ma’arif-e-sibtain fi manaqib ul hasanain alaihimussalam · shaykh-ul-islam dr. muhammad...

44
MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM Sayyeduna Hasnain Kareemain Alaihimussalam ki Shaan me 40 Ahadees-e-Mubaraka (Roman Urdu/Hindi me) Book of 40 Ahadees made from Book of Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri “Marajal Bahrain fi Manaqibil Hasnain” (Alaihimussalam) By: www.facebook.com/DrQadriBooks

Upload: others

Post on 26-Oct-2019

18 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

MA’ARIF-E-SIBTAIN FI

MANAQIB UL HASANAIN

ALAIHIMUSSALAM Sayyeduna Hasnain Kareemain Alaihimussalam ki Shaan me

40 Ahadees-e-Mubaraka

(Roman Urdu/Hindi me)

Book of 40 Ahadees made from Book of

Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri

“Marajal Bahrain fi Manaqibil Hasnain”

(Alaihimussalam)

By: www.facebook.com/DrQadriBooks

Page 2: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain
Page 3: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

“Farma dijiye: Mai is (Tableegh-e-Risalat) par tumse koi

ujrat nahi maangta magar (Meri) Qarabat se Muhabbat

(chahta hun).”

(Surah Al-Shura Aayat no. 23)

Page 4: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

1. “Hazrat Ali RadiAllahu Anhu bayan farmate hain ke jab Hasan paida hua to

uska naam Hamza rakha aur jab Hussain paida hua to uska naam uske chacha

ke naam par Jafar rakha. (Hazrat Ali RadiAllahu Anhu farmate hain) Mujhe

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bulakar farmaya: Mujhe

ye naam tabdeel karne ka hukm diya gaya hai. (Hazrat Ali RadiAllahu Anhu

farmate hain) maine arz kiya: Allah aur Uska Rasool behtar jaante hain. Pas

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne unke naam Hasan wa Hussain

rakhe.”

. 2

Page 5: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

2. “ Mafzal se riwayat hai ke Allah Tabarak wa Ta’ala ne Hasan aur Hussain ke

Naamon ko hijab me rakha yahan tak ke Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ne Apne Beton ka naam Hasan aur Hussain rakha.”

3. “Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

paida hue to Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Khud

Unke kaano me Azaan di.”

. 2

Page 6: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

4. “Ummul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan karti hain

ke Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan aur

Hussain ki paidaaish ke saatwe din unki taraf se do do bakriyan aqeeqe me

zibah ki.”

5. “ Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain: Maine Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Har

Page 7: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

aurat ke beton ki nisbat unke baap ki taraf hoti hai ma siwaye Fatima ki Aulad

ke, ke Mai he unka Nasab hun aur Mai he unka Baap hun.”

Aur ek riwayat me hai

“Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha se marvi hai ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har aurat ke beton

ka khandan hota hai jiski taraf wo mansoob hote hain ma siawaye Fatima ki

aulad ke, pas Mai he Unka Wali hun aur Mai he Unka Nasab hun.”

Page 8: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Aur ek riwayat me hai

“Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain: Maine Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna: Qayamat ke

din Mere Hasab wa Nasab ke siwa har silsila-e-nasab munkata hojaega. Har

bete ki baap ki taraf nisbat hoti hai ma siwaye Fatima ke, ke Unka Baap bhi

Mai he hun aur Unka Nasab bhi Mai he hun.”

Page 9: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

6. “Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha farmati hain ke ek roz Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mere yahan tashreef laaye aur

farmaya: Mere Bete kahan hain? Maine arz kiya: Ali (Alaihissalam) unko saath

legaye hain. Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam unki talaash me

mutawajjah hue to unhe paani peene ki jagah par khelte hue paaya aur unke

saamne kuch khajooren bichi hui thin. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne farmaya: Ay Ali! Khayal rakhna Mere beton ko garmi shuru hone se

pehle waapis le aana.”

. 6

. 6

. 7

Page 10: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

7. “Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhuma se marvi hai, unhone farmaya:

Mai ek raat kisi kaam ke liye Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki khidmat me hazir hua. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

baahar tashreef laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam kisi shaye

ko apne Jism se chimtaaye hue they jise main na jaan saka, jab mai apne kaam

se faarig hua to arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam!

Aapne kya cheez Apne Jism se chimta rakhi hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne kapda hataya to dekha ke Hasan wa Hussain Alaihimussalam

dono raano tak Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se chimte hue they.

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye Mere Dono Bete

hain.”

. 7

. 8

Page 11: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

8. “Hazrat Ali Alaihisslam riwayat karte hain ke Hasan Seene se Sar tak

RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki kaamil Shabeeh they aur

Hussain Seene se niche tak Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki

kaamil Shabeeh they.”

9. “Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya: Aapko Ahle Bayt me

se sabse zyada Kaun Mehboob hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne farmaya: Hasan aur Hussain.”

. 8

. 9

. 9

Page 12: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

10. “Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu Allah Ta’ala ke is farman “Ay

Nabi ke ghar waalon! Allah chahta hai ke tumse (har tarah ki aaludgi) door

karde aur tumko khoob paak wa saaf karde” ke bare me farmate hain: Ye

Aayat-e-Mubarak in Paanch hastiyon ke bare me naazil hui: Huzoor Nabi

Akram, Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Alaihisswalatu was Salaam.”

Faida: Inhi Paanch Hastiyon ke mutazkirah takhsees ke baais Aammatul

Muslimeen me “Panjatan” ki istelaah mashhoor hai. Jo Shar’an durust hai

isme ko mubalga ya aytekaadi guluw hargiz nahi.

. 10

. 10

. 11

Page 13: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

11. “Hazrat Safiya binte Shaiba se riwayat hai ke Ummul Momineen Hazrat

Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan farmati hain ke Huzoor Nabi Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam subah ke waqt bahar tashreef laaye

darhalaanke Aap SallAlahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek chadar oodhi hui

thi jispar siyah oon ke kajawon ke naksh bane hue the. Hasan ibne Ali

Alaihimussalam aaye to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe us

chadar me daakhil karliya fir Hussain Alaihissalam aaye Aapke humraah

chadar me daakhil hogaye, fir Fatima Salamullahi Alaiha aayin, Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe us chadar me daakhil karliya, fir Ali

Alaihissalam aayen to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe bhi

chadar me le liya. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ye Aayat-e-

Mubaraka padhi “Ay Ahle Bayt! Allah to yehi chahta hai ke Tumse (Har tarah

ki) aaludgi door karde aur Tumko kamaal darja Taharat se nawaz de.”

. 11

Page 14: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

12 .“Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab

Aayat-e-Mubahla “Aap farma den: Aao hum apne beton ko bulate hain aur

tum apne beton ko bulao” naazil hui to Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ne Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Alaihimussalam ko

bulaya, fir farmaya: Ya Allah! Ye Mere Ahal (Bayt) hain.”

Aur ek riwayat me hai

. 12

. 12

Page 15: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

“Ummul Momineen Hazrat Umme Salama RadiAllahu Anha se marvi hai ke

Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Fatima

Salamullahi Alaiha aur Hasan wa Hussain Alaihimussalam ko jama farmakar

unko Apni chadar me leliya aur farmaya: Ay Allah! Ye Meri Ahle Bait hai.”

13. “Hazrat Ayyub Ansari RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke mai Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah-e-Aqdas me haazir

hua to (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihimussalam Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ke saamne ya godh me khel rahe they. Maine arz kiya: Ya

RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Kya Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam inse muhabbat karte hain? Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

. 13

Page 16: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Sallam ne farmaya: Mai inse muhabbat kyu na karun haalanke Mere Gulshan-

e-Duniya ke yehi to 2 Phool hain jinki mehak ko sunghta rehta hun (Inhi

Phoolon ki khusbu se kaif wa suroor pata hun)”.

14. “Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke mai Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah-e-Aqdas me haazir hota

ya (farmaya) aksar aukaat haazir hota (aur dekhta ke) Hasan wa Hussain

Alaihimussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Shikam-e-

Mubarak par lot pot horahe hote aur Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam farma rahe hote: Ye Dono he to Meri Ummat ke Phool hain.”

. 13

. 14

. 14

Page 17: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

15. “Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Fatima Salamullahi

Alaiha se farmaya karte: Mere dono Beton ko bulao fir Aap SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam Un dono (Phoolon) ko sunghte aur Apne Seena-e-Aqdas

ke saath chipka lete.”

16. “Hazrat Ya’ala ibne Murrah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hasan

wa Hussain Alaihimussalam Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki

taraf chalte hue aaye. Jab Unme se ek Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ke paas pahunch gaya to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

Apne ek baazu se Usey Galey laga liya, fir jab dusra pahuncha to dusre baazu

se Usey Galey laga liya, fir dono ko baari baari chumne lage.”

. 15

. 15

. 16

. 16

Page 18: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

17. “Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hasan aur Hussain

Tamam Jawaanan-e-Jannat ke Sardar hain.”

Ek riwayat me hai

“Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Aasmaan ke ek farishte ne

(isse pehle) Meri Ziyarat kabhi nahi ki thi, usne Meri Ziyarat ke liye Allah Ta’ala

se ijazat talab ki aur Mujhe ye Khushkhabari sunayi ke Hasan aur Hussain

Tamam Jannati jawaanon ke Sardar hain.”

. 17

. 17

Page 19: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

18. “Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke maine Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna ke: Hum

Abdul Muttalib ki Aulad Ahle Jannat ke Sardar hain jisme Mai, Hamza, Ali,

Jafar, Hasan, Hussain aur Mahdi shaamil hain.”

. 18

. 18

Page 20: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

19. “Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma farmate hain ke jab

Aayat-e-Mubaraka “Farma den Mai tumse is (Tableegh-e-Haq aur Khair

khwaahi) ka kuch sila nahi chahta bajuz Ahle Qarabat se Muhabbat ke” naazil

hui to Sahaba Ikram RadiAllahu Anhum ne arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu

Alaik wa Sallam! Aapke wo kunse Qarabatdar hain jinki Muhabbat humpar

Waajib hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali, Fatima

aur Unke dono Bete (Hasan wa Hussain).”

20. “Hazrat Abdullah ibne Mas’ud RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke

Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jisne

Mujhse Muhabbat ki, Uspar laazim hai ke wo in dono se bhi muhabbat kare.”

. 19

. 19

. 20

Page 21: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Aur ek riwayat me hai

“Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Hasan aur Hussain

Alaimussalam ke mutalliq farmate hue suna: Jo Mujhse Muhabbat karta hai,

Uspar in dono se Muhabbat karna Waajib hai.”

21. “Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jisne Hasan aur Hussain

. 20

. 21

Page 22: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Alaihimussalam se Muhabbat ki, usne darhaqeeqat Mujh he se Muhabbat ki.”

22. “Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain

Alaihimussalam ke liye farmaya: Jisne Inse Muhabbat ki usse Maine

Muhabbat ki, aur jisse Mai Muhabbat karun usse Allah Muhabbat karta hai,

aur jisko Allah mehboob rakhta hai usey Neymaton waali Jannat me daakhil

karta hai.”

. 21

. 22

. 22

Page 23: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

23. “Hazrat Ali Alaihissalam se marvi hai ke Huzoor Nabi Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai, Fatima, Hasan, Hussain aur jo

Humse Muhabbat karte hain, Qayamat ke dn ek he maqam par jama honge,

Hamara khana peena bhi ikattha hoga, taa-aanke log (hisab wa kitab ke baad)

juda juda kardiye jaenge.”

24. “Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se marfuan Hadees

marvi hai ke Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

farmaya: Mai Darakht hun, Fatima uski tehni hai, Ali uska Shagofa aur Hasan

. 23

. 23

. 24

Page 24: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

wa Hussain uska Phal hain aur Ahle Bayt se Muhabbat karnewaale uske patte

hain, sab Jannat me honge, Ye Haq Hai Ye Haq Hai.”

25. “Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Ay logon!

Kya Mai tumhe unke bare me khabar na dun jo (Apne) Nana Nani ke aitbaar

se sab logon se behtar hain? Kya Mai tumhe unke bare me na bataau jo (apne)

. 24

. 25

Page 25: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Chacha aur Phuphi ke lihaaz se sab logon se behtar hain? Kya Mai tumhe unke

bare me na bataau jo (apne) Maamu aur Khala ke aitbaar se sab logon se

behtar hain? Kya Mai tumhe unke bare me khabar na dun jo (apne) Maa Baap

ke lihaaz se sab logon se behtar hain? Wo Hasan aur Hussain hain, Unke Nana

Allah ke Rasool, Unki Nani Khadija binte Khuwailid, Unki Waalida Fatima binte

RasoolAllah, Unke Waalid Ali ibne Abi Talib, Unke Chacha Jafar ibne Abi Talib,

Unki Phuphu Umme Haani binte Abi Talib, Unke Maamu Qasim ibne

RasoolAllah, Unki Khala RasoolAllah ki Betiyan Zainab, Ruqaiyya aur Umme

Qulsoom hain. Unke Nana, Nani, Waalid, Waalidah, Chacha, Phuphi, Maamu

aur Khala (sab) Jannat me honge aur wo dono (Hasnain Kareemain) bhi Jannat

me honge.”

. 25

. 26

Page 26: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

26. “Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ek martaba Jannat

ne Dozakh par fakhr kiya aur kaha mai tumse behtar hun. Dozakh ne kaha:

Mai tumse behtar hun. Jannat ne dozakh se pucha: Kis wajah se? Dozakh ne

kaha: Isliye ke mujhme bade bade jaabir hukmaraan firaoun aur namrood

hain. Is par Jannat khamosh hogayi. Allah Ta’ala ne Jannat ki taraf Wahi ki aur

Farmaya: Tu aajiz wa lajawab na ho, mai tere do Sutuno ko Hasan aur Hussain

ke zariye mujayyan kardunga. Pas Jannat khushi aur suroor se aise sharma

gayi jaise dulhan sharmati hai.”

27. “Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Beshaq Fatima, Ali,

. 26

. 27

Page 27: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Hasan aur Hussain Jannatul Firdous me safed Gumbad me muqeem honge

jiski chhat Arsh-e-Khudawandi hogi.”

28. “Hazrat Abu Faakhta (Saeed ibne Alaqa) RadiAllahu Anhu se riwayat hai

ke Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Ali, Fatima, aur

Hasan aur Hussain Salamullah Alaihim ghar par they ke Hasan ne paani

manga. Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne aadhi raat

ko uthkar Usey paani pilaya. (Isi douran jabke Huzoor Nabi Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Hasan Alaihissalam ko paani pilane he waale

they) ke Hazrat Hussain Alaihissalam ne wahi paani talab kiya, jise Huzoor

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne pehle dene se inkar farmaya (kyunki

Hasan Alaihissalam Unse qabl paani maang chuke they aur Huzoor SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam usi tarteeb se dena chahte they, ye bagarze tallem

. 27

. 28

Page 28: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

wa tarbiyat tha). Arz kiya gaya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam!

Lagta hai ke Aapko Hussain se zyada Hasan Mehboob hai? To Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye wajah nahi balke

Hasan ne Hussain se pehle paani manga tha. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne farmaya: Ay Fatima! Mai, Tum, Ye Dono (Hasan wa Hussain) aur

Ye Sonewala (yaani Hazrat Ali) Qayamat ke din ek he jagah par honge.”

29. “Hazrat Ali Alaihissalam bayan karte hain ke RasoolAllah SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ne mujhe bataya ke sabse pehle Jannat me daakhil hone

waalon me, Mai (Yaani Hazrat Ali Alaihissalam khud), Fatima, Hasan aur

Hussain hain. Maine arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Sallam!

Humse Muhabbat karnewale kahan honge? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne farmaya: Tumhare Piche.”

. 28

. 29

. 29

Page 29: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

30. “Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dua farmayi: Ay Allah! Mai Inse

Muhabbat karta hun, Tub bhi Inse Muhabbat kar aur Inse Muhabbat karne

waale se bhi Muhabbat kar.”

31. “Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jisne Hasan aur Hussain se

bugz rakha usne Mujh he se bugz rakha.”

. 30

. 30

. 31

. 31

Page 30: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

32. “Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasan wa Hussain

Alaihimussalam ke bareme farmaya: Jisne Inse bugz rakha ya Inse bagawat ki

wo Mere yahan mabgooz hogaya aur jo Mere yaha mabgooz hogaya wo Allah

ke gazab ka shikar hogaya aur jo Allah ke yahan gazab yafta hogaya to Allah

Ta’ala usey Jahannam ke azaab me daakhil karega (jahan) uske liye hamesha

ka thikana hoga.”

. 32

. 32

Page 31: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

33. “Hazrat Zaid bin Arkam RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima,

Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim se farmaya: Jisse Tum

ladoge Meri bhi usse ladayi hogi, aur jisse Tum Sulah karoge Meri bhi usse

Sulah hogi.”

. 33

. 33

. 34

Page 32: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

34. “Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu farmate hain ke maine dekha ke

Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek Khaima me qayam

farmaya aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ek Arabi kamaan par

tek lagaye hue they aur khaima me Ali, Fatima, Hasan aur Hussain Salamullah

Alaihim bhi maujood they.Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

farmaya: ‘Ay Musalmano ki Jamaat! Jo Ahle Khaima (Ahle Bait) se Sulah

karega Meri bhi usse Sulah hogayi,jo Inse ladega Meri bhi usse ladayi hogi. Jo

Inko dost rakhega Meri bhi usse dosti hogi. Inse sirf khushnasseb aur barkat

waala he dosti rakhta hai aur Inse sirf badnaseeb aur badbakht he bugz rakhta

hai.”

. 34

. 35

Page 33: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

35. “Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke hum Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke humrah Namaz-e-Isha

ada karrahe they, jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye

to Hasan aur Hussain Alaihimussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Pusht Mubarak par sawaar hogaye, jab Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne Sajde se Sar uthaya to un dono ko apne piche se narmi ke

saath pakadkar zameen par bithadiya. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam dobara Sajde me gaye to Shehzaadgaan ne dobara aisa he kiya(ye

silsila chalta raha) yahan tak ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

Namaz Mukammal karli uske baad Dono ko Apni Mubarak Raano par

bithaya.”

Aur ek riwayat me hai

. 35

Page 34: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

“Zir ibne Jaish RadiAllahu Anhu farmate hain ek din Huzoor Nabi Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam logon ko Namaz padha rahe they ke

Hasnain Kareemain Alaihimussalam jo us waqt bachhe they aaye. Jab Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye to wo Aap SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ki pusht Mubarak par sawaar hone lage, log unhe rokne

ke liye aage badhe to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:

Mere Maa Baap inpar Qurbaan ho! Inhe chod do…..yaani Sawaar hone do.”

Ek aur riwayat me hai

“Hazrat Bara bin Aazib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz padhaate to Hasan wa Hussain

Alaihimussalam dono me se koi ek aakar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Pusht Mubarak par sawaar hojata jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam Sajde me hote, Sajde se Sar uthate hue agar ek hota to Usko ya

Dono hote to bhi Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Unko thaam lete,

fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farmate: Tum do sawaron ke liye

kitni achi sawari hai.”

Page 35: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

36. “Hazrat Salman Farsi (RadiAllahu Anhu) farmate hain: Hum Huzoor Nabi

Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas they. Umme Ayman Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas aayin aur arz kiya: Hasan wa

Hussain Alaihimussalam goom hogaye hain. Raawi kehte hain din khoob nikla

hua tha. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Chalo Mere

Beton ko talash karo, raawi kehta hai har ek ne apna apna rasta liya aur mai

Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke sath chal pada, Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam musalsal chalte rahe hatta ke pahaad ke daman tak

pahunch gaye (dekha ke) Hasan wa Hussain Alaihimussalam ek dusre ke sath

chimte hue hain aur ek azdaha apni dum par khada hai aur uske muh se aag

ke shole nikal rahe hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam uski taraf

tezi se badhe to wo azdaha Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

. 36

Page 36: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Sallam ki taraf mutawwajah hokar sikud gaya phir khisakkar pathar me chup

gaya phir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasnain Kareemain

Alaihimussalam ke paas tashrif laaye aur Dono ko alag alag kiya aur Unke

Chehron ko pocha aur farmaya: Mere Maa Baap Tumpar Qurban ho, Tum

Allah ke haan kitni Izzat waale ho. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

ne Unme se ek ko Apne daayen Kandhe par aur dusre ko baaye Kandhe par

utha liya. Maine arz kiya: Tumhari Sawari kitni khoob hai? Huzoor Nabi Akram

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye bhi dekho ke Dono

Sawaar kitne Khoob hain.”

. 36

. 37

Page 37: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

37. “Abdullah ibne Shaddaad apne waalid Hazrat Shaddaad bin Haad

RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain ke Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam Isha ki Namaz ada karneke liye hamare paas tashreef

laaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan ya Hussain

Alaihimussalam (me se kisi ek Shehzaade) ko uthaaye hue they. Huzoor

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne tashreef laakar Unhe zameen par

bitha diya fir Namaz ke liye takbeer farmaya aur Namaz padhna shuru kardi,

Namaz ke doran Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne

taweel Sajda kiya. Hazrat Shaddaad RadiAllahu Anhu ne kaha: Maine sar

uthakar dekha ke Shehzaade Sajde ki haalat me Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ki Pusht Mubarak par sawaar hai. Mai fir sajde me chala gaya. Jab

Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada farma chuke to logon

ne arz kiya ke: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam! Aapne Namaz me

itna sajda taweel karliya, yahan tak ke humne gumaan karliya ke koi Amr-e-

Ilahi waake hogaya ya Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par Wahi

naazil hone lagi hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad

farmaya: Aisi koi baat na thi magar ye ke Mujhpar Mera Beta Sawaar tha isliye

(Sajde se uthne me) jaldi karna acha na laga jabtak ke Uski Khwahish puri na

ho.”

. 37

Page 38: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

38. “Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu farmate hain ke mai gawahi deta

hun ke hum Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke sath

(safar me) nikle, abhi hum raaste me he they ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne Hasan wa Hussain Alaihimussalam ki aawaz suni Dono ro rahe

they aur Dono Apni Walida Majida (Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha) ke

paas he they. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Unke paas teezi se

pahunche. (Abu Hurairah RadiAllahu Anhu kehte hain ke) maine Aap

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha se

ye farmate hue suna: Mere Beton ko kya hua? Sayyeda Fatima Salamullahi

Alaiha ne bataya: Inhe sakht pyaas lagi hai. Huzoor Nabi Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam paani lene ke liye mashkize ki taraf badhe. Un dino

. 38

Page 39: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

paani ki sakht qillat thi aur logon ko paani ki shaded zarurat thi. Aap SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne logon ko aawaz di: Kya kisike paas paani hai?

Har ek ne kajawon se latke mashkizon me paani dekha magar unko qatra tak

na mila. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Sayyeda Fatima

Salamullahi Alaiha se farmaya: Ek Bachha Mujhe den. Unhone Ek ko parde ke

niche se dediya. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Usko

pakadkar Apne Seene se laga liya magar wo sakht pyaas ki wajah se musalsal

ro raha tha aur khamosh nahi horaha tha. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne Uske Muh me Apni Zubaan Mubarak daaldi Wo Usey Chusne

laga hatta ke sairabi ki wajah se sukoon me aagaya maine dobara Uske rone

ki aawaz na suni, jabke Dusra bhi usi tarah (musalsal roraha tha) pas Huzoor

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Dusra bhi Mujhe Deden, to

Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne dusre ko bhi Huzoor SallAllahu Alaihi

wa Aalihi wa Sallam ke hawale kardiya, Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ne Us se bhi wahi muamla kiya (yaani Zubaan Mubarak Uske Muh me

daaldi). So wo Dono aise khamosh hogaye ke maine dobara Unke rone ki

aawaz na suni.”

. 38

Page 40: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

39. “Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hasan wa Hussain

Alaihimussalam ke liye (khususi tor par) kalmat-e-Taauz ke sath dum farmate

they aur irshad farmate ke Tumhare Jadde Amjad (Ibrahim Alaihissalam bhi)

Apne Dono Sahabzadon Ismaeel wa Ishaaq (Alaihimussalam) ke liye in

kalimaat ke sath taauz karte they “Mai Allah Ta’ala ke Kaamil Kalmaat ke

zariye har (waswasa andazi karnewale) shaitan aur bala se aur har nazre bad

se panah mangta hun.”

. 39

. 39

. 40

Page 41: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

40. “Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke hum Huzoor

Nabi Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke humraah Isha ada kar

rahe they, jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sajde me gaye to

Hazrat Hasan aur Hussain Alaihimussalam Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa

Sallam ki Pusht Mubarak par sawar hogaye. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi

wa Sallam ne Sajde se Sar uthaya to un Donoko Apne piche se Narmi se pakad

kar zameen par bitha diya. Jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

dobara Sajde me gaye to Hasan wa Hussain Alaihimussalam ne dobara aisa he

kiya hatta ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Namaz mukammal

karne ke baad Dono ko Apni Mubarak Raano par bithaliya. Maine khade hokar

arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Aalika Sallam! Mai Inhe waapas

chod aata hun. Pas achanak aasmaani bijli chamki aur Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ne (Hasnain Kareemain Alaihimussalam) ko farmaya ke Apni

Waalida ke paas chale jao. Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte

hain ke Unke ghar me daakhil hone tak wo roshni barkarar rahi.”

. 40

Page 42: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

41. “ Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Huzoor Nabi Akram SallAllahu

Alaihi wa Aalihi wa Sallam se riwayat karte hain ke Aap SallAllahu Alaihi wa

Aalihi wa Sallam ke saamne Hasnain Kareemain Alaihimussalam kushti lad

rahe they aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farma rahe they:

Hasan jaldi karo. Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ne kaha: Ya RasoolAllah

SallAllahu Alaik wa Sallam! Aap sirf Hasan ko he aisa kyun farma rahe hain?

Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne jawab diya: Kyunki Jibrael-e-

Ameen Hussain ko jaldi karneka kehkar daad de rahe they.”

. 41

. 41

. 42

Page 43: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

42. “Sayyeda Fatima Salawatullahi Alaiha se riwayat hai ke wo Apne Baba

Huzoor Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke marz-e-wisaal

ke dauran Hasan aur Hussain ko Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke

paas laayin aur azr kiya: Ya RasoolAllah! Inhe Apni wirasat me se kuch ata

farmaen. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya: Hasan

Meri Haibat wa Sardari ka Waaris hai aur Hussain Meri Jurrat wa Sakhawat

ka.”

Ek aur riwayat me hai:

“Maine is Bade Bete (Hasan) ko Haibat aur Burdbaari ata ki aur Chote Bete

(Hussain) ko Muhabbat aur Raza ata ki.”

Aur ek riwayat me hai:

“Hasan ke liye Meri Saabit Kadmi aur Sardari ki Wirasat hai aur Hussain ke

liye Meri Taaqat wa Sakhawat ki Wirasat hai.”

. 42

Page 44: MA’ARIF-E-SIBTAIN FI MANAQIB UL HASANAIN ALAIHIMUSSALAM · Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ... Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Hasan aur Hussain

Allahumma Salli Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa

Sahbihi wa Baarik wa Sallim

Allahumma Salli ala Jaddil Hasnain wa Ummal Hasanain wa Abul Hasnain wa

Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Sayyeda Zainab wa Barik wa

Sallim