49 if you are a student

25
MAYANK KOTHARI IF YOU ARE A STUDENT…!!!

Upload: gargdinesh25

Post on 24-Jul-2015

30 views

Category:

Documents


0 download

TRANSCRIPT

Page 1: 49 if You Are a Student

MAYANK

KOTHARI IF YOU ARE A

STUDENT…!!!

Page 2: 49 if You Are a Student

2 | M a y a n k K o t h a r i

All Rights Reserved under the Macsam Group. No

part of this work may be reproduced, distributed or

transmitted in any form or by any means or stored

in a database or retrieval system, electronic,

mechanical, photocopying, audio or video

recording, or other, without the prior written

permission of the copyright owner

Copyright 2003 Macsam Group

Page 3: 49 if You Are a Student

3 | M a y a n k K o t h a r i

Agar aap student ho aur Sigrate pite

ho n drink bhi karte ho to meri ek

salah mano

Kal se padhna bhi chod-do.

Aur agar padhna hi chahte ho to

Mujhe padhne ki vajah batao….

Aaj tak tumne jitna bhi padha vo kya

isiliye tha ki tum sigrate aur sharab

pine lag jao,

Aapke hisab se to aapko padhane vale

aapke guru hi pagal the.

Page 4: 49 if You Are a Student

4 | M a y a n k K o t h a r i

Unhone aapko padhaya aur aap aaj

unhi ki bejjati kar rahe ho.

Padhai ka matlab kya hota hai

Class me first aana hi padhai nahi

hota, Teacher k puche hue question ka

javab dena hi padhai nahi hota.

Shiksha aapko jindagi jeena sikhati hai

naki peena.

Page 5: 49 if You Are a Student

5 | M a y a n k K o t h a r i

Aaj log tarah-tarah ki galiyo ka prayog

karte hai.

AC, KC, MC, aur na jane kaisi kaisi.

Mujhe bataiye yahi sab sikhna tha to

apna kimti samay padhne me barbad

kyon kiya?

Agar padhai ki jagah ye sab bachpan

me hi karte to aaj aap expert to

kehlate,

Joki padhai me jindagi janm ho nahi

saka.

Page 6: 49 if You Are a Student

6 | M a y a n k K o t h a r i

Aur kuch aisa bhi- Kitni hi jagaho par

Boards aur Posters lage hue hote hai ki

-

“Gutkha, Sigrate, Sharab Sehet ke liye

hanikarak hote hai, Krupya inse parhej

kare.”

Aise aise boards aur posters lagaye

jayenge par inki kharedi-bikri pe

pabandi nahi lagegi. Are sigrate ke

box pe bhi likha hone ke bavajud log

shan se sigrate pite hai.

Mera kehne ka saaf matlab yahi hai ki

koi bhi kam karo par puri lagan se

karo.

Bhale hi vo pina ho ya pilana!!!

Page 7: 49 if You Are a Student

7 | M a y a n k K o t h a r i

Sahi suna aapne……

PILANA bhi aaj kal bahot chalta hai,

Ek bat batau…, agar aapka koi kaam

ruka ho, ya koi kaam shuru hi nahi ho

pa raha, ya fir koi bhi mushkil ho

jisme kisi third party ka samavesh ho.

To chinta mat kariye, aapki is mushkil

ka hal bhi hai mere paas.

Sirf ek kam kijiye, us third party ke

samne kuch paise rakh dijiye, fir

dekhiye aapka kam kaise nahi hota.

Page 8: 49 if You Are a Student

8 | M a y a n k K o t h a r i

Are mai jhuth nahi bol raha hu!!!!!

Mere sath aisa pehle ho chuka hai

Ek din mai koi form lene college gaya

tha.

Kisi aur kam mai fasa hua tha isiliye

college pahonchne mai bahot deri ho

gayi, par jab college pahoncha to

dekha ki form ke liye kafi logo ki line

lagi hui thi,.

Mai shuruvat mai to thoda pareshan

hua, fir chup chap jake line mai khada

ho gaya.

Thodi hi der mai 2 bande aaye, jis

window ke samne form ki line lagi thi

Page 9: 49 if You Are a Student

9 | M a y a n k K o t h a r i

usi ke paas ja pahunche aur unme se

ek ne kaha ki sir meri behen ki tabiyat

kharab hai, doctor ko dikhane jana hai,

please thoda form jaldi de dijiye.

Form issue karne wale ne saaf saaf keh

diya “bhaiya line me lago, number

aayega to le lena”

Par vo bhai sahab to bade hi

experienced nikle.

Window ke side se andar jane ke liye

jo darvaja tha vaha chupchap gaye,

Jate samay gatekeeper ko Rs. 50 diye,

Andar jane k bad Issuer ko Rs.150

diye,

Page 10: 49 if You Are a Student

10 | M a y a n k K o t h a r i

Fir Form ke Rs. 20 diye ,

Aur gaddi nikal ke chalta bana.

Rs. 20 ke form ke liye us bande ne

Rs.220 kharch kiye, yani 11 guna

jyada….

Aur mai sirf dekhta reh

gaya…………….

Jara sochiye jaha shiksha di jati hai

vaha table ke niche se kisi aur tarah ki

shiksha li bhi jati hai….

Page 11: 49 if You Are a Student

11 | M a y a n k K o t h a r i

Vote mangne ke liye Politician logo ko

kharidte hai, sharab paroste hai aur

desh ko banate hai shmashan....

Aur shan se kehte hai ki

Mera Bharat Mahan!!!!

Wah kya tarika hai in logo ka!!!!!!!

Ye logo ko bevkuf banate jate hai aur

log bevkuf bante jate hai,

Ek din jab mai office se ghar aaya to

mere mobile pe kuch is tarah ka

message aaya

“A poorman catches a Fish.

Wife can’t cook due to…

Page 12: 49 if You Are a Student

12 | M a y a n k K o t h a r i

No Gas

No Current

No Oil

Man put the fish back in the river

Fish comes up and shout

Sarkar Jindabad!!!! “

He he…. Achha message tha na…!!!!

Mai to kehta hu ki har mahine election

hone chahiye,

Isi bahane kum se kum bijli aur pani

to aata rahega.

Page 13: 49 if You Are a Student

13 | M a y a n k K o t h a r i

60 saal se jyada bit chuke hai Azadi ko

aur aaj bhi hum Bijli aur Pani ke liye

rote rehte hai

Are itna waqt to Taj Mahal ban-ne me

bhi nahi laga tha,

Aaj bhi kitne hi aise chhote chhote

gaon honge jaha schools nahi hai,

kitne hi honge jaha school ka nam bhi

kisi ko pata nahi hai.

Kitne hi gaon aise honge jo hokar bhi

na ke barabar hai.

Page 14: 49 if You Are a Student

14 | M a y a n k K o t h a r i

Aapse mai kuch nahi chahta,

Nahi paisa,

Nahi gadi,

Nahi bangla. He he …. :-) :-) :-)

Bas chahta hu to ye ki aap thoda

socho.

Sach kehta hoon aapki ye soch pure

Desh ka naksha badal sakti hai.

Aap apne manse saal bhar me koi bhi

ek achha kam karo,

Page 15: 49 if You Are a Student

15 | M a y a n k K o t h a r i

Agar aap aur desh ka har insan aisa

karta hai to har saal 120 crore se bhi

jyada problems dur ki ja sakti hai…

Bator udaharan

Kisi garib ko padhana,

Kisi garib ko madad karna,

Kachre ko uski sahi jagah dikhana,

Bematlab behte pani ko bachana,

Electricity bachana.

Aur na jane aise kitne hi kam honge,

Mere liye to sabse badi khushi ki bat

tab hi hogi jab mai..

Kisi garib ko padha pau,

Page 16: 49 if You Are a Student

16 | M a y a n k K o t h a r i

Kisi mansahari ko shakahari bana pau,

Kisi ke udas chehre pe muskan lau.

Sach kehta hu kabhi karke to dekhiye

aisa, aisa karne par jo khushi milti hai

na,

vo koi lottery lagne par bhi nahi milti.

Kayi bar jab mai logo se aisa kuch

kehta hu to log mujhe kehte hai ki tum

thode alag hi type ke insan ho.

Tab mai bhi ek famous dialogue marta

hu-

Page 17: 49 if You Are a Student

17 | M a y a n k K o t h a r i

“To kya hua jo mai alag type ka hu,

Gam to mujhe is bat ka hai ki tum sab

ek jaise hi ho”

Itna padhne likhne ke bad bhi sigrate

aur sharab pite ho, iska matlab sidhe

tarike se shiksha ko ek gali dete ho.

Mai kehta hu ki agar aapse ye sigrate

chhodi nahi jati to….

…mera ek kam aur karo, shadi karke

apne jeevan sathi ki jindagi nark mai

mat badalna,

Page 18: 49 if You Are a Student

18 | M a y a n k K o t h a r i

aur vo bhi nahi hota to ye paryay bhi

apna sakte ho-

“Jaise hi aapka bacha school jane lag

jaye to usi din se use sigrate aur

sharab pilana, khub pilana. Akele

kyon pite ho baap-bete milke pio.

Dubana hi hai to pure parivar ko ek

sath dubao, dhire dhire kyon dubate

ho.”

Logo ko kaho to log sidha muh pe

jawab dete hai “mai sigrate pee raha

hu, marunga to mai marunga tera kya

jata hai?”

Page 19: 49 if You Are a Student

19 | M a y a n k K o t h a r i

Are bhaiya “Ha, ye to mai janta hu ke

marna aapko hi hai,

Ulta mujhe to khushi hogi jab aise log

marenge

…par kya aap ye jante hai ke aapke

aisa karne se aas pas wale, ya fir aap

ke bacche ko bhi aisi adat lag jati hai.

Yad rakhna sangat ka asar padte der

nahi lagti.. aapke aisi harkato ki vajah

se pradushan failta hai.

Page 20: 49 if You Are a Student

20 | M a y a n k K o t h a r i

Khudke ghar me to jhadu lagana hota

nahi apan se, aur puri duniya me

gandagi failate rehte hai

Are maine khudne dekha hai- jo safai

ki batein karte hai gandagi ki nadi

vahi se hi behti hai.

Aur jo log student hai par in sab chijo

se dur rehte hai to unke liye mera yahi

kehna ki dosto aapko to khush hona

chahiye ki log sigtrate pite hai, sharab

pite hai. Kam se kam desh ki abadi

kuch to kum hogi.

Aur vaise bhi ek din mujhe kisine

kaha tha

Page 21: 49 if You Are a Student

21 | M a y a n k K o t h a r i

“Mere paas rehne ke liye yaha jagah

nahi hai, par aap chahe to meri madad

kar sakte ho…bas karna ye hai ki

aapko jamke sigrate aur sharab pina

hai…isse hoga ye ki aap jaldi bhagwan

ko pyare ho jaoge aur yaha pe aapki

jagah khali ho jayegi to … mai shanti

se jee aur reh sakunga”

Apni na sahi apni image ki to parvah

kijiye.

Apne hi atit mai jara jhak kar dekho,

aur pucho khud se ki kaun hai is

duniya mai jo mujhe accha insan

manta hai.

Page 22: 49 if You Are a Student

22 | M a y a n k K o t h a r i

Are office mai aap bhi boss ke samne

Yes sir, Yes sir karte ho aur cabin se

bahar nikalte hi unke bare mai bate

banate ho….

Aisa kyon?????

Kuch to galat hoga hi us boss mai jab

aap usko galat mante ho,

Aisa hai ya nahi, boss galat

hai ya nahi ye sochne mai waqt

barbad karne se koi fayda nahi.

Kabhi jarurat pade to boss apko der

rat tak kam karne ke liye bhi keh sakta

hai. Aur jarurat na ho to chutti bhi de

sakta hai. Jara apne atit mai jhak kar

dekho ki kya kabhi aisa hua hai???

Page 23: 49 if You Are a Student

23 | M a y a n k K o t h a r i

Boss ko galat bolne se vo badal nahi

sakte, isse acchha ye hai ki situation ko

adjust karna sikho, thoda sacrifice

karna sikho.

Tin sabse badi chije pata hai apko

a) Adjustment

b) Sacrifice and

c) Forgiveness

Duniya ko badalne mai waqt barbad

mat karo, khud ko badloge to apne

aap duniya badal jayegi.

Soch aapki hai, mai janta hu mere

kehne se ya na kehne se kuch nahi

Page 24: 49 if You Are a Student

24 | M a y a n k K o t h a r i

honewala. Jab tak koi bat aap apne dil

se, man se nahi karte tab tak koi fayda

nahi.

Seedhe bol kisi ko samajh aate nahi,

kadva bolo to logo ko english mai

HURT hota hai.

Page 25: 49 if You Are a Student

25 | M a y a n k K o t h a r i

Jindagi aapki hai, Jeena aapko hai.

Mai to aaj hu kal mar jaunga….

Par bharosa dilata hu, jane se pehle

apno aur parayo dono ko hasake

jaunga………

Aur nahi hasa paya to agle janm fir

lautke na aaunga

“Jai Jinendra”