1 | p a g emystorytoall.com/download/wetechbook.pdfunka bhi abhi tak koi bayan nahi aya aur jab...

170
1 | Page

Upload: buidan

Post on 12-Mar-2018

479 views

Category:

Documents


17 download

TRANSCRIPT

1 | P a g e

2 | P a g e

Published and Distributed by www.mystorytoall.com

Copyrighted to Neeraj Jain 2017

All Rights Reserved .

My Previous Work,

MY LOVE FOR SOMEONE (2016),

Thank you for making it a sucessful venture of my life.

By

NEERAJ JAIN

3 | P a g e

Lots Love to My Parents

Mr. Ashok Jain & Mrs. Usha Jain

Thank full for,

Mayank Gajpal, Pawan Kushwaha, Pratik tiwari,

Harshad Dewangan, Cvss Subramanyemm.

Production Values

Promotional Department: NidhiJain, Harshad

Dewangan, Hemant Sonkar, Prakash Rathore, Nikhil

Gupta, Neel Rajat Yadav, Chandan Singh Rajput,

Vishal Baharani and Raj Yadav .

Productional Arrangement: Ritesh Kumar Sinha.

Pruduction of www.Neetwee.com

Distributed By www.mystorytoall.com

Produced By

Neeraj Jain

Special Thanks To

Akhilesh Tiwari

(Our Media represtative)

Devendra Ausar

(Engineer of CHIPS and CEO of RAIPURROJGAR)

4 | P a g e

WINNERS OF “WE-ENGINEERS” CONTEST

- M. DEEPTI

- HARISH KUTARE

- KIRAN RATREY

- JYOTI MEHRA

And lots love to All ENGINEERS

DECLARATION:

All the characters and objects are not real, the story is

based on lifestyle of engineers but it does not content

any real story.

-Neeraj Jain

5 | P a g e

WE-TECH

NOW Suspend the engineering

WRITTEN BY

NEERAJ JAIN

Edited by

Mayank Gajpal & Neeraj Jain

6 | P a g e

PRESENT 2017

Aaj har taraf ek hi charcha thi ki one of the top IT company

B-TECHNOLOGIES puri tarah barbad ho chuki hain.

B-TECHNOLOGIES ke owners ne news-media vaalo se

milne se inkaar kar diya par news vale company ke office ke

bahar hi khade the.

News me is company ko leke kaafi charchaye thi vo bhi kaafi

dino se.

News- “B-TECHNOLOGIES” ke achhe din khatm hue ya ye

kahe puri tarah company hi khatam ho gayi.

Group of directors ke kisi bhi members se ab tak baat nahi ho

payi hain par is company ke employees ka koi nuksaan nahi

hua hain, khabar hain ki ek company ne B-TECHNOLOGIES

ke saare shares ke saath-saath company ke employees ko bhi

take over kar liya hain.

Ji hum baat kar rahe hain WE-TECH, ye company joki sirf 4

saal purani hain isne dunia bhar me dhum machaya hua hain,

WE-TECH ek education media based company hain jo

students ke saare solutions me based hain, sochane ki baat to

ye bhi hain ki is company ke maalik ko koi nahi janta, WE-

TECH is the company whose Founder is Unkown.

Vahi dusari taraf B-TECHNOLOGIES ke financial supporter

ya kahe jinke vajah se ye company chalti thi “The Director Of

7 | P a g e

Institute of Engineering and Science, MR.AJAY SHETTY”,

unka bhi abhi tak koi bayan nahi aya aur jab media unke paas

pahuchi to unka reaction bilkul normal sa tha, maano aisa lag

raha ho ki unhe isse koi farak nahi padhata, kon janta hain ki

ye sirf ek guru hone ki taqat hain ya natak .

Few Months Before

Institute of Engineering and Technology

MUMBAI

At Director’s office.

Director –Ajay shetty .

sir normal days ki tarah apna work hi kar rahe the, kuch hi der

me sir ne rest le kar apne system pe WE-TECH ki website

kholi aur usse kuch technical issues ke baare me padh rahe

the, tabhi unka secretary darvaze par aya aur kaha.

may I come in sir?

Director sir- yes vinod, come..

8 | P a g e

Fir sir apne kaam me lage rahe website ko dyan se dekh rahe

the.

Aur secretary, sir ke desk pe kuch files rakh raha tha. Tabh

director ne kaha, vinod (secretary) zara piche se file nikalna

to, self se.

Vinod- yes sir.

Fir vinod file nikalne piche gaya aur fir vinod sir ke laptop ki

taraf dekhne laga aur sir ko file dete waqt kahne laga, sir ye to

WE-TECH hain na, aaj kal duniya bhar me ishaki kaafi dhum

machi hui hain.

Suna hain duniya bhar ke badhe badhe IT corporates iske

shares kharid rahe aur kai social sites ne to educational pages

ke liye tie ups ki bhi baat ki hain.

Sochane vaali baat to ye hain is company ko open hue karib 3-

4 saal hi hue hain aur isne B-TECHNOLOGIES jaisi

company ki market udha rakhi hain.

Par koi bhi iske founder se mil nahi paya, kahte hain vo kisi

ke samne nahi ata bas telecomunication ke sahare aur iske

agents ke help se touch me rahta hain.

Director sir- Ha tumbhi kaafi kuch jante ho iske baare me, par

yaha tumhe paise tumhari gyan ke nahi diye jaate, sir achanak

gusse me vinod ko bolne lage.

Fir achanak unhone table pe rakhe files ko gusse me fek diya

aur vinod se badhe gusse se kaha get out aur aaj ke baad is

college ke aas paas apni sakal nahi dikhana .

9 | P a g e

Vinod –sir please sorry sir maaf kar dijiye vo saare students

bhi isi se padhai karte hain aur aaj kal bahut charche me hain,

to meine kaha please sir mujhe maaf kar dijiye. Vinod ne

bahut request ki.

Director- Aur bhi gusse me vinod par chikhate hue “kaha

nikal jao get out I said”.

Fir director akele me baite hue the vinod office se nikal gaya .

Director fir khud se baat karne lage aur gusse se kahne lage

mein nahi chhodhunga tojhe we-tech’s owner tujhe duniya ke

kisi bhi kone se nikal ke barbad kar dunga.

I will se you founder of the we-tech, dekhta hoon tu kaise

bachta hain koi na koi rasta to hoga tujhe teri company aur

uske naam ko khatam karne ka.

Director bahut paresan the kyoki B-TECHNOLOGIES me

unke shares the aur kaafi jyada paise unke lage hue the.

10 | P a g e

2 years before ENGINEERING BEGINS

11 | P a g e

At Institute of Engineering and Science,

Mumbai .

21 july 2013.

Ek student doudhta hua college gate se aaraha tha vo kaafi

patla dubla sa tha use vahi aaghe do ladke dikhe use laga ki vo

bhi students hai par sayad seniors honge, vo bhi college

building ki taraf ja rahe the .

Us bhagate hue ladhake ne piche se chilaya wait sir please

wait . Vo dono ladhake ruke aur palate .

Unhone kaha kya hua be, kyo roka?

Us bhagne vale ladhake ne kaha ki sorry sir actually aaj first

day hain na college ka to puchhna tha ki first semester ki

classes kaha hain aap bata sakte hain kya?

Unhone kaha nahi..., pahle batao tumhara naam kya hai ?

Us student ne kaha sir mera naam anil hain ab aap please

batayenge ki class kis taraf hain kaafi late ho raha hain.

Unhone kaha ki abe pura naam to bata anil kya..? kapoor.

Sir, it is anil sharma, sir class please?

Unhone kaha- kyo be late kyo hua ?

Anil- sir vo late se utah fir, toilet pe line lagi hui thi .

12 | P a g e

Vo dono ladhako ne kaha, line kyo municipality ke bathroom

me nahane gaya tha .

Anil- nahi sir, nahane nahi, halka hone aur municipalty ke

bathroom me nahi hostel ke bathroom me aur fir jab nahane

gaya to hostel me paani khatam ho gaya.

Fir achanak vo dono ladhake hasne lage uski taraf dekhte aur

ek ne kaha abe tu fir tik se halka hua bhi ki nahi, ki vaha ki

saari mehanat yaha padhai me hi karne agaya .

Ab anil kaafi paresan ho gaya tha aur usne fir kaha ki sir

please ab to bata dijiye class kaha hai ?

Fir un dono ne kaha ki dekh beta tu to ab late ho chuka hai aur

as your seniors tujhe hum punishment denge to tu ready ho ja.

Anil- sir matlab ragging, sir ye galat hain, meine to sirf class

hi puchha tha.

Ladhake me se ek ne kaha chup be, late hota hain fir bahas bhi

karta hai. Ab chup chap se khadhe rah jo bhi karna hai hum

karenge.

Anil- sorry sir, ok aapko jo bhi karna ha kijiye par sir ek baat

bas dyan rakhiye ga ki mein gay nahi hu to aap is baat ko

dyan me rakhte hue hi kuch kijiyega please.

Unhone kaha –ab tu chup ho ja, hum bhi ladhake hi hain tujhe

kya hum vase lagte hain? Bevkuf.

Anil- no sir, vo actually aapne hi kaha na kuch karoge to mein

predict kar raha tha bas.

13 | P a g e

Fir un ladhako me ek ne dusare se kaha ki bhai ye jayda hi bol

raha hain ishka hisaab karna padhega zara chalk hain kya?

dena to.

Fir dusare ladhake ne kaha ki hain na bhai, abhi le .

Fir ek ne dusare ko chalk diya tab tak anil chup chap vahi

khadha tha.

Fir un-mese ek ladhake ne kaha ki tujhe ab batata hoon ruk.

Fir us ladhake ne anil ke charo taraf ek circle bana diya aur

kaha ki ab tu yahi khadha rahega aur isse bahar nahi ayega

agle ...30 minutes tak .

Anil- par sir mein vaise hi class ke liye late hu aur aapse sir

class hi to puchha tha, please jane dijiye.

Ladhake – fir class, tu to pichhe hi padh gaya hain be. hum

tujhe paresan kar rahe ki tu hume .

Anil- sir par 30 min ke baad to class jana hoga na tab ke liye

bata dijiye .

Ladhake me se ek ne – baat to sahi hain teri kyo bhai usane

apne saathi ladhake ko dekhte hue kaha .

Fir usane kaha ki ek kaam kar jab 30 minutes yaha rahega to

achhe se sochna aur koi dikhe to unse fir puch lena .

Anil- nahi mein khud hi soch lunga dubara kisi se nahi

puchhunga.

14 | P a g e

Fir dono ladhake haste hue chale gaye aur kaha ki hum kabhi

bhi asakte hain hilna nahi aur koi puchhe to kahna ki

MR.SHARMA ne punish kiya hain.

Anil- ok sir .

Fir anil vaha khadhe sochta raha ki mein kaha fas gaya yaar

ab kabhi kisi se kuch nahi puchhunga .

Aur vahi dusari taraf dono ladhake ek dusare se baat karte aur

huste hue class ki taraf jane lage.

Un dono ladhako ka naam prakash aur mayank tha .

Prakash ne chalte waqt mayank se kaha ki dekh bhai tera

college me kisi ko paresan karne ka khawab pura hua aur

maja bhi agaya, kyo kya bolta hain?

Mayank- sahi hain bhai ab aghe kya karna hain?

Prakash – oye bhai! Ab meri pari hai khawaish karne ki aur

tujhe mera saath dena hoga .

Mayank- ha bhai teri paari hi hain aur tu janta hain mein

humesa tere saath hu, bas tu jaldi se baata de ab hamara

mission khwaish kya hain?

Prakash- abhi to kuch nahi par ruk batata hun dimag me ane

de aur filhal class ki taraf chalte hain humne usse to humse

late kara diya par hum bhi late hain aur vaise bhi

MR.SHARMA ka period hai aur janta hain na kitna naraz

rahte hain vo humse.

Mayank – baat to sahi hain bhai chal bhaaghte hain.

15 | P a g e

At Class Room 1st semester ,

MR.SHARMA class le rahe the tabhi, mayank aur prakash

class aye unki awaz ayi MAY I COME IN SIR?

Sir – unke taraf dekhte hue “ohh... aap dono aaj fir se, nahi-

nahi koi baat nahi humne hi class aaj fir se jaldi se suru kar di

hogi aap dono to apne waqt me hi hain, humari hi galati hai

kyo sahi kaha na” ?

Mayank- nahi sir aisa humne kab kaha vo to hum itna kahna

chah rahe the ki aghe se nahi hoga sorry.

Sir- Ye aghe ane vala waqt kab hain hai beta zara vo bhi bata

do pichle do hafto se aap daily yahi kah rahe ho, mere maathe

me hi kuch likha hai kya ?

Mayank- ha sir. Kuch to hain

Tabhi sabhi class vaale mayank ki taraf dekhane lage aur

prakash ne kaha dheere se bhai ye kya kah raha chup ho ja ...

Mayank- nahi bhai ruk tu mujhe sir se baat karne de please.

Sir ye bataiye agar late ko assume na kiya jaye to humari

attendence kitni hai, puri 100% hain na. matlab hum aapke

sabse consistent students hai aur to aur aap ye kyo nahi sochte

ki hum late hote hai par class to do hafto se daily arahe hai na,

bhale hi padhai zara bhi nahi ki par aapki respect karte hai

isiliye to ate hai na, aap hi humare pyar ko nahi samjh pate

hain.

16 | P a g e

Ye sab mayank ne ek saans me sir ko badhe josh me kaha sir

aur baaki sab bhi use ghurake dekhane lage aur mayank lambi

saanse lene laga.

Sir – abe nalayak ise mere maathe me kya likha hai iska kya

connection hai? par ab rahne de koi zarurat nahi, kuch kahne

ki itna tere sunane ke baad to samajh hi gaya ki tujhe kya

dikhta hai mere maathe me .

Ab meri baat maano aur yakin maano ye mera pyar hai tumhe

vo bhi bina gale lagaye ki class ke bahar raho, abe kabhi to

jaldi ajao nalayako hostel se nikala gaya hai tumhe vo bhi sirf

ek hafte me, suna hain tumne vaha ke television pe bomb laga

diya tha, bechara warden, gaane ke liye volume badha raha

tha ek hi point badha paya vo aaj tak kaan ka ilaaz kara raha

hain, ye tumhara pyar hai to beta ji please dhur rakhiye

mujhse.

Aur ab kisi ek bache se bhi jaldi ake dikhana tab hi tumhe

ander entry milegi. Jao kal ke liye aaj jaldi agaye, kal hi ana

par kisi se bhi pahle .

Mayank- ok sir ...

Prakash – rukh mayank, sir aapne kya kaha ki ab se atleast

kisi se jaldi ana tabhi class me entry milegi to tik hain sir hum

aaj hi yahi ruke rahenge hume viswas hai ki ap hume class me

entry zarur denge aur koi na koi humse bhi late hoga.

Mayank- dheere se kahne laga bhai ye kya kah raha hain hum

se badha nikamma kon hoga?

Prakash- abe tu chup rah , ANIL ko bhul gaya kya .

17 | P a g e

Mayank- ha bhai .

Prakash- ok sir hum class ke bahar wait karte hai thank you.

Sir- kosis karlo beta koi nai ayega, koi aur nalayak nahi lagta

koi paida hua hoga tumhare alawa aur ho sake to mere pyar ki

khatir saanti se khade rahna aur ho sake to college chhodh ke

hi chale jana .

Mayank- sir, lekin ...

Prakash- abe chup rah, marvayega kya sorry sir hum bahar hi

hain.

Aisa kah kar dono class ke bahar chale gaye .

Class ke bahar nikal kar dono nalayak class ke bahar zameen

me aram se bait gaye tabhi mayank ne kaha ki bhai ye anil

ayega na, nahi to kal se sharma class me bhi ghusane nahi

dega .

Prakash- abe badha, ghusane nahi dega, vaise bhi saale tu kya

hi padhta hai jo sharma ki biwi ki tarah ro raha hain .

Mayank- meri galati nahi hain mujhe padhai me bas ye hi

confusion rahta hain ki ye asli zindagi me kis tarah kaam

ayegi isiliye mein padhna chhodh deta hu.

Bhai jab samajh ajayega na to teri kasam mein khub mehnat

karunga .

Prakash – abe anpadh tu mujhe hi kyo maar raha hain ghar me

koi nahi hain kya ....?

18 | P a g e

Mayank- bhai log hi to kahte hain ki dost se badhi koi chhaddi

nahi hoti hain aur dosti se badhi koi khushi isiliye tujhe meine

dao pe laga diya sayad mera kuch hojaye.

Prakash – ha be saale kisi din bech bhi dena mujhe teri

chhaddi ke badale ab chup se hi rahna nahi to tera muh todh

dunga.

Tabhi achanak abe ..! anil ko humne kaha hain ki koi puchhe

to kahna ki sharma sir ne punish kiya hain sala yaha agaya to

kahi sir ne puchha ki late kyo hue to anil bolna dega sharma

ne bahar khada kiya tha .

Mayank- saale teri hi galati hain tujhe kaha tha time table

dekh liya kar ab hum pandey sir ka naam lete to bach jate na.

Prakash- tu chup yaar sochane de ek to yaha se bhage to

sharma ane nahi dega class aur anil nahi aya to vaise bhi nahi

ane dega

Fir prakash niche farsh ki taraf dekh raha tha sayad kuch soch

raha tha tabhi.

Mayank- bhai...

Prakash- abe khatmal chup kaha na ..kyo kha raha hain?

Mayank – par bhai.

Prakash- tu chup rah bola na.

Mayank- tik bhai baad me mujhe kuch na kahna.

19 | P a g e

Aur mayank us waqt prakash ko kahna chah raha tha ki samne

se anil aarha hain aur vo kahi hum dono ko dekh na le.

Fir, anil unke samne agaya.

Aur kaha sir..aap yaha .

Tabhi prakash ne uper ki taraf dekha aur hairan ho gaya.

Prakash- Aur anil tu yaha kya baat hain mila nahi class tujhe

ab tak.

Sir yahi hain mera class.

Prakash- nahi bhai ye B section hain tu A me hoga, A for anil

ja dusari taraf go-go...

Nahi sir mein department gaya tha ek sir leke gaye the unhone

list dikhai hain mujhe, yahi hain class, ok sir ab chalta hu.

Aur ha sir 30 minutes tak khada raha hain mein.

Bye...Sir

Prakash, Mayank- nahi anil ...

Aur anil class ke ander chale gaya .

tab prakash aur mayank soch rahe the ki ab kya hoga fass

gaye yaar.

Anil – may i come in?

Us waqt sir board par laser emission ka diagram bana rahe the

aur tabhi vo gusse se door ke taraf palte aur kaha aur mahasay

aap kaun hain?

20 | P a g e

Anil- sir, Anil singh,

Sir- pin code bata dete beta, mein khud engineering karane

ghar ajata aapne kyo taqlif ki.

Anil- sorry sir, ander ajau kya?

Sir- aap todhe pahle agaye hain, agali class ke liye please get

out.

Anil- par sir mein to bahar hi hu class se.

Sir- set up, bahar do namuno ke saath khadhe raho.

Anil – sir do namune matlab ? vo dono issi class ke hain .

Sir- ha toh! Kyo tumhe kya lag rahe hain ?

Anil – nai sir par.

Tabhi bahar se mayank aur prakash saari baate sun rahe the

aur soch rahe the ki ab to puri tarah fass gaye .

Tabhi,

Sir – anil se, bolo kya hua par.

Anil – kuch nahi sir sorry mein bahar hi khadha hoon, agali

baar se nahi hoga .

Tabhi mayank aur prakash ne aram ki saans li aur socha ki

bach gaye aur vo khush the ki anil ne unhe bacha liya .

Fir achanak,

Mayank aur prakash jhaakte hue bole sir dekha na kaha tha na

humse late koi na koi hoga please ab aane dijiye hume.

21 | P a g e

Sir- oye, khadhe raho 5 minutes hi bache hain, class ke ab kya

highlights dunga tumhe class ka .

Tabhi, mayank- nai sir sirf attendence de do chalega .

Sir- tum log chup-chap bahar hi raho aur ab kal se andar ajana

aur teeno dikhne chahiye mujhe yaad rakhna.

Anil- ok aur thank you sir.

Mayank aur prakash- ji sir unhone muh banate hue kaha .

Tab tak anil samajh chuka tha ki mayank aur prakash ne aaj

use bewakuf banaya hain.

ONE DAY IN CANTEEN

Mayank aur prakash canteen me baite hue the cold-drink

peete hue fir achanak prakash ne cold-drink ki bottel ko

ghumate hue ek sawal pucha .

Prakash- bhai mayank, sala sunna hain kasaab ko AC vala

kamra diye the ye goverment vaale .

Mayank- bhai apne college me padhta tha kya aur hamare

saath ye bhed bhaw kyo fir .

Prakash- abe cold-drink ke dakkan, kahi bhi udh jata hain,

mein ajmal kasaab ki baat kar raha hu.

Mayank- kyo bhai ye uska baap hain kya? vo bhi isi college

ka hain bhai kabhi socha nahi tha apna college itna purana bhi

hoga.

Tabhi yaha ka toilet badabu deta rahta hain, saala 100 saal

purana hoga.

22 | P a g e

Prakash- prakash aankhe faad ke mayank ko hairaan tarike se

dekhne laga fir usne kaha “abe maaf kadre bhai aaj ke baad

koi sawal nahi karunga sorry, pata nahi tha itni badhi galati ho

gayi mujhse”.

Mayank- koi baat nahi bhai tu dil pe mat le mein hu na tu

tension mat le mein kasaab aur uske baap kon hai pata

lagaunga.

Tu tension free rah mein hu na.

Prakash – ji bhai pata laga lena aur please khud hi apne paas

rakhna information, mujhe mat batana, sala aaj ke baad koi

sawal hi nahi karunga isse, kaha fass gaya.

Ja raha hu mein.

Mayank- bhai cold-drink to pee le .

Prakash- nahi bhai achanak hi tandi chizo se nafrat ho gayi .

Mayank- bhai par...

Lekin prakash vaha se chala gaya.

Aur usne jate hue bhai ab please iski ratt lagake mere pichhe

mat padhna.

Mayank- bhai ye teri mission khwais hai kya ? vaise bhi teri

hi paari hain khawais mangane ki.

Prakash- ha be ja yahi hain ab teri paari hi hain bas. Maaf kar

ab mujhe.

Prakash canteen se bahar agaya usne aate waqt socha ki saala

ek kawais kharch ho gayi is bewkuf ke chakkar me.

23 | P a g e

Bahar aake prakash ne dekha ki kuch senior us naye ladhake

anil ko gher ke khadhe hue hain.

Prakash ko laga vo use paresaan kar rahe hain usne todha us

taraf dyan dena suru kiya.

Tab use pata chala ki vo log anil ki ragging kar rahe the aur

use shirt-off karne ko kah rahe the, vo teen seniors the.

Unhone anil ko gher liya tha aur zabardasti paresan kar rahe

the.

Tabhi achanak prakash ko gussa aya aur vo anil ki taraf gaya .

Usne jate hue kaha heee! please use jane do .

Seniors- abe ye kyo araha hain? unhone apas me kaha aur fir

kaha ki ane de batate hain use bhi.

Prakash- please sir ise jane do .

One from seniors- kyo be tere ko bahut khujali ho rahi hain,

ruk teri bhi shirt utaar ke powder laga dete hain khujali dhur

ho jayegi.

Prakash- please sir, mein respect se kah raha leave him.

Senior- abe bahut respect kar raha ruk batate hai tujhe apni

respect karna achhe se pakad re, usne dusare senior ko kaha .

Fir unhone prakash ka haath pakad liya aur jab prakash ne

haath khicha to ek senior ne prakash ka gala pakadh diya aur

kaha abe bahut ho gaya tera natak tune beta aake bahut badhi

galati ki .

24 | P a g e

Tabhi anil ne kaha sir please jaane do sorry iske taraf se bhi

please hume maaf kar do.

Tab prakash gusse se dekh raha tha unhe aur vo darra nahi

unhe ghur raha tha .

Senior ne kaha ki ise bahut charbi hain, ek kaam karo dono ko

bathroom le ke chalo.

Chalo be, seniors ne kaha.

Prakash bhi gusse me tha par saath chalne laga usne kuch nahi

kiya kyoki anil ko bhi vo bachana chahata tha.

Seniors ne unhe pichhe dhakka diya aur dono ko saath le jane

lage.

Jab vo bathroom ki taraf jane lage tab hi unhe mayank ne

dekh liya aur use samajh agaya ki kuch to gadhbadh hai fir vo

chup chap unke pichhe jane laga .

Tabhi seniors, prakash aur anil ko leke bathroom ke ander

chale gaye aur mayank samajh gaya ki kuch hone ko hain.

Seniors ne darvaza andar se band kar diya aur andar hi kahane

lage ki kyo be bahut bol rahe the ab bolo, beta chalo kapadhe

utar vaate hain tumhare .

Prakash gusse me tha par kuch kar nahi pa raha tha vahi anil

bhi kaafi paresan tha aur baar baar sorry sir jane do kah raha

tha yaha tak ki haath bhi jodhane laga .

Fir achanak darwaze ke bahar se awaz ayi kon hain be?

darwaza kholo tum logo ko meine dekh liya hai juniors ko

25 | P a g e

aise paresan karte ho andar le jate dekh hain meine zabardasti

bahar aajao, nahi to suspend hone ko ready ho jao.

Seniors darr gaye vo samjh gaye ki koi professor ne unhe

dekh liya hai aur vo ab fass gaye hain.

Unhone kaha tum dono ko to hum baad me dekh lenge, tabhi

prakash dheere se hassa aur kaha sir aap pahle darwaza to

kholo agar aapki hasti nahi jali to humari chita jala dena .

Seniors ne kaha kyo be bahut bol raha kon kya kar lega, bahar

kya professor tera baap hai.

Prakash – dekhiye to pata chal jayega.

Fir seniors ne todhe darr se dekha use tabhi un-mese ek ne

kaha ki bhai sayad ye kisi badhe professor ka relative hain

hume jana chahiye.

Fir seniors ne kaha ki tik hai jaane diya tum logo ko sorry .

Bahar se ek baar aur zor se awaz ayi kholo turant.

Fir seniors kaafi darne lage Aur jab vo bahar gaye tab dekha

vaha mechanical department ke senior sir khadhe hue the aur

vo students unhe dekh ke darr gaye.

Unhone kaha, sorry sir vo hume maaf kar dijiye sorry ainda

aisa nahi hoga, promise.

Sir- kya kah rahe ho? Kya nahi hoga? Aur andar kya kar rahe

the tum teeno ladhake hoke, chalo bhago.

Seniors- sorry sir apne maaf kar diya thank you hum chalte

hain.

26 | P a g e

Aur vo chale gaye.

Sir vaha sochne lage ki ye maafi kyo maang rahe the, fir

unhone kaha vo ladhaka kaha gaya jisne mujhe yaha khadha

karwa diya, ajeeb hain ye aaj kal ke bache bhi fir vo bhi vaha

se chale gaye.

Tab tak prakash aur anil vaha chhupe hue the fir dono bhi

bahar nikale jab sab chale gaye to mayank aya aur prakash se

high five kiya aur kaha kaisa raha bhai, prakash ne gale lagate

hue kaha bahut badhiya yaar.

Tab tak anil kuch samajh hi nahi paya vo chup sa khadha tha

ki kya ho raha hain mere saath.

Prakash aur mayank ne uski taraf dekha aur kaha kya hua itne

sadme me kyo hain ?

Anil – sala jab se college aya hu, tab se kuch na kuch ho raha

hai aur sab tum dono ke karan hi hain aur abhi kya hua samajh

bhi nahi araha.

Mayank- ajayega bhai, chal batata hu tujhe kya hua .

Vo kya hain, hum dono yani meine aur prakash judhe hue

hain ek dusare se to ek dusare ko samjh bhi jate hai aur jab

bhai musibat me ho aur dusra bhai bachane na aye to lalat

hain aise engineers par.

Anil – mein fir bhi nahi samjha.

Prakash – abe popat, kya bakwas kiye ja raha hain use batana

hain to sab tik se bata philosophy kya de raha hain, prakash ne

mayank ko kaha.

27 | P a g e

Mayank- dekh bhai disturb na kar mein bata raha na, ha bhai

to mein kaha tha sunn.

Jab tum dono ko maar-peet ke seniors le ja rahe the to is

prakash naam ke admi ne, darr se chup se mujhe call kar diya

tha aur mein tumhari aur seniors ki baate saari sun raha tha fir

meine tumara chup chap pichha kiya .

Tabhi, prakash- abe sale popat sirf sidhi baat batana saale aur

mein kab darra hua tha?

Anil – prakash bhai aap to kaafi dimag daar ho .

Prakash- thank you .

Anil- fir kya hua mayank bhai vo toilet ke bahar chilaya kon?

aur sir kaha se aye.

Mayank- bhai bahar chilane vala mein hi tha phir meine socha

ki jab sach me bahar ayenge to mere to lag jayenge.

Tabhi, meine vaha se ek sir ko jaate hue dekha aur unhe turant

apne paas bulaya meine kaha dhur se-

Mayank- sir excus me.

Sir- yes what happend?

Mayank-sir I need susu.

Sir- what?

Mayank- mera matlab hain, sir mujhe toilet jana hain please.

Sir- to kya toilet ke bahar khadhe hoke mujhse permission

lena hain, ya mujhse jeans ki chain khulvaani hai.

28 | P a g e

Mayank- sir khulwani hain!

Sir- ye tum kya bakwas kar rahe ho.

Mayank- please sir meri puri baat to sun lijiye mera matlab

darwaze se hain, ye sayad fass gaya hain aap help kar dijiye

na mujhme himmat nahi bachi, ab control bhi nahi ho raha.

Meine us waqt aisi acting ki, ke maano sach me mujhe toilet

lagi hui hain.

Aur jab sir ne meri help karne ke liye darwaze ko dhaka dena

suru kiya me unke pichhe hi khadha tha, vo hi the jo darwaza

tokk rahe the aur seniors ko laga hoga ki koi professor gusse

me hain.

Jab sir darwaze ko dhaka de rahe the mein chup-chap jab unka

dyan nahi tha vaha se nikal gaya aur chhup gaya usi waqt

seniors ne darwaza khol diya.

Bas yahi hain kahaani.

Anil- mayank bhai, tu to kamaal hain.

Mayank- thank you yaar ye koi badhi baat nahi hain meine to

aur bhi achhi acting ki hui hain.

Prakash- abe nautanki vo teri acting ki tarif nahi kar raha tujhe

bas thanks bol raha tu udh mat aur chal yaha se .

Aur bhai anil teri help ho gayi to hum chale ab hum apne raste

aur tum jao padhai karo niklo apne raste.

Mayank- bhai ye tu kya bol raha hain, Kya hua tujhe?

29 | P a g e

Prakash- dekh mayank aur koi bakwas nahi iski help karni thi

kar di ab ho gaya na.

Mayank- bhai dost bana lete hain akela hi hain bechara.

Anil- ha bhai kya mein tum logo ke saath rah sakta hoon?

please.

Prakash- nahi, bilkul nahi.

Mayank- prakash bhai kya bol raha hain aur anil bhai tu rah

sakta hai aaj se tu apna bhai hain.

Prakash- mayank pagalo vaali harkate mat kar.

Mayank- bhai mein nai kar raha, tujhe problem kya hain? Tu

itna kyo natak kar raha?

Prakash- zidd mat kiya kar.

Anil- bhai rahne do aap ladhaiye mat meine to aisi hi puchh

liya tha sorry mein chalta hoon.

Mayank- prakash ye tu tik nahi kar raha, koi logic nahi in sab

ka.

Prakash- dekh mayank aur koi bakwaas nahi aur karan hain

kuch, bas ab koi baat nahi.

Mayank us waqt naraz sa ho gaya aur anil ko rokne laga jab

vo ja raha tha, vo kahne laga ruk bhai anil .

Tab prakash vahi khadha tha par vo unke paas nahi gaya.

Aur idhar mayank, anil se akele me baat karne laga.

30 | P a g e

Mayank- bhai tu prakash ki baato ka bura mat manana use

pata nahi kya ho gaya?

Anil- nahi bhai mein tik hu meine to aise hi puch liya tha,

sayad vo tere saath hi tik hain aur kisi ke saath waqt nahi

bitana chahta.

Mayank- nahi bhai, aisa kuch nahi hain hum dono normal

hain.

Anil- normal kaha, mayank bhai tum ek-dusare ko kitne achhe

se jante ho, kitane khush bhi rahte ho saath .

Mayank- aisa nahi hain hum dono ladhake hi hain.

Anil- ha vo to hain, par ek dusare ke liye khaas ho.

Mayank- todha chila kar bola, “bhai bas hum dono ladhake

hai aur tu jaisa bol raha hain, aisa kuch nahi hain.”

Anil- meine kya kaha?

Mayank- dekho hum dono ladhake hain aur achhe dost hain.

Anil- ha vahi to aap kitane khaas ho ek dusare ke liye.

Mayank- nai anil, tu galat samajh raha.

Anil- ekdum confusion me agaya aur dheere se sochate hue

kahne laga galat kah raha matlab? fir usne kaha bhai tu kya

samajh raha? mein kuch aur kah raha.

Mayank- vahi to tu kuch bhi kah raha hain, hum dono gay

nahi hain .

31 | P a g e

Anil- shockingly dekh kar bola gay..., ye kya bol rahe yaar

mein dosti ke khaash rishate ki baat kar raha hoon, tu bhi kuch

bhi bol raha hain.

Aisa bolke anil vaha se jaane laga aur mayank chilane laga

arre sorry bhai, mera dimag na, sorry yaar me kuch aur hi

soch raha tha.

Mayank- achha aaj se apan dost hain.

Anil- ab ye kya natak hain ?

Mayank- ha yaar, aisa kah kar mayank ne anil ko gale laga

liya .

Anil- thank you bhai.

Mayank- abe mein ab tera sar fodh dunga, dost ko thank you

bhi bolta hain.

Anil- sorry.

Mayank- areeh ...no sorry to.

Anil hasne laga aur fir usne kaha par bhai vo prakash naraz

hoga.

Mayank- uska tension mat le uske liye sabse badha tension

mein khud hu. Vo to maan hi jayega.

Chal ab class chale .

Anil- aap class?

Mayank- ha yaar todha padh lete hain.

Anil- achhi baat hain .

32 | P a g e

Mayank- hume physics lab jana hain.

Anil- physics lab . aapko subject pasand hain?

Mayank- nahi yaar aisa kuch nahi hai actually net pack

khatam ho gaya hain aur lab me free wifi chalane mil jata hain

vaha achha range mil jata hain.

Anil fir hasne laga aur kaha ki mayank tu aisa hi hain humesa

se?

Mayank- “muskil to hain yaar” usane haste hue kaha.

Physics lab

Lab me mayank ne prakash se baat karne ki kosis ki aur kaha

bhai rahne dena chhod na vo achha ladhaka hain.

Vo dheere dheere se baat kar rahe the .

Prakash- achha insaan hain janta hoon to kya kare, usse bura

banaye.

Mayank ne tabhi dusari taraf muh karke anil ki taraf dekha

actually prakash, mayank, anil ek hi row me khadhe the aur

beech me mayank tha.

Aur dono ke beech me rah ke baat karne ki kosis kar raha tha.

Mayank- please prakash kya baat hain.

Prakash- kyo pichhe padha hain, sab tik to hain.

Mayank- nahi hain, tera mood dekh raha kaafi der se tik nahi

lag raha.

33 | P a g e

Prakash- aisa kuch nahi hain aur ab disturb mat kar mujhe

padhane de.

Mayank - prakash ke taraf ajeeb se dekhte hue bola, “bhai

kisko bewkuf bana raha hain, ek to ye lab hain jaha tu sirf

isliye ata hain ki wifi me film download kar sake vo bhi mms

vaali.

Aur haath me tune mathematics ki book pakadhi hui hain vo

bhi mobile chhupake chalane ke liye.

Kam se kam mujhe to bata kya hain? bata tu janta hain hum

ek dusare se kuch nahi chhupate dost yahi karte hain na?

Prakash- tujhse mein kabhi nahi jeet pata yaar aur ab please

disturb mat kar, video download karne de aur tu bhi ekat achhi

si karle. Baat mat kar sir ne dekh liya to lab humse hi saaf

karwayega, Baad me.

Mayank- khush ho gaya aur kaha ye hui na vaali baat .

Us waqt anil unhe dekh raha tha aur baate sunn raha tha usse

bahut achha lag raha tha ki vo aise dosto ke bich hain aur usse

pata chal gaya tha ki ye aise hai jo ek dusare ke bin nahi rah

sakte .

Tabhi,

Mayank ne anil ki taraf face kiya aur kaha bhai kaha kho

gaya? Kya soch raha?

Anil- kuch nahi yaar bas aisi hi.

Mayank- khair ab tu apna hi hain anil, ab prakash bhi kuch

nahi bolega bas filhaal uska mms download ho jaye.

34 | P a g e

Anil hasne laga.

AFTER SOME DAYS

BEFORE THE EXAMINATION OF FIRST SEMESTER.

IN COLLEGE .

Anil – bhai kuch dino me exam starts hain kya kare, aisa lag

raha hain ki kaise bhi paas ho jau.

Mayank- ye achha hain be, tum hosiyaro ka, tu ek to kabhi

kisi test me fail nai hua aur exam se darr raha aur mujhe dekh

kisi me tik se paas bhi nahi hua, soch mera kya hoga .

Mere to ghar vaale mujhe ghar se bahar nikal denge aur mein

anath hi marr jaunga.

Anil- mayank tu ghar ke bahar hi rahta hain aur ghar se nikale

jane pe anath kaise ho sakta hain koi, tumhara dimag kharab

ho gaya hain.

Mayank- bhai ye feeling vaali baate hain tum hosiyaro ko

samajh nahi ayegi.

Usi waqt class ka ek student aya shubham naam tha uska.

Usne anil se kaha, bhai anil sunn na ek help chahiye tujhse .

Anil- ha bol.

Shubham- bhai, ek program nai ban raha mujhse todha help

kar dena.

Mayank- oye kaddu hum koi software engineer hain? jake ke

kisi Computer Science ya IT vaale ko pakadh na.

35 | P a g e

Anil- mayank tu chup rah, sorry bhai ye to pagal hain ise to

aaj tak engineering ki spelling bhi nahi pata, don’t mind him.

Mein class me ata hoon, fir tujhe bata dunga.

Shubham- thank you bhai, aur bye kaddu ke chhilake (usne ye

mayank ko kaha).

Anil mayank ki taraf dekh kar kahne laga chhilake aur hasne

laga .

Mayank- abe chup .

Anil- achha sorry ye bata prakash kaha hain dikh nahi raha.

Mayank- prakash, vo to hum teeno ki tickets karane gaya

hain.

Anil- tickets? Kis chiz ki aur mujhe is baare me kuch kyo

nahi pata.

Mayank- bhai mujhe kon si khabbar thi, aaj subah hi ye hua .

Anil- kya hua?

Mayank- jab hum soye hue the tabhi, prakash achanak utah

aur usne kaha ki bhai chal bahar chalte hai.

Meine kaha use ki exams hain to usne kaha ki exams khatam

ho rahe uske agle din.

Meine kaha ki dekhte hain par.

Anil- par kya hua?

Mayank- actually vo mission khwais me prakash ki turn thi .

Anil- toh?

36 | P a g e

Mayank- to usne kaha ki ye meri khwais hain ki hum goa

jayegne exams ke baad .

Meine tabhi kaha ki nahi bhai ye nahi ho sakta, please ye kah

de ki sirf isi semester ki khwais hain teri .

Tabhi, prakash- achha idea diya meri ab khwais hain ki hum

har semester ke baad kahi jayenge aur koi mana nahi karega.

Mayank- nahi bhai please ab ye mat bolna ki hum dono ke

alawa anil bhi saath me jayega.

Tabhi prakash ne kaha ye to aur bhi achha idea hain ab to hum

teeno ke liye ye fix rule ban gaya .

Aur jab mayank in sabko anil ko bata raha tha tabhi ye sab

sun ke anil ne kaha mayank tera dimag kharab hai .

Mayank- kyo bhai? Mera bas pet kharab hain todha.

Anil- chup be, aree yaar mein uski baat nahi kar raha, tune

pure plan me mujhe bhi fassaya, mein tujhe nahi chhodhunga

aur ek semester ke liye nahi pure engineering bhar ke liye .

Mayank- sorry bhai par mujhe laga meine use kuch kaha hi

nahi .

Anil- gusse se “kuch kaha hi nahi, tumhe use talna tha aur

tumne uske josh ko bekar me boost kar diya.

Mein kahi nahi jaunga tum dono ke saath.

Mayank- nahi bhai aisa mat bol prakash mujhe nahi

chhodhega .

Anil- tu usi layak hain.

37 | P a g e

Mayank- bhai please. Soch goa jana hain.

Anil- toh? goa kya free hain, aisi paidal jayenge ya baap ka

hotel hain vaha.

Mayank- mere baap ka to nahi hain, tere papa ka hain kya?

bhai chal rukne ka jugad to ho gaya. Dekh bhai par goa ko koi

mana nahi karta .

Anil- mein nahi ja raha.

Aur anil jane laga tabhi mayank uske pichhe jate hue bola.

Mayank- bata na bhai dikkat kya hain, ja kyo ni raha.

Anil- mayank tum dono ka dimag kharab hain.

5 Days After

Anil – saalo tum nalayko ki vajah se mujhe itni jald-baazi me

goa jana padh raha hai ek to subah mujhe 6 baje utah diya aur

khud dono bathroom me gusse rahe, isse to achha me abhi

hostel se hi nikalta bekar me kal raat tum dono ke saath ruk

gaya .

Kamino tum dono ne mujhe nahana to dhur hagne bhi nahi

diya, pata nahi itne der tak kar kya rahe the bathroom me.

Mayank- are anil bhai kyo naraz ho raha hai tu raste me kahi

apna kaam kar lena isme itna paresaan hone vaali kya baat

hain.

Anil- abe chavanpraas ke dhakkan, bus ko kya raste me rukwa

ke kisi road ke kinare hagunga kya vo bhi bisleri le ke, apne

sakal jaisi baat mat kar .

38 | P a g e

Prakash- kyo naraz ho raha hain, chal sorry tujhe hum goa me

kahi se lota leke de-denge baaki jagah tu jugadh lena .

Anil- tu to chup rah, tere saale ideas ki hi galati hain tujhe

kabhi college jane ya class attend karne ke idea nahi ate aur

goa tak dimag laga liya .

Prakash- achha sorry majak kiya tha .

Mayank- ha bhai mere taraf se bhi sorry par tu mood to thik

karle.

Anil- tik hain sorry bolne ki zarurat nahi hain, Par agali baar

se aisa kahi jaane ko mat kahna mujhe .

Prakash and mayank- agali baar..!

Aisa kah kar dono ek dusare ki taraf dekh ke hasne lage .

At hostel, After the exams of Fourth semester

Prakash and mayank- anil utja .

Unhone dheere se kaha utja anil.

Anil us waqt soya hua tha, vo apne exams khatam hone ke

baad rest le raha tha.

Mayank aur prakash ke kaafi der tak use utane ke baad bhi vo

nahi uta tabhi, mayank ne paas me rakhe bottle se pani ko

uspe daal diya .

Anil tab achanak se utah aur mayank aur prakash ko hostel ke

ander dekh hairan hua vo bhi itne subah subah .

39 | P a g e

Usne kaha abe tum dono yaha kya kar rahe ho aur saalo paani

kyo daala mujh par .

Mayank- abe paani nahi hain, susu dala hain tujh par .

Anil- kya? Kamino mein tumhe nahi chhodhunga .

Prakash- nahi be ye bakwas kar raha hain aisa kuch nahi hain .

Anil- par tum dono ne mujhe uataya kyo aur tum dono hostel

me kaise ghus gaye, haram-khoro warden dekhega to mujhe

bhi nikal dega.

Tum dono to first semester me hi bahar ka rasta naap chuke

ho.

Mujhe chain se rahne do.

Mayank- abe chup na, hamare paas ek idea hain.

Anil- ha to call kar leta idea se, mere paas bhi airtel hain. yaha

kyo pahuch gay apni manhus sakal le ke .

Prakash- abe bakawas band kar aur taiyaar ho ja jaldi se, saale

tere liye hum dono hostel ki boundary paar kar, guard se

bachate hue aur balkani chadh kar aye hain .

Anil- kya ? tum logo ka dimag kharab hain, saalo kya zarurat

thi ye sab karne ki, tum logo ko konsa bharat ratan milne

vaala tha in sab se.

Mayank- kuch milne vaala nahi tha par ek kamina dost

chhupa hua tha is hostel me, use lene aye hain.

Anil- chal ab emotional mat kar aur ye batao kya kaam hain.

40 | P a g e

Prakash- tu taiyaar to ho jaldi.

Mayank- tere liye surprise hain.

Todhi hi der me anil bathroom me chala gaya taiyaar hone

tab.

Prakash- ready mayank.

Mayank- ekdum bhai.

Prakash- ab is bewkuf ke aane se pahle iska pura packing kar

de saale ko bolenge to nakhra karega.

Aur ha dyan rakhna ekat kapdhe chhod dena.

Mayank- ha bhai abhi karta hu, tu dekh vo nikal na jaye .

Prakash- ha mein bathroom ke paas hi hu jaise hi vo nikalega

me signal de dunga.

Aur bhai dyan rakhna, uske samne bag to le ja nai sakte to tu

khidhaki se bahar fek dena, packing karke, hostel se bahar

jake fir chup chap le lenge.

Mayank – vo sab to tik hain bhai par signal kya dega, ek kaam

karna bachao bachao chila dena.

Prakash- abe mera kya balatkaar ho raha hain jo bachao karke

chilaunga. Mein ek kaam karta hu su su karke chila dunga.

Chal mein ja raha bathroom ke paas.

Aur fir prakash bathroom ke paas jake khadha ho gaya aur

dusari taraf mayank anil ke kapadhe jamane laga .

41 | P a g e

Mayank kaafi jaldi me tha vo badhi tezzi se kaam kar raha

tha. Vo anil ke almari se kapadhe nikal ke jaldi-jaldi bag me

dalne laga.

Vahi dusari taraf prakash bathroom ke paas jake khadha tha.

Tabhi, prakash ke pichhe hostel ka ek ladhaka ake khadha ho

gaya usne sirf towel hi lapeta hua tha vo prakash ko dekhne

laga pichhe se.

Prakash jaise hi pichhe palata vo darr gaya aur achanak chilla

padha su-su.

Idhar mayank ko laga vo aa raha hai usne jaldi me bed pe ek

shirt aur jeans bhi rakhe the use bhi bag me dala aur turant

bag ko khidhaki ke bahar fek diya jo ki hostel ke pichhe ka

hissa tha .

Aur dusari taraf, prakash- abe tu kon hain aur mere pichhe kya

kar raha hai.

Vo ladhaka – mein to isi hostel ka hu, tum nahi lag rahe, yaha

kya kar rahe?

Prakash- mein.. ?

Prakash uper niche dekh ke sochne laga.

Fir usne kaha,

Prakash- mein to yaha su-su karne aya hu vo mein baju me

rahta hu, vaha bathroom kharab ho gaya hain to use karne

chala aya.

Ladhaka – baju me koi bathroom nahi hain kyo ki baju me koi

building ya ghar nahi hain, sirf maidan hain.

42 | P a g e

Prakash- ha vo, mera matlab !!

Ladhaka- matlab kya ki tum road me rahte ho. Ye sala

Warden, bhikhariyo ko kyo ghusne deta hain.

Prakash- abe saale bhikhari kisko bola?

Prakash jhodh se bolne laga aur tabhi ye awaz anil ne andr

bathroom me sun li, use pata chal gaya ki bahar, uske pagal

dosto ne tamasha kar diya hain.

Anil turant bahar aya towel lapte hue.

Usne ate hi us ladhake ko kaha kya hua bhai?

Ladhaka- dekhiye na sir, ye sala warden kisi bhi raste ke logo

ko hamara bathroom use karne de raha hain.

Prakash fir bhadhaka aur kaha, “saale fir tune mujhe kuch bhi

kaha” .

Anil use turant saant karane laga aur kaha are nahi bhai jane

de.

Anil ne dusare ladhake ko kaha ki ye tumhara senior hain.

Ladhaka – senior?

Ladhaka darr gaya aur kahne laga sir sorry, vo apko dekh ke

laga ki aap...

Prakash- abe, chup .

Anil- jane de yaar kal hi aya hain new student hain usse kaise

pata hoga, ki tu senior hain.

Prakash- abe to kisi ko kya bikhari samajh lega.

43 | P a g e

Anil- nai yaar tu chal sakal ki vajah se galati ho gayi hogi.

Idhr mayank soch raha tha ki bahar kya ho raha hain par vo

darr se bahar nahi ja raha tha kyo ki usne kuch achhi khaasi

badhi galati jo kar di thi.

Mayank sochane laga ki ab mein kya karu?

Idhar prakash ne anil ko kaha, abe sakal to meri achhi hai teri

dekh aur is kamine ki dekh jo khud tatti jaisa hain, ise to me

chhodunga nahi.

(Prakash ne us ladhake ke taraf isara karte hue kaha).

Fir anil ne, prakash ko room me chalne ko kaha.

Aur vo dono room ke taraf chale gaye, par jaise hi vo room

me pahuche, unhone dekha ki mayank bed me chup-chap

saant ho kar baita hua hain .

Prakash- abe tujhe kya hua? low battery vaale phone jaisa kyo

baita hain.

Mayank- low nahi bhai puri khatam hogayi.

Prakash- khatam ho gayi matlab?

Tabhi anil apni almari open kar raha tha apne kapadhe nikalne

ke liye.

Aur achanak mayank ne zor se chikha aur anil ke samne ake

bola, “ nahi bhai mat khol kuch nahi rakha is zindagi me”.

Anil- abe mein almari khol raha saale “zindagi na milegi

dubara nahi”.

44 | P a g e

Chal hatt aur mujhe kapadhe nikalne de.

Mayank- bhai vo to nikal gaye.

Prakash dono ki baate side me kadhe ho kar sun raha tha.

Anil- nikal gaye matlab?

Mayank-udh gaye bahar.

Anil- abe almari se kaise udh jayenge, almari hain ya black

hole

Chal hatt aisa kah kar, anil ne mayank ko almari ke saamne se

hataya aur almari khola.

Par jaise hi usne alamri kholi uski aankhe aur muh bhi khule

rah gaye.

Anil-almari ke taraf dekhte hue bola abe mayank teri ma ka

black hole saale mere kapadhe kaha hain.

Mayank- bhai bahar udh gaye, kaha tha na meine khidaki se

bahar fek diye pack kar ke.

Anil-badhakte hue, “abe par kyo tere baap ki konsi udhari li

thi meine”.

Mayank- sorry yaar, vo actually prakash aur meine socha

tujhe kahenge to tu manega nahi, to hum tere kapdhe bahar

fek denge jab tu yaha nahi hoga aur fir tujhe bhaga ke le

jayenge.

Prakash- bhai saare nahi feke honge kuch rakha hoga pakka.

45 | P a g e

Anil- abe ye kaisa plan hain tumhara, saalo dost ko koi aise

kahi se utata hain kya? Haram-khoro aisa lag raha hain ki

ladhaki bhagane aye ho vo bhi uske pure jaidad ke saath.

Khair mere kuch kapdhe to do, (anil todha saant ho kar bola).

Prakash- ha bhai bilkul, mayank anil ke kapdhe de .

Mayank nazare chura kar idhar udhar dekhne laga .

Anil- abe de na ab kya bhik mangu.

Mayank – bhai maang hi le kisi se.

Anil & prakash- matlab?

Mayank – vo mujhse saare kapdhe bahar feka gaye.

Anil & prakash- kya ? (dono ne saath me kaha) .

Anil- kamine, kutte, saale falana-dekana.

Mayank- bhai agar gaali nahi arahi to koi baat nahi mein teri

feelings samajh gaya.

Anil- abe chup.

Prakash- abe tujhe kapdhe chhodhane ko kaha tha na, pure

kyo fek diye.

Mayank- bhai vo tum sab bahar me ladh rahe the mujhe laga

arahe ho, to jaldi aur darr me saare fek diye meine.

Anil- abe to me kya pahanunga.

Mayank-bhai kisi se kuch mang lena pahanane ko .

46 | P a g e

Anil- mein kyo pahanu be? kisi ke kapdhe, mujhe nahi

pahanana.

Mayank- bhai to hum le ate hain na kapdhe, niche jaha feke

hain vaha se.

Prakash- abe lallu, 8 feet ki diwal chadd ke pichhe se aye hain

tune pura bag feka hain kaise pakadhake vapas chhadenge.

Aur me to ane nahi vala kisi bhi tarah teri madad karne, tune

kiya hain, ab tu hi ja.

Mayank- Madad kar de yaar.

Prakash- bilkul nahi tu khud ja.

Anil- ek kaam kar, kisi hostel vaale ko le ja. Isse yahi rahne

de.

Mayank- tik hain bhai.

Prakash- abe kya tik hain, dakkano bahar kisi ko pata chala

hum diwal kud kar ate hain aur kisi ne bahar bol diya to.

Mayank- bhai koi nahi bolega, engineers ki bhi jubaan hoti

hain.

Prakash- abe engineers ki harkate bhi utputang hoti hain.

Mayank- to kya kare? tu to chalega nahi, kisi aur ko le ja nahi

sakte .

Fir mayank ne anil ke taraf dekh ke kaha bhai ab to ek hi rasta

hain.

Anil – tu aise kyo dekh raha be aur kya rasta hain.

47 | P a g e

Mayank- tujhe aise hi bhagana hoga, baat khatam aur ab mera

bhi mood nahi hain kapadhe vagarah laane ka.

Aisa kah kar mayank bed pe bait gaya .

Prakash- ha yaar, ab tu decide kar le koi aur rasta hain bhi

nahi. Fir aisa kah kar prakash bhi bed pe bait gaya.

Anil- kamino,kutto, falana-dekana.

Mayank & prakash- bhai gaali nahi mil raha to koi baat nahi

hum tere feelings samajh gaye.

Anil- ab kya kare ye to batao (anil ne gusse se kaha).

Mayank- bataya na ek hi rasta hain ab bhaag chal humare

saath.

Prakash- aur kya, sahi to hain bahar jaate hi kapadhe pahan

lena, vaise bhi hostel ke pichhe koi rahta bhi nahi.

Anil- kamino tum dono ko kutte kate aur tumhe “I” film vaali

bimari ho jaye.

Mayank – bhai jaate jaate apna mobile rakh lena.

Anil – isse kyo nahi feka be, isse kya chaddi me daalu.

Prakash- ab saant raho tumlog aur nikalne ka socho.

Fir un teeno ne darwaza khola aur bahar ki taraf jhaakne lage.

Unhone dekha bahar koi nahi hain.

Aur vo bhagne lage.

Anil- kya baat hain, aaj sab hi apne room me ghusse hue hain

.

48 | P a g e

Prakash- hume pata hain ki tum hosteler’s room ke ander kya-

kya karte rahte ho.

Mayank- bhai, ye khayali mms banana band karo aur saanti se

chalo.

Teeno asani se niche agaye.

Anil- mayank jaa ke dekh ke aja ki, warden sir samne side hi

baita hai kya? aur bilkul chup chap hi jana aur jhaak ke ajana.

Mayank- nahi be uske saath daaru peeyunga, itni mujhe bhi

akal hain.

Prakash- ab saant raho dono aur mayank tu ja yaar jaldi dekh.

Fir mayank jhakne gaya ki sharma sir samne baite hain ki

nahi.

Kuch hi der me mayank agaya, dekh kar.

Anil- kya hua?

Mayank- bhai rasta clear hain, warden bahar ke taraf hain,

samne hi dekh raha hain, hume pichhe se ab nikal jana

chahiye, vo nahi ayega.

Prakash- good, ab chalte hain.

Achanak awaz ayi, “kaha chalte hain”.

Prakash- abe bahar, (usne mayank ko dekh kar kaha).

Mayank bhai, meine nahi puchha.

Prakash-abe bahar, is baar usne anil ko dekh ke kaha.

Anil- bhai, mein bhi nahi.

49 | P a g e

Prakash- abe to kon kah raha.

Anil & mayank- bhai pichhe dekh.

Anil- lag gaye, mere hostel fees ke to.

Mayank- ye soch, ab yaha ka khana nahi khana padhega.

Prakash- kya bakwas kar rahe ho be aur aisa kah kar prakash

pichhe palta.

Aur jaise hi vo palta, vo chup sa ho gaya.

Now,

Anil, mayank & prakash- warden sir, aap yaha?

Teeno ne ek saath kaha.

Sir- ha beta mein yaha par tum dono to yaha se kaafi pahle hi

nikale ja chuke ho, lagta hain kisi aur ko bhi nikaal wane aye

ho, hostel se.

Beta anil, lagta hain, tum yaha nahi rah paoge.

Anil- sorry sir .

(Anil ne ajeeb rone vaale expression ke saath kaha).

Sir- nahi beta, I am sorry .

Anil- sorry sir.

(Usne fir rone vaale ajeeb expression se kaha).

Sir- achanak se chouk kar bole “abe vo sab to tik hain par tum

sirf towel me kya kar rahe ho?”.

50 | P a g e

Anil- kya kare sir, dost hi nange mile hain, to dosti me nanga

to hona padhega.

Sir- nibhaw beta achhe se nibhaw dosti, par saath zara office

mein bhi chalo, vaha aapke nangi dosti ki todhi si aur izzat

utarte hain .

Tabhi prakash- sir vo dekhiye, aapke pichhe.

Sir- kon hain ?

Aisa kah kar sir pichhe palte .

Aur turant hi.

Prakash ne anil ki towel khichi aur sir ki taraf fek kar bhagga

.taaki sir ka dyan bhatke aur vo ruk jaye .

Par anil vahi khadhe ho kar sir ko dekh raha tha, usne dyan hi

nahi diya ki prakash ne uski hi towel sir pe feki hain.

Prakash- turant vapas akar anil ko khich ke leke gaya.

Aur sab bhagne lage, anil ne bhagte hue kaha, saalo pata nahi

kis bewkuf ne kaha tha ki dosti insaan ki chhaddi hain, tum

jaise dosto se uska pala nahi padha hoga.

Mayank- bhai jaldi bhag warden apane pichhe hi hain.

Sir- bhagte hue abe kamino ruko.

Prakash- aaj nahi sir, fir kabhi.

Aur teeno diwaal ke taraf jakar diwaal faand gaye.

sir pichhe bhage to par diwaal nahi chhadh paye.

51 | P a g e

Aur fir kya, teeno parinde azad aur bhag gaye hostel se matlab

bhaga laye kisi ko, hostel se.

Ab anil, prakash aur mayank bahar the aur teeno anil ka

saman leke turant bhage taaki koi unke pichhe na agaye..

Teeno jaise hi ek jagah pe ruke, teeno ki sanse fuli hui thi,

teeno thak gaye the aur lambi saanse lete hue teeno ne, ek

dusare ko dekha aur hasne lage .

Fir, anil- abe nanga bhaga diya mujhe, usne haste hue kaha.

Mayank – achha hain na bhai, kapadhe pasine me kharab nahi

huye.

Prakash- abe pata hain, hume na oscar type se kuch milna

chahiye teeno jab saath hote hain kaise kaise baate nikalti hain

na humare beech.

Mayank- ha bhai, vo to hain.

Teeno fir aur hasne lage.

Anil- baaki tum logo ne to mujhe anath kar diya me rahunga

kaha.

Mayank- kyo humara room nahi hain kya?

Prakash- haa, vaha kon si sunny leone ane vaali hain, to tu hi

chal.

Anil- baaki sunny hoti to bhi achha hota yaar.

Prakash- ha beta, armano ke chidiye udh rahe.

52 | P a g e

Anil – ye hum kaisi jagah ruke hue hain, ye sayad kachhara

ghar hain, kitna ganda hain.

Mayank- ha badbu bhi hain.

Prakash- chal tu ab kapdhe pahan le yaar pahle.

Anil- ha vo bhi tik hain ,fir aghe ka sochate hain.

Prakash- ha, ghar chalte hain aur mayank apna plan isse ghar

me hi jake pura batate hain, ki kyo, hum isse bhagane aye the.

Mayank- ha bhai.

Aur baat karte hue anil ne kapadhe pahane .

At Room of Mayank and Prakash.

Jaise hi teeno room pahuche,

anil- ye kya hain be?

Mayank- apna ghar.

Anil- itna ganda, us khachhare vaale jagah se bhi ganda hain,

ye to.

Prakash- jo bhi hain, ab to ye tera bhi ghar hain.

Anil- dheere se kaha “ab kar bhi kya sakte hain hostel to tum

logo ne chhodhwa hi diya”, vaha to vapas ja nahi sakte .

Chalo kuch khaane ka mangao, tab tak kuch safayi kar lete

hain .

Mayank and prakash- safayi ! Unhone shocked ho kar kaha.

Anil- ha bilkul karna padhega sab ko.

53 | P a g e

Aur fir teeno ne khana mangaya aur khana aate tak room saaf

kiya .

Teeno room saaf karke baite fir,

prakash - to hum kal nikal rahe na ?

Anil- kaha?

Mayank- bhul gaya iski khawais .

Anil- nahi , ab nahi ho payega mujhe maaf karo dono.

Prakash- abe chal na bahut maza ayega.

Mayank- ab natak mat kar.

Anil- nahi jana mujhe kamino.

Mayank – bhai, koi jagah abhi deside kar lete hain.

Tabhi prakash ka phone ring kiya use uske classmate ka

phone aya tha aur jaise hi usne phone pick kiya. (he was

shocked).

Prakash - hello.

Friend on call- bhai notice dekha? college se message aya

hain .

Prakash - kya hua? Director mar gaya kya? Meine messages

open hi nahi kiye, todha busy tha.

Friend- abe mazak mat kar director ne leli hain apni, kal

college bulaya hain.

Prakash- bhai kuch urgent hain kya? humara ghumne ka plan

tha.

54 | P a g e

Friend- tera hamesa hota hain, tujhe sab abhi nahi bataunga

nahi to tu ayega nahi kal mil fir batata hu. Aisa kah kar usne

phone kaat diya.

Prakash- hello, hello!!!

Par phone kat chukka tha.

Mayank- kya hua ?

Anil- bata, sakal teri gobar jaisi kyo hogayi?

Prakash- abe trip cancel, kal director ne college bulaya hain.

Anil- yes …. (Zor se khus ho kar bola).

Tabhi prakash aur mayak ne gusse se anil ke taraf dekha.

Anil- mera matlab, ohh... NO, bura hua.

Fir mayank ne prakash se kaha, bhai koi baat nahi kal ki hi to

baat to hain, apan college se ate hi chale jayenge saam ko ya

fir agle din.

Anil- haa, tu tension mat le, ab to mujhe tension ho rahi.

Prakash aur mayank ne fir gusse se anil ki taraf dekha.

Anil- mera matlab ki hum zarur jayenge, aaj nahi to kal aur

kal nahi to parso.

Mayank- prakash tu tension mat le, kal ki hi baat hain aur

hume waqt bhi mil gaya ye to soch ab hum soch sakte hain ki

hume kaha jana hain.

Prakash- ha be meine ye to socha hi nahi, hum kal hi decide

karte hain ki ab kaha jana hain.

55 | P a g e

Anil- chalo sote hain fir.

Aur todhe der baad.

Anil, mayank aur prakash ke beech me soya hua tha aur

achanak uski nind khuli.

Anil ne ankhe kholi use bahut khatarnaak awaze sunai de rahi

thi aur usne jab aankhe kholi to dekha ki, ye mayank aur

prakash ki kharato ki awaz thi.

Bechara anil fass gaya tha unke beech.

Kai kosis karne ke baad bhi vo puri raat bhar so nahi paya.

Next Day in College

Mayank, prakash aur anil college pahuche, prakash daudhte

hue apne dost sanjay ke paas gaya, vo samne hi tha. sanjay

uska vahi dost tha jisne use raat me call kiya tha .

Prakash- abe aisa kya ho gaya? ki kal tune call pe nahi bataya

.

Sanjay- sorry yaar, batata to tu seriously nahi leta aur tujhe

college lana zaruri tha.

Prakash- hua kya ? ye to bata.

Sanjay- Director ne pure college ko hall pe bulaya hain. Suna

hain vo kisi project competition ka announcement karne vaale

hain.

56 | P a g e

Prakah - To…? Hume kya, hum logo se to padhai bhi nahi

hoti .

Sanjay- baat vo nahi hain actually is annoncement me sabka

present rahna bahut zaruri tha notice aya tha, college site pe.

mujhe pata tha ki tune nahi padha hoga .

Tabhi college speaker pe kuch announce hua.

From speaker – All the students now have to come into the

hall of the college, Director wants to notify some thing.

Sanjay- le agaya message, chale!

Prakash- chal tik hain dekhte hain, kya hota hain ?

Fir prakash ne mayank aur anil ko kaha, chalo be tumhare

baap ne yaad kiya hain.

Anil & mayank- kamine chal .

At seminar hall-

Hall me saare students agaye the aur fir todhi hi der me

college ke director MR.AJAY SHETTY aur unke saath

college ke principal MR. DILIP GHARDE aur kuch

management ke members bhi aye the unme Professor Sharma

bhi the.

Saare studentds aur faclty khadhe ho gaye .

Director- please, kuch der ki hi baat hain khadhe hi rahiye,

baitane ki koi zarurat nahi hain.

Mein kuch aisi baat aap sab se kahne ja raha hu jo aap sabhi

ke liye darawni bhi ho sakti hain aur ek mauka bhi ho sakta

57 | P a g e

hain, mauka jisme aap saabit kar sakte hain ki aap ek engineer

hain .

Aap ki tarah jab mein ek student tha mujhe top karne ki bahut

buri adat thi aur meine apni lagan se vo position kabhi nai

chhodhi, is college ko bhi india me vo position banaye rakhne

diya aur vada hain jab tak mein hu, is college ki position ko

koi aur kabhi bhi nahi hilla sakta.

Mere ek professor ne mujhse kaha tha, ajay engineer ek

education nahi, tumhara solder hain tumhari izzat hain agar

tum engineer ho, to isse jhukane mat dena dusaro ko kitna bhi

kaise bhi kuchalna padhe par khud ko mat jhukane dena.

Director, haste hue bole- aaj tak is college me kai engineers

aye aur gaye. Unfortunatly, kuch unsuccessful bhi rahe, kuch

engineers thak gaye to suspend ho gaye par meine is college

ke engineering ko banaye rakha, is engineering system ko

banaye rakha.

Aur ab isse banaye rakhane ke liye ek aur kadam leine ja raha

hu, aaj mein announce karta hu “BE ENGINEER”

competition ko.

Tabhi sab log baate karne lage- be engineer ye kya hain? isme

hume kya karna hoga? aur bhi kai tarah ki baate hone lagi.

Director- saant rahiye let me complete first.

As per the rules, students ko is compition me paticipate karne

ke liye, apna naam register karna hoga aur jo bhi participants

honge, unhe tik 2 months ka waqt diya jayega .

58 | P a g e

Ab aap soch rahe honge, kis chiz ke liye aur kya karna hoga

hume is competition me?

The participants need to submit a project and it will not be the

projects like your exams need, this will be a huge one.

Aap sabhi ke project ya kahe technical inventions, mein khud

approve karunga aur ye aise hone chahiye jo humare college

ka naam rosan kar sake.

To isme kisi bhi tarah ki galati ki koi gunjais nahi hain aur na

hi copy jaisi chizo ki, agar kisi bhi participant ke project me

aisi koi bhi chiz payi gayi, use sidhe disqualified kar diya

jayega aur yahi nahi, use uske semester ke exam se bhi

suspend kar diya jayega.

Ye sunate hi, saare students me hungama mach gaya aur

jayada tar darne lage. Is competition se aur isi darr ke chalte

adhe se jayda students ne decide kiya, ki vo participate nahi

karenge.

Director- Dyan dijiye students, Is competition me aap group

me participate karenge, vo bhi teen students ke group me

maximum, par dyan rahe group jo participate karne vaale hain

vo apna naam is college website me register karenge, vo bhi

aaj saam tak aur tik kal subah me yaha groups aur unke

members ka naam announce honge.

Any questions?

Ek student- sir may I?

Director-yes please.

59 | P a g e

Student- can a group have members from different branchs.

Director- ya definetly, all are engineers first.

Aur fir sabhi students hall se nikal gaye.

Bahar aate hi mayank, prakash aur anil-

Prakash- bhai ye sab apne bas ki baat nahi, humko is sab

competitions vagarah se dhur rahna hain.

Humse, apni padhai nahi ho pati .

Mayank- sahi bol raha hain, bhai.

Anil- to ab kya?

Prakash- ab kya, bhul gaye, hume trip me niklna hain kisi ne

jagah decide ki?

Sala in sab ke chakkar me, hum uske baare me bhul gaye,

khair ab sab tik hain hum in sab se dhur hain.

Mayank- ek kaam karte hain canteen chalte hain, vahi decide

karte hain vaise bhi kaafi dino se sharma sir ke naam se

canteen me udhari nahi ki.

Prakash- haste hue, “ ye sahi kaha tune, aaj sharma double

paise bhare ga” .

Anil- kamino, kyo paresan karte rahte ho us bichare ko?

Prakash- abe koi faculty bichara nahi hota, inhe sirf bacho par

bojh dalna hain, bhai sikhane ya padhane ka inse koi dhur tak

rishta nahi.

60 | P a g e

Bichare to ye bache hote hain, sala in teacharo ne hum bacho

ko majdur samajh rakha hain.

Sala inke assignment khatam nahi hote, kabhi-kabhi to aisa

lagta hain ki saale apne graduation ka badla lene ke liye

dusrao ko galat tareeke se graduate karte hain.

Kamino ki niyat hi tik nahi hoti, nahi to kon sa teacher bacho

se ye kahega ki beta tumse ye padhai nahi ho payegi .

Sala yahi pure tareeke se zimedaar saare development field

me india ko pichhe karne me.

Bhai, hum student me varna kya kami hain? humne to full

effort laga rakha hain, ab tu hi bata duniya me humse achhi

gaali ya bewakofiya koi kar sakta hain.

Mayank- bhai bhai ho gaya hum samajh gaye.

In canteen

Anil, mayank, prakash aur prakash ka friend sanjay canteen

me saath hi baite hue the, prakash ne char plate samose

mangaye vo bhi sharma sir ke naam pe .

Anil- yaar sanjay, ye registration sirf 4 baje tak hain na saam

ke, fir results kab tak ayenge.

Sanjay - abhi tak to fix kuch pata nahi par mujhe lagta hain

saam ko fir hume seminar hall bulaya jayega, tum log kahi

bhagne ki mat sochna aur please aaj kahi nikalne ka plan to

rahne hi do. kuch bhi ho sakta hain to chup chap college me hi

bane raho.

61 | P a g e

Prakash- abe, par apna aaj tour pe nikalne ka plan hain.

Sanjay- bhai, aaj director ka dimag kharab hua to samjhna

college se hamesa ke liye tour pe nikal jaoge .

Mayank - hume samjh nahi aya sir is compition ko leke itne

serious kyo hain jabki koi bacha, serious bhi nahi dikh raha.

Sanjay- yahi to director chahta hain.

Anil- director chahta hain matlab.

Sanjay- meine teachers ko baate karte sunna hain aur aisi

seniors me charche me bhi hain ki director ye sab us We-tech

ke karan kar raha.

Anil- WE-TECH, vo educational company?

Sanjay- ha, mujhe lagta hain ki sir us company se paresan

hain, actually same market pe unki khud ki investment vaali

company B-TECHNOLOGIES bhi hain jiske market situation

dheere dheere WE-TECH ki vajah se kharab ho rahi.

Mujhe lagta hain sir company ki market status bachaye

rakhane ke liye ye competition kara rahe, taaki logo ka dyan

vapas B-TECHNOLOGIES par jaye kyoki is contest ke

results Director ke saath-saath B-TECHNOLOGIES ke

incharge bhi decide karte hain.

Director chahta hain sayad ki WE-TECH se badhi technical

market unke paas rahe .

Anil- khair tumhe ye sab kaise pata? vo bhi itna kuch.

62 | P a g e

Sanjay- vo mujhe aisa lagta hain, mere hisab se to ho sakta

hain.

Mayank- ajeeb hain, kuch samajh hi nahi araha ho kya raha

hain. khair hume kya, director jaane ye sab.

Sanjay – sayad ye sab itna asan hota, ye Ajay Shetty hain

tumhe sayad inke bare me nahi pata ki ye kya kar sakte hain.

Prakash- sanjay hume kya nahi pata hum kuch samjhe nahi.

Sanjay- tumhe kaise pata hoga, kisi ko bhi sayad nahi pata

hoga, kaafi purani baat hain, ajay shetty ne jo kiya hain aaj se

kai saal pahle. umeed karta hu vo waqt dubara na aye.

Khair chhodo, us baat ko tumhare kisi kaam ki nahi.

AT 4 P.M. EVENING

Mayank, Prakash aur Anil bahar hi the college campus me

tabhi students aye aur kaha, chalo seminar hall pe jana hain sir

vaha naam announce kar rahe hain participants ke, jaldi chalo.

At hall-

Saare students vaha fir se ikhata hue the aur director bhi vahi

the.

Director ne kaha- humare paas kuch teams ke naam aye hain

jo is competition me participate karenge.

To ab mein aap sabke samne groups ko one-two karke aur

unke members ke naam announce karunga.

63 | P a g e

Group1-Sidhesh Maheswari, Rajesh Mehta, Sanjana Kothari.

Director- please taalia ho jaye inke liye.

Fir saare students taali bajane lage.

Director- Group 2- Ashish Meshram, Sanju Singh, Alka

Tiwari.

Group 3- Pankaj Adhikari, Kanha Agarkar, Anjana Desai.

Taalia rukani nahi chahiye don’t stop ab baari hain, humare

last group ki sabse last time pe is team ki website pe entry hui

hain, hume khushi hain ki inhone sahi decision liya.

To Group 4 hain -Prakash Rathor, Anil Singh and Mayank

gupta.

(Aur us waqt taalia bajati rahi, sirf seminar me khadhe teeno

logo ko chhodh kar sab taali baja rahe the).

Mayank, Prakash, Anil unhe ab ye samjh nahi araha tha ki ye

kaise hua unka naam kaise aya, unhone to naam register hi

nahi kiya.

Sab seminar se fir bahar nikal gaye aur bahar nikalte hi

prakash ne gusse se kaha kisne kiya ye? tum dono ne kiya

hain ye ?

Anil- meine to nahi kiya .

Mayank- meine bhi nahi kiya bhai sachi.

Kuch der me sanjay unke paas aya usne kaha, “abe tum sab

pagal ho gaye ho kya? Naam kyo diya?

64 | P a g e

Rules pata hain na? jo kuch nahi kar paya jiska project reject

hua vo agle semester se bahar, direct fail, saale isi darr se kai

hazar bache hone ke baat bhi kisi ne participate nahi kiya,

tumhe hero banane kisne kaha .

Prakash- sanjay, ye humne nahi kiya hume fasaya gaya hain.

Sanjay- par tumhare alawa kon registration karega vo bhi

tumhare naam se koi student to aisi Galati kar nahi payega

kyo ki pakadha gaya to tumse pahle director use college se

bahar karega .

Mujhe nahi lagta, kisi me himmat hain itni.

Mayank- bhai ab kya kare hum? barbad ho jayenge.

Anil- humari engineering, mera career sab khatam ho jayega

hum kuch kar bhi nahi payenge.

Prakash- mujhe pata hain kya karna hain. sanjay, hum aate

hain. tum dono mere saath chalo.

Fir teeno Director sir ke paas gaye .

Sir us waqt campus me hi chal rahe the tabhi prakash ne unhe

pichhe se awaz di.

Prakash- excuse me sir.

Director- yes kahiye.

Prakash- sir, vo hum teeno ne vo competition me .

Prakash kah nahi pa raha tha kuch tik se.

Director- kaho kya kahna hain, pura din nahi hain mere paas.

65 | P a g e

Prakash- sir, humne competition me participate nahi kiya .

Director – nahi kiya matlab ?

Prakash- Sir hume se kisi ne naam nahi dala par last group me

humara naam announce hua, ye humne nahi kiya sir. aap

hume please is competition se bahar kar dijiye.

Director-Bahar? apni bakwas band karo bahar to tum sab ab

college se jaogi, naam kyo dala?

Mayank- sir humne nahi kiya, sach me.

Director- ab kuch nahi ho sakta, jao ab participate karo.

Aisa kah kar sir jaane lage teeno sir jhuka ke paresan khadhe

hue the, prakash ne ek baar aur kahne ki sochi tabhi.

Prakash – sir please .

Prakash ne pichhe se kaha.

Tabhi Director sir piche palte aur prakash ko jodh se tapadh

maar diya aur kaha jao nikalo yaha se samne nahi ana ab

tumhare liye sirf ek hi rasta hain ya to competition ya college

se bahar.

Aur fir sir chale gaye.

prakash- rote hue, “sir hume fasaya gaya hain, sir please”.

Tabhi mayank aur anil piche se aye aur prakash ko sambhala.

Teeno paresan the bahut aur campus se bahar ja rahe the .

Teeno ek bike pe baite hue the, paresan teeno ki halat bahut

kharab thi tabhi vaha prakash ka dost sanjay aya.

66 | P a g e

Sanjay unhe samjhane laga koi baat nahi yaar, ab le lo part is

game me.

Anil- sala kisne hume fasaya hain, vo pata chal jaye.

Prakash- koi baat nahi bhai, saale ko chhodhenge nahi. tu

paresan mat ho, hume kuch nahi hoga.

Anil- to kare kya ab?

Sanjay- vaise ek tarika hain, todha sunne me ajeeb hain par

sayad tumhare hone vaale halat se buri nahi hogi.

Mayank- kya sanjay? jaldi bata.

Prakash- ha sanjay batana, hum kuch bhi karenge bas hum is

musibat se nikal jaye.

Sanjay- ek ladhaka hain, tik se pata nahi kaha hain par yaha

ke professors ko zarur pata hoga, jo kaafi purane hain.

Anil- uska tension nahi hain, sharma sir hain na apne. unhe

pata lenge par baat kya hain ?

Sanjay- bahut badhi baat thi kahte hain, is college ki sabse

badhi baat jhudhi hui hain use, jaha tak mujhe pata hain bahut

brillient insaan tha super genius, vo apan kahte hain na god

giffted us type ka.

Par director ne use dhake maar college se bahar kiya tha,

mujhe itna nahi pata kyo?

Prakash- abe sanjay pagal hain kya vo kya aur kyo humari

madad karega aur kab ki baat bata raha, use humse kya

matlab?

67 | P a g e

Hume, kisi aise insaas ke chakkar me nahi padhana .

Anil- bhai par humare paas aur koi rasta nahi.

Mayank- ha bhai, hum har taraf se fass gaye hain. please bhai

prakash samajh.

Sanjay- dekho yaar meine pahle hi kaha tha, ajeeb rasta hain

par vo tumhari puri madad kar sakta hain.

Aur filhal tumhare bachane ka ek hi rasta hain, apne liye

dhundho use.

Baaki tumhari marzi hain. Mein chalta hoon.

Prakash- ok bye.

Fir sanjay chale gaya .

Prakash- dekho hum, aisi kisi chakkar me nahi padhane vaale,

abe, vaise hi kya kam musibate hain, kaha se layenge use is

chakkar me humara kitna time waste hoga.

Mayank- par bhai, baat ko samajh.

Anil- ha yaar.

Prakash- nahi yaar, mujhe aur kisi bhi musibat me nahi

padhna aur chahunga tum bhi na padho, mein room ja raha,

tum log ajana.

Aisa kah kar prakash bhi chala gaya .

Anil aur mayank kaafi paresan the.

68 | P a g e

At Room, Night Time

Teeno saam se paresan, ghar ke chhat pe baite hue the. unhe

aisa lag raha tha ki unhone apni puri engineering sirf masti aur

maje me nikal di aur aaj usi ki saza vo bhugat rahe hain.

Teeno rone lage the, ek dusare ke paas baite hue the aur kaafi

darre hue the.

Kuch der baad mayank, prakash ke paas gaya aur fir usi waqt

anil bhi uske samne aake khadha ho gaya.

Prakash- kaafi emotionally unse kahne laga, “kya hua? tum

dono kyo aise mere paas kyo agaye ? praksah unse muh

chhupate hue ye kah raha tha. Vo baat karte-karte sir jhuka

leta ya muh fer leta.

Mayank-bhai kuch nahi hoga.

Prakash- kya hua be? kya bol raha hain? kise kya hone laga?

sirf competition hi hain, hum abhi bahar nahi hue college se.

Prakash, fir chahra chhupa ke kahne laga.

Mayank- bhai mein hoon na, sach kuch nahi hoga.

Fir turant prakash ne, mayank ko gale laga liya aur kahne laga

pakka hume kuch nahi hoga na yaar, mujhe college se nikalna

nahi hain .

Mayank- kuch nahi hoga, saale fattu, kya pata apani zindagi

is competition se badal jaye aur sab tik ho jaye.

Anil- mayank tik kah raha prakash.

69 | P a g e

Mayank ne fir anil ko bhi bulaya aur teeno ne ek dusare ko

gale laga liya.

Todhi der bad, prakash- hum jayenge us ladhake ko dundhane

aur fir saale us director ko bhi nahi chhodhenge, isi bahane us

ladhake ka bhi badla ho jayega.

Hum, kal hi uska pata lagate hain. kaha hai? aur kon hain?

Bas kal sharma sir se baat ho jaye.

At Morning, College

Date:10-july-2017

Teeno college pahuch gaye par prakash ko abhi lagne laga tha

ki vo galati kar rahe hain, unhe kisi aur ki madad lene ki

zarurat nahi aur aisa karna tik bhi nahi hoga.

Par use darr tha ki uske kisi bhi galati se teeno ki zindagi

barbad ho jayegi. prakash ne anil aur mayank se is baare me

baat ki.

Jab vo college me the aur class ki taraf ja rahe the tab.

Prakash- bhai, tum dono se ek baat kahani thi.

Anil- ha bol na, vaise bhi pata nahi tujhe subah se kya hua

hain ? pichhwadhe jaisi sakal ho gayi hain teri.

Prakash- nahi yaar I am Serious, hum teeno ye kya kar rahe

hain, hum aaj ek college ke musibat me fasse aur kisi chauthe

insaan ko dhundhane nikal rahe ye bewakufi hain aur mujhe

nahi lagta ye sahi hoga yaar aur logical to bilkul nahi hain.

70 | P a g e

Anil- hume pata hain teri baat sahi hain, par humare paas aur

koi rasta bhi nahi hain.

Mayank – in sab me humari hi galati hain, hume hi sala pahle

se achhe tarike se rahna tha, padhna tha, kam se kam is

engineering se imandaari nibhani thi.

Anil- to kya kare? koi humari request ab sunega nahi, kal

director ne kya kiya yaad hain na? ek kaam karte hain sharma

sir se jake milte hain, sayad vo humari madad kar paye.

Mayank- ha yaar, ye sahi hain aur prakash tujhe lagta hain ki

hume kisi aur ko dhundhna nahi chahiye, to hum tere saath

hain. agar tu kahta hain to pakka koi logic nahi hoga in sab ke

pichhe.

Anil- ab chale, sharma ko bhi dhundhna hain hume.

Todhi der me vo sharma sir ke paas gaye. vo apne cabin me

the. Teeno ne, sir se andar aane ke liye puchha.

Sir- ajao, tum teeno.

Anil- hume aapse ek request karni thi .

Sir- mein janta hoon kya kahna chahte ho par mein us mamle

me tumhari koi madad nahi kar sakta.

Mayank- sir humne abhi to kuch kaha hi nahi.

Sir- beta tumhare fatte hue chahre sab kah de rahe tum sab

chahte ho ki tumhe is competition se bahar kiya jaye, jo ki

possible nahi hain. director is competition ke mamle me bahut

gusse me hain aur vo tumhare is soch ke baare me janenge to

tumhe abhi college se nikal denge, ab tumhare uper hain tum

71 | P a g e

yaha rah ke aur competition participate karke, khud ko bacha

sakte ho to bacha lo. ya sidhe bahar ka rasta to vaise bhi khula

hain tum logo ke liye. tumhari marzi.

Prakash- par hum kare? sir humari please help kijiye .

Mayank- ha sir, please hume to kuch samajh bhi nahi araha.

Humne dusaro se bhi madad leine ki kosis ki lekin koi faida

nahi hua, vo sanjay hain na mechnical ka vo kisi ladhake ko

dhundhane ko kahta hain, god gifted genuis .

Sir- god gifted genius ?

Mayank- ha sir, usne kaha ki koi student hain jisse director ne

college se niklala tha, vo humari madad kar sakta hain par ye

baate prakash ko inlogical lagi.

Prakash- abe mayank chup, usne mayank ko dheere se kaha .

Prakash- sorry sir, hum chalte hain. thank you.

Aur fir teeno cabin se jaane lage, tabhi pichhe se sir ne kaha

ruko .

Teeno pichhe palte, aur sochane lage, ki ab kya hua?.

Sir- mujhe tum teeno se baat karni hain, ek kaam karo 10

minute me canteen me milo mujhe .

Prakash, anil and mayank- ok sir.

In canteen

Mayank, anil, prakash teeno lunch table pe baite hue the. sir

aye aur teeno ne khadhe hoke unhe wish kiya.

72 | P a g e

Sir- bait jao be, jaha mere naam se udhari khate ho vaha itani

respect mat do .

Ha to tum teeno ko us ladhake ke baare me kisane bataya.

Prakash- vo ek classmate ne.

Sir – aur kya jante ho uske baare me?

Mayank- kuch nahi sir, bas itna ki uski director ne le li hain

aur vo sayad director se nafrat karta hain.

Sir- Raj naam hain, us ladhake ka.

Prakash- sir, par ye humari problem ka solution nahi.

Sir- hain, usme hi hain, raj ek bahut hi talented personality

hain. par halat ka mara hua hain aur tumhara kaam karna to

uske liye ek mamuli baat hain par agar tum uske saath hoge to

tum uski madad karoge sayad .

Anil-madad, hum uski kaise karenge?

Sir- jaha tak mein janta hoon, use bahut buri tarah se college

se nikala gaya tha aur vo bahut akela tha us waqt, agar tum

uske saath rahoge to ho sakta hain use is college aur is

director se dubara kuch hassil ho jaye.

To mera manana yahi hain ki vo tumhari zarur madad karega.

Aur vaise bhi tumhare paas ye asan rasta hain. tum to har

exam ke baad vaise bhi yaha se dhur chale jaate ho na is baar

bhi chale jao bas ye safar tumhari zindagi bacha sakta hain

nahi to baaki to tum sab jaante hi ho.

73 | P a g e

Prakash- ha sir. aap sayad sahi kah rahe par usake baare me

hume kuch pata bhi nahi, kaha hain kaisa hain? kuch nahi

jaante hum.

Sir- dekho address to mujhe pata hain uska par uske baare me

mujhe jyada kuch nahi pata bas yahi janta hu bahut emotions

jhudhe hua hain is jagah se uske aur sayad tum sab usaki

madad kar pao.

Me ye tumhari khatir hi nahi uski khatir bhi kah raha hoon.

Prakash- sir, abhi aapne kaha tha ki aap kuch jayda nahi jante

uske baare me, fir aap itne sure kaise ki use bhi humari zarurat

hain.

Sir-mein us halat ko janta hu, use nahi. Aur ye kah sakta

hoon,Vo tumhari madad zarur karega .

Aur agar tumhe uske baare me janana hain, to tik hain mein

batane ko ready hoon. atleast jitna janta hoon, utna bata sakta

hoon.

Mayank- prakash- sir tik kah rahe humare paas koi rasta bhi

nahi aur koi aur humari madad bhi nahi karega .

Anil- mayank tik kah raha hain, ye koi chhota ompetition

nahi, jisse kuch bhi bana ke ya project khareed ke hum dede.

Mayank- ha bhai, vaise bhi to hume ghumna hi tha na. tera

mission khwais yaad hain? usse pura karna hain to ye safar

karte hain, ho sakta hain, zindagi ka safar ho.

Vaise bhi, ye baari ab meri hain mission khwais mangane ki

aur prakash, tu taal nahi sakta .

74 | P a g e

Prakash- tik hain mayank, ok sir hum, aaj hi nikal jayenge

usse dhundhane. aap hume uska pata bata dijiye.

Sir- ok then, i will do it. I will call you later.

Anil- ok sir thank you.

Prakash aur mayank ne bhi sir ko thank you kaha aur fir sir

vaha se chale gaye .

At any where to a person

Date:10-july-2017

Ek anzaan jagah aur ek anzaan ladhaka, jo ab tak is kahaani ka

hissa to nahi tha par ab aghe kya ho pata nahi. us ladhake ke

sareer me kai jagah tattoo the, uske haath pe chinese words

uske chest pe bhi kuch monster jaisa bana hua tha aur uske

peet par ek naam kon tha ye ladhka?

Achanak uska phone ring karne laga us waqt vo exsercise kar

raha tha, usne exsercise karna band kiya aur vo phone pick

karne gaya. jaisi usne phone utaya use phone me kaha gaya, ki

kaam ho gaya hain. aghe ka kaam tumhe hi sambhalna hain .

Ladhake ne reply kiya thank you, Aur vo halke se hasne laga

fir usne phone rakh diya .

Fir vo kafi serious moodh pe kahi jane laga, usne ek darwaza

khola aur vaha bahut saari bikhari hui chize thi. usne ek box

nikala usme ek chasma rakha hua tha. usne vo pahna aur tab

uske ankho me anshu the. vo gusse se kahne laga ab use me

75 | P a g e

nahi chhodunga, waqt agaya hain. yahi sahi waqt hain, use

pachhtana hoga, use pachhtana hoga jo usne kiya, uski galati

use dekhani hogi. Ab chalta hu aur ab aane me der ho jayegi

tum padhai karna tab tak aur meri chinta mat karna, ab sabse

pahle Raj ko marna hoga aur fir hum jo hasil karna chahte

hain kar lenge, chalta hoon, tum sun rahi ho na srishti, i am

missing you.

Us waqt, vo apne aap se baat kar raha tha aur fir usne jo kaha

us kaam ko karne chale gaya.

76 | P a g e

First Half Completed

77 | P a g e

At Mumbai Same Date.

Prakash, Mayank aur anil, apne room pahuch gaye aur sharma

sir ke call ka wait karne lage taaki aghe unhe kya karna hain

vo jaan sake. todhi hi der me sharma sir ka call agaya.

Anil ne phone utaya, usne kaha, hello sir .

Sir- hello Anil?

Anil- yes sir, speaking .

Sir- dekho mujhe us ladhake ke baare me pata chal gaya hain.

me tumhe abhi to sab kuch nahi bata sakta class me jana hain

mujhe, par tum sab mujhe aaj shaam ko 7 baje CST pe milo

me bhi tumhare saath jaunga aur me vahi tumhe saari baate

batata hu aur ha tickets ki tension mat lena meine sab arrange

kar liya hain chaaro ke liye.

Anil- ok sir, hum pahuch jayenge.

Fir anil ne phone rakh diya.

Prakash- kya hua, kya kaha sir ne?

Anil- vo hume sir ne CST bulaya hain shaam ko 7 baje.

unhone tickets arrange kar liya hain aur sayad vo kah rahe the

ki vo bhi humare saath chalenge.

Mayank- sir humare saath kyo unhe kya kaam ho sakta hain?

Anil- chhodh na hume kya? humara kaam ban jaye bas.

78 | P a g e

AT 7 P.M. CST RAILWAY STATION MUMBAI

Teeno station pahuch gaye, unhe sir station ke bahar hi mil

gaye .

Unhone sir se turant hi puchha, ki hume jana kaha hain.

Sir –Chhattisgarh.

Anil- ha sir south central hain vo to, par hume vaha kya

kaam?

Sir- sunna hain Raj vahi hain, Raipur me .

Prakash- sir vo to bahut dhur hain aur kaha dhundhenge use ?

Sir- don’t worry, mere paas uska pata hain vo mil jayega aur

uski ye photo hain, passport size hain college ki file se nikali

hain par tumhara kaam ho jayega ise.

Mayank- par sir aap humare saath kyo?

Sir – tumhare saath nahi nalayako, mujhe urgent nagpur me

kaam hain, mein vaha tak tumhare saath chalunga taaki tumhe

uske baare me kuch bata bhi saku.

Ab chalo train yaha se nahi LTT Station se hain, jaldi chalna

chahiye hume.

Prakash- ok sir.

Fir sir aghe chalne lage aur teeno unke pichhe, vo local se

lokmanya tilak terminal(LTT) tak gaye, fir vaha se apne safar

pe nikal gaye.

79 | P a g e

At Train

Us waqt raat ke 10 baje honge, prakash aur sir amne samne

baite hue the aur anil, mayank side pe. Prakash ne sir se

pucha, sir aap hume raj ke baare me batane vaale the ?

Aisi kya taqleef hain usko, ki aap kahna chah rahe the.

Sir – Raj is college ki bahut badhi kahaani hain, jo kho gayi.

Pata hain meine tumhe uske paas jane ko kyo kaha, kyoki tum

uski hi yaad dilate ho. halaki vo tumhari tarah nalayak nahi

tha, par vahi masti, maza par college ka topper tha vo.

Prakash- topper..?

Sir- ha, lekin sirf suru ke do semester tak first ranker aur aghe

ke do semester second.

Anil- second kaise? aur sirf chaar semester hue ye to ?

Sir- ha sirf chaar hi semester, uske 5th semester me sayad kisi

ki nazar lag gayi aur vo hamesa ke liye college se chale gaya.

Mayank- sir aapne kaha ki vo third aur fourth semester me

second aya tha, vo kyo?

Sir- third semester me aisa kuch hua jo usne kabhi socha bhi

nahi hoga, srishti naam tha uska .

Badhi pyari kahaani hain dono ki.

Aur fir sir unko kahaani sunane lage. aur sir ne jab kahaani

sunana suru kiya tab kaafi raat ho gayi thi.

80 | P a g e

Vahi dusari taraf koi aur bhi tha jo inki jindagi me dastak dene

vala tha .

At Some Where

11-july-2017

Vo tattoo vala person ek psychatric ke clinic me baita hua tha,

tabhi use vaha ke receptionist ne kaha, MR.Rajveer ab aap

andar ja sakte hain.

Us tatto vaale person ka naam, rajveer tha .

Rajveer ne thank you kaha, vo bhi bahut dheere awaz me aur

vo chala gaya.

Jaisi vo ander gaya, use andar ke doctor, jo ki ek lady thi, usne

kaha, hello rajveer ao baito.

Doctor- rajveer, ab tum kaise ho.

Rajveer – pata nahi doctor, kisi bhi chizo me mann hi nahi

lagta, karte karte aisa lagta hain ki thak gaya hu aur chhodh du

kyo kar raha hu mein ye sab.

Akela sa mahsus hota hain.

Doctor- ye kaafi ajeeb hain Rajveer kyoki humne saari

therapies use kar li hain, par tumpe improvement nahi hain.

Aur tumhe ab bhi lonelyness sa lagta hain?

Rajveer- yes doctor.

81 | P a g e

Doctor- tumne meri dawiya li?

Rajveer- yes doctor.

Doctor- rajveer tum khus rahne ki kosis kyo nahi karte, koi

dusmani hain kya? kyoki is darr se jab bahar nikaloge tab

tumhe dunia bahut khubsurat lagegi.

Rajveer fir ut ke chup chap jane laga, usne thank you doctor

kaha dheere se aur vo darwaze tak pahucha hi tha tab...

Doctor- rajveer ye tumhare haath pe kya hain tumne fir naya

tatto banva liya ? ye chinese me hain. kya likhwaya hain ye?

Rajveer- kuch nahi doctor, bas aisi.

Doctor - rajveer ek baat batao, tum kyo ho aise akele?, chup

se. Rajveer tum mujhse kuch chuppa to nahi rahe?

Rajveer ne fir dheere se, sar jhuka ke jawab diya, nahi doctor

aur vo chala gaya.

Rajveer fir ek jagah road ke kinare me hi bait gaya aur apne

haath me likhe tatto ke taraf dekhne laga aur kuch sochne

laga, tabhi uske ankh se ashu agaye.

82 | P a g e

PAST . 6 YEARS BEFORE

Institute of Science and Management, Mumbai.

Class chal rahi thi 3rd semester ki tabhi class me HOD aur

management se kuch log aye aur saare students stand-up ho

gaye.

Faculty ne kaha, please aap sab baite rahiye.

Faculty- jaisa ki aap sabko pata hain, kal hi aap sab ke 2nd

semester ke results aye hain aur aap sab ye bhi jaan hi gaye

honge, kisne kya teer mara hoga aur hum topper ko wish

karne aye hain .

Tabhi class se awaz ane lagi Raj karke.

Sir- lagta hain sabko pata hain, ki kon topper hain. yes Raj

Sharma Topped again in University.

Fir sab students clapp karne lage .

Raj sharma khadha hua aur sabko thank you kahne laga.

Sir –congtratulation Raj.

Raj – thank you sir.

Sir- sab saant ho jaiye, humare paas ek aur news hain aap

sabke liye.

83 | P a g e

Aaj humare beech, ek nayi students hain aap sabne to ab tak

dekh hi liya hoga, kyoki vo class me hi baiti hui hain, to

chalo aap sabko use introduce karate hain.

Miss. Sristhi .

Please stand up beta.

Srishti nayi hain aur kuch issues ke karan yaha aap sab ko

direct third semester me join karegi, hope aap sab inki help

karenge.

Sir ki is puri baat ke darmiyaan, raj srishti ko hi dekhta raha .

Kuch hi der me srishti ka dyan bhi raj ek uper gaya, usne

dekha ki raj use dekh raha hain aur jaise hi dono ke eye

contact hue, raj ne face turn kar liya.

Par vo use chhup ke dekhne laga aur kabhi-kabhi srishti bhi

use dekh leti to vo muh chhupa leta .

Raj uska campus aur bahar chhup ke pichha karne laga aur ek

din srishti ne usse baat karne ki socha.

College, in Lunch Time

Srishti raj ke paas ayi .

Srishti – o hello topper, ye sab kya chal raha.

Raj, us waqt apne dosto se baat kar raha tha aur vo srishti ki

awaz sunte hi palta.

Raj ekdum saant ho gaya aur ghabrane laga.

Srishti- oye kya hua tujhe? veda ho gaya hain kya?

84 | P a g e

Raj- darte hue dheere se veda kya?

Srishti – teri to..., veda matlab, pagal ho gaya hain kya?

Raj- nahi ji, no veda sab no veda hain ji.

Srishti – to jab se dekh rahi hu, तू मला का अनुसरण करीत

आहेस?

Raj- ji kya?

Srishti – mera matlab, why are you following me?

Raj- ohh follow? Ji kab, kaha, kaise?

Srishti- dekho, aghe se tumhe dekha na mere pichhe to

complain kar dungi.

Raj- ekdum darte hue , ok ji no follow and no veda pakka.

Srishti- good.

Fir srishti chali gayi .

Raj vahi, use pichhe se dekhne laga aur tabhi pichhe khadhe

uske dost ne usse kaha, bhai kuch samjh aya tujhe? marathi

me daat kar nikal gayi .

Raj- dheere se haste hue, kitna pyara language hain .

(Aur vo muskurane laga.)

In Class

Class me sab baite hue the aur raj srishti ke pichhe hi baitane

laga tha class me.

85 | P a g e

Tabhi, raj ke baju me baite hue ladhake ne kaha bhai kal se

test hain be, bhai mujhe to kuch samjh bhi nahi ata tera to

mast hain yaar, saale bina padhe top kar jata hain .

Raj- chup be kya tu bhi, kuch bhi tension leta hain chhodh na.

Usi waqt srishti palat ke, gusse se raj ke taraf dekh ke kahne

lagi.

Srishti- chinta tum bhi kar lo, ab khatam tumhare topper

vaale din samjhe. ab mein bhi hu na class me, to tension tum

bhi lo.

Raj- fir uske taraf muskurake dekhne laga .

Srishti- oye, tu fir hass raha hain.

Raj- tum paresan mat ho is baar aur jab tak mein hoon, tum hi

top karogi .

Srishti- kya? Tu pagal hain kya?

Raj- nahi, veda.

Srishti fir vaha se ut ke jaane lagi, lekin fir jaise hi vo class se

bahar nikal rahi thi usne raj ke taraf dekha aur us waqt raj bhi

uske taraf hi dekh raha tha.

Aur fir pahli baar srishti, raj ko dekh ke muskurayi.

Raj tabhi, bahut khus ho gaya aur turant ut ke class se bahar

gaya aur campus me ek saant jagah jaake se zor se yes karke

chilane laga .

86 | P a g e

Next Day In Test

Test ke dauran raj srishti ko hi dekhta rahta aur saath hi saath

likhate bhi rahta. Fir jaise hi test ke liye 10 min baaki the Raj

ne srishti ke taraf dekha, vo abhi bhi likh rahi thi, tabhi

achanak raj ne likhna band kar diya.

Aur usne dubara pen nahi utaya .

Raj ne aisa kai exams me kiya. Ek din srishti ne bhi palat ke

raj ke taraf dekha, to usne dekha ki exam khatam hone ke

kuch hi minutes pahle raj likhna band karke uske taraf dekh

raha hain.

Usne raj ko isara kiya ki likho karke, raj ne bhi isare me kaha

ho gaya aur fir srishti continue apna paper likhane lagi.

Result Day

saare students notic board ke taraf bhidh jamaye hue the, sab

results dekh rahe the. tabhi vaha srishti pahuchi usne list

dekha aur usne dekha ki usne top kiya tha.

Usne jodh se chilaya yes .

Fir vo bidh se bahar nikalne lagi, sabhi use congrtatulate kar

rahe the. usi waqt usne raj ko ate dekha, vo uske paas gayi

usne raj ko kaha tumne results dekhe?

Raj- nahi, zarurat nahi .

Srishti- zarurat nahi matlab? tumhe itna confidence hain.

Raj- ha, mujhe apne har kaam pe viswas hain.

87 | P a g e

Srishti- pakka, ek baar soch lo aur mera manana hain, results

dekh bhi lo kya paat viswas galat ho.

Raj- meine kaha nai, zarurat nahi, I know the results and

congratulations.

Srishti – arre... ek baar dekh to lo, ek minute kya bola tumne?

congratulations ?

Raj- ha, yahi to kaha meine.

Srishti – matlab tumko pata hain results ?

Raj- ha, kaha na mujhe apne kaam pe viswas hain. Tik chalo

mein chalta hoon, bye.

Fir Raj vaha se chale gaya, srishti vahi khadhe sochane lagi ki

kya hua?

In Class

Class me Principal sir aye hue the aur saath me department ke

H.O.D. bhi the, vo topper ko congratulate karne aye hue the.

Principal ne pahle topper, srishti ko congratulate kiya aur fir

raj ka naam announce kiya aur kaha raj is baar second aya

hain .

Raj- yes sir, thank you.

Sir-it is ok son try your best again .

Raj- yes sir.

Aur fir principal sir, vaha se chale gaye par department ke

faculty vahi the .

88 | P a g e

Department ke sir ne raj ko kaha, kya hua raj tumhe? saare

teachers ne bataya tumne sabme same galati ki hain.

Tumne sabhi exams me achha karte hue, last me kuch

questions chhodh diye ye baat samjh nahi ayi.

Raj- ha sir sorry, agali baar nahi hogi aisi galati.

Sir- ok par dyan rahe, you are a good student.

Tab tak srisht,i raj ko dekhne lagi, vo saari baate samjh rahi

thi aur class khatam hote hi vo raj se akele me mili.

Srishti ne pichhe se raj, kah kar pukara.

Raj palta, usne jawab diya ha srishti kya hua?

Srishti- tumne ye kyo kiya?

Raj- kya kiya ? mein kuch samjha nahi.

Srishti – jyada bano mat, I know tumne ye jaan bujh ke kiya

hain. tumne jaan bujh ke last me question attem nahi kiye na.

Raj- aisa kuch nahi hain .

Srishti- ae dhakan ab sach maan le nahi to मी तुम्हाला थप्पड

देईन .

Raj- kya kaha tumne ?

Srishti- mera matlab, khair chhodho... kyo kiya ye batao?

Raj- bas dil kiya, tumse dosti karni thi aur tum bahut chahti

thi top karna to mein bhi yahi chahta tha, ki tumhara dil na

tute.

89 | P a g e

Srishti- par itna kuch karne ki ka zarurat thi. (Srishti

emotional ho gayi).

Raj- it is ok, really. mujhe in chizo se koi farak nahi padhta

mere liye it is just a number really.

Srishti- thank you.

Raj- arre... koi baat nahi sach me, kaha na meine .

Srishti- mujhse dosti karoge?

Raj- kya? Raj ne shocked hoke bola.

Srishti- ha friendship.

Raj- tik hain, mujhe koi probblem nahi hain.

Srishti- chalo-chalo, ab natak mat karo pure semester pichha

kiya, ab bhaw mat khao.

Raj – ok sorry .

Aur fir raj ne srishti ki taraf haath badhaya aur kaha, hye I am

Raj Sharma .

Srishti muskurate hue, hello mein srishti .

Raj- srishti kya? Pura naam.

Srishti- kyo ? ab tak class me nahi suna .

Raj- suna to hain, janta bhi kaafi kuch hoon tumhare baare

me.

Srishti- kya jante ho.

90 | P a g e

Raj- yahi ki tumhe gaane ka saukh hain, ladhane ka saukh

hain aur tum principal ki beti ho.

Srishti – ha, respect me .

Raj – haste hue , ha bilkul madam bas ye nahi pata ki beech

me college kyo join kiya?

Srishti achanak se saant ho gayi aur usne kuch nahi kaha aur

vaha se jane lagi.

Tabhi raj ne pichhe se kuch aisa kaha ki srishti ke kadam vahi

ruk gaye.

Raj- जेव्हा मी तुला पाहहले तेव्हा मी फक्त तुला पाहू इच्छित आहे .

आता मला फक्त तुझ्याबद्दल जाणून घ्यायचे आहे.

Matlab, Jab se dekha hain, sirf tumhe hi dekhna hain aur ab

zindagi me sirf tumhare baare me hi janana hain . ho sakta

hain, meine marathi me kuch galati ki ho par jasbaat ekdum

clear hain.

Par koi baat nahi dheere se, marathi bhi achhi ho jayagi .

Srishti – palat ke raj ke taraf dekhne lagi uske aankho me

anshu agaye the.

Srishti- tumne marathi sikhi ?

Raj- todhi bahut, tumhare liye kosis ki hain, bas .

Srishti- par ye sab, kyo ?

Raj- vo kya kahte hain marathi me, veda na? Veda ho gaya

hoon. Puri tarah pagal ho gaya hu tumpe.

91 | P a g e

Srishti ke ankh se ashu ane lage aur usne turant hi raj ko gale

laga liya.vo rone lagi, raj ke bhi ankh me anshu the par ab vo

bahut khush tha. kyoki srishti uske saath thi.

Dono ek dusare ko kaafi der tak gale lagaye hue the.

Raj – srishti saant ho jao, tum mujhe kah sakti ho kya hua?

Mein hamesa tumhare saath hoon.

Srishti phir anshu pochhte hue, raj se alag hui aur raj ko sorry

kahne lagi.

Raj- it is ok, chalo mere saath.

Srishti- kaha?

Raj- ao to pahle .

In Canteen

Raj- lo paani piyo aur bilkul saant ho jao.

Srishti- thank you .

Raj- koi baat nahi. pata hain, dil ki jo baat hoti hain vo dimag

kabhi sambhal nahi pata to it is better ki tum un jasbaato ko

jitna chaho bahar nikal lo, kya pata sab kuch badal jaye.

Srishti- emotionally kahne lagi, mein delhi me rahti thi vahi

meine, Delhi Engineering College se apna 1st year complete

kiya. Jaise hi second semester ke exams over hue mein ghar

ane vaali thi, usi waqt agle hi din meri mom ka birthday tha

meine socha mein sirf dad ko bataungi ki mein ghar arahi hu

aur maa ko surprise dungi.

92 | P a g e

Pata hain is din ke liye meine apni maa se kai dino se bat nahi

ki thi kareeb 2 mahine ho gaye the. kyoki mein jab pichhale

baar ghar gayi thi, to meri maa se bahas hui thi, kyoki unhone

meri favourite dress leke mujhe nahi di thi .

Meine us waqt gusse me maa se kah diya, ki mein aapse nahi

baat karungi aur fir mein Delhi, Hostel vapas agayi. mere

chhoti ka vo last day tha, meine to maa se aisi majak kiya tha

par socha sach me nahi baat karti, paresan karne ke liye to

meine 2 mahine baat hi nahi ki unse. vo jab phone karti to

mein avoid kar deti ya busy hu maa kah ke kaat deti, sirf unhe

satane ke liye.

Fir mere exams khatam hue, meine maa ke liye gifts liye aur

ghar ja rahi thi, unhe sorry kahne aur surprise dene par jaisi

mein apne ghar pahuchi.

(Srishti fir kaafi rone lagi).

Raj- koi baat nahi srishti, kah do mein hoon na, kuch nahi

hoga, kah do.

Srishti rote hue maa ja chuki thi, mujhse bahut dhur, chale

gayi . hume chhodh ke mein unse baat bhi nahi kar payi. vo

apni beti ki awaz bhi nahi sun payi. sab meri hi galati hain,

jaisi mein ghar pahuchi maa ki body ghar me thi sab unke

paas baite hue the, mein kuch nahi kar payi, Raj kuch nahi kar

payi.

Pata hain, unhe pata tha mere exams khatam hote hi, mein

ghar ane vaali hoon, vo mere liye vahi dress leine gayi hui thi

93 | P a g e

aur usi karan unka accident hua tha, sirf meri vajah se , srishti

rote hue, raj ko sab bata rahi thi.

Srishti- meine unse akhri baar baat tak nahi ki, vo phone karti

rahi, mere liye dress leine raj, meine mara unhe srishti aur bhi

rone lagi.

Raj ne turant srishti ke sar ko apne sine se laga liya aur use

kahne laga nahi, srishti tumne kuch nahi kiya, tumne sirf apni

maa se pyar kiya bas vo kya hain na, hum apne andar ke

zasbaat kahne me der kar dete hain, tumhare saath bhi vahi

hua. tumne kuch bhi nahi kiya .

Srishti rote hi rahi raj ke bhi ankh me anshu the. fir dheere

dheere raj ne srishti ko saant kara liya.

Srishti fir kuch der me saant hone lagi, fir kuch der baad.

Srishti- maa ke gujar jaane ke baad papa yaha bahut akele the

mein bhi vaha delhi me nahi rah pa rahi thi fir mein yaha

agayi, papa ke paas isiliye meine beech semester me join kiya

vo bhi second year.

Srishti ab puri tarah saant ho gayi usne anshu poch liye.

Raj- ab tum tik ho?

Srishti- ha, thank you. tumhari vajah se ab mein kaafi tik hu.

Raj- meine kuch nahi kiya tumhe bas tumhare zasbaat bahar

nikalne ki zarurat thi meine kaha na ek baar khud ko hara ke,

is dil ki sune me koi burai nahi, kya pata sab tik ho jaye.

Ab chale bahar?

94 | P a g e

Jaise hi vo canteen se bahar nikale vo dono ruk gaye, dono ek

dusare ke side pe khadhe hue the raj ne srishti ko dekh ke

kaha kya hua chale?

Srishti ne raj ke taraf muskurate hue dekha aur tabhi raj ka

haath tham liya .

Raj ne turant niche dekha, ki srishti ne uska haath pakadh liya

aur fir usne srishti ke taraf dekha .

Srishti- muskurate hue “ab chalte hain”.

Raj fir muskurane laga vo bahut khush tha, srishti ab uske

saath jo thi.

Kuch der baad raj ka dost raj ko bulane aya aur kahne laga

tum dono yaha ho, vaha director ne students ko seminar hall

me bulaya hain. kuch important announcement hain, jaldi

chalo.

Fir sabhi bache seminar hall me ikhata hue, kuch der baad

vaha Director AJAY SHETTY aur srishti ke papa yaani

principal sir aur kuch senior faculty the jinme sharma sir bhi

the.

Director ne fir, announcement kiya.

Director- students aaj aap sab ke liye bahut badhi baat hain,

aap sab ke paas khud ke engineer hone ka proof dene ka waqt

hain.

Sabhi students sochane lage ki ab kya hoga ?

Director- aaj mein announce karta hu “Be-Engineer”

competition, is competition me aap khud ke developed

95 | P a g e

projects, researchs submit karenge aur use yaha usse senior

profesors verify karenge in profesors me bahar ke multination

company ke researcher bhi honge aap sabhi ko company ki

details nahi di ja sakti for security resonse aur na hi judges ke

bare me bataya ja sakta hain.

Par ye aap sab ke liye ek bahut badha mauka hain kyoki

winners ko usi multinational company me placement ke liye

direct interview dene ka mauka aur aghe ki uski engineering

ki fees bhi maaf kar di jayegi .

Yani the winner will not pay the fee for next semesters.

Saare students is competition ke baare me sun ke bahut khush

the aur exited bhi kuch darre hue bhi the ki verification me

kya hoga.

Director- Is competition ke registrations aaj saam se suru

honge college ke site pe aur dyan rahe aap project ko copy ya

kisi existing projects se complitly matched nahi bana sakte

agar aisa hua to aap disqualified to honge hi aap aapke

semester exams se bhi bahar ho jayenge.

Sab students ab darne bhi lage participate karne se par raj

khush tha vo paricipate karne ko ekdum ready tha.

Fir sab studets senimar hall se bahr ane lage .

Raj aur srishti saath me hi the.

Srishti ne raj se pucha tum ky paricipate karoge?

Raj- ha mere liye to ye mauka hain bahut badha meri kai

problems dhur ho jayengi .

96 | P a g e

Srishti- problems?

Raj- actually mere mami papa mujhe badhe muskil se yaha

padh rahe aur mujhe khud bhi inventions ka sauk hain aur isse

acha platform mujhe abhi milega bhi nahi.

Srishti- good, all the best mujhe tumpe bahut viswas hain tum

achha hi karoge.

Raj- aur tum ?

Srishti- mein nai baba, mujhe nahi paricipate karna mein waqt

nahi de paungi itna papa ko bhi sambhalna hota hain.

Raj- ha mein samjh sakte hu. You don’t worry mein jeetunga

aur hum dono ke liye ek khud ki industry dalunga tum boss

rahna aur mein tumhara maneger .

Srishti- company khud ki, tum na bilkul pagal ho.

Raj- tumhe viswas nahi ho raha mujhpe.

Srishti- achha tik hain baba chalo ab.

Phir srishti aur raj chalne lage srishti raj ke aghe chal rahi thi

tabhi raj ruk gaya.

Raj- srishti, sunno.

Srishti pichhe palti aur kaha kya hua?

Raj- tum kal mil sakti ho, mere saath ek din bitanogi ?

Srishti- kyo ,date pe le jana hain?.

Raj-nahi, par tumhe, khud tumse azad karana hain.

Srishti-azad?

97 | P a g e

Raj- ha, aaj meine aisi ladhaki ko dekha jise bahar ana zaruri

hain, to kal sirf 1 din ke liye apna waqt dedo.

Srishti – ok. mein tumhe call karungi lekin.

Raj- chalega, mera balance bachega.

Srishti- haste hue, “kanjoos”.

Fir srishti chalne lagi.

Raj, use vahi, dekhta raha bahut pyar bhari nazaro se. uski

nazar srishti se hatt hi nahi rahi thi.

At Evening

Srishti ne raj ko call kiya .

Raj-hello.

Srishti-hello kya kar rahe ho?

Raj- kuch nahi .

Srishti- busy ho, to rakhti hoon. ok bye.

Raj- arre meine aisa kab kaha tumhe.

Srishti-to kaha le ja rahe ho mujhe?.

Raj- pahle tum maan to jao.

Srishti- tik hain kal subah 9 baje mujhe CST me milo.

Raj- khushi se “Ok Done”

CHHATRAPATI SHIVAJI TERMINUS

Srishti raj ka waqit kar rahi thi .

98 | P a g e

Raj todhe hi der me vaha pahucha .

Srishti- ab batao kaha le jana tha tumhe mujhe.

Raj- arre lekin bulaya to tumne hain yaha.

Srishti- tumne hi to subah kaha tha milne ko.

Raj- ha par station todhi kaha tha.

Srishti- tum chahte ho me vapas jau.

Raj- accha sorry chalo ab jaldi.

Fir dono CST station se ek local me bait gaye.

Srishti- raj hum ja kaha rahe hain.

Raj- batata hu don’t worry.

Todhe hi der baad-

Srishti- raj ab tum mujhe bata rahe ho ki nahi hum kaha ja

rahe.

Raj- tum bas saanti se mere saath chalo au rbharosa karo

mujhpe .

Srishti – tik hain lekin mujhe pasand nahi aya na to मी तुला

मारून टाकीन .

Raj- kya?

Srishti- mein tumhe chhodhungi nahi.

Raj- ohh !

99 | P a g e

Raj srishti ko ek jagah le aya .

Srishti ye hum kaha agaye raj.

Raj- Matheran naam hain is jagah ka.

Srishti- mein yaha pahle kabhi nahi ayi.

Raj- is jagah me kuch aur bhi special hain bas yaha se todhi hi

dhur me hain hume paidal hi jana hoga.

Srishti- paidal kyo fir kanjossi.

Raj- jungle area hain aeroplane mangau. Is jagah me

automobiles allow nahi hain matlab no vehicles.

Srishti- oh par hum kaise jayenge.

Raj- meine kaha na don’t worry mein hoon tumhare saath tum

bas chalo saath mere.

Todhi hi der me srishti ne chachlte raj se kuch kaha.

Srishti is jagah ko dekh ke hairan thi charo taraf sirf pahadh

aur sirf haryaali .

Srishti- kitni khubsurat jagah hain ye to.

Raj- abhi ruko kuch aur bhi hain.

Srishti haste hue kuch aur kya.

Raj- surprise hain tumhare liye.

Srishti- surprise kaisa?

Raj- haath pakadho mera aur chalo.

Dono fir ek dusare ka haath pakad aghe jane lage.

100 | P a g e

Kuch hi der me.

Srishti- oh my god I cannot believe aisi jagah bhi hain yaha .

Vaha samne ek reiver tha jo sidhe pahadho se nikal rahi thi

aur vo sea level se 800 meter height pe the ek hill pe.

Bahut sunder nazara tha srishti dekhte hi rah gayi jagah ko.

Raj- kaisa laga ?

Srishti- beautiful .

Raj – ab tumhe ek kaam karna hain srishti.

Srishti- kaisa kaam?

Raj- apni ankhe band karo aur apne saare dard aur darr ko ko

yaad karo jo tumhe satate hain.

Srishti- me samjhi nahi raj.

Raj- mein jaisa kah raha karo to ankhe band karo aur apne dil

ke dard ko bhar ane do.

Srishti ne fir ankh band kiya aur kuch yaad karne lagi uske

aankh se anshu ane lage.

Usne raj ka haath pakadh liya.

Raj ab srishti mere saath jodh se dhur us pahadh ke taraf is

hill se dhur zor se chhikhna.

Srishti- ankhe band kiye hue”are you sure raj?”

Raj- ha srishti 1, 2, 3...go.

101 | P a g e

Fir dono ne ek dusare ka haath pakadhe hue us pahadh ki

uchai se dusare samne ke pahadho ki taraf zor se chikha.

Aur kuch der chikhte rahe.

Todhe der baad jab dono saant ho gaye.

Srishti ke anshu hasi me badal gaye the.

Raj- ab kaisa la raha hain.

Srishti- owsome raj thank you so much, mujhe itna achha

kabhi nahi laga pahel.

Raj- srishti ko dekhte hue “ab tum apne dard se azad ho

srishti.”

Srishti- raj ko dekhne lagi aur kaha thank you raj aur fir usne

raj ko kiss kar diya.

Us hill pe ek pyari si kahaani ne janam le liy tha.

After Sometime

Raj aur srishti vapas arahe the raj ne srishti se kaha pata hain

srishti aaj tumhari maa bahut khush hogi kyoki unki beti ki

narazgi aaj dhur ho gayi aur vo ab tumhe bahut pyar kar sakti

hain.

Srishti bahut relax mahsus kar rahi thi uska dard sab chala

gaya tha ab vo apni maa ko pyar se yaad akr sakti thi na ki

darr se.

Usne raj ko thank you kaha.

102 | P a g e

Raj- I am Always with you srishti aur pata hain kya tumhre

liye ek aur surprise hin mere paas.

Srishti-ab kya hain ?

Train me baito fir batata hu.

IN TRAIN

Srishti- ab to train chal rahi ab to batao kya surprise hain.

Raj- tumhe singing bahut pasand hain na.

Srishti- to b mujhe gana gana hoga?

Raj- mera saath dena hoga.

Fir raj ne srishti ke liye train me gana gana suru kiya usne vo

gana srishti ke liye hi likha tha .

Srishti raj ko gaate sun ke hairan thi.

Dono ne fir saath gaya aur us din unn dono ne bahut masti ki.

Aur akhir me srishti ne raj ko haste hue gale laga liya aur

dono ek dusare se bahut pyar karne lage.

PRESENT

Sharma sir – to ye sab hua tha bacho .

Prakash- par sir fir aghe kya hua raj kaha gaya use to college

se nikal diya gaya na sayad.

Sharma sir- ha usse college se nikal diya gaya .

103 | P a g e

Anil- par kyo sir?

Sir- ujhe itne achhe se to nahi pata kyoki mein us waqt ollege

me nahi tha par kahte hain ki uspe project copy karne ka ilzam

tha.

Vo bhi inovetion based multinatonal company

BTECHNOLOGY ke kisi upcoming project ka.

Mayank- sir BTECHNOLOGY ye to vahi company hain na jo

kuch din pahle barbad ho gayi aur WE-TECH ne saare share

le liye is comapany ke.

Sir – bilkul tik ye vahi company hain.

Aur mujhe pata hain kuch baat hain aur mein chahta hu tum

raj ko dhundho kyoki vo kabhi cheating nahi karega aur tum

sabse hi use dubara mauka mil sakta apne aap ko fir se saabit

karne ka.

Prakash- sir aur srishti ka kya hua?

Sir- usne college chhod diya par kaha gayi kaha hain kisi ko

nahi pata.

Anil- par apko raj se itna kya lena dena matlab jo bhi hua uski

itni kyo fikr?

Sir- raj ek achha ladhaka tha aur sabse badhi baad He is an

engineer aur ek engineer ki izat pure engineering ki izat hoti

hain.

Prakash- sir aapko kaafi kuch pata hain par uske baare me bas

uske college se nikale jaane ke baar eme chhodh ke.

104 | P a g e

Sir- meine kaha namein bahar tha us waqt aur baaki ki

kahaani us waqt ki sabse famus kahaani thi humare college ki

sabko pata thi aur mein raj se mil chuka hu janta hu use he is a

very genius tumhari madad vahi karega.

Ye raha uska address raipur me kaha milega vo tumhe aur ye

rahi uski photo passport size hain college document se nikali

hain tumhe isse se kaam chalana hoga kyoki raj kisi bhi social

site pe bhi availabe nahi hain.

Mayank- ok sir.

Prakash ne raj ki photo aur address note ko liya aur vo raj ki

tasveer ko dekhne laga aur usnki kahaani ke baar me sochane

laga.

Sharma sir- chalo mujhe jana hain NAGPUR station agaya.

Prakash, Anil and Mayank – ok sir, thank you .

Sir- koi baat nahi par aghe sab sambhal lena mujhe yaha 4 din

ka kaam hain fir me vapas mumbai jaunga aur college Join

karunga.

Fir teeno ne sir ko train se bye kaha aur sir chale gaye aur

teeno raipur ke liye safar abhi bhi kar rahe the.

Kuch hi gante me teeno raipur station pahuch gaye aur sir ke

bataye address ko dhundhane lage.

Logo se puchate hue teeno us address tak pahuch bhi gaye par

jaisi vo vaha pahuche unhe kuch aur dekhne mila.

Vaha ek ghar to tha par vaha tala laga hua tha aur ghar ki halat

bhi tik nahi thi .

105 | P a g e

Prakash , Anil aur Mayank teeno ab kaafi paresan hine lage

teeno ne fir puch taach chalu ki.

Prakash ne aas paas puchna suru kiya .

Prakash to someone-

Prakash- ji ye Raj Sharma kaha milenge .

Someone- ji Raj Sharma? Yaha aisa koi nahi rahta .

Prakashh- ji par ye ghar to unka hi hain na.

Someone- ji dekho me yaha 5 saal se hu par meine kabhi is

ghar ko khulte nahi dekha ye to aisi bekar padha hua hain,

yaha koi nahi rahta.

Prakash shocked tha.

Prakash- ji thank you .

Fir prakash ne aake anil aur mayank ko saari baate batayi aur

vo dono bhi ye baat sun ke hairan the.

Fir unhone aur kuch aur logo se puchh tach suru ki par sabne

vahi kaha koi bhi raj sharma ko nahi janta tha.

Teeno ab kaafi hairan the aur unhe kuch samjh bhi nahi araha

tha.

Mayank- bhai hume sharma sir ko call karna chahiye sayad

kuch pata chal jaye.

Anil- sahi idea hain ruk mein lagata hu.

Anil ne fir si rko call kiya par unka phone switch off ane laga.

Anil- bhai sir ka phone to band araha hain.

106 | P a g e

Prakash-abe ab ye kya hain hum to fass gaye buri tarah.

Mayank- ab kya kare bhaiyo yaha bhi kuch nahi kar sakte aur

vapas jaake bhi marna hi hain.

Anil- hume syad ab nikalna chahiye yaar atleast vaha jaake

hum khud kuch kar paye .

Prakash- anil tik bol raha hume chalna chahiye.

Fir vo teeno vaha se jaane lage.

Tabhi unke haath se raj ki photo gir gayi aur usse ek rast eme

chalte admi ne dekha aur teeno ko roka .

Person- ruko tum logo ki photo gir gayi.

Teeno pichhe palte. Vo person vo hoto utah ke unhe de hi

raha tha tabhi usne vo photo dekhi aur kaha, Rajveer sir ki

photo.

Teeno ne unki bat sun li .

Vo unse puchane lage kya aap jante hain isko kaha milega ye

hume.

Person- ji ye to rajveer hain sayad sakal to milti hain par ye

aapko yaha nahi milenge.

Prakash- ji ye to Raj hain sayad aap kisi aur ki baat kar rahe

ho.

Person- ho sakta hain vaise bhi me jinki baat kar raha unka

naam rajveer hain todhi dhuri me rahte hain .

Anil-ji thank you, chalo hume chalna chahiye dosto ab .

107 | P a g e

Fir teeno jane lage tabhi mayank ne kaha ajeeb hain na us

admi ne isse koi aur samjh liya.

Prakash- ha par arre yaar ek min raj ki ye tasveer aaj se 6 saal

purani hain ho sakta hain vo rajveer hi raj ho ya sayad hume

koi rasta mil jaye usse.

Anil- sayad prakash- tu tik bol raha vaise bhi humare paas koi

aur rasta nahi hain itni dhur aahi chuke hain ab ye bhi kar lete

hain.

Par dono ke naam alag hain chalo mana chahra to badall skta

hain todha itne saal me par naam ka naya naam karan kaise.

Prakash- chhod vo sab milke baad me dekhte hain pahel us

admi se baat karte hain jisne isse pahchana tha.

Teeno turant pichhe palat ke us admi ke paas gaye.

Mayank- sir aap hume is admi tak le ja sakte hain.

Person- par vo to alag hain ko aur hain na.

Prakash- hume chalega please aap bataiye ye hume kaha

milega.

Anil- auur aap kaise jante hain isse matlab us rajveer ko.

Person-ji rajveer ke paas mera bacha tuition padhta hain yha

ka one of the best teacher hain yaha ke gareeb bacho ko free

me padhata hain bahut honhaar hain .

Prakash- kaah milega aap hume vaha le chalenge?

Person- ji bilkul tik hain chalo.

108 | P a g e

Uske baad teeno us admi ke saath gaye us rajveer ko

dhundhane.

Kuch hi der me teeno engineer aur vo person ek har pahuche

us person ne kaha dekho ji rajveer yahi rahta hain aapko ander

sayad mil jayenga tuition yahi padhata hain bachho ko ab

mein chalta hu.

Prakash, Anil and Mayank- thank you sir aapne bahut madad

ki .

Fir vo person vaha se chale gaya.

Teeno fir gate ke ander gaye us ghar me bahar boundary wall

thi usi ke gate ko teeno paar kiya par unhe fir niras hona

padha.

Ander ghar pe fir lock laga hua tha .

Prakash- ab kya kare ye bhi band hain.

Anil- chhod yaar ab hume chalna chahiye vaise bhi ye raj nahi

hain rajveer hain aur isse humara kya faida hoga.

Prakash- teri baat to sahi hain par mujhe lagta hain hume wait

karna chahiye atleast pata to chale ye hain kon aur iski sakal

raj se milti hain kya pata aghe kya ho.

Mayank- bhai tum logo ko jo bhi lagta ho mujhe lagta hain ki

ujhe susu karna hain saale jab se train se utare hai hum susu

ko bhul gaye hain bhai iska right bhi hain hume iski to kadar

karo.

Prakash- I think mayank sahi bol raha mujhe bhi susu karna

hain.

109 | P a g e

Anil- saalo tabhi e bolu kya bhul raha tha mein bhi ab chalo.

Prakash- vo aghe kachhara hain vahi karte hain.

Fir teeno toilet karne lage ek kachre vaali jagah me vo bhi zor

zor se gana gaate hue.

Tabhi jab teeno susu kar rahe the susu karte hue anil ne

mayank ko pichhe se laat maari aur mayank- ki jeans gili ho

gayi aur sir anil, prakash bahut hasne lage.

Mayank- kamino jeans gandi kar di ye kya masti hain.

Anil- haste hue koi baat nahi bhai chalta hain khud ki to

gandagi bhi amrit hoti hain.

Mayank- to haram khor apna pi liya kar roz saale paapi tere

paap dhul jayenge.

Prakash- are ab tum logg ladhna mat suru karo yaar aur

mayank bhai vo dekh vaha nal hain jake dho le.

Mayank- ha ata hu.

Mayank fir nal ke paas gaya apni pant dhone par usse vo nal

khul hi nahi rahi thi usne bahut kosis ki aur jaise hi usne aur

zor lagaya nal hi tut gaya aur paani bahne laga.

Mayank ghabra gaya aur nal ko jodhane laag us waqt prakash

aur anil mayank ki taraf dyan hi nahi de rahe the.

Tabhi vaha ek ladhaka aya usne turant ate hi vaha padhe kuch

chizo ki madad se nal ko bana diya mayank socked tha ki usne

itni jaldi nal ko bina kisi auzar ke ti kar diya.

110 | P a g e

Mayank abhi tak lekin tik se us ladhake ka chahra nahi dekh

paya tha kyoki vo us nal ko hi ti kar raha tha par jaisi hi vo nal

ko tik karke utah mayank ne usse dekha aur vo dekhte hi rah

gaya.

Tabhi anil aur prakash ne bhi mayank ke taraf dekha aur

unhone bhi us ladhake ka chahra dekha aur vo hairan the.

Anil & Prakash- oh shit ye to vahi hain.

Mayank- aapto vahi hain .

Ladhaka- mein to rajveer hu.

Mayank- ha hum aapko hi to dhundh rahe the.

Rajveer- hum?

Tabhi anil aur prakash mayank ke paas aye aur unhone kaha

iska matalab hum sab hain.

Fir unhone rajveer se haath milaya aur ek- ek kar apna maan

bataya.

Rajveer- hello, I am Rajveer, par aap sab mujhe kyo dhundh

rahe ?

Mayank- hume aapse kuch baat karni hain actualluy hume

aapki madad chahiye.

Rajveer- meri madad?

Anil- actually hum kisi ko dhundh rahe the par hume nahi

pata vo kaha hain aur hume lagta hain ki aap humari madad

kar sakte hain.

111 | P a g e

Rajveer- mein kaise?

Prakash- ruko me aapko ek tasveer dikhata hu ye rahi.

Prakash ne rajveer ko vo tasveer dikhai aur puchha kya ye aap

hain.

Rajveer- lagta to mujh jaisa hain par mein ye nahi hu is

picture me to ladhake ne glasses bhi nahi pahna aur me to

glass ke bina dekh nahi sakta.

Prakash- ha ye real me bhi chasma nahi pahanta mera matlab

pahanta tha jitna hum ab tak isse jante hain par aapki sakal

isse milti hain.

Anil- ha isiliye hum aapke paas aye hain.

Rajveer- ek kaam karo tum sab pahle mere ghar pe ao ye

samne hi hain vaha bait ke saari baat batana tum sab kaafi

thake hue lagte ho vaise bhi.

Mayank- ji ye achha idea hain chalo dosto.

Fir teeno rajveer ke saath usi ghar me gaye jaha kuch der

pahle tala laga hua tha aur jab vo ander gaye unhone kamal ki

cheeze dekhi.

Rajveer ke ghar pe bahut saari machine thi jo unhone kabhi

dekhi bhi nahi thi vo ghar puri tarah sensorized thi saari chize

rajveer ki awaz se operate hote the vaha ek badha sa computer

the ek wall ke jaisa jo rajveer ke ghar ke ander ate hi

automatically on ho gaya .

Mayank- ye computer on kaise hua .

112 | P a g e

Rajveer – don’t worry ye automatice nahi hua hain mere lock

kholte hi isne mere eyes ko scan kar liya aur fir ghar ki

machine working condition me agayi.

Anil- superb i cannot believe it is real.

Todhi der me ek awaz ayi kaise “WELOCOME SIR ”

Prakash- ye awaz kaha se ayi.

Rajveer- ye meri computer ki awaz hain usse pata hain ki

mein ab ghar me hu.

Anil- bhai ye to lab hain yaar .

Rajveer- aisa nahi hain meine bas todhi bahut invention ki

hain.

Khair tum batao tum sab kuch kah rahe the kisi ladhake ke

baare me.

Prakash- ji ye raj ki tasveer hain hum ise kisi zaruri kaam se

dhundh rahe the par ye hume mila nahi aur kisi tarah aap mil

gaye jinki sakal isse milti hain to bas hum aapse saari baat

janane chale aye.

Rajveer- dekho mein kisi raj ko nahi janta ha sorry ye picture

bhi meri nahi hain aur me bhi shocked hu ki ye to meri tarah

dikhta hain.

Viswas nahi ho raha.

Prakash- hume bhi sir aur to aur kuch samajh nahi araha ab

kya kare.

113 | P a g e

Rajveer ne phir vo tasveer apne haath me li aur dekhne laga

aur dekhte hue usne kaha it is impossible ye lagbhag meri

tarah hain .

Mayank- ha bas chasme ki kami hain aur baal chhote hain

aapke.

Rajveer- meine kabhi socha bhi nahi tha ki aisa kuch hoga par

ab mein tumhari kya madad kar sakta hu mein to isse janta bhi

nahi.

Anil-pakka sir aap raj nahi hain.

Rajveer- definetly tumhe kya lagta hain mein khud ko nahi

pahchanta .

Mayank- sorry sir iska ye matlab nahi tha.

Rajveer – nahi tik hain par mein tumhari madad nahi kar sakta

tumhe aur koi help chahiye to kaho.

Prakash- nahi sir thank you, hume ab chalna chahiye.

Rajveer- kya mein jaan sakta h utum isse itni betabi se kyo

dhundh rahe ho.

Fir prakash, Anil aur Mayank ne rajveer ko saar baate suru se

batayi .

Aur rajveer unki saare baate saamjh bhi gaya aur usne kaha

dekho yaar problem to badhi hain tumhari par sayad tumhe hi

solve karni hogi aur tumhari tasweer vala insaan kon hain

kaah hain ye to mujhe bhi nahi pata.

Prakash- koi baat nahi sir hum ab chalte hain.

114 | P a g e

Fir vo teeno jaane lage tabhi raj ne pichhe se awaz diya ruko.

Teeno pichhe palte ek aur tarika hain vaise.

Mayank- kya sir?

Raj ka to pata nahi par mein tumhari us competition se

bachane me madad kar sakta hu.

Anil- par kaise?

Rajveer- dekh to tum sakte ye lab meine banaya hain ye baat

karen vaala computer bhi tumhare liye itna to kar hi sakta hu

mein tumhari project me madad karunga.

Mayank ekdum khush ho gaya.

Prakash aur anil ke mann me abhi bhi kuch sawal the .

Prakash- par aap kyo humari madad karenge.

Anil- ha aapko kya faida isse?

Rajveer- mere paas is computer ke alawa koi aur nahi hain

baat karne ke liye bilkul akela hu to mein tumhari nahi tum

bhi meri madad kar rahe ho mere akele pan ko dhur karne me.

Mayank- tab to aap bilkul bhi tension na lo humare saath to

devdas bhi paro ki yaado ko chhod humare saath khushi se

daru pine lage.

Kyo dosto kya kahte ho .

Prakash- agar baat madad ki hi hain to hum aapke saath hain

aap humari madad karo.

Anil- ha mujhe bhi koi problem nahi hain.

115 | P a g e

Rajveer – par mein tumhari ek hi shart pe madad karunga agar

tum sab mujhe sir ya aap nahi rajveer kahoge mein kya tumhe

uncle dikhta hu.

Mayank- nahi be rajveer chhota to dikhta hain par kya kare

hum hi faltu tujhe respect de rahe hai nahi to humhare baap

bhi aj tak taras rahe is respect ke liye.

Aisa kahte hue mayank rajveer ke paas gaya au rusne rajveer

ke kandhe me haath rakh diya tabhi rajveer use ghurne laga

aur mayank chup ho gaya.

Todhi der me rajveer hasne laga aur fir sab hi hasne lage .

Rajveer- ye hui na baat ab hue hum dost.

Mayank aur dono ne rajveer ko gale lagaya aur kaha ab hum

hue complete team.

Todhe der baad charo saath hi baite hue the tab anil ne pucha

rajveer se swal pucha.

Anil- rajveer yaar tum to itne talented ho fir tumne yaha kasie.

Rajveer- ye talent to bas aisi hi mujhe technologies pasand

hain karke mein to bas bacho ko tuitions deta hu unhe

technologies ke baare me batata hu unhe practically chize

sikhata hu.

Prakash- aur kuch nahi karte isse gujara ho jata hain tumhara.

Anil- ha yaar tum to bahut talented ho.

Rajveer- actually mujhe logo ko sikhana bahut achha lagta

hain aur sabse badhi baat ye bhi hain ki mere paas koi degree

116 | P a g e

nahi hain aur ye dunia mujhe bina uske job to chhodho

pahchan bhi nahi payegi.

Par ek din pahchanegi dekhna.

Ye baate sun ke teeno engineers kaafi hairan the ki itna

talented aur padhai bhi nahi hui hain uski.

Anil- mujhe yakin nhi ho raha yaar aur tumne ye sab khud hi

sikha ?

Rajveer- ha ye mera passion hain uske liye degree ki kya

zarurat.

Mayank- aur tumhari family, mami papa sab kaha hain?

Rajveer- nahi hain bachpan me hi maa- baap gujar gaye koi

tha nahi bas ek uncle the vo abhi bahar hain kisi kaam se

mujhe unhone hi badha kiya.

Anil- fir padhai kyo complete nahi ki?

Rajveer- bas aisi family issues the kuch padhna muskil tha

mere liye.

Prakash- it is ok you don’t need to worry zaruri nahi hume

kahna, hum samjh sakte hain.

Rajveer- thank you dosto.

Mayank- khair ab hume mumbai vapas jana hoga .

Anil- ha college me kya ho raha hoga hume vaha hona hoga.

Prakash- tik hain hum kal nikalte hain, rajveer kya hum aaj

yaha ruk sakte hain? If you don’t mind.

117 | P a g e

Rajveer- definetly you can, sab tumhara hi samjho.

Mayank- bas underwear chhodh ke na .

Fir sab gusse se mayank ke taraf dekhen lage.

Prakash- bhag pe saddha mat saale khud kabhi chaadi pahni

hain.

Rajveer unki baate sun kar hasne laga aur kaha.

Rajveer- tum sab hamesa aisi rahte ho.

Anil- hamesa .

Mayank- mein to kahta hu ye anil is prakash ko line marta

hain.

Prakash ne ye sun ke piche se mayank ko majak se mara aur

kaha chub pe saale .

Ye sab dekh kar rajveer aur bhi hasne laga, vo apne akele pan

ko khatam hote dekh pa raha tha vo kaafi der tak un teeno ki

masti dekhta hi raha vo bhi dyan se maano use koi rahat mil

rahi ho unse.

Next Day Morning

sab ready the mumbai vapas jaane ke liye aur saath hi saath

rajveer bhi.

Mayank-rajveer ready?

Rajveer- tum sab ho to darr kaisa.

Anil- ye to ab hume kahna chahiye.

118 | P a g e

Prakash- emotional party chalo late na ho jaye.

Jaise hi vo sab rajveer ke ghar se nikal rahe the tabhi rajveer

ne apne saare machine ko off mode me kiya aur kuch files aur

apna laptop bas saath me rakha .

Jaate waqt.

Mayank- bye bye bolne vaale computer tumhari yaad ayegi.

Prakash- chal be nautanki.

Aur sab raipur se nikal gaye aur mumbai ane lage.

Mumbai

teeno apni manjeel tak pahuch hi gaye the matlab apne gande

room tak.

Anil- to rajveer ye raha humara aur abse aapka bhi rajmahal.

Mayank- ye achha hain na rajveer ka rajmahal.

Prakash- kamino bakwaas band karo aur sharma sir ko contact

karte hain aaj vo nagpur me 4 din rahne vaale the matlab aaj

bhi honge ya probably agaye honge. Hume unhe sab batana

hoga ki hume raj nahi mila.

Anil- you are right .

Mayank- abe pahle ander to chalo nahi to fir mujhe susu lag

jayegi .

Anil- he is also right.

119 | P a g e

Fir vo room ke ander gaye aur room buri tarah bikhra hua hi

tha hamesa ki tarah teeno ne rajveer se kaha sorry vo room

todha sa ganda hain par saaf ho jayega .

Rajveer- koi baat nahi mujhe achha laga.

Prakash- tum paresan mat ho ye sab abhi saaf ho jayega, apna

mayank karega sab saaf aap aram karo.

Mayank- ha prakash sahi bol raha hain ye sab saaf mayank

kar dega.

Aur prakash, anil mayank ko ghurne lage.

Mayank- ek minute, yaha mayank to mein hi hu saale prakash.

Prakash- tu tension mat le yaar masti kar raha tha sab milke

karenge saaf.

Fir chaaro ne milke room saaf kiya vo bhi ek dusare ko

paresan karte hue.

Room ki safai hone ke baad chaaro finally baite.

Anil- haay ye to hua ab kya?

Mayank-ab kya fir ganda karte hain.

Prakash- mayank mazak nahi hume project ke baare me bhi

sochna chahiye.

Anil- ha rajveer hum kya karenge project ke liye any idea.

Rajveer tum sab tension mat lo mere paas idea hain aur meine

kal train me baite hue saari study bhi kar li hain, ab mujhe

120 | P a g e

pata hain hum kya represent karenge, mera matlab tum teeno

karoge.

Prakash- oh good yaar and thank you but idea kya hain.

Rajveer- tumhe mera computer yaad hain.

Mayank- ha vo badha sa miss. Talking computer.

Rajveer- ha vahi, vahi hain mera idea, us computr mein aisa

operting system hain jo khud usse judhe machino ko control

kar sakti hain aur actually vo mere pure room ko contral kar

sakti hain.

Hum vaisa hi kuch yaha banayenge.

Mayank- par vo operating system to tumhare us badhe talking

computer me hain na.

Yaha kaise layenge use?

Rajveer- don’t worry vaisa hi actually usse todha specifice

operating system mere laptop me bhi hain ye dusari chizo ko

contral to nahi karti par apne work khud ye bhi kar sakti hain

means ye bhi us badhe computer ki tarah self operated hain.

par isme mujhe kuch kaam karna baaki hain ye commands ko

sahi tarike se nahi sambhal pata.

Anil- command ko sahi tarike se nahi sambhal pata matlab.

Rajveer- matlab ye khud ke task aur mere diye task me

confuse ho jata hain mainly isse jab me kahu koi task to usse

follow karna chahiye par ye kabhi kabh apne task ko priority

deta hain.

121 | P a g e

Mayank- matlab batamize hain.

Anil- shut up mayank.

Mayank- sorry.

Rajveer- khair ye problem hain to serious aur todha time lagea

kyoki mujhe pure iske source programing me checking aur

kuch changes karne honge .

Prakash- par koi dikkat to nahi hain ek mahine hain humare

paas kyoki.

Rajveer- paresaan hone ki baat nahi hain ye operating system

banaya to meine hi hain dono computer me aur usme

successful hua hain to isme bhi hoga aur one month me ho

jayega.

Prakash- great but is project me koi gadhbadh to nahi hogi na

mera matlab ki kisi aur ne banaya ho ya kisi aur ka patent to

nahi hain na isme.

Rajveer- nahi ye meine banaya hain aur mere paas iska open

source hain jisse me control kar sakta hoon. Badhi badhi

companies sayad aisa koi system use karti ho may be, par ye

public used nahi hain completly like android or other

smartphone.

Ye kisi bhi system ko operate kar sakti hain socho kya ho

sakta hain isse.

Anil- aur disadvantages?

Rajveer- honge of-course, par kisme nahi hote har invention

har chize ke do pahlu to honge hi, the thing is how we use it.

122 | P a g e

Prakash- to done ab yahi sumbit hoga aur represent bhi yahi

hoga .

Anil- are you sure ?

Mayank- ha ek baar sab soch lo.

Anil- kya bolt hain prakash ?

Prakash- ready .

Anil- to mein bhi.

Mayank- saalo ready to aise kah rahe ho maano khud kuch kar

rahe ho meine ek baar aur soch lo rajveer se puchha tha tum

nalayako se nahi.

Anil and Prakash- oh sorry, rajveer tum hi batao.

Rajveer- ready sayad yahi mauka hain mujhe jisse apne

talaent ko bahar lane ka mauka mile all thanks to you all guys.

Prakash-nahi rajveer thank you humne kuch nahi kiya. Ab

hum arahe Director sir ready raho prize ke saath.

Rajveer – mujhe ek kaam hain, mein call karke ata hoon.

Mayank- ha bhai bilkul .

Fir rajveer ghar ki balkani me jaake khadha ho gaya aur vo

kaafi der tak vahi tha na jaen kya soch raha tha.

Ander teeno soch rahe the ki rajveer kaise abhi tak balkani me

hi hain to teeno bahar gaye rajveer ke paas.

Jab ve balkani me gaye to unhone dekha rajveer rahar khadha

kuch soch raha tha vo bhi ekdum dyande.

123 | P a g e

Mayanak- bhai rajveer kya hua ander nahi araha kya?

Rajveer nahi yaar abhi just phone me baat khatam hui vo

todha urgent tha sorry.

Anil- koi nahi yaar chalta hain , filhaal chalo aaj bahar khaate

hain ready hoja bahar hi khana khayenge.

Rajveer – ha tik hain.

Fir rajveer kapadhe change karne ander room me gaya aur

baaki teeno uska bahar wait kar rahe the.

Jab rajveer ne shirt utara uske chest aur pit pe tattoo aur vo

aine me khud ko ghur raha tha achanak uski ankhe bhar gayi

aur vo apne aap se aine me dekh kar gusse se kahne laga .

Rajveer- ab sirf ek step aur Director Ajey Shetty fir mera

kaam khatam, tujhe pachtna hoga shetty, me taiyaar hu, tujh

tak mein pahuch gaya hu bas ab ek kadam aur fir tujhe teri

galati manani hogi.

Bahar teeno rajveer ka wait kar rahe the .

Mayank- ye chasmis ko kya ho gaya ab tak bahar kaise nai

aya.

Prakash- ajayenga todha der ruk to.

Todhi der me rajveer aya aur vo teeno bahar ghumne nikal

gaye.

Next Day

Anil- chal bhai aaj college jana hain pata nahi kya haal hoga

hum 4 din se gaye bhi nahi.

124 | P a g e

Prakash- neend me “abe kyo paresn ho raha aram se jayenge

na college tu bhi soja”.

Anil- suar tere saath sone ke liye nahi utah hu mein, chal ab

jaldi hume mahol bhi dekhna hain ki kya hin college ka.

Prakash- tu mayank ko to utah.

Anil- mayank to kab ka ut gaya rajveer ke saath laag hua hain

kuch kaam me.

Prakash ye sun ke turant ut ke bait gaya aur kaha abe mayank

ut gaya kya kar rah ehain dono?

Anil- sayad project ka hi kuch kar rahe mayank rajveer ka

saath de raha, mujhe lagta hain rajveer to soya bhi nahi raat

bhar.

Prakash- chal dono ko dekhte hain.

Anil aur prakash rajveer ke room pe gaye aur bahr se rajveer

aur mayank ko kaam karte dekhne lage.

Mayank ekdum seriously rajveer ka saath de raha tha bhale hi

usse kuch ata na ho par vo apni puri kosis kar raha tha.

Ye dekh anil aur prakash bahut khush hue aur unhone turant

jake mayank ko gale laga liya.

Mayank- arre ut gaye dono, mein yaha bas rajveer bore na ho

karke .

Dono ne mayank ko gale laga ke hi rakha tha aur vahi side pe

rajveer khadha hua tha.

125 | P a g e

Tab prakash ne rajveer ke taraf dekha aur usse bhi apne paas

bulaya aur fir teeno ne use gale lagaya.

Anil- ab college chale?

Prakash- ha chal, mein ready hota hu.

Again College Days

Jaise hi teeno college pahuche unhe sanjay mila.

Sanjay- kaise ho yaar ? tumhara kaam hua?

Prakash- ha yaar bas todha sa distract ho gaya.

Sanjay- distract matlab?

Mayank- kuch nahi bhai lambi kahaani hain tujhe aram se

batayenge.

Anil- ha tu pahle ye bata class ka kya haal hain.

Sanjay- kya baat hain aaj class ki baate ho rahi hain raipur se

tabiyat kharab karke aye ho kya teeno?

Prakash- arre kuch nahi yaar bas todha sa ab lagta hain hume

padh hi lena chahiye.

Sanjay hasn unki baat sun kar muskurane laga aur kaha good

yaar chalo achhi baat hain chalte hain class.

Fri charo class chale gaye.

Aur us se din anil, prakash aur mayank teeno seriously padhai

karne lage.

126 | P a g e

Prakash, sanjay ke saath mechnical me seriously bait ke

padhane laga aur vahi anil apne electronics department me aur

mayank bhi civil branh me .

Teeno ab achhe se padhane lage the aur jo bhi padhate use

practically samjhate aur ghar aake rajveer se discuss karte .

Teeno ab class me questions puchane lage the aur aur khud

kai question ek jawab bhi dene lage the.

Rajveer unki bahut madad karta unki padhai me unhe chize

aur bhi achhe tarike se samjhata.

Teeno raj college se ake rajveer ki project banane me bhi

madad karte .

Unki zindagi kaafi sudhar gayi thi aisa nahi hain ki teeno en

masti karna band kar diya tha vo ab bhi sharma sir ke naam se

canteen me khaate the aur sabko abhi bhi paresan karte the .

Aur dheere dheere charo, mayank, anil, prakash aur chasmis

yaani rajveer ek dusare se judh gaye.

Charo ke masti e din achhe katne lage aur dheere dheere unke

competition ka din bhi nazdeek ane laga .

Aur ek din prakash college me sharma sir se milne gaya.

Prakash- kaise hain sir.

Sir- mein tu tik hu ye, sunna hain tum logo ne kisi ladhake ko

laya hain apne project ke liye sanjay en bataya par vo raj nahi

hain.

127 | P a g e

Prakash- ha sir humne raj ko dhundha par vo nahi mila lekin

uski sakal ka chasmis mil gaya.

Sir hasne lage chalo koi baat nahi tumhara kaam hona chahye

bas afsos ye hain ki raj kaha hain ab tak kisi ko nahi pata.

Prakash- mujhe ye baat samjh nahi ayi sir hum aapke bataye

address pe gaye par vo ghar band tha aur to aur vaha ek logo

ko bhi raj ke baare me nahi pata tha, sir aap sure hain ki vo

address sahi tha.

Sir- mujhe bhi nahi pata prakash ki raj kaha gaya aur kaha

hoga mujhe jo information mili meien diya aur ajeeb to ye bhi

hain ki uski hi chahre jaisa koi aur bhi hain .

Prakash- ha bas chasma lagata hain.

Is baat pe sharma sir aur prakash hasne lage.

Sir aur prakash baat hi kar rahe the ki utane me vaha ek

student agaya use sir se kuch puchhna tha.

Student- sir exuse me .

Sir – yes please batao kya baat hain.

Student- sir vo actually mujhe thermo ke notes chahiye the

Sir- thermo ka course to meine kaffi pahle hi khtam kara diya

tha abhi notes?

Student- ha sir actually mujhe sirf one week ke notes chahiye

jo apne class me karaya tha 10 july se one week tak ke.

Sir- wait mein deta hu.

128 | P a g e

Fir sir ne us student ko notes dhundh ke diye.

Student- thank you sir mein jald hi lautata hu.

Sir- it’s ok ab tum jao.

Prakash tab tak vahi baita hua tha.

Prakash- sir ab mein bhi chalta hoon.

Sir- tik hain and all the best for the competition.

Prakash- thank you sir.

Fir prakash bahar jaa raha tha ki achanak usne kuch socha.

Uske dimag me ek baat dyan ayi ki 10 july ko to sir humare

saath nagpur ke liye nikale the vo bhi char dino ke liye fir

uske baat ke ek week classes ye kaise ho sakta hain.

Prakash achanak is baare me kaafi sochane laga vo turant

vapas staff room gaya par vaha koi bhi nahi tha.

Usen fir vaha files check karna suru kiya.

Vo register check kar raha tha jisme koi proof ho ki sir 10 july

se college me the.

Fir use attendence vaali file mili usne deepak sharma sir ka

naamm dundha aur july ki list checki ki.

Usne jo dekha usase vo hairan ho gaya.

Usane dekha ki sharma sir ki attendence lagi hui thi vo bhi

pure din 10 se aghe ek bhi din vo absent nahi the.

Prakash ko kuch samjh nahi araha tha.

129 | P a g e

Use samjh nahi araha tha ki shram sir to 10 july ko humare

sath nikale the aur vo 11 july ko kareeb 2 baje nagpur pahuche

vo bhi char din ke liye fir unki 11 july se attendence kaise lagi

hui hain.

Prakash turant us ladhake ko dhundhane gaya jo sir ke paas

notes lene aya tha.

Vo staff room se bahar nikla au rusi waqt dhur se sharma sir

ne prakash ko dekh liye ki vo staff room se bahar nikla hain

par prakash sir ko nahi dekh paya aur jaldi me student ko

dhundhane nikal gaya.

Udher dusari tarf sharma sir staff room gaye unhone dekha ki

attendence file unki nikali hui hain aur usme july ki list bhi

sharma sir samjh gaye ki prakash ko sab samjh agaya hain ya

sayad ab vo sab jaan jayega.

Dusari taraf prakash us ladhake ko dhund raha tha, akhir kaar

use vo ladhka college garden ke paas mil hi gaya, usne use

roka aur uske pas gaya.

Prakash- ruko, tumne sir se abhi notes liya tha na.

Student- ha, par kya hua.

Prakash- mujhe confirm batao ki kya sir se 10 july ke baad

class liya tha ?

Student- yes sir isliye to mein notes lene gya tha unka, mein

us waqt bahar tha to class atten nahi kar paya.

Prakash- kya tum ek minute mujhe notes dikhaoge.

130 | P a g e

Fir us student ne prakash ko vo notes diye jo usne sharma sir

se liye the.

Prakash- thank you,.

Fir usne vahi khadhe hue notes check kiye aur usme 11-jul aur

aghe ke bhi notes date ek saath the, prakash ye dekh hairan

tha use kuch samjh nahi araha tha.

Usne student ko notes return kiye aur kaha tum jao thank you.

Prakash ko idhar chize kuch samjh nahi arahi thi aur use saq

bhi hone laga tha.

Vahi dusari taraf sharma sir ne kisi ko phone lagaya aur kaha

ki gadhbadh ho gayi aur usen phone pe sab kuch bataya jo bhi

hua.

Phone se bhi awaz ayi koi baat nahi, sayad yahi waqt ho ab jo

bhi hain abhi hoga.

Sir- tik tum khyal rakhna.

Aur fir sir ne phone rakh diya.

Yaha prakash is baat ko solve karne sanjay jo ki uska college

friend hain uske paas gaya .

Prakash sanjay ke paas pahucha.

Prakash- sanjay mujhe ek baat bata kya tujhe yaad hain 10

july ke baad sharma sir college aye the ki nahi.

Sanjay- mujhe itna to yad nahi hain yaar vaise bhi do mahine

purani baat hain yaar kaise yaad hogi.

131 | P a g e

Prakash- ha tu sahi bol raha hain par mujhe kuch samjh nahi

araha.

Sanjay- khua kya .

Fir prakash ne sanjay ko saari baate batayi ki sir unke saath

safar pe nikale the par nagpur pe hi utar gaye kareeb char

deeno ke liye aur fir bhi vo college me present the 11 july ko.

Usne saari baate sanjay ko batayi.

Sanjay- to bhai isme kya problem hain ho gaya hoga unka

kaam ya sayad cancel ho gaya hoga to vo vapas agaye honge.

Isme itna sochane vaali kya baat hain.

Prakash- nahi yaar mujhe lagta hain koi baat to hain vo hume

raste bhar Raj ke baare me hi bata rahe the ur fir jab hum vaha

gaye to hume vaha raj nahi mila.

Aur vo jab bata rahe the to lag raha tha ki vo sab kuch jante

hain aur kaafi kareeb se jante hain raj ke baare mein.

Sanjay- to kya hua, dekh prakash do din me tumhara project

represent hona hain tum faltu ki baate mat socho. Tum samjh

rahe ho na do din mein competition hain jo tum logo ke life ke

liye bahut maine rakhta hain.

Prakash- competition ha sanjay competition me bhi humara

naam achanak se agaya tha jabki hum mese kisi ne bhi

registration nahi kiya .

Sanjay- ye baat to hain, ek min par is sab ka koi logic kya

hain.

132 | P a g e

Prakash- hain in sab ka koi to rista hain hume competition me

fasana fir raj ke baare mein pata chalna, humara raipur jana

par vha raj ka nahi hona in sab ka koi to rishta hain.

Sanjay-arre yaar tu faltu itna soch raha hain meine hi tum logo

ko raj ke baare me bataya tha yaar hain sabse pahel lagta hain

galati kar di tu itna paresan kyo hota hain.

Prakash- nahi sanjay humare career ki baat thi yaar hum bar

baad ho jate kisi ne humara naam register kiya competition

me koi student kar nahi sakta pakdha jata kyoki vo pakdhane

darta kyoki agar vo pakdha jata to college use nahi chhodhta,

to fir kon kar sakta hain.

Sanjay- tu ghar ja aur bas filhal cometition ki taiyaari kar, pata

nahi sharma sir bhi ajeeb hain pahle mujhe kaha Raj ke baare

me tum logo se baat karne ke liye fir khud tumhare saath gaye

chhodh in baato ko.

Prakash- Ek minute, kya kaha tune sharma sir ne tujhe kaha

tha hume raj ke baare me batane ke liye.

Sanjay- ha yahi to kha meine yaad hain mein parking me aya

tha jab tum teeno paresan the mere vaha pahuchane se pahle

mujhe sharma sir mile the unhone hi kaha ki tum teeno is

competition ko nahi sambhal paoge unhe kahna ki Raj naam

ka ex-student hain vo unki madad karega.

Aur fir meine tum sabko aake bataya vahi sab lekin meine ye

bhi kaha ki use college se nikala gaya tha aur bhi kuch sayad

vo isliye kyoki mein todha bahut janta tha uske baare me.

Prakash- janta tha vo kaise?

133 | P a g e

Sanjay- mere bhaiya raj ke batch mate the meien sayad bataya

bhi hoga, mujhe tik se yaad nahi au rmeien uske baare mein

suna tha isiliye tum logo ko todhi bahut aur bhi baate batayi

uske baare me.

Par agar sharma sir nahi kahte to mujhe ye khyal bhinahi ata.

Prakash- ek minute. Ab mujhe samajh araha hain, humara

naam competition me gaya fri tujhe kah kar hume Raj vaali

baat me fasaya khud uski kahaani batake gayab ho jana hume

fir raipur bejna par abhi bhi ye baat tutti hui hain koi bahut

badha raj hain iske pichhe jo hum teeno ko pata hona chahiye.

Sanjay – agar tujhe sach mein aisa kuch lagta hain to ek aur

tareeka hain, mere bhaiya sayad kuch jante ho raj ke baare

mein.

Prakash- ha ye achha tarika hain , tu call laga sakta hain kya

abhi bhaiya ko ? please.

Sanjay- ruk ek minute me abhi baat karta hoon.

Fir sanjay ne apne bhaiya ko call kiya jo ki same college me

senior batch me raj ke saath padhai kar chuke the.

Sanjay- hello bhaiya, suniye na mujhe aapki help chahiye thi.

Phone- h sanjay kaisa hain, bolo kya help chahiye paise

vagarah chahiye kya?

Sanjay- me tik hu bhaiya aur paise nahi chahiye thank you,

mujhe ye janana tha ki aapko raj yaad hain kya?

Phone- kon raj?

134 | P a g e

Sanjay- bhaiya aapka batch mate jiske baare mein aapne

bataya tha ki vo bahut intelligent tha par usse college se nikal

diya gaya.

Phone- ha vo Raj, yaad aya par tumhe kya janana hain uske

baare mein aur kyo?

Sanjay- kuch nahi bhaiya todha kaam tha aisi aap please

bataiye na kuch.

Phone- Dekho me Raj ke batch mein zarur tha par humare

departement alag the ha me usse kabhi kabhi milta zarur tha

par, ha ek baat thi vo hamesa ek self opertaed system banane

ki baat karta tha.

Aur kaafi intelligent bhi tha aur jab usse nikala gaya college

se to kuch humgama hua tha isiliye mujhe uske baare me pata

hain. Vo IT department ka tha to jayda aur kuch to nahi janta

aur kisi aur student se mere contact bhi nahi hain .

Sanjay- tik hain bhaiya thank you.

Phone- koi baat nahi sanju achha ha ek aur baat yaad aya

sharma sir hain deepak sharma sir ab bhi college me?

Sanjay- h bhaiya unka kya matlab in sab se?

Phone- tumhe vo uske baare me bata payenge Raj ke uncle the

hain vo agar tum chaho to unse baat karlo.

Sanjay- ye bat sun ke hairan tha usne kaha “kya sharma sir

unke uncle hain, bhaiya aap deepak sharma sir ki baat kar rahe

hain na?”.

Phone- ha sanju, baat kar lena agar chahe to.

135 | P a g e

Sanjay- ji bhaiya tik hain mein rakhat hu, aapse baad me baat

karta hu bhaiya.

Phone- ha tik hain aur apna khyal rakhna.

Sanjay- ji bhaiya.

Sanjay ne fir phone rakha aur apni bhaiya ki baate sunn ke

sanjay hairan tha.

Usne Prakash ko ye sab baate batani suru ki.

Sanjay- Tera saq sahi nikla sharma sir Raj ke uncle hain,

unhone baate chhupayi hain, tu sahi tha koi bahut badhi baat

to sach mein hain in sab ke pichhe.

Prakash- kya sharma sir, raj ke uncle the .

Sanjay- ha.

Prakash ye sun kaafi hairan hua, usne socha ye baat hume

batayi nahi gayi , ab ye kahaani ke pane judhane lage hain.

Aur kuch kaha bhaiya ne.

Sanjay- nahi yaar unhone kaha ki vo dono alag alag branches

ke the unka bahut kam hi milna hua tha .

Ha ek aur baat kahi bhaiya ne vo kah rahe the raj bahut

intelligent tha aur vo koi self operated system banane ki baat

karta tha par fir use college se nikal diya gaya.

Prakash- kya kaha self operated system.

Ab prakash aur bhi paresan hone laga tabhi uske dimag me

khyal aya ki ye sab usne suna hua hain.

136 | P a g e

Use yaad aya ki kisi ne usse kaha the is baare me ki self

operated system meine banaya hain.

Uska dimag chala ye to rajveer hain.

Fir prakash rajveer ki saari baate yaad karne laga.

Prakash ke mann me rajveer ki baate ghum rahi thi j obhi usne

kaha tha jaise – mein padha hua nahi hu , ye self operated

system meine banaya hain, mere ek uncle hain par vo kaam ke

karan bahar rahte hain ...

Prakash sa samjh gaya ki rajveer kon hain bas ye nahi jaan

paya usne aisa kiya kyo au rvo bahut gusse me tha ab vo sidhe

apne ghar gaya.

Usne sanjay ko kaha me chalta hu koi zaruri kaam hain mujhe

baad me milta hu.

At Room

Prakash room pahucha .

Mayank- prakash tu agaya ye dekh aaj humne khud khana

banaya hain chal aja khate hain .

Prakash- rajveer kidhar hain.

Prakash ne gusse se kaha.

Mayank- kya hua prakash? Koi problem hain kya?

Prakash- kaha hain vo aur anil kaha hain?

Mayank- rajveer room me hain project ki final testing kar raha

hain.

137 | P a g e

Fir vaha anil bhi agaya usen prakas ko dekh kar kaha, kya hua

tu itne gusse me kyo hain?

Prakash- tum dono chalo mere saath abhi.

Fir teeno rajveer ke room gaye rajveer ne unhe dekh kar kaha

aur bhai log kaise ho lo tumhara kaam ho gaya project ekdum

ready hain dekhna ab tum log hi jeeto ge.

Prakash- kyo kiya tune aisa, kya faida tha tera isse?

Rajveer- kya kah raha meine kya kiya? Mein kuch samjha

nahi.

Fir prakash ne gusse me jake rajveer ko dhaka deke diwal me

tika diya aur gala dabba diya aur kahen laga dhoka diya tune

dhoke baaz.

Rajveer ka chasma is dhake me niche geer gaya aur vo bina

chasme ke kuch tik se dekh nahi pa raha tha.

Ye sab dekh kar anil aur mayank turant ahe aye aur prakash

ko pakadha aur pichhe dhaka diya aur kaha abe kya kar raha

hain tu.

Mayank- prakash kya hua tujhe pagal ho gaya hain kya?

Anil- abe ye apna rajveer hain saale kya ho gaya hain tujhe.

Idhar rajveer apna chasma dhundh raha tha usse kuch tik se

dikh nahi raha tha to vo apna chasma bhi nahi dhundh pa raha

tha.

Rajveer ke ankh me anshu agaye aur vo kahne laga mera

chasma kaha please chasma dedo mera.

138 | P a g e

Mayank ne fir rajveer ko chasma pahnaya aur kaha tu tik hain

na rajveer.

Rajveer- me tik hu, rajveer ne apna chasma pahante hue kaha.

Mayank- prakash ye tune tik nahi kiya tera dimag kharab ho

gaya hain.

Prakash- dosto pagal mat bano ye dhokebaaz hain ye koi

rajveer nahi hain.

Anil- ye tu kya kahna chah raha hain prakash.

Prakash- tum logo ko sach janana hain na, le rajveer nahi hain

asal me koi rajveer hain hi nahi ye ladhaka hi Raj hain Raj

Sharma isne aur Sharma sir ne mil ko hum teeno ko fasaya

hain.

Mayank- ye galat hain prakash tu kya bewakufo jaisi baat kar

raha hain.

Prakash- sahi kah raha hu mein, meine khud abhi pata kiya

hain sharma sir hi iske uncle hain ise hi 6 saal pahle Director

ne dhake maar kar college se nikala tha ye tab bhi dhoke baaz

tha aaj bhi hain.

Anil- ye sab bakwaas hain .

Mayank- ha prakash rajveer hume kyo aur kis liye fasayega.

Prakash- ye mujhe nahi pata sach to ye khud batayega hume

aaj isne kyo aisa kiya, ek sach to samne hi hain ki ye Raj

sharma hain yakin nahi to isi se sach puch lo, dosti ki hain na

sach kahne se bhi nahi mukarega.

139 | P a g e

Rajveer- nahi mukarunga sach kahne se bilkul nahi dosti ki

hain meine kyoki tum sab se.

(Rajveer se dheere awaz me todha rote hue kaha.)

Rajveer- tu sahi hain prakash mein hi raj hu, par meien kisi ko

dhoka nahi diay ha jhutt kaha tum sab ki madad li yaha tak

pahuchane ke liye director Ajay Shetty tak pahuchane ke liye

par meine koi dhoka nahi diay na dene vala tha tumhe.

Meine tab bhi koi dhoka nahi diya tha ab bhi nahi dunga mein

sach bataunga tumhe pura sach kyoki tumhe haq hain, tum sab

ko haq hain kyoki dost ho na mere.

PAST

Sab tik chal raha tha college mein humare 5th semester chal

rahe the srishti aur mein bahut khush aur har taraf us waqt

college mein BE ENGINEER competition ka mahol tha meien

bhi apne dream project pe kaam karna suru kiya tha self

operated system pe us waqt meien ise chhote level pe socha

tha jeetna ye aaj advance hain utna us waqt nahi tha.

Ek din srishti ne mujhse kaha ki usse kuch dino ke liye delhi

jana hain uske koi relatives the vaha unke ghar uske kisi

relative ki tabiyat kharab thi to unhe dekhne.

Mein use station chhodhane gaya hua tha.

140 | P a g e

Srishti- raj sunno tum time pe khana kha lena aur din bhar

apne computer me mat ghuse rahna ok.

Raj- ha baba kha lunga.

Srishti promise na.

Raj- ha pakka aur tum apna khyal rakhna aur jaldi se ajana

mein akela hu yaha.

Srishti- ha jaise hi mausi ki tabiyat tik hoti hain mein ati hu

aur sunno aate hi mein papa ko humare baare mein bataungi.

Raj- kya bataogi srishti, abhi to mein kuch hoon bhi nahi

Srishti- mein unhe sirf sach batana chahti hoon unse kuch

chhupana nahi chahti aur vaise bhi tu bahut kuch ho topper

ho, hosiyaar ho aur dad ko achhe lagoge.

Raj- topper hoon nahi tha.

Srishti- ha baba mere baad ... chalo train agayi, tum apna dyan

rakhna bye.

Raj- tum bhi, aur call karunga tumhe.

Aur fir srishti chali gayi

Do din baad B-Engineer competition tha sab apne project

banane me lage hue the mein bhi aur mera kaam lag bhag

khatam hi hogaya tha.

Usi competition me director ke bete sunil ne bhi participate

kiya tha usne bhi koi high tech project banaya tha.

141 | P a g e

Hum sab ko competition ke ek din pahle apne project ke baare

me brief description ka prestation bhi dena taaki selective hi

aghe ja sake aur vo din kal hi tha.

Hum sab ne ek ek kar apna prestation diya judges ander baite

hue the sirf presentation dene vaale candidate ko hi ander jana

allow tha.

Aur jab meri paari ayi to mein gaya.

Meine jab apne idea aur project ke baare mein bataya to ye

idea sabhi judges ko bahut pasand aya unhone kaha ye to

bahut hi achha hain tum zarur jeetoge.

Ek gante me selective candidates announce hone vaale the.

Aur jab announce hue to mein kuch samjah hi nahi paya ki

hua kya ammouncement me mera naam nahi tha.

Mein kaafi paresan tha meine is baare me pata karna chaha

kyoki mujhe pata tha ki aisa ho nahi sakta ki mera project

reject ho jaye vo bhi selective test me.

Fir mein is baare me pata karne judges ke pahucha ye

competition B-TECHNOLOGIES ke taraf se thi au riske

judges bhi usi company se the aur jab me judges se baat karne

pahuch.

Raj- sir excuse me.

Sir- yes .

Raj- sir I want to know actually why my project is not

selected I did the best, I thought.

142 | P a g e

Sir – what is your name let me check?

Raj – Raj Sharma .

Sir ne fir result list me check kiya .

Raj ke naam ke project me copied ka seal laga hua tha aur

likh hua tha disqualified.

Sir ne raj ko gusse se kaha tum cheating karte ho aur mujhse

puchane aate ho vo bhi ek copied project ke liye.

Raj - hairan tha vo sir se kahne laga, sir meine kisi project ki

copy nahi ki ye galat hai.

Sir-shut up and get out, sukar manao ki abhi tumpe koi action

nahi liya gaya hain varna rules jante ho na copy, cheating ke

liye tumhe is college se nikala bhi ja sakta hain tumhara

career khatam kiya ja sakta hain.

Raj- please sir meri baat to suniye meine aisa kuch nahi kiya

hain, ye galat hain.

Sir- gusse se “I said get out”.

Sir raj ki sunne ko taiyar nahi the unhione use vaha se bhaga

diya.

Fir meine socha ki mein (raj) Director sir se jaake baat karta

hoon.

Par jab mein vaha pahucha sir pahle hi apne office me

BTECHNOLOGIES ke owners ke saath bait ke kuch baat kar

rahe the.

143 | P a g e

Meine darwaze se unki baatein sunni kyoki mujhe aisa laga ki

vo mere baare me hi kuch baat kar rahe hain.

Meine suna ki Director sir Btechnoloies ke owner ko thank

you kah rahe hain .

Owner- isme thank you ki kya baat hain sir aapne humare

education platform ko apne college me appy karne ka socha

aur fir hume itne saare paise diye hain humare share sambhala

hain hum itna to kar hi sakte hain.

Director- ha bilkul par uske badale aap bhi humara pura dyan

rakh rahe hain students ke project ki koi judgment hi nahi ki

aur sabko disqualified bhi kar diya.

Owner- par humara plan kaisa tha, kisi ke me copy ya failed

ka ilzam laga ke dusaro ko bahar kiya aur aapke bete ko

winner bana diya.

Mein bahar se ye sab sunn raha tha aur ye sab sunke me

hairan tha, director ne dhoka kiya tha sabke saath usne

Btechnologies ek share leke aur company owner ko fund deke

apne bete ko winner bana diya tha .

Taaki uska beta educational status pa sake use vo sab mile ji

dusare kisi student ko bhi mil sakta tha.

Btechnologies ek bahut badhi company thi engineering and

technologies ke education frame pe work karti thi usse

certified hona ek engineer ke liye bahut badha achievment tha

us samay.

Aur vo sab director ne kharid liya tha .

144 | P a g e

Mein baad me director sir se milne pahucha vo colleg eka

round –up kar rahe the.

Raj- sir mujhe aapse kuch baat karni hain.

Sir- ha tell.

Raj- aisa kyo kiya ? i have the best project aapne dhoka diya

sabhi students ko.

Sir- ye kya bakwas kar rahe ho.

Raj- bakwas mein nahi kar raha sir meine sab sun liya hain

aapne ye competition rakh kar sirf students ke saath dhoka

kiya hain.

Sir- oh to sab jante ho tum, par kya kar loge kal to winner

announce ho jayega aur vo mera beta rahega.

Raj- ye galat hain mein sab ko ye baat dunga.

Sir haste hue koi students kar kya lega jo karna hain karo.

Raj- sir please aisa mat kijiye isme mera dream project

involved hain.

Sir- kya naam hain tumhara?

Raj- sir raj sharma.

Director- oh to tum hi ho jiske me copied ka ilzam lagaya

hain, sukar manao ye baat kisi ko nai pata aur tumhe koi saza

nahi mil rahi to ab nikalo yaha se.

Fir sir vaha se jaane lage.

145 | P a g e

Raj ne pichhe se sir vo kaha sir please aisa mat kijiye ye tik

nahi hoga.

Aur director ne gusse me aake raj ko tappadh maar diya.

Raj ke muh se khon aane laga uske aankho me aanshu the.

Director- ek min lagega tujh jaise ko barbad karne me ye meri

sarafat hain ki mein kar nahi raha chup chap padhai karo apni

degree lo aur nikalo yaha se.

Mein vaha se rota hau vapas agaya.

Director ko lekin ye lagne laga ki mein baad me problem creat

kar sakta hoon students ko sab pata chal jayega aur humgama

ho sakt hain.

To director ne mujhpe sach me copy ka ilzaam lagaya college

me sabke saamne seminar me mujhe aghe bula ke meri bezati

ki kaha ye chor hain isne khud Judging company

BTECHNOLOGIES ke project chura ke competitio me jama

kiya aisa ilzaam lagaya gaya mujhpe aur in sab me

BTECHNOLOGIES bhi unke saath de rahi thi kyoki director

unko achhe khase paise de raha tha.

Saare student mujhe alag nazaro se dekhne lage koi mujhse

baat tak nahi karta tha.

Sabh faculty koi bhi mujhe pasand nahi karta tha sab kuch na

kuch suna dete mujhe .

Srishti ab bhi delhi me thi usse is baare me kuch nahi pata tha,

meine srishti se bhi kaafi dino se baat nahi ki thi kyoki mein

146 | P a g e

puri tarah se tut chuka tha aur usse kya kahta ki vo ek chitter

se pyar karti hain.

Kisi ka saath tha to vahi thi mere liye sab kuch par mein usse

aisi taqleef anhi dena chahta tha jisse me gujar raha tha.

Uncle ne meri bahut madad ki bahut samjhaya meie unko

saari baate batayi ki kya hua par mein janta tha ki vo bhi kuch

nahi kar sakte the.

Au rjab ek din mein akele baita hua the mein puri tarah se tut

gaya tha aur baht rone laga sab logo ki baate mere dimag me

chal rahi thi mera sapna meine tutate dekh liya tha.

Meine fir director sir se jaake baat karne ki kosis ki.

Raj- sir mujhe kuch samjh nahi araha ab aghe kya karu aapne

to mujhe bilkul khatam hi kar diya.

Sir- abhi to tujhe college se nahi nikala hain sirf beizat kiya

hain abhi bhi mauka hain padhai khatam karo aur nikalo yaha

se.

Raj- nahi sir aaj mein kuch mangane nahi aya hu na is system

se na is engineering se kyoki aaj in dono se haar gaya to ek

engineer khatam ho jayega, mein aisa nahi karunga.

Aap ye system rakhiye apne paas aur ho sake to meri ek

advice bhi.

Aap apni engineering badal lijiye nahi to vada hain mera mein

aapke engineers badal dunga.

Aap ek engineer ko nahi nikal sakte ab ye engineering

suspend hogi, ye engineering suspend hogi.

147 | P a g e

Mein gusse aur aanshuo ke beech ye sab kahta raha .

Director ne security bulayi aur chilaya ki nikal jao is college

se get out of my campus.

Vaha us waqt bahut se student jamma ho gaye the kaafi bidhh

jam gayi thi aur securities ne mujhe college se bahar nikal

diya

Mein ghar agaya aur ek vada kiya ki apne aur apne project,

apne sapne ka badla mein lunga aur aisa lunga ki ye system

dekhega apni izat vapas paunga vo izat jo ek engineer ki izat

hain jisen koi chori nahi ki thi.

Apne project ko mein chahta to kahi bhi le ja sakta tha badhi

company ko bech sakta tha par mujhe ye kaam karna jisme

khud director ko apni galati ka ehsaas ho use mere project ko

approve karna padhe taaki me kah saku ki ye tab bhi mera tha

aaj bhi mera hain.

Aur meine usi waqt apne result fadh diye mujhe ab inki

zarurat nahi thi aur mumbai chhod ke raipur agaya.

Yaha mujhe koi nahi janta tha au ryaha uncle ka purana ghar

tha to meine vahi rahne ka faisla kiya .

148 | P a g e

PRESENT

Raj- Toh ye sab hua tha 6 saal pahle, meine hi college ka

server aur adime panel ko hack kar tum teeno ka naam dala

tha .

Meine hi tum logo ko raipur bulaya khud tumse mila, mumbai

vapas aya kyoki mujhe apne project ko directer se paas karana

tha aur sabit karna tha ki ye ilzaam jo mujh par us waqt lagaya

gaya tha bina mera project dekhe use hatana tha mujhe.

Mein janta hoon ki meine galat kiya tum sab ka istmaal kiya,

tumhe kuch nahi bataya par batata bhi kya dosto please mujhe

maaf kardo.

Us hadse ke baad mein ekdum akela padh gaya tha mujhe

khud ko sambhalen ke liye bhi psychatrist ki zarurat padhti thi

srishti ki bhi bahut yaad ati thi, mein usse kabhi mil bhi nahi

paya mil bhi nahi sakta tha kya karta aur kya kahta.

Usne to ab tak maan liya hoga ki mein ek chitter hu au ruse

dhoka bhi de cuka hoon.

Fir raj rone laga aur kahne laga mujhe maaf kar dena dosto.

Mayank ne turant aake raj ko gale lagaya tune kuch galat nahi

kiya yaar.

Anil – ha yaar hum to vaise bhi barbaad the tu aya hain tab se

zindagi ka matla samjha hain humne tune kuch nahi kiya.

149 | P a g e

Sabhi ke ankho me anshu agaye aur fir prakash raj ke kareeb

aya aur usen rote hue raj ko gale laga liya aur gale lagaye hue

kahne laga mujhe maaf kar dena yaar mein darr gaya tha,

mujhe maaf kar dena.

Raj- koi baat nahi hum doast hain chalta hain (raj ke ankho

me us wat anshu thi )

Sabhi ke ankhe bhar gayi thi us waqt.

Todhi der mein raj ne kaha mujhe aur bhi kuch batana hain

tumhe par please use sun kar hairan mat hona.

Fir unhe raj ne ek badhi baat aur batayi jisse sun kar vo na

chahte hue bhi hairan ho gaye akhir kya baat thi vo .

Next day at project presentation

Teeno ne puri mahnat au rdil se raj ke us sapne ko present

kiya vo kisi bhi halat me raj ka sapna pura karna chahte the

unhone bahut kamal ka presentation diya.

Unhone bahut serious hoke ye kaam kiya sayad ise pahle vo

kabhi itne serious na rahe ho par dosti ki baat thi to unhone

koi kami nahi chhodhi.

Director- fabulous kamal ka tah ye project. Kaise banaya tum

logo ene ye.

Mayank- dosti thi na sir to kuch aur karne ki zarurat hi nahi

padhi.

Prakash- yes sir hum saath the to kuch paat bhi nahi chala.

150 | P a g e

Director- good I guess ye competition group me rakhan

successful hua.

Anil- yes sir vo humne engineering ko bhul kar khud engineer

ban ke kaam kiya na to ye ho paya .

Is baat se director ko raj ki engineer vaali baat yaad agayi par

unhone kuch kaha nahi .

Bas itna kaha-

Director- congrats your project is passed.

Teeno bahut khush ho gaye unhe khushi thi ki vo kisi ka

sapna pura kar pa rahe the .

Vo teeno turant rajveer yani raj ke paas gaye dhur khade hoke

raj ko dekh rahe the unke aankh me anshu the .

Teeno ne dhur se hi raj ko thumps up kiya, raj unhe dekh ke

rone laga.

Use ehsaas the ki usne jis pal ka itna lamba intzaar kiya vo pal

ab agaya tha .

Usne teeno ko jake gale laga liya aur teeno ko thank you kaha.

Prakash- kis baat ka thank you yaar, ye sab tune kiya hain

humane kuch nahi kiya.

Mayank- ha bhai hum to bekar the tune hume kisi kaabil bana

diya.

Anil- aur ye mayank to sabse jayda bekar tha .

151 | P a g e

Mayank- chup be tu ab bhi hain sala prakash ko line marta

hain.

Fir sab hasne lage .

Prakash- bas ab ek hi kaam aur bacha hain .

Mayank- kya kaam?

Prakash- kal ka din, hope karo kal hum hi jeete aur fir is

kahaani ka ant karne ka waqt agay fir.

Anil- prakash tik kah raha hain.

Raj- tum sab apna khyal rakhna kuch aisa mat karna jisse

tumhe paresani ho.

Prakash- Raj tu tension na le humare jeetate hi sab logo ke

samne hoga .

Raj ne fir muskurake prakash ki taraf dekha aur ha ka isara

kiya.

Next day (competition results)

Hazaro logo ki bheedh college me thi sabki nigahe aaj

competition pe hi thi kya hoga aur kon hoga winner, kiski

zindagi aaj badalne vaali thi.

Pure college me aaj mele jaise mahol tha, aur kuch hi der me

result announce hone vala.

Humare teeno engineer bhi ab college pahuche aur idhar raj

ghar pe hi tha.

152 | P a g e

At room

Raj akele baita hua tha ekdum saant aur uske ankho me

khushi ke anshu the vo akele me baat karne laga.

Raj- aaj rajveer khatam srishti humesa ke liye aaj sabke

saamne aane ka waqt agaya dunia ko kuch batana hain uska

waqt agaya.

Srishti tumhe yaad hain tumne ek baar tumse kuch vada kiya

tha kiya tha aur tumne use masti me taal diya tha par ab vo

sach hain srishti, sach hain ab dunia bhi dekhe gi vo sach.

Ab meri paari hain jaane ki khud, ab mein khud jaunga vapas

INSTITUTE OF ENGINEERING AND TECHNOLOY. Jaha

hum pahli baar mile the, jaha se ye saari kahaani suru hui ab

vahi khatam hogi.

Mein chalta hu srishti, mein chalta hu.

Aur fir raj vaha se nikal gaya.

Dusari taraf college me-

At College

College auditorium me hazaro students ki bidh jami hui thi ab

result announce jo hone vaale the.

Teeno engineers prakash, anil aur mayank ek dusare ka haath

pakadhe hue the aur pray kar rahe the .

Sabka dyan announcement ki taraf aur contestent ki dil ki

dadhakane ataki hui.

153 | P a g e

Director aur unke saath senior faculty satge pe aye .

Unhone kuch baate ki fir aya vo lamha jab result bataya jana

tha.

Director sir ne mice liya aur kuch kahne lage.

Director- aaj bahut badha din hain students par unke liye nahi

jo darr gaye is competition se nahi,par unke liye jinhone

himmat ki isme participate karne ki kyoki unhone ye saabit

kiya hain ki vo kamjor nahi hain, unhone saabit kiya ki vo ek

engineer hain aur mein chahunga unke liye pahle bahut

clapping honi chahiye.

Fir pura hall taaliyo se gunj utah.

Director- ab jyada waqt na lete hue mein B- Engineer

competition ke winner announce kar raha hu.

Sab ekdum dyan dene lage ki ab kon hoga vo.

Teeno engineers ki saanse ataki hui thi kyoki ye unke liye

competition se bahut jayda kuch tha.

Director- And the winner of B- Engineer is the team who

made self operated operating system the engineers- prakash,

mayank and anil.

Students ki taaliyo se college pura gunj utah aur idhar

prakash, mayank aur anil ki awz chilane se ruk hi nahi rahi thi

vo zor se chikhane lage, teeno ne ek dusare ko gale lagaya .

Unhe sir ne stage pe bulaya .

154 | P a g e

Teeno stage pe aye au rteeno ki aankho me anshu thi idhar

sharma sir ki ankho me bhi anshu the unke nalayako ne jo kml

kiya tha aur jis plan me unhone raj ki madad ki thi vo aaj

successfull hui.

Teeno ne certificates liye aur mice ki taraf badhe kuch kahane

ke liye.

Prakash ne mice liya aur sabka sukriya kiya aur fir usne kaha

ki muche kuch aur bhi zaruri baate kahni hain aap sab ko,

mujhe nahi hum teeno ki zaruri baat hain ye.

Prakash- hum teeno dost, hume sirf masti hi karni aati hain

hum to sharma sir ke nalayak hi hain par ek din kisi ne ehsaas

dilaya engineer hona kya hota hain, ehsaas dilaya ki

engineering tumhari taqat hain jo kahti hain ki tum aam nahi

ho, tum saath ho to khushi ho, zindagi hain.

Hum to kabhi yaha hote bhi nahi aap sabke saamne agar vo

nahi hota actually hum to is layak bhi nahi ki ye award vagrah

hume diya jaye nahi, humne to sirf apna kaam kiya kisi ka

sapna pura karne me, par aaj yaha kadhe hoke me dekh sakta

hu ki hum teen jiska sapna pura kar rahe the vo fir hum sabse

jeet gaya kyoki aaj yaha khadhe hoke mein dekh sakta hu ki

usne hum teeno ke sapna pura hum to bekar hi rahte kuch nahi

kar paate, bas aisi ghus gaye naseeb se ya majburi se

engineering me usne hume iska sahi matlab sikhaya uske akho

se hum dekh sake ki humara saath hum dosto ka pyar jo yaha

hain vo dunia me aur kahi nahi kahi bhi nahi.

To aaj garv hain mujhe engineer hone pe thank you, thank

you.

155 | P a g e

Aisa kah kar prakash bahut emotional ho gaya aur fir anil aur

mayank ne uske kandhe pe haath rakha au rprakash ne fir

kuch kaha.

Tab tak sab log kuch tik se samajh nahi pa rahe the par vo

prakash aur baaki dono ki feelings ko samajh rahe the.

Prakash- sorry vo aaj badha din hain na to aisi, engineer bhi ro

sakte hain yaar.

Mein ek kahaani sunata hoon aap sab ki chhoti si , bahut waqt

pahle ek ladhaka tha bahut honhaar hosiyaar ek din usne kuch

banaya socha dunia ko bahut achha lagega aur use vo izzat au

rnaam milega jo aaj hume mila hain, par us ladhake ke sapne

ko ek insaan tha usne khatam kar diya bina uski kabilyat

dekhe, uski zindagi barbad karne ki kosis ki.

Aur to aur usse is college se beizat kar nikala gaya aaj se 6

saal pahle is competition se.

Ye sun kar director sir sab samjhane lage unhe lagne laga ki

ye Raj Sharma ki baat kar rahe hain.

Par vo ladhaka kamjor nhi padha usne apne sapne ko fir

banaya aur use pura kiya teen nalayako ki madad se usne fir

ek din hume kai saare raaz bataye par sabse badha raaz bhi tha

jisse sun kar hum hairan ho gaye par us dost par ahut garv hua

hume aur humesa rahega, dosto ye koi aur nahi vo hain jisne

ye self operating system banaya.

Guys please wel-come jisaki talas dunia ko hain jisse aaj tak

kisi ne nahi dekha par dhundh rahe the founder of the WE-

TECH CORRPORATION.

156 | P a g e

Vaha sab shocked rah gaye sab ka dyan darwaaze ki hi taraf

tha kyoki kisi ne WE-TECH ke malik ko kabhi nahi dekha tha

par sab we-tech ko achhi tarah jante the kyoki sabne us

educational site ko use kiya hua tha.

Faculty aur director ko yakin nahi tha ki vo yahi hain unki

nigahe darwaze ki taraf thi.

Pure haal me sirf teeno aur sharma sir ke alawaye koi aur nahi

janta tha.

Prakash- guys please wel-come RAJ SHARMA tha Founder

and owner of the We-tech .

Aur fir raj audi me aya sabhi log use dekhane lage students

me dhakka mukki hone lagi raj ko dekhne ke liye udhar

director ko yakin nahi o raha tha ki raj sharma jise unhone kai

saal pahle college se nikala tha vahi we-tech corrporation ka

founder hain.

Logo ki taaliya band nahi ho rahi thi au rsabhi faculty

members hairan the vo bhi apni taaliyan nahi rok pa rahe the.

Students zor zor se wetech – wetec kah kar shor karne lage.

Raj stage pe aya aur aate hi teeno ko gale lagaya aur kaha

thank you so much tumne ye kar hi diya .

Anil- nahi humne ye kiya.

Charo muskuraye aur fir mice pe raj kuch kahen gaya.

157 | P a g e

Raj- saant ho jayiye dosto, thank you so much, thank you ki

aap sabne mujhe aur we-tech ko itna pyar diya aap sabhi ke

karan aaj we-tech itna badha hit hain.

Meine to bas ek baar kisi se vada kiya tha ki ek din mein

tumhare liya company kholunga afsos ki aaj vo yaha nahi par

meine aaj apna vada pura kar diya, mein usase maafi mangana

chahta hoon ,

I am sorry srishti ki mein kabhi vapas nahi aya kaise ata mein

is naam ke saathnahi asakta tha ki mein ek chitter hoon, mujhe

pata hain meine tumhe akela chhodh diya mujhe maaf kardo

par aisa ek bhi din nahi jab meine tumhe yaad nahi kiya.

Aaj meine apna kaam pura kiya srishti, puar kiya meine apna

naam vapas le liya, izzat vapas le liya.

Ye sab sun kar teeno ke ankho nam ho gayi aur kai students

ki bhi .

Raj- me bas ye kahna chahunga ki meine kuch kaas nahi kiya

bas apna kaam kiya hain engineer hone ka kaam kyoki

engineer hone ka matlab ye nahi ki meri paas degree ho asia

nahi hain, degree to sabke paas ho sakti hain par sab engineer

nahi ho sakte .

Meine ye kahna chahunga ki aap sab us engineering ki degree

ki nahi engineer hone ki izat kare uska naam ko gheerne na

de.

Bas yahi kahna chahunga mein thank you.

Ye sab sun kar kar sab ekdum saant ho gaye aur fir jo hua use

dekh sab hairan ho gaye .

158 | P a g e

Sabse pahle director sir ne taaliya bajayi aur fir pura hall pura

college gunj utah.

Director raj ke paas aye aur unhone raj se maafi mangi aur

kaha tumne saabit kar diya ki safal hona kisi degree hone ki

mohtaj nahi .

Mujhe maaf karna meine jo kiya mein, and I proud of you,

you are the engineer.

Raj- it is ok sir.

Fir raj ne mice me ek announcement ki .

Raj- aaj mein kuch aur bhi batana chahta hoon dosto mein

apne teen saathiyo ko yaani anil, prakash aur mayank ko we-

tech ko sambhalne ka kaam deta hu now they are the part of

we-tech.

Ye sun teeno bahut khush hue aur charo khub kush the us din

aur fir taaliyo ki gunj me chaaro kahi kho gaye.

Out side of college

Raj – chalo yaar ab mujhe chalna chahiye.

Mayank- kaha jana hain?

Raj- mere vapas jaane ka waqt ho gaya, tum sabne jo kiya

uske liye tum logo ka ehsaan hain humesa rahega aur meri

vajah se jo bhi tum logo ko paresaniya hui uske liye maaf

karna.

159 | P a g e

Prakash- pagal ho gaya hain kya aur ek baar aisi baat ki to

mein sach me tjhe maar dunga.

Raj- haste hue “nahi kahunga ”.

Anil- par tu aise hi nahi ja sakta hum sabne tere liye kuch

soch hain.

Raj- kya?

Prakash- tere liye gift hain, yaad hain tune kaha tha tu akela

hain aaj tere dard ko dhur karne ka waqt agaya.

Raj- mein kuch samjha nahi .

Mayank- samjh jayega todhi der me hume CST me mil.

AT CHHATRAPATI SHIVAJI TERMINUS

STATION-

Chaaro vaha pahuch gaye .

Raj- yaha kya hain ?

Prakash- kaha na tere liye gift hain.

Mayank- tu bas humare saath chal.

Raj- lekin kaha?

Anil- arre pahle train pe to bait fir batate hain.

Charo fir train pe bait gaye

Raj abhi bhi ek hi sawal kar raha tha ki hum ja kaha rahe

hain?

160 | P a g e

Aur teeno taal rahe the ki tu bas saant hoke humare saath chal.

Aur kuch der baad vo sab apne destination pe pahuch gaye aur

raj is jagah ko jaanta tha .

Ye jagah Matheran thi, jaha vo 6 saal pahle aya karta tha aur

ek baar usne srishti ko apne saath laya tha.

Vo sab train se niche utare aur raj dyan se us jagah ko dekhne

laga hum yaha kyo aye hain.

Anil- kyoki tumhe zarurat hain yaha aane ki.

(Raj srishti ko yaha laya tha jab vo bahut akeli thi aaj se 5

saal pahle)

Raj- par hum karenge kya.

Mayank- vahi jo tumhe bahut pahle kar lena chahiye tha par

tu khud bhul gaya.

Prakash- tu aghe to chal.

Fir chaaro vahi gaye jahah raj, srishti ko leke gaya tha usi

pahadh pe, samne gahri khai aur padhadho se gheera hui jagah

.

Raj- tum sabko pata tha ye ?

Prakash- kaise nahi jaante tu bhul gaya par hume yaad tha

yaad hain tu kaha karta tha ki ek baar dil ke dard ko dimag se

jeetne do aur bahar aane do kya pata zindagi badal jaye.

Aaj teri paari hain.

161 | P a g e

Raj ye sun kar emotional ho gaya vo akela tha par usne kabhi

nahi socha tha ki vo vaha aake tik ho sakta hain jaha vo kai

saal pahle apne paresaniya dhur karen aya karta tha.

Anil- aaj hum sab bhi tere saath hain raj.

Mayank- ha raj nikal de saare dard bahar.

Raj- dosto to fir sochana kya .

Fir chaaro khai ki taraf face kar khadhe hue aur zor se

chikhane lage charo ne apne saare dard bahar nikal diye aur

apna mann saaf kar diya.

Raj bahut khush tha usne teeno ko gale laga liya aur fir teeno

vapas arahe the tabhi anil, prakash aur mayank ne raj ko kaha

tu gadhi me bait hum aate hain.

Raj- kyo kya hua ?

Mayank- arre tu bait na vo hume susu karni hain .

Raj- abhi to kia tha jungle me.

Anil- arre hume fir karna hain tu bait hum ajayenge.

Aur fir raj train pe jake bait gaya.

Train khaali ja rahi thi bahut kam logg hi the usme.

Raj seat pe jaake bait gaya ab use mann halka lag raha tha jis

boj ke saath vo itan ewaqt se tha vo ab teeno dosto ne mil ke

dhur kar diya tha bas ek hi kami thi srishti vo abhi tak srishti

ko nahi dhundh paya.

162 | P a g e

Tabhi train me achanak ek ladhaki ayi, raj ne usse dekha aur

vo ladhaki srishti thi .

Raj usse dekh hairan tha vo kuch kah nahi pa raha tha, vo ut

ke usake paas gaya .

Raj ki ankho me anshu agaye the usne kaha.

Raj- tum yaha .

Srishti ki ankho mein bhi ashu the usne kaha mein to yahi thi

tumhi mujhe chhodh gaye.

Raj- mujhe maaf kardo.

Srishti- koi baat nahi par tum to chasmis ho gaye.

Raj- vo tum thi nahi to bas aisi vaise meine six pack abs bhi

banaye hain.

Srishti – ye sunn ke hasne lagi .

Dono ke ankho me anshu the dono ek dusare ko dekh ke rone

lage.

Fir dono ne ek dusare ko gale laga liya aur akhir kaar dono

vapas ek dusare se mil gaye.

Tabhi vaha train ke darwaze se teeno engineers jhakte hue

bole kyo bhai raj gift kaisa laga.

Raj –haste hue “ye sab tum teeno ne kiya”.

Mayank- kyo yaar tujhe kya lagta hain tu hi game khel sakta

hain, hum bhi engineers hain bhul mat.

Raj hasne laga aur teeno ko apne paas bulaya .

163 | P a g e

Raj- thank you yaar tumne sab vapas dila diya mujhe, tum sab

nahi hote to pata nahi kya hota.

Anil- ab natak mat kar varna prakash ka attack yaad hain na.

Fir charo hasne lage aur Raj ne srishti ko gale laga liya dono

fir hamesa ke liye ek ho gaye.

Srishti- vaise raj ye tumhare haath pe kya likha hain chinese

me?

Raj- raj and srishti.

Teeno engineers- kya baat hain bhai....

Raj- chup karo saalo.

Aur ab kya sab vapas tik ho gaya raj ghar laut gaya srishti ke

saath, srishti ne apne papa aur principal sir ko saari baate bata

di aur vo bahut khush the, humare engineers achhe se padhai

aur khub saari masti karne lage .

Director ne apne education system ko badla ab vaha chize

degree ke liye nahi hoti thi vo samjh gaye the raj jaise logo ka

hona zaruri hain nahi to engineering ki to degree har taraf bik

rahi.

Some Day After

Humare engineers fir saath pe ek maidan pe toilet kar rahe the

par teeno me mayank susu karne ka natak kar rahe tha jab anil

aur prakash susu karne me busy the mayank dheere se pichhe

aya aur dono ko zor se dhaka diya aur haste hue bhag gaya.

Anil aur prakash- abe saale pura pant ganda kar diya.

164 | P a g e

Mayank bhagte hue -yaad hai saalo khud ki gandagi bhi amrit

hoti hain, maza aya.

THE END

LOTS LOVE TO

MAYANK GAJPAL,

PRATIK TIWARI ,

PAWAN KUSHWAHA,

HARSHAD DEWANGAN,

&

CVSS SUBHRAMANYAM.

165 | P a g e

166 | P a g e

167 | P a g e

168 | P a g e

169 | P a g e

170 | P a g e