ke gawarnar Tattanī, Shatar‐boznī aur un ke hamkhidmatafsaroṅ ne Dārā Bādshāh ko zailkā khat bhejā,

7“Dārā Bādshāh ko dil kīgahrāiyoṅ se salām kahte haiṅ!8Shahanshāh ko ilm ho ki sūbāYahūdāh meṅ jā kar ham ne dekhāki wahāṅ azīm Khudā kā gharbanāyā jā rahā hai. Us ke lie baṛetarāshehuepatthar istemāl ho rahehaiṅ aur dīwāroṅmeṅ shahtīr lagāejā rahe haiṅ. Log baṛī jāṅfishānī sekām kar rahe haiṅ, aur makān unkī mehnat ke bāis tezī se ban rahāhai. 9Ham ne buzurgoṅ se pūchhā,‘Kis ne āp ko yih ghar banāne aur iskā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchānekī ijāzat dī hai?’ 10Ham ne un kenām bhī mālūm kie tāki likh kar āpko bhej sakeṅ. 11Unhoṅ ne hameṅjawāb diyā,‘Ham āsmān‐o‐zamīn ke Khudā

ke khādim haiṅ, aur ham us gharko az sar‐e‐nau tāmīr kar rahe haiṅjo bahut sāl pahle yahāṅ qāymthā. Isrāīl ke ek azīm bādshāhne use qadīm zamāne meṅ banākar takmīl tak pahuṅchāyā thā.12Lekin hamāre bāpdādā ne āsmānke Khudā ko taish dilāyā, aur natīje

meṅ us ne unheṅ Bābal ke bādshāhNabūkadnazzar ke hawāle kar diyājis ne Rab ke ghar ko tabāh kardiyā aur qaum ko qaid karke Bābalmeṅ basā diyā. 13Lekin bād meṅjab Khoras bādshāh ban gayā to usne apnī hukūmat ke pahle sāl meṅhukm diyā ki Allāh ke is ghar kodubārā tāmīr kiyā jāe. 14Sāth sāthus ne sone‐chāṅdī kī wuh chīzeṅwāpas kar dīṅ jo Nabūkadnazzarne Yarūshalam meṅ Allāh ke gharse lūṭ kar Bābal ke mandir meṅrakh dī thīṅ. Khoras ne yih chīzeṅek ādmī ke sapurd kar dīṅ jis kānām Shesbazzar thā aur jise usne Yahūdāh kā gawarnar muqarrarkiyā thā. 15Us ne use hukm diyāki sāmān ko Yarūshalam le jāo aurRab ke ghar ko purānī jagah paraz sar‐e‐nau tāmīr karke yih chīzeṅus meṅ mahfūz rakho. 16TabShesbazzar ne Yarūshalam ā karAllāh ke ghar kī buniyād rakhī.Usī waqt se yih imārat zer‐e‐tāmīrhai, agarche yih āj tak mukammalnahīṅ huī.’

17Chunāṅche agar shahanshāhko manzūr ho to wuh taftīsh kareṅki kyā Bābal ke shāhī daftar meṅkoī aisī dastāwez maujūd hai jois bāt kī tasdīq kare ki Khoras

Page 536: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

530 Azrā 6:10

Bādshāh ne Yarūshalam meṅ Rabke ghar ko az sar‐e‐nau tāmīr karnekā hukm diyā. Guzārish hai kishahanshāh hameṅ apnā faislāpahuṅchā deṅ.”

Dārā Bādshāh Yahūdiyoṅkī Madad Kartā Hai

6 Tab Dārā Bādshāh ne hukmdiyā ki Bābal ke khazāne ke

daftar meṅ taftīsh kī jāe. Is kākhoj lagāte lagāte 2ākhirkār Mādīshahr Ikbatānā ke qile meṅ tūmārmil gayā jis meṅ likhā thā,

3“Khoras Bādshāh kī hukūmatke pahle sāl meṅ shahanshāh nehukm diyā ki Yarūshalam meṅAllāh ke ghar ko us kī purānī jagahpar nae sire se tāmīr kiyā jāe tākiwahāṅ dubārā qurbāniyāṅ pesh kījā sakeṅ. Us kī buniyād rakhne kebād us kī ūṅchāī 90 aur chauṛāī 90fuṭ ho. 4Dīwāroṅ ko yoṅ banāyājāe ki tarāshe hue pattharoṅ kehar tīn raddoṅ ke bād deodār keshahtīroṅ kā ek raddā lagāyā jāe.Akhrājāt shāhī khazāne se pūre kiejāeṅ. 5Nīz sone‐chāṅdī kī jo chīzeṅNabūkadnazzar Yarūshalam ke isghar se nikāl kar Bābal lāyā wuhwāpas pahuṅchāī jāeṅ. Har chīz

Allāh ke ghar meṅ us kī apnī jagahpar wāpas rakh dī jāe.”

6Yih khabar paṛh kar Dārā neDariyā‐e‐Furāt kemaġhribī ilāqe kegawarnar Tattanī, Shatar‐boznī aurun ke hamkhidmat afsaroṅ ko zailkā jawāb bhej diyā,“Allāh ke is ghar kī tāmīr meṅ

mudākhalat mat karnā! 7Logoṅ kokām jārī rakhne deṅ. Yahūdiyoṅ kāgawarnar aur un ke buzurg Allāhkā yih ghar us kī purānī jagah partāmīr kareṅ.

8Nasirf yihbalkimaiṅhukmdetāhūṅ ki āp is kām meṅ buzurgoṅkī madad kareṅ. Tāmīr ke tamāmakhrājāt waqt par muhaiyā kareṅtāki kām na ruke. Yih paise shāhīkhazāne yānī Dariyā‐e‐Furāt kemaġhribī ilāqe se jamā kie gaeṭaiksoṅ meṅ se adā kie jāeṅ. 9Rozbaroz imāmoṅ ko bhasm hone wālīqurbāniyoṅ ke lie darkār tamāmchīzeṅ muhaiyā karte raheṅ, khāhwuh jawān bail, menḍhe, bheṛke bachche, gandum, namak,mai yā zaitūn kā tel kyoṅ namāṅgeṅ. Is meṅ sustī na kareṅ10tāki wuh āsmān ke Khudā kopasandīdā qurbāniyāṅ pesh karkeshahanshāh aur us ke beṭoṅ kīsalāmatī ke lie duā kar sakeṅ.

Page 537: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 6:11 531

11Is ke alāwā maiṅ hukmdetā hūṅ ki jo bhī is farmān kīkhilāfwarzī kare us ke ghar seshahtīr nikāl kar khaṛā kiyā jāeaur use us par maslūb kiyā jāe.Sāth sāth us ke ghar ko malbe kāḍher banāyā jāe. 12Jis Khudā newahāṅ apnā nām basāyā hai wuhhar bādshāh aur qaum ko halākkare jomere is hukm kī khilāfwarzīkarke Yarūshalam ke ghar ko tabāhkarne kī jurrat kare. Maiṅ, Dārā neyih hukm diyā hai. Ise har tarah sepūrā kiyā jāe.”

Rab ke Ghar kī Makhsūsiyat13Dariyā‐e‐Furāt ke maġhribī ilāqeke gawarnar Tattanī, Shatar‐boznīaur un ke hamkhidmat afsaroṅne har tarah se Dārā Bādshāh kehukm kī tāmīl kī. 14ChunāṅcheYahūdī buzurg Rab ke ghar parkām jārī rakh sake. Donoṅ nabīHajjī aur Zakariyāh bin Iddū apnīnabuwwatoṅ se un kī hauslā‐afzāīkarte rahe, aur yoṅ sārā kām Isrāīlke Khudā aur Fāras ke bādshāhoṅKhoras, Dārā aur Artakhshastā kehukm ke mutābiq hī mukammalhuā.

15Rab kā ghar Dārā Bādshāh kīhukūmat ke chhaṭe sāl meṅ takmīltak pahuṅchā. Adār ke mahīnekā tīsrā dina thā. 16Isrāīliyoṅ neimāmoṅ, Lāwiyoṅ aur jilāwatanīse wāpas āe hue Isrāīliyoṅ sametbaṛī khushī se Rab ke Ghar kīMakhsūsiyat kī Īd manāī. 17Unhoṅne 100 bail, 200 menḍhe aur bheṛke 400 bachche qurbān kie. PūreIsrāīl ke lie gunāh kī qurbānī bhīpesh kī gaī, aur is ke lie fī qabīlāek bakrā yānī mil kar 12 bakrechaṛhāe gae. 18Phir imāmoṅ aurLāwiyoṅ ko Rab ke ghar kī khidmatke mukhtalif gurohoṅ meṅ taqsīmkiyā gayā, jis tarah Mūsā kī sharīathidāyat detī hai.

Isrāīlī Fasah kī Īd Manāte Haiṅ19Pahle mahīne ke 14weṅ dinb

jilāwatanī se wāpas āe hueIsrāīliyoṅ ne Fasah kī Īd manāī.20Tamām imāmoṅ aur Lāwiyoṅ neapne āp ko pāk‐sāf kar rakhā thā.Sab ke sab pāk the. Lāwiyoṅ neFasah ke lele jilāwatanī se wāpas āehue Isrāīliyoṅ, un ke bhāiyoṅ yānīimāmoṅ aur apne lie zabah kie.21Lekin na sirf jilāwatanī se wāpas

a12 Mārch. b21 Aprail.

Page 538: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

532 Azrā 7:11

āe hue Isrāīlī is khāne meṅ sharīkhue balki mulk ke wuh tamāmlog bhī jo Ġhairyahūdī qaumoṅkī nāpāk rāhoṅ se alag ho kar unke sāth Rab Isrāīl ke Khudā ketālib hue the. 22Unhoṅ ne sāt dinbaṛī khushī se Bekhamīrī Roṭī kīĪd manāī. Rab ne un ke diloṅ kokhushī se bhar diyā thā, kyoṅki usne Fāras ke bādshāh kā dil un kītaraf māyl kar diyā thā tāki unheṅIsrāīl ke Khudā ke ghar ko tāmīrkarne meṅ madad mile.

Azrā Imām ko YarūshalamBhejā Jātā Hai

7 In wāqiyāt ke kāfī arse bādek ādmī banām Azrā Bābal ko

chhoṛ kar Yarūshalam āyā. Us waqtFāras ke bādshāh Artakhshastākī hukūmat thī. Ādmī kā pūrānām Azrā bin Sirāyāh bin Azariyāhbin Khilqiyāh 2bin Sallūm binSadoq bin Akhītūb 3bin Amariyāhbin Azariyāh bin Mirāyot 4binZarakhiyāh bin Uzzī bin Buqqī 5binAbīsua bin Fīnhās bin Iliyazar binHārūn thā. (Hārūn imām‐e‐āzamthā.)

6Azrā pāknawishtoṅ kā ustād aurus sharīat kā ālim thā jo Rab Isrāīlke Khudā ne Mūsā kī mārifat dī thī.Jab Azrā Bābal se Yarūshalam ke lierawānā huā to shahanshāh ne us kīhar khāhish pūrī kī, kyoṅki Rab uske Khudā kā shafīq hāth us par thā.7Kaī Isrāīlī us ke sāth gae. Imām,Lāwī, gulūkār aur Rab ke gharke darbān aur khidmatgār bhī unmeṅ shāmil the. Yih ArtakhshastāBādshāh kī hukūmat ke sātweṅ sālmeṅ huā. 8‐9Qāfilā pahle mahīneke pahle dina Bābal se rawānā huāaur pāṅchweṅ mahīne ke pahledinb sahīh‐salāmat Yarūshalampahuṅchā, kyoṅki Allāh kā shafīqhāth Azrā par thā. 10Wajah yih thīki Azrā ne apne āp ko Rab kī sharīatkī taftīsh karne, us ke mutābiqzindagī guzārne aur Isrāīliyoṅ kous ke ahkām aur hidāyāt kī tālīmdene ke lie waqf kiyā thā.

Shahanshāh Azrā koMukhtār‐nāmā Detā Hai

11Artakhshastā Bādshāh ne AzrāImām ko zail kā mukhtārnāmā dediyā, usī Azrā ko jo pāk nawishtoṅkā ustād aur un ahkām aur hidāyāt

a8 Aprail. b4 Agast.

Page 539: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 7:12 533

kā ālim thā jo Rab ne Isrāīl ko dīthīṅ. Mukhtārnāme meṅ likhā thā,

12“Az: Shahanshāh ArtakhshastāAzrā Imāmko jo āsmān ke Khudā

kī sharīat kā ālim hai, salām!13Maiṅ hukm detā hūṅ ki agarmerī saltanat meṅ maujūd koī bhīIsrāīlī āp ke sāth Yarūshalam jākar wahāṅ rahnā chāhe to wuh jāsaktā hai. Is meṅ imām aur Lāwībhī shāmil haiṅ, 14shahanshāh aurus ke sāt mushīr āp ko Yahūdāhaur Yarūshalam bhej rahe haiṅtāki āp Allāh kī us sharīat kīraushnī meṅ jo āp ke hāth meṅhai Yahūdāh aur Yarūshalam kāhāl jāṅch leṅ. 15Jo sonā‐chāṅdīshahanshāh aur us ke mushīroṅne apnī khushī se Yarūshalammeṅ sukūnat karne wāle Isrāīl keKhudā ke lie qurbān kī hai use apnesāth le jāeṅ. 16Nīz, jitnī bhī sonā‐chāṅdī āp ko sūbā Bābal se miljāegī aur jitne bhī hadiye qaum aurimām apnī khushī se apne Khudāke ghar ke lie jamā kareṅ unheṅapne sāth le jāeṅ. 17Un paisoṅ sebail, menḍhe, bheṛ ke bachcheaur un kī qurbāniyoṅ ke lie darkārġhallā aur mai kī nazareṅ kharīdleṅ, aur unheṅ Yarūshalam meṅapne Khudā ke ghar kī qurbāngāh

par qurbān kareṅ. 18Jo paise bachjāeṅ un ko āp aur āp ke bhāī waisekharch kar sakte haiṅ jaise āp komunāsib lage. Shart yih hai ki āpke Khudā kī marzī ke mutābiq ho.19Yarūshalam meṅ apne Khudā kowuh tamām chīzeṅ pahuṅchāeṅ joāp ko Rab ke ghar meṅ khidmatke lie dī jāeṅgī. 20Bāqī jo kuchhbhī āp ko apne Khudā ke ghar kelie kharīdnā paṛe us ke paise shāhīkhazānā adā karegā.

21Maiṅ, Artakhshastā BādshāhDariyā‐e‐Furāt ke maġhrib meṅrahne wāle tamām khazānchiyoṅko hukm detā hūṅ ki har tarah seAzrā Imām kī mālī madad kareṅ.Jo bhī āsmān ke Khudā kī sharīatkā yih ustād māṅge wuh use diyājāe. 22Use 3,400 kilogrām chāṅdī,16,000 kilogrām gandum, 2,200liṭar mai aur 2,200 liṭar zaitūn kātel tak denā. Namak use utnā milejitnā wuh chāhe. 23Dhyān se sabkuchh muhaiyā kareṅ jo āsmānkā Khudā apne ghar ke lie māṅge.Aisā na ho ki shahanshāh aur us kebeṭoṅ kī saltanat us ke ġhazab kānishānā ban jāe. 24Nīz, āp ko ilmho ki āp ko Allāh ke is ghar meṅkhidmat karne wāle kisī shakhsse bhī kharāj yā kisī qism kā ṭaiks

Page 540: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

534 Azrā 8:7

lene kī ijāzat nahīṅ hai, khāh wuhimām, Lāwī, gulūkār, Rab ke gharkā darbān yā us kā khidmatgār ho.

25Ai Azrā, jo hikmat āp ke Khudāne āp ko atā kī hai us ke mutābiqmajisṭreṭ aur qāzī muqarrar kareṅjo āp kī qaum ke un logoṅ kā insāfkareṅ jo Dariyā‐e‐Furāt kemaġhribmeṅ rahte haiṅ. Jitne bhī āp keKhudā ke ahkām jānte haiṅ wuhis meṅ shāmil haiṅ. Aur jitne inahkām se wāqif nahīṅ haiṅ unheṅāp ko tālīm denī hai. 26Jo bhī āp keKhudā kī sharīat aur shahanshāhke qānūn kī khilāfwarzī kare usesakhtī se sazā dī jāe. Jurm kīsanjīdagī kā lihāz karke use yā tosazā‐e‐maut dī jāe yā jilāwatan kiyājāe, us kī milkiyat zabt kī jāe yā usejel meṅ ḍālā jāe.”

Azrā kī Satāish27Rab hamāre bāpdādā ke Khudākī tamjīd ho jis ne shahanshāhke dil ko Yarūshalam meṅ Rab keghar ko shāndār banāne kī tahrīkdī hai. 28Usī ne shahanshāh, uske mushīroṅ aur tamām asar‐o‐rasūkh rakhne wāle afsaroṅ kediloṅ ko merī taraf māyl kar diyāhai. Chūṅki Rab mere Khudā kā

shafīq hāthmujh par thā is liemerāhauslā baṛh gayā, aurmaiṅne Isrāīlke khāndānī sarparastoṅ ko apnesāth Isrāīl wāpas jāne ke lie jamākiyā.

Azrā ke sāth Jilāwatanī seWāpasĀneWāloṅ kī Fahrist

8 Darj‐e‐zail un khāndānīsarparastoṅ kī fahrist hai jo

Artakhshastā Bādshāh kī hukūmatke daurān mere sāth Bābal seYarūshalam ke lie rawānā hue. Harkhāndān ke mardoṅ kī tādād bhīdarj hai:

2‐3Fīnhās ke khāndān kā Jairsom,Itamar ke khāndān kā Dānyāl,Dāūd ke khāndān kā Hattūsh bin

Sakaniyāh,Parūs ke khāndān kā Zakariyāh.

150 mard us ke sāth nasabnāmemeṅ darj the.

4Pakhat‐moāb ke khāndān kāIlīhuainī bin Zarakhiyāh 200mardoṅ ke sāth,

5Zattū ke khāndān kā Sakaniyāhbin Yahziyel 300 mardoṅ ke sāth,

6Adīn ke khāndān kā Abad binYūnatan 50 mardoṅ ke sāth,

7Ailām ke khāndān kā Yasāyāhbin Ataliyāh 70 mardoṅ ke sāth,

Page 541: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 8:8 535

8Safatiyāh ke khāndān kāZabadiyāh bin Mīkāel 80 mardoṅke sāth,

9Yoāb ke khāndān kā Abadiyāhbin Yihiyel 218 mardoṅ ke sāth,

10Bānī ke khāndān kā Salūmīt binYūsifiyāh 160 mardoṅ ke sāth,

11Babī ke khāndān kā Zakariyāhbin Babī 28 mardoṅ ke sāth,

12Azjād ke khāndān kā Yūhanānbin Haqqātān 110 mardoṅ ke sāth,

13Adūniqām ke khāndān keākhirī log Ilīfalat, Ya’iyel aurSamāyāh 60 mardoṅ ke sāth,

14Bigwī kā khāndān kā Ūtī aurZabūd 70 mardoṅ ke sāth.

15Maiṅ yānī Azrā ne mazkūrālogoṅ ko us nahar ke pās jamākiyā jo Ahāwā kī taraf bahtī hai.Wahāṅ ham khaime lagā kar tīndin ṭhahre rahe. Is daurān mujhepatā chalā ki go ām log aur imāmā gae haiṅ lekin ek bhī Lāwī hāzirnahīṅ hai. 16Chunāṅche maiṅ neIliyazar, Ariyel, Samāyāh, Ilnātan,Yarīb, Ilnātan, Nātan, Zakariyāhaur Masullām ko apne pās bulāliyā. Yih sab khāndānī sarparastthe jabki sharīat ke do ustād banāmYūyārīb aur Ilnātan bhī sāth the.17Maiṅ ne unheṅ Lāwiyoṅ kī ābādī

Kāsifiyāh ke buzurg Iddū ke pāsbhej kar wuh kuchh batāyā jounheṅ Iddū, us ke bhāiyoṅ aur Rabke ghar ke khidmatgāroṅ ko batānāthā tāki wuhhamāre Khudā ke gharke lie khidmatgār bhejeṅ.

18Allāh kā shafīq hāth ham parthā, is lie unhoṅ ne hameṅ Mahlībin Lāwī bin Isrāīl ke khāndānkā samajhdār ādmī Saribiyāh bhejdiyā. Saribiyāh apne beṭoṅ aurbhāiyoṅ ke sāth pahuṅchā. Kul 18mard the. 19In ke alāwā Mirārī kekhāndān ke Hasbiyāh aur Yasāyāhko bhī un ke beṭoṅ aur bhāiyoṅ kesāth hamāre pās bhejā gayā. Kul20 mard the. 20Un ke sāth Rab keghar ke 220 khidmatgār the. In ketamām nām nasabnāme meṅ darjthe. Dāūd aur us ke mulāzimoṅne un ke bāpdādā ko Lāwiyoṅ kīkhidmat karne kī zimmedārī dī thī.

Yarūshalam ke lie Rawānagīkī Taiyāriyāṅ

21Wahīṅ Ahāwā kī nahar ke pās hīmaiṅ ne elān kiyā ki ham sab rozārakh kar apne āp ko apne Khudā kesāmne past kareṅ aur duā kareṅ kiwuh hameṅ hamāre bāl‐bachchoṅaur sāmān ke sāth salāmatī se

Page 542: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

536 Azrā 8:32

Yarūshalam pahuṅchāe. 22Kyoṅkihamāre sāth faujī aur ghuṛsawārnahīṅ the jo hameṅ rāste meṅḍākuoṅ se mahfūz rakhte. Bātyih thī ki maiṅ shahanshāh se yihmāṅgne se sharmmahsūs kar rahāthā, kyoṅki ham ne use batāyā thā,“Hamāre Khudā kā shafīq hāth harek par ṭhahartā hai jo us kā tālibrahtā hai. Lekin jo bhī use tark kareus par us kā sakht ġhazab nāzil hotāhai.” 23Chunāṅche ham ne rozārakh kar apne Khudā se iltamās kīki wuh hamārī hifāzat kare, aur usne hamārī sunī.

24Phir maiṅ ne imāmoṅ ke 12rāhnumāoṅ ko chun liyā, nīzSaribiyāh, Hasbiyāh aur mazīd 10Lāwiyoṅ ko. 25Un kī maujūdagīmeṅ maiṅ ne sonā‐chāṅdī aurbāqī tamām sāmān tol liyā joshahanshāh, us ke mushīroṅ aurafsaroṅ aur wahāṅ ke tamāmIsrāīliyoṅnehamāre Khudākegharke lie atā kiyā thā.

26Maiṅ ne tol kar zail kā sāmānun ke hawāle kar diyā: taqrīban22,000 kilogrām chāṅdī, chāṅdīkā kuchh sāmān jis kā kul wazntakrīban 3,400 kilogrām thā, 3,400

kilogrām sonā, 27sone ke 20 pyālejin kā kul wazn taqrīban sāṛhe 8kilogrām thā, aur pītal ke do pālishkiehuepyāle jo sonekepyāloṅ jaiseqīmtī the.

28Maiṅ ne ādmiyoṅ se kahā,“Āp aur yih tamām chīzeṅ Rabke lie makhsūs haiṅ. Logoṅ neapnī khushī se yih sonā‐chāṅdīRab āp ke bāpdādā ke Khudā kelie qurbān kī hai. 29Sab kuchhehtiyāt se mahfūz rakheṅ, aur jabāp Yarūshalam pahuṅcheṅge toise Rab ke ghar ke khazāne takpahuṅchā kar rāhnumā imāmoṅ,Lāwiyoṅ aur khāndānī sarparastoṅkī maujūdagī meṅ dubārā tolnā.”

30Phir imāmoṅ aur Lāwiyoṅ nesonā‐chāṅdī aur bāqī sāmān lekar use Yarūshalam meṅ hamāreKhudā ke gharmeṅ pahuṅchāne kelie mahfūz rakhā.

Yarūshalam tak Safr31Ham pahle mahīne ke 12weṅdina Ahāwā nahar se Yarūshalamke lie rawānā hue. Allāh kāshafīq hāth ham par thā, aur us nehameṅ rāste meṅ dushmanoṅ aurḍākuoṅ se mahfūz rakhā. 32Ham

a19 Aprail.

Page 543: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 8:33 537

Yarūshalam pahuṅche to pahle tīndin ārām kiyā. 33Chauthe din hamne apne Khudā ke ghar meṅ sonā‐chāṅdī aur bāqīmakhsūs sāmān tolkar imām Marīmot bin Ūriyāh kehawāle kar diyā. Us waqt Iliyazarbin Fīnhās aur do Lāwī banāmYūzabad bin Yashua aur Nauadiyāhbin Binnūī us ke sāth the. 34Harchīz ginī aur tolī gaī, phir us kā pūrāwazn fahrist meṅ darj kiyā gayā.

35Is ke bād jilāwatanī se wāpasāe hue tamām logoṅ ne Isrāīlke Khudā ko bhasm hone wālīqurbāniyāṅ pesh kīṅ. Is nāte seunhoṅ ne pūre Isrāīl ke lie 12 bail,96 menḍhe, bheṛ ke 77 bachcheaur gunāh kī qurbānī ke 12 bakrequrbān kie.

36Musāfiroṅ ne Dariyā‐e‐Furāt kemaġhribī ilāqe ke gawarnaroṅ aurhākimoṅ ko shahanshāh kī hidāyātpahuṅchāīṅ. In ko paṛh kar unhoṅne Isrāīlī qaum aur Allāh ke ghar kīhimāyat kī.

Ġhairyahūdī Bīwiyoṅ par Afsos

9 1‐2Kuchh der bād qaum kerāhnumā mere pās āe aur

kahne lage, “Qaum ke ām logoṅ,imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne apne

āp ko mulk kī dīgar qaumoṅ sealag nahīṅ rakhā, go yih ghinaunerasm‐o‐riwāj ke pairokār haiṅ. Unkī auratoṅ se shādī karke unhoṅne apne beṭoṅ kī bhī shādī un kībeṭiyoṅ se karāī hai. Yoṅ Allāhkī muqaddas qaum Kanāniyoṅ,Hittiyoṅ, Farizziyoṅ, Yabūsiyoṅ,Ammoniyoṅ, Moābiyoṅ, Misriyoṅaur Amoriyoṅ se ālūdā ho gaī hai.Aur buzurgoṅ aur afsaroṅ ne isbewafāī meṅ pahal kī hai!”

3Yih sun kar maiṅ ne ranjīdā hokar apne kapṛoṅ ko phāṛ liyā aursar aur dāṛhī ke bāl noch nochkar nange farsh par baiṭh gayā.4Wahāṅ maiṅ shām kī qurbānī takbehis‐o‐harkat baiṭhā rahā. Itnemeṅ bahut‐se log mere irdgirdjamā ho gae. Wuh jilāwatanī sewāpas āe hue logoṅ kī bewafāīke bāis thartharā rahe the, kyoṅkiwuh Isrāīl ke Khudā ke jawāb senihāyat khaufzadā the. 5Shām kīqurbānī ke waqt maiṅ wahāṅ seuṭh khaṛā huā jahāṅ maiṅ taubā kīhālat meṅ baiṭhā huā thā. Wuhīphaṭe hue kapṛe pahne hue maiṅghuṭne ṭek kar jhuk gayā aur apnehāthoṅ ko āsmān kī taraf uṭhāe hueRab apne Khudā se duā karne lagā,

Page 544: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

538 Azrā 9:13

6“Ai mere Khudā, maiṅ nihāyatsharmindā hūṅ. Apnā muṅhterī taraf uṭhāne kī mujh meṅjurrat nahīṅ rahī. Kyoṅki hamāregunāhoṅ kā itnā baṛā ḍher lag gayāhai ki wuh ham se ūṅchā hai, balkihamārā qusūr āsmān tak pahuṅchgayā hai. 7Hamāre bāpdādā kezamāne se le kar āj tak hamārāqusūr sanjīdā rahā hai. Isī wajah seham bār bār pardesī hukmrānoṅke qabze meṅ āe haiṅ jinhoṅ nehameṅ aur hamāre bādshāhoṅ aurimāmoṅ ko qatl kiyā, giriftār kiyā,lūṭ liyā aur hamārī behurmatī kī.Balki āj tak hamārī hālat yihī rahīhai.

8Lekin is waqt Rab hamāreKhudā ne thoṛī der ke lie ham parmehrbānī kī hai. Hamārī qaum kebache‐khuche hisse ko us ne rihāīde kar apne muqaddas maqām parmahfūz rakhā hai. Yoṅ hamāreKhudā ne hamārī āṅkhoṅ meṅdubārā chamak paidā kī aur hameṅkuchh sukūn muhaiyā kiyā hai,go ham ab tak ġhulāmī meṅ haiṅ.9Beshak ham ġhulām haiṅ, to bhīAllāh ne hameṅ tark nahīṅ kiyābalki Fāras ke bādshāh ko ham parmehrbānī karne kī tahrīk dī hai. Usne hameṅ az sar‐e‐nau zindagī atā

kī hai tāki ham apne Khudā kā ghardubārā tāmīr aur us ke khanḍarātbahāl kar sakeṅ. Allāh ne hameṅYahūdāh aur Yarūshalam meṅ ekmahfūz chārdīwārī se gher rakhāhai.

10Lekin ai hamāre Khudā, abham kyā kaheṅ? Apnī in harkatoṅke bādhamkyā jawābdeṅ? Hamnetere un ahkām ko nazarandāz kiyāhai 11jo tū ne apne khādimoṅ yānīnabiyoṅ kī mārifat die the.Tū ne farmāyā, ‘Jis mulk meṅ

tum dākhil ho rahe ho tāki us parqabzā karo wuh us meṅ rahne wālīqaumoṅ ke ghinaune rasm‐o‐riwājke sabab se nāpāk hai. Mulk eksire se dūsre sire tak un kī nāpākīse bhar gayā hai. 12Lihāzā apnībeṭiyoṅ kī un ke beṭoṅ ke sāthshādī mat karwānā, na apne beṭoṅkā un kī beṭiyoṅ ke sāth rishtābāndhnā. Kuchh na karo jis se unkī salāmatī aur kāmyābī baṛhtī jāe.Tab hī tum tāqatwar ho kar mulkkī achchhī paidāwār khāoge, aurtumhārī aulād hameshā tak mulkkī achchhī chīzeṅ wirāsat meṅ pātīrahegī.’

13Ab ham apnī sharīr harkatoṅaur baṛe qusūr kī sazā bhugat rahehaiṅ, go ai Allāh, tū ne hameṅ itnī

Page 545: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 9:14 539

sakht sazā nahīṅ dī jitnī hameṅmilnī chāhie thī. Tū ne hamārā yihbachā‐khuchā hissā zindā chhoṛāhai. 14To kyā yih ṭhīk hai ki hamtere ahkām kī khilāfwarzī karkeaisī qaumoṅ se rishtā bāndheṅ jois qism kī ghinaunī harkateṅ kartīhaiṅ? Hargiz nahīṅ! Kyā is kā yihnatījā nahīṅ niklegā ki terā ġhazabham par nāzil ho kar sab kuchhtabāh kar degā aur yih bachā‐khuchā hissā bhī khatm ho jāegā?15Ai Rab Isrāīl ke Khudā, tū hī ādilhai. Āj ham bache hue hisse kīhaisiyat se tere huzūr khaṛe haiṅ.Hamqusūrwār haiṅ aur tere sāmneqāym nahīṅ rah sakte.”

Butparast Bīwiyoṅ ko Talāq

10 Jab Azrā is tarah duā karrahā aur Allāh ke ghar ke

sāmne paṛe hue aur rote hue qaumke qusūr kā iqrār kar rahā thā to uske irdgird Isrāīlī mardoṅ, auratoṅaur bachchoṅ kā baṛā hujūm jamāho gayā. Wuh bhī phūṭ phūṭ karrone lage.

2Phir Ailām ke khāndān keSakaniyāh bin Yihiyel ne Azrā sekahā,

“Wāqaī hamne paṛosī qaumoṅ kīauratoṅ se shādī karke apne Khudāse bewafāī kī hai. To bhī ab takIsrāīl ke lie ummīd kī kiran bāqīhai. 3Āeṅ, ham apne Khudā se ahdbāndh kar wādā kareṅ ki ham untamām auratoṅ ko un ke bachchoṅsamet wāpas bhej deṅge. Jo bhīmashwarā āp aur Allāh ke ahkāmkā khauf mānane wāle dīgar loghameṅ deṅge wuh ham kareṅge.Sab kuchh sharīat ke mutābiq kiyājāe. 4Ab uṭheṅ! Kyoṅki yihmuāmalā durust karnā āp hī kāfarz hai. Ham āp ke sāth haiṅ, islie hauslā rakheṅ aur wuh kuchhkareṅ jo zarūrī hai.”

5Tab Azrā uṭhā aur rāhnumāimāmoṅ, Lāwiyoṅ aur tamāmqaum ko qasam khilāī ki hamSakaniyāh ke mashware par amalkareṅge. 6Phir Azrā Allāh keghar ke sāmne se chalā gayā aurYūhanān bin Iliyāsib ke kamremeṅdākhil huā. Wahāṅ us ne pūrī rātkuchh khāe‐pie baġhair guzārī. Abtak wuh jilāwatanī se wāpas āe huelogoṅ kī bewafāī par mātam karrahā thā.

7‐8Sarkārī afsaroṅ aur buzurgoṅne faislā kiyā ki Yarūshalam aurpūre Yahūdāh meṅ elān kiyā jāe,

Page 546: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

540 Azrā 10:16‐17

“Lāzim hai ki jitne bhī Isrāīlījilāwatanī sewāpas āehaiṅwuh sabtīn din ke andar andar Yarūshalammeṅ jamā ho jāeṅ. Jo bhī isdaurān hāzir na ho use jilāwatanoṅkī jamāt se khārij kar diyā jāegāaur us kī tamām milkiyat zabt hojāegī.” 9Tab Yahūdāh aur Binyamīnke qabīloṅ ke tamām ādmī tīndin ke andar andar Yarūshalampahuṅche. Naweṅ mahīne kebīsweṅ dina sab log Allāh ke gharke sahan meṅ jamā hue. Sabmuāmale kī sanjīdagī aur mausamke sabab se kāṅp rahe the, kyoṅkibārish ho rahī thī.

10Azrā Imām khaṛe ho kar kahnelagā, “Āp Allāh se bewafā ho gaehaiṅ. Ġhairyahūdī auratoṅ serishtā bāndhne se āp ne Isrāīl kequsūr meṅ izāfā kar diyā hai. 11AbRab apne bāpdādā ke Khudā kehuzūr apne gunāhoṅ kā iqrār karkeus kī marzī pūrī kareṅ. Paṛosīqaumoṅ aur apnī pardesī bīwiyoṅse alag ho jāeṅ.”

12Pūrī jamāt ne buland āwāzse jawāb diyā, “Āp ṭhīk kahtehaiṅ! Lāzim hai ki ham āp kīhidāyat par amal kareṅ. 13Lekin

yih koī aisā muāmalā nahīṅ haijo ek yā do din meṅ durust kiyājā sake. Kyoṅki ham bahut loghaiṅ aur ham se sanjīdā gunāhsarzad huā hai. Nīz, is waqt barsātkā mausam hai, aur ham zyādāder tak bāhar nahīṅ ṭhahar sakte.14Behtar hai ki hamāre buzurg pūrījamāt kī numāindagī kareṅ. Phirjitne bhī ādmiyoṅ kī Ġhairyahūdībīwiyāṅ haiṅ wuh ek muqarrarādin maqāmī buzurgoṅ aur qāziyoṅko sāth le kar yahāṅ āeṅ aurmuāmalā durust kareṅ. Aur lāzimhai ki yih silsilā us waqt tak jārīrahe jab tak Rab kā ġhazab ṭhanḍāna ho jāe.”

15Tamām log muttafiq hue, sirfYūnatan bin Asāhel aur Yahziyāhbin Tiqwā ne faisle kī mukhālafatkī jabki Masullām aur Sabbatī Lāwīun ke haq meṅ the. 16‐17To bhīIsrāīliyoṅ ne mansūbe par amalkiyā. Azrā Imām ne chand ekkhāndānī sarparastoṅ ke nām lekar unheṅ yih zimmedārī dī kijahāṅ bhī kisī Yahūdī mard kīĠhairyahūdī aurat se shādī huīhai wahāṅ wuh pūre muāmale kītahqīq kareṅ. Un kā kām dasweṅ

a19 Sitambar.

Page 547: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Azrā 10:18‐19 541

mahīne ke pahle dina shurū huāaur pahle mahīne ke pahle dinb

takmīl tak pahuṅchā.18‐19Darj‐e‐zail un ādmiyoṅ kī

fahrist hai jinhoṅ ne Ġhairyahūdīauratoṅ se shādī kī thī. Unhoṅne qasam khā kar wādā kiyā kiham apnī bīwiyoṅ se alag hojāeṅge. Sāth sāth har ek ne qusūrkī qurbānī ke taur par menḍhāqurbān kiyā.Imāmoṅ meṅ se qusūrwār:Yashua bin Yūsadaq aur us ke

bhāī Māsiyāh, Iliyazar, Yarīb aurJidaliyāh,

20Immer ke khāndān kā Hanānīaur Zabadiyāh,

21Hārim ke khāndān kā Māsiyāh,Iliyās, Samāyāh, Yihiyel aurUzziyāh,

22Fashhūr ke khāndān kāIliyuainī, Māsiyāh, Ismāīl,Nataniyel, Yūzabad aur Iliyāsā.

23Lāwiyoṅ meṅ se qusūrwār:Yūzabad, Simaī, Qilāyāh yānī

Qalītā, Fatahiyāh, Yahūdāh aurIliyazar.

24Gulūkāroṅ meṅ se qusūrwār:Iliyāsib.

Rab ke ghar ke darbānoṅ meṅ sequsūrwār:Sallūm, Talam aur Ūrī.25Bāqī qusūrwār Isrāīlī:Parūs ke khāndān kā Ramiyāh,

Yazziyāh, Malkiyāh, Miyāmīn,Iliyazar, Malkiyāh aur Bināyāh.

26Ailām ke khāndān kāMattaniyāh, Zakariyāh, Yihiyel,Abdī, Yarīmot aur Iliyās,

27Zattū ke khāndān kā Iliyuainī,Iliyāsib, Mattaniyāh, Yarīmot,Zabad aur Azīzā.

28Babī ke khāndān kā Yūhanān,Hananiyāh, Zabbī aur Atlī.

29Bānī ke khāndān kā Masullām,Mallūk, Adāyāh, Yasūb, Siyāl aurYarīmot.

30Pakhat‐moāb ke khāndān kāAdnā, Kilāl, Bināyāh, Māsiyāh,Mattaniyāh, Bazliyel, Binnūī aurManassī.

31Hārim ke khāndān kā Iliyazar,Yissiyāh, Malkiyāh, Samāyāh,Shamāūn, 32Binyamīn, Mallūk aurSamariyāh.

33Hāshūm ke khāndān kāMattanī, Mattattāh, Zabad, Ilīfalat,yaremī, Manassī aur Simaī.

a29 Disambar.b27 Mārch.

Page 548: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

542 Azrā 10:44

34Bānī ke khāndān kā Mādī,Amrām, Ūel, 35Bināyāh, Badiyāh,Kalūhī, 36Waniyāh, Marīmot,Iliyāsib, 37Mattaniyāh, Mattanī aurYāsī.

38Binnūī ke khāndān kā Simaī,39Salamiyāh, Nātan, Adāyāh,40Maknadbī, Sāsī, Sārī, 41Azarel,

Salamiyāh, Samariyāh, 42Sallūm,Amariyāh aur Yūsuf.

43Nabū ke khāndān kā Ya’iyel,Mattitiyāh, Zabad, Zabīnā, Yaddī,Yoel aur Bināyāh.

44In tamām ādmiyoṅ kīĠhairyahūdī auratoṅ se shādī huīthī, aur un ke hāṅ bachche paidāhue the.

Page 549: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh

Nahmiyāh Yarūshalam kelie Duā Kartā Hai

1 Zail meṅ Nahmiyāh binHakaliyāh kī riporṭ darj hai.

Maiṅ Artakhshastā Bādshāh kīhukūmat ke 20weṅ sāl Kislew kemahīne meṅ Sosan ke qile meṅ thā2ki ek din merā bhāī Hanānī mujhse milne āyā. Us ke sāth Yahūdāhke chand ek ādmī the. Maiṅ neun se pūchhā, “Jo Yahūdī bachkar jilāwatanī se Yahūdāh wāpasgae haiṅ un kā kyā hāl hai? AurYarūshalam Shahr kā kyā hāl hai?”3Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jo Yahūdībach kar jilāwatanī se Yahūdāhwāpas gae haiṅ un kā bahut burāaur zillatāmez hāl hai. Yarūshalamkī fasīl ab tak zamīnbos hai, aur

us ke tamām darwāze rākh ho gaehaiṅ.”

4Yih sun kar maiṅ baiṭh kar ronelagā. Kaī din maiṅ rozā rakh karmātam kartā aur āsmān ke Khudāse duā kartā rahā,

5“Ai Rab, āsmān ke Khudā, tūkitnā azīm aur mahīb Khudā hai!Jo tujhe pyār aur tere ahkām kīpairawī karte haiṅ un ke sāth tūapnā ahd qāym rakhtā aur un parmehrbānī kartā hai. 6Merī bātsun kar dhyān de ki terā khādimkis tarah tujh se iltamās kar rahāhai. Din rāt maiṅ Isrāīliyoṅ kelie jo tere khādim haiṅ duā kartāhūṅ. Maiṅ iqrār kartā hūṅ ki hamne terā gunāh kiyā hai. Is meṅmaiṅ aur mere bāp kā gharānābhī shāmil hai. 7Ham ne tere

Page 550: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

544 Nahmiyāh 2:5

khilāf nihāyat sharīr qadam uṭhāehaiṅ, kyoṅki jo ahkām aur hidāyāttū ne apne khādim Mūsā ko dīthīṅ ham un ke tābe na rahe.8Lekin ab wuh kuchh yād kar jotū ne apne khādim ko farmāyā,‘Agar tum bewafā ho jāo to maiṅtumheṅ mukhtalif qaumoṅ meṅmuntashir kar dūṅgā, 9lekin agartum mere pās wāpas ā kar dubārāmere ahkām ke tābe ho jāo to maiṅtumheṅ tumhārewatanmeṅwāpaslāūṅgā, khāh tum zamīn kī intahātak kyoṅ na pahuṅch gae ho. Maiṅtumheṅ us jagah wāpas lāūṅgā jisemaiṅ ne chun liyā hai tāki merānām wahāṅ sukūnat kare.’ 10AiRab, yih log to tere apne khādimhaiṅ, terī apnī qaum jise tū ne apnīazīm qudrat aur qawī hāth se fidyāde kar chhuṛāyā hai. 11Ai Rab, apnekhādim aur un tamām khādimoṅkī iltamās sun jo pūre dil se terenām kā khauf mānte haiṅ. Jab terākhādim āj shahanshāh ke pās hogāto use kāmyābī atā kar. Bakhsh deki wuh mujh par rahm kare.”Maiṅ ne yih is lie kahā ki maiṅ

shahanshāh kā sāqī thā.

Nahmiyāh ko Yarūshalam Jānekī Ijāzat Miltī Hai

2 Chārmahīne guzar gae. Nīsānke mahīne ke ek din jab maiṅ

Shahanshāh Artakhshastā ko maipilā rahā thā to merī māyūsī usenazar āī. Pahle us ne mujhe kabhīudās nahīṅ dekhā thā, 2is lie usne pūchhā, “Āp itne ġhamgīn kyoṅdikhāī de rahe haiṅ? Āp bīmār tonahīṅ lagte balki koī bāt āp ke dil kotang kar rahī hai.”Maiṅ sakht ghabrā gayā 3aur

kahā, “Shahanshāh abad tak jītārahe! Maiṅkis tarah khushho saktāhūṅ? Jis shahr meṅ mere bāpdādāko dafnāyā gayā hai wuh malbe kāḍher hai, aur us ke darwāze rākhhogae haiṅ.”

4Shahanshāh ne pūchhā, “Tophir maiṅ kis tarah āp kī madadkarūṅ?” Khāmoshī se āsmān keKhudā se duā karke 5maiṅ neshahanshāh se kahā, “Agar bāt āpko manzūr ho aur āp apne khādimse khush hoṅ to phir barāh‐e‐karmmujhe Yahūdāh ke us shahr bhejdījie jis meṅ mere bāpdādā dafnhue haiṅ tāki maiṅ use dubārātāmīr karūṅ.”

Page 551: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 2:6 545

6Us waqt malikā bhī sāth baiṭhīthī. Shahanshāh ne sawāl kiyā,“Safr ke lie kitnā waqt darkār hai?Āp kab tak wāpas ā sakte haiṅ?”Maiṅ ne use batāyā ki maiṅ kabtak wāpas āūṅgā to wuh muttafiqhuā. 7Phir maiṅ ne guzārish kī,“Agar bāt āp komanzūr ho tomujheDariyā‐e‐Furāt kemaġhribī ilāqe kegawarnaroṅ ke lie khat dījie tākiwuh mujhe apne ilāqoṅ meṅ seguzarne deṅ aur maiṅ salāmatī seYahūdāh tak pahuṅch sakūṅ. 8Iske alāwā shāhī janglāt ke nigarānĀsaf ke lie khat likhwāeṅ tāki wuhmujhe lakaṛī de. Jab maiṅ Rab keghar ke sāth wāle qile ke darwāze,fasīl aur apnā ghar banāūṅgā tomujhe shahtīroṅ kī zarūrat hogī.”Allāh kā shafīq hāth mujh par thā,is lie shahanshāhnemujhe yih khatde die.

9Shahanshāh ne faujī afsar aurghuṛsawār bhī mere sāth bheje.Yoṅ rawānā ho kar maiṅ Dariyā‐e‐Furāt ke maġhribī ilāqe kegawarnaroṅ ke pās pahuṅchā aurunheṅ shahanshāh ke khat die.10Jab Gawarnar Sanballat Haurūnīaur Ammonī afsar Tūbiyāh komālūm huā ki koī Isrāīliyoṅ kī

bahbūdī ke lie ā gayā hai to wuhnihāyat nākhush hue.

Nahmiyāh Fasīl kā MuāynāKartā Hai

11Safr karte kartemaiṅ Yarūshalampahuṅch gayā. Tīn din ke bād12maiṅ rāt ke waqt shahr se niklā.Mere sāth chand ek ādmī the, aurhamāre pās sirf wuhī jānwar thā jispar maiṅ sawār thā. Ab tak maiṅne kisī ko bhī us bojh ke bāre meṅnahīṅ batāyā thā jo mere Khudāne mere dil par Yarūshalam ke lieḍāl diyā thā. 13Chunāṅche maiṅandhere meṅ Wādī ke Darwāze seshahr se niklā aur junūb kī tarafAzhdahe ke Chashme se ho karKachre ke Darwāze tak pahuṅchā.Har jagah maiṅ ne girī huī fasīl aurbhasm hue darwāzoṅ kā muāynākiyā. 14Phir maiṅ shimāl yānīChashme ke Darwāze aur ShāhīTālāb kī taraf baṛhā, lekin malbekī kasrat kī wajah se mere jānwarko guzarne kā rāstā na milā, 15islie maiṅ Wādī‐e‐Qidron meṅ seguzarā. Ab tak andherā hī andherāthā. Wahāṅ bhī maiṅ fasīl kāmuāynā kartā gayā. Phir maiṅ

Page 552: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

546 Nahmiyāh 3:4

muṛā aur Wādī ke Darwāze meṅ sedubārā shahr meṅ dākhil huā.

Fasīl ko Tāmīr Karne kā Faislā16Yarūshalam ke afsaroṅ komālūmnahīṅ thā ki maiṅ kahāṅ gayā aurkyā kar rahā thā. Ab tak maiṅne na unheṅ aur na imāmoṅ yādīgar un logoṅ ko apne mansūbese āgāh kiyā thā jinheṅ tāmīr kāyih kām karnā thā. 17Lekin abmaiṅ un se mukhātib huā, “Āp kokhud hamārī musībat nazar ātī hai.Yarūshalam malbe kā ḍher bangayā hai, aur us ke darwāze rākh hogae haiṅ. Āeṅ, ham fasīl ko nae sirese tāmīr kareṅ tāki ham dūsroṅ kemazāq kā nishānā na bane raheṅ.”18Maiṅ ne unheṅ batāyā ki Allāhkā shafīq hāth kis tarah mujh parrahā thā aur ki shahanshāh nemujh se kis qism kā wādā kiyā thā.Yih sun kar unhoṅ ne jawāb diyā,“Ṭhīk hai, āeṅ ham tāmīr kā kāmshurū kareṅ!” Chunāṅche wuh isachchhe kāmmeṅ lag gae.

19Jab Sanballat Haurūnī,Ammonī afsar Tūbiyāh aur JashamArabī ko is kī khabar milī tounhoṅ ne hamārā mazāq uṛā karhiqāratāmez lahje meṅ kahā, “Yih

tum log kyā kar rahe ho? Kyātum shahanshāh se ġhaddārī karnāchāhte ho?” 20Maiṅ ne jawāb diyā,“Āsmān kā Khudā hameṅ kāmyābīatā karegā. Ham jo us ke khādimhaiṅ tāmīr kā kām shurū kareṅge.Jahāṅ tak Yarūshalam kā tālluq hai,na āj aur na māzī meṅ āp kā kabhīkoī hissā yā haq thā.”

Fasīl kī Tāmīr‐e‐Nau

3 Imām‐e‐āzam Iliyāsib bāqīimāmoṅ ke sāthmil kar tāmīrī

kām meṅ lag gayā. Unhoṅ ne Bheṛke Darwāze ko nae sire se banādiyā aur use makhsūs karke us kekiwāṛ lagā die. Unhoṅ ne fasīl kesāth wāle hisse ko bhī Miyā Burjaur Hananel ke Burj tak banā karmakhsūs kiyā.

2Yarīhū ke ādmiyoṅ ne fasīlke agle hisse ko khaṛā kiyā jabkiZakkūr bin Imrī ne un ke hisse semulhiq hisse ko tāmīr kiyā.

3Machhlī kā Darwāzā Sanā’āh kekhāndān kī zimmedārī thī. Useshahtīroṅ se banā kar unhoṅ nekiwāṛ, chaṭakhniyāṅ aur kunḍelagā die.

4Agle hisse kī marammatMarīmot bin Ūriyāh bin Haqqūz

Page 553: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 3:5 547

ne kī. Aglā hissā Masullām binBarakiyāh bin Mashezabel kīzimmedārī thī.Sadoq bin Bānā ne agle hisse ko

tāmīr kiyā.5Aglā hissā Taqua ke bāshindoṅ

ne banāyā. Lekin shahr ke baṛe logapne buzurgoṅ ke taht kām karneke lie taiyār na the.

6Yasānā kā Darwāzā Yoyadā binFāsih aur Masullām bin Basūdiyāhkī zimmedārī thī. Use shahtīroṅse banā kar unhoṅ ne kiwāṛ,chaṭakhniyāṅ aur kunḍe lagā die.

7Aglā hissāMalatiyāh Jibaūnī aurYadūn Marūnotī ne khaṛā kiyā.Yih log Jibaūn aur Misfāh ke the,wuhī Misfāh jahāṅ Dariyā‐e‐Furātke maġhribī ilāqe ke gawarnar kādārul‐hukūmat thā.

8Agle hisse kī marammat eksunār banām Uzziyel bin Harhiyāhke hāth meṅ thī.Agle hisse par ek itarsāz banām

Hananiyāh muqarrar thā. In logoṅne fasīl kī marammat ‘Moṭī Dīwār’tak kī.

9Agle hisse ko Rifāyāh bin Hūrne khaṛā kiyā. Yih ādmī zileYarūshalam ke ādhe hisse kā afsarthā.

10Yadāyāh bin Harūmaf ne aglehisse kī marammat kī jo us ke gharke muqābil thā.Agle hisse ko Hattūsh bin

Hasabniyāh ne tāmīr kiyā.11Agle hisse ko Tanūroṅ ke Burj

takMalkiyāhbinHārimaurHassūbbin Pakhat‐moāb ne khaṛā kiyā.

12Aglā hissā Sallūm binHallūhesh kī zimmedārī thī. Yihādmī zile Yarūshalam ke dūsreādhe hisse kā afsar thā. Us kībeṭiyoṅ ne us kī madad kī.

13Hanūn ne Zanūh ke bāshindoṅsamet Wādī ke Darwāze ko tāmīrkiyā. Shahtīroṅ se use banā karunhoṅ ne kiwāṛ, chaṭakhniyāṅ aurkunḍe lagāe. Is ke alāwā unhoṅne fasīl ko wahāṅ se Kachre keDarwāze tak khaṛā kiyā. Is hisse kāfāsilā taqrīban 1,500 fuṭ yānī ādhākilomīṭar thā.

14Kachre kā Darwāzā Malkiyāhbin Raikāb kī zimmedārī thī.Yih ādmī zile Bait‐karm kā afsarthā. Us ne use banā kar kiwāṛ,chaṭakhniyāṅ aur kunḍe lagāe.

15Chashme ke Darwāze kī tāmīrSallūn bin Kulhozā ke hāth meṅthī jo zile Misfāh kā afsar thā. Usne darwāze par chhat banā kar uske kiwāṛ, chaṭakhniyāṅ aur kunḍe

Page 554: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

548 Nahmiyāh 3:26

lagā die. Sāth sāth us ne fasīl ke ushisse kīmarammat kī jo Shāhī Bāġhke pās wāle tālāb se guzartā hai.Yihwuhī tālāb hai jismeṅ pānī nāleke zariye pahuṅchtā hai. Sallūn nefasīl ko us sīṛhī tak tāmīr kiyā joYarūshalamke us hisse se utartī haijo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai.

16AglāhissāNahmiyāhbinAzbuqkī zimmedārī thī jo zile Bait‐sūr keādhe hisse kā afsar thā. Fasīl kā yihhissā Dāūd Bādshāh ke qabristānke muqābil thā aur masnūī tālābaur sūrmāoṅ ke kamroṅ par khatmhuā.

17Zail ke Lāwiyoṅ ne agle hissoṅko khaṛā kiyā: Pahle Rahūm binBānī kā hissā thā.Zile Qaīlā ke ādhe hisse ke

afsar Hasbiyāh ne agle hisse kīmarammat kī. 18Agle hisse koLāwiyoṅ ne Binnūī bin Hanadādke zer‐e‐nigarānī khaṛā kiyā jozile Qaīlā ke dūsre ādhe hisse parmuqarrar thā.

19Aglā hissā Misfāh ke sardārAzar bin Yashua kī zimmedārī thī.Yih hissā fasīl ke us moṛ par thājahāṅ rāstā aslāhkhāne kī tarafchaṛhtā hai.

20Agle hisse ko Bārūk bin Zabbīne baṛī mehnat se tāmīr kiyā. Yih

hissā fasīl ke moṛ se shurū ho karimām‐e‐āzam Iliyāsib ke ghar kedarwāze par khatm huā.

21Aglā hissā Marīmot bin Ūriyāhbin Haqqūz kī zimmedārī thī aurIliyāsib ke ghar ke darwāze seshurū ho kar us ke kone par khatmhuā.

22Zail ke hisse un imāmoṅ netāmīr kie jo shahr ke gird‐o‐nawāhmeṅ rahte the.

23Agle hisse kī tāmīr Binyamīnaur Hassūb ke zer‐e‐nigarānī thī.Yih hissā un ke gharoṅ ke sāmnethā.Azariyāh bin Māsiyāh bin

Ananiyāh ne agle hisse kīmarammat kī. Yih hissā us ke gharke pās hī thā.

24Aglā hissā Binnūī bin Hanadādkī zimmedārī thī. Yih Azariyāh keghar se shurū huā aurmuṛte muṛtekone par khatm huā.

25Aglā hissā Fālāl bin Ūzī kīzimmedārī thī. Yih hissā moṛ seshurūhuā, aur ūpar kā jo burj shāhīmahal se us jagah nikaltā hai jahāṅmuhāfizoṅ kā sahan hai wuh bhī ismeṅ shāmil thā.Aglā hissā Fidāyāh bin Parūs

26aur Ofal Pahāṛī par rahne wāleRab ke ghar ke khidmatgāroṅ ke

Page 555: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 3:27 549

zimme thā. Yih hissā Pānī keDarwāze aur wahāṅ se nikle hueburj par khatm huā.

27Aglā hissā is burj se le kar OfalPahāṛī kī dīwār tak thā. Taqua kebāshindoṅ ne use tāmīr kiyā.

28Ghoṛe ke Darwāze se āgeimāmoṅ ne fasīl kī marammat kī.Har ek ne apne ghar ke sāmne kāhissā khaṛā kiyā.

29Un ke bād Sadoq bin Immer kāhissā āyā. Yih bhī us ke ghar kemuqābil thā.Aglā hissā Samāyāh bin

Sakaniyāh ne khaṛā kiyā. Yih ādmīMashriqī Darwāze kā pahredār thā.

30Aglā hissā Hananiyāh binSalamiyāh aur Salaf ke chhaṭe beṭeHanūn ke zimme thā.Aglā hissā Masullām bin

Barakiyāh ne tāmīr kiyā jo us keghar ke muqābil thā.

31Ek sunār banām Malkiyāh neagle hisse kī marammat kī. Yihhissā Rab ke ghar ke khidmatgāroṅaur tājiroṅ ke us makān par khatmhuā jo Pahre ke Darwāze ke sāmnethā. Fasīl ke kone par wāqebālākhānā bhī is meṅ shāmil thā.

32Ākhirī hissā Bheṛ ke Darwāzepar khatm huā. Sunāroṅ aurtājiroṅ ne use khaṛā kiyā.

Sanballat Yahūdiyoṅ kāMazāq Uṛātā Hai

4 Jab Sanballat ko patā chalāki ham fasīl ko dubārā tāmīr

kar rahe haiṅ to wuh āg‐bagūlāho gayā. Hamārā mazāq uṛāuṛā kar 2us ne apne hamkhidmatafsaroṅ aur Sāmariya ke faujiyoṅkī maujūdagī meṅ kahā, “Yihzaīf Yahūdī kyā kar rahe haiṅ?Kyā yih wāqaī Yarūshalam kīqilābandī karnā chāhte haiṅ? Kyāyih samajhte haiṅ ki chand ekqurbāniyāṅ pesh karke ham fasīlko āj hī khaṛā kareṅge? Wuhin jale hue pattharoṅ aur malbeke is ḍher se kis tarah naī dīwārbanā sakte haiṅ?” 3Ammonī afsarTūbiyāh us ke sāth khaṛā thā. Wuhbolā, “Unheṅ karne do! Dīwār itnīkamzor hogī ki agar lomṛī bhī uspar chhalāṅg lagāe to gir jāegī.”

4Ai hamāre Khudā, hamārī sun,kyoṅki log hameṅ haqīr jānte haiṅ.Jin bātoṅ se unhoṅ ne hameṅ zalīlkiyā hai wuh un kī zillat kā bāis banjāeṅ. Bakhsh de ki log unheṅ lūṭleṅ aur unheṅ qaid karke jilāwatankar deṅ. 5Un kā qusūr nazarandāzna kar balki un ke gunāh tujhe yādraheṅ. Kyoṅki unhoṅ ne fasīl ko

Page 556: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

550 Nahmiyāh 4:16

tāmīr karne wāloṅ ko zalīl karne setujhe taish dilāyā hai.

6Mukhālafat ke bāwujūd hamfasīl kī marammat karte rahe, aurhote hote pūrī dīwār kī ādhī ūṅchāīkhaṛī huī, kyoṅki log pūrī lagan sekām kar rahe the.

Dushman ke Hamloṅ kī Mudāfa’at7Jab Sanballat, Tūbiyāh, Araboṅ,Ammoniyoṅ aur Ashdūd kebāshindoṅ ko ittalā milī kiYarūshalam kī fasīl kī tāmīr meṅtaraqqī ho rahī hai balki jo hisseab tak khaṛe na ho sake the wuhbhī band hone lage haiṅ to wuhbaṛe ġhusse meṅ ā gae. 8Sabmuttahid ho kar Yarūshalam parhamlā karne aur us meṅ gaṛbaṛpaidā karne kī sāzisheṅ karnelage. 9Lekin ham ne apne Khudāse iltamās karke pahredār lagāejo hameṅ din rāt un se bachāerakheṅ.

10Us waqt Yahūdāh ke logkarāhne lage, “Mazdūroṅ kī tāqatkhatm ho rahī hai, aur abhī takmalbe ke baṛe ḍher bāqī haiṅ. Fasīlko banānā hamāre bas kī bāt nahīṅhai.”

11Dūsrī taraf dushman kah rahethe, “Ham achānak un par ṭūṭpaṛeṅge. Un ko us waqt patāchalegā jab ham un ke bīch meṅhoṅge. Tab ham unheṅ mār deṅgeaur kām ruk jāegā.”

12Jo Yahūdī un ke qarīb rahtethe wuh bār bār hamāre pās ā karhameṅ ittalā dete rahe, “Dushmanchāroṅ taraf se āp par hamlā karneke lie taiyār khaṛā hai.”

13Tab maiṅ ne logoṅ ko fasīl kepīchhe ek jagah khaṛā kar diyājahāṅ dīwār sab se nīchī thī, aurwuh talwāroṅ, nezoṅ aur kamānoṅse lais apne khāndānoṅ kemutābiqkhule maidān meṅ khaṛe ho gae.14Logoṅ kā jāyzā le kar maiṅkhaṛā huā aur kahne lagā, “Un semat ḍareṅ! Rab ko yād kareṅ joazīm aur mahīb hai. Zahan meṅrakheṅki hamapnebhāiyoṅ, beṭoṅbeṭiyoṅ, bīwiyoṅ aur gharoṅ ke lielaṛ rahe haiṅ.”

15Jab hamāre dushmanoṅ komālūm huā ki un kī sāzishoṅ kīkhabar ham tak pahuṅch gaī haiaur ki Allāh ne un ke mansūbeko nākām hone diyā to ham sabapnī apnī jagah par dubārā tāmīrke kām meṅ lag gae. 16Lekin usdin se mere jawānoṅ kā sirf ādhā

Page 557: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 4:17 551

hissā tāmīrī kām meṅ lagā rahā.Bāqī log nezoṅ, ḍhāloṅ, kamānoṅaur zirābaktar se lais pahrā deterahe. Afsar Yahūdāh ke un tamāmlogoṅ ke pīchhe khaṛe rahe 17jodīwār ko tāmīr kar rahe the. Sāmānuṭhāne wāle ek hāth se hathiyārpakaṛe kām karte the. 18Aur jo bhīdīwār ko khaṛā kar rahā thā us kītalwār kamr meṅ bandhī rahtī thī.Jis ādmī ko turam bajā kar khatrekā elān karnā thā wuh hameshāmere sāth rahā. 19Maiṅ ne shurafā,buzurgoṅ aur bāqī logoṅ se kahā,“Yih kām bahut hī baṛā aur wasīhai, is lie ham ek dūsre se dūraur bikhre hue kām kar rahe haiṅ.20Jyoṅ hī āp ko turam kī āwāz sunāīde to bhāg kar āwāz kī taraf chaleāeṅ. Hamārā Khudā hamāre lielaṛegā!”

21Ham pau phaṭne se le kar uswaqt tak kāmmeṅmasrūf rahte jabtak sitāre nazar na āte, aur harwaqtādmiyoṅ kā ādhā hissā neze pakaṛepahrā detā thā. 22Us waqt maiṅne sab ko yih hukm bhī diyā, “Harādmī apne madadgāroṅ ke sāth rātkā waqt Yarūshalam meṅ guzāre.Phir āp rāt ke waqt pahrādārī meṅbhī madad kareṅge aur din ke waqttāmīrī kām meṅ bhī.” 23Un tamām

dinoṅ ke daurān na maiṅ, na merebhāiyoṅ, na mere jawānoṅ aur namere pahredāroṅ ne kabhī apnekapṛe utāre. Nīz, har ek apnāhathiyār pakaṛe rahā.

Ġharīboṅ kā Qarzā Mansūkh

5 Kuchh der bād kuchhmard‐o‐khawātīn mere pās ā kar apne

Yahūdī bhāiyoṅ kī shikāyat karnelage. 2Bāz ne kahā, “Hamāre bahutzyādā beṭe‐beṭiyāṅ haiṅ, is liehameṅ mazīd anāj milnā chāhie,warnā ham zindā nahīṅ raheṅge.”3Dūsroṅ ne shikāyat kī, “Kāl kedaurān hameṅ apne khetoṅ, angūrke bāġhoṅ aur gharoṅ ko girwīrakhnā paṛā tāki anāj mil jāe.”4Kuchh aur bole, “Hameṅ apnekhetoṅ aur angūr ke bāġhoṅ parbādshāh kā ṭaiks adā karne ke lieudhār lenā paṛā. 5Ham bhī dūsroṅkī tarah Yahūdī qaum ke haiṅ, aurhamārebachcheun se kamhaisiyatnahīṅ rakhte. To bhī hameṅ apnebachchoṅ ko ġhulāmī meṅ bechnāpaṛtā hai tāki guzārā ho sake.Hamārī kuchh beṭiyāṅ launḍiyāṅban chukī haiṅ. Lekin ham khudbebas haiṅ, kyoṅki hamāre khet

Page 558: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

552 Nahmiyāh 5:15

aur angūr ke bāġh dūsroṅ ke qabzemeṅ haiṅ.”

6Un kā wāwailā aur shikāyateṅsun kar mujhe baṛā ġhussā āyā.7Bahut soch‐bichār ke bād maiṅne shurafā aur afsaroṅ par ilzāmlagāyā, “Āp apne hamwatanbhāiyoṅ se ġhairmunāsib sūd lerahe haiṅ!” Maiṅ ne un se nipaṭneke lie ek baṛī jamāt ikaṭṭhī karke8kahā, “Hamāre kaī hamwatanbhāiyoṅ ko Ġhairyahūdiyoṅ kobechā gayā thā. Jahāṅ tak mumkinthā ham ne unheṅ wāpas kharīdkar āzād karne kī koshish kī. Aur abāp khud apne hamwatan bhāiyoṅko bech rahe haiṅ. Kyā ham abunheṅ dubārā wāpas kharīdeṅ?”Wuh khāmosh rahe aur koī jawābna de sake.

9Maiṅ ne bāt jārī rakhī, “Āp kāyih sulūk ṭhīk nahīṅ. Āp ko hamāreKhudā kā khauf mān kar zindagīguzārnā chāhie tāki ham apneĠhairyahūdī dushmanoṅ kī lān‐tān kā nishānā na baneṅ. 10Maiṅ,mere bhāiyoṅ aur mulāzimoṅ nebhī dūsroṅ ko udhār ke taur parpaise aur anāj diyā hai. Lekin āeṅ,ham un se sūd na leṅ! 11Āj hī apneqarzdāroṅ ko un ke khet, ghar aurangūr aur zaitūn ke bāġh wāpas

kar deṅ. Jitnā sūd āp ne lagāyāthā use bhī wāpas kar deṅ, khāhuse paisoṅ, anāj, tāzā mai yā zaitūnke tel kī sūrat meṅ adā karnā ho.”12Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham usewāpas kar deṅge aur āindā un sekuchh nahīṅ māṅgeṅge. Jo kuchhāp ne kahā wuh ham kareṅge.”Tabmaiṅne imāmoṅkoapnepās

bulāyā tāki shurafā aur buzurg unkī maujūdagī meṅ kasm khāeṅ kiham aisā hī kareṅge. 13Phir maiṅne apne libās kī taheṅ jhāṛ jhāṛ karkahā, “Jo bhī apnī qasam toṛe useAllāh isī tarah jhāṛ kar us ke gharaur milkiyat se mahrūm kar de!”Tamām jamāshudā log bole,

“Āmīn, aisā hī ho!” Aur Rab kī tārīfkarne lage. Sab ne apne wāde pūrekie.

Nahmiyāh kā Achchhā Namūnā14Maiṅ kul bārah sāl sūbāYahūdāh kā gawarnar rahā yānīArtakhshastā Bādshāh kī hukūmatke 20weṅ sāl se us ke 32weṅ sāl tak.Is pūre arse meṅ na maiṅ ne aurna mere bhāiyoṅ ne wuh āmdanī lījo hamāre lie muqarrar kī gaī thī.15Asal meṅ māzī ke gawarnaroṅ neqaum par baṛā bojh ḍāl diyā thā.

Page 559: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 5:16 553

Unhoṅ ne riāyā se na sirf roṭī aurmai balki fī din chāṅdī ke 40 sikkebhī lie the. Un ke afsaroṅ ne bhīām logoṅ se ġhalat fāydā uṭhāyāthā. Lekin chūṅki maiṅ Allāh kākhauf māntā thā, is lie maiṅ ne unse aisā sulūk na kiyā. 16Merī pūrītāqat fasīl kī takmīl meṅ sarf huī,aur mere tamām mulāzim bhī iskām meṅ sharīk rahe. Ham meṅse kisī ne bhī zamīn na kharīdī.17Maiṅ ne kuchh namāṅgā hālāṅkimujhe rozānā Yahūdāh ke 150afsaroṅ kī mehmān‐nawāzī karnīpaṛtī thī. Un meṅ wuh tamāmmehmān shāmil nahīṅ haiṅ jogāhe bagāhe paṛosī mamālik seāte rahe. 18Rozānā ek bail, chhihbehtarīn bheṛ‐bakriyāṅ aur bahut‐se parinde mere lie zabah karketaiyār kie jāte, aur das das din kebād hameṅ kaī qism kī bahut‐sīmai kharīdnī paṛtī thī. In akhrājātke bāwujūd maiṅ ne gawarnar kelie muqarrarā wazīfā na māṅgā,kyoṅki qaum par bojh waise bhībahut zyādā thā.

19Ai mere Khudā, jo kuchh maiṅne is qaum ke lie kiyā hai us ke bāismujh par mehrbānī kar.

Nahmiyāh ke khilāf Sāzish

6 Sanballat, Tūbiyāh, JashamArabī aur hamāre bāqī

dushmanoṅ ko patā chalā ki maiṅne fasīl ko takmīl tak pahuṅchāyāhai aur dīwār meṅ kahīṅ bhīkhālī jagah nazar nahīṅ ātī. Sirfdarwāzoṅ ke kiwāṛ ab tak lagāenahīṅ gae the. 2Tab Sanballataur Jasham ne mujhe paiġhāmbhejā, “HamWādī‐e‐Onūs ke shahrKafīrīm meṅ āp se milnā chāhtehaiṅ.” Lekin mujhe mālūm thā kiwuh mujhe nuqsān pahuṅchānāchāhte haiṅ. 3Is lie maiṅ neqāsidoṅ ke hāth jawāb bhejā, “Maiṅis waqt ek baṛā kām takmīl takpahuṅchā rahā hūṅ, is lie maiṅ ānahīṅ saktā. Agarmaiṅ āp semilneāūṅ to pūrā kām ruk jāegā.”

4Chār dafā unhoṅ ne mujhe yihīpaiġhām bhejā aur har bār maiṅne wuhī jawāb diyā. 5Pāṅchweṅmartabā jab Sanballat ne apnemulāzim komere pās bhejā to us kehāth meṅ ek khulā khat thā. 6Khatmeṅ likhā thā, “Paṛosī mamālikmeṅ afwāh phail gaī hai ki āp aurbāqī Yahūdī baġhāwat kī taiyāriyāṅkar rahe haiṅ. Jasham ne is bāt kītasdīq kī hai. Log kahte haiṅ ki isī

Page 560: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

554 Nahmiyāh 6:16

wajah se āp fasīl banā rahe haiṅ.In riporṭoṅ ke mutābiq āp un kebādshāh baneṅge. 7Kahā jātā haiki āp ne nabiyoṅ ko muqarrar kiyāhai jo Yarūshalam meṅ elān kareṅki āp Yahūdāh ke bādshāh haiṅ.Beshak aisī afwāheṅ shahanshāhtak bhī pahuṅcheṅgī. Is lie āeṅ,ham mil kar ek dūsre se mashwarākareṅ ki kyā karnā chāhie.”

8Maiṅ ne use jawāb bhejā, “Jokuchh āp kah rahe haiṅ wuh jhūṭhī jhūṭ hai. Kuchh nahīṅ ho rahā,balki āp ne farzī kahānī ghaṛ līhai!” 9Asal meṅ dushman hameṅḍarānā chāhte the. Unhoṅ nesochā, “Agar ham aisī bāteṅ kaheṅto wuh himmat hār kar kām se bāzāeṅge.” Lekin ab maiṅ ne zyādāazm ke sāth kām jārī rakhā.

10Ek din maiṅ Samāyāh binDilāyāh bin Mahetabel se milnegayā jo tālā lagā kar ghar meṅbaiṭhā thā. Us ne mujh se kahā,“Āeṅ, ham Allāh ke ghar meṅ jamāho jāeṅ aur darwāzoṅ ko apnepīchhe band karke kunḍī lagāeṅ.Kyoṅki log isī rāt āp ko qatl karneke lie āeṅge.”

11Maiṅ ne etarāz kiyā, “Kyā yihṭhīk hai ki mujh jaisā ādmī bhāgjāe? Yā kyā mujh jaisā shakhs joimām nahīṅ hai Rab ke ghar meṅdākhil ho kar zindā rah saktā hai?Hargiz nahīṅ! Maiṅ aisā nahīṅkarūṅga!” 12Maiṅ ne jān liyā kiSamāyāh kī yih bāt Allāh kī taraf senahīṅ hai. Sanballat aur Tūbiyāhne use rishwat dī thī, isī lie us nemere bāre meṅ aisī peshgoī kī thī.13Is se wuh mujhe ḍarā kar gunāhkarne par uksānā chāhte the tākiwuh merī badnāmī karke mujhemazāq kā nishānā banā sakeṅ.

14Ai mere Khudā, Tūbiyāh aurSanballat kī yih burī harkateṅ matbhūlnā! Nauadiyāh nabiyā aur bāqīun nabiyoṅ ko yād rakh jinhoṅ nemujhe ḍarāne kī koshish kī hai.

Fasīl kī Takmīl15Fasīl ilūl ke mahīne ke 25weṅdina yānī 52 dinoṅmeṅmukammalhuī. 16Jab hamāre dushmanoṅ koyih khabar milī to paṛosī mamāliksaham gae. Aur wuh ehsās‐e‐kamtarī kā shikār ho gae. Unhoṅne jān liyā ki Allāh ne khud yih kāmtakmīl tak pahuṅchāyā hai.

a2 Aktūbar.

Page 561: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 6:17 555

17Un 52 dinoṅ ke daurānYahūdāh ke shurafā Tūbiyāh kokhat bhejte rahe aur us se jawābmilte rahe the. 18Asal meṅYahūdāh ke bahut‐se logoṅ neqasam khā kar us kī madad karnekā wādā kiyā thā. Wajah yih thīki wuh Sakaniyāh bin Arakh kādāmād thā, aur us ke beṭe Yūhanānkī shādī Masullām bin Barakiyāhkī beṭī se huī thī. 19Tūbiyāh ke yihmadadgār mere sāmne us ke nekkāmoṅ kī tārīf karte rahe aur sāthsāth merī har bāt use batāte rahe.Phir Tūbiyāh mujhe khat bhejtātāki maiṅ ḍar kar kām se bāz āūṅ.

7 Fasīl kī takmīl par maiṅ nedarwāzoṅ ke kiwāṛ lagwāe.

Phir Rab ke ghar ke darbān,gulūkār aur khidmatguzār Lāwīmuqarrar kie gae. 2Maiṅ nedo ādmiyoṅ ko Yarūshalam kehukmrān banāyā. Ek merā bhāīHanānī aur dūsrā qile kā kamānḍarHananiyāh thā. Hananiyāh komaiṅ ne is lie chun liyā ki wuhwafādār thā aur aksar logoṅ kīnisbat Allāh kā zyādā khauf māntāthā. 3Maiṅ ne donoṅ se kahā,“Yarūshalam ke darwāze dopaharke waqt jab dhūp kī shiddat haikhule na raheṅ, aur pahrā dete

waqt bhī unheṅ band karke kunḍelagāeṅ. Yarūshalam ke ādmiyoṅ kopahrādārī ke liemuqarrar kareṅ jinmeṅ se kuchh fasīl par aur kuchhapne gharoṅ ke sāmne hī pahrādeṅ.”

Jilāwatanī seWāpas ĀeHuoṅ kī Fahrist

4Go Yarūshalam Shahr baṛā aurwasī thā, lekin us meṅ ābādīthoṛī thī. Ḍhāe gae makān abtak dubārā tāmīr nahīṅ hue the.5Chunāṅche mere Khudā ne meredil ko shurafā, afsaroṅ aur awāmko ikaṭṭhā karne kī tahrīk dī tākikhāndānoṅ kī rajisṭrī taiyār karūṅ.Is silsilemeṅmujhe ek kitābmil gaījis meṅ un logoṅ kī fahrist darj thījo ham se pahle jilāwatanī se wāpasāe the. Us meṅ likhā thā,

6“Zail meṅ Yahūdāh ke unlogoṅ kī fahrist hai jo jilāwatanīse wāpas āe. Bābal kā bādshāhNabūkadnazzar unheṅ qaid karkeBābal le gayā thā, lekin ab wuhYarūshalam aur Yahūdāh ke unshahroṅ meṅ phir jā base jahāṅpahle rahte the.

7Un ke rāhnumā Zarubbābal,Yashua, Nahmiyāh, Azariyāh,

Page 562: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

556 Nahmiyāh 7:46

Rāmiyāh, Nahmānī, Mardakī,Bilshān, Misfarat, Bigwī, Nahūmaur Bānā the.Zail kī fahrist meṅ wāpas āe hue

khāndānoṅ ke mard bayān kie gaehaiṅ.

8Parūs kā khāndān: 2,172,9Safatiyāh kā khāndān: 372,10Arakh kā khāndān: 652,11Pakhat‐moāb kā khāndān yānī

Yashua aur Yoāb kī aulād: 2,818,12Ailām kā khāndān: 1,254,13Zattū kā khāndān: 845,14Zakkī kā khāndān: 760,15Binnūī kā khāndān: 648,16Babī kā khāndān: 628,17Azjād kā khāndān: 2,322,18Adūniqām kā khāndān: 667,19Bigwī kā khāndān: 2,067,20Adīn kā khāndān: 655,21Atīr kā khāndān yānī Hizqiyāh

kī aulād: 98,22Hāshūm kā khāndān: 328,23Bazī kā khāndān: 324,24Khārif kā khāndān: 112,25Jibaūn kā khāndān: 95,26Bait‐laham aur Natūfā ke

bāshinde: 188,27Anatot ke bāshinde: 128,28Bait‐azmāwat ke bāshinde: 42,29Qiriyat‐yārīm, Kafīrā aurBairot

ke bāshinde: 743,

30Rāmā aur Jibā ke bāshinde:621,

31Mikmās ke bāshinde: 122,32Baitel aur Aī ke bāshinde: 123,33Dūsre Nabū ke bāshinde: 52,34Dūsre Ailām ke bāshinde:

1,254,35Hārim ke bāshinde: 320,36Yarīhū ke bāshinde: 345,37Lūd, Hādīd aur Onūs ke

bāshinde: 721,38Sanā’āh ke bāshinde: 3,930.39Zail ke imām jilāwatanī se

wāpas āe.Yadāyāh kā khāndān jo Yashua kī

nasl kā thā: 973,40Immer kā khāndān: 1,052,41Fashhūr kā khāndān: 1,247,42Hārim kā khāndān: 1,017.43Zail ke Lāwī jilāwatanī sewāpas

āe.Yashua aurQadmiyel kā khāndān

yānī Hūdāwiyāh kī aulād: 74,44Gulūkār: Āsaf ke khāndān ke

148 ādmī,45Rab ke ghar ke darbān: Sallūm,

Atīr, Talmūn, Aqqūb, Khatītā aurSobī ke khāndānoṅ ke 138 ādmī.

46Rab ke ghar ke khidmatgāroṅke darj‐e‐zail khāndān jilāwatanī sewāpas āe.

Page 563: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 7:47 557

Zīhā, Hasūfā, Tabbāot, 47Qarūs,Siyā, Fadūn, 48Libānā, Hajābā,Shalmī, 49Hanān, Jiddel, Jahar,50Riyāyāh, Razīn, Naqūdā,51Jazzām, Uzzā, Fāsih, 52Basī,Maūnīm, Nafūsīm, 53Baqbūq,Haqūfā, Harhūr, 54Bazlūt, Mahīdā,Harshā, 55Barqūs, Sīsarā, Tāmah,56Naziyāh aur Khatīfā.

57Sulemān ke khādimoṅ ke darj‐e‐zail khāndān jilāwatanī se wāpasāe.Sūtī, Sūfirat, Farūdā, 58Yālā,

Darqūn, Jiddel, 59Safatiyāh,Khattīl, Fūkirat‐zabāym aur Amūn.

60Rab ke ghar ke khidmatgāroṅaur Sulemān ke khādimoṅ kekhāndānoṅ meṅ se wāpas āe huemardoṅ kī tādād 392 thī.

61‐62Wāpas āe hue khāndānoṅmeṅ se Dilāyāh, Tūbiyāh aurNaqūdā ke 642 mard sābit na karsake ki Isrāīl kī aulād haiṅ, gowuh Tal‐milah, Tal‐harshā, Karūb,Addūn aur Immer ke rahne wālethe.

63‐64Habāyāh, Haqqūz aurBarzillī ke khāndānoṅ ke kuchhimām bhī wāpas āe, lekin unheṅRab ke ghar meṅ khidmat karne kīijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne

nasabnāme meṅ apne nām talāshkie lekin un kā kahīṅ zikr na milā,is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā.(Barzillī ke khāndān ke bānī neBarzillī Jiliyādī kī beṭī se shādīkarke apne susar kā nām apnā liyāthā.) 65Yahūdāh ke gawarnar nehukm diyā ki in tīn khāndānoṅ keimām filhāl qurbāniyoṅ kā wuhhissā khāne meṅ sharīk na hoṅjo imāmoṅ ke lie muqarrar hai.Jab dubārā imām‐e‐āzammuqarrarkiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīmnāmī qurā ḍāl kar muāmalā halkare.

66Kul 42,360 Isrāīlī apne watanlauṭ āe, 67nīz un ke 7,337 ġhulāmaur launḍiyāṅ aur 245 gulūkār jinmeṅ mard‐o‐khawātīn shāmil the.

68Isrāīliyoṅ ke pās 736 ghoṛe,245 khachchar, 69435 ūṅṭ aur 6,720gadhe the.

70Kuchh khāndānī sarparastoṅne Rab ke ghar kī tāmīr‐e‐nauke lie apnī khushī se hadiye die.Gawarnar ne sone ke 1,000 sikke, 50kaṭore aur imāmoṅ ke 530 libās die.71Kuchh khāndānī sarparastoṅ nekhazāne meṅ sone ke 20,000 sikkeaur chāṅdī ke 1,200 kilogrām ḍāldie. 72Bāqī logoṅ ne sone ke 20,000

Page 564: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

558 Nahmiyāh 8:9

sikke, chāṅdī ke 1,100 kilogrām aurimāmoṅ ke 67 libās atā kie.

73Imām, Lāwī, Rab ke ghar kedarbān aur khidmatgār, gulūkāraur awām ke kuchh log apnī apnīābāī ābādiyoṅ meṅ dubārā jā base.Yoṅ tamām Isrāīlī dubārā apneapne shahroṅ meṅ rahne lage.”

Azrā Sharīat kī Tilāwat Kartā HaiSātweṅ mahīne yānī Aktūbar meṅjab Isrāīlī apne apne shahroṅmeṅ dubārā ābād ho gae the

8 to sab log mil kar Pānī keDarwāze ke chauk meṅ jamā

ho gae. Unhoṅ ne sharīat keālim Azrā se darkhāst kī ki wuhsharīat le āeṅ jo Rab ne Mūsākī mārifat Isrāīlī qaum ko de dīthī. 2Chunāṅche Azrā ne hāzirīnke sāmne sharīat kī tilāwat kī.Sātweṅ mahīne kā pahlā dina thā.Na sirf mard balki aurateṅ aursharīat kī bāteṅ samajhne ke qābiltamām bachche bhī jamā hue the.3Subah‐sawere se le kar dopahartak Azrā Pānī ke Darwāze ke chaukmeṅ paṛhtā rahā, aur tamām jamātdhyān se sharīat kī bāteṅ suntī rahī.

4Azrā lakaṛī ke ek chabūtare parkhaṛā thā jo khāskar ismauqe ke liebanāyā gayā thā. Us ke dāeṅ hāthMattitiyāh, Samā, Anāyāh, Ūriyāh,Khilqiyāh aur Māsiyāh khaṛe the.Us ke bāeṅ hāth Fidāyāh, Mīsāel,Malkiyāh, Hāshūm, Hasbaddānā,Zakariyāh aur Masullām khaṛe the.

5Chūṅki Azrā ūṅchī jagah parkhaṛā thā is lie wuh sab ko nazarāyā. Chunāṅche jab us ne kitābko khol diyā to sab log khaṛe hogae. 6Azrā ne Rab azīm Khudā kīsatāish kī, aur sab ne apne hāthuṭhā kar jawāb meṅ kahā, “Āmīn,āmīn.” Phir unhoṅ ne jhuk kar Rabko sijdā kiyā.

7Kuchh Lāwī hāzir the jinhoṅne logoṅ ke lie sharīat kītashrīh kī. Un ke nām Yashua,Bānī, Saribiyāh, Yamīn, Aqqūb,Sabbatī, Hūdiyāh, Māsiyāh, Qalītā,Azariyāh, Yūzabad, Hanān aurFilāyāh the. Hāzirīn ab tak khaṛethe. 8Sharīat kī tilāwat ke sāth sāthmazkūrā Lāwī qadam baqadam uskī tashrīh yoṅ karte gae ki log useachchhī tarah samajh sake.

9Sharīat kī bāteṅ sun sun karwuh rone lage. Lekin Nahmiyāh

a8 Aktūbar.

Page 565: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 8:10 559

Gawarnar, sharīat ke ālim AzrāImām aur sharīat kī tashrīh karnewāle Lāwiyoṅ ne unheṅ tasallī dekar kahā, “Udās na hoṅ aur matroeṅ! Āj Rab āp ke Khudā ke liemakhsūs‐o‐muqaddas īd hai. 10Abjāeṅ, umdā khānā khā kar aurpīne kī mīṭhī chīzeṅ pī kar khushīmanāeṅ. Jo apne lie kuchh taiyārna kar sakeṅ unheṅ apnī khushīmeṅ sharīk kareṅ. Yih din hamāreRab ke lie makhsūs‐o‐muqaddashai. Udās na hoṅ, kyoṅki Rab kīkhushī āp kī panāhgāh hai.”

11Lāwiyoṅ ne bhī tamām logoṅko sukūn dilā kar kahā, “Udās nahoṅ, kyoṅki yih din Rab ke liemakhsūs‐o‐muqaddas hai.”

12Phir sab apne apne ghar chalegae. Wahāṅ unhoṅ ne baṛī khushīse khā‐pī kar jashn manāyā. Sāthsāth unhoṅ ne dūsroṅ ko bhī apnīkhushī meṅ sharīk kiyā. Un kī baṛīkhushī kā sabab yih thā ki abunheṅun bātoṅ kī samajh āī thī jo unheṅsunāī gaī thīṅ.

Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd13Agle dina khāndānī sarparast,imām aur Lāwī dubārā sharīat

ke ālim Azrā ke pās jamā huetāki sharīat kī mazīd tālīm pāeṅ.14Jab wuh sharīat kā mutāla’ā karrahe the to unheṅ patā chalā kiRab ne Mūsā kī mārifat hukmdiyā thā ki Isrāīlī sātweṅ mahīnekī īd ke daurān jhoṅpṛiyoṅ meṅraheṅ. 15Chunāṅche unhoṅne Yarūshalam aur bāqī tamāmshahroṅ meṅ elān kiyā, “Pahāṛoṅpar se zaitūn, ās,b khajūr aur bāqīsāyādār darakhtoṅ kī shākheṅ toṛkar apne ghar le jāeṅ. Wahāṅ unse jhoṅpṛiyāṅ banāeṅ, jis tarahsharīat ne hidāyat dī hai.”

16Logoṅ ne aisā hī kiyā. Wuhgharoṅ se nikle aur darakhtoṅ kīshākheṅ toṛ kar le āe. Un se unhoṅne apne gharoṅ kī chhatoṅ par aursahnoṅ meṅ jhoṅpṛiyāṅ banā līṅ.Bāz ne apnī jhoṅpṛiyoṅ ko Rab keghar ke sahnoṅ, Pānī ke Darwāzeke chauk aur Ifrāīm ke Darwāze kechauk meṅ bhī banāyā. 17Jitne bhījilāwatanī se wāpas āe the wuh sabjhoṅpṛiyāṅ banā kar un meṅ rahnelage. Yashua bin Nūn ke zamānese le kar us waqt tak yih īd is tarahnahīṅ manāī gaī thī. Sab nihāyat hīkhush the. 18Īd ke har din Azrā ne

a9 Aktūbar. bmyrtle

Page 566: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

560 Nahmiyāh 9:8

Allāh kī sharīat kī tilāwat kī. Sāt dinIsrāīliyoṅ ne īd manāī, aur āṭhweṅdin sab log ijtimā ke lie ikaṭṭhehue, bilkul un hidāyāt ke mutābiqjo sharīat meṅ dī gaī haiṅ.

Isrāīlī Apne Gunāhoṅ kāIqrār Karte Haiṅ

9 Usī mahīne ke 24weṅ dina

Isrāīlī rozā rakhne ke lie jamāhue. Ṭāṭ ke libās pahne hueaur sar par khāk ḍāl kar wuhYarūshalam āe. 2Ab wuh tamāmĠhairyahūdiyoṅ se alag ho kar ungunāhoṅ kā iqrār karne ke lie hāzirhue jo un se aur un ke bāpdādā sesarzad hue the. 3Tīn ghanṭe wuhkhaṛe rahe, aur us daurān Rab unke Khudā kī sharīat kī tilāwat kīgaī. Phir wuh Rab apne Khudā kesāmnemuṅh ke bal jhuk kar mazīdtīn ghanṭe apne gunāhoṅ kā iqrārkarte rahe.

4Yashua, Bānī, Qadmiyel,Sabaniyāh, Bunnī, Saribiyāh,Bānī aur Kanānī jo Lāwī the ekchabūtare par khaṛe hue aurbuland āwāz se Rab apne Khudāse duā kī.

5Phir Yashua, Qadmiyel, Bānī,Hasabniyāh, Saribiyāh, Hūdiyāh,Sabaniyāh aur Fatahiyāh jo Lāwīthe bol uṭhe, “Khaṛe ho kar Rabapne Khudā kī jo azal se abad takhai satāish kareṅ!”Unhoṅ ne duā kī,“Tere jalālī nām kī tamjīd ho, jo

har mubārakbādī aur tārīf se kahīṅbaṛh kar hai. 6Ai Rab, tū hī wāhidKhudā hai! Tū ne āsmān ko eksire se dūsre sire tak us ke lashkarsamet khalaq kiyā. Zamīn aur jokuchh us par hai, samundar aur jokuchh us meṅ hai sab kuchh tū hīne banāyā hai. Tū ne sab ko zindagībakhshī hai, aur āsmānī lashkartujhe sijdā kartā hai.

7Tū hī Rab aur wuh Khudā haijis ne Abrām ko chun liyā aurKasdiyoṅ ke shahr Ūr se bāhar lākar Ibrāhīm kā nām rakhā. 8Tūne us kā dil wafādār pāyā aur usse ahd bāndh kar wādā kiyā, ‘Maiṅterī aulād ko Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ,Amoriyoṅ, Farizziyoṅ, Yabūsiyoṅaur Jirjāsiyoṅ kāmulk atā karūṅga.’Aur tū apne wāde par pūrā utrā,

a31 Aktūbar.

Page 567: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 9:9 561

kyoṅki tū qābil‐e‐etamād aur ādilhai.

9Tū ne hamāre bāpdādā ke Misrmeṅ bure hāl par dhyān diyā,aur Bahr‐e‐Qulzum ke kināre parmadad ke lie un kī chīkheṅ sunīṅ.10Tū ne ilāhī nishānoṅ aur mojizoṅse Firaun, us ke afsaroṅ aur us kemulk kī qaum ko sazā dī, kyoṅki tūjāntā thā ki Misrī hamāre bāpdādāse kaisā gustākhānā sulūk karterahe haiṅ. Yoṅ terā nām mashhūrhuā aur āj tak yād rahā hai. 11Qaumke dekhte dekhte tū ne samundarko do hissoṅ meṅ taqsīm kar diyā,aur wuh khushk zamīn par chalkar us meṅ se guzar sake. Lekinun kā tāqqub karne wāloṅ ko tūne mutalātim pānī meṅ phaiṅkdiyā, aur wuh pattharoṅ kī tarahsamundar kī gahrāiyoṅ meṅ ḍūbgae.

12Din ke waqt tū ne bādal kesatūn se aur rāt ke waqt āg kesatūn se apnī qaum kī rāhnumāīkī. Yoṅ wuh rāstā andhere meṅ bhīraushan rahā jis par unheṅ chalnāthā. 13Tū Koh‐e‐Sīnā par utar āyāaur āsmān se un se hamkalāmhuā. Tū ne unheṅ sāf hidāyātaur qābil‐e‐etamād ahkām die, aise

qawāyd jo achchhe haiṅ. 14Tū neunheṅ Sabat ke din ke bāre meṅāgāh kiyā, us din ke bāre meṅ jotere lie makhsūs‐o‐muqaddas hai.Apne khādim Mūsā kī mārifat tūne unheṅ ahkām aur hidāyāt dīṅ.15Jab wuh bhūke the to tū ne unheṅāsmān se roṭī khilāī, aur jab pyāsethe to tū ne unheṅ chaṭān se pānīpilāyā. Tū ne hukmdiyā, ‘Jāo, mulkmeṅ dākhil ho kar us par qabzā karlo, kyoṅki maiṅ ne hāth uṭhā karqasam khāī hai ki tumheṅ yihmulkdūṅgā.’

16Afsos, hamāre bāpdādāmaġhrūr aur ziddī ho gae. Wuh tereahkāmke tābe na rahe. 17Unhoṅneterī sunane se inkār kiyā aur wuhmojizāt yād na rakhe jo tū ne unke darmiyān kie the. Wuh yahāṅtak aṛ gae ki unhoṅ ne ek rāhnumāko muqarrar kiyā jo unheṅ Misr kīġhulāmī meṅ wāpas le jāe. Lekintū muāf karne wālā Khudā hai jomehrbān aur rahīm, tahammulaur shafqat se bharpūr hai. Tū neunheṅ tark na kiyā, 18us waqt bhīnahīṅ jab unhoṅ ne apne lie sonekā bachhṛā ḍhāl kar kahā, ‘Yih terāKhudā hai jo tujhe Misr se nikāllāyā.’ Is qism kā sanjīdā kufr wuh

Page 568: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

562 Nahmiyāh 9:28

bakte rahe. 19Lekin tū bahut rahmdil hai, is lie tū ne unheṅ registānmeṅ na chhoṛā. Din ke waqt bādalkā satūn un kī rāhnumāī kartārahā, aur rāt ke waqt āg kā satūnwuh rāstā raushan kartā rahā jispar unheṅ chalnā thā. 20Na sirf yihbalki tū ne unheṅ apnā nek Rūh atākiyā jo unheṅ tālīm de. Jab unheṅbhūk aur pyās thī to tū unheṅ mankhilāne aur pānī pilāne se bāz naāyā. 21Chālīs sāl wuh registān meṅphirte rahe, aur us pūre arse meṅtū un kī zarūriyāt ko pūrā kartārahā. Unheṅ koī bhī kamī nahīṅthī. Na un ke kapṛe ghis kar phaṭeaur na un ke pāṅw sūje.

22Tū ne mamālik aur qaumeṅ unke hawāle kar dīṅ, mukhtalif ilāqeyake bād dīgare un ke qabze meṅāe. Yoṅ wuh Sīhon Bādshāh kemulk Hasbon aur Oj Bādshāh kemulk Basan par fatah pā sake. 23Unkī aulād terī marzī se āsmān parke sitāroṅ jaisī beshumār huī, aurtū unheṅ us mulk meṅ lāyā jis kāwādā tū ne un ke bāpdādā se kiyāthā. 24Wuhmulkmeṅdākhil ho karus ke mālik ban gae. Tū ne Kanānke bāshindoṅ ko un ke āge āge zerkar diyā. Mulk ke bādshāh aur

qaumeṅ un ke qabze meṅ ā gaīṅ,aur wuh apnī marzī ke mutābiq unse nipaṭ sake. 25Qilāband shahr aurzarkhez zamīneṅ terī qaumkeqābūmeṅ ā gaīṅ, nīz har qism kī achchhīchīzoṅ se bhare ghar, taiyārshudāhauz, angūr ke bāġh aur kasrat kezaitūn aur dīgar phaldār darakht.Wuh jī bhar kar khānā khā karmoṭe ho gae aur terī barkatoṅ selutfandoz hote rahe.

26Is ke bāwujūdwuh tābe na rahebalki sarkash hue. Unhoṅ ne apnāmuṅh terī sharīat se pher liyā. Aurjab tere nabī unheṅ samjhā samjhākar tere pās wāpas lānā chāhte theto unhoṅ ne baṛe kufr bak karunheṅ qatl kar diyā. 27Yih dekhkar tū ne unheṅ un ke dushmanoṅke hawāle kar diyā jo unheṅ tangkarte rahe. Jab wuh musībat meṅphaṅs gae to wuh chīkheṅ mārmār kar tujh se fariyād karne lage.Aur tū ne āsmān par se un kīsunī. Baṛā tars khā kar tū neun ke pās aise logoṅ ko bhej diyājinhoṅ ne unheṅ dushmanoṅ kehāth se chhuṛāyā. 28Lekin jyoṅhī Isrāīliyoṅ ko sukūn miltā wuhdubārā aisī harkateṅ karne lagte jotujhe nāpasand thīṅ. Natīje meṅ

Page 569: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 9:29 563

tū unheṅ dubārā un ke dushmanoṅke hāth meṅ chhoṛ detā. Jab wuhun kī hukūmat ke taht pisne lagteto wuh ek bār phir chillā chillā kartujh se iltamās karne lagte. Is bārbhī tū āsmān par se un kī suntā.Hāṅ, tū itnā rahm dil hai ki tūunheṅbār bār chhuṭkārā detā rahā!29Tū unheṅ samjhātā rahā tāki wuhdubārā terī sharīat kī taraf rujūkareṅ, lekin wuh maġhrūr the aurtere ahkām ke tābe na hue. Unhoṅne terī hidāyāt kī khilāfwarzī kī,hālāṅki inhīṅ par chalne se insānko zindagī hāsil hotī hai. Lekinunhoṅ ne parwā na kī balki apnāmuṅh tujh se pher kar aṛ gae aursunane ke lie taiyār na hue.

30Un kī harkatoṅ ke bāwujūdtū bahut sāloṅ tak sabar kartārahā. Terā Rūh unheṅ nabiyoṅke zariye samjhātā rahā, lekinunhoṅ ne dhyān na diyā. Tab tūne unheṅ ġhairqaumoṅ ke hawālekar diyā. 31Tāham terā rahm sebharā dil unheṅ tark karke tabāhnahīṅ karnā chāhtā thā. Tū kitnāmehrbān aur rahīm Khudā hai!

32Aihamāre Khudā, ai azīm, qawīaur mahīb Khudā jo apnā ahd aur

apnī shafqat qāym rakhtā hai, iswaqt hamārī musībat par dhyān deaur use kam na samajh! Kyoṅkihamāre bādshāh, buzurg, imāmaur nabī balki hamāre bāpdādāaur pūrī qaum Asūrī bādshāhoṅke pahle hamloṅ se le kar āj taksakht musībat bardāsht karte rahehaiṅ. 33Haqīqat to yih hai ki jobhī musībat ham par āī hai usmeṅ tū rāst sābit huā hai. Tūwafādār rahā hai, go hamqusūrwārṭhahre haiṅ. 34Hamāre bādshāhaur buzurg, hamāre imām aurbāpdādā, un sab ne terī sharīat kīpairawī na kī. Jo ahkām aur tambīhtū ne unheṅ dī us par unhoṅ nedhyān hī na diyā. 35Tū ne unheṅ unkī apnī bādshāhī, kasrat kī achchhīchīzoṅ aur ek wasī aur zarkhezmulk se nawāzā thā. To bhī wuhterī khidmat karne ke lie taiyār nathe aur apnī ġhalat rāhoṅ se bāz naāe.

36Is kā anjām yih huā hai ki ājham us mulk meṅ ġhulām haiṅ jotū ne hamāre bāpdādā ko atā kiyāthā tāki wuh us kī paidāwār aurdaulat se lutfandoz ho jāeṅ. 37Mulkkī wāfir paidāwār un bādshāhoṅtak pahuṅchtī hai jinheṅ tū ne

Page 570: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

564 Nahmiyāh 10:29

hamāre gunāhoṅ kī wajah se hampar muqarrar kiyā hai. Ab wuhīham par aur hamāre maweshiyoṅpar hukūmat karte haiṅ. Unhīṅ kīmarzī chaltī hai. Chunāṅche hambaṛī musībat meṅ phaṅse haiṅ.

Qaum kā Ahdnāmā38Yih tamām bāteṅ madd‐e‐nazarrakh kar ham ahd bāndh kar useqalamband kar rahe haiṅ. Hamārebuzurg, Lāwī aur imām dastkhatkarke ahdnāme parmuhr lagā rahehaiṅ.”

10 Zail ke logoṅ ne dastkhatkie.

Gawarnar Nahmiyāh binHakaliyāh, Sidqiyāh, 2Sirāyāh,Azariyāh, Yarmiyāh, 3Fashhūr,Amariyāh, Malkiyāh, 4Hattūsh,Sabaniyāh, Mallūk, 5Hārim,Marīmot, Abadiyāh, 6Dānyāl,Jinnatūn, Bārūk, 7Masullām,Abiyāh, Miyāmīn, 8Māziyāh, Biljīaur Samāyāh. Sirāyāh se le karSamāyāh tak imām the.

9Phir zail ke Lāwiyoṅ ne dastkhatkie.Yashua bin Azaniyāh, Hanadād

ke khāndān kā Binnūī, Qadmiyel,10un ke bhāī Sabaniyāh, Hūdiyāh,

Qalītā, Filāyāh, Hanān, 11Mīkā,Rahob, Hasbiyāh, 12Zakkūr,Saribiyāh, Sabaniyāh, 13Hūdiyāh,Bānī aur Banīnū.

14In ke bād zail ke qaumībuzurgoṅ ne dastkhat kie.Parūs, Pakhat‐moāb, Ailām,

Zattū, Bānī 15Bunnī, Azjād, Babī,16Adūniyāh, Bigwī, Adīn, 17Atīr,Hizqiyāh, Azzūr, 18Hūdiyāh,Hāshūm, Bazī, 19Khārif, Anatot,Nebī, 20Magfiyās, Masullām, Hizīr21Mashezabel, Sadoq, Yaddū,22Falatiyāh, Hanān, Anāyāh,23Hosea, Hananiyāh, Hassūb,24Hallūhesh, Filhā, Sobeq,25Rahūm, Hasabnāh, Māsiyāh,26Akhiyāh, Hanān, Anān, 27Mallūk,Hārim aur Bānā.

28Qaum ke bāqī log bhī ahdmeṅ sharīk hue yānī bāqī imām,Lāwī, Rab ke ghar ke darbān aurkhidmatgār, gulūkār, nīz sab joĠhairyahūdī qaumoṅ se alag ho gaethe tāki Rab kī sharīat kī pairawīkareṅ. Un kī bīwiyāṅ aur wuh beṭe‐beṭiyāṅ bhī sharīk hue jo ahd kosamajh sakte the. 29Apne buzurgbhāiyoṅ ke sāth mil kar unhoṅ neqasam khā kar wādā kiyā, “Ham ussharīat kī pairawī kareṅge jo Allāhne hameṅ apne khādim Mūsā kī

Page 571: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 10:30 565

mārifat dī hai. Ham ehtiyāt seRab apne āqā ke tamām ahkām aurhidāyāt par amal kareṅge.”

30Nīz, unhoṅ ne qasam khā karwādā kiyā,“Ham apne beṭe‐beṭiyoṅ kī

shādī Ġhairyahūdiyoṅ se nahīṅkarāeṅge.

31Jab Ġhairyahūdī hameṅ Sabatke din yā Rab ke lie makhsūs kisīaur din anāj yā koī aur māl bechnekī koshish kareṅ to ham kuchhnahīṅ kharīdeṅge.Har sātweṅ sāl ham zamīn

kī khetībāṛī nahīṅ kareṅge aurtamām karze mansūkh kareṅge.

32Ham sālānā Rab ke ghar kīkhidmat ke lie chāṅdī kā chhoṭāsikkāa deṅge. Is khidmat meṅ zailkī chīzeṅ shāmil haiṅ: 33Allāh keliemakhsūs roṭī, ġhallā kī nazar aurbhasm hone wālī wuh qurbāniyāṅjo rozānā pesh kī jātī haiṅ, Sabat kedin, Nae Chāṅd kī Īd aur bāqī īdoṅpar pesh kī jāne wālī qurbāniyāṅ,khās muqaddas qurbāniyāṅ, Isrāīlkā kaffārā dene wālī gunāh kīqurbāniyāṅ, aur hamāre Khudā keghar kā har kām.

34Ham ne qurā ḍāl kar muqarrarkiyā hai ki imāmoṅ, Lāwiyoṅaur bāqī qaum ke kaun kaun‐se khāndān sāl meṅ kin kinmuqarrarā mauqoṅ par Rab keghar meṅ lakaṛī pahuṅchāeṅ. Yihlakaṛī hamāre Khudā kī qurbāngāhpar qurbāniyāṅ jalāne ke lieistemāl kī jāegī, jis tarah sharīatmeṅ likhā hai.

35Ham sālānā apne khetoṅ aurdarakhtoṅ kā pahlā phal Rab keghar meṅ pahuṅchāeṅge.

36Jis tarah sharīat meṅ darjhai, ham apne pahlauṭhoṅ koRab ke ghar meṅ lā kar Allāhke lie makhsūs kareṅge. Gāy‐bailoṅ aur bheṛ‐bakriyoṅ kepahle bachche ham khidmatguzārimāmoṅ ko qurbān karne ke liedeṅge. 37Unheṅ ham sāl ke pahleġhallā se gūṅdhā huā āṭā, apnedarakhtoṅ kā pahlā phal, apnīnaī mai aur zaitūn ke nae tel kāpahlā hissā de kar Rab ke ghar kegodāmoṅ meṅ pahuṅchāeṅge.Dehāt meṅ ham Lāwiyoṅ ko

apnī fasloṅ kā daswāṅ hissā deṅge,kyoṅki wuhī dehāt meṅ yih hissājamā karte haiṅ. 38Daswāṅ hissā

aChāṅdī ke taqrīban 4 grām.

Page 572: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

566 Nahmiyāh 11:9

milte waqt koī imām yānī Hārūn kekhāndān kā koī mard Lāwiyoṅ kesāth hogā, aur Lāwī māl kā daswāṅhissā hamāre Khudā ke ghar kegodāmoṅ meṅ pahuṅchāeṅge.39Ām log aur Lāwī wahāṅ ġhallā,naī mai aur zaitūn kā tel lāeṅge. Inkamroṅmeṅmaqdis kī khidmat kelie darkār tamām sāmān mahfūzrakhā jāegā. Is ke alāwā wahāṅimāmoṅ, darbānoṅ aur gulūkāroṅke kamre hoṅge.Ham apne Khudā ke ghar meṅ

tamām farāyz saranjām dene meṅġhaflat nahīṅ barteṅge.”

Yarūshalam aur Yahūdāhke Bāshinde

11 Qaum ke buzurgYarūshalam meṅ ābād

hue the. Faislā kiyā gayā ki bāqīlogoṅ ke har dasweṅ khāndānko muqaddas shahr Yarūshalammeṅ basnā hai. Yih khāndānqurā ḍāl kar muqarrar kie gae.Bāqī khāndānoṅ ko un kī maqāmījaghoṅ meṅ rahne kī ijāzat thī.2Lekin jitne log apnī khushī seYarūshalam jā base unheṅ dūsroṅne mubārakbād dī.

3Zail meṅ sūbe ke un buzurgoṅkī fahrist hai jo Yarūshalam meṅābād hue. (Aksar log Yahūdāh kebāqī shahroṅ aur dehāt meṅ apnīmaurūsī zamīn par baste the. Inmeṅ ām Isrāīlī, imām, Lāwī, Rabke ghar ke khidmatgār aur Sulemānke khādimoṅ kī aulād shāmil the.4Lekin Yahūdāh aur Binyamīn kechand ek log Yarūshalam meṅ jābase.)Yahūdāh kā qabīlā:Fāras ke khāndān kā Atāyāh

bin Uzziyāh bin Zakariyāh binAmariyāh bin Safatiyāh binMahalalel,

5Silonī ke khāndān kā Māsiyāhbin Bārūk bin Kulhozā binHazāyāhbin Adāyāh bin Yūyārīb binZakariyāh.

6Fāras ke khāndān ke 468 asar‐o‐rasūkh rakhne wāle ādmī apnekhāndānoṅ sametYarūshalammeṅrihāishpazīr the.

7Binyamīn kā qabīlā:Sallū bin Masullām bin Yoed bin

Fidāyāh bin Qaulāyāh bin Māsiyāhbin Ītiyel bin Yasāyāh.

8Sallū ke sāth Jabbī aur Sallī the.Kul 928 ādmī the. 9In par Yoel binZikrī muqarrar thā jabki Yahūdāh

Page 573: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 11:10 567

bin Sanūsāh shahr kī intazāmiyāmeṅ dūsre nambar par ātā thā.

10Yarūshalam meṅ zail ke imāmrahte the.Yadāyāh, Yūyārīb, Yakīn

11aur Sirāyāh bin Khilqiyāh binMasullām bin Sadoq bin Mirāyotbin Akhītūb. Sirāyāh Allāh ke gharkā muntazim thā.

12In imāmoṅ ke 822 bhāī Rab keghar meṅ khidmat karte the.Nīz, Adāyāh bin Yarohām bin

Filaliyāh bin Amsī bin Zakariyāhbin Fashhūr bin Malkiyāh. 13Uske sāth 242 bhāī the jo apne apnekhāndānoṅ ke sarparast the.In ke alāwā Amashsī bin Azarel

bin Akhzī bin Masillamot binImmer. 14Us ke sāth 128 asar‐o‐rasūkh rakhne wāle bhāī the.Zabdiyel bin Hajjadūlīm un kāinchārj thā.

15Zail ke Lāwī Yarūshalam meṅrihāishpazīr the. Samāyāh binHassūb bin Azrīqām bin Hasbiyāhbin Bunnī,

16nīz Sabbatī aur Yūzabad joAllāh ke ghar se bāhar ke kām parmuqarrar the,

17nīz shukrguzārī kā rāhnumāMattaniyāh bin Mīkā bin Zabdī bin

Āsaf thā jo duā karte waqt hamd‐o‐sanā kī rāhnumāī kartā thā,nīz us kā madadgār Mattaniyāh

kā bhāī Baqbūqiyāh,aur ākhir meṅ Abdā bin Sammua

bin Jalāl bin Yadūtūn.18Lāwiyoṅ ke kul 284 mard

muqaddas shahr meṅ rahte the.19Rab ke ghar ke darbānoṅ ke

darj‐e‐zail mard Yarūshalam meṅrahte the.Aqqūb aur Talmūn apne bhāiyoṅ

samet darwāzoṅ ke pahredār the.Kul 172 mard the.

20Qaum ke bāqī log, imām aurLāwīYarūshalamsebāharYahūdāhke dūsre shahroṅ meṅ ābād the.Har ek apnī ābāī zamīn par rahtāthā.

21Rab ke ghar ke khidmatgār OfalPahāṛī par baste the. Zīhā aur Jisfāun par muqarrar the.

22Yarūshalam meṅ rahne wāleLāwiyoṅ kā nigarān Uzzī bin Bānībin Hasbiyāh bin Mattaniyāh binMīkā thā. Wuh Āsaf ke khāndān kāthā, us khāndān kā jis ke gulūkārAllāh ke ghar meṅ khidmat kartethe. 23Bādshāh ne muqarrar kiyāthā ki Āsaf ke khāndān ke kin kin

Page 574: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

568 Nahmiyāh 12:9

ādmiyoṅ ko kis kis din Rab ke gharmeṅ gīt gāne kī khidmat karnī hai.

24Fatahiyāh bin MashezabelIsrāīlī muāmaloṅ meṅ Fāras kebādshāh kī numāindagī kartāthā. Wuh Zārah bin Yahūdāh kekhāndān kā thā.

25Yahūdāh ke qabīle ke afrād zailke shahroṅ meṅ ābād the.Qiriyat‐arbā, Dībon aur Qabziyel

gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ samet,26Yashua, Molādā, Bait‐falat,27Hasār‐suāl, Bair‐sabā gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ samet,28Siqlāj, Makūnāh gird‐o‐nawāhkī ābādiyoṅ samet, 29Ain‐rimmon,Sur’ā, Yarmūt, 30Zanūh, Adullāmgird‐o‐nawāh kī haweliyoṅ samet,Lakīs gird‐o‐nawāh ke khetoṅsamet aur Azīqā gird‐o‐nawāh kīābādiyoṅ samet. Ġharz, wuh junūbmeṅBair‐sabā se le kar shimālmeṅWādī‐e‐Hinnūm tak ābād the.

31Binyamīn ke qabīle kī rihāishzail ke maqāmoṅ meṅ thī.Jibā, Mikmās, Aiyāh, Baitel

gird‐o‐nawāh kī ābādiyoṅ samet,32Anatot, Nob, Ananiyāh, 33Hasūr,Rāmā, Jittaim, 34Hādīd, Zaboīm,Naballāt, 35Lūd, Onūs aurKārīgaroṅ kī Wādī.

36Lāwī qabīle ke kuchh khāndānjo pahle Yahūdāh meṅ rahte theab Binyamīn ke qabāylī ilāqe meṅābād hue.

Imāmoṅ aur Lāwiyoṅ kī Fahrist

12 Darj‐e‐zail un imāmoṅaur Lāwiyoṅ kī fahrist hai

jo Zarubbābal bin Siyāltiyel aurYashua ke sāth jilāwatanī se wāpasāe.Imām:Sirāyāh, Yarmiyāh, Azrā,2Amariyāh, Mallūk, Hattūsh,

3Sakaniyāh, Rahūm, Marīmot,4Iddū, Jinnatūn, Abiyāh,5Miyāmīn, Muadiyāh, Biljā,6Samāyāh, Yūyārīb, Yadāyāh,7Sallū, Amūq, Khilqiyāh, aurYadāyāh. Yih Yashua ke zamānemeṅ imāmoṅ aur un ke bhāiyoṅ kerāhnumā the.

8Lāwī:Yashua, Binnūī, Qadmiyel,

Saribiyāh, YahūdāhaurMattaniyāh.Mattaniyāh apne bhāiyoṅ ke sāthRab ke ghar meṅ hamd‐o‐sanāke gīt gāne meṅ rāhnumāī kartāthā. 9Baqbūqiyāh aur Unnī apnebhāiyoṅ ke sāth ibādat ke daurānun ke muqābil khaṛe hote the.

Page 575: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 12:10 569

10Imām‐e‐āzam Yashua kī aulād:Yashua Yūyaqīm kā bāp thā,

Yūyaqīm Iliyāsib kā, IliyāsibYoyadā kā, 11Yoyadā Yūnatan kā,Yūnatan Yaddū kā.

12Jab Yūyaqīm imām‐e‐āzam thāto zail ke imām apne khāndānoṅ kesarparast the.Sirāyāh ke khāndān kā Mirāyāh,Yarmiyāh ke khāndān kā

Hananiyāh,13Azrā ke khāndān kā Masullām,Amariyāh ke khāndān kā

Yūhanān,14Mallūk ke khāndān kāYūnatan,Sabaniyāh ke khāndān kā Yūsuf,15Hārim ke khāndān kā Adnā,Mirāyot ke khāndān kā Khilqī,16Iddū ke khāndān kā Zakariyāh,Jinnatūn ke khāndān kā

Masullām,17Abiyāh ke khāndān kā Zikrī,Minyamīn ke khāndān kā ek

ādmī,Muadiyāh ke khāndān kā Filtī,18Biljā ke khāndān kā Sammua,Samāyāh ke khāndān kā

Yahūnatan,19Yūyārībke khāndānkāMattanī,Yadāyāh ke khāndān kā Uzzī,20Sallī ke khāndān kā Qallī,Amūq ke khāndān kā Ibar,

21Khilqiyāh ke khāndān kāHasbiyāh,Yadāyāh ke khāndān kā

Nataniyel.

22Jab Iliyāsib, Yoyadā, Yūhanānaur Yaddū imām‐e‐āzam the toLāwī ke sarparastoṅ kī fahristtaiyār kī gaī aur isī tarah Fāraske bādshāh Dārā ke zamāne meṅimāmoṅ ke khāndānī sarparastoṅkī fahrist.

23Lāwī ke khāndānī sarparastoṅke nām imām‐e‐āzam Yūhanān binIliyāsib ke zamāne tak tārīkh kīkitāb meṅ darj kie gae.

24‐25Lāwī ke khāndānī sarparastHasbiyāh, Saribiyāh, Yashua,Binnūī aur Qadmiyel khidmat keun gurohoṅ kī rāhnumāī kartethe jo Rab ke ghar meṅ hamd‐o‐sanā ke gīt gāte the. Un kemuqābil Mattaniyāh, Baqbūqiyāhaur Abadiyāh apne gurohoṅ ke sāthkhaṛe hote the. Gīt gāte waqt kabhīyih guroh aur kabhī us ke muqābilkā guroh gātā thā. Sab kuchh ustartīb se huā jomard‐e‐KhudāDāūdne muqarrar kī thī.Masullām, Talmūn aur Aqqūb

darbān the jo Rab ke ghar ke

Page 576: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

570 Nahmiyāh 12:39

darwāzoṅ ke sāthwāqe godāmoṅ kīpahrādārī karte the.

26Yih ādmī imām‐e‐āzamYūyaqīm bin Yashua bin Yūsadaq,Nahmiyāh Gawarnar aur sharīat keālim Azrā Imām ke zamāne meṅapnī khidmat saranjām dete the.

Fasīl kī Makhsūsiyat27Fasīl kī makhsūsiyat ke lie pūremulk ke Lāwiyoṅ ko Yarūshalambulāyā gayā tāki wuh khushīmanāne meṅ madad karke hamd‐o‐sanā ke gīt gāeṅ aur jhāṅjh,sitār aur sarod bajāeṅ. 28GulūkārYarūshalam ke gird‐o‐nawāh se,Natūfātiyoṅ ke dehāt, 29Bait‐jiljālaur Jibā aur Azmāwat ke ilāqe seāe. Kyoṅki gulūkāroṅ ne apnī apnīābādiyāṅ Yarūshalam ke irdgirdbanāī thīṅ. 30Pahle imāmoṅ aurLāwiyoṅ ne apne āp ko jashn kelie pāk‐sāf kiyā, phir unhoṅ ne āmlogoṅ, darwāzoṅ aur fasīl ko bhīpāk‐sāf kar diyā.

31Is ke bād maiṅ ne Yahūdāh keqabīle ke buzurgoṅ ko fasīl parchaṛhnī diyā aur gulūkāroṅ koshukrguzārī ke do baṛe gurohoṅmeṅ taqsīm kiyā. Pahlā gurohfasīl par chalte chalte junūb meṅ

wāqe Kachre ke Darwāze kī tarafbaṛh gayā. 32In gulūkāroṅ kepīchhe Hūsāyāh Yahūdāh ke ādhebuzurgoṅ ke sāth chalā 33jabki in kepīchhe Azariyāh, Azrā, Masullām,34Yahūdāh, Binyamīn, Samāyāhaur Yarmiyāh chale. 35Ākhirī gurohimām the jo turam bajāte rahe.In ke pīchhe zail ke mausīqārāe: Zakariyāh bin Yūnatan binSamāyāh bin Mattaniyāh binMīkāyāh bin Zakkūr bin Āsaf 36aurus ke bhāī Samāyāh, Azarel, Milalī,Jilalī, Māī, Nataniyel, Yahūdāh aurHanānī. Yih ādmī mard‐e‐KhudāDāūd ke sāz bajāte rahe. Sharīatke ālim Azrā ne julūs kī rāhnumāīkī. 37Chashme ke Darwāze ke pāsā kar wuh sīdhe us sīṛhī par chaṛhgae jo Yarūshalam ke us hisse takpahuṅchātī hai jo ‘Dāūd kā Shahr’kahlātā hai. Phir Dāūd ke mahalke pīchhe se guzar kar wuh shahrke maġhrib meṅ wāqe Pānī keDarwāze tak pahuṅch gae.

38Shukrguzārī kā dūsrā gurohfasīl par chalte chalte shimāl meṅwāqe Tanūroṅ ke Burj aur ‘MoṭīDīwār’ kī taraf baṛh gayā, aur maiṅbāqī logoṅ ke sāth us ke pīchhe holiyā. 39Ham Ifrāīm ke Darwāze,Yasānā ke Darwāze, Machhlī ke

Page 577: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 12:40 571

Darwāze, Hananel ke Burj, MiyāBurj aur Bheṛ ke Darwāze se hokar Muhāfizoṅ ke Darwāze takpahuṅch gae jahāṅ ham ruk gae.

40Phir shukrguzārī ke donoṅguroh Rab ke ghar ke pās khaṛeho gae. Maiṅ bhī buzurgoṅ keādhe hisse 41aur zail ke turambajāne wāle imāmoṅ ke sāth Rabke ghar ke sahan meṅ khaṛā huā:Iliyāqīm, Māsiyāh, Minyamīn,Mīkāyāh, Iliyuainī, Zakariyāh aurHananiyāh. 42Māsiyāh, Samāyāh,Iliyazar, Uzzī, Yūhanān, Malkiyāh,Ailām aur Azar bhī hamāre sāththe. Gulūkār Izrakhiyāh kīrāhnumāī meṅ hamd‐o‐sanā ke gītgāte rahe.

43Us din zabah kī baṛī baṛīqurbāniyāṅ pesh kī gaīṅ, kyoṅkiAllāh ne ham sab ko bāl‐bachchoṅsamet baṛī khushī dilāī thī.Khushiyoṅ kā itnā shor mach gayāki us kī āwāz dūr‐darāz ilāqoṅ takpahuṅch gaī.

Rab ke Ghar ke Godāmoṅkī Zimmedārī

44Us waqt kuchh ādmiyoṅ ko ungodāmoṅ ke nigarān banāyā gayājin meṅ hadiye, fasloṅ kā pahlā

phal aur paidāwār kā daswāṅhissā mahfūz rakhā jātā thā.Un meṅ shahroṅ kī fasloṅ kāwuh hissā jamā karnā thā josharīat ne imāmoṅ aur Lāwiyoṅke lie muqarrar kiyā thā. KyoṅkiYahūdāh ke bāshinde khidmatkarne wāle imāmoṅ aur Lāwiyoṅse khush the 45jo apne Khudā kīkhidmat tahārat ke rasm‐o‐riwājsamet achchhī tarah anjām detethe. Rab ke ghar ke gulūkār aurdarbān bhī Dāūd aur us ke beṭeSulemān kī hidāyāt ke mutābiq hīkhidmat karte the. 46Kyoṅki Dāūdaur Āsaf ke zamāne se hī gulūkāroṅke līḍar Allāh kī hamd‐o‐sanā kegītoṅ meṅ rāhnumāī karte the.

47Chunāṅche Zarubbābal aurNahmiyāh ke dinoṅ meṅ tamāmIsrāīl Rab ke ghar ke gulūkāroṅ aurdarbānoṅ kī rozānā zarūriyāt pūrīkartā thā. Lāwiyoṅ ko wuh hissādiyā jātā jo un ke lie makhsūs thā,aur Lāwī us meṅ se imāmoṅ kowuh hissā diyā karte the jo un kelie makhsūs thā.

Page 578: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

572 Nahmiyāh 13:11

Moābiyoṅ aur Ammoniyoṅse Alahdagī

13 Us din qaum ke sāmneMūsā kī sharīat kī tilāwat

kī gaī. Paṛhte paṛhte mālūm huāki Ammoniyoṅ aur Moābiyoṅ kokabhī bhī Allāh kī qaummeṅ sharīkhone kī ijāzat nahīṅ. 2Wajah yihhai ki in qaumoṅ neMisr se nikaltewaqt Isrāīliyoṅ ko khānā khilāneaur pānī pilāne se inkār kiyā thā.Na sirf yih balki unhoṅ ne Bilām kopaise die the tāki wuh Isrāīlī qaumpar lānat bheje, agarche hamāreKhudā ne lānat ko barkat meṅtabdīl kiyā. 3Jab hāzirīn ne yihhukm sunā to unhoṅ ne tamāmĠhairyahūdiyoṅ ko jamāt se khārijkar diyā.

Rab ke Ghar ke Intazām kī Islāh4Is wāqiye se pahle Rab ke gharke godāmoṅ par muqarrar imāmIliyāsib ne apne rishtedār Tūbiyāh5ke lie ek baṛā kamrā khālī kardiyā thā jis meṅ pahle ġhallā kīnazareṅ, bakhūr aur kuchh ālātrakhe jāte the. Nīz, ġhallā, naī maiaur zaitūn ke tel kā jo daswāṅ hissāLāwiyoṅ, gulūkāroṅ aur darbānoṅke lie muqarrar thā wuh bhī us

kamre meṅ rakhā jātā thā aur sāthsāth imāmoṅ ke lie muqarrar hissābhī. 6Us waqt maiṅ Yarūshalammeṅ nahīṅ thā, kyoṅki Bābal kebādshāh Artakhshastā kī hukūmatke 32weṅ sāl meṅ maiṅ us kedarbār meṅ wāpas ā gayā thā.Kuchhder bādmaiṅ shahanshāh seijāzat le kar dubārā Yarūshalam kelie rawānā huā. 7Wahāṅ pahuṅchkar mujhe patā chalā ki Iliyāsibne kitnī burī harkat kī hai, ki usne apne rishtedār Tūbiyāh ke lieRab ke ghar ke sahan meṅ kamrākhālī kar diyā hai. 8Yih bāt mujhenihāyat hī burī lagī, aur maiṅne Tūbiyāh kā sārā sāmān kamrese nikāl kar phaiṅk diyā. 9Phirmaiṅ ne hukm diyā ki kamre naesire se pāk‐sāf kar die jāeṅ. Jabaisā huā to maiṅ ne Rab ke gharkā sāmān, ġhallā kī nazareṅ aurbakhūr dubārā wahāṅ rakh diyā.

10Mujhe yih bhī mālūm huā kiLāwī aur gulūkār Rab ke ghar meṅapnī khidmat ko chhoṛ kar apnekhetoṅ meṅ kām kar rahe haiṅ.Wajah yih thī ki unheṅ wuh hissānahīṅ mil rahā thā jo un kā haqthā. 11Tab maiṅ ne zimmedārafsaroṅ ko jhiṛak kar kahā, “ĀpAllāh ke ghar kā intazām itnī

Page 579: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Nahmiyāh 13:12 573

beparwāī se kyoṅ chalā rahe haiṅ?”Maiṅ ne Lāwiyoṅ aur gulūkāroṅko wāpas bulā kar dubārā un kīzimmedāriyoṅ par lagāyā. 12Yihdekh kar tamām Yahūdāh ġhallā,naī mai aur zaitūn ke tel kā daswāṅhissā godāmoṅ meṅ lāne lagā.13Godāmoṅ kī nigarānī maiṅ neSalamiyāh Imām, Sadoq Munshīaur Fidāyāh Lāwī ke sapurd karkeHanān bin Zakkūr bin Mattaniyāhko un kā madadgār muqarrar kiyā,kyoṅki chāroṅ ko qābil‐e‐etamādsamjhā jātā thā. Unhīṅ ko imāmoṅaur Lāwiyoṅ meṅ un ke muqarrarāhisse taqsīm karne kī zimmedārī dīgaī.

14Ai mere Khudā, is kām ke bāismujhe yād kar! Wuh sab kuchh nabhūl jo maiṅ ne wafādārī se apneKhudā ke ghar aur us ke intazām kelie kiyā hai.

Sabat kī Bahālī15Us waqt maiṅ ne Yahūdāh meṅkuchh logoṅ ko dekhā jo Sabat kedin angūr kā ras nichoṛ kar maibanā rahe the. Dūsre ġhallā lākar mai, angūr, anjīr aur dīgarmukhtalif qism kī paidāwār kesāth gadhoṅ par lād rahe aur

Yarūshalam pahuṅchā rahe the.Yih sab kuchh Sabat ke din ho rahāthā. Maiṅ ne unheṅ tambīh kī kiSabat ke din khurāk farokht nakarnā. 16Sūr ke kuchh ādmī bhījo Yarūshalammeṅ rahte the Sabatke dinmachhlī aur dīgar kaī chīzeṅYarūshalam meṅ lā kar Yahūdāhke logoṅ ko bechte the. 17Yih dekhkarmaiṅ ne Yahūdāh ke shurafā koḍāṅṭ kar kahā, “Yih kitnī burī bāthai! Āp to Sabat ke din kī behurmatīkar rahe haiṅ. 18Jab āp ke bāpdādāne aisā kiyā to Allāh yih sārī āfatham par aur is shahr par lāyā. Abāp Sabat ke din kī behurmatī karnese Allāh kā Isrāīl par ġhazab mazīdbaṛhā rahe haiṅ.”

19Maiṅ ne hukm diyā ki jume koYarūshalam ke darwāze shām keus waqt band kie jāeṅ jab darwāzesāyoṅ meṅ ḍūb jāeṅ, aur ki wuhSabat ke pūre din band raheṅ.Sabat ke ikhtitām tak unheṅ kholnekī ijāzat nahīṅ thī. Maiṅ neapne kuchh logoṅ ko darwāzoṅ parkhaṛā bhī kiyā tāki koī bhī apnāsāmān Sabat ke din shahr meṅ nalāe. 20Yih dekh kar tājiroṅ aurbechnewāloṅ ne kaīmartabā Sabatkī rāt shahr se bāhar guzārī aurwahāṅ apnā māl bechne kī koshish

Page 580: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

574 Nahmiyāh 13:31

kī. 21Tab maiṅ ne unheṅ tambīhkī, “Āp Sabat kī rāt kyoṅ fasīl kepās guzārte haiṅ? Agar āp dubārāaisā kareṅ to āp ko hawālā‐e‐puliskiyā jāegā.” Us waqt se wuh Sabatke din āne se bāz āe. 22Lāwiyoṅ komaiṅ ne hukm diyā ki apne āp kopāk‐sāf karke shahr ke darwāzoṅ kīpahrādārī kareṅ tāki ab se Sabat kādin makhsūs‐o‐muqaddas rahe.Ai mere Khudā, mujhe is nekī ke

bāis yād karke apnī azīm shafqat kemutābiq mujh par mehrbānī kar.

Ġhairyahūdiyoṅ se RishtāBāndhnāManā Hai

23Us waqt mujhe yih bhī mālūmhuā ki bahut‐se Yahūdī mardoṅ kīshādī Ashdūd, Ammon aurMoāb kīauratoṅ se huī hai. 24Un ke ādhebachche sirf Ashdūd kī zabān yā koīaur ġhairmulkī zabān bol lete the.Hamārī zabān se wuh nāwāqif hīthe. 25Tab maiṅ ne unheṅ jhiṛkāaur un par lānat bhejī. Bāz ekke bāl noch noch kar maiṅ ne unkī piṭāī kī. Maiṅ ne unheṅ Allāhkī qasam khilāne par majbūr kiyāki ham apne beṭe‐beṭiyoṅ kī shādīġhairmulkiyoṅ se nahīṅ karāeṅge.26Maiṅ ne kahā, “Isrāīl ke bādshāhSulemān ko yād kareṅ. Aisī hīshādiyoṅ ne use gunāh karne par

uksāyā. Us waqt us ke barābarkoī bādshāh nahīṅ thā. Allāh usepyār kartā thā aur use pūre Isrāīlkā bādshāh banāyā. Lekin usebhī ġhairmulkī bīwiyoṅ kī taraf segunāh karne par uksāyā gayā. 27Abāp ke bāre meṅ bhī yihī kuchhsunanā paṛtā hai! Āp se bhī yihībaṛā gunāh sarzad ho rahā hai.Ġhairmulkī auratoṅ se shādī karnese āp hamāre Khudā se bewafā hogae haiṅ!”

28Imām‐e‐āzam Iliyāsib ke beṭeYoyadā ke ekbeṭe kī shādī SanballatHaurūnī kī beṭī se huī thī, is liemaiṅ ne beṭe ko Yarūshalam sebhagā diyā.

29Ai mere Khudā, unheṅ yād kar,kyoṅki unhoṅ ne imām ke ohdeaur imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke ahd kībehurmatī kī hai.

30Chunāṅche maiṅ ne imāmoṅaur Lāwiyoṅ ko har ġhairmulkīchīz se pāk‐sāf karke unheṅun kī khidmat aur mukhtalifzimmedāriyoṅ ke lie hidāyāt dīṅ.

31Nīz,maiṅne dhyāndiyā ki fasalkī pahlī paidāwār aur qurbāniyoṅko jalāne kī lakaṛī waqt par Rab keghar meṅ pahuṅchāī jāe.Ai mere Khudā, mujhe yād karke

mujh par mehrbānī kar!

Page 581: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar

Akhaswerus JashnManātā Hai

1 Akhaswerus Bādshāh kīsaltanat Bhārat se le kar

Ethopiyā tak 127 sūboṅ parmushtamil thī. 2Jin wāqiyāt kā zikrhai wuh us waqt hue jab wuh SosanShahr ke qile se hukūmat kartāthā. 3Apnī hukūmat ke tīsre sālmeṅ us ne apne tamām buzurgoṅaur afsaroṅ kī ziyāfat kī. Fāras aurMādī ke faujī afsar aur sūboṅ keshurafā aur ra’īs sab sharīk hue.4Shahanshāh ne pūre 180 din takapnī saltanat kī zabardast daulataur apnī quwwat kī shān‐o‐shaukatkā muzāharā kiyā.

5Is ke bād us ne Sosan ke qilemeṅ rahne wāle tamām logoṅ kīchhoṭe se le kar baṛe tak ziyāfatkī. Yih jashn sāt din tak Shāhī

Bāġh ke sahan meṅ manāyā gayā.6Marmara ke satūnoṅ ke darmiyānkatān ke safed aur qirmizī rangke qīmtī parde laṭkāe gae the, aurwuh safed aur arġhawānī rang kīḍoriyoṅ ke zariye satūnoṅmeṅ lagechāṅdī ke chhalloṅ ke sāth bandhehue the. Mehmānoṅ ke lie soneaur chāṅdī ke sofe pachchīkārī keaise farsh par rakhe hue the jismeṅmarmar ke alāwā mazīd tīn qīmtīpatthar istemāl hue the. 7Mai soneke pyāloṅ meṅ pilāī gaī. Har pyālāfarq aur lāsānī thā, aur bādshāhkī faiyāzī ke mutābiq shāhī mai kīkasrat thī. 8Har koī jitnī jī chāhe pīsaktā thā, kyoṅki bādshāh ne hukmdiyā thā ki sāqī mehmānoṅ kī harkhāhish pūrī kareṅ.

aLafzī tarjumā: sang‐e‐jarrāhat, alabaster.

Page 582: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

576 Āstar 1:20

Washtī Malikā kī Bartarafī9Is daurān Washtī Malikā ne mahalke andar khawātīn kī ziyāfat kī.10Sātweṅ din jab bādshāh kā dilmai pī pī kar bahal gayā thā to usne un sāt khwājāsarāoṅ ko bulāyājo khās us kī khidmat karte the.Un ke nām Mahūmān, Bizzatā,Kharbūnā, Bigtā, Abagtā, Zitāraur Karkas the. 11Us ne hukmdiyā, “Washtī Malikā ko shāhī tājpahnā kar mere huzūr le āo tākishurafā aur bāqī mehmānoṅ kous kī khūbsūratī mālūm ho jāe.”Kyoṅki Washtī nihāyat khūbsūratthī. 12Lekin jab khwājāsarā malikāke pās gae to us ne āne se inkār kardiyā.Yih sun kar bādshāh āg‐bagūlā

ho gayā 13aur dānāoṅ se bāt kī joauqāt ke ālim the, kyoṅki dastūr yihthā ki bādshāh qānūnī muāmaloṅmeṅ ulamā se mashwarā kare.14Ālimoṅ ke nām kārshīnā, sitār,admātā, Tarsīs, maras, marsinā aurMamūkān the. Fāras aur Mādī keyih sāt shurafā āzādī se bādshāh kehuzūr ā sakte the aur saltanat meṅsab se ālā ohdā rakhte the.

15Akhaswerus ne pūchhā,“Qānūn ke lihāz se Washtī Malikā

ke sāth kyā sulūk kiyā jāe? Kyoṅkius ne khwājāsarāoṅ ke hāth bhejehue shāhī hukm ko nahīṅ mānā.”

16Mamūkān ne bādshāh aurdīgar shurafā kī maujūdagī meṅjawāb diyā, “Washtī Malikā ne isse na sirf bādshāh kā balki uske tamām shurafā aur saltanatke tamām sūboṅ meṅ rahne wālīqaumoṅ kā bhī gunāh kiyā hai.17Kyoṅki jo kuchh us ne kiyā haiwuh tamām khawātīn komālūmhojāegā. Phir wuh apne shauharoṅ kohaqīr jān kar kaheṅgī, ‘Go bādshāhne Washtī Malikā ko apne huzūrāne kā hukm diyā to bhī us ne uske huzūr āne se inkār kiyā.’ 18Ājhī Fāras aur Mādī ke shurafā kībīwiyāṅ malikā kī yih bāt sun karapne shauharoṅ se aisā hī sulūkkareṅgī. Tab ham zillat aur ġhusseke jāl meṅ ulajh jāeṅge. 19Agarbādshāh ko manzūr ho to wuhelān kareṅ ki Washtī Malikā kophir kabhī Akhaswerus Bādshāhke huzūr āne kī ijāzat nahīṅ. Aurlāzim hai ki yih elān Fāras aurMādīke qawānīn meṅ darj kiyā jāe tākiuse mansūkh na kiyā jā sake. Phirbādshāh kisī aur komalikā kā ohdādeṅ, aisī aurat ko jo zyādā lāyqho. 20Jab elān pūrī saltanat meṅ

Page 583: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar 1:21 577

kiyā jāegā to tamām aurateṅ apneshauharoṅ kī izzat kareṅgī, khāhwuh chhoṭe hoṅ yā baṛe.”

21Yih bāt bādshāh aur us keshurafā ko pasand āī. Mamūkānke mashware ke mutābiq22Akhaswerus ne saltanat ketamām sūboṅ meṅ khat bheje. Harsūbe ko us ke apne tarz‐e‐tahrīrmeṅ aur har qaum ko us kī apnīzabān meṅ khat mil gayā ki harmard apne ghar kā sarparast haiaur ki har khāndānmeṅ shauhar kīzabān bolī jāe.

Naī Malikā kī Talāsh

2 Bād meṅ jab bādshāh kāġhussā ṭhanḍā ho gayā to

malikā use dubārā yād āne lagī.Jo kuchh Washtī ne kiyā thā aurjo faislā us ke bāre meṅ huā thāwuh bhī us ke zahan meṅ ghūmtārahā. 2Phir us ke mulāzimoṅ nekhayāl pesh kiyā, “Kyoṅ na pūrīsaltanat meṅ shahanshāh ke liekhūbsūrat kuṅwāriyāṅ talāsh kījāeṅ? 3Bādshāh apnī saltanat kehar sūbemeṅafsarmuqarrar kareṅjo yih khūbsūrat kuṅwāriyāṅ chun

kar Sosan ke qile ke zanānkhānemeṅ lāeṅ. Unheṅ zanānkhāneke inchārj Haijā khwājāsarā kīnigarānī meṅ de diyā jāe aur unkī khūbsūratī baṛhāne ke lie rangnikhārne kā har zarūrī tarīqāistemāl kiyā jāe. 4Phir jo laṛkībādshāh ko sab se zyādā pasandāe wuh Washtī kī jagah malikā banjāe.”Yih mansūbā bādshāh ko

achchhā lagā, aur us ne aisā hī kiyā.5Us waqt Sosan ke qile meṅ

Binyamīn ke qabīle kā ek Yahūdīrahtā thā jis kā nām Mardakībin Yāīr bin Simaī bin Qīs thā.6Mardakī kā khāndān un Isrāīliyoṅmeṅ shāmil thā jin ko Bābal kābādshāh Nabūkadnazzar Yahūdāhke bādshāh Yahūyākīna ke sāthjilāwatan karke apne sāth le gayāthā. 7Mardakī ke chachā kī eknihāyat khūbsūrat beṭī banāmHadassāh thī jo Āstar bhī kahlātīthī. Us ke wālidain ke marne parMardakī ne use le kar apnī beṭī kīhaisiyat se pāl liyā thā.

8Jab bādshāh kā hukm sādir huāto bahut‐sī laṛkiyoṅko Sosankeqile

aIbrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādifYakūniyāh mustāmal hai.

Page 584: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

578 Āstar 2:17

meṅ lā kar zanānkhāne ke inchārjHaijā ke sapurdkar diyā gayā. Āstarbhī un laṛkiyoṅ meṅ shāmil thī.9Wuh Haijā ko pasand āī balki useus kī khās mehrbānī hāsil huī.Khwājāsarā ne jaldī jaldī banāw‐singār kā silsilā shurū kiyā, khāne‐pīne kā munāsib intazām karwāyāaur shāhī mahal kī sāt chunīdānaukarāniyāṅ Āstar ke hawāle kardīṅ. Rihāish ke lie Āstar aur us kīlaṛkiyoṅ ko zanānkhāne ke sab seachchhe kamre die gae.

10Āstar ne kisī ko nahīṅ batāyāthā ki maiṅ Yahūdī aurat hūṅ,kyoṅki Mardakī ne use hukmdiyā thā ki is ke bāre meṅkhāmosh rahe. 11Har din Mardakīzanānkhāne ke sahan se guzartātāki Āstar ke hāl kā patā kare auryih ki us ke sāth kyā kyā ho rahāhai.

12‐13Akhaswerus Bādshāh semilne se pahle har kuṅwārī kobārah mahīnoṅ kā muqarrarābanāw‐singār karwānā thā, chhihmāh mur ke tel se aur chhih māhbalsān ke tel aur rang nikhārneke dīgar tarīqoṅ se. Jab usebādshāh ke mahal meṅ jānā thāto zanānkhāne kī jo bhī chīz wuhapne sāth lenā chāhtī use dī jātī.

14Shām ke waqt wuh mahal meṅjātī aur agle din use subah kewaqt dūsre zanānkhāne meṅ lāyājātā jahāṅ bādshāh kī dāshtāeṅshāshjaz khwājāsarā kī nigarānīmeṅ rahtī thīṅ. Is ke bād wuh phirkabhī bādshāh ke pās na ātī. Usesirf isī sūrat meṅ wāpas lāyā jātāki wuh bādshāh ko khās pasandātī aur wuh us kā nām le kar usebulātā.

Āstar Malikā Ban Jātī Hai15Hote hote Āstar bint Abīkhailkī bārī āī. (Abīkhail Mardakī kāchachā thā, aur Mardakī ne uskī beṭī ko lepālak banā liyā thā.)Jab Āstar se pūchhā gayā ki āpzanānkhāne kī kyā chīzeṅ apnesāth le jānā chāhtī haiṅ to us nesirf wuh kuchh le liyā jo Haijākhwājāsarā ne us ke lie chunā.Aur jis ne bhī use dekhā us neuse sarāhā. 16Chunāṅche usebādshāh kī hukūmat ke sātweṅ sālke dasweṅ mahīne banām tebatmeṅ Akhaswerus ke pās mahalmeṅ lāyā gayā.

17Bādshāh ko Āstar dūsrīlaṛkiyoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā pyārīlagī. Dīgar tamām kuṅwāriyoṅ kī

Page 585: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar 2:18 579

nisbat use us kī khās qabūliyat aurmehrbānī hāsil huī. Chunāṅchebādshāh ne us ke sar par tāj rakhkar useWashtī kī jagahmalikā banādiyā. 18Is mauqe kī khushī meṅ usne Āstar ke ezāz meṅ baṛī ziyāfatkī. Tamām shurafā aur afsaroṅ kodāwat dī gaī. Sāth sāth sūboṅ meṅkuchh ṭaiksoṅ kīmuāfī kā elān kiyāgayā aur faiyāzī se tohfe taqsīm kiegae.

Mardakī Bādshāh ko Bachātā Hai19Jab kuṅwāriyoṅ ko ek bār phirjamā kiyā gayā to Mardakī shāhīsahan ke darwāze meṅ baiṭhā thā.a20Āstar ne ab tak kisī ko nahīṅbatāyā thā ki maiṅ Yahūdī hūṅ,kyoṅki Mardakī ne yih batāne semanā kiyā thā. Pahle kī tarah jabwuh us ke gharmeṅ rahtī thī ab bhīĀstar us kī har bāt māntī thī.

21Ek din jab Mardakī shāhīsahan ke darwāze meṅ baiṭhāthā to do khwājāsarā banāmBigtān aur Tarsh ġhusse meṅ ākar Akhaswerus ko qatl karnekī sāzisheṅ karne lage. Donoṅshāhī kamroṅ ke pahredār the.

22Mardakī ko patā chalā to us neĀstar ko khabar pahuṅchāī jis neMardakī kā nām le kar bādshāh koittalā dī. 23Muāmale kī taftīsh kīgaī to durust sābit huā, aur donoṅmulāzimoṅ ko phāṅsī de dī gaī.Yih wāqiyā bādshāh kī maujūdagīmeṅ us kitāb meṅ darj kiyā gayā jismeṅ rozānā us kī hukūmat ke ahamwāqiyāt likhe jāte the.

Hāmān Yahūdī Qaum ko HalākKarnā Chāhtā Hai

3 Kuchh der ke bād bādshāhne Hāmān bin Hammadātā

Ajājī ko sarfarāz karke darbār meṅsab se ālā ohdā diyā. 2Jab kabhīHāmān ā maujūd hotā to shāhīsahan ke darwāze ke tamām shāhīafsar muṅh ke bal jhuk jāte, kyoṅkibādshāh ne aisā karne kā hukmdiyā thā. Lekin Mardakī aisā nahīṅkartā thā.

3Yih dekh kar dīgar shāhīmulāzimoṅ ne us se pūchhā, “Āpbādshāh ke hukm kī khilāfwarzīkyoṅ kar rahe haiṅ?”

4Us ne jawāb diyā, “Maiṅ toYahūdī hūṅ.” Roz baroz dūsre use

aShāhī sahan ke darwāze meṅ shāhīintazāmiyā thī, is lie ain mumkin hai kiMardakī shāhī mulāzim ho.

Page 586: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

580 Āstar 3:12

samjhāte rahe, lekin wuh namānā.Ākhirkār unhoṅneHāmānko ittalādī, kyoṅki wuh dekhnā chāhte theki kyā wuhMardakī kā jawāb qabūlkaregā yā nahīṅ.

5Jab Hāmān ne khud dekhā kiMardakī mere sāmne muṅh ke balnahīṅ jhuktā to wuh āg‐bagūlā hogayā. 6Wuh fauran Mardakī ko qatlkarne ke mansūbe banāne lagā.Lekin yih us ke lie kāfī nahīṅthā. Chūṅki use batāyā gayā thā kiMardakī Yahūdī hai is lie wuh Fārsīsaltanat meṅ rahne wāle tamāmYahūdiyoṅ ko halāk karne kā rāstāḍhūṅḍne lagā.

7Chunāṅche AkhaswerusBādshāh kī hukūmat ke 12weṅsāl ke pahle mahīne nīsāna meṅHāmān kī maujūdagī meṅ qurāḍālā gayā. Qurā ḍālne se HāmānYahūdiyoṅ ko qatl karne kī sabse mubārak tārīkh mālūm karnāchāhtā thā. (Qurā ke lie ‘pūr’ kahājātā thā.) Is tarīqe se 12weṅmahīneAdār kā 13wāṅ dinb niklā. 8TabHāmān ne bādshāh se bāt kī, “Āpkī saltanat ke tamām sūboṅ meṅek qaum bikhrī huī hai jo apne

āp ko dīgar qaumoṅ se alag rakhtīhai. Us ke qawānīn dūsrī tamāmqaumoṅ se mukhtalif haiṅ, aur uske afrād bādshāh ke qawānīn konahīṅ mānte. Munāsib nahīṅ kibādshāh unheṅ bardāsht kareṅ!

9Agar bādshāh ko manzūr ho toelān kareṅ ki is qaum ko halāk kardiyā jāe. Tab maiṅ shāhī khazānoṅmeṅ3,35,000 kilogrāmchāṅdī jamākarā dūṅgā.”

10Bādshāh ne apnī unglī se wuhangūṭhī utārī jo shāhī muhr lagāneke lie istemāl hotī thī aur useYahūdiyoṅ ke dushmanHāmān binHammadātā Ajājī ko de kar 11kahā,“Chāṅdī aur qaum āp hī kī haiṅ, uske sāth wuh kuchh kareṅ jo āp koachchhā lage.”

12Pahle mahīne ke 13weṅ dinc

Hāmān ne shāhī muharriroṅ kobulāyā tāki wuh us kī tamāmhidāyāt ke mutābiq khat likh karbādshāh ke gawarnaroṅ, sūboṅ kedīgar hākimoṅ aur tamām qaumoṅke buzurgoṅ ko bhejeṅ. Yih khathar qaum ke apne tarz‐e‐tahrīr aurapnī zabān meṅ qalamband hue.Unheṅ bādshāh kā nām le kar likhā

aAprail tā Maī.b7 Mārch, 473 q m.

c17 Aprail.

Page 587: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar 3:13 581

gayā, phir shāhī angūṭhī kī muhrun par lagāī gaī. Un meṅ zail kāelān kiyā gayā.

13“Ek hī din meṅ tamāmYahūdiyoṅ ko halāk aur pūre taurpar tabāh karnā hai, khāh chhoṭehoṅ yā baṛe, bachche hoṅ yāaurateṅ. Sāth sāth un kī milkiyatbhī zabt kar lī jāe.” Is ke lie12weṅ mahīne Adār kā 13wāṅ dina

muqarrar kiyā gayā.Yih elān tezrau qāsidoṅ ke zariye

saltanat ke tamām sūboṅ meṅpahuṅchāyā gayā 14tāki us kī tasdīqqānūnī taur par kī jāe aur tamāmqaumeṅmuqarrarā din ke lie taiyārhoṅ.

15Bādshāh ke hukm par qāsidchal nikle. Yih elān Sosan ke qilemeṅ bhī kiyā gayā. Phir bādshāhaur Hāmān khāne‐pīne ke lie baiṭhgae. Lekin pūre shahr meṅ halchalmach gaī.

Mardakī Āstar se MadadMāṅgtā Hai

4 Jab Mardakī ko mālūm huā kikyā huā hai to us ne ranjish

se apne kapṛoṅ ko phāṛ kar ṭāṭ kālibās pahan liyā aur sar par rākh

ḍāl lī. Phir wuh nikal kar bulandāwāz se giryā‐o‐zārī karte karteshahr meṅ se guzarā. 2Wuh shāhīsahan ke darwāze tak pahuṅchgayā lekin dākhil na huā, kyoṅkimātamī kapṛe pahan kar dākhilhone kī ijāzat nahīṅ thī. 3Saltanatke tamām sūboṅ meṅ jahāṅ jahāṅbādshāh kā elān pahuṅchā wahāṅYahūdī khūb mātam karne aurrozā rakh kar rone aur giryā‐o‐zārīkarne lage. Bahut‐se log ṭāṭ kā libāspahan kar rākh meṅ leṭ gae.

4Jab Āstar kī naukarāniyoṅ aurkhwājāsarāoṅ ne ā kar use ittalādī to wuh sakht ghabrā gaī. Usne Mardakī ko kapṛe bhej die jowuh apne mātamī kapṛoṅ ke badlepahan le, lekin us ne unheṅ qabūlna kiyā. 5Tab Āstar ne HatākKhwājāsarā ko Mardakī ke pāsbhejā tāki wuh mālūm kare ki kyāhuā hai, Mardakī aisī harkateṅkyoṅ kar rahā hai. (Bādshāh neHatāk ko Āstar kī khidmat karne kīzimmedārī dī thī.)

6Hatāk shāhī sahan ke darwāzese nikal kar Mardakī ke pās āyā joab tak sāth wāle chauk meṅ thā.7Mardakī ne use Hāmān kā pūrā

a7 Mārch.

Page 588: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

582 Āstar 5:1

mansūbā sunā kar yih bhī batāyāki Hāmān ne Yahūdiyoṅ ko halākkarne ke lie shāhī khazāne ko kitnepaise dene kā wādā kiyā hai. 8Iske alāwā Mardakī ne khwājāsarāko us shāhī farmān kī kāpī dī joSosan meṅ sādir huā thā aur jismeṅ Yahūdiyoṅ ko nest‐o‐nābūdkarne kā elān kiyā gayā thā. Usne guzārish kī, “Yih elān Āstar kodikhā kar unheṅ tamām hālāt sebākhabar kar deṅ. Unheṅ hidāyatdeṅki bādshāhkehuzūr jāeṅ aurusse iltijā karke apnī qaum kī sifārishkareṅ.”

9Hatāk wāpas āyā aur Mardakī kībātoṅ kī khabar dī. 10Yih sun karĀstar ne use dubārāMardakī ke pāsbhejā tāki use batāe, 11“Bādshāhke tamām mulāzim balki sūboṅ ketamāmbāshinde jāntehaiṅki jo bhībulāe baġhair mahal ke andarūnīsahan meṅ bādshāh ke pās āe usesazā‐e‐maut dī jāegī, khāh wuhmard ho yā aurat. Wuh sirf is sūratmeṅ bach jāegā ki bādshāh sone kāapnā asā us kī taraf baṛhāe. Bāt yihbhī hai ki bādshāh ko mujhe bulāe30 din ho gae haiṅ.”

12Āstar kā paiġhām sun kar13Mardakī ne jawāb wāpas bhejā,“Yih na sochnā ki maiṅ shāhī

mahal meṅ rahtī hūṅ, is lie godīgar tamām Yahūdī halāk ho jāeṅmaiṅ bach jāūṅgī. 14Agar āp iswaqt khāmosh raheṅgī to Yahūdīkahīṅ aur se rihāī aur chhuṭkārāpā leṅge jabki āp aur āp ke bāp kāgharānā halāk ho jāeṅge. Kyā patāhai, shāyad āp isī lie malikā ban gaīhaiṅ ki aise mauqe par Yahūdiyoṅkī madad kareṅ.”

15Āstar ne Mardakī ko jawābbhejā, 16“Ṭhīk hai, phir jāeṅ aurSosan meṅ rahne wāle tamāmYahūdiyoṅ ko jamā kareṅ. Merelie rozā rakh kar tīn din aur tīn rātna kuchh khāeṅ, na pieṅ. Maiṅ bhīapnī naukarāniyoṅ ke sāth mil karrozā rakhūṅgī. Is ke bād bādshāhke pās jāūṅgī, go yih qānūn kekhilāf hai. Agar marnā hai to marhī jāūṅgī.”

17Tab Mardakī chalā gayā aurwaisā hī kiyā jaisā Āstar ne usehidāyat kī thī.

Āstar Bādshāh aur Hāmānko Dāwat Detī Hai

5 Tīsre din Āstar Malikā apnāshāhī libās pahne hue mahal

ke andarūnī sahan meṅ dākhil huī.Yih sahan us hāl ke sāmne thā

Page 589: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar 5:2 583

jis meṅ takht lagā thā. Us waqtbādshāh darwāze ke muqābil apnetakht par baiṭhā thā. 2Āstar kosahan meṅ khaṛī dekh kar wuhkhush huā aur sone ke shāhī asā kous kī taraf baṛhā diyā. Tab Āstarqarīb āī aur asā ke sire ko chhūdiyā. 3Bādshāh ne us se pūchhā,“Āstar Malikā, kyā bāt hai? Āp kyāchāhtī haiṅ? Maiṅ use dene ke lietaiyār hūṅ, khāh saltanat kā ādhāhissā kyoṅ na ho!”

4Āstar ne jawāb diyā, “Maiṅ ne ājke lie ziyāfat kī taiyāriyāṅ kī haiṅ.Agar bādshāh komanzūr ho to wuhHāmān ko apne sāth le kar us meṅshirkat kareṅ.”

5Bādshāh ne apnemulāzimoṅ kohukm diyā, “Jaldī karo! Hāmān kobulāo tāki ham Āstar kī khāhishpūrī kar sakeṅ.” Chunāṅchebādshāh aur Hāmān Āstar kītaiyārshudā ziyāfat meṅ sharīkhue. 6Mai pī pī kar bādshāhne Āstar se pūchhā, “Ab mujhebatāeṅ, āp kyā chāhtī haiṅ? Wuhāp ko diyā jāegā. Apnī darkhāstpesh kareṅ, kyoṅki maiṅ saltanatke ādhe hisse tak āp ko dene ke lietaiyār hūṅ.”

7Āstar ne jawāb diyā, “Merīdarkhāst aur ārzū yih hai, 8agar

bādshāh mujh se khush hoṅ aurunheṅ merī guzārish aur darkhāstpūrī karnāmanzūr ho towuh kal ekbār phir Hāmān ke sāth ek ziyāfatmeṅ shirkat kareṅ jo maiṅ āp ke lietaiyār karūṅ. Phir maiṅ bādshāhko jawāb dūṅgī.”

Mardakī ko Qatl Karne ke lieHāmān kī Taiyāriyāṅ

9Us din jab Hāmān mahal se niklāto wuh baṛā khush aur zindādil thā.Lekin phir us kī nazar Mardakī parpaṛ gaī jo shāhī sahan ke darwāzeke pās baiṭhā thā. Na wuh khaṛāhuā, na Hāmān ko dekh kar kāṅpgayā. Hāmān lāl‐pīlā ho gayā,10lekin apne āp par qābū rakh karwuh chalā gayā.Ghar pahuṅch kar wuh apne

dostoṅ aur apnī bīwī Zarish ko apnepās bulā kar 11un ke sāmne apnīzabardast daulat aur muta’addidbeṭoṅ par shekhī mārne lagā. Usneunheṅun sāremauqoṅkī fahristsunāī jin par bādshāh ne us kī izzatkī thī aur fakhr kiyā ki bādshāhne mujhe tamām bāqī shurafā aurafsaroṅ se zyādā ūṅchā ohdā diyāhai. 12Hāmān ne kahā, “Na sirfyih, balki āj Āstar Malikā ne aisī

Page 590: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

584 Āstar 6:9

ziyāfat kī jis meṅ bādshāh ke alāwāsirf maiṅ hī sharīk thā. Aur mujhemalikā se kal ke lie bhī dāwatmilī hai ki bādshāh ke sāth ziyāfatmeṅ shirkat karūṅ. 13Lekin jabtak Mardakī Yahūdī shāhī mahal kesahan ke darwāze par baiṭhā nazarātā hai maiṅ chain kā sāṅs nahīṅlūṅgā.”

14Us kī bīwī Zarish aur bāqīazīzoṅ ne mashwarā diyā, “Sūlībanwāeṅ jis kī ūṅchāī 75 fuṭ ho.Phir kal subah‐sawere bādshāhke pās jā kar guzārish kareṅ kiMardakī ko us se laṭkāyā jāe. Is kebād āp tasallī se bādshāh ke sāth jākar ziyāfat ke maze le sakte haiṅ.”Yih mansūbā Hāmān ko achchhālagā, aur us ne sūlī taiyār karwāī.

BādshāhMardakī kīIzzat Kartā Hai

6 Us rāt bādshāh ko nīnd naāī, is lie us ne hukm diyā ki

wuh kitāb lāī jāe jis meṅ rozānāhukūmat ke aham wāqiyāt likhejāte haiṅ. Us meṅ se paṛhā gayā2to is kā bhī zikr huā ki Mardakīne kis tarah bādshāh ko donoṅkhwājāsarāoṅ Bigtānā aur Tarshke hāth se bachāyā thā, ki jab

shāhī kamroṅ ke in pahredāroṅ neAkhaswerus ko qatl karne kī sāzishkī to Mardakī ne bādshāh ko ittalādī thī. 3Jab yih wāqiyā paṛhā gayāto bādshāh ne pūchhā, “Is ke ewazMardakī ko kyā ezāz diyā gayā?”Mulāzimoṅ ne jawāb diyā, “Kuchhbhī nahīṅ diyā gayā.”

4Usī lamhe Hāmān mahal kebairūnī sahan meṅ ā pahuṅchā thātāki bādshāh se Mardakī ko us sūlīse laṭkāne kī ijāzat māṅge jo us neus ke lie banwāī thī. Bādshāh nesawāl kiyā, “Bāhar sahanmeṅ kaunhai?” 5Mulāzimoṅ ne jawāb diyā,“Hāmān hai.” Bādshāh ne hukmdiyā, “Use andar āne do.”

6Hāmān dākhil huā to bādshāhne us se pūchhā, “Us ādmī ke liekyā kiyā jāe jis kī bādshāh khāsizzat karnā chāhe?” Hāmān nesochā, “Wuh merī hī bāt kar rahāhai! Kyoṅki merī nisbat kaun haijis kī bādshāh zyādā izzat karnāchāhtā hai?” 7Chunāṅche us nejawāb diyā, “Jis ādmī kī bādshāhkhās izzat karnā chāheṅ 8us ke lieshāhī libās chunā jāe jo bādshāhkhud pahan chuke hoṅ. Ek ghoṛābhī lāyā jāe jis kā sar shāhī sajāwaṭse sajā huā ho aur jis par bādshāhkhud sawār ho chuke hoṅ. 9Yih

Page 591: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar 6:10 585

libās aur ghoṛā bādshāh ke ālātarīnafsaroṅ meṅ se ek ke sapurd kiyājāe. Wuhī us shakhs ko jis kībādshāh khās izzat karnā chāhtehaiṅ kapṛe pahnāe aur use ghoṛepar biṭhā kar shahr ke chauk meṅse guzāre. Sāth sāth wuh us ke āgeāge chal kar elān kare, ‘Yihī us kesāth kiyā jātā hai jis kī izzat bādshāhkarnā chāhte haiṅ.’”

10Akhaswerus ne Hāmān sekahā, “Phir jaldī kareṅ, MardakīYahūdī shāhī sahan ke darwāzeke pās baiṭhā hai. Shāhī libās aurghoṛā mangwā kar us ke sāth aisāhī sulūk kareṅ. Jo bhī karne kāmashwarā āp ne diyā wuhī kuchhkareṅ, aur dhyān deṅ ki is meṅ kisībhī chīz kī kamī na ho!”

11Hāmān ko aisā hī karnā paṛā.Shāhī libās ko chun kar us ne useMardakī ko pahnā diyā. Phir usebādshāh ke apne ghoṛe par biṭhākar us ne use shahr ke chauk meṅse guzārā. Sāth sāth wuh us keāge āge chal kar elān kartā rahā,“Yihī us shakhs ke sāth kiyā jātā haijis kī izzat bādshāh karnā chāhtāhai.” 12PhirMardakī shāhī sahan kedarwāze ke pās wāpas āyā.Lekin Hāmān udās ho kar jaldī

se apne ghar chalā gayā. Sharm ke

māre us nemuṅh par kapṛā ḍāl liyāthā. 13Us ne apnī bīwī Zarish aurapne dostoṅ ko sab kuchh sunāyājo us ke sāth huā thā. Tab us kemushīroṅ aur bīwī ne us se kahā,“Āp kā beṛā ġharq ho gayā hai,kyoṅki Mardakī Yahūdī hai aur āpus ke sāmne shikast khāne lagehaiṅ. Āp us kā muqābalā nahīṅ karsakeṅge.”

14Wuh abhī us se bāt kar hīrahe the ki bādshāh ke khwājāsarāpahuṅch gae aur use le kar jaldījaldī Āstar ke pās pahuṅchāyā.Ziyāfat taiyār thī.

Hāmān kā Satyānās

7 Chunāṅche bādshāh aurHāmān Āstar Malikā kī ziyāfat

meṅ sharīk hue. 2Mai pīte waqtbādshāh ne pahle din kī tarahab bhī pūchhā, “Āstar Malikā, abbatāeṅ, āp kyā chāhtī haiṅ? Wuhāp ko diyā jāegā. Apnī darkhāstpesh kareṅ, kyoṅki maiṅ saltanatke ādhe hisse tak āp ko dene ke lietaiyār hūṅ.”

3Malikā ne jawāb diyā, “Agarbādshāh mujh se khush hoṅ aurunheṅ merī bāt manzūr ho tomerī guzārish pūrī kareṅ ki merī

Page 592: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

586 Āstar 8:2

aur merī qaum kī jān bachī rahe.4Kyoṅki mujhe aur merī qaum koun ke hāth bech ḍālā gayā hai johameṅ tabāh aur halāk karke nest‐o‐nābūd karnā chāhte haiṅ. Agarham bik kar ġhulām aur launḍiyāṅban jāte to maiṅ khāmosh rahtī.Aisī koī musībat bādshāh ko tangkarne ke lie kāfī na hotī.”

5Yih sun kar Akhaswerus neĀstar se sawāl kiyā, “Kaun aisīharkat karne kī jurrat kartā hai?Wuh kahāṅ hai?” 6Āstar nejawāb diyā, “Hamārā dushman aurmukhālif yih sharīr ādmī Hāmānhai!”Tab Hāmān bādshāh aur malikā

se dahshat khāne lagā. 7Bādshāhāg‐bagūlā ho kar khaṛā ho gayā aurmai ko chhoṛ kar mahal ke bāġhmeṅ ṭahalne lagā. Hāmān pīchherah kar Āstar se iltijā karne lagā,“Merī jān bachāeṅ” kyoṅki useandāzā ho gayā thā ki bādshāh nemujhe sazā‐e‐maut dene kā faislākar liyā hai.

8Jab bādshāh wāpas āyā to kyādekhtā hai ki Hāmān us sofe pargir gayā hai jis par Āstar ṭek lagāebaiṭhī hai. Bādshāh garjā, “Kyā yihādmī yihīṅ mahal meṅ mere huzūrmalikā kī ismatdarī karnā chāhtā

hai?” Jyoṅ hī bādshāh ne yih alfāzkahe mulāzimoṅ ne Hāmān kemuṅh par kapṛā ḍāl diyā. 9Bādshāhkā khwājāsarā Kharbūnāhbol uṭhā,“Hāmān ne apne ghar ke qarīb sūlītaiyār karwāī hai jis kī ūṅchāī 75 fuṭhai. WuhMardakī ke lie banwāī gaīhai, us shakhs ke lie jis ne bādshāhkī jān bachāī.” Bādshāh ne hukmdiyā, “Hāmān ko us se laṭkā do.”

10Chunāṅche Hāmān ko usī sūlīse laṭkā diyā gayā jo us ne Mardakīke lie banwāī thī. Tab bādshāh kāġhussā ṭhanḍā ho gayā.

Akhaswerus Yahūdiyoṅkī Madad Kartā Hai

8 Usī din Akhaswerus ne ĀstarMalikā ko Yahūdiyoṅ ke

dushman Hāmān kā ghar de diyā.Phir Mardakī ko bādshāh ke sāmnelāyā gayā, kyoṅki Āstar ne use batādiyā thā ki wuh merā rishtedār hai.2Bādshāh ne apnī unglī se wuhangūṭhī utārī jo muhr lagāne kelie istemāl hotī thī aur jise us neHāmān se wāpas le liyā thā. Ab usne use Mardakī ke hawāle kar diyā.Us waqt Āstar ne use Hāmān kīmilkiyat kā nigarān bhī banā diyā.

Page 593: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar 8:3 587

3Ek bār phir Āstar bādshāh kesāmne gir gaī aur ro ro kar iltamāskarne lagī, “Jo sharīr mansūbāHāmān Ajājī ne Yahūdiyoṅ kekhilāf bāndh liyā hai use rok deṅ.”4Bādshāhne sone kā apnā asāĀstarkī taraf baṛhāyā, to wuh uṭh karus ke sāmne khaṛī ho gaī. 5Usne kahā, “Agar bādshāh ko bātachchhī aur munāsib lage, agarmujhe un kī mehrbānī hāsil hoaur wuh mujh se khush hoṅ towuh Hāmān bin Hammadātā Ajājīke us farmān ko mansūkh kareṅjis ke mutābiq saltanat ke tamāmsūboṅ meṅ rahne wāle Yahūdiyoṅko halāk karnā hai. 6Agar merīqaum aur nasl musībat meṅ phaṅskar halāk ho jāe to maiṅ yih kistarah bardāsht karūṅgī?”

7Tab Akhaswerus ne Āstar aurMardakī Yahūdī se kahā, “Maiṅ neĀstar ko Hāmān kā ghar de diyā.Use khud maiṅ ne Yahūdiyoṅ parhamlā karne kī wajah se phāṅsī dīhai. 8Lekin jo bhī farmān bādshāhke nām meṅ sādir huā hai aur jispar us kī angūṭhī kī muhr lagī haiuse mansūkh nahīṅ kiyā jā saktā.Lekin āp ek aur kāmkar sakte haiṅ.

Mere nām meṅ ek aur farmān jārīkareṅ jis par merī muhr lagī ho.Use apnī tasallī ke mutābiq yoṅlikheṅ ki Yahūdī mahfūz ho jāeṅ.”

9Usī waqt bādshāh ke muharrirbulāe gae. Tīsre mahīne sīwān kā23wāṅ dina thā. Unhoṅ neMardakīkī tamām hidāyāt ke mutābiqfarmān likh diyā jise Yahūdiyoṅ aurtamām 127 sūboṅ ke gawarnaroṅ,hākimoṅ aur ra’īsoṅ ko bhejnā thā.Bhārat se le kar Ethopiyā tak yihfarmān har sūbe ke apne tarz‐e‐tahrīr aur har qaum kī apnī zabānmeṅ qalamband thā. Yahūdī qaumko bhī us ke apne tarz‐e‐tahrīr aurus kī apnī zabān meṅ farmān milgayā. 10Mardakī ne yih farmānbādshāh ke nām meṅ likh kar uspar shāhī muhr lagāī. Phir us neuse shāhī ḍāk ke tezraftār ghoṛoṅpar sawār qāsidoṅ ke hawāle kardiyā. Farmān meṅ likhā thā,

11“Bādshāh har shahr keYahūdiyoṅ ko apne difā ke lie jamāhone kī ijāzat dete haiṅ. Agarmukhtalif qaumoṅ aur sūboṅ kedushman un par hamlā kareṅ toYahūdiyoṅ ko unheṅ bāl‐bachchoṅsamet tabāh karne aur halāk karke

a25 Jūn.

Page 594: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

588 Āstar 9:4

nest‐o‐nābūd karne kī ijāzat hai.Nīz, wuh un kī milkiyat par qabzākar sakte haiṅ. 12Ek hī din yānī12weṅ mahīne Adār ke 13weṅ dina

Yahūdiyoṅ ko bādshāh ke tamāmsūboṅ meṅ yih kuchh karne kīijāzat hai.”

13Har sūbe meṅ farmān kīqānūnī tasdīq karnī thī aur harqaum ko is kī khabar pahuṅchānīthī tāki muqarrarā din Yahūdī apnedushmanoṅ se intaqām lene ke lietaiyār hoṅ. 14Bādshāh ke hukm partezrau qāsid shāhī ḍāk ke behtarīnghoṛoṅ par sawār ho kar chal paṛe.Farmān kā elān Sosan ke qile meṅbhī huā.

15Mardakī qirmizī aur safed rangkā shāhī libās, nafīs katān aurarġhawānī rang kī chādar aur sarpar sone kā baṛā tāj pahne huemahal se niklā. Tab Sosan kebāshinde nāre lagā lagā kar khushīmanāne lage. 16Yahūdiyoṅ ke lieāb‐o‐tāb, khushī‐o‐shādmānī aurizzat‐o‐jalāl kā zamānā shurū huā.17Har sūbe aur har shahr meṅjahāṅ bhī bādshāh kā nayā farmānpahuṅch gayā, wahāṅ Yahūdiyoṅne khushī ke nāre lagā lagā kar

ek dūsre kī ziyāfat kī aur jashnmanāyā. Us waqt dūsrī qaumoṅke bahut‐se log Yahūdī ban gae.Kyoṅki un par Yahūdiyoṅ kā khaufchhā gayā thā.

Yahūdī Badlā Lete Haiṅ

9 Phir 12weṅ mahīne Adārkā 13wāṅ dinb ā gayā jab

bādshāh ke farmān par amalkarnā thā. Dushmanoṅ ne us dinYahūdiyoṅpar ġhālib ānekī ummīdrakhī thī, lekin ab is ke ulaṭ huā,Yahūdī khud un par ġhālib āe jo unse nafrat rakhte the. 2Saltanat ketamām sūboṅ meṅ wuh apne apneshahroṅ meṅ jamā hue tāki unpar hamlā kareṅ jo unheṅ nuqsānpahuṅchānā chāhte the. Koī unkā muqābalā na kar sakā, kyoṅkidīgar tamām qaumoṅ ke log un seḍar gae the. 3Sāth sāth sūboṅ keshurafā, gawarnaroṅ, hākimoṅ aurdīgar shāhī afsaroṅ ne Yahūdiyoṅkī madad kī, kyoṅki Mardakī kākhauf un par tārī ho gayā thā, 4aurdarbār meṅ us ke ūṅche ohde aurus ke baṛhte hue asar‐o‐rasūkh kīkhabar tamām sūboṅ meṅ phailgaī thī.

a7 Mārch. b7 Mārch.

Page 595: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

Āstar 9:5 589

5Us din Yahūdiyoṅ ne apnedushmanoṅ ko talwār se mār ḍālāaur halāk karke nest‐o‐nābūd kardiyā. Jo bhī un se nafrat rakhtāthā us ke sāth unhoṅ ne jo jīchāhā sulūk kiyā. 6Sosan ke qilemeṅ unhoṅ ne 500 ādmiyoṅ komār ḍālā, 7‐10nīz Yahūdiyoṅ kedushman Hāmān ke 10 beṭoṅ kobhī. Un ke nām Parshandātā,Dalfūn, Aspātā, Porātā, Adaliyāh,Arīdātā, Parmashtā, Arīsī, Aridī aurWaizātā the. Lekin Yahūdiyoṅ neun kā māl na lūṭā.

11Usī din bādshāh ko ittalā dīgaī ki Sosan ke qile meṅ kitneafrād halāk hue the. 12Tab us neĀstar Malikā se kahā, “Sirf yahāṅSosan ke qile meṅ Yahūdiyoṅ neHāmān ke 10 beṭoṅ ke alāwā 500ādmiyoṅ ko maut ke ghāṭ utār diyāhai. To phir unhoṅ ne dīgar sūboṅmeṅ kyā kuchh na kiyā hogā! Abmujhe batāeṅ, āp mazīd kyā chāhtīhaiṅ? Wuh āp ko diyā jāegā. Apnīdarkhāst pesh kareṅ, kyoṅki wuhpūrī kī jāegī.” 13Āstar ne jawābdiyā, “Agar bādshāh ko manzūr hoto Sosan ke Yahūdiyoṅ ko ijāzat dī

jāe ki wuh āj kī tarah kal bhī apnedushmanoṅ par hamlā kareṅ. AurHāmān ke 10 beṭoṅ kī lāsheṅ sūlī selaṭkāī jāeṅ.”

14Bādshāh ne ijāzat dī to Sosanmeṅ is kā elān kiyā gayā. TabHāmān ke 10 beṭoṅ ko sūlī selaṭkā diyā gayā, 15aur agle din yānīmahīne ke 14weṅ dina shahr keYahūdī dubārā jamā hue. Is bārunhoṅ ne 300 ādmiyoṅ ko qatl kiyā.Lekin unhoṅ ne kisī kā māl na lūṭā.

16‐17Saltanat ke sūboṅ ke bāqīYahūdī bhī mahīne ke 13weṅ dinb

apne difā ke lie jamā hue the.Unhoṅ ne 75,000 dushmanoṅ koqatl kiyā lekin kisī kā māl na lūṭāthā. Ab wuh dubārā chain kā sāṅsle kar ārām se zindagī guzār saktethe. Agle din unhoṅ ne ek dūsre kīziyāfat karke khushī kā baṛā jashnmanāyā. 18Sosan ke Yahūdiyoṅ nemahīne ke 13weṅ aur 14weṅ dinjamā ho kar apne dushmanoṅ parhamlā kiyā thā, is lie unhoṅ ne15weṅ din khushī kā baṛā jashnmanāyā. 19Yihī wajah hai ki dehātaur khule shahroṅmeṅ rahne wāleYahūdī āj tak 12weṅ mahīne ke

a8 Mārch.b7 Mārch.

aFarwarī tā Mārch.

Page 596: TārīḳhīSahāif - Urdu Geo Version...TārīḳhīSahāif yashūa 1 quzāt 39 rūt 78 1-samūel 84 2-samūel 135 1-salātīn 180 2-salātīn 232 1-tawārīḳh 284 2-tawārīḳh

590 Āstar 9:31

14weṅ dina jashn manāte hue ekdūsre kī ziyāfat karte aur ek dūsreko tohfe dete haiṅ.

Īd‐e‐Pūrīm kī Ibtidā20Jo kuchh us waqt huā thā useMardakī ne qalamband kar diyā.Sāth sāth us ne Fārsī saltanat keqarībī aur dūr‐darāz ke tamāmsūboṅ meṅ ābād Yahūdiyoṅ kokhat likh die 21jin meṅ us ne elānkiyā, “Ab se sālānā Adār mahīneke 14weṅ aur 15weṅ din jashnmanānā hai. 22Khushī manātehue ek dūsre kī ziyāfat karnā, ekdūsre ko tohfe denā aur ġharīboṅmeṅ khairāt taqsīm karnā, kyoṅkiin dinoṅ ke daurān āp ko apnedushmanoṅ se sukūn hāsil huā hai,āp kā dukh sukh meṅ aur āp kāmātam shādmānī meṅ badal gayā.”

23Mardakī kī in hidāyāt kemutābiq in do dinoṅ kā jashndastūr ban gayā.

24‐26Īd kā nām ‘Pūrīm’ paṛ gayā,kyoṅki jab Yahūdiyoṅ kā dushmanHāmān bin Hammadātā Ajājī unsab ko halāk karne kā mansūbābāndh rahā thā to us ne Yahūdiyoṅko mārne kā sab se mubārak dinmālūm karne ke lie qurā banām

pūr ḍāl diyā. Jab Akhaswerus kosab kuchh mālūm huā to us nehukmdiyā kiHāmānkowuh sazā dījāe jis kī taiyāriyāṅ us ne Yahūdiyoṅke lie kī thīṅ. Tab use us ke beṭoṅsamet phāṅsī se laṭkāyā gayā.Chūṅki Yahūdī is tajrabe se

guzare the aur Mardakī ne hidāyatdī thī 27is lie wuh muttafiq hueki ham sālānā isī waqt yih do dinain hidāyāt ke mutābiq manāeṅge.Yih dastūr na sirf hamārā farzhai, balki hamārī aulād aur unĠhairyahūdiyoṅ kā bhī jo Yahūdīmazhab meṅ sharīk ho jāeṅge.28Lāzim hai ki jo kuchh huā haihar nasl aur har khāndān use yādkarke manātā rahe, khāh wuh kisībhī sūbe yā shahr meṅ kyoṅ na ho.Zarūrī hai ki Yahūdī Pūrīm kī Īdmanāne kā dastūr kabhī na bhūleṅ,ki us kī yād un kī aulād meṅ sekabhī bhī miṭ na jāe.

29Malikā Āstar bint Abīkhail aurMardakī Yahūdī ne pūre ikhtiyār kesāth Pūrīm kī Īd ke bāre meṅ ekaur khat likh diyā tāki us kī tasdīqho jāe. 30Yih khat Fārsī saltanatke 127 sūboṅ meṅ ābād tamāmYahūdiyoṅ ko bhejā gayā. Salāmatīkī duā aur apnī wafādārī kā izhārkarne ke bād 31malikā aur Mardakī