tajweed book by tawheed centre

14
WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879 TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT َ لْ وُ َ رَ َ كْ َ َ ُ مَ اﻟﺳَ وُ ةَ ﻟﺻَ اTAJWEED KE QAIDE TAKHTI NO (1) MUFRADAAT : ALAG ALAG HURFO KO MUFRADAAT KEHTAY HAI JAISE… ( ب ت ث) TAKHTI NO (2) MURAKKABAAT : MILE JHULE HURFOU KO MURAKKABAAT KEHTE HAI JAISE … ( ﺑــﺎ ﺗــﺎ) TAKHTI NO (3) HARKAAT : ( ) {ZABAR, ZEIR, PAISH} KO HARKAAT KEHTAY HAI. HARKAAT WALE HARF KO JALD PADHEI THODA BHI NA KHEINCHE ALIF HAMESHA KHALI HOTA HAI JO ALIF KHALI NA HOO WO HAMZAH HAI ZABAR KI AWAAZ UPAR KO JATI HAI ZEIR KI AWAAZ NEECHE KO JATI HAI PAISH KI AWAAZ AAGE KO JATI HAI (HARKAAT WALE HARF KO MUTAHARRIK KEHTEY HAI)

Upload: tawheed-centre

Post on 16-Mar-2018

14.017 views

Category:

Spiritual


54 download

TRANSCRIPT

Page 1: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

ال م علیك یا رسول هللا ال ة والس الص

TAJWEED KE QAIDE TAKHTI NO (1)

MUFRADAAT : ALAG ALAG HURFO KO MUFRADAAT KEHTAY HAI

JAISE… ( ث ت ب )

TAKHTI NO (2)

MURAKKABAAT : MILE JHULE HURFOU KO MURAKKABAAT KEHTE HAI

JAISE … ( ــا ( تــا بTAKHTI NO (3)

HARKAAT : ( ) {ZABAR, ZEIR, PAISH} KO HARKAAT KEHTAY HAI. HARKAAT WALE HARF KO JALD PADHEI THODA BHI NA KHEINCHE ALIF HAMESHA KHALI HOTA HAI JO ALIF KHALI NA HOO WO HAMZAH HAI

ZABAR KI AWAAZ UPAR KO JATI HAI ZEIR KI AWAAZ NEECHE KO JATI HAI PAISH KI AWAAZ AAGE KO JATI HAI

(HARKAAT WALE HARF KO MUTAHARRIK KEHTEY HAI)

Page 2: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAKHTI NO (4)

HUROOF-E-MADDAH (3) TEEN HAI ( و ي ا ) {ALIF, YAA, WAW} KHALI ALIF SE PEHLEY ZABAR HO ( ءا )

YAA JIS PAR JAZAM HO OR ISSEY PAHLE ZEIR HO ( بى )

WAW JIS PAR JAZAM HO ISSEY PAHLE PAISH HO ( تو ) INKO THODA KHEINCHEY AUR M’AROOF PADHEY

TAKHTI NO (5)

HUROOFE LEEN

HUROOFE LEEN (2) DO HAI ( و ي ) {WAW OR YAA}

YAA SAKEEN SE PAHLAY ZABAR HO ( بي )

WAW SAKEEN SE PAHLAY ZABAR HO ( تو ) IN DOU HURFOU KO NARM AWAAZ KE SAATH JALD ADA KAREIN HURFE LEEN BHI MAROOF AWAAZ SE PADHE JATE HAIN

KHADA ZABAR KHADI ZEIR ULTA PAISH

IN TEENO KO MADD-E-HUKMI KAHTAY HAI, INKO KHEENCH KAR PADHEINGAY

KHADA ZABAR BARABAR ALIF MADDAH KEY KHADI ZEIR BARABAR HAI YA MADDAH KEY ULTA PAISH BARABAR HAI WAAW MADDAH KEY

HUROOFE MUSTALIA

HUROOF-E-MUSTALIA (7) HAI

( ق غ ظ ط ض ص خ )IN HURFOU KO (PUR) YANI MOTA PADEINGEY

Page 3: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAKHTI NO (6)

MASHQ HARKAAT WO HUROOFE MADDAH WO HUROOFE LEEN

TAKHTI NO (7)

TANVEEN : ( ) (2) ZABAR (2) ZEIR (2) PAISH

KO TANVEEN KAHTAY HAI. TANVEEN WAALAY HARF KAY AAKHIR MEI NOON-E-SAKIN KI AWAAZ AATI HAI

TAKHTI NO (8)

TANVEEN WO NOON-E-SAKIN:- JIS NOON PER JAZAM (SUKOON) HO USKO NOON-E-SAKIN KEHTEY HAI TANVEEN AUR NOON-E-SAKIN KI AWAAZ YAKSA (YANI EK JAISI) HOTI HAI

JAISE… ( ب , بن )

TAKHTI NO (9)

IZHAAR (TANVEEN WO NOON-E-SAKIN KA QAIDAH NO 1)

HUROOFE HALAQI (6) HAI ( خ غ ح ع ه ء ) TANVEEN YA NOON-E-SAKIN KE BAAD HUROOFE HALAQI MEI SE KOI EK HARF AYE TOU BILA GHUNNE KE JALD PADHEINGEY, ISKO IZHAAR KEHTEY HAI.

TAKHTI NO (10)

IKHFA:- (TANVEEN WO NOON-E-SAKIN KA QAIDAH NO 2) HUROOFE IKHFA (15) PANDRAH HAI

( ك ق ف ظ ط ض ص ش س ز ذ د ج ث ت )TANVEEN YA NOON-E-SAKIN KE BAAD HUROOFE IKHFA MEI SE KOI-EK-HARF AYE TOU NOON KI AWAAZ KO NAAK MEI CHUPAKAR PADHEINGEY ISKO IKHFA KEHTEY HAI, IKHFA KI MAQDAAR EK ALIF KE BARABAR HAI NAAK MEI THODI DER AWAAZ KO CHUPANA GUNNAH KEHLATA HAI

Page 4: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAKHTI NO (11)

JAZAM SUKOON:- HUROOFE QALQALAH (5) PANCH HAI

JIN KA MAJMU’A { } HAI ( د ج ب ط ق )JAB IN PER JAZAM HOTO INKO PADTE WAQT INKI MAKHRAJ (YANI AWAAZ) TAKKAR KHA KAR ALAG ALAG HOJATI HAI INKE ALAWA KISI BHI JAZAM WAALE HARF PAR QALQALAH NA HOGA BILA QALQALAH WALEY HARF (23) HAI

TAKHTI NO (12)

MASHQ SUKOON ( ) {JAZAM}:- JIS HARF PER (JAZAM) HO USKO PICHLEY WALAY HARF SEY MILAKAR PADHEI, JAZAM WALAY HARF KO SAAKIN KEHTEY HAI HAMZAH SAAKINA KE PADHNE MEI JHAT KA HOTA HAI

TAKHTI NO (13)

TASHDEED ( )

TASHDEED WALEY HARF KO DO MARTABA PADHEINGEY PEHLI MARTABA PICHLEY WALEY HARF SE MILAKAR AUR DOOSRI MARTABA KHUD USI SEY. TASHDEED KO PADHNE ME EK QISAM KI SAKHTI HOTI HAI

PER TASHDEED HOTO GHUNNA HOGA ( م ) AUR ( ن )NAAKME THODI DEIR AWAAZ KO ROKNA GHUNNA KEHLATA HAI

GHUNNEY KI MAQDAAR EK ALIF KE BARABAR HAI JAISE… { ءن } TASHDEED WALAY HARF KO MUSHADDAD BHI KEHTEY HAI

TAKHTI NO (14)

RA-E-SAKEENA WO MUSHARRADAH:-

JAZAM WALI “RA” KO ( ر ) “RA-E-SAAKINAH” KEHTEY HAI

TASHDEED WALI “RA” KO ( ر ) “RA-E-MUSHARRADAH” KEHTEY HAI “RA” PER ZABAR YA PAISH HOTO “RA” PUR (YANI MOTI) HOGI AUR ZEIR HOTO BAREEK HOGI “RA-E-SAAKINAH” SE PAHLEY ZABAR YA PAISH HOTO “RA” PUR (YANI MOTI) HOGI AUR ZEIR HOTO BAREEK HOGI

Page 5: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAKHTI NO (15)

HUROOFE QAMARI WO HUROOFE SHAMSI:- HUROOF-E-QAMARI (14) HAI

( ي ء ه و م ك ق ف غ ع خ ح ج ب ) ALIF LAAM AGAR HUROOFE QAMARI KE SHURU MEI HOU TO SIRF ( ل ا )

LAAM PADHA JAYEGA ALIF KO NAHI PADHEINGEY JAISE... ( والقمر )

HUROOFE SHAMSI BHI (14) HAI:-

( ن ل ظ ط ض ص ش س ز ر ذ د ث ت ) ALIF LAAM AGAR HUROOFE SHAMSI KE SHURU ME HOTO ALIF AUR ( ل ا )LAAM DONO KO NAHI PADHEINGEY BALKEY BAAD WALEY HARF SEY

MILAKAR PAHDEINGEY... JAISE ( مس ( والش

TAKHTI NO (16)

LAFZ-E- هللا ALLAH KA QAIDAH:- 1. LAFZ-E-ALLAH KEY DARMIYANI LAAM SEY PAHLEY ZABAR YA PAISH

HOTO LAAM KO MOTA PADHEINGEY JAISE… ( ان هللا )

2. LAFZ-E-ALLAH KEY DARMIYANI LAAM SEY PAHLEY ZEIR HOTO LAAM KO

BAREEK PADHEINGEY JAISE… ( دین هللا ) LAAM-E-JALAALAH KEY ALAWAH DOOSRAY TAMAAM LAAM HAMESHAH

BAREEK PADHEY JAYEINGEY JAISE… ( الحول ) TAKHTI NO (17)

TASHDEED MA’A TASHDEED JAISE… ( )

Page 6: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAKHTI NO (18)

WAQF KARNE KEY QAIDEH:- WAQF KEY MANA THAIRNA YANI QUR’AN-E-PAAK PADHTEY PADHTEY KIS TARHA THAIREY. 1. O – AYESAY GOOL NISHAAN KO AAYAT KEHTEY HAI

ZABAR, ZEIR, PAISH, DO ZEIR, DO PAISH PER WAQF KARNA HOTO AKHRI HARF PER JAZAM DEKAR SAANS TOUDEY.

ISEY WAQF KARNA KEHTEY HAI JAISE… ( مسلمین ) DO ZABAR PER WAQF KARNA HOTO EK ZABAR KE SAAT ALIF PADHA JATA

HAI JAISE… ( احد ســے ا حدا ) 2. GOOL “TAA” { ة } PER WAQF KARNA HOTO WO HAA-E-SAAKINAH

BANJATI HAI JAISE… ( )

TAKHTI NO (19)

MADD KA BAYAN:-

1. MADD-E-MUTASSIL:- ( ) AGAR HUROOFE MADDAH KE BAAD

HAMZAH EK HI KALIMEY MEI HOU TO MADDE-E-MUTASSIL HOGA

JAISE… ( )

2. MADD-E-MUNFASSIL:- ( )AGAR HUROOFE MADDAH KE BAAD

HAMZAH DOOSREY KALIMEY MEI HOU TO MADDE MUNFASSIL HOGA

JAISE… ( ) IN DONO KI MAQDAAR-E-KASHISH CHAAR HARKAAT KE BARAABAR HAI NOTE:- QURANI MAJEED MEI MADDE-E-MUTASSIL KO BADA MADD ( ) AUR MADD-E-MUNFASSIL KO CHOUTA MADD ( ) LIKHA JATA HAI

3. MADDE LAZIM :- ( )AGAR HUROOFE MADDAH KE BAAD WALEY

HARF PAR JAZAM YA TASHDEED HOU TO MADDE LAAZIM HOGA…

JAISE… ( ) MADD-E-LAZIM KO (6) CHAY HARKAAT KEY BARABAR KHEENCH KAR PADHEINGEY.

Page 7: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAKTHI NO (20)

TASHDEED BA’AD HUROOFE MADDAH

TAKHTI NO (21)

HUROOFE MUQATTA’AT KA QAIDAH:-

QURANE MAJEED KI BAAZ SURATOU KEY SHURU MEI BAGHAIR HARKAAT KAY SIRF HUROOFE TAHAJJI LIKHEY HOTE HAI AGAR WO HUROOF, HUROOF-E-MADDAH KEY BAAD JAZAM PAR KHATAM HO RAHEY HOU TO WAHAN PAR MADD-E-LAAZIM HOGA. ISKO (3)TEEN ALIF YANI (6)CHAY HARKAAT KEY BARABAR MADD KARKEY PADHEINGEY, AUR AGAR SIRF HARF-E-MADD PAR KHATAM HOU RAHEY HOU TO USKO DO HARKAAT KEY BARABAR MADD KARKEY PADHEINGEY

NOTE:- ( غ ع ) INKO MADDE LEEN-E-LAAZIM KEHTEY HAI INKO DO ALIF (YANI CHAAR HARKAAT) YA PHIR TEEN ALIF (YANI CHAY HARKAAT) KEY BARABAR MADD KARKEY PADHEINGEY.

TAKHTI NO (22)

MEEM SAAKIN KEY QAIDEY:- MEEM SAAKIN KEY TEEN QAIDEY HAI( م )1. IDGHAAM-E-SHAFAVI:-

MEEM SAAKIN KEY BAAD MEEM AAYE TO MEEM KO MEEM SE( م )MILAKAR GUNNEY KEY SAAT PADHEINGEY ISKO IDGHAAM MA’AL-GHUNNA KEHTEY HAI

2. IKHFAA-E-SHAFAVI:-

BAA AAYE TO GHUNNEY KEY SAAT ( ب ) MEEM SAAKIN KEY BAAD( م )IKHFA HOGA, ISKO IKHFAA MA'AL-GHUNNA KEHTEY HAI

Page 8: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

3. IZHAAR-E-SHAFAVI:-

KEY ALAWAH KOI ( م AUR ب ) MEEM SAAKIN KEY BAAD( م )

DOOSRA HARF BILQUSOOS ( ف ي و ) AAYE TO MEEM KO ZAHER KAR

KE PADHEINGEY JAISE… URDU MEI { ھم تم} KI MEEM.

TAKHTI NO (23)

IQLAAB:- TANVEEN YA NOON-E-SAAKIN KA QAIDAH NUMBER (3) TEEN

TAVEEN YAA NOON-E-SAAKIN KAY BAAD ( ب ) AAYE TO ( ن ) KO MEEM

SE BADAL KAR GHUNNA AUR IQFA KEY SAAT PADHEINGEY. IS KO IQLAAB KEHTEY HAI JAISE… ( )

TAKHTI NO (24)

IDGHAAM-E-YARMALOON:- TANVEEN YA NOONE SAKIN KA QAIDAH NUMBER CHAAR:-

HUROOFE IDGHAAM CHAY HAI ( ن و ل م ر ي ) JINKA MAJMUA’A

ـــرملون } HAI { یTANVEEN YA NOON-E-SAAKIN KEY BAAD HUROOFE YAR-MALOON MEI SEY

AAYE TO BAGHAIR GHUNNEY KEY MILAKAR PADHEINGEY ( ر AUR ل )ISKO IDGHAM-E-BILA GHUNNAH AUR IDGHAM-E-TAAM BHI KAHAJATA HAI

JAISE… ( سول هللا در ( من لبن ) AUR ( محم

AGAR TANVEEN YA NOON-E-SAAKIN KEY BAAD HUROOFE YARMALOON

MEI SEY ( ن م و ي ) { ــومن DOOSREY KALIMEY MEI AAYE TO { یGHUNNEY KEY SAAT MILAKAR PADHEINGEY ISKO IDGHAAM-E-MAAL GHUNNAH AUR IDGHAAM-E-NAQIS BHI KAHAJATA

HAI JAISE… ( رید ن ,لمن ن عد ,عن م عمل ,من و ( من ی

Page 9: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAKHTI NO (25)

RASMULKHAT:- RASMULKHAT YANI LIKHNE KA TAREEQA QURANE PAAK ME BOHAT JAGAY

.LIKHEY HUVE HAI LAIKIN PADHEY NAHI JATEY ( و ي ا )IN PAR NISHAAN (x) BANA HUWA HAI NEECHE KE NAQSHE MEI WO ALFAAZ LIKH DIYE GAYE HAI

LAFZE ( انا ) MEY NOON KEY BAAD KA ALIF KAHIN PADHA NAHI JAYEGA

JAISE…( ان ) KI TARHA PADHEINGEY JABKEY ISPAR WAQF NA KAREY NEECHEY KE KHANEY MEY LIKHNEY KE TAREEKHE KEY SAATH PADHNEY KA TAREEKHA BHI DARJ HAI

TAKHTI NO (26) ALAAMAAT-E-WAQF:- YANI QURANE PAAK PADHTE PADHTE KIS TARHA KAHA THAIREY AUR KAHAN NA THAIREY ISKEY LIYE NEECHE LIKHI HUVI ALAMAAT QURANE MAJEED MEI JAGAH JAGAH BANI HUVI HAI ISKEY MUWAFIQ WAQF KAREY.

YAHAN THAIRNA CHAHIYE YE AAYAT KI ALAMAT HAI O

YAHAN ZAROOR THAIRNA CHAHIYE YE WAQFE LAAZIM KI ALAMAT HAI م

YAHAN THAIRNA CHAHIYE YE WAQFE MUTALLAQ KI ALAMAT HAI ط

YAHAAN THAIRNA JA’EZ HAI YE WAQFE JA’EZ KI ALAMAT HAI ج

AYAT KUFI HAI MISL (o) AYAT KE HUKM KE HAI

۵ IN ALAAMATOU PAR WAQF KARNA AUR MILAKAR PADHNA JAA’EZ HAI ــف - ز- ص ق

IN ALAAMATO PAR WAQF KARNA AUR MILAKAR PADHNA BEHTAR HAI ق - صـــلے

IN ALAAMAT PAR WAQF NAHI KARNA CHAHIYE ال

ثمودا

ثمود

Page 10: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

(OR)

WAQF KA QAIDAH :- WAQF YANI (THAIR JANA/PADHNEI SEY RUK JANA) WAQF KI TAREEF:-SAANS AUR AWAAZ DONO KO KHATM KAR KEY

PADHNEI SE RUK JANE KO WAQF KEHTEY HAI WASL KI TAREEF:- SAANS TODE BAGHAIR EK KALIMEY KO DOUSREY

KALIMEY SEY MILAAKAR PADHNEI KO WASL KEHTEY HAI WAQF KEY HASBAY ZAIL CHAAR TAREEQEY HAI:- 1. AYAT KEY AKHRI HARF PAR ZABAR, ZEIR, PAISH, DO ZEIR, DO PAISH HOU

TOU USKO JAZAM DAYKAR PADHEIGEY JIS HARF PAR WAQF KIYA JA RAHA HAI USSEY PEHLAY AGAR HARFE MADD HOTO USEY MADD-E-AARIZ KEHTEY HAI, YAHA PAR (6) CHAY HARKAAT KEY BARABAR MADD KARTEY HUVE WAQF KAREIN.

2. KHATM AAYAT KE AAKHRI HARF PAR DO ZABAR HOTO, EK ZABAR AUR ALIF PAR WAQF KARIENGEY

3. KHATM AAYAT KEY AAKHRI HARF PAR JAZAM YA KHADA ZABAR HOTO HARKAAT KO BADLEY BAGHAIR WAQF KARIENGEY

4. AGAR AAYAT KA AAKHRI HARF “GOOL TAA…” HOU TOU US “TA” KO HA “HAA” SEY BADAL KAR “HAA” KO JAZAM DEYKAR PADHEINGEY

Page 11: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

ALIF-E-MAQSOORAH KA QAIDAH

QUR’AN-E-SHAREEF MEI BAAZ JAGAN ( ي و ) LIKHEY HUVE HAI MAGAR

PADHEI NAHI JATEY WOU ISLIYE KEY AGAR ( ي و ) SEY PAHLEY KHADA

ZABAR HOU TO IN HUROOF KI AWAAZ NAHI AATI BALKEY KHADA ZABAR WALEY HARF KO MADD-E-ASLI KEY BARABAR DARAZ KAR KEY PADHTEI HAI NOTE:- HAR WO “WAAW AUR YAA” JIS PAR KOI HARKAAT YA JAZAM NAHO WO PADHEI NAHI JATEY HAI

IMAALAH KA QAIDAH

ZABAR KO ZEIR KI TARAF AUR ALIF KO YA KI TARAF MA’EL KAR KEY PAHDNEY KO IMAALAH KEHTEY HAI

QURA’N-E-SHAREEF MEI EK JAGAH ( مجرھا )MEI IMAALAH HAI (PARA NO.12, SUREH HOOD, AAYAT NO.4) ISKA TALAFFUZ ( مجرےھا ) HAI YANI “RA” KO MAJHOOL KAR KEY SITAAREY KI “RA” KI TARHA PADHTEY HAI

SOUD OR SEEN KO PADHNE KA QAIDAH

QUR’AN-E-SHAREEF MEI CHAR MAQAMAAT PAR “ ص ” KE UPAR “ س ”

LIKHI GAYI HAI, INMEI TEEN MAQAMAAT PAR “ س ” PADHEINGEI AUR EK

MAQAM PAR “ ص ” PADHEINGEY

(PARA NO.30, SUREH GASHIYAH, AAYAT NO.22) SIRF ISI AAYAT MEI “ ص ”

PADHA JAYEGA BAQI TEEN TAMAAM MAQAMAAT PAR “ س ” PADHA JAYEGA

(SAKTAH) KA QAIDAH

SAANS KO TOUDEY BAGHAIR HALKEY SEY WAQF KO SAKTAH KEHTEY HAI QUR’AN-E-SHAREEF MEI CHAR MAQAMAAT PAR SAKTAH KARNA WAJIB HAI

JAISE… ( عوجا قیما PADHNE KA TAREEKHA عوجا قیما ) (PARA NO. 15, SUREH KAHAF, AAYAT NO 1)

Page 12: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

MAKHARIJE HUROOF MAKHARIJ JAM’A HAI MAKHRAJ KI, MAKHRAJ HARF NIKALNE KI JAGAH KO KEHTEY HAI. KUL HUROOF-E-TAHAJJI (29) HAI AUR INKI MAKHRAJ (17) HAI

PEHLA MAKHRAJ:- MU AUR HALAQ KA DARMIYANI KHALI HISSA (JIS KO JOOF KEHTEY HAI)

ISSEY TEEN HUROOF NIKALTEY HAI ( و ي ا ) DOOSRA MAKHRAJ:-

HALAQ KA AAKHRI HISSA (JO SEENE KI TARAF HAI) ISSEY

DO HUROOF NIKALTEY HAI ( ء ه) TEESRA MAKHRAJ:-

HALAQ KA DARMIYANI HISSA ISSEY DO HUROOF NIKALTEY HAI ( ح ع ) CHAOTHA MAKHRAJ:-

HALAQ KA IBTEDAI HISSA JO MU KE KHAREEB HAI ISSEY DO HUROOF

NIKALTEY HAI ( خ غ ) PANCHVA MAKHRAJ:-

ZABAN KI JAD AUR TAALU, ISSEY EK HARF NIKALTA HAI ( ق ) CHATA MAKHRAJ:-

“QAUF” KE MAKHRAJ KE MUTTASSIL MU KI TARAF ZARA NEECHEI

HATKAR ISSEY EK HARF NIKALTA HAI ( ك ) SAATVA MAKHRAJ:-

DARMIYANI ZABAN AUR USKE MUQABIL WALI TAALU, ISSEY TEEN

HUROOF ( ي ش ج ) GAIR MADDAH NIKALTEY HAI

AATHWA MAKHRAJ:- ZABAN KA BAYAN YA DAHNA KINARA AUR USKE MUQABIL WALEY UPAR

KEY DADOU, ISSEY EK HARF NIKALTA HAI ( ض )

Page 13: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

NAVVA MAKHRAJ:- ZABAN KA AKHIRI KINARA AUR UPAR TAALOU WALEY DAANTOU KE

MASODEY (JO DADOU SE PAHLE HAI) ISSEY EK HARF NIKALTA HAI (ل) DASWA MAKHRAJ:-

ZABAN KI NOOK AUR UPAR WALEY SAMNE KE DAANTOU KE MASODEY

ISSEY EK HARF NIKALTA HAI ( ن ) GIYARWA MAKHRAJ:-

NOOK ZABAN KI PEET AUR UPAR WALEY SAMNE KE DAANTOU KE

MASODEY, ISSEY EK HARF NIKALTA HAI ( ر ) BARWA MAKHRAJ:-

NOOK ZABAN AUR UPAR WALEY SAMNE KE DOUNOU DAANTOU KI JAD

ISSEY TEEN HUROOF NIKALTEY HAI ( ت د ط ) TEIRVA MAKHRAJ:-

NOOK ZABAN AUR NICHE AUR UPAR WALEY SAMNE KE CHAROU

DAANTOU KE SAREY SE TEEN HUROOF NIKALTEY HAI ( س ز ص ) CHAUDHVA MAKHRAJ:-

NOOK ZABAN AUR UPAR WALEY SAMNE KE DOUNOU DAANTOU KE

KINARE, ISSEY TEEN HUROOF NIKALTEY HAI ( ث ذ ظ )

PANDRAVA MAKHRAJ:- NICHE KA HOUNT AUR UPAR WALEY SAMNE KE DOUNOU DAANTOU KE

KINARE, ISSEY EK HARF NIKALTA HAI ( ف ) SOULVA MAKHRAJ:-

DOUNOU HOUNT, ISSE TEEN HUROOF NIKALTEY HAI ( و م ب ) GAIR MADDAH NIKALTEY HAI.

SATRAHVA MAKHRAJ:- NAAK KA BANSA, ISSEY GUNNAH AUR DO HUROOF-E-MAKHFI NIKALTEY

HAI ( ن م )

Page 14: Tajweed Book by Tawheed Centre

WEBSITE :- www.tawheedcentre.com CONTACT NO:- +91-9700675879

TAWHEED CENTRE HYDERABAD TAJWEED KE QAIDE AHLE-SUNNAT-WAL-JAMA’AT

TAJWEED KI TAREEF

TAJWEED KE MANEY LUGHAT MEI SAWARNA ARAASTA KARNA AUR KHUBSURAT BANANE KE HAI AUR ISTELAH MEI HAR HURF KO ISKE MAKHRAJ SE NIKALNA ISKI SIFAT KO ADA KARNA TAJWEED HAI GOYA TAJWEED EK ILM HAI JIS SE QUR’AN-E-SHAREEF KE HURF WO KALIMAT KO SEHA WO KHUBI SE ADA KARNE KE KHAWEED MALUM HOTE HAI AUR ALLAH TA’ALA KA IRSHAAD HAI ( ) (PARA NO.30, SUREH MUZAMILL, AAYAT NO.4) QUR’AN-E-SHAREEF KO TAJWEED KE SAAT PADHNA HAR MUSALAMAN (MARD OR AURAT) PAR FARZ HAI JO KOI SHAKS BAGAIR TAJWEED KE QUR’AN-E-SHAREEF KO PADHEGA WO GUNAHGAAR HOGA

LAHEN

LAHEN SE YAHA MURAAD HAI QUR’AN GHALAT PADHNA YA TAJWEED KE KHILAF PADHNA ISKI DOU KHISMEI HAI 1. LAHNE JALI 2. LAHNE KHAFI

1. LAHNE JALI:- WO GALTI HAI JIS SE MANEY BADAL JALE HAI AUR JO EK

HUROOF KI JAGA DUSRA HUROOF PADHNA YA KISI HUROOF KO ADHADENA YA GHATADENA YA “ZABAR” “ZEIR” “PAISH” “JAZAM” MEI EK KO DOUSREY KI JAGA PADHNE SE LAHNE JALI WAQE HOTI HAI AUR YE HARAM HAI ISSEY BAAZ SURATOU MEI NAMAZ BHI FASID HOJATI HAI.

2. LAHNE KHAFI :- WO GALTI HAI JISSEY MANEY TO NAHI BADALTEY LAIKIN ALFAZ WO HUROOF KI RAUNAQ MEI KHALAL WAQE HOUTA HAI AISI GALTI MUKHARRARA KHAWAED KE KHILAF PADHNE SE HUWA KARTI HAI AUR YE HARAM NAHI BALKE MAKROU HAI---LAIKIN ISSEY BHI BACHNA ZAROORI HAI.

ALLAH TA’ALA SE DUA HAI KE AGAR (KUCH) GHALATI HOGAYI HAI TO

MA’AF KARDE (AAMEEN YA RABBAL AALAMEEN TUJHE WASTA RAHMATULLIL AALAMEEN KA)